Mohabbat Kee Karshima Saaziyaan Aawaz Daitee Hain Tairee Yaadoon Kee Alharr Shokhiyaan Aawaz Daitee Hain

Decmber Kee Aakhree Shaam
Ahbaab Kee Mehfil Mein Aik Ghazal Paish Karta Hoon

Poet Shafeeq Aasif

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Mohabbat Kee Karshima Saaziyaan Aawaz Daitee Hain

Tairee Yaadoon Kee Alharr Shokhiyaan Aawaz Daitee Hain

Zara See Dair Mein Muasam Badlnay Ka Zamana Hay,

Hawa Kay Baazowoon Kee Choorriyaan Aawaz Daitee Hain

Musaafir Lotna Chaaho To Lamhoon Mein Palat Jaow

Tumhain Sahil Pay Thehree Kashtiyaan Aawaz Daitee Hain

Khizaa'N Kay Khof Say Sehmay Parindo Lot Bhee Aaow

Tumhain Phir Lehlaatee Tehniyaan Aawaz Daitee Hain

Chalay Jaatay Hain Hum Apna Lahoo Aidhan Banaanay Ko

Dhunwaan Daitee Huee Jab Chimniyaan Aawaz Daitee Hain

Shafeeq Ahbaab Aksar Yaad Aatay Hain Hamain Ab Bhee

Hawa Kay Saath Bajtee Taaliyaan Aawaz Daitee Hain..................!


Aankh Jab Aaiene Se Hatayi

شاعرہ پروین شاکر

انتخاب اجڑا دل

آنکھ جب آئینے سے ہٹائی
شام سندر سے رادھا ملنے آئی

آۓ سپنوں میں گو کل کے راجہ
دینے سکھیوں کو آئی بدھائی

پریم جل خوب گاگر میں بھر لوں
آج بادل نے مایا لٹائی

کس کو پنگھٹ پے جانے کی ضد تھی
کس سے گاگر نے بنتی کرائی

اوک سے پانی بہنے لگا تو
پیاس گردھر کی کیسے بجھائی؟

اب تو جل کا ہی آنچل بنالوں
پیڑ پر کیوں چنریا سکھائی

اسی بالک سے نندیا ملے گی
جس نے ماتھے کی بندیا چرائی

رنگ ڈالی میری آتما تک
کیا منوہر کے من میں سمائی

میں نے سکھوں کو کب کچھ بتایا
بیری پائل نے ہی جا لگائی
گوپیوں سے بھی کھیلیں کنہیا
اور ہم سے بھی میٹھی لڑائی

کوئی خوشبو تو اچھی لگے گی
پھول بھر بھر کے آنچل میں لائی

شام میں توری گیاں چراؤں
مول لے لے تو میری کمائی

کرشن گوپال رستہ ہی بھولے
رادھا پیاری تو سدھ بھول آئی

سارے سر ایک مرلی کی دھن میں
ایسی رچنا بھلا کس نے گائی؟

کیسا بندھن بندھا شام مورے ؟
بات تیری سمجھ میں نہ آئی

ہاتھ پھولوں سے پہلے بنے تھے
یا کہ گجرے سے پھوٹی کلائی

Tou Ne Hi Kaha Tha Main Teri Kashti Pe Bhoj Hon Aankhon Ko Ab Na Dhamp Mujhe Doobta Bhi Dekh


Tou Ne Hi Kaha Tha Main Teri Kashti Pe Bhoj Hon

Aankhon Ko Ab Na Dhamp Mujhe Doobta Bhi Dekh


December 31,2015,January 1st 2016


December 31,2015,January 1st 2016

Saal-e-Nao 

Saal-e-Guzishta Ko

 Nigal Chala Hai,

Aor Mujh Ko Bhi 

December


Khata Muaf Karna Dil Tora Hai Tumhara, December Mein Dil Torna Riwayat Hai Humari,

Khata Muaf Karna Dil Tora Hai Tumhara,

December Mein Dil Torna Riwayat Hai Humari,

Poet Ayaz Khan


Suno Jaana December Se Puch Lo Tum, Is Musam Main Kitna Yaad Karte Hain Tumhen,

Suno Jaana December Se Puch Lo Tum,

Is Musam Main Kitna Yaad Karte Hain Tumhen,

Poet Ayaz Khan



Jab Kaanch Uthane Parr Jaein To Hath Hamare Le Jana

شاعر گمنام

انتخات اجڑا دل

جب کانچ اٹھانے پڑ جائیں
تو ہاتھ ہمارے لے جانا
جب سمجھو کہ کوئی ساتھ نہی تم ساتھ ہمارا لے جانا

جب دیکھو کہ تم تنہا ہو اور راستے ہیں دشوار بہت
تب ہم کو اپنا کہہ دینا
بے باک سہارا لے جانا

جو بازی بھی تم جیتو گے
جو منزل بھی تم پاؤ گے

ہم پاس تمہارے ہوں نہ ہوں
احساس ہمارا لے جانا

بس اک مسکان ہمیں دینا
پھر جان ہماری لے جانا.....................*

Jab Kaanch Uthane Parr Jaein
To Hath Hamare Le Jana

Jab Samjh K Koi Sath Nahi
Tum Sath Hamara Le Jana

Jab Dekho K Tum Tanha Ho
Aur Raste Hain Dushwar Bohat

Tab Hum Ko Apna Keh Dena
Be-Bak Sahara Le Jana

Jo Bazi Bhi Tum Jeeto Ge Jo Manzil Bhi Tum Pao Ge

Hum Pas Tumhare Hon Na Hon
Ehsas Hamara Le Jana

Agar Baari Aa Jaaye Tum Pas Hamare Aa Jana

Bas Ik Muskaan Hamein Dena
phir Jaan Hamari Le Jana


Dard Ki Tasveer Main Ne Utari Aankh Mein, Tab Se Jari Ho Gai Hai Ashkbaari Aankh Mein,

Poet Ameen Babar

Typed
By
*_UJRRA_DIL_*

Dard Ki Tasveer Main Ne Utari Aankh Mein,

Tab Se Jari Ho Gai Hai Ashkbaari Aankh Mein,

Dil Deewana Ho Gaya Hai Us Ki Soorat Dekh Kar,

Ho Rahi Hai Dekhiye Takhreeb Kaari Aankh Mein,

Toot Kar Phir Reh Gaya Hai Jisam-O-Jaan Ka Rabta,

Jab Bhi Ki Hai Main Ne Us Ki Meena Kaari Aankh Mein,

Silsila Ishq-O-Mohabbat Ka Ajab Hai Dosto,

Rooh Ki Taskeen Thi Aur Shab Guzari Aankh Mein,

Dard Ki Tesein Uthi Thi Khana-E-Dil Mein Mere,

Aate Aate Aa Gai Hai Ye Beemari Aankh Mein,

Zindagi K Saz Pe BABAR Bhrosa Kab Talak ?

Door Kese Hogi Jo Hai Be Qaraari Aankh Mein..................?


Ab Nahi Hon Main Tanha Tha Magar Kabhi Tanha

شاعر سید معراج جامی

انتخاب اجڑا دل

اب نہیں ہوں میں تنہا تھا مگر کبھی تنہا
مجھ سے اس نے جب پوچھا تم واقعی ہو تنہا ؟

کیا بہار لایا تھا وصل اپنے دامن میں
آمد ۓ شب ۓ ہجراں زیست ہو گئی تنہا

جانے کس گھڑی ان میں ربط باہمی ہو جاۓ
اس کی دشمنی تنہا میری دوستی تنہا

دشت ۓ آشنائی میں کیا عجب تماشا ہے
ہر کوئی شناسا ہے اور ہر کوئی تنہا

صبح کے اجالے میں رات کے اندھیرے میں
میں ادھر رہا تنہا وہ ادھر رہی تنہا

تم تو ایسے قابض ہو زیست پر اجل جیسے
اب تو چھوڑ دو یارو مجھ کو دو گھڑی تنہا

جان دینے والوں میں ایک بھی نہیں آیا
شمع ۓ زندگی آخر رات بھر جلی تنہا

مجھ کو چاہنے والے بے شمار تھے لیکن
مثل ۓ برگ ۓ آواراہ زندگی رہی تنھا

ہے فریب ۓ ہستی سے زندگی میں ہنگامہ
خواہشوں کے جنگل میں یوں تو ہیں سبھی تنہا

چاند وصل کا جامی آج بھی نہیں نکلا
ہجر کی فصیلوں پر رات سو گئی تنہا


Mein Tere Lab Pe Hon Dereena Shikayat Ki Tarha,Yaad Rakha Hai Mujhe Tou Ne Adawat Ki Tarha

شاعر وصی شاہ

میں تیرے لب پہ ھوں دیرینہ شکایت کی طرح،
یاد رکھا ھے مجھے تونے عداوت کی طرح

چاند نکلے تو میرا جسم مہک اٹھتا ھے
روح میں اتری ھوئی تازہ محبت کی طرح

تیری خاطر تو کوئی جاں بھی لے سکتا ھوں
میں نے چاہا ہے تجھے گاؤں کی عزت کی طرح

کھل رہی ہے میرے دیرینہ مسائل کی گرہ
میرے ماحول میں اترا ہے وہ برکت کی طرح

اب تیرے ہجر میں کچھ لطف نہیں ہے باقی
اب تجھے یاد بھی کرتے ہیں تو عادت کی طرح

تم میری پہلی محبت تو نہیں ہو لیکن
میں نے چاہا ہے تمہیں پہلی محبت کی طرح

وہ جو آتی ہے تو پھر لوٹ کے جاتی ہی نہیں
تم لپٹ جاؤ کبھی ایسی مصیبت کی طرح

میرے دل میں کوئی معصوم سا بچہ ہے وصی
جو تجھے سوچتا رہتا ہے شرارت کی طرح


Mera Ishq Ho,Tera Husn Ho,Phir Husn Ishq Ki Baat Ho

ﻣﯿﺮﺍ ﻋﺸﻖ ﮨﻮ

ﺗﯿﺮﺍ ﺣُﺴﻦ ﮨﻮ

ﭘﮭﺮ ﺣُﺴْﻦ ﻋﺸﻖ ﮐﯽ ﺑﺎﺕ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﻠﻮﮞ

ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻮ ﻣﻠﮯ

ﮐﺒﮭﯽ ﮨﻢ ﻣﻠﯿﮟ ﻣﻼﻗﺎﺕ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻮ ﮨﻮ ﭼُﭗ

ﮐﺒﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﮨﻮﮞ ﭼُﭗ

ﮐﺒﮭﯽ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﮨﻢ ﭼُﭗ ﭼﺎﭖ ﮨﻮﮞ

ﮐﺒﮭﯽ ﮔﻔﺘﮕﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﺗﺬﮐﺮﮮ

ﮐﻮﺋﯽ ﺫﮐﺮ ﮨﻮ

ﮐﻮﺋﯽ ﺑﺎﺕ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﺣﺠﺮ ﮨﻮ ﺗﻮ ﺩﻥ ﮐﻮ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﻭﺻﻞ ﮨﻮ ﺗﻮ ﻭﮦ ﺭﺍﺕ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﺍ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻮ ﻣﯿﺮﺍ

ﮐﺒﮭﯽ ﺍﮎ ﺩﻭﺟﮯ ﮐﮯ ﮨﻢ ﺭﮨﯿﮟ

ﮐﺒﮭﯽ ﺳﺎﺗﮫ ﻣﯿﮟ

ﮐﺒﮭﯽ ﺳﺎﺗﮫ ﺗﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﺍﮎ ﺩﻭﺟﮯ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﮨﻮﮞ

ﮐﺒﮭﯽ ﺻﻌﻮﺑﺘﯿﮟ

ﮐﺒﮭﯽ ﺭﻧﺠﺸﯿﮟ

ﮐﺒﮭﯽ ﺩﻭﺭﯾﺎﮞ

ﮐﺒﮭﯽ ﻗﺮﺑﺘﯿﮟ

ﮐﺒﮭﯽ ﺍﻟﻔﺘﯿﮟ

ﮐﺒﮭﯽ ﻧﻔﺮﺗﯿﮟ

ﮐﺒﮭﯽ ﺟﯿﺖ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﮨﺎﺭ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﭘﮭﻮﻝ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﺩﮬﻮﻝ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﯾﺎﺩ ﮨﻮ

ﮐﺒﮭﯽ ﺑﮭﻮﻝ ﮨﻮ

ﻧﺎ ﻧﺸﯿﺐ ﮨﻮﮞ

ﻧﺎ " ﺍﺩﺍﺱ " ﮨﻮﮞ

ﺻﺮﻑ ﺗﯿﺮﺍ ﻋﺸﻖ ﮨﻮ

ﻣﯿﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﮨﻮ

aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka

aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka
subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka

jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal
shaklen dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka

apni zuban se kuch na kahenge chup hi rahenge ashiq log
tum se to itna ho sakta hai pucho hal becharon ka

ek zara si bat thi jis ka charcha pohuncha gali gali
ham gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka

dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao
sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka


Ye Bhi Muhabbat Hi Kehlati Hai


Ye Bhi Muhabbat Hi Kehlati Hai

Jab Bevi Apne Shohar K Liye Chai Banate Waqt

Pehle Chak Kar Dekh Leti Hai Keh Meetha Kam To Nahi,

Jab Maa Mithayi Ka Sab Se Umda Tukra Utha Kar Apne Bache Ko Deti Hai

Jab Baap Apne Betay Ko Dekh Kar Seena Chorra Kar K Kehta Hai,Aa Gaya Mera Beta

Jab Bhai Phone Par Poochta Hai,Keh Bhai Khaireyat Se Apni Manzil Pahonch Gay Ho?

Jab Behin Apne Bhai Ka Haath Thaam Kar Apne Sab Gham Bhula Deti Hai,

Jab Dost Aap Ka Haath Mazboti Se Pakar Leta Hai Keh Phislan K Ba'aes Ap Ka Tawazan Na Kho Jai


Us na pocha kya chal rha ha ma na kaha sirf sans

Us na pocha kya chal rha ha

ma na kaha sirf sans


Apni Aankhon Ko Noch Dala Hai Khuwaab Aaya Tha Phir Muhabbat Ka

Apni Aankhon Ko Noch Dala Hai

Khuwaab Aaya Tha Phir Muhabbat Ka

Barri Mushkil Se Mila Hai Mujhe Ghar Ka Pata Raasto Ab To Na Uljho Mujhe Ghar Jane Do


بڑی مشکل سے مِلا ہے مجھے گھر کا پتہ

راستو اب تو نہ الجھو مجھے گھر جانے دو

Barri Mushkil Se Mila Hai Mujhe Ghar Ka Pata

Raasto Ab To Na Uljho Mujhe Ghar Jane Do


Charaghe Toor jhalawo Barha andhera ha Zara naqab uthawo Barha andhera ha

Charaghe Toor jhalawo Barha andhera ha
Zara naqab uthawo Barha andhera ha

Mujy Khud apni nigahon pa etemad nahi
Mary qareeb na awo Barha andhera ha

Wo jinky hoty hain khursheed asteeno ma
Onhain kahin sa bhulawo Barha andhera ha

Abhi to subh ka mathy ka rang kala ha
Abhi fareeb na khawo Barha andhera ha.

  (Sagher siddique)


Shab-e-vasl zid mein basar ho gai Nahin hote hote sahar ho gai

Shab-e-vasl zid mein basar ho gai

Nahin hote hote sahar ho gai

Dagh

Tujhe Naz Hai K Main Husn Hoon, Mere Gulistan Ko Zawal Kaya?

Poet Syed Noor Gilani

Typed
By
*_UJRRA_DIL_*

Tujhe Naz Hai K Main Husn Hoon,

Mere Gulistan Ko Zawal Kaya?

Mujhe Fakhar Hai K Main Ishq Hoon,

Jo Jala Na Doon To Kamal Kaya?

Mujhe Zindagi Ki Dua Na De,

Mujhe Zindgi Ki Talab Nahi,

Meri Mout Ko Jo Taal De,

Is Zindgi Ki Majal Kaya?

Humein Manzaloon Ki Khabar Nahi,

Humein Rahguzar Ki Talash Hai,

Is Rahguzar Par Nikal Parre,

To Urooj Kaya?
Zawal Kaya?

Tere Pyar Mein Shikwe Gile,

Teri In Adaaoon Pe Mar Chale,

Jo Hayat Thi Tujhe Waar Di,
Ab Jawab Kaya?
Sawal Kaya..................!


Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahana Yaad Hai, Hum Ko Ab Tak Aashqi Ka Wo Zamana Yaad Hai,

Poet Hasrat Mohani

Typed
By
*_UJRRA_DIL_*

Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahana Yaad Hai,

Hum Ko Ab Tak Aashqi Ka Wo Zamana Yaad Hai,

Ba Hazaraan Iztraab-O-Sadd Hazaraan Ishtiaaq,

Tujh Se Wo Pehle Pehl Dil Ka Lagana Yaad Hai,

Bar Bar Uthna Usi Janib Nigaah-E-Shoq Ka,

Aur Tera Gharfe Se Wo Aankhein Larrana Yaad Hai,

Tujh Se Kuch Milte Hi Wo Be Baak Ho Jana Mera,

Aur Tera Daantoon Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai,

Kheench Lena Wo Mera Parde Ka Kona Daftan,

Aur Do Patte Se Tera Wo Munh Chhupana Yaad Hai,

Jaan Kar Sona Tujhe,
Wo Qasd-E-Pa Boosi Mera,

Aur Tera Thukra K Sar Wo Muskurana Yaad Hai,

Tujh Ko Jab Tanha Kabhi Pana To Az Raah-E-Lihaaz,

Haal-E-Dil Baatoon Hi Baatoon Mein Sunana Yaad Hai,

Jab Siwa Mere Tumhara Koi Deewana Na Tha,

Sach Kaho Kuch Tum Ko Bhi Wo Karkhana Yaad Hai,

Gher Ki Nazroon Se Bach Kar Sub Ki Marzi K Khilaf,

Wo Tera Chori Chhupe Raatoon Ko Aana Yaad Hai,

Aa Gaya Gar Visal Ki Shab Bhi Kahein Zikar-E-Faraq,

Wo Tera Ro Ro K Mujh Bhi Rulana Yaad Hai,

Do Pehar Ki Dhoop Mein Mere Bulane K Liye,

Wo Tera Kothe Pe Nange Paaon Aana Yaad Hai,

Aaj Tak Nazroon Mein Hai Wo Sohbbat-E-Raaz-O-Niaaz,

Apna Jana Yaad Hai,
Tera Bulana Yaad Hai,

Meethi Meethi Chherr Kar Baatein Nirali Pyar Ki,

Zikar Dushman Ka Wo Baatoon Mein Urrana Yaad Hai,

Dekhna Mujh Ko Jo Bargshta To So So Naaz Se,

Jab Mana Lena To Phir Khud Rooth Jana Yaad Hai,

Chori Chori Hum Se Tum Aa Kar Mile The Jis Jaga,

Mudtein Guzri Par Ab Tak Wo Thikana Yaad Hai,

Shoq Mein Mehndi K Wo Be Dast-O-Pa Hona Tera,

Aur Mera Wo Chherrna Wo Gadgdana Yaad Hai,

Bawajood-E-Adaa-E-Atqa HASRAT Mujhe,

Aaj Tak Wo Ahd-E-Hows Ka Wo Fasana Yaad Hai....*

Page No 154


Jo Kali Chatki Wahi Murjha Gayi

شاعر عبدلحمید عدم

بوک کلیات ۓ عدم پیج 984

Typd
By
*_UJRRA_DIL_*

جو کلی چٹکی وہی مرجھا گئ
ہم کو اپنی داستان یاد آگئ

موت کی رواداد طولانی نہی
راستہ چلتے ہوۓ ننید آ گئ

آپ اتنے خوبصورت تو نہ تھے
آنکھ اک رنگین دوکھا کھا گئ.

جب بھی آیا عمر ۓ رفتہ کا خیال
ذہن میں اک برق سی لہرا گئ

اب جسے چاہو دو عالم بخش دو
میرے ہاتہوں میں صراحی آ گئ

دیکھ کر انسان کی حالت عدم
زندگی کیا موت بھی شرما گئ


Nazam-e-Ihsaas

نطم ۓ احساس

شاعر
عمر راہی

رات کا 1 بجے کا وقت ہے.
میں اپنے گرم کمرے میں.
گرم کنمبل میں لپٹا ہوا
پھر بھی سردی سے کانپ رہا تھا
دل میں سوچہ آج سردی بہت ہے.
بدن کا انگ انگ تو کانپ رہا ہے.
یے رات کیسے کٹے گی بھلا تنہا ؟
اتنے میں ایک مصوم بچے کی آواز سنائی دی.
انڈے گرم گرم انڈے
اور میں احساس ۓ ندامت میں سردی میں بھی
پسینہ پسینہ ہو گیا.
کیا مجہے سردی نہی لگتی ہے
او گرم کمرے اور
گرم لحاف میں کانپنے والو....................؟


Waise To Nahi Mera Muqadar Teri Aankhein Aati Hain Nazar Khuwaab Mein Aksar Teri Aankhein

ویسے تو نہیں میرا مقدر تری آنکھیں

آتی ہیں نظر خواب میں اکثر تری آنکھیں

یہ دیکھنے والے پہ ہے کیسے تجھے دیکھے

بینائ بھی ہیں اور ہیں منظر تری آنکھیں

ہم بال بنائیں کہ خدوخال سنواریں

آئینہء دیوار سے بہتر تری آنکھیں

ہر وقت ہی مقتل بنا رہتا ہے میرا دل

ہر وقت بنی رہتیں ہیں خنجر تری آنکھیں

طوفان سے ڈرتا ہے تو ساحل پہ اتر جا

سب حال بیاں کرتی ہیں مضطر تری آنکھیں

ہلچل سی مچادیتی ہے کچھ سوچتی نظریں

میں جھیل ہوں گہری تو ہیں پتھر تری آنکھیں

Aankhein

Waise To Nahi Mera Muqadar Teri Aankhein

Aati Hain Nazar Khuwaab Mein Aksar Teri Aankhein

Ye Dekhne Wale Pe Hai Kaise Tujhe Dekhe

Beenayi Bhi Hain Aur Hain Manzar Teri Aankhein

Hum Baal Banaen Keh Khud-o-Khaal Sanwaren

Aaeina-e-Dewaar Se Behtar Teri Aankhein

Har Waqt Hi Maqtal Bana Rehta Hai Mera Dil

Har Waqt Bani Rehtein Hain Khanjar Teri Aankhein

Toofan Se Darta Hai To Sahil Pe Utar Ja

Sab Haal Bayan Karti Hain Maztar Teri Aankhein

Halchal Si Macha Deti Hain Kuch Sochti Nazrein

Main Jheel Hon Gehri To Hain Pathar Teri Aankhein.....!

Nahi Hoti Wahan Rehmat Khuda Ki,Na Ho Wuqa'at Jahan Sidaq-o-Safa Ki

شاعر: ابنِ مُنیب

نہیں ہوتی وہاں رحمت خدا کی

نہ ہو وُقعت جہاں صدق و صفا کی

ہوئے رشوت کے آگے سر نِگوں سب

مثالیں دے رہے تھے کربلا کی

دِکھائی محتسب نے وہ کرپشن 

مَرَض بڑھتا گیا جُوں جُوں دوا کی

تواضع، صبر، اور ایمانِ کامل

یہی سُنت رہی ہے انبیا (ع) کی

امانت ہے بڑی، سمجھو عزیزو

تمہارے گھر میں یہ 'بندی خدا کی

غرورِ ذات میں بھٹکا کئے ہم

بہت تاریک تھیں گلیاں اَنا کی

تڑَپ نا آشنا ہو تار؟ کیوں ہو

مریضِ عشق کو حاجت شفا کی؟

ہوئے نہ مائلِ عرضِ سُخَن ہم

مگر جب ابتدا کی، انتہا کی


 Poet:Ibn-e-Muneeb

Nahi Hoti Wahan Rehmat Khuda Ki,

Na Ho Wuqa'at Jahan Sidaq-o-Safa Ki,

Hoe Reshwat K Aage Sar Nigon Sab

Misaalein De Rahe Thay Karbala Ki

Dekhayi Mutasib Wo Corupption

Maraz Barhta Gaya Joun Joun Dawa Ki

Tawazo,Sabar Aur Emaan-e-Kamil

Yahi Sunnah Rahi Hai Anbiya (A.S) Ki

Amanat Hai Barri Samjho Azizo

Tumhare Ghar Mein Ye Bandi Khuda Ki

Ghuroor-e-Zaat Mein Bhatka Kiye Hum

Buhat Taareek Theen Galiyan Ana Ki

Tarap Na Aashna Ho Tar? Kion Ho

Mareez-e-Ishq Ko Hajat Shifa Ki

Howe Na Maa'il-e-Arz-e-Sukhan Hum

Magar Jab Ibteda Ki,Inteha Ki.......!



Baha Baha Kar Yeh Ansoo Bikhar Chuki Hon Buhat Simat Ke Zaat Main Apni Ab Muskurana Chahti Hon

 Poetess:Parveen Shakir

Baha Baha Kar Yeh Ansoo Bikhar Chuki Hon Buhat
Simat Ke Zaat Main Apni Ab Muskurana Chahti Hon


Do Ghari Mayasar Ho Us Ka Hamsafar Hona Phir Hamein Gawara Hai Apna Dar Ba Dar Hona

Poetess:Parveen Shakir

Do Ghari Mayasar Ho Us Ka Hamsafar Hona
Phir Hamein Gawara Hai Apna Dar Ba Dar Hona

Nai Zamanon Ka Karb Orre,Zaeef Lamhe Nidhal Yaaden

نئے زمانوں کا کرب اوڑھے
ضعیف لمحے نڈھال یادیں
تمہارے خوابوں کے بند کمروں میں
لوٹ آئیں تو لوٹ آنا
اگر اندھیروں میں چھوڑ کر
تم کو بھول جائیں تمہارے ساتھی
اور اپنی خاطر ھی اپنے اپنے دئیے جلائیں
تو لوٹ انا
مری وہ باتیں تو جن پہ بے اختیار ھنستا تھا
کھلکھلا کر
بچھڑنے والے
مری وہ باتیں کبھی رلائیں تو لوٹ آنا


Chup Na Raho Be Chen Musafir, Beet Chali Hai Rain Musafir,

چپ نہ رہو بے چین مسافر
بیت چلی ہے رین مسافر.

اور نہیں تو دل کے بارے.
کچھ تو کہیں گے نین مسافر.

جنگل میں کوئل کرلاۓ
ہر سو گونجے بین مسافر.

تیری آس میں رو دیتی ہیں
شام ڈھلے طرفین مسافر.

گرد میں گرد ہوا آخر کو.
رستوں کے مابین مسافر.

پاؤں سے جانے کون اتارے.
چھالوں کے نعلین مسافر

Poet Farhat Abbas Shah

Type
By
*_UJRRA_DIL_*

Chup Na Raho Be Chen Musafir,

Beet Chali Hai Rain Musafir,

Aur Nahi To Dil K Bare,

Kuch To Kahein Ge Nain Musafir,

Jangal Mein Koyel Kurlaaye,

Har Soo Goonje Bain Musafir,

Teri Aas Mein Ro Deti Hain,

Sham Dhale Tarfain Musafir,

Gard Mein Gard Huwa Aakhir Ko,

Rastoon K Maaben Musafir,

Paaon Se Jane Kon Utaare,

Chhaaloon K Na'aleen Musafir..............*

Umr Bhar 'Ghalib' Yeh Hi Bhuul Karta Raha,Dhuul Chehre Pe Thi Aur Aaina Saaf Karta Raha

 
عمر بھر غالب یہی بھول کرتا رھا
دھول چہرے پہ تھی اور آئینہ صاف کرتا رھا

Umr Bhar 'Ghalib' Yeh Hi Bhuul Karta Raha...
Dhuul Chehre Pe Thi Aur Aaina Saaf Karta Raha..


Zaroori tu nahi mohabbat lafzon mein bayan ho Kia sach meri ankhein tum sy kuch nahi kehtien

Zaroori tu nahi mohabbat lafzon mein bayan ho

Kia sach meri ankhein tum sy kuch nahi kehtien

 

Batao Kia Likhen Tum Ko?Ke Lafzon Ka Chunao Bhi

 بتاو کیا لکھیں تم کوــــــــــ؟؟؟

کہ لفظوں کا چناو بھی

بڑا دشوار ہوتا ہے

جو تم کو جان لکھتے ہیں

وفائیں خوب روتی ہیں

ہمیں آکر یہ کہتی ہیں

کہ تم اپنے ہی قاتل کو

اپنی جان لکھتے ہو ـــــــ

کبھی ایمان لکھتے ہو

یہ تم اچھا نہیں کرتے

تو پھر یہ سوچتے ہیں ہم

تمھیں اب سوگ لکھتے ہیں

کوئی مستقل سا روگ لکھتے ہیں

سوگ کو منانے میں

روگ کو بُھلانے میں

عُمر بیت جاتی ہے ـــــ

روگ دینے والوں کو لوگ بھول جاتے ہیں

بُھول جانے والوں کا سوگ تو نہیں ہوتا

چلو تم ہی بتاو اب ؟؟؟؟

اجنبی یا پھر آشنا لکھیں

اپنے نا کردہ گُناہوں کی

کوئی سزا لکھیں

بتاو تم کو کیا لکھیں ۔۔۔؟؟؟


26 December Yum-e-Wafat Parveen Shakir

 

دسمبر پروین شاکر کی وفات26

کتبہ

یہاں پر وہ لڑکی سو رہی ہے
کہ جس کی آنکھوں نے نیند سے خواب مول لے کر
وصال کی عمر رتجگے میں گزار دی تھی
عجیب تھا انتظار اس کا
کہ جس نے تقدیر کے تنک حوصلہ مہاجن کے ہاتھ
بس اک دریچہ نیم باز کے سکھ پر
شہر کا شہر رہن کروا دیا تھا
لیکن وہ ایک تازہ
کہ جس کی کرنوں کے مان پر
چاند سے حریفانہ کشمکش تھی
جب اس کے ماتھے پر کھلنے والا ہوا
تو اس پل
سپیدہ صبح بھی نمودار ہو چکا تھا
فراق کا لمحہ آ چکا تھا!

پروین شاکر

صد برگ


Kaha Dharrkan Jigar Saansoon Ko Tum Se Pyar Hai Laila, Kaha In Adabi Dawoon Se Bezar Hai Laila,

Poet Shehzad Qais

Type
By
*_UJRRA_DIL_*

Kaha Dharrkan Jigar Saansoon Ko Tum Se Pyar Hai Laila,

Kaha In Adabi Dawoon Se Bezar Hai Laila,

Kaha Suniye Hamara Dil Yahein Par Aaj Rakha Tha,

Kaha Lo Kaya Tumhara Dil Ki Theeke Daar Hai Laila ?

Kaha Majnoo Ki Chahat Ne Tumhein Laila Bana Dala,

Kaha Majnoo Janooni Ki To Khud Maemar Hai Laila,

Kaha Majnoon Nigahein Pher Li To Kaya Kare Gi Jee,

Kaha Majnoon Na Kar Pai To Phir Bekar Hai Laila,

Kaha Par Malka-E-Husan-E-Jahan To Aur Koi Hai,

Kaha Pardah Nashen Hain Warna To Sardar Hai Laila,

Kaha Ye Hijar Ki Ratein Mujhe Kion Bakhsh Di Sahib,

Kaha Shaair Banane Ko Bohat Fankar Hai Laila,

Kaha In Zahidoon Ko Kuch Riyaat Ishq Mein Dijiye,

Kaha Hooroon Ka Na Sochein To Kuch Tyar Hai Laila,

Kaha Tanha Milo Na Sirf Kuch Ghazalein Sunani Hai,

Kaha Hum Sub Samjhte Hain Bohat Houshiyaar Hai Laila,

Kaha Koh-E-Hamaaliya Mein Rawan Kar Doon Jo Joo-E-Shair,

Kaha Wo Shart-E-Shereen Thi Kahein Dushwar Hai Laila,

Kaha Sham'ma Patnge Qais Laila Mein Sitam Gar Kon,

Kaha Sham'ma Bhi Noori Noor Ka Meenar Hai Laila.....*

.

Book Laila


Kujh Unj Vi Rahwaan Aokhiyan Sun Kuj Gal Wich Gham Da Tooq Vi Si

Munir Niazi,26 December 2006, he left us,


 Poet:Muneer Niazi

Kujh Unj Vi Rahwaan Aokhiyan Sun

Kuj Gal Wich Gham Da Tooq Vi Si

Kujh Sheher De Look Vi Zalim Sun

Kujh Saanon Maran Da Shoq Vi Si



Pathar To Hazaron Ne Maare Thay Mujhe Lekin Jo Dil Pe Laga Aa Kar Aik Dost Ne Maara Tha

پتھر تو ہزاروں نے مارے تھے مُجھے لیکن

جو دِل پہ لگا آ کر ایک دوست نے مارا تھا


Pathar To Hazaron Ne Maare Thay Mujhe Lekin

Jo Dil Pe Laga Aa Kar Aik Dost Ne Maara Tha



Apni Tanhai Mere Naam Pe Aabaad Kare Kon Hoga Jo Mujhe Us Ki Tarha Yaad Kare

21st Death anniversary of Renowned Poet Parveen Shakir

being observed today.

December 26 , 1994

 Poetess:Parveen Shakir

Apni Tanhai Mere Naam Pe Aabaad Kare

Kon Hoga Jo Mujhe Us Ki Tarha Yaad Kare

 

Apne Qaatil Ki Zahanat Se Pareshan Hon Main

Roz Ik Mout Naye Tarz Ki Ejaad Kare

 

Us Ki Mutthi Mein Buhat Roz Raha Mera Wajood

Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Aazaad Kare......!

 

Kisi Ne Mol Na Poocha Dil Shikasta Ka Koi Khareed Ke Toota Piyala Kia Karta

ﮐﺴﯽ ﻧﮯ ﻣﻮﻝ ﻧﮧ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﺩﻝ ﺷﮑﺴﺘﮧ ﮐﺎ
ﮐﻮﺋﯽ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﮯ ﭨﻮﭨﺎ ﭘﯿﺎﻟﮧ ﮐﯿﺎ ﮐﺮﺗﺎ

Kisi Ne Mol Na Poocha Dil Shikasta Ka
Koi Khareed Ke Toota Piyala Kia Karta

Qasam Khaa Kar Kehta H0n, Aeen Sheen Kaaf Main Ruswai Hai

Qasam Khaa Kar Kehta H0n,

Aeen Sheen Kaaf Main Ruswai Hai


Tumhari Bheegti Palkon Se Mein Ne Baarha Poocha,Keh Dil Ke Kheil Mein Kia Jeetne Wale Bhi Rotay Hain



Musalsal Soch Mein Rehna Kisi Se Kuch Nahi Kehna


 

Tumhein Dekha Nahi,Jana Nahi,Phir Bhi Ye Lagta Hai Qabeela Aik Hai Apna Wahi Dard-e-Judai Hai,Wahi Bheegi Hoi Palkein Naseeba Aik Hai Apna


Tumhein Dekha Nahi,Jana Nahi,Phir Bhi Ye Lagta Hai

Qabeela Aik Hai Apna

Wahi Dard-e-Judai Hai,Wahi Bheegi Hoi Palkein

Naseeba Aik Hai Apna

Kisi Se Kuch Nahi Kehna,Koi Shikwa Nahi Karna

Qareena Aik Hai Apna

Kisi Ki Yaad Se,Veerana Dil Jagmaga Lena

Khazeena Aik Hai Apna

Yaqeen Ki Aakhri Had Tak,Milan Ki Khush Gumaani Hai

Nateeja Aik Hai Apna....!


Main Aisi Mohabbat Karta Hoon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho


Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho
Tum Jahan Peh Bayth K Jati Ho
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon

Tum Jis Se Huns K Milti Ho
Main Us Ko Dost Banata Hoon
Tum Jis Rustay Par Chalti Ho
Main Us Say Aata Jata Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Tum Jin Ko Daykhti Rehti Ho
Wo Khuwab....Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Julnay K
Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Tum Jahan Bhi Bayth K Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho
Main Waheen Peh Baytha Rehta Hoon
Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main
Palkon Say Moti Chunta Hoon
Koi Lums Agar Choo Jaa A To
Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon
Main...Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jin Logon Main Tum Rehti Ho
Tum Jin Say Batain Karti Ho
Tum Jin Say Huns K Milti Ho
Jo Tum Ko Achay Lagtay Hoon
Wohi Mujh Ko Achy Lagtay Hain
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jis Bagh Main Subh Ko Jati Ho
Jis Sabzay Par Tum Chalti Ho
Jo Shakh Tumhain Choo Jati Hay
Jo Khushboo...Tum Ko Bhati Hay
Wo Os Tumharay Chehray Par
Jo Qatra Qatra Girti Hai
Wo Titli Chor K Phoolon Ko
Jo Tum Say Milnay Aati Hai
Jo Tum Ko Choonay Aati Hay
Un Sab K Nazuk Jazbon Main
Meray Dil Ki Dharkan Basti Hai
Miri Rooh Bhi Shamil Rehti Hai
Tum Paas Raho Ya Door Raho
Nazron Main Samai Rehti Ho
Main Tum Ko Takta Rehta Hoon
Main Tum Ko Sochta Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jis College Main Tum Parhti Ho
Jis Class Main Bhi Tum Jati Ho
Jis Kursi Peh Tum Baythti Ho
Jab Class Wo Khali Hoti Hai
Main Ja K Us Main Baythta Hoon
Us Kursi Ko Main Choota Hoon
Gadla Sa Ik Tissue Paper
Jo Tum Nay Class Main Choora Tha
Main Pyar Say Us Ko Choota Hoon
Main Us Ko...Purse Main Rakhta Hoon
Wo Copy Jis Main Lecture K Tum
Points Likhti Rehti Ho
Her Moqay Par Her Manzar Main
Main Sath Tumharay Rehta Hoon
Main Chashm-E-Tasavvur Main Aksar
Bus Tum Ko Dekhta Rehta Hoon
Bus Tum Ko Sochta Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Larki Ka Jawab

Tum Jab Bhi Ghar Par Aatay Ho
Aur Sab Say Batain Kartay Ho
Main Aut Say Parday Ki Janan
Bus Tum Ko Dekhti Rehti Hoon
Ik Tum Ko Dekhnay Ki Khatir Main Kitni Pagal Hoti Hoon
Main Aisi Mohabat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya Ghanti Phone Ki Bajti Ho
Main Chor K Sab Kuch Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paoon To Ji Bhar K Ronay Lagti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Mehfil Main Kaheen Bhi Jana Ho
Kapron Ka Selection Karna Ho
Rang Bohat Say Samnay Bikhray Hoon
Us Rang Pe Dil Aa Jata Hai
Jo Rang K Tum Ko Bhata Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Rozana Apnay College Main
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Hoay
Ya Break K Khali Ghantay Main
Sakhyoon Say Batain Kartay Hoay
Meray Dhiyan Main Tum Aa Jatay Ho
Mein, Main Nahin Rehti
Phir Janan Main Tum Main Gum Ho Jati Hoon
Bus Khuwabon Main Kho Jati Hoon
Un Aankhon Main Kho Jati Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Jis Chehray Par Bhi Nigha Paray
Her Chehra Tum Sa Lagta Hai
Wo Sham Ho Ya Ke Dhop Samay Sab Kitna Bhala Sa Lagta Hai
Janay Ye Kaisa Nasha Hai Garmi Ka
Tapta Mosam Bhi Jaray Ka Maheena Lagta Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Tum Jab Bhi Samnay Aatay Ho
Main Tum Say Sunn Na Chahti Hoon
Kash Kabhi Tum Ye Keh Do
Tum Mujh Say Mohabbat Kartay Ho
Tum Mujh Ko Bohat Hi Chahtay Ho
Lekin Janay Tum Kyun Chup Ho
Yeh Soch K Dil Ghabrata Hai
Aisa To Nahin Hai Na Jana Sirf Meri Nazar Ka Dhoka Ho
Tum Nay Mujh Ko Chaha Hi Na Ho
Koi Aur Hi Dil Main Rehta Ho
Main Tum Say Poochna Chahti Hoon
Main Tum Say Kehna Chahti Hoon
Lekin Kuch Pooch Nahin Sakti Mana Ke Mohabbat Hai
Phir Bhi Lab Apnay Khol Nahin Sakti
Main Larki Hoon Kaisay Keh Doon
Main Kaisi Mohabat Karti Hoon
Main Tum Say Ye Kaisay Pochoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Chup Chap See Main...Ho Jati Hoon
Phir Dil Main Apnay Kehti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho

میں ایسی محبت کرتا ہوں

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

ناکام نہیں ناشاد نہیں

میں قیس نہیں فرہاد نہیں

پنوں بھی نہیں رانجھا بھی نہیں

وامق بھی نہیں مرزا بھی نہیں

وہ لوگ تو بس افسانہ تھے

اس شدت سے بیگانہ تھے

میں زندہ ایک حقیقت ہوں

سرتاپا جذبہ- الفت ہوں

میں تم کو دیکھ کے جیتا ہوں

ہر لمحہ تم پہ مرتا ہوں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

تم جہاں پہ بیٹھ کے جاتے ہو

جس چیز کو ہاتھ لگاتے ہو

میں وہیں پہ بیٹھا رہتا ہوں

اس چیز کو چھوتا رہتا ہوں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

تم جس سے ہنس کے ملتے ہو

میں اس کو دوست بناتا ہوں

تم جس رستے پہ چلتے ہو

میں اس سے آتا جاتا ہوں

تم جن کو دیکھتے رہتے ہو

وہ خواب سرہانے رکھتا ہوں

میں تم سے ملنے جلنے کے

کتنے ہی بہانے رکھتا ہوں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

کچھ خواب سجا کر آنکھوں میں

پلکوں سے موتی چنتا ہوں

کوئ لمس اگر چھو جائے تو

میں پہروں اس کو سوچتا ہوں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جن لوگوں میں تم رہتی ہو

تم جن سے باتیں کرتی ہو

جو تم سے ہنس کے ملتے ہیں

جو تم کو اچھے لگتے ہیں

وہی مجھ کو اچھے لگتے ہیں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جس باغ میں صبح کو جاتی ہو

جس سبزے پر تم چلتی ہو

جو شاخ تمہیں چھو جاتی ھے

جو خوشبو تم کو بھاتی ھے

وہ اوس تمہارے چہرے پر

جو قطرہ قطرہ گرتی ھے

وہ تتلی چھوڑ کے پھولوں کو

جو تم سے ملنے آتی ھے

جو تم کو چھونے آتی ھے

ان سب کے نازک جذبوں میں

میرے دل کی دھڑکن بستی ھے

میری روح بھی شامل رہتی ھے

تم پاس رہو یا دور رہو

نظروں میں سمائ رہتی ہو

میں تم کو تکتا رہتا ہوں

میں تم کو سوچتا رہتا ہوں

میں ایسی محبت کرتا ہوں

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جس کالج میں تم پڑھتی ہو

میں اس میں لیکچر دیتا ہوں

وہ کلاس جہاں تم ہوتی ہو

میں اس کو تکتا رہتا ہوں

جو کاپی تم نے گم کی تھی

میں اپنے بیگ میں رکھتا ہوں

گدلا سا اک ٹشو پیپر

جو تم نے کلاس میں چھوڑا تھا

وہ میرے پرس میں رہتا ھے

وہ میرے لمس میں رہتا ھے

وہ مخمل ھے، وہ دیبا ھے

وہ چاندی ھے، وہ سونا ھے

وہ عنبر ھے، وہ صندل ھے

وہ خو شبو کا اک جنگل ھے

ہر منظر میں، ہر رستے پر

میں ساتھ تمہارے رہتا ہوں

میں چشم- تصور سے اکثر

بس تم کو دیکھتا رہتا ہوں

بس تم کو سوچتا رہتا ہوں

میں ایسی محبت کرتا ہوں

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

Her ek lamha nia imtehaan hai Boht na-mehrbaan ye asmaan hai

Her ek lamha nia imtehaan hai

Boht na-mehrbaan ye asmaan hai

Dilon per barf girti ja rahi hai

Badan ka tajzia b raigaan hai

Mein us se baat kerna chahti hon

Batao tu sahi wo ab kahaan hai

Ana ke reet shamil ho gai hai

Hawa se guftugu ab raaigaan hai

Mujhe is ka yaqeen her giz nahi tha

Meri janib se itna badguman hai....!

Dil Mera Ik Kitaab Ki Soorat, Jis Main Wo Hai Gullab Ki Soorat,

 

Poetess Noshi Gillani

Type By

*._.Murtaza._*

Dil Mera Ik Kitaab Ki

Soorat,

Jis Main Wo Hai Gullab

Ki Soorat,

Hum Se Poocho Ke

Hum Guzaar Aaye,

Zindagi Ko Azaab Ki

Soorat,

Hussan Kache Gharre

Ka Shedaayi,

ISHQ Moaj-E-Chanaab

Ki Soorat,

ISHQ Main Is Tarha

Nahi Hota,

Ye Nahi Hai Nisaab Ki

Soorat,

Main Karri Do Pehar

Ki Tanhaai,

Wo Shab-E-Mahtaab

Ki Soorat,

Poochhta Hai Ke Meri

Ghazloon Main,

Kon Hai Aztaraab Ki

Soorat,

Main Wafa Ki Wohi

Puraani Kitaab,

Wo Naye Intasaab Ki

Soorat,

Jo Nahi Kar Sake,

Kabhi Wo Sawaal,

Us Ne Likha Jawaab

Ki Soorat....................!

Book Name

Mohabbatain Jab

Shumaar Karna

Page 137-138

Wo Aaya Aur Jadoo Laaya, Aasha'oon Ka Deep Jallaaya,(SAPERA)

SAPERA

Poetess Fakhrah Batool

Type By
*._.Murtaza._*

Wo Aaya Aur Jadoo Laaya,

Aasha'oon Ka Deep Jallaaya,

Sagar Jaise Nain Thay
Aise,

Kaali Kaali Rain Ho
Jaise,

Bhool Bhuliyaan
Baatain Us Ki,

Baatain Thain Soghaatain Us Ki,

Saanpon Ka Wo Naach Dikhaaye,

Pal Main Jall Main Aag
Lagaaye,

Us Ne Aisi Been Bajaai,

Bassti Main Ik Dhoom
Machaai,

Been Ki Ik Din Ho
Baithi Main,

Sudh Budh Apni Khou
Baithi Main,

Amrat Keh Kar Zehar
Pilaaya!

Kaale Naagon Se
Daswaaya,

Phir Us Ne Wo Ga'oon
Chhorra,

Pal Main Har Ik Naata
Torra,

Ab Dass Kar Jee
Behlaati Hoon,

Main Ik Naagan Kehlaati Hoon.............!

Book Name
Palkain Bheegi Bheegi Si
Page No 70-71

Kitnay parvaanay jalay raaz yeh paanay ke liye, Shama jalne ke liye hai ya jalaanay ke liye,

Kitnay parvaanay jalay raaz yeh paanay ke liye,

Shama jalne ke liye hai ya jalaanay ke liye,

Ronay walay tujhe ronay ka saleeka bhi nahi,

Ashk peenay ke liye hain ya bahanay ke liye,

Tum to nadaan ho,na samjhogay yeh zalim duniya,

Sarr charra leti hai nazron se giraney ke liye,

Aaj karta hon shab-e-ghamm ki shikayat tum say,

Roz aa jati hai kambakht satanay ke liye,

Mujh ko maloom tha aap aayeingay mere ghar par,

Khud chala aaya hon main yaad dilanay ke liye,

Ishq ne raaz yeh ab tak na bataya hai shakeel,

Sar jhukanay ke liye hai ya katanay ke liye.....!


Mera Us Sheher-E-Adawat Mein Basera Hai Jahan Log Sajdon Mein Bhi Logon Ka Bura Sochtay Hain...!

Poet:Ahmad Faraz

Mera Us Sheher-E-Adawat Mein Basera Hai Jahan

Log Sajdon Mein Bhi Logon Ka Bura Sochtay Hain...!




Meri Tham Tham Jawe Saans Piya,Meri Aankh Ko Saawan Raas Piya

شاعر فرحت عباس شاہ

انتخاب عروسہ ایمان

میری تھم تھم جاوے سانس پیا
میری آنکھ کو ساون راس پیا

تجھے سن سن دل میں ہوک اٹھے
تیرا لہجہ بہت اداس پیا
تیرے پیر کی خاک بنا ڈالوں
میرے تن پر جتنا ماس پیا

تُو ظاہر بھی، تُو باطن بھی
تیرا ہر جانب احساس پیا

تیری نگری کتنی دور سجن
میری جندڑی بہت اداس پیا

میں چاکر تیری ازلوں سے
تُو افضل، خاص الخاص پیا
مجھے سارے درد قبول سجن
مجھے تیری ہستی راس پیا

Poet:Farhat Abbas Shah

Meri Tham Tham Jawe Saans Piya,

Meri Aankh Ko Saawan Raas Piya,

Tujhe Sun Sun Dil Mein Hook Uthey

Tera Lehja Buhat Udaas Piya,

Tere Pair Ki Khaak Bana Dalon,

Mere Tan Pe Jitna Maas Piya,

Tou Zahir Bhi,Tou Batin Bhi,

Tera Har Janib Ihsaas Piya,

Teri Nagri Kitni Door Sajan,

Meri Jindrri Buhat Udaas Piya,

Main Chhaakar Teri Azlon Se,

Tou Afzal,Khas-ul-Khaas Piya,

Mujhe Saare Dard Qubool Sajan,

Mujhe Teri Hasti Raas Piya.........!

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo