Wapas Na Ja Wahain Ke Tere Shehr Mein "Munir" Jo Jis Jagah Pe Tha Woh Wahain Par Nahin Raha



Woh Mujh Ko Dekhny Mere Qareeb Aaya Hai Ye Dhund Sare Maheenon Mein Kion Nahi Padti



tumhari yaad ki shiddat mein bahne waala ashk zameen mein bo diya jaaye tou aankh ug aaye



تمہاری یاد کی شدت میں بہنے والا اشک
زمیں میں بو دیا جائے تو آنکھ اگ آئے
tumhari yaad ki shiddat mein bahne waala ashk
zameen mein bo diya jaaye tou aankh ug aaye

Naya saal aaya naya saal aaya umeedon ka dil mein diya jagmagaya







Naya saal aaya naya saal aaya
umeedon ka dil mein diya jagmagaya

naye saal ka ham ko paigham kya hai
naye saal mein ab naya kaam kya hai 

purana tareeqa badalna hai ham ko
taraqqi ki rahon pe chalna hai ham ko 

andhere ke daman ko ham chaak kar dein
watan ki fazaon ko noor-e-sahar dein 

sunen dard-mandon ki fariyad kya hai
ghareebon pe dar-asl uftad kya hai 

uthen aur dukhiyon ka dukh door kar dein
masarrat se har dil ko ma'amoor kar dein

nayi raushni se faza jagmagayen
naye saaz par ab naye geet gaayen

Syeda Farhat

jaise qatre ne utara ho nadi ka sadqa kitna halka hua dil us ko dua dene se



جیسے قطرے نے اتارا ہو ندی کا صدقہ
کتنا ہلکا ہوا دل اس کو دعا دینے سے

jaise qatre ne utara ho nadi ka sadqa
kitna halka hua dil us ko dua dene se


Yeh kiya keh soraj pe ghar banana Aur us pe chhaun talaash karna Kharhey bhi hona to daldalon pe Phir apney paaun talaash karna



یہ کیا کہ سورج پہ گھر بنانا اور اس پہ چھاؤں تلاش کرنا
کھڑے بھی ہونا تو دلدلوں پہ پھر اپنے پاؤں تلاش کرنا

نکل کے شہروں میں آ بھی جانا چمکتے خوابوں کو ساتھ لے کر
بلند و بالا عمارتوں میں پھر اپنے گاؤں تلاش کرنا
Yeh kiya keh soraj pe ghar banana Aur us pe chhaun talaash karna
Kharhey bhi hona to daldalon pe Phir apney paaun talaash karna

Nikal ke shahron mein aa bhi jana Chamkte khuabon ko saath le kar
Buland o Baala imaaraton mein Phir apney gaaun talaash karna

An-Kahi Ki Alag Azeeyat Aur Kahi Ka Azaab Mat Poocho



اَن کہی" کی الگ اذیت ہے
اور "کہی" کا عذاب مت پُوچھو

An-Kahi Ki Alag Azeeyat
Aur Kahi Ka Azaab Mat Poocho

Aap Ki Gham Ke Dastras Me Rahe Iss Bars Bhi Ussi Bars Me Rahe Good Bye 2019 Wel Come 2020


Good Bye 2019 
Wel Come 2020




آپ کے غم کی دسترس میں رہے
اس برس بھی اُسی برس میں رہے
Aap Ki Gham Ke Dastras Me Rahe
Iss Bars Bhi Ussi Bars Me Rahe
 
جانے وہ قید یا رہائی تھی
اک مسیحا کے ہم قفس میں رہے
Jane Woh Qaid Ya Rehaai Thi
Ik Maseeha Ke Hum Qafas Me Rahe
 
بے بسی کا مری یہ عالم ہے
جو نہیں ہے، اسی کے بس میں رہے
Be-Basi Ka Meri Ye Aalam Hai
Jo Nahi Hai , Ussi Ke Bas Me Rahe

ہم کو معلوم عشق لا حاصل
پھر بھی ہم اس کی بس ہوس میں رہے
Hum Ko Maloom Ishq La-Hasil
Phir Bhi Hum Uss Ki Bas Hos Me Rahe

ایک پاتال زندگی اپنی
ہر گھڑی خواہشِ کلس میں رہے
Aik Pataal Zindagi Apni
Har Ghari Khuwahis e Kalas Me Rahe

مختصر کر تو داستاں ابرک
روح تھے وہ، نہ اس نفس میں رہے
Mukhtasar Kar Tu Dastaan ABRAK
Rooh Thay Woh , Na Iss Nafs Me Rahe
 
اتباف ابرک
Atbaf Abrak

Ph Guloono Ke Mondaly Shi GUL Yao Neem Wara Na Di Khushboyi Kavi Tal Yao Neem



Ph Guloono Ke Mondaly Shi GUL Yao Neem
Wara Na Di Khushboyi Kavi Tal Yao Neem

Shumaar Neshta Ph Dunya Der Aashiqaan Di
Kavi Khoob Dh Ma'ashoqay Ph Sangal Yao Neem

Da Yao Fazal Dy Dh Khudaai Che Pa Cha Oshi
Dh Gohar Kri Samandar Ke Mondal Yao Neem

Der Ph Porta Porta Gori Kamyaab Na Shi
Tar Aasmana Rasavi Takhayul Yao Neem

Ma Che Kala Dh Yaar Shondey Khukal Kre
Der Dh Sokhta Ph Jara Sho Khandal Yao Neem

Ma Ta Somra Dh Pokhtoon Veena Khuwaga Da
Har Kitaab Ke Pre Leekama Ghazal Yao Neem

Dh Pokhtoon Watan Kra Droond ALI HAIDARA
Khalaq Der Dy Kho Kavi Dranol Yao Neem


Poet:Ali Haidar Joshi
Book:Deewaan e Joshi
Page:106

Moujen Baham Hoein Tou Kinara Nahi Raha Aankhon Mein Koi Khuwaab Dobara Nahi Raha



موجیں بہم ہوئیں تو کنارہ نہیں رہا
آنکھوں میں کوئی خواب دوبارہ نہیں رہا
پروین شاکر
Moujen Baham Hoein Tou Kinara Nahi Raha
Aankhon Mein Koi Khuwaab Dobara Nahi Raha
Parveen Shakir

Mere sabar par koi ajar Kia meri dopher pe ye abar kiun? Mujhe ornay de azeeyatein meri adatain na kharab kar



Mere sabar par koi ajar Kia meri dopher pe ye abar kiun?
Mujhe ornay de azeeyatein meri adatain na kharab kar

Band pankh aur teri nazar ka jhuka hona Ay nazar ke parinde ye nahin hai tera hona



बंद पंख और तेरी नज़र का झुका होना
ऐ नज़र के परिंदे ये नहीं है तेरा होना
नीलेश जैन
Band pankh aur teri nazar ka jhuka hona
Ay nazar ke parinde ye nahin hai tera hona

 Neelesh Jain

Dhokay Aise Hi Nahi Miltay Bhala Karna Padta Hai Logo Ka



Dhokay Aise Hi Nahi Miltay
Bhala Karna Padta Hai Logo Ka
Joun Elia

Luo Diye Ki Main Kam Karata Hoon Tum Hawa Se Kaho Sudhar Jaye



Luo Diye Ki Main Kam Karata Hoon
   Tum Hawa Se Kaho Sudhar Jaye


Hansi thami hai in ankhon mein yun nami ki tarah chamak uthe hain andhere bhi raushni ki tarah



Hansi thami hai in ankhon mein yun nami ki tarah
chamak uthe hain andhere bhi raushni ki tarah


MEENA KUMARI NAZ

Main DECEMBER Aur Tu JANUARY Reshta Kafi Paas Ka Hai Magar Saal Bhar Ki Doori Hai



میں دسمبر اور تو جنوری
رشتہ کافی پاس کا ہے مگر سال بھر کی دوری ہے

Main DECEMBER Aur Tu JANUARY
Reshta Kafi Paas Ka Hai Magar Saal Bhar Ki Doori Hai

CHHAI Pe Unn Ke Haath Ka Haai Tazkira Razab Urdu Me Koi Loot Le Jeewan Lakhnov Ki Shaam



CHHAI Pe Unn Ke Haath Ka Haai Tazkira Razab
Urdu Me Koi Loot Le Jeewan Lakhnov Ki Shaam
Razab Tabraiz

Mehman Char Din Ke Aur Ghar Samajh Lia Hai Hum Ne Saraab Ko Hi Manzar Samajh Lia Hai



مہمان چار دن کے اور گھر سمجھ لیا ہے
ہم نے سراب کو ہی منظر سمجھ لیا ہے
Mehman Char Din Ke Aur Ghar Samajh Lia Hai
Hum Ne Saraab Ko Hi Manzar Samajh Lia Hai
 
کتنوں نے کر لیا ہے دنیا کو اب مسخر
خود کو سکندروں سے برتر سمجھ لیا ہے
 Kitno Ne Kar Lia Hai Dunya Ko Ab Musakhar 
Khud Ko Sikandaro Se Bartar Samajh Lia Hai

اچھا ہے کیا برا کیا، اس بات سے غرض کیا
بس ذات ہی کو اپنی محور سمجھ لیا ہے
Acha Hai Kia Bura Kia Iss Baat Se Gharaz Kia 
Bas Zaat Hi Ko Hi Apni Mehwar Samajh Lia Hai 
 
بھولے کتاب کو ہم، پیغام سارا بھولے
بھٹکے مسافروں کو رہبر سمجھ لیا ہے
Bhooly Kitab Ko Hum Paigham Sara Bhooly
Bhatkay Musafiro Ko Rehbar Samajh Lia Hai

ہوتے سبق نہیں جو اب یاد اس جہاں کو
ان کو نصاب سے ہی باہر سمجھ لیا ہے
 Hote Sabaq Nahi Jo Ab Yaad Iss Jahan Ko
Inn Ko Nasaab Se Hi Bahir Samajh Lia Hai

تہذیب اپنی کھوئی، کھو بیٹھے علم سارا
رنگینئی جہاں کو زیور سمجھ لیا ہے
Tahzeeb Apni Khoii Kho Baithay Ilam Sara
Rangeeni e Jahan Ko Zewar Samajh Lia Hai 

خود نقص سے مبرا، خود عیب سے ہیں عاری
اور سب کو راستے کا پتھر سمجھ لیا ہے
 Khud Nuqs Se Mubara Khud Aaib Se Hain Aari
Aur Sab Ko Rastay Ka Pathar Samajh Lia Hai

سمجھے گا خاک کوئی اب راز اس جہاں کے
قطرے نے خود کو ابرک ساگر سمجھ لیا ہے
 Samjhe Ga Khaak Koi Ab Raaz Iss Jahan Ka
Qatre Ne Khud Ko ABRAK Sagar Samajh Lia Hai

Atbaf Abrak
 

Hazaar Jaam Tasadaq Hazaar Maikhane Nigaah e Yaar Ki Lizzat Sharaab Kiya Jane



Mere jazbat ko lafzon mein ada karne do Fiker o Ehsas ke dariya mein mujhe behne do



میرے جذبات کو لفظوں میں ادا کرنے دو
فکر و احساس کے دریا میں مجھے بہنے دو

کل تو خاموش تھا میں آج بھی خاموش رہوں
یہ مرے بس میں نہیں آج مجھے کہنے دو

Mere jazbat ko lafzon mein ada karne do
Fiker o Ehsas ke dariya mein mujhe behne do

Kal to khamoosh tha main aaj bhi khamoosh rahon?
Ye mere bas mein nahin aaj mujhe kahne do

Teri Chashm e Naaz Mujh Ko Na Lapak Ke Phoonk Daley Main Drust Keh Raha Hoon Issay Kuch Sabaq Sekhao



تیری چشمِ ناز مجھ کو نہ لپک کے پھونک ڈالے
میں درست کہہ رہا ہوں اسے کچھ سبق سکھاؤ
رزبؔ تبریز

Teri Chashm e Naaz Mujh Ko Na Lapak Ke Phoonk Daley
Main Drust Keh Raha Hoon Issay Kuch Sabaq Sekhao
Razab Tabraiz

Hai Aik Tarfa Tamasha Tabiyat e Ushaaq Kabhi Firaq Mein Batein Kabhi Wisal Mein Chup



ھے ایک طرفہ تماشا ، طبیعتِ عُشاق
کبھی فراق میں باتیں،کبھی وصال میں چُپ
منیر نیازی

Hai Aik Tarfa Tamasha Tabiyat e Ushaaq
Kabhi Firaq Mein Batein Kabhi Wisal Mein Chup
Munir Niazi

Chaman mein ikhtilaat-e-rang-o-bo se baat banti hai ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho




Chaman mein ikhtilaat-e-rang-o-bo se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho
SARSHAR SAILANI

Faasley Aisey Bhi Hongey Yeh Kabhi ,Soacha Na Tha Saamney Baitha Tha Mere , Aur Woh , Mera Na Tha



فاصلے آیسے بھِی ہونگے یِہ کَبھِی سوچا نہ تھَا
سامنے بیٹھا تھَا میرے ، آور وُہ میرا نہ تھَا

یِہ سَبھِی وِیرانیاں ، اُس کے جُدا ہونے سے تھِیں
آنکھ دُھندلائی ہُوئی تھِی ، شِہر دھُندلایا نہ تھَا

یاد کَرکے اَور بھِی تَکلیف ہَوتی تھِی ، عدیم
اب سوائے بھُول جانے کے کوئی چارہ نہ تھَا

Faasley Aisey Bhi Hongey Yeh Kabhi ,Soacha Na Tha
Saamney Baitha Tha Mere , Aur Woh , Mera Na Tha

Yeh Sabhi Weeraniyaan , Uss Ke Juda Hone Se Thien
Aankh Dhundlayi Hui Thi , Shehr Dhudlaya Na Tha

Yaad Kar ke Aur Bhi , Takleef Hoti Thi Adeem !
Ab Sawaaye Bhool Jaaney Ke , Koi Chaarah Na Tha

Katti hai jis Ky khiyaloon mein Umar apni munir Maza tou jab hai Kay uss shoukh ko pata hi na ho



کٹی ہے جس کے خیالوں میں عمر اپنی منیر
مزا تو جب ہے کہ اُس شوخ کو پتہ ہی نہ ہو
منیر نیازی

Katti hai jis Ky khiyaloon mein Umar apni munir
Maza tou jab hai Kay uss shoukh ko pata hi na ho
Munir Niazi
 

Aasaan nahin hoti , banjara mizaji Saleeqa bhi chahiye , aawargi ke liye



Aasaan nahin hoti , banjara mizaji
Saleeqa bhi chahiye , aawargi ke liye

Aakhri Chand Din December Ke Har Bars Hi Giraan Guzarte Hain



آخری چند دن دسمبر کے 
 ہر برس ہی گراں گزرتے ہیں
Aakhri Chand Din December Ke
Har Bars Hi Giraan Guzarte Hain

Meri thakan bhi teri hijraton mein shamil hai Main gard gard sahi, tere karwan mein hoon



Meri thakan bhi teri hijraton mein shamil hai
Main gard gard sahi, tere karwan mein hoon

ZARD MOUT Ay Adam Ki Aolaad Suno Tum Jante Ho Kia Hoti Hai Ye Peeli Barf Ye Zard Khizan?



زرد موت

اے آدم کی اولاد سنو
تم جانتے ہو کیا ہوتی ہے
یہ پیلی برف، یہ زرد خزاں؟
جب پتے ٹوٹ کے گرتے ہیں
جب درد اڑانیں بهرتا ہے
جب غرض کا ٹهیلا لگتا ہے
جب دهوپ بکاؤ ہوتی ہے

تب چونک کے پیڑ کو تکتے ہیں
یہ ننهے منے کاری گر
جسے سارا سال سجاتے ہیں
یہ سبز پوشاک کی عزت سے
جسے سایہ دار بناتے ہیں
یہ لا متناہی ہمت سے

پر کیا ہوتا ہے سنتے ہو ؟
کہ زرد رتوں کے آتے ہی
جب بپتا سر پہ بنتی ہے
جب رین سوتیلی ہوتی ہے
سب مال متاع اڑ جاتا ہے
جب دهول چٹائی ہوتی ہے

تب لپٹے پیڑ کے پیروں سے
اک آس نگوڑی اٹهتی ہے
کہ اپنی نمک حلالی کی
شاہکار شجر کے سینے میں
کوئی دمڑی، پیسہ، وقعت ہو
کوئی سودی بیل پروان چڑهے
کوئی ہمدردی کی صحبت ہو
وہ ان کی سبز ریاضت کا
کوئی ثمر بهرے کوئی مول کرے

پر پیڑ کا قصہ کیا کہیے

وہ پتهر دور کا پیروکار
وہ خود غرضی کا ساہوکار
وہ تختِ سنگ لکیر لیے
فقیر بنا یہ سوچ کرے

"میں کون اکیلا بین کروں
مرنے دو مرنے والوں کو
دو چار مہینے بیتیں گے
پهر دهوپ سے راس رچاؤں گا
پهر نئے پجاری آئیں گے
میں پهر اوتار کہلاؤں گا

رزبؔ تبریز

In tanhayiyon ko Mera muqadar samajh liya Zamane to bade saunk Sun raha tha use Hum hi ro pade



In tanhayiyon ko
Mera muqadar samajh liya
Zamane to bade saunk
Sun raha tha use
Hum hi ro pade
Jab dil gham se bhar gaya
Kisi ki ankh bhi nam nahi hui
Aur ek insan mere ander
Jane kab se Mar gaya
Kabhi fursat se Milo ge
To sunayen ge Tumhein
kyo kar udhar tha
Meri zindagi par main
Aaj bahut dino ke baad
Apna aks Dekh kar
Dil chup sa hi raha magar
Ankhein bhar gayin
Ji kabhi bhar na paya
Yeh aisa lagav hai
Hisab Kya doon us ka
Jo be-hisab hai

Jyoti

Safar e wafa ki rah main, manzil jafa ki thi Kaghaz k ghar bnaa k bhi, khahish hawa ki thi



Safar e wafa ki rah main, manzil jafa ki thi
Kaghaz k ghar bnaa k bhi, khahish hawa ki thi

Thi jugnuon k shaher main, taron se dushmani
Mashooq chaand tha, aur tamana subah ki thi

Tum ne to ibadat ka, tamasha bnaa dia
Chahat namaz ki thi, par aadat qaza ki thi

Man ne to zindagi ko, teray naam likha tha
Shaed magar, kuch aur hi marzi khuda ki thi

Dard hi dena tha, to pahlay btaa detay
Hm ko bhi azal se hi tamana, saza ki thi

Aik khuwab haqeeqat ho Jaye Jo tera saath mayasser ho jaye



Aik khuwab haqeeqat ho Jaye
Jo tera saath mayasser ho jaye

In Dino Ta'aluq Thoda Mazboot Rakhna Suna Hai DECEMBER Ke Bichdey Kabhi Nahi Miltay



December

In Dino Ta'aluq Thoda Mazboot Rakhna
Suna Hai DECEMBER Ke Bichdey Kabhi Nahi Miltay

Mukhtsar sa hai Uska meri zindagi mein safar Ankh khulne se ankh band hone talak



Mukhtsar sa hai Uska meri zindagi mein safar
Ankh khulne se ankh band hone talak
Jyoti

Yun Di Humein Aazaadi Keh Dunya Hoi Hairaan Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan



یوں دی ہمیں آزادی کہ دنیا ہوئی حیران
اے قائد اعظم تیرا احسان ہے احسان
 Yun Di Humein Aazaadi Keh Dunya Hoi Hairaan
Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan

ہر سمت مسلمانوں پہ چھائی تھی تباہی
ملک اپنا تھا اور غیروں کے ہاتھوں میں تھی شاہی
Har Simt Musalmano Pe Chhaai Thi Tabahi
Mulk Apna Tha Aur Ghairo Ke Haatho Mein Thi Shahi

ایسے میں اٹھا دین محمد کا سپاہی
اور نعرہء تکبیر سے دی تو نے گواہی
Aise Mein Utha Deen e MUHAMMAD Ka Sepahi
Aur Na'ara e Takbeer Se Di Tu Ne Gawahi

اسلام کا جھنڈا لئے آیا سر میدان
اے قائد اعظم تیرا احسان ہے احسان
Islam Ka Jhanda Liye Aaya Sar e Maidaan
Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan

دیکھا تھا جو اقبال نے اک خواب سہانا
اس خواب کو اک روز حقیقت ہے بنانا
Dekha Tha Jo IQBAL Ne Ik Khuwaab Suhana
Uss Khuwaab Ko Ik Roz Haqeeqat Hai Banana

یہ سوچا جو تو نے ہنسا تجھ پہ زمانہ
ہر چال سے چاہا تجھے دشمن نے ہرانا
Ye Socha Jo Tu Ne Hansa Tujh Pe Zamana
Har Chhaal Se Chaha Tujhe Dushman Ne Harana

مارا وہ تو نے داوء کہ دشمن بھی گئے مان
اے قائد اعظم تیرا احسان ہے احسان
Mara Woh Tu Ne Dav Keh Dushman Bhi Gaye Maan
Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan

Be-noor o be-asar hai yahan ki sada e saaz Tha us sukoot mein bhi maza , us gali mein chal



بے نور و بے اثر ھے یہاں کی صدائے ساز
تھا اُس سکوت میں بھی مزا اس گلی میں چل

جالب ! پکارتی ھیں وہ شعلہ نوائیاں
یہ سرد رُت - یہ سرد ھوا- اس گلی میں چل
حبیب جالب

Be-noor o be-asar hai yahan ki sada e saaz
Tha us sukoot mein bhi maza , us gali mein chal


Jalib ! Pukaarti hain woh shoula-nawaiyan
Ye sard rutt , ye sard hawa , us gali mein chal


Habib Jalib

Har Aarzoo Faraib hai Har Justujo Saraab Machlay jo Dil bohut Ussay Samjha diya karo



ہر آرزو فــریب ہے ہر جستجـــو ســراب
مچلے جو دل بہت اُسے سمجھـا دیا کرو

Har Aarzoo Faraib hai Har Justujo Saraab
Machlay jo Dil bohut Ussay Samjha diya karo

Hongey Aap shabdon ke baadshah Hum bhi khamoshiyon pe raaj karte hein



Hongey Aap shabdon ke baadshah
Hum bhi khamoshiyon pe raaj karte hein

Koi Nahi Mila Aisa Jo Meri Mujh Se Mulaqaat Kara Dey Main Bas Baithi Rahon Younhi Wo Har Rang Mera Mujh Se Mila Dey




Koi Nahi Mila Aisa Jo Meri Mujh Se Mulaqaat Kara Dey
Main Bas Baithi Rahon Younhi Wo Har Rang Mera Mujh Se Mila Dey


Jeewan Ki Raahon Mein Ab Yeh Saath Nibhana Mushkil Hai Hum Ne ,Tumm Se Kaise Kaha Tha Ab To Kuch Bhi Yaad Nahi



جِیوَن کی راہوں میں اَب یِہ ساتھ نِبھانا مُشکِل ہَے
ہَم نے تُم سے کیسے کَہا تھا،اَب تو کُچھ بھِی یاد نہیں

تَرکِ تَعَلُّق کیسے ہُوا تھا، اَب تو کُچھ بھِی یاد نَہِیں
دِل نے یِہ صَدمہ کیسے سَہا تھا، اَب تو کُچھ بھِی یاد نہیں

Jeewan Ki Raahon Mein Ab Yeh Saath Nibhana Mushkil Hai
Hum Ne ,Tumm Se Kaise Kaha Tha Ab To Kuch Bhi Yaad Nahi

Tark e Ta'alluq Kaise Hua Tha?Ab To Kuch Bhi Yaad Nahi
DIL Ne Yeh Sadma Kaise Saha Tha, Ab To Kuch Bhi Yaad Nahi

Ahista chal Zindagi



Very nice Tribute to the Passing Year 2019
 A Poem by Gulzar
Ahista chal Zindagi
 
Abhi kai Qarz Chukana baaki hai
Kuch Dard Mitana baaki hai
Kuch Farz Nibhana baaki hai
Raftaar mein Tere chalne se
Kuchh Rooth gaye, Kuch Chhoot gaye
Roothon ko Manana baaki hai
Rooton ko Hasana baaki hai
Kuch Hasraatein abhi Adhori hain
Kuch Kaam bhi aur Zaroori hai
Khwahishein jo Ghut Gayi is Dil mein
Unko Dafnana baaki hai
Kuch Rishte Ban kar Toot gaye
Kuch Judte Judte Chhoot gaye
Un Tootte Chhootte Rishton ke
Zakhmon ko Mitana baki hai
Tu Aage chal Main aata hoon
Kya chhod Tujhe Ji paunga ?
In Saanson par Haq hai Jinka
Unko Samjhaana baaki hai
Aahista chal Zindagi
Abhi kai Qarz Chukana baaki hai

Aap Iss Tarah Tou Hosh Udaya Na Kijiye Yun Ban Sanwar Ke Samne Aaya Na Kijiye



آپ اِس طرح تو ہوش اُڑایا نہ کیجیے
یُوں بن سنور کے سامنے آیا نہ کیجیے
Aap Iss Tarah Tou Hosh Udaya Na Kijiye
Yun Ban Sanwar Ke Samne Aaya Na Kijiye

یا سر پہ آدمی کو بِٹھایا نہ کیجیے
یا پھر نظر سے اُس کو گِرایا نہ کیجیے
Ya Sar Pe Aadmi Ko Bethaya Na Kijiye
Ya Phir Nazar Se Uss Ko Gira Na Kijiye

یُوں مَد بھری نِگاہ اُٹھایا نہ کیجیے
پینا حرام ہے تو پلایا نہ کیجیے
Yun Mad Bhari Nigaah Uthaya Na Kijiye
Peena Haram Hai Tou Pilaya Na Kijiye

کہیے تو آپ محو ہیں کس خیال میں
ہم سے تو دِل کی بات چُھپایا نہ کیجیے
Kahiye Tou Aap Maho Hain Kis Khayaal Mein
Hum Se Tou Dil Ki Baat Chopaya Na Kijiye

تیغِ سِتم سے جو کام لینا تھا لے چُکے
اہلِ وفا کا یُوں تو صفایا نہ کیجیے
Tegh e Sitam Se Jo Kaam Laina Tha Le Chuke
Ahl e Wafa Ka Yun Tou Safaya Na Kijiye

مَیں آپ کا، گھر آپ کا، آئیں ہزار بار
لیکن کسی کی بات میں آیا نہ کیجیے
Main Aap Ka Ghar Aap Ka Aaein Hazaar Bar
Lekin Kisi Ki Baat Mein Aaya Na Kijiye

اُٹھ جائیں گے ہم آپ کی محفل سے آپ ہی
دُشمن کے رُوبرو تو بِٹھایا نہ کیجیے
Uth Jaeingy Hum Aap Ki Mehfil Se Aap Hi
Dushman Ke Ro-Ba-Ro Tou Bethaya Na Kijiye

دِل دور ہوں تو ہاتھ مِلانے سے فائدہ؟
رسمًا کسی سے ہاتھ مِلایا نہ کیجیے
Dil Door Hon Tou Haath Milane Se Faida?
Rasman Kisi Se Haath Milaya Na Kijiye

محروم ہوں لِطافتِ فطرت سے جو نصیرؔ
اُن بے ہسوں کو شعر سُنایا نہ کیجیے
Mahroom Hoon Litafat e Fitrat Se Jo NASEER
Unn Be-Bason Ko Shair Sunaya Na Kijiye

پیر نصیر الدین نصیر
Peer Naseerudin Naseer

Dard agar aadmi hota to gireban pakarr kar kehte



Dard agar aadmi hota
to 
gireban pakarr kar kehte
iss tarah rehte hain bechain dilon k ander?
Iss tarah karye hain bhala kisi majbur k sath?
Dil mein rehna hay 
to 
phir chain se rehna seekho
hum tumhen sehte hain kuch tum bhi sehna seekho

Humse nafrat karni hai tou irada mazboot rakhna Zara si bhool hui tou phir se muhabbat ho jayegi



Humse nafrat karni hai tou irada mazboot rakhna
Zara si bhool hui tou phir se muhabbat ho jayegi

Khudaya Sta Da Imtehaan Ba Vi Tar Koma Be-Iqbala Musalman Ba Vi Tar Koma



Khudaya Sta Da Imtehaan Ba Vi Tar Koma
Be-Iqbala Musalman Ba Vi Tar Koma

Musalman Kho Tol Dh Yao Neeku Aolaad Dy
Na-Khabara Dh Quran Ba Vi Tar Koma

Ph Har Zaai Wa Kor Ph Kor Nafsi Nafsi Da
Da Maraz Ph De Jahan Ba Vi Tar Koma

Dh Paida Na De Ghareeb Dh Bal Mukhtaj Ku
Da Mukhtaj Ph Weer Dh Zaan Ba Vi Tar Koma

Spay Khu Na Dy Raba Tu Pre Mehruban She
Naast Ph Dar Ke Dh Cha Khan Ba Vi Tar Koma

Porta Nasho Sta Naseeb ALI HAIDARA
Daam Ke Nkhaty Dh Hijraan Ba Vi Tar Koma


Poet:Ali Haidar Joshi
Book:Deewaan e Joshi
Page:101

Ghareebai Ke Dh Khanda Ghunde Ke Shom Dh Prado Khpalo Juda Ghunde Ke Shom



Ghareebai Ke Dh Khanda Ghunde Ke Shom
Dh Prado Khpalo Juda Ghunde Ke Shom

Che Zwani Mi Wa Dh Har Sadey Ashna Wom
Ph Peerai Ke Na-Ashna Ghunde Ke Shom

Khudaya Sa Jwand Dy Che Tol Umar La Gham Vi
Khpal Naseeb Ta Ph Jada Ghunda Ke Shom

Da Shabaab Dh Umar Qadar Hala Raghay
Che Na-Tarso Ta Wedya Ghunda Ke Shom

Sang Che Tu Ye Dase Zu Wom Os Ba Tu Shay
Ma Ta Gora Waar-Khata Ghunde Ke Shom

Paroon Raghlam Nan Daley Saba Ba Bya Zam
Musafir La De Dunya Ghunda Ke Shom

Khalqa Zu
ALI HAIDAR Dh Gham Dh Para
La De Khaoro Na Paida Ghuda Ke Shom


Poet:Ali Haidar Joshi
Book:Deewaan e Joshi
Page:100

Sukhanwaron Ka Manshor Hai Muhabbat Hum Ahl e Dil Hain Hamara Dastor Hai Muhabbat



سخن واروں کا منشور ہے محبت
ہم اہلِ دل ہیں ہمارا دستور ہے محبت

تم مکر گئے اسی لیے بے گناہ ٹھہرے
ہم نے کی تھی ہمارا قصور ہے محبت

کیا کہا آنکھ کھلتے ہی یاد آتے ہیں
پھر تو آپ کو ہم سے ضرور ہے محبت

ہماری آنکھ کی نمی پر مت جائیں صاحب
ہم ہجر والے ہیں ہمارا تو غرور ہے محبت

جسکی تپش میں جلتے ہیں روح و بدن
گویا ہر پل ایک تپتا ہوا تندور ہے محبت

کبھی کھائے پتھر تو کبھی چڑھی سولی
کبھی قیس تو کبھی بنی منصور ہے محبت

نازیہ رشید تارڑ

Mita Do Ranjeshein , Aaghaaz Kar Ke Dekhtay Hain Aao Koi Aaj Nayi Baat Kar Ke Dekhtay Hain



مٹا دو رنجیشیں،آغاز کرکے دیکھتے ہیں
آؤ کوئی آج نئی بات کرکے دیکھتے ہیں

اڑان اونچی تھی مگر ہاتھ کچھ نہیں آیا
ذرا نیچی بھی ہم پرواز کرکے دیکھتے ہیں

(افیؔ )

Mita Do Ranjeshein , Aaghaaz Kar Ke Dekhtay Hain
Aao Koi Aaj Nayi Baat Kar Ke Dekhtay Hain

Uddan Onchi Thi Magar Haath Kuch Na Aaya
Zara Neechi Bhi Hum Parwaaz Kar Ke Dekhtay Hain

(Iffi)

Kai Sadiyan Guzari Hain To Bheegi Hain Masain Iski Zamane Me DECEMBER Ne Kia Umar e Nooh Paai Hai



کئی صدیاں گزاری ہیں تو بهیگی ہیں مَسیـں اس کی
زمانے میــں دسمبر نے کیا عمرِ نُـوح پائـی ہے

رزبؔ تبریز
Kai Sadiyan Guzari Hain To Bheegi Hain Masain Iski
Zamane Me DECEMBER Ne Kia Umar e Nooh Paai Hai

Razab Tabraiz

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo