Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya

 

Poet Faiz Ahmad Faiz

Type By

*._Ayaz_Khan_.*

 

Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya,

Dil Bahut Kuch Jala Ke Dekh Liya,

Aur Kia Dekhne Ko Baqi Hai,

Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya,

Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howe,

In Ko Apna Bana Ke Dekh Liya,

Aaj Un Ki Nazar Mein Kuch Hum Ne,

Sub Ki Nazren Bacha Ke Dekh Liya,

FAIZ Takmeel-E-Gham Bhi Ho Na Saki,

Ishq Ko Aazma Ke Dekh Liya.....!

Book
Naqsh e Faryadi

Page No, 64


Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain

 

Poet Faiz Ahmad Faiz

Type By

*._Ayaz_Khan_.*

 

Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain,

Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain,

Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai,

Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain,

Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Rah Rakh Do,

Ke Lutne Lutane Ke Din Aa Rahe Hain,

Tapakne Lagi Un Nigahon Se Masti,

Nigahain Churane Ke Din Aa Rahe Hain,

Saba Phir Humain Poochti Phir Rahi Hai,

Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain,

Chalo FAIZ Phir Se Kahin Dil Lagain,

Suna Hai Thikane Ke Din Aa Rahe Hain...!

Book
Naqsh e Faryadi

Page No, 87

 

Shama Haram-E-Jaan Ya Mashal Butt Khana, Kia Kia Mein Kahon Tujh Ko Ay Jalwa-E-Jaana

 

Poet:Bedam Shah Warsi

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

 

Shama Haram-E-Jaan Ya Mashal Butt Khana,

Kia Kia Mein Kahon Tujh Ko Ay Jalwa-E-Jaana,

Manzil Mere Maqsad Ki Ka'aba Hai Na Butt Khana,

In Dono Se Aage Chal Ay Himat-E-Mardana,

Maykharon Ke Sadqe Mein Saqi Koi Paimana,

Maykhana Mein Dardi Kash Maykhana,

Sab Naqsh Khayali Hain ka'aba Ho Keh Buttkhana,

Too Mujh Mein Hai Mein Tujh Mein Ay Jalwa-E-Jaana,

Saqi Tere Aate Hi Ye Josh Hai Masti Ka,

Sheeshe Pe Gire Sheesha Paimane Pe Paimana,

Mera Dil Wiraan Bhi Aabaad Kai Jaana,

Ay Zeenat Har Mihfil Ay Sahib-E-Har Khana,

Zahid Meri Qismat Mein Sajde Hain Aisi Dar Ke,

Chhota Hai Na Chhote Ga Sang-E-Dar-E-Jaana,

Too Shama Sefat Ay Gul,Aaye Jo Sar-E-Mihfil,

Parwana Bane Bulbul,Bulbul Bane Parwana,

Mit Kar Bhi Rahe Baqi Jo Tujh Pe Mite Saqi,

Jab Mitte Hain Bante Hain Khaak-E-Dar Maykhana,

Yahan Kafar-O-Momin Ki Tafreeq Hai La Hasil,

Sab Yaar Ke Jalwe Hain Apna Hai Na Begana,

Kia Lutf Ho Mahshar Mein Shikwa Kiye Jaaon,

Wo Hans Ke Kehe Jaain Deewana Hai Deewana,

Maloom Nahi BEDAM Mein Kon Hon Aur Kia Hon,

Youn Apno Mein Apna Hon Beganon Mein Begana......!

Book

Mashaf-E-Bedam

Page No 79,80

 

KHUDA K Wastay Ay Badah Khawaro Youn Na Tarsao

 

Poet Abdull Hamid Addam

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

,

Jawa'n Muasam Ka Kuch Sadqa Utaro Youn Na Tarsao,

Tumharay Silsilay To Keh'Kashaaon Par Bhi Khanda Hain,

Mairay Halat Ko Bhi Kuch Sanwrao Youn Na Tarsao,

Kisi Baankay Musafir Nay Guzrna Hai To Hum Thehrein,

Hamein Ay Bay Marwat Reh-Guzaro Youn Na Tarsao,

KHUDA K Wastay Dil Ki Bhi Koi Baat Kar Dalo,

Mairay Zehra Shumaail Razdaro Youn Na Tarsao,

Nigaro Hum Ko Poochho Gay,
Sitaro Hum Ko Dhoondo Gay,

Nigaro Youn Na Tarsao,
Sitaro Youn Na Tarsao,

Hamein Shehar-E-ADDAM Say Kaya Isi Khatir Bulaya Tha,?

Hamein Ay Bagh-E-Hasti Ki Bahaaro Youn Na Tarsao.............*


Phool Hai Ya Sharaar Kaya Shay Hai ? Sach Bata Taira Pyar Kaya Shay Hai

 

Poet Abdull Hamid Addam

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Phool Hai Ya Sharaar Kaya Shay Hai ?

Sach Bata Taira Pyar Kaya Shay Hai?

Phool Bulbul Charaagh Parwanay,

Aur Fassal-E-Bahaar Kaya Shay Hai ?

Aetbaar Ik Pari Sahi Laikin,

Hasil-E-Aetbaar Kaya Shay Hai ?

Kis K Nashad Rooh Hai Is Mein ?

Ay Mughni Sataar Kaya Shay Hai ?

Daikh Lay Sookhi Tehniyon Ki Taraf,

Poochh Mat Intzar Kaya Shay Hai ?

Pyar Shay Hai Koi Zaroor Mgar,

Ye Nahi Illam Pyar Kaya Shay Hai ?

Poora Ho Jaye Wo Agar To ADDAM,

Wada-E-Istwaar Kaya Shay Hai....................*

 

Dilbro Muajzaat Kar Jao, Koi Anhoni Baat Kar Jao


Poet Abdull Hamid Addam

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Dilbro Muajzaat Kar Jao,

Koi Anhoni Baat Kar Jao,

Is Mein Kaya Aetraz Hai Tum Ko ?

Baat Sun Jao Baat Kar Jao,

Hum Ko Har Zullam Bhool Jata Hai,

Phir Koi Wardaat Kar Jao,

Zindagi Aasron Say Chalti Hai,

Aehtmaam-E-Hayaat Kar Jao,

Tum Ko Tofeeq Di Hai Qudrat Nay,

Charah-E-Mushkilaat Karo Jao,

Jhoota Wada ADDAM Say Kar K Koi,

Baarish-E-Iltfaat Kar Jao....................*

.

 

Dunya Ka Kuch Bura Bhi Tamasha Nahi Raha


دنیا کا کچھ برا بھی تماشا نہیں رہا
دل چاہتا تھا جس طرح ویسا نہیں رہا

تم سے ملے بھی ہم تو جدائی کے موڑ پر
کشتی ہوئی نصیب تو دریا نہیں رہا

کہتے تھے ایک پل نہ جیئیں گے ترے بغیر
ہم دونوں رہ گئے ہیں وہ وعدہ نہیں رہا

کاٹے ہیں اس طرح سے ترے بغیر روز و شب
میں سانس لے رہا تھا پر زندہ نہیں رہا

آنکھیں بھی دیکھ دیکھ کے خواب آ گئی ہیں تنگ
دل میں بھی اب وہ شوق، وہ لپکا نہیں رہا

کیسے ملائیں آنکھ کسی آئنے سے ہم
امجد ہمارے پاس تو چہرہ نہیں رہا


Mazhab Ki Khoobiyan Usay Qail Na Kar Sakein, Bas Aik Hi Usool Pe Qurbaan Ho Gaya

 

Mazhab Ki Khoobiyan Usay Qail Na Kar Sakein,

Bas Aik Hi Usool Pe Qurbaan Ho Gaya

.

.

Jounhi Suna Keh 4 Bhi Jaiz Hain Biviyaan,

 Fouran Wo Kalma Parh Kar Musalman Ho Gaya.


Chaadar,Libas-E-Shab,Bistar Aor Raat " Sara Hi Intezaam Huwa Hai,Bas Neend Reh Gai

 

Chaadar,Libas-E-Shab,Bistar Aor Raat

"

Sara Hi Intezaam Huwa Hai,Bas Neend Reh Gai......!


Hagha Dam Zama Du Zr'ra Sabar Tamam Laar'r Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

 

Poet:Ahmad Deen Talib

Type By

*.__NOMI__.*

 

 Chaarbeta

 

Hagha Dam Zama Du Zr'ra Sabar Tamam Laar'r

Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

(1)

Hagha Dam Zama La Khule Kaawake Kheji

Che Ghuncha Mi Du Wisaal Du Chaman Reeji

Yaar Ta Yaar Kalaam Du Yaar La Taraf Bheji

Ku Du Lasa Mi Naskoor Du Sabar Jaam Laar'r

Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

(2)

Ku Pa Laas De Shwe Zama Du Zulfo Waagi

Bya Ba Sala Du Afsoos Jalai Okagi

Oor Du Gham Darna Chaapera Sho Peeche Aage

Che Majnoon Ghunde De Sar Na Aqal Khaam Laar'r

Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

(3)

Ku Majnoon Ghunde Mi Wajni Du Gham Tandah

Pa Marg Khuwakh Yam Du De Be-Wisaala Juwandah

Da Zaari Minnat Mi Nu Aori Dilbandah

Daase Nu Wai Che Da Mi Yao Ghulaam Laar'r

Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

(4)

Daa Minnat Zaari De Mata Shol Mazoora

Nor Du Ishq La Darda Mu Jar'ra Mahjoora

Sta Du Ranz Ilaaj Ba Okrama Ranzoora

Che Mudaam Mi Terawu Hagha NaaKaam Laar'r

Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

(5)

Che Mudaam Pu Gher Ghamaz Ye Mehrubana

AHMAD DEEN Ba Zar'rge Sabar Kr'ri La Ta Na

Pu Khaist Na She Maghroora Zama Jaana

Pu Ghuroor Du Aazazeel Na Khpal Muqam Laar'r

Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

 Hagha Dam Zama Du Zr'ra Sabar Tamam Laar'r

Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

 

 **********NOMI**********

 

Is Ahd-E-Pur Fatan Ki Nazar Say Ulajh Parro, Hangama Haaye Sham-O-Sehar Say Ulajh Parro



 Poet Saghar Siddiqui

*_FAROOQI.54_*
Is Ahd-E-Pur Fatan Ki Nazar Say Ulajh Parro,
Hangama Haaye Sham-O-Sehar Say Ulajh Parro,
Hoga Rosh Rosh Pay Hamaray Janoon Ka Raaj,
Barrh Kar Nigah-E-Baraq-O-Sharar Say Ulajh Parro,
Lalkarti Hain Tum Ko Falak Boos Chotiyaan,
Itna Urro Keh Shams-O-Qamar Say Ulajh Parro,
Aatish Mein Kood Jao Bzam-E-Khalil-E-Shoq,
Mansooba Haaye Muaj-O-Bhanwar Say Ulajh Parro,
Barrhtay Chalo Mujaahido ALLAH Ki Raah Mein,
Bay Baak Ho K Khof-O-Khatar Say Ulajh Parro,
Apnay Watan Ki Khak-E-Muqdas K Wastay,
Saghar Tajliyaat-E-Gohar Say Ulajh Parro...............*

Umeed K Muati Arzaa'n Hain, Durvaish Ki Jholi Khali (Saghar Siddiqui)



Poet Saghar Siddiqui
*_FAROOQI.54_*
Umeed K Muati Arzaa'n Hain,
Durvaish Ki Jholi Khali,
Phoolon Say Mehktay Daman Mein Durvaish Ki Jholi Khali Hai,
Ahsas Safati Pathar Hain,
Emaan Sulgati Dhoni Hai,
Bay Rang Mazaj-E-Doraa'n Mein,
Durvaish Ki Khali Hai,
Bay Noor Marwat Ki Aankhein Bay Kaif Inaayat K Jazabay,
Har Simat Badltay Unwan Hain,
Durvaish Ki Jholi Khali Hai,
Gadrri K Phatay Tukrray Saghar Ajsam-E-Takhyul Kaya Dhanpein ?
Faryad K Nuqtay Hairaa'n Hain,
 Durvaish Ki Jholi Khali Hai........*

Muhabbat Ho Rahi Hai...* Dhire Dhire...*

 

Poet:Ayaz Khan

*

Muhabbat Ho Rahi Hai

*

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

 

Dil Ki Khirrki Khol Gai Hai...*

Aankhon Mein Koi Jhoom Rahi Hai...*

Muhabbat Ho Rahi Hai...*

Dhire Dhire...*

Chal Rahi Hai Nai Kahani Purani Reet...*

Fizaain Bhi Gunguna Rahi Hain Geet...*

Muhabbat Ho Rahi Hai...*

Dhire Dhire...*

Chupke Chupke Ho Rahi Hain Mulaqatain...*

Chaand Se Ho Rahi Hain Baatain...*

Muhabbat Ho Rahi Hai...*

Dhire Dhire...*

Jagnoo Jagnoo Umeed Liye...*

Titli Titli Rang Liye...*

Muhabbat Ho Rahi Hai...*

 Dhire Dhire...*

Be-Chain Hawa Ke Jhonke Hain...*

Phool Khushi Ke Mehke Hain...*

Muhabbat Ho Rahi Hai...*

Dhire Dhire...*

Aag Ke Is Samandar Se...*

Jane Kaise Log Guzarte Hain.......!

Kuch Kundan Ban Ke Aate Hain...*

Muhabbat Ho Rahi Hai...*

Dhire Dhire...*

Kuch Majnoo Ban Ke Kho Jate Hain...*

Kuch Ranjah Ban Ke Rote Hain...*

Ye Sab Afsane Jaan Kar Bhi...*

Anjaan Se Waqif Ho Kar Bhi...*

Hum Muhabbat Karte Hain...*

Aur Bas Dil Ki Sunte Hain...*

Phir Bhi Muhabbat Ho Rahi Hai...*

Aankhen Bhi Kuch Bhool Rahi Hain...*

Muhabbat Ho Rahi Hai...*

Dhire Dhire...*

*...The End...*


Aur Chupke Chupke Ro Lena,

 

AUR CHUPKE CHUPKE RO LENA

 

Jab Seena Gham Se Bojhal Ho,

Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho,

Tab Kamre Mein Band Ho Jana,

Aur Chupke Chupke Ro Lena,


Jab Aankhen Baaghi Ho Jaein,

Aur Yaad Mein Meri Bhar Aaein,

Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena,

Aur Chupke Chupke Ro Lena,


Jab Palken Karb Se Mondi Hon,

Aur Sab Samjhen Tum Soi Ho,

Tab Monah Pe Takiya Rakh Lena,

Aur Chupke Chupke Ro Lena,


Ye Dunya Zaalim Dunya Hai,

Ye Baat Buhat Phelai Gi,

Tum Saamne Sab Ke Chup Rehna,

Aur Chupke Chupke Ro Lena,


Jab Barish Chehra Dho Daale,

Aur Ashk Bhi Bonden Lagti Hon,

 Wo Lamhe Hargiz Mat Khona,

Aur Chupke Chupke Ro Lena,

 

 

Raah Guzar K Charagh Hain Hum Log, Aap Apna Suragh Hain Hum Log,

 

Poet: Saghar Siddiqui

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Raah Guzar K Charagh Hain Hum Log,

Aap Apna Suragh Hain Hum Log,

Jal Rahay Hain Na Bujh Rahay Hain Dost,

Kis K Seenay Ka Dagh Hain Hum Log,

Khud Tahi Hain Mgar Pilatay Hain,

May Kaday K Ayaagh Hain Hum Log,

Dushmamon Ko Dost Kehtay Hain,

Kitnay Aali Dimaagh Hain Hum Log,

Chasham-E-Tehqeer Say Na Daikh Hamein,

Daamnon Ka Faraagh Hain Hum Log,

Aik Jhonka Naseeb Hai SAGHAR,

Us Gali K Chraagh Hain Hum Log...................*
.
Book
Qaraz Hai Tum Pay 4 Phoolon Ka
Page 87 88

 

Nashayi Ghunde Jote Du Yaar Pa Gham Khuram Du Shamkor Hase Takare Har Qadam Khuram

 

Poet:Ahmad Deen Talib

Type By

*.__NOMI__.* 

 

Nashayi Ghunde Jote Du Yaar Pa Gham Khuram

Du Shamkor Hase Takare Har Qadam Khuram

 

Roogh Aalam Pa Ma Guman Du SharabKhur Kr'ri

Che Du Sro Stargo Piyaalo Ke Du Zr'ru Gham Khuram


His Taqat Zama Du Sabar Paate Nu Sho

Pa Kom Rang Ba Du Dildaar Du Dar Qasam Khuram


Che Ye Khuwand Du Yaar Tar Labo Nu Raseegi

Abas Sala Samar Saib Du Baagh Aram Khuram


Sta Du Ishq Che Asar Mi Sar Ke Prewat

Du Tuhmat Khanjar Pa Sar Laka Qalam Khuram


Zu TALIB AHMAD DEEN Zahar  Warta Wayim

Be Du Yaar Na Keh Sharbat Pa Jaam Jam Khuram

 

**********NOMI**********

 

Raahzan Aadmi, Rehnuma Aadmi, Baar'ha Ban Chuka Hai Khuda Aadmi

 

Poet Saghar Sidiqui

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Raahzan Aadmi,
Rehnuma Aadmi,

Baar'ha Ban Chuka Hai Khuda Aadmi,

Aas Ki Moortein Poojtay Poojtay,

Aik Tasveer Si Ban Gaya Aadmi,

Khul Gaye Janton K Wahan Zaaichay,

Do Qadam Jhoom Kar Jab Chala Aadmi,

Subha Dam Chaand Ki Rukhsati Ka Samaa'n,

Jis Tarah Behar Mein Doobta Aadmi,

Zindagi Khankaah Shahood-O-Baqa,

Aur Loh-E-Mazaar-E-Fana Aadmi,

Kuch Fashiton Ki Taqdees K Wastay,

Seh Gaya Aadmi Ki Jafa Aadmi,

Goonjti Hi Reh Gayi Falak Dar Falak,

Hai Masheeat Ki Aisi Sada Aadmi..............*

 

Du Firaq Du Ghama Jaar'ram Zaan La Pat Pat, Yaar Mi Na Razii Zama Pursaan La Pat Pat

 

Poet:Ahmad Deen Talib

Type By

 *.__NOMI__.*

 

Du Firaq Du Ghama Jaar'ram Zaan La Pat Pat,

Yaar Mi Na Razii Zama Pursaan La Pat Pat


Manzoor Nu Shwal Pa Mehfil Du Aashiqai Ke,

Ku Mi Yaor'ral Sar-O-Maal Jaanan La Pat Pat


Ghamaazgar Lara Zaahir Zorana Warkr're,

Warkawe Du Lamse Waak Shitaan La Pat Pat


Umeedwar Kr're Bulbulaan Du Baagh Du Wasal,

Ra Baley Zaagh-O-Zaghun Bostaan La Pat Pat


Domra Zu Pa Biltana Kamzore Nu Yam,

Khu Leegi Mi Yaar Komak Hijraan La Pat Pat


Zu TALIB AHMAD DEEN Ishq Ke Ruswa Shom,

Nam Du Stargo Mi Raazi Grewaan La Pat Pat.......!

 

**********NOMI**********


Kabhi To Tuo Meri Ulfat Ki Had Se Paar Jaay Ga,, , TErE Humrah In Yaad0n Ka Ek Anbaar Jaay Ga

 

Kabhi To Tuo Meri Ulfat Ki Had Se Paar Jaay Ga,,

,

TErE Humrah In Yaad0n Ka Ek Anbaar Jaay Ga..*

TEri S0ch0n Se MEri Shaam Phir MEhs00s H0ti Hai,,

,

K0i Andar SE Hansta Hai KEh Tuo Phir Haar Jaay Ga..*

Hawaa0 Sarsaratay Is Tarah Guzr0 Keh Aahat H0,,

,

MErE Aangan Ka Sannata MujhE Ab Maar Jaay Ga..*

Usay Gar R0kna Chah0 T0 BE-Parwaiyan Bart0,,

,

KEh Jitni Baar R0k0 GE,W0 Utni Baar Jaay Ga..*

Yahi BE-Ma0smi Rim Jhim Usay BE-Zaar Karti Hai..*

YE R0na PEEtna TEra Yunhi BE-Kaar Jaay Ga..*

W0 Sadiy0n Baad L0ta Hai Usay Andar T0 Aanay D0,,

,

TEra Dar Aakhiri Dar Hai,Kahan Is Baar Jaay Ga..*

W0 Malak-ul-M0ut BEtha Hai,Kisi Ki Taak Mein DEkh0,,

,

Aur Ab Ki Baar Sang Uskay TEra BEEmaar Jaay Ga...>*

*._.*

-

TypeEd By

RaJu-JaaN-*

*


Dil Ko Dard Zakhmon Ko Gehraai De Gaya, Aik Be-Wafa Mujh Ko Tanhaai De Gaya

 

Poet:Ayaz Khan

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

 

Dil Ko Dard Zakhmon Ko Gehraai De Gaya,

Aik Be-Wafa Mujh Ko Tanhaai De Gaya,

 

Jo Zakham Rah-E-Muhabbat Mein Dil Par Lage,

Zakham Judaai Ka Un Ko Binaai De Gaya,

 

Khona To Tha Hi Us Ko Aik Na Aik Din Magar,

Jate Jate Wo Mujh Ko Ruswaai De Gaya,

 

Dua'ain To Mangi Keh Dard-E-Dil Mein Shafa Ho,

Magar Wo Mujhe Zehir-E-Masihaai De Gaya,

 

Kis Qadar Naam Tha,Ehl-E-Wafa Mein Mera,

Magar Wo Mujhe AYAZ,Naam Harjaai De Gaya......!

 

Mujh Ko Chorne Ki Wajah To Zara Bata Detay

 

Mujh Ko Chorhne Ki Wajah To Zara Bata Detay...

Mujh Se Be-Zaar Thay...? Ya Mujh Jaise Hazaar Thay.........!


Koi To Ho Jo Tasalyion K Haroof De Kar

 

Koi To Ho Jo Tasalyion K Haroof De Kar,,

...

Ragon Mein Behti Aziyaton Ka Gharoor Torre...*


Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai

 

Poetess: Latta Haya

 (Indian)

Type By

*.__NOMI__.*

 

Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai

 

*Jo Insaa,n Ko Jeenay Ka Andaaz Sikhata Hai...*

*Saanson Ki Aamad Ka Gehra Raaz Batata Hai...*

*Jo Ye Kehta Hai Dunya Kaise Ejaad Howi...*

*Aik Ghalti Se Kharij Aadam A.S Ki Faryaad Howi...*

*Jo Ye Kehta Hai,Dunya Ko Aik Saza Samjho...*

*Apne Hone Main ALLAH Ki Sirf Raza Samjho...*

*Jo Ye Kehta Hai, Keh Jo Kuch Bhi Hai, Faani Hai...*

*Kehtay Hain Hum Jise Qayamat,Wo To Aani Hai...*

*Kaise Hoti Subah,Kaise Shaam Batata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Jahan Burai Khatam,Shuro Islam Wahan Se Hai...*

*Apne Bandon Ko Uska Paigham Wahan Se Hai...*

*Aik Mukamal Jis Ne Ye Qanoon Banaya Hai...*

*Us Ne Apne Bandon Ko Har Gaam Sikhaya Hai...*

*Kaise Jeena Hai Tum Ko Aor Kaise Marna Hai...*

*Is Dunya Main Reh Kar Kia Karnama Karna Hai...*

*Har Achi Baton Ka Hukam Humain Jo Deta Hai...*

*Aor Aakhrat Ban Jai,Ye Deen Hi Aisa Hai...*

*Jo Insan Ko Aik Kaamil Insaa'n Banata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

* Aaj Jahan Main Dekho To Har Aor Burai Hai...*

*Aur Badi Se Neki Ki Ghanghoor Lar'rai Hai...*

*Insaa'n Ne Daolat Ko Apna Dharam Banaya Hai...*

*Aor Gunahon Ko Hi Apna Karam Banaya Hai...*

*Kis Ko Hai Parwah Faraiz Aur Usoolon Ki...*

*Dunya Yaad Rahi Bhoolay Har Baat Nabiyon Ki...*

*Zaat Paat Main Rehtay Rahe Tangen Maara Maari...*

*Arey! Faisalay K Din Ki Bhi Kar Lo Tayaari...*

*Ibrat Sa Hai Jo Janat Ki Raah Dekhata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Dunya Main Aay Ho To Insaa'n Bano Pehle...*

*Jis Ki Ummat Main Ho,Us Ki Raah Chalo Pehle...*

*Us Ki Farmanbardari Ka Naam Muhabbat Hai...*

*Yahi Aqeeda Kehlay Aor Yahi Ibadat Hai...*

*Ved Ho Ya Toreet Keh Ho Injeel Ho Ya Quran...*

*Lekin Deen-e-Fitrat Deen-e-Qayyam Hi Hai Penhan...*

*Wo Keh Jo Eman Nahi Laye Phachtaein Gy...*

*Jab Dozakh Ki Takleefon Ko Seh Na Paein Gy...*

*Dozakh Chahe Eman Yaqeen Aur Ilam Bar'rhata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Jo Hazrat Nooh Par Utra, Islam Wahi To Hai...*

*Aap Muhammad(p.b.u.h) Tak Pahuncha, Islam Wahi To Hai...*

*Zikar Hai Jis Ka Vedon Main, Islam Wahi To Hai...*

*Aor Quran K Sorhon Main, Islam Wahi To Hai...*

*Jo Samjhaya Nabiyon Ne Islam Wahi To Hai...*

*De Islah Hadeeson Ne, Islam Wahi To Hai...*

*Jo Eman Majmal Hai,Islam Wahi To Hai...*

*Aor Eman Mufasal Hai,Islam Wahi To Hai...*

*Jo Kalma-E-Tayyab Pehle pehel Parhata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Main Ne Socha Butt Ko Pojon Rooh Nahi Maani...*

*Isko Pojon Usko Pojon Kia Hai Man Maani...*

*Daolat Poja,Kursi Poja Aur Lahoo Poja...*

*Pathar Poja,Ghar Ki Poja Aur Pashoo Poja...*

*Jo Kuch Hai Bas Aik Wahi Bas Aik Wahi Naadaa'n...*

*Insaa'n Ko Bhagwaan Samajhna Hai Us Ka Atmaan...*

*Is Se To Behtar Hai,Keh Tum Khud Ko Pehchano...*

*Bhale Gunahon Se Bach Jao Baat Meri Maano...*

*Jis K Zareye Insaa'n Aaj Duaen Pata Hai...*

 

**Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**

 

*Is Mazhab Main Dunya Ka Har Raaz Numayan Hai...*

*Jeenay Se Marnay Tak Ka Har Taor Bataya Hai...*

*Hai Pabandi Kalmon,Rozon Aur Namazon Ki...*

*Hajj Lazim Hai,Aur Likhi Farhst Zakaton Ki...*

*Insaa'n K Har Aik Amal Ki Khaas Duaen Hain...*

*Aik Aik Sorah Main Maalik Ki Laakh Shuaen Hain...*

*Jaise Maa'n Bachay Ko Achi Baat Sikhati Hai...*

*Apne Liye Toheed Samajh Emaan Banati Hai...*

*Aur Hidayat Jis Ko De Maalik Wo Paata Hai...*

*Jis K Zareye Insaa'n Aaj Duaen Pata Hai...*

*Is Main Hai Tahzeeb,Sadaqat Aur Wafadaari...*

*Ghoonghat Aanchalnay Ki Lajja Aur Pardadaari...*

*Izzat,Ghairat Aik Saleeqa Aur Bhalai...*

*Mazboti,Behbodi Zaahir Sirf Khudai Hai...*

*Ye To Bas Aamaal,Adab,Akhlaaq,Nifasat Hai...*

*Shirk Nahi Hai,Kufar Nahi Hai,Sirf Ata'at Hai...*

*Bar're Buzargon Ki Izzat Na Walid Ka Samman...*

*Bachon Ko Bachpan Se Dekhlatay Hain Quran...*

*Isi Liye Ye Dharam "HAYA" K Dil Ko Bhata Hai........!

 

**********NOMI**********

 

Baat Sajdo Ki Nahi Khuloos-E-Dil Ki Hoti Hai IQBAL

 

Baat Sajdo Ki Nahi Khuloos-E-Dil Ki Hoti Hai

IQBAL

Mekhaany Main Har Koi Sharaabi 

Aor 

Masjid Main Har Koi Namazi Nahi Hota.........!

 

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhana, Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna,

 

Poet Hassan Abas

Singar Ustad Ghulam Ali

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhana,
Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna,

Hamein Bhi Hai Yaad Aaj Tak Wo Nazar Say Harf-E-Sallam Likhna,

Wo Chand Chehray,
Wo Behkti Batein,
Sulgati Din Thay,
Mehkti Ratein,

Wo Chhotay Chhotay Kaghzon Par,
Mohabbaton K Pyam Likhna,

Gulab Chehron Say Dil Lagana,
Wo Chhup K Chhup K Nazar Milana,

Wo Aarzwon K Khawab Bun'Na,
Wo Qisa-E-Na'Tamam Likhna,

Gayi Ruto Mein HASSAN Hamara,
Bas Ik Hi To Ye Mashghla Tha,

Kisi K Chehray Ko Subha Likhna,
Kisi Ki Zulfon Ko Sham Likhna,

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna,
Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna..............!


Kaha Main Ne Maah-E-Kaamil Ki Aahat Par Samandar Kiyon Machaltay Hain

کہا میں نے !

مہِ کامل کی آہٹ پر سمندر کیوں مچلتے ہیں ۔ ۔ ۔

دِلوں میں کس لیے ارماں جگاتی ہیں

سنہری چاندنی راتیں !

یہ اِن کے بیچ کیسی دوستی ہے ۔ کیا تعلق ہے ؟؟ ۔ ۔
کہا اُس نے
کشش کے باب میں جو کچھ سنا تم نے
وہ سب باتیں کتابی اور حسابی ہیں
حقیقت صرف اِتنی ہے
مکاں اور لامکاں کے درمیاں جو
وقت کا دریا سا بہتا ہے
کہیں اُس پر کوئی اِک پُل ہے ۔ جس نے جوڑ رکھا ہے
نگاہوں کی پہنچ سے دور
دو اوجھل کناروں کو
معانی جس نے بخشے ہیں
نئے کچھ اِستعاروں کو
عجب جادو ہے اُس دریا میں اور اُس کے کناروں میں
اگر اپنی طرف سے آکے میں تم کو پکاروں تو
مری آواز تم کو اِس قدر نزدیک سے آتی
ہوئی محسوس ہوگی
جس طرح میں پاس ہوں اتنی کہ تم چاہو
تو مجھ کو بازؤں میں بھر بھی سکتے ہو
میرے کانوں میں چپکے سے وہ باتیں کر بھی سکتے ہو
وہی باتیں جو جانے کب سے کہنا چاہتے تھے تم ۔ !!
کہو نا ۔ ۔ ۔ سُن رہی ہوں میں
اگر تم جاننا چاہو کہ ایسا کس طرح ممکن ہے تو آؤ
وہیں اپنے کنارے پر کھڑے ہو کر مرے بارے میں کچھ سوچو ۔ ۔
لو دیکھو ۔ ۔ آگئی ہوں میں ۔ ۔۔ !!

 

Kahin Ishq ki dekhi ibadat, kahin Ishq ki dekhi inteha,


Kahin Ishq ki dekhi ibadat,

kahin Ishq ki dekhi inteha,

kahin Ishq sooli pe charh gya,

kahin Ishq ka nezy pe sir gya,

kahin Ishq sajdy ma gir gya,

kahin Ishq sy phir gya,

kahin Ishq dars -e- wafa bana,

kahin Ishq na 72(bahtr) sir diya,

kahin Ishq na namaz ko Qaza kea,

kahin Ishq Saife-khuda bana,

kahin Ishq Shere-Khuda bana,

kahin Ishq Toor per deedar hy,

kahin Ishq zibah ko tayar hy,

kahin Ishq ne behka dea,

kahin Ishq na Shah-e-misr bana dea,

kahin Ishq Aankhon ka noor hy,

kahin Ishq koh -e- toor hy

kahin Ishq 'Tu'hi'Tu hua,

kahin Ishq Allah Hoo Hua.......!


Ek Shakhs Ko Dekha Tha Taroon Ki Tarah Hum Ne


Ek Shakhs Ko Dekha Tha Taroon Ki Tarah Hum Ne

Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apno Ki Tarah Hum Ne

Ek Shakhs Ko Samjha Tha Pholon Ki Tarah Hum Ne

Wo Shakhs Qayamat Tha Kya Us Ki Karein Batein

Din Us Ke Liye Paida Aur Us Ki He Thi Ratein

Kab Milta Kisi Se Tha Hum Se Thi Mulaqatein

Rang Us Ka Shahabi Tha Zulfon Mein Thi Mehkarein

Aankhein Thi Ke Jadu Tha
Palkein Thi Ke Talwarein

Dushman Bhi Agar Dekhe So Jan Se Dil Harey

Kuch Tum Se Woh Milta Tha

Baton Men Shahabat Thi
Han Tum Sa He Lagta Tha

Shokhi Mein Shararat Mein
Lagta Bhi Tum He Sa Tha

Dastur-E-Mohabbat Mein
Woh Shakhs Humein Ek Din Apno Ki Tarah Bhoola

Taroon Ki Tarah Dooba Phoolon Ki Tarah Toota

Phir Hath Na Aaya Woh Hum Ne Bohat Dhonda

Tum Kis Liye Chonkey Ho
Kab Zikar Tumhara Hai?

Kab Tum Se Taqaza Hai?
Kab Tum Se Shikayat Hai?

Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo Tou Inayat Hai

Ek Shakhs Ko Cha'ha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne

Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo Tou
Inayat Hai.......?

 

Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yad Aate Hain ILAAHI Tark E Ulfat Par Wo Kiyon Kar Yad Aate Hain

 

Poet: Hasrat Mohani

 

Bhulata Lakh Hon

 

Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yad Aate Hain
ILAAHI Tark E Ulfat Par Wo Kiyon Kar Yad Aate Hain

 Na Cher Ay Hamnasheen Kefiyat E Sahaba K Afsane

 Sharab E Be Khudi K Mujh Ko Sagar Yad Aate Hain 

 Raha Karte Hain Qaid E Hosh Mein Ay Wayi Nakami 

 Wo Dashit E Khud Faramoshi K Chakar Yad Aate Hain 

 Nahi Aati To Yad Un Ki Maheenon Bhar Nahi Aati

 Magar Jub Yad Aate Hain To Aksar Yad Aate Hain
Haqeeqat Khul Gayi Hasrat Tere Tark E Muhbat Ki
Tujhe To Ab Wo Pehle Se Bhi Barh Kar Yad Aate Hain...!


Nigah-E-Aib Geeri Se Jo Dekha Ahl-E-Aalam Ko

Nigah-E-Aib Geeri Se Jo Dekha Ahl-E-Aalam Ko

Koi Kaafir,

Koi Faasiq,

Koi Zindeeq-E-Akbar Tha.

.

Magar Jab Ho Gaya Dil,

Ehtesaab-E-Nafs Par Maa'il,

Howa Saabit

Keh Har Farzand-E-Aadam Mujh Se Behtar Hai........!

 

**********NOMI**********

 

Rang Laye Shaam E Furqat Or Bhi Hai Mujhe Ghum Ki Zaroorat Or Bhi

Poet: Naseer O Deen Naseer
Rang Laye Shaam E Furqat Or Bhi
Hai Mujhe Ghum Ki Zaroorat Or Bhi.

Dil Py Toty Gi Qayamat Or Bhi
Hijar K Kuch Din Hai Hazrat Or Bhi.

Ap Aayain Hai To Baithain Mere Paas
Ik Zara Thori Si Zehmat Or Bhi.

Ishq Main Hum Kis Qadar Girtay Gaye
Barh Gai Hai Qadr O Keemat Or Bhi.

Shaikh Nay Parindon Say Silwatain Suni
Uski Honi Thi Buri Gut Or Bhi.

Unki Baatain Dil Ki Hai Aaina Daar
Khul Gai Sari Haqeeqat Or Bhi.

Haath Mere Dil Pay Rakhtay Jayain
Jate Jate Ye Inayat Or Bhi.

Jis Qadar Wo Door Hum Say Ho Gaye
Barh Gai Un Say Muhabt Or Bhi.

Lay Uraa Zouq E Sukhan Hum Ko "Naseer"
Ho Gai Dunya Main Shohrat Or Bhi........!

Muhabbat Kam Nahin Hoti Ham Aksar Ye Samajhte Hein

Muhabbat Kam Nahin Hoti,

Ham Aksar Ye Samajhte Hein

Jise Ham Pyar Karte Hein

Use Ham Chhor Sakte Hein

Magar Aysa Nahin Hota

Muhabbat Daaimi Sach Hai

Muhabbat Thaher Jaati Hai

Hamari Baat Ke Andar

Hamari Zaat Ke Andar

Magar Ye Kam Nahin Hoti

Kisi Bhi Dukh Ki Surat Mein

Kabhi Koi Zarurat Mein

Kabhi Anjaan Se Gham Mein

Hamari Aankh Ke Andar

Kabhi Aab-e-RawaN Ban Kar

Kabhi Qatre Ki Surat Mein

Muhabbat Thaher Jaati Hai

Ye Hargiz Kam Nahin Hoti............?

Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai K Tum Ho

 

Poet Jan Nisar Akhtar

Type bY
UJJRA_DIL

 

Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai K Tum Ho,

Saya Koi Lehraye To Lagta Hai K Tum Ho,

Jab Shakh Koi Hath Lagate Hai Chaman Mein,

Sharmaye Lachak Jaye To Lagta Hai Keh Tum Ho,

Sandul Se Mehaki Hui Pur'Kaif Hawa Ka,

Jhonka Koi Takraye To Lagta Hai Keh Tum Ho,

Aurrhe Huye Taron Ki Chamkti Hui Chadar,

Nadi Koi Bal Khaye To Lagta Hai Keh Tum Ho,

Jab Raat Gaye Koi Kiran Maire Baraabr,

Chup Chap Si So Jaye,

To Lagta Hai Keh Tum Ho.......................!


Khubsurat Kalai MEn Bar'ray Chah SE,, , Ch00riyaan Ghumatay H0wE Us NE Kaha

 

--

*'Masoom Lar'rki'*

--

Khubsurat Kalai MEn Bar'ray Chah SE,,

,

Ch00riyaan Ghumatay H0wE Us NE Kaha,,

,

SuniyE,, !

,

YE Ch00riyaan DEkhiyE,,

,

KEsi Hain,, ?

,

Ap K0 Pasand Hain,, ?

,

YE Aap K Naam Ki Hain,,

,

Hum NE Aap Ki Taraf  SE Li Hain,,

,

Aap Humaray H0 Na,, ?

,

H0 Na Aap Humaray,, ?

,

Is SE pEhlE K W0h MEri Aankh0n ME,,

,

Chamakty Aansuu DEkhti,,

,

Jaldi SE Main NE Kaha,,

,

Haa'n B0hat Khubsurat Hain YE Ch00riyaan,,

,

Tumhari Kalai MEn Kh00b Sajh Rahi Hain,,

,

MErE Naam Ki DaawE-daar,,

,

W0 Piyaari Mas00m Lar'rki,,

,

Khushi SE Muskura Di,,

,

Aur Bh00L Gai,,

,

ApnE SawaL Ka Jawaab...>*

*._.*

-

TypE By

RaJu-JaaN-*

*

Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay, Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay

 

Poetess Naina'n

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay,

Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay,

Jis Din Ghar Say Bhag K Shehar Ponchi Thi,

Bhag Bhari K Bhag Usi Din Phootay Thay,

Mazhab Ki Bunyad Ye Kaya Taqseem Hui ?

Hamsayon Nay Hamsaye Hi Lootay Thay,

Shokh Nazar Ki Chutki Nay Nuqsan Kiya,

Hathon Say Chae K Bartan Chhootay Thay,

Aurrh K Phirti Hai Jo NAINA'N Sari Raat,

         Us Raisham Ki Shal Pay Yaad K Bootay Thay.................!


Milti Hai Zindagi Mein Mohabbat Kabhi Kabhi, Hoti Hai Dilbron Ki Inayat Kabhi Kabhi

 

Singar Lata Mangeshkar

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Milti Hai Zindagi Mein Mohabbat Kabhi Kabhi,

Hoti Hai Dilbron Ki Inayat Kabhi Kabhi,

Sharma K Mun'h Na Phair Nazar K Sawal Par,

Lati Hai Aisay Muarr Pay Qismat Kabhi Kabhi,

Khultay Nahi Hai Roz Dareechay Bahaar K,

Aati Hai Jaan-E-Mann Ye Qayaamat Kabhi Kabhi,

Tanha Na Kat Sakay Gay Jawani K Rastay,

Paish Aaye Gi Kisi Ki Zaroorat Kabhi Kabhi,

Phir Kho Na Jaein Hum Kahein Dunya Ki Bheerr Mein,

Milti Hai Pas Aanay Ki Muhlat Kabhi Kabhi,

Milti Hai Zindagi Mein Mohabbat Kabhi Kabhi.................!


So Gai Sheher Ki Har Aik Gali,Ab To Aa Ja Keh Raat Bheeg Chali

 

سو گئی شہر کی ہر ایک گلی
.
.
.
اب تو آجا کہ رات بھیگ چلی
.
ناصر کاظمی

 

Kal Chodvein Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Taira

 

Singar King Of Ghazal Mehndi Hassan

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Kal Chodvein Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Taira,

Kuch Nay Kaha Ye Chaand Hai,
Kuch Nay Kaha Chehra Taira,

Is Shehar Mein Kis Say Milein ?
Hum Say To Chhooti Mehfilein,

Har Shakhass Taira Naam Lay,
Har Shakhass Deewana Taira,

Bay Shaq Usi Ka Dosh Hai,
Kehta Nahi Khamosh Hai,

Too Aap Kar Aisi Dawa,
Beemar Ho Achha Taira,

Hum Bhi Wahein Mojood Thay,
Hum Say Bhi Poochha Kiye,

Hum Hans Diye,
Hum Chup Rahay,
Manzoor Tha Pardah Taira,

Bay Shaq Usi Bay Dard Sun'Ni Hai To Chal,
Kehta Hai Kaya Achhi GHAZAL,

Aashq Taira Ruswa Taira Shaair Taira INSHA Taira,

Kal Chodvein Ka Chaand Tha,
Shab Bhar Raha Charcha Taira.................!


Jab Tasvur Maira Chupkay Say Tujhay Chhou Aaye,


Singar Ustad Ghulam Ali

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Jab Tasvur Maira Chupkay Say Tujhay Chhou Aaye,

Apni Har Sans Say Mujh Ko Tairi Khushboo Aaye,

Mashghla Ab Hai Maira Chaand Ko Taktay Rehna,

Raat Bhar Chain Na Kisi Tujh Bin Kisi Pehlou Aaye,

Ghantiya Bajnay Lagi Hijar K Sanattay Say,

Gungunata Huwa Aisay Mein Agar Too Aaye,

Jab Kabhi Gardish-E-Dora'n Nay Sataya Mujh Ko,

Mairi Jaan Tairay Phailay Huye Bazoo Aaye,

Jab Tasvur Maira Chupkay Say Tujhay Chou Aay....................!

 

Zulf Ki Baat Kiye Jatay Hain Din Ko Yuon Raat Kiye Jatay Hain

 


Zulf Ki Baat Kiye Jatay Hain

Din Ko Yuon Raat Kiye Jatay Hain

Chand Aansoo Hain,Inhain Bhi "JALIB"

Nazr-E-Halaat Kiye Jatay Hain


Main Jis Din Bhula Don Taira Pyar Dil Say, Wo Din Aakhri Ho Mairi Zindagi Ka

 

Singar King Of Ghazal

Mehndi Hassan

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Main Jis Din Bhula Don Taira Pyar Dil Say,
Wo Din Aakhri Ho Mairi Zindagi Ka,

Ye Aankhein Usi Raat Ho Jaein Andhi,
Jo Tairay Siwa Daikhay Sapna Kisi Ka,

Mujhay Apnay Dil Say Utrnay Na Daina,

Main Khushboo Hon Mujh Ko Bikhranay Na Daina,

Hamaisha Rahon Main Tairay Bazw'on Mein,

Na Tootay Ye Bandhan Dosti Ka,

Mairi Dharrkanon Mein,
Mohabbat Hai Tairi,

Mairi Zindagi Ab Amaanat Hai Tairi,

Tamna Hai Jin Raston Par Chalay Too,
Nishan Ho Wahan Par Mairi Bandagi Ka,

Main Jis Din Bhula Don Taira Pyar Dil Say,

Wo Din Aakhri Ho Mairi Zindagi Ka......................!

 

Aankhein Bhi Wahi Hain To Dareecha Bhi Wahi Hai, Aor Soch K Aangan Mein Utarta Bhi Wahi Hai


Aankhein Bhi Wahi Hain To Dareecha Bhi Wahi Hai,

Aor Soch K Aangan Mein Utarta Bhi Wahi Hai


Jis Ne Mere Jazbon Ki Sadaqat Ko Na Jana,

Ab Meri Rafaqat Ko Tarasta Bhi Wahi Hai


Is Dil Ke Kharaby Se Guzar Kis Ka Howa Hai,

Aankhein Bhi Wahi,Hont Bhi,Lehja Bhi Wahi Hai


Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhai Ne Tujh Se,

Is Sheher Ki Deewaar Pe Likha Bhi Wahi Hai


Wo Jis Ne Diye Mujh Ko Muhabbat Ke Khazaany,

Badal Ki Tarah Aankh Se Barsa Bhi Wahi Hai.............!


**********NOMI**********


Shikayat To Badltay Lehjon Say Hai


Shikayat To Badltay Lehjon Say Hai

.

.

.

Hawa Pattay Aur Muasam To Kabhi Dil Nahi Torrtay

 

Tum Hi Aa Kar Tham Lo Na Mujhay


Tum Hi Aa Kar Tham Lo Na Mujhay
.
.
.
Sub Nay Chhorr Diya Hai Tumhara Samjh Kar

 

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha, Wahein Khilte To Acha Tha

 

Poet: Sadullah Shah

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha,
Wahein Khilte To Acha Tha,

Tumhi Ko Hum Ne Chaha Tha,
Tumhi Milte To Acha Tha,

Tumhain To Dukh Hi Milna Thay,
Tumhi Ne Sabbar Kheencha Tha,

Tumhare Lab Kisi Lamhe,
Agar Hilte To Acha Tha,

Barri Mushkil Thi Dushman Bhi Mairi Khatir Wahan Pohnchay,

Bala Say Zakham Barrh Jate,
Na Yun Silte To Acha Tha,

Katti Hai SAD Ki Tum Bin Mgar Itni Si Hai Dil Mein,

Agar Aate To Acha Tha,
Agar Milte To Acha Tha....................!
.
Book: Badal Chand Hawa Aur Main
Page Num 94


Zayar're Rang Mi Maraz Na Dy Maraz Nor Dy, Rogh Aalam Ku Ishq Ta Oor Nu Wayi Oor Dy

 

Poet:Ahmad Deen Talib

Type By

*.__NOMI__.* 

 

Zayar're Rang Mi Maraz Na Dy Maraz Nor Dy

Rogh Aalam Ku Ishq Ta Oor Nu Wayi Oor Dy


Che Ye Taw Du Ishq Taw Du Zr'ru Ta Prewat

Andaleeb Du Ghama Tor Shu Na Che Tor Dy


Judayi Du Marg Na Kama Da Ku Ziyata

Ma Ta Kor Be-Yaara Kor Nu Khkaari Gor Dy


Aashiqaano Pu Jarga Patang Ta Owey

Che Du Shammay Na Sang Onakr're Peghoor Dy


Ma Ba Nu Wey Ku Da Naway Gham Mi Nu Wey

Du Bulbul Sara Du Zaagh Pa Baagh Ke Shor Dy


AHMAD DEENA Khalaq Deen Pu Dunya Ghuwar'ri

Hagha Deen Pu Dunya Warok Kar'ri Che Shabkor Dii.......!

 

**********NOMI**********

 

Ku De Sre Shunde Aqiq Du Yaman Nu Wey, Pa Zarai Ba Mi Newaley Laman Nu Wey

 

Poet:Ahmad Deen Talib

 Type By

*.__NOMI__.*

 

Ku De Sre Shunde Aqiq Du Yaman Nu Wey

Pa Zarai Ba Mi Newaley Laman Nu Wey


Yao Saa'at Ku Mi Rahat Wey Be-Lata Na

Rang  Mi Tor Ba Pa Misaal Du Jhuman Nu Wey


Qais Majnoon Ba Du Laila Gheg Ke Naast Wo

Laka Sooya Ku Har Sok Yi Dushman Nu Vii


Du Yousaf A.S Du Ghama R'rond Ba Yaqoob A.S Nu Wo

Ku Du Hijar Sharmakhaan Ye Zaaman Nu Wey


Ghamazyaan Ba Aashiqaano Dalalaan Kr'ru

Ku Pa Kor Ke Yao Tar Bala Shaman Nu Wey


AHMAD DEEN Ba Cha Du Zaana Juda Nu Kr'ro

Pu Maraz Du Aashiqai Ku Paman Nu Wey........!

 

**********NOMI**********

 

Ku Tar Miyanza Seenda De Yosi Shanasii, Sa Faida Da Che De Poore Nu Basii

 

Poet:Ahmad Deen Talib

Type By

*.__NOMI__.* 

 

Ku Tar Miyanza Seenda De Yosi Shanasii

Sa Faida Da Che De Poore Nu Basii


Du Kam-Aslo Ashnayi Du Khar Swarli Da

Naa-Gahan Ba De Du Shaa Na Prebaasii


Du Haya Na Sar're Ghag Kawaly Nu Shi

Ku Sook Wai Jang Jadal La Rapaasii


Ku Du Makh Khaist Ye Gore Shahzada Vii

Pa Amal Ke Vii Bachay Du Kanaasii


Sala Haq Du Yaaranay Wafa Tre Ghuwar're

Wafa Na Lari Pa Zaat Ke Libasii


AHMAD DEENA Du Kam Aslo Yaari Ma Kr'ra

Ku Salaam Darta Kavii Pa Dwa Laasii.........!

 

**********NOMI**********

 

Bahaaar-E-Taaza Ka Haath Thaamay

 

,,,,

*''HASRAT''*

,,,,

Bahaaar-E-Taaza Ka Haath Thaamay,,

,

Barastay Baadal Ki Barish0n MEn,,

,

MEhaktay Gulab0n Ka Jaam Thaamay,,

,

Koi Gulab0n Ki Khaali Shakh0n Pe,,

,

ApnE H0nt0n SE Ph00l Taankay,,

,

Paighaam-E-Subha-E-NavEEd Parrh K,,

,

K0i To Aankh0n Ki Sar-ZamEEn SE,,

,

Sisakti Kaliyon K Moti Chun K,,

,

Pyasay H0nt0n K Maqbaron Par,,

,

Gulaab Rang0n K Haar Daalay..*

K0i Shafaq K Udaas Dil SE,,

,

MEri Muhabbat Ka N0haa Sun K,,

,

Pakar K Kirn0n Ki Ungliyon K0,,

,

TarEEk Raat0n K Kaagz0n Par,,

,

Jugnu0n SE Likhay Ujaalay..*

K0i T0 Hum K0 Bhi Itna S0chay,,

,

K Khud K0 Hum Par Hi Waar Daalay..*

K0i T0 Itna Lipatt K R0yE,,

,

K Ab K Hum K0 Hi Maar Daalay...>*

*._.*

-

C0llEcT By

RaJu-JaaN-*

*

 

Izzat Ghuwar'ra Pa Meqdaar Du Khpal Amal, Na Che Baaz Ghuwar're Du Zarke Pa Badal

 

Poet:Ahmad Deen Talib

Type By

*.__NOMI__.*

 

Izzat Ghuwar'ra Pa Meqdaar Du Khpal Amal,

Na Che Baaz Ghuwar're Du Zarke Pa Badal

Hala Kegi Ashnayi Che Dwar'ra Syaal Vi,

Ghareeb Bad Khkaari Che Aghundi Bakhmal

Na Khuwagigi Keh Ye Der Parwarish Oke,

Kare Sala Du Ganii Pa Khuwa Ke Nal

Pa Der Maal Sara Der Aayal Mua'ash Shi,

Na Shi Kr're Sok Piyaada Du Ass Mazal

Sok Ye Na Aori Che Rekhtiya Wail Trakhu Vi,

Pre Daroogh Lagi Khuwagu Laka A'asal

Pa Dunya Ke Makar Jahal Zulam Na We,

AHMAD DEENA Saaz Ba Saaz Wo Ghal Ba Ghal.......!

 

**********NOMI**********

 

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai, Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai

 

Poetess:Parveen Shkir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai,

Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai


Main Us Ke Khayaal Se Gurezaa'n,

Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai


Tehreer Usi Ki Hai,Magar Dil,

Khat Parhtay Howay Atak Raha Hai


Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatain,

Aor Zehen Kahan Bhatak Raha Hai


Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar,

Saahil Pe Thakan Tapak Raha Hai


Ek Chaand Salaib-E-Shaakh-E-Gul Par,

Baali Ki Tarah Latak Raha Hai...........!

 

**********NOMI**********

 

Theher Jaaye,Magar Raat Katay, Koi Soorat Ho Keh Barsaat Katay

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Theher Jaaye,Magar Raat Katay,

Koi Soorat Ho Keh Barsaat Katay


Khushbouein Mujh Ko Qalam Karti Gayein,

Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay


Mouj-E-Gul Hai Keh Talwaar Koi,

Darmiyan Se Hi Manajaat Katay


Harf Kiyon Apne Ganwaein Ja Kar,

Baat Se Pehle Jahan Baat Katay


Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab,

Aaj Ki Raat Tere Saath Katay


Poray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain,

Sir Katay,Jisam Katay,Zaat Katay..........!

 

**********NOMI**********

 

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha, Neend Mein Saari Raat Chalta Raha

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha,

Neend Mein Saari Raat Chalta Raha

Jaane Kis Dukh Se Dil Girifta Tha,

Munah Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha

Main To Paao'on Ke Kaantay Chunti Rahi,

Aor Wo Raasta Badalta Raha

Raat Jab Galiyon Mein Jab Bhatakti Thi,

Koi To Tha Jo Saath Chalta Raha

Sard Rut Mein,Musafiron Ke Liye

Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha

Mausami Bel Thi Main Sookh Gayi

Wo Tanawar Darakht,Phalta Raha

Dil,Mere Tan Ka Phool Sa Bachha,

Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha

Neend Hi Neend Mein Khilonay Liye

 Khuwaab Hi Khuwaab Mein Behelta Raha......!

 

**********NOMI**********

 

Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hoon, Teri Aawaaz Ka Chehra Main Chhu Kar Dekh Sakti Hoon

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hoon,

Teri Aawaaz Ka Chehra Main Chhu Kar Dekh Sakti Hoon


Abhi Tere Laboon Par Zikar Fasl-E-Gul Nahi Aaya,

Magar Ik Phool Khiltay Apne Andar Dekh Sakti Hoon


Kinaara Dhoondte Ki Chhaah Tak Mujh Main Nahi Ho Gi,

Main Apne Gird Aik  Aisa Samandar Dekh Sakti Hoon


Vasal-O-Hijar Apne Yaksaa'n Hain,Wo Manzar Hai Chahat Mein,

Main Aankhen Band Kar Ke Tujh Ko Aksar Dekh Sakti Hoon


Abhi Tere Siwa Dunya Bhi Hai Maujood Is Dil Mein,

Main Khud Ko Kis Tarah Tere Barabar Dekh Sakti Hoon........!

 

**********NOMI**********

 

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hoon, Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hoon

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*


Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hoon,

Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hoon


Ye Tuo Hai Keh Maira Wehem Hai !

Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hoon


Jaisay Keh Kabhi Na Tha Ta'aruf,

Yun Miltay Howe Jhijak Rahi Hoon


Pehchaan ! Main Teri Roshni Hoon,

Aor Teri Palak Palak Rahi Hoon


Kiya Chain Mila Hai----Sir Jo Iske

Shanon Pe Rakhay Sisak Rahi Hoon


Pathar Pe Khili,Keh Chasham Gul Main

Kaantay Ki Tarah Khatak Rahi Hoon


Jugnoo Kahin Thak Ke Gir Chuka Hai

Jungal Main Kahan Bhatak Rahi Hoon


Gur'rya Meri Soch Ki Chhanni Kiya

Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hoon


Ik Umar Howi Khud Se Lar'rtay

Andar Se Tamam Thak Rahi Hoon


Rus Phir Se Jar'ron Main Ja Raha Hai

Main Shakh Pe Kab Se Pak Rahi Hoon


Takhleeq-E-Jamaal-E-Fun Ka Lamha !

Kaliyon Ki Tarah Chatakh Rahi Hoon.........!

 

**********NOMI**********

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo