Dil Ki Bat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hain

 

 

 

 

Poet Habib Jaleb

 

Dil Ki Bat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hain,

Hum Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bhi Rehte Hain,

Beet Gia Sawan Ka Maheena Mosam Ne Nazrein Badli,

Lekin In Pyasi Aankhon Se Ab Tak Aanso Behte Hain,

Aik Humain Aawara Kehna Koi Bara Ilzam Nahi,

Dunia Wale Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehte Hain,

Jin Ki Khatir Shehr Bhi Chora Jin K Liye Badnam Howay,

Aaj Wohi Hum Se Begane Begane Se Rehte Hain,

Wo Jo Abhi Ir Rah Guzar Se Chaak Gareban Guzra Tha,

Is Aawara Deewane Ko Jaleb Jalab Kehte Hain..........!

 

Page23

 

 

محبت حرفِ اول ہے محبت حرفِ آخر ہے


"محبت"

محبت حرفِ اول ہے

محبت حرفِ آخر ہے

یہ ہے اک ایسا جذبہ جو

ظہور اپنے میں ماہر ہے

زمانے میں اداسی بھی

محبت بانٹ سکتی ہے

کسی کے دل سے نفرت کو

محبت چھانٹ سکتی ہے

محبت باوفا بھی ہے

محبت دل ربا بھی ہے

محبت کرنے والوں کو

محبت سے گلہ بھی ہے

محبت میں جو ہوتے ہیں

گلے وہ سب محبت ہیں

لگن چاہت وفاداری

یہ سارے ڈھب محبت ہیں

محبت آن جیسی ہے

محبت مان جیسی ہے

محبت پھول جیسی ہے

محبت جان جیسی ہے

محبت جان لیتی ہے

محبت جان دیتی ہے

محبت سرفروشی کو

ہمیشہ مان لیتی ہے

محبت اک تبسّم ہے

جو پھولوں میں بھی کھلتا ہے

کبھی تتلی کے پنکھوں میں

کبھی ممتا میں ملتا ہے

محبت سانس لیتی ہے

محبت دیکھ سکتی ہے

محبت ساتھ چلتی ہے

محبت رہ بدلتی ہے

کسی کی شادمانی کو

محبت سوچ سکتی ہے

یہ ساری زندگانی کے

غموں کو نوچ سکتی ہے

محبت اک نگینہ ہے

یہ جینے کا قرینہ ہے

نہیں جو ڈوبنے پاتا

محبت وہ سفینہ ہے

جہاں کے سب مذاہب میں

محبت کا تقدّس ہے

یہی انساں کے جذبوں میں

عطا سب سے مقدس ہے

محبت کا یہ جذبہ اب

بڑا پامال ہوتا ہے

یہ جس کے دل میں بس جائے

بہت بے حال ہوتا ہے

محبت کل بھی ہوتی تھی

محبت اب بھی ہوتی ہے

مگر اپنے مقدر پر

محبت آج روتی ہے



Azan E Husn Deti Hai Tere Rukhsar Ki Masjid

 

 

Poet Muzafar Warsi

 

Bikta Hai Husn Bhi Zikar Misar K Bazar Ka Kar Lon,

Ya Tazkara Anaar Kali Saleem K Darbar Ka Kar Lon,

Din Is Qadar Tohamaten Mujhe Aalam-E-Ishq Ne,

Sochta Hon Rukh Apna Bhi Saf-E-Aghyar Ko Kar Lon,

Kehta Hai MUZAFAR Ishq Bhi Aik Kaam Hota Hai,

Chalo Phir Fikar Darvesh Apne Rozgar Ka Kar Lon,

Gunha Ishq Sunta Hon Main Sadion Se Jari Hai,

Main Jata Hon K Aik Tawaf Pane Dildar Ka Kar Lon,

Azan-E-Husan Deti Hai Tere Rukhsar Ki Masjid,

Ijazat Ho Darvesh Honton Se Aik Sajda Payar Ka Kar Lon...........!

 

 

Gali Main Ab Nikalti Hai Woh Potay Potiyan Le Kar


Gali Main Ab Nikalti Hai Woh Potay Potiyan Le Kar,

+

+

+

Mere Chashma Lagany Tak Woh Ojhal Ho Hi Jati Hai.

 

 

Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya



Poetess Parveen Shakir


Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya

Hawa Ke Paas Barhana Kaman Chor Gaya

Rafaqton Ka Meri Us Ko Dehaan Kitna Tha

Zameen Ley Li Magaer Aasmaan Chor Gaya

Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke Bhi

Khule Dareeche Pe Ik Phool_Dan Chorr Gaya

Jo Badloon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha

Barhi Hai Dhoop To Be_Saibaan Chor Gaya

Nikal Gaya Kahin An_Dekhe Paniyon Ki Taraf

Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya

Uqaab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se

Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jaan Chor Gaya

Najane Kon Sa Aasaib Dil Mein Basta Hai

Ke Jo Bhi Thehra Wo Aakhir Makaan Chor Gaya

Aqab Me Gehra Samandar Hai, Saamne Jangal

Kis Inteha Pe Mera Meharban Chor Gaya


DaSHT-E-TaNHai

 

 


Raat Chupke Se December Ne Ye Sargoshi Ki



*****DECEMBER*****


Raat Chupke Se December Ne Ye Sargoshi Ki,

+

+

+

Phir Se Ek Baar Rula Dun Tujhe Jaate Jaate.....!



Ye hawaa kaise urraa le gayi aanchal mera




Ye hawaa kaise urraa le gayi aanchal mera..!!??
Yu'n sataane ki aadat toh mere Ghanshyaam ki thi..!!

Parveen Shakir

 

 

Wajood Apna, Na Rooh Apni




وجود اپنا، نہ روح اپنی

بس اک تماشہ یہ زیست ٹھہری

نہ دل لگی میں سکون پایا

نہ عاشقی میں قرار پایا

نہ وصال لمحے یہ راس آئے

نہ ہجر ہی ہم گُزار پائے

عجیب چاہت کے مرحلے ہیں

نہ جیت پائے، نہ ہار پائے

نہ تیری یادوں کی دُھند اُتری

نہ دل کے دامن کو جھاڑ پائے

نہ آنکھیں خوابوں کو ڈھونڈ پائیں

نہ خواب آنکھوں کو ڈھونڈ پائے

عجب تماشہ یہ زیست ٹھہری

وجود اپنا، نہ روح اپنی....



Kabhi Kitabon Main Phool Rakhna





ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺘﺎﺑﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭘﮭﻮﻝ ﺭﮐﮭﻨﺎ
ﮐﺒﮭﯽ ﺩﺭﺧﺘﻮﮞ ﭘﮧ ﻧﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﮨﻤﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﮨﮯ ﯾﺎﺩ ﺁﺝ ﺗﮏ ﻭﮦ
ﻧﻈﺮ ﺳﮯ ﺣﺮﻑ ﺳﻼﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﻭﮦ ﭼﺎﻧﺪ ﭼﮩﺮﮮ ﻭﮦ ﺑﮩﮑﯽ ﺑﺎﺗﯿﮟ
ﺳﻠﮕﺘﮯ ﺩﻥ ﺗﮭﮯ ﻣﮩﮑﺘﯽ ﺭﺍﺗﯿﮟ
ﻭﮦ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﺳﮯ ﮐﺎﻏﺬﻭﮞ ﭘﺮ
ﻣﺤﺒﺘﻮﮞ ﮐﮯ ﭘﯿﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﻣﺮﮮ ﻧﮕﺮ ﮐﯽ ﺣﺴﯿﮟ ﻓﻀﺎﺅ
ﮐﮩﯿﮟ ﺟﻮ ﺍﻥ ﮐﺎ ﻧﺸﺎﻥ ﭘﺎﺅ
ﺗﻮ ﭘﻮﭼﮭﻨﺎ ﯾﮧ ﮐﮩﺎﮞ ﺑﺴﮯ ﮨﻮ
ﮐﮩﺎﮞ ﮨﮯ ﺍﻥ ﮐﺎ ﻗﯿﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﮐﮭﻠﯽ ﻓﻀﺎﺅﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﺎﻧﺲ ﻟﯿﻨﺎ
ﻋﺒﺚ ﮨﮯ ﺍﺏ ﺗﻮ ﮔﮭﭩﻦ ﮨﮯ ﺍﯾﺴﯽ
ﮐﮧ ﭼﺎﺭﻭﮞ ﺟﺎﻧﺐ ﺷﺠﺮ ﮐﮭﮍﮮ ﮨﯿﮟ
ﺻﻠﯿﺐ ﺻﻮﺭﺕ ﺗﻤﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﮔﺌﯽ ﺭﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺣﺴﻦ ﮨﻤﺎﺭﺍ
ﺑﺲ ﺍﯾﮏ ﮨﯽ ﺗﻮ ﯾﮧ ﻣﺸﻐﻠﮧ ﺗﮭﺎ
ﮐﺴﯽ ﮐﮯ ﭼﮩﺮﮮ ﮐﻮ ﺻﺒﺢ ﮐﮩﻨﺎ
ﮐﺴﯽ ﮐﯽ ﺯﻟﻔﻮﮞ ﮐﻮ ﺷﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ

 

 

Mar Bhi Jaon To Kahan Log Bhula Hi Dengay



 

مر بھی جاوں تو کہاں لوگ بھلا ہی دینگے
 

لفظ میرے،میرے ہونے کی گواہی دینگے

 

26 دسمبر پروین شاکر کی برسی ہے،،،،،،آپ کن کلمات سے یاد کریں گے پروین شاکر کو،،،،،

 

Kia Howa Too Ne Jo Paiman-E-Wafa Torr Dia Main Ne Khud

 

 

Poet Jaan Nisar Akhtar

Type bY
    UJRRA_DIL

 

Kia Howa Too Ne Jo Paiman-E-Wafa Tor Dia?

Main Nay Khud Bhi To Kisi Phool Say Nazuk Dil Ko,

Waqat Ki Rait Pay Tapta Huwa Chorra Tha Kabhi,

Apna Paiman-E-Wafa Jaan K Torra Tha Kabhi,

Kaya Huwa Tujh Ko Agar Mujh Say Mohabbat Na Rahi,

Zindagi Aap Tagheer Ka Fasana Jab Ho,

Dil K Jazabat Bhi Har Aan Badl Sakte Hain,

Ashak Khud Barf K Sanche Mein Dhal Sakte Hain,

Kaya Huwa Phair Li Toone Jo Nigahein Mujh Say,

Aabgeenon K Haseen Qalb Say Kitni Kiranein,

Bay Kasi Akas K Khamosh Guzar Jati Hai,

Kitni Mojein Hain Jo Ban Ban K Bikhar Jati Hai,

Kaya Huwa Torr Diya Toone Agar Saz Maira,

Chheen Sakta Nahi Mujh Say Maire Naghme Koi,

Saz Ka Kaya Hai ?
Bin Saz Bhi Ga Sakta Hon,

Aaj Bhi Aik Haseen Aag Laga Sakta Hon,

Kaya Huwa Torr Diya Toone Agar Saz Maira.................!
.
Page 71 72

 

Ye Zulf Barham Ye Chashm Pur Name Ab Mujh Ko

Poet Jaan Nisar Akhtar

Type bY


    UJRRA_DIL

 

Ye Zullf Barham Ye Chasham Pur Nam,

Ab Mujh Ko Kho Kar Kion Is Qadr Gham ?

Utra Sa Chehra Simte Abroo,

Doobi Si Nazarein Khoya Sa Aalm,

Gham K Asar Say Nazuk Tabiyat,

Har Lahza Darham Har Lahza Barham,

Taire Karam K Shayan Hi Kab Tha ?

Main Nang Hasti Main Nang Aalm,

Maira To Sajda Zilat Hai Tairi,

Taire Qadm Par Konain Hai Kham,

Mairi Mohabct Zehar Ab Mujh Ko,

Mairi Wafa Bhi Mairi Liye Sam,

Aahein Bhi Mairi Baad-E-Mukhaalif,

Aansoo Bhi Maire Kanton Pay Shabnum,

Bay Has Hai Ab To Qalb-E-Tamna,

Yaksan Hai Ab To Har Shadi-O-Gham,

Har Cheez Khoi Khoi Si,

Har Shakal Har Shay Mabham Mabham,

Main Aur Khud Ko Bhoola Huwa Sa,

Too Aur Tujh Par Maira Sa Aalm,

Ab Toone Chaha Ab Toone Manga,

Ab Dil Kahan Say Ho Gaa Faraahm.........?
.
Page

70

 

Ye Kon Taair E Sadraha se hum kalam aaya

 

 

Poet Nasir Kazmi

 

Type bY


    UJRRA_DIL

 

Ye Kon Taair-E-Sadra'ha Se Ham Kalaam Aaya ?

Jahaan-E-Khak Ko Phir Arsh Ka Salam Aaya,

Jabeen Bhi Sajd'ha Talb Hai Ye Kaya Muqam Aaya,

Zaban Pay Baar-E-KHUDAYA Ye Kis Ka Naam Aaya ?

Keh Maire Nataq Ne Boose Meri Zaban K Liye,

Khat-E-Jabeen Taira UM-ULL-Kitaab Ki Tafseer,

Kahan Se Laon Tera Misal Aur Teri Nazeer,

Dikhaon Paikar-E-Alfaz Mein Teri Tasveer,

Misal Ye Mairi Koshish Ki Hai Keh Margh-E-Aseer,

Kare Qafas Mein Farahim Khass Aashiyan K Liye,

Kahan Wo Paikar-E-Noori Kahan Wo Qaba-E-Ghazal,

Kahan Wo Arash-E-Makeen Aur Kahan Wo Nawa-E-Ghazal,

Kahan Wo Jalwa-E-Ma'ana Kahan Wo Rada-E-Ghazal,

Baqadr-E-Shoq Nahi Zarf-E-Tangna-E-Ghazal,

Kuch Aur Chahiye Was'at Maire Bayan K Liye,

Thaki Hai Fikar-E-Rasa Aur Madah Baqi Hai,

Qalam Hai Aabla Pa Aur Madah Baqi Hai,

Tamam Umer Likha Aur Madah Baqi Hai,

Waraq Tamam Hua Aur Madah Baqi Hai,

Safeena Chahiye Is Behar-E-Baikraa'n K Liye..................!

 

Book Nishat-E-Khawab

Page 41/42

 

 

Subha Se Hai Gharz Na Sham Se Kaam Zindagi ko hai Apne

Poet Naseer-O-Deen Naseer

Subha Se Hai Gharz Na Sham Se Kaam,

Zindagi Ko Hai Apne Kaam Se Kaam,

Hum Ko Hai Maye K Ehtamam Se Kaam,

Khoob Chalta Hai Dhoom Dhaam Se Kaam,

Aye Mazaq-E-Talab Udhar Le Chal,

Aa Parra Un Un K Lutf-E-Aam Se Kaam,

Aap Lain Mere Khilaf Saboot,

Chal Sake Ga Na Iteham Se Kaam,

Hum Ne Poocha To Hans K Farmaya,

Aap Ko Kia Humare Naam Se Kaam,

Bat Karne Pe Wo Bigarta Tha,

Ban Gia Nama-O-Payam Se Kaam,

Jag Uthi NASEER Ki Qismat,

Aap Ko Aur Is Ghulam Se Kaam........?

Page 75

December Hosh Kar Pagal Ye Tujh Ko Kia Howa Aakhir

 

 

---<SHIKWA>---

 

''December Hosh Kar Pagal Ye Tujh Ko Kia Howa Aakhir,

Bina Barse Chale Ana Teri Aadat Na Thi Pehle.

 

---<JAWAB-e-SHIKWA>---

 

December Ibn E Aadam To Nahi Jo Tever Badle Ga,

Zara Toote Dilon  K Anganon Main Dekho December Khoob Barsa Hai...



Hawa NaYad Aur Aaj Gosha E Geer Aisa Rag E Gulo Mein Howa

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Hawa Nayad Aur Aaj Hai Gosha-E-Geer Aisa,

Rag-E-Gulo Mein Howa Hai Piwast Teer Aisa,

Na Aap Khulta Na Mera Ahwal Pochta Hai,

Rah-E-Wafa Mein Ye Mil Gia Kon Meer Aisa,

Bandhe Howay Hath Ka Bhi Us Ko Malal Kab Hai,

Shareek-E-Parwaz Kar Raha Hai Aseer Aisa,

Na Mit Sake Ga Koi Mere Sheesha Gar Se Keh De,

Jo Fasla Parr Gia Dilon Mein Lakeer Aisa,

Main Dono Hathon Ko Chor Kar Chal Rahi Hon Phir Se,

Sara-E-Rada Khara Hai Ek Dastageer Aisa..............!

 

 

 

Kahin Ishq Ki Dekhi Ibteda


 

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﮐﯽ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﺍﺑﺘﺪﺍ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﮐﯽ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﺍﻧﺘﮩﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳُﻮﻟﯽ ﭘﺮ ﭼﮍﮪ ﮔﯿﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﮐﺎ ﻧﯿﺰﮮ ﭘﺮ ﺳﺮ ﮔﯿﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﺠﺪﮮ ﻣﯿﮟ ﮔِﺮ ﮔﯿﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﺠﺪﮮ ﺳﮯ ﭘﮭﺮ ﮔﯿﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺩﺭﺱِ ﻭﻓﺎ ﺑﻨﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺣﺴﻦِ ﺍﺩﺍ ﺑﻨﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺳﺎﻧﭗ ﺳﮯ ﮈﺳﻮﺍ ﺩﯾﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﻧﻤﺎﺯ ﮐﻮ ﻗﻀﺎ ﮐﯿﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﯿﻒِ ﺧﺪﺍ ﺑﻨﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺷﯿﺮ ﺧﺪﺍ ﺑﻨﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻃُﻮﺭ ﭘﺮ ﺩﯾﺪﺍﺭ ﮨﮯ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺫﺑﺢ ﮐﻮ ﺗﯿﺎ ﺭ ﮨﮯ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺑﮩﮑﺎ ﺩﯾﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺷﺎﮦِ ﻣﺼﺮ ﺑﻨﺎ ﺩﯾﺎ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﺎ ﻧﻮﺭ ﮨﮯ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﮐﻮﮦِ ﻃُﻮﺭ ﮨﮯ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺗُﻮ ﮨﯽ ﺗُﻮ ﮨﮯ

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺍﻟﻠﮧ ﮨُﻮ ﮨﮯ۔

 

 

Hasrat Bhari Nigahon Ko Aaram Tak Nahi



*****Haal-E-Tanhai*****

 

Hasrat Bhari Nigahon Ko Aaram Tak Nahi,

Wo Yon Badal Gaya K Ab Salam Tak Nahi,

Jis Ki Talab Main Zindagi Apni Guzaar Di,

Os Be-Wafa K Lab Pe Mera Naam Tak Nahi,

Jo Keh Gay Thy Shaam Ko Baithen gy Aaj Phir,

Kuch Saal Ho Gay Koi Paighaam Tak Nahi,

Madfoon Hon Tere Hijar Ki ik Aisi Qabar Main,

Kutby Pe Jis Ki Aaj Koi Naam  Tak Nahi,

Be-Ikhtiyaar Uththay Hain Mery Qadam Udhar,

Haalan Ke Os Gali Main Mujhe Kaam Tak Nahi...!

 

*************NOMI*************


Aankhon Se Meri Is Liye Lali Nahi Jati Yadon Se Koi Rat Jo Khali

 

Poet Wasi Shah

 

Ankhon Se Meri Is Liye Lali Nahi Jati,

Yadon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati,

Ab Umar Na Mosam Na Wo Raste Keh Palatte,

Is Dil Ki Magar Kham Khayali Nahi Jati,

Aya Koi Aa Kar Ya Tere Dard Sambhalay,

Hum Sai To Ye Jageer Sambhali Nahi Jati,

Maloom Humain Bhi Haan Bahut Se Tere Qisse,

Har Bat Teri Hum Sai Uchali Nahi Jati,

Humrah Tere Phool Khilati Thi Jo Dil Mein,

Ab Sham Wo Dard Se Khali Nahi Jati,

Hum Jan Sai Jain Gay Tabhi Bat Bane Gi,

Tum Se To Koi Rah Nikali Nahi Jati............!

 

Tere Hijar Kisi Ka Youn Hi Subha-O-Sham Karna Kabhi Aah Bhar K Rona Kabhi Ro K Aah Bharna

 

 

Poet Syed Ameen Gilani

 

Tere Hijar Mein Kisi Ka Yonhi Subh-0-Sham Karna,

Kabhi Aah Bhar K Rona
Kabhi Ro K Aah Bharna,

Kisi Gham Gusar Ne Jab Mere Dil Ka Haal Pocha,

Kabhi Bat Kar K Rona,
Kabhi Ro K Bat Karna,

Kabhi Keh Bhi Di Jo Dil Ki To Nazar Bacha K Dekha,

Kahein Rooth Hi Na Baithein,

Mera Jee Hi Jee Mein Darna,

Sar-E-Bazam Youn Satana K Mujhe Dekha Dekha Kar,

Kabhi Is Se Bat Kar Karna
Kabhi Us Se Bat Karna,

Wo Shabaab Ka Zamana
Mera Nit Naya Fasana,

Kabhi Is Haseen Pe Marna,

Kabhi Us Haseen Pe Marna,

Kai Gham Ki Ghatian Hain Kai Dukh Ki Khaian Hain,

Koi Sahal To Nahi Hai
Rah-E-Ishq Se Guzarna,

Teri Mehrbanion Se Mujhe Aa Gia Hai Aye Jan,

Tera Name Le K Jeena Tera Name Le K Marna,

Ye AMEEN Ki Sadgi Thi Jo Raha Wafa Pe Qaim,

Unhein Dijiye Mubarik Jinhain Aa Gia Mukarna.............!

 

 

Hazar Parda E Mehmal Uthe Howay Hain to Kua

 

Poet Jaan Nisar Akhtar

Type bY
     UJRRA_DIL

 

Hazar Parda-E-Mehmal Uthe Howay Hain To Kia?

Wo Mairi Laila Aashfta Sar Kahan Say Mile,?

Nazar Nazar Mein Haseenon Ki So (100) Taqaze Hain,

Jo Mujh Say Kuch Na Kahe Wo Nazar Kahan Say Mile ?

Main Lay K Jaon Kahan Apne Dil K Tukrro Ko ?

Mujhe Mile To Maira Sheesha Gar Kahan Say Mile ?

GHAZAL Mein Kijiye Ab Haal-E-Dil Bayan Bhi To Kaya ?

Wo Daad-E-Ras Nigaah-E-Mukhtsar Kahan Say Mile...................?
.
Page Num 69

 

Lut Gai Youn Sar-E-Bazar Wafa Ki Ponji



 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo