Aaj Phir Dard o Gham Ke Dhagay Mein Hum Pero Kar Tere Khayal Ke Phool



آج پھر درد و غم کے دھاگے میں​
ہم پرو کر ترے خیال کے پھول​
Aaj Phir Dard o Gham Ke Dhagay Mein
Hum Pero Kar Tere Khayal Ke Phool


ترکِ الفت کے دشت سے چن کر​
آشنائی کے ماہ و سال کے پھول​
Tark e Ulfat Ke Dasht Se Chun Kar
Aashnaai Ke Maah o Saal Ke Phool


​تیری دہلیز پر سجا آئے​
پھر تری یاد پر چڑھا آئے​
Teri Dahleez Par Saja Aaye
Phir Teri Yaad Par Charha Aaye


​باندھ کر آرزو کے پلے میں​
ہجر کی راکھ اور وصال کے پھول​
Bandh Kar Aarzoo Ke Palay Mein
Hijar Ki Raakh Aur Wisaal Ke Phool


فیض احمد فیض
Faiz Ahmad Faiz


Kia rabat kisi anjuman arai se mera Bharta hi nahin dil kabhi tanhai se mera



Kia rabat kisi anjuman arai se mera
Bharta hi nahin dil kabhi tanhai se mera

What is my contact with any anjuman arai
My heart never gets satisfied with loneliness


Humko Mita Sake Wo Zamane Mein Dum Nahi Humse Zamana Khud Hai Zamane Se Hum Nahi



Humko Mita Sake Wo Zamane Mein Dum Nahi
Humse Zamana Khud Hai Zamane Se Hum Nahi


There is no power in the world that can erase us
We are the world, we are not from the world


Dushmanon se muhabbat hone lagi hai mujhe Jaise jaise doston ko aazmaata ja rahi hoon main



Dushmanon se muhabbat hone lagi hai mujhe
Jaise jaise doston ko aazmaata ja rahi hoon main


Kis Ko Dekhon Keh Tere Nam Ka Nasha Utrey Kis Ko Chahon Jo Tere Sehar Ko Kamtar Kar Dey



کس کو دیکھوں کہ  تیرے نام کا نشہ اُترے
کس کو چاہوں جو تیرے سحر کو کمتر کر دے

Kis Ko Dekhon Keh Tere Nam Ka Nasha Utrey
Kis Ko Chahon Jo Tere Sehar Ko Kamtar Kar Dey



Meri Aankhon Mein Aao _Chup Jao Bhool Jaogy Tum Sab Panah-gahein



میری آنکھوں میں آؤ_چھپ جاؤ
بھول جاؤ گے تم سب پناہ گاہیں
♥♥
Meri Aankhon Mein Aao _Chup Jao
Bhool Jaogy Tum Sab Panah-gahein

♥♥


Ajeeb Sanjeedgi Odey Buhat Uljhi See Larki Hoon Log Muhabbat Ke Peechay Bhagtay Hein Main Muhabbat Se Bhagi Hoi Larki Hoon




عجیب سنجیدگی اوڑھے
بہت الھجی سی لڑکی ھوں
لوگ محبت کے پیچھے بھاگتے ہیں
میں محبت سے بھاگی ہوئ لڑکی ھوں

Ajeeb Sanjeedgi Odey
Buhat Uljhi See Larki Hoon
Log Muhabbat Ke Peechay Bhagtay Hein
Main Muhabbat Se Bhagi Hoi Larki Hoon


Maslak Juda Milay Kahein Firqay Juda Milay Ab Aisi Bheed Bhad Mein Kaise Khuda Milay




مسلک جدا ملے،کہیں فرقے جدا ملے
اب ایسی بھیڑ بھاڑ میں٫ کیسے خدا ملے

Maslak Juda Milay Kahein Firqay Juda Milay
Ab Aisi Bheed Bhad Mein Kaise Khuda Milay


Tanha rehna toh muhabbat walon ki ek rasm hai, Agar phool sirf khushi ke liye hote toh janaze par na dale jatey



Tanha rehna toh muhabbat walon ki ek rasm hai,
Agar phool sirf khushi ke liye hote toh janaze par na dale jatey

Living alone is a custom of lovers,
If flowers were only for happiness then they wouldn't have been put on the funeral


Jo apni hai wo khaak-e-dil-nasheen hi kaam aayegi Giroge aasmaan se jab zameen hi kaam aayegi



जो अपनी है वो ख़ाक- ए -दिल -नशीं ही काम आएगी
गिरोगे आसमां से जब, ज़मीं ही काम आएगी।

ज़फ़र गोरखपुरी

Jo apni hai wo khaak-e-dil-nasheen hi kaam aayegi
Giroge aasmaan se jab zameen hi kaam aayegi

Zafar Gorakhpuri

Dekh tu kesi ko bin mangy mayaseer hai Or hum ne raatain guzar di tujhy manngne mein



Dekh tu kesi ko bin mangy mayaseer hai
Or hum ne raatain guzar di tujhy manngne mein

Do whatever you want, there is no punishment. The world is thinking that God is not there.




Do whatever you want, there is no punishment.
The world is thinking that God is not there.
You are teaching us the dreams of new dreams.
You have no way.
Why don't they fear the pain of their face
Now they have no mirror.
All are angels sent down from the sky
There is no bad in today's people.
Do whatever you want, there is no punishment
The world is thinking that God is not there
You are teaching us the dreams of new destinations
You don't have any way
All are angels descended from the sky
Today's people are not bad at all


Koi lamha Ho Tere saath ka Meri umrr bhar ko samet Le Mai'n fanaa baqaa Ke sabhi safar Usi ek pal me guzaar doon



ﮐﻮﺋﯽ ﻟﻤﺤﮧ ﮨﻮ ﺗﯿﺮﮮ ﺳﺎﺗﮫ ﮐﺎ
ﻣﯿﺮﯼ ﻋﻤﺮ ﺑﮭﺮ ﮐﻮ ﺳﻤﯿﭧ ﻟﮯ
ﻣﯿﮟ ﻓﻨﺎ ﺑﻘﺎ ﮐﮯ ﺳﺒﮭﯽ ﺳﻔﺮ
اﺳﯽ ﺍﯾﮏ ﭘﻞ ﻣﯿﮟ ﮔﺰﺍﺭ ﺩﻭں

Koi lamha Ho Tere saath ka
Meri umrr bhar ko samet Le
Mai'n  fanaa baqaa Ke sabhi safar
Usi   ek   pal   me   guzaar   doon

Uss Ko Pardey Ka Taraddud Nahi Karna Padta Aisa Chehra Hai Keh Dekhen Tou Haya Aati Hai



Uss Ko Pardey Ka Taraddud Nahi Karna Padta
Aisa Chehra Hai Keh Dekhen Tou Haya Aati Hai

Gardish e Maah Ke Hum Nahi Paband Eid Kar Lengy Jab Khushi Hogi



Gardish e Maah Ke Hum Nahi Paband
Eid Kar Lengy Jab Khushi Hogi


Jane Kis Baat Ka Karta Hai Ishara Lehja Itni Maasoom Nigahon Ka Ye Piyara Lehja



Jane Kis Baat Ka Karta Hai Ishara Lehja
Itni Maasoom Nigahon Ka Ye Piyara Lehja

Sab Ko Andar Se Gunahangaar Kiye Jata Hai
Aap Kuch Talakh Karen Apna Khudra Lehja

Aap Ik Baar Zara Phir Se Uthaein Palkein
Hum Samajh Paaye Nahi Aap Ka Sara Lehja

Sagheer Ahmad Sagheer


Ehsaan Nahin Khwaab Mein Aaye Jo Mere Paas Chori Ki Mulaqaat Mulaqaat Nahin Hoti




Daaein Bazo Mein Gada Teer Nahi Khench Saka Iss Liye Khoul Se Shamsheer Nahi Khench Saka



دائیں بازو میں گڑا تیر نہیں کھینچ سکا
اس لئے خول سے شمشیر نہیں کھینچ سکا
Daaein Bazo Mein Gada Teer Nahi Khench Saka
Iss Liye Khoul Se Shamsheer Nahi Khench Saka


شور اتنا تھا کہ آواز بھی ڈبے میں رہی
بھیڑ اتنی تھی کہ زنجیر نہیں کھینچ سکا
Shor Itna Tha Keh Aawaaz Bhi Dabbey Mein Rahi
Bheed Itni Thi Keh Zanjeer Nahi Khench Saka


ہر نظر سے نظرانداز شدہ منظر ہوں
وہ مداری ہوں جو رہگیر نہیں کھینچ سکا
Har Nazar Se Nazarandaz Shuda Manzar Hoon
Woh Madari Hoon Jo Rahgeer Nahi Khench Saka


میں نے محنت سے ہتھیلی پہ لکیریں کھینچیں
وہ، جنہیں کاتبِ تقدیر نہیں کھینچ سکا
Main Ne Mehnat Se Hathaili Pe Lakeeren Khenchein
Woh Jinhein Katib e Taqdeer Nahi Khench Saka


میں نے تصویر کشی کر کے جواں کی اولاد
ان کے بچپن کی تصاویر نہیں کھینچ سکا
Main Ne Tasweer Kashi Kar Ke Jawan Ki Aolaad
Unke Bachpan Ki Tasaweer Nahi Khench Saka


مجھ پہ اک ہجر مسلط ہے ہمیشہ کے لئے
ایسا جن ہے کہ کوئی پیر نہیں کھینچ سکا
Mujh Pe Ik Hijar Musallat Hai Hamaisha Ke Liye
Aisa Jin Hai Keh Koi Peer Nahi Khench Saka


تم پہ کیا خاک اثر ہو گا مرے شعروں کا؟
تم کو تو میر تقی میر نہیں کھینچ سکا
Tum Pe Kia Khaak Asar Hoga Mere Shairon Ka?
Tum Ko Tou Meer Taqi Meer Nahi Khench Saka


عمیر نجمی
Umair Najmi



HUM Se Nahien Rishtah Bhi HUM Se Nahien Milta Bhi Haey Woh Pass Baitha Bhi Dhokah Ho To Aisa Ho



ہَم  سے  نَہِیں  رِشتہ  بھِی ،  ہَم  سے  نَہِیں   مِلتا  بھِی
ہَے  وُہ  پاس  بیٹھا  بھِی ،  دَھوکہ  ہو تو  اَیسا   ہَو

HUM Se Nahien Rishtah Bhi
HUM Se Nahien Milta Bhi
Haey Woh Pass Baitha Bhi
Dhokah  Ho To Aisa Ho



Merey bas mein hoo tou lehron ko itna haq bhi na doon Likhon kinaaron pey naam tera aur ussay chhonay tak na doon



Merey bas mein hoo tou lehron ko itna haq bhi na doon
Likhon kinaaron pey naam tera aur ussay chhonay tak na doon



Waisey tou kuj adaaee ka dukh kab nahi saaha Aaj uski berukhi nay magar dil dukhaaya bohat



Waisey tou kuj adaaee ka dukh kab nahi saaha
Aaj uski berukhi nay magar dil dukhaaya bohat


Ban ke teeg ghazab mileingey aap Yuun galey mujh se kab mileingey aap



Ban ke teeg ghazab mileingey aap
Yuun galey mujh se kab mileingey aap
Dam e rukhsat yeh chhero tou dekho
Mujh se kehtey hain  kab mileingey aap



Bosa Talab Kia Tou Kehne Laga Woh Butt Qudrat Khuda Ki Tum Ko Bhi Ye Housla Hoa?




بوسہ طلب کیا تو یہ کہنے لگا وہ بت
قدرت خدا کی تم کو بھی یہ حوصلہ ہوا؟

Bosa Talab Kia Tou Kehne Laga Woh Butt
Qudrat Khuda Ki Tum Ko Bhi Ye Housla Hoa?



Mujhe Aisa Lutf Kia ,Jo Hijar Tha Na Wisal Tha Mere Mousamon Ke Mizaj-Dan , Tujhe Mera Kitna Khayal Tha



مجھے ایسا لطف عطا کیا، جو ہجر تھا نہ وصال تھا
 مرے موسموں کے مزاج داں، تجھے میرا کتنا خیال تھا
کسی اور چہرے کو دیکھ کر، تری شکل ذہن میں آگئی
 تیرا نام لے کے ملا اسے، میرے حافظے کا یہ حال تھا
کبھی موسموں کے سراب میں، کبھی بام و در کے عذاب میں
 وہاں عمر ہم نے گزار دی، جہاں سانس لینا مُحال تھا
کبھی تُو نے غور نہیں کیا، کہ یہ لوگ کیسے اُجڑ گئے؟
 کوئی میر جیسا گرفتہ دل، تیرے سامنے کی مثال تھا
تیرے بعد کوئی نہیں ملا، جو یہ حال دیکھ کے پوچھتا
 مجھے کس کی آگ جُھلسا گئی؟ میرے دل کو کس کا مَلال تھا؟
کہیں خون ِدل سے لکھا تو تھا، تیرے سال ِہجر کا سانحہ
 وہ ادھوری ڈائری کھو گئی، وہ نجانے کون سا سال تھا؟
اعتبار ساجد


Aainay Ki Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye Jane Ab Kia Kia Dekhaye Ga Tumhara Dekhna



آئینـے کی آنکھ ہی کُچھ کم نـہ تھی میرے لئے
جانـے اب کیا کیا دِکـھائے گا، تـمھارا دیکھنا
پـروین شاکر

Aainay Ki Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kia Kia Dekhaye Ga Tumhara Dekhna

Parveen Shakir


Aik thi manzil hamari aik thi rah e safar Chalte chalte tum adher or hum udher kese hoe



Aik thi manzil hamari aik thi rah e safar
Chalte chalte tum adher or hum udher kese hoe


Rassa chughtaai


Dhoondey Jis Ko Nazar Meri , Woh Tum Nahi Tou Kon Hai Hai Jiska Nam Zindagi , Woh Tum Nahi Tou Kon Hai



ڈھونڈے جس کو نظر میری, وہ تم نہیں تو کون ہے
ہے جس کا نام زندگی, وہ تم نہیں تو کون ہے
Dhoondey Jis Ko Nazar Meri , Woh Tum Nahi Tou Kon Hai
Hai Jiska Nam Zindagi , Woh Tum Nahi Tou Kon Hai

کہ جس کے واسطے دل دربدر رہا اب تک
میرے جہاں میں وہ کمی, وہ تم نہیں تو کون ہے
Keh Jiske Wastey Dil Dar Badar Raha Ab Tak
Mere Jahan Mein Woh Kamo , Woh Tum Nahi Tou Kon Hai



Tumhari Aawaaz Bhi Nahi Hai Muyaser Aur Din Barishon Ke Aaye Hoe Hein



تمہاری آواز بھی نہیں ہے میسر
اور دن بارشوں کے آئے ہوئے ہیں

Tumhari Aawaaz Bhi Nahi Hai Muyaser
Aur Din Barishon Ke Aaye Hoe Hein


Shouq e Deed Aankhon Mein Aur Milnay Ki Hasrat Dil Mein Hai



شوقِ دید آنکھوں میں اور ملنے کی حسرت دل میں ہے
جو بھی جس منزل میں رہتا ہے اسی منزل میں ہے
منزلیں آباد ہیں مہمان ہر منزل میں ہے
سر میں سودا،انتظار آنکھوں میں، حسرت دل میں ہے
ان کو وہ غم ہو تو کیوں کر ہو جو میرے دل میں ہے
فرقِ حسن و گل کی جو ترتیب آب و گل میں ہے
خوفِ طوفاں اس قدر کاہے کو تیرے دل میں ہے
ناخدا کشتی ابھی تو دامنِ ساحل میں ہے
مستقل رہتا نہیں سرکار ارمانِ وفا
کل تمہارے دل میں ہو گا آج میرے دل میں ہے
میں ہوں یا اک شمع ہے یا ایک پروانہ غریب
جلنے والا اور بھی کوئی تیری محفل میں ہے ؟
غیر سے رکھنا پڑا مجبور ہو کر واسطہ
تم ہمارے دل میں ہو دشمن تمہارے دل میں ہے
جل گیا گلشن میں گھر اور قید کی مدت بھی ختم
اب قفس سے چھوٹنے والا بڑی مشکل میں ہے
کیا کسی مظلوم کی گردن پہ خنجر رک گیا
دم بخود اب تک زمانہ کوچۂ قاتل میں ہے
غیر سے ترکِ تعلق کی قسم والے سلام
کون یہ بیٹھا ہوا اب غیر کی محفل میں ہے
جلوہ گر بزمِ حسیناں میں ہیں وہ اس شان سے
چاند جیسے اے قمر تاروں بھری محفل میں ہے


Ajeeb Shartein Lagati Hai Muhabbat Ki Tejarat Bhi Mere Hissay Mein Lagat Bhi , Khasara Bhi , Mushaqat Bhi



عجب شرطيں لگاتی ہے  محبت کی تجارت بھی
میرے حصے میں لاگت بھی خسارہ بھی مشقت بھی
 
Ajeeb Shartein Lagati Hai Muhabbat Ki Tejarat Bhi
Mere Hissay Mein Lagat Bhi , Khasara Bhi , Mushaqat Bhi



Raat Baaqii Thii , Jab Woh , Bichhrhey They Kutt Gayii Umar , Raat Baaqii Hai



رَات  باقی   تھِی ، جَب  وُہ   بِچھڑے   تھے
کَٹ   گَئِی   عُمر ،   رَات   بَاقِی   ہَے

Raat  Baaqii  Thii , Jab  Woh ,  Bichhrhey   They
Kutt   Gayii  Umar ,  Raat    Baaqii   Hai



Husn Tera Qatil Hoga Magar Sun Muskurahat Hum Bhi Qayamat Rakhtey Hein



حُــــــسن تیرا قاتل ہوگا مــــــگر سُن 
مُــــــسکراہٹ ہم بھی قــــــیامت رکھتے ہیں

Husn Tera Qatil Hoga Magar Sun
Muskurahat Hum Bhi Qayamat Rakhtey Hein


Thehro keh main ainak se zara gard hata loon Lagta hai keh hum dono jawani mein milay hain



Thehro keh main ainak se zara gard hata loon
Lagta hai keh hum dono jawani mein milay hain


Main Aisa Narm Tabiaat Kabhi Na Tha Zaroor Lams Koi Uss Ka Chhou Gaya Mujh Ko



میں ایسا نرم طبیعت کبھی نہ تھا پہلے
ضرور لمس کوئی اس کاچھو گیا مجھ کو

मैं ऐसा नर्म तबीअत  कभी न था पहले
ज़रूर लम्स कोई उस का  छू गया मुझ को


Main Aisa Narm Tabiaat Kabhi Na Tha
Zaroor Lams Koi Uss Ka Chhou Gaya Mujh Ko



Ye Tou Meri Nazron Ne Dilnawazian Di Hein Warna Woh Nazar Rasm e Iltefat Kia Jane



یہ تو میری نظروں نے دِلنوازِیاں دی ہیں
ورنہ وہ نظر رســــمِ اِلتفات کیا جــــــانے
سِیماؔب اکبرآبادی

Ye Tou Meri Nazron Ne Dilnawazian Di Hein
Warna Woh Nazar Rasm e Iltefat Kia Jane

Seemab Akbarabadi


DUNIYA TE JO KAMM NA AYA OKHE SOUKHE WELE AES BEFAZ E SANGGI TOON BEHTER YAR AKELAY



DUNIYA TE JO KAMM  NA AYA OKHE SOUKHE WELE
AES BEFAZ E SANGGI  TOON BEHTER YAR AKELAY

Hussain Bukhash

DUNIYA mein agar koi dost mushkil waqt mein kaam nahi ata. To us befaiz dost se  behtar hai k insan akela hi rahy


Koi rafugari karay ga meri Ishq khaa gya,jaga jaga se



کوئی رفوگری کرے گا میری
عشق کھا گیا "جگہ جگہ "سے

Koi rafugari karay ga meri
Ishq khaa gya,jaga jaga se



Iss Halat e Khasta Mein Woh Mouj e Khayal Aara Ik Lahza Laga Jaise Khush Hal Huwa Hoon Main



اِس حــــــالتِ خستہ میں وہ موجِ خیـــــال آرا
اِک لحظہ لگا جیسے خوش حال ہُوا ہُوں مَیں
رفیق سندیلوی

Iss Halat e Khasta Mein Woh Mouj e Khayal Aara
Ik Lahza Laga Jaise Khush Hal Huwa Hoon Main

Rafeeq Sandelvi


Shaam e Gham Jab Bikhar Gai Ho Gi Jane Kis Kis Ke Ghar Gai Ho Gi



شام ِ غم جب بکھر گئی ہوگی
جانے کس کس کے گھر گئی ہوگی
اتنی لرزاں نہ تھی چراغ کی لَو
اپنے سائے سے ڈر گئی ہوگی
چاندنی ایک شب کی مہاں تھی
صبح ہوتے ہی مر گئی ہوگی
دیر تک وہ خفا رہے مجھ سے
دور تک یہ خبر گئی ہوگی
ایک دریا کے رُخ بدلتے ہی
اک ندی پھر اُتر گئی ہوگی
جس طرف وہ سفر پہ نکلا تھا
ساری رونق اُدھر گئی ہوگی
رات سورج کو ڈھونڈنے کے لیے
تابہ حدِ سحر گئی ہوگی
میری یادوں کی دھوپ چھاؤں میں
اُس کی صورت نکھر گئی ہوگی
یا تعلق نہ نبھ سکا اُس سے
یا طبیعت ہی پھر گئی ہوگی
تیری پل بھر کی دوستی محسنؔ
اُس کو بدنام کر گئی ہوگی


Iss Shehar e Kharabi Mein Gham e Ishq Ke Mare Zinda Hen Yahi Baat Badi Baat Hai Piyare



اس شہرِ خرابی میں غمِ عشق کے مارے
زندہ ہیں یہی بات بڑی بات ہے پیارے
یہ ہنستا ہوا چاند یہ پُر نور ستارے
تابندہ و پائیندہ ہیں ذروں کے سہارے
حسرت ہے کوئی غنچہ ہمیں پیار سے دیکھے
ارماں ہے کوئی پھول ہمیں دل سے پکارے
ہر صبح مری صبح پہ روتی رہی شبنم
ہر رات مری رات پہ ہنستے رہے تارے
کچھ اور بھی ہیں کام ہمیں اے غمِ جاناں
کب تک کوئی اُلجھی ہوئی زُلفوں کو سنوارے


Jis raat mehakti hein kisi raat ki yadein Us raat guzartii hii nahi Raat hamari



جس رات مہکتی ہیں کسی رات کی یادیں
اس رات گزرتی ہی نہیں  رات ہماری

Jis raat mehakti hein kisi raat ki yadein
Us raat guzartii hii nahi  Raat hamari


Khuwaab Bunne ko ik Gumaan Deejay Be-Sar-o-Paa ko Aasmaan Deejay



خواب  بٌننے  کو  اک  گماں  دیجے
بے  سروپا    کو    آسماں   دیجے
جا بہ جا تجھ کو ڈھونڈے ہے نظر
اپنے  ہونے  کا  کچھ  نشاں  دیجے
جاں ہتھیلی پہ رکھ کے بیٹھے ہیں
آپ   بس  بولیئے  کہ  ہاں   دیجے
دام   لگتے   اگر    مقدر     میں  ؛
ہم   بھی  کہتے  وہ  مہرباں  دیجے
بزم  میں اب کہاں وہ رونق  ہے
کوٸی چنچل سا میزباں  دیجے
تحریر  تاشفین فاروقی

Khuwaab Bunne  ko  ik  Gumaan  Deejay
Be-Sar-o-Paa  ko  Aasmaan   Deejay
jaa-ba-jaa  Tujhko dhoonday hai Nazar
Apny  hony  ka  kuchh Nishaan Deejay
Jaan Hatheli  pe  Rakh  ke  bethay hain
Aap  bas  boliye   ke  Haan   Deejay
Daam  lagty  agar  Muqaddar  mein !
Ham  bhi  kehty  Woh Meherbaan Deejay
Bazm mein ab kahan woh ronaq hai
koi chanchal sa Maizbaan Deejay

Written by
Tashfeen Farooqi



Nahen ishaq ka dard Lazat se khali Jise zouq hai woh maza janta hai



نہیں عشق کا درد لذت سے خالی
جسے ذوق ہے وہ مزہ جانتا ہے

Nahen ishaq ka dard Lazat se khali
Jise zouq hai woh maza janta hai



Ab koi tuhmat bhi wajah karb ruswayi nahen Zindagi ek umar se chup Hai tere israar par



اب کوئی تہمت بھی وجہ کرب رسوائی نہیں
زندگی اک عمر سے چپ ہے ترے اصرار پر

Ab koi tuhmat bhi wajah karb ruswayi nahen
Zindagi ek umar se chup Hai tere israar par



Gulaab Thi Na Gulon Ke Qareen Larki Hai Magar Woh Shehar Ki Sab Se Haseen Larki Hai



گُلاب تھی نہ گُلوں کے قرین لڑکی ہے
مگر وہ شہر کی سب سے حسین لڑکی ہے
Gulaab Thi Na Gulon Ke Qareen Larki Hai
Magar Woh Shehar Ki Sab Se Haseen Larki Hai


میں پوچھتا ہوں محبت میں فیل کیسے ہوئی
وہ اِس سکول و کالج کی سب سے ذہین لڑکی ہے
Main Poochta Hoon Muhabbat Mein Fail Kaise Hoi
Woh Iss School o College Ki Sab Se Zaheen Larki Hai

 
طواف کرتی نگاہیں وہیں ٹھہر جاتیں
بہت نفیس بہت خوش جبین لڑکی ہے
Tawaaf Karti Nigahein Wahein Theher Jatein
Buhat Nafees Buhat Khush Jabeen Larki Hai


گواہی دیتے ہیں شہرِ اسلام آباد کے گلی کوچے
یہیں کہیں وہ محبت نشین لڑکی ہے
Gawahi Dete Hein Shehar Islamabad Ke Gali Kooche
Yahein Kahein Woh Muhabbat Nasheen Larki Hai



Aankh Me Dard Hi Kion Lab Pe Shikayat Kaisi Hijar Me Shor Machane Ki Rawayat Kaisi



آنکھ میں درد ہی کیوں ، لب پہ شکایت کیسی
ہجر میں شور مچانے کی روایت کیسی
اب مرے حق میں کوئی اور اٹھائے آواز
اپنے ہی جرم پہ خود اپنی حمایت کیسی
میں کہانی سے بھی اکتا کے نکل آئی ہوں
ایک سرکش پہ مصنف کی ہدایت کیسی
میرے حصے میں تُو پہلے ہی بَٹا آیا ہے
اتنے تھوڑے سے میسر پہ کفایت کیسی
میری تصویر میں رہنے دو یہی ویرانی
مجھ سیہ بخت پہ رنگوں کی عنایت کیسی
تم نے بے کار تکلف ہی کیا کہنے کا
ورنہ نفرت تو ہے نفرت ہی ، نہایت کیسی ؟
آخری بار پلٹ کر مجھے دیکھا اس نے
میں تو حیران ہوں آخر میں رعایت کیسی
کومل جوئیہ


Woh Maseeha Na Bana Hum Ne Bhi Khuwahish Nahi Ki Apni Sharton Pe Jiye Uss Se Guzarish Nahi Ki



وہ مسیـحا نہ بنا ہم نے بھی خواہش نہیں کی
اپنی شرطوں پہ جیےاس سےگزارش نہیں کی
Woh Maseeha Na Bana Hum Ne Bhi Khuwahish Nahi Ki
Apni Sharton Pe Jiye Uss Se Guzarish Nahi Ki


اب کے ہم نــے بھی دیـــا ترکِ تعلق کا جواب
ہونٹ خاموش رہے، آنکھ نے بــارش نہیں کی
Ab Ke Hum Ne Bhi Diya Tark e Taaluq Ka Jawaab
Hont Khamosh Rahe Aankh Ne Barish Nahi Ki


عنبرین حسیب عنبر
Anbareen Haseeb Anbar



Mera Tou Urdu Se Ussi Din Aitbaar Uth Gaya Tha Jab Mujhe Maloom Hoa Keh Saas Ko Khush Daman Kehte Hain



میرا  تو  اُردُو  پَر  سے اُسی  دِن  اِعتبار  اُٹھ  گیا  تھا ، جَب مُجھے
معلُوم  ہُوا کہ  ساس  کو  خُوش دامن کہتے  ہیں
ایک  بَہُو کا  شِکوہ

Mera Tou Urdu Se Ussi Din Aitbaar Uth Gaya Tha Jab Mujhe
Maloom Hoa Keh Saas Ko Khush Daman Kehte Hain
Aik Baho Ka Shikwa


Aap Ke Bad Har Gharhi ,Hum Ne Aap Ke Saath Hi , Guzaari Hai



آپ  کے  بَعد  ، ہَر  گھَڑی  ہَم   نے
آپ  کے   ساتھ   ہِی   گُزاری   ہے

Aap Ke Bad  Har  Gharhi ,Hum Ne
Aap  Ke  Saath   Hi  ,  Guzaari  Hai



Kaise ladon muqadama khud se uski yaadon ka Ye dil bhi wakeel uss ka ye jaan bhi gawah uss ki



کیسے لڑو ں مقدمہ خو د سے اس کی یا دوں کا
یہ دل بھی وکیل اس کا یہ جان بھی گواہ اس کی

Kaise ladon muqadama khud se uski yaadon ka
Ye dil bhi wakeel uss ka ye jaan bhi gawah uss ki



Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo