Agar kabhi main zahn me aaun Tum apne saare wo khwaab likhna Wo ek main thi aur ek tum thay Haan aisi koi kitaab likhna



Agar kabhi main zahn me aaun
Tum apne saare wo khwaab likhna
Wo ek main thi aur ek tum thay
Haan aisi koi kitaab likhna...!!!

Mohabbat todti hai dum Badi khaamosh cheekhon se Koi aawaaz aise dard ko Zaahir nahi karti



Mohabbat todti hai dum
Badi khaamosh cheekhon se
Koi aawaaz aise dard ko
Zaahir nahi karti...!!!

Har raat ek safar teri taraf, Khwaab dar khwaab tay kiya maine



Har raat ek safar teri taraf,

Khwaab dar khwaab tay kiya maine ...!!!

Kuch log tohfay bhi kamaal ke dety hain, Udaasiyan, Tanhaiyaan, Ruswaeyan, Azeeyatein



Kuch log tohfay bhi kamaal ke dety hain,
Udaasiyan, Tanhaiyaan, Ruswaeyan, Azeeyatein...!!!

Haya se husan ki qeemat do-chand hoti hai Na Ho jo aab to Moti ki abru kya hai



Haya se husan ki qeemat do-chand hoti hai
Na Ho jo aab to Moti ki abru kya hai

Kia Haal Hai Mery GaaOn Ka, Peepal Ki Thandi ChhaOn Ka, Sharmili ShOkh NigaahOn Ka, Un Naaz Bhari AdaaOn Ka



"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.>
"+,,+"
Kia Haal Hai Mery GaaOn Ka,
Peepal Ki Thandi ChhaOn Ka,
Sharmili ShOkh NigaahOn Ka,
Un Naaz Bhari AdaaOn Ka.>
"+,,+"

Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"

Aajj-Kal Humaary
GaaOn Mein Kaisa
Sawera HOtaa Hai,
Kia Ab Bi Un Ke
Aangan Mein PhOolOn
Ka Baseraa HOta Hai,
Panchhi Geet Sunaaty Hain
Jab DOor Andheraa Hai
Un Ke Dil Mein Kia
Ab Bi Meri Yaad Ka
Dera HOta Hai.>
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"

Kia Ab GaaOn Ki
GaliyOon Mein Bache
ShOr Machaaty Hain,
Piyaari Piyaari BaatOn Say
Sab Ka Dil Behlaaty Hain,
Gude Aur Gudi Ki Shadi
Bi Karwaaty Hain,
Aur Chhutti Ke Din
KhetOn Mein Maa-Baap
Ka Haath Batate Hain.*
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"
Kia Ab Bi Humaary
KhaitO Ke Samaan
Sehaany HOty Hain,
Kia Ab Bi JawanOn Ke
Lab Par Waisy Taraany
HOty Hain,
Hum Khel JO Khelaa
Karty Thy WOhi Khel
Puraany HOty Hain
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"
Kia Ab Bi GaaOn Ki
Naariyaan Paani
Bharny Jaati Hain,
Apny Sundar PairOn Ki
Paayal Bi Chhankati Hain,
Sub Sakhiyaan Ek-DOoji
KO Dil Ka Haal Sunati Hain,
Aur Apny Nazuk SarOn
Par Teen Chaar Gharry
Uthaati Hain.*
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa.*
"+,,+"

Kuchh TO Mujh KO Haal
Sunaa Meri MehbOobaa
Matwaaali Ka,
Jheel Si JiSs Ki Aankhein
Naagin ZullfOn Waali Ka,
PhOoll Sa JiSs Ka Chehraa
Tha MaasOom Si BhOli
Bhaali Ka,
JO Pawan Ke ISHQ Mein
Pagal Thi USs PaGal
Dil Waali Ka.*
"+,,+"
Aey GaaOn Say Aany
Waaly Bataa,
Kia Haal Hai Mery
GaaOn Ka.......*

Dukh ? Kis Baat Ka Sahib Aap Mere Thay Hi Kab



Dukh ? Kis Baat Ka Sahib
Aap Mere Thay Hi Kab..!

Jab Kashti Saabit O Saalim Thi Saahil Ki Tamanna Kis Ko Thi,Ab Aisi Shikastaan Kashti Pe Saahil Ki Tamanna Kon Kare




chahe jitna shehd pila do shakho'n ko neem ke pate phir bhi karwe niklaa'n gay



چاہے جتنا شہد پلا دو شاخوں کو
نیم کے پتے پھر بھی کڑوے نکلیں گے

تخت چھنے گا دربانوں کی سازش سے
اور لٹیرے تاج پہن کر نکلیں گے

طارق قمر

chahe jitna shehd pila do shakho'n ko
neem ke pate phir bhi karwe niklaa'n gay

takht chinaay ga darbano'n ki sazish se
aur lutare taj pehn kr niklaa'n gay

Tariq Qamar
 

ujre hue logon se gurezan na hua kar halaat ki qabron ke ye kutbe bhi perha kar



ujre hue logon se gurezan na hua kar
halaat ki qabron ke ye kutbe bhi perha kar

kia janye kiun tez hawa soch me gum he
khawabeda parindon ko darakhton se ura kar

us shakhs ke tum se bhi marasim hen to hon ge
wo jhut na boley ga mere samne aa kar

ab dastaken de ga tu kahan ae gham e ahbab
main ne to kaha tha ke mere dil me raha kar

har waqt ka hansna tujhe barbad na kar de
tanhai ke lamhon me kabhi ro bhi lia kar

wo aj bhi saddion ki musafat pe khara he
dhonda tha jise waqt ki dewar gira kar

barham na ho kam fehmi kotah nazran per
ae qamat e fan apni bulandi ka gila kar

ae dil tujhe dushman ki bhi pehchan kahan he
tu halqa e yaran me bhi mohtat raha kar

main mar bhi chuka, mil bhi chuka moj e hawa me
ab ret ke seney pe mera nam likha kar

pehla sa kahan ab meri raftar ka alam
ae gardish e doran zara tham tham ke chala kar

is rut me kahan phool khilen ge dil e nadan
zakhmon ko he wabasta e zanjeer e saba kar

ik rooh ki faryad ne chonka dia mujh ko
tu ab to mujhe jism ke zandan se riha kar

is shab ke muqaddar me sahar he nahi Mohsin
dekha he kai bar charaghon ko bujha kar!!

Zara Si Der Lagti Hai Zamana Dost Ho Jaye To Bohat Mohtat Ho Jana



Zara Si Der Lagti Hai
Zamana Dost Ho
Jaye
To Bohat Mohtat Ho
Jana
Kisi K Rang Badalne
Main
Zara Si Dair Lagti
Hai
Koi Jo Khwab
Dekho To
Usy Foran Bhula
Dena
K Neenden toot Jane
Main
Zara Si Dair Lagti
Hai
Kisi Ko Dhuk Kabhi Dena To
Itna Soch Kar Dena Kisi Ki Aah Lagne
Main
Zara Si Dair Lagti
Hai
Bohat Hi Motabar Hai
Jin Ko
Mohabbat Raas Aa Jaye
Kisi Ko Raah Badalane Main
Zara Si Dair Lagti
Hai ...!!!

Dil sulagtaa ha magar sokhta'jani kam ha sher kia kahu'n ke tabiat ma rawani kam ha



دل سُلگتا ہے مگر سوختہ جانی کم ہے
شعر کیا کہوں کہ طبیعت میں روانی کم ہے

زیست اک آدھ محبت سے بسر ہو کیسے؟
رات لمبی ہو تو پھر ایک کہانی کم ہے

تجھ سے کہنا تو نہیں چاہیے پر کہتے ہیں
ہم نے بھی دولتِ جاں اب کے لٹانی کم ہے

دل کو کیا روئیں کہ جب سوکھ گئی ہوں آنکھیں
شہر ویراں ہے کہ دریاؤں میں پانی کم ہے

ہم نے اندوہ زمانہ سے نہ خم کھایا ہے
شاید اب یوں ہے کہ آشوبِ جوانی کم ہے

جس طرح سانحے گزرے ہیں تیری جاں پہ فراز
اس کو دیکھیں تو یہ آشفتہ بیانی کم ہے

احمد فراز

Dil sulagtaa ha magar sokhta'jani kam ha
sher kia kahu'n ke tabiat ma rawani kam ha

zeest ik aadh muhabbat sa basar ho kese ?
rat lambii ho to phir aik kahani kam ha

tuj sa kehna to nahee chaheea prr kehte ha'nn
hum na bhii dolat e jaan ab ke lutani kmm ha

dil ko kia roe'n ke jub sookh gaii ho'n aankhai'nn
shehr veeran ha ke daryao'n ma paani kmm ha

hum na andooh e zamana sa na kham khaya ha
shayd ab yuu'n ha ke aashob e jawani kam ha

jis tara sanhe guzra ha teri ja'nn pa FARAZ
is ko dakhe'n to ye aashufta'byani kmm ha
AHMAD FARAZ

Wo lajaaye mere sawaal par ke utha sake na jhuka ke sar Udi zulf chehre pe is tarah ke shabon ke raaz machal gaye



Wo lajaaye mere sawaal par ke utha sake na jhuka ke sar
Udi zulf chehre pe is tarah ke shabon ke raaz machal gaye

MAN TO SAMJHA THA,K LAUT AATAY HAN JANAY WALAY TU NE TO JA K,JUDAI,MERI QISMAT KAR DI



میں تو سمجھا تھا کہ لوٹ آتے ہیں جانے والے
تو نے تو جا کہ جدائی مری قسمت کر دی

MAN TO SAMJHA THA,K LAUT AATAY HAN JANAY WALAY
TU NE TO JA K,JUDAI,MERI QISMAT KAR DI

Pala'at sakon hi na aage hi barh sakon Jis par Mujhy ye konse rasty laga gaya ik shakas



Pala'at sakon hi na aage hi barh sakon
Jis par
Mujhy ye konse rasty laga gaya ik shakas

Galeyan sanjeyan ujar dasan main ko Ver'raa khawan aave'ey



Galeyan sanjeyan ujar dasan main ko
Ver'raa khawan aave'ey
Ghulam Farida othy ki was'na
Jethy yar nazar na aa'wey

Jiyengge magar ham muskura na skenge ki ab zindgi mey mohabbat nhi hey


Jiyengge magar ham muskura na skenge
 ki ab zindgi mey mohabbat nhi hey

 Jawani jo layegi sawan ki raaten
Zamana karega mahabbat ki baaten
Magar ham ye sawan mana na sakenge
Ke ab zindagi me mahabbat nahin hai

Maen bhi kaisey ajeeb hotey hein, Olad se walehana pyar kertey hein, Meri ami bhi mujh se, bohat pyar kertey theen, Mujhey raaj hans bataya kertey theen,



Ammi
My latest poem on 28th march 2017
Maen bhi kaisey ajeeb hotey hein,
Olad se walehana pyar kertey hein,
Meri ami bhi mujh se, bohat pyar kertey theen,
Mujhey raaj hans bataya kertey theen,
Wo hans jo sab hanson ka sardar ho,
Wo jo sab, parindon mein nayaab ho,
Shaid wo tu, merey maan thee, isi lea,
Mujhey, sab kuch dena chahtey thee,
Agar kabhi merey number kam ayen,
tu kehteen, iss ka qasoor nahi ho ga,
qasoor mumtahin ke checking ka ho ga,
Papers ke baad, sarey tawajo mujh pe hoti,
Jo mein dukhey hota, tu wo sahara deteen,
jab bahir jata, tu un ke ankh bahir ko hotey,
Sofa pe laet jatein, thori daer jo ho jatey,
Fon ajaya kerta tha, betey kab ao gae,
Mein tumharey lea intezaar ker rahey hun,
Mein sara waqt gharey dekh reha hota tha,
Merey ami intezaar ker rahey hon gee,
Jo mein na pohanchtaa waqt pe parishan ho jatein,
Aaj in ko beetey, 20 saal guzar gae hein,
Aaj bhi jab jaata hun bahir, sochta hun,
Kash merey ami abbhi mera intezar kertein,
kash wo waqt tham jata, dunya se wo na jateen,
Ami mujh se bohat pyar kertey theen hamesha,
Ammi

Farquleet Mahmood

Agar tum kaho toh main phool ban jaaun Zindagi ka tumhari ik usool ban jaaun



Agar tum kaho toh main phool ban jaaun
Zindagi ka tumhari ik usool ban jaaun

Suna hai keh rait par chalne se tum mehak jate ho
Kaho toh abke zameen ki dhooll ban jaaun

Nayaab hai wo log jinhe tum apna kehte ho
Ijazat do ki main bhi iss qadar anmol ban jaaun

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubhartey Hain Naqsh Mazi Mity Mity Se Wo Aazmaish Dil-o-Nazar Ki Wo Qurbatein Si Wo Fasly Se



کبھی کبھی یاد میں ابھرتے ہیں نقش ماضی مٹے مٹے سے
وہ آزمائش دل و نظر کی وہ قربتیں سی وہ فاصلے سے
کبھی کبھی آرزو کے صحرا میں آ کے رکتے ہیں قافلے سے
وہ ساری باتیں لگاؤ کی سی وہ سارے عنواں وصال کے سے
نگاہ و دل کو قرار کیسا نشاط و غم میں کمی کہاں کی
وہ جب ملے ہیں تو ان سے ہر بار کی ہے الفت نئے سرے سے
بہت گراں ہے یہ عیش تنہا کہیں سبک تر کہیں گوارا
وہ درد پنہاں کہ ساری دنیا رفیق تھی جس کے واسطے سے
تمہیں کہو رند و محتسب میں ہے آج شب کون فرق ایسا
یہ آ کے بیٹھے ہیں مے کدے میں وہ اٹھ کے آئے ہیں مے کدے سے

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubhartey Hain Naqsh Mazi Mity Mity Se
Wo Aazmaish Dil-o-Nazar Ki Wo Qurbatein Si Wo Fasly Se

Kabhi Kabhi Aarzo Ke Sahra Mein Aa Ke Rukty Hain Qafly Se
Wo Saari Batein Lagao Ki Si Wo Saare Unwaan Wisal Ke Se

Nigaah-o-Dil Ko Qarar Kaisa Nishaat-o-Gham Mein Kami Kahan Ki
Wo Jab Mily Hain Toh Un Se Har Baar Ki Hai Ulfat Nai Sire Se

Buhat Garaan Hai Ye Aaish Tanha Kahein Subaktar Kahein Gawara
Wo Dard Penhaan Keh Saari Dunya Rafeeq Thi Jis Ke Wasty Se

Tumhein Kaho Rind-o-Muhtasib Mein Hai Aaj Shab Kon Farq Aisa
Ye Aa Ke Bhaity Hain Mekaday Mein Wo Uth Ke Aaye Hain Mekaday Se

Faiz Ahmed Faiz

TUM KIA JANO ?



TUM KIA JANO ?
(A)
Tum Kia Jano?
Badey Gharon Ke Saare Bartan
Kitnay Gande Hotay Hain 
Main Dhoti Hon
Mujh Se Poocho
(B)
Tum Kia Jano?
Raat Ka Basi Khana
Utha Kar Ghar Tak Lana
Kitna Bhari Hota Hai
Main Lati Hon
Mujh Se Poocho
(C)
 Tum Kia Jano?
Is Lori Ki Ki Bhasha Ko
Jise Bhokey Bachey 
Sun Kar So Jate Hain
Main Deti Hon
Mujh Se Poocho
(D)
 Tum Kia Jano?
Ghurbat Kitni Gandi Gaali Hai
Suni Hai Tum Ne ?
Main Sunti Hon 
 Mujh Se Poocho
(E)
Tum Kia Jano ?
Sadqey Ki Roti
Khairati Paani
Kis Kalri Jheel Ka Keechad Hai
Main Khati Hon
Main Peeti Hon 
Mujh Se Poocho
 

Ay Anokhay Sakhi ! Ay Mere Kibria !! Koi Rasta Dekha



Ay Anokhay Sakhi !
Ay Mere Kibria !!
Koi Rasta Dekha

                          Khud Pe Khul Jaon Main
                          Mujh Pe Afshaan Ho "Tu"

AyMere Kibria !
Kibria , Ab Mujhe

Loh-e-Arz-o-Sama Ke Sabhi Na-Tarasheeda , Posheeda
                                     Harfon Mein Leptay Hoe
                                     Ism Parhna Sekha !
                                     Ay Anokhay Sakhi !
                                     Ay Mere Kibria !!
                                     Main Musafir Tera !!!


moj e khushbu ki tarha bat uraney waley tujh me pehle to na thay rang zamaney waley



moj e khushbu ki tarha bat uraney waley
tujh me pehle to na thay rang zamaney waley

kitne heeray meri aankhon se churaey tu ne
chand patthar meri jholi me girane waley

khun baha agli baharon ka tere sar to nahi?
khushk tehni pe naya phool khilane waley

aa tujhe nazar karun apni he sheh rag ka lahu
mere dushman,meri toqeer barhane waley

aasteno me chupaey hue khanjar aye
mujh se yaron ki tarha hath milane wale

zulmat e shab se shikayet unhe kese Mohsin
wo to suraj ke thay aaena dikhane waley

Ye Dunya Hai Are Nadaan Na Iske Jaal Mein Aana Kaha Kuch Aor Jata Hai Kia Kuch Aor Jata Hai



یہ دنیا ہے ارے ناداں نہ اس کے جال میں آنا
کہا کچھ اور جاتا ہے کیا کچھ اور جاتا ہے

یہ سودا ہے نرا دھوکا نظر کا کھیل ہے سارا
دکھایا اور جاتا ہے دیا کچھ اور جاتا ہے

ہے مانا زندگی تیری مگر مرضی نہیں تیری
سو جینا اور ہوتا ہے جیا کچھ اور جاتا ہے

ترا تھا گھاو ہی ظالم طبیبوں کی خطا کیا ہے
ہوا کچھ اور گہرا جب سیا کچھ اور جاتا ہے

محبت تیری باتوں میں یہ کیسی چاشنی ہوتی
کہ مطلب اور ہوتا ہے لیا کچھ اور جاتا ہے

یہ ابرک شاعری ہے یا کہ ہے یہ دل لگی تیری
حقیقت اور ہوتی ہے بتا کچھ اور جاتا ہے
 
 اتباف ابرک

Ye Dunya Hai Are Nadaan Na Iske Jaal Mein Aana
Kaha Kuch Aor Jata Hai Kia Kuch Aor Jata Hai

Ye Soda Hai Zara Dhoka Nazar Ka Khel Hai Saara
Dekhaya Aor Jata Hai Diya Kuch Aor Jata Hai

Hai Mana Zindagi Teri Magar Marzi Nahi Teri
So Jeena Aor Hota Hai Jiya Kuch Aor Jata Hai

Tera Tha Ghao Hi Zalim Tabeebon Ki Khata Kia Hai
Howa Kuch Aor Gehra Jab Siya Kuch Aor Jata Hai

Muhabbat Teri Baton Mein Ye Kaisi Chaashni Hoti
Keh Matlab Aor Hota Hai Liya Kuch Aor Jata Hai

Ye ABRAK Shairy Hai Ya Keh Hai Ye Dil Lagi Teri
Haqeeqat Aor Hoti Hai Bata Kuch Aor Jata Hai

ATBAF ABRAK

Daghe Saaqi Ao Mekhanu Mi Da Zrh Zor Wajale Daghe Nasho O Tamasho Mi Da Zrh Zor Wajale



Daghe Saaqi Ao Mekhanu Mi Da Zrh Zor Wajale
Daghe Nasho O Tamasho Mi Da Zrh Zor Wajale

Ma Tre Tapos Okro Hagha Rata Ghusa Ke Owe
Marha Bas Chup Sha Yaranu Mi Da Zrh Zor Wajale

Pa Nasihat Shum Warta Stare Kho Bas Na Pohegi
Dagha Jahila Lewano Mi Da Zrh Zor Wajale

Nishta Da Zrh Majaal Mi Neshta Dy Zama "Khatira"
Sta Da Beltoon De Wrazo Shpo Mi Da Zrh Zor Wajale.....!

Da Chaa Dapara Che Mi Sro Lambo Ta Zaan Oneewo Che Zorawar Sho Hagha Hum Rana Grewaan Oneewo



Da Chaa Dapara Che Mi Sro Lambo Ta Zaan Oneewo
Che Zorawar Sho Hagha Hum Rana Grewaan Oneewo

Zama Na Pas Zama Pa Shaan Meena Ba Sok Warkavi ?
Akhir Pa Tlo Tlo Ke Salgo Zama Pa Shaan Oneewo

Hairaan Walaar'r Yam Che Pa Koma Makha Otakhtama ?
Chaa Zmaka Waghasta Zamung Na Chaa Asmaan Oneewo

Nan Che Mi Zikar Da Jannat Hooro Wawredalo
Zar Da Seeney Pore Tasveer Mi Da Janan Oneewo

poochtay ho to suno kaisay basar hoti hai raat khairaat ki, sadqay ki sahar hoti hai



پُوچھتے ہو تو سنو کیسے بسر ہوتی ہے
رات خیرات کی، صدقے کی سحر ہوتی ہے
سانس بھرنے کو تو جینا نہیں کہتے یا رب
دل ہی دُکھتا ہے نہ اب آستیں تر ہوتی ہے
جیسے جاگی ہُوئی آنکھوں میں چُبھیں کانچ کے خواب
رات اِس طرح دیوانوں کی بَسر ہوتی ہے
غم ہی دُشمن ہے مِرا، غم ہی کو دِل ڈھونڈتا ہے
ایک لمحے کی جُدائی بھی اگر ہوتی ہے
ایک مرکز کی تلاش، ایک بھٹکتی خوشبو
کبھی منزل کبھی تمہیدِ سفر ہوتی ہے

مینا کماری ناز

Roman Version

poochtay ho to suno kaisay basar hoti hai
raat khairaat ki, sadqay ki sahar hoti hai

saans bharnay ko to jeena nahin kehtay ya rab
dil hi dukhta hai na ab aasteen ter hoti hai

jaisay jaagi hui aankhon mein chubhein kaanch ke khuwab
raat is tarha diwaano ki basar hoti hai

gham hi dushman hai mira, gham hi ko dil Dhoondta hai
aik lamhay ki judai bhi agar hoti hai

aik manzil ki talaash, aik bhatakti khushboo
kbhi manzil, kabhi tamheed-e-safar hoti hai

Meena Kumari
(mah jabeen Naz)

Us Shehr Me Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye



yehi qosoqaza phulon ke Yehi husan chaman hae Isey barham na kerna Isey lekin hawa kaisey parhey gee?



Posting my moms nazam which is in her book MUJHEY BOLNEY DO, MY MOM Mrs Bilquis mahmood died on 9th of august 97 and one of my reasons to start writing poetry was that i wanted that dunya should know what my mom was as i would introduce my own poetry and they all would say who was his mom we want to see that poetry. Mujhey iss gulshan se mohabat hae.....
Sare gulshan likha tha.....
 
yehi qosoqaza phulon ke
Yehi husan chaman hae
Isey barham na kerna
Isey lekin hawa kaisey parhey gee?
Hawa tu perh nahi saktey
Mera jee chahta hae
Mein in hawaon ko perha dun
Keh jaisey ho sakey
Apna bhara gulshan bacha lun
Mujhey iss se mohabat hae
MY MOM MRS BILQUIS MAHMOOD BY Farquleet Mahmood

Suljhaaii zulfein kya lab.e.dariyaa pe aap ne Har mauj misl.e.mar.siyaah tu banaa chale



Suljhaaii zulfein kya lab.e.dariyaa pe aap ne
Har mauj misl.e.mar.siyaah tu banaa chale

Iss ruu.e.atishiin ke tassavur mein yaad.e.zulf
Yaani ghazb hai aag lagge aur hawaa chale

ai ZAUQ hai ghazab nigaah.e.yaar
Woh kya bachche jis pe yeh tiir.e.qazaa chale

zauq

Mumkin He Ke Tu Jisko Samjhta He Bahray'n



Sharaabi Aankhein , Gulaabi Hoont , Hasee-o-Jameel Chehra Khamosh Ho Ja Aye Dil-e-Gustaakh Abhi Wo Na-Muhram Hai Teri



 شــــرابی آنکھیں گلابی ہونٹ حسین و جمیل چہرہ

خاموش ہو جا اے دلِ گستاخ ابھی وہ نامحـــرم ہے تیری
Sharaabi Aankhein , Gulaabi Hoont , Hasee-o-Jameel Chehra
Khamosh Ho Ja Aye Dil-e-Gustaakh Abhi Wo Na-Muhram Hai Teri

Sun Lo Jo Agar To Ek Baat Kahoon Tere Dil Ko Main Apni qainaat Kahoon



Sun Lo Jo Agar To Ek Baat Kahoon
Tere Dil Ko Main Apni qainaat Kahoon
Basa Kar Tujhe Apni Jism-O-Jaan Mein
Mohabbat Ko Main Apni Hayaat Kahoon
Mat Puchho Aalam Waqt-E-Intezaar Ka
Ek Din Ki Doori Ko Din Saat Kahoon
Yeh Kaisi Deewangi, Kya Be-Khudi Hai
Subah Ko Shaam, DinKo Raat Kahoon
Aa Kar Baith Jao Kabhi Paas Fursat Se
To Dhadkanon Ki tumse Shikayat Kahoon
Likh Diye Hain Saare Armaan Lafzon Ne
Agar Do Ijaazat To Wo Nagmaat Kahoon

Apna andaaz-e sukhan sab se juda rakhte hain Ham khamoshi Mai takallum ki ada rakhte hain



Apna andaaz-e sukhan sab se juda rakhte hain
Ham khamoshi Mai takallum ki ada rakhte hain

Aana'on nafraton khud 'gharzi'eon k tehre pani main Muhabat gholne wale Bare dar'waish hoty hai



Aana'on nafraton khud 'gharzi'eon
k tehre pani main
Muhabat gholne wale
Bare dar'waish hoty hai

laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kije ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije



laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kije
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siva
raatein aur bhi haib vasl ki raahat ke siva
mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang
Faiz

Ujaley door nahi



Ujaley door nahi
My latest 19 march 2017

Shaid kuch lamhon ke lea zindagi saqit ho jatey hae,
Madham khamoshi jab, charon taraf phel jatey hae,
Aisey mein, her taraf ik aseeb zada, sae umad atey hein,
In sayon mein, bhi ik hasrat phir bhi baqi rehtey hae,
Kabhi ye sae chat jaen gae,
Kabhi, weranon mein koi ,
Roshni, phir se, subha ke sooraj ke,
Ik nae zindagi roshan karey gee,
Mujhey uss roshni ka intezaar hae,
Wo roshni phir kahein aye gee,
Zindagi kabhi ik jaga saqit nahi rehtey,
Kabhi, andhera ho agar tu, ujala bhi hota hae,
Shaid kuch lamhon ke lea zindagi saqit ho jatey hae,
Magar, zindagi chaltey rehtey hae, saqit nahi hotey,
Jo zindagi ho baqi, tu, ujalon ke tamana ke ja saktey hae,
Ujaley door nahi
Farquleet Mahmood

MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hay Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hay




MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hay

Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hay

Ek Zamana Tha k Sab Aik Jagah Rehtay Thay

Or Ab koi kahin, koi kahin Rehta Hay

Jis ki Saanson Say Mo'atTar Thay Dar-o-Diwaar Terey,

Aaye Makaan Bool, kahan Ab Woh Makeen Rehta hay?

Rooz Milnay Pay Bhi Lagta Hay k Jagg Beet Gaye

Ishq Main Waqt ka Ehsaas Nahin Rehta Hay

DiL Afsurda Howa, Dekh kar Us ko
MOHSIN

Umar Bhar koun jawaan, Koun Haseen Rehta Hay.?

Saaf aata hai nazar anjaam har aagaaz ka zindagaani maut ki tamhid hai mere liye



Saaf aata hai nazar anjaam har aagaaz ka
zindagaani maut ki tamhid hai mere liye

Jaag uthti hai tah-e-damaan-e-shab se sub.h-e-nau
Maut kya hai zeest ki tajdeed hai mere liye

Ajib cheez hai ye waqt jisko kehte hain Ke aane paata nahi aur beet jata hai



Ajib cheez hai ye waqt jisko kehte hain
Ke aane paata nahi aur beet jata hai

Sheher yar

Mita daale'n na mujhko chara-gar ye Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Mai



مٹا ڈالیں نہ مجھ کو چارہ گر یہ
ہرا رہنا ہے مجھ کو' زخم ہوں میں

کبھی ہارا ہوا سا حوصلہ ہوں
کبھی امبر چھوئے وہ عزم ہوں میں

ہوں ماں کے رحم میں آغازِ ہستی
مگر ہر لحد میں پھر ختم ہوں میں

میری تخلیق کی کوئ وجہ ہے
یا پھر اک بے حقیقت رسم ہوں میں

ہوں میں بھی اک صحیفہ آسمانی
کہ ہر زرّے میں گویا رقم ہوں میں

زویا راؤ

 Mita daale'n na mujhko chara-gar ye
Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Mai

Kabhi haraa hua sa hausla hoo'n
Kabhi ambar chhue wo azm hoo'n Mai

Hoo'n maa'n ke rehm mai aghaaz-e hasti
Magar har lehd me phir khatm hoo'n Mai

Meri taqhleeq ki koi waja hai
Ya phir ik be haqeeqat rasm hoo'n Mai

Hoo'n Mai bhi ik saheefa aasmani
Ke har zarre me goya raqm hoo'n Mai

Zoya Rao

Musalsal hon mulaqaren tau dilchspi nahin reh'ti Buhat dilchasp ho'te hein yeh be tarteeb yara'ne



Musalsal hon mulaqaren tau dilchspi nahin reh'ti
Buhat dilchasp ho'te hein yeh be tarteeb yara'ne

مسلسل ہوں ملاقاتیں تو دلچسپی نہیں رہتی
بہت دلچسپ ہوتے ہیں یہ بے ترتیب یارانے

Utho ab dair hoti hai wahan jaa chal kar sanwar jana Yaqeeni hai ghari do main mareez e gham ka mar jana



اٹھو اب دیر ہوتی ہے وہاں چل کر سنور جانا
یقینی ہے گھڑی دو میں مریض غم کا مر جانا
Utho ab dair hoti hai wahan jaa chal kar sanwar jana
Yaqeeni hai ghari do main mareez e gham ka mar jana

مجھے ڈر ہے گلوں کے بوجھ سے مرقد نہ دب جائے
انہیں عادت ہے جب آنا ضرور احسان دھر جانا
Mujhy darr hai guloon kay bojh say murqad na dab jaye
Unhain adat hai jab ana zarror ahsan dhar jana

حباب آ سامنے سب ولولے جوش جوانی کے
غضب تھا قلزم امید کا چڑھ کر اتر جانا
Hubab aa samnay sab walwaly josh jawani kay
Ghazab tha qulzam ka umeed char kar utter jana

یہاں جز کشتیٔ موج بلا کچھ بھی نہ پاؤ گے
اسی کے آسرے دریائے ہستی سے اتر جانا
Yanhan juz kashti moj e bala kuch bhi na paoo gay
Uskay asray darya-e-hasti say utter jana

مبادا پھر اسیر دام عقل و ہوش ہو جاؤں
جنوں کا اس طرح اچھا نہیں حد سے گزر جانا
Mubada phir aseer-e-daam aql-o-hosh hoo jaon
Junnon ka estarah acha nahi had say guzar jana
حفیظ آغاز سے انجام تک رہزن نے پہنچایا
اسی کو ہم سفر پایا اسی کو ہم سفر جانا
hafeez agaz say anjam tak rehzan nay pounchaya
Usee ko hamsafar paya usse ko hamsafar jana

Dost ban kar bhi nahin saath nibhane wala Wohi andaaz hai jaalim ka jamane wala!



Dost ban kar bhi nahin saath nibhane wala
Wohi andaaz hai jaalim ka jamane wala!

Ab use log samajhte hain girftaar mera
Sakht nadim hai mujhe daam mein laane wala!

Subhadam chhod gaya nikhate-gul ki soorat
Raat ko guncha-e-dil mein simat aane wala!

Kya kahen kitne marasim the humare unse
Wo jo ik shakhs hai munh fer k jane wala!

Tere hote hue aa jati thi sari dunia
Aaj tanhan hun to koi nai aane wala!

Muntzir kiska hun tooti hui dehliz par main
Kaun aayega yahan, kaun hai aane wala!

Kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
Hai wohi mujhko sare-daar bhi lane wala!

Maine dekha hai baharon mein chaman ko jalte
Hai koi khwab ki taabeer batane wala!

Tum takaluuf ko bhi ikhlas samjhte ho "Faraz"
Dost hota nai har haath milane wala!

Pahlay gul Kay mizajon ko samjh lo Mohsin Phir gulistan main kisi gul say muhabbat karna



پہلے گل کے مزاجوں کو سمجھ لو محسن
پھر گلستاں میں کسی گل سے محبت کرنا
محسن نقوی

Pahlay gul Kay mizajon ko samjh lo Mohsin
Phir gulistan main kisi gul say muhabbat karna
Mohsin Naqvi

humen Khabar hai hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga Bahaar Men Bhi Wo Habs ho ga Keh Saans Laina Muhaal ho ga



humen Khabar hai hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga
Bahaar Men Bhi Wo Habs ho ga Keh Saans Laina Muhaal ho ga

NaQoosh dhundla Gaye hAin Jis Kay, Khayaal Jis Ka dhuwaan dhuwaan hai
woh Zard Patton Kay koray Kaghaz Pay Likhii koii Misaal ho ga

Jo Naaptay hain musafaton Ko Lateef Jazbon Kii Shiddaten hain
Kahin Saddii Saa'aton Kii Had Men Kahin Pay Lamha Bhi Saal ho ga

mujhay hai Syaad Say woh Nisbat Keh mUjh Ko Manzoor hai Aseerii
Qafas Kii Aaghosh Say Jo Nikla To Wus'aton Ka Wabaal ho ga

tumharay Lehjay Ki Talkhiyon Ko bhUlla Kay Eik Bar Mil To loon Mein
Magar Ho Itna Yaqeen mUjh Ko Bichar Kay tum Ko Malaal ho ga

Aysy sawan ki puhaar Jaisy khushbo ka sandysa Jaisy chahaton ka deep



Aysy sawan ki puhaar

Jaisy khushbo ka sandysa

Jaisy chahaton ka deep

Jaisy samundar mohabbat ka

Jaisy hijr aur wisl k purkaif mausam

Jaisy sooraj ki pehli Kiran

Jaisy gulaab ki pankhari

Jaisy motiyon ki Khushbo

Agar ab bhi nahi manty tum tu suno

Tum mery liye zindagi mein

Basy ho Rooh ki manind

MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hai Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hai



MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hai

Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hai

Ek Zamana Tha k Sab Aik Jagah Rehtay Thay

Or Ab koi kahin, koi kahin Rehta Hai

Jis ki Saanson Say Mo'atTar Thay Dar-o-Diwaar Terey,

Aaye Makaan Bool, kahan Ab Woh Makeen Rehta hai?

Rooz Milnay Pay Bhi Lagta Hay k Jagg Beet Gaye

Ishq Main Waqt ka Ehsaas Nahin Rehta Hai

DiL Afsurda Howa, Dekh kar Us ko

MOHSIN

Umar Bhar koun jawaan, Koun Haseen Rehta Hai.?

Aisa hai keh sab khwaab musalsal nahi hotay jo aaj to hotay hain magar kal nahi hotay



Aisa hai keh sab khwaab musalsal nahi hotay
jo aaj to hotay hain magar kal nahi hotay

Ander ki fazaa'on kay karishmay bhi ajab hain,
meenh toot kay barsay bhi to baadal nahi hotay

Kuchh mushkilen aisi hain keh aasaan nahi hotiin
kuchh aisay mu'ammay hain kabhi hal nahin hotay

Shaaestagi-e gham kay sabab aankhon kay sehraa
namnaak to ho jaatay hain jal-thal nahi hotay

Kaisay he talaatum hon magar qulzum-e jaan men
kuchh yaad jazeeray hain keh ojhal nahi hotay

Ushhaaq ki maanind kaee ehal-e hawas bhi,
paagal to nazar aatay hain paagal nahi hotay

Sab khwaahishen poori hon "FARAZ" aisa nahi hai
jaisay kaee ashaar mukammal nahi hotay!!!

Mita daale'n na mujhko chara-gar ye Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Main



مٹا ڈالیں نہ مجھ کو چارہ گر یہ
ہرا رہنا ہے مجھ کو' زخم ہوں میں

کبھی ہارا ہوا سا حوصلہ ہوں
کبھی امبر چھوئے وہ عزم ہوں میں

ہوں ماں کے رحم میں آغازِ ہستی
مگر ہر لحد میں پھر ختم ہوں میں

میری تخلیق کی کوئ وجہ ہے
یا پھر اک بے حقیقت رسم ہوں میں

ہوں میں بھی اک صحیفہ آسمانی
کہ ہر زرّے میں گویا رقم ہوں میں

زویا راؤ

Mita daale'n na mujhko chara-gar ye
Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Main

Kabhi haraa hua sa hausla hoo'n
Kabhi ambar chhue wo azm hoo'n Main

Hoo'n maa'n ke rehm mai aghaaz-e hasti
Magar har lehd me phir khatm hoo'n Main

Meri taqhleeq ki koi waja hai
Ya phir ik be haqeeqat rasm hoo'n Main

Hoo'n Mai bhi ik saheefa aasmani
Ke har zarre me goya raqm hoo'n Main

Zoya Rao

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo