Hattaa Kar Zullaf Chahray Say Na Chhat Par Sham KO Janaa Kahein KOi EID Na Kar Day Abi Ramzaan Baaqi Hai

"+,,+"
Hattaa Kar Zullaf
Chahray Say Na
Chhat Par Sham
KO Janaa...>
"+,,+"
Kahein KOi EID
Na Kar Day Abi
Ramzaan Baaqi
Hai...>

Kitne jugnu isi khwahish me mere sath chale koi rasta tere ghar ko bhi to jata hoga (Mohsin Naqvi)


Kitne jugnu isi khwahish me mere sath chale
koi rasta tere ghar ko bhi to jata hoga
Mohsin Naqvi

Har ikk shab meri taza azaab me guzari Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari


Har ikk shab meri taza azaab me guzari
Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari

Main aik phol huun wo mujh ko rakh ke bhool gaya
Tamam umr usi ki kitab mein guzari

Shab Jo hum se huaa muaa'f karo Pee nahi.n thi behak gaye ho.nge


شب جو ہم سے ہوا معاف کرو
پی نہیں تھی بہک گئے ہوں گے
Shab Jo hum se huaa muaa'f karo
Pee nahi.n thi behak gaye ho.nge

Main Nara Mastana,Main Shokhi-e-Rindana Main Tishna Kahan Jaon,Pi Kar Bhi Kahan Jana (Wasif Ali Wasif)


واصف علی واصف 
شب بخیر
میں نعرۂ مستانہ، میں شوخیِ رندانہ
میں تشنہ کہاں جاؤں، پی کر بھی کہاں جانا
میں طائرِ لاہوتی، میں جوہرِ ملکوتی
ناسوتی نے کب مجھ کو، اس حال میں پہچانا
میں سوز محبّت ہوں، میں ایک قیامت ہوں
میں اشکِ ندامت ہوں، میں گوہرِ یکدانہ
کس یاد کا صحرا ہوں، کس چشم کا دریا ہوں
خود طُور کا جلوہ ہوں، ہے شکل کلیمانہ
میں شمعِ فروزاں ہوں، میں آتشِ لرزاں ہوں
میں سوزشِ ہجراں ہوں، میں منزلِ پروانہ
میں حُسنِ مجسّم ہوں، میں گیسوئے برہم ہوں
میں پُھول ہوں شبنم ہوں، میں جلوۂ جانانہ
میں واصفِ بسمل ہوں، میں رونقِ محفل ہوں
اک ٹوٹا ہوا دل ہوں، میں شہر میں ویرانہ

Hum Us Din Eid Manaaein Ge, Wo Jin K Ghar Veeran Huye,


عید انتخاب
شاعر منان قدیر منان
بک ہم نہ ملتے تو اچھا تھا
صفحہ 67 68
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
وہ جن کے گھر ویران ہوۓ
وہ جن کے دل قبرستان ہوۓ
وہ پھول سے چہرے بچوں کے
مرجھاۓ ہوۓ اکتاۓ ہوۓ
جب دیکھتے ہیں تو اس دل سے
پھر اک پکار سی اٹھتی ہے
جب ان مایوس سی آنکھوں میں
کچھ روشن سے خواب آئیں گے
ہم اس دن عید منائیں گے
اے محرومو اے مظلومو
ہم مشکل کی ان گھڑیوں میں
نہ ساتھ تمہارا چھوڑیں گے
نہ ٹوٹنے دیں گے رشتہء غم
ہم دل سے دل جوڑیں گے
ہم سب مل کر دنیا والو
بس ایک ہی وعدہ کرتے ہیں
ہم ایک ارادہ کرتے ہیں
جب فاقہ کش یے لوگ یہاں
لاچار اٹھائیں ڈھاچے
تن ڈھاپیں گے کچھ کھائیں گے
ہم اس دن عید منائیں گے
نہ عید مناؤ دل والو
کچھ روگ ابھی باقی ہیں
یہاں زندہ لاشوں کی صورت
کچھ لوگ ابھی باقی ہیں
ہم جشن کا کیسے ذکر کریں
کچھ سوگ ابھی باقی ہیں
کیوں عید منائیں مذدور
زردار ابھی تک زندہ ہیں
کیوں خوش ہوتے ہو اہلء وطن
غدار ابھی تک زندہ ہیں
انسان کی خوشیوں کے دشمن
جب سولی پے چڑھ جائیں گے
ہم اس دن عید منائیں گے
.
Poet Manaan Qadeer Manan
Hum Us Din Eid Manaaein Ge,
Wo Jin K Ghar Veeran Huye,
Wo Jin K Dil Qabristaan Huye,
Wo Phool Se Chehre Bechon K,
Murjhaaye Huye Uktaaye Huye,
Jab Dekhte Hain To Is Dil Se,
Phir Aik Pukar Si Uthti Hai,
Jab In Mayoos Si Aankhoon Mein,
Kuch Roshan Khawaab Aaein Ge,
Hum Us Din Eid Manaaein Ge,
Ay Mehroomo Ay Mazloomo,
Hum Mushkil Ki In Gharriyon Mein,
Na Saath Tumhara Chhorrein Ge,
Na Tootne Dein Ge Rishta-E-Gham,
Hum Dil Se Dil Ko Jorrein Ge,
Hum Sub Mil Kar Dunya Walo,
Bas Aik Hi Wada Karte Hain,
Hum Aik Irada Karte Hain,
Jab Faqah Kash Ye Log Yahan,
Lachaar Uryaa'n Dhanche,
Tan Dhanpein Ge Kuch Khaein Ge,
Hum Us Din Eid Manaaein Ge
Na Eid Manaawo Dil Walo,
Kuch Rog Abhi Tak Baqi Hain,
Yahan Zinda Lashon Ki Soorat,
Kuch Log Abhi Tak Baqi Hain,
Hum Jashan Ka Kese Zikar Karein,
Kuch Sog Abhi Tak Baqi Hain,
Kion Eid Manaaein Mazdoor ?
Zardaar Abhi Tak Zinda Hain,
Kion Khush Hote Ho Ehl-E-Wattan ?
Ghadaar Abhi Tak Zindah Hain,
Insaan Ki Khushiyon K Dushman,
Jab Sooli Pe Charrh Jaein Ge,
Hum Us Din Eid Manaaein Ge

Dhva bna ke fiza mein udha diya mujh ko.. Ki main jal rha tha kise ne bhuja deya mujh ko..


Dhva bna ke fiza mein udha diya mujh ko..
Ki main jal rha tha kise ne bhuja deya mujh ko..

"Keh de-Tanhai Se Humein Chutkara Nahin Milta, "Ab Kisi Se B Andaz Humara Nahi Milta,


"Keh de-Tanhai Se Humein Chutkara Nahin Milta,
"Ab Kisi Se B Andaz Humara Nahi Milta,
"Qismat Mein Hi Na Ho Wafa To Kisi Se Kiya Gila,
"Ishq Mein Doobne Walon Ko Kinara Nahi Milta,
"Q Rota Hai Akela Beth Kar Kisi Ki Khatir,
"Jo Ik Baar Bichar Jaye Dubara Nahin Milta,
"Kuch Logon Ka Kehna Hai K Mil Jati Hai Har Cheez,
"Lekin Jo Asman Se Toot Jaye Wo Sitara Nahi Milta,
"Q Talash Karta Hai Wafa Duniya Mein,
"Yahan To Apno Se B Sahara Nahi Milta.....!!

(1)
Khushbu ka jism saaye ka paikar nazar to aaye
Dil jis ko dhoondta hai wo manzar nazar to aaye
Shaharyar

(2)
نمک کو ہاتھ میں لیکر, ستمگر سوچتے کیا ہو
ہزاروں زخم ہیں دل پرجہاں چاہو چھڑک ڈالو...

Namak Ko Haath Mein Lekar,Sitamgar Sochtey Kia Ho
Hazaron Zakham Hain Dil Par Jahan Chaho Chirrak Dalo
 

Dastaar Ke Har Taar Ki Tahqeeq Hai Lazim Har Sahib-e-Dastaar Muazaz Nahi Hota


Dastaar Ke Har Taar Ki Tahqeeq Hai Lazim
Har Sahib-e-Dastaar Muazaz Nahi Hota

Hai Apke Honton Pe Jo Muskaan Waghaira,Qurbaan Gaye Iss Pe Dil-o-Jaan Waghaira


ہےآپ کے ہونٹوں پہ جو مسکان وغیرہ
قربان گئے اس پہ دل وجان وغیرہ
بلی تویونہی مفت میں بد نام ہوئی ہے
تھیلے میں توکچھ اور تھا سامان وغیرہ
بےحرص وغرض فرض ادا کیجئے اپنا
جس طرح پولس کرتی ہے چالان وغیرہ
اب ہوش نہیں کوئی کہ بادام کہاں ہے
اب اپنی ہتھیلی پہ ہیں دندان وغیرہ
کس ناز سے وہ نظم کو کہہ دیتے ہیں نثری
جب اس کے خطا ہوتے ہیں اوزان وغیرہ
ہر شرٹ کو بشرٹ بنا ڈالی ہے انور
یوں چاک کیا ہم نے گریبان وغیرہ

Ham ko bhi wazu kar lenay do, Hum ko bhi ziyaarat karni hai


ھم کو بھی وضو کر لینے دو
ھم کو بھی زیارت کرنی ھے
.
کچھ لوگ تمھاری آنکہوں کو
ولیوں کا تہکانا کہتے ھیں

Ham ko bhi wazu kar lenay do,
Hum ko bhi ziyaarat karni hai,
.
Kuch loog tumhaari aankhon ko,
Walyoon ka thikaana kehtay hain.

Aah Ko Chahiye Ik Umar Asar Honey Tak,Kon Jeeta Hai Tere Zulf Ke Sahar Honey Tak (Mirza Asadullah Khan Ghalib)


آہ کو چاہیے اِک عُمر اثر ہونے تک
کون جیتا ہے تری زُلف کے سر ہونے تک


دامِ ہر موج میں ہے حلقۂ صد کامِ نہنگ
دیکھیں کیا گُزرے ہے قطرے پہ گُہر ہونے تک

عاشقی صبرطلب ، اور تمنّا بیتاب
دل کا کیا رنگ کروں خونِ جگر ہونے تک

ہم نے ماناکہ تغافل نہ کرو گے، لیکن
خاک ہو جائیں گے ہم، تم کو خبر ہونے تک

پرتوِ خُور سے ، ہے شبنم کو فنا کی تعلیم
میں بھی
ہوں ، ایک عنایت کی نظر ہونے تک

یک نظر بیش نہیں
فُرصتِ ہستی غافل!
گرمئِ بزم ہے اِک رقصِ شرر ہونے تک

غمِ ہستی کا، اسد ! کس سے ہو جُز مرگ ، علاج

شمع ہر رنگ
میں جلتی ہے سحر ہونے تک


Apni Ruswayi,Tere Naam Ka Charcha Dekhon,Ik Zara Shair Kahon Aur Main Kia Kia Dekhon (Parveen Shakir)


اپنی رسوائی ، ترے نام کا چرچا دیکھوں
اک ذرا شعر کہوں اور میں کیا کیا دیکھوں


نیند آجائے تو کیا محفلیں برپا دیکھوں
آنکھ کھل جائے تو تنہائی کا صحرا دیکھوں

شام بھی ہو گئی ، دھندلا گئیں آنکھیں بھی مری
بھولنے والے میں کب تک ترا رستا دیکھوں

ایک اک کر کے مجھے چھوڑگئیں سب سکھیاں
آج میں خود کو تری یاد میں تنہا دیکھوں

کاش صندل سے مری مانگ اجالے آ کر
اتنے غیروں میں وہی ، ہاتھ جو اپنا دیکھوں

تو مرا کچھ نہیں لگتا ہے مگرجانِ حیات!
جانے کیوں تیرے لئے دل کو دھڑکتا دیکھوں

بند کر کے مری آنکھیں وہ شرارت سے ہنسےبوجھے جانے کا میں ہر روز تماشا دیکھوں

سب ضدیں اس کی میں پوری کروں ، ہر بات سنوں
ایک بچے کی طرح سے اسے ہنستا دیکھوں

مجھ پہ چھا جائے وہ برسات کی خوشبو کی طرح
انگ انگ اپنا اسی رت میں مہکتا دیکھوں

پھول کی طرح میرے جسم کا ہر لب کھل جائے
پنکھڑی پنکھڑی ان ہونٹوں
کا سایہ دیکھوں

میں نے جس لمحے کو پوجا ہے ، اسے بس اک بارخواب بن کر تری آنکھوں میں اترتا دیکھوں

تو مری طرح سے یکتا ہے، مگر مرے حبیب!
جی میں آتا ہے کوئی اور بھی تجھ سا دیکھوں

ٹوٹ جائیں کہ پگھل جائیں
مرے کچے گھڑے
تجھ کو میں دیکھوں کہ آگ کا دریا دیکھوں

پروین شاکر


Tash Pa Munzono Duwagano Ao Tasbo Kho Na Da, Musalmani Bas Pa Rojo Ao Taravo Kho Na Da,(Ghani Khan)

(Ghani Khan)
Tash Pa Munzono Duwagano Ao Tasbo Kho Na Da,
Musalmani Bas Pa Rojo Ao Taravo Kho Na Da,
Nyatono Pak Ao Da Sheshey Ghuntake Zrrona Ghuwarri,
Tash Jomatono Ta Pa Tlo Ao Pa Ratlo Kho Na Da,
Daa Che Pa Gota Zaan Sandi Hagho Ta Dase Waya,
Staso Shamla Hum Barabar Zama Da Khpo Kho Na Da,
Stargey De Bya Pa Ranjo Dake Dake Tore Krrale,
Bya Erada Kho De Zamunga Da Weshto Kho Na Da,
Sta De Qasam Vi "Ghani" Che Hes Gham Ona Krre
Pa Taa Ba Nang Kavi Sta "Meena" Bepukhto Kho Na Da.....!!!

, Marqad-E-Ishq Pe Ab Aur Na Roya Jaye . . Raat Ka Pichhla Pehar Hai Chalo Soya Jaye . Noshi Gilani


نوشی گیلانی
.
مرقدء عشق پہ اب اور نہ رویا جاۓ
,
,
رات کا پچھلا پہر ہے چلو
سویا جاۓ
,
Marqad-E-Ishq Pe Ab Aur Na Roya Jaye
.
.
Raat Ka Pichhla Pehar Hai Chalo Soya Jaye
.
Noshi Gilani
Book Udas Hone K Din Nahi Hain

Fareb-O- Makar-O 'Takabbur Nahin Hunar Hona Daleel-O- Izzat-O- Azmat Nahin Hai Zar Hona


Fareb-O- Makar-O 'Takabbur Nahin Hunar Hona
Daleel-O- Izzat-O- Azmat Nahin Hai Zar Hona
"Rais" Apni Nazar Main To Ahle Fun Ho Magar
Bohot Kathin Hai Zamaane Main Mautabar Hona
( RAIS MANSOORI )

Urooj Par Hai Tumhara Maosam,Khizaan Mein Tum Ko Khareed Lein Gy


ﻋﺮﻭﺝ ﭘﺮ ﮬﮯ ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﻣﻮﺳﻢ
ﺧﺰﺍﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﮐﻮ ﺧﺮﯾﺪ ﻟﯿﮟ ﮔﮯ
ﺑﻨﻮ ﮔﮯ ﮬﻢ ﺳﮯ ﺭﺣﻢ ﮐﮯ ﻃﺎﻟﺐ
ﻧﮧ ﺗﻢ ﮐﻮ ﻣﮩﻠﺖ ﻣﺰﯾﺪ ﺩﯾﮟ ﮔﮯ
ﺍﺩﺍ ﮐﮯ ﻗﺼﮯ ﮬﻮﺋﮯ ﭘﺮﺍﺋﮯ
ﺟﻔﺎ ﮐﺎ ﻣﻮﺳﻢ ﺧﺘﻢ ﮬﯽ ﺳﻤﺠﮭﻮ
ﮐﺮﯾﮟ ﮔﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﺣﺴﺎﺏ ﺟﺎﻧﺎﮞ
ﻧﮧ ﺗﻢ ﮐﻮ ﻣﮩﻠﺖ ﻣﺰﯾﺪ ﺩﯾﮟ ﮔﮯ
ﻭﻓﺎ ﮐﮯ ﻻﻟﭻ ﻣﯿﮟ ﮬﻢ ﻧﮯ
ﺧﻮﻥ ﺍﭘﻨﺎ ﺳﮑﮭﺎ ﺩﯾﺎ
ﻓﺮﯾﺐ ﻣﺴﺘﯽ ﮐﮯ ﺑﺪﻟﮯ ﺗﻢ ﮐﻮ
ﺳﺰﺍ ﺑﮭﯽ ﺳﻦ ﻟﻮ ﺷﺪﯾﺪ ﺩﯾﮟ ﮔﮯ

Urooj Par Hai Tumhara Maosam,
Khizaan Mein Tum Ko Khareed Lein Gy
Bano Gy Hum Se Rehm Ke Talib,
Na Tum Ko Muhlat Mazeed Den Gy
Ada Ke Qissay Hue Paraye,
Jafa Ka Maosam Khatam Hi Samjho
Karen Gy Tum Se Hisaab Janaan,
Na Tum Ko Muhlat Mazeed Den Gy
Wafa Ke Lalach Mein Hum Ne,
Khoon Apna Sukha Diya
Faraib Masti Ke Badley Tum Ko,
Saza Bhi Sun Lo Shadeed Dein Gy

Haath Tuutein Mein Ne Gar Chherrin Hon Zulfein Aap Ki Aap Ke Sar Ki Qasam, Baad-E-Sabaa Thi Mein Na Tha


Haath Tuutein Mein Ne Gar Chherrin Hon Zulfein Aap Ki..........
Aap Ke Sar Ki Qasam, Baad-E-Sabaa Thi Mein Na Tha..........
*Momin Khan Momin*

ہاتھ ٹوٹیں میں نے گر چھیڑی ہوں زلفیں آپ کی
آپ کے سر کی قسم باد صبا تھی میں نہ تھا
مومن خان مومن

Ye Hijar Hai Tou Iska Faqat Vasal Hai Elaaj Hum Ne Ye Zakham Waqt Ko Bharney Nahi Diya


یہ ہجر ہے تو اسکا فقط وصل ہے علاج
ہم نے یہ زخم وقت کو بھرنے نہیں دیا
اس نے ہنسی ہنسی میں محبت کی بات کی
میں نے عدیم اس کو مکر نے نہیں دیا
عدیم ہاشمی

Ye Hijar Hai Tou Iska Faqat Vasal Hai Elaaj
Hum Ne Ye Zakham Waqt Ko Bharney Nahi Diya
Uss Ne Hansi Hansi Mein Muhabbat Ki Baat Ki
Main Ne "ADEEM" Usko Mukarney Nahi Diya
Adeem Hashmi

Main Ne Shab-e-Vasl Jo Urdu Mein Baat Ki,Bolein Tink Ke Ufff Meri Qismat Mein Ye Ganwaar


VASAL
 
>>>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<<<
(1)

ﻭﺻﻞ ﻧﻘﺼﺎﻥ ﮐﺮ ﮔﯿﺎ ﻣﯿﺮﺍ
ﻣﺮ ﮔﺌﯽ ﺁﺝ ﺷﺎﻋﺮﯼ ﻣﯿﺮﯼ

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
 (2)
میں نے شب وصل جو ___________ اردو میں بات کی ...

بولیں تنک کے أف ..... " میری قسمت میں یہ گنوار " ....!!

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
(3)
امید وصل نے دھوکے دئیے ہیں اس قدر حسرت
کہ اس کافر کی 'ہاں' بھی اب 'نہیں' معلوم ہوتی ہے
 <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<

Apni Kharaabiyon Ka Hai Mukhtasir Fasaana Aqvaal Aarifaana, Aamaal Ahmaqaana


Apni Kharaabiyon Ka Hai Mukhtasir Fasaana.........
Aqvaal Aarifaana, Aamaal Ahmaqaana...........

ﺍﭘﻨﯽ ﺧﺮﺍﺑﯿﻮﮞ ﮐﺎ ﮨﮯ ﻣﺨﺘﺼﺮ ﻓﺴﺎﻧﮧ
ﺍﻗﻮﺍﻝ ﻋﺎﺭﻓﺎﻧﮧ ، ﺍﻋﻤﺎﻝ ﺍﺣﻤﻘﺎﻧﮧ

mere tu lafz bhe kore k nhi tera nutqta bhe sanadhy...had hy


mere tu lafz bhe kore k nhi
tera nutqta bhe sanadhy...had hy
tere her baat sir ankhu phr
mere her baat he rad hy ...had hy
ashkh ankhu se ye keh kr nekla
ye tere zabat ki had hy ...had hy

Le gayeen duur bohot duur hawayen jisko Wahi badal thha meri pyaas bujane wala


I’ve seen the rain
On cool gray days
From windows with thick panes
The children jump
In puddles deep
The water rushes down the lane
I press my hands
Against the panes
I’m thirsty to my core
But I am told
My puddle days
Are gone forevermore

Crystal Jackson
>>>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<<

Le gayeen duur bohot duur hawayen jisko
Wahi badal thha meri pyaas bujane wala

Aik Hi Baar Ragein Kheinch Kion Nahi Laiti Aey Shab-e-Hijar Bata Tera Taqaza Kia Hai


ایک ہی بار رگیں کھینچ کیوں نہیں لیتی..!!
اے شب ہجر بتا _____ تیرا تقاضا کیا ہے..!!

Aik Hi Baar Ragein Kheinch Kion Nahi Laiti..!!!
Aey Shab-e-Hijar Bata Tera Taqaza Kia Hai..!!!

Na Hi Didar-E-Yaar Huwa Na Hi VO Galay Milay Main Kaisy Maan JaaOn JO Guzar Gai VO EID Thi


"+,,+"
Na Hi Didar-E-Yaar Huwa
Na Hi VO Galay Milay..>
"+,,+"
Main Kaisy Maan JaaOn
JO Guzar Gai VO EID Thi..>

Tangdastion Ke Haathon Ik Dosrey Ke Dil Mein Hum Bhi Karayadaar Hain,Tum Bhi Karayadaar (Razab Tabraiz)


Tangdastion Ke Haathon Ik Dosrey Ke Dil Mein
Hum Bhi Karayadaar Hain,Tum Bhi Karayadaar
(Razab Tabraiz)

Deewaron Se Mil Kar Rona Acha Lagta Hai,Hum Bhi Pagal Ho Jaingy Aisa Lagta Hai


شاعر: قیصرالجعفری
انتخاب : Sofia Malik

دیواروں سے مل کر رونا اچھا لگتا ہے
ہم بھی پاگل ہو جائیں گے ایسا لگتا ہے
کتنے دنوں کے پیاسے ہوں گے یارو سوچو تو
شبنم کا قطرہ بھی جن کو دریا لگتا ہے
آنکھوں کو بھی لے ڈوبا یہ دل کا پاگل پن
آتے جاتے جو ملتا ہے تم سا لگتا ہے
اس بستی میں کون ہمارے آنسو پونچھے گا
جو ملتا ہے اس کا دامن بھیگا لگتا ہے
دنیا بھر کی یادیں ہم سے ملنے آتی ہیں
شام ڈھلے اس سونے گھر میں میلہ لگتا ہے
کس کو پتھر ماروں قیصر کون پرایا ہے
شیش محل میں اک اک چہرہ اپنا لگتا ہے

Meri AAjzi jab muhbat main dhalti hai tO MALAIKA b rashak karty hain mujh faqeer ki faqeeri pe


میری عاجزی جب محبت میں ڈھلتی ھے تو
ملائیکہ بھی رشک کرتے ھیں مجھ فقیر کی فقیری پہ

Meri AAjzi jab muhbat main dhalti hai tO
MALAIKA b rashak karty hain mujh faqeer ki faqeeri pe

Mujh Ko Ye Fikar Kb Hai K Saaya Kahan Gaya..?? Suraj Ko R00 Raha H00n Khudaya Kahan Gaya


Mujh Ko Ye Fikar Kb Hai K Saaya Kahan Gaya..??
Suraj Ko R00 Raha H00n
Khudaya Kahan Gaya..??
Phir Aayiny Mein Kh00n Dikhaai Diya Mujhy
Aankh0n Mein Aa Gaya To
Chupaaya Kahan Gaya..??
Aawaz Dy Raha Tha K0i Mujh Ko Khuwab Mein
Lekin Khabar Nahin K Bulaaya Kahan Gaya..??
Kitny ChiraaGh Ghar Mein Jalaaye Gaye
Na Puch..!!
Ghar Ab Jal Gaya Hai
Jalaaya Kahan Gaya..??
Ye B Khabar Nahin Hai K Hamraah K0n Hai
Pucha Kahan Gaya Hai
Bataya Kahan Gaya..??
Wo B Badal Gaya Hai
Mujhy Bh00lny K Baad
Mujh Sy B Apny Ap Mein Aaya Kahan Gaya
Tujh Ko Ganva Diya Hai Magar Apny Ap Ko
Barbad Kr Diya Hai
Ganvaya Kahan Gaya..??

Yun tumhare natvaan-e shoq manzil bhar chale Khai thokar gir pare, gir kar uthay, uth kar chale


Yun tumhare natvaan-e shoq manzil bhar chale
Khai thokar gir pare, gir kar uthay, uth kar chale
Kis tarah tay ki hai manzil ishq ki ham ne na puch
Thak gaye jab paanv, tera nam le le kar chale
Qamar jalalvi

Ek safar hai azalon takk... Aur kuchh lamhe poonji...


Ek safar hai azalon takk...
Aur kuchh lamhe poonji...

Izhaar-e-Yaad Karon Yaa Pochon Hal-e-Dil? Aye Dil Kuch To Bahana Bata Un Se Baat Karne Ka...!!!


Izhaar-e-Yaad Karon Yaa Pochon Hal-e-Dil?
Aye Dil Kuch To Bahana Bata Un Se Baat Karne Ka...!!!

Chaman Khilate Ga'ye Mast-O-Naghmaa Khawaan Guzre, Rah-E-Wafa Ke Musafir Jahan Jahan Guzre,


Amjad Islam Amjad
Type By
*._.Murtaza._*
Chaman Khilate Ga'ye
Mast-O-Naghmaa
Khawaan Guzre,
Rah-E-Wafa Ke
Musafir Jahan Jahan
Guzre,
Guzar Ga'ye, Gham-E-
Hijran Ke Seenkrron
Moassam,
Tumhare Wasal Ke
Lamhe Na Meri Jaan
Guzre,
Wahan Wahan Hui
Zaroon Main Roshni
Peda,
Jahan Jahan Se
Mohabbat Ke Karwan
Guzre,
Musahiboon Main Ghiri
Zindagi Se Behtar Hai,
Woh Aik Sham Jo
Apnon Ke Darmiyaan
Guzre,
Na Apne Aap Ko Badla
Na Kuch Badal Paa'ye,
Thay Kam Hi Loog Jo
Hum Jaise Raa'egan
Guzre,
Kaheen Pe Darj Hai
Sub Kuch Jo Hone
Wala Hai,
Woh Saanhe Kaheen
Tay Thay Jo Nagahan
Guzre,
Yeh Jin Ki Goonj See
Har Pal Suna'ee Daiti
Hai,
Woh Rooz-O-Shab
Nahi Maa'loom, Kab
Kahan Guzre,
Sabab Yeh Hai Ke
Zamaane Ki Thi
Zubaan Kuch Aur,
Zuban Rakhte Hue
Hum Jo Be Zabaan
Guzre,
Kisi Ko Phir Na Milaa
Rang Meer-O-Ghalib
Ka,
Agarche Yoon Toh
Hazaroon Hi Khush
Bayaan Guzre,
Hai Raaste Ki Saraa'e
Sa Aadmi Ka Dil,
Kabhi Yaqeen Yahan
Thehre Kabhi Guman
Guzre,
Ajab Fazaa Hai
Chaman Ki Ke Phool
Kehte Hain,
Bahaar Aa'ye Na
Aa'ye Magar Khazaan
Guzre,
Fazaa Main Pheltee
Khushboo Pata Batati
Hai,
Kahan Kahan Se
Hamaare Woh
Raftgaan Guzre,
Havaa Misaal Zamana
Toh Chalta Rehta Hai,
Koi Malool Ho AMJAD
Ke Shadmaan Guzre,
Book Name
Sham Saraa'e,

Un AANKHON Se Pee Thi Jo Ek din GULABI GULABI, Usi Roz Se Hum Hove Hain SHARABI SHARABI,


Un AANKHON Se Pee Thi Jo Ek din

GULABI GULABI,

Usi Roz Se Hum Hove Hain

SHARABI SHARABI,

Ye Chaye Hain Badal Ya Zulfain Tumhari?

Ya Tum Ne Uraya Hai Aanchal,

GULABI GULABI.??

Kahan Se Main Laon?

Kahan Se Main Dhoondhon?

Wo Honton Ki Surkhi Wo Chahera,

KITABI KITABI,

Tumhari Mohabbat Mein Dunia Ne Hum Ko,

Ye Keh Kar Pukara Idhar Aa,

SHARABI SHARABI,

Khushi Ki Wo Mehfil Mubarik Ho Tum Ko,

Azal Se Hai Qismat Mein Apni,

KHARABI KHARABI,

Howe Jis Ki Khatir Barbad

Aye Dil

Salamat Rahe Wo Haseena,

SHABABI SHABABI......!

 



Jo Mujhe Samjh Na Saka Usay Haq Hai Mujhe Bura Hi Samjhe


Jo Mujhe Samjh Na Saka

Usay Haq Hai Mujhe Bura Hi Samjhe


Aankhein onchi hoien tu dua ban gaein Aankhein neechi hoien tu haya ban gaein


Aankhein onchi hoien tu dua ban gaein

Aankhein neechi hoien tu haya ban gaein

Jo jhuk kar othein tu khata ban gaein

Aur oth kar jhukein tu adaa ban gaein


Kion Saba Ki Na Ho Raftar Ghalat, Gul Ghalat Ghuncha Ghalat Khaar Ghalat


Poet Khalid Humbar 

Kion Saba Ki Na Ho Raftar Ghalat,

Gul Ghalat Ghuncha Ghalat Khaar Ghalat,

Wo Bhi Kuch Zid Pe Utar Aaye Hain,

Hum Karte Hain Kuch Guftar Ghalat,

Aik Daria Hai Apni Rawani Pe,

Kashtian Are Ghalat Par Ghalat,

Waqat Ulat De Na Basat-E-Hasti,

Chal Hum Chalte Hain Har Bar Ghalat....................!


Ye barishain bhi tum si hain,Jo baras gayi tou bahaar hain, Jo thehar gayi tou qaraar hain,Kabhi aa gayi yunhi be’sabab,


Ye barishain bhi tum si hain,Jo baras gayi tou bahaar hain,
Jo thehar gayi tou qaraar hain,Kabhi aa gayi yunhi be’sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab,Kabhi shor hai, kabhi chup si hain,
Ye barishain bhi tum si hain,Raat ko ik dabi hui si raakh ko,
Kabhi yun hua ke bujha dia,Kabhi khud se khud ko jala dia,
Kahin boond boond mein gum si hain,Ye barishain bhi tum si hain..

Us ki yaad aayee hai sanso zara ahista chalo Dharkano say bhi ibadat main khalal parta hai (Rahat Andori)


Us ki yaad aayee hai sanso zara ahista chalo
Dharkano say bhi ibadat main khalal parta hai
Rahat Andori

Sahib-E-Aqal Hain Aap Aik Maslaa TO Hal Kijiye Rukh-E-Yaar Nahin Dekhaa Kia Meri EID HO Gayi


"+,,+"
Sahib-E-Aqal Hain
Aap Aik Maslaa TO
Hal Kijiye...>
"+,,+"
Rukh-E-Yaar Nahin
Dekhaa Kia Meri EID
HO Gayi...>

Na Haath Diyaa Na Galay Milay Na Muyassar Tumhaari Deed Hui Ab Tum Hi BataO Aye Saajan Ye Qayamat Hui Ke EID Hui.


"+,,+"
Na Haath Diyaa
Na Galay Milay
Na Muyassar
Tumhaari Deed
Hui...>
"+,,+"
Ab Tum Hi BataO
Aye Saajan Ye
Qayamat Hui Ke
EID Hui...>

Bada Hi Dard Deta Hai Husn Ki Qaid Mein Dil Baab Me Dabi Hui Angasht Ki Tarah (Razab Tabraiz)

Bada Hi Dard Deta Hai Husn Ki Qaid Mein
Dil Baab Me Dabi Hui Angasht Ki Tarah
(Razab Tabraiz)

Tum Se Ye Farmaye Kon?Baat Zubaan Tak Laye Kon?





Khushi Ki Kia Majaal Keh Dass Jaye Qalb Ko Khizaan Me Koot Rakha Ho Agar Jabeen Ka Chaand (Razab Tabraiz)


Khushi Ki Kia Majaal Keh Dass Jaye Qalb Ko
Khizaan Me Koot Rakha Ho Agar Jabeen Ka Chaand
(Razab Tabraiz)


Tum Shab-e-Fi-Zamana Ko Taqseem Kar Dekho Gham-e-Dildar Se Ziada Gham-e-Aamaal Me Yaro (Razab Tabraiz)


Tum Shab-e-Fi-Zamana Ko Taqseem Kar Dekho
Gham-e-Dildar Se Ziada Gham-e-Aamaal Me Yaro
(Razab Tabraiz)


Gudrri Mein Aaj Bhi Attal Hai La'al Ka Wajood Aflaas Se Talaf Na Hui Aankh Ki Kashish (Razab Tabraiz)


Gudrri Mein Aaj Bhi Attal Hai La'al Ka Wajood
Aflaas Se Talaf Na Hui Aankh Ki Kashish
(Razab Tabraiz)


Dunya Ne Phir Na Pooch Kia Kia Naachghar Janey Jab Ghaag Aadmi Ne Uss Se Cheen Li Rida (Razab Tabraiz)




Dunya Ne Phir Na Pooch Kia Kia Naachghar Janey
Jab Ghaag Aadmi Ne Uss Se Cheen Li Rida
(Razab Tabraiz)

Yea Paharoon ka Faiz hai Verna Koun deta hai Dossri Awaz


یہ پہاڑوں کا فیض ھے ورنہ
کون دیتا ہے دوسری آواز.....!!!

Yea Paharoon ka Faiz hai Verna
Koun deta hai Dossri Awaz

Na ab raqeeb na nasegh na gham gusar koi Tum ashna the tu theen ashnayaan kia Kia


Na ab raqeeb na nasegh na gham gusar koi
Tum ashna the tu theen ashnayaan kia Kia !
Hum aieysey sada dilloon ki niaz mandi say !
buttoon ney ki hain jahan mae khuddayan kia kia

Abhi Mehw-e-Raqss hoon tO ye Alam hai Jab Wajjad hoga taari phir Manzar-e-ishq dekhna


ابھی محوِ رقص ہوں تو یہ عالم ہے
جب وجد ہو گا طاری، پھر منظرِ عشق دیکھنا.....

Abhi Mehw-e-Raqss hoon tO ye Alam hai
Jab Wajjad hoga taari phir Manzar-e-ishq dekhna

Ab Ke Eid Bhi Guzregi Udasion Mein Maatha Choom Ke Eid Mubarak Kehney Wali Maa Jo Paas Nahi


Ab Ke Eid Bhi Guzregi Udasion Mein
Maatha Choom Ke Eid Mubarak Kehney Wali Maa Jo Paas Nahi

dekhate bhi hain to yuan meri nigaahon men kabhi ajanabi jaise milaa karate hain raahon men kabhi


dekhate bhi hain to yuan meri nigaahon men kabhi
ajanabi jaise milaa karate hain raahon men kabhi
is kadar unaki najr, hamase to anjaan n thi
ek din thaa kabhi yuan hi jo machal jaate the
khelate the meri julfon se bahal jaate the
wo pareshaan the, meri julf pareshaan n thi
wo mohabbat wo sharaarat mujhe yaad ati hai
dil men ek pyaar kaa tufaan uthhaa jaati hai
thi magar aisi to ulajhan men meri jaan n thi

Hamein chiraagh samajh kar bujha na paaoge Hum apney Ghar mei.n kayee Aftab rakhtey hain (Rahat Indori)


Hamein chiraagh samajh kar bujha na paaoge
Hum apney Ghar mei.n kayee Aftab rakhtey hain
Rahat Indori
 
ہمیں چراغ سمجھ کر بجھا نہ پاوٓگے
ہم اپنے گھر میں کئ آفتاب رکھتے ہیں
راحت اندو
ری

aata hai Ramzan tumhari yaadon ka Meri Aankhen Neend Ke Roze Rakhti hain


aata hai Ramzan tumhari yaadon ka
Meri Aankhen Neend Ke Roze Rakhti hain

Ye terey khat ye teri khushboo ye terey khwaab-o-khyaal Mataa-e-jaa.n hai.n terey qaul-o-qasm ki tareh



یہ تیرے خط تیری خوشبو یہ تیری خواب و خیال
متاعِ جاں ہیں ترے قول و قسم کی طرح
گزشتہ سال انہیں میں نے گِن کے رکھا تھا
کسی غریب کی جوڑی ہوئی رقم کی طرح
 
جون ایلیا

Ye terey khat ye teri khushboo ye terey khwaab-o-khyaal
Mataa-e-jaa.n hai.n terey qaul-o-qasm ki tareh
Guzishta saal inhei.n mai.n ne gin ke dekha tha
Kisi ghareeb ki jodi huyee raqam ki tareh
Jaun Elia

Mein Kehta Hun Jis Dil Mein Zara Bhi Bad-Gumaani Ho Vahan Kuchh Aur Ho Toh Ho, Mohabbat Ho Nahin Sakti


Mein Kehta Hun Jis Dil Mein Zara Bhi Bad-Gumaani Ho ........
Vahan Kuchh Aur Ho Toh Ho, Mohabbat Ho Nahin Sakti ........

Ek Tabassum Hazaar Shikvo'n Ka Kitna Pyaara Javaab Hota Hai


Ek Tabassum Hazaar Shikvo'n Ka .....
Kitna Pyaara Javaab Hota Hai ......

Bujha Saka Hai Bhala Kon Vaqt Ke Sholey Yeh Aisi Aag Hai Jis Mein Dhuaa'n Nahin Hota


Bujha Saka Hai Bhala Kon Vaqt Ke Sholey.......
Yeh Aisi Aag Hai Jis Mein Dhuaa'n Nahin Hota......

Tarq-r-talluqaat pe roya na tu na mai Lekin yeh kya ki chain se soya na tu na mai


Tarq-e-talluqaat pe roya na tu na mai
Lekin yeh kya ki chain se soya na tu na mai

Ishq Mein Tehzeeb Ke Hein Aur Hi Kuchh Falsafey Tujhse Hokar Hum Khafa, Khud Se Khafa Rehne Lagey


Ishq Mein Tehzeeb Ke Hein Aur Hi Kuchh Falsafey........
Tujhse Hokar Hum Khafa, Khud Se Khafa Rehne Lagey......

Mehik Wafa Ki Koi Phool Se Juda Na Kare,Karon Mein Eid Tere Bin Koi Khuda Na Kare (Shahzad Qais)


مہک وَفا کی کوئی پھول سے جدا نہ کرے
کروں میں عید ترے بن کوئی خدا نہ کرے
جو چاند دیکھیں تو ہونٹوں کے چار چاند ملیں
سِوائے شکر کے پلکوں سے کچھ گرا نہ کرے
دُعا کا کاسہ بھی دونوں بنائیں مل جل کر
کوئی بھی اَپنے دَو ہاتھوں سے اَب دُعا نہ کرے
گلے ملیں تو کئی صدیوں تک سُکُوت رہے
رُکیں یوں گردِشیں دَھڑکن تلک چلا نہ کرے
نگاہیں بات نگاہوں کی یوں سمجھتی ہوں
لبوں سے کہہ کے کوئی عرضِ مدعا نہ کرے
خدا کرے کہ جفا عمر بھر میں کر نہ سکوں
اَگر کروں تو میری زِندگی وَفا نہ کرے
لبوں سے یوں چنوں پلکوں سے تیری غم ریزے
نصیب نام سے بھی غم کے آشنا نہ کرے
وُہ بازُو کیا جو سمیٹیں نہ عمر بھر تجھ کو
وُہ سر ہی کیا ، ترے زانو پہ جو رَہا نہ کرے
تری جبیں پہ مرے لب قنوتِ عشق پڑھیں
کسی کی تیرے سِوا جسم اِقتدا نہ کرے
وِصال و ہجر تو مولا کی دین وُہ جانے
نماز پیار کی دَھڑکن کبھی قضا نہ کرے
جدائی ہو تو مری عمر تجھ کو لگ جائے
وُہ قیس کیا جو حیات عشق میں فنا نہ کرے

Udaas Rehta Hai Mohallay Me Barish Ka Pani Aj Kal, Suna Hai Kaghaz Ki Kashti Banany Wale Bache Bary Ho Gaye.


Udaas Rehta Hai Mohallay Me Barish Ka Pani Aj Kal,
Suna Hai Kaghaz Ki Kashti Banany Wale Bache Bary Ho Gaye.

Kapdo ki dukaan se door Chand sikke ginte-ginte!!! Maine ek gareeb bachche ki aankho mein Eid ko marte dekha ???


Kapdo ki dukaan se door
Chand sikke ginte-ginte!!!
Maine ek gareeb bachche ki aankho mein Eid ko marte dekha ???

Duniyaadaari kabhi aayee hi nahin hummein, Chhal kabhi apne aap se kiya hi nahin. Bas jaise the....waise hi rahe.


Duniyaadaari kabhi aayee hi nahin hummein,
Chhal kabhi apne aap se kiya hi nahin.
Bas jaise the....waise hi rahe.

Zabar dasti agr Heerain bitha di jayen doli main Janazay unko kehty hain wo baratain nahi hoti


زبردستی اگر ہیریں ___ بٹھا دی جائیں ڈولی میں
 جنازے ان کو کہتے ہیں __ وہ باراتیں نہیں ہوتی

 Zabar dasti agr Heerain bitha di jayen doli main
Janazay unko kehty hain wo baratain nahi hoti

Talab ko ajar na dun, fiqar-e rahguzar na karun, safar mein ab ke hawaa ko bhi humsafar na karun.



Talab ko ajar na dun, fiqar-e rahguzar na karun,
safar mein ab ke hawaa ko bhi humsafar na karun.
Ubharte doobte sooraj se tod lun rishta,
main shaam odh ke so jaaun aur sehar na karun.
Ab iss se badh ke bhala kya ho ehtiyaat-e wafa?
main tere shehar se guzrun, tujhe khaber na karun.
Ye mere dard ki daulat, meri maata-e firaaq
in aansu’on ki wazaahat main umar bhar na krun.
Ujaad shab ki khalish ban ke bann mein kho jaaun
main chandni ki tarha khud ko dar-ba-dar na karun.
Wo ek pal ko dikhaayi toh de kahin "mohsin"
main jaan ganwa ke bhi uss pal ko mukhtasar na karun....!!!!!

Tujh se alag Kuchh bhi nahin hai zindagi mein. Thore se tum... Fir tum... Bas... Tum hi Tum.


Tujh se alag
Kuchh bhi nahin hai zindagi mein.
Thore se tum...
Fir tum...
Bas...
Tum hi Tum.

Main Jantaa Hun Meri Khudariyan Tujhy Kho Dain Gi Main Kia Kar0'n Mujhy MaaGny Say Nafrat Hai


"+,,+"
Main Jantaa Hun
Meri Khudariyan
Tujhy Kho Dain
Gi...>
"+,,+"
Main Kia Kar0'n
Mujhy MaaGny
Say Nafrat Hai...>

Raha Na Dil Mein Voh Bedard Aur Dard Raha Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha


Raha Na Dil Mein Voh Bedard Aur Dard Raha........
Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha ??????

Kuchh log bhi wehmo'n me giraftaar bht hain... Kuchh sheher ki galiyaa'n bhi pur-israar bht hain


Kuchh log bhi wehmo'n me giraftaar bht hain...
Kuchh sheher ki galiyaa'n bhi pur-israar bht hain...
Hai kon..?? Utarta hai wahan jiske liye chaand...??
Kehne ko to chehre pas-e-deewaar bht hain...
Hoto'n pe sulagte hue inkaar pe mat jaa...
Palko'n se parey bheegte iqraar bht hain...
Ye dhoop ki saazish hai k mausam ki sharaarat...??
Saaye wahan kam hain jahan ash'jaar bht hain...
Be-harf-e-talab unko ataa kar kbhii khud se...
Wo yun,, k sawaalii tere khuddaar bht hain...
Tum munsif-o-aadil hi sahi sheher me lekin...
Q khoon k chheentey sir-e-dastaar bht hain...??
Aye hijr ki bastii tu salaamat rahe lekin...
Sunsaan tere koocha-o-baazaar bht hain...
MOHSIN hme zid hai k ho andaaz-e-bayaa'n aor...
Hm log bhi Ghalib k tarafdaar bht hain...!!

Darti Rehti Hoo'n Ke Barish Mai'n Na Beh Jaye Kahi'n, Usne Aik Ghar Jo Banaya Hai Meri Aankho'n Mai'n


Darti Rehti Hoo'n Ke Barish Mai'n Na Beh Jaye Kahi'n,
Usne Aik Ghar Jo Banaya Hai Meri Aankho'n Mai'n....!!!

Miley Baghair Bichadna Bhi Uss Ki Aadat Thi




Darwaza Jo Khula Tou Nazar Aaye Wo Khare Hairat Hai Mujhe,Aaj Kidhar Bhool Pare Wo






Ye Qafas Hi Mujhe Aziz Hai,Yahan Tou Jii Longa Qarar Se Mujhe Ab Chaman Mein Na Le Chalo,Main Dara Hua Hon Bahaar Se




Ye Qafas Hi Mujhe Aziz Hai,Yahan Tou Jii Longa Qarar Se
Mujhe Ab Chaman Mein Na Le Chalo,Main Dara Hua Hon Bahaar Se

Gulshan Ki Baharon Main Rangeen Nazaron Main Jab Tum Mujhay Dhoondo Gay Aankhon Main Nami Hogi


Gulshan Ki Baharon Main
Rangeen Nazaron Main
Jab Tum Mujhay Dhoondo Gay
Aankhon Main Nami Hogi
Mehsoos Tumhein Har Dum
Phir Meri Kami Hogi
Aakash Pay Jab Taaray
Sangeet Sunayen Gay
Beetay Huvay Lamhon Ko
Aankhon Main Sajayein Gay
Tanhaai Kay Sholon Say
Jab Aaag Lagi Hogi
Mehsoos Tumehin Har Dum
Phir Meri Kami Hogi
Sawan Ki Ghataon Ka
Jab Shor Suno Gay Tum
Bikhray Huvay Maazi Kay
Auraaq Chuno Gay Tum
Mahol Kay Chehray Par
Jab Dhool Jami Hogi
Mehsoos Tumhein Har Dum
Phir Meri Kami Hogi
Jab Naam Mera Loo Gay
Tum Kaanp Rahay Ho Gay
Aansoo Bharay Daaman Say
Munh Dhaanp Rahay Ho Gay
Rangeen Ghataon Ki
Jab Shaaam Ghani Hogi
Mehsoos Tumhein Har Dum
Phir Meri Kami Hogi................................

Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay usko Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay usko


Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay usko
Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay usko
Jisay Kasheed Kia Tha Khumaar-e-Khushbuu Se
Misaal-e-Rang Hawaaon Mein Gholtay usko
Wo Khwaab Mein Hee Utarta Shuaa-e-Subah Ke Saath
Ham Apnay Aap Hee Palkon Pe Toultay usko
Wo Ashk Tha usay Aankhon Mein Dafan Hona Tha
Gohar Na Tha Ke Sitaaron Mein Roltay usko
Wo Be-Wafa Tha Tou Iqraar Lazmi Karta
Kuch Aur Dair Meri Jaan Tatoltay usko
Kisi Ki Aankh Se "Mohsin" Zaroor Peeta Hai
Tamaam Sheher Ne Dekha Hai Doultay usko

wo saahilon pe,gaanay walay,kia huae?? wo kashtyan chalaanay walay,kia huae


wo saahilon pe,gaanay walay,kia huae??
wo kashtyan chalaanay walay,kia huae??
wo subah aatay aatay ,reh gai kahan??
jo qaafelay thay aanay waalay,kia huae??
imaarten to jl k raakh ho gaeen,,,,,,,,,,,,,,,,,,
imaarten,bananay walay,kia huae????????
akelay ghar se,poochti ha be kasi,,,,,,,,,,,,
teraa dya jalaanay walay,kia huae????????
YE AAP HM,TO BOJH HAN ZAMEEN KA
ZAMEEN KA BOJH UTHAANAY WAALAY,KIA HUAE???

NASIR KAZMI

Wo Jaldbaaz Khafa Ho Ke Chal Diya Warna Tanazia'at Ka Kuch Hal Nikal Bhi Sakta Tha MohsinNaqvi


وہ جلدباز خفا ہو کے چل دیا ورنہ
تنازعات کا کچھ حل نکل بھی سکتا تھا

Wo Jaldbaaz Khafa Ho Ke Chal Diya Warna
Tanazia'at Ka Kuch Hal Nikal Bhi Sakta Tha

MohsinNaqvi

Mainu tera Shabab Le Baitha Rang Gora Gulaab Le Baitha


Mainu tera Shabab Le Baitha
Rang Gora Gulaab Le Baitha
Vehl Jad vi mili hai farzan tou
tere mukh di kitaab le baitha
Mainu tera Shabab le baitha
mainu jad vi tusi ho yaad aaye
din dihade sharab le baitha
Mainu tera shabab le baitha
kinni piti te kinni baki hai
mainu aho hisaab le baitha
mainu tera shabab le baitha
Shiv noon ik gham te hi bharosa si
Gham tou kora Jawaab le baitha
Mainu tera shabab le baitha
Rang gora gulaab le baitha

Agarche zor hawaon ne daal rakha hai, magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai.


Agarche zor hawaon ne daal rakha hai,
magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai.
Mohabbaton mein toh milna hai ya ujad jana,
mizaaj-e ishq mein kab etidaal rakha hai.
Hawa mein nasha hi nasha fazaa mein rang hi rang,
ye kis ne pairhan apna uchhaal rakha hai.
Bhale dino ka bharosa hi kya rahen na rahen,
so maine rishta-e ghum ko bahaal rakha hai.
Hum aise sada-dilon ko woh dost ho ki khuda,
sabhi ne wada-e fardaa pe taal rakha hai.
Hisaab lutf-e hareefan kiya hai jab toh khula,
ki doston ne zyada khyaal rakha hai.
Bhari bahaar mein ek shaakh par khila hai gulaab,
ki jaise tune hatheli pe gaal rakha hai.
Faraz’ ishq ki duniya toh khoobsurat thi,
ye kisne fitna-e-hijr-o-visaal rakha hai...!!!

ujar ujar ke sanawarti he tere hijr ki sham pooch kese guzarti he, tere hijr ki sham

ujar ujar ke sanawarti he tere hijr ki sham
pooch kese guzarti he, tere hijr ki sham
ye barg barg udasi bikhar rahi he meri
ke shakh shakh utarti he tere, hijr ki sham
ujaar ghar main koi chaand kab utarta he
sawal mujh se ye karti he, tere hijr ki sham
mere safar me ik aesa mor bhi aata he
jab apne ap se darti he ,tere hijr ki sham
boht azeez hen dil ko ye zakham zakham ruten
inhi ruton me nikharti he, tere hijr ki sham
ye mera dil, ye sarasar nigar khana e gham
sada isi main utarti he, tere hijr ki sham
jahan jahan bhi milen tere qurbaton ke nishan
wahan wahan se ubharti he ,tere hijr ki sham
ye hadsa tujhe shaed udas kar de ga
ke mere saath he marti he, tere hijr ki sham
TERAY HIJR KI SHAAM.......................




Bachpan mein bhari dupehri, naap aate the saara gaoon


Bachpan mein bhari dupehri, naap aate the saara gaoon
Jab se degree-centigrade pata chala,,,,
Jal jaate hain paon.................

Hijar Ki Shab Ka Kisi Ism Me Katna Mushkil


ہجر کی شب کا کسی اِسم میں کٹنا مشکل
چاند پورا ہے تو پھر درد کا گھٹنا مشکل
موجہءِ خواب ہے وہ ، اُس کے ٹھکانے معلوم
اب گیا ہے تو یہ سمجھو کہ پلٹنا مشکل
جن درختوں کی جڑیں دل میں اُتر جاتی ہیں
اُن کا آندھی کی درانتی سے بھی کٹنا مشکل
قوتِ غم ہے جو اِس طرح سنبھالے ہے مجھے
ورنہ بکھروں کسی لمحے تو سمٹنا مشکل
پروین شاکر

Phir Chand Khila Phir Raat Thami Phir Dil Ne Kaha Hai Teri Kami


Phir Chand Khila
Phir Raat Thami
Phir Dil Ne Kaha Hai Teri Kami
Phir Yaad K Jhonkey Mehak Gaye
Phir Pagal Armaan Behak Gaye
Phir Jannat Si Lagti Hai Zameen
Phir Guzre Lamhoon Ki Batien
Phir Jaagi Jaagi Si Hain Raatein
Phir Thehar Gayi Hai Palkoon Main Nami
Phir Dil Ne Kaha Hai......................... Teri Kami

Tujhe Dushmanon Ki Khabar Nati, Mujhey Doston Ka Pata Nahi Teri Daastan Koi Aur Thi, Mera Waaqaya Koi Aur Hai


Tujhe Dushmanon Ki Khabar Nati, Mujhey Doston Ka Pata Nahi
Teri Daastan Koi Aur Thi,
Mera Waaqaya Koi Aur Hai
Main Kisi Ke Daste Talab Main Hoon, To Kisi Kay Harf-E -Dua Main Hoon
Main Naseeb Hoon Kisi Aur Ka Mujhe Maangata Koi Aur Hai

Dohoop Ka Rang Aaj Gulabi Sa Tha Paharr Barf Ki Qabaa Orrhay Kitney Bhalay Maloom Ho Rahay Thy


Dohoop Ka Rang Aaj Gulabi Sa Tha
Paharr Barf Ki Qabaa Orrhay Kitney Bhalay Maloom Ho Rahay Thy
Gulabon Ki Narm Pattion Par Aos k Qatrey Jaisy Zindagi k Rang
Nikhaar Rahay Thy
Jaisy Zindagi Ka Asal Naam`December` Ho
Main Baraf Par Chal Kar Tumhari Har Vo Baat Dohrata Raha
Jo Tum Barafbari Mein Kaha Kartey Thy
Tum Kehtay.....
December Ka Aisa Mousam Mujhay Raas Ata Hay
Kaash k Saal Ka Har Maheena December Mein Simat Jaye
Mujhay December Mein Jeenay Ka Yeh Khush Numa Ehsas
Inhii Lafzon Ne Diya Hay
k Ab Main Basaa Aukaat Tumhari Sochon Mein Gum Ho Kar
Tumhein December Kaha Karta Hoon
Suno,Main Ab Iss December Ko Janey Nahi Donga
Main Saal Ka Har Maheena Iss Mein Samo Donga
Aur Phir Jab Tum Laut Kar Aao Ge
To Saal k Har Maheenay Mein December Ka Ehsas Pao Ge
Jab Kabhi Tum Mujh Se Khafa Hotay Ho To Yun Lagta Hay
k Apni Hi Zindagi Mujh Se Rooth Gayi Hay
Aur Jeenay Ka Vo Khilta Ehsas Murjha Jata Hay
Jo Tumhari Neeli Aankhon k Dam Se Pal Pal Zinda Rehta Hay
Kabhi Apni Neeli Aankhon Ko Ghour e Dekho
Yeh Meri Wafaon Ki Mehwar Aur Hamari Muhabbat Ki Raazdan Hain
Bas Tum jahan Se b Guzro
Yeh Aankhein Meri Chahat k Rang Liye Tumharii Tareek raahon Ko
Roshan Karein Gi
Aur Tumhein Dukh k Uss Ehsas Se Aarii Kar Dein Gi
Jo Tum Mujh Se Chupatey Rehtay Ho
Tumhein Kya Maloom k Tum Bin
December Mujh Se Khafa Khafa sa Hay
Waadi Mein Vo Rang-o-Boo Aur Yeh Barf Aisi Jam Gayi Hay k
Ab Shayed Yeh Kabhi Nahi Pighlay Gi
Main December Ki In Tanha Raaton Mein Bahir Aa k Baith Jata Hoon
Aur Apney Aangan Mein Halki Si Barfbari Dekh Kar
Meri Aankhein Bheeg Jati Hain
Tum Aa Jao k Tumhara Pasandeeda Mousam Beet Raha Hay
Dekho Main Ne Kya Kya Nahi Socha Tha

Ghanimat Hai Keh Ab Tak Jee Raha Hun Ba-Zaahir Yun Toh Koyi Ghum Nahin Hai


Ghanimat Hai Keh Ab Tak Jee Raha Hun...
Ba-Zaahir Yun Toh Koyi Ghum Nahin Hai....
Charaagh-E-Zindagi Ab Tak Hai Roshan....
Abhi Tak Iss Ki Lou Madham Nahin Hai.....
Mera Sarmaaya Saara Lut Chuka Hai........
Magar Lab Par Koyi Maatam Nahin Hai......

غنیمت ھے کے اب تک جی رھا ھوں
بظاہر یو ں تو کوئی غم نہیں ھے
چراغ۔ زندگی ابتک ھے روشن
ابھی تک اس کی لو مدھم نہیں ھے
مرا سرمایہ سارا لٹ چکا ھے
مگر لب پر کوئی ماتم نہیں ھے

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo