Namaz Parh Ke Dua Ki ! Mazeed Kia Karte ? Tere Firaq Me Hum Aur Eid Kia Karte ?



Namaz Parh Ke Dua Ki ! Mazeed Kia Karte ?
Tere Firaq Me Hum Aur Eid Kia Karte ?

Saari Ki Tarah Khud Pe Mujh Ko Bandhne K Baad



ساڑھی کی طرح خود پہ
مجھ کو باندھنے کے بعد

جو بچ رہوں تو
ہاتھ پر لپیٹ لیجئے

رزب تبریز

Saari Ki Tarah Khud Pe
Mujh Ko Bandhne K Baad

Jo Bach Rahon Tou 
Haath Par Lapait Lijiye

Razab Tabraiz

Mohey Sajan Maang Me Jab Sendoor Nahi Tere Naam Ka Chaap , Tilak , Paael ,Nathli , Choodi ,Kangna Kis Kaam Ka



موہے ساجن ! مانگ میں جب سیندور نہیں ترے نام کا
چھاپ، تِلک ، پائل ، نتھلی ، چوڑی ، کنگنا کس کام کا

رحمان فارس
Mohey Sajan Maang Me Jab Sendoor Nahi Tere Naam Ka
Chaap , Tilak , Paael ,Nathli , Choodi ,Kangna Kis Kaam Ka

Rehman Faris

Bade Gun Hain Bechaari Me Magar Milta Nahi Bar Saleeqawar Hai , Sughad Hai Magar Gori Nahi Hai



بڑے گُن ہیں بچاری میں مگر ملتا نہیں بر
سلیقہ ور ہے ، سگھڑ ہے مگر گوری نہیں ہے

رحمان فارس

Bade Gun Hain Bechaari Me Magar Milta Nahi Bar
Saleeqawar Hai , Sughad Hai Magar Gori Nahi Hai

Rehman Faris

Kehny Ko Tou Hain Juda Juda Magar Jachtay Hain Aik Saath Hi Barish , Khidki , Shairi , Main Tum Aur Chaai



کہنے کو تو ہیں جدا جدا مگر جچتے ہیں ایک ساتھ ہی
بارش، کھڑکی، شاعری، میں تم اور چائے
Kehny Ko Tou Hain Juda Juda Magar Jachtay Hain Aik Saath Hi
Barish , Khidki , Shairi , Main Tum Aur Chaai

Thi Waqt e Tahajud Meri Aur Uski Hatheli Faris ! Woh Munajaat Thi Aisi Keh Na Poocho



تھی وقتِ تہجد مری اور اُس کی ہتھیلی
فارس! وہ مُناجات تھی ایسی کہ نہ پوچھو

رحمان فارس
Thi Waqt e Tahajud Meri Aur Uski Hatheli
Faris ! Woh Munajaat Thi Aisi Keh Na Poocho

Rehman Faris

Jate Jate Le Jao Boson Ke Phool Maathay Par , Lab Par , Galon Par , Aankhon Par



جاتے جاتے لے جاؤ بوسوں کے پھول
ماتھے پر، لب پر، گالوں پر، آنکھوں پر

رحمان فارس

Jate Jate Le Jao Boson Ke Phool
Maathay Par , Lab Par , Galon Par , Aankhon Par

Rehman Faris

Ishq Ki Barish Mein Mat Bheego , Pachtaogy O Mitti Se Bany Khilono ! Ghul Jaogy



عشق کی بارش میں مت بھیگو، پچھتاؤ گے
او مٹّی سے بنے کھلونو ! گُھل جاؤ گے

تُم نے دین و دُنیا کھو کر جس کو پایا
اب اُس شخص کو کھو کر آخر کیا پاؤ گے ؟

عشق نہ ھو تو لمس لطافت کھو دیتا ھے
ھوس پرستو ! چُھو چُھو کر اُکتا جاؤ گے

اُس کے جسم کے ھر تل میں ھیں لاکھوں تارے
ساری رات گنو بھی تو کیا گِن پاؤ گے ؟

رحمان فارس
Ishq Ki Barish Mein Mat Bheego , Pachtaogy
O Mitti Se Bany Khilono ! Ghul Jaogy

Tum Ne Deen o Dunya Kho Kar Jis Ko Paaya
Ab Uss Shakhs Ko Kho Kar Aakhir Kia Paaogy

Ishq Na Ho Tou Lams Latafat Kho Deta Hai
Hos-Parasto ! Chho Chho Kar Ukta Jaogy

Uss Ke Jism Ke Har Til Mein Hain Lakhon Tare
Saari Raat Gino Tou Gin Na Paaogy

Rehman Faris

Aankhon Ko Mat Ghor Se Dekha Kar , Piyare Aankhein Reh Jati Hain Aksar Aankhon Par



  آنکھوں کو مت غور سے دیکھا کر ، پیارے
آنکھیں رہ جاتی ہیں اکثر آنکھوں پر

رحمان فارس
Aankhon Ko Mat Ghor Se Dekha Kar , Piyare
Aankhein Reh Jati Hain Aksar Aankhon Par

Rehman Faris

Basti Basti Peet Dhandora , O Ri Saki Man Mohni Kreshan Piya Ki Doori Se Adh Moi Hai Radha Sohni



بستی بستی پیٹ ڈھنڈورا ، او ری سکھی من موہنی
کرشن پیا کی دُوری سے ادھ موئی ہے رادھا سوہنی

رحمان فارس
Basti Basti Peet Dhandora , O Ri Saki Man Mohni
Kreshan Piya Ki Doori Se Adh Moi Hai Radha Sohni

Rehman Faris

Hum Kisi Aur Ke Haathon Se Na Hongy Ghail Zakhm Dewy Toh Wahi Dast e Hinayi Dewy



ہم کسی اور کے ہاتھوں سے نہ ہونگے گھائل
زخم دیوے تو وہی دستِ حنائی دیوے

رحمان فارس

Hum Kisi Aur Ke Haathon Se Na Hongy Ghail
Zakhm Dewy Toh Wahi Dast e Hinayi Dewy

Rehman Faris

Tum Ikhteyaat Ke Mare Na Aaye Barish Mein Hamare Saath Parinday Nahaai Barish Mein



تم احتیاط کے مارے نہ آئے بارش میں
ہمارے ساتھ پرندے نہائے بارش میں

رحمان فارس
Tum Ikhteyaat Ke Mare Na Aaye Barish Mein
Hamare Saath Parinday Nahaai Barish Mein

Rehman Faris

Faqat Khala Tha Nahi , Khala Bhi Kahein Nahi Tha Adamkadey Me Na Thay , Zaman o Makaan Kahein Bhi



فقط خلا تھا
نہیں، خلا بھی کہیں نہیں تھا
عدم کدے میں نہ تھے زمان و مکاں کہیں بھی
عدم کدہ بھی کہیں نہیں تھا
نہ وقت تھا اور نہ رنگ و بو تھے
نہ تخت و بالا نہ چار سُو تھے
وجود معدوم، ہست کا ہر نشاں ندارد
زمیں سرے سے نہیں تھی اور آسماں ندارد
نہ روح کی لے ، نہ سانس کی دُھن
نہ جاں کی آہٹ ، نہ دِل کی سُن گُن
پھر ایک آواز گونج اُٹھی کُن!

رحمان فارس
Faqat Khala Tha
Nahi , Khala Bhi Kahein Nahi Tha
Adamkadey Me Na Thay , Zaman o Makaan Kahein Bhi 
Adamkada Bhi Kahein Nahi Tha
Na Waqt Tha Na Rang o Boo Thay
Na Takht o Bala Na Chaar Soo Thay
Wajood Ma'adoom , Hast Ka Har Nishaan Na Darad
Zameen Sere Se Nahi Thi Aur Asman Na Darad
Na Rooh Ki Ley , Na Saans Ki Dhun
Na Jaan Ki Aahat , Na Dil Ki Sun Gun
Phir Aik Aawaaz Goonj Uthi 'KUN'

Rehman Faris

Khare Thay Dono Taraf Paid Chatriyaan Le Kar Keh Rasta Na Kahein Bheeg Jaae Barish Mein



کھڑے تھے دونوں طرف پیڑ چھتریاں لیکر
کہ راستہ نہ کہیں بھیگ جائے بارش میں

رحمان فارس
Khare Thay Dono Taraf Paid Chatriyaan Le Kar
Keh Rasta Na Kahein Bheeg Jaae Barish Mein

Rehman Faris

Main Itnay Rang Bikhartay Na Dekh Paaonga Khuda-Ra Koi Bhi Titli Na Jaae Barish Mein



 میں اتنے رنگ بکھرتے نہ دیکھ پاؤں گا
خدارا کوئی بھی تتلی نہ جائے بارش میں

Main Itnay Rang Bikhartay Na Dekh Paaonga
Khuda-Ra Koi Bhi Titli Na Jaae Barish Mein

Gai Ruton Ki Koi Aisi Baat Yaad Aai Na Phool Pattay Na Hum Muskuraye Barish Mein



گئ رتوں کی کوئی ایسی بات یاد آئی
نہ پھول پتے نہ ہم مسکرائے بارش میں

رحمان فارس
Gai Ruton Ki Koi Aisi Baat Yaad Aai
Na Phool Pattay Na Hum Muskuraye Barish Mein

Rehman Faris

Tab Main Kahon Keh Aankh Ne Deed Ka Haq Ada Kia Jab Woh Jamaal e Kam Numa Dekhay Bina Dekhayi De



تب مَیں کہوں کہ آنکھ نے دید کا حق ادا کِیا
جب وہ جمالِ کم نُما دیکھے بِنا دکھائی دے
رحمان فارس

Tab Main Kahon Keh Aankh Ne Deed Ka Haq Ada Kia
Jab Woh Jamaal e Kam Numa Dekhay Bina Dekhayi De
Rehman Faris

Pehley Pukaartey They Mujhey Gaaliyon K Saath Phir Thak Gaey, Bulaaney Lagey Taaliyon K Saath



پہلے پُکارتے تھے مُجھے گالیوں کے ساتھ
پھر تھک گئے، بُلانے لگے تالیوں کے ساتھ

اِن لڑکیوں کے بھیس میں پریاں بھی ھیں بہت
مت بیٹھیو اُداس بدن والیوں کے ساتھ

چَھن چَھن کے آ رھی تھی اُس اُجلے بدن کی آنچ
پوشاک تھی سیَاہ مگر جالیوں کے ساتھ

ھمدم نہ ھو تو کیا بھلا پینے کا فائدہ ؟
بیٹھا ھُوں کب سے چائے کی دو پیالیوں کے ساتھ

دُنیا سے بھی گُریز ھے، مَے سے بھی احتراز
میرا نہیں ھے ربط اب اِن سالیوں کے ساتھ

شامِ سیاہ اور شبِ تاریک خُوب ھیں
اچھی گُذر رھی ھے اِنہی کالیوں کے ساتھ

چُومے گی شاھزادی اُسی شہ سوار کو
آئے گا جو گُلوں سے لدی ڈالیوں کے ساتھ

کچّے گھروں کے ساتھ ھیں اُونچی حویلیاں
بدحالیاں ھیں شہر میں خُوشحالیوں کے ساتھ

ھونٹوں پہ ھیں نشان تو گالوں پہ ھیں گُلال
کس مُنہ سے گھر کو جاؤ گے ان لالیوں کے ساتھ ؟

کچھ پتّیاں، ذرا سی مہک اور تھوڑا رنگ
بیٹھا ھُوں اِس اُمید پہ مَیں مالیوں کے ساتھ

فارس ! کبھی تو آئیے درگاہِ عشق میں
مَے بھی پلائی جائے گی قوّالیوں کے ساتھ

رحمان فارس

Pehley Pukaartey They Mujhey Gaaliyon K Saath
Phir Thak Gaey, Bulaaney Lagey Taaliyon K Saath

In Larkiyon K Bhais Mein Priyaan Bhi Hein Bohat
Mat Bethiyo Udaas Badan Waaliyon K Saath

Chhan Chhan K Aa Rahi Thi Us Ujley Badan Ki Aanch
Poshaak Thi Seyaah Magar Jaaliyon K Saath

Hamdam Na Ho To Kya Bhlaa Peeney Ka Faaida ?
Betha Hoon Kab Se Chaaey Ki Do Pyaaliyon K Saath

Duniya Se Bhi Gurez Hai, Mai Se Bhi Ehtraaz
Mera Nahin Hai Rabt Ab In Saaliyon K Saath

Shaam-e-Sayaah Aur Shab-e-Taareek Khoob Hein
Achhi Guzar Rahi Hai Inhi Kaaliyon K Saath

Choomey Gi Shaahzaadi Usi Sheh-Swaar Ko
Aaey Ga Jo Gulon Se Bhri Daaliyon K Saath

Kacchey Gharon K Saath Hein Oonchi Haweliyaan
Bad-Haaliyaan Hein Shehr Mein Khush-Haaliyon K Saath

Honton Pe Hein Nishaan Toh Gaalon Pe Hein Gulaal
Kis Munh Se Ghar Ko Jaao Gey In Laaliyon K Saath ?

Kuch Pattiyaan, Zara Si Mehek Aur Thora Rang
Betha Hoon Is Umeed Pe Main Maaliyon K Saath

Faris ! Kabhi Toh Aaiyey Dargaah-e-Ishq Mein
May Bhi Pilaai Jaaey Gi Qawwaaliyon Ke Saath

Rehman Faris

Itney Mukhtalif Kyun Hein Faislon Ke Paymaaney ? Ham Karein Toh Dehshat-Gard, Tum Karo To Deevaaney



 اتنے مُختلف کیوں ھیں فیصلوں کے پیمانے ؟
ھم کریں تو دھشت گرد ! تُم کرو تو دیوانے

تُم تو خون کی ھولی کھیل کر بھی ھو معصُوم
قتل بھی کیے تُم نے، جُرم بھی نہیں مانے

اس لیے بنایا ھے گھر کے پاس قبرستان
روز جانا پڑتا ھے کتنی لاشیں دفنانے

ایک قتل کرتا ھے، ایک قتل ھوتا ھے
واقعہ بس اتنا ھے، باقی سب خُدا جانے

ایک دن تو آئیں گے سب کے سامنے فارس
ظلم کے سبھی قِصّے، صبر کے سب افسانے

رحمان فارس

Itney Mukhtalif Kyun Hein Faislon Ke Paymaaney ?
Ham Karein Toh Dehshat-Gard, Tum Karo To Deevaaney

Tum Toh Khoon Ki Holi Khail Kar Bhi Ho Maasoom
Qatal Bhi Kiey Tum Ne, Jurm Bhi Nahin Maaney

Is Liey Banaaya Hai Ghar Ke Paas Qabristan
Roz Jaana Parta Hai Kitni Laashein Dafnaaney

Aik Qatal Karta Hai, Aik Qatal Hota Hai
Waaqia Bas Itna Hai, Baaqi Sab Khuda Jaaney

Aik Din Toh Aaein Gey Sab K Saamney, Faris !
Zulm Ke Sabhi Qissey, Sabar Ke Sab Afsaaney

Rehman Faris

Har Cheez Mushtarik Thi Hamaari Siwaaey Naam Aur Aaj Reh Gaya Hai Ta'alluq Braaey Naam



  ھر چیز مُشترک تھی ھماری سِوائے نام
اور آج رہ گیا ھے تعلُّق برائے نام

اشیائے کائنات سے نا آشنا تھا مَیں
پھر ایک اِسم نے مُجھے سب کے سِکھائے نام

تب مَیں کہوں کہ سچّا ھُوں یک طرفہ عشق میں
وہ میرا نام پُوچھے، مُجھے بُھول جائے نام

وہ دلرُبا بھی تھی کسی شاعر کی کھوج میں
مَیں نے بھی پھر بتایا تخلّص بجائے نام

محفِل میں چُپ بھی بیٹھوں تو پہچانتے ھیں لوگ
بدنام ھو کوئی تو کہاں تک چُھپائے نام

لشکر بنا رھا ھُوں جوانانِ عشق کا
جس میں بھی آگ ھے، مُجھے مِل کر لکھائے نام

مَیں نام رکھ نہ پایا گُلِ نَو شگُفتہ کا
حالانکہ شاخِ گُل نے ھزاروں سُجھائے نام

تُو عشق پائے عشق کے مرنے کے بعد بھی
فارس ! مزارِ دل پہ ترا جگمگائے نام

رحمان فارس

Har Cheez Mushtarik Thi Hamaari Siwaaey Naam
Aur Aaj Reh Gaya Hai Ta'alluq Braaey Naam

Ashyaa-e-Kaainaat Se Naa-Aashna Tha Main
Phir Aik Ism Ne Mujhey Sab Ke Sikhaaey Naam

Tab Main Kahon Keh Saccha Hon Yak-Tarfa Ishq Mein
Woh Mera Naam Poochhey, Mujhey Bhool Jaaey Naam

Woh Dilrubaa Bhi Thi Kisi Shaair Ki Khoj Mein
Main Ne Bhi Phir Btaaya Takhallus Bajaaey Naam

Mehfil Mein Chup Bhi Bethon Toh Pehchaantey Hein Log
Badnaam Ho Koi Toh Kahan Tak Chhupaaey Naam

Lashkar Banaa Raha Hoon Jawaanaan-e-Ishq Ka
Jis Mein Bhi Aag Hai, Mujhey Mil Kar Likhaaey Naam

Main Naam Rakh Na Paaya Gul-e-Nau-Shagufta Ka
Haalankey Shaakh-e-Gul Ne Hazaaron Sujhaaey Naam

Tu Ishq Paaey Ishq Ke Marney K Baad Bhi
Faris ! Mazaar-e-Dil Pe Tera Jagmagaaey Naam

Rehman Faris

Jab Khizaan Aaey Toh Pattey Na Samar Bachta Hai Khaali Jholi Liey Weeraan Shajar Bachta Hai



جب خزاں آئے تو پتّے نہ ثَمَر بچتا ھے
خالی جھولی لیے ویران شجَر بچتا ھے

نُکتہ چِیں ! شوق سے دن رات مِرے عَیب نکال
کیونکہ جب عَیب نکل جائیں، ھُنَر بچتا ھے

سارے ڈر بس اِسی ڈر سے ھیں کہ کھو جائے نہ یار
یار کھو جائے تو پھر کونسا ڈر بچتا ھے

روز پتھراؤ بہت کرتے ھیں دُنیا والے
روز مَر مَر کے مِرا خواب نگر بچتا ھے

غم وہ رستہ ھے کہ شب بھر اِسے طَے کرنے کے بعد
صُبحدم دیکھیں تو اُتنا ھی سفر بچتا ھے

بس یہی سوچ کے آیا ھُوں تری چوکھٹ پر
دربدر ھونے کے بعد اک یہی در بچتا ھے

اب مرے عیب زدہ شہر کے شر سے، صاحب
شاذ و نادر ھی کوئی اھلِ ھُنر بچتا ھے

عشق وہ علمِ ریاضی ھے کہ جس میں فارس
دو سے جب ایک نکالیں تو صفَر بچتا ھے

رحمان فارس

Jab Khizaan Aaey Toh Pattey Na Samar Bachta Hai
Khaali Jholi Liey Weeraan Shajar Bachta Hai

Nukta-Cheen ! Shoq Se Din Raat Merey Aib Nikaal
Kyunkey Jab Aib Nikal Jaaein, Hunar Bachta Hai

Saarey Dar Bas Isi Dar Se Hein K Kho Jaaey Na Yaar
Yaar Kho Jaaey To Phir Konsa Dar Bachta Hai

Roz Pathraao Bohat Kartey Hein Duniya Wale
Roz Mar Mar Ke Mera Khuwaab-Nagar Bachta Hai

Gham Woh Rastaa Hai K Shab Bhar Isey Tay Karney Ke Baad
Subah-Dam Dekhein Toh Utna Hi Safar Bachta Hai

Bas Yehi Soch K Aaya Hoon Teri Chokhat Par
Dar-ba-Dar Honey K Baad Ik Yehi Dar Bachta Hai

Ab Mere Aib-Zadaa Shehr Ke Shar Se, Sahib !
Shaaz-o-Naadar Hi Koi Ahl-e-Hunar Bachta Hai

Ishq Woh Ilm-e-Rayaazi Hai K Jis Mein ''Faris''
Do Se Jab Aik Nikaalein To Sifar Bachta Hai

Rehman Faris

Main Ne Kaha , Woh Piyaar Ke Reshtay Nahi Rahe,Kehnay Lagi Keh Tum Bhi Tou Waise Nahi Rahai



میں نے کہا وہ پیار کے رشتے نہیں رہے
‎کہنے لگی کہ تم بھی تو ویسے نہیں رہے

‎پوچھا گھروں میں کھڑکیاں کیوں ختم ہوگئیں؟
‎بولی کہ اب وہ جھانکنے والے نہیں رہے

‎پوچھا کہاں گئے مرے یارانِ خوش خصال
‎کہنے لگی کہ وہ بھی تمہارے نہیں رہے

‎اگلا سوال تھا کہ مری نیند کیا ہوئی؟
‎بولی تمہاری آنکھ میں سپنے نہیں رہے

‎پوچھا کروگی کیا جو اگر میں نہیں رہا؟
‎بولی یہاں تو تم سے بھی اچھے ، نہیں رہے

‎آخر وہ پھٹ پڑی کہ سنو اب مرے سوال
‎کیا سچ نہیں کہ تم بھی کسی کے نہیں رہے

‎گو آج تک دیا نہیں تم نے مجھے فریب
‎پر یہ بھی سچ ہے تم کبھی میرے نہیں رہے

‎اب مدتوں کے بعد یہ آئے ہو دیکھنے
‎کتنے چراغ ہیں ابھی ، کتنے نہیں رہے

‎میں نے کہا مجھے تری یادیں عزیز تھیں
‎ان کے سوا کبھی ، کہیں اُلجھے نہیں رہے

‎کیا یہ بہت نہیں کہ تری یاد کے چراغ
‎اتنے جلے،کہ مُجھ میں اندھیرے نہیں رہے

‎کہنے لگی تسلّیاں کیوں دے رہے ہو تم
‎کیا اب تمہاری جیب میں وعدے نہیں رہے

‎بہلا نہ پائیں گے یہ کھلونے حروف کے
‎تم جانتے ہو ہم کوئی بچّے نہیں رہے

‎بولی کریدتے ہو تم اُس ڈھیر کو جہاں
‎بس راکھ رہ گئی ہے ، شرارے نہیں رہے

‎پوچھا تمہیں کبھی نہیں آیا مرا خیال
‎کیا تم کو یاد یار پرانے نہیں رہے

‎کہنے لگی میں ڈھونڈتی تیرا پتہ ، مگر
‎جن پر نشاں لگے تھے ، وہ نقشے نہیں رہے

‎تیرے بغیر شہرِ سخن سنگ ہو گیا
‎ہونٹوں پہ اب وہ ریشمی لہجے نہیں رہے

‎جن سے اُتر کے آتی دبے پاؤں تیری یاد
‎خوابوں میں بھی وہ کاسنی زینے نہیں ہے

‎میں نے کہا ، جو ہو سکے ، کرنا ہمیں معاف
‎تم جیسا چاہتی تھیں ، ہم ایسے نہیں رہے

‎ہم عشق کے گدا ، تیرے در تک تو آ گئے
‎لیکن ہمارے ہاتھ میں کاسے نہیں رہے

‎اب یہ تری رضا ہے،کہ جوچاہے، سو کرے
‎ورنہ کسی کے کیا ، کہ ہم اپنے نہیں رہے
پروین شاکر

Goonge labon pe harf e tamana kiya mujhe Kis kor-chashm shab mein sitaara kiya mujhe



گونگے لبوں پہ حرف تمنا کیا مجھے
کس کور چشم شب میں ستارا کیا مجھے

خوشبو ہے چاندنی ہے لب جو ہے اور میں
کس بے پناہ رات میں تنہا کیا مجھے

Goonge labon pe harf e tamana kiya mujhe
Kis kor-chashm shab mein sitaara kiya mujhe

Khushboo hai, chaandni hai, lab e joo hai aur main
Kis be-panaah raat mein tanha kiya mujhe

Parveen Shakir

Lab e Yaar Chomny Se Us Mein Jaan Aa Gai Siski Jo Mar Gai Thi Sharafat Ke Naam Par



لبِ یار چومنے سے اس میں جان آگئی
سسکی جو مر گئی تھی شرافت کے نام پر

رزب تبریز

Lab e Yaar Chomny Se Us Mein Jaan Aa Gai
Siski Jo Mar Gai Thi Sharafat Ke Naam Par

Razab Tabraiz

Sab Ne Poochha Khazaan Kia Hoti Haey? Tum Ne Meri ,Misaal Dee Hoti



سَب نے پُوچھا،خزاں کیا ہَوتی ہے ؟
تُم نے میری مِثال دی ہَوتی
پُوچھا، مَوسَم بَدَلتے ہیں کیسے ؟
تُم نے آپنی مِثال دی ہَوتی
پُوچھا، کیسے گھَٹا بَرستِی ہے ؟
میری آنکھوں کی بات کِی ہَوتِی
پُوچھا، رُک رُک کے کون چَلتا ہے ؟
میرے دِل کی مِثال دی ہَوتِی

کاش ! ! ، سَب کُچھ یُوں نہ ہُوا ہَوتا
بات تُم نے سَنبھال لی ہَوتِی

Sab Ne Poochha
Khazaan Kia Hoti Haey?
Tum Ne Meri ,Misaal Dee Hoti

Poochha,
Mausam Badaltey Hein ,Kaisey ?
Tum Ne ,Apni Missaal Dee Hoti

Poochha,
Kaisey , Ghata Barasti Haey?
Meri Aankhon Ki Baat Ki Hoti

Poochha,
Ruk Ruk Ke , kaon Chalta Haey ?
Mere DIL Ki Misaal Dee Hoti

KAASH !!
Sab Kuchh, Yuun Na Hua Hota
BAAT , Tum Ne Sambhaal Li Hoti

Aankhon ke chiraghon mein ujale na rahenge Aa jao keh phir dekhne wale na rahenge



Aankhon ke chiraghon mein ujale na rahenge
Aa jao keh phir dekhne wale na rahenge

Ja shoq se lekin palat aane ke liye ja
Ham der talak khud ko sanbhale na rahenge

Seh Rahi thi Raat se Be cheniyon ka ghazab



سہہ رہی تھی رات سے
بے چینیوں کا غضب
چاند سے شکوہ کٍیا
کیوں کھو گیا تھا بے سبب
چاند بولا اور بھی ہیں
تیرے جیسی نازنین
تو ہی نہیں ہے اک فقط
اٍن الجھنوں میں تاشفین
ایسے میں تٌو خود ہی بتا
ٹھہروں تو اب ٹھہروں کہاں ؛؛

تاشفین فاروقی

Seh Rahi thi Raat se
Be cheniyon ka ghazab
Chaand se Shikwaa kiya
Kion kho gaya tha be sabab
Chaand bola Aurr bhi hainn
Tere Jesi Naazneen
Too he nahi hai ik faqat
In uljhano main Tashfeen
Aise main Too Khud he bata
Thehroon tu Abb Thehroon kahan

Tashfeen Farooqui

Jo Na Mil Sakey , Wohi Be-Wafa Yeh Barhi Ajeeb Si Baat Haey



جَو نہ مِل سَکے ، وُہی بے وَفا
یِہ بَڑی عَجِیب سِی بات ہَے

جَو چَلا گیا ، مُجھے چھَوڑ کَر
وُہی آج تَک ، میرے ساتھ ہَے

Jo Na Mil Sakey , Wohi Be-Wafa
Yeh Barhi Ajeeb Si Baat Haey

Jo Chala Gaya Mujhhey Chhorh Kar
Wohi Aaj Tak , Mere Saath Haey

Jiss din se juda tum hum se hue Iss Dil ne dharakna chor dia



جِس دن سے جُدا تُم ہم سے ہوئیں
اِس دل نے دھڑکنا چھوڑ دیا
ہے چاند کا منہ اُترا اُترا
تاروں نے چمکنا چھوڑ دیا

تُو پاس ہمارے رہتی تھیں
بے رُت بھی بہار آ جاتی تھی
اب پھول کھلیں زخموں کے کیا
آنکھوں نے برسنا چھوڑ دیا

Jiss din se juda tum hum se hue
Iss Dil ne dharakna chor dia

Hai Chaand ka monh utra utra
Taaron ne chamakna chor dia

Tu paas hamare rehti thi
Be rutt bhi bahaar aa jaati thi

Ab phool khilen zakhmon ke Kya
Aankhon ne barasna chor dia

Sadma toh hai mujhe bhi keh tujh se Juda hoon main Lekin yeh sochta hoon keh ab tera kya hoon main



صدمہ تو ہے مجھے بھی کہ تجھ سے جدا ہوں میں
‏لیکن یہ سوچتا ہوں کہ اب تیرا کیا ہوں میں

قتیل شفائی

Sadma toh hai mujhe bhi keh tujh se Juda hoon main
Lekin yeh sochta hoon keh ab tera kya hoon main

Qatil Shifai

Aap ko khuwaab sajaaney ki zaroort kya hai Aap to khuwaab dikhaaney ka hunar jantey hain



آپ کو خواب سجانے کی ضرورت کیا ہے ؛
آپ تو خواب دکھانے کا ہنر جانتے ہیں

Aap ko khuwaab sajaaney ki zaroort kya hai
Aap to khuwaab dikhaaney ka hunar jantey hain

Meri zindagi mujhe ye bata, Muje bhool kar tujhe kya mila ? Meri hasrato ka hisaab de, Dil tod kar tujhe kya mila….?



Meri zindagi mujhe ye bata,
Muje bhool kar tujhe kya mila ?
Meri hasrato ka hisaab de,
Dil tod kar tujhe kya mila….?
Tere chaar din ke pyaar se,
Mujhe umar bhar ka gham mila
Main toot kar bikhar gaya,
Mujhe tod kar tujhe kya mila ?

Qafas Udaas Hai ! Yaaro Saba Se Kuch To Kaho Kahein Toh Behr e Khuda Aaj Zikr e Yaar Chale



قفس اداس ہے! یارو صبا سے کچھ تو کہو
کہیں تو بہرِ خدا آج ذکرِ یار چلے
 
Qafas Udaas Hai ! Yaaro Saba Se Kuch To Kaho
Kahein Toh Behr e Khuda Aaj Zikr e Yaar Chale

Faiz Ahmad Faiz

aad Phir Koi Darwaza Khula Akhir e Shab Dil Main Bikhri Koi Khushbu e Qaba Akhir e Shab



یاد کا پھر کوئی دروازہ کھلا آخرِ شب
دل میں بکھری کوئی خوشبوئے قبا آخرِ شب
aad Phir Koi Darwaza Khula Akhir e Shab
Dil Main Bikhri Koi Khushbu e Qaba Akhir e Shab

Faiz Ahmad Faiz
 

Umar reshtoon ke taqaze hi nibhate guzre Zindagi ne mujhe apna kabhi hone na diya



عمر رشتوں کے تقاضے ہی نھباتے گزری
زندگی نے مجھے اپنا کھبی ہونے نہ دیا.

Umar reshtoon ke taqaze hi nibhate guzre
Zindagi ne mujhe apna kabhi hone na diya

Adawat bhee dosti bhee pyar bhee Shoala bhee, Gull bhee ,khaar bhee



Adawat bhee dosti bhee pyar bhee
Shoala bhee, Gull bhee ,khaar bhee

Shabnami lehajay mein Tanz ki Kat
Ajab tha uskay ishq Ka khumar bhee

Dil ke madfan pe nahi koi bhi rone waala Apni dargaah ke hum khud hi mujawir thehrey



دل کے مدفن پہ نہیں کوئ بھی رونے والا
اپنی درگاہ کے ھم خود ہی مجاور ٹھہرے۔

Dil ke madfan pe nahi koi bhi rone waala
Apni dargaah ke hum khud hi mujawir thehrey

Tum hi ho meri manzilo ka pata Tum hi hum safar mere pyar ke




Tum hi ho meri manzilo ka pata
Tum hi hum safar mere pyar ke
Mere dil mein hai ek hi aarzoo
Tumhein jeet loon zindagi haar ke
Har dhadkan pukaare yahin pyar se
Tere haseen humsafar shukriyaan
Kehti hai meri nazar shukriyaan

Main Jabr e Musalsal Ki Shikayat Nahi Karta,Main Hat tu Imkaan Dard Hakayat Nahi Karta



میں جبرِ مسلسل کی شکایت نہیں کرتا
میں حتی الامکان درد حکایت نہیں کرتا
میں ہم مزاج رکهتا ہوں آنسو کی سادگی
میں مرضئ تقدیر غارت نہیں کرتا
ازخود میں چهانٹ لیتا ہوں تنسیخی سوالات
زاہد سے کسی طور بجهارت نہیں کرتا
میں پتهروں کے واسطے حاتم کا جانشین
میں لشکرِ عدو سے حقارت نہیں کرتا
ابرو کو نہیں سونپتا اندرونی خیالات
میں قصدًا خزانے میں خیانت نہیں کرتا
تیور یا تیوری کی مجهے قسم نہیں ہے
میں قلب کی پریوں سے ضمانت نہیں کرتا
بحث برائے بحث سے کرتا ہوں احتراز
میں خواہ مخواہ سرکار ذہانت نہیں کرتا
رزب اپنے خون سے ہے استثنا مجهے
میں لاش اٹهانے میں ندامت نہیں کرتا

رزب تبریز

Jise Kehty Ho Tum Ik Qatra e Ashk,Mere Dil Ki Mukamal Dastaan Hai



Suna Hai Phir Se Hoga Mehromion Ka Urs Suna Hai Phir Se Chun Liye Purane Mujawar



Suna Hai Phir Se Hoga Mehromion Ka Urs
Suna Hai Phir Se Chun Liye Purane Mujawar
Razab Tabraiz

Bujha Jo Rozan e Zindaan Toh Dil Ye Samjha Hai Keh Teri Maang Sitaron Se Bhar Gai Ho Gi Chamak Uthay Hain Salasal Toh Hum Ne Jana Hai Keh Ab Sahar Tere Rukh Par Bikhar Gai Ho Gi



بُجھا جو روزنِ زِنداں تو دِل یِہ سَمجھا ہَے
 کہ تیری مانگ سِتاروں سے بھَر گَئی ہَوگِی

چَمَک اُٹھے ہیں سَلاسَل تو ہَم نے جانا ہَے
کہ آب سِحِر تیرے رُخ پَر بِکھر گَئی ہو گِی

 Bujha Jo Rozan e Zindaan Toh Dil Ye Samjha Hai
Keh Teri Maang Sitaron Se Bhar Gai Ho Gi

Chamak Uthay Hain Salasal Toh Hum Ne Jana Hai
Keh Ab Sahar Tere Rukh Par Bikhar Gai Ho Gi

As The Cell,s Slit Grows Dim
My Heart lmagines Your Hair Studded
With Stars,
And As The Fetters Become Visible,
Dawn, I Imagine,Must Have Lit Up
Your Face

Afwaah Thi Keh , Meri Tabeyat Kharaab Hai Logon Ne Poochh Poochh Ke Beemaar Kar Diya



آفواہ تھی کہ میری طبِیعَت خَراب ہے
لوگوں نے پُوچھ پُوچھ کے بِیمار کَر دِیا

Afwaah Thi Keh , Meri Tabeyat Kharaab Hai
Logon Ne Poochh Poochh Ke Beemaar Kar Diya

Bas ek deed ki hasrat saja ke palkon par Milen gi tum se khayalon mein be-talab Aankhen



بس ایک دید کی حسرت سجا کے پلکوں پر
ملیں گی تم سے خیالوں میں بے طلب آنکھیں

Bas ek deed ki hasrat saja ke palkon par
Milen gi tum se khayalon mein be-talab Aankhen

Doosra jaan de kar bhi nahi milta Ishq ki dor ka ek sira muft hai



دوسرا جان دے کر بھی نہیں ملتا
عشق کی ڈور کا اک سِرا مفت ہے

Doosra jaan de kar bhi nahi milta
Ishq ki dor ka ek sira muft hai

Sawad e shaam toh kya Sahar tak nahi aai Nigah e shauq ke hum muntazir rahay jis ke







سوادِ شام تو کیا سحر تک نہیں اَئی
نگاہِ شوق کہ ہم منتظر رہے جس کے

Sawad e shaam toh kya Sahar tak nahi aai
Nigah e shauq ke hum muntazir rahay jis ke

Qareeb reh kar sulagney sy to bahtar tha Kisi muqaam par hum tum sy bich'harh gaye hotey




قریب رہ کر سلگنے سے تو بہتر تھا
کسی مقام پر ہم تم سے بچھڑ گئے ہوتے


Qareeb reh kar sulagney sy to bahtar tha
Kisi muqaam par hum tum sy bich'harh gaye hotey


Hum hi hadaff Hum.hi bismil Hum hi pe ta'anazani Sitam bhi tere Gillay bhi tere Yahi sahi ,Yun hi sahi



ہم ہی ہدف
ہم ہی بسمل
ہم ہی پہ طعنہ زنی
ستم بھی تیرے
گلے بھی تیرے
یہی سہی ، یوں ہی سہی

Hum hi hadaff
Hum.hi bismil
Hum hi pe ta'anazani
Sitam bhi tere
Gillay bhi tere
Yahi sahi ,Yun hi sahi

mera hawa mein woh kirdar hoon kahani ka jo jee raha hai kahani taweel karte hoe



وہ کردار ہوں کہانی کامرا ہوا میں
 جو جی رہا ہےکہانی طویل کرتے ہوئے
 
मरा हुआ  मैं वो किरदार हूँ कहानी का
जो जी रहा है  कहानी तवील करते हुए

mera hawa mein woh kirdar hoon kahani ka
jo jee raha hai kahani taweel karte hoe

tu ne kaha na tha keh main kashti pe bojh hoon ankhon ko ab na dhanp mujhe doobte bhi dekh




تو نے کہا نہ تھا کہ میں کشتی پہ بوجھ ہوں
 آنکھوں کو اب نہ ڈھانپ مجھے ڈوبتے بھی دیکھ
 
तू ने कहा न था  कि मैं कश्ती पे बोझ हूँ
आँखों को अब न ढाँप  मुझे डूबते भी देख

tu ne kaha na tha keh main kashti pe bojh hoon
ankhon ko ab na dhanp mujhe doobte bhi dekh

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo