Suno DECEMBER ke aakhri Ashre mein Hum baith kar tanha Kisi Veeran Ghoshe mein Hawa ko dukh sunayen ge Tumhen hum bhol jayen ge


Suno

 DECEMBER ke aakhri Ashre mein
Hum baith kar tanha

Kisi Veeran Ghoshe mein
Hawa ko dukh sunayen ge

Tumhen hum bhol jayen ge


Ik Hor DECEMBER Lang Gaya



ساڈے ماس دا بالن بال کے
ساڈا ہسدا جٙوبن گال کے
Sade Maas Da Balan Baal Ke
Sada Hasda Joban Gaal Ke

 
سانوں اٙگّاں وِچ اُچھال کے
کوئی سولی اُتے ٹٙنگ گیا
Sano Agaan Wich Uchaal Ke
Koi Sooli Ute Tang Ke

 
اک ہور دسمبر لنگ گیا
Ik Hor DECEMBER Lang Gaya

 
سانوں سفنیاں اندر رول کے
سانوں یار ملن دا بول کے
Sano Safnian Andar Rol Ke
Sano Yaar Milan Da Bol Ke

 
ساڈا سینا اندروں پھول کے
کوئی بدل تھل دا کھنگ گیا
Sada Seena Andron Phol Ke
Koi Badal Thal Da Khang Gaya

 
اک ہور دسمبر لنگ گیا
Ik Hor DECEMBER Lang Gaya

 
سانُوں اٙندرٙوں اٙندرِی توڑ کے
سانوں کٙکّھاں وانگ مٙرٙوڑ کے
Sano Andron Andari Tod Ke
Sano Kaghan Wang Marod Ke

 
سانوں قبراں دے وِچ رٙوڑھ کے
کوئی ساہواں ساتھوں مٙنگ گیا
Sano Qabraan De Wich Rodh Ke
Koi Sahwaan Saaton Mang Gaya

 
اک ہور دسمبر لٙنگ گیا
Ik Hor DECEMBER Lang Gaya


Tu Naya Hai Tou Dekha Subah Nai , Shaam Nai Warna In Aankhon Ne Daikhay Hein Naye Saal Kayi



Tu Naya Hai Tou Dekha Subah Nai , Shaam Nai
Warna In Aankhon Ne Daikhay Hein Naye Saal Kayi


Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Paas Aaye Khuda Kare Keh Naya Saal Sab Ko Raas Aaye



Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Paas Aaye
Khuda Kare Keh Naya Saal Sab Ko Raas Aaye


Phir Aa Gaya Aik Naya Saal DOSTO Is Baar Bhi Kisi Se DECEMBER Nahi Ruka



Phir Aa Gaya Aik Naya Saal DOSTO
Is Baar Bhi Kisi Se
DECEMBER Nahi Ruka


Aakhiri Shaam Hai DECEMBER Ki Kal Naya Saal Hai Mubarak Ho



Alwida Ae Doobty Soraj Ki Afsurdah Kiran Ae DECEMBER Ki Thetharti Aakhiri Shaam Alwida



Alwida Ae Doobty Soraj Ki Afsurdah Kiran
Ae
DECEMBER Ki Thetharti Aakhiri Shaam Alwida

 

Aaj phir maa mujhey maaregi Bahut roney par Aaj phir gaaon mein aaya hai khilone waala



آج پھر ماں مجھے مادے گی بہت دونے پر
آج پھر گاوں میں آیا ہے کھلونے والا

आज फिर माँ मुझे मारेगी बहुत रोने पर
आज फिर गाँव में आया है खिलौने वाला


Aaj phir maa mujhey maaregi Bahut roney par
Aaj phir gaaon mein aaya hai khilone waala


Sapaire Weeranon Mein Ghom Rahe Hein Been Liye Aabadi Mein Rehne Wale Sanp Bade Zehreely Thay



 سپیرے ویرانوں میں گھوم رہے ہیں بین لیے
آبادی میں رہنے والے سانپ بڑے زہریلے تھے
شوق برہنہ پا چلتا تھا اور رستے پتھریلے تھے
گھستے گھستے گھس گئے آخر کنکر جو نوکیلے تھے
خار چمن تھے شبنم شبنم پھول بھی سارے گیلے تھے
شاخ سے ٹوٹ کے گرنے والے پتے پھر بھی پیلے تھے
سرد ہواؤں سے تو تھے ساحل کے ریت کے یارانے
لو کے تھپیڑے سہنے والے صحراؤں کے ٹیلے تھے
تابندہ تاروں کا تحفہ صبح کی خدمت میں پہنچا
رات نے چاند کی نذر کیے جو تارے کم چمکیلے تھے
سارے سپیرے ویرانوں میں گھوم رہے ہیں بین لیے
آبادی میں رہنے والے سانپ بڑے زہریلے تھے
تم یوں ہی ناراض ہوئے ہو ورنہ مے خانے کا پتا
ہم نے ہر اس شخص سے پوچھا جس کے نین نشیلے تھے
کون غلام محمد قاصرؔ بے چارے سے کرتا بات
یہ چالاکوں کی بستی تھی اور حضرت شرمیلے تھے

 

Tera Israr Sar Aankhon Peh Keh Tum Ko Bhool Jaoun Main Main Koshish Kar Ke Daikhongi Wa'adah Nahi Karti



میں اپنی دوستی کو شہر میں رسواء نہیں کرتی
محبت میں بھی کرتی ہوں مگر چرچا نہیں کرتی

Main Apni Dosti Ko Shehar Mein Ruswa Nahi Karti

Muhabbat Main Bhi Karti Hon Magar Charcha Nahi Karti


جو مجھ سے ملنے آ جائے میں اس کی دِل سے خادم ہوں
جو اٹھ کے جانا چاھے میں اسے روکا نہیں کرتی

Jo Mujh Se Milny Aa Jaye Main Uski Dil Se Khadim Hon

Jo Uth Ke Jana Chahe Main Usay Roka Nahi Karti


جسے میں چھوڑ دیتی ہوں اسے پِھر بھول جاتی بوں
پِھر اس ہستی کی جانب میں کبھی دیکھا نبیں کرتی

Jise Main Chodh Daiti Hon Usay Phir Bhool Jati Hon

Phir Us Basti Ki Janib Main Kabhi Daikha Nahi Karti

 
تیرا اصرار سر آنكھوں پہ کے تم کو بھول جاؤں میں
میں کوشش کر کے دیکھوں گی مگر وعدہ نہیں کرتی

Tera Israr Sar Aankhon Peh Keh Tum Ko Bhool Jaoun Main

Main Koshish Kar Ke Daikhongi Wa'adah Nahi Karti

پروین شاکر

Parveen Shakir

 

KOI HANSA TOU KOI RULA KE GAYA YUN ZARF HAR KOI APNA DEKHA KE GAYA



کو ئی ہنسا کے تو کو ئی رلا کے گیا
یوں ظرف ہر کو ئی اپنا دکھا کے گیا

KOI HANSA TOU KOI RULA KE GAYA

YUN ZARF HAR KOI APNA DEKHA KE GAYA

 

Ghalat-Fehmi Ki Barfeeli Hawaein Jab Chalti Hein Muhabbat Ke Dareechon Mein DECEMBER Thehar Jata Hai



غلط فہمی کی برفیلی ہوائیں جب چلتی ہیں
محبت کے دریچوں میں دسمبر ٹھہر جاتا ہے

Ghalat-Fehmi Ki Barfeeli Hawaein Jab Chalti Hein

Muhabbat Ke Dareechon Mein DECEMBER Thehar Jata Hai

 

Hazar Rahein Mod Ke Daikhein Kahein Se Koi Sada Na Aai



ہزار راہیں مڑ کے دیکِھیں
کہیں سے کوئی صدا نہ آئی
بڑی وفا سے نبھائی تم نے
ہماری تھوڑی سی بے وفائی
جہاں سے تم موڑ مڑ گئے تھے
یہ موڑ اب بھی وہیں پڑے ہیں
ہم اپنے پیروں میں جانے کتنے
بھنور لپیٹے ہوئے کھڑے ہیں
کہیں کسی روز یوں بھی ہوتا
ہماری حالت تمہاری ہوتی
جو رات ہم نے گزاری مر کے
وہ رات تم نے گزاری ہوتی
تمہیں یہ ضد تھی کہ ہم بلاتے
ہمیں امید کہ وہ پکاریں
ہے نام ہونٹوں پہ اب بھی لیکن
آواز میں پڑ گئیں دراڑیں


Arsa Khuwaab Mein Khone Nahi Daita Mujh Ko Koi Dhadka Hai Keh Sone Nahi Daita Mujh Ko



عرصہ خواب میں کھونے نہیں دیتا مجھ کو
کوئی دھڑّکا ہے کہ سونے نہیں دیتا مجھ کو

Arsa Khuwaab Mein Khone Nahi Daita Mujh Ko

Koi Dhadka Hai Keh Sone Nahi Daita Mujh Ko


ڈال دیتا ہے وہ ہر روز نئی الجھن میں
خود سے غافل کبھی ہونے نہیں دیتا مجھ کو

Dal Daita Hai Woh Har Roz Nayi Uljhan Mein

Khud Se Ghafil Kabhi Hone Nahi Daita Mujh Ko


دکھ تو ایسا ہے کہ دل آنکھ سے کٹ کٹ کے بہے
ایک وعدہ ہے کہ رونے نہیں دیتا مجھ کو

Dukh Tou Aisa Hai Keh Dil Aankh Se Kat Kat Ke Bahe

Aik Wa'ada Hai Keh Rone Nahi Daita Mujh Ko


راستہ اس کو بھی معلوم نہیں ہے شاید
پھر بھی جنگل میں وہ کھونے نہیں دیتا مجھ کو

Rastaq Usko Bhi Ma'aloom Nahi Hai Shayed

Phir Bhi Jangal Mein Woh Khone Nahi Daita Mujh Ko


دل کی مانند شکستہ بھی ہے بے منزل بھی
ناؤ لیکن وہ ڈبونے  نہیں دیتا مجھ کو

Dil Ki Manind Shikasta Bhi Hai Be-Manzil Bhi

Nav Lekin Woh Dabone Nahi Daita Mujh Ko
بڑھ گیا دل مرا ایذا طلبی میں تجھ سے
زخم بھی اب تو یہ دھونے نہیں دیتا مجھ کو

Badh Gaya Dil Mera Eza Talbi Mein Tujh Se

Zakham Bhi Ab Tou Yeh Dhone Nahi Daita Mujh Ko

 
جس سے پھوٹے کوئی سایہ کوئی خوشبو کوئی رنگ
بیج ایسا کوئی بونے نہیں دیتا مجھ کو

Jis Se Photy Koi Saya Koi Khushbo Koi Rang

Beej Aisa Koi Hone Nahi Daita Mujh Ko


جھوٹ لکھوں تو کوئی ہاتھ پکڑ لیتا ہے
نبض میں روح نہیں سمونے نہیں دیتا مجھ کو

Jhoot Lekhon Tou Tou Koi Haath Pakad Laita Hai

Nabz Mein Rooh Nahi Samone Nahi Daita Mujh Ko


ان ستاروں سے بلاوہ مرا آتا ہے کہ جو
چادرِ خاک پہ سونے نہیں دیتا مجھ کو

In Sitaron Se Bulawa Mera Aata Hai Keh Jo

Chadar e Khaak Peh Sone Nahi Daita Mujh Ko


 شاعرہ:پروین شاکر
Poetess:Parveen Shakir

 

Main aik borhi kanwari se mil kar aaya hon Woh keh rahi thi muhabbat intzaar chahti hai



مَیں ایک بوڑھی کنواری سے مِل کر آیا ہُوں
وُہ کہہ رہی تھی، محبت انتظار چاہتی ہے
Main aik borhi kanwari se mil kar aaya hon
Woh keh rahi thi muhabbat intzaar chahti hai


Kahani hi kuch aesi hai sabhi kirdaar rotay hain Keh ghar ke saath hi ghar ke darr o dewaar rotay hain



Kahani hi kuch aesi hai sabhi kirdaar rotay hain
Keh ghar ke saath hi ghar ke darr o dewaar rotay hain
December ki haseen shaamein zameen par jab utarti hai
Mere chote se kamre mein tare iqraar rotay hain
Tere kehne peh haans bhi doon to mere yaar Kya hoga
Meri nazmein meri ghazlein mere ashaar rotay hain
Bas us ke aik jumlay ne nahin ronay diya mujh ko
Baday sahib bataye na bhala koi sardar rotay hain
Koi ja kar khaber de de mere achay masiha ko
Tere hi naam le le kar tere bemaar rotay hain
Darr o dewaar par shayad koi wehsat ke saaye hain
Makii’n chup hone lagte hain to pehredaar rotay hain
Yeh haath ka funn hai keh iss mithii ki kismet hai
Main jab haans ker banata hoon mere shehkaar rotay hain


Ik dard musalsal mujhe sonay nahin deta Sabr ka aadi hai mujhe ronay nahin deta

 


Ik dard musalsal mujhe sonay nahin deta
Sabr ka aadi hai mujhe ronay nahin deta
Main iss ki kya hoon yeh raaz to woh jaan gaya
Par woh kis ka hai yeh sawaal mujhe sonay nahin deta


Shifa-e-mehboob ho'n to rooh ko sukoon mile Iss marz-e-muhabbat ka koi aur ilaaz nhin



Shifa-e-mehboob ho'n to rooh ko sukoon mile
Iss marz-e-muhabbat ka koi aur ilaaz nhin


Banaya hai jinhen maine mohabbat ke gulabo'n se Tar-o-taza wo gul-daste tumhaare naam karti hoon



Banaya hai jinhen maine mohabbat ke gulabo'n se
Tar-o-taza  wo  gul-daste  tumhaare  naam karti hoon


Akhri chand din DECEMBER kay Har baras hi giraan guzartay hain



Akhri chand din DECEMBER kay
Har baras hi giraan guzartay hain
Khawahisho kay nigaar khanay se
Kaise kaise gumaan guzartey hain
Ruftgaan kay bikhray saayon ki
Aik mehfil si dil main sajti hai
Kitnay number pukartay hain mujhay
Jin se marboot bay nava ghanti
Ab fakat mere dil main bajti hai
Kis qadar pyaaray pyaaray naamon per
Raingti badnumaan si lakeerein
Meri aankhon main phail jaati hain
Dooriyaan dairay banati hain
Dihaan ki serrhiyon per kia kia aks
Mashalein dard ki jalatay hain
Naam jo kat gaaye hain unkay hurf
Aisay kaghaz per phail jaatay hain
Hadsay kay muqaam per jaisay
Khoon sukhtay nishano per
Chawk se linay lagatay hain
Phir December kay akhiri din main
Har baras ki tarhaan ab kay bhi
Diary aik sawaal karti hai
Kya khabar uskay aagay tak
Meray un bay chiraagh safon se
Kitnay hi naam kat gaye hongay
Kitnay number bikhar kar raston per
Gard-e-maazi se aat gaye hongay
Khak kay adhairon kay daman main
Kitnay toofaan simat gaaye hongay
Har December main sochta hun
Aik din is tarhaan bhi hona hai
Rang ko roshni main khona hai
Apnay apnay gharon main rakhi hui
Diary dost dekhtay hongay
Un aankhon kay khak daano main
Aik sehra sa phelta hoga
Aur kuch be nishaan safhon say
Naam mera bhi kat gaya hoga!

Amjad Islam Amjad

 

Ke aankh likho to numm likhna Wajah likho to gham likhna



Ke aankh likho to numm likhna
Wajah likho to gham likhna
Waqt likho to sabr likhna
Gadhi likho to dard likhna
Khuda likho to be-aib likhna
Aur insaan likho to be-faiz likhna

 

DECEMBER jany wala hai Chalo aik kam karty hain



دسمبر جانے والا ہے
چلو ایک کام کرتے ہیں
پرانے باب بند کر کے
سب نظر انداز کرتے ہیں
نئے سپنے سبھی بُن کر
اُلفت کے راستے چن کر
وفا داری پہ جینے کی
راہیں ہموار کرتے ہیں
بُھلا کر رنجشیں ساری
مِٹا کر نفرتیں دِل سے
معافی دے دلا کر اب
دِل اپنے صاف کرتے ہیں
جہاں پر ہوں سبھی مُخلص
نہ ہو دِل کا کوئی مُفلس
اِک ایسی بستی اپنوں کی
کہیں آباد کرتے ہیں
جو غم دیتے نہ ہوں گہرے
ہوں سانجھی سب وہاں ٹھہرے
سب ایسے ہی مكینوں سے
مکاں کی بات کرتے ہیں
نہ دیکھا ہو زمانے میں
پڑھا نہ ہو فسانے میں
اب ایسے جنوری کا ہم
سبھی آغاز کرتے ہیں


DECEMBER jany wala hai
Chalo aik kam karty hain
Puranay bab band kar kay
Sab nazar andaz karty hain
Naye spnay sabhe ban kar
Ulfat kay rasty chun kar
Wafadari pay jeenay ki
Rahien humwaar karty hain
Bhula kar ranjishien sarii
Mita kar nafratien dil say
Mafi day dila kar ab
Dil apnay saff karty hain
Jahan hoon sabhee mukhlis
Na ho dil ka koi muflis
Aik aysee basti apno ki
Kahien abad karty hain
Jo gham daity na hoon gehry
Hoon sanjhee sab wahan tehrey
Sab aisoo hi makeernoo say
Makan ki bat karty hain
Na daikha ho zamanay mein
Perha na ho fasanay mein

AB AISAY JANUARY KA HUM
SABHEE AGHAZ KARTY HAIN


Aksar Laka Du Ghno Du Mousam Vi DECEMBARA Kho Sakhkaly Kho Kha We Ao Lag Sam We DECEMBARA



اکثر لکه د غنو د موسم وې دسمبره
خو سخکالې خو ښه وې او لږ سم وې دسمبره
Aksar Laka Du Ghno Du Mousam Vi DECEMBARA
Kho Sakhkaly Kho Kha We Ao Lag Sam We
DECEMBARA

 
زمونږه خو سبب د ميرات مړې تنهايئ وې
اوف يخ وې خو د واؤرو جهنم وې دسمبره
Zamunga Kho Sabab Du Meerat Madi Tanhaai Vi
Uff Yakh Vi Kho Du Wawro Jahannam Vi
DECEMBARA

 
ما هم د پېښور په ياد کښې شپه ورځې ژړلي
خو ته راسره هسې په ماتم وې دسمبره
Ma Hum Du Paikhawar Pa Yaad Ke Shapa Wraze Jadali
Kho Tu Rasara Hase Pu Matam We
DECEMBARA

 
زه هاغسې لا پروت وومه جدا له ټنګ ټکوره
په خپله خو روان وې اويشتم وې دسمبره
Zu Haghase La Prot Woma Juda La Tang Takora
Pu Khpala Kho Rawan Vi Aweeshtam Vi
DECEMBARA

 
زمونږه خو په اور د تناره د بټئ ژوند د؎
د خوند وې دسمبره! خو ډېر کم وې دسمبره
Zamunga Kho Pu Aoor Du Tanaru Du Batai Jwand Dy
Da Khuwand Vi DECEMBARA ! Kho Der Kam Vi
DECEMBARA

 
د نوي کال په کومو شرمخانو به مې سپارې ؟
يو څو ورځې به نور راسره تهم وې دسمبره
Du Navi Kaal Pah Komo Sharmakhano Ba Mi Spari?
Yaw So Wrazay Ba Nor Rasara Tu Hum Wey
DECEMBARA

 
بېګاه خو په اقبال لکه غزل راورېدلې
بېګاه خو دې مستئ په بل رقم وې دسمبره
Bega Kho Pah IQBAL Laka Ghazal Rawaredaly
Bega Kho De Mastai Pah Bal Raqam We
DECEMBARA

 
شهید اقبال مومند
Shaheed Iqbal Mohmand


Baday sakoon se rukhsat to kar diya uss ko Phir iss ke baad mohabbat ne intehaa ker di



Baday sakoon se rukhsat to kar diya uss ko
Phir iss ke baad mohabbat ne intehaa ker di

 

Saath Kab Tak Koi Chala Mat Pooch Kis Ne Ki Kis Qadar Wafa Mat Pooch



ساتھ کب تک کوئی چلا مت پوچھ
کس نے کی کس قدر وفا مت پوچھ
Saath Kab Tak Koi Chala Mat Pooch
Kis Ne Ki Kis Qadar Wafa Mat Pooch

 
مختصر یہ کہ ہو گئے آزاد
کون کس سے ہوا رِہا مت پوچھ
Mukhtasar Yeh Keh Ho Gaye Aazad
Kon Kis Se Hoa Reha Mat Pooch

 
تھی قیامت مگر گزر ہی گئی
تذکرہ اس کا بارہا مت پوچھ
Thi Qayamat Magar Guzar Hi Gai
Tazkira Uska Barha Mat Pooch

 
پوچھ مجھ سے جو میرے دل میں ہے
لوگ کہتے ہیں کس سے کیا، مت پوچھ
Pooch Mujh Se Jo Mere Dil Mein Hai
Log Kehte Hein Kis Se Kia Mat Pooch

 
تب مجھے بھی نہیں تھی اپنی خبر
جو ہوا اس کو بھول جا مت پوچھ
Tab Mujhe Bhi Nahi Thi Apni Khabar
Jo Hoa Usko Bhool Ja Mat Pooch

 
صبر کا میرے امتحاں مت لے
کیا تھی وہ آہِ نارسا مت پوچھ
Sabar Ka Mera Imtehan Mat Le
Kia Thi Woh Aah Na-Rasa Mat Pooch

 
ٹوٹ جائے گا ضبط کا بندھن
ظلم مجھ پر ہیں جو روا، مت پوچھ
Toot Jayega Zabt Ka Bandhan
Zulam Mujh Par Hein Jo Rawa , Mat Pooch

 
اپنی وقعت بھی جانتی ہوں مگر
خود فریبی کی انتہا مت پوچھ
Apni Wuqa'at Bhi Janti Hon Magar
Khud Faraibi Ki Inteha Mat Pooch

 
کہہ دیا جب کہ خوش ہوں تیرے بغیر
مان لے، دل کا مدعا، مت پوچھ
Keh Diya Jab Keh Khush Hon Tere Baghair
Maan Le , Dil Ka Muda'a , Mat Pooch

 
تابشیں دیکھ شمع کی عاطفؔ
جلنے والوں کا ماجرا مت پوچھ
Tabishein Daikh Shamma Ki AATIF
Jalne Walon Ka Majra Mat Pooch


Haaye Kia Os See Padhi Hai Mere Khayalaat Par Teri Jazib Nazar Ki Jado-Gari Hai Inteha Par



ہائےکیااوس سی پڑی ہے میرے خیالات پر
تیری جاذب نظر کی جادوگری ہے انتہا پر
Haaye Kia Os See Padhi Hai Mere Khayalaat Par
Teri Jazib Nazar Ki Jado-Gari Hai Inteha Par

 
اویس خواجہ
Owais Khuwaja


Dil Ne Hamare Baithy Baithay Kaise Kaise Rog Lagaye Tum Ne Kisi Ka Nam Lia Aur Aankhon Mein Apni Aansoo Aaye



دل نے ہمارے بیٹھے بیٹھے کیسے کیسے روگ لگائے
تم نے کسی کا نام لیا اور آنکھوں میں اپنی آنسو آئے 

Dil Ne Hamare Baithy Baithay Kaise Kaise Rog Lagaye

Tum Ne Kisi Ka Nam Lia Aur Aankhon Mein Apni Aansoo Aaye

 
جتنی زبانیں، اتنے قصے، اپنی اداسی کے کارن کے
لیکن لوگ ابھی تک یہ سادہ سی پہیلی بوجھ نہ پائے
Jitni Zubanein Utne Qissay , Apni Udasi Ke Karan Ke

Lekin Log Abhi Tak Yeh Sadah See Pahaili Bojh Na Paaye


عشق کیا ہے؟ کس سے کیا ہے؟ کب سے کیا ہے؟ کیسے کیا ہے؟
لوگوں کو اک بات ملی، اپنے کو تو لیکن رونا آئے

Ishq Kia Hai ? Kis Se Kia Hai ? Kab Se Kia Hai ? Kaise Kia Hai ?

Logon Ko Ik Baat Mili , Apne Ko Tou Lekin Rona Aaye


راہ میں یُونہی چلتے چلتے ان کا دامن تھام لیا تھا
ہم ان سے کچھ مانگیں چاہے، ہم سے تو یہ سوچا نہ جائے 

Raah Mein Yunhi Chalty Chalty Unka Daman Thaam Lia Tha

Hum Unse Kuch Mangein Chahe , Hum Se Tou Yeh Socha Na Jaye


نجم سحر کے چہرے سے انشاء اتنی بھی امیدیں نہ لگاٶ
ایسا بھی ہم نے دیکھا ہے اکثر رات کٹے اور صبح نہ آئے 

Najam Sahar Ke Chehre Se INSHA Itni Umeedein Na Lagao

Aisa Bhi Hum Ne Daikha Hai Aksar Raat Katy Aur Subah Na Aaye 

ابن انشاء

Ibn e Insha


Bhool Jane Ka Hunar Mujh Ko Sekhate Jao Ja Rahe Ho Tou Sabhi Naqsh Mitate Jao



بھول جانے کا ہنر مجھ کو سکھاتے جاؤ
جا رہـے ہو تو سبھی نقش مٹاتے جاؤ
Bhool Jane Ka Hunar Mujh Ko Sekhate Jao
Ja Rahe Ho Tou Sabhi Naqsh Mitate Jao

 
چلو رسماً ہی سہی مڑ کر مجھے دیکھ تو لو
توڑتے توڑتے تعلق کو نبھاتے جاؤ
Chalo Rasman Hi Sahi Mod Kar Mujhe Daikh Tou Lo
Todte Todte Ta'aluq Ko Nebhate Jao

 
کبھی کبھی یہ مجھے ستائے
کبھی کبھی یہ رُلائے
Kabhi Kabhi Yeh Mujhe Sataye
Kabhi Kabhi Yeh Rulaaye

 
فقط میرے دل سے اترجائیـے گا
بچھڑنا مبارک بچھڑ جائیـے گا
Faqat Mere Dil Se Utar Jayeye Ga
Bichadna Mubarak Bichad Jayeye Ga

 
میں سمجھا تھا تم ہو، تو کیا اور مانگوں؟
میری زندگی میں میری آس تم ہو
Main Samjha Tha Tum Ho , Tou Kia Aur Mangon?
Meri Zindagi Mein Meri Aas Tum Ho

 
یہ دنیا نہیں ہـے میرے پاس تو کیا؟
میرا یہ بھرم تھا میرے پاس تم ہو
Yeh Dunya Nahi Hai Mere Pas Tou Kia?
Mera Yeh Bharam Tha Mere Pas Tum Ho

 
مگر تم سے سیکھا، محبت بھی ہو تو
دغا کیجئیـے گا مُکر جائیـے گا
Magar Tum Se Seekha , Muhabbat Bhi Ho Tu
Dagha Kijiyega Mukar Jayeyega

 
تیرا ہاتھ کل تک میرے ہاتھ میں تھا
تیرا دل دھڑکتا تھا دل میں ہمارے
Tera Haath Kal Tak Mere Haath Mein Tha
Tera Dil Dhadakta Tha Dil Mein Hamare

 
یہ مخمور آنکھیں جو بدلی ہوئی ہیں
کبھی ہم نے ان کے ہیں صدقے اتارے
Yeh Makhmoor Aankhein Jo Badli Hoi Hein
Kabhi Hum Ne Inke Hein Sadqay Utare

 
کہیں اب ملاقات ہوجائے ہم سے
بچا کر نظر کو گذر جائیـے گا
Kahein Ab Mulaqaat Ho Jaye Hum Se
Bacha Kar Nazar Ko Guzar Jayeyega

 
جینا ہـے ، تیرے بنا
جینا ہـے اب مجھ کو تیرے بنا
Jeena Hai , Tere Bina
Jeena Hai Mujh Ko Tere Bina

 
 خلیل الرحمٰن قمرؔ
Khalil u Rehman Qamar


Ik Ajnabi Ke Haath Mein De Kar Hamara Haath Lo Saath Chorne Laga Aakhir Yeh Saal Bhi



اک اجنبی کے ہاتھ میں دے کر ہمارا ہاتھ
لو ساتھ چھوڑنے لگا آخر یہ سال بھی
Ik Ajnabi Ke Haath Mein De Kar Hamara Haath
Lo Saath Chorne Laga Aakhir Yeh Saal Bhi

حفیظ میرٹھی
Hafeez Meerithy


ZINDAGI NE SATA KE , HAD KAR DI MAIN NE BHI MUSKURA KE , HAD KAR DI



ZINDAGI NE SATA KE , HAD KAR DI
MAIN NE BHI MUSKURA KE , HAD KAR DI


MAIN NE US SE KAHA CHALY JAO
AUR US NE BHI JA KE , HAD KAR DI


KHUDA JISKI HIFAZAT KI HAYA JAB THAAN LAITA HAI TOU PHIR MAKDI KE JALON KI WOH CHADAR TAAN DAITA HAI



KHUDA JISKI HIFAZAT KI HAYA JAB THAAN LAITA HAI
TOU PHIR MAKDI KE JALON KI WOH CHADAR TAAN DAITA HAI


AGAR ZINDAGI LEKH DE SAMANDAR RAAH DE DAIGA
AGAR WOH MOUT LEKH DE TOU MACHAR JAAN LAITA HAI


Kabhi Hoti Hai Apnon Se Kabhi Hoti Hai Sapnon Se



کَبھی ہوتی ہے اَپنوں سے
کَبھی ہوتی ہے سَپنوں سے
Kabhi Hoti Hai Apnon Se
Kabhi Hoti Hai Sapnon Se

 
کَبھی اَنجان راہوں سے
کَبھی گُمنام نَاموں سے
Kabhi Anjan Raahon Se
Kabhi Gum-Nam Namon Se

 
کَبھی ہَوتی ہے پھُولوں سے
کَبھی بچپن کے جھولوں سے
Kabhi Hoti Hai Phoolon Se
Kabhi Bachpan Ke Jholon Se

 
کَبھی بے اِختیاری میں
کَبھی پکے اُصولوں سے
Kabhi Be-Ikhtiyari Mein
Kabhi Pakkay Usoolon Se

 
مُحبت اِک صَداقت ہے
مُحبت اِک عِبادت ہے
Muhabbat Ik Sadaqat Hai
Muhabbat Ik Ibadat Hai

 
دُکھوں میں رول دیتی ہے
دَرد اَنمول دیتی ہے
Dukhon Mein Rol Daiti Hai
Dard Anmol Daiti Hai

 
زہر بھی گھول دیتی ہے
مُحبت چیز ایسی ہے
Zehar Bhi Ghol Daiti Hai
Muhabbat Cheez Aisi Hai

 
شاعرہ:پروین شاکر
Poetess: Parveen Shakir


DECEMBER Thehar Jao Na Abhi Lamhe Nahi Bikhre



دسمبر ٹھہر جاؤ نا
ابھی لمحے نہیں بکھرے
DECEMBER Thehar Jao Na
Abhi Lamhe Nahi Bikhre

 
ابھی موسم نہیں بچھڑے
میرے کمرے کی ٹھنڈک میں
Abhi Mousam Nahi Bichday
Mere Kamre Ki Thandak Mein

 
ابھی کچھ دھوپ باقی ہے
میرے آنگن کے سب پودے
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai
Mere Aangan Ke Sab Poday

 
ابھی بھی گنگاتے ہیں
میرے بےجان ہونٹوں پر
Abhi Bhi Gungunate Hein
Mere Be-Jan Honton Par

 
ابھی مسکان ویسی ہے
کسی کے لوٹ آنے کا
Abhi Muskan Waisi Hai
Kisi Ke Laot Aane Ka

 
ابھی امکان باقی ہے
دسمبر اک بات بولوں میں
Abhi Imkan Baqi Hai
DECEMBER Ik Baat Bolon Main

 
اگر تم مان جاؤ تو
دسمبر ٹھہر جاؤ نا
دسمبر ٹھہر جاؤ نا
Agar Tum Maan Jao Tou
DECEMBER Thehar Jao Na
DECEMBER Thehar Jao Na


Naye Saal Mein Muhabbat Nahi Kareingy Hum Kisi Ki Yaad Mein Yeh Aakhiri DECEMBER Hai



نئے سال میں محبت نہیں کرینگے ہم
کسی کی یاد میں یہ آخری دسمبر ہے
Naye Saal Mein Muhabbat Nahi Kareingy Hum
Kisi Ki Yaad Mein Yeh Aakhiri
DECEMBER Hai


Drd ho dil main to dawa kijeae Dil hi jb drd ho to ki kijeae



درد ہو دل میں تو دوا کیجے
دل ہی جب درد ہو تو کیا کیجے
ہم کو فریاد کرنی آتی ہے
آپ سنتے نہیں تو کیا کیجے
ان بتوں کو خدا سے کیا مطلب
توبہ توبہ خدا خدا کیجے
رنج اٹھانے سے بھی خوشی ہو گی
پہلے دل درد آشنا کیجے
عرضِ شوخی نشاطِ عالم ہے
حسن کو اور خود نما کیجے
دشمنی ہو چکی بہ قدرِ وفا
اب حقِ دوستی ادا کیجے
موت آتی نہیں کہیں غالبؔ
کب تک افسوس زیست کا کیجے
مرزا غالب
Drd ho dil main to dawa kijeae
Dil hi jb drd ho to ki kijeae
Hmko farayad krni aati hae
Ap suntay nahen to kia kijeae
In buton ko khuda se kia matlab
Tauba tauba,khuda khuda kijeae
Rnj uthanay se bhi khushi ho gi
Pehlay dil,drd aashna kijeae
Arz e shokhi nishat e aalam hae
Husn ko aur khudnuma kijeae
Dushmani ho chuki bae qadr e wafa
Ab haq e dosti,ada kijeae
Maut aati nahen kaheen Ghalib
Kb tk afsos zeest ka kijeae

Mirza Ghalib


Now what are you searching for in the ashes of burnt paper That story itself burned whose fan you were



Now what are you searching for in the ashes of burnt paper
That story itself burned whose fan you were
What do you search now in the ashes of burnt paper
That story of which you were burned

Parveen Shakir Parveen Shakir


Without "Ghalib"-e-Khasta, which work is closed? Why should I cry a lot, why should I say a lot?



Without "Ghalib"-e-Khasta, which work is closed?
Why should I cry a lot, why should I say a lot?
Which works are closed without Ghalib e Khasta
Why do you cry, say hi hi

Ghalib


Mujhe darr lagta hai logon se In ke kareeb aane se



Mujhe darr lagta hai logon se
In ke kareeb aane se
Achanak chhor jaane se
Bahut sakht lehjon se
Aur narm mijaazon se
Jaan ban jaane se
Anjaan ho jaane se
Bahut khaas hone se
Behadh aam ho jaane se
Ehsaan kerne se
Ehsaan jataane se
Pehle haansne se
Phir khud hi rulane se
Aik din chhor jaane se
Kabhi na laut aane se
Mujhe darr lagta ab logon se


Un ke ik taghafal se tootte hain Dil kitne Un ki ik tawajuh se kitne Zakhm bherte hain



ان کے اک تغافل سے ٹوٹتے ہیں دل کتنے
ان کی اک توجہ سے کتنے زخم بھرتے ہیں
Un ke ik taghafal se tootte hain Dil kitne
Un ki ik tawajuh se kitne Zakhm bherte hain


It's compulsory that we have made a pretense of this jog. Just compulsory this is the reality, rest everything else is illusion.



It's compulsory that we have made a pretense of this jog.
Just compulsory this is the reality, rest everything else is illusion.
Do this duty of Bijog
We have pretended.
Do your duty, this is the reality.
Everything else should be illusion.

Ibn e Insha Ibn e Insha


Ye bhi ik rang hai shayad meri mahrumi ka koi hans de to mohabbat ka guman hota hai



Ye bhi ik rang hai shayad meri mahrumi ka
koi hans de to mohabbat ka guman hota hai


Nikalna khuld* se aadam ka sunte aaye hain lekin bahut be-abru ho kar tere kuche se ham nikle



REMEMBERING MIRZA GHALIB ON HIS BIRTH ANNIVERSARY
(some favorite couplets)
Nikalna khuld* se aadam ka sunte aaye hain lekin
bahut be-abru ho kar tere kuche se ham nikle
magar likhvae koi us ko khat to ham se likhvae
hui subah aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

(* paradise)
--------
Koi mere dil se puchhe tere teer-e-nim-kash* ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
Kahun kis se mai ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota

*(an arrow that would be only partly through its target)
-------
Mat puchh ki kya haal hai mera tere pichhe
tu dekh ki kya rang hai tera mere aage

-------
Dard minnat-kash-e-dava* na hua
main na achchha hua bura na hua
kitne shireen** hain tere lab ki raqeeb
galiyan kha ke be-maza na hua
hai khabar garm un ke aane ki

aaj hi ghar mein boriya*** na hua
(* pain wasn't obliged to respond to medicine
** sweet/pleasant
*** rug)


Lazim nahi har lamha Hawason Par Khumar-e-yaar ho



Lazim nahi
har lamha
Hawason Par
Khumar-e-yaar ho
Suna hai muskurana un ka
Jo nigahon ne padh liya
Alfaaz kam the lekin
Zuban-e-khamoshi ka
Mousam kamal tha

Jyoti Johal Bains


Mitny Lagy Hein Zehan Se Tere Khaal o Khad o Naqosh Aur Ab Tera Nam Bhi Kuch Suna Suna Sa Lagta Hai



Mitny Lagy Hein Zehan Se Tere Khaal o Khad o Naqosh

Aur Ab Tera Nam Bhi Kuch Suna Suna Sa Lagta Hai

Mazhar Jalali


Koi umeed bar nahin aati Koi soorat nazar nahin aati



Koi umeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati
Hum wahan hain jahan se humko bhi
Kuchh humari khabar nahin aati

Ghalib
कोई उम्मीद बर नहीं आती
कोई सूरत नज़र नहीं आती
हम वहाँ है जहाँ से हमको भी
कुछ हमारी ख़बर नहीं आती।

ग़ालिब


Main Jiski Aarzoo Mein Khuda Tak Pahonch Gayi Woh Shakhs Mere Liye Banaya Hi Nahi Gaya



Main Jiski Aarzoo Mein Khuda Tak Pahonch Gayi
Woh Shakhs Mere Liye Banaya Hi Nahi Gaya


Aksar wohi chah laite hain hum Jinhein kabhi bhi paa nahi sakte hum



Aksar wohi chah laite hain hum
Jinhein kabhi bhi paa nahi sakte hum


Pichlay saal ke aakhir mein bhii Hairat mein ham teenon thay



Pichlay saal ke aakhir mein bhii
Hairat mein ham teenon thay
Ek main tha
Ek tanhai thii
Ek barbad
DECEMBER thaa


Kuch doore humhare saath chalo hum dil ki kahani keh denge Samjhe na jisse tum aankhon se woh baat zabaani keh denge



Kuch doore humhare saath chalo  hum dil ki kahani keh denge
Samjhe na jisse tum aankhon se woh baat zabaani keh denge
Phoolon ki tarah jab honton peh ik shok tabassum bikhray ga
Dheeray se tumhare kaanon mein ik baat purani keh denge
Izhaar e wafa tum kya jaano iqraar e wafa tum kya samjho
Hum zikr kerein ge gairon ka aur apni kahani keg denge
Kuch doore humhare saath chalo


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo