Gardish-e-Waqt Ki Dastaras Se Juda

 

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Zindgani Ki Ramaq Mangte Hain,

Hum Bhi Ek Sans Ka Haq Mangte Hain,

Ghurbat-e-Sham Kahan Tak Pohnchi,

Ab Bagole Bhi Shafaq Mangte Hain,

Aik Ujri Hoi Basti K Makeen,!

Aik Dasht-e-Laq-O-Daq Mangte Hain,

Tujh Ko Khat Khoon Se Likhne Wale,

Apne Boseeda Warq Mangte Hain!

Jo Samjhte Nahi Khud Ko MOHSIN,

Mujh Se Har Bat Adaq Mangte Hain...............!

 

Main Kahan Teri Dastaan Se Alag Kuch Nahi Dhool

 

 

Poet Mosin Naqvi 

 

Main Kahan Teri Dastaan Se Alag?

Kuch Nahi Dhool Karwaan Se Alag!

Chand Kitna Aziz Tha Us Ko.....!

Rat Tehri Mere Makaan Se Alag,

Fasal-E-Gul Mein Bhi Phool Murjhaye!

Ek Khizaan Aur Hai Khizaan Se Alag,

Mere Qatil Nazar Na Aa Mujh Ko,

Barq Rehti Hai Aashiaan Se Alag...................!

Book

Taloo-E-Ashk 

 

Main Shakh Se Urra Tha Sataron Ki Aas Mein

 

 

Main Shakh Se Urra Tha Sataron Ki Aas Mein,

Murjha K Aa Gira Hon Magar Sard Ghaas Mein,

SochO To SilwatOn Se Bharii Hai Tamaam Ruhh

DekhO To Ek Shikann Bhi Nahi Hai Libaas Mein..

Sehraa Ki Bood-O-Baash Hai, AchhiNa Kiun Lage

Sookhi Hui Gulaab Ki Tehni Glaass Mein..

Chamke Nahi Nazar Mein Abhi Naqsh Door Ke

MasrOOf Hun Abhi Aml-E-In'akaas Mein..

DhOke Se Us Hasseen Ko Agar ChOOm Bhi Lia

PaaO Ge Dil Ka Zehr LabbOn Ki Mithaas Mein..

Taara Koi Riwaa-E-Shab-E-Abr Mein Na Tha

Betha Tha Main Udaas Bayabaan-E-Yaas Mein..

Ju-?e-Rawaan-?e-Dasht ! Abhi Sookhna Nahi

Saawan Hai Door Aur Wahi ShiddatHai Peyaas Mein..

Rehta Tha SaamNe Tra Chehra Khula Hua

Parrhta Tha Main Kitaab Yahi Her Claass Mein..

KaantOn Ki Baarr Phaand Gya ThaMagar Jan??

Rasta Na Mil Saka Mujhe PhOOlOn Ki Baas Mein....!

 

 

Mom Ki Tarha Pighlte Howe Dekha Us Ko

 

 

Mom Ki Tarha Pighlte Howe Dekha Us Ko

Rut Jo Badli To Badlty Howe Dekha Us Ko

Jane Kis Ghum Ko Chupane Ki Tamana Hai Usy

Aj Har Bat Pr Hanste Howe Dekha Us Ko

Wo Jo Kanton Ko Bhi Narmi Se Chuwa Krta Tha

Hum Ne Pholon Ko Maslte Howe Dekha Us Ko

Najany Wo Duaon Mein Mangta Hai Kisy.............!

 

 

Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka Taqaza Hai

 

Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka Taqaza Hai

Gham-e-Duniya Se Ghabra Kr Tumhein Dil Ne Pukara Hai

Kahan Ho Tum

Tumhari Be-Rukhi Ek Din Hamari Jaan Le Lay Gi

Qasam Tum Ko Zara Socho K Dastoor-e-Wafa Kiya Hai

Kahan Ho Tum

Na Hai Faryad Honton Per Na Aankhon Mein Koi Aanso

Zamanay Se Mila Jo Gham Usay Geeton Mein Dhaala Hai

Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka Taqaza Hai

Gham-e-Duniya Se Ghabra Kr Tumhein Dil Ne Pukara Hai

Kahan Ho Tum........?

 

 

Tujhe Yad Karte Hain Har Sans K Bad Kabhi

 




Tujhe Yad Karte Hain Har Sans K Bad

Kabhi Subha Se Pehle Kabhi Sham K Bad

Kabhi Milo To Kuch Karen Batein

Ek Jam Se Pehle Ek Jam Ke Bad

Dil Ki Dewaron Pe Tera Nam Likte Hain

Kabhi Fursat Mein Kabhi Kaam K Bad

Mere Marne K Bad Bhi Log Tujhe Pukaren Gay

Kabhi Mere NAAM Se Pehle Kabhi Mere NAAM K Bad…......!

 

 

Tum Pyar Karna To Iqrar Mat Karna

 

 

 Tum Pyar Karna To Iqrar Mat Karna,

Bahut Hi Door Kahein Wadion Se Ye Sadaa Aai,

K Jab Tum Pyar Karna To Iqrar Mat Karna,

K Jo Iqrar Karta Hai Us Se Umeed Hoti Hai,

Us Se Umeed Hoti Hai Kisi K Muskarane Ki,

Kisi K Muskarane Aur Phir Nazrain Jhukane Ki,

Inhi Jhukti Hoi Nazron Se Us K Aah Bharne Ki,

Wo Jo Iqrar Karta Hai Usay Umeed Hoti Hai,

Haan Jo Iqrar Karta Hai Usay Umeed Hoti Hai,

Us Se Umeed Hoti Hai K Wo Nakaam Na Ho Ga,

Us Se Umeed Hoti Hai K Wo Badnaam Na Ho Ga,

Us Se Umeed Hoti Hai K Jo Sapna Us Ne Dekha Hai,

Wo Sapna Aik Din Sharminda-e-Tabeer Hon Gay

Wo Sapne Jin Mein Us Ne Khud Ko,

Bahut Masroor Dekha Hai,

Wo Sapna Jis Mein Us Ne Ek Hasseen Chehre Ko Dekha Hai,

Wo Chehra Jis Pe Bal Khati Zulfon Ka Pehra Hai,

Wo Chehra Jis Pe Do Aankhon Ka,

Kala Rang Ghehra Hai Wo Chehra Jis Pe,

Do Hanste Howe Se Lab Hain,

Hazaron Phool Baraste Hain,

Wo Lab Jab Bolte Hain Wo Lab,

Jin Se Nikalte Howe Alfaz Jo Sun Le Wo,

Bas Ulfat Mein Par Jaye

Hazaron Khawab,

Wo Ban Le Kis Se Kaise Bataye Us K Hai Lehje Ka

Asar Kia,

K Jaise Barson Se Pyasi Kisi Zameen Pe Barish,

K Jaise Sadion Se Bejan Jisam Par,

Dam-e-Eesa Wo Haseen Aur Wo,

Khud Ek Chote Se Ghar Mein Rehti Hain,

Wo Dono Choti Choti Baton Pe Roz Hansti Rehti Hain,

Wo Chota Ghar K Jahan Har Taraf Khushian Hi Khushian Hain,

Wo Chota Ghar Jahan Har Taraf Hi Pyar Ayaan Hai,

Ye Sapne Wo Hi Bunta Hai Jis Se,

Umeed Hoti Hai K Sapne Aik Din,

Sharminda-e-Tabeer Bhi Hon Gay,

Magar Aisa Na Ho To Phir

Agar Aisa Na Ho To Phir,

Wo Sapne TooT jain To Wo Gar Nakaam Ho Jaye To,

Wo Lab Na Muskarain To

Agar Aisa Na Ho To Phir,

Agar Aisa Na Ho To Phir Bahut Takleef Hoti Hai,

So Jab Tum Pyar Karna To Kabhi Iqrar Mat Karna,

K Jo Iqrar Karta Hai Us Se Umeed Hoti Hai,

K Jo Iqrar Karta Hai Us Se Takleef Hoti Hai.............!

 

 

Aaja Main Hawaon Pe Betha K Le Chalon

 

 

 Aaja Main Hawaon Pe Betha K Le Chalon,

Too Hi To Meri Dost Hai,

Aaja Main Khayalon Mein Utha K Le Chalon,

Too Hi To Meri Dost Hai,

Awaz Ka Daria Hon Behta Hon,

Main Neeli Raton Mein,

Main Jagta Rehta Hon,

Neend Bhari Jheel Si Aankhon Mein,

Awaz Hon Main,

Aa Ja Main Hawaon Pe Bitha Ke Le Chalon,

Too Hi To Meri Dost Hai,

Rat Mein Chandni Kabhi Aisi Gungunati Hai,

Sun Zara Lagta Hai Tum Se Awaz Milati Hai,

Main Khayalon Ki Mehek Hon,

Gungunate Howe Saz Par,

Ho Sake To Mila Le Awaz Ko Le Saz Par,

Aa Ja Main Hawaon Pe Bitha K Le Chalon,

Too Hi To Meri Dost Hai,

Aa Ja Main Khayalaon Mein Utha k Le Chalon,

Too Hi To Meri Dost Hai,

O Kabhi Kehta Hai Sahil Jahan Sham Utarti Hai,

Kehte Hain Samandar Se Ek Pari Guzarti Hai,

Wo Rat Ki Rani Hai Sargam Par Chalti Hai,

Aa Ja Main Hawaon Pe Bitha K Le Chalon,

Too Hi To Mera Dost Hai.........!

 

 

Char Dino Ka Pyar O Rabba Lambi Judai Lambi Judai

 

 

Char Dino Ka Pyar O Rabba

Lambi Judai Lambi Judai,

Tere Bin Dil Mera Laage Kahein Na,

Tere Bin Jan Meri Jaye Kahein Na,

Kitne Zamane Baad O Rabba,

Yad Too Aaya Yad Too Aaya,

Khoya Raha Main Sason Mein Apne,

Aahat Bhi Teri Bhool Gaya Mein,

Kitna Jeeia Hon Tanha Raha Hon,

Ishq Tera Bhool Gia Hon

Khoya Raha Mein,

Sason Mein Apne Aahat Bhi Teri Bhool Gia Main,

Kitna Jeeia Hon Tanha Raho Hon,

Ishq Tera Bhool Gia Hon

Uljha Raha Main Is Zindagi Mein,

Dil Ki Duhai Dil Ki Duhai,

Tere Bin Dil Mera Laage Kahein Na,

Tere Bin Jan Meri Jaye Kahein Na,

Kitne Zamane Baad O Rabba,

Yad Too Aaya Yad Too Aaya,

O Rabba Rabbaa,

Char Dino Ka Pyar O Rabba

Lambi Judai Lambi Judai,

Tere Bin Dil Mera Laage Kahein Na,

Tere Bin Jan Meri Jaye Kahein Na,

Kitne Zamane Baad O Rabba,

Yad Too Aaya Yad Too Aaya,

Har Bebasi Mein Is Zindagi Ne,

Tujh Ko Hi Chaha Tujh Ko Hi Manga,

Jin Raston Se Guzra Ye Dil Tha,

Manzil Mili Na Pyar Na Paya,

Har Bebasi Mein Is Zindagi Ne,

Tujh Ko Hi Chaha Tujh Ko Hi Manga,

Jin Raston Se Guzra Ye Dil Tha,

Manzil Mili Na Pyar Na Paya,

Khud Ko Chupa K Rahon Se Guzre,

Dil Ko Sambhle Dil Ko Sambhle,

Char Dino Ka Pyar O Rabba Lambi Judai Lambi Judai......................!

 

 

Iblees Ki Majlis-E-Shoora

 

Iblees Ki Majlis-e-Shura*_*

<.....1936.....>

TEXT BY TANHA_KHAKI

 

    Poet Sir Dr. Allama Muhammad Iqbal

<...>Iblees<....>


Ye Anasir Ka Purana Khail, Ye Dunya-e-Doon...!<

'*'

Sakinan-e-Arsh-e-Azam Ki Tamanaon Ka Khoon...!<

'*'

Mein Ne Dikhlaya Farangi Ko Mulukiyat Ka Khawab...!<

'*'

Mein Ne Tora Masjid-o-Dair-o-Kalisa Ka Fusoon...!<

'*'

Mein Ne Nadaron Ko Sikhlaya Sabaq Taqdeer Ka...!<

'*'

Mein Ne Muneim Ko Diya Sarmayadari Ka Junoon...!<

'*'

Kon Kar Sakta Hai Uss Ki Aatish Soozan Ko Sard...!<

'*'

Jis Ke Hungamon Mein Ho Iblees Ka Souz-e-Daroon...!<

'*'

Jis Ki Shakhain Hon Humari Aabiyari Se Buland...!<

'*'

Kon Kar Sakta Hai Uss Nakhl-e-Kuhan Ko Ser Nigoon...!<

'*'

<...>Pehla Musheer<...>

'*'

Iss Mein Kya Shak Hai Ke Muhkam Hai Ye Ibleesi Nizam...!<

'*'

Pukhta Tar Iss Se Huwe Khuay Ghulami Mein Aawam...!<

'*'

Hai Azal Se In Gharibon Ke Muqaddar Mein Sujood...!<

'*'

In Ki Fitrat Ka Taqaza Hai Namaz-e-Be Qayam...!<

'*'

Arzoo Awwal To Paida Ho Nahin Sakti Kahin...!<

'*'

Ho Kahin Paida To Mer Jati Hai Ya Rehti Hai Kham...!<

'*'

Ye Humari Saee-e-Peham Ki Karamat Hai Ke Aaj...!<

'*'

Sufi-o-Mullah Mukuliyat Ke Bande Hain Tamam...!<

'*'

Taba-e-Mashriq Ke Liye Mouzoon Yehi Afyoon Thi...!<

'*'

Warna 'Qawwali' Se Kuch Kam Tar Nahin 'Ilm E Kalam...!<

'*'

Hai Tawaf-e-Hajj Ka Hungama Agar Baqi To Kya...!<

'*'

Kund Ho Kar Reh Gyi Momin Ki Taeg-e-Be Nayam...!<

'*'

Kis Ki Naumeedi Pe Hujjat Hai Ye Farman-e-Jadeed...!<

'*'

Hai Jihad Iss Dour Mein Mard-e-Musalman Par Haram...!<

'*'

<...>Dusra Musheer<...>

'*'

Khair Hai Sultani Jumhoor Ka Ghogha Ke Sherr...!<

'*'

Tu Jahan Ke Taza Fitnon Se Nahin Hai Ba-khabar...!<

'*'

<...>Pehla Musheer<...>

'*'

Hun, Magar Meri Jahan Beeni Batati Hai Mujhe...!<

'*

Jo Mulukiyat Ka Ek Parda Ho, Kya Us Se Khatar!..!<

'*'

Hum Ne Khud Shahi Ko Pehnaya Hy Jumhuri Libas..!<

'*'

Jab Zara Aadam Huwa Hy Khud Shanas-o-Khud Nigar..!<

'*'

Karobar-e-Sheher Yari Ki Haqiqat Aur Hy..!<

'*'

Ye Wujood-e-Meer-o-Sultan Par Nahin Hy Munhasar..!<

'*'

Majlis-e-Millat Ho Ya Parvaiz Ka Darbar Ho..!<

'*'

Hy Wo Sultan, Ghair Ki Khaiti Pe Ho Jis Ki Nazar..!<

'*'

Tu Ne Kya Dekha Nahin Maghrib Ka Jumhuri Nizam..!<

'*'

Chehra Roshan, Andrun Changaiz Se Tareek Tar..!<

'*'

<..>Teesra Musheer<..>

'*'

Rooh-e-Sultani Rahe Baqi To Phir Kya Iztarab..!<

'*'

Hy Magar Kya Us Yahudi Ki Shararat Ka Jawab?..!<

'*'

Wo Kalem Be-Tajali, Wo Maseh Be-Saleb..!<

'*'

Neest Peghambar Wa Lekin Dar Baghal Darad Kitab..!<

'*'

Kya Bataun Kya Hy Kafir Ki Nigah-e-Parda Souz..!<

'*'

Mashriq-o-Maghrib Ki Qaumon K Liye Roz-e-Hisab..!<

'*'

Is Se Barh Kar Aur Kya Ho Ga Tabiat Ka Fasad..!<

'*'

Torh Di Bandon Ne Aaqaon Ke Khaimon Ki Tanab..!<

'*'

<...>Chotha Musheer<...>

'*'

Torh Us Ka Rumatul Kubra K Aewanon Mein Dekh..!<

'*'

Aal-e-Ceaser Ko Dikhaya Hum Ne Phir Ceaser Ka Khawab..!<

'*'

Kon Behar-e-Rome Ki Moujon Se Hy Lipta Huwa..!<

'*'

Gah Balad Choon Sanobar Gah Nalad Choon Rabab..!<

'*'

<...>Teesra Musheer<...>

'*'

Mein To Us Ki Aaqabat Beeni Ka Kuch Qael Nahin..!<

'*'

Jis Ne Afrangi Siasat Ko Kiya Yun Behijab..!<

'*'

<...>Panchwan Musheer<...>

'*'

~Iblees Ko Mukhatib Kar Ke~

'*'

Ae Tere Souz-e-Nafas Se Kaar-e-Aalam Ustawar..!<

'*'

Tu Ne Jab Chaha, Kiya Har Pardagi Ko Ashikaar..!<

'*'

Aab-o-Gill Teri Hararat Se Jahan-e-Souz-o-Saaz..!<

'*'

Abla-e-Jannat Teri Taleem Se Danaye Kaar..!<

'*'

Tujh Se Barh Kar Fitrat-e-Aadam Ka Wo Mehram Nahin..!<

'*'

Sada Dil Bandon Mein Jo Mashoor Hy Parwardigar...!<

'*'

Kaam Tha Jin Ka Fakat Taqdees-o-Tasbeeh-o-Tawaf...!<

'*'

Teri Gairat Se Abad Tak Sar Nigun-o-Sharamsaar...!<

'*'

Garcha Hain Tere Mureed Afrang Ke Sahir Tamam...!<

'*'

Ab Mujhe In Ki Farasat Par Nahin Hy Atibar...!<

'*'

Ye Yahoodi Fitna Gar, Wo Rooh-e-Mazdak Ka Barooz...!<

'*'

Har Kaba Hone Ko Hy Is K Janoon Se Tar Tar...!<

'*'

Zagh-e-Dashti Ho Raha Hy Humsar-e-Shaheen-o-Chargh...!<

'*'

Kitni Sura'at Se Badalta Hy Mazaaj-e-Rozgar...!<

'*'

Cha Gyi Ashufta Ho Kar Wusat-e-Aflaak Par...!<

'*'

Jis Ko Nadani Se Hum Samajhe The Ek Musht-e-Ghubar...!<

'*'

Fitna-e-Farda Ki Haibat Ka Ye Alam Hy K Aaj...!<

'*'

Kanpte Hain Kohsar-o-Murghzar-o-Ju'ay bar...!<

'*'

Mere Aaqa! Vo Jahan Zair-o-Zabar Hone Ko Hy...!<

'*'

Jis Jahan Ka Hy Fakat Teri Sayadat Par Madar...!<

'*'

Sada Dil Bandon Mein Jo Mashoor Hy Parwardigar...!<

'*'

Kaam Tha Jin Ka Fakat Taqdees-o-Tasbeeh-o-Tawaf...!<

'*'

Teri Gairat Se Abad Tak Sar Nigun-o-Sharamsaar...!<

'*'

Garcha Hain Tere Mureed Afrang Ke Sahir Tamam...!<

'*'

Ab Mujhe In Ki Farasat Par Nahin Hy Atibar...!<

'*'

Ye Yahoodi Fitna Gar, Wo Rooh-e-Mazdak Ka Barooz...!<

'*'

Har Kaba Hone Ko Hy Is K Janoon Se Tar Tar...!<

'*'

Zagh-e-Dashti Ho Raha Hy Humsar-e-Shaheen-o-Chargh...!<

'*'

Kitni Sura'at Se Badalta Hy Mazaaj-e-Rozgar...!<

'*'

Cha Gyi Ashufta Ho Kar Wusat-e-Aflaak Par...!<

'*'

Jis Ko Nadani Se Hum Samajhe The Ek Musht-e-Ghubar...!<

'*'

Fitna-e-Farda Ki Haibat Ka Ye Alam Hy K Aaj...!<

'*'

Kanpte Hain Kohsar-o-Murghzar-o-Ju'ay bar...!<

'*'

Mere Aaqa! Vo Jahan Zair-o-Zabar Hone Ko Hy...!<

'*'

Jis Jahan Ka Hy Fakat Teri Sayadat Par Madar...!<

'*'

~~Apne Musheeron Se~~

'*'

Hai Mere Dast-e-Tasarruf Mein Jahan-e-Rang O Bu...!<

'*'

Kya Zameen, Kya Mehar O Mah, Kya Asaman-e-Tu Ba Tu...!<

'*'

Dekh Lain Ge Apni Ankhon Se Tamasha Gharb-o-Sharak...!<

'*'

Main Ne Jab Garma Diya Aqwam-e-Europe Ka Lahoo...!<

'*'

Kya Imamane Siasat, Kya Kaleesa Ka Shayookh...!<

'*'

Sub Ko Diwana Bana Sakti Hai Meri Aik Hoo...!<

'*'

Kargah Sheesha Jo Nadan Samjhta Hai Usse...!<

'*'

Tor Kar Dekhe To Iss Tehzeeb Ke Jam-o-Saboo!...!<

'*'

Dast-e-Fitrat Ne Kiya Hai Jin Girebanon Ko Chaak...!<

'*'

Mazdaki Mantaq Ki Souzan Se Nahin Hote Rafoo...!<

'*'

Kab Dara Sakte Hain Mujh Ko Ishtaraki Koocha Gard...!<

'*'

Ye Preshan Rozgar, Ashufta Maghz, Ashufta Mu...!<

'*'

Hai Agar Mujh Ko Khatar Koi To Uss Ummat Se Hai...!<

'*'

Jis Ki Khatstar Mein Hai Ab Tak Shirar-e-Arzu...!<

'*'

Khal Khal Is Qaum Mein Ab Tak Nazar Ate Hain wo..!<

'*'

Karte Hain Ashak-E-Sehargahi Se Jo Zalim Wazoo..!<

'*'

Janta Hy Jis Pe Roshan Batin-e-Ayyam Hy..!<

'*'

Mazdkiat Fitna-e-Farda Nahin, Islam Hy..!<

'*'

Janta Hun Main Ye Ummat Hamal-e-Quran Nahin..!<

'*'

Hy Wohi Sarmaya'dari Banda-e-Momin Ka Deen..!<

'*'

Janta Hun Main K Mashriq Ki Andheri Raat Mein..!<

'*'

Be Yad-e-Baiza Hy Peeran-e-Haram Ki Asten..!<

'*'

Asre-e-Hazir K Taqazaon Se Hy Lekin Ye Khof..!<

'*'

Ho Na Jaye Ashakara Shara-e-Peghambar Kahin..!<

'*'

Alhazar! Aaeen-e-Peghambar Se Sou Bar Alhazar...!<

'*'

Hafiz-e-Namoos-e-Zan, Mard Azma, Mard-e-Afreen...!<

'*'

Mout Ka Pegham Har Nu-e-Ghulami K Liye..!<

'*'

Ne Koi Faghfur-o-Khaqan, Ne Fareq-e-Reh Nashen..!<

'*'

Karta Hy Doulat Ko Har Aaludgi Se Pak Saaf..!<

'*'

Munemon Ko Maal-o-Doulat Ka Banata Hy Ameen..!<

'*'

Is Se Barh Kar Aur Kya Fikar-o-Amal Ka Inqilaab...!<

'*'

Padshahon Ki Nahin, Allah Ki Hai Ye Zameen!...!<

'*'

Chasme Alam Se Rahe Poshida Ye Aaeen To Khoob...!<

'*'

Ye Ghanimat Hai Ke Khud Momin Hai Mehroom-e-Yaqeen...!<

'*'

Hai Ye Behter Elahiyat Mein Uljha Rahe...!<

'*'

Ye Kitab Ullah Ki Taweelat Mein Uljha Rahe...!<

'*'

Tor Dalain Jis Ki Takbeerain Talism-e-Shash Jihat...!<

'*'

Ho Na Roshan Uss Khuda Andaish Ki Tareek Raat...!<

'*'

Ibne Mariam Mar Gya Ya Zinda Javaid Hai...!<

'*'

Hain Sifat-e-Zaat-e-Haq, Haq Se Judda Ya Ayn Zaat?...!<

'*'

Ane Wale Se Maseeh-e-Nasiri Maqsood Hai...!<

'*'

Ye Mujaddid, Jis Mein Hon Farzand-e-Mariam Ke Sifat?...!<

'*'

Hain Kalam Ullah Ke Alfaz Hadis Ya Qadeem...!<

'*'

Ummat Marhoom Ke Hai Kis Aqeede Mein Nijat?...!<

'*'

Kya Musalman Ke Liye Kafi Nahin Iss Dour Mein...!


Ye Elahiyat Ke Tarshay Huwe Laat- O-Manaat?...!<

'*'

Tum Isse Begana Rakho Alam-e-Kirdar Se...!<

'*'

Ta Bisat-e-Zindagi Mein Iss Ke Sub Muhre Hon Maat...!<

'*'

Khair Issi Mein Hai, Qayamat Tak Rahe Momin Ghulam...!<

'*'

Chor Kar Auron Ki Khatir Ye Jahan-e-Be-Sabat...!<

'*'

Hai Wohi Shair-o-Tasawwuf Iss Ke Haq Mein Khoob Tar...!<

'*'

Jo Chupa De Iss Ki Ankhon Se Tamasha-e-Hayat...!<

'*'

Har Nafas Darta Hun Iss Ummat Ki Baidari Se Mein...!<

'*'

Hai Haqiqat Jis Ke Deen Ki Ahtisaab-e-Kainat...!<

'*'

Mast Rakho Zikar-o-Fikar-e-Subhgahi Mein Isse...!<

'*'

Pukhta Tar Kar Do Mazaaj-e-Khanqahi Mein Isse...!<

'*'

 

Kuch Bekhabar Se Aap Hain Kuch Bekhabar Se Hum

 

 

Poet: Ayaz Khan

Type By

*._Ayaz Khan_.*

Be Aabro Ho K Nikle Tere Dil K Ghar Se Hum.

Ab K Rote Howe Aaye Hain Tere Dar Se Hum.

Thay Hum Bhi Kabhi Muntazar Nazron Ka Arman.

Tapke Aanson Ki Tarah Teri Chashm-E-Tar Se Hum.

Ye Jo Zakham Hain Mere Dil Pe Lage Howe.

Guzar K Aaye Hain Laho K Daria Par Se Hum.

Tishnagi Hai Ab Tak Labon Pe is Qadar.

Doob K Pyase Hi Nikle Samadar Se Hum.

Dil Ki Baton Ko Ab Kaise Kahen Kisi Se.

Kuch Bekhabar Se Aap Hain,

Kuch Bekhabar Se Hum,

Chup Hain Teri Berurkhi K Dar Se Hum.

Meri Hasraton K Sub Hi Gulab Julas Gaye Hain.

AYAZ Jab Se Gire Hain Teri Nazar Se Hum.....! 

 

Khusbo Badal PhooL Hawa Kalian Shabnam Tere Naam

 

========

SALGIRA

======== 

 

Poet Fiza Batool 

 

Khusbo Badal PhooL Hawa Kalian Shabnam Tere Naam

Dost Salgira Ki Sari Khushian Sab Hain Tere Naam

Jhilmil Karta Neela Paani Jag Mag Karte Chaand Or Jugno

Raat Ki Raani Taare Kirnein Chanda Poonam Tere Naam

Es Saalgira Par Tujhko Kiya Tohfa Paish Karoon Dost

Mera Dil

Meri Dhaddkan

Meri Jaan

Meri Wafa Sab Tere Naam.

 

 

Resham Zulfo Nilam Aankhon Wale Ache Lagte Hain

 

 

+

Resham Zulfo Nilam Aankho'n Wale Ache Lagte Hain,

+

Main Shaaiyar Hon Mujhe Uljhay Chehray Ache Lagte Hain,

+

Tum Socho Adhi Raat Ko Thanday Chand Ki Chao'n Main,

+

Tanha Raho Par Hum Dono Kitne Ache Lagte Hain,

+

Akhir Akhir Sache Qoul Bhi Chubte Hain Dil Walo Ko,

+

Pehle Pehle Piyar K Jhonte Wade Ache Lagte Hain,

+

Jb Se Wo Pardais Gaya Shehar Ki Ronaq Roth Gai,

+

Ab To Apne Ghar K Band Darichay Ache Lagte Hain,

+

Kali Raat Main Jagmag Karte Taare Kon Bujhata,

+

Is Dhulhan Ko Ye Moti Ye Gehne Ache Lagte Hain,

+

Kal Us Rothay Rothay Yaar Ko Dekha To Mehsos Hoa,

+

Ujhle Jisam Pe Kale Kapre Ache Lagte Hain.. 

 

Ref:==>

Dr Saqib Arsalan 

 

 

Son Li Jo KHUDA Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho

 

Poet: Dr Bashair Badar

Type By

*._Ayaz Khan_.*

 

Son Li Jo KHUDA Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho.

Darwaze Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho.

Simti Hoi Sharmai Hoi Raat Ki Rani.

Soi Hoi Kaliyon Ki Haya Tum To Nahi Ho.

Mehsoos Kia Tum Ko To Gili Hoien Palkain.

Bheege Howe Musam Ki Ada Tum To Nahi Ho.

in Ajnabi Rahon Mein Nahi Koi Bhi Mera.

Kais Ne Muje Yuon Apna Kaha Tum To Nahi Ho.........!

 

Book: Aahat

Page: 13

Ghazal: 3 

 

Is Eid Par Lal Gulab La Do Na Phir Mere Baalon Mein Saja Do

Poet Zahid Rahi

Is Eid Par Lal Gulab La Do Na


Phir Mere Baalon Mein Saja Do Na


Wo Kehti Thi Eid Par Aik Kitab Behjon Gi


Mera Naam Us Mein Likh Do Na


Agr Pyar Hai Mujh Se Tum Ko


Meri Ye Sooni Si Kalai Saja Do Na


Aankhain Hain Kajal Ko Tarsi Hoi


Apni Chahat Ka Surma Pawa Do Na


Hont Hain Khushk Ye Piyar K Pani Ko


Apni Mohabbat Ki Surkhi In Pay Saja Do Na


Hath Hain Mere Soone Mehndi k Rang Se


Choom Choom K In Ko Mehndi Rang Bna Do Na


Pair Bhi Tarstay Hain Jhankar Ko


Is Eid Pay Apne Hathon Payal Pehna Do Na


Har Eid Pay Matmi Labas Pehnti Hon Mein


Laal Joura Pehna K Mohabbat Ki Muhar Laga Do Na


Is Eid Pe Mujhe Gulab La Do Na


Phir Apne Hathon Se Mere Baalon Mein Saja Do Na..........!

Wafa K Naam Ek Dastan Likh Rahi Thi

 

 

=============

DASTAN-E-WAFA

============= 

 

Poetess Perven Shakir 

 

Wafa K Naam Ek Dastan Likh Rahi Thi,

Mushkil Lafzon Ko Aasan Likh Rahi thi,

Wafa Ki Talash Mein Sara Jahan Likh Rahi Thi,

NA Mili Wafa To Lafaz Nakaam Likh Rahi Thi,

Nahi Milty Dhondne Se Bhi Wafa Karne Waly,

Is Liye Sary Jahan Ko Bewafa Likh Rahi Thi,

Na Karna Pyar Kabhi Zindagi Mein

"Mery Dost"

Milti Hai Pyar Mein Ruswai Ye Bar Bar Likh Rahi Thi,

Q Karty Hain Pyar Mein Itny Wadey Log Perveen,

Payar Mein Totey Howay Wadey Hazar Likh Rahi Thi............! 

 

Titlion Ka Mujhe Toota Howa Par Lagta Hai

 

Poet: Dr Basheer Badar

 

Titlion Ka Mujhe Toota Howa Par Lagta Hai.

Dil Pe Wo Naam Bhi Lekhte Howe Dar Lagta Hai.

Raat Aai To Sitaron Bhari Chadar Tani.

Khubsurat Mujhe Suraj Ka Safar Lagta Hai.

Ye Bhi Sote Howe Bache Ki Tharah Hansta Hai.

Aag Mein Phol Farishton Ka Hunar Lagta Hai.

Zindagi To Ne Mujhe Qabar Se Kam Di Hai Zameen.

Paon Phelaoon To Diwaar Mein Sar Lagta Hai.

Mein Tere Sath Sitaron Se Guzar Sakta Hoon.

Kitna Aasan Muhabbat Ka Safr Lagta Hai.

Mujh Mein Rehta Hai Koi Dushman-e-Jani Mera.

Khud Se Tanhai Mein Milte Howe Dar Lagta Hai.

Boot Bhi Rakhe Hain, Namazen Bhi Ada Hoti Hain.

Dil Mera Dil Nahi, KHUDA Ka Ghar Lagta Hai........!

 

Bk: Aass

Pg: 99 to 100

Gzl: 46 

 

Too Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Sham K Baad

 

Poet Farhat Abbas Shah 

 

Too Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Sham K Baad,

Kitane Chup Chap Se Lagte Hain Shajar Sham K Baad,

Too Hai Soraj Tujhe Maloom Kahan Rat Ka Dukh,

Too Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Sham K Bad,

Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Aawara Majaz,

Khol Rakhate Hain Isi Aas Pe Dar Sham K Bad..............!

 

Dedicated To My Friend Dr Saqib Arsalan

Samjhe Thay Hum Jo Dost Tujhe Aaye Miyaan Ghalat...*


Tera Nahi Hai Juram Humara Gumaan Ghalat....!

(Kashif Nadeem)

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi

 

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi,

Dil Ko Khushi K Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi,

Bat Wo Aadhi Rat Ki Rat Wo Poore Chand Ki,

Chand Bhi Ain Cheet Ka Us Pe Tera Jamal Bhi,

Sab Se Nazar Bacha K Wo Mujh Ko Kuch Aise Dekhta,

Aik Dafa To Ruk Gai Gardis-E-Maah-O-Saal Bhi,

Dil To Chamak Sake Ga Kia Phir Bhi Tarsh K Dekh Lein,

Sheesha Giran-E-Shehr K Hath Ka Ye Kamal Bhi,

Us Ko Na Pa Sake Thay Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha,

Ab Jo Palat K Dekhiye Bat Thi Kuch Mahaal Bhi,

Meri Talab Tha Aik Shakhs Wo Jo Nahi Mila To Phir,

Hath Dua Se Youn Gira Bhool Gia Sawal Bhi,

Us Ki Sukhan Tarzian Mere Liye Bhi Dhal Thein,

Us Ki Hansi Mein Chup Gia Apne Ghamon Ka Haal Bhi,

Gaah Qareeb-E-Shah Rag Gaah Baeed-E-Weham-E-Khawab,

Us Ki Rafaqaton Mein Rat Hijar Bhi Tha Wisaal Bhi,

Us K Hi Bazo'on Mein Aur Us Ko Hi Sochte Rahe,

Sham Ki Na Samjh Hawa Pooch Rahi Ek Pata,

Moj-E-Hawa-E-Koo-E-Yar Kuch To Mera Khayal Bhi..................! 

 

Kabhi Youn Bhi To Ho Daria Ka Sahil Ho

 

Poet Wasi Shah 

 

Kabhi Youn Bhi To Ho Daria Ka Sahil Ho,

Poore Chand Ki Rat Ho Aur Tum Aao,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Parion Ki Mahfil Koi Tumhari Bat Ho,

Aur Tum Aao Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho Ye Naram Mulaim,

Thandi Hawain Jab Ghar Se Tumhare Guzrain,

Tumhari Khushbo Churian Mere Ghar Le Aain,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Sooni Har Mahfil Ho,

Koi Na Mere Sath Ho Aur Tum Aao,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Ye Badal Aise Toot K Barse,

Mere Dil Ki Tarha Tumhara Dil Bhi Tarse,

Tum Niklo Udhar Se Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho

Tanhai Ho Dil Ho,

Boondain Ho Barsat Ho Aur Tum Aao,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Daria Ka Sahil Poore Chand Ki Rat Ho Aur Tum Aao,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho.............!

 

Us K Rukhsaar Pe Ek Ashk Ki Aawara Gardi

Us K Rukhsaar Pe Ek Ashk Ki Aawara Gardi,,



Hum Ne Yaqoot K Seenay Pe Smandar Dekha...

Mujhe Ahbab Ki Lambi Qataron Se Nahi

Mujhe Ehbaab Ki Lambi Qitaaron Sy Nahi Matlab...!!



+..Agr Tum Dil Sy Mere ho To Bus Ik Tum Hi Kafi Ho....!!

Kisi Sarnago Si Tehni Pe Rakh Lain Gay Chaar
Tinke

Kisi Sarnago Si Tehni Pe Rakh Lain Gay Chaar

Tinke

+

Na BuLanD ShaaKh

HoGi

+

Na GireY Ga AashiYaana......*

Mujh Ko Bhi Meri Asal Raah Dekha Do Yaro

 

Poet Wasi Shah 

 

Mujh Ko Bhi Meri Asal Raah Dekha Do Yaro,

Pehna K Mujhe Meri Hi Ghurbat Ka Kafan,

Un Pe Surkh Jora Saja Do Yaro,

Naam Likh Do Un Ka Khushion Ki Deewar Par,

Mera Naam-O-Nishan Dunia Se Mita Do Yaro,

Waqat Aakhiri Hai Teri Dunia Mein Is Deewane Ka,

Ho Sake To Mere Mehboob Ko Bata Do Yaro,

Suna Hai Aaj Us Ki Doli Is Gali Se Guzar Jaye Gi,

WASIII

Meri Maiyat Ko Is Raste Se Hata Do Yaro..........................! 

 

Wo Hijar Thehra Wisaal Thehra Kia Aadmi Tha

 

 

Poet Rafeeq Saeed

 

Wo Hijar Thehra Wisaal Thehra,

Kia Aadmi Tha Kamaal Thehra,

Afsurdagi K Har Ek Nagar Mein,

Wo Qeh Qahon Ki Misaal Thehra,

Wo Kis Ki Khatir Guzar Gia Hai,

Sab Ki Khatir Sawal Thehra,

Haan Us K Lehje Ki Tazgi Se,

Jo Khawab Tha Wo Khayal Thehra,

Kahan Se Lain Rafeeq Tujh Sa,

Muhabbaton Mein Zawal Thehra,

Too Ne Hum Ko Ye Dukh Dia Hai,

K Ab To Jeena Mohaal Thehra....................! 

 

 

Dekha K Waqt Ne Kartab Madarion Wale, Bhula Diye Mujhe Din Beqararion Wale,



Poet Ibn-E-Insha
Dekha K Waqt Ne Kartab Madarion Wale,
Bhula Diye Mujhe Din Beqararion Wale,
Kuch Aur Onchi Urano Mein Le Gaye Tujh Ko,
Ye Mere Taur Tareeqe Pujarion Wale,
Main Tujh Ko Haar K Aise Na Zindagi Karta,
Agar Na Hosle Hote Juwarion Wale,
Kisi K Lams Ne Matti Ko Kar Dia Sona,
Humare Hath Mein Qaasay Bhikarion Wale,
Nishana Baaz To Pehle Bhi Wo Ghazab Ka Tha,
Ab Aa gaye usay Gur Bhi Shikarion Wale.....................!
 

Jo Qurbaton K Nashe The Wo Ab Utarne Lage

 

 

Poet: Ahmad Faraz

Type Bay

*._Ayaz Khan_.* 

 

Jo Qurbaton K Nashe The Wo Ab Utarne Lage.

Hawa Chali Hai To Jhonke Udas Karne Lage.

Gai Ruton Ka Taluq Bhi Jaan Leva Tha.

Bahut Se Phol Naye Mosamon Mein Marne Lage.

Wo Mudaton Ki Judai K Bad Hum Se Mila.

To is Tharah Se K Ab Hum Guraiz Karne Lage.

Ghazal Mein Jaise Tere Khad-O-Khaal Bool Uthen.

K Jais Tarah Teri Tasveer Baat Karne Lage.

Bahut Dinon Se Wo Ghambeer Khamshi Hai FARAZ.

K Log Apne Khayalon Se Aap Darne Lage.

Book: Jaana Jaana

Page: 121

Ghazal: 57 

 

Largist Mukalma Ahmad Faraz 34 Parts

 

 

Poet Ahmad Faraz

Type By 

AYAZ KHAN 

 

Sipahi

Kahan Hon,

Mere Jisam Par Bojh Kaisa Hai,

Kia Main Paharon K Neeche Daba Hon,

Meri Sans Kion Ruk Rahi Hai,

Ye Thandak Rag-O-Pay Mein Kion Hai,

Mere Bazoo'n Mein Sakat Hai,

Na Honton Mein Janbish Ka Yara,

Na Aankhon Mein Hi Roshni Hai Chatano,

Ki Sorat Gar Anbaar Palkain Uthane Se Aari,

To Kia Meri Beenai Bhi Ja Chuki Hai,?

Na Chere Na Manzar,

Na Koi Sada Hai,

Ye Kia Hai,

Mujhe Apni Awaz Bhi Ajnabi Lag Rahi Hai,

Faqt Dhund Hi Dhund,

Aur Barf K Bekaraan Saibaan Chaar Soo Hain,

Ye Sakraat Ka Pal Hai,

Ya Mujh Pe Kaboos Saya Kanaan Hai,

Ye Kia ......?

Mere Bazo Mein Kion Dard Ki Lehr Uthi,

Main Zinda Hon Lekin,

Badan Barf Mein Dafan Hai,

Aur Chehra Mera Ze Mehreeri,

Hawaon Se Sun Ho Chuka Hai,

Kisi Ko Khabar Tak Na Ho Gi,

K Main Is Pahari Ki Choti Pe Zakhmon Se,

Chalni Para Hon Koi Mehrbaan Hath,

Humdard Bazo Nahi Hai,

Jo Us Kura-E-Marg Se Mujh Ko Bahir Nikaale,

Na Jane Badur Rafeeqon K Daste Kahan Hain,

To Kia Main Yahan,

Kis Maparsi K Aalam Mein Dam Tor Don Ga

To Kia Is Pahari Ki Choti Pe Mere,

Tajasus Mein Koi Na Aaye Ga,

Koi Na Aaye Ga,?

Koi.....

Mout: Magar Main Sipahi,

Faqt Main

Ajjal

Mout

Azal Se Abad Tak,

Teri Ghamgusari Aur Sathi,

Akele Dukhi Benawaon Ki Wahid Maseeha,

K Jo Zindagi Ki Jafaon Se Tang Aa Chuke Hon,

K Jo Zindagi Ki Kari Aur Lambi,

Musafat Se Okta Chuke Hon K,

Jo Zindagi K Sarabon Se,

Phaile Kharabon Se Gharba Chuke Hon,

Sabhi Na Muradon Ko Main Ne,

Hi Aakhir Sahara Dia Hai Jinhain,

Zindagi Tajj Gai Ho Unhain Sirf Main Ne,

Gawara Kia Hai Idhar Aa........ Mujhe Hath De,

Main Teri Aakhri Chara Gar Hon,

Teri Humsafar Hon,

Teri Rahbar Hon,

(Mout Hath Barhati Hai)

Idhar Aa Sipahi...!

Mere Sath Chal Yehi Waqt Hai,

Jab K Too Ek Charagh-E-Sehr Ki Tarha,

Rahguzar-E-Adam Ka Musafir Hai,

Aa Tujh Ko Apni Hifazat Mein,

Is Barf K Tand Toofan Se Le Chalon,

Tujhe Kia Khabar Kaisi Qatil Hawaon K Jhar,

Humare Ta'aqub Mein Hain,

Aaye Sipahi Mere Sath Chal,

Sipahi:

Kon Hai Too...?

Ajjal

Fahshah...!

Tujh Ko Kis Ne Pukara K,

Too Bin Bulaye Yahan Aa Gai Hai,

Main Zinda Hon,

Meri Naqahat Se Too Ne Ye Samjha,

K Main Zindagi Se Mafar Chahta Hon,

Meri Ghair Humwar Sanso Se Too Ne Ye Jana,

K Main Nazaa Mein Hon,

Pare Hatt Mere Jisam Se Apni Parchain Door Le Ja,

Mout:

Tera Jisam Behis Hai,

Aur Teri Aankhon Pe Kehra Jama Hai,

Tujhe Is Ka Ahsas Bhi To Nahi Hai,

K Too Sirf Kehne Zinda Hai,

Warn Agar Too Ye Dekhe,

K Tera Laho Kis Qadar Beh Chuka Hai,

Agar Too Ye Dekhe,

K Ye Laal-O-Yaqoot,

Tere Hi Laho K Wo Boodain Hain,

Jo Barf Par Jam Gai Hain,

To Jane

K Ab Zinda Rehne Ki Khawahish Abass Hai,

Chalo Main Ne Mana K,

Tujh Mein Abhi Zindagi Ki Ramaq Hai,

Magar Kis Qadar,

Sirf Do Chaar Sanson Ki Mohlat,

Teri Bebasi Aur Naqahat Ka Ye Haal Hai K,

Tere Zard Rukhsar Par Barf Ki Teh Jami Hai,

Magar Tujh Mein Itni Bhi Himat Nahi Hai,

K Chehre Se Is Ko Kharch De,

Tere Samne Jo Andhere Hain Un Se Na Dar,

Be Khabar Rat Bhi Din Se Kuch Mukhtalif To Nahi,

Sipahi:

Chalo Main Ne Mana,

Magar Too Bata Mujh Se Kia Chahti Hai,

Mout:

Ziada Nahi,

Sirf Itna K Too Maan Le,

Zindagi Ek Musalsal Aziat Hai,

Too Jis Se Tang Aa Chuka Hai,

Sipahi:

To..............

To Youn Keh K Main Tere Aage Super Daal Don,

Mout:

Kion Nahi,

Aur Ye Ilzam Bhi Khud Pe Lene Ko Razi Hon Main,

Sipahi:

Door Hatt Fahsha...!

Zindagi Se Mujhe Pyar Hai,

Mout:

Baole.....!

Itna Pagal Na Ban,

To Jo Mane To Kia,

Aur Na Mane To Kia,

Ab Tere Samne Doosra Rasta Hi Nahi,

Apne Hathon Ki Pilahatain Dek Le,

Apne Honton Ki Neelahatain Dekh Le,

Apni Aankhon Ki Dhundla Hatain Dekh Le,

Too Jo Mane To Kia,

Aur Na Mane To Kia,

Sipahi:

Dushman-E-Jaan...!

Mout:

Zid Na Kar Dekh Ab Teri Manzil,

Teri Rat Har Lamha Nazdeek Tar Aa Rahi Hai,

Teri Zid Teri Bechargi,

Karb Wandwa Ko Tool De Gi,

Jankani Zindagi To Nahi,

Chal Mere Sath Chal,

Zindagi K Karre Marhale Bhool Kar Chal,

Sipahi:

Nahi Main Nahi Jaon Ga,

Main Tere Sath Hargiz Nahi Jaon Ga,

Mout:

Apna Dushman Na Ban,

Tere Paikar Mein Tera Lahoo,

Munjamid Ho Raha Hai,

Terayakh Zada Jism Toofan,

Ki Yourashon Se Nahi Bach Sake Ga,

Idhar Aa Tujhe Apna Aanchal Orha Don,

Jo Tujh Ko Qayamat Tak Garam Rakhe Ga,

O Nasamjh Nojawaan,

Mere Seene Ki Hidat,

Tere Yakh Zada Jism Ko,

Sarmadi Aman Bakhse Gi,

Aa Tujh Ko Apne Gale Se Laga Lon,

Yaqeen Kar...!

K Too Kar Banaki Shiddat Se Naala Kana Hai,

Teri Bekasi Aur Farmaan Pazeeri,

Mujhe Hosla De Rahi Hai,

Sipahi:

Farebi...!

Mujhe Apni Hulia Gari Aur Makarion Se,

Teh-E-Daam Lane Ki Koshish Na Kar,

Kazab Go Main To Sardi Ki Shiddat Se Bekal Hon,

Tujh Se To Khaif Nahi,

Mout:

Khawa Aanso Khushi K Hon Ya Karb K,

Aik Hi Bat Hai,

Bekhabar...!

Sham Dhalne Ko Hai,

Aur Maidan Mein,

Shab Ki Parchaian,

Khaima Zan Ho Rahi Hain,

Kise Kia Khabar Hai K Too,

Pahari Pe Ghaail Para Hai,

Teri Khoj Pehle To Mushkil Hai,

Aur Itafaqan Agar Tere Sathi,

Tujhe Dhoond Bhi Lein To Hasil?

Tujhe Kia Sakoon Mil Sake Ga?

Aur Too Koi Roz Tak Zinda Raha Bhi To Kia,

Phir Se Dunia K Dukh,

Zindagani K Janjaal Tera Ta'aqub Karein Gay,

Teri Behtri Hai Esi Mein,

K Be Heel-O-Hujat,

Yahan Pur Sakoon Mout Mar Ja,

Sipahi:

Riya Kaar...!

Too Apni Aiyarion Se Mujhe Daam Mein,

Phansana Chahti Hai Main Zinda Raha Hon,

Main Zinda Hon,

Zinda Rahon Ga,

Mujhe Too Harasaan Nahi Kar Sake Gi,

Abhi Mujh Ko Jeena Hai,

Mout:

Gar Too Jia Bhi To Phir Kia?

Tujhe Zindagani K Bare Mein Khush Fehmian Hain,

Agar Too Jia Bhi To Kia Too Samjhta Hai,

Is Zindagi Se Mohabbat Kare Ga,

Jo Thatharn Hai Lazat Hai Bechargi Hai,

Zara Soch Aaye Bekhabar,

Zindagi Bistar-E-Gul Nahi,

Phir Zara Soch,

Sipahi:

Kia Sochna,

Main To Hasti K Har Zeir-O-Bam Se Hon Waqif,

Magar Too Bhulaye Howe Hai K Ye Jang Hai,

Mout:

Baolay

Main Ne Mana K Too Jang Mein Sur Khuroo Ho Chuka Hai,

Watan Ki Hifazat Ka Haq Jan Par,

Khail Kar Too Ada Kar Chuka Hai,

Magar Tujh Ko Ek Martaba Apne Ghar Aur,

Azeezon K Dukh Phir Se Tarpain Gay,

Sab Zamane K Gham Tujh Ko Kha Jain Gay,

Sipahi:

Jabhi To Mujhe Is Qadar Bekali Hai,

K Main Hamla Aawar Ghaneemon Ko,

Ko Jaldi Thikane Laga Lon To Phir Ghar Ko Jaon,

Mere Ghar Ki Dehleez Har Dam Meri Muntazir Hai,

Mout:

Baja Hai Agar Ghar Tera Muntazir Ho,

Agar Tere Ghar K Dar-O-Baam Baqi Rahe Hon?

Agar Sirf Enton K Ambaar Aur Raakh K Dhair,

Ghar Hain To Phir Wo Tere Muntazir Hain,

Khandar Charo Janib Khandar Hain,

Sipahi:

To Phir Kia?

Mere Bazo'on Mein Tawanai Hai,

Mere Kandhon Se Bandooq Utre,

To Phir Mere Bazo Kadalon Aur,

Balchon K Rafeeq-E-Safar Hain,

Sipahi Kharabon Ko Tameer Karta Raha Hai,

Mout:-

Zameen Jal Chuki Hai,

Sipahi:

Main Pehle Bhi Weeran Khiton Ko,

Zarkhaizian De Chuka Hon,

Mout:

Magar Ab Ye Mumkin Nahi Hai,

K Pani K Chashme Koonwain Aur Nehrain,

Bamon Ki Laga Taar Barish Se Ab Khushk,

Aur Benishan Ho Chuke Hain,

Dranti, Hathore, Salakhain Kadalon K Phal,

Aur Hall Koya Sab Tere Aaozaar,

Hatiar Turr Murr Chuke Hain,

Sipahi:

Magar Ta Bake,

Main Sipahi Hon,

Gar Bakhat Ne Yavri Ki,

Aur Ek Bar Mere Qadam

Apne Shehron Mein Pohnche,

To Phir Se Ye Masmaar Ghar,

Manhedam Kaar Khane,

Jali Khaitian Aur Khamosh,

Bazar Youn Jee Uthain Gay,

K Jaise Kabhi Kuch Howa Hi Nahi Tha,

Mout:

Baja Par Ye Us Waqt Mumkin Hai,

Sipahi:

Lekin,

Mout:

Tehr Too Meri Bat Sun,

Ye To Us Waqt Mumkin Hai,

Jab Tere Bazo Salamat Hon,

Aur Jism Ka Koi Hisa Na Bekaar Ho,

Magar Aise Aalam Mein Bhi,

Teri Khush Fehmian Tujh Ko,

Behka Rahi Hain Halakat Ki,

Aandhi Tere Jism Ka Reza Reza,

Urane Ko Partolti Hai Abhi Waqt Hai Soch Le,

Sipahi:

Thandi Aah Bharte Howe Apne Ap Se,

To Kia Koi Qowat Aisi Nahi Hai,

K Jo Mout K Za'am-O-Pandaar Kar De,

Koi Aisi Sorat Nahi Jis Se Main,

Qala-E-Marg Ko Manehdam Kar Sakon,

Nahi Aaj Tak Mout Par Kis Ko Qudrat Mili,

Agar Youn Hi Hota Raha Hai,

To Phir Kion Na Main Khud Ko Us K,

Hawale Hi Kar Don,

Kusha Kash Ka Hasil?

Faqt Nazaa Ka Tool Aur Phir,

Hazeemat Shikast-E-Nafs

(Mout Ki Taraf Dekhte Howe)

Mout:

Main Sirf Ek Shart Par Zindagi Ki,

Mata-E-Garaan Tere Qabze Mein,

Dene Ko Tiyar Hon,

Mout:

Shart....!

(Qehqa Lagati Hai)

Bhala Mout Se Bhi Kisi Ne Koi Shart Manwai Hai?

Sipahi:

Janta Hon K Main Dosron Se Behtar Nahi Hon,

Agar Aaj Tak Koi Tujh Se Na Jeeta,

To Mujh Ko Bhi Marne Mein Phir Uzar Kion Ho,

Magar Dushman-E-Zindagi Sirf Ek Shart Par,

Mout:

Kon Si Shart,?

Sipahi:

Bas Ye K Jab Jang Ka Khatma Ho To,

Ek Roz K Waste Too Mujhe Chor De Gi,

Bas Ek Roz K Waste,

Ta K Main Apne Ghazi Rafeeqon Ki,

Saf Mein Khara Fatha K Geet Gaon,

Zafar Mand Parcham Khile To,

Salami Ki Taqreeb Mein Dosre Janisaron K,

Humrah Main Bhi Khara Hon,

Mere Kaan Bhi Youm-E-Nusram Ki,

Topon Ki Goonjar Se Goonj Uthein Gay,

Aur Us Waqt,

Jab Fatha-O-Nusrat K Naghmat Se,

Sar Zameen-E-Watan Ki Fiza Raqs Mein Ho,

Main Ujlat Se Ghar Ja K Dekhon,

Wo Mehboob Chehre,

Jo Mere Liye Apni Aankhon Mein,

Khushion K Aanso To Hathon Mein,

Phoolon K Kanthe Liye Raston Par,

Mere Muntazir Hon Mere Gaon Wale,

Mere Yar Ahbab Mujh Ko,

Zafar Mand Parcham Ki Manid Utha Lein,

Aur Main Un K Is Khair Maqdam Ko,

Maghroor Aankhon Ki Chup Muskrahat,

Se Dekhon Faqt Is Qadar,

Aaye Meri Muskrahat Ki Dushman...!

Mout:

Nahi Teri Ye Shart Na Qabil-E-Aitna Hai,

Sipahi:

To Phir Baiswa...!

Door Ho Main Sipahi Hon,

Aur Zindagi Ki Chamakti Damakti Hoi,

Aag Mere Badan Mein Abhi Hai,

Main Zinda Hon,

Zinda Rahon Ga,

Mout:

Magar Kab Talak,

Sipahi:

Jab Talak Meri Awaz Mei

Mera Dil Dharkta Rahe Ga,

Mout:

Magar Tabke,

Sipahi:

Taabke...?

jab Talak Ye Mera Yakh Zada Jism,

In Aasmano Ki Manid Neela Na Ho Jaye,

Main Is Pahari Ki Choti Pe Dam Toor Don Ga,

Magar Tere Aage Na Har Giz Jhukon Ga,

Ye Mumkin Nahi Hai,

K Main Tere Aage Super Daal Don,

Mout:

Hosla....!

Hosla....!

Aaye Sipahi Ye Jazbatiat Be Asar Aur Abas Hai,

Agar Mujh Too Haar Tasleem Kar Le,

To Ye Zindagi K Usi Zabte Hi Ki Taa'eed Ho Gi,

Jo Azal Se Abad Tak Raha Hai,

Rahe Ga,

Na Is Se Ziada Na Kamtar,

Na Is Se Ziada Na Kamtar,

(Qadmon Ki Chaap Sunai Dene Lagti Hai Kuch Door Sipahion K Chehre Jin Mein Se Aik Kandhe Par Barf Hatane Wala Kadaal Aur Dosre K Kandhe Par Teh Kia Astrechar Dhara Hai.)

Sipahi:

Tehr.....!

Mere Rafeeqon K Qadmon Ki Manoos Awaz,

Meri Taraf Barh Rahi Hai Ajab Kia K,

Ye Zakhmion K Tajasus Mein Hi Aa Rahe Hon,

Mout:

Kahan Bewaqoof,

Sipahi:

Us Taraf,

Mout:

(Deewana Waar Hansti Hai Qadmon Ki Chaap Qareeb Tar Aa Jati Hai)

Baole Ye Jamat To Wo Hai Jo Lashain Thikane Lagati Hai,

Sun To...!

(Kadaalon Aur Belchon K Kharakne Ki Awaz)

Ye Tere Darmaan Nahi Gorkan Hain,

Sipahi:

Wo Kuch Bhi Hon Zinda To Hain,

Aur Zindon K Dushman Nahi,

Ye Mere Sheir Dil Hum Watan Hain,

(Camra Bulandi Se Ghati Par Markooz Hota Hai)

Pehla Sipahi:

Bahut Thak Gaye,

Is Pahari Pe Charhna Ghazab Tha,

Dosra Sipahi:

Yahan Chand Sanson Ko Sastane K Bad Aage,

Barhain Gay K Ab Aur Chalne Ki Taqat Nahi Hai,

Pehla Sipahi:

Thakan Se Meri Hadian Reza Reza Hoi Ja Rahi Hain,

Pehla:

Tere Pas Khane Ko Hai Kuch?

Dosra:

Kahan... Chand Cigrate Bache Hain....

Agar Tum......

Pehla:

Ghanimat Hai Ye Bhi....

Qayamat Ki Sardi Hai....

Dosra:

Chaye (Tea) Pio Gay?

Obalti Hoi Chaye Pe Balai Ki Teh,

Jami Ho To Kaisi Rahe Gi,

Pehla:

Chalo Ek Piyala.

Nahi Do Sahi,

Dosra:

Yahan Kon Zakhmi Mile Ga?

(Dono Hanste Hain)

Pehla:

Taswor Ki Jado Gari Khoob Hai,

Doosra:

Haan Khayali Pulao Ki Khushbo Se Bhi,

Kuch Tassali Ho Hai,

(Sipahi K Karahne Ki Awaz Aati Hai)

Sipahi:

Main Zinda Hon.

Zinda Hon,

Is Bad Nafs Ko Mere Samne Se Hatao,

Ye Zalim Churail Apne Bazo Pasare,

Na Maloom Kab Se Meri Ghaat Mein Hai,

Main Zinda Hon,

Zinda Hon Mujh Ko Bacha Lo,

Pehla Sipahi:

Suno Jaise Koi Yehein Pas Hi Ho,

Dosra Sipahi:

Tera Wahma Hai Yahan K0n Ho Ga,

Sipahi:

Mere Pas Aao Rafeeqo,

Mere Sar Pe Be Haya Gidh Ki Manid Manla Rahi Hai,

Pehla Sipahi:

Suni Tum Ne Awaz...?

Dosra Sipahi:

Han Wo......

Udhar ....

Barf Mein Dafan Laash,

Pehla Sipahi:

Chalo,

Belcha Lo Wo Zinda Hai,

Dosra Sipahi:

Hairat Agar Is Jaga Laash Hoti To Main,

Itna Hairan Na Hota Magar Aik Zinda Sipahi,

Yahan Mojza Hai,

Pehla Sipahi:

To Jaldi Karo Rat Hone Ko Hai,

(Dono Sipahi Zakhmi Sipahi K Qareeb Aa Jate Hain)

Dosra Sipahi:

(Choote Howe)

Waqi Is Mein Jaan Hai Abhi,

Suno Tum Mein Itni Sakkat Hai,

K Is Ko Utha Kar Hum Apne Thikane,

Talak Ja Sakein,

Pehla Sipahi:

Agar Chay Thakan Se Meri Hadian Karkarane Lagi Hain,

Magar Is Sipahi Ko Dast-E-Ajal Se,

Bachana Muqadam Hai,

Aao Isay Hath Dein,

Doosra Sipahi:

Acha Howa Hum Idhar Aa Gaye,

Warna Is Badoo Baraan K Toofan Mein,

Zakhmon Se Ghail Mujahid Bach Na Sakta,

Shaheedon Ki Fehrist Mein Ye Bhi Hota,

Pehla Sipahi:

Bas Ab Waqt Zaya Na Karo,

Belche Se Tehain Barf Ki Tum Hatao,

Main Itne Mein Koi Dawa Dekhta Hon,

Doosra Sipahi:

Khudaya.............!

Zara Is K Yakh Jism Ko Choo K Dekho,

Pehla Sipahi:

Namaloom Ye Ab Talak Zinda Kaise Bacha Hai,

Mout:

(Apne Aap Se)

Ye Kuch Bhi Karain Mere Chungal Se,

Is Ko Nahi Cheen Sakte,

Ye Nakhcheer Mera Hai,

Main Is Ko Jane Na Don Gi,

Ye Hamdard Do Chaar Sanso K Sathi,

Isay Raah Mein Phank Jain Gay Ya,

Khud Bhi Bhook Aur Thakan Hi Se,

Dam Torr Dein Gay,

Main In Ka Ta'aqub Karon Gi,

Ye Nakhcheer Mera Hai,

Mera Hai,

Mera Hai,

(Donon Sipahi Idhar Udhar Se Barf Hatate Hain Aur Zakhmi Sipahi Ko Utha Kar Kandhe Par Dalne Ki Koshish Karte Hain Hawa Ka Shor Aur Barf Bari Ki Shiddat Barh Jati Hai)

Pehla Sipahi:

Zara Hath Do Ta K Main Is Kandhe Pe Aaram Se Daal Lon,

Sipahi Ka Humdard Sathi Sipahi Hi Hota Hai,

Aao Zara Tum Idhar Se,

(Zakhmi Sipahi Karahta Hai)

Zakhmi Sipahi:

Mere Sathio Tum Ko Takleef Ho Gi,

Ye Rasta Andhera Hai Aur Pur Khatar Hai,

Zara Dekh Kar........

Mera Kia Hai K Main To,

Faqat Chand Sanson Ka Mehman Hon....

Par Tumhare Liye Zindagi Ki Mah-O-Saal,

Bekaraan Wadian Hain,

Pehla Sipahi:

Nahi Tum Salamat Raho Gay,

Humare Watan K Sipahi K Ab Zindagi Se,

Aur Mahfooz Raste Pe Tum Gamzan Ho Chuke Ho,

(Chalne Lagte Hain)

Zakhmi Sipahi:

Magar Zulmaton Se Sabhi Raste Dhak Chuke Hain,

Ye Ghati Khatar Naak Hai,

Apni Janain Meri Zindagi K Liye Mat Ganwao,

Dosra Sipahi:

Yehi Zindagi Hai,

Sipahi Hamaisha Sipahi Hi Rehta Hai,

Is K Liye Hi Khatar Naak Hi Raste Bane Hain,

Humari Musarat Yehi Hai K Hum Tum Ko,

Zinda Salamat Gajar Dam Wahan Le Chalein,

Jis Jaga Is Muqadas Zameen-E-Watan

K Zan-O-Mard Peero Jawaan,

Youm-E-Nusrat K Moqa Pe Ghazi Sapoton Ko,

Fakhar-O-Aqeedat Se Dekhain Gay,

Topon Ki Goojar Mein Un Bahadur Jawano Pe,

Takreem K Phool Barsain Gay,

Jo Jang Se Surkhuro Ho K Aaye,

Zakhmi Sipahi:

Mere Waste Is Se Barh Kar Koi Bhi,

Tamna Nahi Hai K Main Wahan Hon,

Magar Dosto Chand Lamhe Sasta Bhi Lo,

Tum Bahut Thak Chuke Ho,

Pehla Sipahi:

Thakan....?

Tum Humari Na Parwa Karo,

Aik Be Jan Lashe Ko Dogaam Bhi,

Khanchna Sakhat Aziat Hai,

Par Aik Zinda Sipahi Ko Kandhon Pe Dale,

Agar Saikron Meel Ka Bhi Safar Ho To,

Kuch Bhi Nahi,

Doosra Sipahi:

Aur Sipahi Agar Youn Thake To Sipahi To Nahi,

Pehla Sipahi:

Hawain Bahut Sard Hain Tumhare Thatarte,

Howay Hath Uff Kis Qadar Yakh Zada Hain,

Ye Dastane Lo,

Mere Hathon Mein Kafi Hararat Hai,

Zakhmi Sipahi:

Lekin....

Doosra Sipahi:

Suno....!

Ye Takaluf Ka Moqa Nahi,

Pehla Sipahi:

Bas Ye Dhalwan Ab Khatam Hone Ko Hai,

Aur Hum Apni Manzal K Nazdeek Aa Chuke Hain,

Mout:

Ye Makhlooq Kaisi Hai,

Ek Doosre Se Inhain Kis Qadar Unas Hai,

Ye Mujhe Maat De Kar,

"USAY"

Mere Nakhcheer Ko Mujh Se Cheene Liye Ja Rahe Hain,

Ye Kaise Sipahi Hain Kitne Nadar Hain,

K Main Thak Gai,

Aur Ye Ja Rahe Hain,

Mujhe Maat De Kar,

Mujhe Maat De Kar,

Mujhe Maat De Kar..........!

(Mout Moonh K Bal Gir Parti Hai) 

 

END

Book

Shab Khoon 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo