Chain aa jaye Mary dil ko dua karna tum Tujy ma bhol hi jawon ya dua karna tum

Chain aa jaye Mary dil ko dua karna tum
Tujy ma bhol hi jawon ya dua karna tum

Tumhari deed ki hasrat na beqarar kary
Dil e muztar ko qarar aye dua karna tum

Neend aa Jay mujy kab sa jag raha hon ma
Rat dhal kisi tarah dua karna tum

na reh guzar pa tira mira kabi samna ho
Sambhal gayi barhy mushkil sa dua karna tum

Falak udas ha bojhal dil mahmor bi ha
Koi tofan na umadh aye dua karna tum
ANWAR

Sehmi Sehmi Bojhal Bojhal, Aksar Un Ka Mosam Jall Thall,

Poetess:Fakhra Batool

Type By

*._.Murtaza._*

Sehmi Sehmi Bojhal Bojhal,

Aksar Un Ka Mosam Jall Thall,

Uth'thi Girti Un Par Chilman,

Paagal Kar De Un Ka Darshan,

Raat Se Gehri Un Ki Rangat,

Hosh Ganvaa'e Un Ki Sangat,

Chhalkay Chhalkay Pemaane Hain,

Qaa'em Un Se MayKhaane Hain,

Yaa Hain Do Gehray Se Saagar,

Piyaas Rahe Kab Un Ko Paa Kar,

Chup Reh Kar Bhi Ghantoon Bolain,

Bhaid Ye Mann Ke Saare Kholain,

Doob Ke In Main Koi Na Ubhray,

Saagar Se Bhi Barrh Ke Gehre,

Saa'er Un Par Geet Likhe Hai,

Un Ko Mann Ka Meet Likhe Hain,

Soote Main Bhi Har Dam Jaagain,

Peetam Hain Ye Teri Aankhein,

Heere,Moti,Laal,Gahar Hain,

Teri Aankhein Mera Ghar Main......!

Book:

Palkain Bheegi Bheegi See

Page 48-49

 

Na Koi Khawaab Na Saheli Thi, Es Mohabbat Main Main Akeli Thi,

Poetess:Noshi Gilani

Type By

*._.Murtaza._.*

Na Koi Khawaab Na Saheli Thi,

Es Mohabbat Main Main Akeli Thi,

ISHQ Main Tum Kahan Ke Sache Thay,

Jo Aziyat Thi Hum Ne Jheli Thi,

Yaad Ab Kuch Nahi Raha Lekin,

Aik Daira Tha Ya Haveli Thi,

Jis Ne Uljha Ke Rakh Diya Dil Ko,

Wo Mohabbat Thi Ya Pahelli Thi,

Main Zara Si Bhi Kam Wafa Karti,

Tum Ne To Meri Jaan Le Li Thi,

Waqt Ke Saanp Kha Gaye Us Ko,

Mere Aangan Main Ik Chanbelli Thi,

Es Shab-E-Gham Main Kis Ko Batlaa'on,

Kitni Roshan Meri Hathelli Thi.........!

Book:

Mohabbat Jab Shumaar Karna

 

Woh Decmber Ki Sard Ratein, Woh Teri Dilkash Pyari Batein,

Poet Ayaz Khan

Shaal

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

Woh Decmber Ki Sard Ratein,

Woh Teri Dilkash Pyari Batein,

Woh Tere Hath Ki Garam Garam Coffee,

Woh Teri Jheel Se Gehri Aankhen,

Woh Tere Gaal Gulabi,

Woh Teri Chaar Soo Pheli Khushboo,

Aur Jaana Shaal Mein Lipti Hoi Too,

Aaj Bhi Bahut Yaad Aate Hain...!


Be Soka Na Yam Khpal Khpalwan Larama, Zu Pukhtana Khuwaga Yaraan Larama,

Poet:Muhammad Israr Atal

Type By

*.__NOMI__.*

Be Soka Na Yam Khpal Khpalwan Larama,

Zu Pukhtana Khuwaga Yaraan Larama,

Laa Lewantob Ta Rasedale Na Yu,

Sta Lopata Shta Zu Grewaan Larama,

Khudaya Abade Krre Da Kali Hujray,

Pa Zrra K Dagha Loy Armaan Larama,

Manm Ghareeb Yama Jaidad Mi Nishta,

Khan Yama Khpal Brakha Asmaan Larama,

Rasha Che Kino Charta Zrrona Spak Kro,

Marawar Na Yam Lag Khafgaan Larama,

"ATALA" Ma Pa Maykhano Sa Kawal,

Sa Okam Gham Laka Baraan Larama.....!


Zrrona Khafa Di Warta Nora Khushali Na Razi, Zamung Pa Sima Bande Hagha Shaan Sparli Na Razi,

Poet:Muhammad Israr Atal

Type By

*.__NOMI__.*

Zrrona Khafa Di Warta Nora Khushali Na Razi,

Zamung Pa Sima Bande Hagha Shaan Sparli Na Razi,

Nan Kho Pa Tola "Pukhtoonkhuwa" Da Gham Feza Khuwara Da,

Hagha Sa Kegi Che Pre Aqal Da Sarri Na Razi,

Mali Nan Bya Chaman Ke Nast Wo Pa Salgo Ye Jarral,

Baora Pradi Chaman Ta Zi Dalta Bekhi Na Razi,

Da 'Khan' Da Dere Berukhai Ao Zulam Zor Da Lasa,

Mazdoor Hagha Day Kho 'Khwala' Ye Pa Tandi Na Razi,

Yateem Bachi Da 'Mor' Na Dase Yao Tapos Kawalo,

BeBe Zamunga Kor Ta Os Wale 'Daji' Na Razi,

"ATALA" Wrana Da 'Pukhtoon' Du Mehfaloono Hujra,

Os Khu Awaz Tre Da "Rabab' Ao Da Mangi Na Razi....!

 

Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi, Jahanum Bhi Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai

Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi, Jahanum Bhi

Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai
Allama Muhammad Iqbal


By action life may become both paradise and hell,

This creature of dust in its nature is neither of light nor of fire.


Aarzoo Hai Wafa Kare Koi, Jee Na Chahe To Kia Kare Koi,

Poet Daagh Dhelvi
Type By
*.__Ayaz_Khan__.*
Aarzoo Hai Wafa Kare Koi,
Jee Na Chahe To Kia Kare Koi,
Gar Maraz Ho Dawa Kare Koi,
Marne Wala Kia Kare Koi,
Sub Se Apni Apni Khete Hain,
Mera Matlab Ada Kare Koi,
Tum Sarapa Ho Surat-E-Tasveer.
Tum Se Phir Baat Kia Kare Koi,
Jis Mein Lakhon Bars Ki Hooren Hon,
Aisi Janat Ko Kia Kare Koi.......!
Book,
Diwaan e Daagh

Kon Kehta Hai Mere Dais Main Karobaar Mande Parr Gaye? Main Yahan Gurda Baich Sakta Hon,Gurda Khareed Sakta Hon,

ﮐﻮﻥ ﮐﮩﺘﺎ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﯾﺲ ﻣﯿﮟ ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭ ﻣﻨﺪﮮ ﭘﮍ ﮔﺌﮯ ﮨﯿﮟ؟ 

ﻣﯿﮟ ﯾﮩﺎﮞ ﮔﺮﺩﮦ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﮔﺮﺩﮦ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ 

ﻋﻮﺭﺕ ﮐﯽ ﻋﺰﺕ ﮐﯿﺎ ﭼﯿﺰ ﮨﮯ ﭘﻮﺭﯼ ﻋﻮﺭﺕ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻋﻮﺭﺕ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮ 

ﻣﯿﮟ ﻭﻭﭦ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻭﻭﭦ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﺑﭽﮯ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺑﭽﮯ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ


ﻣﯿﮟ ﻓﺘﻮﯼٰ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻓﺘﻮﯼٰ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ

 ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ

ﯾﮩﺎﮞ ﺟﺞ ﺑﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﻭﮐﯿﻞ ﺑﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ، 

ﯾﮩﺎﮞ ﻋﻠﻢ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺩﯾﻦ ﺑﮑﺘﺎ ﮨ

ﯾﮩﺎﮞ ﺗﻼﻭﺕ ﮐﮯ ﺩﺍﻡ ﻣﻠﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﯾﮩﺎﮞ ﻧﻌﺘﯿﮟ ﺑﯿﭽﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ

 ﯾﮩﺎﮞ ﺷﺎﻋﺮ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﻟﻔﻆ ﮐﺎ ﺑﮭﺎﺅ ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ

 ﯾﮩﺎﮞ ﺍﺩﯾﺐ ﮐﮯ ﮬﺮ ﭘﯿﺮﮮ ﻓﻘﺮﮮ ﮐﯽ ﺍﻟﮓ ﺍﻟﮓ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ۔

ﯾﮩﺎﮞ ﺧﻮﻥ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺳﮑﻮﻥ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ۔

 ﯾﮩﺎﮞ ﺟﮭﻮﭦ ﺑﻮﻟﻨﮯ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻭﺻﻮﻝ ﮐﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ 

ﯾﮩﺎﮞ ﺳﭻ ﺑﮭﯽ ﺍﭼﮭﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﭘﺮ ﻧﯿﻼﻡ ﮨﻮﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ۔

ﯾﮩﺎﮞ ﺑﺎﭖ ﺑﯿﭩﮯ ﺳﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﭘﺮﻭﺭﺵ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﯿﺘﺎ ﮨﮯ

 ﯾﮩﺎﮞ ﺑﯿﭩﺎ ﺑﺎﭖ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺧﺪﻣﺘﻮﮞ ﮐﮯ ﺭﻭﭘﮯ ﮐﮭﺮﮮ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ،

ﯾﮩﺎﮞ ﺷﺮﺍﻓﺖ ﺑﮭﯽ ﺁﭖ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ

 ﯾﮩﺎﮞ ﺭﺳﻮﺍﺋﯽ ﺑﺪﻧﺎﻣﯽ ﮐﯽ ﺑﮭﯽ ﻣﻨﮧ ﻣﺎﻧﮕﯽ ﺭﻗﻢ ﻣﺎﻧﮕﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ

ﯾﮩﺎﮞ ﮬﺮ ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭﯼ ﺟﻠﺪﯼ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺍﺳﮯ ﺧﺮﯾﺪﻧﮯ ﮐﮯ ﻓﻮﺭﺍ " ﺑﻌﺪ ﮐﭽﮫ ﺑﯿﭽﻨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ

ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﯾﺪﺍﺭ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﯾﺪﺍ

ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺩﮐﺎﻧﺪﺍﺭ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺩﮐﺎﻧﺪﺍﺭ

 ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭ ﮐﺎ ﺍﯾﺴﺎ ﺟﻤﻌﮧ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺟﺲ ﮐﺎ ﮨﻔﺘﮧ ﺍﺗﻮﺍﺭ ﮐﺒﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﺎ۔ﯾﮩﺎﮞ ﻋﺒﺎﺩﺗﻮﮞ ﮐﺎ ﺑﮭﯽ ﭘﺮﻭﺭﺩﮔﺎﺭ ﺳﮯ ﺳﻮﺩﺍ ﻃﮯ ﮐﺮ ﻟﯿﺎ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ

 ﺍﺗﻨﺎ ﺩﮮ ﮔﺎ ﺗﻮ ﺍﺗﻨﮯ ﻧﻔﻞ ﭘﮍﮬﻮﮞ ﮔﺎ۔

 ﺍﺗﻨﺎ ﻣﻨﺎﻓﻊ ﮨﻮﺍ ﺗﻮ ﺍﺗﻨﮯ ﺭﻭﺯﮮ ﺭﮐﮭﻮﮞ ﮔﺎ۔ 

ﻣﺴﺠﺪ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ ﻣﻨﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ ﭼﺮﭺ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ ﺩﺭﺑﺎﺭﻭﮞ ﭘﺮ ﺳﻮﺩﮮ، ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ 

 ﭼﻠﻮ ﺁﺅ ﺁﺝ ﺍﯾﮏ ﻧﯿﺎ ﺳﻮﺩﺍ ﮐﺮﮐﮯ ﺩﯾﮑﮭﯿﮟ

 ﭼﻠﻮ ﭘﺴﯿﻨﮧ ﺩﮮ ﮐﺮ ﺁﻧﺴﻮ ﺧﺮﯾﺪﯾﮟ۔ 

ﭼﻠﻮ ﭘﮭﻮﻝ ﺳﮯ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﺑﻠﺒﻞ ﮐﮯ ﻧﻐﻤﮯ ﮐﮯ ﻋﻮﺽ ﺍﺳﮯ ﺑﯿﭻ ﺩﯾﮟ

 ﭼﻠﻮ ﻧﯿﻨﺪ ﺑﯿﭻ ﮐﺮ ﺧﻮﺍﺏ ﺧﺮﯾﺪﯾﮟ۔ ﭼﻠﻮ ﻋﺒﺎﺩﺕ ﺩﮮ ﮐﺮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﻟﮯ ﻟﯿﮟ

 ﭼﻠﻮ ﺩﮬﻮﭖ ﺑﺎﺭﺵ ﭼﺎﻧﺪﻧﯽ ﮨﻮﺍ ﺍﺱ ﺳﮯ ﺷﮑﺮ ﮐﮯ ﺑﺪﻟﮯ ﺣﺎﺻﻞ ﮐﺮﯾﮟ۔

ﭼﻠﻮ ﻇﺎﻟﻢ ﺳﮯ ﻇﻠﻢ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﺍﺳﮯ ﺍﻧﺴﺎﻧﯿﺖ ﺩﮮ ﺩﯾﮟ۔ ﭼﻠﻮ ﮐﺴﯽ ﺳﮯ ﺩﺭﺩ ﻟﮯ ﮐﺮ ﺍﺳﮯ ﺧﻮﺷﯽ ﺩﮮ ﺩﯾﮟ

 ﭼﻠﻮ ﺑﮯ ﻭﻓﺎﺋﯽ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﻭﻓﺎ ﺩﮮ ﺩﯾﮟ۔ 

ﺁﺅ ﺍﯾﮏ ﻃﻮﺍﺋﻒ ﺳﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻣﺠﺒﻮﺭﯼ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﺍﺳﮯ ﻋﺰﺕ ﺩﮮ ﺩﯾﮟ

 ﺁﺅ ﺁﺅ ﻣﯿﺮﮮ ﺳﺎﺗﮫ ﺁﺅ ﻭﻗﺖ ﮐﻢ ﮨﮯ ﯾﮧ ﻧﮧ ﮨﻮ ﺩﮐﺎﻧﯿﮟ ﺟﻞ ﮐﺮ ﺧﺎﮐﺴﺘﺮ ﮨﻮ ﺟﺎﺋﯿﮟ

 ﯾﮧ ﻧﮧ ﮨﻮ ﺯﻣﯿﻦ ﻗﺪﻣﻮﮞ ﮐﮯ ﻧﯿﭽﮯ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﺎ ﺩﺍﻣﻦ ﺳﻤﯿﭧ ﻟﮯ

Kon Kehta Hai Mere Dais Main Karobaar Mande Parr Gaye?

Main Yahan Gurda Baich Sakta Hon,Gurda Khareed Sakta Hon,

Aurat Ki Izzat Kia Cheez Hai,Pori Aurat Baich Sakta Hon,Khareed Sakta Hon,

Main Vote Baich Sakta Hon Vote Khareed Sakta Hon,

Main Bache Baich Sakta Hon Bache Khareed Sakta Hon,

Main Fitwa Baich Sakta Hon Fitwa Khareed Sakta Hon,

Insaaf Khareed Sakta Hon Insaaf Baich Sakta Hon,

Yahan Jadge Biktay Hain,Wakeel Biktay Hain,Yahan ilam bikta hai,Yahan Deen Bikta Hai,

Yahan Tilawat K Daam Miltay Hain,Yahan Na'atein Baichi Jati Hain,

 Yahan Shair K Aik Aik Lafz Ka Bhao Lagta Hai,

Yahan Adeeb K Har Pare Fiqre Ki Alag Alag Qeemat Lagti Hai.


Yahan Khoon Bikta Hai,Yahan Sukoon Bikta Hai,Yahan Jhoot Bolney Ki Qeemat Wasool Ki Jati hai,

Yahan Sach Bhi Achi Qeemat Par Neelaam Ho Jata Hai,

Yahan Baap Betey Se Is Ki Parwarish Ki Qeemat Leta Hai,

Yahan Beta Baap Se Apni Khidmaton  K Ropai Khare Karta Hai,

Yahan Sharafat Bhi Ap Khareed Saktey Hain,Yahan Ruswaai Badnaami Ki Bhi Monah Maangi Raqam Maangi Jati Hai,

Yahan Har Karobaari Jaldi Main Hai,Keh Ise Khareedne K Foran Baad Kuch Baichna Hota Hai,

Main Bhi Khareedaar Tu Bhi Khareedaar,

Main Bhi Dukaandaar Tu Bhi Dukaandaar,

Karobaar Ka Aisa Jummah Bazaar,Jis Ka Hafta Itwaar Kabhi Nahi Aata,

Yahan Ibadaton Ka Bhi Parwardegaar Se Soda Tey Kar Lia Jata Hai,

Itna Dega To Itne Nafal Parhon Ga,

Itna Manafa Howa To Itne Roze Rakhon Ga,

Masjid Mein Sodey,Mandir Mein Sodey,Church Mein Sodey,Darbaaron Par Sodey......

Chalo Aao Aaj Aik Naya Soda Kar K Dekhein,

Chalo Paseena De Kar Aansoo Khareeden,

Chalo Phool Se Khushboo Khareed Kar Bulbul K Naghme K Ewaz Ise Baich Den,

Chalo Neend Baich Kar Khuwaab Khareeden,

Chalo Ibadat De Kar Is Se Muhabbat Le Lein,

Chalo Dhoop Barish Chaandni Hawa Is Se Shukar K Badle Haasil Karein,

Chalo Zalim Se Zulam Khareed Kar Ise Insaniyat De Dein,

Chalo Kisi Se Dard Le Kar Ise Khushi De Dein,

Chalo Be-Wafai Khareed Kar Wafa De Dein,

Aao Aik Tawaif Se Uski Majboori Khareed Kar Ise Izzat De Dein,

Aao Aao Mere Saath Aao Waqt Kam Hai Ye Na Ho Dukanen Jal Kar Khakestar Ho Jaa'en

Ye Na Ho Zameen Qadmon K Neeche Se Apna Daman Samait Le........!

 

Parchhaaiyon Ki Anjuman Aaraai Day Gya, Kitni Ajeeb Wo Mujhe Tanhaai Day Gya,

Poet Qateel Shifai

Type By 

Uroosa Emaan

Parchhaaiyon Ki Anjuman Aaraai Day Gya,

Kitni Ajeeb Wo Mujhe Tanhaai Day Gya,

Aik Aik Pal Mein Beet Rahi Hai Hazar Umar,

Sadiyoun Ka Intzaar Wo Harjaai Day Gya,

Wo Kitna Hosh Mandd Tha Jo Mere Naam Se,

Mash'Hoor Khud Hua Mujhe Ruswaai Day Gya,

Mera Kia Ellag Mohabbat K Zehar Se,

Qaatil Mujhe Firaib-E-Maseehaai Day Gya,

Chehre Ab Assal Roop Mein Aaein Nazar Qateel,

Aankhein Chura K Wo Mujhe Beenaai Day Gya......!
.
Book 

Rozan


The real work is in the Heart,Wake up your Heart!



My Greatest Need is You


Main Bhi Aam Si Larki Hon Tum Ne Mujhe Koi Sangi Mujasma Hi Samjha Keh Jis Par Koi Dukh Koi Takleef Asar Nahi Karti

Main Bhi Aam Si Larki Hon

Tum Ne Mujhe Koi Sangi Mujasma Hi Samjha

Keh Jis Par Koi Dukh Koi Takleef Asar Nahi Karti

Mere Dosto

Dhoop Ki Chhuban Mujhe Bhi Mahsoos Hoti Hai

 Kisi Ka Sakht Lehja Mujhe Bhi Mahsoos Hota Hai

Baaton K Teer Mujhe Bhi Lagtay Hain

Kisi Mazboot Baazo Ka Hesaar Mujhe Bhi Chahiye

Aik Itbaar Mujhe Bhi Chahiye

Aik Ghar,Aik Dareechay Ki Khuwahish Mujhe Bhi Hai

Main Koi Sangi Mujasma Nahi Hon

Buhat Aam Si Larki Hon

Kaash Tum Ne Mujhe Kabhi "KHAAS" Na Samjha Hota

 

Rabia Al Basri



Reality Rabia Basri



Have wings that feared ever touched the sun?



If I Worship You O Lard,if I Worship You Because of fear of hell Then burn me in hell.

  If I Worship You

O Lard,if I Worship You

Because of fear of hell

Then burn me in hell.

If I Worship You

Because I desire Paradise

Then exclude me from paradise.

But if I Worship You

For Yourself Alone

Then deny me not

Your eternal Beauty.

Rabia Basri

 

Poem Main Jab Bhi Dunya K Hamgaamon Se Thak Jati Hon, Logon Ki Baaton Se Katrana Chahti Hon

Poem

Main Jab Bhi Dunya K Hamgaamon Se Thak Jati Hon,

Logon Ki Baaton Se Katrana Chahti Hon,

Apne Andar K Shor Se Dar Jati Hon,

Phir Main Apne Sachhey Saain K Aage Jhuk Jati Hon,

Ya,

Apni Maa Ki God Mein Sar Rakh K Jii Bhar K Ro Deti Hon

Rabia Basri

 

Saara Jurm Hai Mukhlis Akhiyaan Da Jinhaan Zalim Sajanrr Pasand Keeta

ﺳﺎﺭﺍ ﺟـــﺮﻡ ﮬﮯ ﻣﺨﻠﺺ ﺍﮐﮭﯿﺎﮞ ﺩﺍ
ﺟﻨﮭﺎﮞ ﻇﺎﻟﻢ ﺳﺠﻨﮍ ﭘﺴﻨﺪ ﮐﯿﺘا

Saara Jurm Hai Mukhlis Akhiyaan Da

Jinhaan Zalim Sajanrr Pasand Keeta


Phir Yon Howa Keh Gunah Ki Taqat Nahi Rahi,Hum Jaise Bhi Kayi Log Darwaish Ho Gaye



Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana, Takaan Pao,on Ki Aur Titliyoun K Par Lana

Poetess Noshi Gilani

Type By 

Uroosa Emaan

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana,

Takaan Pao,on Ki Aur Titliyoun K Par Lana,

Main Likh Rahi Hoon Kahani Teri Rafaaqat Ki,

Jo Ho Sake To Koi Huraf Moetbar Lana,

Yahi Na Ho Keh Muslsal Wafa Thaka Daale,

Mohabbatoon Mein Naya Pan Talaash Kar Lana,

Jo Koh-E-Qaaf Chale Ho To Chaand Chehroon Ka,

Majsima Koi Achha Taraash Kar Lana,

Safar K Shoq Mein Chal To Parre Ho Tum Ghar Se,

Dukhoon Ki Gard Se Daman Na Apna Bhar Lana,

Ajab Faza Hai Jahaan Sans Le Rahe Hain Hum,

Gharoon Ko Lot K Aana To Chasham-E-Tar Lana......!
Book 

 Mohabbatein Jab Shumar Karna


Aawaz K Hamraah Sarapa Bhi To Dekhoon, Ay Jaan-E-Sukhan Main Tera Chehra Bhi To Dekhoon

Poetess Parveen Shakir

Type
By

Uroosa Emaan

Aawaz K Hamraah Sarapa Bhi To Dekhoon,

Ay Jaan-E-Sukhan Main Tera Chehra Bhi To Dekhoon,

Dastak To Kuchh Aisi Hai Keh Dil Chhoone Lagi Hai,

Is Habbas Mein Baarish Ka Ye Jhonka Bhi To Dekhoon,

Sehara Ki Tarah Rehte Huye Thak Gai Aankhein,

Dukh Kehta Hai Ab Main Koi Dariya Bhi To Dekhoon,

Ye Kaya Keh Wo Jab Chaahe Mujhe Chheen Le Mujh Se,

Apne Liye Wo Shakhss Tarrpta Bhi To Dekhoon,

Ab Tak To Mere Shayer Hawala Rahe Tera,

Main Ab Teri Ruswaai Ka Charcha Bhi To Dekhoon,

Ab Tak Jo Saraab Aaye The Anjaane Mein Aaye,

Pehchaane Huye Rastoon Ka Dhoka Bhi To Dekhoon.................*

Main Apni Zaat Mein Apne Makan Mein Rehti Hon, Dhouin Ka Phool Hon Aatish Fashaan Mein Rehti Hon

 

میں اپنی ذات میں اپنے مکاں میں رہتی  ہوں

دھوئیں کا پھول ہوں میں آتش فشاں میں رہتی ہوں

ریحانہ قمر

 

Main Apni Zaat Mein Apne Makan Mein Rehti Hon,

Dhouin Ka Phool Hon Aatish Fashaan Mein Rehti Hon....!

Rehana Qamar

Is Sy Pahle Kah Meri Rooh Parwaz Kar Jaye Waqt Urr Jaye. Main Haath Multi Reh Jaon. Dar Takti Reh Jaon

Poetess:
Rabia Basri

Is Sy Pahle Kah Meri Rooh Parwaz Kar Jaye..*

Waqt Urr Jaye..*

Main Haath Multi Reh Jaon..*

Dar Takti Reh Jaon..*

Akhri Baar Aana..*


Meri Band Hoti Palkon Ko Dheeray Say Chhona..*

Or Keh Daina Jo Maine Sun'na Hai..*

Keh Daina..*

Tum Nay Faqat Mujhe Chaha Hai..*


Baqi Jo Sang Hai..*


Wo Mosam K Rang Hai..*

Suno Ye Alfaaz Mere Liay Akseer Hon Gay..*

Chahay Jhoot Hi Hon..*

Or Main Usi Lamhay..*

Tumhare Hathon Py Sar Rakh K Mar Jaon Gi...
Book
Ankhain Bhigona Nahi.


Khawaab Kaya Dekhe Koi Neend K Anjaam K Bad? Kis Ko Jeene Ki Hawos ? Hashar K Hangaam K Bad

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Khawaab Kaya Dekhe Koi Neend K Anjaam K Bad?

Kis Ko Jeene Ki Hawos ? Hashar K Hangaam K Bad ?

Ishq Ne Seekh Hi Li Waqat Ki Taqseem K Ab,

Wo Mujhe Yaad To Aata Hai
Mgar Kaam K Bad,

Aik Hi Isam Ko Baarish Ne Hara Rakha Hai,

Pairr Pe Naam To Likhe Gaye Us Naam K Bad,

Handse Gidah Ki Tarah Din Mera Kha Jate Hain,

Huraf Milne Mujhe Aate Hain Zara Sham K Bad,

Muat Wo Saqi K Jis K Kabhi Thake Nahi Hath,

Bharti Jaye Gi Sada Jaam Wo Ik Jaam K Bad,

Thak K Main Beth Gai Ab Mgar Ay Saya Talabb,

Kis Ki Kheeme Pe Nazar Jati Thi Har Gaam K Bad........?
.
Book 

Khud Kalaami


Matam Ki Fiza Hai Shehr e Dil Mein, Mujh Mein Koi Shakhs Mar Gia Hai.

 Parveen Shakir

Matam Ki Fiza Hai Shehr e Dil Mein,

Mujh Mein Koi Shakhs Mar Gia Hai.

Dunia Ko Tou Halaat Se Umeed Bari Thi, Par Chahne Walon Ko Judai Ki Pari Thi,

Poetess: Parveen Shakir

Type By

*._Ayaz_Khan_.*

Dunia Ko Tou Halaat Se Umeed Bari Thi,

Par Chahne Walon Ko Judai Ki Pari Thi,

Kis Jan-E-Gulstaan Se Ye Milne Ki Ghari Thi,

Khushboo Mein Nahai Hoi Ek Sham Khari Thi,

Main Us Se Mili Thi Ke Khud Apne Se Mili Thi..?

Woh Jese Meri Zaat Ki Gum Gashta Kari Thi,

Youn Dekhna Us Ko Ke Koi Aur Na Dekhe,

Inaam To Acha Tha Magar Shart Kari Thi,

Kam Maya Tou Hum The Magar Ehsas Nahi Tha,

Aamd Teri Is Ghar Ke Muqdar Se Bari Thi,

Main Dhaal Liye Simat Adoo Dekh Rahi Thi,

Palti Tou Meri Pushat Pe Talwaar Gari Thi...!

Book: Khud Kalami

Page No, 145,146


Poocha Kisi Ne Moal To Hairaan Reh Gaya, Apni Nigaah Mein Koi Kitna Ghareeb Tha...!

  Born:November 24,1952,Karachi, Pakistan

Died:December 26,1994,Islamabad, Pakistan.

Poetess:Parveen Shakir

Poocha Kisi Ne Moal To Hairaan Reh Gaya,

Apni Nigaah Mein Koi Kitna Ghareeb Tha...!

Dil-E-Hazeen Ko Teri Yaad Se Bachaa Na Sake, Hazaar Baar Bhulaaya Magar Bhula Na Sake

Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._.Murtaza._.*

Dil-E-Hazeen Ko Teri Yaad Se Bachaa Na Sake,

Hazaar Baar Bhulaaya Magar Bhula Na Sake,

Bujhe Bujhe Se Rahe Dil Mein,Jagmaga Na Sake,

Ye Daagha-E-Tamana Farogh Paa Na Sake,

Zuban-E-Ashk Se Haal-E-Dil Un Ko Kehna Tha,

Hum Un Ke Saamne Aansoo Magar Bahaa Na Sake,

Nikal Saki Na Mulaqaat Ki Koi Soorat,

Hamein Bula Na Sake Aur Khud Wo Aa Na Sake,

Tamaam Umar Phoonke Hain Hamare Qalb-O-Jigar,

Tum Hi Ne Aag Laga'ee Tum Hi Bujha Na Sake,

Chhuri Ko Haath Mein Le Kar Hazaar Baar Uthe,

NASEER! Dil Ke Woh Tukrray Magar Urraa Na Sake.......!

Book

Dast-E-Nazar


Dar Haqeeqat Hai Wo Panahon Mein, Aa Gaya Jo Teri Nigaahon Mein,

Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._.Murtaza._.*

 Dar Haqeeqat Hai Wo Panahon Mein,

Aa Gaya Jo Teri Nigaahon Mein,

Jab Se Dekhi Hai Aap Ki Soorat,

Koi Jachta Nahi Nigaahon Mein,

Har Nafas Ahl-E-Ishq Ka Guzra,

Dard Mein,Gham Mein,Dukh Mein,Aahoon Mein,

Hum Se Kaar-E-Sawaab Ho Na Saka,

Umar Saari Katti Gunahoon Mein,

Unke Chehre Pe Aa Ga'ee Zardi,

Kuch Asar To Hai Apni Aahoon Mein,

Khuwaab Hai,Weham Hai Fasaana Hai,

Rang-E-Dunya Meri Nigaahoon Mein,

Paa'ee Jati Hai Jo Faqeeron Mein,

Baat Kab Hai Wo Baadshahoon Mein,

Aey NASEER Ab Yahi Tamana Hai,

Koi Phirta Rahe Nigaahoon Mein........!

Book

Dast-E-Nazar

Dhoop Saat Rangoon Mein Phelti Hai Aankhoon Par, Barff Jab Pighlti Hai Us Ki Naram Palakoom Par

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Dhoop Saat Rangoon Mein Phelti Hai Aankhoon Par,

Barff Jab Pighlti Hai Us Ki Naram Palakoom Par,

Phir Bahaar K Sathi Aa Gaye Thikaanoon Par,

Surkh Surkh Ghar Nikale Sabz Sabz Shaakhoon Par,

Jisam-O-Jaan Se Utre Gi Gird Pichle Muasam Ki,

Dho Rahi Hain Sub Chirriyaan Apne Pankh Chashmoon Par,

Sari Raat Sote Mein Muskura Raha Tha Wo,

Jese Koi Sapna Sa Kanpta Tha Hontoon Par,

Titliyaan Pakrrne Mein Door Tak Nikal Jana,

Kitna Acha Lagta Hai Phool Jese Bachoon Par,

Lehar Lehar Ko Chherr Kar Guzrti Hai,

Chaandni Utrti Hai Jab Shareer Jhirnoon Par................!


Ujrhay gulshan ma hazan daik k jb yad iye Ajj o's be wafa ki per sa buht yad iye

Ujrhay gulshan ma hazan daik k jb yad iye
Ajj o's be wafa ki per sa buht yad iye
Jaty jaty howy murh kar jo os na daika tha
Yad jab iye to per annk bi Khud bar iye.

ANWAR


Sundar Komal Sapnoun Ki Barat Guzar Gai Janaa'n, Dhoop Aankhoon Tak Aa Pohnchi Hai Raat Guzar Gai Janaa'n,

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Sundar Komal Sapnoun Ki Barat Guzar Gai Janaa'n,

Dhoop Aankhoon Tak Aa Pohnchi Hai Raat Guzar Gai Janaa'n,

Bhawr Same Tak Jis Ne Hamein Baaham Uljhaye Rakha,

Wo Albeli Raisham Aisi Baat Guzar Gai Janaa'n,

Sada Ki Dekhi Raat Hamein Is Baar Mili To Chupke Se,

Khali Haath Pe Rakh K Kaya Soghaat Guzar Gai Janaa'n,

Kis Konpal Ki Aas Mein Ab Tak Wese Hi Sar Sabbaz Ho Tum ?

Ab To Dhoop Ka Muasam Hai Barsaat Guzar Gai Janaa'n,

Log Na Jane Kin Raatoon Ki Muraadein Manga Karte Hain ?

Apni Raat To Wo Jo Tere Saath Guzar Gai Janaa'n,

Ab To Faqat Sayaad Ki Dildaari Ka Bahaana Hai Warna,

Hum Ko Daam Mein Lane Wali Ghaat Guzar Gai Janaa'n.........!


Poora Dukh Aur Aadha Chaand, Hijar Ki Shab Aur Aisa Chaand,

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Poora Dukh Aur Aadha Chaand,

Hijar Ki Shab Aur Aisa Chaand,

Din Mein Wehshat Behal Gai Thi,

Raat Hui Aur Nikala Chaand,

Kis Maqtal Se Guzra Hoga ?

Itna Sehma Sehma Chaand,

Yaadoon Ki Aabaad Gali Mein,

Ghoom Raha Hai Tanha Chaand,

Meri Karwat Par Jaag Uthay,

Neend Ka Kitna Kacha Chaand,

Mere Munh Ko Kis Herat Se,

Dekh Raha Hai Bhola Chaand,

Itne Ghane Baadal K Peeche,

Kitna Tanha Hoga Chaand,

Aansoo Roke Noor Nahaaye,

Dil Dariya Tan Sehra Chaand,

Itne Roshan Chehre Par Bhi,

Sooraj Ka Hai Saya Chaand,

Jab Pani Mein Chehra Dekha,

Toone Kis Ko Socha Chaand,

Bargad Ki Aik Shaakh Hata Kar,

Jane Kis Ko Jhaanka Chaand,

Baadal K Resham Jhoole Mein,

Bhwor Samay Tak Soya Chaand,

Raat K Shaanoon Par Sar Rakhe,

Dekh Raha Hai Sapna Chaand,

Sookhe Patoon K Jhurmat Par,

Shabnam Thi Ya Nanhaa Chaand,

Haath Hila Kar Rukhsat Hoga,

Us Ki Soorat Hijar Ka Chaand,

Sehra Sehra Bhatak Raha Hai,

Apne ISHQ Mein Sacha Chaand,

Raat K Shaayd 1 Bajay,

Sota Hota Mera Chaand............!
.
Book

Khushboo


INSHA JEE Kaya Baat Bane Gi.....* Hum Logon Se Door Howe. Hum Kaise Dil Ka Roog Bane. Kaise Seene Ka Nasoor Howe



Poet: INSHA JEE
INSHA JEE KIA BAAT
BANE GI

Type By
*._Ayaz Khan_.*
INSHA JEE Kaya Baat Bane Gi.....*
Hum Logon Se Door Howe.....*
Hum Kaise Dil Ka Roog Bane....*
Kaise Seene Ka Nasoor Howe.....*
Basti Basti Aag Lagi Thi....*
Chalne Pe Majboor Howe....*
Rindoon Mein Koch Baat Chali Thi....*
Seeshay Chakna Choor Howe....*
Laikin Tum Ne Kion Bethe Bethe....*
Aah Bhari Ranjoor Howe....*
Ab To Aik Zamana Guzra INSHA JEE.*
Tum Se Koi Qasour Howe.*
Aye Loogo Kion Bhouli Batain....*
Yaad Karo Kaya Yaad Dailao....*
Qafle Wale Door Gaye....*
Bujhne Do Agr Bujhta Hai Alaao....*
Aik Mujh Se Ruk Sakta Hai....*
Toofaani Daria Ka Bhaoo....*
Samay Samay Ka Raagh Alagh Hai....*
Samay Samay Ka Apna Bhaoo.....*
Aass Ki Ujrri Phulwari Mein.....*
Yaadon K Gunche Na Khelaoo.....*
Pechlay Pehar Ki Andhiyari Mein....*
Kafoori Samaain Na Jalaoo....*
INSHA JEE Wohi Subh Ki Lali....*
INSHA JEE Wohi Shab Ka Saman....*
Tumhi Khayaal Ki Jigar Magr Mein....*
Bhatak Rahe Ho Jahan Tehaan....*
Wohi Chaman Wohi Gul Boote Hain....*
Wohi Baharain Wohi Khizaan....*
Aik Qadam Ki Baat Hai Yun To....*
Aik Qadam Ki Baat Hai Yun To..*
Rophele Khawabon Ka Jahaan..*
Laikin Door Ufaq Par Daikho..*
Lehrata Ghong-Gohor Dhovaan..*
Badal Badal Umad Raha Hai..*
Sahaj Sahaj Pechan Pechan..*
Manzil Door Daikhe To Rahi..*
Rah Mein Beth Rahe Sastaye..*
Hum Bhi Tees Baras K Manday..*
Yunhi Roop Nagar Ho Aaye..*
Roop Nagar Ki Raaj Kumari..*
Sapnoon Mein Aaye Behlaye..*
Qadam Qadam Par Mudmati Muskan..*
Bakhaire Hath Na Aaye..*
Chandarma Maharaj Ki Jeevti..*
Taray Hain Aapas Mein Chupaye..*
Hum Bhi Ghoom Rahe Hain Le Kar..*
Kasa Ang Bhabhoot Ramaye..*
Jangal Jangal Ghom Rahe Hain..*
Ramte Jogi Seess Navaye.
Hum Wo Loog Hain Ginte Thay Tum..*
Kal Tak Jin Ko Piyaron Mein..*
Haal Humara Sunte Thay To..*
To Laute Thay Angaron Mein..*
Aaj Bhi Kitne Naagh Chope Hain..*
Dushaman K Bambaron Mein..*
Aate Hain Neepam Ugte..*
Wehshi Sabzaron Mein..*
Aah Si Bhar K Rah Jate Ho..*
Beth K Duniadaron Mein..*
Haal Humara Chapta Hain.*
Jab Khabron Mein Akhbaron Mein.*
Auron Ki To Batain Chorro.*
Aur To Jane Kia Kia Thay.*
Rustam Se Kuch Aur Dalawar.*
Bheem Se Barrh Kar Jodha Thay.*
Laikin Hum Bhi Tond Bharti Mujon Ka.*
Eik Dhaara Thay.*
Aniaye K Sukhe Jangal Ko*
Jhulasti Juvala Thay.*
Na Hum Atne Chop Chop Thay Tab.*
Na Hum Atne Tanha Thay*
Apni Zaat Mein Raja Thay Hum.*
Apni Zaat Mein Sehna Thay.*
Tufano Ka Rela Thay.*
Balvano Ki Sasna Thay.*
THE END
Book: Dil e Weshi

Soye Kahan The Aankhoon Ne Takiye Bhigoye The, Hum Bhi Kabhi Kisi K Liye Khoob Roye The,

Poet Basheer Badar

Type By
Uroosa Emaan

Soye Kahan The Aankhoon Ne Takiye Bhigoye The,

Hum Bhi Kabhi Kisi K Liye Khoob Roye The,

Angnaai Mein Kharre Huye Beri K Pairr Se,

Wo Log Chalte Waqat Gale Mil K Roye The,

Har Saal Zarad Phooloun Ka Ik Qafla Ruka,

Us Ne Jahaan Pe Dhool Utte Paoun Dhoye The,

Us Haadse Se Mera Tal,uq Nahi Koi,

Mele Mein Aik Saal Kai Bache Khoye The,

Aankhoon Ki Kashtiyoun Mein Safar Kar Rahe Hain Wo,

Jin Dostoun Ne Dil K Safeene Duboye The,

Kal Raat Main Tha Mere Ilawaa,h Koi Na Tha,

Shetaan Mar Gaya Tha Farshite Bhi Soye The............!


Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain. Jis Tarah Aaine Chehron Ko Taras Jate Hain.

Poet Ahmad Faraz

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain.

Jis Tarah Aaine Chehron Ko Taras Jate Hain.

Ehtiyat Ehl-E-Muhabbat K Isi Shehr Mein Log.

Gul Badast Aate Hain Paba Rasan Jate Hain.

Jaise Tajdeed-E-Taluq Ki Bhi Rut Ho Koi.

Zakham Bharte Hain To Ehbaab Bhi Aa Jate Hain.

Saqia Too Ne Mekhane Ka Ye Haal Kia.

Badah-Kash Mutasib-E-Shehr K Gun Gate Hain.

Tanaa Nasha Na Do Sub Ko K Kuch Sukhta Jaan.

Shidat-E-Tishna-Labi Se Bhi Behak Jate Hain.

Har Kari Raat K Bad Aisi Qayamat Guzri.

Subh Ka Zikar Bhi Aaye To Larz Jate Hain.........!

Book:
Nabina Shehr Mein Aaina


Kaanton Ne Hi Sirf Zakham Nahi Deye, Phoolon Ne Bhi Dil Torra Hai Mera......!

Poet:Ayaz Khan

Kaanton Ne Hi Sirf Zakham Nahi Deye,

Phoolon Ne Bhi Dil Torra Hai Mera......!


Insha Jee Utho Ab Kooch Karo Is Shehar Mein Ji Ko Lagana Kaya ? Wahshi Ko Sakoon Se Kaya Matlab Jogi Ka Nagar Mein Thikana Kaya ?

Poet Inb-E-Insha

Collcetion Uroosa Emaan

Insha Jee Utho Ab Kooch Karo Is Shehar Mein Ji Ko Lagana Kaya ?

Wahshi Ko Sakoon Se Kaya Matlab Jogi Ka Nagar Mein Thikana Kaya ?

Is Dil K Wareeda Daman Ko
Dekho To Sahi Socho To Sahi,

Jis Jholi Mein 100 Chhaid Huye,
Us Jholi Ka Phelana Kaya?

Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala,
Zanjeer Parri Darwaze Par,

Kion Der Gaye Ghar Lote Ho?
Sajni Se Karo Ge Bahana Kaya?

Phir Hijar Ki Lambi Raat Mein Sanjhok Ki To Sahi Ak Gharri,

Jo Dil Mein Hai Lab Pe Aane Do,
Sharmana Kaya Ghabrana Kaya?

Us Roz Jo Un Ko Dekha Hai Ik Khawab Ka Aalam Lagta Hai,

Us Roz Jo Unse Baat Hui Wo Baat Thi Afsana Kaya?

Us Husan K Sache Muati Ko Hum Dekh Sakein Par Chhou Na Sakein,

Jise Dekh Sakein Par Chhou Na Sakein Wo Dolt Kaya Wo Khazana Kaya,

Jab Shehar K Log Na Rasta Dein
Kion Na Ban Mein Ja Basram Karein,

Deewanoon Ki Si Na Baat Kare?
To Aur Kare Deewana Kaya..............?


Man Thakne Laga Hai Tan Samete, Baarish Ki Hawa Mein Ban Samete

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Man Thakne Laga Hai Tan Samete,

Baarish Ki Hawa Mein Ban Samete,

Aisa Na Ho Chaand Bheed Pale,

Peraahin-E-Gul Shikan Samete,

Soti Rahi Aankh Din Charrhe Tak,

Dulhan Ki Tarah Thakan Samete,

Guzra Hai Chaman Se Kon Aisa,

Bethi Hai Hawa Badan Samete,

Shakhoon Ne Kalli Ko Bad Dua Di,

Baarish Tera Bhol Pan Samete,

Aankhoon K Taveel Raat Jagoon Par,

Chaand Aaya Bhi To Gehan Samete,

Ahwaal Mera Wo Poochta Tha,

Lahje Mein Barri Chubhan Samete,

Andar Se Shiksata Wo Bhi Nikla,

Lekin Wohi Baank Pan Samete,

Sham Aaye To Hum Bhi Ghar Ko Lotein,

Chirriyoun Ki Tarah Thakan Samete,

Khud Jang Se Dasat Kash The Hum Log,

Jazbaat Mein Aik Rin Samete,

Aankhoon K Charaagh Hum Bujha Dein,

Souraj Bhi Magar Kiran Samete,

Bas Pyar Se Mil Rahe Hain Kuch Log,

Chamkeele Badan Mein Phhan Samete,

Phir Hone Lagi Hoon Reza Reza,

Aaye Mujhe Mera Fun Samete,

Gheroun K Liye Bikhar Gai Hoon,

Ab Mujh Ko Mera Watan Samete....!

 

Ye Kis Ne Kaha Tum Kooch Karo ? Baatein Na Banao INSHA JEE, Ye Shehar Tumhara Apna Hai, Ise Chorr Na Jao INSHA JEE

Insha Jee Ab Utho Kooch Karo Ghazal Ka Insha Jee Ko Jawab Qateel Sahib Ne Diya Tha Wo Paish-E-Khidmat Hai Aaj Mehfil Mein
Poet Qateel Shifai
Type By
Uroosa Emaan
Ye Kis Ne Kaha Tum Kooch Karo ?
Baatein Na Banao INSHA JEE,
Ye Shehar Tumhara Apna Hai,
Ise Chorr Na Jao INSHA JEE,
Jitne Bhi Yahan K Baasi Hain,
Sub K Sub Tum Se Pyar Karein,
Kaya In Se Bhi Mun,h Phero Ge ?
Ye Zulam Na Dhao INSHA JEE,
Kaya Soch K Tum Ne Seenchi Thi ?
Ye Kesar Kiyaari Chaahat Ki ?
Tum Jin Ko Hansaane Aaye The,
Un Ko Na Rulao INSHA JEE,
Tum Lakh Siyaahat K Ho Dhani,
Ik Baat Hamari Bhi Mano,
Koi Jaa K Jahan Se Aata Nahi,
Us Des Na Jao INSHA JEE,
Bikhraate Ho Sona Hurafoun Ka,
Tum Chaandi Jese Kaaghaz Par,
Phir In Mein Apne Zakhamoon Ka,
Mat Zehar Milao INSHA JEE,
Ik Raat To Kaya Wo Hashar Talak,
Rakhe Gi Khula Darwaaze Ko,
Kab Lot K Tum Ghar Aao Ge ?
Sajni Ko Batao INSHA JEE,
Nahi Siraf QATEEL Ki Baat Yahan,
Kahein SAHIR Hai Kahein AALI Hai,
Tum Apne Puraane Yaaroon Se,
Daman Na Churrao INSHA JEE..............!
.
Book Aamookhta

Dushman Hai Aur Sath Rahe Jaan Ki Tarah, Mujh Mein Utr Gaya Hai Wo Sarttaan Ki Tarah

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Dushman Hai Aur Sath Rahe Jaan Ki Tarah,

Mujh Mein Utr Gaya Hai Wo Sarttaan Ki Tarah,

Jakrre Huye Hai Tan Ko Mere,
Us Ki Aarzoo,

Phela Huwa Hai Jaal Sa Shariyaan Ki Tarah,

Deewaar-O-Dar Ne Jis K Liye Hijar Kate The,

Aaya Tha Chandd Roz Ko,
Mehmaan Ki Tarau,

Dukh Ki Rutoon Mein Perr Ne Tanha Safar Kiya,

Patoon Ko Pahle Bhej K Samaan Ki Tarah,

Gahre Khank Andhere Mein Ujle Taklufaat,

Ghar Ki Faza Bhi Ho Gai Sheezaan Ki Tarah,

Dooba Huwa Hai Hussan-E-Sukhan Mein Sakoot-E-Shab,

Taar-E-Rabaab-E-Rooh Mein Kalyaan Ki Tarah,

Aahang K Jamal Mein Injeel Ki DUA,

Narmi Mein Apni,
Soorah-E-RAHMAAN Ki Tarah.............!
.
Book

Khushboo

 

Tere Intezaar K Sab Charaagh Bujh Gaye, Magar Hijar Ki Shab Tamaam Na Hoi......!

 Poet:Ayaz Khan

Tere Intezaar K Sab Charaagh Bujh Gaye,

Magar Hijar Ki Shab Tamaam Na Hoi......!

Meri Wafa Faraib Thi,Meri Wafa Pe Khaak Daal Tujh Saa Hi Koi Ba-Wafa,Tujh Ko Milay Khuda Kare



Meri Wafa Faraib Thi,Meri Wafa Pe Khaak Daal

Tujh Saa Hi Koi Ba-Wafa,Tujh Ko Milay Khuda Kare...!


Shab k jagy howy ty hum jo tu na yaad kiya Roh per lot k iye jo tu na yaad kiya

Shab k jagy howy ty hum jo tu na yaad kiya
Roh per lot k iye jo tu na yaad kiya

Yaad karty tumhain sadyan si guzar jati hain
Har sitam bhol gaye hain,jo tu na yaad kiya

Kitny sang dil hai zamany k shadaid jana
Seh lain gay sabhi hans kr jo tu na yaad kiya

Barha hasen wo manzar tha kabi tum jo mile ty ANWER
Bicharh gye, bikher gye, simat gye jo tu na yaad kiya


Us Ne Mere Haath Mein Bandha, Ujjla Kangan Bele Ka, Pehale Pyar Se Thami Kalaai, Bad Us K Hole Hole Pehnaya

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Us Ne Mere Haath Mein Bandha,

Ujjla Kangan Bele Ka,

Pehale Pyar Se Thami Kalaai,

Bad Us K Hole Hole Pehnaya,

Gehna Phooloon Ka,

Phir Jhuk Kar Haath Choom Liya,

Phool To Aakhir Phool Hi The,

Murjha Hi Gaye,

Lekin Meri Raatein Un Ki Khushboo Se,

Ab Tak Roshan Hain,

Baahoon Par Wo Lamas Abhi Tak Taza Hai,

( Shakh-E-Sanowbar Par Ik Chaand Damkta Hai)

Phool Ka
Gehna,

Paraim Ka
Kangan,

Piyar
Ka Bandhan,

Ab Tak Meri Yaad K Haath Se Lipta Huwa Hai........!


Walid Ka Shikwa

ﺍﯾﮏ ﺻﺎﺣﺐ ﻧﮯ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﮧ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ
ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﺎﭖ ﮐﯽ ﺷﮑﺎﯾﺖ ﮐﯽ
ﮐﮧ
ﯾﺎ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﮧ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ! ﻣﯿﺮﺍ
ﺑﺎﭖ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﭘﻮﭼﮭﺘﺎ ﻧﯿﮩﮟ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﺍ
ﺳﺎﺭﺍ ﻣﺎﻝ ﺧﺮﭺ ﮐﺮ ﺩﯾﺘﺎ ﮬﮯ
ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮐﮧ
ﺑﻼﻭ ﺍﻥ ﮐﮯ ﭘﺎﭖ ﮐﻮ
ﺟﺐ ﺍﻥ ﮐﮯ ﻭﺍﻟﺪ ﮐﻮ ﭘﺘﺎ ﭼﻼ ﮐﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﺑﯿﭩﮯ
ﻧﮯ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﮧ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﺳﮯ
ﻣﯿﺮﯼ ﺷﮑﺎﯾﺖ ﮐﯽ ﮬﮯ ﺗﻮ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ
ﺭﻧﺠﯿﺪﮦ ﮬﻮﮮ
ﺍﻭﺭ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﮧ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﮐﯽ
ﺧﺪﻣﺖ ﻣﯿﮟ ﺣﺎﺿﺮﯼ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﭼﻠﮯ
ﭼﻮﻧﮑﮧ ﻋﺮﺏ ﮐﯽ ﮔﮭﭩﯽ ﻣﯿﮟ ﺷﺎﻋﺮﯼ
ﺗﮭﯽ
ﺗﻮ ﺭﺍﺳﺘﮯ ﻣﯿﮟ ﮐﺠﮫ ﺍﺷﻌﺎﺭ ﺫﮨﻦ ﻣﯿﮟ ﮨﻮﺍ
ﮐﮯ ﺟﮭﻮﻧﮑﮯ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﺁﺋﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﻠﮯ ﮔﺌﮯ
ﺍﺩﮬﺮ ﺑﺎﺭﮔﺎﮦ ﺭﺳﺎﻟﺖ ﻣﯿﮟ ﭘﮩﻨﭽﻨﮯ ﺳﮯ
ﭘﮩﻠﮯ
ﺣﻀﺮﺕ ﺟﺒﺮﺍﺋﻞ ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ
ﮐﯽ ﺧﺪﻣﺖ ﻣﯿﮟ ﺣﺎﺿﺮ ﮬﻮﮮ ﺍﻭﺭ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ
ﮐﮧ
ﺍﻟﻠﮧ ﺳﺒﺤﺎﻧﮧ ﻭ ﺗﻌﺎﻟﮧ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮬﮯ ﮐﮧ ﺍﻥ
ﮐﺎ ﮐﯿﺲ ﺑﻌﺪ ﻣﯿﮟ ﺳﻨﺌﯿﮯ ﮔﺎ ﭘﮩﻠﮯ ﻭﮦ
ﺍﺷﻌﺎﺭ ﺳﻨﯿﮟ ﺟﻮ ﻭﮦ ﺳﻮﭼﺘﮯ ﮨﻮﮮ ﺁ ﺭﮨﮯ
ﮬﯿﮟ
ﺟﺐ ﻭﮦ ﺣﺎﺿﺮ ﮨﻮﮮ ﺗﻮ ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ
ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ
ﮐﮧ
ﺁﭖ ﮐﺎ ﻣﺴﺌﻠﮧ ﺑﻌﺪ ﻣﯿﻦ ﺳﻨﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﭘﮩﻠﮯ
ﻭﮦ ﺍﺷﻌﺎﺭ ﺳﻨﺎﺋﯿﮯ ﺟﻮ ﺁﭖ ﺳﻮﭼﺘﮯ ﮬﻮﮮ
ﺁﺋﮯ ﮬﯿﮟ
ﻭﮦ ﻣﺨﻠﺺ ﺻﺤﺎﺑﯽ ﺗﮭﮯ
ﯾﮧ ﺳﻦ ﮐﺮ ﻭﮦ ﺭﻭﻧﮯ ﻟﮕﮯ
ﮐﮧ
ﺟﻮ ﺍﺷﻌﺎﺭ ﺍﺑﮭﯽ ﻣﯿﺮﯼ ﺯﺑﺎﻥ ﺳﮯ ﺍﺩﺍ
ﻧﮩﯿﮟ ﮬﻮﮮ ﻣﯿﺮﮮ ﮐﺎﻧﻮﮞ ﻧﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﻨﮯ
ﺁﭖ ﮐﮧ ﺭﺏ ﻧﮯ ﻭﮦ ﺑﮭﯽ ﺳﻦ ﻟﺌﯿﮯ
ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮐﮧ
ﻭﮦ ﮐﯿﺎ ﺍﺷﻌﺎﺭ ﺗﮭﮯ ﮨﻤﯿﮟ ﺳﻨﺎﺋﯿﮟ
ﺍﻥ ﺻﺤﺎﺑﯽ ﻧﮯ ﺍﺷﻌﺎﺭ ﭘﮍﮬﻨﺎ ﺷﺮﻭﻉ ﮐﯿﮯ
(ﻣﯿﮟ ﺍﭖ ﮐﻮ ﺍﻥ ﮐﺎ ﺗﺮﺟﻤﮧ ﺑﺘﺎﺗﺎ ﮨﻮﮞ )
ﺍﮮ ﻣﯿﺮﮮ ﺑﯿﭩﮯ ! ﺟﺲ ﺩﻥ ﺗﻮ ﭘﯿﺪﺍ ﮬﻮﺍ
ﮨﻤﺎﺭﯼ ﮐﻤﺒﺨﺘﯽ ﮐﮯ ﺩﻥ ﺗﺒﮭﯽ ﺳﮯ ﺷﺮﻭﻉ
ﮬﻮﮔﺌﮯ ﺗﮭﮯ
ﺗﻮ ﺭﻭﺗﺎ ﺗﮭﺎ ، ﮨﻢ ﺳﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﮯ ﺗﮭﮯ
ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﮭﺎﺗﺎ ﺗﻮ ﮨﻢ ﮐﮭﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﮯ
ﺗﮭﮯ
ﺗﻮ ﺑﯿﻤﺎﺭ ﮬﻮ ﺟﺎﺗﺎ ﺗﻮ ﺗﺠﮭﮯ ﻟﯿﺌﮯ ﻟﯿﺌﮯ
ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺴﯽ ﻃﺒﯿﺐ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺴﯽ ﺩﻡ ﺩﺭﻭﺩ ﻭﺍﻟﮯ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ
ﺑﮭﺎﮔﺘﺎ
ﮐﮧ ﮐﮩﯿﮟ ﻣﺮ ﻧﮧ ﺟﺎﺋﮯ
ﮐﮩﯿﮟ ﻣﺮ ﻧﮧ ﺟﺎﺋﮯ
ﺣﻼﻧﮑﮧ ﻣﻮﺕ ﺍﻟﮓ ﭼﯿﺰ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﺑﯿﻤﺎﺭﯼ
ﺍﻟﮓ ﭼﯿﺰ ﮬﮯ
ﭘﮭﺮ ﺗﺠﮭﮯ ﮔﺮﻣﯽ ﺳﮯ ﺑﭽﺎﻧﮯ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ
ﻣﯿﮟ ﺩﻥ ﺭﺍﺕ ﮐﺎﻡ ﮐﺮﺗﺎ ﺭﮨﺎ
ﮐﮧ
ﻣﯿﺮﮮ ﺑﯿﭩﮯ ﮐﻮ ﭨﮭﻨﮉﯼ ﭼﮭﺎﻭﮞ ﻣﻞ ﺟﺎﮮ
ﭨﮭﻨﮉ ﺳﮯ ﺑﭽﺎﻧﮯ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﭘﺘﮭﺮ
ﺗﻮﮌﮮ
ﺗﻐﺎﺭﯾﺎﮞ ﺍﭨﮭﺎﺋﯿﮟ ﮐﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﺑﭽﮯ ﮐﻮ ﮔﺮﻣﺎﺉ
ﻣﻞ ﺟﺎﮮ
ﺟﻮ ﮐﻤﺎﯾﺎ ﺗﯿﺮﮮ ﻟﯿﺌﮯ
ﺟﻮ ﺑﭽﺎﯾﺎ ﺗﯿﺮﮮ ﻟﯿﺌﮯ
ﺗﯿﺮﯼ ﺟﻮﺍﻧﯽ ﮐﮯ ﺧﻮﺍﺏ ﺩﯾﮑﮭﻨﮯ ﮐﮯ ﻟﯿﺌﮯ
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺩﻥ ﺭﺍﺕ ﺍﺗﻨﯽ ﻣﺤﻨﺖ ﮐﯽ ﮐﮧ
ﻣﯿﺮﯼ ﮨﮉﯾﺎﮞ ﺑﮭﯽ ﺳﻮﺧﺘﮧ ﮨﻮ ﮔﯿﺌﮟ
ﭘﮭﺮ
ﻣﺠﮫ ﭘﺮ ﺧﺰﺍﮞ ﻧﮯ ﮈﯾﺮﮮ ﺩﺍﻝ ﻟﺌﮯ
ﺗﺠﮫ ﭘﺮ ﺑﮩﺎﺭ ﺁﮔﺌﯽ
ﻣﯿﮟ ﺟﮭﮏ ﮔﯿﺎ
ﺗﻮ ﺳﯿﺪﮬﺎ ﮨﻮ ﮔﯿﺎ
ﺍﺏ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﻣﯿﺪ ﮬﻮﺉ
ﮐﮧ ﺍﺏ ﺗﻮ ﮨﺮﺍ ﺑﮭﺮﺍ ﮬﻮ ﮔﯿﺎ ﮬﮯ
ﭼﻞ
ﺍﺏ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﯽ ﺁﺧﺮﯼ ﺳﺎﻧﺴﯿﮟ ﺗﯿﺮﯼ
ﭼﮭﺎﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﯿﭩﮫ ﮐﺮ ﮔﺰﺍﺭﻭﮞ ﮔﺎ
ﻣﮕﺮ
ﯾﮧ ﮐﯿﺎ ﮐﮧ ﺟﻮﺍﻧﯽ ﺁﺗﮯ ﮬﯽ
ﺗﯿﺮﮮ ﺗﯿﻮﺭ ﺑﺪﻝ ﮔﺌﮯ
ﺗﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﻣﺎﺗﮭﮯ ﭘﺮ ﭼﮍﮪ ﮔﺌﯿﮟ
ﺗﻮ ﺍﯾﺴﮯ ﺑﺎﺕ ﮐﺮﺗﺎ ﮐﮧ ﻣﯿﺮﺍ ﺳﯿﻨﮧ ﭘﮭﺎﮌ ﮐﺮ
ﺭﮐﮫ ﺩﯾﺘﺎ ﮬﮯ
ﺗﻮ ﺍﯾﺴﮯ ﺑﺎﺕ ﮐﺮﺗﺎ ﮐﮧ ﮐﻮﺉ ﻧﻮﮐﺮ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ
ﺍﯾﺴﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺑﻮﻟﺘﺎ
ﭘﮭﺮ
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﯽ 30 ﺳﺎﻟﮧ ﻣﺤﻨﺖ ﮐﻮ ﺟﮭﭩﻼ
ﺩﯾﺎ
ﮐﮧ
ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﺍ ﺑﺎﭖ ﻧﮩﯿﮟ ﻧﻮﮐﺮ ﮬﻮﮞ
ﻧﻮﮐﺮ ﮐﻮ ﺑﮭﯽ ﮐﻮﺉ ﺍﯾﮏ ﻭﻗﺖ ﮐﯽ ﺭﻭﭨﯽ
ﺩﮮ ﮨﯽ ﺩﯾﺘﺎ ﮬﮯ
ﺗﻮ ﻧﻮﮐﺮ ﺳﻤﺠﮫ ﮐﺮ ﮨﯽ ﻣﺠﮭﮯ ﺭﻭﭨﯽ ﺩﮮ
ﺩﯾﺎ ﮐﺮ
ﯾﮧ ﺍﺷﻌﺎﺭ ﺳﻨﺎﺗﮯ ﺳﻨﺎﺗﮯ ﺍﻥ ﮐﯽ ﻧﻈﺮ ﺍﻟﻠﮧ
ﮐﮯ ﺭﺳﻮﻝ ﭘﺮ ﭘﮍ ﮔﺌﯽ
ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﺍﺗﻨﺎ ﺭﻭﺋﮯ ﮐﮧ ﺁﭖ
ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﮐﯽ ﺩﺍﮌﮬﯽ ﻣﺒﺎﺭﮎ
ﺗﺮ ﮨﻮ ﮔﺌﯽ
ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻏﺼﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﯽ
ﺟﮕﮧ ﺳﮯ ﺍﭨﮭﮯ
ﺍﻭﺭ
ﺑﯿﭩﮯ ﺳﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮐﮧ
ﺁﺋﻨﺪﮦ ﻣﯿﺮﯼ ﻧﻈﺮﻭﮞ ﮐﮯ ﺳﺎﻣﻨﮯ ﻣﺖ ﺁﻧﺎ
ﺍﻭﺭ ﺳﻦ ﻟﻮ
ﺗﻮ ﺍﻭﺭ ﺗﯿﺮﺍ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺗﯿﺮﮮ ﺑﺎﭖ ﮐﺎ ﮨﮯ
ﺗﻮ ﺍﻭﺭ ﺗﯿﺮﺍ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺗﯿﺮﮮ ﺑﺎﭖ ﮐﺎ ﮨﮯ
ﺗﻮ ﺍﻭﺭ ﺗﯿﺮﺍ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺗﯿﺮﮮ ﺑﺎﭖ ﮐﺎ ﮨﮯ

Main Chalte Chalte Apne Ghar Ka Rasta Bhool Jata Hoon, Jab Us Ko Yad Karta Hoon To Kitna Bhool Jata Hoon

Poet Not Confirm

Collection Uroosa Emaan

Main Chalte Chalte Apne Ghar Ka Rasta Bhool Jata Hoon,

Jab Us Ko Yad Karta Hoon To Kitna Bhool Jata Hoon,

Zaroori Zaabte Fori Faraiz Qeemti Qadrain,

Main Us Ko Dekh Kar Sara Tamasha Bhool Jata Hoon,

Kahan Tak Gaein Ge Donoun ? Kahan Se Wapasi Hogi ?

Wo Kiya Kuch Yad Rakhta Hai
Main Kaya Kaya Bhool Jata Hoon,

Naseehatein Dil Nasheen Rakhta Hoon Main Un Khamosh Aankhoon Ki,

Magar Banda Bashar Hoon Rafta Rafta Bhool Jata Hoon,

Bhula Deta Hoon Gar Wo Rokta Hai Pas Aane Se,

Dobaara Rokta Hai Main Dobaara Bhool Jata Hoon,

Zuaf Dimaagh Is Se Barrh Kar Kaya Hoga?

Keh Jata Hoon Waha Aur Wapas Aana Bhool Jata Hoon...............!


Soye Kahan The Aankhoon Ne Takiye Bhigoye The, Hum Bhi Kabhi Kisi K Liye Khoob Roye The

Poet Basheer Badar

Type By
Uroosa Emaan

Soye Kahan The Aankhoon Ne Takiye Bhigoye The,

Hum Bhi Kabhi Kisi K Liye Khoob Roye The,

Angnaai Mein Kharre Huye Beri K Pairr Se,

Wo Log Chalte Waqat Gale Mil K Roye The,

Har Saal Zarad Phooloun Ka Ik Qafla Ruka,

Us Ne Jahaan Pe Dhool Utte Paoun Dhoye The,

Us Haadse Se Mera Tal,uq Nahi Koi,

Mele Mein Aik Saal Kai Bache Khoye The,

Aankhoon Ki Kashtiyoun Mein Safar Kar Rahe Hain Wo,

Jin Dostoun Ne Dil K Safeene Duboye The,

Kal Raat Main Tha Mere Ilawaa,h Koi Na Tha,

Shetaan Mar Gaya Tha Farishte Bhi Soye The............!


Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain. Jis Tarah Aaine Chehron Ko Tarss Jate Hain.

Poet Ahmad Faraz

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain.

Jis Tarah Aaine Chehron Ko Tarss Jate Hain.

Ehtiyat Ehl-E-Mohabbat Ke Isi Shehr Mein Log.

Gul Badast Aate Hain Paba Rasan Jate Hain.

Jaise Tajdeed-E-Taloq Ki Bhi Rut Ho Koi.

Zakham Bharte Hain To Ehbab Bhi Aa Jate Hain.

Saqia Too Ne Mekhane Ka Ye Haal Kia.

Bada Kash Mutasib-E-Shehr K Gun Gate Hain.

Tana-E-Nasha Na Do Sub Ko Ke Kuch Sukhta Jaan.

Shidat-E-Tishna-Labi Se Bhi Behaik Jate Hain.

Har Karri Raat Ke Bad Aisi Qayamat Guzri.

Subh Ka Zikar Bhi Aaye To Larz Jate Hain.........!

Book,
Nabina Shehr Mein Aaina

Page, 16


Barkha Barse Chhat Par, Main Tere Sapne Dekhoon,

Poet Faiz Ahmad Faiz

Type
By

Uroosa Emaan

Barkha Barse Chhat Par,
Main Tere Sapne Dekhoon,

Baraf Gire Parbat Par,
Main Tere Sapne Dekhoon,

Subha Ki Neel Pari,
Main Tere Sapne Dekhoon,

Koyel Dhoom Machaaye,
Main Tere Sapne Dekhoon,

Aaye Aur Urr Jaye,
Main Tere Sapne Dekhoon,

Baaghoon Mein Patte Mehakein,
Main Tere Sapne Dekhoon,

Shabnum K Muati Dehakein.
Main Tere Sapne Dekhoon,

Is Pyar Mein Koi Dhoka Hai,

Too Naar Nahi Kuch Aur Hai Shay,

Warna Kion Har Aik Samme,
Main Tere Sapne Dekhoon..................?
Book

  Sar-E-Wadi-E-Seena


Tum Khafa Ho Tou Ache Khafa Ho, Ay Butto Kia Kisi Ke Khuda Ho

Poet Bedam Shah Warsi

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

Tum Khafa Ho Tou Ache Khafa Ho,

Ay Butto Kia Kisi Ke Khuda Ho,

Apne Mastoon Ki Khiraat Saqi,

Aik Saghar Mujhe Bhi Ata Ho,

Kuch Raha Bhi Hai Bimaar Mein,

Ab Dawa Ho Tou Kis Ki Dawa Ho,

Aao Mel Lo Shab-E-Wada Aa Kar,

Subh Tak Phir Khuda Jane Kia Ho,

Too Ne Mujh Ko Kahein Ka Na Rakha,

Ay Dil Zara Tera Bhi Tou Bura Ho,

Ghuse Mein Bhi Raha Pas Dushman,

KeH Rahe Hain Ke Tera Bhala Ho,

Tum Ko BEDAM Hum Jante Hain,

Paarsa Ho Bare Tum Paarsa Ho.......!
Book,
Mashaf e Bedam


Jisam Damkta Zulaf Ghaneri Rangeen Lab Aankhein Jaadoo

Poet Javed Akhtar

Type By
Uroosa Emaan

Jisam Damkta
Zulaf Ghaneri
Rangeen Lab
Aankhein Jaadoo,

Sang Mar Mar Owda Baadal
Surakh Shafaq
Heraan Aahoo,

Bhakshoo Dani
Pyasa Pani
Darya Sagar
Jal Gaagar,

Gulshan Khushboo
Koyel Koo Koo
Masti Daroo
Main Aur Too,

Baanbi Naangan
Chhaya Aangan
Ghunghroo Chhan Chhan
Aasha Mann,

Aankhein Kajal
Parbat Baadal
Wo Zulafein
Aur Ye Baazoo,

Raatein Mehaki
Saansein Dehaki
Nazrein Behaki
Rut Lahki,

Sapn Sulona
Praim Khilona
Phool Bichhona,
Wo Pehaloo,

Tum Se Doori
Ye Majboori
Zakham Hai Kaari Bedaari,

Tanha Raatein Sapne Kaatein

Khud Se Baatein

Meri Khoo.........!

.

Book

Sahir Ludhyanvi Se Basheer Badar Tak


Poocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye, Pani Mein Akas Chaand Ka Dekha To Ro Diye,

Poet Saghar Siddiqui

Typed By
Uroosa Emaan

Poocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye,

Pani Mein Akas Chaand Ka Dekha To Ro Diye,

Naghma Kisi Ne Saaz Pe Cherra To Hans Parre,

Ghancha Kisi Ne Shakh Se Torra To Ro Diye,

Urrta Huwa Ghubaar
Sar-E-Raah Dekh Kar,

Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye,

Badal Faza Mein Aap Ki Tasveer Ban Gaye,

Shaayd Koi Khayaal Se Guzra To Ro Diye,

Rang-E-Shafaq Se Aag Shagofoon Mein Lag Gai,

SAGHAR Hamare Haath Se Chalka To Ro Diye.........!
.
Book
 

Qaraz Hai Tum Pe 4 Phooloun Ka


Shola Hon Bharrakney Ki Guzarish Nahi Karta, Sach Monah Se Nikal Jata Hai Koshish Nahi Karta

Shola Hon Bharrakney Ki Guzarish Nahi Karta,

Sach Monah Se Nikal Jata Hai Koshish Nahi Karta,

Girti Hoi Deewaar Ka Hamdard Hon Lekin,

Charrtay Howe Sooraj Ki Parestash Nahi Karta,

Rehta Hon Faqeeron Ki Duaon Ka Talabgaar,

Shahon Se Tamana-E-Sataish Nahi Karta,

Maathey K Paseeney Ki Mehak Aaye Na Jis Se,

Wo Khoon Mere Jisam Mein Gardash Nahi Karta,

Lehron Se Larra Karta Hon Main Darya Mein Utar Kar,

Saahil Pe Kharre Ho K Saazish Nahi Karta.................!

*.__NOMI__.*

 

Sukhan sara Ne To Ik Baar Mujhe Raazdaan Bana Laita

سخن سرائےتُو ایک بار مجھے رازداں بنا لیتا

میں آئینوں سے تِرا عکس بھی چرا لیتا

سنا ہے بات بنانے میں تو بھی ماہر ہے

سو کوئی بات مرے رُوبرو بنا لیتا

میں اپنی پھوٹی ہوئی آنکھ پر رہا

 راضیمیں تیرے خواب سے اب انتقام کیا لیتا

میں اس طرح سے تجھے ٹوٹنے نہیں دیتا

اگر تُو آ کے مجھے حالِ دل سنا لیتا

میں واجباتِ محبت پہ سوچتا بھی نہیں

میں اپنا آپ گنوا کر بھی تجھ کو پا لیتا

ذرا سی دیر پہ تُو نے اٹھا لیا محشر

میں سو گیا تھا تو آ کر مجھے جگا لیتا


Kash Meri Koi Beti Hoti, Bas Main Us Se Itna Kehta, Dekho Meri Chaand Si Gurriya,

==============
KAAAAAAAASH
==============

Poet Aetbaar Sajid

Type
By

Uroosa Emaan

Kash Meri Koi Beti Hoti,

Bas Main Us Se Itna Kehta,

Dekho Meri Chaand Si Gurriya,

Har Dam
Har Pal,
Tum Khush Rehna,

Tanhaai K Dukh Mat Sehna,

Aur Agar Aisi Mushkil Ho,

Chup Mat Rehna,

Mujh Se Kehna,

Haan Main Tumhare Dukh Ka,

Mudawa Kar Sakta Hoon,

Tum Ko Khush Rakhne Ki Khatir,

Main Qiston Mein Mar Sakta Hoon,

Jis Ko Apni Goud Mein Pala,

Us K Aansooo,

Main Apni Be Aab Aankhoon Mein,

Bhar Sakta Hoon,

Haan Main Aisa Kar Sakta Hoon,

Kash Meri Koi Beti Hoti...................*

 

Pareshan Rat Sari Hai Staro Tum To So Jao. Sakoot-E-Marg Tari Hai Staro Tum To So Jao.

Poet Qateel Shifai

Type By 

 Uroosa Emaan

Pareshan Rat Sari Hai Staro Tum To So Jao.

Sakoot-E-Marg Tari Hai Staro Tum To So Jao.

Hamen To Ajj Ki Shab Pow Phootne Tak Jagna Hoga.

Yahi Qismat Hamari Hai Staro Tum To So Jao.

Tumhein Kaya Hum Agar Loote Gaye Raah-E-Mohabbat Mein.

Yahi Qismat Hamari Hai Staro Tum To So Jao.

Hamein Bhi Neend Aa Jaye Gi
Hum Bhi So Hi Jaein Ge.

Abhi Kuch Be Qarar Hai Staro Tum To So Jao.

Kehte Jate Ho Ro Ro Kar Hamara Haal Dunia Se.

Ye Kasi Razdari Hai Staro Tum To So Jao....!

.

Movei Ishq-E-Laila


Dil Ki Bat Laboon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hain,

Poet Habib Jalib

Singar Mehndi Hassan

Typed
By

Uroosa Emaan

Dil Ki Bat Laboon Par La Kar
Ab Tak Hum Dukh Sehte Hain,

Hum Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bhi Rehte Hain,

Beet Gia Sawan Ka Maheena Muasam Ne Nazrein Badli,

Lekin In Pyasi Aankhon Se Ab Tak Aanso Behte Hain,

Aik Humain Aawara Kehna Koi Barra Ilzam Nahi,

Dunia Wale Dil Waloon Ko Aur Bohat Kuch Kehte Hain,

Jin Ki Khatir Shehr Bhi Chorra
Jin K Liye Badnam Huye,

Aaj Wohi Hum Se Begaane Begaane Se Rehte Hain,

Wo Jo Abhi Is Raah Guzar Se Chaak Garebaan Guzra Tha,

Is Aawara Deewaane Ko Jalib Jalib Kehte Hain,

Dil Ki Baat..................*


Tu Agar Be-Naqaab Ho Jaa'e, Justajo,Kaamyab Ho Jaa'e,

 Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._.Murtaza._.*

Tu Agar Be-Naqaab Ho Jaa'e,

Justajo,Kaamyab Ho Jaa'e,

Aks Parr Jaa'e To Tere Rukh Ka,

Aftaab,Aftaab Ho Jaa'e,

Dekh Le Ik Nazar Agar SAQI,

Saadah Paani Sharaab Ho Jaa'e,

Chhor Doon Main Agar Tumhara Dar,

Meri Matti Kharaab Ho Jaa'e,

Haath Rakh Do Jo Tum Mere Dil Par,

Dard Ka Sad-E-Baab Ho Jaa'e,

Un Ki Aankhein Jo Aa'een Gardish Main,

Ro-Numa INQILAAB Ho Jaa'e,

Sharh-E-ISHQ-O-Wafa Lekhe Jo NASEER,

Achi Khaasi Kitaab Ho Jaa'e...........................!

Book

Dast-E-Nazar

Page 21


Jo Bichrra Tha Wo Piyaar Mil Gaya Hai, Khuda Rakhe Dobara Mil Gaya Hai,

Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._.Murtaza._.*

Jo Bichrra Tha Wo Piyaar Mil Gaya Hai,

Khuda Rakhe Dobara Mil Gaya Hai,

Un Aankhon Ka Ishara Mil Gaya Hai,

Mere Dil Ko Sahara Mil Gaya Hai,

Khuda Hai Na Khuda Behar-E-Wafa Main,

Safeene Ko Kinaara Mil Gaya Hai,

Ho'ee Pori Mere Dil Ki Tamana,

Mujhe Bhi Dar Tumhaara Hil Gaya Hai,

Larazti Hai Shab-E-Gham Ki Siyaahi,

Meri Aankhon Ko Taara Mil Gaya Hai,

Sulag Utha Hai Kiya Kiya Dagh-E-Hasrat,

Mere Dil Ko Sahaara Mil Gaya Hai,

Chhupa Tha Gaisoo-E-Purkham Mein Un Ke,

Dil-E-Muztar Hamaara Mil Gaya Hai,

NASEER Ik Rooz Woh Bhi Aa Milenge,

Mera Unka Sitaara Mil Gaya Hai............!

Book

Dast-E-Nazar

Page 6


Du Warro Warro Khudayano De Banda Krram, Loya Khudaya Zu Ba Chha Chha Ta Sijda Krram,

Du Warro Warro Khudayano De Banda Krram,

Loya Khudaya Zu Ba Chha Chha Ta Sijda Krram,

Malgartiya Ku So Rindaan Rasara Okrri,

Da Haram Ba Yawa Loya Maykada Krram,

Du Wisaal Du Shpey Badal Ba De Khlaas Na Krram,

Toley Shpey Ku Da Ku Da Khpal Umar Shaogeera Krram,

Sheerini Da Peghaltoob Du Peghley Ghuwarram,

Khula Ba Sta Pu Onabi Shundo Khuwaga Krram,

Che Muskai She,Lag Ye Khukal Krre,Bya Ye Rakrre,

Sal Toobey Ba Hagha Jaam Na Sadaqa Krram,

Qaafley Da Pasarli De Pu De Raashi,

Khpal Jwandoon Ba Ye Pu Laara Ke Deewa Krram.....!

 

Fazaaon Mein Hai Subh Ka Rang Taari...* Gai Hai Abhi GIRLIS COLLGE KI LAARI

 

COLLGE KI LAARI

Poet Jaan Nisar Akhtar

Type
By

Uroosa Emaan

Fazaaon Mein Hai Subh Ka Rang Taari...*

Gai Hai Abhi GIRLIS COLLGE KI LAARI...*

Gai Hai Abhi Goonjti Gungunaati...*

Lachkti Hui Si Chhalkti Hui Si...*

Behkti Hui Si Mehkti Hui Si...*

Wo Sarrkon Pe Phoolon Ki Dhaari Si Banti...*

Idhar Udhar Se Haseenon Ko Chunti...*

Jhalkte Wo Sheeshon Mein Shaadab Chehre,

Wo Kaliyan Si Khilti Munh Andhere...*

Wo Maathe Pe Saarrhi K Rangeen Kinaare...*

Sehar Se Nikalte Shafaq K Ishaare...*

Kisi Ki Ada Se Ayaan Khush Mazaqi....*

Kisi Ki Nigaahon Mein Kuch Neend Baqi...*

Kisi Ki Nazar Mein Mohabbat K Dohe...*

Sakhi Ri Ye Jeevan Piya Bin Na Sohe,

Ye Khirrki Ka Rangeen Sheesha Giraye....*

Wo Sheeshe Se Rangeen Chehra Milaye...*

Ye Chalti Zameen Par Nigaahein Jamati...*

Wo Honton Mein Apne Qalam Ko Dabaati...*

Ye Khirrki Se Ik Haath Baahir Nikale...*

Wo Zaanoo Pe Girti Kitaabein Sanbhaale....*

Kisi Ko Wo Har Baar Taivri Si Charrhti...*

Dukaanon K Takhte Adhoore Se Parrhti....*

Koi Ik Taraf Ko Samt'Ti Hui Si....*

Kinaare Ko Saarrhi K Bat'Ti Hui Si....*

Wo Laari Mein Goonje Huye Zamzame Se...*

Dabi Muskuraahat Sabk Qehqe Se...*

Wo Lehjon Mein Chaandi Khankti Hui Si...*

Wo Nazron Se Kaliyaan Chatkti Hui Si.....................*

Sehar Se Nikalte Shafaq K Ishare....*

Ayaan Kush Mazaqi....*

Kisi Ki Nigaahon Mein Kuch Neend Baqi.....*

Kisi Ki Nazar Mein Mohabbat K Dohe.....*

Sakhi Ri Ye Jeevae Piya Bin Na Sohe.....*

Saron Se Wo Aanchal Dhalkte Huye Se....*

Wo Shaanon Se Saghar Chhalkte Huye Se...*

Jawani Nigaahon Mein Behki Hui Si...*

Mohabbat Takhyel Mein Behki Hui Si...*

Wo Aaps Ki Chherrein
Wo Jhoote Fasaane...*

Koi In Ki Baaton Ko Kese Na Maane....?

Fasana Bhi In Ka,
Tarana Bhi In Ka....*

Jawaani Bhi In Ki,

Zamaana Bhi In Ka....................*

.

Book 

 Kulyaat Jaan Nisar Akhtar

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo