MOAJZA Muhabbat Noor Hai Ik Rangeeni Hai, Muhabbat Mein Ajab Si Chaashni Hai

Poet:Fakhra Batool

Type By

*.__Murtaza.__.*

MOAJZA

Muhabbat Noor Hai Ik Rangeeni Hai,

Muhabbat Mein Ajab Si Chaashni Hai

Kabhi Parbat K Parbat Khod Daale,

Kabhi Qadmon Se Sehra Rond Daale,

Kabhi Kachhe Gharre Par Tairti Hai,

Kabhi Rukh Badloon Ka Phairti Hai,

Kabhi Laila Ki Ye Waraftagi Hai,

Kabhi Ye Qais Ki Deewangi Hai,

Kabhi Ye Khazar Ban Kar Raah Dekhaa'e,

Kabhi Khanjar Tallay Sajda Karaa'e,

Ye Kaanton Par Bhi Chalna Janti Hai,

Muhabbat Hanss Ke Marna Janti Hai,

Jallal-O-Jaah Ko Thokar Lagaa'e,

Kabhi Deewaar Mein Chunwaai Jaa'e,

Kabhi Sooli Ko Harz-E-Jaan Bataa'e,

Kabhi Gulzaar Shoaloon Ko Banaa'e,

Muhabbat Fasl-E-Gul Ki Taazgi Hai,

Khudi Ka Raaz Hai Aur Be-Khudi Hai,

Muhabbat Ka Anokha Silsila Hai,

Kahein YASRAB Kahein Par KARBALA Hai,

Har Ik Soorat Mein Ye Zinda Rahi Hai,

Muhabbat MOAJZA Hai Bandagi Hai.....!

Book Name:Palkain Bheegi Bheegi Si

Page 144-145


Ess Se Barrh Kar Kitna Usay Qareeb Laoon...? Usay Dil Mein Rakh Kar Bhi Dil Nahi Bharta....!

Ess Se Barrh Kar Kitna Usay Qareeb Laoon...?

Usay Dil Mein Rakh Kar Bhi Dil Nahi Bharta....!


Baharon Ke Dekhe Khuwaab Mein Ne, Kanton Se Chune Gulaab Mein Ne,

Poet:Ayaz Khan

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

Baharon Ke Dekhe Khuwaab Mein Ne,

Kanton Se Chune Gulaab Mein Ne,

Husan Ke May Kade Mein Shukh Kaliyun Ki,

Labon Se Pee Hai Sharaab Mein Ne,

Wesal Ki Shab Chaandni Raaton Mein,

Sulagta Howa Dekha Aftaab Mein Ne,

Badalon Ki Aot Se Jhankta Chaand Jaise,

Aanchalon Ki Aot Se Dekhe Shabaab Mein Ne,

Meer-O-Ghalib Ki Ghazlon Se Saji AYAZ,

Parhi Chaandni Raaton Mein Kitaab Mein Ne.......!


Dil Mera Ik Kitaab Ki Soorat, Jis Mein Wo Hai Gulaab Ki Soorat

Poetess:Noshi Gilani

Type By

*._.Murtaza._.*

Dil Mera Ik Kitaab Ki Soorat,

Jis Mein Wo Hai Gulaab Ki Soorat,

Hum Se Poocho Ke Hum Guzaar Aaye,

Zindagi Ko Azaab Ki Soorat,

Hussan Kache Gharre Ka Shedaayi,

ISHQ Moaj-E-Chanaab Ki Soorat,

ISHQ Mein Is Tarha Nahi Hota,

Ye Nahi Hai Nisaab Ki Soorat,

Main Karri DoPehar Ki Tanhaai,

Wo Shab-E-Mahtaab Ki Soorat,

Poochta Hai Ke Meri Ghazloon Mein,

Kon Hai Aztaraab Ki Soorat,

Main Wafa Ki Wohi Poraani Kitaab,

Wo Naye Intasaab Ki Soorat,

Jo Nahi Kar Sake,Kabhi Wo Sawaal,

Us Ne Likha Jawaab Ki Soorat.........!

Book Name Muhabbatain Jab Shumaar Karna

Page 137-138

 

Ye Qalb-E-Hazeen,Deed-E-Namnaak Badal Jaaye, Tum Aao To Ye Soorat-E-Iflaak Badal Jaaye,


Poet:Amjad Islam Amjad

Type By

*._.Murtaza._.*

Ye Qalb-E-Hazeen,Deed-E-Namnaak Badal Jaaye,

Tum Aao To Ye Soorat-E-Iflaak Badal Jaaye,


Kya Ho Jo Kabhi Yoon Hi Sar-E-Raah Kisi Din,

Choo Le Wo Mujhe Aur Meri Khaak Badal Jaaye,


Hote Hain Wohi,Lagte Hain Har Baar Naye Gul,

Badle Jo Havaa,Bagh Ki Poshaak Badal Jaaye,


Mitti Bhi Wohi Aur Hunar-E-Kooza Gari Bhi,

Kya Kooze Wohi Honge,Agar Chaak Badal Jaaye,


Har Cheez Ki Hee'at Hi Badal Jaaye Saraasar,

Ik Pal Ko Agar Aap Ka Adraak Badal Jaaye,


Badla Hai Naya Roop Par Qaatil To Wohi Hai,

Kab Teer Badalte Hain Jo Fatraak Badal Jaaye,


Sab Kuch Hai Yahein Khatam Ke Mumkin Hi Nahi Hai,

Badla Jo Nahi Yaan Wo Taha-E-Khaak Badal Jaaye..........!

Book Name Shaam Saraa'e Page No 66-67


Zalzala Youn Hi To Nahi Aata.....!!! . Koi Deewana Teh-e-Khaak Tarapta Hoga.

 

Zalzala Youn Hi To Nahi Aata.....!!!

.

Koi Deewana Teh-e-Khaak Tarapta Hoga....!!!


Maza Jab Aata Khud Ko Bulbul Ke Roo Ba Roo Karte, Wo Bhi Gul Ki Hum Bhi Gul Ki Aarzoo Karte,

Poet:Ayaz Khan

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

Maza Jab Aata Khud Ko Bulbul Ke Roo Ba Roo Karte,

Wo Bhi Gul Ki Hum Bhi Gul Ki Aarzoo Karte,


Kaash Koi Dilbar Humara Bhi Aisa Hota,

Wo Dil Ko Torta Hum Dil Ko Rafoo Karte,


Ye Hasrat Thi Hum Bhi Shahid-e-Mohabbat Hote,

Khoon-e-Dil Se Ghusal Khaak Se Wazoo Karte,


Wo Labon Se Jab Bhi Sharaab-e-Jaan Pelate,

Hum Deewana War Be-Khudi MeinSaboo Saboo Karte,


Hoti Agar Na Gul Cheen Ko Adawat Gulon Se,

AYAZ Gul Bhi Is Chaman Mein Khoshboo Karte......!

 

December Ka Koi Yakh Basta Din Tha, Main Eourap K Nihayat Door Afada Ilaqe Ki

Poetess Parveen Shakir

December Ka Koi Yakh Basta Din Tha,
Main Eourap K Nihayat Door Afada Ilaqe Ki,
Kisi Weeran Tairaan Gaa Mein,
Bilkul Akeli Bench Par Bethi Thi,
Ilan-E-Safar Ki Muntazir Thi,
Jahan Tak Aankh Sheeshe K Udhar Jati,
Udasi Se Gale Milti,
Musalsal Barf Baari Ho Rahi Thi,
Achanak Main Ne Apne Se Mukhatib,
Bahut Manoos Ek Awaz Dekhi,
Aap Kaisi Hain...?
Akeli Hain....?
Ghane Baalon Chamakti Bhoori Aankhon,
Dilnasheen Baton Se Pur,
Wo Pur Kashish Larka Kahan Hai...?
Aap Dono Sath Kitne Ache Lagte Thay,
Mere Chehre Pe Ek Saya Sa Lehraya Tha
Shayad,
Wo Aage Kuch Nahi Bola,
Mera Dil Dukh Se Kaisa Bhar Gia Tha,
Magar Teh Mein Khushi Ki Lehar Bhi Thi,
Purane Log Abhi Bhoole Nahi Hum Ko,
Humain Bichre Agar Chay,
Aaj Sola(16) Saal To Hone Ko Aaye........!

 

Gawahi Kaise Tootti Muamla KHUDA Ka Tha. Mera Aur Us Ka Rabt To Hath Aur Dua Ka Tha.

Poet: Parveen Shakir

Typ By
*.__Ayaz Khan__.*

Gawahi Kaise Tootti Muamla KHUDA Ka Tha.

Mera Aur Us Ka Rabt To Hath Aur Dua Ka Tha.

Gulab Qimat-E-Shaguft Sham Tak Chuka Saka.

Ada Wo Dhoop Ko Howa Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha.

Bikhar Gia Hai Phol To Humeen Se Pooch Guch Hoi.

Hisab Baghbaan Se Hai Kia Dhara Hawa Ka Tha.

Lahoo Chasheedah Hath Us Ne Choom Kar Dekha Dia.

Jaza Wahan Mili Jahan K Marhala Saza Ka Tha.

Jo Barishon Se Qabal Apna Rizq Ghar Bhar Chuke.

Wo Shehr-E-Mor Se Na Tha Pe Door Been Bala Ka Tha...........!

 

Ek Shakhs Ko Sochti Rahi Main. Phir Aaina Dekhne Lagi Main

Poetess: Parveen Shakir

Typ By
*.__Ayaz Khan__.*

Ek Shakhs Ko Sochti Rahi Main.

Phir Aaina Dekhne Lagi Main.

Us Ki Tarha Apna Naam Le Kar.

Khud Ko Bhi Lagi Nai Nai Main.

Too Mere Bina Na Reh Saka To.

Kab Tere Baghair Jee Saki Main.

Aati Rahi Ab Kahein Se Aawaz.

Ab To Tere Pas Aa Gai Main.

Daman Tha Tera K Mera Maatha.

Jo Dagh Bhi Thay Mita Chuki Main....................!

 

Kainat K Khaliq Dekh Too Mera Chehra. Aaj Mere Honton Par Kaisi Muskurahat Hai.

Poetess: Parveen Shakir

Typ By
*.__Ayaz Khan__.*

Kainat K Khaliq Dekh Too Mera Chehra.

Aaj Mere Honton Par Kaisi Muskurahat Hai.

Aaj Meri Aankhon Mein Kaisi Jagmagahat Hai.

Meri Muskurahat Se Tujh Ko Yad Kia Aaya.

Meri Bheegi Aankhon Mein Tujh Ko Kuch Nazar Aaya.

Iss Haseen Lamhe Ko Too To Janta Ho Ga.

Iss Samay Ki Azmat Ko Too To Manta Ho Ga.

Han Tera Gumaan Such Hai Han K Aaj Mein Ne Bhi. 

Zindagi Janam Di Hai..........!

 

Youn Chahe Khizaan Khari Ho Dil Mein. Ek Aas Ki Pankhri Ho Dil Mein

Poet: Parveen Shakir

Typ By
*._Ayaz Khan_.*

Youn Chahe Khizaan Khari Ho Dil Mein.

Ek Aas Ki Pankhri Ho Dil Mein.

Kia Nakhun-E-Muhar-O-Mah Se Katti.

Jais Shab Ki Gaira Parri Ho Dil Mein.

Wo Samane Ho To Maarka Aur.

Jang Us Se Alag Larri Ho Dil Mein.

Us Naam Pe Muskaraye Jaana.

Ashkon Ki Magar Jharri Ho Dil Mein.

Masloob Nahi Magar Ye Ehsaas.

Ek Meekh Abhi Garri Ho Dil Mein......!
                Book: Khud Kalami

 

Be Basi K Raste Par Kia Ajab Duraha Hai, Aik Samat Be Samati, Be Charagh Tareek

Poet: Parveen Shakir

Typ By
*._Ayaz Khan_.*

Be Basi K Raste Par Kia Ajab Duraha Hai,

Aik Samat Be Samati,

Be Charagh Tareeki,

Be Libaas veerani,

Be Lehaaz Ruswai,

Be Savaad Qurbani,

Hasht Pa Ye Tanhai,

Aazzdari Pazeerai,

Gurgh Zaad Gham Khawari,

Be Kanaar Rod Bahi,

Aur Dusri Janab,

Qalla Band Chahat Mein,

Dil Ki Aabroo Reezi.........!

Book:Khud Kalami

 

Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab Na Ho, Sawal Karne Dia Jaye Aur Jawab Na Ho

Poetess Parveen Shakir

Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab Na Ho,

Sawal Karne Dia Jaye Aur Jawab Na Ho,

Agar Khaloos Ki Dolat K Goshware Banein,

To Sheir Bhar Mein Koi Shab-E-Nasaab Na Ho,

Zameen Apni Mohabbat Mein Begharz To Nahi,

Ye Aur Bat K Har Hath Ka Hisab Na Ho,

Charagh Taaq-e-Tamana Main Rakh K Bhool Gai,

Dua Wo Mang Rahe Thay Jo Mustajab Na Ho,

Kabhi Na Tang Ho Us Par Zameen Ka Daman,

Ameer-E-Sheir Agar Aasman Janab Na Ho,

Humare Qeht Bhi Aur Barshain Bhi Poori Hoi,

Hamare Naam Ka Ab To Koi Azab Na Ho,

Ye Chashm-E-Nam Hai Isay Khushk Dekh Bhal K Kar,

Hari Bhari Koi Basti Hi Zair Aab Na Ho,

Bas Ek Naam Ka Tara Sada Chamakta Rahe,

Gila Nahi Jo Muqdar Mein Mahtab Na Ho....................!

 

Ishq Mein Bhi Marna Itna Aasan Nahi. Zaat Ko Rad Karna Itna Aasan Nahi.

Poet Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Ishq Mein Bhi Marna Itna Aasan Nahi.

Zaat Ko Rad Karna Itna Aasan Nahi.

Mujh Mein Aysi Hi Khami Dekhi Us Ne.

Tark-E-Wafa Warna Itna Aasan Nahi.

Aik Dafa To Pas-Masiha Kar Jaye.

Zakham Ka Pher Bharna Itna Aasan Nahi.

Jane Kab Shurat Ka Zeena Dhaa Jaye.

Paon Yahan Dharna Itna Aasan Nahi.

Marne Ki Dehshat To Sub Ne Dekhi Hai.

Jeene Se Darna Itna Aasan Nahi.........!

            Book: KHUD KALAMI

 

Humara Ye Tum Ko Salam Aakhri Hai Suno Aaj Tum Se Kalaam Aakhri Hai

Poetess:Parveen Shakir

Humara Ye Tum Ko Salam Aakhri Hai

Suno Aaj Tum Se Kalaam Aakhri Hai

Tere Naam Se jo rooz piya karte they jana

Teri kasam aaj wo jaam aakhri hai

Aaj k baad na milonga buhat door chala jaonga

Tujh ko ye dena pegham aakhri hai

Chora jo mujhe to besakhta wo bool uthey

Jao ye lejao sanam hamara inaam aakhri hai

Shayad na reh paonga dunya me ab

Lag raha hai mujhe ye shaam aakhri hai.

 

Rukne Ka Same Guzar Gia Hai. Jana Tera Ab Thher Gia Hai.

Poet: Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Rukne Ka Same Guzar Gia Hai.

Jana Tera Ab Thher Gia Hai.

Rukhsat Ki Gharri Kharri Hai Sar Par.

Dil Koi Do Neem Kar Gia Hai.

Matam Ki Faza Hai Shehr-E-Dil Mein.

Mujh Mein Koi Shakhs Mar Gia Hai

Bujne Ko Hai Pher Se Chashm-E-Nargis.

Pher Khawab-E-Saba Bekhr Gia Hai.

Bas Aik Niga Ki Thi Us Ne.

Sara Chehra Nikhar Gia Hai......!

                 Book: INKAAR

 

Wo Hum Nahi Jinhein Sehna Ye Jabar Aa Jata. Teri Judai Mein Kais Tarah Sabar Aa Jata

Poetess: Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Wo Hum Nahi Jinhein Sehna Ye Jabar Aa Jata.

Teri Judai Mein Kais Tarah Sabar Aa Jata.

Faseelen Toorr Na Daite Jo Ab K Ehl-E- Qafs.

To Aur Tarah Ka Elaan-E-Jabar Aa Jata.

Wo Fasla Tha Dua Aur Mastajabi Mein.

K Dhoop Mangne Jate To Abar Aa Jata.

Wo Mujh Ko Chorr K Jais Aadmi K Pass Gia.

Barbri Ka Bhi Hota To Sabar Aa Jata.

Wazeer-O-Shah Bhi Khas Khanon Se Nikal Aate.

Agr Gumman Mein inkar-E-Qabar Aa Jata........!

                  Book: INKAAR

 

Mujh Gul Ko Hum Aawaz Nahi Kar Sakte. Din Tere Nam Se Aaghaz Nahi Kar Sakte

Poet: Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Mujh Gul Ko Hum Aawaz Nahi Kar Sakte.

Din Tere Nam Se Aaghaz Nahi Kar Sakte.

Is Chaman Zaar Mein Hum Sabz Begana Sahi.

Aap Hum Ko Nazar Andaz Nahi Kar Sakte.

ishq Karna Hai To Pher Sara Asasa Lain.

is Mein To Kuch Bhi Pas Andaz Nahi Kar Sakte.

Dukh Punchta Hai Bahut Dil Ko Rawaye Se Tere.

Aur Madawa Tere Alfaaz Nahi Kar Sakte.

ishq Mein Ye Bhi Khula Hai K Uthana Gham Ka.

Kaar-E-Dushwaar Hai Aur Baaiz Nahi Kar Sakte........!

                   Book: INKAAR

 

Khula Hai Aaj Dil-E-Lala-Faam Kis K Liye. Wo Ja Chuka Hai To Aai Hai Shaam Kais K Liye

Poetess: Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Khula Hai Aaj Dil-E-Lala-Faam Kis K Liye.

Wo Ja Chuka Hai To Aai Hai Shaam Kais K Liye.

Jo Phol Khele Thay Wo Rakh Ho Chuke Hon ge.

Naseem-E-Subh Ko Ab Azaan-E-Aaam Kais K Liye.

Wo Gul Ghadar Nahi Ho Ga Ab Chaman Aara.

Sabba K Hath Salam-O-Payaam Kais K Liye.

Wo May Gasaar To Aye Bada-E-No Bahaar Gia.

Sharb-E-Surkh Se Bharti Hai Jaam Kais K Liye.

Bahut Se Log Thay Mehman Mere Ghar Lekin.

Wo Janta Tha K Hai Ehtamam Kais K Liye......!

                    Book: INKAAR

 

Jashan Sa Aath-Pehar Dil Mein Hai. Kitni Yaadon Ka Shehr Dil Mein Hai.

Poetess: Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Jashan Sa Aath-Pehar Dil Mein Hai.

Kitni Yaadon Ka Shehr Dil Mein Hai.

Tujh Se Milne Ki Sar-Khushi K Sath.

Aik Udasi Ki Lehar Dil Mein Hai.

Hai Azal Se Rukh-E-Falak Nila.

Kais Qayamat Ka Zehar Dil Mein Hai.

Dhop Nikli Hoi Hai Baraf K Baad.

Kon Ye Subh Chehr Dil Mein Hai.

Khushk Hoti Nahi Kisi Musam.

Gham Ki Ek Aysi Nehr Dil Mein Hai.

Haif Hai Aysi Meezbani Par

Hasrat-E-Sair-E-Dahar Dil Mein Hai......!

               Book : Kaf e Aina

 

Us Se Milna Hi Nahi Dil Mein Thiya Kar Lain. Wo Khud Aaye To Bahut Sard Apna Ravia Kar Lain

Poetess: Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Us Se Milna Hi Nahi Dil Mein Thiya Kar Lain.

Wo Khud Aaye To Bahut Sard Apna Ravia Kar Lain.

Aik Hi Bar Ye Ghar Raakh Ho, Jaan To Chhote.

Aag Kam Hai To Hawa Aur Muhaiya Kar Lain.

Kia Zamanat Hai K Wo Chand Utar Aaye Ga.

Taar-E-Mzgaan Ko Agr Aqad-E-Suria Kar Lain.

Saans Ukhrr Jata Hai Ab waqat Ki Hum Kalami Mein.

Jee Mein Aata Hai K Hum Paon Ko Pahaiya Kar Lain.

Koi Puche K Zubaan Kia Hai Teri To PARVEEN.

Waqt Aysa Hai K Behtar Hai K Taqeea Kar Lain....!

               Book: INKAAR

 

Kia Bat Hai Jais Ka Gham Bahut Hai. Kuch Din Se Ye Aankh Nam Bahut Hai.

Poetess : Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Kia Bat Hai Jais Ka Gham Bahut Hai.

Kuch Din Se Ye Aankh Nam Bahut Hai.

Mil Leta Hai Guftago Ki Had Tak

Atna Hi Tera Karam Bahut Hai.

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthai Ga.

Dheleez Pe Ek Qadam Bahut Hai.

Mil Jaye Agr Teri Rafqat.

Mujh Ko To Yehi Janam Bahut Hai.

Kia Shab Se Humen Sawal Karna.

Hona Tera Subh Dam Bahut Hai.

Kion Bujhne Lage Charag Mere.

Ab K To Hawa Bhi Kam Bahut Hai.

Chop Kion Tujhe Lag Gai Hai PARVEEN.

Sunte Thay K Tujh Mein Raim Bahut Hai.....!

                      Book : INKAAR

 

Pocha Jo Hall To Muskura K Ro Pari Apna Hath Mere Hath Main Thama K Ro Pari

Poetess Parveen Shakir

Pocha Jo Hall To Muskura K Ro Pari

Apna Hath Mere Hath Main Thama K Ro Pari

Wo Nadan Bholi Si Larki Nahi Janti Kia Hai

Us Ka Roop Saroop Kundan Nahi To Kia Hai

Us Ko Nahi Khabr K Us Ki Nahi Misal
Deshat Ka Husn Bhi Us K Aagay Kia Hai

Wo Apna Paak Daman Nechor De To Hoorain

Hasool-E-Aab Ki Khatir Na Lar Parin To Aur Kia Hai

Wo Ghar K Kisi Kone Mein Gum Sum Simti Bethi Hai

Us Ko Nahi Khabr K Haqeeqat Aur Kia Hai

Us Ki Ada Aisi Hai K Mosam Badal K Rakh De

Wo Hanste Hanste Ro De Koi Poche Akhir Kia Hai

Sharmeeli To Aisi K Khud Se Bhi Sharma Jaye

Pallo Daba K Munh Mein Ghabra K Bole Kia Haia

Us Ko Kahein Pari To Uski Toheen Ho Gi

Par Pariyan Chehek Uthain Gi Wah Un Ka Naseeb Kia Hai,

Sera To Aisi Hai ke Qurban ho Jay Har Shakhs,

Ya Mere Khuda Us Par Inaam Nahi To Kia Hai,

Ye Haqeeqat Hai K Tarq-E-Deeda-E-Zan Se Horain Mile Gi,

Wo Samne Aaye To Horon Ki Talab Hai Kia.............!

 

Apne Saye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Kar Rona, Jab Bhi Rona Ho To Charaghon Ko Bhuja Kar Rona

Poetess Parven Shakir

Apne Saye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Kar Rona,

Jab Bhi Rona Ho To Charaghon Ko Bhuja Kar Rona,

Log Parh Lete Hain Chehre Pe Likhi Sab Batain,

Bara Mushkil Hai Logon Se Chupa Kar Rona,

Hath Bhi To Wo Shakhs Mila Kar Na Gaya,

Jis Ko Chaha Tha Seene Se Laga Kar Rona,

Yad Aata Hai To Tanhai Mein Ro Deti Hon,

Apni Ye Aadat Nahi Logon Ko Dekha Kar Rona,

Aik Aadat Nahi Aaj Tak Badli Meri,

Us Ki Tasveer Ko Seene Se Laga Kar Sona...................!

 

Agar Sehra Se Guzro To Mere Sahir Se Keh Dena, Tumhari Besabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai,

Poetess Parveen Shakir

Agar Sehra Se Guzro To Mere Sahir Se Keh Dena,

Tumhari Besabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai,

Mere Sahir Se Keh Dena Musafir Aaj Tak Chup Hai,

K Us K Hath Mein Tum Ne Jo Apna Hath Rakha Tha,

Wo Ab Tak Yad Karta Hai,

Mere Sahir Se Keh Dena K Sadion Ki Musafat Ne,

Mere Pairon Se Bandhi Hai

Thakan Ab K Baras Itni,

K Apni Doobti Nabzon Se

Main Khaif Sa Rehta Hon,

Na Jane Kab Kahan Pe

Umar Ki Ye Dor Kat Jaye,

Main Apne Aur Tumhare Beech K In
Fasloon Ko,

Chand Sanson Ki Kami Se Haar Na Jaon,

Bisat-E-Jan Par Phaili Doorion K,

Bojh Ko Le Kar Yonhi Mar Jaon,

Mere Sahir Se Keh Dena K Us K Ishq K Tilsam Se,

Ab Tak Vo Nahi Nikle K Jin Ko Us Ki
Aankhon Ne,

Faqat Ek Bar Dekha Tha Mere Sahir Se Keh Dena,

K Sare Shehar Ko Mere Youn Hi Pathar Na Rehne De,

Mere Tilsam Kadon Mein Lout Kar Aaye,

K Wo Pathar Taraste Hain

Tumhari Chashm Ki Jumbish,

Unhain Ek Bar Phir Kar De

Kisi Zee Rooh Ki Manind,

Mere Sahir Se Keh Dena Bichar Kar Tum Jo Milte Thay,

To Youn Mehsoos Hota Tha K Jaise Marg K,

Dhundle Kinaron Tak Pahunchate Hi,

Adhoora Kaam Koi Zindagi Ko Yad Aa Jaye,

Mere Sahir Se Kaho Phir Se Chala Aaye,

K Us K Lout Aane Se Humari Doobti
Nabzoo Ko,

Phir Se Sans Aa Jaye,

Agar Sehra Se Guzro To

Mere Sahir Se Keh Dena,

Agar Jangle Se Guzro To

Mery Jugno Se Keh Dena,

Tumhari Be Sabab Doori

Mujhe Aksar Rulati Hai,

Meri Shamain Andheri Hain,

Meri Ratain Bhi Teri Hain,

Mere Sab Taaq Khali Hain,

Meri Aankhain Sawali Hain,

Mere Jugno Se Keh Dena

Mohabbat Aaj Tak Chup Hai,

K Is K Hath Mein Us Ne Jo Dehka Dagh Rakha Tha,

Wo Ab Tak Bat Karta Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Mere Jazbon Ne Rahon Mein,

Mohrain Rook Rakhi Hain,

Inhain Izn-E-Safar De Do,

Inhain Dil Se Guzarne Do,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Meri Aankhon Ko Qum Keh Do,

Ye Umron Se Youn Hi Bejan Hain,

Khawabon K Madfan Mein,

Inhain Phir Se Jila De Do,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Ghamon Ne Raag Charha Hai,

Aziyat Raqs Karti Hai,

Meri Tanhai Ka Charcha

Daron-E-Zaat Phaila Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena

Faqat Us Ki Kami Ne,

Zindagi Mein Sog Rakha Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Kion Jungle Mein Bhatakta Hai,

Kion Khud Ko Rok Rakha Hai,

Tumhari Be Sabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai,

Agar Jungle Se Guzro To,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Agar Sehra Se Guzro To,

Mere Sahir Se Keh Dena,
Mere Sahir Se Keh Dena...........!

 

Phool Pe Aa K Jo Baithi Khud Pe Itrana Bhool Gai, Aysi Mast Hoi Wo Titli K Par Phailana Bhool Gai

Poetess Parveen Shakir

Phool Pe Aa K Jo Baithi Khud Pe Itrana Bhool Gai,

Aysi Mast Hoi Wo Titli K Par Phailana Bhool Gai,

Ayse Khila Wo Phool Sa Chehra,

Phaili Sare Ghar Mein Khushbo,

Khat Ko Chupa Kar Parhne Wali

Raaz Chupana Bhool Gai,

Apne Purane Khat Lene Wo Aai Thi Mere Kamre Mein,

Maiz Pe Do Tasveerain Dekhi Khat Le
Jana Bhool Gai,

Barson Baad Mile To Aysi Piyas Bhari Thi In Honton Mein,

Bhool Gia Main Bat Batana
Aur Wo Sharmana Bhool Gai...................!

 

Aata Hai Wo Khayal Mein Kuch Bolta Nai..* Takta Hai Mujh Ko Pyar Se Lab Khoulta Nahi

Poetess : Parveen Shakir

Aata Hai Wo Khayal Mein Kuch Bolta Nai..*

Takta Hai Mujh Ko Pyar Se Lab Khoulta Nahi..*

Sar Tapaa Hai Wo Husan Ka Ek Bemisal Bahut..* 

Urna Bhi Chahata Hai Wo Par Toulta Nahi..*

Aayna Jamal Mein Jis Ki Shabeeh Hai..*

Wo Mere Dil Ko Muthi Mein To Rolta Nahi..*

Ek Umar Se Ho Apne Hi Dam-3-Faraib Mein..*

Aksar Mein Dol Jati Hon Wo Dolta Nahi..*

Wo Koi Ayina Hai K Koi Mujasma..*
Mein Us Se Bat Karti Hon Wo Bolta Nahi..*

Us Ki Tasaworaat Se Hai Bahut Khush Dua..*

Ek Dil Mein Us Ka Aks Hai Jo Dolta Nahi.....................!

 

Door Reh Kar Kareeb Kitne Hain, Ye Fasle Bhi Ajeeb Kitne Hain

 ========
         SHIKWAY
                ========

Poetess : Parveen Shakir

Door Reh Kar Kareeb Kitne Hain,

Ye Fasle Bhi Ajeeb Kitne Hain,

Dard-E-Dil Ki Dawa Nahi Warna,

Is Jahan Mein Tabeeb Kitne Hain,

Umar Bhar Jo Sath Rahe Tere,

Us K Ache Naseeb Kitne Hain,

Kion Nahi Aati Mein Tere Sapno Mein,

Mere Shikwe Bhi Ajeeb Kitne

Hain...........!

 

Bahut Roya Wo Hum Ko Yad Kar K, Humari Zindagi Barbad Kar K,

Poetess Parveen Shakir

Bahut Roya Wo Hum Ko Yad Kar K,

Humari Zindagi Barbad Kar K,

Palat Kar Phir Yehien Aa Jain Gay Hum,

Wo Dekhe To Humain Azad Kar K,
Rehai Ki Koi Sorat Nahi,

Magar Haan! MiNnat-E-Saiyad Kar K,

Badan Mera Choowa Tha Us Ne Lekin,

Gia Hai Rooh Ko Aabad Kar K,

Har Amar Toul Dena Chahta Hai,

Muqarar Zulam Ki Miaad Kar K................!

 

Mohabbat Tum Se Hai Ye Manti Hon Main, Chahat Bas Tumhari Hai Ye Janti Hon Main

Poetess Parveen Shakir

Mohabbat Tum Se Hai Ye Manti Hon Main,

Chahat Bas Tumhari Hai Ye Janti Hon Main,

Aao Apni Zaat K Us Pehlo Se Milaon Tumhain,

Main Kia Hon Aur Kon Hon Ye Bataon Tumhain,

Mein Apni Maaan Ki Tarbiyat Mein Dhalla Ek Sancha Hon,

Apne Baba Ki Umeedon Se Pur Aik Khaka Hon Main,Apne Bhai Ki Ghairat Hon,

Ye Janti Hon Main Is Ghar Ki Izat Hon Ye Manti Hon Main,

To Phir Behak Jaon Phir Maiin Ye Mumkin Hi Nahi,

Rishte Aur Bhi To Hain Sirf Tum Hi To Nahi,

Mohbabbat Unhai Bhi Hai Sirf Tum Ko To Nahi.............!

 

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hon, Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hon,

Poetess Parveen Shakir

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hon,

Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hon,

Ye To Hai K Mera Weham Hai,

Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hon,

Jaise K Kabhi Na Tha Taaruf,

Youn Milte Howe Jhijak Rahi Hon,

Pehchan Main Teri Roshni Hon,

Aur Teri Palak Palak Rahi Hon,

Kia Chain Mila Hai Sar Jo Us K,

Shano Pe Rakhe Sisak Rahi Hon,

Pathar Pe Khili K Chasham Gul Mein,

Kante Ki Tarah Khatak Rahi Hon,

Jugno Kahein Thak K Gir Chuka Hai,

Jangal Mein Kahan Bhatak Rahi Hon,

Guria Meri Soch Ki Channi Kia,

Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hon,

Ek Umar Hoi Khud Se Larte,

Andar Se Tamam Thak Rahi Hon,

Rass Phir Se Joron Mein Ja Raha Hai,

Mein Shak Pe Kab Se Pak Rahi Hon,

Takhleeq-e-Jamal-e-Fun Ka Lamha,!

Kalyon Ki Tarah Chatakh Rahi
Hon........................!

Khushi Ki Bat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hon, Teri Awaz Ka Chehra Main Choo K Dekh Sakti Hon

Poetess Parveen Shakir

Khushi Ki Bat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hon,

Teri Awaz Ka Chehra Main Choo K Dekh Sakti Hon,

Abhi Tere Labon Pe Zikar Fasl-e-Gul Ka Nahi Aaya,

Magar Ek Phool Khilte Apne Andar Dekh Sakti Hon,

Mujhe Teri Mohabbat Ne Ajab Ek Roshni Bakshi,

Mein Is Dunia Ko Ab Pehle Se Behtar Dekh Sakti Hon,

Kinara Dundhne Ki Chah Tak Mujh Mein Nahi Ho Gi,

Mai Apne Gird Ek Aisa Samandar Dekh Sakti Hon,

Khayal Aata Hai Aadhi Rat Ko Jab Bhi Tera Dil Mein,

Utarata Ek Saheefa Apne Opar Dekh Sakti Hon,

Wisal-o-Hijar Ab Yaksan Hain,

Wo Manzil Hai Ulfat Mein Main Aankhain Ban Kar K,

Tujh Ko Aksar Dekhti Hon..........!

Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mohaal Kar Dia Ishq K Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kar Dia

Poetess Parveen Shakir

Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mohaal Kar Dia

Ishq K Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kar Dia

Aye Meri Gul Zameen Tujhe Chah Thi Ek Kitab ki

Ehl-e-Kitab Ne Magar Kia Tera Haal Kar Dia

Milte Howe Dilon K Beech Aur The Faisla Koi

Us Ne Magar Bicharte Waqt Aur Sawal Kar Dia

Ab K Hawa K Sath Hai Daman-E-Yar Muntazir

Bano-E-Shab K Hath Mein Rakhna Sanmbhal Kar Dia

Mumkina Faislon Mein Ek Hijar Ka Faisla Bhi Tha

Hum Ne To Ek Bat Ki Us Ne Kamal Kar Dia

Mere Labon Pe Mohar Thi Par Mere Sheesha Roo Ne To

Shehr K Shehr Ko Mera Waqif-E-Haal Kar Dia

Chehra-O-Naam Ek Sath Aaj Na Yad Aa Sake

Waqt Ne Kis Shabeeh Ko Khawab-O-Khayal Kar diya

Muddaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila Kia

Mansab-E-Dilbari Pe Kia Mujh Ko Bahal Kar Dia..............!

 

Main Apni Dosti Ko Shehr Mein Ruswa Nahi Karti, Mohabbat Mein Bhi Karti Hon Magar Charcha Nahi Karti,

Poetess Parveen Shakir

Main Apni Dosti Ko Shehr Mein Ruswa Nahi Karti,

Mohabbat Mein Bhi Karti Hon Magar Charcha Nahi Karti,

Jo Mujh Se Milne Aa Jaye Main Us Ki Dil Se Khadim Hon,

Jo Utth K Jana Chahe Main Usay Roka Nahi Karti,

Jisay Main Chor Deti Hon Usay Phir Bhool Jati Hon,

Phir Us Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahi Karti,

Tera Israr Sir Aankhon Pe K Tum Ko Bhool Jaon Main,

Main Koshish Kar K Dekhon Gi Magar Wada Nahi Karti........................!

 

Ab Bhi Sambhlo Buri Hai Be Baki, Gai Guzri Haya Nahi Aati

Poet Dagh Dehlvi
Ab Bhi Sambhlo Buri Hai Be Baki,
Gai Guzri Haya Nahi Aati,
Ghamze Aate Hain Naz Aate Hain,
Aik Tum Ko Wafa Nahi Aati,
Shikwa Be Ja Hai Khair Youn Hi Sahi,
Tum Ko Har Giz Jafa Nahi Aati,
Wo Jhuke Hain Sambhalne K Liye,
Hath Zulf Rasa Nahi Aati,
Wo Ye Kehte Hain Tum Sikhao Humain,
Hum Ko Tarz-E-Wafa Nahi Aati,
Koi Mar Jaye Hijar Mein Kion Kar,
Zindagi Bhar Qaza Nahi Aati,
Us Gali Mein Saba Ko Bheja Hai,
Ya Too Aati Hai Ya Nahi Aati?
Un Se Karna Para Sawal Jinhain,
Bat Naam Khuda Nahi Aati,
Hoor Par Ye Tabiat Aye Wa'az,
Tujh Se Keh Dia Nahi Aati,
Hai Adam Mein Bhi Dil Lagi Kaisi,
Phir Khalq-E-Khuda Nahi Aati,
Sadgi Ne Kia Hai Kaam Tamam,
Abhi Un Ko Ada Nahi Aati,
Hum Nahi Soonghte Kabhi Wo Phool,
Jis Mein Boo-E-Wafa Nahi Aati,
Nahi Aasan Jan Se Jana,
Marte Marte Qaza Nahi Aati,
Dil Se Aati Thi Aahh Ki Awaz,
Ab To Wo Bhi Sadaa Nahi Aati,
Kab Samjhte Hain Un Ko Wo Mashooq,
Jis Ko Tarz-E-Jafa Nahi Aati,
Kis Ne Taskheer Ki Dam Aakhir,
Mere Lab Par Dua Nahi Aati,
Tere Aashiq Ka Haaye Ehd-E-Shabaab,
Mout Bewaqt Kia Nahi Aati,
Harf Matlab Kaha To Kion Bigre,
Bat Kehne Mein Kia Nahi Aati,
Tum Wafadar Kis Ko Samjhe Ho,
Har Kisi Ko Wafa Nahi Aati,
Qasd But Khana Kion Kia Aye Dagh,
Sharm Mard-E-Khuda Nahi Aati......! 

Aankh Se Girti Hai Khoon-E-Dil Afgar Ki Boond Us K Humsar Ho Kahan Abar Gehr Baar Ki Boond

Poet Dagh Dehlvi
Aankh Se Girti Hai Khoon-E-Dil Afgar Ki Boond
Us K Humsar Ho Kahan Abar Gehr Baar Ki Boond,
Sehan Gulshan Mein Hai Maye Peene Ka Saqi Jab Lutf,
Parti Ho Koi Abar Gehr Bar Ki Boond,
Zahid Chashma-E-Kosar Ho Mubarik Tujh Ko,
Hum Ko Kafi Hai Khana Khumar Ki Boond,
Sharbat-E-Khizar Ko Moonh Bhi Na Lagaon Har Giz,
Ho Muyasar Jo Luab-E-Dahn Yar Ki Boond,
Na Seha Jante Hain Ehl-E-Nazar Hai Us Ko,
Lal Hai Asal Mein Us Deed-E-Nabar Ki Boond,
Hai Mushaba Dil Weeran Si Humari Kia Kia,
Jis Zameen Par Na Pari Abar Gahr Bar K Boond,
Tab Anjum Ki Dekhati Hai Falak Ban K Zameen,
Khushk Hoti Nahi Gir Kar Arq-E-Yar Ki Boond,
Subha Gulshan Mein Jo Wo Mehr Laqa Aata Hai,
Khushk Hoti Hai Har Ek Shabnam-E-Gulzar Ki Boond,
Ho Gia Khushk Laho Dekhte Hi Qatil Ko,
DAGH Tabki Na Mere Khoon Tan Raz Ki Boond.....! 

Mashooq Ka Khat Aur Us Ka Jawab Mujh Ko Likha K Aye Mere Betab, Din Ko Be Chain Rat Ko Be Khawab

Poet Dagh Dehlvi
Typed By
Khan61, UJRA_DIL
Mashooq Ka Khat Aur Us Ka Jawab
Mujh Ko Likha K Aye Mere Betab,
Din Ko Be Chain Rat Ko Be Khawab,
Aye Pareshan-O-Muztar-O-Nashaad,
Tere Dil Mein Rahi Humari Yad,
Aye Sazawaar Joor Be Taqseer,
Aye Talab Gaar Lazat-E-Ta'eer,
Tazgi Bakhsh Naam Zoq-O-Naseer,
Rash Soda-O-Dard-O-Momin-O-Meer,
Aye Sukhan Goo-E-Esvi Ijaz,
Aye Sukhan Sanj Samri Andaz,
To Girftar Band Zulf Rahe,
Dil Aseer Kamand-E-Zulf Rahe,
Dard-E-Ulfat Se Lab Pe Shewan Ho,
Meri Kakal Ho Teri Gardan Ho,
Nawak Naz Ka Shikar Rahe,
Taigh Abroo Se Dil Fugar Rahe,
Lab-E-Mojza Bayan Se Dam Nikle,
Tere Dil Se Na Mera Gham Nikle,
Ho Mubarik Ye Pyara Pyara Ishq,
Raas Aaye Tujhe Humara Ishq...*
Hum Nai Bat Roz Sunte Hain,...*
Taza Ek Wardaat Sunte Hain...*
Koi Kehta Hai Beqarar Tumhain...*
Koi Kehta Hai Ashkbar Tumhain...*
Koi Kehta Hai Chup Lagi Hai Unhain...*
Sakhat Dushwar Zindagi Hai Unhin...*
Khate Hain Peete Hain Na Sote Hain...*
Muft Ro Ro K Jan Khote Hain...*
Koi Kehta Hai Naale Karte Hain...*
Koi Kehta Hai Tum Pe Marte Hain...*
Bhar Gaye Kaan Haal Sun Sun Kar...*
Zikar Ranj-O-Malaal Sun Sun Kar...*
Sun K Ye Haal Har Zabaan Se Hum...*
Laain Pathar Ka Dil Kahan Se Hum...*
Yad Hai Qaol Us Zamane Ka...*
Tum Ne Wada Kia Tha Aane Ka....*
Kis Se Mil Kar Tum Khushi Mein Phool Gaye...*
Tum Yaka Yak Jo Hum Ko Bhool Gaye...*
Barre Khush Khalq-O-Neik Ho Tum To...*
Dili Walon Mein Aik Ho Tum To...*
Log Kehte Hain Wo Tarapte Hain Wo...*
Aise Hote Hain Jo Tarapte Hain...*
Chain Se Apne Ghar Mein Rehte Ho...*
Bazm Wala Gehr Mein Rehte Ho...*
Uth K Seedhe Idhar Chale Aao...*
Koi Roke Magar Chale Aao...*
Reil Mein Itni Door Aana Kia...*
Kaar Sarkaar Ka Bahana Kia...*
Hum Bulain Na Aain Aap Che Khush...*
Aur Us Par Rahe Milab Che Khush...*
Har Jaga Seir Gaa Aalam Hai...*
Aaj Us Par Nigah-E-Aalam Hai...*
Mehmaan Tum Ho Mezban Hum Hon...*
Aish-O-Ishrat K Lutf Baham Hon...*
Jab Kisi Ne Talab Kia Aaye...*
Aaye Bachtawa K Phir To Kia Aaye...*
Dilbaron Se Dagha Nahi Karte...*
Aise Ehl-E-Wafa Nahi Karte...*
Gar Kisi Aur Raah Se Ho Ga...*
Uzar Badtar Gunah Se Ho Ga...*
Nama-E-Dilnawaz Jab Aaya...*
Main Ne Socha Ye Kia Ghazab Aaya...*
Dil To Kehta Tha Sar K Ball Chaliye...*
Jis Tarha Ho Sake Nikal Chaliye...*
Shakal Chalne Ki Aah Kuch Na Bani...*
Waza Thi Sar-E-Raah Kuch Na Bani...*
Kaar Sarkaar Ne Jo Aa Ghera...*
Qadam Uth Uth K Rah Gia Mera...*
Milti Hai Kaam Se Kahein Fursat....*
Mujh Ko Marne Ki Bhi Nahi Fursat....*
Rat Din Ranj Mein Guzarti Hai....*
Ek Sash-O-Panj Mein Guzarti Hai....*
Ozar Kijiye Ye Bat Mushkil Hai....*
Chahiye To Nijat Mushkil Hai....*
Nukte Nukte Pe Hai Khayal Usay...*
Ho Na Jaye Kahein Malaal Usay...*
Aafat-E-Rozgar Aik Taraf...*
Us K Dil Ka Ghubar Aik Taraf...*
Manzil Dost-O-Dar Itni Hai...*
Reil Bhi Thak K Cheekh Uthti Hai.....*
Shakal Kaisi Parre Khuda Maloom....*
Kia Howa Anjaam Kaar Kia Maloom.....*
Sochta Tha Jawab Kia Likhon.....*
Qehr Toote Jo Muda'a Likhon....*
Fikar-E-Mazmoon Mein Gharq Tha Pehron....*
Hath Mein Khama Reh Gia Pehron.....*
Qasad Jane Ka Dil Mein Thaan Lia....*
Mujh Ko Jana Parra Ye Jan Lia....*
Nama Aakhir Jawab Mein Likha....*
Kuch Ka Kuch Iztaraab Mein Likha...*
(Jawab)
Ya Khuda Wo Farishta Bhijawa De...*
K Mera Nama Us Ko Pohncha De...*
Kaash Mera Hi Katib Aamal....*
Us Ko Ja Kar Sunaye Haal Malaal....!
Koi Jaye Jo Gird Baad Udhar....*
Jaon Main Us K Sath Urr Urr Kar....*
Aye Fughan Apne Zor Mein Le Chal....*
Pohnchon Maktoob Shoq Se Awal....*
Aye Mah-O-Mahr Gardish-E-Ayyam....*
Tum Pohncha Do...!
Chalte Phirte Ayyam....*
Hai Kidhar Qasid-E-Sulaimani....*
Kahe Us Se Meri Pareshani...*
Aye Hawa Bazoo'n Mein To Bhar K....*
Khol De Par Mere Kabootar K....*
Ya Khuda Wo Farishta Bhijawa De...*
K Mera Nama Us Ko Pohncha De...*
Kaash Mera Hi Katib Aamal....*
Us Ko Ja Kar Sunaye Haal Malaal....!
Koi Jaye Jo Gird Baad Udhar....*
Jaon Main Us K Sath Urr Urr Kar....*
Aye Fughan Apne Zor Mein Le Chal....*
Pohnchon Maktoob Shoq Se Awal....*
Aye Mah-O-Mahr Gardish-E-Ayyam....*
Tum Pohncha Do...!
Chalte Phirte Ayyam....*
Hai Kidhar Qasid-E-Sulaimani....*
Kahe Us Se Meri Pareshani...*
Aye Hawa Bazoo'n Mein To Bhar K....*
Khol De Par Mere Kabootar K....*
Le Chal Charkh Too Bhi Nama-E-Yar....*
K Na Jain Ye Gardashein Bekar....*
Abar Tar...!
Ashk Tar Ko To Le Ja....*
Barq Sooz-E-Jigar Ko To Le Ja....*
Youn Humara Salam Pohnchana...!
Youn Humara Payam Pohnchana....!
Aye Meri Jan....! Jan Se Behtar....*
Jan Se Kia...? Jahan Se Behtar....*
Aye Maah Aasman Zebai...!
Jan Khoobi Jahan Zebai...!
Shokh Roo, Shokh Chashm, Shokh Kalam....*
Khush Adaa, Khush Khiraam Khush Andaam........*
Mujh Ko Tere Rukh Niko Ki Qasam....*
Apne Arman-O-Aarzo Ki Qasam....*
Tere Iqraar-O-Mobadam Ki Qasam....*
Ehd Ki Qaol Ki Qasam, Ki Qasam....*
Apne Aazar-O-Ranj-O-Gham Ki Qasam....*
DAGH K Dard Ki Alam Ki Qasam....*
Tere Qadmo Ki Tere Sar Ki Qasam....*
Apne Dil Ki Qasam,
Jigar Ki Qasam.....*
Mushaf Roye Par Zia Ki Qasam....*
Jhoot Kehta Nahi Khuda Ki Qasam....*
Too Hai Aye Ma Jamal Pesh-E-Nazar....!
Hai Tera Hi Khayal Pesh-E-Nazar...!
Samne Doosra Nahi Aata...*
Aaina Dekhna Nahi Aata....*
Bhool Kar Tujh Ko Meri Yad Aai...!
Dil Na Shaad Ki Murad Aai...!
Nahi Kehta Hon Main Khushamad Se....*
Tere Ihsan Barh Gaye Hadd Se...!
Yehi Ek Din Teri Qasam Ho Ga....*
K Mera Sar Tera Qadam Ho Ga....*
Tujh Se Insaf Chahta Hon Main....*
Chashm-E-Altaf Chahta Hon Main....*
Aftain Jitni Hain Khudai Mein....*
Main Ne Jheeli Teri Judai Mein....*
Zindgani Se Yaas Hai Mujh Ko....*
Tere Milne Ki Aas Hai Mujh Ko....*
Samne Doosra Nahi Aata...*
Aaina Dekhna Nahi Aata....*
Bhool Kar Tujh Ko Meri Yad Aai...!
Dil Na Shaad Ki Murad Aai...!
Nahi Kehta Hon Main Khushamad Se....*
Tere Ihsan Barh Gaye Hadd Se...!
Yehi Ek Din Teri Qasam Ho Ga....*
K Mera Sar Tera Qadam Ho Ga....*
Tujh Se Insaf Chahta Hon Main....*
Chashm-E-Altaf Chahta Hon Main....*
Aftain Jitni Hain Khudai Mein....*
Main Ne Jheeli Teri Judai Mein....*
Zindgani Se Yaas Hai Mujh Ko....*
Tere Milne Ki Aas Hai Mujh Ko...*
Go Zamana Ho Chahne Wala....*
Nahi Mujh Sa Banahne Wala....*
Tum Bulao Na Aaon Kia Mumkin....*
Hai Sara Sar Ye Bat Na Mumkin....*
Meri Izat Ko Tum Bhi Janti Ho.....!
Meri Ghairat Ko Tum Bhi Janti Ho.....!
Sab Se Hai Teri Aarzo Barh Kar.....*
Aarzo Se Hai Aabroo Barh Kar....*
Rashk Utha Kar Mujhe Na Marna Ho....*
Zehr Kha Kar Mujhe Na Marna Ho....*
Ye Nigahein Kahein Na Phir Jain....*
Hum Nazar Se Teri Na Gir Jain....*
Bat Kab Nagawar Uthti Hai....*
DAGH Se Kis Ki Aar Uthti Hai....*
DAGH Khaon Khuda Wo Din Na Kare....*
Rashk Khaon Khuda Wo Din Na Kare....*
Khoon-E-Dil Aabit Na Ho Jaye....*
Safar Aakhrat Na Ho Jaye....*
Aadmi Aabro Na Kho K Rahe....*
Kia Rahe Gar Haqeer Ho K Rahe....*
DAGH Dar Addan Se Behtar Ho....*
Ye Musafir Watan Se Behtar Ho....*
Main Uthaon Wo Is Safar K Maze....*
Bhool Jaon Tamam Ghar K Maze....*
Ehl-E-Tameez Mante Hain Mujhe....*
Janne Wale Jante Hain Mujhe....*
Ronaq Aaraye Bazm Mein Hi To Hon....*
Zeenat Afza-E-Bazm Mein Hi To Main Hon...*
Ye Sar Ehsan Se Nahi Waqif....*
Ye Dil Arman Se Nahi Waqif....*
Sar Jhuka Hai Wohein Khuda Aagah....*
Us Jabeen Par Hai Khaak-E-Baitullah....*
Usi Aabro K Wo Ishare Hain....*
Jis Pe Qurban Maah Paare Hain....*
In Nigahon Ko Koi Kia Jane....*
Meri Aankhon Se Dekhna Jane....*
Wo Tabiat K Jis Mein Khoo-E-Wafa....*
Ye Beeni Jo Soonghe Boo-E-Wafa....*
Lab Se Har Dam Ye Kaam Leta Hon....*
K Tumhara Hi Naam Leta Hon....*
Kabhi Sar Garam Iltaja Na Howay....*
Harf Matlab Se Aashna Na Howay....*
Muft Ki Qeel-O-Qaal Kia Janein....*
Lab Humare Sawal Kia Janein....*
Is Zaban Se Kalaam Ko Ronaq....*
Is Bayan Se PaYaaM Ko Ronaq....*
Is Zaban Mein Bayan Ki Shokhi....*
Is Bayan Mein Jahan Ki Shokhi....*
Kabhi Is Kaan Se Baddi Na Suni....*
Us Bayan Mein Jahan Ki Shokhi....*
Kabhi Is Kaan Se Baddi Na Suni....*
Bat Achi Suni Buri Na Suni..........*

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo