Woh Azam Ho Keh Manzil e Bedar Hans Paday Har Naqsh Paa Jurat Rahwar Hans Paday



Woh Azam Ho Keh Manzil e Bedar Hans Paday
Har Naqsh Paa Jurat Rahwar Hans Paday


Ab Ke Baras Bahar Ki Soorat Badal Gai
Zakhmon Mein Aag Lag Gai Gulzar Hans Paday


Us Dastan Dard Ki Tamheed Aap Hein
Jis Dastan e Dard Peh Gha-Khuwar Hans Paday


Hairan Ho Rahi Hai Shagofay Peh Chandni
Shayed Qafas Peh Aaj Giraftar Hans Paday


Lut Jaye Tere Nam Se Har Talkhi e Jafa
Woh Kam Kar Keh Be-Kas o Nadar Hans Paday


Mere Junoon Ne Aaj Woh Sajdah Ada Kia
Butt-Khana Hayat Ke Aasaar Hans Paday


Phir Shadmaan Hoe Hein Kharaby Hayat Ke
SAGHAR Kisi Ke Gaisoo e Khamdar Hans Paday

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 253-154


Zulfon Ki Ghataein Pee Jao Woh Jo Bhi Pilaein Pee Jao



Zulfon Ki Ghataein Pee Jao
Woh Jo Bhi Pilaein Pee Jao


Ae Tishnah Dhan e Jor e Khizan
Phoolon Ki Adaein Pee Jao


Tareeki Dauran Ke Maaro
Subhon Ki Ziaein Pee Jao


Naghmaat Ka Ras Bhi Nasha Hai
Barabt Ki Sadaein Pee Jao


Makhmoor Sharabon Ke Badly
Rangeen Khataein Pee Jao


Ashkon Ka Machalna Theek Nahi
Be-Chain Duaein Pee Jao


Ihsaas Ke Tooty SAGHAR Mein
Yaaron Ki Wafaein Pee Jao

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 251-252


Rah-Guzar Ke Charagh Hein Hum Log Aap Apna Suragh Hein Hum Log



Rah-Guzar Ke Charagh Hein Hum Log
Aap Apna Suragh Hein Hum Log


Jal Rahe Hein Na Bujh Rahe Hein Dast
Kisi Seeny Ka Dagh Hein Hum Log


Khud-Tahi Hain Magar Pilate Hein
Mai-Kaday Ke Iyagh Hein Hum Log


Dushmanon Ko Bhi Dost Kehte Hein
Kitne Aali Demagh Hein Hum Log


Chashm e Tahqeer Se Na Daikh Humain
Damanon Ka Faragh Hein Hum Log


Aik Jhonka Naseeb Hai SAGHAR
Us Gali Ke Charagh Hein Hum Log

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 250


Woh Bulaein Tou Kia Tamasha Ho Hum Na Jaein Tou Kia Tamasha Ho



Woh Bulaein Tou Kia Tamasha Ho
Hum Na Jaein Tou Kia Tamasha Ho


Yeh Kinaron Se Khailny Wale
Doob Jaein Tou Kia Tamasha Ho


Bandah Parwar Jo Hum Peh Guzri Hai
Hum Bataein Tou Kia Tamasha Ho


Aaj Hum Bhi Teri Wafaoun Par
Muskuraein Tou Kia Tamasha Ho


Teri Soorat Jo Itefaq Se Hum
Bhool Jaein Tou Kia Tamasha Ho


Waqt Ki Chand Sa'atein SAGHAR
Laot Aaein Tou Kia Tamasha Ho

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 249


Mangi Hai Is Diyar Mein Donon Jahan Ki Bheek Lekin Mili Humain Dil e Na-Kamran Ki Bheek



Mangi Hai Is Diyar Mein Donon Jahan Ki Bheek
Lekin Mili Humain Dil e Na-Kamran Ki Bheek


Aise Bhi Rah e Zeest Mein Aaye Kai Muqam
Mangi Hai Paa e Shouq Ne Azm e Jawaan Ki Bheek


Be-Noor Ho Gai Hein Sitaron Ki Bastiyan
Saqi A'ata Ho Badah e Shoula-Fishan Ki Bheek


Ab Aur Kia Taghayur o Taqdeer Chahiye
Jholi Mein Dal Di Tere Nam o Nishan Ki Bheek


Khud Bik Gaye Hayat Ki Neelam-Gaah Mein
Woh Bant'ty Thay Jo Kabhi Kon o Makan Ki Bheek


Do Chaar Patiyun Peh Hai Ranjish Bahar Se
Saael Ne Mang Li Hai Kahan Gulistan Ki Bheek


ALLAH Unke Naqsh e Kaf e Paa Ki Khair Ho
Zarron Ko Dy Gaye Jo Mah o Kehkeshan Ki Bheek


SAGHAR Khusha Keh Gohar e Umeed Pa Lia
Qismat Se Haath Aai Gham e Dostan Ki Bheek

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 247-248


Phool Jalty Hein Haar Jalty Hein Chandni Ke Mazar Jalty Hein



Phool Jalty Hein Haar Jalty Hein
Chandni Ke Mazar Jalty Hein


Ae Musawer ! Yeh Kia Tamasha Hai
Rang Se Shahkaar Jalty Hein


Rokiye Be-Qarar Ka Kal Ko
Daikhiye ! Lalazar Jalty Hein


Muddaton Se Hai Sard Mai-khana
Der Se Megsaar Jalty Hein


Tere Aanchal Ki Mast Chhaoun Mein
Be-Khudi Ke Dayar Jalty Hein


Kuch Patangy Charagh Ki Lao Par
Kitne Be-Ikhtiyar Jalty Hein


Fikar SAGHAR Ki Sargarmiyan Mat Pooch
Is Chita Mein Nigaar Jalty Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 245-246


Rahzan Aadmi Rahnuma Aadmi Barhaa Ban Chuka Hai Khuda Aadmi



Rahzan Aadmi Rahnuma Aadmi
Barhaa Ban Chuka Hai Khuda Aadmi


Haaye Takhleeq Ki Kar Pardaziyan
Khaak See Cheez Ko Keh Diya Aadmi


Khul Gaye Jannaton Ke Wahan Zaaechay
Do Qadam Jhoom Ke Jab Chala Aadmi


Zindagi Khanqah e Shahood o Baqa
Aur Loh e Mazar e Fana Aadmi


Subah Chand Ki Rukhsati Ka Samaan
Jis Tarah Bahar Mein Doobta Aadmi


Kuch Fareshton Ki Taqdees Ke Wastay
Seh Gaya Aadmi Ki Jafa Aadmi


Goonjti Hi Rahegi Falak Dar Falak
Hai Maseeyat Ki Aisi Sada Aadmi


Aas Ki Mooratein Poojty Poojty
Aik Tasweer See Ban Gaya Aadmi

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 243-244


Jalway Machal Rahe Hein Nazaron Ki Aag Mein Kuch Phool Jal Rahe Hein Baharon Ki Aag Mein



Jalway Machal Rahe Hein Nazaron Ki Aag Mein
Kuch Phool Jal Rahe Hein Baharon Ki Aag Mein


Aasheetgai Se Choor Hein Zulfon Ki Badliyan
Saqi Sharaab Dal Chinaron Ki Aag Mein


Palkon Mein Bheegi Bheegi Hein Kajly Ki Dhariyan
Shabnam Mehik Rahi Hai Shararon Ki Aag Mein


Gar Mai Nahi Tou Piyar Ke Do Bol Hi Sahi
Kuch Tou Kami Ho Badah-Gusaron Ki Aag Mein


ALLAH Re Yaqeen e Muhabbat Ki Dastan
Daman Sulag Raha Hai Sitaron Ki Aag Mein


Kehti Hein Na-Khuda Se Yeh Sochon Ki Shorashein
Tere Bhi Mashware Thay Kinaron Ki Aag Mein


SAGHAR Raheingy Ronaq e Bazar Aarzoo
Asha'ar Jo Kahe Hein Nigaron Ki Aag Mein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 241-242


Sab Se Tera Karam Ghaneemat Hai Jo Guzar Jaye Dum Ghaneemat Hai



Sab Se Tera Karam Ghaneemat Hai
Jo Guzar Jaye Dum Ghaneemat Hai


Aap Subah e Bahar Le Jaein
Mujh Ko Shaam e Alam Ghaneemat Hai


Khuwahishon Ki Paristashein Touba
Aadmi Ka Bharam Ghaneemat Hai


Itni Dushwar Tou Nahi Manzil
Zulf e Janaan Ka Kham Ghaneemat Hai


Is Taqadus Ke Qahat Mein Yaaro
Unka Naqsh e Qadam Ghaneemat Hai


Talkhi e Kaaenaat Hai Dil Mein
Jaam Mein Hi Sitam Ghaneemat Hai


Shabnami Shabnami Fizaoun Mein
Daolat e Chasham e Nam Ghaneemat Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 239


Mata'a e Dil Se Khali Ho Gaye Hein Tere Dar Ke Sawali Ho Gaye Hein



Mata'a e Dil Se Khali Ho Gaye Hein
Tere Dar Ke Sawali Ho Gaye Hein


Nazar Majrooh Nazaron Se Daikhi
Hawadis Kuch Khayali Ho Gaye Hein


Chalo Ae Bulbulo Is Gulistan Se
Yahan Sayaad Mali Ho Gaye Hein


Tumare Gaisoun Ki Tergi Se
Andhre Bhi Jamaali Ho Gaye Hein


Humare Dagh e Dil Ke Tarjuman Hein
Sitare Meer o Haali Ho Gaye Hein


Hazar Walwaly SAGHAR Chaman Mein
Khizaan Ke Khushk Daali Ho Gaye Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 238


Aawaargi Barang e Tamasha Buri Nahi Zaoq Nazar Mily Tou Yeh Dunya Buri Nahi



Aawaargi Barang e Tamasha Buri Nahi
Zaoq Nazar Mily Tou Yeh Dunya Buri Nahi


Kehte Hein Teri Zulf e Pareshan Ko Zindagi
Ae Dost Zindagi Ki Tamanna Buri Nahi


Hai Na-Khuda Ka Meri Tabahi Se Wasta
Main Janta Hon Neeyat e Darya Buri Nahi


Jab Zindagi Ko Mil Na Saka Zarfashan Kafan
Zaoq e Fana Ko Chadar e Sahra Buri Nahi


Acha Hoa Keh Manzil e Hasti Se Door Hein
Kuch Rah o Rasam Khizar o Maseeha Buri Nahi


SAGHAR Ke Saath Chal Ke Kabhi Main Bhi Sun Chuka
Wallah Hadees e Badah o Meena Buri Nahi

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 237


Tum Ne Jo Chaha Woh Dunya Ban Gai Daikhiye ! Phoolon Ka Gajra Ban Gai



Tum Ne Jo Chaha Woh Dunya Ban Gai
Daikhiye ! Phoolon Ka Gajra Ban Gai


Raat Yun Kuch Maael e Naghma Tha Dil
Chandni Saaz e Tamanna Ban Gai


Jab Kisi Soorat Na Unwan Mil Saka
Aarzoo Be-Nam Sahra Ban Gai


Mouj e Darya Mein Nahi Hai Kuch Farq
Mouj Lahraai Tou Darya Ban Gai


Tod Dein Ya Hum Isay Rakh Lein Huzoor
Zindagi Muflis Ka Kasah Ban Gai


Mere Jaam e Mai Se Ud Kar Ik Cheent
Subah Ke Maathay Ka Qashqah Ban Gai


Zindagi Ki Baat SAGHAR Kia Kahein
Ik Tamanna Thi Taqazah Ban Gai


Poet:Saghar Siddiqui

Kulyat e Saghar
Page No 235-236


Baat Phoolon Ki Suna Karte Thay Hum Kabhi Shair Kaha Karte Thay



Baat Phoolon Ki Suna Karte Thay
Hum Kabhi Shair Kaha Karte Thay


Masha'alein Le Ke Tumhare Gham Ke
Hum Andheron Mein Chala Karte Thay


Ab Kahan Aisi Tabia'at Wale
Chout Kha Kar Jo Dua Karte Thay


Tark e Ihsaas e Muhabbat Mushkil
Haan Magar Ahl e Wafa Karte Thay


Bikhri Bikhri Hoi Zulfon Wale
Qafly Rok Lia Karte Thay


Aaj Gulshan Mein Shagofay SAGHAR
Shikwa e Bad e Saba Karte Thay

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 234


Kuch Kaif e Sahar Hai Na Mujhe Shaam Ka Nasha Hai Mere Liye Badah e Be-Nam Ka Nasha



Kuch Kaif e Sahar Hai Na Mujhe Shaam Ka Nasha
Hai Mere Liye Badah e Be-Nam Ka Nasha


Aankhon Se Chalakty Hoe Irfan Ke Tarany
Zulfon Se Barasta Hoa Ilham Ka Nasha


Har Gaam Larazty Hoe Tadbeer Ke Paikar
Taqdeer Ki Aankhon Hai Aalaam Ka Nasha


Har Dil Mein Tadapty Hoe Arman Ki Kahani
Har Aankh Mein Khoon e Dil Na-Kaam Ka Nasha


Phir Doob Gaya Gaisoo e Janaan Ki Mehik Mein
Do Din Tou Raha Gardish e Ayyaam Ka Nasha


Hein Sheesha o SAGHAR Ke Rang Yahan Anokhy
Hai Aik Yahan Badah o Gulfaam Ka Nasha

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 233


Surahi Jaam Se Takrayiye Barsaat Ke Din Hain Hadees e Zindagi Duhrayiye Barsaat Ke Din Hain



Surahi Jaam Se Takrayiye Barsaat Ke Din Hain
Hadees e Zindagi Duhrayiye Barsaat Ke Din Hain


Safeena Le Chala Hai Kis Mukhalif Simat Ko Zalim
Zara Mallah Ko Samjhayiye Barsaat Ke Din Hain


Kisi Pur-Noor Tuhmat Ki Zaroorat Hai Ghataoun Ko
Kahein Se Mehwashon Ko Layiye Barsaat Ke Din Hain


Tabeea'at Gardish e Dauran Ki Ghabraai Hoi See Hai
Pareshan Zulf Ko Suljhayiye Barsaat Ke Din Hain


Baharein In Dinon Dast e Bayaban Mein Bhi Aati Hain
Faqeeron Par Karam Farmayiye Barsaat Ke Din Hain


Yeh Mousam Shorish e Jazbaat Ka Makhsoos Mousam Hai
Dil Nadaan Ko Behlayiye Barsaat Ke Din Hain


Suhane Aanchalon Ke Saaz Par Asha'ar SAGHAR Ke
Kisi Be-Chain Dhun Mein Gayiye Barsaat Ke Din Hain

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 231-232


Faryad Ke Taqazay Hein Naghma Sukhan Mein Alfaaz So Gaye Hein Kaghaz Ke Paihan Mein

 


Faryad Ke Taqazay Hein Naghma Sukhan Mein
Alfaaz So Gaye Hein Kaghaz Ke Paihan Mein


Har Aan Das Rahi Hain Mazi Ki Talakh Yaadein
Mahsoos Kar Raha Hon Bechargi Watan Mein


Tukda Koi Aata Ho Ihram Bandagi Se
Sorakh Pad Gaye Hein Ikhlas Ke Kafan Mein


Ae Pasban e Gulshan Tujh Ko Khabar Nahi Hai
Shouly Bhdak Rahe Hein Phoolon Ki Anjuman Mein


Ae Yaar Tere Gham Se Fursat Agar Mili Tou
Tabdilian Karonga Is Aalam e Kuhan Mein


Daikha Hai Main Ne Dil Ki Be-Tabiyun Ka Manzar
Ik Toot'ty Kali Mein , Ik Doobti Kiran Mein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 230


Jab Gulistan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hein Yaad Bhooly Hoe Yaaron Ke Karam Aate Hein



Jab Gulistan Mein  Baharon Ke Qadam Aate Hein
Yaad Bhooly Hoe Yaaron Ke Karam Aate Hein


Log Jis Bazam Mein Aate Hein Sitare Le Kar
Hum Usi Bazam Mein Ba-Deedah e Nam Aate Hein


Main Woh Ik Rind Kharabaat Hon Mai-Khane Mein
Mere Sajday Ke Liye Saghar e Jim Aate Hein


Ab Mulaqaat Mein Woh Garmi e Jazbaat Kahan
Ab Tou Rakhne Woh Muhabbat Ka Bharam Aate Hein


Qurb e Saqi Ki Wazahat Tou Badi Mushkil Hai
Aise Lamhe Thay Jo Taqdeer Se Kam Aate Hein


Main Bhi Jannat Se Nikala Hoa Ik Butt Hi Tou Hon
Zaoq e Takhleeq Tujhe Kaise Sitam Aate Hein


Chashm e SAGHAR Hai Ibadat Ke Tasawar Mein Sada
Dil Ke Ka'abay Mein Khayalon Ke Sanam Aate Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 228-229


Band Gar Ho Na Tera Khumyazah Bhook Hai Zindagi Ka Darwazah



Band Gar Ho Na Tera Khumyazah
Bhook Hai Zindagi Ka Darwazah


Charah-Gar Bankpan Mubarak Ho
Zakhm e Dil Ho Gaye Taro-Tazah


Pooch Lo ! Turbaton Ke Katbon Se
Dy Rahi Hai Hayat Aawazah


Sahil e Aarzoo Se Karte Hein
Hasraton Ke Bhanwar Ka Andazah


Chand Ghazlon Ke Roop Mein SAGHAR
Paish Hai Zindagi Ka Sherazah

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 227


Teri Zulfon Ke Phool Murjhaye Ishq Ki Bandagi Ke Kam aaye



Teri Zulfon Ke Phool Murjhaye
Ishq Ki Bandagi Ke Kam aaye


Subah Tere Jalo Mein Roshan Hai
Mere Humraah Shaam Ke Saaye

Be-Sada Hai Taranah e Mansool
Uqda Daar Kon Suljhaye


Roshni Thi Tou Door Thay Kuch Log
Ab Andheron Mein Dhoondne Aaye


Mout Ki Goonjti Hawaoun Mein
Hum Ne Naghmay Hayat Ke Gaye


Dagh e Dil Thay Ziayaoun Ki Tafseer
Tazkire Mahtaab Ke Aaye


Is Darendon Ki Bheed Mein SAGHAR
Kaash Insan Koi Kehlaye

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 225-226


Ghunchay Fiza e Nou Mein Giraftar Ho Gaye Kuch Phool Apne Rang Se Be-Zaar Ho Gaye



Ghunchay Fiza e Nou Mein Giraftar Ho Gaye
Kuch Phool Apne Rang Se Be-Zaar Ho Gaye


Kitne Tasawaraat Hawaoun Mein Ud Gaye
Kitne Khayal Saaya e Deewar Ho Gaye


Shibli Ka Phool Jazba e Mansoor Ki Sada
Raah e Wafa Mein Tegh Ki Jhankar Ho Gaye


Dhalti Rahein Shuor Mein Taron Ki Tabishein
Ik Jaam Pee Ke Sahib e Israr Ho Gaye


Hum Be-Kason Ko Chand Ke Kirnon Se Wasta
Zulfon Ko Chho Lia Tou Khata-Kaar Ho Gaye


Dil Ki Chubhan Ne Kaif e Tamanna Badha Diya
Kanty Bhi Aaj Soorat e Gulzar Ho Gaye


Parwane Ban Gaye Hein Chanbaili Ki Nikhatein
Kia Daikhna Keh Subah Ke Aasaar Ho Gaye


SAGHAR Ka Bijliyun Ne Samaan Aur Kar Diya
Hum Zulmaton Se Khail Ke Anwaar Ho Gaye

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 223-224


Waqt Ke Rangeen Guldasty Ko Yaad Aaye Ga Thanda Haath Jab Bikhreingy Woh Gaisoo Tou Mar Jaega Thanda Haath



Waqt Ke Rangeen Guldasty Ko Yaad Aaye Ga Thanda Haath
Jab Bikhreingy Woh Gaisoo Tou Mar Jaega  Thanda Haath


Bheegi Palkein , Soch Ki Uljhan , Daman Thamy Soch Rahi Hein
Kab Tak Tar e Gareban Yaaro Suljhayega Thanda Haath


Saaz e Taghazul Chaidne Walo ! Ae Afsane Lekhne Walo
Aaj Lakeeron Ki Tafseerein Duhraye Ga Thanda Haath


Garam Lahoo Ki Boondein Boein , Tanhaai Ki Matti Dalein
Pat-Jhad Aaye In Shakhon Par Ug Aayega  Thanda Haath


Pathar Pathar Jot Jaly Gi , Sahil Sahil Shouly Hongy
Bheegi Bheegi Sard Hawa Mein Sharmayega Thanda Haath


Bagh Ke Mali ! Mere Ghunchay Ghairon Ne Pamaal Kiye
Phir Bhi Teri Pholwari Ko Mehkaye Ga  Thanda Haath

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 222


Jab Tasawar Mein Jaam Aate Hein Aabtabi Muqam Aate Hein



Jab Tasawar Mein Jaam Aate Hein
Aabtabi Muqam Aate Hein


Yun Chatakhty Hein Shakh Par Ghunchay
Jaise Unko Salaam Aate Hein


Dil Ki Nadaniyun Peh Ghor Na Kar
Khotay Sikkay Bhi Kam Aate Hein


Chand Lamhaat Nojawani Mein
Wajib u Ehteram Aate Hein


Manzil Ishq Mein Khird Wale
Siraf Do Chaar Gaam Aate Hein


Dastan e Hayat Mein SAGHAR
Be-Wafaoun Ke Nam Aate Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 221


Ae Husn Lala Faam ! Zara Aankh Tou Mila Khaali Paday Hein Jaam ! Zara Aankh Tou Mila



Ae Husn Lala Faam ! Zara Aankh Tou Mila
Khaali Paday Hein Jaam ! Zara Aankh Tou Mila


Kehte Hein Aankh Aankh Se Milna Hai Bandagi
Dunya Ke Chodh Kam ! Zara Aankh Tou Mila


Kia Woh Na Aaeingy Taron Ke Saath Saath
Tanhaiyun Ke Shaam ! Zara Aankh Tou Mila


Ye Jaam , Yeh Saboo , Yeh Tasawar Ki Chandni
Saqi Kahan Mudaam ! Zara Aankh Tou Mila


Saqi Mujhe Bhi Chahiye Ik Jaam e Aarzoo
KitneLageingy Daam ! Zara Aankh Tou Mila


Pamaal Ho Na Jaye Sitaron Ki Aabroo
Ae Mere Khush-Khiraam ! Zara Aankh Tou Mila


Hein Rah e Kehkeshan Mein Azal Se Khadi Hoe
SAGHAR Tere Ghulam ! Zara Aankh Tou Mila

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 219-220


Jor o Sitam Ki Rasmein Taqreeb Ban Gai Hein Ab Bazm e Zindagi Mein Ahl e Wafa Nahi Hein



Jor o Sitam Ki Rasmein Taqreeb Ban Gai Hein
Ab Bazm e Zindagi Mein Ahl e Wafa Nahi Hein


Har Saaz Ki Nawa Par Pehre Lagy Hoe Hein
Is Wadi e Mahan Mein Naghmay Rawa Nahi Hein


Faqon Se Zard Chehre Na-Kamiyun Ke Lashay
Ye Log Faiz-Yaab e Latf e Khuda Nahi Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 218


Main Keh Aasheefta o Ruswa Sar e Bazar Hoa Chaak e Damaan Ka Tamasha Sar e Bazar Hoa



Main Keh Aasheefta o Ruswa Sar e Bazar Hoa
Chaak e Damaan Ka Tamasha Sar e Bazar Hoa


Teri Asmat Ki Tejarat Pas e Deewar Sahi
Meri Taqdeer Ka Saoda Sar e Bazar Hoa


Phir Koi Ahl e Junoon Daar Peh Chadh Jaye Ga
Phir Tere Husn Ka Charcha Sar e Bazar Hoa


Hum Ne Rakha Hai Usay Dil Ke Makan Mein Barson
Jo Kabhi Hum Se Shanasa  Sar e Bazar Hoa


Marhaly Deed Ke Dushwar Thay Lekin SAGHAR
Manzil e Toor Ka Jalwah Sar e Bazar Hoa

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 217


Kuch Log Bicha Kar Kanton Ko Gulshan Ki Tawaku Rakhty Hein Shoulon Ko Hawa Dy Dy Kar Savan Ki Tawaku Rakhty Hein



Kuch Log Bicha Kar Kanton Ko Gulshan Ki Tawaku Rakhty Hein
Shoulon Ko Hawa Dy Dy Kar Savan Ki Tawaku Rakhty Hein


Mahol Ke Tapty Sahra Se , Halaat Ki Ujdi Shakhon Se
Hum Ahl e Junoon Phoolon Se Bhare Daman Ki Tawaku Rakhty Hein


Jab Sab Asasa Lut Jaye Taskeen e Safar Ho Jati Hai
Hum Rahnumaoun Ke Badly Rahzan Ki Tawaku Rakhty Hein


Sangeen Chatanon Se Dil Ke Dukhny Shikayat Karte Hein
Zulmat Ke Nagir Mein Noorani Aangan Ki Tawaku Rakhty Hein


Woh Gaisoo e Janaan Hon SAGHAR Ya Gardish Dauran Ke Saaye
Ae Waaye Muqadar Donon Se Uljhan Ki Tawaku Rakhty Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 212


Taghayuraat Se Dunya Singaar Karti Hai Yeh Chand Tod Ke Jhoomar Mein Rang Bharti Hai



Taghayuraat Se Dunya Singaar Karti Hai
Yeh Chand Tod Ke Jhoomar Mein Rang Bharti Hai


Usi Kali Se Hai Tareekh Gulistan Roshan
Jo Baghban Ke Lahoo Se Zara Nikharti Hai


Jise Na Zehar Junoon Ki Zara See Chat Lagy
Woh Be-Shour Muhabbat Zaroor Marti Hai


Dilon Ke Bujhtay Charaghon Ko Noor Daiti Hai
Woh Tergi Jo Tere Zulf Se Bikharti Hai


Humari Janat Takhayul Se Guzar Jaye
Bahar Ban Ke Qayamat Agar Guzarti Hai


Tuloo e Mehar Tere Aastaan Peh Hota Hai
Kiran Kiran Teri Dahleez Par Utarti Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 216


Sitam Jagty Hein Karam So Rahe Hein Muhabbat Ke Jah o Hasham So Rahe Hein



Sitam Jagty Hein Karam So Rahe Hein
Muhabbat Ke Jah o Hasham So Rahe Hein


Mare Nuqta-Saazo ! Sukhan Ke Khudao !
Pukaro Keh Loh o Qalam So Rahe Hein


Wahan Chandni Ke Qadam Dolty Hein
Jahan Tere Naqsh e Qadam So Rahe Hein


Har Ik Zehan Mein Hai Khudai Ka Da'awa
Har Ik Aasteen Mein Sanam So Rahe Hein


Yahan Khuwab e Rahat Faraib Yaqeen Hai
Na Tum So Rahe Ho Na Hum So Rahe Hein


Meri Ujdi Ujdi See Aankhon Mein SAGHAR
Zamane Ke Ranj o Alam So Rahe Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 215


Chasham e Saqi Ki Inayaat Peh Pabandi Hai In Dinon Waqt Peh Halaat Peh Pabandi Hai



Chasham e Saqi Ki Inayaat Peh Pabandi Hai
In Dinon Waqt Peh Halaat Peh Pabandi Hai


Bikhri Bikhri Hoi Zulfon Ke Fasany Chaido
Mai-Kasho ! Ahd e Kharabaat Peh Pabandi Hai


Dil Shikan Ho Ke Chale Aaye Teri Mehfil Se
Teri Mehfil Mein Tou Har Baat Peh Pabandi Hai


Dard Utha Hai Lahoo Ban Ke Uchalny Ke Liye
Aaj Kehte Hein Keh Jazbaat Peh Pabandi Hai


Har Tamanna Hai Koi Doobta Lamha Jaise
Saaz Maghmoom Hen , Naghmaat Peh Pabandi Hai


Kehkeshan Baam e Suraya Ke Taly Soi Hai
Chand Be-Rang Sa Hai , Raat Peh Pabandi Hai


Aag Seenon Mein Lagi , SAGHAR o Meena Chalky
Koi Kehta Tha  Keh Barsaat Peh Pabandi Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 213-214


Allah Rey Us Chashm e Inayaat Ka Jadoo Ta Umar Raha Husn e Mulaqaat Ka Jadoo



Allah Rey Us Chashm e Inayaat Ka Jadoo
Ta Umar Raha Husn e Mulaqaat Ka Jadoo


Ma'alom Na Tha Sahar Gazeedgan e Wafa Ko
Subhon Ke Pas e Pardah Hai Zulmaat Ka Jadoo


Aankhon Mein Rawaan Kousar o Tasneem Ka Mantar
Zulfon Mein Nahan Shaam e Kharabaat Ka Jadoo


Aata Ho Jise Rasm e Muhabbat Ka Wazeefa
Chalta Nahi Is Par Gham e Halaat Ka Jadoo


Barbat Ka Jigar Cheer Gai Taar Ki Faryaad
Mutrib Peh Asar Kar Gaya Naghmaat Ka Jadoo


Lehraaye Woh Gaisoo Keh Uthein Gham Ki Ghataein
Ashkon Ki Jhadhi Ban Gai Barsaat Ka Jadoo


Hum Sahir e Aqleem e Sukhan Ban Gaye SAGHAR
Is Dhab Se Jagaya Hai Khayalaat Ka Jadoo

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 210-211


Teri Dunya Mein Ya Rab Zeest Ka Saman Jalty Hein Faraib e Zindagi Ki Aag Ki Aag Mein Insan Jalty Hein



Teri Dunya Mein Ya Rab Zeest Ka Saman Jalty Hein
Faraib e Zindagi Ki Aag Ki Aag Mein Insan Jalty Hein


Dilon Mein Azmat e Toheed Ke Deepak Fasurda Hein
Jabeenon Par Riya o Kabar Ke Farman Jalty Hein


Hawas Ki Baryabi Hai Khiradmandon Ki Mehfil Mein
Roo Pehli Tikiyun Ki Aot Mein Emaan Jalty Hein


Hawadis Raqs Farma Hein , Qayamat Muskurati
Suna Hai Na-Khuda Ke Nam Se Toofan Jalty Hein


Shagofay Jholty Hein Is Chaman Mein Bhook Ke Jhooly
Baharon Mein Nasheman Tou Bahar Unwan Jalty Hein


Kahein Paazeb Ki Chan Chan Mein Majboori Tadapti Hai
Riya Dum Tod Daiti Hai Sunehre Daan Jalty Hein


Manao Jishan e Mai-Noshi , Bakhero Zulf e Mai-Khanah !
Ibadat Se Tou SAGHAR Dahar Ke Shaitan Jalty Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 208-209


Manzil e Gham Ki Fizaoun Se Lipat Kar Ro Loon Tere Daman Ki Hawaou Se Lipat Kar Ro Loon



Manzil e Gham Ki Fizaoun Se Lipat Kar Ro Loon
Tere Daman Ki Hawaou Se Lipat Kar Ro Loon


Jaam e Mai Peeny Se Pehle Mera Jee Chahta Hai
Bikhri Zulfon Ki Ghataoun Se Lipat Kar Ro Loon


Zard Ghunchon Ki Nigahon Mein Nigahein Daloon
Surkh Phoolon Ki Qubaoun Se Lipat Kar Ro Loon


Aany Wale Tere Rastay Mein Bichaoun Aankhein
Jany Wale Tere Pavon Se Lipat Kar Ro Loon


Apne Majboor Taqaddus Ke Sahare SAGHAR
Der o Ka'abah Ke Khudaoun Se Lipat Kar Ro Loon

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 207


Azmat e Zindagi Ko Baich Diya Hum Ne Apni Khushi Ko Baich Diya



Azmat e Zindagi Ko Baich Diya
Hum Ne Apni Khushi Ko Baich Diya


Chashm e Saqi Ke Ik Ishare Par
Umar Ki Tishnagi Ko Baich Diya


Rind Jaam o Suboo Peh Hansty Hein
Shaikh Ne Bandagi Ko Baich Diya


Rahguzaron Peh Lut Gai Radha
Shiyam Ne Bansari Ko Baich Diya


Jagmagaty Hein Wehshton Ke Dayar
Aqal Ne Aadmi Ko Baich Diya


Lab o Rukhsaar Ke Aiwaz Hum Ne
Sutoot e Khusravi Ko Baich Diya


Ishq Beropiya Hai Ae SAGHAR
Roop Ne Sadgi Ko Baich Diya

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 205-206


Kia Samaan Tha Bahar Se Pehly Gham Kahan Tha Bahar Se Pehly



Kia Samaan Tha Bahar Se Pehly
Gham Kahan Tha Bahar Se Pehly


Aik Nanha Sa Aarzoo Ka Diya
Zoofishan Tha Bahar Se Pehly


Ab Tamasha Hai Chaar Tinkon Ka
Aashiyan Tha Bahar Se Pehly


Ae Mere Dil Ke Dard , Tu Hi Bata
Tu Kahan Tha Bahar Se Pehly


Pichli Shab Mein Khizan Ka Sannata
Hum-Zuban Tha Bahar Se Pehly


Chandni Mein Yeh Aag Ka Dariya
Kab Rawaan Tha Bahar Se Pehly


Ban Gaya Hai Sahab e Mousam e Gul
Jo Dhuwaan Tha Bahar Se Pehly


Lut Gai Dil Ki Zindagi SAGHAR
Dil Jawan Tha Bahar Se Pehly

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 203-204


Har Shagofa Sanan Ki Soorat Hai Mousam e Gul Khizan Ki Soorat Hai



Har Shagofa Sanan Ki Soorat Hai
Mousam e Gul Khizan Ki Soorat Hai


Lamha Lamha Hai Bojh Seeny Mein
Waqt Sang e Garan Ki Soorat Hai


Hai Waraa e Qarar Aansoo Bhi !
Dard Ik Mehruban Ki Soorat Hai


Rasty Rah-Numa e Deedah o Dil
Zindagi Karwaan Ki Soorat Hai


Zouq e Tadbeer Ho Tou Har Zarrah
Jalwah e Kehkeshan Ki Soorat Hai


Zindagani Hai Gosh Bar Aawaaz !
Aadmi Dastaan Ki Soorat Hai


Haaye Dejwar e Mehfil Hasti
Khamshi Bhi Zuban Ki Soorat Hai


Mere Asha'ar Sun Ke Farmaya
Aik Yeh Bhi Fughan Ki Soorat Hai


Apna Veezana e Alam SAGHAR
In Dinon Gulistan Ki Soorat Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 201-202


Hazir Sharaab o Jaam Hein Tu Jaag Tou Sahi Altaf e Khaas o Aam Hein Tu Jaag Tou Sahi



Hazir Sharaab o Jaam Hein Tu Jaag Tou Sahi
Altaf e Khaas o Aam Hein Tu Jaag Tou Sahi


Hein Ikhteyar e Shouq Mein Taron Ki Manzilein
Behky Hoe Muqam Hein Tu Jaag Tou Sahi


Kanty Bhi Aik Cheez Hein Tu Daikh Tou Sahi
Gul Bhi Shararah Jaam Hein Tu Jaag Tou Sahi


Ab Shab Ki Zulmaton Mein Kahein Aas Paas Hi
Subhon Ke Aihtemam Hein Tu Jaag Tou Sahi


Afsurdgi Gunah Ke Tamaseel Hai Nadeem
Be-Chainiyan Haram Hein Tu Jaag Tou Sahi


SAGHAR ! Qareeb Tar Hai Diyar e Maah o Najoom
Bas Aur Chand Gaam Hein Tu Jaag Tou Sahi

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar

Page No 200


Chaman Se Barq o Sharar Se Khitab Karta Hon Shaoor o Fikar o Nazar Se Khitab Karta Hon



Chaman Se Barq o Sharar Se Khitab Karta Hon
Shaoor o Fikar o Nazar Se Khitab Karta Hon


Qadam Qadam Khilata Hon Gul o Ma'ani Ke
Jahan e Shams o Qamar Se Khitab Karta Hon


Jabeen Peh Sutoot e Ilham Ke Taqazy Hein
Zuban e Qalb o Jigar Se Khitab Karta Hon


Main Aik Mard e Qalandar , Main Aik Deewanah
Tuloo e Noor Sahar Se Khitab Karta Hon


Mizaj e Shabnam o Lala Se Khitab Karta Hon
Nigah e Shoula Nagir Se Khitab Karta Hon


Na Karwaan Se Shikayat Na Rahnuma Se Kalam
Ghubar e Rah Guzar Se Khitab Karta Hon


Har Aik Gaam Peh Hein Patharo Ki Deewarein
Sukoot e Ahl e Hunar Se Khitab Karta Hon


Ba-Nam e Azmat e Yazdaan Kabhi Kabhi SAGHAR
Waqar Husn e Bashar Se Khitab Karta Hon

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 198-199


Mizaj e Shamma Mein Kuch Zauq e Parwana Bhi Hota Tha Kisi Ke Nam Us Mehfil Mein Deewana Bhi Hota Tha



Mizaj e Shamma Mein Kuch Zauq e Parwana Bhi Hota Tha
Kisi Ke Nam Us Mehfil Mein Deewana Bhi Hota Tha


Pareshan Hasraton Ki Be-Naqabi Daikhne Walo
Isharon Par Humare Raqs e Parwana Bhi Hota Tha


Jahan Ulfat Nibhane Ke Haseen Iqrar Hote Thay
Qareeb e Shehar , Yaaro ! Aik Weerana Bhi Hota Tha


Yaqeen e Zindagi Ko Mua'atabar Jis Ne Kia SAGHAR
Haqeeqat Ke Saheefon Mein Woh Afsana Bhi Hota Tha

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 197


Uthtay Rahe Kalion Ki Jawani Ke Janazay Jalty Rahe Phoolon Ke Nagir Shehar Mein Tere



Uthtay Rahe Kalion Ki Jawani Ke Janazay
Jalty Rahe Phoolon Ke Nagir Shehar Mein Tere


Palti Hai Taqadus Ke Lubaday Mein Hiqarat
Bajty Hein Hawadis Ke Gajar Shehar Mein Tere


SAGHAR Ki Nigahon Mein Khatakti Hein Abhi Tak
Kajlaye Hoe Shaam o Sahar Shehar Mein Tere

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 196


Saaya e Zulf Buttan Mein Baitho Is Parestish Ki Jahan Mein Baitho



Saaya e Zulf Buttan Mein Baitho
Is Parestish Ki Jahan Mein Baitho


Maah-Wisho ! Subah e Yaqeen Hone Tak
Manzil e Shaam e Guman Mein Baitho


Log Kehte Hein Shafa'at Ke Liye
Do Ghadi Badah-Kashan Mein Baitho


Unke Pehlo Bhi Dil Hote Hein
Bazm e Aasheefta-Saraan Mein Baitho


Zeest Ke Raaz Chalakty Hein Yahan
Aao ! SAGHAR Ke Jahan Mein Baitho

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 195


Jafa o Jor Ki Dunya Sanwar Di Hum Ne Zahe Naseeb Keh Hans Kar Guzar Di Hum Ne



Jafa o Jor Ki Dunya Sanwar Di Hum Ne
Zahe Naseeb Keh Hans Kar Guzar Di Hum Ne


Kali Kali Humain Hairanion Se Takti Hai
Keh Pat-Jadhon Mein Sada e Bahar Di Hum Ne


Khayal e Yaar Ki Rangeenion Mein Gum Ho Kar
Jamaal e Yaar Ki Azmat Nikhar Di Hum Ne


Usay Na Jeet Saky Ga Gham e Zamana Ab
Jo Kaaenaat Tere Dar Peh Haar Di Hum Ne


Woh Zindagi Keh Jise Zindagi Se Nisbat Thi
Tumhari Zulf e Pareshan Peh War Di Hum Ne


Kuch Aisa Sard Hoa Jazba e Wafa SAGHAR
Khud Apni Zaat Ko Hans Hans Ke Haar Di Hum Ne

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 194


Sar e Maqtal Humain Naghmaat Ki Ta'aleem Daity Hein Yahan Ahl e Nazar Zulmaat Ki Ta'aleem Daity Hein



Sar e Maqtal Humain Naghmaat Ki Ta'aleem Daity Hein
Yahan Ahl e Nazar Zulmaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Yahan Kaliyan Mehikti Hein Magar Khushbo Nahi Hoti
Shagofay Barmila Aafaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Yahan Kuch Log Aise Bhi Hein Zartabi Qubaoun Mein
Sahar Ka Nam Le Kar Raat Ki Ta'aleem Daity Hein


Yahan Kuch Log Aise Bhi Hein Irfan e Baharan
Woh Phoolon Ko Naye Jazbaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Rah e Taqdeer Is Din Ke Liye Kia Dhoop Aur Saaye
Tere Gaisoo Jinhein Halaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Humain Zaiba Nahi Daita Rah e Dushwar Ka Manzar
Keh Sahraoun Mein Bhi Barsaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Jahan SAGHAR Sharaab e Zindagi Ik Zehar Qatil Hai
Yaqeen Wale Wahan Khadshaat Ki Ta'aleem Daity Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 192-193


Zaoq e Tughyan Mein Dhal Ke Daikh Kabhi Mouj Ban Ke Uchal Ke Daikh Kabhi



Zaoq e Tughyan Mein Dhal Ke Daikh Kabhi
Mouj Ban Ke Uchal Ke Daikh Kabhi


Tu Sadaf Hai Tou Is Samandar Mein
Sangreze Nigal Ke Daikh Kabhi


Aatish Aarzoo Ajab Shay Hai
Is Ki Thandak Mein Jal Ke Daikh Kabhi


Khushk Sahra Bhi Rashk e Gulshan Hai
Apne Ghar Se Nikal Ke Daikh Kabhi


Ae Giraftar e Rehbar o Manzil
Be-Iradah Bhi Chal Ke Daikh Kabhi


Zindagi Ki Mithas Ke Humrah
Zehar Gham Ko Nigal Ke Daikh Kabhi


Hai Baharon Ki Justjo SAGHAR
Khaar-Zaaron Mein Ke Daikh Kabhi

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 190-191


Insan Bad-Naseeb , Muqadar Ki Baat Hai Gul Ko Mily Saleeb , Muqadar Ki Baat Hai



Insan Bad-Naseeb , Muqadar Ki Baat Hai
Gul Ko Mily Saleeb , Muqadar Ki Baat Hai


Ahl e Junoon Ke Haath Mein Dono Ko Jahan Ki Baag
Khatre Mein Hai , Muqadar Ki Baat Hai


Zakham e Bahar Ban Gai Phoolon Ki Aarzoo
Sara Chaman Raqeeb , Muqadar Ki Baat Hai


Ahl e Chaman Ko Luknat e Mahol Kha Gai
Har Be-Nawa Khateeb , Muqadar Ki Baat Hai


Zakhmon Ko Chaidty Hein Ba-Nam e Ilaaj Nou
Is Daur Ke Tabeeb , Muqadar Ki Baat Hai


Taskeen e Justjo Na Andaza e Qiyam
Manzil Ke Hein Qareeb , Muqadar Ki Baat Hai


Sahra Ki Dhoop Ban Gai SAGHAR Ki Tishnagi
Dushman Bany Habeeb , Muqadar Ki Baat Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar

Page No 188-189


Teri Nazar Ke Isharon Se Khail Sakta Hon Jigar Feroz Shararon Se Khail Sakta Hon



Teri Nazar Ke Isharon Se Khail Sakta Hon
Jigar Feroz Shararon Se Khail Sakta Hon


Tumhare Daman e Rangeen Ka Aasra Le Kar
Chaman Ke Mast Nazaron Se Khail Sakta Hon


Kisi Ke Ahd e Muhabbat Ki Yaad Baqi Hai
Bade Haseen Saharon Se Khail Sakta Hon


Muqam e Hosh o Khird Inteqan Wehshat Hai
Junoon Ki Rah Guzaron Se Khail Sakta Hon


Mujhe Khizan Ke Bagoly Salam Karte Hein
Haya-Firosh Chinaron Se Khail Sakta Hon


Sharaab o Shair Ke Darya Mein Doob Kar SAGHAR
Suroor o Kaif Ke Dharon Se Khail Sakta Hon

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 184


Mere Chaman Mein Baharon Ke Phool Mehkeingy Mujhe Yaqeen Hai Shararon Ke Phool Mehkeingy



Mere Chaman Mein Baharon Ke Phool Mehkeingy
Mujhe Yaqeen Hai Shararon Ke Phool Mehkeingy


Kabhi Tou Deedah e Nargas Mein Roshni Hogi
Kabhi Tou Ujday Diyaron Ke Phool Mehkeingy


Tumhari Zulf e Pareshan Ki Aabroo Ke Liye
Kai Ada Se Chinaron Ke Phool Mehkeingy


Chamak Hi Jayegi Shabnam Lahoo Ke Boondon Se
Rawish Rawish Peh Sitaron Ke Phool Mehkeingy


Hazaron Mouj e Tamanna Sadaf Uchaly Gi
Talatamon Se Kinaron Ke Phool Mehkeingy


Ye Keh Rahi Hai Fizaein Bahar Ki SAGHAR
Jigar Feroz Isharon Ke Phool Mehkeingy

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 183


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo