Ik junoon e bymaaani ik yaqeen e laahaasil Kia mila humein mohsin uski arzoo kar k


Ik junoon e bymaaani ik yaqeen e laahaasil

Kia mila humein mohsin uski arzoo kar k


Zameer-E-Aalim-E- Insani'yat Khabar Hai Tujhe, Sharaar-O-Shaulla Ki Zad Main Hai Wadi-E- Kashmir,

Zameer-E-Aalim-E-
Insani'yat

Poetess: Noshi Gillani

Type By
*._.Murtaza._*

Zameer-E-Aalim-E-
Insani'yat Khabar Hai
Tujhe,

Sharaar-O-Shaulla Ki
Zad Main Hai Wadi-E-
Kashmir,

Tujhe Khabar Hai Ke
Jannat Nishan Hai Ye
Wadi,

Lahoo Lahoo Hui Jati
Hai Dast-E-Qatil Se,

Jahan Yeh Roshni
Khushboo Bikhairti
Thi Kabhi,

Wahan Pe Khak Hui
Ja Rahi Hai Aazadi,

Woh Phool Ugaati
Zameen Aur Geet
Gaati Zameen,

Wafa Ke Rang
Mohabbat Se
Muskuraati Zameen,

Ke Jis Ke Khawab Bhi
Roshan, Nigaah Bhi
Roshan,

Ke Jis Ke Raaste Dil
Se Guzar Ke Jate Hain,

Woh Dilfaraib, Dil
Aaweez, Dilrubaa
Manzar,

Guzarne Waloon Ke
Dil Main Utar Jate
Hain,

Zameer-E-Aalim-E-
Insani'yat Khabar Hai
Tujhe,

Sharaar-O-Shaulla Ki
Zad Main Hai Wadi-E-
Kashmir,

Tujhe Khabar Hai Ke
Jannat Nishaan Ye
Wadi,

Lahoo Lahoo Hui Jati
Hai Dast-E-Qatil Se,

Yeh Dast-E-Qatil
Wafa Jitna Barrhtaa
Jaa'ega,

Tere Waqaar Ki
Gardan Talak Bhi
Aa'ega,

Zameer-E-Aalim-E-
Insani'yat Sanbhaal
Ose,

Sharaar-O-Shaulla Ki
Zad Main Hai Wadi-E-
Kashmir...................!

Book Name
Udass Hone Ke Din
Nahi Hain
Page No, 105-106

Ghalib's apologia or 'ma'azeratnaama'

Ghalib's apologia or 'ma'azeratnaama'

It so happened that Bahadur Shah Zafar's favorite wife, 

Begum Zeenat Begum asked Ghalib to write a 'sehra' (a tribute, if you will,) for her son,

Shehzada Mirza Jawan Bakhth's wedding. Complying with the Begum's wish, 

Ghalib wrote a 'sehra' whose maqt'a said:

'hum sukhan-fehm hain, Ghalib ke tarafdaar nahin 

dekhen keh de koi is sehre se barh kar sehra' 

(I'm someone who appreciates poetry, am not partial to Ghalib

Let's see if there's anyone who can write a better 'sehra')

It's believed that the Emperor wasn't pleased with the maqt'a.

He was told that it was a dig at Shaikh Ibrahim Zauq, Zafar's ustaad.

Taunting the 'ustaad' was tantamount to slighting the Emperor and his taste,

and all the rest of it. Zafar asked Zauq to write a 'sehra' as well and Zauq's 'sehra' had a maqt'a

which was something of retort to Ghalib's maqt'a:

jin ko daawa ho sukhan ka yeh sunaa do unko 

dekh is tarah se kehte hain suhkhanwar sehra 

(Tell those who claim to be poets

This is how poets write a maqta'a)

Ghalib wrote his celebrated apology, 'qat'a-e-ma'azerat' in response to the Emperor's reaction,

clarifying his position. The most interesting part is that the great master laced every single 'shayr'

with veiled irony in his inimitable style and didn't leave a single opportunity to take a dig at 'Zauq':

manzoor hai guzaarish-e-ahvaal-e-waaqa'aii 

apna bayaan-e-husn-e-tabii'yat nahin mujhe

sau pusht se, hai pesha-e-aaba sipahgari 

kuchh shayari, zari'ye-e-izzat nahin mujhe

aazaadah rau hun, aur mira maslak hai sulh-e-kul 

hargiz kabhi kisi se adaawat nahin mujhe

kya kam hai yeh sharaf ke Zafar ka Ghulaam hun

maana ke jaah-o-mansab-o-sarwat nahin mujhe

ustaad-e-shah se ho mujhe parkhaash ka khayaal 

yeh taab, yeh majaal, yeh taaqat nahin mujhe

jaam-e-jahaan-numa hai shahenshaah ka zameer 

saugand aur gawaah ki haajat nahin mujhe

main kaun, aur rekhta, haan is se mudda'a 

juz inbisaat-e-khaatir-e-hazrat nahin mujhe

sehraa likhaa gaya ze-rah-e-imtisaal-e-amr 

dekhaa ke chaarah ghair ita'at nahin mujhe

maqt'e mein aa pari hai sukhan gustaraana baat 

maqsood is se qat'a-e-mohabbat nahin mujhe

roo-e-sukhan kisi taraf ho, tau roo-siyaah 

sauda nahin, junoon nahin, vehshat nahin mujhe

qismat buri sahii, par tabii'yat buri nahin 

hai shukr ki jagah, ke shikaayat nahin mujhe

saadiq hun apne qaul mein Ghalib Khuda-gawaah

kehta hun sach ke jhoot ki a'adat nahin mujhe

Rat jagon k azaab apni jagah Aur tooty hoey khaab apni jagah


Rat jagon k azaab apni jagah

Aur tooty hoey khaab apni jagah


Ik karb e natamam sa rehta hai aas pas Ik dard bymuhaal sa hai shamil e hayyat


Ik karb e natamam sa rehta hai aas pas

Ik dard bymuhaal sa hai shamil e hayyat

Kab mily gi nijaad

Mumkin hai ho nijaad

Par rahy na hayyat


Faaslay Aur Bhi Kuch Barr Gaye Dil Se Dil Ke Rastay Dhundlaaye Se Lagtay Hain Buhat Manzil Ke


 

Faaslay Aur Bhi Kuch Barr Gaye Dil Se Dil Ke

Rastay Dhundlaaye Se Lagtay Hain Buhat Manzil Ke

Kar Lia Maoj Ne Sahil Se Kinaara Lekin

Rait Daman Mein Buhat Chorr Gayi Sahil Ke

Hameed Hayat "Nazar"



Khuda Bachhaye Iss Ain.Sheen.Kaaf Se Ye Ho Jaaye To Meem.Wa.Te Bhi Nahi Aati


Khuda Bachhaye Iss Ain.Sheen.Kaaf Se

Ye Ho Jaaye To Meem.Wa.Te Bhi Nahi Aati


Tan Ganda Tan Dhul Jaaye Man Ganda,Man Dhoye Kon

Tan Ganda Tan Dhul Jaaye

Man Ganda,Man Dhoye Kon???


Sudh budh khoya Jogi hoya Heer da roop anoop Na si


Ranjha waikh k heer

Sudh budh khoya

Jogi hoya

Heer da roop anoop Na si

Par Ranjhar nazran waikhan

Ty

Heer tu wadh haseen Na koi

Ranjhy tu juda ho k

Heer Na hansi Na hi rondi

Seekhayan nal khadan bol k

Ranjha ranjha kardi heery aap ranjha hoi

Ranjha takht hazaary da

Banya jogi heer sayyal da


Hoe Badnaam Magar Phir Bhi Sudhar Na Paaye Hum Phir Wahi Shairy,Phir Wahi Ishq,Phir Wahi Tum

 

Hoe Badnaam Magar Phir Bhi Sudhar Na Paaye Hum

Phir Wahi Shairy,Phir Wahi Ishq,Phir Wahi Tum


هوئے بدنام مگر پھر بھی سدھر نہ پائے هم

پھر وهی شاعری، پھر وهی عشق، پھر وهی تم


kabhi shaakh-o-sabza-o-barg par, kabhi guncha-e-gul-o-khaar par


kabhi shaakh-o-sabza-o-barg par, kabhi guncha-e-gul-o-khaar par,

main chaman mein chaahe jahan rahon, mera haq hai fasl-e-bahar par!


Mu'jhe ab chhaman se gharaz hai kia Keh aseer-e-kuunj-e-qafas hon mein


Mu'jhe ab chhaman se gharaz hai kia

Keh aseer-e-kuunj-e-qafas hon mein

Me'ra aashi'yam Jo hoa tau kia

Me'ra aashiyan na hoa tau kia 

Ustad Qamar Jalalvi


Arman tamam umer ke senay main dafn hain Hum chalty phirty log mazaron se kam nahin


Arman tamam umer ke senay main dafn hain

Hum chalty phirty log mazaron se kam nahin


Mitti Naa Phrool Jogiyaa.....* Yar Gwaaachay Nahi Labbday.

Mitti Naa Phrool Jogiyaa.....*
Yar Gwaaachay Nahi Labbday.......*

مٹی نا پھرول جوگیا
یار گنواچے نہیں لبھدے

Main Khud Hairaan Hon Apne Sabar Ki Inteha Dekh Kar Tum Ne Yaad Karna Chorr Diya Main Ne Intezaar Karna Nahi

 

Main Khud Hairaan Hon Apne Sabar Ki Inteha Dekh Kar

Tum Ne Yaad Karna Chorr Diya Main Ne Intezaar Karna Nahi


میں خود حیران ہوں اپنے صبر کی انتہا دیکھ کر 

تم نے یاد کرنا چھوڑ دیا میں نے انتظار کرنا نہیں


Ajeeb karb main guzri,jahan jahan guzri agarchay,chahnay walon k darmyan guzri


Ajeeb karb main guzri,jahan jahan guzri

agarchay,chahnay walon k darmyan guzri

tamaam umr charag e umeed jaltay rahay

tamaam umr,umeedon k darmyan guzri

guzar gai jo teray saath,wo yadgaar rahi

teray begair jo guzri,bala e jaan guzri

mujhay sukoon muyassar naheen,to kia gham ha

gulon ki umr bhi to,kaanton k darmyaan guzri

ajeeb cheez ha ye gardish e halaat ,MOHSIN  

kabhi zameen,to kabhi misl e aasman guzri


Jab Se Too Ne Mujhe Deewana Banaa Rakha Hai, Sang Har Shakhas Ne Haathon Main Uthaa Rakha Hai


Poet: Hakeem Mohammad Nasir

Type By
*._.Murtaza._*

Jab Se Too Ne Mujhe
Deewana Banaa
Rakha Hai,

Sang Har Shakhas Ne
Haathon Main Uthaa
Rakha Hai,

Us Ke Dil Par Bhi Karri
ISHQ Main Guzri Hogi,

Naam Jis Ne Bhi
Mohabbat Ka Sazaa
Rakha Hai,

Patharo Aaj Mere Sar
Pe Barasste Kyun Ho,

Main Ne Tum Ko Bhi
Kabhi Apna Khudaa
Rakha Hai,

Ab Meri Deed Di Dunia
Bhi Tamasha'ee Hai,

Too Ne Kia Mujh Ko
Mohabbat Main Banaa
Rakha Hai,

Gham Nahi Gull Jo
Kiye Ghar Ke Hava'on
Ne Charaagh,

Hum Ne DIL Ka Bhi
Diyaa Aik Jalla Rakha
Hai,

Pee Jaa Ayaam Ki
Talkhi Ko Bhi Hanss
Ke "Nasir",

Gham Ko Sehne Main
Bhi Qudrat Ne Mazaa
Rakha Hai..................!


masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai


masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai

kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai

kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai

awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

us paar utarne ki umeed bahot kam hai

kashti bhi puraani hai tufaan bhi aana hai

samajhe wo ya na samajhe is andaaz-e-muhabbat ko

ek shakhs ko aankhon se ek shair sunana hai

bholi si aada koi phir ishq ki zid par hai

phir aag ka dariya hai phir doob ke jana hai


Shabnam Ke Aansu Phool Par Yeh Toh Wohi Qissa Hua Aankhein Meri Bheegi Huyi Chehra Tera Utraa Hua


Shabnam Ke Aansu Phool Par Yeh Toh Wohi Qissa Hua

Aankhein Meri Bheegi Huyi Chehra Tera Utraa Hua

Ab Inn Dino'n Meri Ghazal Khushbu Ki Ek Tasveer Hai

Har Lafz Ghunche Ki Tarah Khil Kar Tera Chehra Hua

Mandir Gaye Masjid Gaye Peeron Fakheeron Se Mile

Ek Uss Ko Paane Ke Liye Kya Kya Kiya Kya Kya Hua

Shayad Isey Bhi Le Gaye Achhe Dino'n Ke Qaafley

Iss Baagh Mein Ik Phool Tha Teri Tarah Hansta Hua

Anmol Moti Pyaar Ke, Duniya Chura Ke Le Gayi

Dil Ki Haveli Ka Koyi Darvaaza Tha Toota Hua


Aadat Hi Bana Li Hai Is Shahar Ke Logon Ne Andaaz Badal Lena, Awaaz Badal Lena

Aadat Hi Bana Li Hai Is Shahar Ke Logon Ne
Andaaz Badal Lena, Awaaz Badal Lena

Duniya Ki Muhabbat Main Atwaar Badal Lena
Mosam Jo Naye Aaye Raftaar Badal Lena

Aghyaar Wohi Rakhna Aehbaab Badal Lena
Aadat Hi Bana Li Hai Es Shehar Ke Logon Ne

Rasty Main Agar Milna Nazron Ko Jhuka Lena
Awaaz Agar Do To Katra Ke Nikal Jana

Har Ek Say Juda Rehna Har Ek Say Khafa Rehna Har Ek Ka Gila Karna
Jaty Hoye Raahi Ko Manzil Ka Pata Day Kar Rasty Main Rula Dena

Aadat Hi Bana Li Hai Es Sheher Ke Logon Ne

Aadat Hi Bana Li Hai Is Shahar Ke Logon Ne
Andaaz Badal Lena, Awaaz Badal Lena

Duniya Ki Muhabbat Main Atwaar Badal Lena
Mosam Jo Naye Aaye Raftaar Badal Lena

Aghyaar Wohi Rakhna Aehbaab Badal Lena
Aadat Hi Bana Li Hai Es Shehar Ke Logon Ne

Rasty Main Agar Milna Nazron Ko Jhuka Lena
Awaaz Agar Do To Katra Ke Nikal Jana

Har Ek Say Juda Rehna Har Ek Say Khafa Rehna Har Ek Ka Gila Karna
Jaty Hoye Raahi Ko Manzil Ka Pata Day Kar Rasty Main Rula Dena

Aadat Hi Bana Li Hai Es Sheher Ke Logon Ne

Meri sada hawa main bohat door tak gayee Par main bula raha tha jasay , bay khaber raha


Meri sada hawa main bohat door tak gayee

Par main bula raha tha jasay , bay khaber raha


Khaak Urti Hy Raat Bhar Mujh Main Kaun Phirta Hy Dar-ba-Dar Mujh Main


Khaak Urti Hy Raat 

Bhar Mujh Main

Kaun Phirta Hy 

Dar-ba-Dar Mujh Main

Mujh Ko Mujh Main 

Jaga Nahi Milti

Koi Mojood Hy Is

Qadar Mujh Main


PHIR SE AANKHON MAIN,KHUWAAB,INSHA JI IJTINAAB,,,IJTINAAB,,,IJTINAAB INSHA JIIIIII



PHIR SE AANKHON MAIN,KHUWAAB,INSHA JI
IJTINAAB,,,IJTINAAB,,,IJTINAAB INSHA JIIIIII

Haath Chhoney Ki Dair Thi Uss Ka Titliyaan Urr Ke Paas Aane Lagi

 

Haath Chhoney Ki Dair Thi Uss Ka

Titliyaan Urr Ke Paas Aane Lagi

Hafiz Khurram


Raaton Ki Udaasi Mein Khaamosh Hai Dil Mera Behis Hain Tamannayein Neend Aayi Ke Maut Aayi


Raaton Ki Udaasi Mein Khaamosh Hai Dil Mera

Behis Hain Tamannayein Neend Aayi Ke Maut Aayi

Ek Shaam Woh Aaye Thay Ek Raat Firozaan Thi

 Woh Shaam Nahin Lauti Woh Raat Nahin Aayi


ASEEN DADHAY OKHAY SAA LlAWYAE SAADAY SEENAY DE WICH KIL


ASEEN DADHAY OKHAY SAA LlAWYAE

SAADAY SEENAY DE WICH KIL

AETHAY DILLAAN WICH DRD HOWAY 

SADAA DARDAAN DE WICH DIL


Urdu Hai Mera Naam Mein 'Khusro' Ki Pahaili Mein 'Meer' Ki Hamraaz Hon 'Ghalib' Ki Sahaili


Ek NAZM "Urdu Zubaan" Ahl-E-Zauq Ki Nazar

Urdu Hai Mera Naam Mein 'Khusro' Ki Pahaili

Mein 'Meer' Ki Hamraaz Hon 'Ghalib' Ki Sahaili

Daccan Ke 'Vali' Ne Mujhe Godi Mein Khilaaya

'Sauda' Ke Qaseedon Ne Mera Husn Barrhaya

Hai 'Meer' Ki Azmat Keh Mujhe Chalna Sikhaaya

Mein 'Daagh' Ke Aangan Mein Khili Ban Ke Chambeli

Urdu Hai Mera Naam Mein 'Khusro' Ki Pahaili

'Ghalib' Ne Bulandi Ka Safar Mujh Ko Sikhaaya

'Hali' Ne Murawwat Ka Sabaq Yaad Dilaaya

'Iqbal' Ne Aaina-E-Haq Mujh Ko Dikhaaya

'Momin' Ne Sajaaye Merey Khwaabon Ki Haveli

Urdu Hai Mera Naam Mein Khusro Ki Pahaili

Hai 'Zauq' Ki Azmat Keh Diye Mujh Ko Sahaare

'Chakbast' Ki Ulfat Ne Merey Khwaab Sanwaanre

'Fani' Ne Sajaaye Meri Palkon Pe Sitaarey

'Akbar' Ne Rachaayi Meri Be-Rang Hathaili

Urdu Hai Mera Naam Mein Hun 'Khusro' Ki Pahaili

Kyun Mujh Ko Banaate Ho Ta'assub Ka Nishaana???

 Mein Ne Toh Kabhi Khud Ko Musalmaan Nahin Maana

 Dekha Tha Kabhi Mein Ne Bhi Khushiyon Ka Zamaana

 Apney Hi Watan Mein Hun Magar Aaj Akaili

 Urdu Hai Mera Naam Mein 'Khusro' Ki Pahaili


Kia Sochtay Rehtay Ho Sada Raat Gaye Tak,Kis Qarz Ko Kartay Ho Ada,Raat Gaye Tak


کیا سوچتے رہتے ہو سدا، رات گئے تک
کس قرض کو کرتے ہو ادا، رات گئے تک

تھک ہار کے آ بیٹھا ہے، دہلیز پہ تیری
دیدار کا محسنؔ ہے گدا، رات گئے تک

یہ کون ہے یوسفؑ سا حسِیں ڈھونڈ رہا ہے
یعقوبؑ کوئی محوِ ندا، رات گئے تک

آ طُور پہ چلتے ہیں، ابھی رات ہے باقی
شاید ہمیں مل جائے خدا، رات گئے تک

شمع تیری آمد کو جلائی تھی سرِ شام
ہوتے رہے پروانے فدا، رات گئے تک

کچھ عالمِ تنہائی میں اشکوں نے دیا ساتھ
آنکھیں رہیں سیلاب زدہ، رات گئے تک

محسنؔ کو شبِ وصل ملا جام بَمشکل
ہو پائے نہ پھر دونوں جدا، رات گئے تک 


Na Main Keeta Karrka Tasbeeh Da Na Main Keeti Zuhd O Ibadat

Na Main Keeta Karrka Tasbeeh Da

Na Main Keeti Zuhd O Ibadat

Na Main Masjid Mandir Warriya

Na Keeti Taqwa Taait

Sachhal"Da Thaya Bakht Sajaya"

Jo Keeti Ishq Inayat


نہ میں کیتا کڑکا تسبی دا
نہ میں کیتی زهد عبادت

نہ میں مسجد ، مندر وڑیا
نہ کیتی تقوا طائت

"سچل" دا تهیا بخت سجایا،
جو کیتی عشق عنایت


Hai shoq-e-safar aisa keh mudatton hum ne Manzil bhi nahin paee rasta bhi nahin badla


Hai shoq-e-safar aisa keh mudatton hum ne

Manzil bhi nahin paee rasta bhi nahin badla


Dasht-e-Zalmat Mein Na Millat Ka Sitara Rakhna Dast-e-Dushman Pe Muqaddar Na Hamara Rakhna

Dasht-e-Zalmat Mein Na Millat Ka Sitara Rakhna

Dast-e-Dushman Pe Muqaddar Na Hamara Rakhna

Hum Ko Ghairon Ka Kabhi Dar Na Dekhana Mola

Tere Dar Par Hi Hamara To Guzaara Rakhna

Aziz Patnavi

Jo Khandaani Raa'es Hote Hain Wo Lehja Naram Rakhtay Hain Tera Lehja Batata Hai Ye Dolat Nayi Nayi Hai


Jo Khandaani Raa'es Hote Hain Wo Lehja Naram Rakhtay Hain

Tera Lehja Batata Hai Ye Dolat Nayi Nayi Hai


Hasrat hai Sirf tumhen pane ki, Aur koi khwaish nahi is diwane ki,


Hasrat hai

Sirf tumhen pane ki,

Aur koi khwaish nahi is diwane ki,

Shikavaa mujhe tumse nahi khuda se hai,

Kya zaroorat thi,

Tumhe itna khoobsurat banane ko..!!!


Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs Hua charagh to Ghar hi jala gaya ek shakhs

 

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs
Hua charagh to Ghar hi jala gaya ek shakhs

Mein kis hawa mein urroon kis faza mein lehraoun?
Dukhon k jaal her ek soo bicha gaya ek shakhs...

Tamam rang meray or Saray khawab meray...
Fasaana thay! k fasaana banaa gaya ek shakhs?

Palat Sakoon hei, na aagay hi barh sakoon jisper...
Mujhe ye konsay rasteay laga gaya ek shakhs???

Mohabbatain bhi ajab - uski nafratain bhi kamal!
Merii hi tarah ka mujh main samaa gaya ek shakhs...

Woh mahtaab tha, merham badast aaya tha..
Magr kuch aur Siwa Dil Dukha gaya ek shakhs..

Mohabaton ne kisi ki bhula rakha tha ussay
Milay wo zakhm k phir yaad aa gaya ek shakhs!

Khula ye raaz k aaina khana hai duniya
Or usmain mujhko tamasha bana gaya ek shakhs

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs

Hua charagh to Ghar he jala gaya ek shakhs



Pal-pal me Tutte dil ka Ishara hun mai Dal-dal me


Pal-pal me

Tutte dil ka

Ishara hun mai

Dal-dal me

Dubti aashaon ka

Paiygam hun mai

Mujh se itna bhi

Mat khel aye zindagi

Kisiki

Bandagi ki saugat hun mai


Pyase hotho ko aansu Pila diya Mohabat ka ek krzz tha usko chuka diya


Pyase hotho ko aansu Pila diya  

Mohabat ka ek krzz tha usko chuka diya

Maine kaha tha dil me roshni ko 

Esi bahane hi usne mera dil jala diya


dard tha dil m pr dikhaya nhi ansuu tha ankho m pr kv roye nhi


dard tha dil m pr dikhaya nhi
 
ansuu tha ankho m pr kv roye nhi

yhi frk h dosti aur pyr m ‪ishq n hasne nhi diya aur ‪dost ne rone nhi diya

Sta Ba Der Khuwakh Shi Zamung Kalay Charta Rasha Kana Janana Sta Pa Shaan Dy Khukulay Charta Rasha Kana (Pushto)

 

Sta Ba Der Khuwakh Shi Zamung Kalay Charta Rasha Kana

Janana Sta Pa Shaan Dy Khukulay Charta Rasha Kana

Tu Ba Pre Zaangy  Zu Ba Dam Pa Dam Taalai DarKom

Bera Ke Taal Mi Achaolay Charta Rasha Kana

Da Ghrau Lamana Ke Gabeen Du Naro Tooro Macho

Janana Taa La Mi Saatalay Charta Rasha Kana

Zamung Da Kharre Ghuwa Shomley Che Pa Kandol Ke Oskey

Hagha Dum Ba Khobawaley Charta Rasha Kana

Pa Zelo Zelo Ke Ye Shna Shna Ghunchakona Karri

Zamung Angoor Ra-Rasedalay Charta Rasha Kana

**********NOMI **********


ستا بہ ڈیر خوخ شی زمونگ کلے چرتہ راشہ کنہ

جانانہ ستاپہ شان دے خکلے چرتۂ راشہ کنہ

تۂ بہ پرے زانگی زہ بہ دم پہ دم ٹالئ درکوم

بیرا کی ٹال می اچولے چرتہ راشہ کنہ

دغرۂ لمنہ کی گبین د نرو تورو مچو

جانانہ تالہ می ساتلے چرتہ راشہ کنہ

زمونگ د خڑی غوا شوملی چہ پہ کنڈول کی اوسکی

ھغہ دم بہ خوبولے چرتہ راشہ کنہ

پہ زیلو زیلو کی ئ شنۂ شنۂ غونچکونہ کڑی

زمونگ انگور رارسیدلے چرتہ راشہ کن


Thhak kar younhi dam bhar ko zara aankh lagi thi So kar hi na utthen, ye iradah to nahi tha

Thhak kar younhi dam bhar ko zara aankh lagi thi

So kar hi na utthen, ye iradah to nahi tha

Ahmad Nadeem Qasmi

Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay, Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay,

Poetess Naina'n

Collection 

Aroosa Emaan

Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay,

Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay,

Jis Din Ghar Say Bhag K Shehar Ponchi Thi,

Bhag Bhari K Bhag Usi Din Phootay Thay,

Mazhab Ki Bunyad Ye Kaya Taqseem Hui ?

Hamsayon Nay Hamsaye Hi Lootay Thay,

Shokh Nazar Ki Chutki Nay Nuqsan Kiya,

Hathon Say Chae K Bartan Chhootay Thay,

Aurrh K Phirti Hai Jo NAINA'N Sari Raat,

Us Raisham Ki Shal Pay Yaad K Bootay Thay.................!

شاعرہ نیناں

انتخاب عروسہ ایمان

آدھی رات کے شاید سپنے جھوٹے تھے
یا پھر پہلی بار ستارے ٹوٹے تھے

جس دن گھر سے بھاگ کے شہر پنہچی تھی
بھاگ بھری کے بھاگ اسی دن پھوٹے تھے

مذھب کی بنیاد یے کیا تقسیم ہوئی؟
ہمسائیوں نے ہمساۓ ہی لوٹے تھے

شوخ نظر کی چٹکی نے نقصان کیا
ہاتھوں سے چاۓ کے برتن ٹوٹے تھے

اوڑھ کے پھرتی ہے جو نیناں ساری رات
اس ریشم کی شال پے یاد کے بوٹے تھے

Chaaragar Haar Gaya Ho Jaisay Ab To Marna Hi Dawa Ho Jaisay

Poetess:Parveen Shakir

Chaaragar Haar Gaya Ho Jaisay

Ab To Marna Hi Dawa Ho Jaisay

Mujh Se Bichrra Tha Woh Pehle Bhi Magar

Ab Ke Ye Zakham Naya Ho Jaisay

Mere Maathay Pe Tere Piyaar Ka Haath

Rooh Par Dast-e-Saba Ho Jaisay

Youn Buhat Hans Ke Mila Tha Lekin

Dil Hi Dil Mein Woh Khafa Ho Jaisay

Sar Chupaaen To Badan Khulta Hai

Zeest Muflis Ki Rida Ho Jaisay


پروین شاکر

چارہ گر، ہار گیا ہو جیسے
اب تو مرنا ہی دَوا ہو جیسے

مُجھ سے بچھڑا تھا وہ پہلے بھی مگر
اب کے یہ زخم نیا ہو جیسے

میرے ماتھے پہ ترے پیار کا ہاتھ
رُوح پر دست صبا ہو جیسے

یوں بہت ہنس کے ملا تھا لیکن
دل ہی دل میں وہ خفا ہو جیسے

سر چھپائیں تو بدن کھلتا ہے
زیست مفلس کی رِدا ہو جیسے

 

Aisa Bhi Koi Sapna Jage, Sath Mere Ik Dunya Jage,

Poet Nasir Kazmi

Type

 By
*_UJRRA_DIL_*

Aisa Bhi Koi Sapna Jage,

Sath Mere Ik Dunya Jage,

Woh Jage Jise Neend Na Aaye,

Ya Phir Koi Mere Jesa Jage,

Hawa Chali To Jage Jangal,

Nawo Chale To Nadiya Jage,

Raatoon Mein Ye Raat Amr Hai,

Kal Jage To Phir Kaya Jage,

Data Ki Nagri Mein NASIR,

Main Jaagoon Ya Data Jage.......................*

 


شاعر
ناصر کاظمی
بوک دیوان صفحہ 103
انتخاب اجڑا دل
ایسا بھی کوئی سپنا جاگے
ساتھ میرے اک دنیا جاگے
وہ جاگے جسے ننید نہ آۓ
یا کوئی میرا جیسا جاگے
ہوا چلی تو جاگے جنگل
ناؤ چلے تو ندیا جاگے
راتوں میں رات امر ہے
کل جاگے تو پھر کیا جاگے
داتا کی نگری میں ناصر
میں جاگوں یا داتا جاگے

Mere aib mujhe ungliyon pe ginwaao, Bas meri ghair maujoodgi mein mujhe bura na kehna


Mere aib mujhe ungliyon pe ginwaao,

Bas meri ghair maujoodgi mein mujhe bura na kehna


Teri Yaad Thi Tera Dard Tha, Main Jahan Raha Main Jidhar Gaya Mera Din To Yon hi Guzar Gaya, Jab Sham Hui Main Bikhar Gaya


Teri Yaad Thi Tera Dard Tha, Main Jahan Raha Main Jidhar Gaya
Mera Din To Yon hi Guzar Gaya, Jab Sham Hui Main Bikhar Gaya,

Is Abar Ka Mery Yaar Se
Kitna Milta Julta Mizaj Hai,

Kabhi Toot K Baras Gaya,
Kabhi Bay-Rukhi Se Guzar Gaya,

Jab Chor Doon Ga Main Wo Gali, Usy Yaad Aaye Gi Tab Meri,

Jab Logon Se Wo Puchay Ga, To Khabar Mily Gi Main Marr Gaya,

Aaj Tang Hai Wo Mery Naam Se, Magar Dekhna Mery 'D0ST'

Wo Logon Ko Rook K Puchay Ga,

Wo Kidhar Gaya?
Wo Kidhar Gaya??


Laakh Samjhaya Tujhe Shak Karti Hai Dunya Guzar Jaaya Karo Muskuraya Na Kar

 

Laakh Samjhaya Tujhe Shak Karti Hai Dunya
Guzar Jaaya Karo Muskuraya Na Kar

لاکھ سمجھایا تجھے
شک کرتی ہے دنیا
گزر جایا کر مسکرایا نہ کر


Zara Si Tabiat Kiya Nasaaz Hui Mere Abbas Bachay Wakeel Ko Bula Kar Laaye Tabeeb Se Pehlay



Zara Si Tabiat Kiya Nasaaz Hui Mere Abbas

Bachay Wakeel Ko Bula Kar Laaye Tabeeb Se Pehlay


Ek baat kahoon Gar suun'te ho Tum mujh ko ach'che lag'te ho


Ek baat kahoon

Gar suun'te ho

Tum mujh ko ach'che lag'te ho

Kuchh jheel se geh're

Chhup chhup se
Kuchh pagal pagal lag'te ho

Ek baat kahoon

Gar suun'te ho

Hein chhah'ne wa'le aur buhat

Par tum mein hai ek baat buhat

Tum ap'ne ap'ne lag'te ho

Ek baat kahoon

Gar suun'te ho

 

Mohabbat mein jhukna koi baat nahi Chamakta sooraj bhi tu dhal jata hai chandni k liye


Mohabbat mein jhukna koi baat nahi

Chamakta sooraj bhi tu dhal jata hai chandni k liye


Umar Ki Saari Thakaan Laad Ke Ghar Jata Hon Raat Bistar Pe Main Sota Nahi Mar Jata Hon

 

Umar Ki Saari Thakaan Laad Ke Ghar Jata Hon

Raat Bistar Pe Main Sota Nahi Mar Jata Hon

Pat'tharon ki dunya men Log bhi hen pat'thar ke


Pat'tharon ki dunya men

Log bhi hen pat'thar ke

Lakh zal'zale aa 'ain

Woh hila nahin kar'te

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

Pathar Hi Lagein Ge Har Simt Se Aa Kar

Ye Jhoot Ki Duniya Hai Yahan Such Na Kaha Kar

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

ghazab ki dhoop thi,tanhayon k jngal main

shajar bohat thay magar,koi sayadaar na tha


Zindagi kion ujaar dee nasir Baap turkay may day gya tha kia?


Zindagi kion ujaar dee nasir

Baap turkay may day gya tha kia?


Barish Sharab-e-Arsh hai, Ye Soch Kar ‘Addam’

 (1)

Barish Sharab-e-Arsh hai, Ye Soch Kar ‘Addam’

Barish Ke Sab Haroof Ko Ulta Ke Pee Gaya

(2)

Ahsas Badal Jatay Hai Bas Aur Kuch Nahi...
Warna Nafrat Aur Mohabbat Aik Hi Dil Say Hoti Hai...!


Matlab Mamlat Ka Kuch Pa Gia Hon Main, Hans Kar Fareb-E-Chashm-E-Karam Kha Gia Hon Main,


Poet Abdul Hameed Addam

Matlab Mamlat Ka Kuch Pa Gia Hon Main,

Hans Kar Fareb-E-Chashm-E-Karam Kha Gia Hon Main,

Bas Intaha Hai Choriye Bas Rehne Dijiye,

Khud Apne Itamad Se Sharma Hon Main,

Saqi Zara Nigah Mila Kar To Dekhna,

Kam Bakht Hosh Mein To Nahi Aa Gia Main Hon,

Shaid Mujhe Nikal K Pachta Rahe Hon Aap,

Mehfil Mein Is Khayal Se Phir Aa Gia Hon Main,

Kia Ab Hisab Bhi To Mera Le Ga Hashar Mein,

Kia Ye Atab Kam Hai Yahan Aa Gia Hon Main,

Main Ishq Hon Mera Bhala Kia Kaam Daar Se,

Wo Shara Thi Jisay Wahan Latka Gia Hon Main,

Nikla Tha Maikade Se K Ab Ghar Chalon,

ADAM

Ghabra K Soo-E-Maikada Phir Gia Hon Main...............!

Page 92,93


Jee Dekha Hai Mar Dekha Hai, Hum Ne Sab Kuch Kar Dekha Hai,


Poet Habeeb Jalib

Jee Dekha Hai Mar Dekha Hai,

Hum Ne Sab Kuch Kar Dekha Hai,

Barg-E-Aawara Ki Soorat,

Rang-E-Khushak-O-Tar Dekha Hai,

Thandi Aahein Bharne Walo,

Thandi Aahein Bhar Dekha Hai,

Teri Zulfon Ka Afsana,

Rat K Honton Par Dekha Hai,

Apne Deewano Ka Aalam,

Tum Ne Kab Aa Kar Dekha Hai,

Anjum Ki Khamosh Fizaa Mein,

Main Ne Tumhain Aksar Dekha Hai,

Hum Ne Is Basti Mein JALIB,

Jhoot Ka Oncha Sir Dekha Hai*.*


Badshah Tere Aesaab Pe Tari Main Thi, Wo Bhi Din Thay K Teri Raj Kumari Main Thi (Raj Kumari)


===========
Raj Kumari
===========

Poetess: Rehana Qamar

Badshah Tere Aesaab Pe Tari Main Thi,

Wo Bhi Din Thay K Teri Raj Kumari Main Thi,

Ye Bhi Sach Hai K Mujhe Maar Dia Hai Too Ne,

Ye Bhi Sach Hai K Tujhe Jan Se Pyari Main Thi,

Sari Dunia Ko Pata Hai K Nahi Tum Mere,

Sari Dunia Ko Pata Hai K Tumhari Main Thi,

Ab To Ek Jisam Hon Jis Mein Koi Dharkan Hai Na Dil,

Kabhi Sanson Ki Tarah Jari-O-Sari Main Thi,

Too Mere Bad Bhi Zinda Hai Bahut Zinda Hai,

Kaise Maano K Teri Waqt Guzari Main Thi..............!


Bdal Gya Waqt Badal Gai Baten Badal Gai Mohbbat Bus Kuch Na Badla To In Ankhon Mn Nami"Or Ek Teri Kami


Bdal Gya Waqt

Badal Gai Baten

Badal Gai Mohbbat

Bus Kuch Na Badla To In Ankhon Mn Nami"Or Ek Teri Kami


Hum se bhaga na karo door,Ghazalo'n ki tarah Hum ne chaha hai tumhein chahne walo ki tarah


Hum se bhaga na karo door,Ghazalo'n ki tarah 

 Hum ne chaha hai tumhein chahne walo ki tarah


Sawaal yeh tha k husn-e-yaar kaisa hai Jawaab yeh tha k uska koi jawaab nahi


Sawaal yeh tha k husn-e-yaar kaisa hai

Jawaab yeh tha k uska koi jawaab nahi


Kuch Iss Tarah Tarrap Kar Main Be-Qaraar Roya Dushman Bhi Cheekh Utha,Be-Ikhtiyaar Roya

Kuch Iss Tarah Tarrap Kar Main Be-Qaraar Roya

Dushman Bhi Cheekh Utha,Be-Ikhtiyaar Roya

Kia Uss Ko Be-Qaraari Yaad Aa Gai Humari

Mil Mil Ke Bijliyon Se Abr Bahaar Roya

"Faani" Ko Ye Junoon Hai Ya Teri Aarzoo Hai

Kal Naam Le Ke Tera Be-Ikhtiyaar Roya

Faani Badayoni



کچھ اس طرح تڑپ کر میں بے قرار رویا
دشمن بھی چیخ اُٹھا ، بے اختیار رویا
کیا اُس کو بے قراری یاد آگئی ہماری
مل مل کے بجلیوں سے ابر بہار ، رویا
فانی کو یہ جنوں ہے یا تیری آرزو ہے
کل نام لے کے تیرا بے اختیار رویا
فانی بدایونی

Goud-e-Maader Se Abhi Utra Hi Tha Keh Dekha Main Ne Ghar Bahaar Bhai Behn Muntazir Hain Meri Kamaayi K


Goud-e-Maader Se Abhi Utra Hi Tha Keh Dekha Main Ne

Ghar Bahaar Bhai Behn Muntazir Hain Meri Kamaayi Ke



گود مادر سے ابھی اترا ہی تھاکہ دیکھا میں نے
گھر بھار بھائی بہن منتظر ہیں میری کمائی کے

Bulleh Shah Zehr Vekh Ke Peeta Te Ki Peeta? Ishq Soch Ke Keeta Te Ki Keeta ?


Bulleh Shah Zehr Vekh Ke Peeta Te Ki Peeta?

 Ishq Soch Ke Keeta Te Ki Keeta ?

Dil De Ke Dil Leyn Dee Aas Rakhi

 Ve Bulyha Pyaar Eho Jiya Keeta Te Ki Keeta ?


Mohabbat Naaz Hai, Yeh Naaz Kab Har Dil Se Uth'ta Hai, Yeh Woh Sang-E-Giran Hai Jo Barri Mushkil Se Uth'ta Hai


Poet:Nasseer-O-Deen Nasseer Gillani

Type By
*._.Murtaza._*

Mohabbat Naaz Hai,
Yeh Naaz Kab Har Dil
Se Uth'ta Hai,

Yeh Woh Sang-E-Giran
Hai Jo Barri Mushkil Se Uth'ta Hai,

Lagi Main ISHQ Ki,
Shoalla Koi Mushkil Se
Uth'ta Hai,

Jallan Rehti Hai
Aankhon Main,
Dhuwaan Se Dil Se
Uth'ta Hai,

Teri Nazroon Se Gir
Kar Jab Koi Mehfil Se
Uth'ta Hai,

Barri Diqatt, Barri
Zehmat, Barri Mushkil
Se Uth'ta Hai,

Jo Aa Kar Baith'ta Hai,
Baith Kar Woh Phir
Nahi Uth'ta,

Jo Uth'ta Hai Toh Bus
Fitnaa Teri Mehfil Se
Uth'ta Hai,

Manaa Kar Hi Tumhen
Dam Lenge, Yeh Tay
Kar Liya Hum Ne,

Tumhari Na Khushi
Ka Bojh Kis Ke Dil Se
Uth'ta Hai,

Ye Aalam Hai Tere
Beemar-E-Ulfat Ki
Naqaahat Ka,

Ishaare Ke Liye Ab
Haath Mushkil Se
Uth'ta Hai,

Zaroorat Hai Toh
Gardaab-E-Balaa Main
Aafiyat Dhoondo,

Ke Ab Toofan Aksar
Daaman Saahil Se
Uth'ta Hai,

Mohabbat Ka Safar Be
Intihaa Aasaan Sahi,
Lekin,

Jo Gir Parrta Hai
Rasste Main Woh Phir
Mushkil Se Uth'ta Hai,

Teri Mehfil Kisi Ko
Jeete Ji Uth'ne Nahi
Daiti,

Woh Hai Zindaah
Janaazah Jo Teri
Mehfil Se Uth'ta Hai,

Tera Beemar Kiya Aa
Kar Sunaa'e Tujh Ko
Haal Apna,

Zabaan Mushkil Se
Chalti Hai, Qadam
Mushkil Se Uth'ta Hai,

Yeh Kis Deewana-E-
ISHQ-O-Wafa Ne Raah
Tay Kar Li,

Salaami Ko Bagolaa
Gardish-E-Manzil Se
Uth'ta Hai,

Tamana Toh Nasseer
Us Bazam Main Jaane
Ki Hai, Lekin,

Suna Hai Jo Wahan
Baithe, Barri Mushkil
Se Uth'ta Hai...............!

Book Name
Dast-E-Nazar
Page 239-240


Meri Thorri Sii Saansain Khareedo Gay Tum Mujh Ko Zindagi Ab Kam Sii Lag Rahi Hai


 

Meri Thorri Sii Saansain Khareedo Gay Tum

Mujh Ko Zindagi Ab Kam Sii Lag Rahi Hai

Poet:Hafiz Khurram




Din Kuch Aise Guzaarta Hai Koi,Jaise Ehsaan Utaarta Hai Koi

 

Din Kuch Aise Guzaarta Hai Koi,Jaise Ehsaan Utaarta Hai Koi

Aaina Dekh Kar Tasalli Hui,Humko Iss Ghar Mein Jaanta Hai Koi


Is K Gham Ko Gham-E-Hasti Too Mere Dil Na Bana. Zeest Mushkil Hai, Isay Aur Bhi Mushkil Na Bana

Poet Hamaayat Ali Shaayr

Collection Uroosa Emaan

Is K Gham Ko Gham-E-Hasti Too Mere Dil Na Bana.

Zeest Mushkil Hai, Isay Aur Bhi Mushkil Na Bana.

Too Be Mehdood Na Ho, Mujh Ko Be Mehdood Na Kar

Apne Naqsq-E-Paa Ko Meri Manzal Na Bana.

Aur Barrh Jaye Ge Werani-E-Dil, Jaan-E-Jahan

Meri Khalowat-E-Gaah Khamosh Ko Mehfal Na Bana.

Dil K Har Khail Mein Hota Hai Bohat Jaan Ka Ziyaan

Isaq Ko Isaq Samjh Mashgala-E-Dil Na Bana.

Phir Meri Aass Banrrah Kar Kar Mujhe Mayoos Na Kar.

Hasil-E-Gham Ko Khizrara Gham-E-Hasil Na Bana...................*

Qaatil Hain Tumhari Katori Aankhein Nashey Se Sar Shaar Bilori Aankhein

 

 

Qaatil Hain Tumhari Katori Aankhein

Nashey Se Sar Shaar Bilori Aankhein

Kia Kahon Na Kahon Uff Haai Aankhein

Jaam Dar Jaam Dar Jaam Dar Jaam Aankhein

قاتل ہیں تمہاری کٹوری آنکھیں

نشے سے سرشار بلوری آنکھیں

کیا کہوں نہ کہوں اف ہائے آنکھیں

جام در جام در جام در جام آنکھیں

Oth na jaey aitabar zamaany ka Ay muhabbat Kisi ko tu raas aa tu


Oth na jaey aitabar zamaany ka

Ay muhabbat Kisi ko tu raas aa tu

Morr Morr Ke Usay Dekhna Chahen Meri Aankhein Kuch Door Mujhe Chorne Aaya Tha Jo Ik Shaks


Morr Morr Ke Usay Dekhna Chahen Meri Aankhein
Kuch Door Mujhe Chorne Aaya Tha Jo Ik Shaks

Munkar Hai Wahi Ab Meri Pehchaan Ka Mosin
Aksar Mujhe Khat Khoon Se Likhta Tha Jo Ik Shaks
Mohsin Naqvi

ﻣُﮍ ﻣُﮍ ﮐﮯ ﺍسے ﺩﯾﮑﮭﻨﺎ ﭼﺎﮨﯿﮟ میری آﻧﮑﮭﯿﮟ
  ﮐﭽﮫ ﺩﻭﺭ ﻣﺠﮭﮯ ﭼﮭﻮﮌﻧﮯ آﯾﺎ ﺗﮭﺎ ﺟﻮ ﺍﮎ ﺷﺨﺺ

ﻣﻨﮑﺮ ﮨﮯ ﻭﮨﯽ ﺍﺏ میرﯼ ﭘﮩﭽﺎﻥ ﮐﺎ ﻣﺤﺴﻦ
 ﺍﮐﺜﺮ ﻣﺠﮭﮯ ﺧﻂ ﺧﻮﻥ ﺳﮯ ﻟﮑﮭﺘﺎ ﺗﮭﺎ ﺟﻮ ﺍﮎ ﺷﺨﺺ
ﻣﺤﺴﻦ ﻧﻘﻮﯼ

Ghuroor-e-husn ki Madahoshi me Unko ye khabar nahi Kaun chahega Siva mere unko Umar dhal jane ke baad

Ghuroor-e-husn ki
Madahoshi me
Unko ye khabar nahi

Kaun chahega
Siva mere unko
Umar dhal jane ke baad

Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai


Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai

Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai

Main tujhse door kaisa hon,tu mujhse door kaisi hai?

Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai

Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahani hai

kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai

Yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aansoo hai

Jo tu samjhe to moti, jo na samjhe toh paani hai

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta

Yeh aasuu pyaar ka moti hai isko kho nahi sakta

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le

Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama

Humare dil mein koi khuwaab pal baitha to hungama

Abhi tak doob kar sunte the sab qissa mohobbat ka

Main qisse ko haqeeqat mein badal baitha to hungama

Bohat bikhra bahut toota thapere seh nahi paaya

Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya

Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka qissa

Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya

Main uska hon wo is ehsaas se inkaar karta hai

Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai

yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin

Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain

Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain

Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain

Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain

DR.KUMAR VISHWAS

 

Dil k jalty hoey zakhmon ko hawa mat dena Koi poochy bhi tu tum dil ka pata mat dena


Dil k jalty hoey zakhmon ko hawa mat dena

Koi poochy bhi tu tum dil ka pata mat dena

keh ab iss door k andar koi majnu nahi hota

Koi ranjha nahi banta

qadam do chaar chalny sy safar sanjha nahi hota


Mere Dil Ka Manzar Judaai Ki Aag Mein Aik Jalta Howa Shaks Sholon Mein Lepta Howa


منظر

میرے دل کا
منظر
جدائی کی آگ میں
جلتا ہوا
ایک شخص
شعولوں میں
لپٹا ہوا

شاعر ایازخان

 

Scene

A scene of my heart:

In the fire of alonenes someone is burning,

 the flames wrapped him


Apne Se Oncha Jo Sanam Dekhtay Hain Zindagi Mein Ranj-O-Alm Dekhtay Hain

 

Allama Muhammad Iqbal Ki Aik Hindu Larki Par Nazar Par Gai

Larki Buhat Khubsorat Thi

Iqbal Baar Baar Dekh Rahe Thay

Keh Larki Boli...!!

Apne Se Oncha Jo Sanam Dekhtay Hain

Zindagi Mein Ranj-O-Alm Dekhtay Hain

Is Par Iqbal Ne Kaha

Na Tujh Se Gharaz Na Teri Soorat Se Gharaz

Hum To Musawwer Ka Qalam Dekhtay Hain


Musarrat Naama Mere Preetam Main Kuch Lamhe Kabhi Aise Bataon


مسرت نامہ
میرے پریتم میں کچھ لمحے
کبهی ایسے بتاؤں کہ
میرے کمرے میں آتش دان
سے چند گز کی حدت پہ !
تیرے سائے سے متصل
شامیانے گهیر لیں مجھ کو
"لجاہٹ" کی حنا بندی
کی رسم_مسکراہٹ ہو !
کچھ الہڑ خواہشات دهڑکنوں
کی ڈهولکی رکھ لیں
 ملن کے گیت گاتی ہوں
خوشی کی نو عمر سکهیاں
یہی حلیہ رہے تحریر
 جب تک آن نہ پہنچے !
بهری بارات جزبوں کی
 قیامت سے مشابہ ہو
"وصل" کا خوبرو دولہا
 بنام_صدقہ و خیرات
اڑائے سرخ شگوفے
بدن تیرا، بدن میرا
تیری باہوں کے حجلے میں
انہی خوش رنگ مناظر کا
ہنگامہ جب ٹلے تهوڑا
 تو اک نعرہء ہیجانی میں
شمع کی حکمرانی کو
ہتهیلی یوں صفر کر دے
 کہ دو جسموں کے چندن پہ
لبوں کے کاریگر دستے
وہ مینا کاریاں چهوڑیں
لجاہٹ بس وصل کو تان
کر حلول ہو جائے
 کہ شاخ_زعفرانی میں
یہ لمحہ طول ہو جائے
میں ازروئے قسم ! بولوں
 اگر تو ساتھ نہ چهوڑے
تو لزت ایک غنچے سے
چمن کا پهول ہوجائے
رچنا: رزب تبریز

Aankhein onchi hoien tu dua ban gaein Aankhein neechi hoien tu haya ban gaein


Aankhein onchi hoien tu dua ban gaein

Aankhein neechi hoien tu haya ban gaein

Jo jhuk kar othein tu khata ban gaein

Aur oth kar jhukein tu adaa ban gaein


Tere Ishq Ki Parh Gai Maar Piya,Main Roi Zaar-O-Zaar Piya


تیرے عشق کی پڑھ گئی مار پیا
میں روئی زار و زار پیا
تو دل لے کے دکھ دیتا ہے
یہ کیسا ہے بیوپار پیا
میں دھول فقط تیرے قدموں کی
تو من کا ہے اوتار پیا
تو قدم زمیں پہ رکھے تو
ہو سینے میں جنھکار پیا
میں پیاس ہوں جیسے صحرا کی
تو چشمہ ٹھنڈا ٹھار پیا
مجھے عشق اڑائے پھرتا ہے
اس پار کبھی اسُ پار پیا
کس چال سے تو نے باندھا ہے
میں بھول گئی سب وار پیا

Meda Ishq vi Tuun,Meda Yaar Vi Tuun Meda Deen Vi Tuun,Emaan Vi Tuun


اہل ذوق کی نظر
دیوان فرید
حضرت خواجہ غلام فرید
میڈا عشق وی تُوں، میڈا یار وی تُوں
میڈا دین وی تُوں، ایمان وی تُوں۔
میڈا جسم وی تُوں، میڈا روح وی تُوں
میڈا قلب وی تُوں، جند جان وی تُوں۔
میڈا کعبہ قبلہ مسجد منبر۔ 
مصحف تے قرآن وی تُوں۔
میڈے فرض فریضے حج زکاتاں۔
صوم صلات اذان وی تُوں۔
میڈی زہد عبادت طاعت تقویٰ۔
علم وی تُوں، عرفان وی تُوں۔
میڈا ذکر وی تُوں، میڈا فکر وی تُوں۔
میڈا ذوق وی تُوں وجدان وی تُوں۔
میڈا سانول مٹھڑا شام سلوُنا۔ 
من موہن جانان وی تُوں۔
میڈا مرشد ہادی پیر طریقت۔ 
شیخ حقایق دان وی تُوں۔
میڈا آس امید تے کھٹیا وٹّیا۔
تکیہ مان تران وی تُوں۔
میڈا دھرم وی تُوں میڈا بھرم وی تُوں
میڈا شرم وی تُوں میڈا شان وی تُوں
میڈا دکھ سکھ روون کھلن وی تُوں۔
میڈا درد وی تُوں درمان وی تُوں۔
میڈا خوشیاں دا اسباب وی تُوں۔
میڈے سُولاں دا سامان وی تُوں۔ 
میڈا حسن تے بھاگ سہاگ وی تُوں
میڈا بخت تے نام نشان وی تُوں۔
میڈا دیکھن بھالن جاچن جُوچن۔ 
سمجھن جان سنجان وی تُوں۔
میڈے ٹھڈرے ساہ تے مونجھ منجھاری
ہنجواں دا طوفان وی تُوں۔
میڈے تلک تلولے سیندھاں مانگاں۔
ناز نہورے تان وی تُوں۔
مینڈی مہندی کجّل مُساگ وی تُوں۔
میڈی سرخی بیڑا پان وی تُوں۔
میڈی وحشت جوش جنون وی تُوں۔
میڈا گریہ آہ فغان وی تُوں۔
میڈا شعر عروض قوافی تُوں۔
میڈا بحر وی تُوں اوزان وی تُوں۔
میڈا اوّل آخر اندر باہر۔
ظاہر تے پنہان وی تُوں۔
میڈا فردا تے دیروز وی تُوں۔ 
الیوم وی تُوں الآن وی تُوں۔
میڈا بادل برکھا کھمنیاں گاجاں۔ 
بارش تے باران وی تُوں۔
 تھلڑا۔
 روہی چولستان وی تُوں
جے یار فرید قبول کرے۔
 سرکار وی تُوں، سلطان وی تُوں۔ 
نہ تاں کہتر کمتر احقر ادنیٰ۔
لاشئے لا امکان وی تُوں۔

Jab Seene Andar Sans K Darya Dolte Hain Jab Muasam Sarad Hawa Mein


شاعر فرحت عباس شاہ
بک آنکھوں کے پار چاند صفحہ 62
انتخاب اجڑا دل
جب سینے اندر سانس کے دریا ڈولتے ہیں
جب موسم سرد ہوا میں چپ سی گھولتے ہیں
جب آنسو پلکیں رولتے ہیں
جب سب آوازیں اپنے اپنے بستر پہ سوجاتی ہیں
تب آہستہ آہستہ آنکھیں کھولتے ہیں
دکھ بولتے ہیں

Jab Seene Andar Sans K Darya Dolte Hain
Jab Muasam Sarad Hawa Mein
Chup Si Gholte Hain
Jab Aansoo Palakein Rolte Hain
Jab Sub Aawazein Apne Apne Bister Pe So Jati Hain
Tab Aahista Aahista Aankhein Kholte Hain
Dukh Bolte Hain

Aadat Hi Bana Li Hai Is Shehr K Logon Ne


عادت ہی بنا لی ہے اس شہر کے لوگوں نے ،،
انداز بدل لینا ،،
اواز بدل لینا ،،
دنیا کی محبت میں ،،
اطوار بدل لینا ،،
موسم جو نیا آہے ،،
رفتار بدل لینا ،،
اغیار وہی رکھنا ،،
احباب بدل لینا ،،
عادت ہی بنا لی ہے اس شہر کے لوگوں نے ،،
رستے میں اگر ملنا ،،
نظروں کو جھکا لینا ،،
اواز اگر دو تو کترا کے نکل جانا ،،
جاتے ہوے راہی کو ،،
منزل کا پتہ دے کر ،،
رستے میں رُلا دینا ،،
عادت ہی بنا لی ہے اس شہر کے لوگوں نے

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo