Dekho Is Tarah Bhi Hota Hai Muhabbat Mein Kahein


 

تم میرے عکس میں اب خود کو ابھرتا دیکھو
دیکھ سکتے ہو تو خود کو مجھ میں مرتا دیکھو

دیکھو اس طرح بھی ہوتا ہے محبت میں کہیں
جس کو چاہو اسے دل سے بھی اترتا دیکھو

کیسے چپ چاپ کئی سال گزارے دل نے
عین ممکن ہے اب اس کو دھڑکتا دیکھو

بےدھیانی بھی کئی رنگ لگا سکتی ہے
اب ذرا غور سے تم خود کو تڑپتا دیکھو

چھین کر مجھ سے میری بینائی سب
بےضمیری کو میرے دل میں بھڑکتا دیکھو

جو بنایا تھا تم نے کبھی بڑے چاو کے ساتھ
آو اس شہر محبت کو اب اجڑتا دیکھو

جس نے احسان محبت کا کیا تھا تم پر
اب اسی دل کو کسئ اور پر مرتا دیکھو

قمر جلالوی


Sar Ba Sar Yaar Ki Marzi Pe Fida Ho Jana


 

ﺳﺮ ﺑﺴﺮ ﯾﺎﺭ ﮐﯽ ﻣﺮﺿﯽ ﭘﮧ ﻓﺪﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﮐﯿﺎ ﻏﻀﺐ ﮐﺎﻡ ﮨﮯ ﺭﺍﺿﯽ ﺑﮧ ﺭﺿﺎ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺑﻨﺪ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ! ﻭﮦ ﭼﻠﮯ ﺁﺋﯿﮟ ﺗﻮ ﻭﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺍﻭﺭ ﯾُﻮﮞ ﭘُﮭﻮﭦ ﮐﮯ ﺭﻭﻧﺎ ﮐﮧ ﻓﻨﺎ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﻋﺸﻖ ﻣﯿﮟ ﮐﺎﻡ ﻧﮩﯿﮟ ﺯﻭﺭ ﺯﺑﺮﺩﺳﺘﯽ ﮐﺎ
ﺟﺐ ﺑﮭﯽ ﺗُﻢ ﭼﺎﮨﻮ ﺟُﺪﺍ ﮨﻮﻧﺎ، ﺟُﺪﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺗﯿﺮﯼ ﺟﺎﻧﺐ ﮨﮯ ﺑﺘﺪﺭﯾﺞ ﺗﺮﻗّﯽ ﻣﯿﺮﯼ
ﻣﯿﺮﮮ ﮨﻮﻧﮯ ﮐﯽ ﮨﮯ ﻣﻌﺮﺍﺝ ﺗﺮﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺗﯿﺮﮮ ﺁﻧﮯ ﮐﯽ ﺑﺸﺎﺭﺕ ﮐﮯ ﺳﻮﺍ ﮐﭽﮫ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ
ﺑﺎﻍ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﮐﮭﮯ ﺩﺭﺧﺘﻮﮞ ﮐﺎ ﮨﺮﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺍﮎ ﻧﺸﺎﻧﯽ ﮨﮯ ﮐﺴﯽ ﺷﮩﺮ ﮐﯽ ﺑﺮﺑﺎﺩﯼ ﮐﯽ
ﻧﺎﺭﻭﺍ ﺑﺎﺕ ﮐﺎ ﯾﮏ ﻟﺨﺖ ﺭﻭﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺗﻨﮓ ﺁﺟﺎﺅﮞ ﻣﺤﺒﺖ ﺳﮯ ﺗﻮ ﮔﺎﮨﮯ ﮔﺎﮨﮯ
ﺍﭼﮭﺎ ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﺗﯿﺮﺍ ﺧﻔﺎ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺳﯽ ﺩﯾﮯ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﻣﺮﮮ ﮨﻮﻧﭧ ﺗﻮ ﺍﮮ ﺟﺎﻥِ ﻏﺰﻝ
ﺍﯾﺴﺎ ﮐﺮﻧﺎ ﻣﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﺍﺩﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺑﮯ ﻧﯿﺎﺯﯼ ﺑﮭﯽ ﻭﮨﯽ ﺍﻭﺭ ﺗﻌﻠﻖ ﺑﮭﯽ ﻭﮨﯽ
ﺗﻤﮩﯿﮟ ﺁﺗﺎ ﮨﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﻣﯿﮟ ﺧُﺪﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺍﮊﺩﮬﺎ ﺑﻦ ﮐﮯ ﺭﮒ ﻭ ﭘَﮯ ﮐﻮ ﺟﮑﮍ ﻟﯿﺘﺎ ﮨﮯ
ﺍﺗﻨﺎ ﺁﺳﺎﻥ ﻧﮩﯿﮟ ﻏﻢ ﺳﮯ ﺭﮨﺎ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺍﭼﮭﮯ ﺍﭼﮭﻮﮞ ﭘﮧ ﺑُﺮﮮ ﺩﻥ ﮬﯿﮟ ﻟﮩٰﺬﺍ ﻓﺎﺭﺱ
ﺍﭼﮭﮯ ﮨﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﺗﻮ ﺍﭼﮭﺎ ﮨﮯ ﺑُﺮﺍ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﺭﺣﻤﺎﻥ ﻓﺎﺭﺱ

 

Batao Onch Neech Ka Khayal Kaise Aa Gaya Rafaqaton Ke Beech Ye Sawal Kaise Aa Gaya



بتاؤ اونچ نیچ کا خیال کیسے آ گیا
رفاقتوں کے بیچ یہ سوال کیسے آ گیا


تمہارا طنز میری عظمتوں کا اعتراف ہے
نہ تھا میں آفتاب تو زوال کیسے آ گیا


بتا رہے تھے سب کو وہ بہت ہی خوش مزاج ہے
ہماری بات پر اسے جلال کیسے آ گیا

 
وہ دیکھنے لگا ہے مجھکو شک بھری نگاہ سے
میں سوچتا ہوں آئینے میں بال کیسے آ گیا


خفا وہ اس پہ ہے کہ وہ تو بام پر گیا نہیں
مجھے یقین رویت ہلال کیسے آ گیا


مصاحبوں سے پوچھنے لگا وہ مجھکو دیکھ کر
خوشی کی بزم میں یہ خستہ حال کیسے آگیا


نہ مجھکو اس سے عشق تھا اسکو میری آرزو
میرے نصیب میں وہ خوش جمال کیسے آگیا


سمجھ رہے تھے ہم تو اسکو دشمن اپنی جان کا
ہمارے سامنے وہ بن کے ڈھال کیسے آ گیا

 
تمام عمر جن کو لوٹ مار سے شغف رہا
وہ پوچھتے ہیں میرے پاس مال کیسے آ گیا


اچھل رہا ہے کس کی شہہ پہ دوستو پتا کرو
جمے ہوئے لہو میں یہ ابال کیسے آ گیا

 
مخالفت کے باوجود چاہتے ہیں سب تجھے
بتا شکیل ! تجھ میں یہ کمال کیسے آ گیا

 
شکیل ابن اشرف

 

خزاں کی رت میں لمحہ جمال کیسے آگیا 

یہ  آج   پھر  سنگھار کا خیال کیسے آ گیا

Khizan Ki Rut Mein Lamha Jamal Kaise Aa Gaya

Ye Aaj Phir Singhar Ka Khayal Kaise Aa Gaya

 
ہنسی کو اپنی سن کے ایک بار میں چونک اٹھی 

یہ مجھ میں دکھ چھپانے کا کمال کیسے آ گیا

Hansi Ko Apni Sun Ke Aik Bar Main Chonk Uthi

Ye Mujh Mein Dukh Chupanay Ka Kamal Kaise Aa Gaya


وہ رسم چارہ سازی جنوں تو ختم ہو چکی 

یہ  دل  کے نام حرف اندمال کیسے آ گیا
Woh Rasm e Chara-Sazi Junoon Tou Khatam Ho Chuki

Ye Dil Ke Nam Harf Indamal Kaise Aa Gayas


ابھی تو دھوپ روزن قفس سے کوسوں دور تھی 

ابھی سے آفتاب کو زوال کیسے آ گیا
Abhi Tou Dhoop Rozan e Qafas Se Koson Door Hai

Abhi Se Aaftaab Ko Zawal Kaise Aa Gaya


جدائیوں کے زخم تو ، سنا کے بھر چلے تھے پھر

بدن  کے  ہاتھ  ناخن  وصال کیسے آ گیا
Judaaiyun Ke Zakham Tou , Suna Ke Bhar Chalay Thay Phir

Badan Ke Haath Nakhun Wisal Kaise Aa Gaya


تمام  کائنات ازل سے آئینوں کی زد پہ تھی 

ہجوم عکس میں یہ بے مثال کیسے آ گیا
Tamam Kaainaat Azal Se Aainon Ki Zad Pe Thi

Hujoom Aks Mein Ye Be-Misaal Kaise Aa Gaya

نامعلوم شاعر

Na-Maloom


DECEMBER AANAY WALA HAI TUM BHI LAOT AAO NA


 

DECEMBER AANAY WALA HAI
TUM BHI LAOT AAO NA


Mujhe Raas Hein Sard Mousam Barf Lehjay Thandi Ratein



Mujhe Raas Hein Sard Mousam

Barf Lehjay Thandi Ratein

Bheegi Yaadein Talakh Batein

Kadwa Ghoont Be-Baak Sachaai

Aur Shab Tanhaai


Kia Kia Jaye Agar Shehar Ki Aadat Na Paday? Aur Wehshat Ke Mutabiq Koi Sahra Bhi Na Ho



Kia Kia Jaye Agar Shehar Ki Aadat Na Paday?

Aur Wehshat Ke Mutabiq Koi Sahra Bhi Na Ho

Tu Wahi Neend Jo Pori Na Hoi Ho Shab Bhar

Main Wahi Khuwaab Keh Jo Theek Se Toota Bhi Na Ho


Main Uske Dil Se Nikali Hoi Hoon , Mujh Ser Pooch Bada Nahi Hai Koi Dukh Bhi La-Makani Se


 

Main Uske Dil Se Nikali Hoi Hoon , Mujh Ser Pooch

Bada Nahi Hai Koi Dukh Bhi La-Makani Se


Aankh Roshan Hai Jaib Khali Hai Zulmaton Mein Kiran Sawali Hai



Aankh Roshan Hai Jaib Khali Hai

Zulmaton Mein Kiran Sawali Hai

Hadsay Lorion Ka Hasil Hain

Waqt Ki Aankh Lagnay Wali Hai

Aainay Se Huzoor Hi Ki Tarah

Chisham Ka Wasta Khayali Hai

Husn Pathar Ki Aik Moorat Hai

Ishq Phoolon Ki Aik Dali Hai

Mout Ik Angbeen Ka SAGHAR Hai

Zindagi Zehar Ki Piyali Hai

 

Usko Bhi Hum Se Muhabbat Ho Zaroori Tou Nahi Ishq Hi Ishq Ki Qeemat Ho Zaroori Tou Nahi



Usko Bhi Hum Se Muhabbat Ho Zaroori Tou Nahi

Ishq Hi Ishq Ki Qeemat Ho Zaroori Tou Nahi


Dosti Aap Se Lazim Hai Magar Iske Liye

Sari Dunya Se Adawat Ho Zaroori Tou Nahi


Saba Akbar Abadi


Ruki Hoi Thein Khizaaein Kai Zamano Se Woh Hans Pada Tou Mousam Bhi Khushgawar Hoa



Ruki Hoi Thein Khizaaein Kai Zamano Se

Woh Hans Pada Tou Mousam Bhi Khushgawar Hoa


Baith Kar Saaya e Gul Mein NASIR Hum Buhat Roye Woh Jab Yaad Aaya



Baith Kar Saaya e Gul Mein NASIR

Hum Buhat Roye Woh Jab Yaad Aaya

Nasir Kazmi


Hum Se Barhayiye Na Marasim Keh Hum Log Mil Kar Karein Udaas , Bichad Kar Karein Udaas


 

Hum Se Barhayiye Na Marasim Keh Hum Log

Mil Kar Karein Udaas , Bichad Kar Karein Udaas


Kam Ab Koi Na Aaye Ga Bas Ik Dil Ke Siwa Rastay Band Hein Sab Koocha e Qatil Ke Siwa


 

کام اب کوئی نہ آئے گا بس اک دل کے سوا
راستے بند ہیں سب کوچۂ قاتل کے سوا


Kam Ab Koi Na Aaye Ga Bas Ik Dil Ke Siwa
Rastay Band Hein Sab Koocha e Qatil Ke Siwa


Jaan Di , Di Hoi Usi Ki Thi Haq Tou Yun Hai Keh Haq Ada Na Hoa



درد مِنّت کشِ دوا نہ ہوا
میں نہ اچھا ہوا، برا نہ ہوا
Dard Minnat Kash e Dawa Na Hoa
Main Na Acha Hoa , Bura Na Hoa

جمع کرتے ہو کیوں رقیبوں کو
اک تماشا ہوا، گلا نہ ہوا
Jama Karte Ho Kion Raqeebon Ko
Ik Tamasha Hoa , Gila Na Hoa

ہم کہاں قسمت آزمانے جائیں
تو ہی جب خنجر آزما نہ ہوا
Hum Kahan Qismat Aazmanay Jaein
Tu Hi Jab Khanjar Aazmana Hoa

کتنے شیریں ہیں تیرے لب،کہ رقیب
گالیاں کھا کے بے مزا نہ ہوا
Kitnay Shereen Hein Tere Lab , Keh Raqeeb
Galiyan Kha Ke Be-Maza Na Hoa

ہے خبر گرم ان کے آنے کی
آج ہی گھر میں بوریا نہ ہوا
Hai Khabar Garam Unke Aanay Ki
Aaj Hi Ghar Mein Boria Na Hoa

کیا وہ نمرود کی خدائی تھی؟
بندگی میں مرا بھلا نہ ہوا
Kia Woh Namrood Ki Khudaai Thi?
Bandagi Mein Mera Bhala Na Hoa

جان دی، دی ہوئی اسی کی تھی
حق تو یوں ہے کہ حق ادا نہ ہوا
Jaan Di , Di Hoi Usi Ki Thi
Haq Tou Yun Hai Keh Haq Ada Na Hoa

زخم گر دب گیا، لہو نہ تھما
کام گر رک گیا، روا نہ ہوا
Zakham Gar Dab Gaya , Lahoo Na Thama
Kaam Gar Ruk Gaya , Rawa Na Hoa

رہزنی ہے کہ دل ستانی ہے؟
لے کے دل، "دلستاں" روانہ ہوا
Rahzani Hai Keh Dil Satani Hai ?
Le Ke Dil , " Dilistan " Rawana Hoa

کچھ تو پڑھیے کہ لوگ کہتے ہیں
آج غالبؔ غزل سرا نہ ہوا
Kuch Tou Parhiye Keh Log Kehtay Hein
Aaj GHALIB Ghazal Sara Na Hoa

مرزا اسد اللہ خاں غالب
Mirza Asadullah Ghalib


Uski Taskeen Ko Gharat Karta Kash ! Main Koi Shararat Karta



 

اس کی تسکین کو غارت کرتا
کاش! میں کوئی شرارت کرتا
Uski Taskeen Ko Gharat Karta
Kash ! Main Koi Shararat Karta
شہر در شہر فضا میں اڑ کر
میں ہواؤں کی سفارت کرتا
Shehar Dar Shehar Fiza Mein Udh Kar
Main Hawaoun Ki Safarat Karta

ایک خلقت تھی مجاور اسکی
میں کہاں اسکی زیارت کرتا ؟
Aik Khalqat Thi Mujawar Uski
Main Kahan Uski Ziyarat Karta
دیکھ کر مجھ کو نہ دیکھا اس نے
اور کیا مجھ سے حقارت کرتا
Dekh Kar Mujh Ko Na Dekha Us Ne
Aur Kia Mujh Se Haqarat Karta
دل اندھیروں سے اٹا تھا محسن
کون  روشن  یہ عمارت کرتا
Dil Andheron Se Atta Tha MOHSIN
Kon Roshan Ye Imarat Karta
محسن نقوی
Mohsin Naqvi

اک نہ اک روز تو رخصت کرتا
مجھ سے کتنی ہی محبت کرتا
Ik Na Ik Roz Tou Rukhsat Karta
Mujh Se Kitni Hi Muhabbat Karta

سب رتیں آ   کے چلی جاتیں ہیں
موسم غم بھی تو ہجرت کرتا
Sab Rutein Aa Ke Chali Jatein Hein
Mousam Gham Bhi Tou Hijarat Karta

بھیڑیے مجھ کو کہاں پا سکتے تھے ؟
وہ  اگر   میری حفاظت کرتا
Bhaidiye Mujh Ko Kahan Paa Saktay Thay?
Woh Agar Meri Hifazat Karta
میرے لہجے میں غرور آیا تھا
اسکو حق تھا کہ شکایت کرتا
Mere Lehjay Mein Ghuroor Aaya Tha
Usko Haq Tha Keh Shikayat Karta
کچھ تو تھی میری خطا ورنہ وہ کیوں
اس  طرح  ترک  رفاقت کرتا
Kuch Tou Thi Meri Khata Warna Woh Kion
Is Tarah Tark e Rafaqat Karta
اور اس سے نہ رہی کوئی طلب
بس مرے  پیار کی عزت کرتا
Aur Us Se Na Rahi Koi Talab
Bas Mere Piyar Ki Izzat Karta
پروین شاکر

Parveen Shakir


Hairan Kar Gaya Sab Ko Munsif Ka Faisla Rind Ko Saza Na Mil Saki QAZI Nashay Mein Tha



Hairan Kar Gaya Sab Ko Munsif Ka Faisla

Rind Ko Saza Na Mil Saki QAZI Nashay Mein Tha


Yaad Rakhna Hamari Turbat Ko Qarz Hai Tum Par Chaar Phoolon Ka



Yaad Rakhna Hamari Turbat Ko

Qarz Hai Tum Par Chaar Phoolon Ka

Saghar Siddiqui


Main Jagti Aankhon Mein Jise Dhoondna Chahon Woh Shakhs Mujhe Khuwaab Mein Aksar Nazar Aaye


 

Main Jagti Aankhon Mein Jise Dhoondna Chahon

Woh Shakhs Mujhe Khuwaab Mein Aksar Nazar Aaye


MOHSIN Mere Afkaar Ki Wusa'at Pe Na Jao

Dushman Bhi Mujhe Apne Barabar Nazar Aaye

 

KOI SHIKWA NAHI MOLA KIA KARON DARD KAM NAHI HOTA



KOI SHIKWA NAHI MOLA
KIA KARON DARD KAM NAHI HOTA


Kis Par Karein Yaqeen Koi Mashwara Toh De



Doobi Hain Meri Ungliyaan Mere Hi Lahoo Mein



Fitrat Ka Taqaza Hai , Nahi Ishq Tamasha Saaein Aadam Ko Rula Deti Hai HAWWA Ki Judaai



Fitrat Ka Taqaza Hai , Nahi Ishq Tamasha Saaein

Aadam Ko Rula Deti Hai HAWWA Ki Judaai


Hum Ne Dekhe Thay Khuwaab Shoulon Ke Neend Aankhon Mein Jal Gai Hogi


 

Hum Ne Dekhe Thay Khuwaab Shoulon Ke

Neend Aankhon Mein Jal Gai Hogi

Joun Elia


Rozmarra Ka Hai Ye Khel NASEER Unke Liye Aik Do Baton Mein ... Do Char Ko Apna Karna


 

روز مرہ کا هے یہ کھیل نصیر اُن کے لیے
ایک دو باتوں میں ... دو چار کو اپنا کرنا


Rozmarra Ka Hai Ye Khel NASEER Unke Liye
Aik Do Baton Mein ... Do Char Ko Apna Karna

 

Talakh Itni Keh Peenay Se Zubaan Jalti Thi Zindagi Aankh Ke Paani Mein Mila Li Hum Ne


 

تلخ اتنی کہ پینے سے زباں جلتی تھی
زندگی آنکھ کے پانی میں مِلا لی ہم نے


Talakh Itni Keh Peenay Se Zubaan Jalti Thi
Zindagi Aankh Ke Paani Mein Mila Li Hum Ne

 

Peenay Ko Is Jahan Mein Kon See MAI Nahi Magar Ishq Jo Bant'ta Hai Woh Aab e Hayat Aur Hai


 

پینے کو اس جہان میں کون سی مے نہیں مگر
عشق جو بانٹتا ہے وہ آب حیات اور ہے


Peenay Ko Is Jahan Mein Kon See MAI Nahi Magar
Ishq Jo Bant'ta Hai Woh Aab e Hayat Aur Hai

 

Yeh lamhay ishq-o-masti kay kabhi paband nahin rehtay Sada khushiyan nahin rehti , hamesha gham nahin rehtay



Yeh lamhay ishq-o-masti kay kabhi paband nahin rehtay
Sada khushiyan nahin rehti , hamesha gham nahin rehtay

Zara dekho darwaze pe dastak kon deta hai
Mohabbat ho to keh dena , yahan ab hum nahin rehtay

 

Ronay walay tujhe ronay ka saleeqa nahin Ashk peenay ke liye hain keh bahanay ke liye



Ronay walay tujhe ronay ka saleeqa nahin
Ashk peenay ke liye hain keh bahanay ke liye

 

Muhabbat ko aqeeda , aashqi ko deen kehta tha Koi tha jo meri har baat pe Ameen kehta tha



Muhabbat ko aqeeda , aashqi ko deen kehta tha
Koi tha jo meri har baat pe Ameen kehta tha
Kabhi aanay nahin deta tha , meri aankh mein aansoo
Meray ashkon ko apnay ishq ki touheen kehta tha

 

Jab Kabhi Toot Ke Bikhro Tou , Batana Mujh Ko Main Tumhein Rait Ke Zarron Se Bhi Chun Sakti Hoon


 

جب کبھی ٹوٹ کے بکھرو تو، بتانا مجھ کو
میں تمہیں ریت کے زروں سے بھی چن سکتی ہوں


Jab Kabhi Toot Ke Bikhro Tou , Batana Mujh Ko
Main Tumhein Rait Ke Zarron Se Bhi Chun Sakti Hoon

 

Gehra Hai Kitna Zakham e Jigar Ye Na Poochiye Khanjar Lahoo Se Kis Ka Hai Tar Ye Na Poochiye



گہرا ہے کتنا زخمِ جگر یہ نہ پوچھئے
خنجر لہو سے کس کا ہے تر یہ نہ پوچھئے
Gehra Hai Kitna Zakham e Jigar Ye Na Poochiye
Khanjar Lahoo Se Kis Ka Hai Tar Ye Na Poochiye

 

کیوں دم بخود ہیں اہلِ نظر یہ نہ پوچھئے
کتنی ہے دل خراش خبر یہ نہ پوچھئے
Kion Dum-Bakhud Hein Ahl e Nazar Ye Na Poochiye
Kitni Hai Dil-Kharash Khabar Ye Na Poochiye

 

ان حادثوں سے اور ملی دل کو تقویت
ہم ہوگئے ہیں کتنے نڈر یہ نہ پوچھئے
In Hadson Se Aur Mili Dil Ko Taqweeyat
Hum Ho Gaye Hein Kitnay Nadar Ye Na Poochiye



ویرانیاں تباہی کی خود ہی گواہ ہیں
کتنے جلے ہیں شہر میں گھر یہ نہ پوچھئے
Weeraniyan Tabahi Ki Khud Hi Gawah Hein
Kitnay Jalay Hein Shehar Mein Ghar Ye Na Poochiye

 

طے کر رہاہوں جیسے کوئی راہِ پل صراط
کیسا ہے زندگی کا سفر یہ نہ پوچھئے
Tay Kar Raha Hoon Jaise Koi Rah e Pull Siraat
Kaisa Hai Zindagi Ka Safar Ye Na Poochiye



انسانیت خجل ہے بہائم ہیں شرمسار
خونخوار کس قدر ہے بشر یہ نہ پوچھئے
Insaniat Khajal Hai Bahaim Hein Sharamsar
Khoonkhuwar Kis Qadar Hai Bashar Ye Na Poochiye

 

ہیرا ہے کوئلے میں تو کیڑا انار میں

کس میں ہے عیب کس میں ہنر یہ نہ پوچھئے
Heera Hai Koilay Mein Tou Keeda Anar Mein
Kis Mein Hai Aib Kis Mein Hunar Ye Na Poochiye


Pora Dukh Aur Aadha Chand Hijar Ki Shab Aur Aisa Chand



پورا دکھ اور آدھا چاند
ہجر کی شب اور ایسا چاند
Pora Dukh Aur Aadha Chand
Hijar Ki Shab Aur Aisa Chand


دن میں وحشت بہل گئی
رات ہوئی اور نکلا چاند
Din Mein Wehshat Behal Gai
Raat Hoi Aur Nikla Chand


کس مقتل سے گزرا ہوگا
اتنا سہما سہما چاند
Kis Maqtal Se Guzra Hoga
Itna Sehma Sehma Chand

 
یادوں کی آباد گلی میں
گھوم رہا ہے تنہا چاند
Yadoon Ki Aabaad Gali Mein
Ghoom Raha Hai Tanha Chand


میری کروٹ پر جاگ اٹھے
نیند کا کتنا کچا چاند
Meri Karwat Par Jaag Uthay
Neend Ka Kitna Kacha Chand

 
میرے منہ کو کس حیرت سے
دیکھ رہا ہے بھولا چاند
Mere Munh Ko Kis Hairat Se
Dekh Raha Hai Bhoola Chand

 
اتنے گھنے بادل کے پیچھے
کتنا تنہا ہوگا چاند
Itnay Ghanay Badal Ke Peechay
Kitna Tanha Hoga Chand

 
آنسو روکے نور نہائے
دل دریا تن صحرا چاند
Aansoo Roke Noor Nahaaye
Dil Darya Tan Sahra Chand

 
اتنے روشن چہرے پر بھی
سورج کا ہے سایا چاند
Itnay Roshan Chehre Par Bhi
Soraj Ka Hai Saya Chand

 
جب پانی میں چہرہ دیکھا
تو نے کس کو سوچا چاند
Jab Paani Mein Chehra Dekha
Tu Ne Kis Ko Socha Chand

 
برگد کی اک شاخ ہٹا کر
جانے کس کو جھانکا چاند
Bargad Ki Ik Shaakh Hata Kar
Jane Kis Ko Jhanka Chand

 
بادل کے ریشم جھولے میں
بھور سمے تک سویا چاند
Badal Ke Resham Jholay Mein
Bhor Samay Tak Soya Chand

 
رات کے شانے پر سر رکھے
دیکھ رہا ہے سپنا چاند
Raat Ke Shane Par Sar Rakhe
Dekh Raha Hai Sapna Chand

 
سوکھے پتوں کے جھرمٹ پر
شبنم تھی یا ننھا چاند
Sookhay Patton Ke Jhurmat Par
Shabnam Thi Ya Nanha Chand

 
ہاتھ ہلا کر رخصت ہوگا
اس کی صورت ہجر کا چاند
Haath Hila Kar Rukhsat Hoga
Uski Soorat Hijar Ka Chand

 
صحرا صحرا بھٹک رہا ہے
اپنے عشق میں سچا چاند
Sahra Sahra Bhatak Raha Hai
Apne Ishq Mein Sacha Chand

 
رات کے شاید ایک بجے ہیں
سوتا ہوگا میرا چاند
Raat Ke Shayet Aik Bajay Hein
Sota Hoga Mera Chand

 
پروین شاکر
Parveen Shakir


Charagh e Zindagi Ko Aik Jhonkay Ki Zaroorat Hai Tumhein Meri Qasam Hai Phir , Zara Daman Ko Lehrana


 

فضا مغموم ہے ساقی ! اُٹھا چھلکائیں پیمانہ
اندھیرا بڑھ چلا ہے ، لا ذرا قندیلِ میخانہ
Fiza Maghmoom Hai Saqi ! Utha Chalkaein Paimana
Andhera Barh Chala Hai , La Zara Qandeel e Maikhana


بہ فیضِ زندگی گزرے ہیں ایسے مرحلوں سے ہم
کہ اپنے راستے میں اب نہ بستی ہے نہ ویرانہ
Ba Faiz e Zindagi Guzre Hein Aise Marhalon Se Hum
Keh Apne Rastay Mein Ab Na Basti Hai Na Weerana


بس اتنی بات پر دشمن بنی ہے گردشِ دوراں
خطا یہ ہے کہ چھیڑا کیوں تری زلفوں کا افسانہ
Bas Itni Baat Par Dushman Bani Hai Gardish e Dauran
Khata Ye Hai Keh Chaida Kion Teri Zulfon Ka Afsana


چراغِ زندگی کو ایک جھونکے کی ضرورت ہے
تمہیں میری قسم ہے پھر ، ذرا دامن کو لہرانا
Charagh e Zindagi Ko Aik Jhonkay Ki Zaroorat Hai
Tumhein Meri Qasam Hai Phir , Zara Daman Ko Lehrana

 
دلوں کو شوق سے روندو خرامِ ناز فرماؤ
اگر محشر ہوا تو پھر مجھے مجرم نہ ٹھہرانا
Dilon Ko Shouq Se Rondo Kharam e Naaz Farmao
Agar Mahshar Hoa Tou Phir Mujhe Mujrim Na Thehrana


تری محفل میں ساغرؔ سا بھی کوئی اجنبی ہوگا
یہ ظالم ایک مدت سے ، نہ اپنا ہے نہ بیگانہ
Teri Mehfil Mein SAGHAR Sa Bhi Koi Ajnabi Hoga
Ye Zulam Aik Muddat Se , Na Apna Hai Na Begana

 
ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Gar Mujhe Hazri Mily Chehra Ba Chehra Roo Ba Roo Gham Tera Main Bayan Karon Nukta Ba Nukta Mo Ba Mo



گر مجھے حاضری ملے، ’’چہرہ بہ چہرہ، رُو بہ رُو‘‘
غم تیرا میں بیاں کروں، ’’نکتہ بہ نکتہ ، مُو بہ مُو‘‘
Gar Mujhe Hazri Mily Chehra Ba Chehra Roo Ba Roo
Gham Tera Main Bayan Karon Nukta Ba Nukta Mo Ba Mo

 
دِل میں تِری تڑپ لیے، مثلِ صبا میں یوں پھروں
’’خانہ بہ خانہ، در بہ در، کوچہ بہ کوچہ، کُو بہ کُو‘‘
Dil Mein Teri Tadap Liye ,Misle Saba Mein Yun Phiron
Khana Ba Khana Dar Ba Dar Koocha Ba Koocha Koo Ba Koo

 
تیرے فِراق میں مِری آنکھوں سے ہے رواں دواں
’’دجلہ بہ دجلہ ، یم بہ یم، چشمہ بہ چشمہ ، جُو بہ جُو‘‘
Tere Firaq Mein Meri Aankhon Se Hai Rawaan Rawaan
Dajla Pe Dajla Yem Ba Yem Chishma Ba Chishma Joo Ba Joo

 
عارِض و لب کے دائرے، تیرے یہ عنبریں خطوط
’’غنچہ بہ غنچہ ، گُل بہ گُل، لالہ بہ لالہ، بُو بہ بُو‘‘
Aariz o Lab Ke Daare Tere Ye Anbreen Khutoot
Ghuncha Ba Ghuncha Gul Ba Gul Lala Ba Lala Hoo Ba Hoo

 
گھائل کیا مجھے ترے ابرُو نے، چشم و خال نے
’’طبع بہ طبع ، دِل بہ دِل، مہر بہ مہر ، خُو بہ خُو‘‘
Ghaael Kia Mujhe Tere Aabroo Ne ,Chishm o Khaal Ne
Taba Ba Taba Dil Ba Dil Muhar Ba Muhar Khu Ba Khu

 
دِل نے مِرے تُجھے بُنا زیست کے دائروں میں یوں
’’رشتہ بہ رشتہ ، نخ بہ نخ، تار بہ تار، پُو بہ پُو‘‘
Dil Ne Mere Tujhe Buna Zeest Ke Daairon Mein Yun
Reshta Ba Reshta , Nakh Ba Nakh Tar Ba Tar Poo Ba Poo


دِل میں مِرے، مِرے صنم کچھ بھی نہیں ترے سِوا
’’صفحہ بہ صفحہ، لا بہ لا، پردہ بہ پردہ، تُو بہ تُو‘‘
Dil Mein Mere ,Mere Sanam Kuch Bhi Nahi Tere Siwa
Safha Ba Safha , La Ba La Pardah Ba Pardah Tu Ba Tu

قرۃ العین طاہرہ ایرانی شاعرہ
Qurat ul Aain Tahira Irani Shaira


Shab e intezaar ki kashmakash mein Na pooch kaise sahar hui



Shab e intezaar ki kashmakash mein
Na pooch kaise sahar hui
Kabhi ik charaagh jala diya
Kabhi ik charaagh bujha diya

Majrooh Sultanpuri

 

Sard Sard See Hawaein Aur Barf Posh Fizaein Bata Rahi Hein Hum Ko Keh DECEMBER Aanay Wala Hai


 

Sard Sard See Hawaein Aur Barf Posh Fizaein

Bata Rahi Hein Hum Ko Keh DECEMBER Aanay Wala Hai
 

November Hi Kion Udaas Thehra December Hi Kion Khaas Thehra Mere Liye Tou Muhabbat Ka Har Mousam Hi Be-Aas Thehra


 

November Hi Kion Udaas Thehra December Hi Kion Khaas Thehra

Mere Liye Tou Muhabbat Ka Har Mousam Hi Be-Aas Thehra


Zehar-Aalood Hi Sahi Lab Pe Tabassum Tou Saja Kuch Bichadnay Ke Bhi Aadaab Hoa Karte Hein



Zehar-Aalood Hi Sahi Lab Pe Tabassum Tou Saja

Kuch Bichadnay Ke Bhi Aadaab Hoa Karte Hein

 

Yaad e Yaar Ka Mousam Aur Sard Hawaoun Ka Aalam Aey Dil Tayyar Ho Ja December Aanay Wala Hai



Yaad e Yaar Ka Mousam Aur Sard Hawaoun Ka Aalam

Aey Dil Tayyar Ho Ja December Aanay Wala Hai


Tere Liye Main Bharosa Bhi Hoon Dilasa Bhi Bula Ke Dekh Kabhi Dukh Mein Apne Paas Mujhe



Tere Liye Main Bharosa Bhi Hoon Dilasa Bhi

Bula Ke Dekh Kabhi Dukh Mein Apne Paas Mujhe


November Jane Wala Hai December Aanay Wala Hai



November Jane Wala Hai 

December Aanay Wala Hai

Be-Qarar Mousam Mein

Yaad Ke Jharokon Se 

Phir Tum Hi Se Milnay Ki

Dil Mein Kitni Khuwahish Hai

Aaj Kal November Ki

Phir Udaas Shamein Hein

Aur December Ke Aanay Mein

Waqt Thoda Baqi Hai

In Ujad Aankhon Mein

Zard Zard Ratein Hein

Is Sard Mousam Mein

Toot Phoot Jate Hein

Jab Bhi Yaad Aatay Ho

Khud Ko Bhool Jate Hein

November Jane Wala Hai 

December Aanay Wala Hai

Tum Bhi Laot Aao Na

DECEMBER AANAY WALA HAI...!!


Phir Palat Rahi Hein Sardiyun Ki Suhani Shaamein Phir Uski Yaad Mein Jalnay Ke Zamane Aaye



Phir Palat Rahi Hein Sardiyun Ki Suhani Shaamein

Phir Uski Yaad Mein Jalnay Ke Zamane Aaye


Mujhe Pasand Hai November Ki Pehli Barish



Mujhe Pasand Hai

November Ki Pehli Barish

Sardi Ki Khabar Deti Hawaein

Mera Kamra Adhori Shairi

Chaai Ka Aik Cup Mera

"Dosra Hamaisha Ki Tarah Tumhara Muntazir"

Aur Haan In Sab Se Ziyada

Mujhe "TUM" Pasand Ho

Aur Hamari La-Zawal Muhabbat

Jo Mousmon Aur Barishon

Ki Mukhtaj Nahi....!

NOVEMBER JA RAHA HAI---


Ada Pariyun Ki , Joban Hoor Ka Shoukhi Ghazalon Ki Gharz Mangay Ki Har Ik Cheez Hai In Husn Walo Ki


 

ادا پریوں کی، جوبن حور کا شوخی غزالوں کی

غرض مانگے کی ہر اک چیز ہے ان حسن والوں کی

Ada Pariyun Ki , Joban Hoor Ka Shoukhi Ghazalon Ki

Gharz Mangay Ki Har Ik Cheez Hai In Husn Walo Ki

 

Hum Khaak , Hum Aajiz , Hum Faqeer Tum Chunay Hoe Bemisaal Piya


 

ہم خاک ' ہم عاجز ' ہم فقیر
تم چُنے ہوئے بیمثال پِیا


Hum Khaak , Hum Aajiz , Hum Faqeer
Tum Chunay Hoe Bemisaal Piya

 

Ab to mil jao hamein tum ki tumhaari KHatir itni dur aa gae duniya se kinara karte


 

اب تو مل جاؤ ہمیں تم کہ تمہاری خاطر

اتنی دور آ گئے دنیا سے کنارا کرتے

Ab to mil jao hamein tum ki tumhaari KHatir

itni dur aa gae duniya se kinara karte

 

chhoti see baat pe khush hona mujhe aata tha par badi baat pe chup rahna tumhi se seekha


 

چھوٹی سی بات پہ خوش ہونا مجھے آتا تھا

پر بڑی بات پہ چپ رہنا تمہی سے سیکھا

chhoti see baat pe khush hona mujhe aata tha 

par badi baat pe chup rahna tumhi se seekha

 

Raat shama bujha ke bahut dair tak mehfil sajaayi hum ne Main apnay dil ke leye rota raha aur dil kambakt teray leye

 


Raat shama bujha ke bahut dair tak mehfil sajaayi hum ne
Main apnay dil ke leye rota raha aur dil kambakt teray leye


Gul Az Rakht Aamokhta Nazuk Badani Ra Bulbul Zato Aamokhta Shereen Sukhani Ra




نعتِ مقبول  ﷺ 
💚💚💚
NA'AT RASOOL E MAQBOOL(P.B.U.H)
گل از رخت آموخته نازك بدني را
بلبل ز تو آموخته شيرين سخني را
Gul Az Rakht Aamokhta Nazuk Badani Ra
Bulbul Zato Aamokhta Shereen Sukhani Ra

 گلاب نے تیرے چہرے سے نزاکت کا درس لیا ہے۔بلبل نے تیرے تکلم سے شیریں کلای سیکھی ہے
Gulaab Ne Tere Chehre Se Nazakat Ka Dars Lia Hai,Bulbul Ne Tere Takalum Se Shereen Kalami Seekhi Hai
هر كس كه لب لعل ترا ديدہ به خود گفت
حقا كه چه خوش كنده عقيق يمني را
Har Kas Keh Lab e La'al Tera Deedah Ba Khud Guft
Huqa Keh Che Khush Kundah Aaqeeq e Yamani Ra

 جس نے بھی تیرے لعل گوں لب دیکھے تو دل (کی آواز) سے کہا ۔یقینا" اس یمنی عقیق کو بہت خوبصورتی سے
تراشا گیا ہے
Jis Ne Bhi Tere La'al Goon Lab Dekhe Tou Dil (Ki Aawaaz) Se Kaha
Yaqeenan Iss Yamni Aaqeeq Ko Buhat Khoobsorati Se Tarasha Gaya Hai

خياط ازل دوخته بر قامت زيبات
بر قد تو اين جامه ي سبز چمني را
Khyaat Azal Dokhta Bar Qamat Zaibaat
Bar Qad Tou Ein Jama E Sabaz Chamani Ra
آزل کے خیاط نے تیری خوبصورت قامت پر ،سرو ِ سمن کا حسین جامہ تیار کیا ہے-غالبا" شعر میں سرو سمن ہے
Ghaliban Shair Mein Saro Saman Hai ,Azal Ke Khayaat Ne Teri Khoobsorat Qamat Par
Saro Saman Ka Haseen Jama Tayar Kia Hai
در عشقِ تو دندان شکستند به الفت
تو جامہ رسانید اویس قرني را
Dar Ishq e Tu Dandan Shikastand Ba Ulfat
Tu Jama Rasaneed Owais Qarni Ra
 تیرے عشق میں اپنے دانت گنوادیئے۔ تو آپ نے اوایس قرنی کو جامہ ارسال کیا
Tere Ishq Mein Apne Dant Ganwa Diye , Tou Aap Ne Owais Qarni Ko Jama Irsal Kia
از جامؔی بيچاره رسانيدہ سلامی
بر درگه دربار رسول مدني را
Az JAAMI Bechara Rasaneedah Salami
Bar Dargah Darbaar Rasool e Madani Ra
بے چارے جامی کی طرف سے سلام پہنچادو۔ رسول مدنی کے دربار کے حضور۔
Be-Charay JAAMI Ki Taraf Se Salaam Pahoncha Do
Rasool e Madni Ke Darbaar Ke Huzoor
عبدالرحمن جامی
Abd ur Rehman Jaami

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo