Koi ta’aluq pooche to bata dena Do jismon mein aik jaan basti hai



Koi ta’aluq pooche to bata dena
Do jismon mein aik jaan basti hai


If someone asks about the aluq then tell me.
One life resides in two bodies


Na dekh itni bebaki se ke afsane ban jayen Nigahon ke tasadum mein badi taseer hoti hai


 

Na dekh itni bebaki se ke afsane ban jayen
Nigahon ke tasadum mein badi taseer hoti hai


Sar e Toor Ho Sar e Hashar Ho Humein Intezar Qabool Hai



ISHQ BULL'EY NOO'N NACHAVEY YAAR TE NACHNAA PAENDA EY SAAMNEY HOVEY YAAR TE NACHNAA PAENDAA EY



Kalaam baba Bulleshah
ISHQ BULL'EY NOO'N NACHAVEY YAAR TE NACHNAA PAENDA EY
SAAMNEY HOVEY YAAR TE NACHNAA PAENDAA EY


No Medicine for those,Let's pray together for them



Duniya ki taraf lout ke aane ke nahin hum Sach baat toh ye hai tere zamaane ke nahin hum



Duniya ki taraf lout ke aane ke nahin hum
Sach baat toh ye hai tere zamaane ke nahin hum
Awaaraa mizaaji bhi tabiyat nahin apni
Waise bhi kisi taur thikaane ke nahin hum
Ek darad ki daulat hai jise baant'te phire
Maalik bhi kisi aur khazaane ke nahin hum
Tu ne toh abhi khel ka aghaaz kiya hai
Kirdaar abhi tere fasaane ke nahin hum


We are not going to return to the world
The truth is that we are not of your time
I am not feeling well even with a wandering mood
Anyway, we don't belong to any other place
There is a wealth of pain with which fire is distributed
I am not the owner of any other treasure
You have just started the game
I am not the character of your story yet.


woh guftagu se dil churane me blaa ka mahir tha Hum nadaan meethi baaton pe bharosa kar bethe



woh guftagu se dil churane me blaa ka mahir tha
Hum nadaan meethi baaton pe bharosa kar bethe


He was an expert in stealing hearts with conversation.
We trusted the silly sweet words


Jahan Mil Jaye Dost Purana Din Aksar Wahin Dhal Jata Hai




Na bas mein zindgi is kay , na qaboo mout par is ka magar insan phir bhi kab Khuda honay se darta hai


 

نہ بس میں زندگی اس کے، نہ قابو موت پر اسکا

مگر  انسان  پھر  بھی کب خدا ہونے سے ڈرتا ہے
 

Na bas mein zindgi is kay , na qaboo mout par is ka

magar insan phir bhi kab Khuda honay se darta hai


Jab koi shakhs preshan buhat hota hai piyar ho janay ka imkan buhat hota hai


 

جب کوئی  شخص  پریشان  بہت ہوتا ہے

 پیار  ہو  جانے   کا   امکان    ںہت ہوتا ہے
 

چھوٹ جاتی ہے میری گاڑی مدد کرنے میں

دوسرے  لوگوں  کا   سامان  بہت  ہوتا ہے
 

Jab koi shakhs preshan buhat hota hai
 piyar ho janay ka imkan buhat hota hai


chhoot jati hai meri gharri madad karnay mein
dosray logoon ka saman buhat hota hai


Hassan Abbasi


Tedi akh tay aashiq badal hein Sadi jhok tay aa mattan meenh thivay



Saraiki poetry

 تیڈی اکھ دے عاشق بادل ہن
ساڈی جھوک تے آ متاں مینہ تھیوے

Tedi akh tay aashiq badal hein
Sadi jhok tay aa mattan meenh thivay

Roman Urdu Translation

(tumahri aankheen itni khoubsorat hain kay in per badal bhi aashiq hain
is laiy kabhi hamari basti aao ho sakta hay kay barish bars jaiy )

Saraiki poetry
Your eyes and lovers are clouds
We are in the mattan fish on our bow
The lover of your eyes is the cloud
There was rain in our Jhok
(Your eyes are so beautiful that even clouds are lovers on them,
Come to our town someday because it may rain)


Halaat shehar ke dekh kar gham ka izhar mat kar Namaz-e-fajar batayegi keh madad mangne walon ki tadad kitni hai



Halaat shehar ke dekh kar gham ka izhar mat kar
Namaz-e-fajar batayegi keh madad mangne walon ki tadad kitni hai

 

Murshid Se Kaha Dard e Muhabbat Ki Dawa Do Hazrat Ne Muskura Ke Kaha Ik Aur Muhabbat


 

مرشد سے کہا درد محبت کی دوا دو
حضرت نے مسکرا کے کہا اک اور محبت


Murshid Se Kaha Dard e Muhabbat Ki Dawa Do
Hazrat Ne Muskura Ke Kaha Ik Aur Muhabbat


Tajub kya agar ye duniya mujh se Na-khush hai, Bohut se log duniya mein pasand’deeda Nahi hote



Tajub kya agar ye duniya mujh se Na-khush hai,
Bohut se log duniya mein pasand’deeda Nahi hote


What is the wonder if this world is from me He is unhappy,
Many people in the world liked me They don't happen


Wahan se bigri ai zindagi meri Saath tu ne jahan se chhora tha



Wahan se bigri ai zindagi meri
Saath tu ne jahan se chhora tha


My life is spoiled from there
From where you left me


I had heard that people change like the weather You have changed many times in the same season


 

I had heard that people change like the weather
You have changed many times in the same season


Paana Hai Manzilon Ko Tou Tanha Chala Karo Raahon Mein Loot Laite Hein Humsafar Kabhi Kabhi


 

پانا ہے منزلوں کو تو تنھا چلا کرو
راھوں میں لوٹ لیتے ہیں ہمسفر کبھی کبھی


Paana Hai Manzilon Ko Tou Tanha Chala Karo
Raahon Mein Loot Laite Hein Humsafar Kabhi Kabhi

 

Hum se nahi rishta bhi, hum se nahi milta bhi Hai pas woh baitha bhi, dhoka ho to aisa ho



Hum se nahi rishta bhi, hum se nahi milta bhi
Hai pas woh baitha bhi, dhoka ho to aisa ho


Tez aandhiyo Tum kya jaano Aashiyano ko jalaaney key maaieney



Tez aandhiyo Tum kya jaano
Aashiyano ko jalaaney key maaieney
Tinka tinka jorh key
Ghar banaya tha mainey
Arvinder Chamak


Ek muqam aisa bhi ata hai meri wehshat mein Khud ko jhanjhodna padta hai keh zinda hoon main


 

اک مقام ایسا بھی آتا ہے میری وحشت میں
خود کو جھنجھوڑنا پڑتا ہے کہ زندہ ہوں میں

 
Ek muqam aisa bhi ata hai meri wehshat mein
Khud ko jhanjhodna padta hai keh zinda hoon main


Baat bas itni si hai ki Ab tum, tum na rahe



Baat bas itni si hai ki
Ab tum, tum na rahe

The thing is just this much that
Now you, you are no more


Tumhen neend kaisi aati hai Kisi ki neend udaa kar



Tumhen neend kaisi aati hai
Kisi ki neend udaa kar

 

When I land in the sea, my eyes get wet. When I read your eyes, my eyes get wet


 

When I land in the sea, my eyes get wet.
When I read your eyes, my eyes get wet
The fragrance of your memories, rocks in the windows.
When I burn in your grief, my eyes get wet
I laugh and ignore all the rituals of separation.
Whenever I hug her, my eyes get wet
I don't know how long I have been in love with you.
When I talk to someone, my eyes get wet.
I miss all those past moments
When I read your words, my eyes get wet
I am very busy all day, but junhi
When I keep my steps on the forehead, my eyes get wet
Every muffler has the story of Alam on his forehead
Even if I read any face, my eyes get wet
To big people, high and infamous, and cold women
When I look with poor eyes, my eyes get wet
Now my relationship is justified from you.
But whenever I pass, my eyes get wet
Thousands of seasons are ruling my heart
Whenever I laugh in WASI, my eyes get wet.


Jaga Hai Raat Piyare Tu Kis Ke Ghar Jo Teri Palken Nadeedian Hen Aankhen Khumarian Hen


 

جاگا ہے رات پیارے تو کس کے گھر جو تیری
پلکــــیں ندیدیاں ہیں آنکھیں خـــماریاں ہیں


Jaga Hai Raat Piyare Tu Kis Ke Ghar Jo Teri
Palken Nadeedian Hen Aankhen Khumarian Hen


Talkh itni thi keh peene se zuban jalti thi Zindgi aankh ke pani mein mila li main ne


 

تلخ اتنی تھی کہ پینے سے زبان جلتی تھی
زندگی آنکھ کے پانی میں ملا لی میں نے

 
Talkh itni thi keh peene se zuban jalti thi
Zindgi aankh ke pani mein mila li main ne


Main koon hik budhirri aakhay daikhan puttar ! hayati thivi


 

محترم محمد عباس سئیں دی سرائیکی دی ہک خوبصورت نظم

" ماں "
میکوں آ ہک بڈھڑی اکھئے
ڈیکھاں پتر حیاتی ہووی
میکوں اج ہک فون ملاڈے
خیر تاں ہے اج بڈھڑی اماں
بانہہ کیوں گل وچ بدھی ودیں
لگدا ہے جو بھنی ودیں"
"تیڈو فون کراونڑ آئی ہاں
تیکوں ڈکھ سنڑواونڑ آئی ہاں
جیوے میڈا ہکو لعل ہے
منتاں من منربتوں پنیم
پورے نازیں نال او پالیم
پورھیے کر پڑھایا ہانمئ
پوریاں ست جماعتاں اوکوں
ہک ڈینہہ گھر او روندا آیا
آکھیس اتھ استاد مریندن
روز جیہاڑی دڑکے ڈیندن
دڑکیں دا او ہیلک نہ ہا
پڑھنڑ دی اوں بس چا کیتی
میں اوکوں کجھ آکھ نہ سگی
کلھے سر تے آپ نبھاواں
اوکوں کئی وی کم نہ ڈساں
پیو دا سر تے سایہ نسی
پنج بھینڑیں دا ہکو ویر اے
میکوں ڈھیر پیارا ہوی 
میڈی کھ دا تارا ہوی "
"اماں بانہہ دا حال نہ ڈتو"
"چھوڑ وے صادراے تاں کجھ نی
پرھلی رات دا راجو رس پئے
پیسے ڈاہ ہزار منگیے نس
آکھیس وڈا فون میں گھنداں
میں مٹھڑی دے کولوں نہ ہن
کاوڑ دے وچ دھکا ڈتس
کڑکنڑی بانہہ ہن بھنی گئی ہے
اوندے سر توں واری گئے اے
کل دا رس کے ٹر پئے جیوے
آکھیس میانوالی ویساں
چھولے ونج کپیساں ڈیکھیں
وڈا فون انیساں ڈیکھیں
آہدن اتھاں دھپ ہوندی ہے
میڈا لعل نی دھپ دے ڈا دا
آپنڑیاں
چلکاں ویچ کراہیں
ڈاہ ہزار میں گھن تے آئی ہاں
اوکوں آکھ وے جندڑی مانڑیں
اجی اج توں گھر دو ول آ
وڈے فون دے پیسے ہن پئے
ڈیکھ عباسو! فون ملا ہاں

Maa ( Sariki)
Main koon hik budhirri aakhay
daikhan puttar ! hayati thivi
main koon aje hik phone mila day
khair ta hay aje budhrri Amma
banh kuoon gll ich badhi wadeen
lagda hay jo bhnni wadeen ,
"taido phone karawan aaie aan
taikoon dukh sunawan aai han
jeevay maida hiko lal hay
mantan man manrhtoon pinaiem
pory nazaan nal o main paleim
porhay kar parrhaya hanmi
poriyan sat jamataan ounkoon
 hik deinh ghar o ronda aaya
aakihs ith ustad mariendin
roze jiharri darrkay dendieen
darrkeen da o helak na ha
parrhnrr di ooun bas cha keiti
main ooun ko kujh aakh na sagi
kalhay sir tay aap nibhanwan
ooun ko kai vi kam na dassan
paiyo da sir tay saya nissi
punj bhainaan da hikko veer hay
maikoon dhare piyra hivi
madi aakh da tara hivi "
"Amma ! banh da hal na dito ei "
"chhorr way sadar ai tan kujh ni
perlhi rat da Rajoo rus paiey
paisay dah hazar mangay nis
aakhis wadda phone main ghinda han
msin muthrri day koloon na hin
kavirr day vich dhakks ditiss
karrkni banh han bhani gai hay
oun day sir toon vari gai hay
kal da rus kay tur paiy jeevay
aakhis Mianwali vaisan
chholay vanj kapiesan daikheen
wadda phone aniesan daikheen
aahdin uthan dhup hondi hay
maida lal ni dhup day dah da
aapniyan chalkan vaich karhieen
dah hazar main ghin tay aai han
ounko aakh vay jindrri manrreen
aji aje toon ghar do wal aa
wadday phone day paisy hin paiy
daikh Abbaso! phone mila han 

Muhmmad Abbas

MAA
kal aik burrhi Maa nay mujhy kaha
keh baita , tumhri khair ho lambi ummar ho
aik phone to mila do.
main ny kaha khair hai Amma aap ny
apny bazoo ko gardan kay sath kion bandha hova hai , kiya bazoo toot giya hai ?
kehnay lagi baita tujhy apna dukh sunanay aai hoon , ore phone bhi karanay aai hoon
baita , maira aik hi lal hai
mantaan duaoon ke sath isay Khuda say manga hai
pory laad ore nazoon say isay paala , sat jamat tak parrhaya
phir aik din school say bhag aaya
kehnay laga main ab school nahi jaaooun ga
master marty hain ore dhrrkay bhi daitay hain
mar ore jihrrki khanay ki isay aadat nahi thi
panch behnoon ka akila bhai hai
bap ka saya sir pe nahi bas main bhi chup kar gai ore usay kuchh na keh saki , kion
 kay woh mujhy buhat piyara hai sary
 ghar ki aankh ka tara hai
main nay kaha Amma ye to theek hai magar ye to batao , keh tumhri banh kaisy tooti hai
kehnay lagi chhorro baita ,
kal rat Rajoo kehnay laga Amma main nay barra phone laina hai , das hazar ka aata hai
mujh ghareeb kay pass das hazar nahi thay
gussay mein mujhy dhka diya jis say ye nazuk banh toot gai , ore naraz ho.kar kehnay laga kay main miyan wali ja raha hoon wahan chholoon ki kattai karoon ga , ore daikhna wapas phone laikar aaoun ga , to ab ruth kar woh chala gaya hai , mujhy patta hai keh itni taiz dhoop mein woh kattai nahi kar sakta , main apna zewar baich kar das hazar lay aai hoon ,
usay Abbaso , phone karo kay aaj hi ghar loot aaoo main nay phone kay liay paisoon ka intazam kar liya hai


Thak jao agar duniya ki mehfilon se Sahib Humhein awaaz dena hum aksar akelay rehtay hain



Thak jao agar duniya ki mehfilon se Sahib
Humhein awaaz dena hum aksar akelay rehtay hain


Kabhi Kabhi jo teray karb mein guzaray thay Ab in dinon ki tasveer bhi mere paas nahin



Kabhi Kabhi jo teray karb mein guzaray thay
Ab in dinon ki tasveer bhi mere paas nahin


Mujhe yeh darr hai teri arzoo na mith jaye
Bahut dinon se tabiyat meri udaas nahin

Sometimes I spent my life in your closeness
Now I don't even have pictures of these days


I fear that your wishes may not be fulfilled
I am not feeling well since many days


Main Aise Shakhs Ki Masoomiat Pe Kia Lekhon Jo Mujh Ko Apni Khataoun Mein Bhi ,Bhala Lagy


 

میں ایسے شخص کی معصومیت پہ کیا لکھوں
جو مجھ کو اپنی خطاؤں میں بھی، بھلا ہی لگا
پروین شاکر

 
Main Aise Shakhs Ki Masoomiat Pe Kia Lekhon
Jo Mujh Ko Apni Khataoun Mein Bhi ,Bhala Lagy

Parveen Shakir

 

Sakal Ban Phool Rahi Sarson Ban Ban Phool Rahi Sarson



سکَل بَن پُھول رَھی سَرسوں
بَن بَن پُھول رھی سَرسوں
اَنگنا موھے ٹیسُو پُھولے
کوئل کُوکت ڈار ڈار
اَور گوری کرت سِنگھار
مالنیاں گڈھوا لے آئیں گھرسوں
سَکل بَن پُھول رھی سَرسوں
طَرَح طَرَح کے پُھول کِھلائے
لے گڑھوا ھاتھن میں آئے
نِجامُ الدّینؒ کے دَروَاجّے پر
آوَن کہہ گئے عاشِق رَنگ
اَور بِیت گئے بَرسوں
سَکل بَن پُھول رھی سَرسوں

حضرت امیر خُسروؒ

Sakal Ban Phool Rahi Sarson
Ban Ban Phool Rahi Sarson
Angna Mohe Teeso Pholy
Koil Kookat Dar Dar
Aur Gori Karat Singhar
Malanian Gadhwale Aaein Gharson
Sakal Ban Phool Rahi Sarson
Tarah Tarah Ke Phool Khilaye
Le Gadhwa Haathan Mein Aaye
Nijamud Deen Ke Darwaje Par
Aawan Keh Gaye Aashiq Rang
Aur Beet Gaye Barson
Sakal Ban Phool Rahi Sarson

 
Hazrat Ameer Khusro

Aks aks gumaan gumaan khayal saare mustarad Tu nahi toh kuch nahi saare sahare mustarad



Aks aks gumaan gumaan khayal saare mustarad
Tu nahi toh kuch nahi saare sahare mustarad


Tujh Ko Pankha Hi Kion Nazar Aaya Ghar Mein QURAN Bhi Tou Rakha Tha


 

تجھ کو پنکھا ہی کیوں نظر آیا
گھر میں قرآن بھی تو رکھا تھا


Tujh Ko Pankha Hi Kion Nazar Aaya
Ghar Mein QURAN Bhi Tou Rakha Tha


Usay Khone Se Darti Thi Buhat Rony Se Darti Thi


 

اسے کھونے سے ڈرتی تھی
بہت رونے سے ڈرتی تھی
پھر اک دن یہ سمجھ آ یا
کہ رویا ان کو جاتا ہے
بچھڑ جائے جو مقدر سے
کہ کھویا ان کو جاتا ہے
جو حاصل ہوں میسر ہوں
جو دانستہ بچھڑ جائے
اسے رویا نہیں کرتے
جیسے پایا نہیں ابتک
اسے کھویا نہیں کرتے


Usay Khone Se Darti Thi
Buhat Rony Se Darti Thi
Phir Ik Din Ye Samajh Aaya
Keh Roya Unko Jata Hai
Bichad Jaye Jo Muqadar Se
Keh Khoya Unko Jata Hai
Jo Hasil Hon Muyasar Hon
Jo Danista Bichad Jaye
Usay Roya Nahi Karte
Jise Paya Nahi Ab Tak
Usay Khoya Nahi Karte


Zindagi Bhar Nahi Bhoolengy Woh Manzar Aankhen Jhankti Pardey Ke Peechay Se Do Chup Kar Aankhen



زندگی بَھر نہیں بُھولیں گی وہ مَنظر آنکھیں
جھانکتی پردے کے پیچھے سے دو چُھپ کر آنکھیں
Zindagi Bhar Nahi Bhoolengy Woh Manzar Aankhen
Jhankti Pardey Ke Peechay Se Do Chup Kar Aankhen


جنکی اک دنیا ہے مَرہُونِ فَریبِ جادُو
یاد ہیں ہم کو وہ کھوئی ہوئی ساحر آنکھیں
Jinki Ik Dunya Hai Marhon e Faraib Jadoo
Yaad Hen Hum Ko Woh Khoi Hoi Sahir Aankhen


جانے والا تو بہت دور گیا راہِ عدم
ڈھونڈتی ہیں کسے اب تک تیری مُضطر آنکھیں
Jane Wala Tou Buhat Door Gaya Rah e Adam
Dhoondti Hen Kise Ab Tak Teri Muztar Aankhen

 
غم ہی خوابیدہ ہیں شاید کہیں گہرائی  میں
سوچ میں ڈوبی ہوئی درد کا ساگر آنکھیں
Gham Hi Khuwabeeda Hen Shayed Kahein Gehraai Mein
Soch Mein Doobi Hoi Dard Ka Sagar Aankhen


 پھر کوئی شعر سجا دیں یہ لبوں پر شاید
میری بے نام تمنّاؤں کی محوَر آنکھیں
Phir Koi Shair Saja Den Ye Labon Par Shayed
Meri Be-Nam Tamannaoun Ki Mehwar Aankhen


یاد آتا ہے مجھے ماں سے بچھڑنا ارشد
دور تک پیار سے چُھوتی ہوئی بنجَر آنکھیں
Yaad Aata Hai Mujhe Maa Se Bichadna ARSHAD
Door Tak Piyar Se Choti Hoi Banjar Aankhen

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig


آڈبان ،پینسلوانیا
اپریل ٢٧، ٢٠٢١
Adyan ,Pennsylvania
28 Apr 2021

 

Dopehar tak bik gaya bazar ka har ik jhoot Aur main ik sach ko lekar sham tak betha raha



Dopehar tak bik gaya bazar ka har ik jhoot
Aur main ik sach ko lekar sham tak betha raha

 

Ae Gardish e Ayam Mujhe Ranj Buhat Hai Kuch Khuwaab Thay Aise Jo Bikharne Ke Nahi Hai



Aazanon Mein Khoi Hoi Namazon Mein Roi Hoi Main Khudari Ki Chaadar Mein Lipti Hoi Ik Aam See Larki


 

اذانوں میں کھوئی ہوئی نمازوں میں روئی ہوئی
میں خوداری کی چادر میں لپٹی اِک عام سی لڑکی

Aazanon Mein Khoi Hoi Namazon Mein Roi Hoi
Main Khudari Ki Chaadar Mein Lipti Hoi Ik Aam See Larki


Le Chal Ae Zindagi Us Bachpan Mein Jahan Na Koi Zarori Tha Na Koi Zarorat Thi


 

لے چل اے زندگی اس بچپن میں
جہاں نہ کوئی ضروری تھا نہ کوئی ضرورت تھی


Le Chal Ae Zindagi Us Bachpan Mein
Jahan Na Koi Zarori Tha Na Koi Zarorat Thi


Iss se bard kar masawaat e Ishq kya hogi Agar woh la makaan hai to darbadar hum bhi hain



Iss se bard kar masawaat e Ishq kya hogi
Agar woh la makaan hai to darbadar hum bhi hain


Khushfehmion ke silsale itnay draz hain Keh har eent samjhti hayi deewar mujh se hai



Khushfehmion ke silsale itnay draz hain
Keh har eent samjhti hayi deewar mujh se hai

Dopehar tak bik gaya bazar ka har ik jhoot Aur main ik sach ko lekar sham tak betha raha



Dopehar tak bik gaya bazar ka har ik jhoot
Aur main ik sach ko lekar sham tak betha raha

 

Chaahaton ka samandar hai Phir bhi teri talaash hai



Chaahaton ka samandar hai
Phir bhi teri talaash hai

 

#Hijars

 
It is an ocean of desires
Still searching for you


Aisay ilzaam se phir bhala kon mukarna chahay Ke tujh se mansoob karen mujh ko zamane walay



Aisay ilzaam se phir bhala kon mukarna chahay
Ke tujh se mansoob karen mujh ko zamane walay


Dil kay jhuknay ki khabar ho phir na sir katnay ka hoosh aik sajda ho agar aisa , jisy sajda kahoon


 

منفرد نام کے شاعر مقیم پیا ولی کا خوبصورت کلام
دل کے جھکنے کی خبر ہو پھر نہ سر کٹنے کا ہوش 

 ایک  سجدہ  ہو  اگر  ایسا ، جسے   سجدہ   کہوں 

جس میں تیرا غم نہیں وہ دل نہیں کچھ اور ہے

کیسے  خالی  قبر  کو  راحت  گہہ   تقویٰ  کہوں

 

Munfarid Nam Ke Shair Muqeem Piya Wali Ka Khoobsorat Kalam

Dil kay jhuknay ki khabar ho phir na sir katnay ka hoosh
aik  sajda  ho  agar  aisa , jisy  sajda  kahoon
jis main taira gham nahi woh dil nahi kuch ore hay
kaisy  khali qabar qabar ko rahat ghahi taqwa kahoon

Muqeem piya wali


Umr rishton ke taqazeh hi nibhate guzri Zindagi ne mujhe apna kabhi honay na diya



Umr rishton ke taqazeh hi nibhate guzri
Zindagi ne mujhe apna kabhi honay na diya

I spent my life maintaining the division of relationships.
Life never let me be yours


Aajiza Garza Ibadat Okra Janat Ogata Du Mubaraky MOOR Izzat Okra Janat Ogata

A


Aajiza Garza Ibadat Okra Janat Ogata

Du Mubaraky MOOR Izzat Okra Janat Ogata


woh kehte hain ishhq ki wazahat karein hum kehte hain faqat mehboob ki itaat karein



woh kehte hain ishhq ki wazahat karein
hum kehte hain faqat mehboob ki itaat karein


Tayyar Thay Namaz Ye Hum Sun Ke Zikr e Hoor Jalwah Button Ka Dekh Ke Neeyat Badal Gai


 

تیار  تھے  نماز  پہ  ھم  سن  کے  زکر_ حور
جلوہ  بتوں  کا  دیکھ  کے  نیت  بدل  گئی

Tayyar Thay Namaz Ye Hum Sun Ke Zikr e Hoor

Jalwah Button Ka Dekh Ke Neeyat Badal Gai


Beriya nu bair lag Gaye re tauba, Phoolon se jhuk gayi daliyan



Beriya nu bair lag Gaye re tauba,
Phoolon se jhuk gayi daliyan


Mata-e-zeest main samil rahay hazaron rafeeq Woh jis ki chah thi dil ko wohi magar na mila



Mata-e-zeest main samil rahay hazaron rafeeq
Woh jis ki chah thi dil ko wohi magar na mila


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo