Woh Yun Mila Keh Maa Ki Duaoun Ki Tarah Tha Ik Shakhs Ghani Dhoop Mein Chhaoun Ki Tarah Tha



مطلع میرے ایک محسن کی نذر
Matla Mere Aik Muhsin Ki Nazar

 
وہ یُوں مِلا  کہ ماں کی دُعاؤں کی طرح تھا
اک شخص گھنی دُھوپ میں چھاؤں کی طرح تھا
Woh Yun Mila Keh Maa Ki Duaoun Ki Tarah Tha
Ik Shakhs Ghani Dhoop Mein Chhaoun Ki Tarah Tha

 
بُھولا نہیں ہے دل  کبھی اُسکی عِنایتیں
ہر دُکھ میں مہربان وہ ماؤں کی طرح تھا
Bhoola Nahi Hai Dil Kabhi Uski Inayatein
Har Dukh Mein Meharban Woh Maaoun Ki Tarah Tha

 
چلتا تھا میرے ساتھ کسی سمت میں چلوں
وہ  صُبح کی دبیز  ہواؤں کی طرح تھا
Chalta Tha Mere Saath Kisi Simt Main Chalon
Woh Subah Ki Dabeez Hawaoun Ki Tarah Tha

 
اک پل میں مہربان تو اک پل میں اجنبی
موسم شہر کا تیری اداؤں کی طرح تھا
Ik Pal Mein Meharban Tou Ik Pal Mein Ajnabi
Mousam Shehar Ka Teri Adaaoun Ki Tarah Tha

 
ارشد سنائی دیتی نہیں حس بھی اُن کی اب
کچھ لوگ جن کا لہجہ خُداؤں کی طرح تھا
ARSHAD
Sunaai Daiti Nahi Hes Bhi Unki Ab
Kuch Log Jin Ka Lahjah Khudaoun Ki Tarah Tha

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Woh Nahosat Hai Keh Ghar Baar Se Dar Lagta Hai Is Makan Ke Dar o Deewar Se Dar Lagta Hai



وہ نحوست ہے کہ گھر بار سے ڈرلگتا ہے
اس مکاں کے درودیوار سے ڈر لگتا ہے
Woh Nahosat Hai Keh Ghar Baar Se Dar Lagta Hai
Is Makan Ke Dar o Deewar Se Dar Lagta Hai


تیرے انکار کو سہہ لوں گا یقیں ہے مجھ کو
پر ترے پیار کے اقرارِ سے ڈر لگتا ہے
Tere Inkar Ko Seh Loonga Yaqeen Hai Mujh Ko
Par Tere Piyar Ke Iqrar Se Dar Lagta Hai

 
پاس آتا ہے تو بند ہوتی ہیں سانسیں میری
جانے کیوں مجھ کو ترے پیار سے ڈر لگتا ہے
Paas Aata Hai Tou Band Hoti Hein Saansein Meri
Jane Kiyun Mujh Ko Tere Piyar Se Dar Lagta Hai

 
خوف آتا نہیں گر سامنے آئے دُشمن
پُشت پر دوست کے ہی وار سے ڈر لگتا ہے
Khaof Aata Nahi Gar Samne Aaye Dushman
Pusht Par Dost Ke Hi Waar Se Dar Lagta Hai

 
مجھ کو دنیا سے بہت پیار تھا لیکن ارشد
ڈھل گئی عُمر تو سنسار سے ڈر لگتا ہے
Mujh Ko Dunya Se Buhat Piyar Tha Lekin ARSHAD
Dhal Gai Umar Tou Sansaar Se Dar Lagta Hai

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Tay Hai Ab Aisa Nahi Ho Sakta Woh Kabhi Mera Nahi Ho Sakta



طے ہے اب ایسا نہیں ہو سکتا
وہ کبھی میرا نہیں ہو سکتا
Tay Hai Ab Aisa Nahi Ho Sakta
Woh Kabhi Mera Nahi Ho Sakta

تو نے جو چاہا ہوا ہے ممکن
میں نے جو سوچا نہیں ہو سکتا
Tu Ne Jo Chaha Hoa Hai Lekin
Main Ne Jo Socha Nahi Ho Sakta

جانتا ہوں کہ حسیں ہے لیکن
خواب یہ پُورا نہیں ہو سکتا
Janta Hoon Keh Haseen Hai Lekin
Khuwaab Yeh Pora Nahi Ho Sakta

ساتھ رہتی ہیں ہمیشہ یادیں
میں کبھی تنہا نہیں ہو سکتا
Saath Rehti Hain Hamaisha Yaadein
Main Kabhi Tanha Nahi Ho Sakta

تو نہ چاہے تو نہیں کچھ ممکن
اور چاہے تو کیا نہیں ہو سکتا
Tu Na Chahe Tou Nahi Kuch Mumkin
Aur Chahe Tou Kia Nahi Ho Sakta

کس لیے سوچنا پہروں اُس کو
جو کبھی اپنا نہیں ہو سکتا
Kis Liye Sochna Pehron Usko
Jo Kabhi Apna Nahi Ho Sakta

بے وفا اور وہ مجھ سے ارشد؟
ہو نہیں سکتا نہیں ہو سکتا
Be-Wafa Aur Woh Mujh Se ARSHAD
Ho Nahi Sakta Nahi Ho Sakta

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Aawaara Ik Khayal Tha Taqseer Ban Gaya Ik Khaof Mere Khuwaab Ki Ta'abeer Ban Gaya



وارہ اک خیال تھا تقصیر بن گیا
اک خوف میرے خواب کی تعبیر بن گیا
Aawaara Ik Khayal Tha Taqseer Ban Gaya
Ik Khaof Mere Khuwaab Ki Ta'abeer Ban Gaya

 
کمزور ساعتوں میں کیا ایک فیصلہ
پھر یوں ہوا کہ وہ میری تقدیر بن گیا
Kamzor Saa'aton Mein Kia Aik Faisla
Phir Yun Hoa Keh Woh Meri Taqdeer Ban Gaya

 
اک خوشنما سراب تھا وہ سبز رنگ کا
کاغذ لپٹ کے پاؤں کی زنجیر بن گیا
Ik Khushnuma Saraab Tha Woh Sabz Rang Ka
Kaghaz Lipat Ke Paavun Ki Zanjeer Ban Gaya

 
موہوم ہو گئی ہیں ادائیں وہ دلنشیں
اتنا ہوا ہے  دُور کہ تصویر بن گیا
Marhom Ho Gai Hein Adaaein Woh Dil-Nasheen
Itna Hoa Hai Door Keh Tasweer Ban Gaya

 
احساس تب ہوا مری تکلیف کا اُنہیں
کانٹا جب اُن کی آنکھ میں شہتیر بن گیا
Ihsas Tab Hoa Meri Takleef Ka Unhein
Kanta Jab Unki Aankh Mein Shahteer Ban Gaya

 
اُردو میں کیا کمال ہے اسلُوب درد کا
ارشد غزل کا شہنشاہ مِیر بن گیا
Urdu Mein Kia Kamaal Hai Aslob DARD Ka
ARSHAD Ghazal Ka Shahinsha MEER Ban Gaya

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Hum Ne Hos Ko Ishq Mein Paishah Nahi Kia Da'awat Labon Ne Di Bhi Tou Bosa Nahi Kia



 ہم نے ہوس کو عشق میں پیشہ نہیں کیا
دعوت لبوں نے دی بھی تو بوسہ نہیں کیا
Hum Ne Hos Ko Ishq Mein Paishah Nahi Kia
Da'awat Labon Ne Di Bhi Tou Bosa Nahi Kia

شاید اُسے یقین تھا آؤں گا لوٹ کر
بند اُس نے گھر کا ایک جھروکہ نہیں کیا
Shayed Usay Yaqeen Tha Aaounga Laot Kar
Band Us Ne GHar Ka Aik Jharokah Nahi Kia

اک تم ہی اُس کا مان تھے کُل کائنات میں
وہ شخص جس پہ تم نے بھروسہ نہیں کیا
Ik Tum Hi Uska Maan Thay Kul Laainaat Mein
Woh Shakhs Jis Peh Tum Ne Bharosa Nahi Kia

تُم ہی نہ پڑھ سَکے دلِ شفّاف کا لکھا
ہم نے تو دُشمنوں سے بھی دھوکہ نہیں کیا
Tum Hi Na Parh Saky Dil e Shafaaf Ka Lekha
Hum Ne Tou Dushmanon Se Bhi Dhokah Nahi Kia

جاتا نہیں فقیر یہ ہر در پہ مانگنے
ظالم کے سامنے کبھی کاسہ نہیں کیا
Jata Nahi Faqeer Yeh Har Dar Peh Mangne
Zalim Ke Samne Kabhi Kasa Nahi Kia

سجدہ کیا ہے صرف خدا کے حضور میں
طاقت کے ہر مقام کو قبلہ نہیں کیا
Sajdah Kia Hai Sirf Khuda Ke Huzoor Mein
Taqat Ke Har Muqam Ko Qibla Nahi Kia

ارشد بُھلا نہ پاۓ وہ لمحہ وصال کا
کیا اس نے کبھی یاد وہ لمحہ نہیں کیا
ARSHAD Bhula Na Paaye Woh Lamha Wisal Ka
Kia Us Ne Kabhi Yaad Woh Lamha Nahi Kia

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Sanwara Haathon Se Apne Badi Muhabbat Se Tujhe Banaya Hai Us Ne Buhat Hi Fursat Se



سنوارا ہاتھوں سے اپنے بڑی محبّت سے
تُجھے بنایا ہے اُس نے بہت ہی فرصت سے
Sanwara Haathon Se Apne Badi Muhabbat Se
Tujhe Banaya Hai Us Ne Buhat Hi Fursat Se

 
کروں بیان کیا انمول حُسن کا تیرے
کہ قدر ہوتی ہے معلوم شہ کی قیمت سے
Karon Bayan Kia Anmol Husn Ka Tere
Keh Qadar Hoti Hai Ma'alom Shah Ki Qeemat Se

 
کرے غرور تو جائز بھی ہے اُسے شاید
وہ خوش نصیب جِسے مل گیا تُو قسمت سے
Kare Ghuroor Tou Jaiz Bhi Hai Usay Shayed
Woh Khush Naseeb Jise Mil Gaya Tou Qismat Se

 
کسی بہانے سہی میری ڈیوڑھی آؤ
کبھی تو بات کریں دل کی کوئی فرصت سے
Kisi Bahane Sahi Meri Devdhi Aao
Kabhi Tou Baat Karein Dil Ki Koi Fursat Se


پُرانا دوست وہ مجھ کو عزیز ہے ارشد
جو کال کرتا ہے مُجھ کو مگر ضرورت سے
Purana Dost Woh Mujh Ko Azeez Hai ARSHAD
Jo Call Karta Hai Mujh Ko Magar Zaroorat Se

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Dua Se Aur Muradon Se Aas Rehti Hai Nahi Tou Zindagi Yun Hi Naras Rehti Hai



دُعا سے اور مُرادوں سے آس رہتی ہے
نہیں تو زندگی یوں ہی نِراس رہتی ہے
Dua Se Aur Muradon Se Aas Rehti Hai
Nahi Tou Zindagi Yun Hi Naras Rehti Hai

 
تو ایک پھول میری دسترس سے ہے باہر
ترے خیال کی خوشبو تو پاس رہتی ہے
Tu Aik Phool Meri Dastras Se Hai Bahir
Tere Khayal Ki Khusbo Tou Paas Rehti Hai

 
بِچھڑ کے اُس سے کہیں دل نہیں لگا اپنا
سنا ہے اِن دنوں وہ بھی اُداس رہتی ہے
Bichad Ke Us Se Kahein Dil Nahi Laga Apna
Suna Hai In Dino Woh Bhi Udaas Rehti Hai

 
شراب ِ دید کی لذت سے جی نہیں بھرتا
پِلا بھی دیتا ہے ساقی تو پیاس رہتی ہے
Sharaab Deed Ki Lazzat Se Jee Nahi Bharta
Pila Bhi Daita Hai Saqi Tou Piyas Rehti Hai

 
غزل میں ذائقہ اردو کا گُھل گیا ارشد
سماعتوں میں یہ کیسی مِٹھاس رہتی ہے
Ghazal Mein Zaiqah Urdu Ka Ghul Gaya ARSHAD
Sama'aton Mein Yeh Kaisi Mithas Rehti Hai

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Pathar Nahi Hai Aankh Teri Phir Bhi Nam Nahi Barbadiyun Ka Meri Tujhe Koi Gham Nahi



پتّھر نہیں ہے آنکھ تری پھر بھی نَم نہیں
بربادیوں کا میری تجھے کوئی غم نہیں
Pathar Nahi Hai Aankh Teri Phir Bhi Nam Nahi
Barbadiyun Ka Meri Tujhe Koi Gham Nahi


مانگا ہے ہر جنم کے لئے تجھ کو بار بار
ملنا ہے اس جنم میں یا کوئی جنم نہیں
Manga Hai Har Janam Ke Liye Tujh Ko Bar Bar
Milna Hai Is Janam Mein Ya Koi Janam Nahi


بیتے ترے بغیر تو بے کار ہے یہ عُمر
گُزرے جو تیرے ساتھ تو لمحہ بھی کم نہیں
Beetay Tere Baghair Tou Be-Kar Hai Yeh Umar
Guzre Jo Tere Saath Tou Lamha Bhi Kam Nahi


باہم تو کر چُکے ہیں بچھڑنے کا فیصلہ
دونوں کے جانے کس لیے اُٹھتے قدم نہیں
Baham Tou Kar Chuky Hein Bichadnay Ka Faislah
Dono Ke Jane Kis Liye Uthtay Qadam Nahi

 
لِکھتا ہے کوئی اور یہاں دل کے فیصلے
ارشد ہمارے ہاتھوں میں لوح و قلم نہیں
Lekhta Hai Koi Aur Yahan Dil Ke Faisly
ARSHAD Humare Haathon Mein Loh o Qalam Nahi

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Shouq Tha Unko Khud-Numaai Ka Toq Mujh Ko Mila Buraai Ka



شُوق تھا اُن کو خُودنُمائی کا
طَوق مُجھ کو مِلا بُرائی کا
Shouq Tha Unko Khud-Numaai Ka
Toq Mujh Ko Mila Buraai Ka

 
ہاتھ اُس نے چُھڑایا تب جانا
زور نازُک سی اُس کلائی کا
Haath Us Ne Chudaaya Tab Jana
Zor Nazuk See Us Kalaai Ka


فیصلہ ہم نے کر لیا لیکن
مرحلہ سخت تھا جُدائی کا
Faisla Hum Ne Kar Liya Lekin
Marhala Sakht Tha Judaai Ka

 
اسکی رحمت پہ کر یقیں زاہد
چھوڑ  دے ڈھونگ پارسائی کا
Uski Rehmat Peh Kar Yaqeen Zahid
Chod Dy Dhong Paarsaai Ka

 
اُن کا الزام میں ہوں ہرَجائی
مُجھ کو شِکوہ ہے نارسائی کا
Unka Ilzam Main Hon Harjaai
Mujh Ko Shikwah Hai Na-Rasaai Ka

 
کِس لئے دل کو اسقدر دُکھ ہے
صرف اک شخص کی جُدائی کا
Kis Liye Dil Ko Is Qadar Dukh Hai
Sirf Ik Shakhs Ki Judaai Ka

 
سامنے آ گئی اجل ارشد
حُکم ملتا ہے کب رہائی کا
Samne Aa Gai Ajal ARSHAD
Hukam Milta Hai Kab Rehaai Ka

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Tu Samne Ho Tou Main Khud Ko Bhool Jata Hon Chupa Ke Dard Ko Seenay Mein Muskurata Hon



تو سامنے ہو تو میں خُود کو بُھول جاتا ہوں
چُھپا کے درد کوسینے میں مسکراتا ہوں
Tu Samne Ho Tou Main Khud Ko Bhool Jata Hon
Chupa Ke Dard Ko Seenay Mein Muskurata Hon

 
میں تھک گیا ہوں دُعا اور اب نہیں کرتا
تجھے خبر ہے خدایا میں جو بھی چاہتا ہوں
Main Thak Gaya Hon Dua Aur Ab Nahi Karta
Tujhe Khabar Hai Khudaya Main Jo Bhi Chahta Hon

 
عجیب بات ہے دیکھا نہیں کبھی تجھ کو
 نظر اُٹھاؤں جدھر صرف تجھ کو پاتا ہوں
Ajeeb Baat Hai Daikha Nahi Kabhi Tujh Ko
Nazar Uthaoun Jidhar Sirf Tujh Ko Paata Hon

 
میں کُوچہ کُوچہ پھرا ہوں نجانے کیوں پھر بھی
ہمیشہ لوٹ کے بس تیرے در پہ آتا ہوں
Main Koocha Koocha Phira Hon Najane Kion Phir Bhi
Hamaisha Laot Ke Bas Tere Dar Peh Aata Hon


یہ ڈور پیار کی اُتنی اُلجھ گئی ارشد
نکلنا چاہوں میں جتنا اُلجھتا جاتا ہوں
Yeh Dor Piyar Ki Utni Ulajh Gai ARSHAD
Nikalna Chahon Main Jitna Ulajhta Jata Hon

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


ZINDAGI AB KE MERA NAM NAH SHAMIL KARNA GAR YEH TAY HAI KEH YAHI KHAIL DOBARAH HOGA



ZINDAGI AB KE MERA NAM NAH SHAMIL KARNA
GAR YEH TAY HAI KEH YAHI KHAIL DOBARAH HOGA

WASI SHAH

Mujhe ache log bahut mile Main toh unke qarz say mar gaya Agar ho sake toh kabhi Kharaab bankar mila karo



Mujhe ache log bahut mile Main toh unke qarz say mar gaya
Agar ho sake toh kabhi Kharaab bankar mila karo


Aisa Nahi Keh Gham Ne Badha Li Ho Apni Umar Mausam Khushi Ka Waqt Se Pehle Guzar Gaya



Aisa Nahi Keh Gham Ne Badha Li Ho Apni Umar
Mausam Khushi Ka Waqt Se Pehle Guzar Gaya


Bichhar jaaon to phir raasta teri yaadon se jorrun gi Mujhe zid hai main jeenay ka koi mauqa nahin chorrun gi



Bichhar jaaon to phir raasta teri yaadon se jorrun gi
Mujhe zid hai main jeenay ka koi mauqa nahin chorrun gi


Mohabbat mein talab kaisi Wafadaari ki shartein kya
Tu mera ho na ho..to koi gham nahi Teri yaado ko apni jageer samjhungi


Lizzat e Wasal e Sanam Se Jab Badan Toota Sa Tha Woh Haqeeqat Thi Guman Tha Ya Koi Sapna Sa Tha



یہ غزل کالج کے آخری سال میں لکھی تھی غالباً. ١٩٧٩

لذتِ وصلِ صنم سے جب بدن ٹُوٹا سا تھا

وہ حقیقت تھی گُماں تھا یا کوئی سپنا سا تھا

Lizzat e Wasal e Sanam Se Jab Badan Toota Sa Tha

Woh Haqeeqat Thi Guman Tha Ya Koi Sapna Sa Tha

جو بظاھر تھا چِٹانوں کی طرح مضبوط سا

اپنے اندر کے جہاں میں کس قدر بِکھرا سا تھا

Jo Bazahir Tha Chatano Ki Tarah Mazboot Sa

Apne Andar Ke Jahan Mein Kis Qadar Bikhra Sa Tha

دل سے ارمانوں کی ساری بستیاں لے کر چلا

آنکھ سے بہتا ہوا جیسے کوئی دریا سا تھا

Dil Se Armanon Ki Sari Bastiyan Le Kar Chala

Aankh Se Behta Hoa Jaise Koi Darya Sa Tha

تم سے کیا بچھڑے شہر بھر سے شناسائی گئی

میں ہجومِ واقفاں میں بھی عجب تنہا سا تھا

Tum Se Kia Bichday Shehar Bhar Se Shanasaai Gai

Main Hujoom Waqifan Mein Bhi Ajab Tanha Sa Tha

ارشد اُسکو دیکھ کر سب یاد آتا ہے ہمیں

اجنبی بن کر ملا ہے جو کبھی اپنا سا تھا

ARSHAD Usko Daikh Kar Sab Yaad Aata Hai Humain

Ajnabi Ban Kar Mila Hai Jo Kabhi Apna Sa Tha

مرزا ارشد علی بیگ

Mirza Arshad Ali Baig


Roz Daikha Hai Shafaq Se Woh Pighalta Sona Roz Socha Hai Keh Tum Mere Ho Mere Ho Na



روز دیکھا ہے شفق سے وہ پگھلتا سونا
روز سوچا ہے کہ تم میرے ہو میرے ہو نا
میں تو اک کانچ کے دریا میں بہی جاتی ہوں
کھنکھاتے ہوئے ہم راز مجھے سن لو نا
میں نے کانوں میں پہن لی ہے تمہاری آواز
اب مرے واسطے بیکار ہیں چاندی سونا
میری خاموشی کو چپکے سے سجا دو آ کر
اک غزل تم بھی مرے نام کبھی لکھو نا
روح میں گیت اتر جاتے ہیں جیسے خوشبو
گنگناتی سی کوئی شام مجھے بھیجو نا
چاندنی اوس کے قطروں میں سمٹ جائے گی
تیرگی صبح سویرے میں کہیں کھو دو نا
پھر سے آنکھوں میں کوئی رنگ سجا لوں نیناںؔ
کب سے خوابوں کو یہاں بھول گئی تھی بونا
فرزانہ نیناں


Apne asab peh talkhi nahein outari jaaye Zindagi aik hai bharpor guzari jaaye



Apne asab peh talkhi nahein outari jaaye
Zindagi aik hai bharpor guzari jaaye


Yunhi anjanay main us say rafaqat ho gai Dosti karnay chalay aur us say chahat ho gai



Yunhi anjanay main us say rafaqat ho gai
Dosti karnay chalay aur us say chahat ho gai


wo na ho to main khud say hi ulajhta hoon
kia karo mujhay us ki Aadat ho gai


Main apnay vajood mein us ko talaash karta hoon
Mujhe us say is qadar muhabbat ho gai


Mere pass Aao to jee loon do pal
Meri to har saans us ki amaanat ho gai


Main sochta tha us k aagay zindagi kia hai
Per usy chahne kay Liye zindagi ki zaroorat ho gai

 

Rooh Mein Shaamil Hai Faqatt Nas Nas Mein Nahien Woh,Ik Shakhs Jo



Rooh Mein Shaamil Hai Faqatt Nas Nas Mein Nahien
Woh,Ik Shakhs Jo
Meri Dastaras Mein Nahien
Hall Yahi Hai Keh Bhool  Jaoun Ussey
Aur Ik Yahi Baat Merey Bass Mein Nahien


Iss qadar yaad hai 'apne the sabhi Kis ne kya chal chali ' Yaad nahi



" Iss qadar yaad hai 'apne the sabhi 

Kis ne kya chal chali ' Yaad nahi "


Tumein Bhi Piyar Hai Dil Ko Tatol Kar Daikho Kawad Rooh Ke Andar Se Khol Kar Daikho



تمھیں بھی پیار ہے دل کو ٹٹول کر دیکھو
کِواڑ رُوح کے اندر سے کھول کر دیکھو
Tumein Bhi Piyar Hai Dil Ko Tatol Kar Daikho
Kawad Rooh Ke Andar Se Khol Kar Daikho

 
نجانے کب سے کوئی منتظر ہے چوکھٹ پہ
کہ ایک بار کبھی ہاں تو بول کر دیکھو
Najane Kab Se Koi Muntazir Hai Choukhat Peh
Keh Aik Baar Kabhi Haan Tou Bol Kar Daikho

 
گِراں نہیں ہے محبّت کا یہ حسیں سودا
وَفا کو عِشق کے پلڑے میں تول کر دیکھو
Garan Nahi Hai Muhabbat Ka Yeh Haseen Saoda
Wafa Ko Ishq Ke Palday Mein Tol Kar Daikho

 
خرید لیتے ہو یوسف کو چند دِرہم میں
زُلیخا بن کے کبھی اُسکا مول کر دیکھو
Khareed Laite Ho YOUSAF Ko Chand Darham Mein
Zulaikha Ban Ke Kabhi Uska Mol Kar Daikho

 
مِٹھاس عِشق کی ارشد غزل میں بَس جاۓ
سُخن میں شہد محبّت کا گھول کر دیکھو
Mithas e Ishq Ki ARSHAD Ghazal Mein Bas Jaye
Sukhan Mein Shahd Muhabbat Ka Ghol Kar Daikho

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Hoe Hein Dhoky Mujhe Is Qadar Ujalon Mein Andheri Raat Mein Ab Jugnoun Se Darta Hon



گلُوں سے عشق ہے پر خُوشبوؤں سے ڈرتا ہوں
میں زندگی کے کئی پہلوؤں سے ڈرتا ہوں
Gulon Se Ishq Hai Par Khushboun Se Darta Hon
Main Zindagi Ke Kai Pehloun Se Darta Hon

 
ہوۓ ہیں دھوکے مجھے اس قدر اُجالوں میں
اندھیری رات میں اب جُگنوؤں سے ڈرتا ہوں
Hoe Hein Dhoky Mujhe Is Qadar Ujalon Mein
Andheri Raat Mein Ab Jugnoun Se Darta Hon

 
شبِ فراق ہے یا زلفِ یار کی حد ہے
کبھی نہ ختم ہوں اُن گیسوؤں سے ڈرتا ہوں
Shab e Firaq Ya Zulf e Yaar Ki Had Hai
Kabhi Na Khatam Hon Un Gaisoun Se Darta Hon

 
محافظوں نے مجھے اس طرح سے جکڑا ہے
حصار ہیں جو اُن ہی بازوؤں سے ڈرتا ہوں
Muhafizon Ne Mujhe Is Tarah Se Jakda Hai
Hisaar Hein Jo Un Hi Bazoun Se Darta Hon

 
میں صاف گو ہوں مگر دل کا نرم بھی ارشد
 کسی غریب کے دو آنسوؤں سے ڈرتا ہوں
Main Saaf-Go Hoon Magar Dil Ka Naram Bhi ARSHAD
Kisi Ghareeb Ke Do Aansooun Se Darta Hon

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Efa Nahi Karna Hai Tou Paimaan Na Karein Ab Aur Meri Zaat Par Ihsan Na Karein



ایفا نہیں کرنا ہے تو پیمان نہ کریں 

اب اور مری ذات پر احسان نہ کریں 

Efa Nahi Karna Hai Tou Paimaan Na Karein

Ab Aur Meri Zaat Par Ihsan Na Karein

 
الزام نہ دیں ہمکو چُھڑا لیجیۓ دامن

گر پیار نہیں پیار کا اَپمان نہ کریں 

Ilzam Na Dein Hum Ko Chudha Lijiye Daman

Gar Piyar Nahi Piyar Ka Emaan Na Karein


ایسا بھی کیا کہ پُرسشِ احوال بھی نہیں

اتنا تو ستم ہم پہ مری جان نہ کریں 

Aisa Bhi Kia Keh Pursish e Ahwal Bhi Nahi

Itna Tou Sitam Hum Peh Meri Jaan Na Karein 

رشتے جو مقدّم ہیں زرومال سے زیادہ

یوں اپنے مفادات پہ قربان نہ کریں 

Reshte Jo Muqadam Hein Zar o Maal Se Ziyada

Yun Apne Mufadaat Peh Qurban Na Karein 

ارشد یہ ہم نے سوچ لیا اُسکو گَنوا کر

اب کوئی تمنّا کوئی ارمان نہ کریں 

ARSHAD Yeh Hum Ne Soch Liya Usko Ganwa Kar

Ab Koi Tamanna Koi Arman Na Karein 

مرزا ارشد علی بیگ

Mirza Arshad Ali Baig 

آڈبان پینسلوانیا

Audubon Pennsylvania


Majboor Ho Gaya Hai Ya Maghroor Ho Gaya Woh Dhere Dhere Mujh Se Buhat Door Ho Gaya



مجبور ہو گیا ہے یا مغرور ہو گیا

وہ دھیرے دھیرے مجھ سے بہت دُور ہو گیا 

Majboor Ho Gaya Hai Ya Maghroor Ho Gaya

Woh Dhere Dhere Mujh Se Buhat Door Ho Gaya

 
دُنیا کے ڈر سے ہم نے بھی رستے بدل دئیے

کچھ وہ بھی اپنی ذات میں محصور ہو گیا 

Dunya Ke Dar Se Hum Ne Bhi Rasty Badal Diye

Kuch Woh Bhi Apni Zaat Mein Mahsoor Ho Gaya


اُلفت کی اک خراش تھی جو زخم بن گئی

پھر زخم بڑھتے بڑھتے وہ ناسُور ہو گیا 

Ulfat Ki Ik Khirash Thi Jo Zakham Ban Gai

Phir Zakham Badhty Badhty Woh Nasoor Ho Gaya


حق بات اُس کے شہر میں کہنے کے جُرم میں

مجھ پر گِرے وہ سنگ کہ منصور ہو گیا 

Haq Baat Uske Shehar Mein Kehne Ke Juram Mein

 Mujh Par Gire Woh Sang Keh Mansoor Ho Gaya


ارشد کٹھن بہت تھا بچھڑنے کا فیصلہ

میں وقت اور حالات سے مجبور ہو گیا

ARSHAD Kathin Buhat Tha Bichadne Ka Faisla

Main Waqt Aur Halaat Se Majboor Ho Gaya

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Zikar Ab Bazm Mein Uski Nahi Hota Mera Khush Hai Woh Nam Bhi Koi Nahi Laita Mera



ذِکر اب بزم میں اُس کی نہیں ہوتا میرا
خُوش ہے وہ نام بھی کوئی نہیں لیتا میرا
Zikar Ab Bazm Mein Uski Nahi Hota Mera
Khush Hai Woh Nam Bhi Koi Nahi Laita Mera


تُو نے چہرے سے پڑھا ہے مرے دل کا احوال
بے خبر کھول کے سینہ کبھی دیکھا میرا
Tu Ne Chehre Se Parha Hai Mere Dil Ka Ahwal
Be-Khabar Khol Ke Seenah Kabhi Daikha Mera


کِتنے خوابوں کے محل ساتھ زمیں بوس ہوۓ
اِس محبّت میں فقط دل نہیں ٹُوٹا میرا
Kitne Khuwabon Ke Mahal Saath Zameen Bos Hoe
Is Muhabbat Mein Faqat Dil Nahi Toota Mera

 
یاد ہے تیری کلائی میں وہ چوڑی کی کھنک
ہاتھوں پر مہندی سے جب نام لکھا تھا میرا
Yaad Hai Teri Kalaai Mein Woh Choodi Ki Khanak
Haathon Par Mehindi Se Jab Nam Lekha Tha Mera

 
پیار سے نام میرا اُس نے لیا تھا ارشد
یاد ہے وہ کبھی اک بار ہُوا تھا میرا
Piyar Se Nam Mera Us Ne Lia Tha ARSHAD
Yaad Hai Woh Kabhi Ik Bar Hoa Tha Mera

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Milan Tha Talakh Tou Anjaam Yeh Hi Hona Tha Mujhe Bhi Karna Tha Matam Tujhe Bhi Rona Tha



تاثرات و تجربات
Tasuraat o Tajrubaat

 
مِلن تھا تلخ تو انجام یہ ہی ہونا تھا
مُجھے بھی کرنا تھا ماتم تُجھے بھی رونا تھا
Milan Tha Talakh Tou Anjaam Yeh Hi Hona Tha
Mujhe Bhi Karna Tha Matam Tujhe Bhi Rona Tha

 
چُنا ہے راستہ بربادیوں کا خود میں نے
تباہ دونوں میں سے ایک کو تو ہونا تھا
Chuna Hai Rastah Barbadiyun Ka Khud Main Ne
Tabah Donon Mein Se Aik Ko Tou Hona Tha

 
سفر یہ ساتھ گُزارا ہے اجنبی کی طرح
 کسی بھی موڑ پہ آ کر جُدا تو ہونا تھا
Safar Yeh Saath Guzara Hai Ajnabi Ki Tarah
Kisi Bhi Mod Peh Aa Kar Juda Tou Hona Tha

 
مجھے گَھمنڈ تھا سب کُچھ ہے میرے ہاتھوں میں
کُھلا یہ راز کہ قُدرت کا میں کِھلونا تھا
Mujhe Ghumand Tha Sab Kuch Hai Mere Haathon Mein
Khula Yeh Raaz Keh Qudrat Ka Main Khilona Tha

 
قَضا نے پیار سے لوری سُنائی جب ارشد
تھکا ہوا تھا بہت زندگی سے، سونا تھا
Qaza Ne Piyar Se Lori Sunaai Jab ARSHAD
Thaka Hoa Tha Buhat Zindagi Se Sona Tha

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Nahi Ab Janta Koi Tumhein Mere Hawalon Se Chalo Ab Khurach Dalo Mujhe Apne Khayalon Se



نہیں اب جانتا کوئی تمہیں میرے حوالوں سے
چلو اب تو کُھرَچ ڈالو مجھے اپنے خیالوں سے
Nahi Ab Janta Koi Tumhein Mere Hawalon Se
Chalo Ab Khurach Dalo Mujhe Apne Khayalon Se


کسی نے میری طرح سے کسی کو بھی نہیں چاہا
بیاں کیسے کروں اپنی محبّت کو مثالوں سے
Kisi Ne Meri Tarah Se Kisi Ko Bhi Nahi Chaha
Bayaan Kaise Karon Apni Muhabbat Ko Misaalon Se

 
بالآخر توڑ ڈالا ہے وہ اک جذبات کا بندھن
بچا لایا ہوں دونوں کو زمانے کے سوالوں سے
Bal-Aakhir Tod Dala Hai Woh Ik Jazbaat Ka Bandhan
Bacha Laya Hon Dono Ko Zamane Ke Sawalon Se


ملے ہم اس طرح جیسے کہ دن اور رات ملتے ہیں
مجھے نسبت اندھیروں سے تجھے نسبت اُجالوں سے
Mily Hum Is Tarah Jaise Keh Din Raat Milty Hein
Mujhe Nisbat Andheron Se Tujhe Nisbat Ujalon Se

 
سبب کچھ اور تھا یا ہم جدا ہوتے رہے ارشد
کبھی مریخ کی گردش کبھی زُہرہ کی چالوں سے
Sabab Kuch Aur Tha Ya Hum Juda Hote Rahe ARSHAD
Kabhi Mireekh Ki Gardish Kabhi Zuhra Ki Chaalon Se

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Qasoor Chahe Humara Tha Ya Zamane Ka Qalaq Rahe Ga Hamaisha Tujhe Ganwane Ka



قصور چاہے ہمارا تھا یا زمانے کا
قلق رہے گا ہمیشہ تجھے گنوانے کا
Qasoor Chahe Humara Tha Ya Zamane Ka
Qalaq Rahe Ga Hamaisha Tujhe Ganwane Ka

 
مری کہانی کا خالق بھی کوئی منٹو ہے
بدل دے موڑ اچانک کہیں فسانے کا
Meri Kahani Ka Khaliq Bhi Koi Mento Hai
Badal De Mod Achanak Kahein Fasane Ka

 
کبھی جو نام میرا تیری بزم میں آۓ
سمجھنا ذکر ہوا تھا کسی دیوانے کا
Kabhi Jo Nam Mera Teri Bazm Mein Aaye
Samajhna Zikar Hoa Tha Kisi Deewane Ka

 
بڑھا کے فاصلے اب وہ بھی ہو گیا واقف
محبّتوں میں مزا ہے جو آزمانے کا
Barha Ke Fasly Ab Woh Bhi Ho Gaya Waqif
Muhabbaton Mein Mazah Hai Jo Aazmane Ka

 
اُسے خبر ہے مرے دل کی کیفیت ارشد
جو جانتا ہو اُسے کیا سبب بتانے کا
Usay Khabar Hai Mere Dil Ki Kaifeeyat
ARSHAD
Jo Janta Ho Usay Kia Sabab Batane Ka


مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Ishq Ki Ibteda Na Ban Jaye Yeh Kasak Ibtela Na Ban Jaye



عشق کی اِبتدا نہ بن جائے
یہ کسَک اِبتلا نہ بن جائے
Ishq Ki Ibteda Na Ban Jaye
Yeh Kasak Ibtela Na Ban Jaye

 
فاصلے اور کچھ بڑھا لیجے
یہ تعلّق سَزا نہ بن جائے
Fasly Aur Kuch Barha Lijiye
Yeh Ta'aluq Saza Na Ban Jaye

 
عشق کا مان بھی رہے قائم
آرزو التجا نہ بن جائے
Ishq Ka Maan Bhi Rahe Qaim
Aarzoo Ilteja Na Ban Jaye

 
اتنی نزدیکیاں نہیں اچھی
کہ محبّت خطا نہ بن جائے
Itni Nazdeekiyan Nahi Achi
Keh Muhabbat Khata Na Ban Jaye

 
رہنا ہوشیار قافلے والو
راہزن رہنما نہ بن جائے
Rehna Hoshiyar Qafly Walo
Rahzan Rahnuma Na Ban Jaye

 
رشکِ ملکوت بندگی ٹہرے
آدمی گر خدا نہ بن جائے
Rashk e Malkot Bandagi Thehre
Aadmi Gar Khuda Na Ban Jaye

 
اپنی دُنیا میں خُوش رہے ارشد
وہ، دُعا ہے میرا نہ بن جائے
Apni Dunya Mein Khush Rahe ARSHAD
Woh , Dua Hai Mera Na Ban Jaye


مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Keh Dy Koi Bura Tou Malamat Nahi Karte Hum Mustaqil Kisi Se A'adawat Nahi Karte



کہہ دے کوئی بُرا تو ملامت نہیں کرتے
ہم مستقل کسی سے عداوت نہیں کرتے
Keh Dy Koi Bura Tou Malamat Nahi Karte
Hum Mustaqil Kisi Se A'adawat Nahi Karte

 
تیری جفا سے دل پہ جو گزری ہے کیا کہیں
یہ اور بات تجھ سے شکایت نہیں کرتے
Teri Jafa Se Dil Peh Jo Guzri Hai Kia Kahein
Yeh Aur Baat Tujh Se Shikayat Nahi Karte

 
ہم کو ہے یہ یقین کہ دل ہے خدا کا گھر
پس دل کو توڑنے کی جسارت نہیں کرتے
Hum Ko Hai Yeh Yaqeen Keh Dil Hai Khuda Ka Ghar
Pas Dil Ko Todny Ki Jasarat Nahi Karte

 
 اے کاش تجھ کو دیکھا نہ ہوتا کبھی کہیں
شاید ہم اپنے آپ کو غارت نہیں کرتے
Ae Kaash Tujh Ko Daikha Na Hota Kabhi Kahein
Shayed Hum Apne Aap Ko Gharat Nahi Karte

 
خُود کو کسی کی یاد میں برباد کر لیا
ارشد کسی سے اتنی محبت نہیں کرتے
Khud Ko Kisi Ki Yaad Mein Barbad Kar Liya
ARSHAD Kisi Se Itni Muhabbat Nahi Karte

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania

 

Tujh Ko Jana Tha Tou Phir Mujh Se Mila Hi Kion Tha Chod Jana Tha Tou Phir Piyar Kia Hi Kion Tha



تُجھ کو جانا تھا تو پھر مُجھ سے مِلا ہی کیوں تھا
چھوڑ جانا تھا تو پِھر پیار کیا ہی کیوں تھا
Tujh Ko Jana Tha Tou Phir Mujh Se Mila Hi Kion Tha
Chod Jana Tha Tou Phir Piyar Kia Hi Kion Tha


تھے محبّت کے بہت لوگ طلبگار یہاں
دِل یہ آخر اسی ظالم کو دیا ہی کیوں تھا
Thay Muhabbat Ke Buhat Log Talabgar Yahan
Dil Yeh Aakhir Isi Zalim Ko Diya Hi Kion Tha

 
ہم تو آۓ تھے تری ایک جَھلک ہی دیکھیں
تُو نہیں ہے تو یہ بازار سَجا ہی کیوں تھا
Hum Tou Aaye Thay Teri Aik Jhalak Hi Daikhein
Tu Nahi Hai Tou Yeh Bazar Saja Hi Kion Tha


گر ہوا بن کے گُزر جانا تھا اُسکو یوں ہی
میرے دروازے پہ آ کر وہ رُکا ہی کیوں تھا
Gar Hawa Ban Ke Guzar Jana Tha Usko Yun Hi
Mere Darwaze Peh Aa Kar Woh Ruka Hi Kion Tha

 
میں کہ ناکامِ تمنّا ہُوا آخر ارشد
سوچتا ہوں کہ میں دنیا میں جیا ہی کیوں تھا
Main Keh Na-Kam e Tamanna Hoa Aakhir ARSHAD
Sochta Hoon Keh Main Dunya Mein Jeeya Hi Kion Tha

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Shikast Ho Gai Ik Bar Phir Muhabbat Mein Ik Aur Zakham Tha Lekha Hoa Yeh Qismat Mein



شکست ہو گئی اک بار پھر محبت میں
اک اور زخم تھا لکھا ہوا یہ قسمت میں
Shikast Ho Gai Ik Bar Phir Muhabbat Mein
Ik Aur Zakham Tha Lekha Hoa Yeh Qismat Mein

ترا جمال ہے آنکھوں میں میری خوابیدہ
ترا خیال تو شامل ہے میری عادت میں
Tera Jamal Hai Aankhon Mein Meri Khuwabeedah
Tera Khayal Tou Shamil Hai Meri Aadat Mein

قُبول مجھ کو ہے الزام بُت پرستی کا
خُدا دِکھائی دیا مُجھ کو تیری صُورت میں
Qubool Mujh Ko Hai Ilzam Butt-Parasti Ka
Khuda Dekhaai Diya Mujh Ko Teri Soorat Mein

دُکاں وفا کی سجائی ہے اُس شہر میں جہاں
خریدے جاتے ہیں یوسف ذرا سی قیمت میں
Dukan Wafa Ki Sajayi Hai Us Shehar Mein Jahan
Khareeday Jate Hein Yousaf Zara See Qeemat Mein

محو ہوا ہے اگر ذہن سے خیال ترا
رہا نہ لطف ہی  باقی کوئی عبادت میں
Mahoo Hoa Hai Agar Zehan Se Khayal Tera
Raha Na Lutf Hi Baqi Koi Ibadat Mein

خدا نے غیب سے بھیجی مجھے مدد ارشد
نہ آیا کام کوئی جب مری ضرورت میں
Khuda Ne Ghaib Se Bhaiji Mujhe Madad ARSHAD
Na Aaya Kam Koi Jab Meri Zaroorat Mein

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Chahat Thi Muhabbat Ka Taqazah Tou Nahi Tha Badly Mein Tera Piyar Bhi Manga Tou Nahi Tha



چاہت تھی محبّت کا تقاضا تو نہیں تھا
بدلے میں تیرا پیار بھی مانگا تو نہیں تھا
Chahat Thi Muhabbat Ka Taqazah Tou Nahi Tha
Badly Mein Tera Piyar Bhi Manga Tou Nahi Tha

 
بے بات کی اک بات زمانے نے بنا لی
جو کچھ ہوا ہم دونوں نے سوچا تو نہیں تھا
Be-Baat Ki Ik Baat Zamane Ne Bana Li
Jo Kuch Hoa Hum Dono Ne Socha Tou Nahi Tha

 
کچھ تیری اداؤں کو غلط لوگو نے سمجھا
سارا قصور اس بات میں میرا تو نہیں تھا
Kuch Teri Adaoun Ko Ghalat Logo Ne Samjha
Sara Qasoor Is Baat Mein Mera Tou Nahi Tha

 
الجھن تھی تامل تھا مجھے کہنے میں کُچھ کُچھ
تُو نے بھی میری بات کو سمجھا تو نہیں تھا
Uljhan Thi Tamul Tha Mujhe Kehne Mein Kuch Kuch
Tu Ne Bhi Meri Baat Ko Samjha Tou Nahi Tha

 
اس بار وہ ناراض بھی پہلے سے سوا ہے
پہلے کبھی اس طرح سے رُوٹھا تو نہیں تھا
Is Baar Woh Na-Raaz Bhi Pehle Se Sewa Hai
Pehle Kabhi Is Tarah Se Rootha Tou Nahi Tha

 
کس طرح بَنا آج مری ذات کا محور
اُس شخص کو میں نے کبھی دیکھا تو نہیں تھا
Kis Tarah Bana Aaj Meri Zaat Ka Mahwar
Us Shakhas Ko Main Ne Kabhi Daikha Tou Nahi Tha

 
میں عشق کی اس آگ میں جلتا رہا تنہا
بُھولے سے ترا نام پُکارا تو نہیں تھا
Main Ishq Ki Is Aag Mein Jalta Raha Tanha
Bhooly Se Tera Naam Pukara Tou Nahi Tha

 
دُنیا کو مِلا لُطف اُٹھانے کا بہانہ
ارشد یہ محبّت تھی تماشا تو نہیں تھا
Dunya Ko Mila Lutf Uthane Ka Bahana
ARSHAD Yeh Muhabbat Thi Tamasha Tou Nahi Tha

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Soorat Bhi Jin Ki Daikhny Ko Hum Taras Gaye Kitne Azeez Mulk e Adam Ja Ke Bas Gaye



صُورت بھی جِن کی دیکھنے کو ہم ترَس گئے
کتنے عزیز مُلک ِ عدم جا کے بَس گئے
Soorat Bhi Jin Ki Daikhny Ko Hum Taras Gaye
Kitne Azeez Mulk e Adam Ja Ke Bas Gaye

پا پیادہ ایک عُمر چلے شہرِ عشق میں
برسی وہ غم کی آگ کہ پتّھر جُھلَس گئے
Paa Piyadah Aik Umar Chale Shehar e Ishq Mein
Barsi Woh Gham Ki Aag Keh Pathar Jhulas Gaye

سادہ دلوں کے واسطے مُشکل ہے یہ جہاں
شاید ہم ایسے لوگ یہاں آ کے پھنس گئے
Sadah Dilon Ke Wastay Mushkil Hai Yeh Jahan
Shayed Hum Aise Log Yahan Aa Ke Phans Gaye

ساوَن کی رُت میں دیکھا چمَن سُوکھتے ہوۓ
صحرا میں ٹُوٹ کر کبھی بادل برَس گئے
Sawan Ki Rut Mein Daikha Chaman Sookhty Hoe
Sahra Mein Toot Kar Kabhi Badal Baras Gaye

دُنیا کی تِلچھٹیں کسی دَلدَل سے کَم نہیں
جتنا نکلنا چاہا یہاں اور دَھنس گئے
Dunya Ki Talchetein Kisi Daldal Se Kam Nahi
Jitna Nikalna Chaha Yahan Aur Dhans Gaye

اِس عُمرِ بے مَہار کا کیا جشن کیجئے
چھ دن میں زندگی کے چھیاسٹھ برَس گئے
Is Umar e Be-Muhaar Ka Kia Jishan Kijiye
Cheh Din Mein Zindagi Ke Cheyasath Baras Gaye

ارشد خُدا کا شکر ہے جو کچھ ہمیں ملا
لے کر ہزار حسرتیں اہلِ ہوَس گئے
ARSHAD Khuda Ka Shukar Hai Jo Kuch Hamain Mila
Le Kar Hazaar Hasratein Ahl e Haos Gaye

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania
یوم سالگِرہ
١٧، جولائی، ٢٠٢٣


Woh Gaya Tou Malaal Tha Dil Mein Ab Sukoon Bhi Mahaal Tha Dil Mein



وہ گیا تو ملال تھا دل میں
اب سُکوں بھی محال تھا دل میں
Woh Gaya Tou Malaal Tha Dil Mein
Ab Sukoon Bhi Mahaal Tha Dil Mein
آس کو دیکھا تو آنکھ بھر آئی
دل ہی جانے جو حال تھا دل میں
Usko Daikha Tou Aankh Bhar Aai
Dil Hi Jane Jo Haal Tha Dil Mein

دُکھ اُسے بھی تھا کیا بچھڑنے کا
ایک چُبھتا سوال تھا دل میں
Dukh Usay Bhi Tha Kia Bichadnay Ka
Aik Chubhta Sawaal Tha Dil Mein

قطرۂ خوں جو آنکھ سے ٹپکا
حسرتوں کا مآل تھا دل میں
Qatrah e Khoon Jo Aankh Se Tapka
Hasraton Ka Maal Tha Dil Mein

وہ تصوّر تھا اک حسیں ارشد
اک ادھورا خیال تھا دل میں
Woh Tasawar Tha Ik Haseen ARSHAD
Ik Adhora Khayal Tha Dil Mein

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Dahak Rahi Hein Zamane Mein Dozakhein ARSHAD A'azaab Aur Hein Posheedah In A'azaabon Mein



اِمیج پرِیشاں کوئی ذہن کے خرابوں میں
مہیب خواب تھا شاید بہت سے خوابوں میں
Image Pareshan Koi Zehan Ke Kharabon Mein
Mahaib Khuwaab Tha Shayed Buhat Se Khuwaabon Mein


دریچے دل کے ہوۓ وا تو میرے اندر تھا
تلاش کرتا رہا میں جسے کتابوں میں
Dareechay Dil Ke Hoe Waa Tou Mere Andar Tha
Talash Karta Raha Main Jise Kitabon Mein

 
حیات بخش ہے مجھ کو تری نظر ساقی
نہیں ہے لطف کوئی تلخ ان شرابوں میں
Hayat Bakhash Hai Mujh Ko Teri Nazar Saqi
Nahi Hai Lutf Koi Talakh In Sharabon Mein

 
چمن سے شوخ وہ گُزرا تو کِھل گئیں کلیاں
بسی ہے اُس کے بدن کی مہک گُلابوں میں
Chaman Se Shokh Woh Guzra Tou Khil Gaein Kaliyan
Basi Hai Us Ke Badan Ki Mehik Gulabon Mein

 
دہک رہی ہیں زمانے میں دوزخیں ارشد
عذاب اور ہیں پوشیدہ ان عذابوں میں
Dahak Rahi Hein Zamane Mein Dozakhein ARSHAD
A'azaab Aur Hein Posheedah In A'azaabon Mein

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


Bas Piyar Tujh Se Ho Gaya Main Ne Kia Nahi Main Janta Hoon Tujh Peh Koi Haq Mera Nahi



بَس پیار تجھ سے ہو گیا میں نے کیا نہیں 

میں جانتا ہوں تجھ پہ کوئی حق میرا نہیں

 Bas Piyar Tujh Se Ho Gaya Main Ne Kia Nahi

Main Janta Hoon Tujh Peh Koi Haq Mera Nahi

تھوڑا سا تیرے عشق میں پاگل ضرور ہوں

تُو جِتنا سمجھتی ہے مجھے میں بُرا نہیں

 Thoda Sa Tere Ishq Mein Pagal Zaroor Hoon

Tu Jitna Samajhti Hai Mujhe Main Bura Nahi

بے ساختہ کہا تری صورت ہے ہے مثال

اتنی سی بات پر تو کوئی رُوٹھتا نہیں

 Be-Sakhta Kaha Teri Soorat Hai Be-Misaal

Itni See Baat Par Tou Koi Roothta Nahi

اک دل کے ٹوٹنے کے سوا کچھ نہیں ہوا

ہاں تجھ سے بچھڑ کر کوئی طوفاں اُٹھا نہیں

Ik Dil Ke Tootny Ke Siwa Kuch Nahi Hoa

Haan Tujh Se Bichad Kar Koi Toofan Utha Nahi

دُنیا میں سب سے زیادہ مجھے جانتی ہے وہ

اک دلربا کہ جس سے کبھی میں مِلا نہیں

 Dunya Mein Sab Se Ziyada Mujhe Janti Hai Woh

Ik Dilruba Keh Jis Se Kabhi Main Mila Nahi

کھویا کسی کو میں نے محبت میں ایک بار

تُو بھی مرے نصیب میں شاید لِکھا نہیں

 Khoya Kisi Ko Main Ne Muhabbat Mein Aik Baar

Tu Bhi Mere Naseeb Mein Shayed Lekha Nahi

میں خود کو بُھول بیٹھا جسے دیکھنے کے بعد

ارشد وہ ایک شخص مجھے بُھولتا نہیں

Main Khud Ko Bhool Baitha Jise Daikhny Ke Ba'ad

ARSHAD Woh Aik Shakhs Mujhe Bhoolta Nahi

مرزا ارشد علی بیگ

Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا

Audubon Pennsylvania


Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Mein Hai



دعا کا ٹوٹا ہوا حرف سرد آہ میں ہے
تری جدائی کا منظر ابھی نگاہ میں ہے
Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai
Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Mein Hai


ترے بدلنے کے با وصف تجھ کو چاہا ہے
یہ اعتراف بھی شامل مرے گناہ میں ہے
Tere Badalny Ke Ba-Wasf Tujh Ko Chaha Hai
Yeh Aiteraf Bhi Shamil Mere Gunah Mein Hai

 
عذاب دے گا تو پھر مجھ کو خواب بھی دے گا
میں مطمئن ہوں مرا دل تری پناہ میں ہے
Azaab De Ga Tou Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi De Ga
Main Mutmaein Hon Mera Dil Teri Panah Mein Hai

 
بکھر چکا ہے مگر مسکرا کے ملتا ہے
وہ رکھ رکھاؤ ابھی میرے کج کلاہ میں ہے
Bikhar Chuka Hai Magar Muskura Ke Milta Hai
Woh Rakh Rakhav Abhi Mere Kaj Kalah Mein Hai

 
جسے بہار کے مہمان خالی چھوڑ گئے
وہ اک مکان ابھی تک مکیں کی چاہ میں ہے
Jise Bahar Ke Mehman Khali Chod Gaye
Woh Ik Makan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Mein Hai

 
یہی وہ دن تھے جب اک دوسرے کو پایا تھا
ہماری سال گرہ ٹھیک اب کے ماہ میں ہے
Yahi Woh Din Thay Jab Ik Dosre Ko Paya Tha
Humari Salgirah Theek Ab Ke Mah Mein Hai

 
پروین شاکر
Parveen Shakir


Dost Bhi Tum , Pyar Bhi Tum



Sochun To Sari Umar Muhabbat Me Kat Gai



Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par Kabhi Unn Ke Dar Kabhi Dar Badar



Kia Kijiye Keh Ishq Tha Us Shakhs Se Humain Alfaz Jis Ke Jhoot Thay Lahja Faraib Tha



Kia Kijiye Keh Ishq Tha Us Shakhs Se Humain
Alfaz Jis Ke Jhoot Thay Lahja Faraib Tha

Wasi Shah


Aa thehr tu mujh mein kuch der Kuch main bhi mehsoos karon muhabat ke jazbat



Aa thehr tu mujh mein kuch der
Kuch main bhi mehsoos karon muhabat ke jazbat


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo