Dil Ki Dunia Mein Hai Roshni AAP (S.A.W.W) Se

 

 

Ramzan Ka Tohfa


Poet Nasir Kazmi


Type bY 

 

UJRRA_DIL



Dil Ki Dunia Mein Hai Roshni AAP (S.A.W.W) Se,


Hum Ne Pai Nai Zindgi AAP Se,


Kyoun Na Nazan Hon Apne Muqdar Pe Hum ?


Hum Ko Emaan Ki Dolat Mili He AAP Se,


Kal Bhi Mamoor Tha AAP K Noor Se,


He Munwar Jahan Aaj Bhi AAP Se,


Dushmanon Par Bhi Dar Rahmaton Ka Khula,


Raah-O-Risam-E-Mohabbat Chali AAP Se,


Dil Ka Ghancha Japta He SALE ALLAH,


Apne Gulshan Mein He Tazgi AAP Se,


Sub Jahanon Ki Rahmat Kaha AAP Ko,


Kitna Khush He KHUDA Ay NABI AAP Se,


Khatam He AAP Par Shan-E-Peghmubri,


Ye Riwayt Mukmal Hui AAP Se..........!

.

Bk Nishat-E-Khawab

 

 

Moazziz Ban K Mehfil Mein Ada Kari Nahi Karta

 

Poet Wasiq Ali Athar 

 

Moazziz Ban K Mehfil Mein

Ada Kari Nahi Karta,

Main Chehre Pe Kabhi Jhooti Ana Taari Nahi Karta,

Yahan Behtar Hai Apni Zat Ka Hamdard Ho Jana,

Zamana Gham To De Sakta Hai Gham Khawari Nahi Karta,

Mujhe Moqa Shanasi Ka

Hunar Aaya Nahi Aab Tak,

Jahan Matlab Nikalta Ho

Samajh Dari Nahi Karta,

Mera Dushman Mere Dastoor Se Waqif Nahi

Shayad,

Jise Main Dost Keh Don,

Us Se Ghad Dari Nahi Karta.............!


Tujhe Sochte Hain Ghulabon Ko Le Kar

 

 

Poet Arshad Malik

 

Tujhe Sochte Hain Ghulabon Ko Le Kar,

Khayalon Mein Kitne Sarabon Ko Le Kar,

Teri Aankh Mein Doob Jane Se Pehle,

Bahut Sochte Hain Sharabon Ko Le kar,

Mujhe Chahte Ho Kahan Se Kahan Tak,

Ye Hi Sochte Hain Jawabon Ko Le Kar,

Mujhe Apni Chahat Ki Agosh De Do,

Jahan Jaon Ga Apne Khawabon Ko Le Kar,

Mujhe Us Ne Apna Na Mana To ARSHAD,

Kahan Ja Bason Ga Kharabon Ko Le Kar...........!

=============

Nomi Collection

=============

 

 

Dekhein Wo Aa K Mera Tamasha Khuda Kare

Poet Naseer-o-Deen Naseer 

Dekhein Wo Aa K Mera Tamasha Khuda Kare,

Mere Janoo Mein Rang Wo Paida Khuda Kare,

Tum Par Jafa Kare, Koi Tum Sa Khuda Kare,

Kuch Aur Ho Na Ho Magar Aisa Khuda Kare,

Le Intaqam Koi Humara Khuda Kare,

Tum Se Bhi Ho Wafa Ka Taqaza Khuda Kare,

Dil Hai Malool Aur Nigahein Udas Hain,

Mil Jaye Kash Tera Sahara Khuda Kare,

Main Ne Kaha K Mujh Pe Kabhi Mehrbaan To Hon,

Hans Kar Kaha Khayal Hai Acha Khuda Kare,

Dunia Sajai Hum Ko Banaya Mita Dia,

Dekhain Ab Aage Aur Bhi Kia Kia Khuda Kare,

Dil Ko Yaqeen Hai Un Ki Mulaqat Ka,

NASEER

Ab Dekhiye Karam Wo Karein Ya Khuda Kare.........! 

Us K Surkh Honton Se Bat Aaye

Jaise Gulab Lafzon K Saat Aaye

 

Poet Ayaz Khan

Type By 

*.__Ayaz_Khan__.* 

 

Us K Surkh Honton Se Bat Aaye

Jaise Gulab Lafzon K Saat Aaye

Us Ki Kali Kali Zulfain Jab Lehrain.

Jis Ghata Chaye Aur Barsat Aaye.

Us Ki Jheel Si Ghiri Aankhon Mein Jo Dekhe.

Kab Din Aaya Kab Sham Guzri Kab Rat Aaye.

Us Ka Shokh Badan Sub Ko Sapno Mein Le Jaye.

Jab Hoosh Mein Aao Kuch Bhi Na Hath Aaye.

Us Ka Sath Jis Ko Bhi Naseeb Ho Ga AYAZ.

Wo Khizaan Mein Chale To Bahar Sath Aaye........! 

 

Ye Eid To Phir Se Lout Aai Hai

Jo Bichere Hain Kab Wo Loutein Gay

 

 

===========

Eid Collection

===========


Ye Eid To Phir Se Lout Aai Hai,


Jo Bichere Kab Wo Loutein Gay,


Wo Kaise Hum Se Bichar Gaye,


Ye Beth Kar Hum Tum Sochein Gay,


Wo Jin Se Ghar Ki Ronaq Thi,


Kaise Hum Se Door Howay,


Wo Chand Sa Jin Ka Chehra Tha,


Wo Aakhon Se Door Howay,


Jab Yad Humain Wo Aain Gay,


Hum Kaise Aanso Rokain Gay,


Ye Eid To Phir Se Lout Aai Hai,


Jo Bichere Hain Kab Wo Loutein Gay.............!

 

 

Shab-E-Nishat Thi Ya Subh-E-Pur-Malaal Thi Wo

 

Poet Ahmad Faraz

Type By 

*.__Ayaz Khan__.* 

 

Shab-E-Nishat Thi Ya Subh-E-Pur-Malaal Thi Wo.

Thakan Se Choor Tha Mein Neend Se Nadhaal Thi Wo.

Mein Us Ki Humsafri Mein Bhi Dil Garfta Raha.

K Har Qadam Par Judai Ka Ehtamaal Thi Wo.

Idhar Udhar K Bhi Kirdaar Aate Jate Rahe.

Mere Sukhan Ka Magar Markazi Khayaal Thi Wo.

Wo Pairahan Thi Magar Jisam-O-Jaan Rahi Meri.

K Jo Bhi Jaisa Bhi Musam Tha Hasb-E-Haal Thi Wo.

Tamam Umer Agar Zindagi Ne Zakham Diye.

Tamam Umer K Zakhmo Ka Andmaal Thi Wo.

Ye Umer Bhar Ka Asasa Usi K Naam To Hai.

Agar Chay Meri Rafaqat Mein Chand Saal Thi Wo.

FARAZ Yaad Hai Ab Tak Supardagi Us Ki.

Ze Farq Ta Ba-Qadam-E-Khawish-E-Wasaal Thi Wo............!

Book:

Khawab e Gul Parishaan Hai

Page: 113 to 114

 

Talaq De To Rahe Ho Gharoor-O-Qehr K Sath

 

 

Poetess Rehana Qamar


Talaq De To Rahe Ho Gharoor-O-Qehr K Sath,


K Mera Shabab Bhi Louta Do Mere Mehar Ke Sath...!


Book

Mera Afsana


Page 36

 

 

Wo Kehti Hai Suno Jana,

Mohabbat Mom Ka Ghar Hai

 

 

Poet Atif Saeed 

 

Wo Kehti Hai Suno Jana,

Mohabbat Mom Ka Ghar Hai

Tapish-E-Badgumani Ki

Kahein Pigla Na De Is Ko?

Main Kehta Hon,

Jis Dil Main Zara Bhi Badgumani Ho,

Wahan Kuch Aur Ho To Ho,

Mohabbat Ho Nahi Sakti,

Wo Kehti Hai Sada Aise Hai,

Kia Tum Mujh Ko Chaho Gay?

K Main Is Main Kami Koi Bhi,

Gawara Kar Nahi Sakti,

Main Kehta Hon,

Mohabbat Kia Hai Ye Tum Ne Sikhaya Hai,

Mujhe Tum Se Mohabbat K Siwa Kuch B Nahi Aata,

Wo Kehti Hai,

Judai Se Bahut Darta Hai Mera Dil,

K Khud Ko Tum Se Hat Kar Dekhna,

Mumkin Nahi Hai Ab,

Main Kehta Hon,

Yahi Khadshe Bahut Mujh Ko Satate Hain,

Magar Sach Hai K,

Mohabbat Mein Judai Sath Chalti Hai,

Wo Kehti Hai,

Batao Kia Mere Bin Jee Sako Gay Tum?

Meri Batain Meri Yadein Meri Aankhein,

Bhula Do Gay?

Main Kehta Hon,

Kabhi Aisi Bat Par Socha Nahi Main Ne,

Agar Ek Pal Ko Bhi Sochon To,

Saansein Rukne Lagti Hain,

Wo Kehti Hai Tumhain Mujh Se,

Mohabbat Is Qadar Kion Hai?

K Main Ek Aam Si Larki

Tumhein Kion Khas Lagti Hon,

Main Kehta Hon,

Kabhi Khud Ko Meri Aankhon Se Tum Dekho,

Meri Deewangi Kion Hai,

Ye Khud Hi Jan Jao Gi,

Wo Kehti Hai,

Mujhe Waraftgi Se Dekhte Kion Ho?

K Main Khud Ko Bahut Qeemti Mehsoos Karti Hon,

Main Kehta Hon,

Mata-E-Jan Bahut Anmol Hoti Hai,

Tumhein Jab Dekhta Hon Zindagi Mehsoos Karta Hon,

Wo Kehti Hai,

Mujhe Alfaz K Jugno Nahi Milte,

K Tumhain Bata Sakon K,

Dil Main Mere Kitni Mohabbat Hai,

Main Kehta Hon,

Mohabbat To Nigahon Se Jhalakti Hai,

Tumhari Khamoshi Mujh Se,

Tumhari Bat Karti Hai,

Wo Kehti Hai,

Batao Na Kis Ko Khone Se Darte Ho?

Batao Kon Hai Wo Jise,

Ye Mosam Bulate Hain?

Main Kehta Hon,

Ye Meri Shairy Hai Aaina Dil Ka,

Zara Dekho Batao Kia,

Tumhain Is Mein Nazar Aaya?

Wo Kehti Hai,

Atif Jee Bahut Batein Banate Ho,

Magar Sach Hai Ye Batein,

Bahut Hi Shad Rakhti Hain,

Main Kehta Hon,

Yeh Sab Batain Ye Fasane Ek Bhana Hain,

K Pal Kuch Zindagani K Tumhare Sath Katt Jain,

Phir Us K Bad Khamoshi Ka Dilkash Raqs Hota Hai,

Nigahain Bolti Hain Aur

Lab Khamosh Rehte Hain................!

Wafa Isko Nahin Kehte Wafa Kuch Aur Hoti Hai

 

 

Wafa Isko Nahin Kehte Wafa Kuch Aur Hoti Hai,

Mohabbat Karne Walon Ki Ada Kuch Aur Hoti Hai,

Tumhara Pyar Hai Hasil Khuda Se Ab Main Kia Mangon,

K Is Dolat Se Barh Kar Bhi Bhala Kuch Aur Hoti Hai,

Agar Che Ghum Ka Mara Ho,

Magar Tum Ye Na Bhoolo Gay,

K Deewanon K Honton Pe Dua Kuch Aur Hoti Hai,

Tarap Uthe Gi Ye Dunia Agar Roye Ga Dil Mera,

K Dil Se Jo Nikalti Hai Wo Sada Kuch Aur Hoti Hai,

Tumhein Dekha Tumhain Chaha, Tumhi Se Pyar Kar Bethe

Suno! Pathar K Dil Walo Wafa Kuch Aur Hoti Hai...........! 

 

==============

  NOMI Collection

==============

 

 

Main Apni Raton Ki Fursaton Mein

Tujhe Manaon To Maan Jana

 

 

Poet Atif Saeem

Main Apni Raton Ki Fursaton Mein,

Tujhe Manaon To Maan Jana,

Agar Kisi Din Main Apne Aanso,

Jo Le K Aaon To Maan Jana,

Ye Ek Dil Hi Tumhain Dia Tha,

So Is Ko Tum Ne Hi Tor Dala,

Shikasta Dil Ki Jo Kirchion Ko,

Sameit Laon To Maan Jana,

Too Khush Nahi Hai Meri

Baqa Par To Sirf Itna Bata,

Teri Khushi K Liye Jo Sooli Pe Muskraon To Maan Jana,

Too Badgumaan Hai Meri Wafa Par,

To Sirf Aik Bar Azma Le,

Jo Haar Jaon To Lout Jana,

Jo Jeet Jaon To Maan Jana..............!

Navak-E-Andaz Jidhar Deeda-E-Jana Hon Gay

Nim Bismil Kai Hon Gay Kai Bejan Hon Gay Lyric

 

 

Poet Momin Khan Momin 

 

Navak-E-Andaz Jidhar Deeda-E-Jana Hon Gay,

Nim Bismil Kai Hon Gay Kai Bejan Hon Gay,

Tab-E-Nazara Nahi Aaina Kia Dekhane Don,

Aur Ban Jain Gay Tasveer Jo Hairan Hon Gay,

Too Kahan Jaye Gi Kuch Apna Thikana Kar Le,

Hum To Kal Khawab-E-Adam,

Mein Shab-E-Hijaran Hon Gay,

Phir Bahar Aai Wohi Dasht-E-Navardi Ho Gi,

Phir Wohi Paon Wohi Khar-E-Mughlan Hon Gay,

Nasha Dil Mein To Itna To Samajh Apne K Hum,

Lakh Nadan Howaye Kia Tujh Se Bhi Nadan Hon Gay,

Ek Hum Hain K Howaye Aise Pasheman K Bas,

Ek Wo Hain K Jinhein Chah K Arman Hon Gay,

Minat-E-Hazarat-E-Esa Na Uthain Gay Kabhi,

Zindagi K Liye Sharminda-E-Ehasan Hon Gay,

Umar To Sari Kati Ishq-E-Butan Mein MOMIN,

Ab Aakhri Waqt Mein Kia Khak Musalman Hon Gay................! 

 

Tum Ke Sunte Rahe Auron Ki Subani Logo

Hum Sunate Hain Tumhain Apni Kahani Logo

 

Poet Ahamad Faraz

Type By 

*._Ayaz_Khan_.* 

 

Tum Ke Sunte Rahe Auron Ki Subani Logo,

Hum Sunate Hain Tumhain Apni Kahani Logo,

Kon Tha Dushman-E-Jaan Wo Koi Apna Tha K Ghair,

Han Wohi Dushman-E-Jaan Dilbar Jani Logo,

Zulf Zanjeer Thi Zalium Ki To Shamsheer Badan,

Roop Sa Roop Jawani Si Jawani Logo,

Samane Us K Dekhe Nargis-E-Shela Beemar,

Roo Ba Roo Us K Bhare Saroo Bhi Pani Logo,

Us Ki Guftaar Mein Khandah Tha Shagfat-E-Gul Ka,

Us Ki Raftar Mein Chashme Ki Rawani Logo,

Us K Malboos Se Sharmindah Quba-E-Lala.

Us Ki Khushboo Se Jale Raat Ki Rani Logo,

Hum Jo Pagal Thay To Be Waja Nahi Thay Pagal,

Aik Dunia Thi Magar Us Ki Deewani Logo,

Ishq Aur Mushk Chupaye Nahi Chupte Youn Bhi,

Kab Raha Raaz Koi Raaz-E-Nihani Logo,

Aik To Ishq Kia Ishq Bhi Phir MEER Sa Ishq.

Is Pe GHALIB Ki Se Aashafta Bayani Logo,

Haila Joo Wise Bhi Hote Hain Zamane Wale,

Is Pe Aai Na Humain Baat Chupani Loogo,

Dastan Koi Bhi Ho Zikar Kisi Shakhs Ka Ho,

Hum Ne Us Naam Se Taheed Uthani Logo,

Han Wohi Naam K Jis Naam Se Wabasta Hai,

Har Mohabbat Wo Nai Ho K Purani Logo,

Hum Hi Sada Thay Kia Is Pe Bharosa Kia Kiya.

Hum Hi Nadaan Thay K Logo Ki Na Mani Logo,

Hum To Us Ke Liye Ghar Baar Bhi Tijh Bithe,

Us Sitamgar Ne Magar Qadar Na Jani Logo,

Kis Tarah Bhool Gia Qaol-O-Qasam Wo Apne,

Kitni Be Sarfa Gai Yad Dehani Logo,

Jis Tarha Titlian Baghon Se Safar Kar Jain,

Jise Alfaz Mein Mar Jain Mafi Logo,

Ab Ghazal Koi Utarti Hai To Nohai Ki Tarah,

Shairy Ho Gai Hai Marsia Khawani Logo,

Shama Royon Ki Mohabbat Mein Ye Hi Hota Hai,

Reh Gia Daag Faqat Dil Ki Nishani Logo.........!

...THE END...

Book: Khawab e Gul Parishaan Hai

Page: 136 to 139 

 

Har Koi Dil Ki Hatheli Pe hai Sehra Rakhe

 

Poet Ahmad Faraz

Type By 

*.__Ayaz Khan__.* 

 

Har Koi Dil Ki Hatheli Pe hai Sehra Rakhe..

Kis Ko Seraab Kare Wo Kise Piyasa Rakhe..

Umer Bhar Koon Nibhata Hai Taluq Itna..

Ay Meri Jaan K Dushman Tujhe Allah Rakhe..

Hum Ko Acha Nahi lagta Koi Hum Naam Tera..

Koi Tujh Sa Ho To Phir Naam Bhi Tera Rukhe..

Dil Bhi Pagal Hai K Us Shaks Se Wabsta Hai..

Kisi Aur Ka Hone De Na Apna Rakhe..

Kam Nahi Tumaa ibadat Bi To Hars-E-Zar Se..

Fuqar Tu Wo Hai K Jo Deen Na Dunia Rakhe..

Huns Na Itna Bhi Faqeeron K Akele Pan Par..

Ja KHUDA Meri Trah Tujh Ko Bhi Tanha Rakhe..

Ye Qinna-at Hai Ata-at hai K Chahat Hai FARAZ..

Hum To Razi Hain Wo Jis Haal Main Jaisa Rakhe......!

Book:

Khawab e Gul Parishaan Hai

Page: 61 to 62

 

Aagehi Mein Ek Khila Mojood Hai

 Is Ka Matlab Hai Khuda Mojood Hai

 

 Poet Abdul Hameed Addam

 

Aagehi Mein Ek Khila Mojood Hai

Is Ka Matlab Hai Khuda Mojood Hai

Hai Yaqeenan Kuch Magar Wazeh Nahi,

Aap Ki Aankhon Mein Kia Mojood Hai,

Baankapan Mein Aur Koi Shaye Nahi,

Sadgi Ki Intaha Mojood Hai,

Hai Mukamal Badshahi Ki Daleel,

Ghar Mein Gir Ek Boria Mojood Hai,

Shoqia Koi Nahi Hota Ghalat,

Is Mein Kuch Teri Raza Mojood Hai,

Is Liye Tanha Hon Main Garm-E-Safar,

Qafle Mein Rahnuma Mojood Hai,

Har Mohabbat Ki Bina Hai Chashni,

Har Lagan Mein Mud'da Mojood Hai,

Har Jaga, Har Shehr, Har Aqleem Mein,

Dhoom Hai Us Ki Jo Na Mojood Hai,

Jis Se Chupna Chahta Hon Main ADDAM,

Wo Sitamgar Ja Baja Mojood Hai..............! 

 

Page 67 68

 

Muddat Hoi Hai Mout Ko Mehman Kiye Howay

 

Poet Abdul Hameed Addam

 

Muddat Hoi Hai Mout Ko Mehman Kiye Howay,

Hasti Ki Mushkalat Ko Aasan Kiye Howay,

Ab Kia Darust Hon Gay Zamane K Karobar,

Wo Aa Gaye Hain Baal Pareshan Kiye Howay,

Jee Chahta Hai Ehad-E-Jawani Guzar Don,

Sar Ko Sapurd-E-Za Noo-E-Jaan Kiye Howay,

Bedar Ho Raha Hai Tasawor Ka Butt Kadah,

Sad Ha Takulfat Ka Samaan Kiye Howay,

Phir Karobar-E-Khas Mein Masroof Har Khard,

Qandeel-E-Maslihat Ko Farozaan Kiye Howay............!

Page 64

 

Khali Hai Abhi Jaam Main Kuch Soch Raha Hon

 

Poet Abdul Hameed Addam

 

Khali Hai Abhi Jaam Main Kuch Soch Raha Hon,

Aye Gardish-E-Ayam Main Kuch Soch Raha Hon,

Saqi Tujhe Ek Thori Si Takleef To Ho Gi,

Saghar Ko Zara Thaam Main Kuch Soch Raha Hon,

Pehle Bari Raghbat Thi Tere Naam Se Mujh Ko,

Ab Sun K Tera Naam Main Kuch Raha Hon,

Adraak Abhi Poora Ta'awon Nahi Karta,

De Bada-E-Gulfam Main Kuch Soch Raha Hon,

Hal Kuch To Nikal Aaye Ga Halaat Ki Zid Ka,

Aye Kasrat-E-Aalaam Main Kuch Soch Raha Hon,

Phir Aaj ADDAM Sham Se Ghamgeen Hai Tabiat,

Phir Aaj Sar-E-Sham Main Kuch Soch Raha Hon..........!

Page 47,48 

 

Ek Sawali Ko Ishq Howa Hai Faqeer Se

 

Poet Allama Iqbal 

 

Ek Sawali Ko Ishq Howa Hai Faqeer Se,

Shailay Ki Nazam Milne Lagi Rooh-E-Meer Se,

Roz-E-Azal Se Daimi Rishta Hai Jan-E-Jan,

Har Gham Pazeer Looh Ka Har Dil Pazeer Se,

Main Kaise Ishq Chor K Dunia Samait Lon,

Main Kaise Inheraf Karon Apne Peer Se,

Murda Sama'aton Se Na Kar Zikr-e-Hal-O-Qaal,

Izhar-E-Haal Kar Kisi Zinda Zameer Se,

Mujh Aashiq-E-Alust K Puzay He Kion Na Hon,

Aaye Gi Yar Ki Hi Sada Leer Leer Se,

Apne Pya K Rung Se Rangeen Hai Ali,

Khusro Ne Muskura Kar Kaha Hai Kabeer Se.............! 

 

Baharon Ki Mangi Hui Ek Dua Hazaron Ki Mangi Hui Iltja

 

 

Baharon Ki Mangi Hui Ek Dua,


Hazaron Ki Mangi Hui Iltja,


Hazaron Baras Mein Kabhi Ho Qubool,


To Khilta Tum Sa Haseen Aik Phool,


Phool Phool Pe Bani Teri Tasveer,


Phool Phool Pe Likha He Tera Naam

O Tujhe Salam,

Tujhe Salam,


Ithla K Bal Kha K Too Aise Qadam Uthati He,


Aise Qadam Uthati He Jese Qasam Uthati He,


Aaj Koi Ho Jaye Ga Barbad,


Aaj Koi Ho Jaye Ga Badnam,

Tujhe Salam,


Galon Se Ye Lagta He,

Ik Masoom Kanwal He Too,


Honton Se Ye Lagta He,

Ik Rangeen Ghazal He Too,


Teri Zulafein Sawan Ki Raatein,


Teri Aankhein Sheeshe K Do Jaam,

Tujhe Salam,


Kisi Geet K Mukhrhe Sa,

Dil'Kash Tera Mukhrha He,


Is Dunia Ki Cheez Nahi Too,

Ik Chaand Ka Tukrha He,


Main To Hon Insan Farshate Bhi Teri Qasam,


Ban Jain Tere Ghulam,

Tujhe Salam..........!


=============

Nomii Collection

=============

 

 

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain

 

Poet Ahmad Faraz

Type By 

*.__Ayaz Khan__.* 

 

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain.

Jis Tarah Aaine Chehron Ko Taras Jate Hain.

Ehtiyat Ehl-E-Muhabbat K Isi Shehr Mein Log.

Gul Badast Aate Hain Paba Rasan Jate Hain.

Jaise Tajdeed-E-Taluq Ki Bhi Rut Ho Koi.

Zakham Bharte Hain To Ehbaab Bhi Aa Jate Hain.

Saqia Too Ne Mekhane Ka Ye Haal Kia.

Badah-Kash Mutasib-E-Shehr K Gun Gate Hain.

Tanaa Nasha Na Do Sub Ko K Kuch Sukhta Jaan.

Shidat-E-Tishna-Labi Se Bhi Behak Jate Hain.

Har Kari Raat K Bad Aisi Qayamat Guzri.

Subh Ka Zikar Bhi Aaye To Larz Jate Hain.........!

Book:

Nabina Shehr Mein Aaina

Page: 16

 

Kabhi Thak K So Gaye Hum

Kabhi Rat Bhar Na Soye

Kabhi Hans K Ghum Chupaya

 

 

 

Poet Wasi Shah 

 

Kabhi Thak K So Gaye Hum

Kabhi Rat Bhar Na Soye

Kabhi Hans K Ghum Chupaya

Kabhi Moonh Chupa K Roye,

Meri Dastan-E-Hasrat Wo Suna Suna K Roye,

Mere Azmany Wale Mujhe Aazma K Roye,

Shab-E-Gham Ki Aab Beeti Jo Sunai Anjuman Mein,

Kai Sun K Muskaraye Kai Muskara K Roye,

Main Hon Bewatan Musafir Mera Naam Be Kasi Hai,

Mera Koi Bhi Nahi Hai Jo Gale Laga K Roye,

Mere Pas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Pocha,

Main Ye Kaise Maan Jaon K Wo Door Ja K Roye.................! 

 


Ankhon Se To Door Hain

Dharkano K Pas Hain Lyric

 

Singer Alka Yagnik &

Kumar Sano 

 

Ankhon Se To Door Hain

Dharkano K Pas Hain

Teri Har Yadein Sanam Kehte Hain,

Kha K Hum Qasam,

Ban Kar Labon Pe Pyas Hain Pyas Hain Khushbo,

Teri Sanso Mein Hai Chehra Tera,

Ankhon Mein Hain To Lafz Ban K Jane Man,

Har Pal Meri Baton Mein

Hai,

Mere Dil Mein Aaj Bhi Jane Jana Tere Liye,

Kehte Hain Kha K Hum Qasam Teri Jaga Kuch Khas Hain,

Too Ho Gai Hum Se Juda Kehne Ki Bas Ye Bat Hai,

Aankhon Mein Ban K Ashk,

Too Har Pal Hamare Sath

Hai,

Tere Bin Ye Zindagi Lagti Hai,

Kar Mera Yaqeen Kehte Hain Kha k Hum Qasam,

Jaise Koi Banwas Hai,

Jo Kal Tumhare Sath Mein Guzre Kia Phir Wo Aain Gay,

Gulshan Mein Khil K Phool Phir,

Masti Mein Kia Lehrain Gaye,

Bat Ye Mumkin Nahi Phir Bhi Na Jane Dil Mein Kion,

Kehte Hain Kha K Hum Qasam,

Har Pal Bana Kuch Khas Hai......?

 


Kabhi Thak K So Gaye Hum

Kabhi Rat Bhar Na Soye

Kabhi Hans K Gham Chupaya

 

 

Poet Zaheer Warsi 

 

Kabhi Thak K So Gaye Hum,

Kabhi Rat Bhar Na Soye,

Kabhi Hans K Gham Chupaya,

Kabhi Moonh Chupa K Roye,

Meri Dastan-E-Hasrat Wo Suna Suna K Roye,

Mere Aazmane Wale Mujhe Azma K Roye,

Shab-E-Gham Ki Aab Beeti Jo Sunai Anjuman Mein,

Kabhi Sun K Muskaraye,

Kabhi Muskara K Roye.............! 

 


Sajan Ki Yadein Bhi SALEEM Kin Lamhon Mein Aati Hain,
 
Gori Aata Goond Rahi Thi Namak Milana Bhool Gai

 

 

Poet Kosar Saleem 

 

Phool Pe Aa K Bethi To Khud Par Itrana Bhool Gai,

Aisi Mast Hoi Wo Titli Par Phailana Bhool Gai,

Aise Khila Wo Phool Sa Chehra,

Pheli Saare Ghar Mein Khushbo,

Khat Chupa Kar Parhne Wali Raz Chupana Bhool Gai,

Kalion Ne Har Bhanwre Titli Se Poocha Hai Us Ka Naam,

Baad-E-Saba Jis Phool K Ghar Se Lout K Aana Bhool Gai,

Apne Purane Khat Lene Wo Aai Thi Mere Kamre Mein,

Maiz Par Do Tasveerain Dekhi Khat Le Jana Bhool Gai,

Barson Baad Mile To Aisi Pyas Bhari Thi Aankhon Mein,

Bhool Gia Main Bat Batana Wo Sharmana Bhool Gai,

Sajan Ki Yadein Bhi SALEEM Kin Lamhon Mein Aati Hain,

Gori Aata Goond Rahi Thi Namak Milana Bhool Gai..........! 

 

Book Bahar-E-Zeest

Page 34,35 

 

 

Jab Wo Daantoon Main Dabaty Hain Gulabi Hont

 

 

Jab Wo Daantoon Main Dabaty Hain Gulabi Hont....


.

.

.

Haay! Kitnay Pur'Kaif Nazaaro'n Ko Saza Milti Hai.....

 

=============

Nomi Collection

=============

 

 

Nighaein Ho Gai Purnam Zara Aawaz De Dena

 

 

Nighaein Ho Gai Purnam Zara Aawaz De Dena,


Ghamon Mein Ghir Gaye Hain Hum Zara Aawaz De Dena,


Kahan Ho Tum ?

Bari Veeran He Umeed Ki Rahein,


Chale Aao Meri Aankhein Bas Tumahein Dekhna Chahein,


Mere Arman Mere Humdam Zara Aawaz De Dena,


Bare Majboor Hain Taqdeer Par Kab Zor Chalta He,?


Diye Palakon Pe Jalte Hain

Jigar Seene Mein Jalta He,


Mera Ghutne Laga He Dam Zara Aawaz De Dena......!

 

 

=============

Nomii Collection

============= 

 

 

Raaz-E-Ulfat Chupa K Dekh Lia

Dil Bahut Kuch Jala K Dekh Lia LyriC

 

Singer Muni Begam 

 

Poet Faiz Ahmad Faiz

Type bY 

UJRRA_DIL

Raaz-E-Ulfat Chupa K Dekh Lia

Dil Bahut Kuch Jala K Dekh Lia,

Aur Kaya Dekhne Ko Baqi He,

Aap Se Dil Laga K Dekh Liya,

Wo Mere Ho K Bhi Mere Na Huye,

Un Ko Apna Bana K Dekh Liya,

Aaj Un Ki Nazar Mein Kuch Hum Ne,

Sub Ki Nazarein Bacha K Dekh Liya,

Faiz Takmeel-E-Gham Bhi Ho Na Saki,

Ishq Ko Aazma K Dekh Liya.............! 

 

=============

Nomii Collection

=============

 

Bas Gaya Too To Dunia K Par Sajna

Kahan He Tera Paya Sajna Lyric

 

Singer Noor Jahan

Type By 

UJRRA_DIL

 

Bas Gaya Too To Dunia K Par Sajna

Kahan He Tera Paya Sajna

Bhool Gaya Kyoun Wade Apne O Bachpan K Veri,?

Tujh Bin Youn Kur Laon Jese Ban Mein Konj Akeli,

Sun Too Bhi Dukhi Dil Ki Pukar Sajna,

Ujarr Gai Wo Baghiya Jis Mein Aag K Phool Khile The,

Roye Waar Jis Mein Hum Tum

Pahli Bar Mile The,

Pooche Ab Tujhe Barkha Bahar Sajna,

Kahan He Tera Payar Sajna...........!

 

=============

Nomii Collection

=============

 

Mere Hum-Safar Mere Hum-Nawa Mujhe Dost Ban K Dagha Na De Lyric

 

Singer Muni Begam 

Poet Shakeel Badayooni

Type bY

UJRRA_DIL 

 

Mere Hum-Safar Mere Hum Nawa Mujhe Dost Ban K Dagha Na De,

Main Hon Sadma-E-Ishq Se Jaan-Balb Mujhe Zindagi Ki Dua Na De,

Main Gham-E-Jahan Se Nadhal Hon,

Keh Sarapa Dard-O-Malal Hon,

Jo Likhe Hain Mere Naseeb Mein,

Wo Allam Kisi Ko KHUDA Na De,

Mujhe Chorr De Mere Hal Par,

Tera Kaya Bharosa He Charhagar,?

Ye Teri Nawazishen Mukhtsar,

Mera Dard Aur Barha Na De,

Dar-E-Yar Par Bari Dhoom He,

Wahi Aashiqon Ka Hujoom He,

Abhi Neend Aai He Husan Ko,

Koi Shor Kar K Jaga Na De,

Kabhi Jaam Lab Se Laga Diya,

Kabhi Muskura K Hata Diya,

Teri Cherr Charr Ye Saqia,

Meri Tashnagi Ko Barha Na De,

Wo Uthe Hain Le K Khum-O-Suboo,

Are O Shakeel Kahan He Too,?

Tere Jaam Lene Ko Bzam Mein,

Koi Aur Hath Barha Na De.........!

 

=============

Nomii Collection

=============

 

Hum Jo Kante Hatane Lage

Raste Muskurane Lage LyriC

 

Singer Muni Begam

Type by

UJRRA_DIL

Hum Jo Kante Hatane Lage

Raste Muskurane Lage

Mutqi Jaam Mein Torr Kar,

Chulwon Se Pilane Lage,

Rahzan Qafile Lootna,

Rehbron Ko Sikhane Lage,

But Kade Mein Sanam Poojne,

Ab Muslman Bhi Jane Lage,

Meri Godon K Pale Huye,

Mujh Ko Aankhein Dikhane Lage,

Hum Jo Kante Hatane Lage,

Raste Muskurane Lage...........!

=============

Nomi Collection

=============

 

Dil Ki Bat Labon Par La Kar

Ab Tak Hum Dukh Sahte Hain lYric

 

Singer Muni Begam

Type bY 

UJRRA_DIL

Dil Ki Bat Labon Par La Kar

Ab Tak Hum Dukh Sahte Hain

Hum Ne Suna Tha Is Basti Mein,

Dil Wale Bhi Rahte Hain,

Aik Humain Aawara Kehna,

Koi Barha Ilzam Nahi,

Dunia Wale Dil Walon Ko,

Aur Bahot Kuch Kehte Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Maheena,

Muasam Ne Nazarein Badli,

Lekin In Piyasi Aankhon Se,

Ab Tak Aansoo Bahte Hain,

Jin Ki Khatir Shehar Bhi Chorha,

Jin K Liye Badnam Bhi Huye,

Aaj Wohi Hum Se Begane,

Begane Se Rahte Hain.............!

 

=============

Nomi Collection

=============

 

Bhoolne Wale Se Koi Keh De Zara

 

 

Singer Mnuni Begam


Type bY

UJRRA_DIL


Bhoolne Wale Se Koi Keh De Zara,


Is Tarah Yaad Aane Se Kaya Faida?


Jab Mere Dil Ki Dunia Basate Nahi,


Phir Khayalon Mein Aane Se Kaya Faida?


4 Tinke Jala K Kaya Mil Gaya?


Mit Saka Na Zamane Se Mera Nishan,


Mujh Pe Bijli Girao To Jane Sahi,


Aashyan Par Girane Se Kaya Faida?


Kaya Kahon Aap Se Kitni Umeed Thi?


Aap Kaya Badle Dunia Badl Si Gai,


Aasra De K Dil Torrte Hain Mera,


Is Tarah Satane Se Kaya Faida?


Tum Ne Moosa Ko Na Haq Takleef Di,


Lutaf Aata Agar Yaad Karte Hamein,


Jin Ki Aankhon Taab-E-Nazara Na Ho,


Un Ko Jalwa Dikhane Se Kaya Faida?


Pahle Dil Ko Burai Se Kar Pak Too,


Phir Khuloos-E-Aqeedat Se Kar Jistjoo,


Aise Sajdon Se ALLAH Milta Nahi,


Har Jaga Sar Jhukane Se Kaya Faida?


Lakh Samjhaya Tujh Ko Mgar Ay SHAMEEM,


Teri Hooshyari Aakhir Na Kam Aa Saki,


Aankh Milti Gai Raaz Khulte Gaye,


Ab Haqeeqat Chupane Se Kaya Faida......?

 

 

Tumhare Shehar Ka Mosam Bara Suhana Lage

 

 

Singer Attaullah Essa Khelvi


Type By

UJRRA_DIL


Tumhare Shehar Ka Mosam Bara Suhana Lage,


Main Aik Sham Chura Lon Agar Bura Na Lage,


Jo Doobna Hai To Doobo,


Jo Doobna He To Itne Sakoon Se Doobo,


K Aas Pas Ki Lahron Ko Bhi Pata Na Lage,


Tumhare Bas Mein Agar Ho To Bhool Jao Humein,


Tumhein Bhulane Mein,

Shayd Hamein Zamana Lage,


Na Jane Kaya He Kisi Ki,

Udas Aankhon Mein,


Wo Mun'h Chupa K Bhi Jaye,

To Be Wafa Na Lage,


Hamare Payar Se Jalne Lagi He Ek Dunia,


Dua Karo Kisi Dushman Ki,

Bad'Dua Na Lage...............!


=============

Nomi Collection

=============

 

 

Tarab Uthon Bhi To Zalim Teri Duhai Na Don

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Tarab Uthon Bhi To Zalim Teri Duhai Na Don,

Main Zakhm Zakham Hon Phir Bhi Tujhe Dekhai Na Don,

Tere Badan Mein Dharkne Laga Hon Dil Ki Tarha,

Ye Aur Bat K Ab Bhi Tujhe Sunai Na Don,

Khud Apne Aap Ko Parkha To Ye Nadamat Hai,

K Ab Kabhi Usay Ilzam-E-Bewafai Na Don,

Meri Baqa Hi Meri Khawahish-E-Gunah Mein Hai,

Main Zindagi Ko Kabhi Zehr-E-Paarsai Na Don,

Jo Thann Gai Hai To Yari Pe Harf Kion Aaye,

Hareef-E-Jaan Ko Kabhi Taan-E-Aashnai Na Don,

Mujhe Bhi Dhoond Kabhi Mehv-E-Aaina Daari,

Main Tera Aks Hon Lekin Tujhe Dekhai Na Don,

Ye Hosla Bhi Bar Bat Hai Shikast K Baad,

K Dosron Ko To Ilzam-E-Narsai Na Don,

FARAZ Dolat-E-Dil Hai Mata-E-Mehroomi,

Main Jaam-E-Jam K Evaz Kasa-E-Gadaai Na Don................!

Page 78,79 

 

Ek Bar Muskara Do Ek Bar Muskara Do Lyric

 

Singer Muni Begam 

 

Firdos Jhoom Uthe,

Fiza Muskara Uthe,

Tum Muskara Utho To

Khuda Muskara Uthe,

Ek Bar Muskara Do,

Ek Bar Muskara Do,

Afsana-E-Chaman Ka

Unwan Hi Badal Do,

Phoolon Ka Sar Kuchal Do,

Kalion Ka Dil Masal Do,

Aakash Ki Jawani,

Badal Mein Moonh Chupaye,

Mahtab Doob Jaye,

Taron Ko Neend Aaye,

Zohrajabeen Pari Rukh,

Kamseen Iman Ho Anjum,

Aankhain Sharab Aahein,

Jazbat NE talatun,

Hilti Hoi Labon Par,

Hansta Howa Tarana,

Aaye Dil Nawaz Paidal

Khatir Mein Hai Zamana,

Lab Haye Ahmari Par

Nikhri Hoi Hai Lali,

Ye Halki Halki Surkhi

Tasveer Hai Shafaq Ki,

Awara Shokh Zulfain,

Rukhsar Choomti Hain,

Bekhud Hain Ghoomti Hain,

Ho Zeest Ka Sahara,

Tum Moj Mein Kinara,

Laikin Suno Khuda Ra,

Ek Bar Muskara Do,

Zulmi,

Ek Bar Muskara Do,

Ek No Jawan Musafir,

Fitrat Kala Ubali,

Ek Aalam-E-Janoon Mein,

Ek Simt Ja Raha Tha,

Jaise K Apni Dhun Mein,

Parbat Pe Chal Raha Tha,

Zulfain K Muntasharfein,

Chehre Se Muzmail Tha,

Nazrain Keh Rahi Thien,

Ek Na Shikast Dil Tha,

Mazi Ki Ghoongaton Mein,

Ek Aks Pa Raha Tha,

Guzra Howa Zamana,

Phir Yad Aa Raha Tha,

Arman Tarap Rahe Thay,

Hasrat Machal Rahi Thi

Betab Zindagani,

Karwat Badal Rahi Thi,

Gin Gin Taare HaaaYe Bechare,

Chain Na Aaye,

Jee Ghabraye,

Dekh To Kia Hai,

Kon Basa Hai,

Deeda-E-Tarmi,

Neech-E-Nazarmi,

Sheesha-E-Dinmi,

Aankh Ki Tilmi,

Dil Ko Jalana,

Khel Hai Jana,

Dil Ko Jala Kar,

Aag Laga Kar,

Khud Bhi Jalo Gay,

Hath Malo Gay,

Tum Sham-E-Farozan Ho,

Khud Bhi Jalo Jala Do

Lekin,

Ek Bar Muskara Do,

Ek Bar Muskara Do,

Zulmiiiii,

Ek Bar Muskara Do,

Ek Bar Muskara Do,

Tum Jana-E-Muda'a Ho,

Ek Husn-E-Dil Ruba Ho,

Itna To Main Kahon Ga,

Meri Hi Is Ghazal Ka,

Rangeen Kafia Ho,

Ek Bat Tum Se Poochon,

Bolo Jawab Do Gi,

Ye Husn Ye Jawani,

Sarkar Kia Karo Gi,

Honto Ki Muskarahat,

Becho Khareed Lon Ga,

Manzoor Ho To Bolo,

Anmol Daam Don Ga,

Lekin

Ek Bar Muskara Do,

Ek Bar Muskara Do,

Ek Bar Muskara Do,

Ek Bar Muskara Do,

Ek Bar Muskara Do...............!

 

Ye Rat Hai Piyasi Piasi
Piasi Na Guzar Jaye Lyric

 

 

Ye Rat Hai Piyasi Piasi

Piasi Na Guzar Jaye,


Tum Bahon Mein Aa Jao Ya Waqat Thehar Jaye,


Nayi Aag Dil Ko Jalane Lagi He Machlna Sikhane Lagi He,


Jawan Payar Qaboo Mein Kese Rahe Ga.?

K Angrrai Aane Lagi He,


Ye Palakein Uthao Ye Nazrein Milao Masti Bikhr Jaye,


Kai Rang Dekhe Tumhare Labon Mein,

Kaho To Koi Hum Chura Lein ?


Zara Shokh Kar Lein Ye Sada Sa Jeevan,

Jawani Ko Rangeen Bana Lein,


Ye Aankhein Na Phero Ye Zulfein Bikhero Dunia Sanwar Jaye.........!


=============

Nomi Collection

=============

 

 

Qismat Walon Ko Milta He Payar K Badle Payar

 

 

Qismat Walon Ko Milta He Payar K Badle Payar,


Hum Ko Phoolo K Badle Kanton K Haar,


Main Ne Ik Daivta Ko Man Mein Basa K,


Sapnon Ka Mahal Sajaya Tha,


Thukra K Zindagi K Main Ne Sukh Sare,


Apna Jis Ko Banaya Tha,


Us Ne Hi Mere Dil K Torre Hain Taar,


Har Ik Insan Ki Taqdeer Ka Jeevan Se,


Nata To He Barha Qareeb Tha,


Mil Jaye Jo Kisi Ko Acha Jeevan Sathi,


Khel He Jahan Mein Ye Naseeb Ka,


Kis Ko Sunaon Apne Dil Ki Pukar...........?



==============

Nomii Collection

==============

 

 


Dhal Gaya Aaftab Ay Saqi

La Pila De Sharab Ay Saqi Lyric

 

 

Singer Kishwar Kumar


Dhal Gaya Aaftab Ay Saqi


La Pila De Sharab Ay Saqi


Ya Surahi Laga Mere Mun'h Se,


Ya Ulat De Naqab Ay Saqi,


May-Kada Chhorr Kar Kahan Jaein ?


He Zamana Kharab Ay Saqi,


Jaam Bhar De Gunah-Garon K,


Ye Bhi He Ik Sawab Ay Saqi,


Aaj Peene De Aur Peene De,


Kal Karein Ge Hisab Ay Saqi............!



=============

Nomi Collection

=============

 

 

Aaye Kuch Abar Kuch Sharab Aaye

 

 Poet Faiz Ahmad Faiz 

 

Aaye Kuch Abar Kuch Sharab Aaye,

Us K Baad Aaye Jo Azab Aaye ,

Baam-E-Meena Se Mahtab Utare,

Dast-E-Saqi Mein Aaftab Aaye,

Har Rag-E-Khoon Mein Phir Charaga Ho,

Samne Phir Wo Benaqab Aaye,

Umar K Har Warq Pe Dil Ko Nazar Teri,

Mehr-O-Wafa K Baab Aaye,

Kar Raha Tha Gham-E-Jahan Ka Hisab,

Aaj Tum Yad Behisab Aaye,

Na Gai Tere Gham Ki Saradari,

Dil Mein Youn Roz Inqalab Aaye,

Jal Uthe Bazm-E-Ghair K Dar-O-Baam,

Jab Bhi Hum Khanamaan Kharab Aaye,

Is Tarha Apani Khamoshi Goonji,

Goya Har Simt Se Jawab Aaye,

Faiz Thi Rah Sar Basar Manzal,

Hum Jahan Pohnche Kamayab Aaye..............! 

 

Tehreer Usi ki hai magar DIL



 

Tehreer Usi ki hai magar DIL..

Khatt parhte hue atak raha hai..!!


Parveen Shakir

 

 

Youn Zindagi Ki Raah Mein Takra Gia Koi Lyric

 

Singer Mehdi Hasan

 

Youn Zindagi Ki Raah Mein Takra Gia Koi,

Ek Roshni Andheron Mein Bikhra Gia Koi,

Wo Hadsa Wo Pehli Mulaqat Kia Kahon,

Itni Ajab Thi Soorat Halaat Kia kahon,

Wo Qehr Wo Ghazab Wo Jafa Mujh Ko Yad Hai,

Wo Us Ki Berukhi Ki Adaa Mujh Ko Yad Hai,

Mit'ta Nahi Hai Zehn Pe Youn Chaa Gia Koi,

Youn Zindagi Ki Raah Mein Takra Gia Koi,

Pehle Mujhe Wo Dekhe Barham Se Ho Gaye,

Fir Apne Hi Haseen Khayalon Mein Kho Gaye,

Bechargi Pe Meri Us Se Reham Aa Gia,

Shayad Mere Tarapne Ka Andaz Bha Gia,

Sanson Se Bhi Qareeb Mere Aa Gia Koi,

Youn Zindagi Ki Raah Mein Takra Gia Koi,

Youn Us Ne Pyar Se Meri Bahon Ko Choo Lia,

Manzal Ne Jaise Shakh Ki Rahon Ko Choo Lia,

Ek Pal Mein Dil Pe Kaise Qayamat Guzar Gai,

Rag Rag Mein Us K Husn Ki Khusbo Bikhar Gai,

Zulfon Ko Mere Shan Pe Lehra Gia Koi,

Youn Zindagi Ki Raah Mein Takra Gia Koi,

Ab Is Dil-E-Jabah Ki Halat Na Poochiye,

Benam Aarzoo Ki Lazat Na Poochiye,

Ek Ajnabi Tha Rooh Ka Arman Ban Gia,

Ek Hadsa Tha Pyar Ka Anwan Ban Gia,

Manzal Ka Rasta Mujhe Dikhla Gia Koi,

Youn Zindagi Ki Raah Mein Takra Gia Koi.................! 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo