اس دورِ بے جنوں کی کہانی کوئی لکھو جسموں کو برف، خون کو پانی کوئی لکھو




اس دورِ بے جنوں کی کہانی کوئی لکھو
جسموں کو برف، خون کو پانی کوئی لکھو


کوئی کہو کہ ہاتھ قلم کس طرح ہوئے
کیوں رک گئی قلم کی روانی کوئی لکھو


کیوں اہلِ شوق سر بہ گریباں ہیں دوستو
کیوں خوں بہ دل ہے عہدِ جوانی کوئی لکھو


کیوں سرمہ در گلو ہے ہر اک طائرِ سخن
کیوں گلستاں قفس کا ہے ثانی، کوئی لکھو


ہاں تازہ سانحوں کا کرے کون انتظار
ہاں دل کی واردات پرانی کوئی لکھو

 

Nomi Collections 

 

 

Ajeeb Rut Thi K Har Chand Pas Tha Wo Bhi

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Ajeeb Rut Thi K Har Chand Pas Tha Wo Bhi,

Bahut Malool Tha Main Bhi Udas Tha Wo Bhi,

Kisi K Shehr Mein Ki Guftagoo Hawaon Se,

Ye Soch Kar K Kahein Aas Pas Tha Wo Bhi,

Hum Apne Za'am Mein Khush Thay Us Ko Bhool Chuke,

Magar Guman Tha Ye Bhi Qayas Tha Wo Bhi,

Kahan Ka Ab Gham-E-Dunia Kahan Ka Ab Gham-E-Jaan,

Wo Din Bhi Thay Humain Ye Bhi Raas Tha Wo Bhi,


FARAZ

Tere Gareban Pe Kal Jo Hansta Tha,

UsaY Mile To Dareeda Libas Tha Wo Bhi...............!

Page 16 

 

 

Ye Kia K Sab Se BaYaan Dil Ki Halatein Karni FARAZ Tujh Ko Na Aain Mohabbatein Karni

 

Poet Ahmad Faraz

 

Ye Kia K Sab Se BaYaan Dil Ki Halatein Karni,

FARAZ Tujh Ko Na Aain Mohabbatein Karni,

Ye Qurb Kia Hai Too Samne Hai Aur Humain,

Shumar Abhi Se Judai Ki Sa'atein Karni,

Koi Khuda Ho K Pathar Jise Bhi Hum Chahein,

Tamam Umar Usi Ki Ibadatein Karni,

Sab Apne Apne Qareene Se Muntazir Us K,

Kisi Ko Shukar Kisi Ko Shikayatein Karni,

Hum Apne Dil Se Hain Majboor Aur Logon Ko,

Zara Si Bat Pe Barba Qayamatein Karni,

Milein Jab Un Se To Mabham Si Guftagoo Karna,

Phir Apne Ap Se So So Wazahatein Karni,

Ye Log Kaise Magar Dushmani Nibhate Hain,

Humain To Raas Na Aain Mohabbatein Karni,

Kabhi FARAZ Naye Mosamon Mein Ro Dena,

Kabhi Talash Purani Rafaqatein Karni.................!

Page 115,116 

 

Hoi Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gia Phir Too

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Hoi Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gia Phir Too,

Kahan Gia Hai Mere Shehr K Musafir Too,

Meri Misal K Ek Nakhal-E-Khushk Sehra Hon,

Tera Khayal K Shakh-E-Chaman Ka Tair Too,

Main Janta Hon K Dunia Tujhe Badal De Gi,

Main Manta Hon K Aisa Nahi Bazahir Too,

Hansi Khushi Se Bichar Ja Agar Bicharna Hai,

Ye Har Maqam Pe Kia Sochta Hai Aakhir Too,

Fiza Udas Hai Rutt Muzmahil Hai Main Chup Hon,

Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Too,

Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Too,

FARAZ

Too Ne UsaY Mushkalon Mein Dal Dia,

Zamana Sahib-E-Zar Aur Sirf Sha'ir Too.................!


Page 11,12 

 

ہے میرے گرد کثرتِ شــہر جــفا پرست تنہا ہوں، اس لیے ہوں مـیں اِتنا انا پرست


ہے میرے گرد کثرتِ شــہر جــفا پرست

تنہا ہوں، اس لیے ہوں مـیں اِتنا انا پرست

صحنِ بـہار گل مـیں کفِ گل فروش ہے
شامِ وصالِ یار مــیں دستِ حِنا پرست 

تھا ابتدائے شوق مـیں آرامِ جاں بہت
پر ہم تھے اپنی دُھن مـیں بہت اِنتہا پرست

بامِ بلند یار پہ خاموشـــیاں سی ہیں

اِس وقت وہ کہاں ہے، وہ یارِ ہوا پرست

گمراہـیوں کا شــکوہ نہ کر اب تو اے 'منیر'
تُو ہی تھا سب سے بڑھ کے یہاں رہنـما پرست

'منیر نیـــازی'



Talkhiyoon Ko Chaashni Kaise Kahoon, Zulmatoon Ko Chaandni Kaise Kahoon



Poet: Shayar Ali Shayar


Talkhiyoon Ko Chaashni Kaise Kahoon,
Zulmatoon Ko Chaandni Kaise Kahoon


Be-Dili Afsardgi Har Aan Hai,
 Be-Bassi Ko Zindagi Kaise Kahoon


Khaslatain Aor Aadtain Haiwaan Ki,
Bherriye Ko Aadmi Kaise Kahoon


Aasta'n Par Izatein Jo Loat Lay,
Uss Darindy Ko Wali Kaise Kahoon


Muskuraya Tha Mujhe Vo Dekh Kar,
 Aashna Ko Ajnabi Kaise Kahoon


Noor-E-Haq Se Dil Munawar Ho Gaya,
Roshni Ko Tairgi Kaise Kahoon


Hai Ibadat Aor Khuda Se Door To,
 Is Amal Ko Bandgi Kaise Kahoon


Dil Lagaty Hain Numaish Ke Liye,
Dil Lagi Ko Aashqi Kaise Kahoon


Lay Ke Dariya Piyaas Bujhti Hi Nahi,
 Is Hawas Ko Tishnagi Kaise Kahoon


Dagmagaye Maykashi "SHAAYAR" Tujhe,
 Be-Khudi Ko Main Khudi Kaise Kahoon.


Book

Wo Chhand Jaisa Shakhs


>>>>>>>>>>NOMI COLLECTION<<<<<<<<<<



Aankhein Tanha Ho Jati Hain

Dard Ka Sehra Ho Jati Hain

 

Poetess Noshi Gilani 


Aankhein Tanha Ho Jati Hain

Dard Ka Sehra Ho Jati Hain

Dil Ka Kia Hai Dil Ki Batein,

Aksar Ruswa Ho Jati Hain,

Too Hota Hai, Lekin Shamein,

Kaise Tanha Ho Jati Hain,

Tere Bin Ye Chandni Ratein,

Gham Ka Naqsha Ho Jati Hain,

Asal Ki Janib Lout K Aakhir,

Naslein Yakja Ho Jati Hain,

Kion Har Bar Safar Ki Shamein,

Tera Chehra Ho Jati Hain.............!

Page 67,68



Mohabbat Se Riha Hona Zaroor Ho Gia Hai

 

Poetess Noshi Gilani


Mohabbat Se Riha Hona Zaroor Ho Gia Hai,

Mera Tujh Se Juda Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Wafa K Tajarbe Karte HowaY To Umar Guzri,

Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Meri Aawaz Tanhai Mein Marti Ja Rahi Hai,

Kisi Ka Hum Nawa Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Azab-E-Zulmat-E-Shab Hai K Ab Apne Labon Par,

Koi Harf-E-Dua Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Kahan Tak Hum Onhi Bojhal Fizaon Mein Rahein Gay,

Koi Ek Faisla Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Bhanwar Mein Kai Barson Se Apni Kashti-E-Jaan,

Kisi Ka Na Khuda Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Yahan Charon Taraf Khof Barhta Ja Raha Hai,

Sukhan Na Aashna Hona Zaroori Ho Gia Hai..............!

Page 65,66

 

Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai Lyric

 

Singer Uddat Narain & Alka Yagnik


Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai,

Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai,

Kia Hai Ye Kion Hai Ye Kia Khabar Hai,

Magar Jo Bhi Hai Bara Acha Lagta Hai,

Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai,

Teri Choti Choti Bat Teri Har Ek Mulaqat,

Tarpaye Mujh Ko Lamha Lamha Tera Sath,

Lamha Lamha Tera Sath
Kia Hai Ye Kion Hai Ye,

Kia Khabar Hai Magar Jo Bhi Hai Bara Acha Lagta Hai,

Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai,

Behke Behke Mere Din Mehki Mehki Meri Sham,

Koi Aanchal Te Saza Mein To Likhon Tera Naam,

Main To Likhon Tera Naam,

Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai,

Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai.........!


Phoo Pe Aa Kar Bethi To Khud Urna Bhool Gai

 

 

Poet Qamar Jalalvi 

 

Phoo Pe Aa Kar Bethi To,

Khud Urna Bhool Gai,

Aisi Mast Hoi Wo Titli Par,

Phelna Bhool Gai,

Aisa Khila Wo Phool Sa Chahra,

Pheli Sare Ghar Mein Khushbo,

Khat Ko Chupa Kar Parhne Wali,

Raz Chupana Bhool Gai,

Kalion Ne Har Bhanware Titli Se Phoocha Hai Us Ka Naam,

Bad-E-Saba Jis Phool K Ghar Se Bhool Gai,

Barson Bad Mile To Aisi Payas Bhari Thi Aankhon Mein,

Bhool Gaya Main Baat Batana,

Wo Sharmana Bhool Gai,

Sajan Ki Yadein Bhi Kin Lamhon Mein Aati Hain ?

Gori Aata Goondh Rahi Thi,

Namak Milana Bhool Gai...........! 

 

================

Nomi Collection

================

 

 

Teri Aankhein Beqarari Ka Afsana Hain

 

 

Teri Aankhein Beqarari Ka Afsana Hain,


Mohabbat K Mazhab Mein,


Inahein Parh Kar,


Aadhe Mein Chorrna Gunah He,


Aur In Ki Khatir Sar Na Dena,


Kufar Hai Azeem,


Sach Poocho To Meri Jang,


Teri Aankhon K Tehfuz Ki Khatir He,


Aur Ye Aankhein Teri,


Ye Gawahi Dein Gi Keh,


Main Ne Mohabbat Ki,


Tamna Ki Aur Mara Gaya.........!


=================

Nomi Collection

=================

 

 

Bichar k us se zinda hon meri taqdeer to dekho



Bichar k us se zinda hon meri taqdeer to dekho.!


Kabhi aa kr mery halaat

ki, tasveer to dekho.!


Mujhy mehfil men dekha to kaha, uss ny raqibon sy.!


Mera aashiq, mera pagal, mera dilgeer

to dekho.!


Lutta kr payar

ki daulat, khreedy khoon k aansu.!


Mili jo ishq men hum ko, zara jageer

to dekho.!


Likha hy naam

mera, shararat hy

raqibon ki.!


Ye khat mera

nahi Ghalib, zara tehreer

to dekho.!


================

Nomi Collection

================

 

 

Apni Mohabbaton Ki KHUDAI Dia Na Kar

Har Be Talab K Hath Kamai Dia Na Kar

Poet Farhat Abas Shah 

 

Apni Mohabbaton Ki KHUDAI Dia Na Kar

Har Be Talab K Hath Kamai Dia Na Kar

Deti He Jab Zara Si Bhi Aahat Azeetein,

Aisi Khamoshiyon Mein Sunai Diya Na Kar,

Pahle Hi Hadsat K Imkan Kam Nahi,

Youn Mujh Ko Raston Mein Sujhai Diya Na Kar,

Nazrein To Patharon Ko Bhi Kar Jaein Chak Chak,

Saj Dhaj K Bastiyon Mein Dikhai Diya Na Kar,

In Muasamon Mein Panchi Palt'Te Nahi Sada,

Dil Ko Udasiyon Mein Rihai Diya Na Kar,

Aata Nahi Badlna Jo Andaz-E-Dushmani,

Chahre Badl Badl K Dikhai Diya Na Kar,

FARHAT Koi To Faraq Ho Aam Aur Khas Mein,

Har Aik Aashna Ko Rasai Diya Na Kar............!

Book Aankhon K Par Chaand

 

Bara Mazhabi Bara Parsa

 Bara Deen Daar Hai Aaj Kal

 

 

 

 

Poet Kaif Bhopali 

 

Typ By 

 

*.__Ayaz Khan__.* 

 

Ye Mizaj-E-Yar Ko Kia Howa Unhen Mujh Se Pyar Hai Aaj Kal.

Meri Justoju Meri Guftogu Mera Intazar Hai Aaj Kal.

Wo Tere Khatoot Nikaalna Kabhi Dekhna Kabhi Chomna.

Yahi Mashghala Yahi Silsila Yahi karobar Hai Aaj Kal.

Aise Qatal Kar Use Qatal Kar Tujhe Sath Khoon Maf Hain.

Teri Saltanat Tera Dabdaba Tera Iqtadar Hai Aaj kal.

Are KAIF Kal To Too Rind Tha

Mere Yar Tujh Ko Ye Kia Howa,

Bara Mazhabi Bara Parsa

Bara Deen Daar Hai Aaj Kal.......!

 

=============

Nomi Collection

=============

 

 

Socha Nahi Acha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi

 

Poet Basheer Badar 

 

Socha Nahi Acha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi,

Manga Khuda Se Rat Din Tere Siwa,

Kuch Bhi Nahi,

Dekha Tujhe Socha Tujhe,

Chaha Tujhe Pooja Tujhe,

Meri Khata Meri Wafa,

Teri Khata Kuch Bhi Nahi,

Jis Par Humari Aankh Ne,

Moti Bichaye Rat Bhar,

Bheja Wohi Kaghaz Tujhe,

Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi,

Ek Sham Ki Dehleez Par,

Baithe Rahe Wo Deir Tak,

Aankhon Se Ki Batein Bahut,

Hum Ne Kaha Kuch Bhi Nahi..................! 

 

Ishq K Maro Deewano Ka Ehtaram Karo

 

Poet Ayaz Khan

Typ By

*.__Ayaz Khan__.* 

 

Ishq K Maro Deewano Ka Ehtaram Karo.

Shama K Gird Urte Parwano Ka Ehtaram Karo.

Nasha Jaam Mein Nahi Sharab Mein Hota Hai.

Tum Saqi Ka Mekhano Ka Ehtaram Karo.

Suno Jab Bhi Tum Dastan-E-Mohabbat Kisi Ki.

To Tum Gham K In Afsano Ka Ehtaram Karo.

Saroor-O-Masti Ki Dunia Mein Rehne Walo Ka Nahi.

Tum Barbad Ujre HowaY Weerano Ka Ehtram Karo.

Judai Gham Tanhai Dulat-E-Ishq Hain,

AYAZ

Tum Gham-E-Hayat K In Khazano Ka Ehtaram Karo......!

 

Aa Gairat K Parde EK Bar Phir Utha Dein Bichron Ko Phir Mila Dein

 

Poet: Dr Allama Muhammad  Iqbal 

Type By 

*.__NOMI__.* 

 

Aa Gairat K Parde EK Bar Phir Utha Dein,

Bichron Ko Phir Mila Dein.

Naqsh-E-Doi Mita Dain.

Sooni Parri Huwi Hai

Mudat Se DIL Ki Basti.

Aa IK Naya Shawaala

Es Dais Mein Bana

Dain.

Duniya K Terthoon

Se Oncha Huwa Apna Terath.

Damaan-E-Aasman

Se Es Ka Kals Mila

Dain.

Har Subha Uth K

Gaayein Mantar Wo

Meethe Meethe.

Saare Pujaariyoon Ko May Peet Ki Pila Dain.

 

Book: Baang e Dara

Page: 62

 

>>>>>>>>>>>>>> Nomi Collections <<<<<<<<<<<<<<

 

Jhoom K Gaao Mein Sharabi Hon Raqs Farmao Mein Sharabi Hon

 


Poet Saghar Suddiqui

Jhoom K Gaao Mein Sharabi Hon,

Raqs Farmao Mein Sharabi Hon,

Aik Sajda Banam-E-Mekhana,

Doston Aao Mein Sharabi Hon,

Loog Kehte Hain Raat Beet Chuki,

Mujh Ko Samjaho Mein Sharabi Hon,

Aaj In Rishmi Ghataon Ko,

Youn Na Bikhrao Mein Sharabi Hon,

Hadse Roz Hote Rehte Hain,

Bhool Bhi Jao Mein Sharabi Hon,

Mujh Pe Zahir Hai Aap Ka Batin,

Muh Na Khulwao Mein Sharabi Hon........!

Book:

Kuliyat e Saghar

Page: 136

 

Dil Mila Aur Gham Shanaas Mila Phool Ko Aag Ka Libaas Mila

 

 

 Dil Mila Aur Gham Shanaas Mila

Phool Ko Aag Ka Libaas Mila

Har Shanawer Bhanwer Mein Dooba Tha

Jo Sitara Mila Udaas Mila

Maikade K Siwa Hamara Pata 

Unki Zulfon K Aas Paas Mila

Aab e Haiwaan Ki Badi Dhoom Thi "SAGHAR"

Sada Pani Ka Ik Glass Mila

Saghar Siddiqui


 

Baarhaa Dekha Hai "SAGHAR" Rahguzar-e-Ishq Main Kawaan K Saath Aksar Rahnuma Hota Nahi

 

 

 Baarhaa Dekha Hai "SAGHAR"  Rahguzar-e-Ishq Main

Kawaan K Saath Aksar Rahnuma Hota Nahi

Saghar Siddiqui 

 

Mujh Ko Ye Aarzoo Wo Uthain Naqab Khud, Un Ko Ye Intezaar Taqaza Kare Koi

 

 

 Mujh Ko Ye Aarzoo Wo Uthain Naqab Khud,

 Un Ko Ye Intezaar Taqaza Kare Koi

 

Is Main Shamil Dasht-o-Sahra Aor Veerany Ki Baat Ahl e Mehfil Se Juda Hai Tere Deewanay Ki Baat

 

 

Is Main Shamil Dasht-o-Sahra Aor Veerany Ki Baat 

Ahl e Mehfil Se Juda Hai Tere Deewanay Ki Baat

Muhtasib Hum Be-Gunahon Ko Na De Ilzaam e Mai

Tishnagi Mein Aa Gai Honton Pe Maikhane Ki Baat

Haan Abhi Bhooli Nahi Jor e Khizaan Ki Dastaan

Ikhteyatan Hum Nahi Karte Bahaar Aane Ki Baat

Ban Gai Hai Surkhi e Husn e Bahaar Javedaan

Aa Gai Zulf e Mua'amber K Bikhar Jane Ki Baat

Har Nafs Mein Shoula-Zan Hain Garmiyan Halaat K

Zindagi Hai Inn Dinon Be-Mout Mar Jane Ki Baat

Maikada Badla Hoa "SAGHAR" Shikasta Haal Hai

Har Haqeeqat Ban Gai Hai Aaj Afsane Ki Baat

Saghar Siddiqui


Na To Phool Khilte Hain Na Hi Mousam Badalte Hain

 

 

Na Tou Phool Khiltay Hain Na Hi Mousam Badaltay Hain
Wahan Tou Kuch Nahi Hota Jahan Par Tum Nahi Hote
Yahan Waise Tou Har Soghaat Aasaani Se Milti Hai
Mera Bas Dil Nahi Lagta Jahan Par Tum Nahi Hote
Yahan Tou Log Sadion Ko Bhi Lamhon Mein Badaltay Hain
Mera Ik Pal Nahi Kat'ta Jahan Par Tum Nahi Hote
Sabab Ronay Ka Woh Poochein Tou Qasid Itna Keh Dena
Mujhe Hansna Nahi Aata Jahan Par Tum Nahi Hote


Nikle Sadaf Ki ASankh Se Moti Mare Hoe

 

 

 

Teri Nazar Ke Isharon Se Khel Sakta Hon

 

 

 


Pocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye

 

 

 

Aisi Tajalian Hain Kahan Aaftab Main

 

  

 

Hum Bari Door Se Aaye Hain Tumhari Khatir

 

 

Kia Samann Tha Bahar Se Pehle

 

 

 

Mout Ik Aabgeen Ka Saghar

 

 

 

 

In Baharon Pe Gulistan Pe Hansi Aai Hy

 

 

 

Muhabbat Ke Mazaron Tak Chalen Ge

 

 

Chandni Shab Hy Sitaron Ki Ridaen Si Lo

 

 

Aazadiyon K Naam Pe Ruswaiyan Milein

 

 

Moj Dar Moj Kinaron Ko Saza Milti Hy

 

 

Baat Phoolon Ki Suna Karte Thy

 

 

Bargashta-e_Yazdan Se Kuch Bhool Hoi Hy

 

 

Phoolon Ko Aag Lag Gai Naghmaat Jal Gaye

 

 

Jo Hadesy Ye Jahan Mere Naam Karta Hy

 

 

Preshan Aks-e-Hasti , Aaina Be-Noor Dekha Hy

 

 

Mihfilen Lut Gain Jazbat Ne Dum Tor Diya

 

 

Sukoot-e-Gham Se Jo Guzre Na Phir Mili Aawaz

 

 

Wo Bulaen To Kia Tamasha Ho

 

 

Tere Gham Ki Tilawat Kar Rahe Hain

 

  

Tadbeer Ka Kasa Hy Taqdeer Gadagar Hy

 

 

Na Kashtiyon Ka Na Kinaron Ka Ihteram Karo

 

 

Ay Husn LalaFam Zara Aankh To Mila

 

 

Agr Bazm-e-Hasti Main Aorat Na Hoti


 

Muhabbat Mustaqil Gham Hy

 

 

 

فضائے نیم شبی کہہ رہی ہے سب اچھا ہماری بادہ کشی کہہ رہی ہے سب اچھا


فضائے نیم شبی کہہ رہی ہے سب اچھا

ہماری بادہ کشی کہہ رہی ہے سب اچھا

نہ اعتبارِ محبت، نہ اختیارِ وفا

جُنوں کی تیز روی کہہ رہی ہے سب اچھا

دیارِ ماہ میں تعمیر مَے کدے ہوں گے

کہ دامنوں کی تہی کہہ رہی ہے سب اچھا

قفس میں یُوں بھی تسلّی بہار نے دی ہے

چٹک کے جیسے کلی کہہ رہی ہے سب اچھا

وہ آشنائے حقیقت نہیں تو کیا غم ہے

حدیثِ نامہ بَری کہہ رہی ہے سب اچھا

تڑپ تڑپ کے شبِ ہجر کاٹنے والو

نئی سحر کی گھڑی کہہ رہی ہے سب اچھا

حیات و موت کی تفریق کی کریں ساغر

ہماری شانِ خودی کہہ رہی سب اچھا


Rodad-e-Muhabbat Kia Kaheye Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye


رُودادِ محبّت کیا کہیے کُچھ یاد رہی کُچھ بُھول گئے
دو دِن کی مُسرّت کیا کہیے کُچھ یاد رہی کُچھ بُھول گئے

جب جام دیا تھا ساقی نے جب دور چلا تھا محفل میں
اِک ہوش کی ساعت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گیے

اب وقت کے نازک ہونٹوں پر مجروح ترنّم رقصاں ہے
بیدادِ مشیّت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بُھول گئے

احساس کے میخانے میں کہاں اَب فکر و نظر کی قندیلیں
آلام کی شِدّت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے

کُچھ حال کے اندھے ساتھی تھے کُچھ ماضی کے عیّار سجن
احباب کی چاہت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے

کانٹوں سے بھرا ہے دامنِ دِل شبنم سے سُلگتی ہیں پلکیں
پُھولوں کی سخاوت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے

اب اپنی حقیقت بھی ساغر بے ربط کہانی لگتی ہے

 دُنیا کی کی حقیقت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے 

 

ساغر صدیقی

 

Aap Ko Dekh Kar Hum Ko Aisa Laga

Panio Pe Ghata, Jaise Ban Mein Hawa Lyric

 

 

=======

SONG

=======


Aap Ko Dekh Kar Hum Ko Aisa Laga


Panio Pe Ghata, Jaise Ban Mein Hawa,


Chand Chehre Se Chilman Sarkane Lage,


Chand Jalane Laga Dil Machalne Lage,


Aap Ne Kuch Kaha Hum Ko Aisa Laga,


Panion Pe Ghata Jaise Ban Mein Hawa,


Aap Kion Dharkano Mein Dharkane Lage,


Dil Ki Har Taar Se Kion Ulajhne Lage,


Aap Ne Kuch Kaha Hum Ko Aisa Laga,


Panion Pe Ghata Jaise Ban Mein Hawa,


Aap Ko Dekh Kar Hum Ko Aisa Laga,


Panion Pe Ghata Jaise Ban Mein Hawa,


Aap Ko Dekh Kar Hum Ko Aisa Laga..............!


=========

Movi Farz

=========

 

 

Is Shehr-E-Sang Dil Ko Jala Dena Chahiye

 

 

Poet Muneer Niazi

Is Shehr-E-Sang Dil Ko Jala Dena Chahiye,

Phir Us Khak Ko Bhi Ura Dena ChahiYe,

Milti Nahi Panah Humain Jis Zameen Par,

Ek Hashar Is Zameen Pe Utha Dena ChahiYe,

Had Se Guzar Gai Hai Yahan Rasm-E-Qahri,

Us Dehr Ko Ab Is Ki Saza Dena Chahiye,

Ek Teiz Ra'ad Jaisi Sadaa Har Makan Mein,

Logon Ko Un K Ghar Mein Dara Dena Chahiye,

Gum Ho Chale Ho Tum To Bahut Khud Mein,

Aye Muneer

Dunia Ko Kuch To Apna Pata Dena ChahiYe...............! 

 

Koi Soorat Aashna Apna Na Begana Koi

 

 

Poet Nasir Kazmi


Type bY

UJRRA_DIL


Koi Soorat Aashna Apna Na Begana Koi,


Kuch Kaho Yaro Ye Basati He Keh Veerana Koi ?


Subha Dam Dekha To Sara Bagh Tha Gul Ki Taraf,


Shama K Taboot Par Roya Na Parwana Koi,


Khalwaton Mein Roye Gi Chhup Chhup K Laila-E-Ghazal,


Is Bayaban Mein Na Ab Aaye Ga Deewana Koi,


Ham Nasheen Khamosh Deewarein Bhi Sunati Hain Yahan,


Raat Dhal Jaye To Phir Cherein Ge Afsana Koi........!

 

 

Tere Aane Ka Dhoka Sa Raha Hai

Dia Sa Raat Bhar Jalta Raha Hai

 

 

Poet Nasir Kazmi


Type bY

UJRRA_DIL


Tere Aane Ka Dhoka Sa Raha Hai


Dia Sa Raat Bhar Jalta Raha Hai,


Ajab He Raat Se Aankhon Ka Aalam,


Ye Dariya Raat Bhar Charrhta Raha He,


Suna He Raat Bhar Barsa He Badal,


Mgar Wo Shehar Jo Payasa Raha He,


Wo Koi Dost Tha Achhe Dinon Ka,


Jo Pichhli Raat Se Yad Aa Raha He,


Kise Dhondo Ge In Galiyon Mein NASIR ?


Chalo Ab Ghar Chalein Din Ja Raha He..........!

 

 

Dard Kam Hone Laga
Aao Keh Kuch Rat Kate

 

 

Poet Nasir Kazmi


Type bY

UJRRA_DIL


Dard Kam Hone Laga,

Aao Keh Kuch Rat Kate,


Gham Ki Meyad Barha Jao,

Keh Kuch Rat Kate,


HIJAR Mein Aah-O-Buka Risam-E-Kehan He Lekin,


Aaj Ye Risam Hi Duhrao Keh

Kuch Rat Kate,


Youn To Tum Roshni-E-Qalab-O-Nazar Ho Lekin,


Aaj Wo Muajiza Dikhlao Keh,

Kuch Rat Kate,


Dil Dukhata He Wo Mil Kar Bhi Mgar Aaj Ki Rat,


Usi Be Dard Ko Le Aao Keh

Kuch Rat Kate,


Dam Ghuta Jata He Afsrida Dili Se Yaro,


Koi Ufwah Hi Phelaon Keh,

Kuch Rat Kate,


Main Bhi Bekar Hon,

Aur Tum Bhi Ho Veeran Bahot,


Dosto Aaj Na Ghar Jao Keh,

Kuch Rat Kate,


Chhorr Aaye Ho Sar-E-Sham Use Kyoun NASIR ?


Use Phir Ghar Se Bulao K

Kuch Rat Kate.........*

.

Book Deewan

Page 102

 

 

Dil Ki Kashti Nazar Se Chalti Hai

Zindagi Kis Hunar Se Chalti Hai

 

Poet Abdul Hameed Addam

 

Dil Ki Kashti Nazar Se Chalti Hai

Zindagi Kis Hunar Se Chalti Hai

Jis Ko Kehte Hain Maye Kade Ki Hawa,

Wo To Saqi Udhar Se Chalti Hai,

Subha Bhi Log Pee Hi Lete Hain,

Sham Ki Rao Sahar Se Chalti Hai,

Mujh Ko Zahid K Han Na Le Jao,

Meri Is Khaira Sar Se Chalti Hai,

Jhoom Uthta Hai No Jawaan Mosam,

Jab Koi Naar Ghar Se Chalti Hai..................!

Page 158 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo