Yeh kaun chah gaya hai dil o deeda par ke aaj Apni nazar mein aap hain naa aashna se hum



Yeh kaun chah gaya hai dil o deeda par ke aaj
Apni nazar mein aap hain naa aashna se hum


Mareez-E-Ishq Hai To, Daway-E-Dil Samajh Dilbar Ko Phir Marz Janay, Dawa Janay, Shifa Janay, Khuda Janay



مریضِ عشق ہے تو، دوائے دل سمجھ دلبر کو
پھر مرض جانے، دوا جانے، شفاء جانے، خدا جانے

Mareez-E-Ishq Hai To, Daway-E-Dil Samajh Dilbar Ko
Phir Marz Janay, Dawa Janay, Shifa Janay, Khuda Janay


Awwal darje ka pathar Hoon Tarash sako tou muhabbat kar lo



Awwal darje ka pathar Hoon
Tarash sako tou muhabbat kar lo


Aaj lagta hai bas tamaasha tha Woh talluq jo betahaasha tha



Aaj lagta hai bas tamaasha tha
Woh talluq jo betahaasha  tha
Hum issi baat ke haathon toot gaye
Jo takhaiyal mein khud tarasha tha


Lafzon Ki Tarah Mujh Se Kitabon Mein Mila Kar Dunya Ka Tujhe Dar Hai Tou Khuwabon Mein Mila Kar



Lafzon Ki Tarah Mujh Se Kitabon Mein Mila Kar

Dunya Ka Tujhe Dar Hai Tou Khuwabon Mein Mila Kar

 

Pholoon Se Tou Khushbo Ka Ta'aluq Hai Zaroori

Tu Mujh Se Mehik Ban Ke Gulabon  Mein Mila Kar

 

SAGHAR Ko Main Chho Kar Tujhe Mahsoos Karonga

Masti Ki Tarah Mujh Se Sharabon  Mein Mila Kar

 

Saghar Siddiqui

 

Huzoor Meri Sadaoun Pe Ghor To Kijiye Faqeer Ye To Nahi Kehta Galy Laga Lijiye



Huzoor Meri Sadaoun Pe Ghor To Kijiye

Faqeer Ye To Nahi Kehta Galy Laga Lijiye


Parwana Mera Nam Jalny Se Mujhe Na Dar Khaof Tu Mujh Ko Chiraghon Ki Buland Luo Me Mila Kar

 

 

 

پروانه میرا نام جلنے سے مجھے نه ڈر خوف
تو مجھ کو چراغوں کی بلند لو میں ملا کر


Parwana Mera Nam Jalny Se Mujhe Na Dar Khaof

Tu Mujh Ko Chiraghon Ki Buland Luo Me Mila Kar

 

Ab hum sataate nahi unko Ye baat sataati hogi unko




अब हम सताते नही उनको !
ये बात सताती होगी उनको !!

 

Ab hum sataate nahi unko !
Ye baat sataati hogi unko !!


Maine dekha tujhe ibdita ho gai Tune dekha mujhe inteha ho gai


 

Maine dekha tujhe ibdita ho gai
Tune dekha mujhe inteha ho gai

Bewafai toh tune ki aye bewafa
Jaane duniya ye kyu bewafa ho gai

Tujhko kya isse koi jiye ya mare
Ruth jana to teri ada ho gai

Hum ibadat mein rashmo k kaiil nahi
Tujhko dekha toh yaad e khuda ho gai

Chain dil ko nahi lamha bhar k liye
Lamha bhar ki mulaqat kya ho gai

Jindagi apni kitni samjhdar thi
Ek bute nasamjh pe fida ho gai

Ankh se ankh aur dil se dil kya mila
Dono janib se 'sajid' raza ho gai



Kabhi To Shehr e Sitamgaraan Me Koi Muhabbat Shanaas Aaye Woh Jis Ki Aankhon Se Noor Chalkay Labon Se Chahat Ki Bass Aaye



کبھی تو شہرِ ستمگراں میں کوئی محبت شناس آئے

وہ جس کی آنکھوں سے نُور چھلکےلبوں سے چاھت کی باس آئے


Kabhi To Shehr e Sitamgaraan Me Koi Muhabbat Shanaas Aaye

Woh Jis Ki Aankhon Se Noor Chalkay Labon Se Chahat Ki Bass Aaye

 

Khamosh Lab Hein Jhuki Hein Palkein Dilon Mein Ulfat Nayi Nayi Hai Abhi Takaluf Hai Guftgo Mein Abhi Muhabbat Nayi Nayi Hai




Hisar e zaat mein ik aarzoo machalti hai Hamein bhi kaash koi dhoondta hua aaye



حصارِ ذات میں اک آرزو مچلتی ہے
ہمیں بھی کاش کوئی ڈھونڈتا ہوا آئے

Hisar e zaat mein ik aarzoo machalti hai
Hamein bhi kaash koi dhoondta hua aaye


Main qaid hoon jis ke hisar e zaat mein Uska zikar hai meri har ik baat mein



میں قید ہوں جس کے حصارِ ذات میں
اس  کا  ذکر  ہے  میری ہر اک بات میں
شافعہ افضل
 

Main qaid hoon jis ke hisar e zaat mein
Uska zikar hai meri har ik baat mein
Shafia Afzal


Palira raha bhari us ke ghuroor ka Dekhi hai sare umar tarazoo mein daal ke



پلڑا رھا بھاری اس کے غرور کا
دیکھی ھے ساری عمر ترازو میں ڈال کے

Palira raha bhare us ke ghuroor ka
Dekhe hai sare umar tarazu men daal ke


Hawa e Hijar Me Jo Kuch Tha Ab Ke Khaak Hoa Keh Pairhan To Gaya Tha Badan Bhi Chaak Hoa



ہوائے ہجر میں ،جو کچھ تھا، اب کے خاک ہوا
کہ پیرہن تو گیا تھا، بدن بھی چاک ہوا
اب اُس سے ترکِ تعلق کروں تو مر جاوُں
بدن سے روح کا اس درجہ اشتراک ہوا
نہ پوچھ اپنی طرف پھر سے لوٹنے کا عمل
کہ میں پہاڑ تھا، سمٹا تو مشتِ خاک ہوا
اسی کے قرب نے تقسیم کر دیا آخر!
وہ جس کا ہجر مجھے وجہِ انہماک ہوا
شدید وار نہ دشمن دلیر تھا محسنؔ
میں اپنی بے خبری سے مگر ہلاک ہوا


Ye nazar muntazir hai teri aaj bhi Dil kesi or se aashna hi nahen



Ye nazar muntazir hai teri aaj bhi
Dil kesi or se aashna hi nahen


Mat Cheen Apna Nam Mere Lab Se Istarah Be-Nam Zindagi Mein Tera Nam Hi Tou Hai



Don't snatch your name from my love like this
Your name is there in anonymous life


Raaz e Hayat Kia Ye Bataya Hai Aap(P.B.U.H) Ne Mujh Ko Mere Khuda Se Milaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne



رازِ حیات کیا یہ بتایا ہے آپ ﷺ نے
مجھ کو مرے خدا سے ملایا ہے آپ ﷺ نے


بھٹکے ہوئے تھے راہ سے اہلِ زمین سب
رستہ جو عین حق تھا دکھایا ہے آپ ﷺ نے


باطل کے زیرِ سایہ تھے ہم مبتلائے شرک
بس اک خدا، خدا ہے بتایا ہے آپ ﷺ نے


عقل و خرد، قلم، مرے مالک کی ہے عطا
شیریں سخن زباں کو بنایا ہے آپ ﷺ نے


ابرک دعا نہ پھر تری کیوں کر قبول ہو
حرفِ دعا جو تجھ کو سکھایا ہے آپ ﷺ نے


اتباف ابرک


Raaz e Hayat Kia Ye Bataya Hai Aap(P.B.U.H) Ne
Mujh Ko Mere Khuda Se Milaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne


Bhatkay Hoe Thay Raah Se Ahl e Zameen Sab
Rasta Jo Ain Haq Tha Dekhaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne


Batil Ke Zer e Saaya Thay Hum Mubtalaa e Shirk
Bas Aik Khuda , Khuda Hai Bataya Hai Aap(P.B.U.H) Ne


Aqal o Khard , Qalam , Mere Malik Ki Hai Aata
Shereen Sukhan Zubaan Ko Banaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne


ABRAK Dua Na Phir Teri Kion Kar Qubool Ho
Harf e Dua Jo Tujh Ko Sekhaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne

 
Atbaf Abrak

Roz Thakta Hoon Main Kar Kar Ke Murammat Apni Roz Aik Nuqs Naya Mujh Mein Nikal Aata Hai



روز تھکتا ہوں میں کر کر کے مرمت اپنی
روز اک نقص نیا مجھ میں نکل آتا ہے
اتباف ابرک


Roz Thakta Hoon Main Kar Kar Ke Murammat Apni
Roz Aik Nuqs Naya Mujh Mein Nikal Aata Hai

Atbaf Abrak


Kahon Kiss Se Main Keh Kaya Hai Shab e Gham Buri Bala Hai Mujhey Kaya Bura Tha Marna Agar Aik Baar Hota



کَہُوں  کِس  سے میں کہ کیا ہے شَبِ  غَم بُری  بَلا  ہے
مُجھے  کیا  بُرا  تھا  مَرنا   اَگر   اَیک   بار   ہَوتا

Kahon Kiss Se Main  Keh Kaya Hai Shab e Gham Buri  Bala Hai
Mujhey Kaya Bura Tha Marna Agar  Aik  Baar  Hota


Maine lab kaha, mohabbat kijiye Qabil e nafrat Hoon,aap bhi kijiye



Maine lab kaha, mohabbat kijiye
Qabil e nafrat Hoon,aap bhi kijiye



I said love,do love

I am worthy of hatred,

You also do it

 

Hasti hi apni kiya hai zamanay ke saamnay Ek khuwaab hain jahan mein bikhar jaeyen hum to kiya



ہستی ہی اپنی کیا ہے زمانے کے سامنے
اک خواب ہیں جہاں میں بکھر جائیں ہم تو کیا

Hasti hi apni kiya hai zamanay ke saamnay
Ek khuwaab hain jahan mein bikhar jaeyen hum to kiya


Aye haste hue honton ! Khabar ho to batana Sulgi hui aankhon ko shifa kaise milegi?



Aye haste hue honton ! Khabar ho to batana
Sulgi  hui  aankhon  ko  shifa  kaise  milegi?

SEEMAB ZAFAR


Main pyar ka mufti Hoon, Mera fatwa hai ye Jo chod de rahon mein, kafir se bhi badtar hai



Main pyar ka mufti Hoon, Mera fatwa hai ye
Jo chod de rahon mein, kafir se bhi badtar hai


I am the Mufti of love, this is my fatwa
The one who leaves me in the way, is worse than a disbeliever


Jhoot Uss Se Main Kis Tarah Bolon Woh Mera Itbaar Karta Hai



جھوٹ اس سے میں کس طرح بولوں
وہ مرا اعتبار کرتا ہے


Jhoot Uss Se Main Kis Tarah Bolon

Woh Mera Itbaar Karta Hai


Inn Mein Khatra Hai Doob Jane Ka Jhankiye Mat Janab Inn Aankhon Mein



ان میں خطرہ ہے ڈوب جانے کا
جھانکیے مت جناب ان آنکھوں میں
 

Inn Mein Khatra Hai Doob Jane Ka
Jhankiye Mat Janab Inn Aankhon Mein


Tum Woh Ho Jis Ko Dekh Kar Mere Dil Ki Khali Tehni Par Phool Gulabi Khil Jate Hein



تم وہ ہو
جس کو دیکھ کر
میرے دل کی خالی ٹہنی پر
پھول گلابی کھل جاتے ہیں
جس کو دیکھ کر
مجھ کو اپنی مرضی کے
سارے موسم مل جاتے ہیں

Tum Woh Ho
Jis Ko Dekh Kar
Mere Dil Ki Khali Tehni Par
Phool Gulabi Khil Jate Hein
Jisko Dekh Kar
Mujh Ko Apni Marzi Ke
Sare Mousam Mil Jate Hein



Wo Jo Geet Tum Ne Suna Nahi Meri Umar Bhar Ka Riaz Tha




Kitney haseen log thay jo mil ke aik baar Aankhon mein jazb hogaye dil mein saama gaye



Kitney haseen log thay jo mil ke aik baar
Aankhon mein jazb hogaye dil mein saama gaye


How beautiful were the people who met once
There will be passion in eyes, it will be in heart


Jo Log Muyasar Hein Woh Log Ghanimat Hein Kab Kon Bichad Jaye Andaza Nahi Hota



جولوگ میسر ہیں، وہ لوگ غنیمت ہیں
کب کون بچھڑ جائے، اندازہ نہیں ہوتا
آؤگے تو سمجھو گے، اِس دل
کی بناوٹ میں
دیوار تو ہوتی ہے ، دروازہ نہیں ہوتا
 

Jo Log Muyasar Hein Woh Log Ghanimat Hein
Kab Kon Bichad Jaye Andaza Nahi Hota
Aaogy To Samjho Gy Iss Dil Ki Banawat Mein
Deewaar Tou Hoti Hai Darwaza Nahi Hota


Aakhiri Baar Tum Pe Aaya Tha Phir Mere Haath Nahi Aaya



آخری بار تم پہ آیا تھا
پھر میرے ہاتھ دل نہیں آیا

Aakhiri Baar Tum Pe Aaya Tha
Phir Mere Haath Nahi Aaya


Tu Mila Hai Tou Kahon Kaise Mila Kuch Bhi Nahi Aatish e Ishq Hai Aisi Keh Bacha Kuch Bhi Nahi



تو مِلا ہے تو کہوں کیسے مِلا کچھ بھی نہیں
آتش ِعشق ہے ایسی کہ بچا کچھ بھی نہی
 

Tu Mila Hai Tou Kahon Kaise Mila Kuch Bhi Nahi
Aatish e Ishq Hai Aisi Keh Bacha Kuch Bhi Nahi


Aa Ja Tujhe Be-Sakhta Seenay Se Laga Loon Aye Humdam Tabiyat Zara Ghabraai Hoi Hai



آ جا تُجھے بے ساختہ سینے سے لگا لوں
اے ہمدم طبیعت ذرا گھبرائی ہوئی ھے

Aa Ja Tujhe Be-Sakhta Seenay Se Laga Loon
Aye Humdam Tabiyat Zara Ghabraai Hoi Hai


Kon Mane Ga Keh Be-Baal o Pari Se Pehle Hum Kisi Bagh Mein Thay Dar-Badari Se Pehle



کون مانے گا کہ بے بال و پری سے پہلے
ہم کسی باغ میں تھے دربدری سے پہلے


Kon Mane Ga Keh Be-Baal o Pari Se Pehle

Hum Kisi Bagh Mein Thay Dar-Badari Se Pehle


Baith Jaati Hai ,Mere Pehlo Mein Aakar TERI YAAD Mere Ghar Ka FARD Ho Jaisey



بَیٹھ  جاتی  ہے   میرے  پِہلُو   میں   آکر
تَیری  یاد   میرے   گھَر  کا  فَرد   ہو   جیسے

Baith Jaati Hai ,Mere Pehlo Mein Aakar
TERI YAAD  Mere Ghar Ka FARD Ho Jaisey


Likha hai apne naam se apne patey pe khat Muddat ke baad apni khabar chahta hoon main



Likha hai apne naam se apne patey pe khat
Muddat ke baad apni khabar chahta hoon main
Sheen Alif Baloch


kabhi apne akele-pan k baare me jo sochoge tumhen toote hue kuch khaas rishte yaad aayenge



کبھی اپنے
اکیلے پن کے بارے میں جو سوچو گے
تمہیں ٹوٹے ہوئے
کچھ خاص رشتے یاد آئیں گے

جہاں تم سے بچھڑنے کا سبب
آنکھیں بھگوئیں گے
وہیں اپنی محبت کے وسیلے
یاد آئیں گے

कभी अपने
अकेले-पन के बारे में जो सोचोगे
तुम्हें टूटे हुए
कुछ ख़ास रिश्ते याद आएँगे

जहाँ तुम से बिछड़ने का सबब
आँखें भिगोएँगे
वहीं अपनी मोहब्बत के वसीले
याद आएँगे


kabhi apne
akele-pan k baare me jo sochoge
tumhen toote hue kuch khaas rishte
yaad aayenge
jahan tum se bichdne ka sabab aankhen bhigoyenge
wahen apni mohabbat k waseele
yaad aayenge


Ho Na Saka Humein Kabhi Apna Khayal Tak Naseeb Naqsh Kisi Khayal Ka Loh Khayal Par Raha



ہو نہ سکا ہمیں کبھی اپنا خیال تک نصیب
نقش کسی خیال کا لوح خیال پر رہا

Ho Na Saka Humein Kabhi Apna Khayal Tak Naseeb

Naqsh Kisi Khayal Ka Loh Khayal Par Raha

 

Sukoon e Qalb Tum Se Hai Sukoon e Jaan Bhi Tum Ho Ta'ajub Hai Keh Seenay Me Jahan Dil Tha Wahan Bhi Tum Ho



ﺳُـﮑُﻮﻥِ ﻗَﻠـﺐ  ﺗُـﻢ  ﺳـﮯ  ﮨـﮯ , ﺳُـﮑُﻮﻥِ ﺟـﺎﮞ ﺑﻬﯽ ﺗُﻢ ﮨَﻮ
ﺗَﻌَﺠُّﺐ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺳِﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺟَﮩﺎﮞ ﺩِﻝ ﺗﻬﺎ ﻭَﮨﺎﮞ بھیﺗُﻢ ﮨَﻮ

Sukoon e Qalb Tum Se Hai Sukoon e Jaan Bhi Tum Ho

Ta'ajub Hai Keh Seenay Me Jahan Dil Tha Wahan Bhi Tum Ho


Naqsh fariadi hai kis ki shokhi tehreer ka Kagzi hai perahan her paiker tasweer ka



نقش فریادی ہے کس کی شوخیٔ تحریر کا
کاغذی ہے پیرہن ہر پیکر تصویر کا

Naqsh fariadi hai kis ki shokhi tehreer ka
Kagzi hai perahan her paiker tasweer ka


Pukaara jab mujhey tanhaii ney tou yaad aaya Ke apney saath bohat mukhtasar raha hoon mein



Pukaara jab mujhey tanhaii ney tou yaad aaya
Ke apney saath bohat mukhtasar raha hoon mein


Choom Sakta Hoon Chho Bhi Sakta Hoon Woh Bhi Yani Mere Mizaj Ki Hai



چوم سکتا ہوں چھو بھی سکتا ہوں
وہ بھی یعنی مرے مزاج کی ہے

Choom Sakta Hoon Chho Bhi Sakta Hoon
Woh Bhi Yani Mere Mizaj Ki Hai


Pagal See Ik Larki Ne Kuch Pagal Pagal Kar Dala Aankh Bhari Kia Pagli Ne Sab Kajal Kajal Kar Dala




Pagal See Ik Larki Ne Kuch Pagal Pagal Kar Dala

Aankh Bhari Kia Pagli Ne Sab Kajal Kajal Kar Dala


Zulf Khuli Kia Aangan Mein Sab Badal Badal Kar Dala

Uss Aik Nazar Ka Qissa Hai Sab Ghayel Ghayel Kar Dala

 

Zehar Pee Laita Hoon Gar Shahad Bhare Hont Tere Mere Qabzay Mein Rahen Uss Ka Asar Hone Tak



زہر پی لیتا ہوں ، گر شہد بھرے ہونٹ ترے
میرے قبضے میں رہیں اس کا اثر ہونے تک
عبدالحمید عدم

Zehar Pee Laita Hoon Gar Shahad Bhare Hont Tere
Mere Qabzay Mein Rahen Uss Ka Asar Hone Tak

A.H.Adam


Phir Kaise Khafa Reh Sake Ga Woh Main Jab Libas Kala Pehnongi


پھر  کیسے  خفا  رہ  سکے  گا  وہ
میں  جب  لباس  کالا  پہنوں  گی



Riyasat De Gi Ya Tu Aap Dega Mere Bil Kia Tumhara Baap Dega



ریاست دے گی یا تو آپ دے گا
مرے بِل کیا  تمہارا باپ   دے گا
بڑا منصف ھے  اگلا جج بھی  یارو
کہا جاٸے گا جو , وہ چھاپ دے گا
بجے گا جینیاتی ڈھول , جس پر
ہمارا دل  کسی کی تھاپ دے  گا
وہ پانی چھین لے گا شہریوں سے
اور اپنے انجنوں کو بھاپ دے گا
اذاں دے گا ترے کانوں میں پیسہ
تو بدلے میں کفن کا ماپ دے گا
بلف ہی کھیلتا آیا ھے فرحت
بنا پتوں کے اب بھی ٹھاپ دے گا
فرحت عباس شاہ

Riyasat De Gi Ya Tu Aap Dega
Mere Bil Kia Tumhara Baap Dega
Bada Munsif Hai Agla Jadge Bhi Yaro
Kaha Jayega Jo Woh Chaap Dega
Baje Ga Jeanyati Dhol Jis Par
Hamara Dil Kisi Ki Thaap Dega
Woh Paani Cheen Lega Shehrion Se
Aor Apne Enjano Ko Bhaap Dega
Azaan Dega Tere Kanon Mein Paisa
Tu Badle Mein Kafan Ka Maap Dega
Belaf Hi Khelta Aaya Hai FARHAT
Bina Patton Ke Ab Bhi Thaap Dega

Farhat Abbas Shah


To Kia Ye Tey Hai Keh Ab Umar Bhar Nahi Milna To Phir Ye Umar Bhar Bhi Kion Tum Se Gar Nahi Milna



تو کیا یہ طے ہے، کہ اب عمر بھرنہیں ملنا​
تو پھر یہ عمربھی کیوں، تم سے گرنہیں ملنا

یہ کون چُپکے سے تنہائیوں میں کہتا ہے​
تِرے بغیر سُکوں عُمْر بھر نہیں ملنا​

چلو زمانے کی خاطر یہ جبْر بھی سہہ لیں ​
کہ اب مِلے تو کبھی ٹوٹ کر نہیں ملنا​

رہِ وفا کے مُسافر کو کون سمجھائے​
کہ اِس سفر میں کوئی ہمسفرنہیں ملنا​

جُدا تو جب بھی ہوئے دِل کو یوں لگا جیسے​
کہ اب گئے تو کبھی لوٹ کر نہیں ملنا​
سُرُور بارہ بنکوی

To Kia Ye Tey Hai Keh Ab Umar Bhar Nahi Milna
To Phir Ye Umar Bhar Bhi Kion Tum Se Gar Nahi Milna

Ye Kon Chupkey Se Tanhaaion Mein Kehta Hai
Tere Baghair Sukoon Umar Bhar Nahi Milna

Chalo Zamane Ki Khatir Ye Jabar Bhi Seh Lein
Keh Ab Milay To Kabhi Toot Ke Nahi Milna

Ro e Wafa Ke Musafir Ko Kon Samjhaye
Keh Iss Safar Mein Koi Humsafar Nahi Milna

Juda To Jab Bhi Hoe Dil Ko Yun Laga Jaise
Keh Ab Gaye To Kabhi Lout Kar Nahi Milna


Suroor Barahbankvi


Jo Mila Usse Guzara Na Hua Jo Hamara Tha, Hamara Na Hua



Jo Mila Usse Guzara Na Hua
Jo Hamara Tha, Hamara Na Hua
Hum Kisi Aur Se Mansoob Hue
Kya Ye Nuqsan Tumhara Na Hua


Be-Niyazi Ke Silsilay Mein Hoon Main Kahan Ab Tere Nashay Mein Hoon



بے نیازی کے سلسلے میں ہوں
میں کہاں اب ترے نشے میں ہوں

اک ہجر تیرا مجھے ستاتا ہے
اور باقی تو بس مزے میں ہوں

बे-नियाज़ी के सिलसिले में हूँ
मैं कहाँ अब तेरे नशे में हूँ

एक हिज़्र तेरा मुझे सताता है
और बाक़ी तो बस मज़े में हूँ


Be-Niyazi Ke Silsilay Mein Hoon
Main Kahan Ab Tere Nashay Mein Hoon

Ik Hijar Tera Mujhe Satata Hai
Aur Baqi Tou Bas Mazey Mein Hoon


I'm in the matter of Niyazi
Where am I now in your addiction?
Am in the series of Bay-Niyazi
Where am I now drunk with you
Your one separation teases me
And the rest is just fun
A hijr of yours teases me
And the rest is just having fun


Ham ko nigah e yaar se peeney ka shauq hai Saqi ye jaam waam se nisbat nahi hamein



ہم  کو نگاہِ  یار  سے  پینے کا  شوق  ہے
ساقی یہ جام وام سے نسبت نہیں ہمیں


Ham ko nigah e yaar se peeney ka shauq hai
Saqi ye  jaam  waam  se nisbat nahi hamein

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo