Karte Ho Tamanna Keh Woh GUL RO NAZAR AAYE Aankhen Bhi Tou Woh Laao Keh Khushboo Nazar Aaye



کرتے ہو تمنّا کہ وہ، گُل رُو نظر آئے
آنکھیں بھی تو وہ لاؤ، کہ، خُوشبو نظرآئے

Karte Ho Tamanna Keh Woh GUL RO NAZAR AAYE

Aankhen Bhi Tou Woh Laao Keh Khushboo Nazar Aaye


Anne wale saal mehak In phoolon ki si meharbani rahe



Anne wale saal mehak
In phoolon ki si meharbani rahe
Dil se uljhi si zindgani rahe
Ta-umr ujala bane
Nigah-e-karam US ka
khuloos-o-khaas mein
lehza-e- shadmani rahe

Wishing all
family and friends a very happy new year


Na Chedo Zikar DECEMBER Ki Sard Raton Ka Kisi Ki Piyar Bhari Naram Garam Baton Ka



نہ چھیڑو ذکر دسمبر کی سرد راتوں کا
کسی کی پیار بھری نرم گرم باتوں کا

شبِ وصال سُنا ہے سوال پوچھو گے
جواب دو گے ہماری بھی چند باتوں کا

پسِ نقاب بھی عاشق تو پا گئے تم کو
ہوا ہے فائدہ کیا اتنی احتیاطوں کا

گِلہ ہے آپ ہی سے آپ کے تغافل کا
بُرا نہ مانیٔے اتنا ہماری باتوں کا
 
عجیب کھیل میں دنیا گزر گئی ارشد
نہ فخر جیت کا کوئی نہ رنج ماتوں کا

مرزا ارشد علی بیگ
آڈبان ، پینسلوانیا
دسمبر ٣١، ٢٠٢٠


Muhabbat Dhund Ki Wadi Mein Lepta Sard Mousam Hai Nikhar Jaye Tou Soraj Hai Bars Jaye Tou Rim Jhim Hai



مُحبت  دُھند  کی وادی  میں  لِپٹا سرد موسم  ہے
نِکھر جائے تو سورج ہے برس جائے تو رِم جِھم ہے


Muhabbat Dhund Ki Wadi Mein Lepta Sard Mousam Hai
Nikhar Jaye Tou Soraj Hai Bars Jaye Tou Rim Jhim Hai

 

Kitaab Sada Rahegi Kab Tak? Kabhi Tou Aaghaaz Baab Hoga



Kitaab Sada Rahegi Kab Tak?

Kabhi Tou Aaghaaz Baab Hoga

Jinhon Ne Basti Ujad Dali

Kabhi Tou Unka Hisaab Hoga


Zindagi Kuch Samajh Mein Bhi Aa Jaye Gi Iss Bhare Shehar Mein Koi Pagal Tou Ho



Zindagi Kuch Samajh Mein Bhi Aa Jaye Gi

Iss Bhare Shehar Mein Koi Pagal Tou Ho


Apne tan di khabar nayi Sajan di khabar laave kaun??? Na main khaaki, na main aatish Na paani na paaun



BABA BULLEH SHAH
Apne tan di khabar nayi
Sajan di khabar laave kaun???
Na main khaaki, na main aatish
Na paani na paaun
Na main khaaki, na main aatish
Ve Bulleya Saaiyaan
Ve ghut ghut roiyaan
Jivein aate vich loon
Assa nazuk dil de lok haan
Sadda dil na yaar dukhaya kar
Na jhoote vaade keeta kar
Na jhootiyan kasmaan khaya kar
Tainu kinni vaari aakheya ay
Sanu alwal na azmaya kar
Tere pyaar de vich main mar ja saan
Mainu enna yaad na aaya kar
Sajna ve aaja mud chheti nayi
Udeekaan teriyaan
Dubda phirega phir labhdiyaan tainu
Mitti diyaan dheriyaan
Apne tan di khabar nayi
Sajan di khabar lave kaun


Main Ne Tou Soch Samajh Kar Hi Khareedi Har Shay Mere Saman Mein Ye Kis Ne Judaai Rakh Di



میں نے تو سوچ سمجھ کر ہی خریدی ہر شے
 مرے سامان میں یہ کس نے جدائی رکھ دی
فاخرہ بتول

Main Ne Tou Soch Samajh Kar Hi Khareedi Har Shay
Mere Saman Mein Ye Kis Ne Judaai Rakh Di

Fakhra Batool


Aik hi shakhs hota hai kainaat ki manind Rah e ishq mein koi qafala nahi hota



ایک ہی شخص ہوتا ہے کائنات کی مانند
راہِ عشــق میں کـوئی قـافلہ نہیں ہـوتا

Aik hi shakhs hota  hai kainaat ki manind
Rah e ishq mein koi qafala nahi hota


Ishq Ho Jaoun Piyar Ho Jaoun Main Jo Khushbo e Yaar Ho Jaoun



عِشق ہوجاؤں ، پیار ہو جاؤں
میں جو خوشبُوئے یار ہوجاؤں
جب بھی نِکلوں میں ڈُھونڈ نے اُس کو
دُھول،  مٹّی، غُبار ہو جاؤں
اُس کے وعدے کا اعتبار کرُوں
پِھر شَبِ اِنتظار ہو جاؤں
اَوڑھ لُوں اُس کی یاد کی چادر
اور،  خود پر  نِثار ہو جاؤں
میں تِرا موسمِ خِزاں پہنوُں
اور فصلِ بہار ہو جاؤں
ایک شب اُس کو ، اِس طرح دیکھُوں
دامَنِ شب کے پار ہو جاؤں
جو ہَوا تُجھ کو چھُو کے آئے مَیں
اُس کو چھُو لوُں ، بہار ہو جاؤں
جِس گھڑی اُس کا آئنہ دیکھُوں
اُس گھڑی ، عکسِ یار ہو جاؤں
پُھول ٹانکوُں لباس میں اُس کے
مَیں اگر دست کار ہو جاؤں
اُس کا کاجل لگا کے آنکھوں میں
مستیِٔ چشمِ یار ہو جاؤں


Dil hazaar bar chikhe to usey chikhne dijiye Jo aapka nahi usey jaane dijiye



Dil hazaar bar chikhe to usey chikhne dijiye
Jo aapka nahi usey jaane dijiye


Apni palkon par saja kar mere aansoo aap ne Raste ki dhool ko aankhon ka kajal bana diye



Apni palkon par saja kar mere aansoo aap ne
Raste ki dhool ko aankhon ka kajal bana diye


Yaron, Kya Mila Tumhe Mera Chehra Kured Kar Jo Zakhm Tha, Wo Rooh Ki Gehraiyon Me Tha



Yaron, Kya Mila Tumhe Mera Chehra Kured Kar
Jo Zakhm Tha, Wo Rooh Ki Gehraiyon Me Tha


Friends, what did you get by curing my face
The wound that was in the depths of the soul


Barf Girti Rahi Aasmaanon Ke Us Paar Se Raat Bhar Barf Girti Rahi Baadlon K Katoron Mein Tha Munjmid



برف گرتی رہی
آسمانوں کے اُس پار سے رات بھر
برف گرتی رہی
بادلوں کے کٹوروں میں تھا مُنجمد
دیوتاؤں، خداؤں کا آبِ وضُو
اور سبُو در سبُو
برف کے چھینٹے ریشم کے پھولوں کی صورت بکھرتے رہے
نرم گالے، خموشی میں لپٹے ہوئے
سب چھتوں اور کھیتوں پہ کچّی سفیدی چھڑکتے رہے
خالی گلیاں کہ جیسے چمکتے سُفید اُون کی بِلّیاں
برف کے سرسراتے لحاف اوڑھ کر
پُرسکوں ہوگئیں
اور پھر سو گئیں
خامشی میں صدا کی ملاوٹ نہ تھی
کوئی آہٹ نہ تھی
خوابگاہوں میں لوگ اپنے پیاروں پہ بوسے لُٹاتے رہے
بے شکن بستروں پر شکن در شکن
گرم گاڑھے بدن
لمس کے ان کہے رنگ بھرتے رہے
آگ کی گود میں کسمساتی ہوئی لکڑیاں جل بُجھیں
جسم تپتے رہے
ہر جنُوں کو سہارا میسر رہا
ہر نظر کو ستارہ میسر رہا
ہر مُحِب اپنے محبوب سے مُتّصل
ہاں مگر صرف دو روتے کُرلاتے دل
جو کہ اک دوسرے کے نہ تھے رُوبرُو
ایک مَیں، ایک تُو
رحمان فارس


Barf Girti Rahi
Aasmaanon Ke Us Paar Se Raat Bhar
Barf Girti Rahi
Baadlon K Katoron Mein Tha Munjmid
Devtaaon, Khudaaon Ka Aab-e-Wuzoo
Aur Sboo-dar-Sboo
Barf Ke Chhaintey Resham K Phoolon Ki  Soorat Bikhrtey Rahey
Narm Gaaley, Khmoshi Mein Liptey Huey
Sab Chhton Aur Kheton Pe Kacchi Safaidi Chhiraktey Rahey
Khaali Gliyaan K Jesey Chmaktey Sufaaid Oon Ki Billiyaan
Barf K Sarsraatey Lihaaf Orh Kar
Pur-Sukoon Ho Gaieen
Aur Phir So Gaieen
Khaamshi Mein Sadaa Ki Milaawat Na Thi
Koi Aahat Na Thi
Khwaabgaahon Mein Log Apney Pyaaron Pe Bosey Lutaatey Rahey
Be-shikan Bistaron Par Shikan-dar-Shikan
Garm Gaarhey Badan
Lams K An-kahe Rang Bhrtey Rahey
Aag Ki God Mein Kasmsaati Hui Lakriyan Jal Bujheen
Jism Taptey Rahey
Har Junoon Ko Sahaara Muyassar Raha
Har Nazar Ko Sitaara Muyassar Raha
Har Muhib Apney Mehboob Se Muttasil
Haan Magar Sirf Do Rotey Kurlaatey Dil
Jo K Ik Doosrey K Na They Ru-Ba-ru
Aik Main, Aik Tu !
Rehman Faris


Log naae sal par buht kuch naya mangain'ge Leken mujhy wohi purana tumhara saath chahaye



Log naae sal par buht kuch naya mangain'ge
Leken mujhy wohi purana tumhara saath chahaye


Mausam toh Nahi Hum Ki Badal Jayenge





Phir Aa Gaya Hai Aik Naya Saal Dosto Is Baar Bhi Kisi Se DECEMBER Nahi Ruka



Phir Aa Gaya Hai Aik Naya Saal Dosto

Is Baar Bhi Kisi Se DECEMBER Nahi Ruka


Andaz Apna Dekhte Hein Aainay Mein Woh Aur Ye Bhi Dekhtay Hein Koi Dekhta Na Ho



Zuban Chalny Lagi Lab-Kushaai Karne Lagy

Naseeb Bigda Tou Gongy Buraai Karne Lagy


Humare Qad Ke Barabar Na Aa Saky Jo Log

Humare Pavn Ke Neechay Khudaai Karne Lagy


Andaz Apna Dekhte Hein Aainay Mein Woh Aur Ye Bhi Dekhtay Hein Koi Dekhta Na Ho





Bichad Ke Phir Milengy Yaqeen Kitna Tha Tha Tou Khuwaab Lekin Haseen Kitna Tha



Mumkin Hai Keh Sadion Bhi Nazar Aaye Na Soraj

Is Baar Andhera Nere Andar Se Utha Hai


Bichad Ke Phir Milengy Yaqeen Kitna Tha Tha Tou Khuwaab Lekin Haseen Kitna Tha



Bichad Ke Phir Milengy Yaqeen Kitna Tha

Tha Tou Khuwaab Lekin Haseen Kitna Tha


Woh Mujhe Chod Gaya Mere Zawaal Se Pehle

Haseen Tou Tha Hi Zaheen Kitna Tha


Aao DECEMBER Ko Rukhsat Karein



Aao DECEMBER Ko Rukhsat Karein

Kuch Khushion Ko Sanbhal Kar

 Kuch Aansoun Ko Taal Kar

Jo Lamhe Guzre Chahaton Mein

Jo Pal Beetey Rafaqaton Mein

Kabhi Waqt K Saath Chaltey Chaltey

Jo Thak K Ruke Raston Mein

Kabhi Khushion Ki Ummeed Mili

Kabhi Bichdey Houn Ki Deed Mili

Kabhi Be-Panah Muskura Diye

Kabhi Haste Haste Ro Diye

In Sare Lamhon Ko Mukhtasar Karen 


Aao DECEMBER Ko Rukhsat Karein

 

Badla Jo Waqt Gehri Rafaqat Badal Gai Soraj Dhala Tou Saaye Ki Soorat Badal Gai



Badla Jo Waqt Gehri Rafaqat Badal Gai

Soraj Dhala Tou Saaye Ki Soorat Badal Gai

Ik Umar Tak Main Uski Zarorat Bana Raha

Phir Yun Hoa Keh Uski Zarorat Badal Gai


Saat Rangon Se Muzaen Meri Beenaai Hai Aathwaan Rang Tera Rang e Pazeeraai Hai



Saat Rangon Se Muzaen Meri Beenaai Hai

Aathwaan Rang Tera Rang e Pazeeraai Hai


Doobte Suraj Ko Dekh Ke Mayus Na Ho



Nigahon mein abhi tak doosra cheraa nahin aaya Bharosa hi kuch aisa tha tumhare laut aanay ka



Nigahon mein abhi tak doosra cheraa nahin aaya
Bharosa hi kuch aisa tha tumhare laut aanay ka


I haven't seen another face yet.
The trust of your return was something like this


Hum Ne Mali K Mushaqat Ka Bharm Rakhna Tha So Jahan Koi Na Mehka Wahan Hum Mehkay



ہم نے مالی کی مشقت کا بھرم رکھنا تھا
سو جہاں کوئی نہ مہکا وہاں ہم مہکے

 

Hum Ne Mali K Mushaqat Ka Bharm Rakhna Tha

So Jahan Koi Na Mehka Wahan Hum Mehkay


Main Tou Iss Wastey Chup Hoon Keh Tamasha Na Baney Tu Samajhta Hai Mujhe Tujh Se Gila Kuch Bhi Nahi



میں تو اِس واستے چُپ ہوں کہ تماشہ نہ بَنے

تُو سَمجھتا ہے مُجھے تجھ سے گِلہ کچھ بھی نہیں

 

Main Tou Iss Wastey Chup Hoon Keh Tamasha Na Baney

Tu Samajhta Hai Mujhe Tujh Se Gila Kuch Bhi Nahi


Dhadkano ko tatola jab maine tu pata laga Woh tu kisi aur ka hi daaman thaamey baithe hai



Dhadkano ko tatola jab maine tu pata laga
Woh tu kisi aur ka hi daaman thaamey baithe hai


Maine Har Baar Nayi Aankh Se Dekha Tujhko Mujhko Har Baar Naya IshQ Hua Hai Tujhse

 
 


Maine Har Baar Nayi Aankh Se Dekha Tujhko
Mujhko Har Baar Naya IshQ Hua Hai Tujhse

Every time I saw you with new eyes
I have a new love with you every time


Rabb likhun ,khwahish likhun meharbaan likhun Ya ke farmaish likhun



Rabb likhun ,khwahish likhun
meharbaan likhun
Ya ke farmaish likhun
Udeil kar jazbaat saare kagaz pe
aa tujh par mein ek kitaab likhun


jahan rahega waheen raushni lutaayega kisi charagh ka apna makaan nahin hota



jahan rahega waheen raushni lutaayega
kisi charagh ka apna makaan nahin hota


Aao kuch dyr desember ki dhoop mein bethain Ye fursatain hamain shayed agaly sal melain na melain



Aao kuch dyr desember ki dhoop mein bethain
Ye fursatain hamain shayed agaly sal melain na melain


Agar Hoon Pait Mein Luqmay Badal Jate Hein Mousam May Mein Barf Padti Hai December Garam Lagta Hai



اگر ہوں پیٹ میں لقمے بدل جاتے ہیں موسم
مئی میں برف پڑتی ہے دسمبر گرم لگتا ہے

Agar Hoon Pait Mein Luqmay Badal Jate Hein Mousam
May Mein Barf Padti Hai December Garam Lagta Hai


Buhat Takleef Deh Tha Na Ghar Khuly Na Dar Khuly Na Munah Khuly Na Zubaan Khuli Bade Arman Hein Tum Se Naya Koi Na Imtehan Lejiye



بہت تکلیف دہ تھا نہ گھر کھلے نہ در کھلے نہ منہ کھلے نہ زبان کھلی
بڑے آرمان ہیں تم سے نیا کوئی نہ امتحان لیجیے


Buhat Takleef Deh Tha Na Ghar Khuly Na Dar Khuly Na Munah Khuly Na Zubaan Khuli

Bade Arman Hein Tum Se Naya Koi Na Imtehan Lejiye


Bas Aakhiri Sawaal Aey Zindagi Ye Masroof Log Dafnaney Tou Aaeingy Na?



بس آخــــــری ســوال اے!!! زندگــــی
یـہ مصـروف لوگ دفنانے تو آئیں گے نـہ؟

 

Bas Aakhiri Sawaal Aey Zindagi

Ye Masroof Log Dafnaney Tou Aaeingy Na?


Sar Jhukaoge To Pathar Devta Ho Jayega Itna Mat Chaho Use, Wo Be-Wafa Ho Jayega



سر جُھکاؤ گے تو پتھر دیوتا ہو جائے گا
اتنا مت چاہو اُسے وہ بے وفا ہو جائے گا

Sar Jhukaoge To Pathar Devta Ho Jayega
Itna Mat Chaho Use, Wo Be-Wafa Ho Jayega

 

Na Jane Waqt Ne Kion Faslay Ye Dey Diye Warna Tumhi Tou Mere Jaise Thay Tumhein Tou Mera Hona Tha



نہ جانے وقت نے کیوں فاصلے یہ دے دئے ورنہ
تمہی تو میرے جیسے تھے تمہیں تو میرا ہونا تھا
 

Na Jane Waqt Ne Kion Faslay Ye Dey Diye Warna

Tumhi Tou Mere Jaise Thay Tumhein Tou Mera Hona Tha


Do Hi Ba-Zouq Aadmi Hein Adam Main Hoa Ya Mera Raqeeb Hoa



Do Hi Ba-Zouq Aadmi Hein Adam

Main Hoa Ya Mera Raqeeb Hoa


Khuwaab Kia Koi Dekhay Neend Ke Anjaam Ke Baad Kis Ko Jeenay Ki Hos Hashar Ke Hangaam Ke Baad





Ye Jo Chehre Se Tumhein Lagtay Hain Bemar Se Hum Khoob Roye Hein Lefat Kar Dar o Deewar Se Hum





Dastak mein koi dard ki khushboo zaroor thi Darwaza kholne k liye ghar ka ghar utha



Dastak mein koi dard ki khushboo zaroor thi
Darwaza kholne k liye ghar ka ghar utha


There was definitely a fragrance of pain in the knock
To open the door Woke up to the house


Apni Gardan Jhuka Ke Peetay Hein Hum Musalla Bicha Ke Peetay Hein



شرابی میں شرابی

Sharaabi Main Sharaabi

 
اپنی گردن جھکا کے پیتے ہیں
ہم مصلےٰ بچھا کے پیتے ہیں

Apni Gardan Jhuka Ke Peetay Hein

Hum Musalla Bicha Ke Peetay Hein


سجدہ کرتے ہیں دن میں جی بھر کے
رات بھر جی لگا کے پیتے ہیں

Sajdah Kartey HeinDin Mein Jee Bhar Ke

Raat Bhar Jee Laga Ke Peetay Hein


کھینچئے انتظارِ ساغر آپ
ہم صراحی اٹھا کے پیتے ہیں

Kijiye Intezar e Saghar Aap

Hum Surahi Utha Ke Peetay Hein


مے کدے میں کہاں ہماری شراب
روز مقتل میں جا کے پیتے ہیں

Mai-Kaday Mein Kahan Humari Sharaab

Roz MaqtalMein Ja Ke Peetay Hein


رہ گئے شیخ جی وضو کرتے
ہم لہو میں نہا کے پیتے ہیں

Reh Gaye Sheikh Jee Wazo Karte

Hum Lahoo Mein Naha Ke Peetay Hein


بیَن کرتی ہے قلقلِ مینا
ہم بھی آنسو بہا کے پیتے ہیں

Bain Karti Hai Qulqul e Maina

Hum Bhi Aansoo Baha Ke Peetay Hein


روشنی کو فروغِ مے ہے بہت
لو، دیا ہم بجھا کے پیتے ہیں

Roshni Ko Farogh Mai Hai Buhat

Lou , Diya Hum Bujha Ke Peetay Hein


استقامت شراب دیتی ہے
پاؤں ہم بھی جما کے پیتے ہیں

Isteqamat Sharaab Deti Hai

Paoun Hum Bhi Jama Ke Peetay Hein


ہم کو چڑھتی ہے اس لئے بھی کہ ہم
اپنی ہستی گھٹا کے پیتے ہیں

Hum Ko Charhti Hai Is Liye Bhi Keh Hum

Apni Hasti Ghata Ke Peetay Hein


آپ سمجھیں گے کیا مری مستی
آپ پانی ملا کے پیتے ہیں

Aap Samjheingy Kia Meri Masti

Aap Paani Mila Ke Peetay Hein


عارف امام

Arif Imam


Aey giryaa zaar zindgi kuch dair mazrat Mera bhi dil kiya hai zara muskuraon main



اے گریہ زار زندگی کچھ دیر معذرت
میرا بھی دل کیا ہے ، ذرا مسکراؤں میں

Aey giryaa zaar zindgi kuch dair mazrat
Mera bhi dil kiya hai zara muskuraon main


A blurry face lives in my eyes A stray firefly lives in my dreams



A blurry face lives in my eyes
A stray firefly lives in my dreams
One innocent voice does not let me sleep
A tangled sentence remains in my memories
Who has the fragrance of Shabnami Aanchal, now talk in me
Some feeling like fragrance lives in my breath
I can't control myself, I can't say anything.
Whose words have this effect in my words
The bloody nights of December keep me restless
Lams of one hand still lives in my thoughts
The heart is also sorry, the feeling is also confusion of thoughts.
Whose eye's tear is this in my eyes



Sab intezar mein thay, kab koi zubaan khulay Phir us k hont khulay aur sab k kaan khulay



غزل
سب انتظار میں تھے، کب کوئی زبان کُھلے
پھر اُس کے ہونٹ کُھلے اور سب کے کان کُھلے


بھلے ہو لاکھ حسیں خواب ،یاد رہتا نہیں
جب آنکھ درجنوں لوگوں کے درمیان کُھلے


بہت سا لیں گے کرایہ ،ذرا سی دیں گے جگہ
یہاں کے لوگوں کے دل تنگ ہیں ،مکان کُھلے


گیا وہ شخص تو نظریں اٹھائیں لوگوں نے
ہوا تھمی تو جہازوں کے بادبان کُھلے


ہماری آنکھ میں کھدّر کے خواب بِکتے تھے
تم آئے اور یہاں بوسکی کے تھان کُھلے


جگہ ہو اِس میں، کم از کم، مرے یقیں کے لیے
میں چاہتا ہوں کہ اتنا تِرا گمان کھُلے


یہ کون بھول گیا اُن لبوں کا خاکہ یہاں؟
یہ کون چھوڑ گیا گُڑ کے مرتبان کُھلے؟


عمیر نجمی


Ghazal

 
Sab intezar mein thay, kab koi zubaan khulay
Phir us k hont khulay aur sab k kaan khulay


Bhalay ho laakh haseen khwab, yaad rehta nahin
Jab aankh darjanon logon k darmyaan khulay


Bohat sa lain ge kiraya, zara si dain ge jagah
Yahan k logon k dil tang hain, makaan khulay


Gaya wo shakhs to nazrain uthayin logon ne
Hawa thami to jahaazon k baadbaan khulay


Hamari aankh mein khaddar k khwab biktay thay
Tum aye aur yahan boski k thaan khulay


Jagah ho is mein, kam az kam, meray yaqeen k liay
Main chahta hoon k itna tera gumaan khulay


Ye kon bhool gya un labon ka khaaka yahan?
Ye kon chod gaya gud k martabaan khulay?

 
Umair Najmi


Yeh aur baat k sajde nahi qabool use Magar woh sakhs hamara khuda aaj bhi hai



ये और बात कि सजदे नहीं कुबूल उसे
मगर वो शख्स हमारा खुदा तो आज भी है


Yeh aur baat k sajde nahi qabool use
Magar woh sakhs hamara khuda aaj bhi hai


Khud se larti hoon , bigarti hoon, mana leti hoon Main ne tanhayi ko ik khail bana rakha hai



Khud se larti hoon , bigarti hoon, mana leti hoon
Main ne tanhayi ko ik khail bana rakha hai


I fight with myself, I spoil myself, I convince myself.
I have made loneliness a game


Yeh ashk nahi hai aas hai Ke ab bhi tu mere pass hai



Yeh ashk nahi hai aas hai
Ke ab bhi tu mere pass hai


This is not love it is hope
Are you still with me


Phir Naya Saal Nai Subah Nai Ummeedein Ae Khuda Khair Ki Khabron K Ujalay Rakhna



Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo