Tuu nay hathoun say mere haath churaya aur phir Lay gaie janay kahan waqat ke raftaar mujhay


Image may contain: outdoor and nature

تو نے ہاتھوں سے مِرے ہاتھ چھڑایا اور پھر
لے گئی جانے کہاں وقت کی رفتار مجھے

Tuu nay hathoun say mere haath churaya aur phir
Lay gaie janay kahan waqat ke raftaar mujhay

Ab To Mazeed Ek Aur Wajah Bicharne Ki Hoi Tum Ko Nafrat Dhool Se, Aor Ham Khaak Hoe Jate Hain


Image may contain: 1 person, standing

Ab To Mazeed Ek Aur Wajah Bicharne Ki Hoi
Tum Ko Nafrat Dhool Se, Aor Ham Khaak Hoe Jate Hain

Kat gai ahtiyaat e ishq me umrr Hum se izhaar e muddua na hua


Image may contain: 1 person, standing

Kat gai ahtiyaat e ishq me umrr
Hum se izhaar e muddua na hua

Saanse lete rehne ko Jeena nahi kehte sahib Aur kitna badlu Mein zindagi ke liye



Saanse lete rehne ko
Jeena nahi kehte sahib
Aur kitna badlu
Mein zindagi ke liye
Kuch to Kabul kar mujh ko
Kuch to mujh mein
Main baki ho
Yeh banawat ,sajawat nahi hu main
Mera mujh se kuch to kalam
Baki ho
Ab kahi tut ke bikhar jayu
Mera mujh pe na Naaz baki ho
Aur kitna badlu
Mein jindagi ke liye


Balaa ha qahar ha aafat ha fitna ha qayamat hai Haseeno ki jawani ko jawani kaun kehta hai



Balaa ha qahar ha aafat ha fitna ha qayamat hai
Haseeno ki jawani ko jawani kaun kehta hai
Arsh Malsiyani

Ye barsate to ek din baras jayegi Aur jo Khwahish he tum se milne ki Dekhte he ab ke kya RANG layengi


Image may contain: flower, plant and nature

Ye barsate to ek din baras jayegi
Aur jo Khwahish he tum se milne ki
Dekhte he ab ke kya RANG layengi
Nishat Mubeen

Kafir e ishq ko kya se kya kar diya But parasti ne Haq aashna kar diya


Image may contain: one or more people

Kafir e ishq ko kya se kya kar diya
But parasti ne Haq aashna kar diya
Koi dekhe haqeeqat mere kufar ki
Main ne jis but ko pooja Khuda kar diya
Dekhne wale kaaba samajhne lage
Kitna roshan tera naqsh e pa kar diya
But parasti mein ki main ne wo bandagi
But kade ko hi qibla numa kar diya
Aye FANA meri mayyat pe kaihte hain wo
Aap ne apna wada wafa kar diya

WO MARZ E ISHQ HI KYA ABBAS,JIS ME JALDI SHIFA MILE KON MANGEGA KHUSHIYO KI DUA,JIS KO DARD ME KHUDA MILE


Image may contain: flower and plant


WO MARZ E ISHQ HI KYA ABBAS,JIS ME JALDI SHIFA MILE
KON MANGEGA KHUSHIYO KI DUA,JIS KO DARD ME KHUDA MILE


Maa Baap ka Ghar bika to beti ka ghar basa Kitni Na-Mard hai yeh RASAM E JAHEZ bhi


Image may contain: one or more people

Maa Baap ka Ghar 🏠 bika to beti ka ghar basa
Kitni Na-Mard hai yeh RASAM E JAHEZ bhi

June ki jhulasti raat ki baarish ho tum Mera wajood, mera khuwaab, meri khwahish ho tum


Image may contain: outdoor

June ki jhulasti raat ki baarish ho tum
Mera wajood, mera khuwaab, meri khwahish ho tum

poochha jo un se chand niklta hai kis tarah zulfo ko rukh pe daal k jatkaa diya k yun


Image may contain: one or more people and closeup

پوچھا جو ان سے چاند 🌙 نکلتا ہے کس طرح
زلفوں کو رخ پہ ڈال کے جھٹکا دیا.....کہ یوں

poochha jo un se chand🌙niklta hai kis tarah
zulfo ko rukh pe daal k jatkaa diya k yun

Bheega Mosam Thanda Sama Yeh Kaif-e-Bahar Yeh Koi Waqt Hai Pehlu Say Uth Ke Jane Ka.


Image may contain: one or more people

Bheega Mosam Thanda Sama Yeh Kaif-e-Bahar 
Yeh Koi Waqt Hai Pehlu Say Uth Ke Jane Ka...!!

Ye Baargaah e Ishq Hai, Koi Khanaqaah Nahi Yahan Phool Nahi, Sar Chadhaye Jate Hain


Image may contain: 1 person, closeup

Ye Baargaah e Ishq Hai, Koi Khanaqaah Nahi
Yahan Phool Nahi, Sar Chadhaye Jate Hain

Neend Kiya Tooti Keh DIL Murjha Geya Urrh Gayien Khawaabon Ki Saari Titliyaan


Image may contain: 1 person

نِیند کیا ٹُوٹی کہ دِل مُرجھا گیا
اُڑ گئیں خوابوں کی ساری تِتلیاں

Neend Kiya Tooti Keh DIL Murjha Geya
Urrh Gayien Khawaabon Ki Saari Titliyaan

Sunno Main Tumhein APNA AAP Saunptaa Hoon Mujhh Ko Rukhh Kar Nah Bhool Janaa Kahien


Image may contain: one or more people

سُنو
میں تُمہیں آپنا آپ سونپتا ہُوں
مُجھ کو رَکھ کر نہ بھُول جانا کہیں
Sunno
Main Tumhein APNA AAP
Saunptaa Hoon
Mujhh Ko Rukhh Kar
Nah Bhool Janaa Kahien

Jo Kisi Jabar Pe Honton Ko Seya Kartey Hain Zulm Kartey Hein Woh Zaalm Ki Hamayet Kar key


Image may contain: 1 person

جو کِسی جَبر پہ ہونٹوں کو سِیا کرتے ہیں
ظُلم کرتے ہیں وُہ ظالِم کی حمایت کرکے

Jo Kisi Jabar Pe Honton Ko Seya Kartey Hain
Zulm Kartey Hein Woh Zaalm Ki Hamayet Kar key

Nigaah e lutf mat uttha khugar e Aalam rehne dy Humein na-kaam rehna hy humen na-kaam rehne dy


Image may contain: 1 person

Nigaah e lutf mat uttha khugar e Aalam rehne dy
Humein na-kaam rehna hy humen na-kaam rehne dy
Abhi rehne dy Dil mein shauq shoreedah ky hungame
Abhi sar mein Mohabbat ka, junoon e khaam rehne dy
Klaam e Majaz Lakhnavi

Saleeqa tum ne pardey ka bda anmol rkha hai negahein qatil.hein aor unhein hi khol rakha hai


Image may contain: one or more people and text

Saleeqa tum ne pardey ka bda anmol rkha hai
 negahein qatil.hein aor unhein hi khol rakha hai

Tum jo pal bhar ko thaher jao to ye lamhay aanay walay kai lamhon ki amanat ho jaen



Tum jo pal bhar ko thaher jao to ye lamhay
aanay walay kai lamhon ki amanat ho jaen
tum jo thaher jao to ye raat,ye mahtab
ye sabza,ye gulaab,aur hm dono k khawb
sb k sb aesay mubhim hon,k haqeeqat ho jaen
tum thaher jao k,unwan ki tafseer ho tum
tum se talkhi e auqat ka mosam badlay
raat to kia badlay gi,halaat to kia badlen gay
tum jo thaher jao,to meri zaat ka mosam badlay
mehaban ho k na thehro,to phir yun thahro
jasay pl bhr koi khawb e tamana thahray
jasay darwesh madah nosh k pyalay main kabhi
ek do pl k liae talkhi e dunya thahray
thaher jao k madaraat k mae khanay se
chaltay chaltay koi ek aadh suboo ho jae
is se pahlay k koi lamha e aainda ka teer
istarah aae k pawast e guloo ho jae

Muhabbat Khud Chali Jae Tou Allat Ka Faso Kia Hai Tu Mere Paas Reh Jae Tou Qillat Ka Faso Kia hai


Image may contain: 2 people, people standing, wedding and outdoor


محبت خود چلی جائے
تو علت کا فسوں کیا ہے
تو میرے پاس رہ جائے
تو قلت کا فسوں کیا ہے
جو مرہم وقت نہ رکھے
تو زخموں کا مداوا کیا
ہنسی پہ لب نہ آئے
تو جبلت کا فسوں کیا ہے
پیالے میں پڑا ہو تو
زہر کی کیا حقیقت ہے
نہ جب تک خون میں آئے
تو شدت کا فسوں کیا ہے
جو عاشق خود ہی توڑے تو
ٹھکانہ ہے کہاں بت کا
پجاری جو نہ اپنائے
تو بدعت کا فسوں کیا ہے
قیامت لاکھ اٹھلائے
شباب_ناز میں ! لیکن
نظر جو رخ نہ سہلائے
تو حدت کا فسوں کیا ہے
خدا کا خوف نہ ہو تو
حیا کا کیا نشاں باقی
نکاح تکمیل نہ پائے
تو عدت کا فسوں کیا ہے
برس کے سارے موسم تو
بندھے ہیں ایک کولہو سے
بشر نہ گل کھلائے جو
تو جدت کا فسوں کیا ہے
رزب توقیر کے سکے
جہاں تک ہو کمائے جا
خدا نہ آزمائے جو
تو ذلت کا فسوں کیا ہے
رزب تبریز

ek tujh ko dekhne k liye bzmm mein mujhe auro ki simt masllahtan dekhna padaa


Image may contain: 1 person

اک تجھ کو دیکھنے کے لیے بزم میں مجھے
اوروں کی سمت مصلحتاً دیکھنا پڑا

ek tujh ko dekhne k liye bzmm mein mujhe
auro ki simt masllahtan dekhna padaa

khada hua hoon sar e raah muntazir kab se keh koi guzre to gham ka ye bojh uthwa de


Image may contain: people standing and outdoor

کھڑا ہوا ہوں سر راہ منتظر کب سے
کہ کوئی گزرے تو غم کا یہ بوجھ اٹھوا دے

khada hua hoon sar e raah muntazir kab se
keh koi guzre to gham ka ye bojh uthwa de

log krtey hain khuwab ki baatein hum ne dekha hai khuwab teri ankhon mein


Image may contain: one or more people and closeup

لوگ کرتے ہیں خواب کی باتیں
ہم نے دیکھا ہے خواب تیری آنکھوں میں

log krtey hain khuwab ki baatein
hum ne dekha hai khuwab teri ankhon mein

Meri Be-Zubaan Aankhon Se Gire Hain Jo Chand Qatre Wo Samajh Saken To Aansoo Na Samajh Saken To Pani


Image may contain: 1 person, closeup

میری بے زبان آنکھوں سے گرے ہیں جو چند قطرے
وہ سمجھ سکیں تو آنسو نہ سمجھ سکیں تو پانی

Meri Be-Zubaan Aankhon Se Gire Hain Jo Chand Qatre
Wo Samajh Saken To Aansoo Na Samajh Saken To Pani

Jiss Ke Honey Se Meri Saans Chala Karti Thi Kiss Tarah Uss Ke Baghair APNA Guzaarah Ho Ga


Image may contain: one or more people

جِس کے ہونے سے مِری سانس چلا کرتی تھی
کِس طرح اُس کے بغیر آپنا گُزارہ ہو گا

 یہ آچانک جو اُجالا سا ہُوا جاتا ہے
دِل نے چُپکے سے تیرا نام پُکارا ہو گا

Jiss Ke Honey Se Meri Saans Chala Karti Thi
Kiss Tarah Uss Ke Baghair APNA Guzaarah Ho Ga

Yeh Achaanak Jo , Ujaala Sa Hua Jaata Hai
DILL Ne Chupkey Se Tera Naam Pukara Ho Ga

Phir chala jaata hoon wahin marham lene Bhool jaata hoon keh yahin se to zakham mila hai



Phir chala jaata hoon wahin marham lene
Bhool jaata hoon keh yahin se to zakham mila hai

Wo Aalamkashon Ka Milna, Wo Nishat e Gham Ke Saye Kabhi Ro Pare Tabassum, Kabhi Zakhm Muskuraye


Image may contain: one or more people and closeup

وہ الم کشوں کا ملنا, وہ نشاط غم کے سائے
کبھی رو پڑے تبسم, کبھی زخم مسکرائے

Wo Aalamkashon Ka Milna, Wo Nishat e Gham Ke Saye
Kabhi Ro Pare Tabassum, Kabhi Zakhm Muskuraye

Yeh Kiya Keh , Sulagtey Raho Angaaron Pe Chupp Chaap Jalnaa Hai Tou , Jaliyey Kissi Shoalley Se Lippatt Kar


Image may contain: 1 person, outdoor

یہ کیا کہ سُلگتے رہو آنگاروں پہ چُپ چاپ
جلنا ہے تو ، جلئے کِسی شُعلے سے لِپٹ کر

Yeh Kiya Keh , Sulagtey Raho Angaaron Pe Chupp Chaap
Jalnaa Hai Tou , Jaliyey Kissi Shoalley Se Lippatt Kar

Baat Teri Suni Nahi Main Ne Dehan Mera Teri Nazar Par Tha



بات تیری سنی نہیں میں نے
دھیان میرا تری نظر پر تھا

Baat Teri Suni Nahi Main Ne
Dehan Mera Teri Nazar Par Tha

Dil k lut jane ka izhar zrori to nai Ye tamasha sar-e-bazar zrori to nai



Dil k lut jane ka izhar zrori to nai
Ye tamasha sar-e-bazar zrori to nai
Mujhe tha ishq teri rooh se or ab b ha
Jism se koi srokar zrori to nai
Me tojhe toot k chahon tu meri fitrat ha
Tuu b ho meri talabgar zrori to nai
Ay sitam kash zara jhank meri ankhon mein
Zuban se pyar ka izhar zaroori to nai

mila wo bhi nahi karte mila hum bhi nahi kart daga wo bhi nahi karte daga hum bhi nahi karte



mila wo bhi nahi karte
mila hum bhi nahi kart
daga wo bhi nahi karte
daga hum bhi nahi karte
unhe ruswai ka dukh
hume tanhai ka dar
gila wo nahi karte
shikwa hum bhi karte
kisi mod par mulakat ho jati aksar
ruka wo bhi nahi karte
thahra hum bhi nahi karte

Ishaqbaziyan haath choomti hain mere Mohabbatein bhoolne ka hunar sikhata hoon main


Image may contain: one or more people, people sitting and beard

Ishaqbaziyan haath choomti hain mere
Mohabbatein bhoolne ka hunar sikhata hoon main

Nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi Ye khidki kholo zara Subah ki hawa hi lage



Nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi
Ye khidki kholo zara Subah ki hawa hi lage

Tumhara naam aaya aur hum takne lage rasta tumhari yaad aai aur khidki khol di hum ne


Image may contain: one or more people and outdoor

Tumhara naam aaya aur hum takne lage rasta
tumhari yaad aai aur khidki khol di hum ne

Hawa Ki Mojon Main Aaj Phir Ghazab Ki Nazakat Hai Zaroor Aaj Us Nay Mujhay Dil Se Yaad Kiya Hoga


Image may contain: one or more people

Hawa Ki Mojon Main Aaj Phir Ghazab Ki Nazakat Hai
Zaroor Aaj Us Nay Mujhay Dil Se Yaad Kiya Hoga

Dukhon Ki Shaam Dhal Jaane Do Phir Kuch Aur Sochein Gy Zara Mausam Badal Jaane Do Phir Kuch Aur Sochein Gy


Image may contain: one or more people

Dukhon Ki Shaam Dhal Jaane Do Phir Kuch Aur Sochein Gy
Zara Mausam Badal Jaane Do Phir Kuch Aur Sochein Gy
Usey Socha Usey Chaaha Usey Lafzon Mein Dhaala Hai
Usey Rooh Se Nikal Jaane Do Phir Kuch Aur Sochein Gy
Abhi Tak Goonjti Hai Sarsrahat Zard Patton Ki
Khizaan Se Toh Sanmbhal Jaane Do Phir Kuch Aur Sochein Gy

Bin roke hi ruk gaye mein Haye o mere rabba Bin mol ke hi bik gaye mein


Image may contain: 1 person, closeup

Bin roke hi ruk gaye mein
Haye o mere rabba
Bin mol ke hi bik gaye mein
Aankho ne tere woh kamaal kar diya
Iss nadaan dil ko maalamal kar diya
Ab jag ke naaton se choott gayi mein
Bas ek isse dor se bandh gayi mein
Ab toh teri kamli ho gayi mein

Har Haqeeqat Se Alag Aur Fsaanon Se Parey Muntazir Hoon Main Tera Saarey Zmaanon Se Parey



ھر حقیقت سے الگ اور فسانوں سے پرے
مُنتظر ھُوں مَیں ترا سارے زمانوں سے پرے
پھر مَیں اک روز بڑی گہری اُداسی سے ملا
بستیوں کے سبھی آباد مکانوں سے پرے !
نہ زماں ھو نہ مکاں ھو نہ خلا ھو نہ خُدا
صرف ھم تُم ھوں کہیں سارے جہانوں سے پرے
عکس در عکس رُلاتی تھیں مُجھے جو آنکھیں
چھوڑ آیا ھُوں اُنہیں آئنہ خانوں سے پرے
خواب دیکھا ھے، دُعا کر کہ یہ جُھوٹا نکلے
مَیں کہیں اشک فشاں تھا ترے شانوں سے پرے
رونے دھونے کے لیے ھم نے بنایا ھُوا ھے
اک ٹھکانہ سبھی معلُوم ٹھکانوں سے پرے
مَیں دعاؤں میں بھی کرتا ھُوں ترے نام کا ورد
تُو نہیں ھے مری تسبیح کے دانوں سے پرے
میرے رونے سے خفا ھو کے وہ بولا، فارس !
اپنی چیخوں کو تُو لے جا مرے کانوں سے پرے
رحمان فارس

Har Haqeeqat Se Alag Aur Fsaanon Se Parey
Muntazir Hoon Main Tera Saarey Zmaanon Se Parey
Phir Main Ik Roz Baree Gehri Udaasi Se Mila
Bastiyon Ke Sabhi Aabaad Makaanon Se Parey
Na Zamaan Ho Na Makaan Ho Na Khlaa Ho Na Khuda
Sirf Ham Tum Hon Kahin Saarey Jahaanon Se Parey
Aks Dar Aks Rulaati Thein Mujhe Jo Aankhein
Chhor Aaya Hoon Unhein Aaina-Khaanon Se Parey
Khwaab Dekha Hai Duaa Kar K Yeh Jhoota Nikley
Main Kahin Ashk-Fshaan Tha Tere Shaanon Se Parey
Roney Dhoney K Liey Ham Ne Banaaya Hua Hai
Ik Thikaana Sabhi Maaloom Thikaanon Se Parey
Main Duaaon Mein Bhi Karta Hoon Tere Naam Ka Wird
Tuu Nahin Hai Meri Tasbeeh K Daanon Se Parey
Mere Roney Se Khafa Ho Key Wo Bola, Faris
Apni Cheekhon Ko Tu Le Jaa Mere Kaanon Se Parey
Rehman Faris

Bara ishq ishq tuun karna ein Kade ishq de gunjhal khol taan sahi


Image may contain: one or more people and people standing

Bara ishq ishq tuun karna ein
Kade ishq de gunjhal khol taan sahi
Tainu mitti wich na rol deve
Do pyar de Bol Bol te sahi
Sukh ghat te dard hazar milan
Kadi ishq nu takri tol te sahi
Teri hasdi akh vi bhij jaave
Kade saanu andron Phol te sahi
Bara ishq ishq tuun karna ein
Kade ishq de gunjhal khol taan sahi
Tainu mitti wich na rol deve
Do pyar de Bol Bol te sahi
Sukh ghat te dard hazar milan
Kadi ishq nu takri tol te sahi
Teri hasdi akh vi bhij jaave
Kade saanu andron phol te sahi.

Nishani tuney jo di thi , bichharney se zara pehley Pehan ke aaj wo kangan , tujhey dil yaad karta hai


Image may contain: one or more people


Nishani tuney jo di thi , bichharney se zara pehley
Pehan ke aaj wo kangan , tujhey dil yaad karta hai

Suna Hai Chand Nikle Ga Suna Hai Eid Bhi Hogi



Suna Hai Chand Nikle Ga
Suna Hai Eid Bhi Hogi
Hamein Tou Aasman Pe Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikha Tha
Kahan Woh Chand Nikle Ga
Keh Jis Ke Wasty Hum Ne
Kabhi Palkein Nahi Jhapki
Woh Jis Ka Rasta Takty
Hai GuZari Zindagi Apni
Nahi Kuch Bhi Khabar Keh Woh
Nikly Ga Tou Kab Aakhir ?
Hamari Muntazir Aankhon Ko
Us Ki Deed Kab Hogi
Abhi Pocho Nahi Hum Se
Hamari Eid Kab Hogi
Hamari Eid Kab Hogi

Mere Dard Mein Ye Khalish Kahaan Mere Soz Mein Ye Tapish Kahaan Kisi Aur Hi Ki Pukaar Hai Meri Zindagi Ki Sada Nahin



Mere Dard Mein Ye Khalish Kahaan Mere Soz Mein Ye Tapish Kahaan
Kisi Aur Hi Ki Pukaar Hai Meri Zindagi Ki Sada Nahin

Giran Guzarne Laga Daur e Intezar Mujhe Zara Thapak Ke Sula De Khayaal e Yaar Mujhe



Giran Guzarne Laga Daur e Intezar Mujhe
Zara Thapak Ke Sula De Khayaal e Yaar Mujhe

Na Aaya Gham Bhi Muhabbat Mein Saazgaar Mujhe
Woh Khud Tadap Gae Dekha Jo Be-Qaraar Mujhe

Nigaah e Sharamgeen Chupke Se Le Udi Mujh Ko
Pukaarta Hi Raha Koi Baar Baar Mujhe

Nigaah e Mast Ye Ma'ayar e Be-Khudi Kiya Hai
Zamane Wale Samajhte Hain Hoshiyaar Mujhe

Baja Hai Tark e Ta'alluq Ka Mashwara Lekin
Na Ikhtiyaar Unhein Hai Na Ikhtiyaar Mujhe

Bahaar Aur Ba-Qaid e Khizaan Hai Nang Mujhe
Agar Mile Tou Mile Mustaqil Bahaar Mujhe
Asad Bhopali

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo