Kab Tare Husan Se Inkar Kia Hai Main Ne

 

Poet Jaan Nisar Akhtar

 

Type bY


     UJRRA_DIL

 

Kab Taire Husan Se Inkar Kiya Hai Main Ne ?

Zindagi Tujh Se To Bahot Payar Kiya Hai Main Ne,

Muskurati Hai Kabhi Aankh Mein Kajal Ban K,

Kisi Seene Mein Dharrak Uthti Hai Aanchal Ban K,

Kabhi Phoolon K Katoron Se Chhalak Jati Hai,

Kabhi Sho'ale Kabhi Shabnum Se Lapak Jati Hai,

Kese Kese Taira Deedar Kiya Hai Main Ne,

Zindagi Tujh Se To Bahot Payar Kiya Hai Main Ne,

Too Har Ik Rang Mein Har Shay Mein Nazar Aai Hai,

Roshani Ban K Sitaron Se Utar Aai Hai,

Taire Jadou Tairi Khushboo Tairi Muskaanon Ko,

Taire Machale Huye Umdday Huye Toofanon Ko,

Apni Sansoon Mein Girftar Kiya Hai Main Ne,

Zindagi Tujh Se To Bahot Payar Kiya Hai Main Ne,

Tujh Ko Chaha To Koi Taqaza Na Kiya,

Main Ne Bhoole Se Taire Payar Ko Ruswa Na Kiya,

Too Bata Main Ne Kabhi Tujh Se Churayi Aankhein ?

Taire Chehare Se Kab Main Ne Hatayi Aankhein ?

Khud Ko Kab Taira Gunaah-Gaar Kiya Hai Main Ne ?

Ay Zindagi Tujh Ko Bahot Payar Kiya Hai Main Ne,

Muat Aaye Gi To Ik Pal Ki Na Muhlat Day Gi,

Sans Laine Ki Bhi Kamm Bakhat Na Fursat Day Gi,

Jeete Jee Kis Liye Phir Aap Ko Nashad Karein ?

Zindagi Aik Pal Bhi Taira Kyoun Barbaad Karein ?

Lamha Lamha Yahi Israr Kiya Hai Main Ne,

Zindagi Tujh Se Bahot Payar Kiya Hai Main Ne..................!


.
Book Geet

Page 387 388

 

Suno Aye Tanha Larki Main Bhi Hon Ek Tanha Larka

 

 

 

 

Poet UMAR RAAHI

 

Type bY


    UJRRA_DIL

 

Suno Ay Tanha Larki,

Main Bhi Hon Ek Tanha Larrka,

Tum Ne Bhi Payar Kar K Dukh Paya Hai,

Main Ne Bhi Dil Pe Ik Rog Lagaya Hai,

Wo Tumhain Chhorr Gaya,

Koi Maira Bhi Dil Torr Gaya,

Bheegi Bheegi Hain Tairi Aankhein,

Ashkon Ki Barsat Barsati Hain Mairi Aankhein,

Sookhe Hain Taire Hont,

Payase Hain Maire Hont,

Tumhain Sahara Chahiye,

Lo Main Apne Kandha De Don,

Mujhe Sahara Chahiye Hai,

Tum Apna Hath Day Do,

Aao Keh Sub Dard Bhula Kar,

Ik Dooje K Hum Ho Jaein,

Aao Keh Hum Mil Kar Dukh Dard Bantein,

Aao Keh Mil Kar Ik Dunya Basaein,

Aao Keh Hum Mil Kar Ik Ghar Banaein,

Jo Payar Se Hum Banaein Gay,

Mohabbat K Phool Lagaein Gay,

Hum Dunya Ko Jee Kar Dikhaein Gay,

Aao Keh Hum Aik Ho Jaein,

Aao Keh Hum Mil Kar DUA K Liye Hath Uthaein,

Aao Keh Hum Aik Ho Jaein...............!

 

 

Zindagi Doob Gai Dard K Toofano Mein Chand Yadon K Siwa Kuch Na Bacha

 

Poet Jaan Nisar Akhtar

 

Type bY
    UJRRA_DIL

 

Zindagi Doob Gai Dard K Toofanon Mein,

Chand Yadon K Siwa Kuch Na Bacha Kuch Na Raha,

Yahi Yadain Kabhi Tasveer Si Ban Jati Hai,

Aisa Lagta Hai Keh Wo Pas Chali Aai Hai,

Dil Ye Kehta Hai Keh Dhoka Hai Tairi Nazar Ka,

Wo Kahan Ab Tairi Qismat Mein Yahi Saye Hain,

Chandd Yadon K Siwa Kuch Na Bacha Kuch Na Raha,

Ashak Ban Kar Mairi Palkon Pe Jhalkne Wale,

Aanswon Mein Taira Deedar To Kar Sakta Hon,

Jisam Majboor Sahi Rooh To Majboor Nahi,

Main Tujhe Pa Sakon Payar To Kar Sakta Hon,

Chandd Yadon K Siwa Kuch Na Bacha Kuch Na Raha,

Maire Khawabon Mein Khayalon Mein Bhatkne Wale,

Dard Hi Day K Mairi Rooh Ko Aaram Mile,

Tou Agar Mil Saka Na Mujh Ko Taira Gham To Mila,

Aur Kaya Mujh Ko Maire Payar Ka Inaam Mile,

Chandd Yadon K Siwa Kuch Na Bacha Kuch Na Raha.................!


.
Book Geet Page 393 394

 

Maye Kashi Ab Meri Aadat K Siwa Kuch Bhi Nahi

 

Poet Jaan Nisar Akhtar

 

Type bY
     UJRRA_DIL

 

May-Kashi Ab Mairi Aadat K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Ye Bhi Ik Talkh Haqeeqat K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Fitna-E-Aqal Ka Jo Hoya Mairi Dunya Say Guzar,

Mairi Dunya Mein Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Dil Mein Shorsh-E-Jazbat Kahan Taire Baghair,?

Aik Khamosh Qayaamt K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Mujh Ko Khud Apni Jawani Ki Qasm Hai Ye Ishq,

Ik Jawani Ki Sharart K Siwa Kuch Bhi Nahi................!
.
Page Num 68

 

Han Rahi Hai Roo Ba Roo Rangeen Bahar Kitne Nazare Hain

 

Poet Jaan Nisar Akhtar


     UJRRA_DIL

 

Hans Rahi Hai Roo-Ba-Roo Rangeen Bahar,

Kitne Nazare Hain Janat Dar Kinar,

Rasta Takti Hai Kab Se Raah Guzaar,

Murr K Daikhta Hon Bar Bar,

Aa Gaya Hon Door Kis Ko Chorr Kar ?

Chup Kharra Hon Zindagi K Morr Par,

Jane Kis Ka Hai Abhi Tak Intzar ?

Kitne Honton Par Hai Ahd Dil Nasheen,

Muntzir Hain Kitne Aaghosh-E-Haseen,

Barrh Rahe Hain Kitne Dast-E-Nazneen,

Mujh Ko Laikin Hai Na Jane Kaya Yaqeen,

Reh Gai Hai Jam K Ik Janib Nazar,

Chup Kharra Hon Zindagi K Morr Par,

Jane Kis Ka Hai Abhi Tak Intzar ?

Ho Chuki Hain Gul Ufaq Ki Surkhiyan,

Teergi Hai Karwaan Dar Karwaan,

Bujh Gaya Ho Jaise Nazaron Mein Jahan,

Kuch Nahi Ma'aloom Jana Hai Kahan ?

Zulmaton Mein Kho Gai Hai Raah Guzar,

Chup Kharra Hon Zindagi K Morr Par,

Jane Kis Ka Hai Abhi Tak Intzar..............?
.
Page 66 67

 

Tum Mujh Se Kitni Door Ho Jaise Keh DarII Se Gagan

Poet Jaan Nisar Akhtar

Type bY


    UJRRA_DIL

 

Tum Mujh Say Kitni Door Ho,

Jaise Keh Dharti Say Gagan,

Tara K Is Sansar Tak,

Pohnchi Na Ho Jis Ki Kiran,

Jaise Sawad-E-Sham Say,

Ho Door Subha Zo Fagan,

Ya Dastras Say Door Ho,

Jaise Saba Ka Pairhan,

Tum Mujh Say Kitni Door Ho,

Jaise Keh Dharti Say Gagan,

Tum Mujh Say Kitni Pas Ho,

Jaise Keh Rabt-E-Jaan-O-Tann,

Chashme Say Jaise Koh K,

Goonja Huwa Ho Koi Bann,

Ya Husan Mein Jaise Ada,

Ya Khud Ada Mein Bankpan,

Ya May Mein Panhaan Kaif-E-May,

Ya Fun Mein Muzmar Rooh-E-Fun,

Tum Mujh Say Kitni Pas Ho,

Jaise Keh Rabt Jaan-O-Tann,

Ya Pas Kaya Hai Door Kaya,?

Ulfat Ka Hai Dastoor Kaya.................?
.
Page 60 61
.


Dekh Lena K Kisi Dukh Ki Kahani To Nahi Ye Jo Aanso Hain Kahein

 

Poet Farhat Abas Shah 

 

Dekh Lena K Kisi Dukh Ki Kahani To Nahi,


Ye Jo Aanso Hain Kahein Us Ki Nishani To Nahi,

Janta Hon K Sarabon Mein Ghira Hon Yaro,

Door Parta Hon Magar Phir Bhi K Pani To Nahi,

Dekh Rahi Hai Jo Mujhe Saf Teri Aankhon Mein,

Too Ne Ye Bat Kahein Mujh Se Chupani To Nahi,

Jis Tarha Shehr Se Nikla Hon Main Beemar Tera,

Ye Ujarna Hai Koi Naqalmakani To Nahi,

Bach Gai Hai Tere Matam Ko Jo Ab Qismat Se,

Hum Ne Ye Saf Dil-E-Sahra Se Uthani To Nahi,

Us Ne Chana Hai Mujhe Apne Khuda Se Barh Kar

Main Ne Ye Bat Zamane Ko Batani To Nahi,

Ye Jo Har Morr Pe Aa Milti Hai Mujh Se Farhat,

Badnaseebi Bhi Kahein Meri Deewani To Nahi.........!

 

Jahan Tera Naqsh-E-Qadam Dekhte Hain Khayaban Khayaban Iram Dekhte Hain

 

Poet Mirza Ghalib

 

Jahan Tera Naqsh-E-Qadam Dekhte Hain,

Khayaban Khayaban Iram Dekhte Hain,

Jahan Tera Naqsh-E-Qadam Dekhte Hain,

Tere Sarv Qamant Se Ek Kade Adam,

Tere Sarve Qamat Se Ek Kade Adam,

Qayamat K Fitne Ko Ab Hum Dekhte Hain,

Jahan Tera Naqsh-E-Qadam Dekhte Hain,

Tamasha K Aai Mehv-E- Aainadari,

Tujhe Kis Tamana Se Hum Dekhtay Hain,

Jahan Tera Naqsh-E-Qadam Dekhte Hain,

Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhais GHALIB,

Tamasha-E-Ehle Karam Dekhte Hain,

Jahan Tera Nahsh-E-Qadam Dekhte Hain...........!

 

Kon Kehta Hai K Mout Aai To Main Mar Jaon Ga Main To Daria Hon

 

 

Poet Ahmad Nadeem Qasmi

Kon Kehta Hai K Mout Aai To Mar Jaon Ga?

Main To Daria Hon Samandar Mein Utar Jaon Ga,

Tere Pehlo Se Jo Uthon Ga To Mushkil Ye Hai,

K Sirf Ek Shakhs Ko Paon Ga Jidhar Jaon Ga,

Ab Tere Shehr Mein Aaon Ga Musafir Ki Tarha,

Saya-E-Abar Ki Manind Guzar Jaon Ga,

Tera Paimana-E-Wafa Rah Ki Diwar Bana,

Warna Socha Tha K Jab Chahon Ga Mar Jaon Ga,

Chara Sazon Se Alag Hai Mera Mayar K Mein,

Zakham Khaon Ga To Kuch Aur Sanwar Jaon Ga,

Ab To Khursheed Ko Doobe Howay Sadian Guzari,

Ab Usay Dhoondne Mein Ta Ba Sahar Jaon Ga,

Zindagi Shama Ki Manid Jalata Hon Nadeem,

Bujh To Jaon Ga Magar Subha To Kar Jaon Ga........!

 

 

Itne Bhi To Wo Khafa Nahi Thay Jaise Kabhi Aashna

 

Poet Ahmad Faraz

 

Itne Bhi To Wo Khafa Nahi Thay

Jaise Kabhi Aashna Nahi Thay,

Mana K Baham Kahan Thay Aise,

Par Youn Bhi Juda Juda Nahi Thay,

Thi Jitni Basat Ki Purastish,

Tum Bhi To Wo Koi Khuda Nahi Thay,

Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir,

Hum Tere Nahi Thay Ja Nahi Thay,

Kis Kis Se Nibhate Rafaqat,

Hum Log K Bewafa Nahi Thay,

Rukhsat Howa Wo To Main Ne Dekha,

Phool Itne Bhi Khush Numa Nahi Thay,

Thay Youn To Hum Us Ki Anjuman Mein,

Koi Humain Dekhta" Nahi Thay,

Jab Us Ko Tha MaaaN Khud Pe Kia Kia,

Tab Hum Bhi Faraz Kia Nahi Thay................!

 

Page 104

 

Tumhare Arz-e-Gul-E-Faam Yad Aate Hain

 

Poet Jaan Nisar Akhtar

 

Type By
    UJRRA_DIL

 

Tumhare Aarz-E-Gul-E-Faam Yaad Aate Hain,

Yahi Charagh Sar-E-Sham Yaad Aate Hain,

Jin Ankhrriyon Pe Hai Khoon-E-Hazar May-Khana,

Un Ankhrriyon K Haseen Jaam Yaad Aate Hain,

Wo Lamha Lamha Jhapkti Hui Teri Palkein,

Hazarha Tere Paigham Yaad Aate Hain,

Wo Teri Mang Staron Se Jagmgayi Hui,

Wo Jhilmilaye Dar-O-Baam Yaad Aate Hain,

Ye Shama Kon Jalaye Ye Jaam Kon Bhare,?

Zara Zara Se Tere Kam Yaad Aate Hain,

Na Jane Payar Mein Kaya Kaya Tujhe Pukara Hai ?

Na Jane Kitne Tere Naam Yaad Aate Hain..................!


.
Page 111 112

 

Aik Le Seena E Faza Mein Jagaye

 

Poet Jaan Nisar Akhtar 

Type bY
    UJRRA_DIL 

 

Aik Lay Seena-E-Faza Mein Jagaye,

Noor-O-Zulmat Ki Dhoop Chhaon Rachaye,

Ik Taslsal Mein Urr Raha Hai Wqat,

Ik Sayah Ik Sufaid Par Phailaye,

Raat Jab Bheeg K Lehrati Hai,

Chandni Aus Mein Bas Jati Hai,

Apni Har Sans Mein Mujh Ko AKHTAR,

Un K Honton Ki Mehak Aati Hai....................!

.
.
Page Num 119
.
Book Ghar Aangan

 

Aik Jaam Chor To Sahi Dear E Maye Kada Ka

 

 

Poetss Shazia Romana

 

Type bY


    UJRRA_DIL

 

Aik Jaam Chor To Sahi Dehar-E-May Kada Ka Ay Huzoor,

Ba-KHUDA Ata Mile Gi Tujhe Phir Sharaab-E-Tahoor,

Nazar Jhuka Kar Guzrne Ka Hunar Seekh Haseenon Ki Galiyon Se,

RAB-ULL-IZAT Thama Day Ga Phir Tujhe Behshat-E-Hoor,

Majazi Ishq Cheen Le Ga Noor Tere Jalwon Ka,

Kar Haqiqi Ishq Tere Zawal Par Aaye Ga Urooj-E-Zahoor,

Lab Hon Ge Jaam Bhi Ho Ga Phir Bhi Payasa Rahe Ga,

Ye Manzar Daikhe Ga Apni Aankhon Se Agar Rakhe Ga Neeyat-E-Fatoor,

Kisi Aankh Ka Khawab Cheen'Ne Walon Ka Muqdar Bhi,

Rehta Nahi Roshan Kabhi
Ban Jata Hai Shab-E-Daijoor,

Gul-E-Labas Kaliyon K Bister Par Sone Wale,

Ishq Mein Ho Jate Hain Dil Zakhamon Se Choor,

Tamasha Nakhal-E-Hayaat Ka Banane Wale Tere Pahloo Ka Dil Bhi,

Taa-Umer Ki Aztrabiyon Mein Ho Jaye Ga Ranjoor,

Shamshair Se Kahan Hon Ge Ye Jisam Kabhi Shaheed,?

Takmeel-E-Azam K Liye Nigaah-E-Be Hijaabi Se Zara Ghoor.............!

Book Girftar-E-Wafa
Page 5/6

 

 

Na Aanso Rukain Aur Na Barsat Tehre

 

 

Poet Karamat Bukhari

 

Type By


   UJRRA_DIL

 

Na Aansoo Rukein Aur Na Barsaat Thehray,

Ajab Zindagani K Halat Thehray,

Yahi Raat Hay Jis Mein Aana Hay Un Ko,

Ajal Say Keh Do Bas Ik Raat Thehray,

Kabhi Shokh Yadain Rukay Mairay Dil Mein,

Kabhi To Mohabbat Ki Baraat Thehray,

Hawaein Jinahain Gungunati Hain Aksar,

Mairi Aarzoo K Wo Naghmat Thehray,

Hamari To Bas Zindagani Ka Hasil,

Mulaqat K Chandd Lamhat Thehray,

Hamari Shab-E-Hijar Ki Baat Chhorho,

Tum Apni Sunao Kahan Raat Thehray,?

Muslsil Hawadis Say Do Char Hay Dil,

Na Maloom Ja Kar Kahan Baat Thehray.......?
.
Page 260 261

 

 

Yad Aane Lagi Hai Rafaqat Purani

Wo Qurbat Ho Ya Phir Raqabat Purani

 

 

Poet Shoaib Khan Sawati 

 

Yad Aane Lagi Hai Rafaqat Purani

Wo Qurbat Ho Ya Phir Raqabat Purani

Teri Justojoo Mein Jeeta Hon Main,

Teri Aarzoo Hai Mujhe Bahut Purani,

Jati Hai Nahi Teri Yad Mere Dil Se,

Mere Dil Mein Jaga Hai Teri Bahut Purani,

Main Ye Aksar Soch K Khush Hota Hon,

SHOAIB

Mil Jain Gar Hum To Dono Ki Ho Jaye Gi Zindagi Dogani..................! 

 

 

Muddat Hoi K Chehra-E-Yar Nahi Dekha

Wo Aankhein Nahi Dekhi Wo Rukhsar Nahi Dekha

 

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Muddat Hoi K Chehra-E-Yar Nahi Dekha

Wo Aankhein Nahi Dekhi Wo Rukhsar Nahi Dekha,

Faqt Ye Jan Kar K Ghareeb Hon Thukra Dia Mujhe,

Meri Chahtein,

Meri Hasratein,

Mera Pyar Nahi Dekha,

Zara Si Theis Pohnchi To Mujh Se Rooth Gaye,

Kaho Tum Ne Kabhi Mujh Ko Ashk Baar Nahi Dekha,

Nikal K Seene Se Dil Jala Dia Tha Main Ne,

WASIF

Kia Tum Ne Ye Tamasha Sar-E-Bazar Nahi Dekha................!

 

 

Abi Tum Sa Tha Koi Roo Baroo

Tumhain Yad Hum Ne Bahut Kia

 

 

Poet Khaleelullah Farooqi 

 

Abi Tum Sa Tha Koi Roo Baroo

Tumhain Yad Hum Ne Bahut Kia

Bari Ras Bhari Thi Wo Guftagoo,

Tumhain Yad Hum Ne Bahut Kia,

Wohi Mast Aankhon Ki Mastian,

Wohi Chand Chehre Ki Chandni,

Wohi Arz-e-Haal Tha Hoo Bahoo,

Tumhain Yad Hum Ne Bahut Kia,

Wohi Hont Thay Wohi Phool Thay,

Wohi Be Misal Udasian,

Wohi Khawab Tha,

Wohi Aarzo

Tumhain Yad Hum Ne Bahut Kia,

Wohi Aarzu-e-Wisal Thi,

Jo Roz-o-Shab Ki Misal Thi,

Wohi Dilkashi,

Wohi Rang-o-Boo,

Tmhain Yad Hum Ne Bahut Kia.

Book

Main Aisi Mohabbat Karta Hon

Page 98 

 

 

Chand Se Chehre Ka Sadqa Bhi Utara Kijiye

Mashwara Hai Ye Meri Jan Gawara Kijiye

 

 

Poet Khaleelullah Farooqi 

 

Chand Se Chehre Ka Sadqa Bhi Utara Kijiye

Mashwara Hai Ye Meri Jan Gawara Kijiye,

Roshni Din Ki Andheron Mein Simat Jati Hai,

Ghar K Aangan Mein Na Youn Zulfain Sanwara Kijiye,

Hum To Jan Hatheli Pe Liye Phirte Hain,

Bas Kisi Roz Humain Halka Sa Ishara Kijiye,

Aap To Mehal Nasheen Naram Mulaim Se Hain,

Jhonpri Hai Ye Ghareebon Ki Guzara Kijiye,

Hum To Rahon Mein Liye Phirte Hain Kaasa-E-Dil,

Haal Kaisa Hai Mera Kisi Roz Nazara Kijye..........!

Book

Main Aisi Mohabbat Karta Hon

Page 96

 

 

Apne Karam Ki Kar Adain Yara Yara Yara Yara Lyric

 

Singer Ankita Tiwari 

 

Apne Karam Ki Kar Adain Yara Yara Yara Yara,

Mujh Ko Irade De Qasmein De Wade De,

Meri Duaon K Isharon Ko Sahare De,

Dil Ko Thikane De Naye Bahane De,

Khawabon Ki Barishon Ko

Mosam K Paimane De,

Apne Karam Ki Kar Adain,

Kar De Idhar Bhi Too Nigahain,

Sunn Rahi Hai Na Too Ro Raha Hon Main,

Sun Raha Hai Na Too,

Kion Ro Raha Hon Main,

Sun Rahi Hai Na Too Ro Raha Hon Main,

Sun Rahi Hai Na Too Kion Ro Raha Hon Main,

Manzalein Rusva Hain,

Khoya Hai Rasta Aaye Le Jaye,

Itni Si Iltaja Ye Meri Zamanat Hai,

Too Meri Amanat Hai Haan,

Apne Karam Ki Kar Adain,

Kar De Idhar Bhi Too Nigahain,

Sun Raha Hai Na Too Ro Raha Hon Main,

Sun Raha Hai Na Too.?

Kion Ro Raha Hon Main,

Waqt Bhi Thehra Hai,

Kaise Kion Ye Howa,

Kash Too Aise Aaye Jaise Koi Dua,

Aa Too Rooh Ki Rahat Hai

Too Meri Ibadat Hai,

Apne Karam Ki Kar Adain,

Kar De Idhar Bhi Too Nigahain,

Sun Rahi Hai Na Too,

Ro Raha Hon Main,

Sun Raha Hai Na Too,

Kion Ro Raha Hon Main,

Sun Rahi Hai Na Too,

Ro Raha Hon Main,

Sun Raha Hai Na Too,

Kion Ro Raha Hon Main,

Yara..............! 

 

Itna Pas Aa K Bhala Ab Ye Jhijakna Kaisa

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Itna Pas Aa K Bhala Ab Ye Jhijakna Kaisa

Sath Nikle Hain To Phir Raah Mein Thakna Kaisa,

Mere Aangan Ko Bhi Khusbo Ka Koi Jhuka De,

Soone Jangal Mein Ye Phoolon Ka Mehkna Kaisa,

Roshni Di Hai To Soraj Ki Tarha De,

Mujh Ko Jugnon Ki Tarha Thora Sa Chamakna Kaisa,

Hum To Dunia K Khayalat Badal Dete Thay,

Guftago Karne Mein Un Se Ye Atakna Kaisa,

Khushk Aankhein To Hain Himmat Ki Alamat,

MOHSIN

Zindagi Talkh Sahi Phir Bhi Sisakna Kaisa...............! 

 

Na Tum Baz Aao Na Hum Baz Aain

 

 

Poet Wasiq Ali Athar 

 

Na Tum Baz Aao Na Hum Baz Aain,

Barabar Khafa Ho Barabar Manain,

Bahut Khoobsorat Hain Tewar Tumhare,

Khafa Bhi Agar Ho To Lagte Ho Pyare,

Mere Jee Mein Aaye Gale Se Laga Lon,

Adaa Rooth Jane Ki Tum Se Chura Lon,

Tumhari Adaa Hum Tumhi ko Dikhain,

Na Tum Baz Aao Na Hum Baz Aain.........!

 

 


Zindagi Se Yehi Gila Hai Mujhe

Too Bari Dair Se Mila Hai Mujhe

 

Poet Ahmad Faraz

Type By 

*._Ayaz_Khan_.* 

 

Zindagi Se Yehi Gila Hai Mujhe

Too Bari Dair Se Mila Hai Mujhe

Too Mohabbat Se Koi Chaal To Chal,

Haar Jane Ka Hosla Hai Mujhe,

Dil Dharakta Nahi Tapakta Hai,

Kal Jo Khawahish Thi Aabla Hai Mujhe,

Humsafar Chahiye Hajoom Nahi,

Ek Musafir Bhi Qafla Hai Mujhe,

Kohkan Ho Ke Qais Ho Ke FARAZ,

Sab Mein Ek Shakhs Hi Mila Hai Mujhe.....!

Book: Pass Andaaz Musam

Page: 109,110 

 

Naye Safar Mein Abhi Aik Nuqs Baqi Hai

Jo Shakhs Sath Nahi Us Ka Aks Baki Hai

 

Poet Ahmad Faraz

Type By 

*.__Ayaz_Khan__.* 

 

Naye Safar Mein Abhi Aik Nuqs Baqi Hai

Jo Shakhs Sath Nahi Us Ka Aks Baki Hai,

Utha Ke Le Gaye

Dazdan Shab Charag Talak,

So Kor Chacham Patangon Ka Raqs Baqi Hai,

Ghata Uthi Hai Magar Tout Kar Nahi Barsi,

Hawa Chali Hai Magar Phir Bhi Habs Baqi Hai,

Ulat Pulat Gi Dunia Woh Zalzale Aaye,

Magar Kharab Dil Mein Woh Shakhs Baqi Hai,

FARAZ Aaye Ho Tum Ab Rafiq-E-Shab Ko Liye,

Ke Dor-E-Jam Na Hangma-E-Raqs Baqi Hai.........!

Book:

Khawab e Gul Parishan Hai

Page: 79 

 

Marham Ki Umeed Nahi Hy Hum Ko Lekin



مرہم کی امید نہیں ہے ہم کو لیکن
تم چاہو تو زخم دکھایا جا سکتا ہے

 

 

Ay KasheedaKaar-e-Azal Tujhko Eteraz To Nahi




اے کشیدہ کار ازل تجھ کو اعتراض تو نہیں
کہیں کہیں سے اگر زندگی رفو کی جائے

 

 

Ek Roo-E-Dil Faraib-O-Dil Aara Hai Zindagi

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL 

 

Ek Roo-E-Dil Faraib-O-Dil Aara Hai Zindagi,

Ik Aur Zindagi Ka Ishara Hai Zindagi,

Ya Meri Chasham-E-Masat Ka Dhoka Hai Zindagi,

Ay RAB-ULL-ZULJALAAL Bata Kaya Hai Zindagi ?

Qasar-E-Shahi Ki Qaid Mein Jeena Hai Zindagi,

Mehroomiyon Ki Aag Mein Jalna Hai Zindagi,

Be Sood Intzar Mein Marna Hai Zindagi,

Ik Shehar-E-Ajnabi Ka Tamasha Hai Zindagi,

Milti Hai Is Safar Mein Kahain Manzal-E-Muraad,

Ya Phir Isi Tarah Se Bhatkna Hai Zindagi,

Ye Raaz-E-Khas Mujh Pe Kabhi Aashkar Kar,

Mujh Ko Bhi Apne Dil Ka Kabhi Razdaar Kar............!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Pee Li To Kuch Pata Na Chala Wo Saroor Tha

 

 

Poet Muneer Niazi

Type By 

 

UJRRA_DIL 

 

Pee Li To Kuch Pata Na Chala Wo Saroor Tha,

Wo Us Ka Saya Tha Keh Rashak-E-Hoor Tha ?

Kal Main Nay Us Ko Daikha To Daikha Nahi Gaya,

Mujh Say Bich'hrr Kay Wo Bhi Bahot Gham Say Choor Tha,

Roya Tha Kon Kon ?

Mujhay Kuch'h Khabr Nahi,

Main Us Gharri Watan Say Kayi Meel Door Tha,

Sham-E-Faraq Aayi To Dil Doobnay Laga,

Hum Ko Bhi Apnay Aap Pay Kitna Ghuroor Tha,

Chehra Tha Ya Sada Thi Kisi Bhooli Yaad Ki,?

Aankhain Thi Us Ki Yaaro Keh Darya-E-Noor Tha ?

Nikla Jo Chaand Aayi Mehak Taiz Si MUNEER,

Mere Siwa Bhi Bagh Mein Koi Zaroor Tha...........!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Tujh Se Bichar Kar Kia Hon Ab Bahir Aa Kar Dekh

 

 

Poet Muneer Niazi

Type By 

 

UJRRA_DIL 

 

Tujh Se Bichar Kar Kia Hon Ab Bahir Aa Kar Dekh,

Himat Hai To Mairi Halat,

Aankh Mila Kar Daikh,

Sham Hai Gehri Taiz Hawa Sar Pay Kharri Hai Raat,

Rasta Gaye Musafir Ka Ab,

Diya Jala Kar Daikh,

Darwazay Kay Pas Aa Aa Kar Wapas Murrti Chap,

Kon Hai Is Sunsan Gali Mein ?

Pas Bula Kar Daikh,

Shayd Koi Daikhnay Wala Ho Jaye Hairan,

Kamray Ki Deewaron Par,

Koi Naqash Bana Kar Daikh,

Too Bhi MUNEER Ab Bharay Jahan Mein Mil Kar Rehna Seekh,

Bahir Say To Daikh Liya,

Ab Andar Ja Kar Daikh...........!

.

Kulyat-E-Muneer

 

 

Neele Neele Aasman Par Badal Hain Chamkeele

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL 

 

Neele Neele Aasman Par Badal Hain Chamkeele,

Jane Kaya Daikha Gori Ne Ho Gaye Nain Nasheele,

Neele Neele Aasman Par,

Saya Ban Kar Dil Se Guzr Yaad Gayi Barsato Ki,

Ya Daikhi Tasveer Nazar Ne Payar Mein Boobi Raton Ki,

Neele Neele Aasman Par,

Roshniyan Si Damk Rahi Hain,

Aaj Kisi Nigahon Mein,

Chali Hawa Deewani Ho Kar,

Phool Baras Gaye Raahon Mein,

Neele Neele Aasman Par,

Urri Mehak Kale Baalon Se,

Jaise Door Andhahre Mein,

Phalwarri Koi Khuli Hui Ho,

Deewaron K Ghere Mein,

Neele Neele Aasman Par.........!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Phirti Hoi Bechain Hawao Meri Madad Ko Aao

 

 

Poet Muneer Niazi

Type By 

 

UJRRA_DIL

Phirti Hoi Bechain Hawao

Meri Madad Ko Aao,

Urrti Hui Hum-Dard Sadao,

Mairi Madad Ko Aao,

Aao Mil Kar Is Dunya Ko,

Janat Ki Tasveer Bana Dain,

Aman Aur Husan Ka,

Khawab-E-Musrat,

Aadam Ki Taqdeer Bana Dain,

Ye Ik Kaam Hai Jis Mein,

Aa Kar Maira Hath Batao,

Phirti Hui Be Chain Hawao,

Urrti Hui Hum-E-Dard Sadao.........!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Apni Hi Teegh-E-Ada Se Ghail Ho Gia

Chand Ne Pani Mein Daikha Aur Pagal Ho Gia

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL

Apni Hi Teegh-E-Ada Se Ghail Ho Gia

Chand Ne Pani Mein Daikha Aur Pagal Ho Gia,

Wo Hawa Thi Sham Hi Se Raste Khali Ho Gaye,

Wo Ghata Barsi Keh Sara Shehar Jal Thal Ho Gaya,

Main Akela Aur Safar Ki Sham Rangon Mein Dhali,

Phir Ye Manzar Mairi Nazron Se Bhi Aujhal Ho Gaya,

Ab Kahan Hoga Wo Aur Ho Ga Bhi To Waisa Kahan,?

Soch Kar Ye Baat Jee Kuch Aur Bojhal Ho Gaya,

Husan Ki Dehshat Ajab Thi Visal Ki Shab Mein MUNEER,

Hath Jaise Intiha-E-Shoq Se Shal Ho Gaya..............!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Badal Bars Raha Tha Wo Jab Mehmaan Howa

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL 

 

Badal Bars Raha Tha Wo Jab Mehmaan Howa,

Kal Sham To Wo Mujh Pe Ajab Mehrban Huwa,

Shakh-E-Gul-E-Anaar Khili Bhi To Sang Mein,

Wo Dil Taira Huwa Ya Labb-E-Khoon'Fashan Huwa,

Margh-E-Sehar Ki Taiz Sada Pichli Raat Ko,

Aisi Thi Jaise Koi Safar Par Rawaa'n Huwa,

Thandi Hawa Chali To Jali Mush'Alain Hazar,

Jo Gham Nazar Mein Chamka Tha Ab Kehkshan Huwa,

May Bhi Hareef-E-Dard-E-Tamna Nahi Hui,

Apne Hi Gham K Nashe Se Main Sar-Garan Huwa,

Zardi Thi Rukh Pe Aisi Keh Main Dar Gaya MUNEER,

Kaya Attar Tha Keh Sirf-E-Qaba-E-Khazan Howa.....!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Baith Jata Hai Wo Jab Mehfil Mein Aa K Samane

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL 

 

Baith Jata Hai Wo Jab Mehfil Mein Aa K Samane,

Main Hi Bas Hota Hon Us Ki Is Ada K Samane,

Taiz Thi Itni Keh Sara Shehar Soona Kar Gai,

Dair Tak Baitha Raha Main Us Hawa K Samane,

Raat Ik Ujrre Makan Par Ja K Jab Aawaz Di,

Gonj Uthe Baam-O-Dar Mairi Sada K Samane,

Wo Rangeela Hath Maire Dil Pe Aur Us Ki Mehak,

Shama-E-Dil Bujh Si Gai Rang-E-Hina K Samane,

Main To Us Ko Daikhte Hi Jaise Pathar Ho Gaya,

Baat Tak Munh Se Na Nikali Be Wafa K Samane,

Yaad Bhi Hain Ay MUNEER Us Sham Ki Tanhaiyan,

Aik Maidan,

Aik Darkhat,

Aur Too KHUDA K Samane.........!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Gham Ki Barish Ne Bhi Tere Naqash Ko Dhoya Nahi

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

UJRRA_DIL 

 

Gham Ki Barish Ne Bhi Tere Naqash Ko Dhoya Nahi,

Toone Mujh Ko Kho Dia Main Ne Tujhe Khoya Nahi,

Neend Ka Halka Gulabi Sa Khumar Aankhon Mein Tha,

Youn Laga Jaise Wo Shab Ko Dair Tak Soya Nahi,

Har Taraf Deewar-O-Dar Aur Un Mein Aankhon Ka Hajoom,

Keh Sake Jo Dil Ki Halat Wo Labb Goya Nahi,

Juram Aadum Ne Kiya Aur Nasal-E-Aadum Ko Saza,

Kat'Ta Hon Zindagi Bhar Mein Ne Jo Boya Nahi,

Janta Hon Aik Aise Shakhs Ko Main MUNEER,

Gham Se Pathar Ho Gaya Laikin Kabhi Roya Nahi...............!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Masroofiat Mein Aai Hai Behad Yad Un ki

 

 

 

 

Kaghaz Ki Kashtian Thi Bahao Bhi Khoob Tha Tha Mosam Ka Panio Se


 

Poet Khaleelullah Farooqi


Kaghaz Ki Kashtian Thi Bahao Bhi Khoob Tha,

Mosam Ka Panion Se Lagao Bhi Khoob Tha,

Manzar Tere Khayal K Sab Toot'te Rahe,

Sochon Ka Waswason Se Bachao Bhi Khoob Tha,

Zarre Chamak Rahe Thay Falak Se Zameen Tak,

Sehra Mein Chandni Ka Paraao Bhi Khoob Tha,

Bilkul Badal Gaye Thay Taqaze Bhi Adal K,

Munsaf Ka Aik Simat Jhukao Bhi Khoob Tha,

Chahat K Lafaz Sare Baghawat Mein Dhal Gaye,

Jalti Howi Anna Ka Alao Bhi Khoob Tha,

Aanso Bhi Kar Sake Na Haqeeqat Ko Be Naqab,

Teri Taraf Se Aakhri Ghaao Bhi Khoob Tha............!

 

Book
Main Aisi Mohabbat Karta Hon

 

Ajnabi Shaklon Se Jaise Kuch Shanasai Bhi Thi

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL

Ajnabi Shaklon Se Jaise Kuch Shanasai Bhi Thi,

Chand Kuch Nikla Huwa Tha,

Kuch Ghata Ch'hayi Bhi Thi,

Aik Aurat Pas Aa Kar Mujh Ko Youn Takne Lagi,

Jaise Mairi Aankh Mein Koi Daikhne Ki Cheez Thi,

Daftan Lipti Jo Mujh Se Kaya Bataon Dosto ?

Wo Gharri Beeti Jo Mujh Pe Kaya Sunaon Dosto,?

Zakham Jo Dil Par Lage Ab Kaya Dikhaon Dosto ?

Jisam Ki Garmi Aur Us Ka Dard Ab Tak Yaad Hai,

Aik Na Aasooda Aah-E-Sard Ab Tak Yaad Hai............!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Kab Tak Chalta Rahe Ga RAHI In Anjani Raahon Mein

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL

Kab Tak Chalta Rahe Ga RAHI In Anjani Raahon Mein,

Kab Tak Shama Jale Gi Gham Ki,

In Be Chain Nigahon Mein,?

Wo Bhi Bhool Gaya Ho Ga Tujhe,

Dunya K Janjalon Mein,

Kitna Badl Gaya Hai Too Bhi,

Aate Jate Salon Mein,

Ga Koi Geet Khushi Ka,

Pagal Kaya Rakha Hai Aahon Mein ?

Mil Bhi Gaya Wo Phir Kaya Hoga ?

Lakhon Milte Daikhe Hain,

Ye Gulzar To Raat Ki Chup Mein,

Sub Ne Khilte Daikhe Hahn,

Raat Kati To Khak Urrti Hai,

Payar Ki Jalwa Gaahon Mein,

Kab Tak Chalta Rahe Ga RAHI,

In Anjani Rahon Mein..........?

Kuliat-E-Muneer

 

 

Shokh Adain Jee Tarpain

Hai Wo Aalam Toba Toba

 

 

Poet Syed Ameen Gilani

Shokh Adain Jee Tarpain

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Teekhe Aabro Teer Chalain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Subha-O-Taloo-E-Mehr Sair Chaman Ko Nikle

Sath Thi Sakhian Dain Bain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Pailein Bajein,

Kangan Khanke,

Qehqahe Goonje,

Kamrein Lachkein Dheele Chust Qubain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Sakhion Ko Ek Phool Dekha Kar,

Dekha Mujh Ko Bacha Kar,

Jee Kehta Tha Ball Ball Jain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Sar Se Dopatte Urr Urr Jain,

Halki Si Ek Moj Hawa Se,

Mukhron Pe Gaiso Lehrain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Tanhai Mein Hansna Hansana,

Hanste Hansate Rooth Bhi Jana,

Maan Jana Phir Jab Bhi Manein,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Hans Hans K Dena Zulf Jhatak Kar,

Dekh K Mujh Ko Pyar Se Aksar,

Phir Farmana Sheir Sunain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Bazm Mein Jab Hum Aankh Milaye,

Tarrne Wale Tarr Bhi Jate,

Nazron Mein Masoom Khatain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Youn Katni Thi *HIJAR* Ki Ratein,

Ghar K Dar-O-Deewar Se Batein,

Raste Takna Aain Na Aain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Bat Judai Ki Jab Hoi Dekhi Ye Main Halat Us Ki,

Aankhon Mein Aanso Lab Pe Duain,

Hai Wo Aalam Toba Toba,

Beet Gaye Ayam-E-Jawani Chor Ye Qise Ab GILANI,

Uqba Ka Gham Dil Mein Basain,

Hai Wo Aalam Toba Toba...............!



Nazron Mein Hai Ab Tak Wo Sarapa

Koi Bata De Kaise Bhulaon

 

 

Poet 

Syed Ameen Gilani

Nazron Mein Hai Ab Tak Wo Sarapa

Koi Bata De Kaise Bhulaon,

Wo Qad-E-Mozon Wo Rukh-E-Zeba,

Koi Bata De Kaise Bhulaon,

Jin Se Wo Din Thay Rangeen Rangeen,

Jin Se Thein Ratain Roshan Roshan,

Koi Bata De Kaise Bhulaon,

Haay....!!!

Wo Ankhein Jado Jado,

Haye..!!!

Wo Gaiso Khushbo

Khushbo,

De Gaein Wehshat, Kar Gaye Ruswa,

Koi Bata De Kaise

Bholaon,

Ahd-E-Jawani Jaise Beeta,

Dor-E-Mohabbat Mein Jo Guzri,

Uff...!!!

Wo Kahani,

Aah...!!!

Wo Qisa,

Koi Bata De Kaise Bholaon,

Us Ki Khamoshi,

Us Ka Takalum,

Us Ki Adain,

Us Ka Tabasum,

Dil Mein Basa Wo Husan Sarapa,

Koi Bata De Kaise Bhulaon,

Mustaqbil K Andeshon Ka Zikar Chire To Mujh Se Ziada,

Aahein Bharna,

Ashk Bahana,

Koi Bata De Kaise Bhulaon,

Chehre Par Aasar-E-Matanat,

Ankhon Mein Anwar Zahanat,

Ek Ek Lafz Ijaz-E-Maseeha,

Koi Bata De Kaise Bhulaon,

Mere Dil-E-Betab Ki Khatir Rang Parda Larzan Larzan,

Rat Ko Ana Chup Kar Tanha,

Koi Bata De Kaise Bhulaon,

Sharm K Mare Keh Bhi Nahi Sakte,

Bin Izhar K Reh Bhi Nahi Sakte,

Khat Likh Likh Kar Pyar Jitana,

Koi Bata De Kaise Bhulaon,

Ab To AMEEN Chup Chup Rehta Hai,

Kehta Hai To Ye Kehta Hai,

Zakham Hai Mere Dil Ka Gehra,

Koi Bata De Kaise Bhulaon...............!

Page 178



Jab Tujhe Yad Karein Kaar-E-Jahan Khainchta Hai

Aur Phir Ishq Wohi Koh-E-Giraan Kheinchta Hai

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Jab Tujhe Yad Karein Kaar-E-Jahan Khainchta Hai

Aur Phir Ishq Wohi Koh-E-Giraan Kheinchta Hai,

Kisi Dushman Ka Koi Teer Na Pohncha Mujh Tak,

Dekhna Ab K Mera Dost Kamaan Kheinchta Hai,

Ehd-E-Fursat Mein Kisi Yar-E-Yar Guzashta Ka Khayal,

Jab Bhi Aata Hai To Jaise Rag-E-Jaan Kheichta Hai,

Dil K Tukron Ko Kahan Jorr Saka Hai Koi,

Phir Wo Awaz-E-Aaina Giraan Kheichta Hai,

Intaha Ishq Ki Koi Na Hawas Ki Koi,

Dekhna Ye Hai K Had Kon Kahan Kheinchta Hai,

Kheinchte Jate Hain Rasan Basta Ghulamo Ki Tarha,

Jis Taraf Qafla-E-Umar-E-Rawaan Kheinchta Hai,

Hum To Rahwar-E-Zaboon Hai Wo Muqadar Ka Sawar,

Khud Hi Mehmeez Kare Khud Hi Anaan Kheinchta Hai,

Rishta-E-Teigh-O-Guloo Ab Bhi Salamat Hai,

FARAZ

Ab Bhi Maqtal Ki Taraf Dil Sa Jawaan Kheinchta Hai.........!

Page 17,18 

 

Husn Ki Bargaa Mein Rakhiye

Dil Ko Un Ki Nigah Mein Rakhiye

Poet Naseer-O-Deen Naseer 

Husn Ki Bargaa Mein Rakhiye

Dil Ko Un Ki Nigah Mein Rakhiye,

Hosla Un Ki Chah Mein Rakhiye,

Wazadari Nibah Mein Rakhiye,

Un K Kooche Ki Khak Hai Akseer,

Choomiye Phir Kulaah Mein Rakhiye,

Jo Humesha Rahein Shareek-E-Safar,

Sath Aison Ko Rah Mein Rakhiye,

Choriye Bhi Mah-O-Najoom Ki Bat,

Un Ka Chehra Nigah Mein Rakhiye,

Choriye Bhi Mah-O-Najoom Ki Bat,

Un Ka Chehra Nigah Mein Rakhiye,

Mar Hi Jain Jo Hum Ko Marna Hai,

Kion Unhain Ishtaba Mein Rakhiye,

*HIJAR* Ki Tairgi Se Baz Aaya,

Is Ko Zulf-E-Siyah Mein Rakhiye,

Jo Khuda Ki Pana Mein Hain NASEER,

Khud Un Ko Un Ki Pana Mein Rakhiye....................!

Bulaya Agar Main Ne Aain Gay Kia?

Meri Bat Wo Maan Jain Gay Kia?

Poet Naseer-O-Deen Naseer 

Bulaya Agar Main Ne Aain Gay Kia?

Meri Bat Wo Maan Jain Gay Kia?

Humari Wafain Bhulain Gay Kia?

Humain Khoin Gay Wo To Pain Gay Kia?

Naya Koi Fitna Uthain Gay Kia?

Humain Aap Phir Aazmain Gay Kia?

Unhain Aur Jhagron Se Fursat Kahan,

Mere Dil Mein Wo Ghar Banain Gay Kia,

Khizan Jin Ki Qismat Mein Likhi Gai,

Gulistan Mein Wo Muskarain Gay Kia?

Tumhi Se Humain Kon Sa FAIZ Hai,

Kisi Aur Se Dil Lagain Gay Kia?

Nahi Jin Pe Chashm-E-Karam Aap Ki,

Wo Meri Nazar Mein Samain Gay Kia,

Nazakat Qadam Uthne Deti Nahi,

Mere Ghar Bhala Aap Aain Gay Kia?

Hum Un Ki Adaon Pe Khud Mar Mitte,

Sataye Howon Ko Satain Gay Kia?

Laho Khushk Dil Khushk Dam Khushk Hai,

Hum Aankhon Se Aanson Bahain Gay Kia,

NASEER Ehl-E-Dil Ka Bharam Hai Abhi,

Unhain Dekh Kar Mar Na Jain Gay Kia...!

Humain Mohabbat Na Mili Na Pyar Mila Hum Ko Jo Bhi Mila Bewafa Yar Mila

 

 

Poet Affan Khan

 

Type By 

 
  *.__Ayaz_Khan__.*

 

Humain Mohabbat Mili Na Hi Pyar Mila,

Hum Ko Jo Bhi Mila Wo Be Wafa Yar Mila,

Apni To Ban Gai Tamasha Zindagi Kho Kar,

Yahan Har Koi Apne Maqsad Ka Talbgar Mila,

Jis Se Ki Thi Wafa Kal Hum Ne Logo,

Wo Hi Apna, Aaj Ban Ke Dushman Daar Mila,

Dunia Is Qadar Be Wafa Ho Gi Maloom Na Tha,

Jais Ko Bhi Dekha Muhabbat Ka Bimaar Mila,

Ghum To Aur Bhi Bahut Muhabbat K Siva,

Yehi Ek Gham Tha, Dil Ki Basti Mein Be shumar Mila......!

Mazeed Poetry K Liye,

Follow khan61 send 8001

 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo