Mujh Se Bichhar'r Ke Shehar Main Ghul Mil Gaya Wo Shakhs,Halanke Shehar Bhar Se Adawat Use Bhi Thi



Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho, Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho


Poet Aetbaar Sajid

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho,

Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho,

Kisi K Khaal-O-Khadd Mein Apne Khaal-O-Khadd Nazar Aaein,

Safar Chaahe Kahein Ka Ho

Rafaaqat Ho To Aish Ho,

Wo Baam-O-Dar Hon Aise Jin Mein Apna Pan Nazar Aaye,

Jo Apne Ghar Ki Chhat Jesi Ho,

Chhat Ho To Aisi Ho,

Mujhe Kanta Chubhe Aur Teri Aankhon Se Lahoo Tapke,

Taluq Ho To Aisa Ho,

Mohabbat Ho To Aisi Ho,

Yahi Mehsoos Ho Jese Kai Sadiyaan Guzaari Hain,

Faqat Ik Pal Ki Furqat Mein,

Aziyet Ho To Aisi Ho,

Kisi K Haal Par Roein Dar-O-Baam-E-Adaalat Bhi,

Sadaaqat Ho To Aisi Ho,

Wakaalat Ho To Aisi Ho...................*

 

Ab To Ghabra Ke Ye Kehtay Hain Keh Mar Jaein Gy Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Jaein Gy


 Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Type By

*.__NOMI__.*

Ab To Ghabra Ke Ye Kehtay Hain Keh Mar Jaein Gy

Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Jaein Gy


Tum Ne Thahrai Agar Ghair Ke Ghar Jaane Ki

To Irade Yahan Kuchh Aur Thahar Jaein Gy


Hum Nahin Wo Jo Karein Khoon Ka Dawa Tujh Par

Balke Poochhe Ga Khuda Bhi To Mukar Jaein Gy


Aag Dozakh Ki Bhi Ho Jaye Gi Paani Paani

Jab Ye Aasi Arq-E-Sharam Se Tar Jaein Gy


Sholaa-E-Aah Ko Bijli Ki Tarah Chamkaon

Par Mujhe Dar Hai, Keh Wo Dekh Kar Dar Jaein Gy


Laaye Jo Mast Hain Turbat Pe Gulaabi Aankhein

Aur Agar Kuchh Nahin Do Phool To Dhar Jaein Gy


Nahin Paaye Ga Nishaan Koi Humara Hargiz

Hum Jahan Se Rawish-E-Teer-E-Nazar Jaein Gy


Puhonchein Gy Raahguzar-E-Yaar Talak Hum Kyon Kar

Pehle Jab Tak Na Do Aalam Se Guzar Jaein Gy


"Zauq" Jo Madrase Ke Bigr'rhay Hoe Hain Mullah

Un Ko Maikhaane Mein Le Aao Sanwar Jaein Gy..........!


Darya-E-Ashk Chashm Se Jis Aan Beh Gaya Sun Leejiyo Keh Arsh Ka Aiwaan Beh Gaya

 

Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Type By

*.__NOMI__.*

Darya-E-Ashk Chashm Se Jis Aan  Beh Gaya

Sun Leejiyo Keh Arsh Ka Aiwaan Beh Gaya

Zaahid Sharaab Peene Se Kaafir Hoa Main Kyon

Kya Der'rh Chulo Paani Main Emaan Beh Gaya

Yun Roye Phoot Phoot Ke Paaon Ke Aable

Naala Sa Ek Soo-E-Bayabaan Beh Gaya

Kashti Sawaar-E-Umar Hoon Bahr-E-Fanaa Mein Main

Jis Dam Bahaa Ke Le Gaya Toofaan Beh Gaya

Tha "Zauq" Pehle Dilli Main Punjaab Ka Sa Husn

Par Ab Wo Paani Kehte Hain Multan Beh Gaya.........!

Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hoi Rakhe Gi Ye Na Baal Barabar Lagi Hoi


Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Type By

*.__NOMI__.*

Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hoi

Rakhe Gi Ye Na Baal Barabar Lagi Hoi


Bhaithe Bhare Hoe Hain Khum-E-Mai Ki Tarah Hum

Par Kya Karen Keh Muhar Hai Monah Par Lagi Hoi


Mayyat Ko Ghusal Deejo Na Khaak-Saar Ki

Hai Tan Pe Khaak-E-Kocha-E-Dilbar Lagi Hoi


Nekle Hai Kab Kisi Se Bhi Us Ki Mizha Ki Nok

Hai Phaans Si Kaleje Ke Andar Lagi Hoi


Ay "Zauq" Dekh Dukhtar-E-Raaz Ko Na Munah Laga

Chut'ti Nahi Hai Monah Se Ye Kaafir Lagi Hoi............!


Kal Gaye The Tum Jise Bemaar-E-Hijraan Chor'r Kar, Chal Basa Wo Aaj Sab Hasti Ka Saamaan Cor'r Kar


Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Type By

*.__NOMI__.*

Kal Gaye The Tum Jise  Bemaar-E-Hijraan Chor'r Kar,

Chal Basa Wo Aaj Sab Hasti Ka Saamaan Cor'r Kar,


Tifl-E-Ashk Aisa Gira Daman-E-Mizshagaan Chor'r Kar,

Phir Na Utha Kocha-E-Chaak-E-Grebaan Chor'r Kar;


Sard-Mehri Se Kisi Ki Aag Se Dil Sard Hai,

Yahan Se Hat Jaa Dhoop Ai Abr-E-Baharaan Chor'r Kar,


Gar Khuda Dewe Qina'at Maah-E-Yak-Hafta Ki Tarah,

Daude Saari Ko Kabhi Aadhi Na Insaan Chor'r Kar.....!


EID MUBARAK

عید کا دن ہے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ گلے آج تو مل لے ظالم
رسم دنیا بھی ہے موقع بھی ہے دستور بھی ہے

(¯`'•.¸ ¸.•'´¯)

(_¸.•'´ `'•.¸_) 

EID MUBARAK

 (¯`'•.¸ ¸.•'´¯)  

(_¸.•'´ `'•.¸_) 

To you & your Family. 

 (¯`'•.¸ ¸.•'´¯)  

(_¸.•'´ `'•.¸_)

 Regards:

 (¯`'•.¸ ¸.•'´¯)  

(_¸.•'´ `'•.¸_)

*.__NOMI__.*

            (¯`'•.¸ ¸.•'´¯)  

            (_¸.•'´ `'•.¸_) 


Kuch Aise Dost Bhi Hain Meri Nigaah Mein QATEEL,Keh Mujh Ko Baaz Rakhein Jis Se Khud Usi Pe Marein




Aaghaaz-E-Ishq To Khoob Tha Anjaam Kya Kahon Pehle To Thi Dil Lagi,Ab Dil Ko Ja Lagi


Aaghaaz-E-Ishq To Khoob Tha Anjaam Kya Kahon

Pehle To Thi Dil Lagi,Ab Dil Ko Ja Lagi................!


Tujh Se Bichhrha To Murjha Ke Hawa Burd Huwa,Kon Deta Mujhe Khilne Ki Dua Tere Baad


تُجھ ﺳﮯ ﺑِﭽﮭﮍﺍ ﺗﻮ ، ﻣُﺮﺟﮭﺎ ﮐﮯ ھﻮﺍ ﺑُﺮﺩ ھُﻮﺍ
ﮐﻮﻥ ﺩﯾﺘﺎ ﻣﺠﮭﮯ ﮐِﮭﻠﻨﮯ ﮐﯽ ﺩُﻋﺎ ، ﺗﯿﺮﮮ ﺑﻌﺪ ؟

مُحسن نقوی


Kehna Hi Parrha Unko Ye Khat Parrh Ke Humara,Kambakht Ki Har Baat Muhabbat Se Bhari Hai


ﮐﮩﻨﺎ ﮨﯽ ﭘﮍﺍ ﺍﻥ ﮐﻮ ﯾﮧ ﺧﻂ ﭘﮍﮪ ﮐﮯ ﮨﻤﺎﺭﺍ

 ﮐﻤﺒﺨﺖ ﮐﯽ ﮨﺮ ﺑﺎﺕ ﻣﺤﺒﺖ ﺳﮯ ﺑﮭﺮﯼ ﮨﮯ


Kia Mujhe EID Manane Ka Haq Nahi??????


کیا مجھے عید منانے کا حق نہیں۔۔۔۔؟
کیا دوسرے بچوں کی طرح مجھے کوئی عیدی دیگا ۔؟
کیا مجھے نئے کپڑے پہننے کا حق نہیں۔۔؟
کیا میرے لیے بھی عید ہے ۔؟
کاش آج عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ زندہ ہوتے ۔۔۔۔۔۔


Kaho Kaise Guzarti Hai?


کہو کیسے گزرتی ہے ؟؟
تمھاری زندگی پاگل
سنا ہے اب تو عیدیں بھی
وہ پہلی سی نہیں کرتے
کسی کے گھر نہیں جاتے
کسی سے بھی نہیں ملتے
کسی کی اک نہیں سنتے
کسی سے کچھ نہیں کہتے
نہ کوئی "گفٹ" لیتے ہو
نہ کوئی "گفٹ" دیتے ہو
کبھی کھل کر نہ ہنستے ہو
کبھی کھل کر نہ روتے ہو
بہت بے کل، بہت اپسٹ، بہت بے چین ہوتے ہو
سنا ہے چاند راتوں میں
بہت بے موڈ دکھتے ہو
وہ کاغذ پھاڑ دیتے ہو
کسی کے واستے جن پر
بہت سے شعر لکھتے ہو
نہ جیتے ہو نہ مرتے ہو
سنو........ یہ زندگی پاگل
بسر کس طرح کرتے ہو
کہو کیسے گزرتی ہے


Barrh Gai Hai Un K Aa Jane Se Shan-E-Roz-E-Eid, Aasmaan Par Hai Dimaagh-E-Rutba-Daan-E-Roz-E-Eid

Poet Hasrat Mohani

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Barrh Gai Hai Un K Aa Jane Se Shan-E-Roz-E-Eid,

Aasmaan Par Hai Dimaagh-E-Rutba-Daan-E-Roz-E-Eid,

Ho Raha Hai Mezbaan Mahoo-E-Tamasha-E-Jamal,

Mehmaan Be Khudi Hai Mehmaan-E-Roz-E-Eid,

Be Qarari Apni Kar Doon Un Ki Shokhi Par Nisaar,

Aur Aakhir Kia Unhein Doon Armughan-E-Roz-E-Eid,

Wo Haya Parwar Mila Kis Tarah Mujh Se Kia Kahon ?

Be Khudi Afza Hai Ya'ani Dastaan-E-Roz-E-Eid,

Be Rukhi Hai Aaj Ki Risam-E-Marwat Se Baeed,

Kuch To Kar Ay Heela Jo Paas-E-Nishaan-E-Roz-E-Eid,

Hoon Khayal-E-Khatir Ahbaab Se Zahir Mein Khush,

Warna Main Mehjoor Aur Khush Hoon Miaan-E-Roz-E-Eid,

Khatir-E-Ghamdeedah-E-HASRAT Hai Mahoo-E-Gham-E-Hanooz,

Kar Chuke Hain Baar'Ha Hum Imtihaan-E-Roz-E-Eid....................*

Chal Ay Gham-E-Dawraan Dar Maiy Khana Hai Nazdeek,Aaraam Se Bhaiten Gy Zara Baat Karen Gy


چل اے غمِ دوراں !! درِ مئے خانہ ھے نزدیک
آرام سے بیٹھیں گے ، ذرا بات کریں گے


Aankh Purnam Hai Hawa Se Keh Do, Eid Aa Rahi Hai Aashna Se Keh Do


Aashna Se Keh Do

Poet Ayaz Khan

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

Aankh Purnam Hai Hawa Se Keh Do,

Eid Aa Rahi Hai Aashna Se Keh Do,

Mere Dil Par Khizan Ka Mosam Hai,

Roth Chuki Bahaaren Fiza Se Keh Do,

Abhi To Hai Ragon Mein Jafa Baqi,

Kahen To Melo Mujhe Wafa Se Keh Do,

Nahi Rahi Umeed Ab Humein Wafa Ki,

Nahi Jeena Hai Aur Qaza Se Keh Do,

Raha Raaz-E-Ishq Raaz Hi Ab Tak AYAZ,

Hum Na Samjhe Ye Raaz Daan Se Keh Do...!


Sisakti Rutt Ko Mehkta Gulab Kar Don Ga, Main Es Bahar Mein Sab Ka Hisab Kar Don Ga


Poet Atish Aaheer

Sisakti Rutt Ko Mehkta Gulab Kar Don Ga,

Main Es Bahar Mein Sab Ka Hisab Kar Don Ga,

Main Intazar Mein Hon To Koi Sawal To Kar,

Yaqeen Rakh Main Tujhe La Jawab Kar Don Ga,

Hazar Pardon Mein Khud Ko Chupa K Beth Magar,

Tujhe Kabhi Na Kabhi Benaqab Kar Don Ga,

Mujhe Bharosa Hai Apne Lahoo K Qatron Pe,

Main Neze Neze Ko Shakh-E-Gulab Kar Don Ga,

Mujhe Yaqeen Hai K Mehfil Ki Roshni Hon Main,

Unhain Ye Khouf K Mehfil Kharab Kar Don Ga,

Mujhe Gilas K Andar Hi Qaid Rakh Warna,

Main Sare Shehr Ka Pani Sharab kar Don Ga,

ATISH

Mahjabeen Se Kaho Thora Intazar Karein,

Sharab Khane Se Aa Kar Hisab Kar Don Ga...............*


Ku Imkaan Darsara Vi Akhtar Ta Rasha,Yaadavi Khpal Pradi Akhtar Ta Rasha (Pushto)



Eid Aai Mera Yaar Nain Aaya,RABA Khair Howe Aohde Dam Di


عید آئی میرا یار نئیں آیا
ربّا خیر ھووے اوہدے دَم دی
ہار , شنگھار نہ چَنگے لگ دے
کِسے چیز تے نظر نہ جَم دی
خوشیاں والئیاں نیندر نہ آوے
تے میں رات گزاراں غم دی
یار ملے تاں میں "عید " مناواں
بِنا یار دے "عید " نہ کَم دی


Koi Yousaf Nahi Is Shehr Main Taabeer Jo Day Khuwaab Aatay Hain Zulaikha Ko Na Jaane Kya Kya


کوئی یُوسف نہیں اس شہر میں تعبیر جو دے

 خواب آتے ہیں زلیخا کو نا جانے کیا کیا

 

Koi Yousaf Nahi Is Shehr Main Taabeer Jo Day

Khuwaab Aatay Hain Zulaikha Ko Na Jaane Kya Kya


Phir Khol Raha Hoon Kitaab-E-EID, Na Mukamal Hai Ye Nasaab-E-EID


 Eid Collection-2015

Poet:Ayaz Khan

Type By

*._Ayaz_Khan_.*

Phir Khol Raha Hoon Kitaab-E-EID,

Na Mukamal Hai Ye Nasaab-E-EID,

EID Ka Chaand Dekh Kar Mujh Ko,

Yaad Aata Hai Wo Mehtaab-E-EID,

Tere Aane Ki Umeed Nahi Dil Ko,

Barra Mushkil Hai Ye iztaraab-E-EID,

Toote Howe Dil Ko Jorrna Kar-E-Khair Hai,

Kuch To Aap Bhi Lo Sanam Sawaab-E-EID,

Khud Ko Tere Pehlu Mein Dekhta Hon Aksar,

Zulmi Bara Dilkash Hai Ye Khawaab-E-EID........!


Jalti Shamaein Roshan Cheharay, Kamni Larriyan, Nazuk Seharay, Nargis Baila Muatiya Lala, Johi Champa, Aur Banafsa,

SAALGIRAAH

Poet Khalil Ullah Farooqi

Type By
*_FAROOQI.54_*

Jalti Shamaein Roshan Cheharay,

Kamni Larriyan,
Nazuk Seharay,

Nargis Baila Muatiya Lala,

Johi Champa,
Aur Banafsa,

Har Koi Yahan Shad Hay Naa,

Aaj Tumhari Saalgirah Hay,

Daikho Hum Ko Yaad Hay Naa,

Hum To Sirf Duagoo Log,

Khak-O-Mehar Ka Kaya Sanjog,

Pas Rahein Ya Door Rahein,

Wehshat Say Ranjoor Rahein,

Mehfil To Aabad Hay Naa,

Aaj Tumhari Saalgirah Hay,

Tarak-E-Taluq Khoob Kia,

Dil Par Kari Waar Saha,

Noch Di Konpal Chahat Ki,

Aas Na Rakhi Rahat Ki,

Dil Mahou-E-Faryad Hay Naa,

Aaj Tumhari Saalgirah Hay,

Kaisay Kaisay Khawab Bunay,

Rang-Ba-Rangay Phool Chunay,

Saalgirah Ka Cake Kattay Ga,

Un K Hath Pay Hath Rahay Ga,

Khawab Har Ik Barbaad Hay Naa,

Aaj Tumhari Saalgirah Hay Naa,

Daikho Hum Ko Yaad Hay Naa...................!

Main ragg-e-jaan ka laho day k b poray krta Mery hathon say agr usko khsaray hoty

 

Main ragg-e-jaan ka laho day k b poray krta

Mery hathon say agr usko khsaray hoty

Khud se fursat hi mayasar nai ati warna

Hum kisi aur k hoty to tumhry hoty

 

Ye Meri Aarzoo Thi Keh Meri Takmeel Tum Karte

 

یہ میری آرزو تھی کہ

 میری تکمیل تم کرتے
محبت میں, سفر کی ابتدا سے انتہاؤں تک
کوئی بھی مرحلہ آۓ,
میرے ہر خواب کی, ہر سوچ کی,
تعمیل تم کرتے,
میرے سونے سے جیون میں
دھنک رنگ ساری دنیا کے,
سدا تحلیل تم کرتے,
میری آنکھوں میں ہر دم ہیں,
تمہارے نام کے پیغام,
مجھے تکتے ہوۓ ہر دم,
ہر اک پیغام کی ہمدم
فقط ترسیل تم کرتے,
مگر جو مجھ پہ گزری ہے
وہ میں نے کب کہا تھا کہ
محبت کے سفر میں,
بیچ دوراہے میں لے جا کر,
مجھے تم چھوڑ دیتے یوں,
میری تحقیر تم کرتے
میری تذلیل تم کرتے...!

 

Nazar Fareb-E-Qaza Kha Gai To Kya Hoga

نظر فریبِ قضا کھا گئی تو کیا ہوگا
حیات موت سے ٹکرا گئی تو کیا ہوگا
نئی سحر کے بہت لوگ منتظر ہیں مگر
نئی سحر بھی کجلا گئی تو کیا ہوگا
نہ رہنماؤں کی مجلس میں لے چلو مجھے
میں بے ادب ہوں ہنسی آگئی تو کیا ہوگا
غمِ حیات سے بے شک ہے خود کشی آسان
مگر جو موت بھی شرما گئی تو کیا ہوگا
شبابِ لالہ و گل کو پکارنے والو!
خزاں سرشتِ بہار آگئی تو کیا ہوگا
یہ فکر کر کے اس آسودگی کے ڈھوک میں
تیری خودی کو بھی موت آگئی تو کیا ہوگا
خوشی چھنی ہے تو غم کا بھی اعتماد نہ کر
جو روح غم سے بھی اکتا گئی تو کیا ہوگا

Mere Rashk-E-Qamar Tu Ne Pehli Nazar Jab Nazar Se Milai Maza Aa Gaya

میرے رشکِ قمر تُو نے پہلی نظر، جب نظر سے ملائی مزا آ گیا
میرے رشکِ قمر تُو نے پہلی نظر، جب نظر سے ملائی مزا آ گیا
برق سی گر گئی، کام ہی کر گئی، آگ ایسی لگائی مزا گیا
جام میں گھول کر حُسن کی مستیاں، چاندنی مسکرائی مزا آ گیا
چاند کے سائے میں اے مِرے ساقیا! تُو نے ایسی پلائی مزا آ گیا
نشہ شیشے میں انگڑائی لینے لگا، بزمِ رِنداں میں ساغر کھنکنے لگے
مئے کدے پہ برسنے لگیں مستیاں، جب گھٹا گر کے چھائی مزا آ گیا
بے حجابانہ وہ سامنے آ گئے، اور جوانی جوانی سے ٹکرا گئی
آنکھ ان کی لڑی یُوں میری آنکھ سے، دیکھ کر یہ لڑائی مزا آ گیا
شیخ صاحب کا اِیمان بہک گیا، دیکھ کر حُسنِ ساقی پگھل ہی گیا
آج سے پہلے یہ کتنے مغرور تھے، لُٹ گئی پارسائی مزا آ گیا
آنکھ میں تھی حیا ہر ملاقات پر، سُرخ عارض ہوئے وصل کی بات پر
اس نے شرما کے میرے سوالات پہ، ایسے گردن جُھکائی مزا آ گیا
اے" فنا" شکر ہے آج بعدِ فنا، اُس نے رکھ لی میرے پیار کی آبرُو
اپنے ہاتھوں سے اُس نے مری قبر پہ، چادرِ گُل چڑھائی مزا آ گیا

Ay Paikar


اے پیکرِ ___ محبوبی میں کیسے تحھے دیکھوں ...!!!

جس نے تجھے دیکھا...!!!...ہے وہ دیدہء__ حیراں ہے


Kon Kehta Hai Mere Dais Mein Karobaar Mande Parr Gaye Hain?


ﮐﻮﻥ ﮐﮩﺘﺎ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﯾﺲ ﻣﯿﮟ ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭ
ﻣﻨﺪﮮ ﭘﮍ ﮔﺌﮯ ﮨﯿﮟ؟۔
ﻣﯿﮟ ﯾﮩﺎﮞ ﮔﺮﺩﮦ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﮔﺮﺩﮦ
ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ۔
ﻋﻮﺭﺕ ﮐﯽ ﻋﺰﺕ ﮐﯿﺎ ﭼﯿﺰ ﮨﮯ
ﭘﻮﺭﯼ ﻋﻮﺭﺕ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻋﻮﺭﺕ
ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﻥ،
ﻣﯿﮟ ﻭﻭﭦ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻭﻭﭦ ﺧﺮﯾﺪ
ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ،
ﻣﯿﮟ ﺑﭽﮯ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺑﭽﮯ ﺧﺮﯾﺪ
ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ،
ﻣﯿﮟ ﻓﺘﻮﯼٰ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻓﺘﻮﯼٰ ﺧﺮﯾﺪ
ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ۔
ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺑﯿﭻ
ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ،
ﯾﮩﺎﮞ ﺟﺞ ﺑﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﻭﮐﯿﻞ ﺑﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ،
ﯾﮩﺎﮞ ﻋﻠﻢ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺩﯾﻦ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ۔،
ﯾﮩﺎﮞ ﺗﻼﻭﺕ ﮐﮯ ﺩﺍﻡ ﻣﻠﺘﮯ ﮨﯿﮟ
ﯾﮩﺎﮞ ﻧﻌﺘﯿﮟ ﺑﯿﭽﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ۔
ﯾﮩﺎﮞ ﺷﺎﻋﺮ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﻟﻔﻆ ﮐﺎ ﺑﮭﺎﺅ
ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ
ﯾﮩﺎﮞ ﺍﺩﯾﺐ ﮐﮯ ﮬﺮ ﭘﯿﺮﮮ ﻓﻘﺮﮮ ﮐﯽ
ﺍﻟﮓ ﺍﻟﮓ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ۔
ﯾﮩﺎﮞ ﺧﻮﻥ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺳﮑﻮﻥ ﺑﮑﺘﺎ
ﮨﮯ۔
ﯾﮩﺎﮞ ﺟﮭﻮﭦ ﺑﻮﻟﻨﮯ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻭﺻﻮﻝ
ﮐﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ
ﯾﮩﺎﮞ ﺳﭻ ﺑﮭﯽ ﺍﭼﮭﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﭘﺮ ﻧﯿﻼﻡ
ﮨﻮﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ۔
(ﯾﮩﺎﮞ ﺑﺎﭖ ﺑﯿﭩﮯ ﺳﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﭘﺮﻭﺭﺵ
ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﯿﺘﺎ ﮨﮯ
ﯾﮩﺎﮞ ﺑﯿﭩﺎ ﺑﺎﭖ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺧﺪﻣﺘﻮﮞ ﮐﮯ
ﺭﻭﭘﮯ ﮐﮭﺮﮮ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ،)
ﯾﮩﺎﮞ ﺷﺮﺍﻓﺖ ﺑﮭﯽ ﺁﭖ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﮯ
ﮨﯿﮟ
ﯾﮩﺎﮞ ﺭﺳﻮﺍﺋﯽ ﺑﺪﻧﺎﻣﯽ ﮐﯽ ﺑﮭﯽ ﻣﻨﮧ
ﻣﺎﻧﮕﯽ ﺭﻗﻢ ﻣﺎﻧﮕﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ۔
ﯾﮩﺎﮞ ﮬﺮ ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭﯼ ﺟﻠﺪﯼ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ ﮐﮧ
ﺍﺳﮯ ﺧﺮﯾﺪﻧﮯ ﮐﮯ ﻓﻮﺭﺍ " ﺑﻌﺪ ﮐﭽﮫ ﺑﯿﭽﻨﺎ
ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ۔
ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﯾﺪﺍﺭ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﯾﺪﺍﺭ،
ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺩﮐﺎﻧﺪﺍﺭ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺩﮐﺎﻧﺪﺍﺭ،
ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭ ﮐﺎ ﺍﯾﺴﺎ ﺟﻤﻌﮧ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺟﺲ ﮐﺎ
ﮨﻔﺘﮧ ﺍﺗﻮﺍﺭ ﮐﺒﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﺎ۔
ﯾﮩﺎﮞ ﻋﺒﺎﺩﺗﻮﮞ ﮐﺎ ﺑﮭﯽ ﭘﺮﻭﺭﺩﮔﺎﺭ ﺳﮯ
ﺳﻮﺩﺍ ﻃﮯ ﮐﺮ ﻟﯿﺎ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ۔
ﺍﺗﻨﺎ ﺩﮮ ﮔﺎ ﺗﻮ ﺍﺗﻨﮯ ﻧﻔﻞ ﭘﮍﮬﻮﮞ ﮔﺎ۔ ﺍﺗﻨﺎ
ﻣﻨﺎﻓﻊ ﮨﻮﺍ ﺗﻮ ﺍﺗﻨﮯ ﺭﻭﺯﮮ ﺭﮐﮭﻮﮞ ﮔﺎ۔
ﻣﺴﺠﺪ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ ﻣﻨﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ
ﭼﺮﭺ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ ﺩﺭﺑﺎﺭﻭﮞ ﭘﺮ
ﺳﻮﺩﮮ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔


Ay Ranj Bhari Shaam


"ﺍﮮ ﺭﻧﺞ ﺑﮭﺮﯼ ﺷﺎﻡ"
ﭘﺮﻭﯾﻦ ﺷﺎﮐﺮ

ﺩﮬﻠﯿﺰِ ﺳﻤﺎﻋﺖ ﭘﮧ ﮐِﺴﯽ ﻭﻋﺪﮮ ﮐﯽ ﺁﮨﭧ ﺍُﺗﺮﮮ ﮐﮧ ﻧﮧ
ﺍُﺗﺮﮮ
ﺍﮮ ﺭﻧﺞ ﺑﮭﺮﯼ ﺷﺎﻡ!
ﺩُﮐﮭﺘﮯ ﮬﻮُﺋﮯ ﺩﻝ ﭘﺮ
ﮐﻮﺋﯽ ﺁﮨﺴﺘﮧ ﺳﮯ ﺁ ﮐﺮ
ﺍِﮎ ﺣﺮﻑِ ﺗﺴﻠﯽ ﺗﻮ ﺭﮐﮭﮯ، ﭘُﮭﻮﻝ ﮐﯽ ﻣﺎﻧﻨﺪ


Khushbo Hai,Dhanak Hai,Chaandni Hai


خوشبو ھے ، دھنک ھے , چاندنی ھے
وہ ، اچھے دِنوں کی شاعری ھے
بھیگے ھوئے پھُول , حرف اُس کے
رِم جِھم کی زباں میں بولتی ھے
ھاتوں میں تھکن ھے , شام جیسی
لہجے میں سَحر کی تازگی ھے
یہ اُس کی صدا کا بھولپن ھے
یا شمعِ سخن پگھل رھی ھے؟
چہرے پہ حیا کا روپ جیسے
دریا میں شفق سی گھُل گئی ھے
آنکھوں میں گلاب کھِل رھے ھیں
کیا جانے وہ کب سے جاگتی ھے؟
برسا ھے خمار چاندنی کا
یا اُس کی جبیں دَمک اُٹھی ھے؟
کیا جانے وہ کیسے مُسکرائی؟
ھیرے سے کرن سی چھَن پڑی ھے۔
چہرے پہ بکھر کے زُلف اُس کی
سوُرج سے خراج مانگتی ھے
وہ محوِ خرام یوں ھے ، جیسے
اِک شاخ ھوا سے کھیلتی ھے
پَل بھر کو سَرک گیا جو آنچل
کلیوں کی طرح سمٹ گئی ھے
پرواہ ھی نہیں اُسے کسی کی
اپنے آپ سے وہ کتنی اجنبی ھے
آئینہ ھی دیکھتا ھے اُس کو
آئینہ کہاں وہ دیکھتی ھے؟
وہ غنچہ دَھن ”سکوت زادی“
کُھلنے پہ بھی کم ھی بولتی ھے
میں اُس کے بغیر کچھ نہ سوچوں
شاید وہ یہ بات سوچتی ھے
میں اُس کی انا کا بانکپن ھوں
وہ میری غزل کی دلکشی ھے
میں گرم رتوں کی لَو کا موسم
وہ سَرد رتوں کی سادگی ھے
اے خَلوتَیانِ مہ جبیناں !!
وہ آپ ھی اپنی آگہی ھے۔
اے مُشتریانِ حُسنِ عالَم
وہ دونوں جہاں سے قیمتی ھے
سو بار میں اُس سے کھو چکا ھُوں
ھنستی ھُوئی ، پھر سے مِل گئی ھے
میں اُس کی رفاقتوں پہ نازاں
محسن ، وہ غرورِ دوستی ھے
 

محسن نقوی


Aap Se Arz Mulaqaat Nai Baat Nahi


آپ سے عرض ملاقات ، نئی بات نہیں
ھے مرے لب پہ وھی بات ، نئی بات نہیں
دل بے تاب یہ ھلچل یہ قیامت کیسی ؟؟
آج کچھ ان سے ملاقات ، نئی بات نہیں
آپ آ جائیں تو , رِم جِھم کی صدا ناچ اُٹھے
ورنہ یہ رات یہ برسات ، نئی بات نہیں
ھے یہی فرقۂ اربابِ وفا کا مقسُوم
یہ پریشانئ حالات ، نئی بات نہیں
سیف !! اندازِ بیاں ، رنگ بدل دیتا ھے
ورنہ دنیا میں کوئی بات ، نئی بات نہیں 

سیف الدین سیف


Wo Karen Bhi To Kin Alfaaz Main Tera Shikwa


وہ کریں بھی تو , کن الفاظ میں تیرا شکوہ
جن کو تیری , نگاہِ لطف نے برباد کیا.


Kaho Kaise Guzarti Hai??


کہو کیسے گزرتی ہے ؟؟
تمھاری زندگی پاگل
سنا ہے اب تو عیدیں بھی
وہ پہلی سی نہیں کرتے
کسی کے گھر نہیں جاتے
کسی سے بھی نہیں ملتے
کسی کی اک نہیں سنتے
کسی سے کچھ نہیں کہتے
نہ کوئی "گفٹ" لیتے ہو
نہ کوئی "گفٹ" دیتے ہو
کبھی کھل کر نہ ہنستے ہو
کبھی کھل کر نہ روتے ہو
بہت بے کل، بہت اپسٹ، بہت بے چین ہوتے ہو
سنا ہے چاند راتوں میں
بہت بے موڈ دکھتے ہو
وہ کاغذ پھاڑ دیتے ہو
کسی کے واستے جن پر
بہت سے شعر لکھتے ہو
نہ جیتے ہو نہ مرتے ہو
سنو........ یہ زندگی پاگل
بسر کس طرح کرتے ہو
کہو کیسے گزرتی ہے


Suno Hum Dam

 





Kat Hi Gai Judai Bhi,Kab Ye Huwa Keh Mar Gaye


کٹ ھی گئی جدائی بھی ، کب یہ ھُوا کہ مر گئے
تیرے بھی دن گزر گئے ، میرے بھی دن گزر گئے
تو بھی کچھ اور، اور ھے ، ھم بھی کچھ اوراور ھیں
جانے وہ تو کدھر گیا ، جانے وہ ھم کدھر گئے
راھوں میں ملے تھے ھم ، راھیں نصیب بن گئیں
تو بھی نہ اپنے گھر گیا ، ھم بھی نہ اپنے گھر گئے
وہ بھی غبارِ خاک تھا ، ھم بھی غبارِ خاک تھے
وہ بھی کہیں بکھر گیا ، ھم بھی کہیں بکھر گئے
کوئی کنارِآبِ جو ، بیٹھا ھُوا ھے سرنگوں
کشتی کدھر چلی گئی ، جانے کدھر بھنور گئے
تیرے لیے چلے تھے ھم ، تیرے لیے ٹھہر گئے
تو نے کہا تو جی اٹھے ، تو نے کہا تو مر گئے
وقت ھی کچھ جُدائی کا ، اتنا طویل ھو گیا
دل میں تیرے وصال کے ، جتنے تھے زخم بھر گئے
بارش وصل وہ ھُوئی ، سارا غبار دُھل گیا
وہ بھی نکھر نکھر گیا، ھم بھی نکھر نکھر گئے
اتنے قریب ھو گئے، اتنے رقیب ھو گئے
وہ بھی عدیم ڈر گیا ، ھم بھی عدیم ڈر گئے

عدیم ھاشمی


Mein Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz. Mujhe Milla Nahi Wo Muqam Jis Pe Howe Mard Faaiz


Poet Ayaz Khan

Typ By

*.__Ayaz Khan__.*

Mein Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz.

Mujhe Milla Nahi Wo Muqam Jis Pe Howe Mard Faaiz.

Main Aaj Bhi Qaid Hon, Muqadr Meri Tanhaiyaan.

Izat Lutti Hai Meri Milti Hain Mujhe Ruswaiyaan.

Mard Zaat Ne Bana Rakha Hai Mujhe Khillona.

Kabhi Pair Ki Juti Kabhi Bestar Ka Bechona.

Sadiyon Se Meri Izat Hoti Rahi Taar Taar.

Main Roti Rahi Par Suni Na Meri Kisi Ne Pukaar.

Kabhi Rajaoon Ki Rahi Kaneez Kabhi Mandaroon Ki Dasi.

Mere Dil Mein Rahen Hasraten Aur Meri Roh Rahi Piyasi.

Kab Mile Gi Mujhe Rasam-O-Riwaaj Se Aazaadi.?

Ya Dulat K Liye Hoti Rahe Gi Meri Quran Se Shaadi.?

Main Ourat Zaat Hon Aur Beqasoor Hon.

Mein Ourat Hon Shayad is Liye Majboor Hon..!


Qadmoon Main Bhi Thakaan Thi,Ghar Bhi Qareeb Tha, Par Kiya Karein Keh Ab Ke Safar Hi Ajeeb Tha

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Qadmoon Main Bhi Thakaan Thi,Ghar Bhi Qareeb Tha,

Par Kiya Karein Keh Ab Ke Safar Hi Ajeeb Tha,

Nikle Agar To Chaand Dareeche Main Ruk Bhi Jaaye,

Es Shehar-E-Be-Chiraagh Main Kis Ka Naseeb Tha,

Aandhi Ne Un Rutoon Ko Bhi Taaj Kar Diya,

Jin Ka Kabhi Humsaa Parinda Naseeb Tha,

Kuch Apne Aap Se Hi Ose Kashmash Na Thi,

Mujh Main Bhi Koi Shakhs Osi Ka Raqeeb Tha,

Poochha Kisi Ne Mol To Hairaan Reh Gaya,

Apni Nigaah Main Koi Kitna Ghareeb Tha,

Maqtal Se Aane Wali Hawaa Ko Bhi Kab Mila,

Aisa Koi Dareechha Ke Jo Be-Saleeb Tha.......!

Book Name

Sad Barg

Page No 147

Hijar Ki Shab Ka Kisi Isim Se Katna Mushkil, Chaand Poora Hai To Phir Dard Ka Ghatna Mushkil,

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Hijar Ki Shab Ka Kisi Isim Se Katna Mushkil,

Chaand Poora Hai To Phir Dard Ka Ghatna Mushkil,

Moja-E-Khawaab Hai Wo,Us Ke Thikaane Maa'loom,

Ab Gaya Hai To Ye Samjho Keh Palatna Mushkil,

Jin Darakhtoon Ki Jarrain Dil Main Utar Jati Hain,

Un Ka Aandhi Ki Daraanti Se Bhi Kaatna Mushkil,

Qoowat-E-Gham Hai Jo Es Tarha Sanbhale Hai Mujhe,

Warna Bikhroon Kisi Lamhe To Samatna Mushkil,

Es Se Milte Huwe Chehre Bhi Bohat Hone Lage,

Shehar Ke Shehar Se Ik Saath Namatna Mushkil,

Ab Ke BhiKhoshoon Pe Kuch Naam Thay Pehle Se Likhe,

Ab Ke Bhi Fasal Ka Dehqaanon Main Batna Mushkil.........!

Book Name

Sad Barg

Page No 102

 

Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho, Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho,


Poet Aetbaar Sajid

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho,

Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho,

Kisi K Khaal-O-Khadd Mein Apne Khaal-O-Khadd Nazar Aaein,

Safar Chaahe Kahein Ka Ho
Rafaaqat Ho To Aish Ho,

Wo Baam-O-Dar Hon Aise Jin Mein Apna Pan Nazar Aaye,

Jo Apne Ghar Ki Chhat Jesi Ho,
Chhat Ho To Aisi Ho,

Mujhe Kanta Chubhe Aur Teri Aankhon Se Lahoo Tapke,

Taluq Ho To Aisa Ho,
Mohabbat Ho To Aisi Ho,

Yahi Mehsoos Ho Jese Kai Sadiyaan Guzaari Hain,

Faqat Ik Pal Ki Furqat Mein,
Aziyet Ho To Aisi Ho,

Kisi K Haal Par Roein Dar-O-Baam-E-Adaalat Bhi,

Sadaaqat Ho To Aisi Ho,

Wakaalat Ho To Aisi Ho...................*


Huwe Mar Ke Hum Jo Russwaa,Huwe Kyun Na Gharq-E-Dariya


Poet:Mirza Asadullah Khan Ghalib

Huwe Mar Ke Hum Jo Russwaa,Huwe Kyun Na Gharq-E-Dariya?

Na Kabhi Janaza Uth'ta,Na Kahin Mazaar Hota........!


Soye Armaan Jagane Ko Chali Aati Hai, Eid Har Baar Rulane Ko Chali Aati Hai


Eid Collection

Poet Manaan Qadeer Manaan

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Soye Armaan Jagane Ko Chali Aati Hai,

Eid Har Baar Rulane Ko Chali Aati Hai,

Sabqa Eid K To Zakham Abhi Bharte Nahi,

Aur Naya Zakham Lagane Ko Chali Aati Hai,

Eid Ka Chaand Dikha Kar Mujhe Har Saal Ye Eid,

Mera Ghar Baar Lutaane Ko Chali Aati Hai,

Eid Khushiyon Ki Bashaarat Hai Magar Mere Liye,

Gham Ka Zindaan Sajaane Ko Chali Aati Hai,

Kitne Ghar Hon Ge Yahan Jin K Liye Eid Ki Raat,

Zeesat K Deep Bujhaane Ko Chali Aati Hai,

Eid Ka Chaand Talou Hota Hai Jab Teri Yaad,

Gham Ka Paighaan Sunaane Ko Chali Aati Hai,

Aisa Lagta Hai Keh Har Saal Koi Roothi Hui Muat,

Hum Ko MANAAN Manaane Ko Chali Aati Hai....................*

.

Book Hum Na Milte To Acha Tha,

Page No 78 79


Piro Diye Mere Aansoo Hawaa Ne Shakhoon Main, Bharam Bahaar Ka Baqi Rahe Nigaahoon Main


Poet:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Piro Diye Mere Aansoo Hawaa Ne Shakhoon Main,

Bharam Bahaar Ka Baqi Rahe Nigaahoon Main,

Saba To Kia Ke Mujhe Dhoop Tak Jaga Na Saki,

Kahan Ki Neend Utar Aai Hai In Aankhoon Main,

Kuch Itni Tezz Hai Surkhi Ke Dil Dharrakta Hai,

Kuch Aur Rang Pass-E-Rang Hai Gulaabon Main,

Superdgi Ka Nasha Tootne Nahi Paaya,

Anaa Samaai Huwi Hai Wafa Ki Banhoon Main,

Badan Pe Girti Chali Ja Rahi Hai Khuwaab Si Barf,

Khanak Sapedi Ghuli Ja Rahi Hai Saanson Main........!

Book Name

Sad Barg

Page No 20

 

Osi Tarha Se Har Ik Zakham Khushnamaa Daikhe, Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Haraa Bara Daikhe

Poet:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Osi Tarha Se Har Ik Zakham Khushnamaa Daikhe,

Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Haraa Bara Daikhe,

Guzar Gaye Hain Bohat Din Rafaqat-E-Shab Main,

Ik Umar Ho Gayi Chehra Wo Chand Sa Daikhe,

Mere Sakoot Se Jis Ko Gile Rahe Kia Kia,

Bichharrte Waqt Un Aankhoon Ka Bolna Daikhe,

Tere Sivaa Bhi Kayi Rang Khush Nazar Thay Magar,

Jo Tujh Ko Daikh Chuka Ho Wo Aur Kia Daikhe,

Bas Aik Rait Ka Zaraa Bacha Tha Aankhoon Main,

Abhi Talak Jo Musafir Ka Raasta Daikhe,

Osi Se Poochhe Koi Dasht Ki Rafaaqat-Jo,

Jab Aankh Khole,Pahaarron Ka Silsila Daikhe,

Tujhe Aziz Tha Aur Main Ne Us Ko Jeet Liya,

Meri Taraf Bhi To Ik Pal Tera Khuda Daikhe......!

Book Name

Sad Barg

Page No 159-160

 

Gair Lein Mehfil Main,Boose Jaam Ke, Hum Rahein Yun Tishna Lab Pegham Ke

 

Poet:Asadullah Khan Ghalib

Type By

*._.Murtaza._.*

Gair Lein Mehfil Main,Boose Jaam Ke,

Hum Rahein Yun Tishna Lab Pegham Ke,

Khastagi Ka Tum Se Kya Shikwa,

Keh Ye Hatkhande Hain Charaagh-E-Neeli Faam Ke,

Khat Lekhenge,Garche Matlab Kuch Na Kaho,

Hum To Aashiq Hain Tumhare Naam Ke,

Raat Pee Zamzam Pe Maiy,Aur Subah Dam,

Dhoye Dhabe Jaama-E-Ahraam Ke,

Dil Ko Aankhon Ne Phansaaya,Kya Magar,

Ye Bhi Halqe Hain Tumhare Daam Ke,

Shah Ke Hai Ghussil-E-Sehat Ki Khabar,

Daikhiye,Kab Din Phirein Hamaam Ke,

Ishq Ne "GHALIB" Nikama Kar Diya,

Warna Hum Bhi Aadmi Thay Kaam Ke.......!

Book Name

Deewan-E-Ghalib

Page No 204


Main Ne Kaha Khayaal-E-Wasl,Us Ne Kaha Keh Khuwaab Hai Main Ne Kaha Farogh-E-Husn,Us Ne Kaha Hijaab Hai

 

Poet:Suhail Kakorvi

Type By

*.__NOMI__.*

Main Ne Kaha Khayaal-E-Wasl,Us Ne Kaha Keh Khuwaab Hai

Main Ne Kaha Farogh-E-Husn,Us Ne Kaha Hijaab Hai

Main Ne Kaha Keh Baat Maan Chehre Ko Be-Naqaab Kar

Us Ne Kaha Keh Zid Na Kar Deed Ki Tujh Ko Taab Hai?

 

Main Ne Kaha Kharaab Hoon Gardash-E-Chashm-E-Mast Se

Us Ne Kaha Ke Raqs Kar Saara Jahan Kharaab Hai

 

Main Ne Kaha Keh Khabar Nahin Kyun Tujhe Kainaat Ki

Us Ne Kaha  Shabaab Ki Kaifiyat-E-Shabaab Hai

Main Ne Kaha Sukoon Nahin Gham Ki Siyaah Raat Mein

Us Ne Kaha Keh Fikar Kya,Jaam Hai Sharaab Hai

Main Ne Kaha Keh Ishq Ka Tum Ko Bhi Kuch Hai Tajruba

Us Ne Kaha Keh Ishq Kya,Ishq To Lajawaab Hai

 

Main Ne Kaha Keh Khuwaab Main Dekhe Hain Gaiso-E-Haseen

Us Ne Kaha Keh Zindagi Ab Teri Peech-O-Taab Hai

 

Main Ne Kaha "SUHAIL" Se Raaz-O-Niaz Khoob Hain

Us Ne Kaha Suhail Ka Ishq Hi Kaamyaab Hai................!

 

Agar Dard-E-Muhabbat Se Na Insaan Aashna Hota Na Kuch Marne Ka Gham Hota Na Jeene Ka Maza Hota

 

Poet:Brij Narayan Chakbast

Type By

*.__NOMI__.*

Agar Dard-E-Muhabbat Se Na Insaan Aashna Hota

Na Kuch Marne Ka Gham Hota Na Jeene Ka Maza Hota

Mai Gul Rang Lutiti,Yun Dar-E-Maikhaana Waa Hota

Na Peene Main Kami Hoti,Na Saaqi Se Gila Hota

Hazaaron Jaan Dete Hain Butoon Ki Bewafaai Par

Agar In Mein Se Koi Bawafa Hota Kia Hota

Agar Dam Bhar Bhi Mit Jaati Khalish Khaar-E-Tamanna Ki

Dil-E-Hasrat Talab Ko Apni Hasti Se Gila Hota

Ye Maana Be-Hijabana Nigaahein Qahar Karti Hain

Magar Husn-E-Hayaa Parwar Ka Aalam Dosra Hota......!

Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista


Poet:Ameer Minai

Type By

*.__NOMI__.*

Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista

Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista


Jawaan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda

Hayaa Yak-Lakht Aai Aur Shabaab Aahista Aahista


Shab-E-Furqat Ka Jaaga Hoon Farishto Ab To Sone Do

Kahein Fursat Main Kar Lena Hisaab Aahista Aahista


Sawaal-E-Wasl Par Un Ko Udoo Ka Khauf  Hai Itna

Dabe Hoonton Se Dete Hain Jawaab Aahista Aahista


Wo Bedardi Se Sar Kaatein "Ameer" Aur Main Kahon Un Se

Huzoor Aahista Aahista, Janaab Aahista Aahista...........!


Ye Kesa Muasam Chhaya Gulshan Pe Aandhi Lane Wala, Parwanon Ka Muasam Aaya Shamma K Gird Mandlane Wala

 

Eid K Pur Musrrat  Moqay Pe Ayaz Khan Paish Karte Hain Poetry Mein Apne Dil K Jazbaat

===========
Eid Collection
===========

Poet
Zulmi Ayaz
Khan

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Ye Kesa Muasam Chhaya Gulshan Pe Aandhi Lane Wala,

Parwanon Ka Muasam Aaya Shamma K Gird Mandlane Wala,

Titliyan Beth Gai Haathon Par,

Kitna Maahir Tha Us Ko Mehndi Lagane Wala,

Us Ne Zehar-E-Mohabbat Meri Ragon Mein Utara Rafta Rafta,

Kitna Zalim Tha Mujhe Apni Mohabbat Ka Aadi Banane Wala,

Phoolon Ne Qasan Khai Hai K Bahaar Mein,

Youn Hi Rahe Ga Gulshan Mein Khelne Wala,

Dard To Hota Hai Phoolon Ko Jab Shaakh Se Juda Hon,

Kitna Zalim Hai Gulcheen Shaakh Se Phool Tor'rne Wala,

Hai Kon Itna Maahir Jo Phoolon Ko Haathon Pe Naqash Kare Zulmi ?

Rooth Gaya Muasam Titliyon Ka Phoolon Pe Mandlane Wala..................*

Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri, Zindagi Shamma Ki Soorat Ho Khudaaya Meri

 

Poet:Allama Muhammad Iqbal

Type By

*._.Murtaza._.*

Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri,

Zindagi Shamma Ki Soorat Ho Khudaaya Meri,

Door Dunya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaaye,

Har Jagah Mere Chamakne Se Ujaala Ho Jaaye,

Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat,

Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat,

Zindagi Ho Meri Parwaane Ki Soorat Ya RAB,

Ilam Ki Shamma Se Ho Mujh Ko Muhabbat Ya RAB,

Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himaayat Karna,

Dardmandon Se Za'eefoon Se Muhabbat Karna,

Mere ALLAH Buraai Se Bachaana Mujh Ko,

Naik Jo Raah Hai Us Raah Pe Chalaana Mujh Ko...........!

Book Name

Bang-E-Dara

Page No 19

 

Khamosh Hai Chaandni Qamar Ki, Shaakhein Khaamosh Hain Har Shajar Ki,

Poet;Allama Muhammad Iqbal

Type By

*._.Murtaza._.*

Aik Shaam Darya-E-Neckar Hiedel Berg K Kinaare

Khamosh Hai Chaandni Qamar Ki,

Shaakhein Khaamosh Hain Har Shajar Ki,

Wadi K Nawa Firosh Khaamosh ,

Kuhsaar K Sabz Posh Khaamosh,

Fitrat Be Hosh Ho Gai Hai,

Aaghosh Main Shab K So Gai Hai,

Kuch Aisa Sakoot Ka Fusoon Hai,

Neckar Ka Kharaam Bhi Sukoon Hai,

Taaron Ka Khaamosh Kaarwaan Hai,

Ye Qafla Be Dara Rawaan Hai,

Khaamosh Hain Koh-O-Dasht-O-Dariya,

Qudrat Hai Muraaqibe Main Goya,

Ay Dil Too Bhi Khaamosh Ho Ja,

Aaghosh Main Gham Ko Le Ke So Ja.........?

Book Name 

Bang E Dara

Page No 96-97

 

Ik Khouf Hai,Ik Saaya Hai Veeran Sarrak Par, Aur Weham Mera Laaya Hai Veeran Sarrak Par


Poet:Farhat Abbas Shah

Type By

*._.Murtaza._.*

Ik Khouf Hai,Ik Saaya Hai Veeran Sarrak Par,

Aur Weham Mera Laaya Hai Veeran Sarrak Par,

Hai Door Talak Phela Huwa Shaam Ka Manzar,

Phir Chupke Se Tu Aaya Hai Veeran Sarrak Par,

Ik Jaal Sa Kumlaaye Huwe Beete Dino Ka,

Tanhai Ne Phelaaya Hai Veeran Sarrak Par,

Ik Yaad Si Lehraai Hai Aankhon Main Hamaare,

Ik Phool Kumlaaya Hai Veeran Sarrak Par,

Es Raah Se Guzre Ga Koi Qafla Shayad,

Jhanda Koi Lehraaya Hai Veeran Sarrak Par,

Lagta Hai Koi Kheench Ke Le Aata Hai Tujh Ko,

Aksar Hi Tujhe Paaya Hai Veeran Sarrak Par........!

Book Name

Hum Akele Hain Buhat

Page No 22-23


Da Ghurbat Qissa


غُربت

مونحٔ د ماښام وو
چې سلام وګرزېدو

پس د سلام نه يؤ سړے پاڅېدو
وئيل پښتنو! يوه خبره کوم،

ورته په قھر بل سړے ووئيل
تاسو د سوال نه سم روزګار جوړ کړے

په ھر مانحٔهٔ کښې خامخا يؤ پاڅی
څهٔ عجيبه شانې بھانه جوړه کړی

لا کله کله پکښې وژاړی څوک
لږ خو ھمت اؤ مزدوری ھم کوئ

بې غېرتۍ درباندې زور کړے دے
په لاسو پښو اؤ صحت ښهٔ روغ يئ

اخر تهٔ کومې مجبورۍ راوستې
ستا به کار وشی په دې لسو روپيو ؟

څهٔ يوه ورحٔ يوه پېره خو نهٔ ده
تاسو ترې حٔان له سم روزګار جوړ کړے

روره زهٔ سوال څهٔ د پېسو نهٔ کوم
ما د غربت نه خلاص کړئ

بس دے نور تنګ شومه په دې ژوندانهٔ
پردے وطن دے درې کوړمې لرمه

يوازې تن باندې زهٔ څهٔ وکړمه
زما دوه وروڼه په کابل کښې مړهٔ شول

په خپله نهٔ لرم اولاد نارينه
زهٔ يم ميرات، څهٔ د ھاغو بچی دی

پوره يؤ لس جينکۍ دی په کور
يوازې زهٔ ورله ګټلے نشم

په انسانيت ئې سمبالولے نشم
تعليم خو پرېږده د علاج څهٔ وکړم

قندار جامه ئې پوره کولے نشم
له بيمارۍ مې کور خالی نهٔ شولو

يؤ تن نا جوړه خامخا وی پکښې
ماله نور چل د زندګۍ نهٔ راحٔی

آخر مې دا يوه فېصله اوکړله
چې خېراتی دا جينکۍ ورکوم

پېسې ئې نهٔ اخلم په سر باندې
کهٔ د چا دوه د چا يوه پکار وی

حٔان له ئې بوحٔئ خدمت پرې کوئ
حٔان له ئې غټې کړئ

حٔان له ئې کورته بوحٔئ
حٔان له وادهٔ ئې کړئ

زهٔ به ئې تپوس نهٔ کوم
داسې څوک شته دے خلقه !

ماله جواب راکړئ
څوک به تيار شی ورته ؟

توبه، توبه اے خدايا
دا زهٔ په دې غوږونو څهٔ اورمه

دا د غربت د لاسه
څنګه توږی د حٔانه خپلې غوښې

د بل جولۍ ته خپل بچی وروُلی
ما اورېدلی ماشومان خرڅېږی

دا غريبان خو پښتانهٔ بچی دی
په دې جُمات کښې پښتانهٔ ولاړ دی

په کښې غټان اؤ ښهٔ ماړهٔ ولاړ دی
اوس کفيلان به ئې د سر جوړ شی

خرڅ خو لا پرېږده څوک ئې ھسې نهٔ اخلی
غربت وھلی پښتانهٔ ماشومان


Khazaan Ki Rut Main Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gaya, Ye Aaj Phir Seenghar Ka Khayaal Kaise Aa Gaya,


Poetess:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Khazaan Ki Rut Main Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gaya,

Ye Aaj Phir Seenghar Ka Khayaal Kaise Aa Gaya,

Hansi Ko Apni Sun Ke Aik Baar Main Bhi Choonk Uthi,

Ye Mujh Main Dukh Chupane Ka Kamaal Kaise Aa Gaya,

Wo Rassam-E-Chaara Saazi-E-Junoon To Khatam Ho Chuki,

Ye Dil Ke NaamHaraf-E-Andmal Kaise Aa Gaya,

Abhi To Dhoop Rozn-E-Qafas Se Kosoon Door Thi,

Abhi Se Aftaab Ko Zawaal Kaise Aa Gaya,

Judaiyon Ke Zakham To,Suna Ke,Bhar Chale Thay Phir,

Badan Ke Haath Naakhan-E-Wasaal Kaise Aa Gaya,

Tamaam Kainaat Azal Se Aainon Ki Zid Pe Thi,

Hajoom-E-Aks Main Ye Be-Misaal Kaise Aa Gaya..........?

Book Name

Sad Barg

Page No 125

 

Ba Ihtiyat-E-Aqeedat Ba Chashm-E-Tar Kehna, Saba Hazoor (SAW) Se Haal-E-Dil -O-Nazar Kehna


Poetess:Noshi Gilani

Type By

*._.Murtaza._.*

Ba Ihtiyat-E-Aqeedat Ba Chashm-E-Tar Kehna,

Saba Hazoor (SAW) Se Haal-E-Dil -O-Nazar Kehna,

Hasaar-E-Jabar Main Hoon Aur Yahan Se Bhi Hijrat,

Main Janti Hoon Keh Mumkin Nahi Magar Kehna,

Main Khaak-E-Shehr-E-Madeena Pehan Ke Jb Nikloon,

To Mujh Se Barrh Ke Koi Hoga Moatbar Kehna,

Ye Arz Karna Ke Aaqa Meri Bhi Sun Lijiye,

Bajiz Tumhare Nahi Koi Charagar Kehna,

Main Apni Palkoon Se Likhti Hoon Haraf-E-Naam-E-Rasool (SAW),

Mujhe Bhi Aa Gaya Likhne Ka Hunar Kehna,

Ye Kehna Ab To Humain Taab-E-Intezaar Nahi,

Keh Hum Karenge Madeene Ka Kab Safar Kehna............?

Book Name

Udass Rehne Ke Din Nahi Hain

Page No 17-18

 

Khud Se Reshte Rahe Kahan Un Ke, Gham To Jane Thay Ra'egaan Un Ke


Poet:Jaun Elia

Type By

*._.Murtaza._.*

Khud Se Reshte Rahe Kahan Un Ke,

Gham To Jane Thay Ra'egaan Un Ke,

Massat Un Ko Gumaan Rehne De,

Khana Barbaad Hain Gumaan Un Ke,

Yaar Sukh Neend Ho Naseeb Un Ko,

Dukh Ye Hai Dukh Hain Be-Eemaan Un Ke,

Kitni Sar Sabz Thi Zameen Un Ki,

Kitne Neele Thay Aasmaan Un Ke,

Noha Khuwaani Hai Kya Zaroor Unhain,

Un Ke Naghme Hain Noha Khuwaan Un Ke,

Book Name

GUMAAN

Page No 31

 

Halat-E-Ahraam Main Shaheed Hone Walon K Naam


Halat-E-Ahraam Main Shaheed Hone Walon K Naam

,*'*,

Jisam Pe Lipta "AHRAAM" Gawahi De Ga...

,*'*,

,*'*,

Rab Ne Mehmaan Banaya Tha Shahadat K Liye......!



Tujh Se Kuch Pal Jo Bichar Jaon To Ghabra Jata Hai Dil Masoom Si Ankhon K Liye To Azaab Ban Jata Hai Dil


Tujh Se Kuch Pal Jo Bichar Jaon To Ghabra Jata Hai Dil

Masoom Si Ankhon K Liye To Azaab Ban Jata Hai Dil

Aye Mere Chand Kabhi Nikal Aao Hijar Ki Raaton Mein

Teri Khatir Hi To Har Sham Se Pehle Doob Jata Hai Dil

Tere Sath Kaisa Rishta Hai Mujhe Khud Bhi Malom Nahi

Bas Tera Naam Koi Aur Le Itni Si Baat Pe Toot Jata Hai Dil

Main Ne Suna Tha K Ishq Ik Samundar Hai Lekin

Insan Tarap Tarap K Marta Hai Piyasa Reh Jata Hai Dil.....!


Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Usko Rut Jo Badli To Badlty Howy Dekha Usko


Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Usko

Rut Jo Badli To Badlty Howy Dekha Usko

Jany Kis Ghum Ko Chupany Ki Tamana Hy Usy

Aj Har Bat Pr Hanste Howy Dekha Usko

Wo Jo Kanton Ko B Narmi Sy Chuwa Krta Tha

Hum Ne Pholon Ko Maslte Howy Dekha Usko

Najny Wo Duaon Mein Mangta Hy Kisy

Hath Uthaty Hi Sisakty Howy Dekha Usko

Phir Hath Dua K Liye Uthaay Hum Ne

Jb Muqdar Sy Uljhty Howy Dekha Usko........!


Mere Saathi, Meri Ye Rooh Mere Jisam Se Parwaaz Kar Jaaye

 

Poetess:Noshi Gilani

Type By

*._.Murtaza._.*

Aakhiri Khuwahish

Mere Saathi,

Meri Ye Rooh Mere Jisam Se Parwaaz Kar Jaaye,

To Lout Aana,

Mere Be-Khuwaab Raaton Ke Azaaboon Par,

Sisakte Shehar Main Tum Bhi,

Zara Si Dair Ko Rukna,

Mere Be-Noor Hoonton Ki Dua'oon Par,

Tum Apni Sard Peshani Ka Pathar Rakh Ke Ro Daina,

Bas Itni Baat Keh Daina,

Mujhe Tum Se Muhabbat Hai.......!

Book Name

Udass Hone Ke Din Nahin Hain

Page No 133

Koi Bhi Kyun Mujh Se Sharminda Huwa, Main Hoon Apne TaurKa Haara Huwa

 

Poet:Jaun Elia

Type By

*._.Murtaza._.*

Koi Bhi Kyun Mujh Se Sharminda Huwa,

Main Hoon Apne TaurKa Haara Huwa,

Dil Main Hai MereKayiChehron Ki Yaad,

Janiye Main Kis Se Hoon Rootha Huwa,

Shehar Main Aaya Hoon Aj Shaam,

Ik Saraaye Main Hoon Thehra Huwa,

Be-Tellaq Hoon Ab Apne Dil Se Bhi,

Main Ajab Aalam Main Be Dunya Huwa,

Hai Ajab Tergi Dar Tergi,

Kehkasha'oon Main Hoon Main Lipta Huwa,

Mal Bazar-E-Zameen Ka Tha Main "Jaun",

Aasmanon Main Mera Saoda Huwa,

Ab Hai Mera Karb-E-Zaat Aasaam Buhat,

Ab To Main Us Ko Bhi Hoon Bhoola Huwa.......!

Book Name GUMAAN

Page No 187-188


Youn Hain Nishan-E-Khoon-E-Shaheedaan Gali Gali, Bikhra Ho Jese Rang-E-Gulistaan Gali Gali


Poetess: Naseem Nazish

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Youn Hain Nishan-E-Khoon-E-Shaheedaan Gali Gali,

Bikhra Ho Jese Rang-E-Gulistaan Gali Gali,

Kis Ki Nazar Lagi Meri Basti Ko Ay Khuda ?

Kion Ho Gai Hai Shehr Ki Veeran Gali Gali,

Aaya Hai Kon Mush'al-E-Aarz Liye Huye,

Roshan Hai Aik Husan-E-Farozaan Gali Gali,

Phirti Hoon Main Bhi Deed-E-Rukh-E-Yaar K Liye,

Muaj-E-Hawa Ki Tarah Pareshan Gali Gali,

Gheroon Se Charah Sazi Ki Umeed Hai Abss,

Kion Le K Jaon Zakham-E-Dil-Jaan Gali Gali,

Huraf-E-Sukhan Ko Aaj Koi Poochta Nahi,

Kal The Adabb Nawaz-O-Ghazal Khawaa'n Gali Gali,

Behtar Hai Aaj Qadar Karo Is Zameen Ki,

Kal Ghoomte Phiro Ge Pasheman Gali Gali,

NAZISH Main Apni Aag Mein Jalti Rahi,

Magr Hota Raha Hai Jashan-E-Charaaghan Gali Gali...................*


Raja Bhi Laajawaab Tha Wadi-E-Ishq Ka


Poet:Atta Turaab

Raja Bhi Laajawaab Tha Wadi-E-Ishq Ka,

Lekin Diyaar-E-Hussan Ki Raani Ghazb Ki Thi.



Thi Watan Main Muntazir Jis Ki Koi Chasham-E-Hasee


Poet:Muneer Niazi

Thi Watan Main Muntazir Jis Ki Koi Chasham-E-Haseen,

Wo Musaafir Jane Kis Sehra Main Jal Kar Mar Gaya.......!



Hoon Meri Khaak Ko Jo Tumhare Qadam Naseeb

 

Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Hoon Meri Khaak Ko Jo Tumhare Qadam Naseeb

Khaaya Karein Naseeb Ki Mere Qasam Naseeb......!


Raas Aa Nahi Saka Koi Pemaan ALVIDAA, Too Meri Jaan-E-Jaan So Meri Jaan ALVIDAA


Poet:Jaun Elia

Type By

*._.Murtaza._.*


ALVIDAA

Raas Aa Nahi Saka Koi

Pemaan ALVIDAA,

Too Meri Jaan-E-Jaan

So Meri Jaan ALVIDAA,

Main Tere Saath Bujh Na Saka Hadd Guzar Gai,

Main Hoon Tujh Se Pashemaan ALVIDAA,

Main Ja Raha Hoon Apne Bayabaan-E-Hall

Main,

Damaan ALVIDAA!,

Girebaan ALVIDAA!,

Ik Rod-e-Nashanaas Main Hai Doobna Mujhe,

So Aey Kinaar-E-Rod,

Bayabaan ALVIDAA,

Khud Apni Ik Mataa-E-Zaboon Reh Gya Hoon

Main,

So ALVIDAA, Aey Mere Samaan ALVIDAA,

Sehna To Aik Saza Thi Murad-E-Muhaal Ki,

Ab Hum Na Mil Saken Ge, Miyaan Jaan ALVIDAA,

Aey Sham Gaah-E-Sehan-E-Malaal-E-Hameshgi,

Kia Jane Kia Thi Teri Har Ik Aan,

ALVIDAA,

Kis Kis Ko Hai Alaaqa Yahan Apne Gair Se,

Insaan Hoon Main,Too Bhi Hai Insaan

 ALVIDAA,

Nisbat Kisi Bhi Shay Se Kisi Shay Ko Yaan Nahi,

Hai Dil Ka Zara Zara Pashemaan 

ALVIDAA,

Rishta Mera Koi Bhi "Alif"Bay" Se Ab Nahi,

Amrooha ALVIDAA,So Aey "BAAN" 

ALVIDAA,

Ab Main Nahi Raha Hoon Kisi Bhi Gumaan 

Ka,

Aey Mere Kufar, Aey Mere Eemaan ALVIDAA...............!

Book Name GUMAAN

Page No 212-213


In Ki Nazar Se Jaam Peye Ja Raha Hoon Main,Sab Hasraton Ke Chaak Seene Ja Raha Hoon Main


ان کی نظر سے جام پیئے جارہا ھوں میں
سب حسرتوں کے چاک سیئے جا رہا ھوں میں

برھم مزاج-یار کبھی اس طرح نہ تھا
شاید بغیر اذن پیئے جا رہا ھوں میں

ساز-حیات جس کی نظر سے ھے نغمہ زن
ھر سانس اس کے نام کیے جا رہا ھوں میں

دل خواہشوں کا ایک صنم خانہ تھا جسے
ھر آرزو سے پاک کیے جا رہا ھوں میں

دل پہ بھی تیرا نام کندہ مگر ندیم!
یہ پارہ-جگر بھی دئیے جا رہا ھوں میں

تم دل کے بادشاہ ھو عالم گواہ ھے
کتنا بڑا ثبوت دئیے جا رہا ھوں میں

یہ ماجرا بھی قطب سمجھ میں نہ آسکا
ان کے بغیر کیسے جیئے جا رہا ھوں میں
 

شاعر (خواجہ غلام قطب الدین فریدی)
کتاب ( بیتابی )


Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi.... Par Wo Kisi Or K Liye Saji Thi


Wo Dulhan K Roop Main

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi....

Par Wo Kisi Or K Liye Saji Thi....

Aaj Bhi Uss Ka Roop Wohi Suhana Tha....

Jisay Daikh K Hoa Main Deewana Tha....

Usay Panay Ki Justuju Thi Usay Pana Tha....

Par Usay Kahan Meri Zindagi Main Aana Tha....

Aankho Main Ashk Liye Usay Daikhta Reh Gaya....

Meri Aankhon Say Ashkon Ka Tofaan Beh Gaya....

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi....

Mere Liye Nahi Kisi aur K Liye Saji Thi....

Mere Dil Main Jo Dhak Dhak Ho Rahi Thi....

Mere Dil Ki Dharkan Bhi Ro Rahi Thi....

Pocho Na Mujh Say Kya Beeti Mujh Par Kya Seh Raha Tha....

Us Ki Doli Ko Jaaty Hoay Daikh Raha Tha....

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi....

Par Wo Kisi aur K Liye Saji Thi.....


Dil Jo Hai Aag Laga Don Us Ko, Aur Phir Khud Hi Hawa Don Us Ko

Poet:Jaun Elia

Type By

*._.Murtaza._.*

Dil Jo Hai Aag Laga Don Us Ko,

Aur Phir Khud Hi Hawa Don Us Ko,

Jo Bhi Hai Es Ko Gavaa Bhaita Hai,

Main Bhala Kaise Gavaa Don Us Ko,

Tujh Gumaan Par Imaarat Ki Thi,

Sochta Hoon Ke Main Dhaa Doon Us Ko,

Jisam Main Aag Laga Doon Us Ke,

Aur Phir Khud Hi Bujha Doon Us Ko,

Hijar Ki Nazar To Daine Hai Ose,

Sochhta Hoon Ke Bhula Doon Us Ko,

Jo Nahi Hai Mere Dil Ki Dunya,

Kyun Na Main "Jaun" Mittaa Doon Us Ko...........!

Page 201-202

Anokhi Waza Hai Saare Zamane Se Nirali Hain, Ye Aashiq Kon Si Basti Ke Ya Rab Rehne Wale Hain


Poet:Allama Muhammad Iqbal

Type By

*._.Murtaza._.*

Anokhi Waza Hai Saare Zamane Se Nirali Hain,

Ye Aashiq Kon Si Basti Ke Ya Rab  Rehne Wale Hain,

Ilaaj-e-Dard Main Bhi Dard Ke Lzat Pe Marta Hoon,

Jo Thay Chhalon Main Kante Nok Sozan Se Nikale Hain,

Phala Phola Rahe Ya Rab Chaman Meri Umeedon Ka,

Jigar Ka Khoon De De Kar Ye Boote Main Ne Pale Hain,

Rulati Hai Mujhe Ratoon Ko Khamoshi Sitaaron Ki,

Nirala ISHQ hai Merta Nirale Mere Nale Hain,

Na Pochh Mujh Se Lizzat-e-Khanaamaa Barbad Rehne Ki,

Nasheman Senkrron Main Ne Bana Kar Phonk Dale Hain,

Nahi Begangi Achhi Rafiq-e-Raah-e-Manzil Se,

Thehar Ja Ay Sharar Hum Bhi To Aakhir Mitne Wale Hain,

Umeed-e-Hoor Ne Sab Kuchh Sikha Rakha Hai Wa'az Ko,

Ye Hazrat Daikhne Main Seedhe Saadhe Bhole Bhale Hain,

Mere Ashar Ay "IQBAL" Kyon Piyare Na Hon  Mujh Ko,

Mere Toote Howe Dil Ke Ye Dard Angez Nale Hain........!

Bang-E-Dara

Page No 71


Hue Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu, Kahan Gaya Hai Mere Sheher K Musafir Tu


Poet: Ahmad Faraz

Hue Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu,

Kahan Gaya Hai Mere Sheher K Musafir Tu

Meri Misaal K Ik Nakhl-e-Khushk Sehra Hoon,

Tera Khayal K Shakh-e-Chaman Ka Tahir Tu

Main Janta Hoon K Duniya Tujhe Badal De Gi

Main Manta Hoon K Aaisa Nahi Bazahir Tu

Hansi Khushi Se Bichar Ja Agar Bicharna Hai

Ye Har Maqaam Pe Kia Sochta Hai Aakhir Tu

Faza Udaas Hai Dil Muzmahal Hai Main Chup Hoon

Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Tu

Faraz Tu Ne Us Se Mushkilo'n Mein Daal Dia

Zamana Sahib-e-Zar Aur Sirf Shaair Tu........!

 

Buhat Muddat Se Aisa Hai, K Tum Khamosh Rehtay Ho


Buhat Muddat Se Aisa Hai,
K Tum Khamosh Rehtay Ho,

Koi Gehra Hai Ghum Shayad,

Jisay Chup Chap Sehtay Ho,

Yunhi Chaltay Hue Tanha,

Koi Ghamgeen Se Naghma,

Tum Aksar Gungunatay Ho,

Doran-e-Guftago Yunhi,

Milein Nazron Se Jab Nazren,

Toh Baatein Bhool Jatay Ho,

Kisi Gum Sum Si Halat Mein,

Ya Phir Barish K Mousam Mein,

Faqat Itna Hi Kehtay Ho,

Udasi Bewaja Si Hai,

Buhat Bojhal Tabiyat Hai,

Bhala Sach Kyun Nahi Kehtay,

Mujhe Tum Yaad Kartay Ho!


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo