Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko, Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko

 Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko

Jo Bhee Hai Os Ko Ganwa Betha Hai

 Mein Bhala Kaisay Ganwa Doon Os Ko ?

Tujh Gumaan Per Jo Emaarat Ki Thi

 Sochta Hoon K Mein Dhaa Doon Os Ko

Jism Mein Aag Laga Doon Os Ke

 Aur Phir Khud Hee Bujha Doon Os Ko

Hijar Ki Nazar Tou Deni Hai Osay

 Sochta Hoon Ke Bhulaa Doon Os Ko

Jo Nahee Hai Meray Dil Ki Dunya

 Kyun Na Mein "Jhon" Mita Doon Os Ko ?

Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai


Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai
Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai

Samaatay Kia Nazar Mein Chaand Taaray ?
Tasawwur Mein Tera Aanchal Raha Hai

Teri Shaan-e-Taghaaful Ko Khabar Kia ?
Koi Tere Lye Be-Kal Raha Hai

Shikaayat Hai Gham-e-Dauraan Ko Mujh Se
Ke Dil Mein Kiun Tera Gham Pal Raha Hai ?

Taajub Hai Sitam Ki Aandhion Mein
Charaagh-e-Dil Abhi Tak Jal Raha Hai

Lahoo Royein Gi Magrib Ki Fizaayein
Badi Tezi Se Sooraj Dhal Raha Hai

Zamaana Thak Gaya, Jaalib Hi Tanha
Wafaa Ke Raastay Pe Chal Raha Hai


Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa


Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loonga

 Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loonga

Agar Mujhe Na Milein Tum Tumhaare Sar ki Qasam
Main Apni Saari Jawaani Tabaah Kar Loonga

Mujhe Jo Dair-o-Haram Mein kaheen Jagah Na Mili
Tere Khiyaal Hi ko Sajdaagaah Kar Loonga

Jo Tum Se kar Diyaa Mehroom Aasmaan Ne Mujhe
Main Apani Zindagi Sarf-e-Gunaah Kar Loonga

Raqeeb Se Bhi Milongaa Tumhaare Hukm Pe Main
Jo Ab Talak Na kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loonga

Tumhaari Yaad Mein Main kaat Doongaa Hashr K Din
Tumhaare Hijar Mein Raaten Siyaah kar Loonga

Hareem-e-Hazrat-e-Salamaa ki Simt Jaataa Hoon
Howa Na zabt To Chupake Se Aah Kar Loonga

Yeh Naubahaar Yeh Abr-o-Hawaa Yeh Rang-e-Sharaab
Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunaah Kar Loonga

kisi Haseenaa Kay Masoom Ishq Mein Akhtar 

Jawaani kiya Hai Main sab kuch Tabah Kar Loonga.


Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main, khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main


Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main,
khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main,

tu bewafa hai phir bhi mera honsla to dekh,
tujh pe wafa nisar kiye ja rahi hun main,

bharke tere daman mai musarrat ki kahkashan,
saugat aansuo ki liye ja rahi hun main,

ruswa na ho jaye tu is jahan mai isliye,
honto ko apne khud hi siye ja rahi hun main,

murat teri tarash kar poojungi isliye,
pathar teri gali ka ek liye ja rahi hun main…


Main azal ki shaakh se toota hua, Phir raha hoon aaj tak bhatka hua


Main azal ki shaakh se toota hua,
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,

Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
Koi apne takht per betha hua,

Chand taare dur peechey reh gaye,
Main kahan par agaya urta hua,

Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua,

Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,

Apne maazi ka samundar chaaniye,
Ik khazaana hai yahan dooba hua,

Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,

Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
Kis ne mera saans hai roka hua?


Woh Ziddi Tha Bohat Magar! Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!


Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!

Meri Har Baat Pe Woh inkaar Karta!
Magar Meri Zidd Pe Woh Haar Jata Tha!

Woh Mujh Ko Hamesha Ajnabi Hi Kehta Tha!
Magar Doston Ki Tarha Hi Rakhta Tha!

Woh Tark-e-talluk Ka khawaan To nahi Tha!
Magar Raabtay Bhi Kam Rakhta Tha!

Meri Hansi Usay Buri Lagti Thi!
Magar Mujhe Woh Rota Bhi nahi Dekh Sakta Tha

Jis K intezar Main Khud Ko Bhula Diya!
Woh Hamesha Mujhe Pagal kaha karta Tha..


Jurm-e-ikhhlaas ke aisay bhe saza daitay hain Loog apnon ko bhe nazroon say gira daitay hain


Jurm-e-ikhhlaas ke aisay bhe saza daitay hain
Loog apnon ko bhe nazroon say gira daitay hain

Torr laitay hain ik pal main sub rishtay natay
Sadiyun ke rafaaqat ko bhoola daitay hain

Tukray kartay hain mohobat ke tehreeron ke
Dooor ja k kehin paani main baha daitay hain

Ana k naam per behen ore beti ko bhe
Aag main jhoonk kar zinda jala daitay hain

Jurm tau jurm hay wo chahay mohobat ka ho
Loog nishaana khhaloos ko bhe bana daitay hain

Jin pay kartay hain wafaaon ka bharosa hum
Dost bun k rustay main daghha daitay hain

Tum kahan yaad rakho gaiy humain ibn-e-aadam
Hum tumhain apnay dil main jagah daitay hain

Jab ye likhtay hain mohobat ke kahani shaukat
Shama kee chah main perwana jala daitay hain


Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye Hum Jaagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye


Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye
Hum Jaagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye,

Us Ne Pyaam Bheje To Raste Mein Reh Gaye
Hum Ne Jo Khat Likhe Woh Hawaa Burd Ho Gaye,

Main Shaher-e-Gul Mein Zakham Ka Chehra Kise Dekhaon?
Shbnam Badast Log To Kaante Chabho Gaye,

Anchal mein Phool Le K Kahaan ja Rahi Hoon Main
Jo Aane Waale Log Thay, Woh Log To Gaye,

Kiya Jaane Ufaq Kau Udhar Kiya Tilsam Hai
Laote Nahi Zameen Par Ek Baar Jo Gaye,

Woh Bachpane Ki Neend To Ab Khawab Ho Gai
Kiya Umar Thi K Raat Howi Aur So Gaye,

Kiya Dukh Thay, Kon Jaan Sakega Nighar-e-Shab
Jo Mere Aur Tere Dopattay Bhego Gaye.


Chalo Phr Dhoond Lein Hum! Usi Masoom Bachpan Ko


Chalo Phr Dhoond Lein Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!

Unhi Masoom Khushiyon Ko!
Unhi Rangeen Lamhon Ko!

Jaha Ghum Ka Pata Na Tha!
Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi!

Jahan Bus Muskurahat Thi!
Baharein Hi Baharein Thi!

Chalo Phr Dhond Laein Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!

K Jab Sawan Barasta Tha!
To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!

Bana’na Aur Duba Dena!
Boht Acha Sa Lgta Tha!

Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!
Boht Sacha Sa Lagta Tha


Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala Phir Se Seena Fugaar Kar Daala


Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala
Phir Se Seena Fugaar Kar Daala

Aur Kitnay Diye Jalao Ge ?
Ghar Ko Tum Ne Mazaar  Kar Daala

Phir Hawaaon Se Dosti Karli
Phir Se Dil Daagdaar Kar Daala

Ye Mohabbat Thi Khaas Shay Jis Ka
Tum Ne Kaarobaar Kar Daala

Phir Se Dil Haath Se Gaya Dekho
Phir Mohabbat Ka Waar Kar Daala ??

Wo Jo Basti Basaa Ke Bhool Gaya
Hum Ne Tou Os Se Pyaar Kar Daala

Dil Ko Pehluu Mein Le Le Ke Phirta Hai
Keh Raha Tha Nisaar Kar Daala

Tum Ne Furqat Ke Saaray Lamhon Ko
Zindagi Mein Shumaar Kar Daala

Jo Hawaon Pe Pair Rakhtay Thay
Khaak Ne Khaaksaar Kar Daala

Hum Ne Khusbuu Ki Justuju Mein Batool
Kiun Muqaddar Ko Daar Kar Daala ?

Ab Na Aaya Tou Phir Balaa Se Batool
Hum Ne Tou Intezaar Kar Daala……..!


Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men


Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein

Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men

Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari

Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men

Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya

Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mejh Men

Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ?

 Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ?

Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon

Kabhi Yeh Dard Uatarta Hai Meri jaan Mujh Men

Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ?

 Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ?

Main Jab Bhi Haath barhane Lagta Hoon Gulon Ki Taraf

To Urne Lagti Hain 'Shamsheer' Titliyaan Mujh Mein.


Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta


Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta

 Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin

 Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta

Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi

 Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta

Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai

 Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta

Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed

 Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta........!


Meri ulfat wafa sab tere waaste, Rahaton ki dua, Sab tere waaste


Meri ulfat wafa sab tere waaste,
Rahaton ki dua, Sab tere waaste,

Haal-e-dil se mere kab tu waakif na tha,
Phir bhi jo kuch likha, Sab tere waaste,

Tere aashiq nikle pata dhoondne,
Hain wohi la-pata, Sab tere waaste,

Yeh andhera, Seyahi mujhe somp de,
Rang-e-Qos-e-Qaza, Sab tere waaste,

Bass ke apnayiyat ka agar jaam ho,
Tou mere saaqiya, Sab tere waaste,

Aere-Ghere jo they kuch mere aashna,
Woh taluq bhi tha, Sab tere waaste,

Aaj Tahir ne apno ka rakha bharam,
Kis liye aye Khuda, Sab tere waaste…


Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya


Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya

Jis nay morr k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parra
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya

Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya

Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya

Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya

Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya

Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya

Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya


Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahi Milti Lamhon Mein Tou Sadyon Ki Kahaani Nahi Milti


Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahi Milti
Lamhon Mein Tou Sadyon Ki Kahaani Nahi Milti

Dil Jal Gaya Ab Os Mein Dhuwaan Tak Nahi Uthta
Os Raakh Se Tasweer Puraani Nahi Milti

Izhaar Pe Taalay Hain Tou Taalay Hi Samajhna
Har Likhi Howi Baat Zabaani Nahi Milti

Jo Maango Muqaddar Se Hamain Wo Nahi Milta
Is Dour Ke Raaja Ko Bhi Raani Nahi Milti

Baaqi Nahi Khaaron Mein Bhi Pheli Si Chubhan Ab
Aur Phoolon Pe Pheli Si Jawaani Nahi Milti

Socha Tha Kisi Shaam Suhaani Ko Milain Ge
Aur Shaam Hamain Koi Suhaani Nahi Milti

Kaisay Mein Yaqeen Os Ka Karon Os Mein Tou Ek Bhi
Chaahat Ke Qabilay Ki Nishaani Nahi Milti..........!


Hum bhi chuntay they seepiya’n aksar, Hum bhi maqrooz hain samandar ke


Hum bhi chuntay they seepiya’n aksar,
Hum bhi maqrooz hain samandar ke,

Aankh k gird maatmi halqey,
Saaye jaisey jaley hue ghar ke,

Dosto’n ki zubaa’n to khulney do,
Bhool jao gay zakhm khanjar ke,

Chaand bhi zard par gya aakhir,
Ujrey aangan main roshni kar ke,

Aankh num bhi karo to bus itni,
Rang pheekey parein na manzar ke..


Wo Chahton Ki Esi Misal Deta Hai, Awargi Ko Apnaiyat Mai Dhal Deta Hai,


Wo Chahton Ki Esi Misal Deta Hai,
Awargi Ko Apnaiyat Mai Dhal Deta Hai,

Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai,
Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalal Deta Hai,

Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye,
Baray Haseen Tareeqy Se Wo Taal Deta Hai,

Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar Nahi Karta,
Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai,

Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se,
Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai..


Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai


Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai
Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai

Wohi Tou Hai Jo Badalta Hai Mausamon Ke Rang
Jo Apne Pehluu Mein Sookhay Gulaab Rakhta Hai

Wo Ujri Basti Mein Dholak Ki Thaap Per Naachay
Jo Apni Hasti Mein Zewar Ke Khwaab Rakhta Hai

Nikhaar Paye Ga Kiun Ker Labon Ka Rung Mera ?
Visaal Apna Jo Masl-e-Saraab Rakhta Hai

Wohi Tou “Zaira” Ko Boond Boond Tarsaaye
Jo Dasht-e-Hijr Mein Baadal Ke Khwaab Rakhta Hai


Saher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga, Ab Intezaar K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga

 

Poetess : Saba Akhtar

Saher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga,
Ab Intezaar K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga,

Teri Nigaah Nay Zalim Kabhi Ye Socha Hai,
Teri Nigaah K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga,

Naqaab Un Ka Ulatna To Chaahta Hoon Magar,
Biqarr Gaye To Nazaaron Ka Haal Kya Ho Ga,

Muqaabla Hai Tere Husn Ka Bahaaron Say,
Naa_Jaanay Aaj Bahaaron Ka Haal Kya Ho Ga............!

Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna, Hain log bohat khaas humain aam na karna


Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna,
Hain log bohat khaas humain aam na karna,

Janey ki ijazat to diye dete hain lekin,
Raste main kahin aate huye shaam na karna,

Kuch roz se yeh haal hai chahat mein tumhari,
Bekaar parre rehna koi kaam na karna,

Main bhi na dikhaon ga sar-e-raah girebaan,
Tum bhi mere waadon ko sar-e-aam na karna,

Is shart pe hai tar-e-taluq ki ijazat,
Badnaam zamane mein mera naam na karna,

Hum log palat aaney ki haatir nahin jate,
Wa sham ke baad apne dar-o-baam na karna,

Yadon ka nasha hosh urra deta hai Arshad,
Saaqi se kaho samne ab jaaam na karna..


Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna, Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna,
Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna,

Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga,
Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna,

Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha,
Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna,

Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai,
Dil-e-tabaah ko ab khasta haal kya karn.!

Zindagi rukh badal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti


Zindagi rukh badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Zindagi ko galey laga leta,
Har tamana pighal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Khawab palkon pe mein sajaa leta,
Tujh ko seeney se mein laga leta,
Apne dil mein tujhe basaa leta,
Meri kismat badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Aahh nikle gi hont si loon ga,
Jis tarah ho sake ga jee lon ga,
Zeher bhi hanste hanste pee loon ga,
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Ab tere gham ko dil mein paloon ga,
Haan judai ka zakham kha loon ga,
Maut ko bhi galey laga loon ga,
Maut bhi aa ke tall gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti..


Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki


Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki

 Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki

Woh sitamgar hai to ab us se shikayat kesi

 Aur sitam karna bhi aadat purani us ki

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per

 Chand aansu hain mere pass nishani us ki

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai

 Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki

Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko

 Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki

Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena

 Samne sab ke sunaa dena kahani us ki.......!


Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun


Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun
Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun

Gul Tere Dil Mein Khilain Aur Mehek Jaon Mein
Isi Rishtay Mein Har Insaan Ko Pirona Chaahun

Kiun Ganwaara Ho Tere Dard Mein Bhi Shirkat-e-Gair
Tu Jo Yaad Aaye Tou Tanhaayi Mein Rona Chaahun

Justuju K Lye Rehta Hai Bahaana Darkaar
Kho Ke Paaya Jisay, Paakar Ose Khona Chaahun

Chaah Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar
Khush Bhi Hota Hun Tou Aankhon Ko Bhigona Chaahun

Mein Hun Ik Tarfa Bhikaari, Koi Meri Bhi Suno
Raat Ke Farsh Pe Kirnon Ka Bichona Chaahun

Yun Tou Ik Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hun
Mein Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chaahun

Mera Mansab Nahi Paighambar-e-Fun Bannay Ka
Mein Tou Ahsaas Ko Lafzon Mein Samona Chaahun

Is Zamaanay Ka Ajab Tarz-e-Tassawaf Hai
Ke Mein Qatray Mein Samandar Ko Dubona Chaahun


Aaj phir us nay mera haal poocha hai, Kitna mushkil sawaal poocha hai,


Aaj phir us nay mera haal poocha hai

 Kitna mushkil sawaal poocha hai

Hichkion ka ajeeb lehja tha

 Baat ko taal taal poocha hai

Tum Mujhe chor to na jao ge

 Mujh say Mera khayaal poocha hai

Aansuon ki zubaan mein uss ne

 Jo bhi poocha kamaal poocha hai........!


Wusat-e-Chashm-e-Tar Bhi Daikhain Gay Hum Tujhay Bhool Kar Bhi Daikhain Gay


Wusat-e-Chashm-e-Tar Bhi Daikhain Gay
Hum Tujhay Bhool Kar Bhi Daikhain Gay

Zakhm Per Sabt Kar Na Lab Apnay
Zakhm KoChaara Gar Bhi Daikhain Gay

Hijar Ki Shab Say Hoslay Apnay
Bach Gaye Tou Sahar Bhi Daikhain Gay

Raat Honay Do,Loog Sonay Do
Chaand Ko Dar-Ba-Dar Bhi Daikhain Gay

Ik Dua Dil Say Chup Kay Maangi Thi
Us Dua Ka Asar Bhi Daikhain Gay

Ik Puraana Safar Tou Khatam Howa
Ik Nayi Rahguzar Bhi Daikhain Gay

Gin Tou Lainay Do Baykafan Laashein
Bay Sada Baam-o-Dar Bhi Daikhain Gay

Chairr Kar Dil Ki Raakh Ko
Ab Ke Raks-e-Sharar Bhi Daikhain Gay


Wohi gardishen wohi paich-o-kham tere baad bhi Wohi hosle mere dum-ba-dum tere baad bhi


Wohi gardishen wohi paich-o-kham tere baad bhi

Wohi hosle mere dum-ba-dum tere baad bhi

Tere sath thi teri har jafa mujhe moutbar
Tere saare gham mujhe mohtram tere baad bhi

Mere sath hai teri har khushi teri muntazir

 Teri muntazir meri chasham-e-num tere baad bhi

Tu kisi ki qalb-e-arzu main dhall geya

 Main na kho saka kabhi khud me sanam tere baad bhi

Mere baad kitne hii roop tu ne badal liye
Main wohi hon ab bhi teri qasam tere baad bhi

Tu chala geya sabhi qehqahon ko samait kar

 Meray pass hai mera zarf-e-gham terae baad bhi


Jub Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye Zakham Phir Yaad Puranay Aye


Jub Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye

 Zakham Phir Yaad Puranay Aye

Phir Mujhe TooT Ke Chaha Osne

 Phir Bicharnay kE Zamanay Aye

Muskura Kar Hamain Milnay Walay

 Zindagi Bhar Ko Rulanay Aye

Kitni Mehroom Thi Neendain Unki

 Khwaab Bhi Jin Ko Jaganay Aye

Teri Chahat Ne Tehernay Na Dia

 Raah Mein Kitnay Thikanay Aye

Tu Nahi Hai Tou Hawa Ka Jhonka 

 Ghar Ki Zanjeer Hilanay Aye

Isi Umeed Pe Jaago Yaaro

 Ab Wo Kis Waqt Najanay Aye

Raas Aya Jinhain Sehra 

 Unki Qismat Mein Khazanay Aye........!


Suraagh Bhi Na Milay Ajnabi Sadaa Ke Mujhe Ye Kon Chup Gaya Sehraon Mein Bula Ke Mujhe

 

Suraagh Bhi Na Milay Ajnabi Sadaa Ke Mujhe
Ye Kon Chup Gaya Sehraon Mein Bula Ke Mujhe ?

Mein Os Ki Baaton Mein Gham Apna Bhool Jata Magar
Wo Shaks Ronay Laga Khud Hansa Hansa Ke Mujhe

Ose Yaqeen Ke Mein Jaan De Na Paon Ga
Mujhe Ye Khauf Ke Roye Ga Aazma Ke Mujhe

Jo Apnay Loogon Mein Meri Hansi Uraata Raha
Qareeb Aaya Tou Roya Galay Laga Ke Mujhe

Mein Apni Qabar Mein Mahu-e-Azaab Tha Lekin
Zamaana Khush Howa Deewaaron Pe Saja Ke Mujhe...

 

Rukh HawaoN Ka Badalta Hi Gaya Pyaar Jub Dil Mein Utarta Hi Gaya


Rukh HawaoN Ka Badalta Hi Gaya
Pyaar Jub Dil Mein Utarta Hi Gaya

Jab Saba Ne Kia Izhaar-e-Wafa
Phool Chup Chaap Bikharta Hi Gaya

Aag Bujhnay Lagi Jab Seenay Ki
Tou DhuwaaN Aankh Mein Bharta Hi Gaya

Aap Ne Sirf Maseehayi Ki
Dard Ik Yun Had Se Guzarta Hi Gaya

Jis Ne Bhi Maanga Mohabbat Ka Sila
Dil Ko HaathoN Se Wo Malta Hi Gaya

Koi TofaaN Tou Aaya Hi Nahi
Sheher-e-JaaN Phir Bhi Ujarta Hi Gaya

Jis Ne Bhi Ishq Ki RaahoN Ko Chuna

 Dasht Aabaad Wo Karta Hi Gaya..........!


Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe Wo Shaks Bhee Ajeeb Saza De Gaya Mujhe


Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe

 Wo Shaks Bhee Ajeeb Saza De Gaya Mujhe

Sookhay Howay SHajar Ki Barhana Si SHaakh Par

 Do PanchioN ka Raqs Maza De Gaya Mujhe

Dam Ghut Raha Tha Zehen Ki Jalti FizaaoN Mein

 Jhonka Tere Nafs Ka Hawa De Gaya Mujhe

Lamhon Ke Is Hajoom Mein Maqtal Ke Morr Par

Mein Sochta Hun Kon Sada De Gaya Mujhe

Mein Jaagtay DinoN Mein CHupaata Kahan Badan

 Wo BHeegti ShaboN Ki Ridda De Gaya Mujhe

Ik Barg-e-Zard Khusk Si Tehni Se Toot Kar

 Awaara ManziloN Ka Pata De Gaya Mujhe

Mere Badan Pe Kitna Puraana Libaas Tha

 Tera Mizaaj Rang Naya De Gaya Mujhe


Fasley Aisey Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha Saamne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha

Fasley Aisey Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha

Saamne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha

Wo Khushbo Ki Tarah Phaila Tha Mere Char Soo

Main Usey Mehsos Kar Sakta Tha Chho Sakta Na Tha

Raat Bhar Us Ki Hi Ahat Kaan Main Aati Rahi

Jhaank Kar Dekha Gali Mein To Koi Bhi Aya Na Tha

Aks To Maujod They Par Aks Tanhai Ke The

Aaeina To Tha Magar Us Mein Tera Chehara Na Tha

Aj Us Ne Dard Bhi Apaney Alehda Kar Liye

Aj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha

Ye Sabhi Viraniyan Us Ke Juda Honey Se Theen

Aankh Dhundhalai Thi Shahar Dhundhalaya Na Tha

Yad Kar Ke Aur Bhi Takalif Hoti Thi 

Bhol Janey Ke Siwa Koi Chara Na Tha....................!

Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho


Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho

Samunder Ashna Aankhoon Main Sehra Aan Baste Hain Tumhain Jab Bhool Jata Hoon
Phir In Sehraaoon Main Ik Khawab Ka Chashma Niklata Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Main Apne Haath Se Teri Sunehri Yaad Ki Palkain Sajata Hoon Khyaloon Main
Khayaloon Main Tera Mausam Kai Pehlo Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Teri Parchaiyaan Her Su Meri Tanhaiyoon Ka Raqs Kerti Hain Udaasi Per
Mere Seene Main Ik Bechain Sa Bacha Machalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Kisi Footpath Per Bazar Main Baaghat Main Ya Phir Kisi Darya Kinare Per
Bohat Khush Ho Ke Jab Koi Kisi Ke Saath Chalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho

Main Sara Din Koi Sangi Majasma Ban Ke Rehta Hoon Mager Jab Shaam Dhalti Hai
Mere Dill Ki Jagah Per Koi Pather Sa Pighalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Tasawoor Main Tumhare Sang Beeti Baarshain Aksar Tumhain Awaz Deti Hain
Nigahoon Main Tumhari Dhoop Ka Ik Deep  Jalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Kabhi Koi Sitara Aankh Se Hota Howa Bhujta Hai Aa Ke Goad Main Gir Ker
Kabhi Koi Bohat Hi Door Ubharta Hai Dhalta Hai Mujhe Tum Yaad Aaate Ho


Na main na tu kabhi judaie pay ashakbar rehay Laikin ye kiya k hum donon bay qarar rehay


Na main na tu kabhi judaie pay ashakbar rehay
Laikin ye kiya k hum donon bay qarar rehay

Tou apnay der pay khhara daikhta raha mujh ko
Nazer saiy oojhal na meri teray der-o-deewar rehay

Tou humsafer na raha na he tou praya howa
Magar ajeeb saiy rishtay zehan pay sawar rehay

Kabhi naapi na gaie rishton ke tawalat mujh saiy
Magar qadam ye meray lahoo saiy tar tar rehay

Teray deedar ko terson ye keh gaya hay naseeb
Zamee’n pay main rahon tou chaand k paar rehay

Ajab kamal-e-shanasaie waqt dikha gaya shaukat
Na bahain ashak payar dil main baishumaar rehay


Soney hi kahan dega yeh mehtaab adhoora Rehne de meri aankhon mein ik khawb adhoora


Soney hi kahan dega yeh mehtaab adhoora

Rehne de meri aankhon mein ik khawb adhoora

Uss simt hi chalte hain liye naao ko apni

Reh jaaye na paani mein yeh gardaab adhoora

Toota to usey gaud liya lehron ne barh kar

Phir behta raha phool sar-e-aaab adhoora

Shaayer ka gumaa’n dekha jahan koi bhi dekha

Ik shakhss ke bikhraa hua betaab adhoora

Ab un se kya rakhain hum umeed-e-takalum

Laate hain baja’aa bazm mein adaab adhoora

Rakhshanda, shab-o-roz likha safaah, dil par

Reh jaye na aakhir mein wohi baab adhoora.....

Rakhshanda Naveed


Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha Bas Mujh Se Youn He Bichar Gaya Tha

Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Se Youn He Bichar Gaya Tha

Har Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha

Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha
Woh Mujh Se Kabhi Na Roothta Tha

Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha

Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Se Bichar K Roo Para Tha

Kya Kuch Na Us Se Kaha Gaya Tha
Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha

Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha

Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha

Kehnay Ko Juda Tha Mujh Se Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha

Us Nay Jo Kaha, Kya Woh Dil Nay
Inqaar Ka Kis Main Hosla Tha

Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Charaagh Jal Raha Tha

Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Se Bhi Kam Hi Khul Saka Tha

Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha

Main Bhi Tha Dara Hua Sa Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha

Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha

Ek Raah Se Main Bhi Tha Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha

Ek Pal Main Chapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha

Soocha Toh Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha

Qadmoun Se Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha

Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha

Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha

Rakhta Tha Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Ghar Chatakh Gaya Tha

Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Judda Judda Tha......

 

Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain, Hamari aankhon pe rakh de kabhi jo tuu aankhain

 

Dr.Majid Deobandi

Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain
Hamari aankhon pe rakh de kabhi jo tuu aankhain

Hamaisha rehti hain teri talash main janaan

Hamaisha kerti hain teri hi aarzu aankhain

Na janay konsay jalwon ki justuju hai inhain

Bhatak rahi hain faza main jo chaarsu aankhain

Ye mojza bhi to kuch kam nahi k shaam_o_sehar

Tumharay hijer main rehti hain baa’wazu aankhain

Tera firaq, teri justuju, teri hasrat

Ye zakhm zakhm tabasum lahuu lahuu aankhain

Naseeb mera bhi roshan ho surat_e_mehtaab

Kbhi jo ker dain mohabat ko surkhruu aankhain

Bicher ke tujh say main zinda na reh sakon shayad

Na phairna kabhi meri taraf say tuu aankhain

Tumhain jo choo lu’n to hathon say khushbuyen phutain

Tumhain jo daikhoon to ho jaen khobru aankhain

Jahan labon ko hilana bhi jurm ho Majid

Wahan isharon main kerti hain guftgu aankhain.........



Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah Juda Huwi Wo Bhi Aakhir Musafiron Ki Tarah


Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah
Juda Huwi Wo Bhi Aakhir Musafiron Ki Tarah

Main Sochta Hun Wo Kaise Bichar Gayi Mujhse ?
Jo Dhoop Me Milti Thi Mujhe Baadalon Ki Tarah

Ajeeb Larki Thi Hawaaon Se Dushmani Le Kar
Woh Rait Per Likhti Thi Mera Naam Paaglon Ki Tarah

Wo Chahaton Ki Mukammal Kitaab Thi Yaaro
Mujhe Fasana Sunati Thi Shaairon Ki Tarah


Hum nagri nagri jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain Hum galiyon galiyon, aangan aangan pyar ke deep jalate hain

 

Poet:Iqbal Azeem

Hum nagri nagri jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain

Hum galiyon galiyon, aangan aangan pyar ke deep jalate hain

Hum khushbu ke saudaagar hain aur sauda sacha karte hain

Jo gaahak phoolon jesa ho hum bin’daamon bik jate hain

Hum sheher-e-wafa ke logon ka tum haal bhla kya jano ge

Hum dil ko chot chupatey hain aur aansoo pee jatey hain

Jo log sharafat waley hain, woh qadrey buzdil hite hain

Dushman se nahin dartey woh magar, kam’zarfon se ghabratey hain

Hum sachey hain, yeh kese kahen, sach sab ke bass ki bat nahin

Jo sachhi baatain karte hain, woh peghambar kehlaatey hain

IQBAL to adnaa’a khadim hai, arbaab ilm-o-danish ka

Yeh aap ka husn-e-samaat hai jo is pe karam farmaatey hain.......

 

Har aik darakhtt hai jharrna meri jaan, Issey kehte hain ujarrna meri jaan

 

Poet:Saleem Kausar

Har aik darakht hai jhar'rna meri jaan

 Issey kehte hain ujar'rna meri jaan

Kesa lagta hai sawarney ke liye

 Baaz aukaat bigar'rna meri jaan

Teri aamad ka pata deta hai

 Saans ka aese ukhar'rna meri jaan

Roshni apni jagha ghairti hai

 Tum hawaaon se na lar'rna meri jaan

Hum nahin hon ge to peyshaani koi

 Kissi pathar pe ragar'rna meri jaan

Tere milne se khulaa hai mujh per

 Kitna mushkil hai bichar'rna meri jaan

Asmaan khaak huye hain pal main
Kya zameenon pe akar'rna meri jaan.....



Ab Tou Kisi Bhi Baat Pe, Aitbaar Nahi Hota, Hotay Hain Bas Samjhotay Dilon Ke, Koi Pyaar Nahi Hota


Ab Tou Kisi Bhi Baat Pe, Aitbaar Nahi Hota
Hotay Hain Bas Samjhotay Dilon Ke, Koi Pyaar Nahi Hota

Kitna Bhi Samjha Lain Ham, Is Dil-e-Naada.n Ko
Ek Qatrah Kabhi, Koi Saagar Nahi Hota

Dil Mein Lye Hasrat Kisi Ki, Ye Umer Guzar Jaati Hai
Kabhi Taqdeer Pe Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahi Hota

Lagtay Hain Jo Pal Suhaanay, Wo Hain Mere Bas Khwaabon Ke
Haqeeqat Mein Kubhi Khushi Ka, Deedaar Nahi Hota

Dhal Jaatay Hain Ye Ashk Ek Aur Gham Ki Raah Lye
Un Honton Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahi Hota


Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga


Shabnam Shakeel

Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga

 Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga

Neend to aaney ko thi per dil pichey qissay le betha

Ab khud ko be’waqt sulaney mein kuch waqt lage ga

Us ka sath ab tanhai ko karte hai aur zeyada

Par yeh baat usey samjhaney mein kuch waqt lage ga

Akhir humain bhi laut kar ik din ghar ko jana hai

Lekin itni door se aney mein kuch waqt lage ga

Shayar hain yeh sochna hoga kese sab kuch kehna hai

Dil ki baat labon tak laney mein kuch waqt lage ga

Yeh mat samjho dunya walo thak kar beth gaye hum

Pichli chotton ko sehlaaney mein kuch waqt lage ga

Itni jaldi kya Shabnum tum ko waapis janey ki

Kaam yeh dunyaa ke nibtaaney mein kuch waqt lage ga....

 

Kash bachapn se nafrat sikhayi hoti, Us se dekh kar nazreen churaayi hoti


Kash bachapn se nafrat sikhayi hoti,
Us se dekh kar nazreen churaayi hoti,

Na phoolon me khoshbu samayi hoti,
Us se milte to bus larai hooti,

Wo hoti ek zalim ustani jaisi,
Us ke samne sirf parhayi hoti,

Hoti rah-e-mohobat bus tanha,
Kanton se har shay sajayi hoti,

Be’rukhi be muravat adaao se,
Kuch milte yun ke ruswayi hoti,

Guzar yun jate kareeb se Aamir,
Ke ghairon ke jaisi judayi hoti..


Biphri mojain, door sahil, ik sahara chahiye, Aandhiyon main ghir geya hoon, ab kinara chahiye


Biphri mojain, door sahil, ik sahara chahiye,
Aandhiyon main ghir geya hoon, ab kinara chahiye,

Doobney waley ko ik harf-e-tassali tha bohat,
Doobney waley ko tinkey ka sahara chhaiye,

Larr na paaon ga ke dunya bhar ke gham hain samney,
Sath mujh tanhaa ko ab har dam tumhara chahiye,

Kis ko ho gi jaan ki parwaah phir aye jaan-e-jaan,
Ik zara bass teri nazron ka ishara chahiye,

Ishq hai deewangi ka naam dooja dosto,
Jis ko chahain har gharri uss ka nazara chahiye..


Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed, Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed


Poet:Iftikhar Arif

Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed,
Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed,

Halqat-e-yaar main jis haar ke charchey hain bohat,
Main woh baazi kabhi khelaa bhi nahin tha shayed,

Zeest karne ke sab adaab usey azbar they,
Mujh ko marney ka saleeqa bhi nahin tha shayed,

 Khaak urratey huye bazaron mein dekha sab ne,
Main kabhi ghar se nikla bhi nahin tha shayed,

Us ki ankhon mein bashaarat thi naye khawbon ki,
Main usey dekh ke chonka bhi nahin tha shayed,

Aik baadal ke mere naam se mansoob hua,
Mere sehra main to barsa bhi nahin tha shayed..

 

Yun bhi hua raat ko jab log so gaye, Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye


Yun bhi hua raat ko jab log so gaye,
Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye,

Aa dekh tujhse log jo rehte they door door,
Saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye,

Hum woh jo sarey sheher ke kerte they faisley,
Hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye,

Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya,
Raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye,

Ab zindagi ki shelf mein dhoonda karain ge log,
Arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye,

Arshad wafaa ki raah main shiddat thi is qadar,
Tujh se they kitne log jo rastey mein kho gaye..


Mat pukaaro humain zindagi dekh kar, Aankh bhar ati hai ab khushi dekh kar


Mat pukaaro humain zindagi dekh kar,
Aankh bhar ati hai ab khushi dekh kar,

Dekh le, ik samandar sa main ho geya,
Teri aankhon mein thori nammi dekh kar,

Jis ko chehron ke behroop se bair tha,

Hanss raha hai meri saadgi dekh kar,

Dard ki shamaa jalti huyi bujh gayi,
Koi aaya nahin roshni dekh kar,

Barhaaa mujh ko Arshad tere haal par,
Reham aaya bohat bebassi dekh kar..


Agar tu mauj hai to phir, Main tere sath behtaa hoon


Agar tu mauj hai to phir,
Main tere sath behtaa hoon,

Agar tu chaand hai to phir,
Main tere sath rehta hoon,

Agar tu paas hai to phir,
Main dil ki baat kehta hoon,

Agar tu door hai to phir,
Main tera hijar sehta hoon..


Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein, Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein


Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein,
Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein,

Janey kis ki yaad thi ke aik manzar dekh kar,
Toot kar main ro parra tha, ik safar ki raat mein,

Kash aesa ho, yahin pe rok lain hum waqt ko,
Yaad hai, tu ne kaha tha? ik safar ki raat mein,

Woh jiss se umar bhar ki doooriyan mansoob hain,
Mere seeney se laga tha, ik safar ki raat mein,

Har tarah phailey huye they yaad-e-gham ke silsiley,
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat mein,

Ghar se bahar paaon rakhtey hi larzz uthta hai dil,
Haadsaa aesa hua tha, ik safar ki raat mein,

Aaj bhi main gungunaata hoon usey tanhayi main,
Geet jo hum ne sunaa tha, ik safar ki raat mein,

Uss ki yaadon ke saharey kar raha hoon zindagi,
Jo mujhe Waasiq milta tha, ik safar ki raat mein..

Syed Wasiq


Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon, Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon


Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon,
Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon,

Kisi ki neend main mehkaa hoon khawab ki surat,
Kisi ke jism ki angrrayiyon mein zinda hoon,

Dhannak khayalon ki lafzon ka rehsmi bistar,
Main tere hijar ki raa’nayiyon main zinda hoon,

Yeh log taaza rafaqat mein saans lete hain,
Main apni zaat ki tanhayion mein zinda hoon,

Kashish faraar ki insaan ka muqaddar hai,
Paraaye khawb ki parchaayion mein zinda hoon..

 

Dr Ibrar Umar

 

Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta, Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta


Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta,
Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta,

Us ki b nikal aati hai izhaar ki soorat,
Jis shakhs ko lafzon ka sahara nahi milta,

Phir doobna yeh baat bohat soch le pehle,
Har laash ko daryaa ka kinaara nahi milta,

Yeh soch k dil phir se hai aamada e ulfat,
Har baar mohabat mai khasaara nahi milta,

Woh shehar bhala kaise lagay apna jahan par,
Ik shakhs bhi dhoonde se hamara nahi milta..


Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho, Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer to dekho


Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho,
Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer to dekho,

Mujhe mehfil mein dekha tu kaha us ne raqeboon se,
Mera aashiq, mera paagal, mera dargeer to dekho,

Teri tasveer ke peeche hain jaalay bewafayi ke,
Ullat kar tum zara apni, kabhi tasveer to dekho,

De kar pyar ki daulat khareeday khoon ke aansu,
Milli jo ishq mein, zara jageer to dekho,

Likha hai naam saahil ka shararat hai raqeboon ki,
Yeh khat mera nahi janaan, zara tehreer to dekho..


Main ke pachtaawa na tera hota, Kash tu ne mujhe socha hota


Main ke pachtaawa na tera hota,
Kash tu ne mujhe socha hota,

Hum marey hote magar jee uthtey,
Tu ne ik baar pukaara hota,

Tum mujhe dekhte apni chat se,
Kaash main shaam ka taara hota,

Main bhattak jata tere rastey se,
Gar kabhi tera ishaara hota,

Jiss gharri tu ne karam farmaya,
Kaash woh lamhaa dobara hota,

Tujh se bhi toot na sakta aye kaash,
Main tera pukhtaa iraada hota,

Tere aangan mein kisi saawan mein,
Ban ke barish hi main utraa hota,

Jis se koi bhi na guzraa ho SHUMAAR
Main tere dil ka woh raasta hota..

Akhtar Shumaar

Iss jeevan main mohabbat ko na tum sumjhay na main sumjha, Jahan main rasm-e-ulfat ko na tum sumjhay na main sumjha


Iss jeevan main mohabbat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Jahan main rasm-e-ulfat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Ba-zahir ishq sumander main uterna tau laga asaan,
Magar iss ssfar-e-chahat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Ksttay jo roz-o-shab apnay hijer ke Aah-o-zaari main,
Tanhye ke akoobat ko na tum samjhay na main sumjha,

Wasal ke wo haseen lumhay jinhay hum yaad kertay hain,
Haqeeqat main uss qurbat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Chalay sargosheyan kertay hum bund aankhain jin ruston per,
Onn ruston ke banawat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Uthha ke sar hajoom-e-shaher main phirna bhe ghalti thhee,
Jahan walon ke aadat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Humain purkaif lumhon main milay jo dost bun bun ker,
Chhupi dil mein adawat ko na tum sumjhay na main sumjha,

Yehi jana hay shaukat nay bus apni kahani main,
Mohabbat ke haqeeqat ko na tum sumjhay na main sumjha..


Woh hain pass aur yaad aney lage hain, Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,


Woh hain pass aur yaad aney lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,

Suna hai humain woh bhulaney lage hain,
To kya hum unhe yaad aney lage hain,

Hattaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar mein aney lage hain,

Woh phir mujhe yaad aney lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain,

Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain,

Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai,
Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..


Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar, Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar


Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar,

Teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed,
Ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar,

Takaa karti hoon tanha beth kar pehron jo phoolon ko,
Tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar,

Woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
Ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar,

Sadaf! deen-e-wafaa ka dum to sab bharty hain lekin kyon,
Issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar..

Sadaf Mirza

 

Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono, Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono


Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono,
Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono,

Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye,
Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono,

Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein,
Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono,

Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main,
Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono,

Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they,
Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono,

Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya,
Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono..


Kesey koi chupaye anso, Akhir ankh me aye anso

Kesey koi chupaye anso,
Akhir ankh me aye anso,

Tujhko ye maloom nahi,
Kitney rat bahaey anso,

Dard ki lazzat or barhi,
Jub anso me milaye anso,

Main ne kajal saf kia,
Or palkon pey sjaey anso,

Us ney meri yad me rahi,
kesey aj bahaye anso.

Na khat likhon na qalam tujhsey rahey, Khamoshiyo ka yehi intaqam tujhsey rahey

Poet:Aitbar Sajid

Na khat likhon na qalam tujhsey rahey,
Khamoshiyo ka yehi intaqam tujhsey rahey,

Rahey bas itna shanasai ka bharam baqi,
Ishar’tan hi dua-o-salam tujhsey rahey,

Na ehad-e-ta’aluq na na qurbatien paheem,
Bas ek rabt-e-musalsal madam tujhsey rahey,

Yehi rahey tera nashtar tera tareqey ilaaj,
Isi tarha ghum-e-dil ko dawam tujhsey rahey,

Nazar me aks fishan ho terey jamal ki dhoop,
Dayar-e-jan me sada rang sham tujhsey rahey,

Ab is sey barh k mujhey chahiye bhi kya akhir,
dayar-e-fan me agar mera naam tujhsey rahey.

 

Muhabbat thi k chahat thi? Ye chahat thi k Ulfat thi?

Muhabbat thi k chahat thi?
Ye chahat thi k Ulfat thi?
K dil mahzooz karny ka Bahana tha?
A jab andaz hai tera muhabbat ka!
Nirala zouq hai tera ya Ulfat ka!

Muhabbat to muhabbat thi jidhr bhi thi
Idhar bhi thi, udhar bhi thi
Na rukti thi, na marti thi
Hazaroon sal jeeti thi
Magar phir bhi na mit'ti thi

Muhabbat noor ta dil ka
Aqeedat tha ye eman ka
Garhi saa'at ka ye paband
Na k kon o makan had ka!
Azal sa hai, amar hai ye abad tak ka

Muhabbat to muhabbat thi
Jahan bhi thi Muhabbat thi.

**********NOMI**********

 

Junon e shaoq ab bhi kam nahi hai, Magar wo aaj bhi barham nahi hai,

 

Poet:Israr-ul-Haq Majaz

Junon e shaoq ab bhi kam nahi hai,
Magar wo aaj bhi barham nahi hai,

Bohat mushkil hai duiya ka sanwarna,
Teri zulfon ka pech o khum nahi hai,

Bohat kuch or bhi hai is jahan me,
Ye duniya mehaz ghum hi ghum nahi hai,

Meri barbadiyon ka hum nasheeno,
Tumhien kya khud mujhey bhi ghum nahi hai,

Bayen seel o seel e hawadas,
Mera sar hai kay ab bhi khum nahi hai,

Majaz ik bada kush to hai yaqeena’n,
Jo hum suntey they wo alam nahi hai.


Ankhon me raha dil me utar kar nahi dekha, Kashti kay musafir ney samundar nahi dekha

 

Poet:Bashir Badar


Ankhon me raha dil me utar kar nahi dekha,
Kashti kay musafir ney samundar nahi dekha,

 

Be waqt agar jaon ga sab chonk parien gey,
Ikumar hoi din me kabhi ghar nahi dekha,

 

Jis din sey chala hun meri manzil pey nazar hai,
Ankhon ney kabhi meel ka pathar nahi dekha,

 

Ye phool mujhey koi warasat me miley hain,
Tum ney mera kanton bhara bistar nahi dekha,

 

Pathar mujhey kehta hai mera chahney wala,
Main mom hun us ney mujhey cho kar nahi dekha.


Khuda hum ko esi Khudayi na dey, Kay apney siwa kuch dikhai na dey

 

Poet:Bashir Badar

Khuda hum ko esi Khudayi na dey,
Kay apney siwa kuch dikhai na dey,

Khatawar samjhey gi duniya tujhey,
Ab itni zayada safai na dey,

Hanso aj itna kay is shor me,
Sada siskiyon ki sunai na dey,

Ghulami ko barkat samjhney lagien,
Aseeron ko esi rihai na dey,

Khuda esey ehsas ka naam hai,
Rahey samney or dikhai na dey,

Mujhey esi jannat nahi chahiye,
Jahan sey madina dikhai na dey.


Us ki chahat ki chandni ho gi, Khoobsorat si zindagi ho gi

 

Poet:Bashir Badar


Us ki chahat ki chandni ho gi,
Khoobsorat si zindagi ho gi,

Ek larki bohat sey phool liye,
Dil ki dehleez par khari ho gi,

Chahey jitney charagh gul kar do

  Us key ghar roshni to ho gi,

Neend tarsey gi meri ankhon me,
Jab bhi khawbon sey dosti ho gi,

Hum bohat door they magar tum ney,
Dil ki awaz to suni ho gi,

Sochta hun key wo kahan ho gi,
Kis key angan me chandni ho gi.

 

**********NOMI**********

 

Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho Darwazey Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho

 

 Poet:Bashir Badar


Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho
Darwazey Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho

Simti Hoi Sharmai Hoi Raat Ki Raani
Soi Hoi Kaliyon Ki Haya Tum To Nahi Ho

Mehsoos Kia Tum Ko To Geeli Hoien Palkein
Bheegey Hoye Mosam Ki Ada Tum To Nahi Ho

In Ajnabi Rahon Mein Nahi Koi Bhi Mera
Kis Ne Mujhe Yun Apna Kaha Tum To Nahi Ho

**********NOMI**********

 

Pa Watan Sa Lagya Di Tu Na Ye Khabar Laliya Kaley Os Hagha Kaley Na Dy Hangamey Lagya Di

 

Poet:Sadiq Kake

Type By

*.__NOMI__.*

 

Be-Ghama Kha Ye Musafar Laliya

Pa Watan Sa Lagya Di Tu Na Ye Khabar Laliya

Kaley Os Hagha Kaley Na Dy Hangamey Lagya Di

Sta Ghunde Khukuli Zalmi Tal Mri Dhamakey Lagya Di

La Mi Da Sta Du Sang Yaraan Nu Di Du Zrrh Watali

Ta Che Jwandi Ledali Vi Hagha Di Mrrhu Watali

Be-Sabra Kega Ma Watan Cha Darna Warrhe Na Da

Zama Khanda Zama Deedan Cha Darna Wade Na Dy

Taa Gramawom Na Zaka Khpal Watan Khu Khpal Watan Dy

Khu Ku Khabar Shwaly Os Hagha Na Dy Bal Watan Dy

Sahar Che Ozi Kor Na Hagha Makhaam Bya Nu Razii

Okhke Arzane Di Du Chaa Pu Khulu Khanda Nu Razii

Sa Pata Nu Lagi Khu Marg Lagya Dy Oor Lagya Dy

Da PokhtonKhuwa Pa Har Yao Gutt Ke Dase Shor Lagya Dy

Che Mazigar Ba Sara Yao Zaai Sho Yaraan Du Kalii

Nu Hagha Khuwand Maze Shta Nu Hagha Dawraan Du Kalii

Haghase Nu Da Che Be-Ghama Ba Chakar Ta Tlaly

Swat Ao Kalaam Ba De Katu Hum Pekhawar Ta Tlaly

Nu Sok Khandaly Shi Ao Nu Ye Zrrhu Sa Kaar Akhlii

Charta Che Dromi Har Qadam Qadam Pu Daar Akhlii

Sok Che Bazaar Ta Zii Pu Zrrhu Ke Ye Da Gham Ekhey Vii

Hase Na Chaa Che Pu Motor Ke Rata Bumb Ekhey Vii

Ku Mi Mane Laliya Zrrhu De Musafarai Ta Warka

Wakht Terawa Shpey Adawa Zoor Mazdorai Ta Warka

Nu Jomatona Nu Sowkai Ao Nu Bazaar Pate Sho

Har Sok Ghamjan Di Du Har Cha Na Khpal Rozgaar Pate Sho

Pu Swat Ao Dir Ke Veer Akhta Dy Pu Kabul Ke Veer Da

Wazeeristan  Ke Veer Akhta Da Bannu Gul Ke Veer Da

Taqreeban Har Kalii Ke Aorama Elaan Du Margi

Dase Bala Raghaley Da Naseeb Tofan Du Margi

Akhtar Che Rashii Bya Taza Mi Shii Zarrhu Zakhmona

Khushi Basoona Ke Che Sok Lari Pu Zrrhu Zakhmona

Os Pate Shawii Di Du Yao Ao Bal Hujro Ta Wartlal

Akhtar Pu Wraz Os Rawaj Shawii Di Qabro Ta Wartlal

Chowkona Wran Di Khatam Hagha Muashire DuKalii

 Bodagan Shta Da Khaoro Lande Di Zalmi Du Kalii

Mainde Che Pasegi Sahar Du Zaoi Jamey Khukulavii

 Hum Tasveerona Ye Tar Neemey Neemey Shpey Khukulavii

Special Shair

 Makhke Lasoona Sra Keedal Ba Du Akhtar Du Para

Os Hagha Mangoley Shwe Saperrhey Du Zigar Du Para

Che Ta Leedal Hagha Yaraan Os Pu Mehfil Ke Neshta

Rangeeni Zaka Du "SADIQ KAKI" Ghazal Ke Neshta

Du Watan Haal Mi Darta Owey Mukhtasar Laliya

Pu Watan Sa Lagya Di Tu Na Ye Khabar Laliya

Che Lootaley Zu Du Har Dawar Qaroon Yam

Badnan Karre Zu Da Har Jabar Qanoon Yam

Zama Loya Gunah Da Da Che Pokhton Yam

Zama Loya Gunah Da Da Che Pokhton Yam

Bal Khars Karre Yama Khpalo Rehbarano

Du Wakhtono Pu Be-Rakhma Dalalano

Pu Makh Makh Yama Wahaley Ghasebano

Che Halato Pu Ta Karre Nan Paron Yam

Zama Loya Gunah Da Da Che Pokhton Yam

Zama Loya Gunah Da Da Che Pokhton Yam

Hum Pu Kor Ke Yam Be-Kora Pate Shawey

Zoor Laram Khu Yam Be-Zora Pate Shawey

Pa Shta Mor Ke Yam Be-Mora Pate Shawey

Da Che Har Wakhte Du Khpal Zaan Pu Latoon Yam

Zama Loya Gunah Da Da Che Pokhton Yam

Zama Loya Gunah Da Da Che Pokhton Yam

Che Ratol Sham Du Salgo Badal Ba Akhlam

Du Be-Mora Mazlomano Badal Ba Akhlam 

Du Har Zulam Ao Sakhto Badal Ba Akhlam

La Marrh Nu Yam Khu Pa Tama Du Badloon Yam

Zama Loya Gunah Da Da Che Pokhton Yam

Zama Loya Gunah Da Da Che Pokhton Yam 

 

**********NOMI**********

 

Kaha Tha Na Youn Sote Huye Chhorr Kar Mat Jana, Mujhe Beshak Jaga Dena Bata Dena


Poet Wasi Shah

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Kaha Tha Na Youn Sote Huye Chhorr Kar Mat Jana,

Mujhe Beshak Jaga Dena Bata Dena,

Tumhein Rasta Badlna Hai,
Meri Had Se Nikalna Hai,

Tumhein Kis Baat Ka Dar Tha ?

Main Tumhein Jane Nahi Deta ?

Kahein Pe Qaid Kar Leta ?

Are Pagal Mohabbat Ki Tabiyet Mein Zabrdasti Nahi Hoti,

Jise Rasta Badlna Ho,
Usay Rasta Badlne Se,

Jise Had Se Nikalna Ho Usay Had Se Nikalne Se,

Na Koi Rok Paya Hai,
Na Koi Rok Paye Ga,

To Tumhein Kis Baat Ka Dar Tha,?

Mujhe Beshak Jaga Deti,

Main Tum Ko Dekh Hi Leta,

Tumhein Koi Dua Deta,

Kam Az Kam Youn To Na Hota,

Mere Saathi Ye Haqeeqat Hai,

Tumhare Bad Khone K Liye,
Kuch Bhi Na Baqi,

Magar Main Khone Se Darta Hoon,

Main Ab Sone Se Darta Hoon,

Kaha Tha Na Youn Chhorr Kar Mat Jana.................*


Ab Junoon Kab Kisi Ke Bas Mein Hai, Us Ki Khushboo Nafs Nafs Mein Hai


Poet john Eila

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

 

Ab Junoon Kab Kisi Ke Bas Mein Hai,

Us Ki Khushboo Nafs Nafs Mein Hai,

Us Said Ka Sunaye Kia Jis Ka,

Siyaad Khud Qafas Mein Hai,

Kiya Hai Gar Zindagi Ka Bas Na Chale,

Zindagi Kab Kisi Ke Bas Mein Hai,

Ghair Se Rahio Too Zara Hoshyaar,

Wo Tere Jisam Ki Hawas Mein Hai,

Paa Shikasta Para Howa Hoon,

Magar Dil Kisi Naghma-E-Jars Mein Hai,

John Hum Sab Ki Dastaras Mein Hain,

Wo Bhala Kis Ki Dastaras Mein Hai......!


Humara Tazkira Choro, Hum Aise Log Hai Jin Ko Zamana Kuch Nahi Kehta, Wafa’en Maar Jati Hai…!!!


Humara Tazkira Choro, Hum Aise Log Hai Jin Ko

Zamana Kuch Nahi Kehta, Wafa’en Maar Jati Hai…!!!


Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai



Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai..


Kamzoriyan Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere, Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein



Kamzoriyan Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere,

Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein.....!


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo