Hamare darmiyan ehd e shab e mehtab zinda hai Hawa chupke se kehti hai, abhi ek khwab zinda hai
ہمارے درمیاں عہد شب مہتاب زندہ ہے ہوا چپکے سے کہتی ہے، ابھی اک خواب زندہ ہے Hamare darmiyan ehd e shab e mehtab zinda hai Hawa chupke se kehti hai, abhi ek khwab zinda hai یہ کس کی نرم خوشبو ہے مری شب کی حویلی میں یہ کیسا رقص مستی اے دل بیتاب زندہ ہے Ye kis ki narm khushbu hai meri shab ki haveli mein Ye kaisa raqs e masti ay dil e betab zinda hai کہاں وہ سانولی شامیں، کہاں وہ ریشمی باتیں مگر اک لمس حیراں کا ابھی زرناب زندہ ہے Kahan wo sanwli shaamen, kahan wo reshmi baten Magar ek lams e hairan ka abhi zarnab zinda hai ابھی تک پانیوں میں سرمئی سائے اترتے ہیں ابھی تک دھڑکنوں میں درد کی مضراب زندہ ہے Abhi tak paniyon mein surmaiy saae uterte hain Abhi tak dharkanon mein dard ki mizrab zinda hai صراط عشق ہے اور ہجر کی تنہا مسافت ہے وہی ہے تشنگی پھر بھی فریب آب زندہ ہے Sirat e ishq hai aur hijr ki tanha musafat hai Wohi hai tishnagi phir bhi fareb e aab zinda hai نوشی گیلانی Noshi Gilani