Nisar-e-Murtaza ho (Hindu Poetess Devi Roop Kumari Indian)









Hai Aj b Zamane me Charcha HUSSAIN ka



Hindu poetess
Devi Roop Kumari  (India)

 

Hai Aj b Zamane me Charcha HUSSAIN ka
Chalta hai Mulk_Mulk me sika HUSSAIN ka

Bharat me Gr wo Aata to Bhagwan kehte hm

Hr Hindu Naam pooja me japta HUSSAIN ka

Mazhab ki koi Baat nhi Dil ki Baat hai

Hr Haq Prast Dil se hai Sheeda HUSSAIN ka

Muslim to parhte Aaye hain kalma RASOOL ka

Hm Hinduon ne parh liya kalma HUSSAIN ka

Sahil se sar Ptakhti hain Piyason ki yaad me

Le le k Naam Ganga-O-Jamna HUSSAIN ka

Rawan ki Trah Mitt Gya Dunya se tu Yazeed

Lekin Dilon pe Aj hai Qabza HUSSAIN ka

Is me Nhi kalam k hm But-parast hain

Ankhon se apni Chomain ge Roza HUSSAIN ka.

 

 

Nomi.Org



 


Main Beti Hon To Ek Rehmat Hon

 

 

Khawabon Ki Ek Basti Thi Ek Larki Us Mein Basti Thi



Poet Ibn-E-Insha
Khawabon Ki Ek Basti Thi
Ek Larki Us Mein Basti Thi
Apne Ghar K Aangan Mein
Kuch Sapne Boya Karti Thi
Apne Kamre Ki Khirki Mein,
Boondon Se Khela Karti Thi,
Sab K Samne Hansti Thi,
Chup Chup K Roya Kati Thi,
Khud Se Kurhti Rehti Thi,
Sakhion Se Kuch Na Kehti Thi,
Chand Ko Ghanton Ghoorte Rehna,
Phir Khud Se Baten Karti Thi,
Dekhne wali Sab Aankhon Ko,
Kaanch Ki Guria Lagti Thi,
Toot Chuki To Sab Ne Jana,
Pyar Wo Kisi Se Karti Thi................!
Kuliat-E-Insha
Page 72

Ye Be Sada Sang-O-Dar Akele

Ujaarr Sunsaan Ghar Akele

Chale Jo Pee K To Mastion Mein

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL

Ye Be Sada Sang-O-Dar Akele

Ujaarr Sunsaan Ghar Akele

Chale Jo Pee K To Mastion Mein

Gaye Kahan Be Khabar Akele,

Muheeb Ban Tha Chahaar Janib,

Kata Tha Sara Safar Akele,

Hawa Si Rangon Mein Chal Rahi Hai,

Kharre Hain Wo Baam Par Akele,

Hai Sham Ki Zarad Dhoop Sar Par,

Hon Jese Din Mein Ngar Akele,

MUNEER Ghar Se Nikal K Hum Bhi,

Phire Bahot Dar Badar Akele..............!

.

Kulyat-E-Muneer

 

 

Abar Mein Baraq K Gulzar Dikhate Us Ko

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

UJRRA_DIL 

 

Abar Mein Baraq K Gulzar Dikhate Us Ko,

Kash Us Raat Ja K Jagate Us Ko,

Sheh Nasheenon Pe Hawa Phirti Hai Khoi Khoi,

Ab Kahan Hain Wo Makeen Ye To Batate Us Ko,

Wo Jo Pas Aa K Younhi Chup Sa Kharra Rehta Tha,

Us Ki To Khoo Thi Yahi,

Tum Hi Bulate Us Ko,

Gham Gusari Ki Talab Thi Ye Mohabbat To Na Thi,

Dard Jab Dil Mein Utha To Chupate Us Ko,

Faida Kaya Hai Agar Ab Wo Mile Bhi To MUNEER,

Umar Beet Gai Raah Pe Late Us Ko.................!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Wo Ek Khayal Jo Us Shokh Ki Nigah Mein Tha

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL

Wo Ek Khayal Jo Us Shokh Ki Nigah Mein Tha,

Usi Ka Akas Mere Dil Ki Sard Aah Mein Tha,

Usi Tarah Wo Purani Bahaar Baqi Thi,

Ajeeb Husan Us Huzzan-E-Bargaah Mein Tha,

Shafaq Ka Rang Jhalkta Tha Laal Sheeshon Mein,

Tamam UJRRA Makan Sham Ki Panah Mein Tha,

Main Us Ko Daikh K Chup Tha Usi Ki Shadi Mein,

Maza To Sara Usi Risam K Nibah Mein Tha,

Sawad-E-Shehar Pe Hi Ruk Gaya Tha Main To MUNEER,

Aur Aik Dashat-E-Bala Mere Ghar Ki Raah Mein Tha..................!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Jamal-E-Yar Ka Daftar Raqam Nahi Hota

Kisi Jatan Se Bhi Ye Kaam Kam Nahi Hota

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL 

 

Jamal-E-Yar Ka Daftar Raqam Nahi Hota

Kisi Jatan Se Bhi Ye Kaam Kam Nahi Hota

Tamam Ujrre Kharabe Haseen Nahi Hote,

Har Ik Purana Makaan Qasar-E-Jamm Nahi Hota,

Tamam Umar Raah-E-Raftgaan Ko Takti Rahi,

Kisi Nigaah Mein Itna To Dam Nahi Hota,

Yahi Saza Hai Meri Ab Jo Main Akela Hon,

Keh Mera Sar Tere Aage Bhi Kham Nahi Hota,

Wo Be Hasi Hai Muslsal Shaksat-E-Dil Se MUNEER,

Koi Bicharr K Chala Jaye Gham Nahi Hota...............!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Kabhi So Gai Hain Nabzein

Kabhi Dard Jaag Utha Hai

 

 

Poet Syed Ameen Gilani

Kabhi So Gai Hain Nabzein

Kabhi Dard Jaag Utha Hai

Koi Mere Dil Se Pooche,

Shab-E-Gham Buri Bala Hai,

Main Mareez-E-La Dawa Hon,

Meri Jan Ghalat Kaha Hai,

Tera Hans K Dekh Lena,

Mere Dard Ki Dawa Hai,

Kabhi Mil Gai Jo Khalwat Mujhe Di Aagr Ijazat,

Wohi Zulf Choom Lon Ga,

Mujhe Jis Ne Das Lia Hai,

Mere Dil Mein Ghar Hai Tera Tere Dar Pe Sar Hai Mera,

Jo Khafa Ha Mujh Se Dunia Yehi Ek Meri Khata Hai,

Kisi Butt (Morti) Se Pyar Karna Hai Agarche Kufar Zahid,

Isi Kufar Se To Mujh Ko Ba Khuda Khuda Mila Hai,

Tera Name Sun K Aye Jan Teri Deed Ki Lagan Mein,

Koi Toor Par Gia Hai Koi Daar Par Charha Hai,

Nahi Faraq Aab-O-Gul Mein Magar Apni Apni Qismat,

Koi Phool Ban K Mehka

Koi Khaar Ban Gia Hai,

Tere Gham Ko Dil Mein Pala Wo Wafa Ki Ibtada Thi,

Tere Gham Mein Jan De Di Ye Wfa Ki Intiha Hai,

Na Wo Rut Jawanion Ki Na Wo Rang-E-Bazm-E-Yaran,

Wo Bahar Lut Chuki Hai Wo Chaman Ujar Chuka Hai,

Wo Hai Jalwa Gah-E-Jana

Mujhe Dosto Sanbhalo,

Mere Paon Kanpte Hain Mera Dil Dharak Raha Hai,

Koi Jam-E-Jam Kahan Se Tujhe La K Aaye AMEEN De,

Too Agar Kare Tawajo Tera Dil Jahan Numa Hai..............!

Book Umeed-O-Yaas

Page 49,50



December Jab Bhi Aata Hai

Wo Pagli Phir Se Beete Mosam Ko Yad Karti Hai

 

 

Poet Khaleelullah Farooqi

 

December Jab Bhi Aata Hai

Wo Pagli Phir Se Beete Mosam Ko Yad Karti Hai

Purane Cards Parhti Hai K Jis Mein Us Ne Likha Tha,

Main Louton Ga DECEMBER Mein,

Naye Kapre Banati Hai,

Wo Sara Ghar Sajati Hai,

December K Har Aik Din Ko,

Wo Gin Gin Kar Batati Hai,

Joon Hi 15 Guzarti Hai,

Wo Kuch Kuch Toot Jati Hai,

Magar Phir Bhi Purane Albums Ko Khol Kar,

Mazi Ko Bulati Hai,

Nahi Maloom Ye Us Ko K,

Beete Waqt Ki Khushian

Bahut Takleef Deti Hein,

Mehz Dil Ko Jalati Hain,

Younhi Din Beet Jate Hein,

DECEMBER Lout Jata Hai,

Magar Wo Khush Fehm Larki,

Dobara Se Calender Mein,

DECEMBER K Maheene K

Safhe Ko,

Mor Kar Phir Se December K Sehr Mein Doob Jati Hai,

K Aakhir Us Ne Likha Tha,

Main Louton Ga DECEMBER Mein.........!

Page 240



Deti Nahi Amaan Jo Zameen
Aasmaan To Hai

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

UJRRA_DIL

Deti Nahi Amaan Jo Zameen

Aasmaan To Hai,

Kehne Ko Apne Dil Se Koi Dastaan To Hai,

Youn To Hai Rang Zard Mgar Hont Laal Hain,

Sehra Ki Was'Eton Mein Kahain Gulstaan To Hai,

Aik Cheel Aik Mamti Pe Bethi Hai Dhoop Mein,

Galiyan Ujrr Gai Hain Mgar Pasbaan To Hai,

Aawaz Day K Daikh Lo Shayd Wo Mil Hi Jaye,

Warna Ye Umar Bhar Ka Safar Raegaan To Hai,

Mujh Se Bahot Qareeb Hai To Phir Bhi Ay MUNEER,

Parda Sa Mere Tere Darmiyaan To Hai...........!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gar Raha

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL

Dil Jal Raha Tha Gham Se

Magar Naghma Gar Raha,

Jab Tak Raha Main Sath Mere Ye Hunar Raha,

Subha Safar Ki Raat Thi

Tare The Aur Hawa,

Saya Sa Aik Dair Talak Baam Par Raha,

Meri Sada Hawa Mein Bahot Door Tak Gai,

Par Main Bula Raha Tha Jise Wo Be Khabr Raha,

Guzari Hai Kaya Maze Se Khayalon Mein Zindagi ?

Doori Ka Ye Talsim Barra Kargar Raha,

Khof Aasman K Sath Tha Sar Par Jhuka Huwa,

Koi Hai Bhi Ya Nahi ?

Yahi Dil Mein Dar Raha,

Us Aakhri Nazar Mein Ajab Dard Tha MUNEER,

Jane Ka Us K Ranj Mujhe Umar Bhar Raha..........!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Hansi Chupa Bhi Gia Aur Nazar Mila Bhi Gia

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

 

UJRRA_DIL

Hansi Chupa Bhi Gia Aur Nazar Mila Bhi Gia,

Ye Ik Jhalak Ka Tamasha Jigar Jala Bhi Gaya,

Utha To Ja Bhi Chuka Tha Ajeeb Mehmaan Tha,

Sadaein De K Mujhe Neend Se Jaga Bhi Gia,

Ghazab Huwa Jo Andhaire Mein Jal Uthi Bijli,

Badan Kisi Ka Talsimat Kuch Dikha Bhi Gia,

Na Aaya Koi Labb-E-Baam Sham Dhalne Lagi,

Wafoor-E-Shoq Se Aankhon Mein Khoon Aa Bhi Gia,

Hawa Thi Gehri Ghata Thi Hina Ki Khushboo Thi,

Ye Aik Raat Ka Qisa Lahoo Rula Bhi Gia,

Chalo MUNEER Chalein Ab Yahan Rahein Bhi To Kia ?

Wo Sang Dil To Yahan Se Kahein Chala Bhi Gia............!

Kuliat-E-Muneer

 

 

Aaina Ban Kar Kabhi Un Ko Hairan Daikhiye

 

 

Poet Muneer Niazi

Type bY 

UJRRA_DIL

Aaina Ban Kar Kabhi Un Ko Hairan Daikhiye,

Apne Gham Ko Un Ki Soorat Se Numayan Daikhiye,

Is Diyar-E-Chasham-O-Lab Mein Dil Ki Ye Tanhaiyan,

In Bhare Shehron Mein Bhi Sham-E-Ghareeban Daikhiye,

Umar Guzari Dil K Bujhne Ka Tamasha Kar Chuke,

Kis Nazar Se Baam-O-Dar Ka Ye Charaghan Daikhiye,

Daikhiye Ab K Baras Kaya Gul Khilati Hai Bahaar ?

Kitni Shudat Se Mehkta Hai Gulstan Daikhiye,

Ay MUNEER Is Anjuman Mehn Chasham-E-Laila Ka Khayal,

Sardiyon Ki Barishon Mein Baraq Larzan Daikhiye........! 

 

Kuliat-E-Muneer

 

 

Kafi Arsa Beet Gia Hai Jane Ab Wo Kaisa Ho Ga

Waqt Ki Sari Karvi Batain



Kafi Arsa Beet Gia Hai Jane Ab Wo Kaisa Ho Ga,


Waqt Ki Sari Karvi Batain,


Chup Chap Gum Sum Sehta Ho Ga,


Ab Bhi Bheegi Barish Mein Wo,


Bin Chatri K Chalta Ho Ga,


Mujh Se Bichre Arsa Beeta,


Ab Wo Kis Se Larta Ho Ga,


Acha Hota Jo Sath Hi Rehte,


Aksar Us Ne Socha Ho Ga,


Apne Dil Ki Sari Batain,


Khud Se Khud Hi Karta Ho Ga,


Mujh Se Bichre Arsa Beeta,


Jane Ab Wo Kaisa Ho Ga.............!

 

 

Mudat hoi hy Yaar ko mehman kiye hoe



Badshah Tere Aesaab Pe Tari Main Thi


 

==========
Raj Kumari
==========

 

Poetess Rehana Qamar 


Badshah Tere Aesaab Pe Tari Main Thi,

Wo Bhi Din Thay K Teri Raj Kumari Main Thi,

Ye Bhi Sach Hai K Mujhe Maar Dia Hai Too Ne,

Ye Bhi Sach Hai K Tujhe Jan Se Pyari Main Thi,

Sari Dunia Ko Pata Hai K Nahi Tum Mere,

Sari Dunia Ko Pata Hai K Tumhari Main Thi,

Ab To Ek Jisam Hon Jis Mein Koi Dharkan Hai Na Dil,

Kabhi Sanson Ki Tarah Jari-O-Sari Main Thi,

Too Mere Bad Bhi Zinda Hai Bahut Zinda Hai,

Kaise Maano K Teri Waqt Guzari Main Thi...................!

 


Ishq Haara To Dil Thaam K Kion Bethe Ho Ayaz Tum To Har Bat Pe Kehte Ho Koi Bat Nahi

 

Ishq hara hai to dil thaam k kion bethe ho Ayaz.

 

Poet Ayaz Khan

Type By

  *.__Ayaz_Khan__.*

 

Dil Tarapta Hai Ke Ab Tujhe Se Koi Mulaqaat Nahi,

Dard Ke Tufe Jo Tu Ne Diye Wo Kante Hain Koi Soghaat Nahi,

Mein To Diwana Hon Tera Khud Ko Jala Don Ga,

Mein Mar Bhi Gaya Tere Gham Mein To Ye Koi Maat Nahi,

Ye Jo Sawan Ki Tarah Ashkon Ka Ek Daria Nazar Aata Hai,

Ye Mere Aansoo Hain Zalim Koi Barsaat Nahi,

Aaj Mein Tanha Hon Tujh Ko Ye Raaz Kise Bataon,

Teri Yaadain Teri Baatain Hain Aur Koi Sath Nahi,

Ishq Hara Hai To Dil Thaam Ke Kion Bethe Ho AYAZ,

Tum To Har Baat Par Kehte The Koi Baat Nahi, Koi Baat Nahi..........!

 

Aalam-e-Ab-o-Khak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main


image shayari for عالم_آب_و_خاک_و_باد سر_عیاں ہے تو کہ میں
وہ جو نظر سے ہے نہاں اس کا جہاں ہے تو کہ میں
اس کی سحر ہے... 

 

aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir


image shayari for افلاک سے آتا ہے نالوں کا جواب آخر
کرتے ہیں خطاب آخر اٹھتے ہیں حجاب آخر
شمشیر و سناں اول طاؤس و ربا...

agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera


image shayari for اگر کج_رو ہیں انجم آسماں تیرا ہے یا میرا
مجھے فکر_جہاں کیوں ہو جہاں تیرا ہے یا میرا
اسے صبح_ازل ان... 

 

amin-e-raaz hai mardan-e-hur ki darweshi


image shayari for امین_راز ہے مردان_حر کی درویشی
کہ جبرئیل سے ہے اس کو نسبت_خویشی
وہ شے کچھ اور ہے کہتے ہیں جان_پاک ...

apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main


image shayari for اپنی جولاں_گاہ زیر_آسماں سمجھا تھا میں
آب و گل کے کھیل کو اپنا جہاں سمجھا تھا میں
تھی فغاں وہ بھی ...

aql go aastan se dur nahin


image shayari for عقل گو آستاں سے دور نہیں
اس کی تقدیر میں حضور نہیں
بے_حضوری ہے تیری موت کا راز
یہ حدیث_کلیم_و_طور...

asar kare na kare sun to le meri fariyaad


image shayari for اثر کرے نہ کرے سن تو لے مری فریاد
نہیں ہے داد کا طالب یہ بندۂ_آزاد
یہی ہے فصل_بہاری یہی ہے باد_مرا...

DhunD raha hai farang aish-e-jahan ka dawam


image shayari for ڈھونڈ رہا ہے فرنگ عیش_جہاں کا دوام
وائے_تمنائے_خام وائے_تمنائے_خام
حلقۂ_صوفی میں ذکر بے_نم و بے_سو...


digar-gun hai jahan taron ki gardish tez hai saqi


image shayari for دگرگوں ہے جہاں تاروں کی گردش تیز ہے ساقی
دل_ہر_ذرہ میں غوغائے_رستاخیز ہے ساقی
نہ اٹھا پھر کوئی روم...

Dil soz se Khaali hai nigah pak nahin hai


image shayari for دل سوز سے خالی ہے نگہ پاک نہیں ہے
پھر اس میں عجب کیا کہ تو بیباک نہیں ہے
بجلی ہوں نظر کوہ و بیاباں...

Dil-e-bedar faruqi dil-e-bedar karrari


image shayari for دل_بیدار فاروقی دل_بیدار کراری
مس_آدم کے حق میں کیمیا ہے دل کی بیداری
دل_بیدار پیدا کر کہ دل خوابی...

ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana


image shayari for اعجاز ہے کسی کا یا گردش_زمانہ
ٹوٹا ہے ایشیا میں سحر_فرنگیانہ
راز_حرم سے شاید اقبالؔ باخبر ہے
اہل_...

ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani


image shayari for اک دانش_نورانی اک دانش_برہانی
ہے دانش_برہانی حیرت کی فراوانی
ہو نقش اگر باطل تکرار سے کیا حاصل
مج...

faqr ke hain mojazat taj o sarir o sipah


image shayari for فقر کے ہیں معجزات تاج و سریر و سپاہ
فقر ہے میروں کا میر فقر ہے شاہوں کا شاہ
علم کا موجود اور فقر ک...

fitrat ko KHirad ke ru-ba-ru kar


image shayari for فطرت کو خرد کے روبرو کر
تسخیر_مقام_رنگ_و_بو کر
تو اپنی خودی کو کھو چکا ہے
تاروں کی فضا ہے بیکرانہ...

fitrat ne na baKHsha mujhe andesha-e-chaalak


image shayari for فطرت نے نہ بخشا مجھے اندیشۂ_چالاک
رکھتی ہے مگر طاقت_پرواز مری خاک
کرتی ہے چمک جن کی ستاروں کو عرق_... 


garm-e-fughan hai jaras uTh ki gaya qafila


image shayari for گرم_فغاں ہے جرس اٹھ کہ گیا قافلہ
وائے وہ رہ_رو کہ ہے منتظر_راحلہ
تیرے موافق نہیں خانقہی سلسلہ
گرد...

gesu-e-tabdar ko aur bhi tabdar kar


image shayari for گیسوئے_تابدار کو اور بھی تابدار کر
ہوش و خرد شکار کر قلب و نظر شکار کر
میں ہوں صدف تو تیرے ہاتھ می...

gulzar-e-hast-e-bud na begana-war dekh


image shayari for گلزار_ہست_و_بود نہ بیگانہ_وار دیکھ
ہے دیکھنے کی چیز اسے بار بار دیکھ
کھولی ہیں ذوق_دید نے آنکھیں ت...

hadsa wo jo abhi parda-e-aflak men hai


image shayari for حادثہ وہ جو ابھی پردۂ_افلاک میں ہے
عکس اس کا مرے آئینۂ_ادراک میں ہے
توڑ ڈالے_گی یہی خاک طلسم_شب_و_...

hai yaad mujhe nukta-e-salman-e-KHush-ahang


image shayari for ہے یاد مجھے نکتۂ_سلمان_خوش_آہنگ
دنیا نہیں مردان_جفاکش کے لیے تنگ
کر بلبل و طاؤس کی تقلید سے توبہ
...

Main To Khuda Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...?

 

 

Poet John Elia


Type By 

 

*._Ayaz_Khan_*



Main To Khuda Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...?


Har Lamha LAA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...?


Mujh Ko Baqa-E-Eesh-E- Tohham Nahi Qubool,


Main To FANA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Hoo...?


Main Hoon Bhi Ya Nahi Hon, Ajab Hai Mera Azaab,


Har Lamha YAA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...?


Main Hoon Gubaar-E-Jadaah Bood-O-Nabood Ka,


Yaani HAWA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...?


Tum Bhi To Aj Mujh Se Karo Kuch Sukhann Ke Main,


Naffi-E-ANAA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...?


Musam Mera Koi Bhi Nahi Iss Zameen Main,


Abb-O-HAWA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho.........!


Book: Lekin


Page: 59,60


Mazeed Poetry K Liye,


Follow khan61 send 8001

 

 

Kali Se Keh Rahi Thi Aik Din Shabnam Gulisaan Mein

Rahi Main Aik Muddat Ghuncha Haye Bagh-E-Rizwaan Mein

 

Poet Dr Allama Iqbal

Pholon Ki Shehzadi

Type By 

*._Ayaz_Khan_.*

 

Kali Se Keh Rahi Thi Aik Din Shabnam Gulisaan Mein

Rahi Main Aik Muddat Ghuncha Haye Bagh-E-Rizwaan Mein

Gulistaan Ki Kaifiat Sarshar Hai Aesi,

Nigah Firdoos Dar Daman Hai Meri Chashm-E-Heraan Mein,

Suna Hai Koi Shehzadi Hai Hakim Iss Gulistaan Ki,

Ke Jis Ke Naqsh-E-Pa Se Phool Hon Paida Byabaan Mein,

Kabhi Sath Apne Uss Ke Astaan Tak Mujh Ko Too Le Chal,

Chupa Kar Apne Daman Mein Barang-E-Mouj-E-Boo Le Chal,

Kali Boli Sareer Ara Humari Hai Woh Shehzadi,

Darkhashaan Jis Ki Thokar Se Hon Pathar Bhi Nageen Ban Kar,

Magar Fitrat Teri Uftanda Aur Begam Ki Shan Unchi,

Nahi Mumkin Ke Too Pohenche Humari Hum Nasheen Ban Kar,

Puhonch Sakti Hai Too Lekin Humari Shahzadi Tak,

Kisi Dukh Dard Ke Mare Ka Ashak-E-Atisheen Ban Kar,

Nazar Uss Ki Payam-E-Eid Hai Ahl-E-Muhram Ko,

Bana Deti Hai Gohar Ghamzadon Ke Ashak-E-Peham Ko........!

...... THE END .......

Book

Bang-E-Dara 

 

Ab Wo Karam Karein K Sitam Main Nashe Mein Hon

Mujh Ko Na Koi Hosh Na Gham Main Nashe Mein Hon Lyric

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Ab Wo Karam Karein K Sitam Main Nashe Mein Hon

Mujh Ko Na Koi Hosh Na Gham Main Nashe Mein Hon,

Seene Se Bojh Un K Ghamo Ka Utar K,

Aaya Hon Aaj Apni Jawani Ko Haar K,

Kehte Hain Dagmagate Qadam,

Main Nashe Mein Hon,

Wo Bewafa Hai Ab Bhi Ye Dil Manta Nahi,

Kambakht Na Samjh Hain Unhain Janta Nahi,

Main Aaj Torr Don Ga Bharam,

Main Nashe Mein Hon,

Fursat Nahi Hai Rone Rulane K Waste,

Aaye Na Un K Yad Satane K Waste,

Is Waqt Dil Mein Dard Hai Kam,

Main Nashe Mein Hon.............!

 

Page 445 

 

Arz-E-Gham Kabhi Us K Roo Ba Roo Bhi Ho Jaye

Shairy To Hoti Hai Guftagoo Bhi Ho Jaye

 

Poet Ahmad Faraz

 

Arz-E-Gham Kabhi Us K Roo Ba Roo Bhi Ho Jaye

Shairy To Hoti Hai Guftagoo Bhi Ho Jaye

Zakham-E-Hijar Bharne Se Yad To Nahi Jati,

Kuch Nishaan To Rehte Hain Dil Rafoo Bhi Ho Jaye,

Rind Hain Bhare Bethe Aur Maye Kada Khali,

Kia Bane Jo Aise Mein Aik Hoo Bhi Ho Jaye,

Main Idhar Tan-E-Tanha Aur Udhar Zamana Hai,

Wa-E-Gur Zamane K Sath Too Bhi Ho Jaye,

Pehli Na Muradi Ka Dukh Kahein Basarta Hai,

Bad Mein Agar Koi Surkh Roo Bhi Ho Jaye,

Deen-O-Dil To Kho Bethe Ab FARAZ Kia Gham Hai,

Koo-E-Yar Mein Gharat Aabro Bhi Ho Jaye..............!

Page 15,16

 

 

 

Maza Hai Pur Afsos Rehna

Humari Tamana Hai Mayoos Rehna

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Maza Hai Pur Afsos Rehna

Humari Tamana Hai Mayoos Rehna

Ye Qaid-E-Mohabbat Ek Azadgi Hai,

Magar Koi Jane Bhi Mahbos Rehna,

Ye Seekha Hai To Ashk Ghamaz Kis Se,

Mere Aankh Mein Ban K Jasoos Rehna,

Kia Hai Raqeebon Ne Saman-E-Ishrat,

Khabar Daar Aye Chargh-E-Manhoos Rehna,

Khosha Wo Zamana K Tha Dil Ka Shewa,

Na Manoos Rehna Na Mayoos Rehna,

Ulat De Zara Roo-E-Roshan Se Parda,

Ye Kia Shamma San Zeir-E-Fanoos Rehna,

Wo Mehshar Kharaam Aaye Ga Soo-E-Gulshan,

Alag Is Se Aye Kabak-O-Taaos Rehna,

Mohabbat Mein Youn DAGH Izat Rahe Gi,

K Tum Dushman-E-Nang-O-Namoos Rehna..............!

Page 72,73 

 

Aye Chand Husn Tera Fitrat Ki Aabroo Hai Tof-E-Hareem-E-Khaki Teri Qadeem Khoo Hai

Poet Dr Allama Iqbal

======
Chand
======

Type By


  *._Ayaz_Khan_.*

 

Aye Chand Husn Tera Fitrat Ki Aabroo Hai,

Tof-E-Hareem-E-Khaki Teri Qadeem Khoo Hai,

Ye Dagh Sa Jo Tere Seene Mein Hai Namayan,

Ashiq Hai Too Kisi Ka Ye Dagh-E-Arzoo Hai,

Mein Mutarib Zameen Par Betab Too Falak Par,

Tujh Ko Bhi Justujoo Hai Mujh Ko Bhi Justujoo Hai,

Insan Hai Shama Jis Ki Mehfil Wohi Hai Teri,

Main Jis Taraf Rawaan Hon Manzil Wohi Hai Teri,

Too Dhoondta Hai Jis Ko Taron Ki Khamashi Mein,

Poshida Hai Woh Shaid Ghoghaye Zindagi Mein,

Istada Saroo Mein Hai, Sabze Mein So Raha Hai,

Bulbul Mein Naghma-Zan Hai Khamosh Hai Kali Mein,

Aa Mein Tujhe Dikhaon Rukhsar-E-Roshan Uss Ka,

Nehron Ke Aaine Mein Shabnam Ki Aarasi Mein.

Sehra-O-Dasht-O-Dar Mein Kuhsar Mein Wohi Hai.

Insan Ke Dil Mein Tere Rukhsar Mein Wohi Hai....!

 

Book Bang-E-Dara

 

چاندنی جھیل نہ شبنم نہ کنول میں ہوگا

چاندنی، جھیل نہ شبنم نہ کنول میں ہوگا


اب تیرا عکس فقط اپنی غزل میں ہوگا


اور اک سانس کو جینے کی تمنا کر لیں


ایک لمحہ تو ابھی دشتِ اَجل میں ہوگا

راکھ ماضی کی کُریدو، نہ پَلٹ کر دیکھو

آج کا دن بھی ہُوا گُم، تو وہ کل میں ہوگا

کیوں کسی موڑ پہ رُک رُک کے صدا دیں اُس کو

وہ تو مصروف مُصافت کے عمل میں ہوگا

جس سے منسوب ہے تقدیر ِ دو عالم کا مزاج

وہ ستارہ بھی تیری ظلف کے بَل میں ہوگا


ہجر والو! وہ عدالت بھی قیامت ہوگی

فیصلہ ایک صدی کا، جہاں پًل میں ہوگا


اُس کو نیندوں کے نگر میں نہ بساؤ محسن

ورنہ شامل وہی نیندوں کے خلل میں ہوگا

Shamma Aur Shaair Long Poem By Allama Iqbal

 

 Poet Dr Allama Iqbal

Shama Aur Shaair

Type By

Ayaz Khan 

&

Ujrra dil

Shaair

Dosh Mee Gutam Ba Shama-E-Manzil-E-Weran-E-Khowish,

Gaisoye Too Azpar-E-Parwana Dar Dashana Ae.

Dar Jahan Misl-E-Charagh-E-Lala-E-Sehrastam,

Ne Naseeb-E-Mehfil-E-Ne Qismat- E-Kashana Ae.

Madd Te Manind-E-To Man Hum Nafas Mee Soukhtam,

Dar Tawaf-E-Shaula Am Baale Na Zad Parwana Ae.

Mee Tapad Sad Jalwa-E-Dar Jaan-E-Amal Far Sood-E-Mann,

Bar Namee Khaizd Azeen Mehfil Dil-E-Diwana Ae.

Az Kuja Aen Aatish-E-Alam Faroz Andokhti,

Kirmak-E-Be Maya Ra Souz-E-Kaleem Amoskhti,

Mujh Ko Mouj-E-Nafas Deti Hai Paigham-E-Ajal,

Lab Issi Mouj-E-Nafas Se Hai Nawa Paira Tera.

Mein To Jalti Hon K Hai Muzmir Meri Fitrat Mein Souz,

Too Firouzan Hai K Parwanon Ko Ho Soda Tera.

Girya Saman Main K Mere Dil Mein Hai Toofan-E-Ashak,

Shabnam Afshan Too K Bazm-E-Gul Mein Ho Charcha Tera.

Gul Ba Daman Hai Meri Shab Ke Lahoo Se Meri Subah,

Hai Tere Amroz Se Na-Ashna Farda Tera,

Youn To Roshan Hai Magar Souz-E-Darun Rakhta Nahi,

Shaola Hai Misl-E-Charagh-E-Lala-E-Sehra Tera.

Soch To Dil Mein, Laqab Saqi Ka Hai Zaiba Tujhe,

Anjuman Pyasi Hai Aur Pemana Be-Sehba Tera.

Aur Hai Tera Shuaar, Aaeene-E- Millat Aur Hai,

Zisht Roi Se Teri Aaina Hai Ruswa Tera.

Kaaba Pehlu Mein Hai Aur Soodai-E-Bautkhana Hai,

Kis Qadar Shourida Sar Hai Shauq-E-Be-Parwa

Tera,

Shama

Qais Paida Hon Teri Mehfil Mein, Ye Mumkin Nahi,

Tang Hai Sehra Tera, Mehmil Hai Be-Laila Tera.

Ay Dur-E-Tabinda, Ay Parwardah-E-Aghosh-E-Mouj.

Lazzat-E-Toofan Se Hai Na Ashna Daria Tera.

Ab Nawa Paira Hai Kia, Gulshan Howa Barham Tera.

Be Mehel Tera Taranum, Naghma Be Mousam Tera.

Tha Jinhain Zauq-E-Tamasha, Wo To Rukhsat Ho Gaye.

Le K Ab Too Wada-E-Didaar-E-Aam Aaya To Kia,

Anjuman Se Wo Purane Shaola Aasham Uth Gaye,

Saqia Mehfil Mein Too Aatish Bajaam Aaya To Kia.

Aah, Jab Gulshan Ki Jamiat Preshan Ho Chukki,

Phool Ko Baad-E-Bahari Ka Payam Aaya To Kia.

Akhir-E-Shab Deeb K Qabil Thi Bismil Ki Tarap,

Subahdam Koi Agar Balaye Baam Aaya To Kia.

Bujh Gia Wo Shaola Jo Maqsood-E-Har Parwana Tha,

Ab Koi Soudai-E-Souz-E-Tamam Aaya To Kia,

Phool Be Parwa Hain, Too Garam-E-Nawa Ho Ya Na Ho,

Karwan Be Hiss Hai, Awaz-E-Dra Ho Ya Na Ho.

Shama-E-Mehfil Ho K Too Jab Souz Se Khali Raha,

Tere Parwane Bhi Iss Lazzat Se Baigane Rahe.

Rishta-E-Ulfat Mein Jab In Ko Pero Sakta Tha Too,

Phir Preshan Kion Teri Tasbeeh K Dane Rahe.

Shauq-E-Be Parwa Gaya, Fikar-E-Falak Pema Gaya,

Teri Mehfil Main Na Diwane Na Farzane Rahe,

Wo Jigar Souzi Nahin, Wo Shaola Ashaami Nahi,

Faida Phir Kia Jo Gird-E-Shama Parwane Rahe.

Khair, Too Saqi Sahi Lekin Pilaye Ga Kise,

Ab Na Woh Mai-Kash Rahe Baqi Na Maikhane Rahe.

Ro Rahi Hai Aaj Ek Tooti Howi Meena Usse.

Kal Talak Gardish Mein Jis Saqi K Paimane Rahe,

Aaj Hain Khamosh Wo Dasht-E- Junoon Parwar Jahan.

Raqs Mein Laila Rahi, Laila K Diwane Rahe,

Waye Nakami Mataa-E-Karwan Jata Raha,

Karwan K Dil Se Ehsas-E-Ziyan Jata Raha.

Jin K Hangamon Se The Aabad Werane Kabhi,

Shehr Un K Mit Gaye Abadiyan Ban Ho Gaeen.

Siwat-E-Toheed Qayam Jin Namazon Se Hoi,

Wo Namazain Hund Mein Nazar-E-Barhman Ho Gaeen,

Dehr Mein Aysh-E-Dawam Aaeen Ki Pabandi Se Ha,

Mouj Ko Azadiyan Saman-E-Shewan Ho Gain,

Khud Tajalli Ko Tamanna Jin K Nazaron Ki Thi,

Wo Nigahain Na Umeed-E-Noor-E-Aeman Ho Gaeen.

Urti Phirti Theen Hazaron Bulbulain Gulzar Mein Dil Mein,

Kia Aai K Paband-E- Nasheman Ho Gaeen.

Wusat-E-Gardoon Mein Thi Un Ki Tarap Nazara Sooz,

Bijliyan Aasuda-E-Damaan-E-Khirman Ho Gaeen.

Didah-E-Khunbar Ho Minnat Kash-E-Gulzar Kion,

Ashak-E-Peham Se Nigahain Gul Ba Daman Ho Gain,

Sham-E-Gham Lekin Khabar Detai Hai Subah-E-Eid Ki,

Zulmat-E-Shab Mein Nazar Aai Kiran Umeed Ki.

Muzda Ae Paimana Bardaar-E- Khumistan-E-Hijaz,

Baad Muddat K Tere Rindon Ko Phir Aaya Hai Hosh,

Naqad-E-Khuddari Bahaye Badah-E-Aghyar Thi,

Phir Dukan Teri Hai Labraiz-E-Sada-E-Nau Nosh.

Tootne Ko Hai Talism-E-Mah Simayaan-E-Hind,

Phir Sulemaa Ko Nazar Deti Hai Peghaam-E-Kharosh,

Phir Ye Ghogha Hai K La Saqi Sharab-E-Khana Saaz,

Dil K Hangame Mai-E-Maghrib Ne Kar Dale Khamosh.

Naghma Paira Ho K Ye Hangam-E-Khamoshi Nahin,

Hai Sehar Ka Asman Khursheed Se Meena Badosh.

Dar Gham-E-Deegar Basouz-O-Deegran Rahum Basouz,

Guftmat Roshan Hadise Gar Towani Daar Gosh.

Keh Gaye Hain Shayari Juzweest Az Peghambari,

Han Suna De Mehfil-E-Millat Ko Pegham-E-Sarosh,

Aankh Ko Baidar Kar De Wadaa-E- Deedar Se,

Zinda Kar De Dil Ko Sooz-E-Jouhar-E-Guftar Se.

Rahzan-E-Himmat Howa Zauq-E-Tan Asani Tera,

Beher Tha Sehra Mein Too, Gulshan Mein Misl-E-Joo Howa.

Apni Asleeyat Pe Qayaam Tha To Jamiat Bhi Thi,

Chor Kar Gul Ko Preshan Karwaan-E-Boo Howa.

Zindagi Qatre Ko Sikhlaati Hai Asrar-E-Hayaat,

Ye Kabhi Gohar, Kabhi Shabnam, Kabhi Ansu Howa,

Phir Kahin Se Iss Ko Paida Kar Bari Doulat Hai Ye,

Zindagi Kaisi Jo Dil

Begana-E-Pehloo Howa.

Aabru Baqi Teri Millat Ki Jamiat Se Thi,

Jab Ye Jamiat Gai, Dunia Mein Ruswa Too Howa.

Fard Qayam Rabt-E-Millat Se Hai, Tanha Kuch Nahin,

Mooj Hai Daria Mein Aur Bairun-E-Daria Kuch Nahin.

Parda-E-Dil Mein Mohabbat Ko Abhi Mastoor Rakh,

Yani Apni Mai Ko Ruswa Soorat-E-Meena Na Kar,

Khima-Zan Ho Wadi-E-Seena Mein Manind-E-Kaleem,

Shaola-E-Tehqeeq Ko Gharatgar-E-Kashana Kar.

Shama Ko Bhi Ho Zara Maloom Anjam-E-Sitam,

Sarf-E-Tameer-E-Sehar Khakstar-E-Parwana Kar.

Too Agar Khuddar Hai, Minnat Kash-E-Saqi Na Ho,

Ayn Daria Mein Habaab Aasa Nigoon Pema Na Kar.

Kaifiat Baqi Purane Koh-O-Sehra Mein Nahi,

Hai Junoon Tera Naya, Paida Naya Weerana Kar,

Khak Mein Tujh Ko Muqadar Ne Mila Hai Agar,

To Asa Uftaad Se Paida Misal-E-Dana Kar.

Haan, Issi Shakh-E-Kuhan Par Phir Bana Le Ashiyan,

Ahl-E-Gulshan Ko Shaheed-E- Naghma-E-Mastana Kar.

Iss Chaman Mein Pairwe Bulbul Ho Ya Talmeez-E-Gul,

Ya Sarapa Nala Ban Ja Ya Nawa Paida Na Kar.

Kion Chaman Mein Be Sada Misl-E-Ram-E-Shabnam Hai Too,

Lab Kusha Ho Ja, Surood-E-Barbat-E-Alam Hai Too,

Ashna Apni Haqiqat Se Ho Ae Dehqan Zara,

Dana Too Khaiti Bhi Too Baran Bhi Too.

Aah, Kis Ki Justujoo Aawara Rakhti Hai Tujhe,

Rah Too Rahru Bhi Too Rahbar Bhi Too Manzil Bhi Too.

Kanpta Hai Dil Tera Andesha-E-Toofan Se Kia,

Na Khuda Too Beher Too Kashti Bhi Too Sahil Bhi Too.

Dekh Aa Kar Kaucha-E-Chaak-E-Greban Mein Kabhi,

Qais Too Laila Bhi Too Sehra Bhi Too,

Waye Nadani Ke Too Mouhtaj-E-Saqi Ho Gia,

Mai Bhi Too Meena Bhi Too Saqi Bhi Too Mehfil Bhi Too.

Shaola Ban Kar Phoonk De Khashak-E-Ghair Allah Ko,

Khof-E-Batil Kia Ke Hai Gharatgar-E-Batil Bhi Too.

Be Khabar Too Jouhar-E-Aaeena-E-Ayyam Hai,

Too Zamane Mein Khuda Ka Akhri Pegham Hai.

Apni Asliyat Se Ho Agah Ae Ghafil Ke Too,

Qatra Hai Lekin Misal-E-Behr Be Payan Bhi Hai,

Koin Giraftar-E-Tilism-E-Haich Maqdari Hai Too,

Dekh To Poushida Tujh Mein Shoukat-E-Toofan Bhi Hai.

Seena Hai Tera Amen Uss K Payam-E-Naaz Ka,

Jo Nazam-E-Dehr Mein Paida Bhi Hai, Pinhan Bhi Hai.

Haft Kishor Jis Se Ho Taskheer Be Taigh-O-Tafnang,

Too Agar Samjhe To Tere Paas Woh Saman Bhi Hai.

Ab Talak Shahid Hai Jis Par Koh-E-Faran Ka Sukoot,

Aye Taghafil Paisha Tujh Ko Yaad Woh Paiman Bhi Hai,

Too Hi Nadaan Chand Kaliyon Par Qinaat Kar Gaya,

Warna Gulshan Mein Alaj-E-Tangi-E-Damaan Bhi Hai.

Dil Ki Kaifiat Hai Paida Parda-E-Taqreer Mein,

Kiswat-E-Meena Mein Mai Mastoor Bhi, Uryan Bhi Hai.

Phoonk Dala Hai Meri Aatish Nawayi Ne Mujhe,

Aur Meri Zindagaani Ka Yehi Samaan Bhi Hai.

Raaz Iss Aatish Nawai Ka Mere Seene Mein Dekh,

Jalwa-E-Taqdeer Mere Dil Ke Aaine Mein Dekh,

Aasman Ho Ga Sehar Ke Noor Se Aaina Posh,

Aur Zulmat Raat Ki Seemab Pa Ho Jaye Gi.

Iss Qadar Ho Gi Tarannum Aafreen Baad-E-Bahar,

Nukhat-E-Khawabeeda Ghunche Ki Nawa Ho Jaye Gi.

Aa Milain Ge Seena Chakaan-E-Chaman Se Seena Chaak,

Bazm-E-Gul Ki Hum Nafas Baad-E-Saba Ho Jaye Gi.

Shabnam Afshani Meri Paida Kare Gi Souz-O-Saaz,

Iss Chamanki Har Kali Dard Ashna Ho Jaye Gi,

Shabnam Afshani Meri Paida Kare Gi Souz-O-Saaz,

Iss Chamanki Har Kali Dard Ashna Ho Jaye Gi.

Dekh Lo Ge Sitwat-E-Raftar-E-Daria Ka Maal,

Mouj-E-Muztar Hi Isse Zanjeer Pa Ho Jaye Gi.

Phir Dilon Ko Yaad Aa Jaye Ga Paigham-E-Sujood,

Phir Jabeen Khak-E-Haram Se Aashna Ho Jaye Gi.

Nala-E-Sayad Se Hon Ge Nawa Saman-E-Tayoor,

Khoon-E-Gulcheen Se Kali Rangeen Qaba Ho Jaye Gi,

Ankh Jo Kuch Dekhti Hai, Lab Pe Aa Sakta Nahi,

Mehw-E-Hairat Hun Ke Dunia Kia Se Kia Ho Jaye Gi.

Shab Gurezan Ho Gi Akhir Jalwa-E-Khursheed Se,

Ye Chaman Maamoor Ho Ga Naghma-E-Touheed Se..........!

.....THE AND.....

Book:

Bang e Dara

Page: 141,151 

 

Main Aisi Mohabbat Karta Hon
 
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho Lyric (HIJAR)

 

Poet Khaleelullah Farooqi 

 

Main Aisi Mohabbat Karta Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho,

Tum Jahan Pe Beth K Jati Ho,

Main Wahein Pe Betha Rehta Hon,

Us Cheez Ko Choota Rehta Hon,

Main Aisi Mohabbt Karta Hon,

Tum Jis Se Hans K Milti Ho,

Main Us Ko Dost Banata Hon,

Tum Jis Raste Par Chalti Ho,

Main Us Se Aata Jata Hon,

Main Aisi Mohabbat Karta Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho,

Tum Jin Ko Dekhti Rehti Ho,

Wo Khawab Sarhane Rakhta Hon,

Tum Se Milne Julne K

Kitne Hi Bahanay Rakhta Hon,

Main Aisi Mohabbat Karta Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho,

Tum Jahan Bhi Beth K Jati Ho,

Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho,

Main Wahein Peh Betha Rehta Hon,

Us Jaga Ko Choota Rehta Hon,

Main Aisi Mohabbat Karta Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho,

Kuch Khuwab Saja Kar Aankhon Mein,

Palkon Se Moti Chunta Hon,

Koi Lams Agar Choo Ja Aa To,

Main Pehron Us Ko Sochta Hon,

Sawal-E-Mohabbat,

Tum Jahan Bhi Beth Kar Jati Ho,

Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho,

Main Wahein Par Betha Rehata Hon,

Us Cheez Ko Choota Rehta Hon,

Main Aisi Mohabbat Karta Hon,

Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho,

Jis Bagh Mein Subah Tum Jati Ho,

Jis Sabze Par Tum Chalti Ho,

Jo Shakh Tumhein Choo Jata Hai,

Jo Khushbo Tum Ko Bhati Hai,

Wo Ous Tumharay Chehre Par,

Jo Qatra Qatra Girti Hai,

Wo Titli Choom K Phooloan Ko,

Jo Tum Se Milne Aati Hai,

Wo Tum Ko Choomne Aati Hai,

Jawab-E-Mohabbat,

Main Aisi Mohabbat Karti Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,

Tum Jab Bhi Ghar Par Aate Ho,

Aur Sab Sai Batein Karte Ho,

Main Ot Se Parde Ki Janib Se,

Bas Tum Ko Dekhta Rehti Hon,

Ek Tum Ko Dekhne Ki Kahtir,

Main Kitna Pagal Hota Hon,

Jab Darwaze Par Dastak Ho,

Ya Ghanti Phone Ki Bajti Ho,

Main Sab Kuch Chore K Bhagta Hon,

Aur Tum Ko Jo Na Paon To,

Ji Bhar K Rone Lagti Hon,

Main Aisi Mohabbat Karti Hon,

Mehfil Main Kahein Jab Jana Ho,

Kaproan Ka Selection Karna Ho,

Rang Bahut Se Samne Bikhre Hon,

Us Rang Pe Dil Aa Jata Hai,

Wo Rang Tum Ko Bhata Hai

Main Aisi Mohabbat Karti Hon,

Rozana Apne College Mein,

Kisi Aur Ka Lecture Sunate Howay,

Ya Break K Khali Ghante Mein,

Sakhion Se Batein Karte Howay,

Mere Dehan Mein Tum Aa Jate Ho,

Main, Main Nahi Rehti Jana,

Main Tum Mein Gum Ho Jati Hon,

In Aankhoan Mein Kho Jati Hon,

Bas Tum Mein Gum Ho Jati Hon,

Main Aisi Mohabbat Karti Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,

Wo Faiz Ho,

Meer Ho,

Ghalib Ho,

Wo Ashghar, Jigar Ho Jalib Ho,

Wo Saif Adeem Ho Farhat Ho Wo Sajid Ho Wo Amjid Ho,

Sab Meri Meri Fehm Se Bala Hai,

Kaisa Ye Khel Nirala Hai,

In Sab Ko Ghanto Parhti Rehti Hon,

Main Aisi Mohabbat Karta Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,

Sab Kehte Hain K Dunia Ka,

Har Rang Tum Hi Se Roshan Hai,

Main Aisi Mohabbat Karta Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,

Mere Ishq K Daawedaar Hain Sab,

Sab Mujh Ko Husn Ki Devi Kehte Hain Par Mujh Ko,

Aisa Lagta Hai Har Rang Tum Hi Jajta Hai,

Tum Na Ho To Be Rang Hon Main,

Be Rang Hai Tasveer Meri,

Tum Khawab Mera Tabeer Meri,

Tum Se Hai Juri Har Taqdeer Meri,

Jo Khak Tumhain Choo Jati Hai,

Main Us Matti Pe Marti Hon,

Main Aisi Mohabbat Karti Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,

Tum Jab Bhi Ghar Par Aate Ho,

Sab Se Mil Beth K Batein Karte Ho,

Main Parde Ki Oot Mein Jana,

Bas Tum Ko Dekhti Rehti Hon,

Aik Tum Ko Dekhne Ki Khatir,

Main Kitni Pagal Si Rehti Hon,

Meri Jis Chehre Par Bhi Nazar Pare,

Wo Chehra Tum Sa Lagta Hai,

Wo Sham Ho Ya Dhoop Sab Kitna Bhala Lagta Hai,

Main Aisi Mohabbat Karti Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,

Main Aisi Mohabbat Karta Hon,

Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,

Tum Jab Bhi Samne Aate Ho,

Aye Kash Kabhi Tum Ye Keh Do,

Main Tum Se Sunna Chahti Hon,

Tum Mujh Se Mohabbat Karte Ho,

Tum Mujh Ko Behad Chahte Ho,

Lekin Tum Jane Kion Chup Ho,

Ye Soch Kar Dil Ghabrata Hai,

Aisa To Nahi Na Jana,

Sab Meri Nazar Ka Dhoka Hai,

Tum Ne Mujh Ko Chaha Hi Na Ho,

Koi Aur Hi Dil Mein Rehta Ho,

Main Tum Se Pochna Chahti Hon,

Main Tum Se Kehna Chahti Hon,

Lekin Kuch Poch Nahi Sakti,

Mana K Mohabbat Hai Phir Bhi,

Lab Apne Khol Nahi Sakti,

Khawabon Mein Bahut Kuch Bolti Hon,

Par Samne Chup Hi Rehti Hon,

Main Larki Hon Aisi,

Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho........!

 

Book

Main Aisi Mohabbat Karta Hon

Page 330 to 335 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo