Ujre Howay Logon Se Gurezan Na Howa Kar

Halaat Ki Qabron K Ye Kutbe Bhi Parha Kar

 

Poet Mohsin Naqvi

 

Ujre Howay Logon Se Gurezan Na Howa Kar

Halaat Ki Qabron K Ye Kutbe Bhi Parha Kar

Kia Janiye Kion Teiz Hawa Soch Mein Gum Hai,

Khawabeeda Parindon Ko Darakhton Se Ura Kar,

Us Shakhs K Tum Se Bhi Marasim Hain To Hon Gay,

Wo Jhoot Na Bole Ga Mere Samne Aa Kar,

Ab Dastakain De Ga To Kahan Aaye Gham-E-Ahbab,

Main Ne To Kaha Tha K Mere Dil Mein Raha Kar,

Har Waqt Ka Hansna Tujhe Barbad Na Kar De,

Tanhai K Lamhon Mein Kabhi Ro Bhi Lia Kar,

Wo Aaj Bhi Sadion Ki Musafat Pe Khara Hai,

Dhoondha Tha Jise Waqt Ki Deewar Gira Kar,

Barham Na Ho Kam Fehmi Kota Nazraan Par,

Aye Qamat-E-Fun Apni Bulandi Ka Gila Kar,

Aye Dil Tujhe Dushman Ki Bhi Pehchan Nahi Hai.,

Too Halqa-E-Yaran Mein Bhi Mohtat Raha Kar,

Main Mar Bhi Chuka Mil Bhi Chuka Moj-E-Hawa Mein,

Ab Rait K Seene Pe Mera Naam Likha Kar,

Pehle Sa Kahan Ab Meri Raftar Ka Aalam,

Aye Gardish-E-Doraan Zara Tham Tham K Chala Kar,

Is Rutt Mein Kahan Phool Khilein Gi Dil-E-Nadan,

Zakhmo Ko Hi Wabasta-E-Zanjeer-E-Saba Kar,

Ek Rooh Ki Faryad Ne Chonka Dia Mujh Ko,

Too Ab To Mujhe Jism K Zindan Se Re Ha Kar,

Is Shab K Muqadar Mein Sehr Hi Nahi,

Mohsin

Dekha Hai Kai Bar Charaghon Ko Bujha Kar........! 

 

Ye Sheesha Nahi K Wo Jis Mein Pari Hai

Faqt Dil Mein Hasrat Hi Hasrat Bhari Hai

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Ye Sheesha Nahi K Wo Jis Mein Pari Hai

Faqt Dil Mein Hasrat Hi Hasrat Bhari Hai

Kaha Tujh Ko Ko Sodaye Zulf Pari Hai,

Ye Uthti Nahi Aisi Tohmat Dhari Hai,

Ishare In Aankhon K Jan Bakhsh Tehre,

Ye Ijaz Hai Ya K Afsos Gari Hai,

Na Aage Gai Is Se Wo Khamsh Khud Been,

Magar Aina Had Askandri Hai,

Usay Dekh Kar Dil Mein Qail Hai Na Seh,

Magar Bat Kia Hai Sukhan Parwari Hai,

Hoi Taor Be Taor Ulfat Mein Dil K,

Qaza Ek Na Ek Roz Aage Dhari Hai,

Gawara Nahi Dil Ki Shirkat Bhi Hum Ko,

Mohabbat Mein Yahan Yaan Tak Tabiat Bhari Hai,

Kahan Us Mein Teri Si Mehshar Kharami,

Latara Howa Tera Kabak Dari Hai,

Saba Ban Gai Chor Baade Chaman Mein,

K Ghunche Ki Muthi Jo Zar Se Bhari Hai,

Dilasa Bhi Dete Nahi Aashqon Ko,

Ye Kia Dil Dehi Hai Ye Kia Dilbari Hai,

Mila Dagh Se Aaj Wo Maah Paikar,

Mubarik Quran Mah-O-Mushtari Hai.......!

Page 181

 

Jo Sar Mein Zulf Ka Sooda Tha Sab Nikal Dia

Bala Hon Main Yehi K Aai Bala Ko Taal Dia

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Jo Sar Mein Zulf Ka Sooda Tha Sab Nikal Dia

Bala Hon Main Yehi K Aai Bala Ko Taal Dia

Yaqeen Hai Thokarain Kha Kha Kar Kuch Sambhal Jaye,

K Is Ki Raah Mein Hum Ne Bhi Dil Ko Daal Dia,

Jahan Mein Aaye Thay Kia Ranj Uthane Ko,

Ilahi Too Ne Humain Kis Bala Mein Dal Dia,

Khuda Kareem Hai Youn To Magar Hai Itna Rashk,

K Mere Ishq Ne Sanche Mein Tum Ko Dhaal Dia,

Button K Deen Mein Hai Loutna Sawab Aisa,

K Jaise Raah-E-Khuda Muflison Ko Maal Dia,

Pyam-O-Wasal Hi Kion Ab Raqeeb K Hathon,

Nikalna Tha Mujhe Aap Ne Nikal Dia,

Batain Lafz Tamana Maani Kia,

Tumhare Kaan Mein Ek Harf Hum Ne Daal Dia,

Sar Adalat Mehshar Jawab Kia Do Gay,

Jo Daad Khawahon Ne Tum Par Koi Sawal Dia,

Nahi Adov To Khayal Adov Hi Khilwat Mein,

Kisi Bahane Se Us Ko Na Tum Ne Taal Dia,

Humain Khuda Ne Bahut Ranj-O-Gham Dia Aye Dagh,

Button Ki Dil Mein Na Thora Sa Raham Dia.............! 

 

Meri Talab Tha Aik Shakhs,Jo Wo Nahi Mila To Phir






Kabhi Aarzoo'n Mein Daal Gaye

Kabhi Dasht-E-Dil Mein Utar Gaye



Poet Wasiq Ali Athar


Kabhi Aarzoo'n Mein Daal Gaye

Kabhi Dasht-E-Dil Mein Utar Gaye

Takra K Loutti Jo Roshni Udas Chehre Nikhar Gaye,

Mere Samne EK Faseel Thi,

EK Khawab Ki Takmeel Thi,

Apno Ne Hi Jab Moonh Phira,

Mere Sare Khawab Mukar Gaye,

Phoolon Ki Mehfil Se Pyar Tha,

EK Sakoon Ki Talash Thi,

Khamosh Wadi Mein Chal Diye,

Hum Idhar Gaye Kal Udhar Gaye,

Hum Sub Azizon Mein Pyar Tha,

Aur Zindagi Bhi Jameel Thi,

Apna To Khud Ko Pata Nahi,

Mere Dil Nawaz Kidhar Gaye.

Jo Asal Thi Us Ne Parhi Nahi,

Wo Is Ghazal Ki Daleel Thi Na Hi Khush Thi,

Na Khabar Mili Bigaray Halaat Bigar Gaye.........!



Ham Bari Door Se Aaye Hain Tumhari Khatir

Dil K Arman Bhi Laye Hain Tumhari Khatir

 

Poet Saghar Saddiqui


Ham Bari Door Se Aaye Hain Tumhari Khatir

Dil K Arman Bhi Laye Hain Tumhari Khatir

Aisa Ek Sang Jo Taleef-E-Rah Manzil Ho,

Manzilain Dhoond K Aaye Hain Tumhari Khatir,

Kitni Nakam Umeedon K Diye Pichle Pehar,

Hum Ne Daria Mein Bahaye Hain Tumhari Khatir,

Ahd-E-Roshan K Sukhoor Na Bhulaain Ge Kabhi,

Ham Ne Wo Sahar Jagaye Hain Tumhari Khatir.

Ham Na Chahain Ge Kabhi Takht Jam-O-Khusro K,

Ham Ne Armaan Lutaye Hain Tumhari Khatir,

Ham Wahan Thay K Jahan SAGHAR-O-Saqi Thay Madaam,

Doston Lot K Aaye Hain Tumhari Khatir.........!


Book:
Kuliyaat e Saghar

Page: 70


Udaas Eiden'n



اُداس عیدیں


میں اُن کو کیسے کہوں ‘مبارک‘؟
وہ جن کے نورِ نظر گئے ہیں
وہ مائیں جن کے جگر کے ٹکڑے
گُلوں کی صورت بکھر گئے ہیں
وہ جن کی دکھ سے بھری دعائیں
فلک پہ ہلچل مچا رہی ہیں
میرے ہی دِیں کی بہت سی نسلیں
اداس عیدیں منا رہی ہیں
وہ بچے عیدی کہاں سے لیں گے؟
تباہ گھر میں جو پل رہے ہیں
وہ جن کی مائیں ہیں نذرِ آتش
وہ جن کے آباء جل رہےہیں
وہ جن کی ننھی سی پیاری آنکھیں
ہزاروں آنسو بہا رہی ہیں
میرے ہی دِیں کی بہت سی نسلیں
اداس عیدیں منا رہی ہیں
بتاؤ اُن کو میں عمدہ تحفہ
کہاں سے کر کے تلاش بھیجوں؟
بہن کو بھائی کی نعش بھیجوں
یا ماں کو بیٹے کی لاش بھیجوں؟
جہاں پہ قومیں بہت سے تحفے
بموں کی صورت میں پا رہی ہیں
میرے ہی دِیں کی بہت سی نسلیں
اداس عیدیں منا رہی ہیں
وہاں سجانے کو کیا ہے باقی؟
جہاں پہ آنسو سجے ہوئے ہیں
جہاں کی مہندی ہے سرخ خوں کی
جنازے ہر سُو سجے ہوئے ہیں
جہاں پہ بہنیں شہیدِ حق پر
ردائے ابیض سجا رہی ہیں
میرے ہی دِیں کی بہت سی نسلیں
اداس عیدیں منا رہی ہ



Pushto Eid Poetry



Pushto Eid Poetry


Manam Akhtar Dy Khu Ghurbat Mi Qatlavi Bachhiya......!!!
.
.
.
Ta Ta Pa Sa Bande Bangri Pa Sa Nakrize Raorham......!!!


=============
Nomiii Collection
=============



Pushto Eid Poetry



Pushto Eid Poetry



Akhtar Haga Akhtar Vi Che Ghamona Pake Heer Shi......!!!
.
.
.
Da Yateem ba Sa Akhtar Vi Ghaly Rashi Ghaly Ter Shi......!!!


=============

Nomiii Collection

=============


Aah ! O Ishrat Fazaa-e-Rooh-e-Insani Hilaal


=============

Hilaal-e-Eid

=============

.

Aah ! O Ishrat Fazaa-e-Rooh-e-Insani Hilaal......!

.

Aah ! O Kudrat Numa-e-Shaan-e-Yazdaani Hlil....!

.

Aah ! O Fitrat Laqa-e-Bazm-e-Noraani Hilal......!

.

Aah ! O Soorat Kasha-e-Zouq-e-Wajdaani Hilal...!

.

...Tu Naveed-e-Inbasaat-e-Khatir-e-Pazmazda Hai...

.

...Hasrat Us Mayoos Par , Is Par Bhi Jo Afsurda Hai...

.

Dekhta Hon Main Tujhy , Tu Dekhta Hai Mera Haal...

.

Jaan-e-Muztar Qalb-e-Aazarda Pareshan Sir Ke Baal...

.

Tu Daleel-e-Ouuj , Rifat , Main Sarapa Paimaal...

.

Aah ! Ye Din , Aah ! Ye Shab , Aah ! Ye Shaam-e-Malaal...

.

...Az Dil Afgaar-e-Janoo'n , Waja-e-Dil Afgaari Mipras...

.

...Aah ! Ghamkhwaar-e-Ghamam ! Haal-e-Gham Aazaari Mipras...

(Farsi)

.

Haal Pochta Hai , Mujh Se Tu , Aye BeKhabar...

.

Ho Chuki Tareek , Chashm-e-Yaas Main Sham-o-Sahar...

.

Aah !  Wo Gham Ki Kahani Barh Gai Hai Kis Qadar...

.

Jis Ko Main Samjhy Hoye Tha Dastaan-e-Mukhtasir...

.

...Saal Bhar Pechy , Ayadat Ko Meri Aaya Hai Tu...

.

...Laa , Dawa-Iztraab-e-Dard , Kiya Laya Hai Tu...?

.

Khair Tu Khamosh Hai , To Hum Samajhty Hain Ye Raaz...

.

Khair , Tu Chup Hai , To Hum Khud Hi Bajaty Hain Ye Saaz...

.

Uth Gai Thi Jab Se Teri Janib  Ek Ungashat-e-Naaz...

.

Hai Usi Din Se Tabiat Teri Is Darja Dil Gudaaz...

.

...Tery , Ghatny Aur Barhny Main Bhi Pinhaa'n Bhed Hai...

.

...Tu Qateel-e-Gham Nahi Hai , Zinda-e-Javed Hai...

.

Mujh Main Tujh Main , Ek Zameen-o-Aasman Ka Farq Hai...

.

Main Hon Muztar Tu Hawa-e-Dil_Kashi Main Ghark Hai...

.

Tery Aagy Zard Chehra , Aaftaab-e-Sharq Hai...

.

Aur Mery Wasty Teri Jhalak Hi Barq Hai...

.

...Haan , Magar Ek Imtiaaz-e-Aashqi Mujh Main Bhi Hai...

.

...Janta Hon Main , Keh Jo Mujh Main Hai , Wo Tujh Main Bhi Hai...

.

Farq Itna Hai , Keh Tu Hai Kamyab-e-Aarzu...

.

Zar'ra-e-Hasrat Hon Main Tu Aftab-e-Aarzu...

.

Uth Chuka Hai Teri Nazron Sy Hijaab-e-Aarzu...

.

Aur Ab Tak Gum Hon Main Zer-e-Naqaab-e-Aarzu...

.

...Laakh Par Bhaari Hai , Teri Ek Hasti-e-Naheef...

.

...Dekh Leny Sy Teri Khul Jati Hai Chashm-e-Zaeef...

.

Ek Zamana Tha Keh,Thi Meri Tabiyat Bhi Gudaaz...

.

Ab To Hon  , Ek Hasti Mohum Ka Khamosh Saaz...

.

Jitny Sajdy Thy Jabee'n Main Kar Chuka Sarf-e-Niyaaz...

.

Ho chuki Mehmani-e-Gham Uth Chuky  Ab Dil Ke Naaz...

.

...Badar Tha Pehly , Magar Ab Main Hilali Ho Gya...

.

...Hijar Main Itna Ghula , Naqsh-e-Khayali Ho Gya...

.

Aa Keh Ruksat Tum Se Ho Loo'n , Teri Ruksat Dekh Loo'n...

.

Aa , Keh Dam Bhar Aur Apna Naqsh-e-Hasrat Dekh Loo'n...

.

Aa , Keh Tery Aainy Main Khat-e-Kismat Dekh Loo'n...

.

Aa , Keh Apny Dekhny Waalon Ki Soorat Dekh Loo'n...

.

...Dekh Kar Soorat Teri , Jaa'n Apni Dy Doo'n Ga Tujhy...

.

...Ab K Dekha Hai Tujhy , Ab K Na Dekhon Ga Tujhy.....

.

................................

Chand Mubarak

...............................


===============

Nomiii Collection

===============



jab EID ho ge to kia pehnay gay hum






jab  EID  ho ge to kia pehnay gay hum........


chand say keh do hum tayar nahi..............



Alvida maah-e-ramzaa'n alvida


Poet Hasrat Mohani


Alvida maah-e-ramzaa'n alvida,,
Alvida ay monis-e-Jaa'n alvida..

Tujjh sy roshan tha sawaad-e-malk-e-Jaan,,
Ay chiragh-e-noor emaan alvida..

Ay zaman-e-rehmat, haqq-ul-fraaq,,
Ay muhib-e-aehal-e-asiyaan alvida..

Ay nishat-e-shan-o-sabar-o-fuqr-o-ishq,,
Shahid-e-ushaaq hairan alvida..

Lazat-o-aftar-o ay Lutff-e-sehar,,
Tm main tha aiesh farwaan alvida..

Aien rahaat tujjh sy thi takleef-e-qaid,,
A anees aehal-e-zindaan alvida..

Qadar Jani kuch na teri ay Aziz,,
Tujjh sy Hasrat he pashimaan alvida..!



Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi

Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho

 

Singer Nusrat Fathe Ali Khan 

 

Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi

Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho

Tarapne Pe Mere Na Phir Tum Hanso Gay,

Kabhi Dil Kisi Se Laga Kar To Dekho,

Honton K Pas Aaye Hansi Kia Majaal Hai,

Dil Ka Moamla Hai Koi Dil Lagi Nahi,

Zakhm Pe Zakhm Pe Kha K Jee Apne Laho K Ghoont Pe,

Aah Na Kar Labon Ko Se Ishq Hai Dil Lagi Nahi,

Dil Laga Kar Pata Chale Ga Tumhain,

Aashqi Dil Lagi Nahi Hoti,

Kuch Khail Nahi Hai Ishq Ki Lag,

Pani Na Samajh Ye Aag Hai Aag,

Khon Rulaye Gi Ye Lagi Dil Ki,

Khail Samjho Na Dil Lagi Dil Ki,

Ye Ishq Nahi Aasan Bas Itna Samajh Lejiaye,

Ek Aag Ka Daria Hai Aur Doob K Jana Hai,

Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi,

Mohabbat Ki Rahon Mein Aa Kar To Dekho,

Tarapne Pe Mere Na Phir Tum Hanso Gay,

Kabhi Dil Kisi Se Laga Kar To Dekho,

Wafaon Ki Hum Se Tawaqo Nahi Hai,

Magar Aik Bar Aazma Kar To Dekho,

Zamane Ko Apna Bana Kar To Dekho,

Hamain Bhi Tum Apna Bana Kar To Daikho,

Khuda K Liye Chor Do Ab Ye Parda,

Rukh Se Naqab Utha K Bari Deir Ho Gai,

Maahol Ko Tilawat-E-Quran Kiye Howay,

Hum Na Samjahe Teri Nazron Ka Taqaza Kia Hai,

Kabhi Parda Kabhi Jalwa Ye Tamasha Kia Hai,

Jane-E-Jan Hum Se Ye Uljhan Nahi Dekhi Jati,

Khuda K Liye Chor Do Ab Ye Parda,

K Hain Aaj Hum Tum Nahi Ghair Koi,

Shab-E-Wasl Bhi Hai Hijab Is Qadar Kion,

Zara Rukh Se Aanchal Utha Kar To Dekho,

Jafaein Bahut Ki Bahut Zulm Dhaye,

Kabhi Ek Nigah-E-Karam Is Taraf Bhi,

Hamesha Howay Dekh Kar Mujh Ko Barham,

Kisi Din Zara Muskara Kar To Dekho,

Jo Ulfat Mein Har Ek Sitam Hai Gawara,

Ye Sab Kuch Hai Pas-E-Wafa Tum Se Warna,

Satate Ho Din Rat Jis Tarha Mujh Ko,

Kisi Ghair Ko Youn Sata Kar To Dekho,

Agar Chaye Kisi Bat Par Wo Khafa Hain,

To Acha Ye Hi Hai Tum Apni Si Kar Lo,

Wo Manein Na Manain Ye Marzi Hai Un Ki,

Magar Un Ko Purnam Mana Kar To Dekho,

Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi,

Mohabbat Ki Rahon Mein Aa Kar To Dekho................! 

 

Sakoot-E-Sham-E-Gham Hai Aur Main Hon

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Sakoot-E-Sham-E-Gham Hai Aur Main Hon,

Charagh-E-Chashm-E-Nam Hai Aur Main Hon,

Musafat Mein Mata-E-Ranj-E-Manazal,

Mera Naqsh-E-Qadam Hai Aur Main Hon,

Bikharte Tootte Batte Jahan Mein,

Khumar-E-Besh-O-Kam Hai Aur Main Hon,

Mera Damaan-E-Dil Hai Aur Too Hai,

Tera Dast-E-Karam Hai Aur Main Hon,

Udhar Sa'aye Wajood-E-Nishaan K,

Idhar Dasht-E-Addam Hai Aur Main Hon,

Mithas Ab Sans Ki Bujhne Lagi Hai,

Rawaan Shah Rag Mein Sam Hai Aur Main Hon,

Teh Mehrab-E-Chashm-O-Gosh-E-Aalam,

Duaon Ka Bharam Hai Aur Main Hon,

Mujhe Faryad-O-Naghma Ki Khabar Kia,

Nafs Ka Zeir-O-Bam Hai Aur Main Hon,

Wohi Gharat Gari Dil Ki Hai MOHSIN,

Wohi Kanj-E-Qalam Hai Aur Main Hon..............! 

 

Page 174 to 175 

 

Teri Ankhon K Daria Ka Utarna Bhi Zarori Tha Lyric

 

Singer Rahat Fathe Ali Khan 

 

Teri Ankhon K Daria Ka Utarna Bhi Zarori Tha

Mohabbat Bhi Zarori Thi Bicharna Bhi Zarori Tha,

Zarori Tha K Hum Dono Tawaf-E-Arzo Karte,

Magar Phir Aarzoo'n Ka Bikharna Bhi Zarori Tha,

Batao Yad Hai Tum Ko Wo Jab Dil Ko Churaya Tha,

Churai Cheez Ko Tum Ne Khuda Ka Ghar Banaya Tha,

Wo Jab Kahte Thay Mera Naam Tum Tasbeeh Main Pahrte Ho,

Mohabbat Ki Namazon Ko Qaza Karne Se Darte Ho,

Magar Ab Yad Aata Hai Wo Batain Thi Mehiz Batain,

Kahein Baton Hi Baton Main Mukarna Bhi Zarori Tha

Wohi Hain Soratain Apni,

Wohi Main Hon Wohi Tum Ho,

Magr Khoya Howa Hon Main,

Magar Tum Bhi Kahein Gum Ho,

Mohabbat Main Dagha Kia Tha So Kafir Hai So Kafir Hai,

Mili Hain Manzilain Phir Bhi Musafir Thay Musafir Hain,

Tere Dil K Nikle Hum Kahan Bhatke Kahan Ponche,

Magar Bhatke To Yad Aaya Bhatkna Bhi Zarori Tha,

Mohabbat Bhi Zarori Thi Bicharna Bhi Zarori....!

 

Wird-E-Yaseen Kijiye Sahib



Wird-E-Yaseen Kijiye Sahib

 

DilL Judaii Ki Zadd Mein Hy Ab K 

 

 

 


Ashaar K Parday MEin Hum Jin SEy Mukhatib HEin




اشعار کے پردے میں ہم جن سے مخاطب ہیں

.

.

وہ جان گۓ ہوں گے، کیوں نام لیا جاۓ

 


Ashaar K Parday MEin Hum Jin SEy Mukhatib HEin

.

.

Woh Jan GayE Hon Gay, Kiun Naam Liya JayE

 

 

Hum Ne Bhi Khat Sanbhal Ke Rakhy Hain





ہم نے بھی خط سنبھال رکھے ہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔٭
'
'

' 

ہم بھی آخر جواں ہوتے تھے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔!!!

 

 

Milo Tum Roz Mujh Se Log Chahay Jo bhi Matlab Len



Milo Tum Roz Mujh Se Log Chahay Jo bhi Matlab Len

.

.

.

 YaHan Mehfooz Tohmat Se... Na 'MARYAM' thi, Na  

'YOUSAF' tha....!

 

 

Teri WaFa PaY Aaj DiL Khush Ho GaYa.!


 

 Waaaah Mosam...!

 

Teri WaFa PaY Aaj DiL Khush Ho GaYa.!

.

.

.

Yaad-E-Yaar Jo Aai To Baras ParHa HaY Tu.!

 

 

Bichra Hai Jo Ek Bar To Milte Nahi Dekha

Is Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Bichra Hai Jo Ek Bar To Milte Nahi Dekha

Is Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha

Ek Bar Jise Chaat Gai Dhoop Ki Khawahish,

Phir Shakh Pe Us Phool Ko Khilte Nahi Dekha,

Yak Lakht Gira Hai To Jarein Tak Nikal Aain,

Jis Peirr Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi DeKha,

Kanton Mein Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin,

Titli K Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha,

Kis Tarha Meri Rooh Hari Kar Gia Aakhir,

Wo Zehr Jise Mein Khilte Nahi Dekha.................!

Page 139

 


Ye Eid Aur Hai Tanhai Dosto

Na Koi Sathi Na Bhai Dosto

 

 

=============

Eid Collection-14

=============


Poet Ayaz Khan


Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*



Ye Eid Aur Hai Tanhai Dosto


Na Koi Sathi Na Bhai Dosto


Na Koi Hum Nawa Na Hi Hum Raz,


Na Kisi Se Hai Shanasai Dosto,


Muflisi Hai Gham Hai Aur Aanso Hain,


Aur Dunia Hai Bani Tamashai Dosto,


Mohabbat K Qareeno Se Koi Aashna Nahi,


Har Taraf Hai Bas Bewafai Dosto,


Jo Dost Dar-E-Parda Wohi Dushman,


,AYAZ,


Jis Se Karo Pyar Wohi Harjai Dosto.........!


Mzeed Eid Ki New Poetry K Liye,


Follow khan61 send 8001

 

 

Bichre Yar Se Mila De Eid K Chand

Mujhe Apne Dildar Se Mila De Eid K Chand

 

 

=============

Eid Collection-14

=============


Poet Ayaz Khan


Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*



Bichre Yar Se Mila De Eid K Chand


Mujhe Apne Dildar Se Mila De Eid K Chand


Koi Apna Nahi Sab Paraye Hain Yahan To,


Too Mujhe Apne Yar Se Mila De Eid K Chand,


Mein Ne Dekha Hai Gulon Ko Chaman Mein Udas,


Too Mujhe Bahar Se Mila De Eid Ke Chand,


Zindagi Ki Nao Doob Rahi Gham K Daria Mein,


Too Mujhe Kinar Se Mila De Eid Ke Chand,


Farebi Hai Zamana Faribi Hain Log Yahan,


AYAZ


Too Sache pyar Se Mila De Eid Ke Chand............!

 

 

Gori Kia Ab K Tum Eid Manao Gi

Apne Pyare Sajan Se Milne Jao Gi New Collection 2014

 

 

=============

Eid Collection-14

=============


Poet Ayaz Khan


Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*



Gori Kia Ab K Tum Eid Manao Gi


Apne Pyare Sajan Se Milne Jao Gi


Apne Haton Pe Apne Piya Ka Naam,


Mehandi Se Likh K Tum Sajao Gi,


Apne Haton Mein Pehen K Chorian,


Tum Tan Pe Naye Kapre Sajao Gi,


Gaon Mein Mela Lage Ga Eid Par,


Tum Sakhion K Sath Melay Mein Jao Gi,


Ye Sun Kar Gori Ki Aankho Mein Aanso Aaye.


Mera Saja Pardees Mein, Mein Eid Nahi Manao Gi,


Mein Bas Apne Piya Ki Tasveer Ko Hi,


Eid Par Apne Seene Se Lagao Gi,


Us K Intizaar Mein Hi Is Eid Ko,


Apne Ghar Mein Rote Rote Manao Gi............!

 

 


Kaho Malala Kion Chup Ho

Kion Itni Gumsum Si Ho,?

 

 

Poet Dr Zahid Mahmood


Kaho Malala Kion Chup Ho


Kion Itni Gumsum Si Ho,?


Aman Award Jo Leti Ho

Phir Kuch Kyon Nahi Kehti Ho ?


Khoon-E-Muslim Behta He,


Khoon-E-Muslim Rakhti Ho To ?


Jin Ki Goud Mein Bethi Ho,


Un Se Kyon Nahi Kehti Ho,?


Ik Drone Zara Bhejen

Israel Ki Janib Bhi,


Us Ne Bhi To Ghaza Mein

Khoon Ki Holi Kheli He,


Kitne Payare Bachon Ki Us Ne Jaan Youn Le Li He,


Is Par Bhi Kuch Likho Na

Ab Kuch Kion Nahi Likhti Ho,?


Kaho Malala Kyon Chup Ho,?


Kyoun Itni Gum Sum Si Ho.........? 

 

=============

Nomi CollecTion

=============

 

 

Kehta Tha Na Mujh Ko Pardes Bhejo MAAN



Ajab pagal si larki hai





Ajab pagal si larki hai.
Ajab pagal si larki hai…. !!
Wo mujh se jab bhi milti hai,
Mujhay her baar kehti hai,
Teray honay se meri zaat ki takmeel hoti hai,
Usay maloom bhi hai main to khud ik aam larka hoon,
…Magar wo mujh se kehti hai,
Nahi tum sa koi dooja,
Ajab pagal si larki hai…
Wo mujh se jab bhi milti hai,
Naya ik naam deti hai, naye pehchaan deti hai,
Meray andar ke sab mosam bina meray kahey hi wo
hamesha jaan laiti hai,
Meri barson purani baat bhi wo yaad rakhti hai,
Mujhay her baar kehti hai,
teri aawaz ka jadoo mujhay sonay nahi deta,
Ajab pagal si larki hai…
wo mujh se jab bhi milti hy,
to pehron mujh ko takti hai,
usay her rang, jo main ne ho pehna, acha lagta hai,
usay her khuwab, jo main ne ho dekha, sacha lagta hai,
Ajab pagal si larki hai….
wo mujh se jab bhi milti hai,
mujhay her baar kehti hai,
teri muskan janam zindagi main rang bharti hai,
mujhay dukh ke andheron main kabhi khonay nahi deti,
usay mujh ko mujhi ko sochnay ki janay kia zid hai,
ho din ka koi bhi lamha, andheri raat ka pal ho,
wo mujh ko socha karti hai, mujhi ko yaad rakhti hai,
ajab pagal si larki hai….
wo mujh se jab bhi milti hai,
hazaron baar kehti hai,
mujhay tum se mohabbat he nahi hai ishq hai janam,
bus ik pal main wo apna aap mujh ko sonp deti hai,
main us pagal se larki ke liye ab aur kia likhoon,
mujhay us ko batana hai,
ke us ki muskurahat per,
main duniya waar sakta hoon,
bus us ki eik hi Aahat per,
main jeewan haar sakta hoon,
mujhay us se mohabbat hai,
mujhay bhi ishq hai us se.. !!
Ajab pagal si larki hai…..
Ajab pagal sa main bhi hoon……

 

 

Zara Sa Muskura Dena Tum EID Se Pehle Pehle



 

 ==================

Nomiii Collection

==================




Agar Che Teri Nazar Ka Hi Tarjamaan Hon Main

Teri Nigah Se Lekin Abhi Nahaan Main


Poet Abdul Hameed Addam

 

Agar Che Teri Nazar Ka Hi Tarjamaan Hon Main

Teri Nigah Se Lekin Abhi Nahaan Main

Abhi Afsane Ki Gehrai Tak Nahi Pohncha,

Hanooz Kushta E Unwan-E-Dastaan Hon Hon,

Abhi Main Apne Digar Par Dharon Qadam Kaise,

Mujhe Ye Ilm Hai Humrah-E-Karwaan Hon Main,

Main Hon Zaroor Kahein Teri Bazm Mein Lekin,

Talash Kar K Too Khud Hi Bata Kahan Hon Main,

Bitha Lia Mujh Aankhon Pe Is Ki Rehmat Ne,

Mujhe Gumaan Tha K Ek Jinr Raigaan Hon Main,

Ye Kia Maqam Hai Pindar-E-Khud Shanasai Ka,

Har Aik Qatra Ye Kehta Hai Bekaraan Hon Main............!

Page 159

 

Chubhe Kanta Koi Bulbul K Seene Mein To Aye Maali

Mera Iman Hai Taza Chaman Ijad Ho Jaye

Poet Abdul Hameed Addam

 

Tumhari Dil Kashi Kuch Aur Bhi Jallad Ho Jaye,

Humare Bab Mein Bhi Kuch Na Kuch Arshaad Ho Jaye,

Haqeeqi Zindagi To Aik Kaifiat Hai Batin Ki,

Wo Kaisi Zindagi Jo Muddat-O-Mayad Ho Jaye,

Humain Dars-E-Degar K Pech Mein Mat Daal Aye Haadi,

Ghaneemat Hai Agar Pehla Sabaq Hi Yad Ho Jaye,

Mujhe Maloom Hai Manzal Nahayat Door Hai Lekin,

Agar Koi Bagola Ma'ail-E-Imdad Ho Jaye,

Chubhe Kanta Koi Bulbul K Seene Mein To Aye Maali

Mera Iman Hai Taza Chaman Ijad Ho Jaye..........!

Page 156

 

Jab Tum Se Itefaqan Meri Nazar Mili Thi

Ab Yad Aa Raha Hai Shayad Wo January Thi

 

Poet Wasiq Ali Athar 

 

Jab Tum Se Itefaqan Meri Nazar Mili Thi

Ab Yad Aa Raha Hai Shayad Wo January Thi

Tum Youn Mili Dobara Phir Mah-E-February Mein,

Jaise K Hum Safar Ho Tum Rah-E-Zindagi Mein,

Kitna Haseen Zamana Aaya Tha March Le Kar,

Rah-E-Wafa Pe Thi Tum Wado Ki Torch Le Kar,

Bandha Jo Ehd-E-Ulfat April Chal Raha Tha,

Dunia Badal Rahi Thi Mosam Badal Raha Tha,

Lekin May Jo Aaya Jalne Laga Zamana,

Har Shaks Ki Zaban Par Tha Bas Yehi Fasana,

Dunia K Dar Se Tum Ne Badli Thi Jab Nigahain,

Tha June Ka Maheena Lab Par Thi Garm Aahain.,

July Mein Jo Tum Ne Ki Bat Cheet Kuch Kam,

Thay Aasman Pe Badal Aur Meri Aankhain Purnam,

Mah-E-August Mein Jab Barsat Ho Rahi Thi,

Bas Aaso'on Ki Barish Din Rat Ho Rahi Thi,

Kuch Yad Aa Raha Hai Wo Mah Tha September,

Bheja Tha Tum Ne Mujh Ko Tark-E-Wafa Ka Letter,

Tum Ghair Ho Chuki Thi October Aa Chuka Tha,

Dunia Badal Chuki Thi Mosam Badal Chuka Tha,

Mah-E-November Mein Aisi Bhi Rat Aai,

Muj Se Tumhain Churne Saj Kar Barat Aai,

Be Kaif Tha December Jis Bat Se Mar Chuke Thay,

Mosam Tha Sard Us Mein Armaan Bikhar Chuke Thay,

Lekin Ye Kia Batao Ab Haal Doosra Hai,

Are Wo Sal Doosra Ye Sal Doosra Hai..............! 

 

Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri

Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log

 

Poet Wasiq Ali Athar

Type By 

*.__Ayaz Khan__.*

 

Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log,

Jo Hote Jan Phir Bhi Dil Dukhate Hain Yar Log,

Badal Gia Zamana Phir Bhi Mohabbat K Mare,

Phir Bhi Aate Hain Nazar Mohabbat Mein Giraftar Log,

Sitam To Jab Hai K Mohabbat Yak Tarfa Ho,

Kisi Ko Parwa Nahi Aur Kuch Hote Hain Talbgar Log,

Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri,

Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log,

Par Ye Sach Hai K WASIQ Mohabbat Zinda Aaj Bhi Kal Ki Tarha,

Par Jo Bhi Karte Hain Hote Nahi Samajh Daar Log........!

 

Book Chaman Mein Phool Mehka

Page 32,33 

 

Bazam-E-Eid Mein, Main Tanha Thera

Main Akela Tha Akela Hi Thera

 

 

=============

Eid Collection-14

=============


Poet Ayaz Khan


Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.* 

 


Bazam-E-Eid Mein, Main Tanha Thera


Main Akela Tha Akela Hi Thera


Meri Aankhon Mein Deed Ki Pyas,


Aur Labon Par Hai Sehra Thera,


Wo Kab Ka Ja Chuka Hai Mujhe Chor Kar,


Aur Main Intazar Mein Be Waja Thera,


Main Hansta Howa Nazar Aata Hon,


Par Mere Andar Wihshat Ka Daria Thera,


Wo To Har Simat Nazar Aata Hai AYAZ,


Main Kabhi Yahan Kabhi Wahan Ja Thera.............!

 

 

Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake

Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai

 

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Wo Hawas Thi Meri Uran Ki,

K Main Har Sitare Ko Choo Sakon,

Meri Khwahishon Ko Haar Don,

Kisi Aise Dhare Ko Choo Sakon,

Na Chamakte Chand Ki Roshni,

Na Hi Dil Ka Jalta Charagh Hon,

Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake,

Meri Zindagi Mein Wo Daagh Hai,

Koi Aisi Thi Na Khata Meri,

Kabhi Khatm Ho Na Saza Meri,

Kisi Aur Se Karon Kia Gila,

Na Sune Duhai Khuda Meri,

Jo Salook Mujh Se Kia Gia,

Meri Har Ghari Mein Wo Aag Hai,

Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake,

Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai,

Main Agar Hun Us Ki Panah Mein,

Mera Dil To Bas Mein Nahi Raha,

Mere Har Nafas Pe Hai Haq Mera,

Main Tumhara Hon Jion Kis Tarah,

Na Madawa Hai Koi Pyas Ka,

Na Sakoon Pata Na Demagh Hai,

Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake,

Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai,

Mere Dil Se Dharaknain Cheen Kar,

Mujhe Mujh Se Door Kia Gia,

K Hon MaMta Ka Ek Aaina,

Mujhe Choor Choor Kia Gia,

Na Hi Aage Barhne Ka Rasta ,

Na Hi Manzalon Ka Suragh Hai,

Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake,

Meri Zindagi Mein Wo Dagh hai,

Ye Saza Mili Hai Na Jane Kion,

Koi Jurm Main Ne Kia Na Tha,

Laga Dagh Jo Mujhe Qaid Mein,

Wo Rehai Se Bhi Dhula Na Tha,

Na Bahar Hai Koi Aas Ki,

Na Mehkti Sanson Ka Bagh Hai,

Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake

Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai.

 

 

 

Nomi ki taraf se Hijar K Liye




"Classic Words"


Mohabbat Kisi Aise Shakhs Ko
Talash Nahi Karti Jis K Sath Raha
Jaye
Mohabbat To Aise Shakhs Ko
Talash Karti Hai Jis K Baghair Na
Raha Jaya.

 

 ==================

Nomiii Collection 

==================

 

 

Apne Haathon Ki Lakeeron Main Basa Le Mujh Ko


 

 

==================

 Nomiii Collection

 ==================

 

 


Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath

Us K Lab-O-Rukhsar K Sath

Eid K Din Wo Mujh Se Hum Kalam Ho

Kuch Muskarahat Kuch Pyar K Sath

 

 

=============

Eid Collection-14

=============

Poet Ayaz Khan

Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*

Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath

Us K Lab-O-Rukhsar K Sath

Eid K Din Wo Mujh Se Hum Kalam Ho

Kuch Muskarahat Kuch Pyar K Sath

Mein Us Ki Rafaqat Mein Khush Aise,

Jise Gul Khush Hote Hain Bahaar K Sath,

Kis Qadar Lutf Hai Us K iqraar Mein,

Jab Nigah Jhokti Hai Izhaar K Sath,

Mekhane Na Sharab Mein Wo Nasha,

,AYAZ,

Us Ki Aankhon Mein Jo Hai Khumaar K Sath,.........!

Mazeed Eid Ki New Poetry K Liye,


Follow khan61 send 8001

 

 

Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai

Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai

Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish

 

 

=============

Eid Collection-14

=============


Poet Ayaz Khan


Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*



Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai


Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai


Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish


Har Aankh Mein Aanso Be Sabab Eid Hai


Har Zuban Par Aik Hi Faryad Wahan,


Na Sajao Bazam-E-Eid Ye Be Talab Eid Hai,


Palesteen Kal Bhi Maqtal Aur Aaj Bhi Maqtal,


Wahan Na Tab Eid Thi Wahan Na Ab Eid Hai,


Kis Qadar Behis Ho Chuke Hain Log AYAZ,


F

Palesteen Laho Laho Hum Puchte Hain Kab Eid Hai.....!



Mazeed Eid Ki New Poetry K Liye,


Follow khan61 send 8001

 

 

Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai

Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai

Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish

Har Aankh Mein Aanso Be Sabab Eid Hai

 

 

=============

Eid Collection-14

=============


Poet Ayaz Khan


Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*



Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai


Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai


Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish


Har Aankh Mein Aanso Be Sabab Eid Hai


Har Zuban Par Aik Hi Faryad Wahan,


Na Sajao Bazam-E-Eid Ye Be Talab Eid Hai,


Falasteen Kal Bhi Maqtal Aur Aaj Bhi Maqtal,


Wahan Na Tab Eid Thi Wahan Na Ab Eid Hai,


Kis Qadar Behis Ho Chuke Hain Log AYAZ,


Falasteen Laho Laho Hum Puchte Hain Kab Eid Hai.....!



Mazeed Eid Ki New Poetry K Liye,


Follow khan61 send 8001

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo