Fursatein Milein Jab Bhi Ranjishein Bhula Dena Kon Jane Sanson Ki Muhlatein Kahan Tak Hain



فرصتیں ملیں جب بھی
رنجشیں بھلا دینا
کون جانے سانسوں کی
مہلتیں کہاں تک ہیں

آؤ جانچ لیتے ہیں
درد کے ترازو پر
کس کے غم کہاں تک ہیں
شدتیں کہاں تک ہیں

ایک شام آ جاؤ
کھُل کے حالِ دل کہہ لیں
کون جانے سانسوں کی
مہلتیں کہاں تک ہیں

کچھ عزیز لوگوں سے
پوچھنا تو پڑتا ہے
آج کل محبت کی
قیمتیں کہاں تک ہیں

فرصتیں ملیں جب بھی
رنجشیں بھلا دینا
کون جانے سانسوں کی
مہلتیں کہاں تک ہیں

Sar e mehshr bhi ham tujhe hi pukarenge Khuda rakhe ta azal mera ishq salamat



سر محشر بھی ہم تجھے ہی پکاریں گے
خدا رکھے تا ازل میرا عشق سلامت

सर ए मह़शर भी हम तुझे ही पुकारेगें
खुदा रखे ता अज़ल मेरा ईश्क सलामत

Sar e mehshr bhi ham tujhe hi pukarenge
Khuda rakhe ta azal mera ishq salamat

Na Maloom

ye ada-e-be-niyazi tujhe bewafa mubarak magar aisi be-ruKHi kya ki salam tak na pahunche



ye ada-e-be-niyazi tujhe bewafa mubarak
magar aisi be-ruKHi kya ki salam tak na pahunche


Jis Fankaar Ka Shahkaar Ho Tum Us Ne Sadiyon Tumhein Socha Hoga




Zabt Kehta Hai Khamooshi Main Basar Ho Jaye Dard Ki Zid Hai K Dunia Ko Khabar Ho Jaye




Zabt Kehta Hai Khamooshi Main Basar Ho Jaye
Dard Ki Zid Hai K Dunia Ko Khabar Ho Jaye


Chahat Ke Lafz Sare Baghawat Mein Dhal Gaye Jalti Hoi Ana Ka Alav Bhi Khoob Tha



چاہت کے لفظ سارے بغاوت میں ڈھل گئے
جلتی ہوئی انا کا الاؤ بھی خوب تھا
Chahat Ke Lafz Sare Baghawat Mein Dhal Gaye
Jalti Hoi Ana Ka Alav Bhi Khoob Tha

آنسو بھی کر سکے نہ حقیقت کو بے نقاب
تیری طرف سے آخری گھاؤ بھی خوب تھا
Aansoo Bhi  Kar Sakay Na Haqeeqat Ko Be-Naqaab
Teri Taraf Se Aakhiri Ghav Bhi Khoob Tha

Mansoob Thay Jo Log Meri Zindagi Ke Saath Aksar Wahi Mily Hain Badi Be-Rukhi Ke Saath



ﻣﻨﺴﻮﺏ ﺗﮭﮯ ﺟﻮ ﻟﻮﮒ ﻣﺮﯼ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ
ﺍﮐﺜﺮ ﻭﮨﯽ ﻣﻠﮯ ﮨﯿﮟ ﺑﮍﯼ ﺑﮯ ﺭﺧﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ

ﯾﻮﮞ ﺗﻮ ﻣﯿﮟ ﮨﻨﺲ ﭘﮍﺍ ﮨﻮﮞ ﺗﻤﮩﺎﺭﺋﮯ ﻟﺌﮯ ﻣﮕﺮ
ﮐﺘﻨﮯ ﺳﺘﺎﺭﮮ ﭨﻮﭦ ﭘﮍﮮ ﺍﮎ ﮨﻨﺴﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ

ﻓﺮﺻﺖ ﻣﻠﮯ ﺗﻮ ﺍﭘﻨﺎ ﮔﺮﯾﺒﺎﮞ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﮑﮫ ﻟﮯ
ﺍﮮ ﺩﻭﺳﺖ ﯾﻮﮞ ﻧﮧ ﮐﮭﯿﻞ ﻣﺮﯼ ﺑﮯ ﺑﺴﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ

ﻣﺠﺒﻮﺭﯾﻮﮞ ﮐﯽ ﺑﺎﺕ ﭼﻠﯽ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻣﺌﮯ ﮐﮩﺎﮞ
ﮨﻢ ﻧﮯ ﭘﯿﺎ ﮨﮯ ﺯﮨﺮ ﺑﮭﯽ ﺍﮐﺜﺮ ﺧﻮﺷﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ

ﭼﮩﺮﮮ ﺑﺪﻝ ﺑﺪﻝ ﮐﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﻣﻞ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﻟﻮﮒ
ﺍﺗﻨﺎ ﺑﺮﺍ ﺳﻠﻮﮎ ﻣﺮﯼ ﺳﺎﺩﮔﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ؟

ﺍﮎ ﺳﺠﺪﮦ ﺧﻠﻮﺹ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻓﻀﺎﺋﮯ ﺧﻠﺪ
ﯾﺎ ﺭﺏ ﻧﮧ ﮐﺮ ﻣﺬﺍﻕ ﻣﺮﯼ ﺑﻨﺪﮔﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ

ﻣﺤﺴﻦ ﮐﺮﻡ ﮐﯽ ﻟﮯ ﺑﮭﯽ ﮨﻮ ﺟﺲ ﻣﯿﮟ ﺧﻠﻮﺹ ﺑﮭﯽ
ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﻏﻀﺐ ﮐﺎ ﭘﯿﺎﺭ ﮨﮯ ﺍﺱ ﺩﺷﻤﻨﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ

ﻣﺤﺴﻦ ﻧﻘﻮﯼ

Tumhare Nam Ko Hum Ne Dawa e Dard e Dil Jana Tumhare Zikar Ko Hum Ba'as e Taskeen e Jaan Samjhe




‏تمہارے نام کو ہم نے دوائے دردِ دل جانا
‏تمہارے ذکر کو ہم باعثِ تسکینِ جاں سمجھے

Tumhare Nam Ko Hum Ne Dawa e Dard e Dil Jana
Tumhare Zikar Ko Hum Ba'as e Taskeen e Jaan Samjhe


Bahut Door Tak Jana Padta Hai Sirf Ye Jan'nay Ke Liye Keh Nazdeek Kon Hai



بہت دور تک جانا پڑتا ہے
صرف یہ جاننے کیلئے

کہ نزدیک کون ہے
Bahut Door Tak Jana Padta Hai
Sirf Ye Jan'nay Ke Liye

Keh Nazdeek Kon Hai
 

Guzarna Tha Jinhein Pehlo Mein Tere Woh Sab Din Bin Guzare Reh Gaye Hain



گزرنا تھا جنہیں پہلو میں تیرے
وہ سب دن بن گزارے رہ گئے ہیں
اتباف ابرک

Guzarna Tha Jinhein Pehlo Mein Tere
Woh Sab Din Bin Guzare Reh Gaye Hain

Atbaf Abrak

Meri Shakast Mein Kaya Kaya They , Muzmeraat , Na Pooch Adduw Ka Haath Tha , Aur Chaal , Aashna Ki Thi



میری شکَست میں کیا کیا تھے مُضمرات ، نہ پُوچھ
عَدُو کا ہاتھ تھا ، اَور چال آشنا کی تھِی

Meri Shakast Mein Kaya Kaya They , Muzmeraat , Na Pooch
Adduw Ka Haath Tha , Aur Chaal , Aashna Ki Thi


Guzre Hoe Taweel Zamane Ke Baad Bhi Dil Me Raha Woh Chod Ke Jane Ke Baad Bhi



گُزرے ہوئے طویل زمانے کے بعد بھی
دِل میں رہا وہ چھوڑ کے جانے کے بعد بھی
پہلو میں رہ کے دِل نے دیا ہے بہت فریب
رکھا ہے اُس کو یاد بُھلانے کے بعد بھی
وہ حسن ہے کسی میں نہیں تابِ دِید کی
پنہاں ہے وہ نقاب اُٹھانے کے بعد بھی
قُربت کے بعد اور بھی قُربت کی ہے تلاش
دِل مطمئں نہیں تیرے آنے کے بعد بھی
گو تُو یہاں نہیں ہے مگر تُو یہیں پہ ہے
تیرا ہی ذِکر ہے تیرے جانے کے بعد بھی
ساری زمیں کا نُور بھی سُورج نہ بن سکا
شب ہی رہی چراغ جلانے کے بعد بھی
نارِ حسد نے دِل کو جلایا ہے یوں عدیم
یہ تو نشاں رہے گا مِٹانے کے بعد بھی
لگتا ہے کُچھ کہا ہی نہیں ہے اُسے عدیم
دِل کا تمام حال سُنانے کے بعد بھی

Jo Khayal Thay Na Qiyas Thay Wahi Log Mujh Se Bichad Gaye Jo Muhabbaton Ke Aasaas Thay Wahi Log Mujh Se Bichad Gaye




جو خیال تھے نہ قیاس تھے وہی لوگ مجھ سے بچھڑ گئے
جو محبتوں کے اساس تھے وہی لوگ مجھ سے بچھڑ گئے

جنہیں مانتا ہی نہیں یہ دل، وہی لوگ میرے ہیں ہمسفر
مجھے ہر طرح سے جوراس تھے وہی لوگ مجھ سے بچھڑ گئے

مجھے لمحہ بھر کی رفاقتوں کے سراب اور ستائیں گے
میری عمر بھر کی جو پیاس تھے وہی لوگ مجھ سے بچھڑ گئے

یہ خیال سارے ہیں عارضی،یہ گلاب سارے ہیں کاغذی
گلِ آرزو کی جو باس تھے وہی لوگ مجھ سے بچھر گئے

جنہیں کر سکا نہ قبول میں،وہ شریک راہِ سفر ہوئے
جو مری طلب مِری آس تھے وہی لوگ مجھ سے بچھڑ گئے

مری دھڑکنوں کے قریب تھے ،مری چاہ تھے ،مرا خواب تھے
جو روز و شب مرے پاس تھے وہی لوگ مجھ سے بچھڑ گئے

اعتبار ساجد

Ussay Kehna Ussay Hum Yaad Karte Hain Ussay Kehna



اسے کہنا
اسے ہم یاد کرتے ہیں
اسے کہنا
اداسی جب رگوں میں خون کی مانند اترتی ہے
بہت نقصان کرتی ہے
اسے کہنا
پرندوں کی جدائی پر شجر جب بین کرتے ہیں
بہت بے چین کرتے ہیں
اسے کہنا
بساط عشق میں جب مات ہوتی ہے
دکهوں کے شہر میں جب رات ہوتی ہے
ہم اس دم اپنی آنکهوں میں اسے آباد کرتے ہیں
اسے کہنا
دیے جب شام کی دہلیز پہ جلنے آتے ہیں
ستارے آسمان پر جب ٹمٹماتے ہیں
چاندنی جب پهولوں پر پڑتی ہے
بہت ہی خوب لگتی ہے
ہم اس دم اپنی آنکهوں میں اسے آباد کرتے ہیں
اسے کہنا
اسے ہم یاد کرتے ہیں

Aks kitnay utar gaye mujh mein phir na janay ,kidhar gaye mujh mein



Aks kitnay utar gaye mujh mein
phir na janay ,kidhar gaye mujh mein
main ne chaha tha,zakhm bhar jaaen
zakhm hi zakhm,bhar gaye mujh mein
main woh pal tha,jo khaa gaya sadyaan
sab zamaanay,guzar gaye mujh mein
ye jo main hoon,zara sa baaqi hoon
WO JO TUM THAY,WOH MAR GAYE MUJH MEIN

Chalo Ham Maan Lete Hain Tumhen Hum Kho Chuke Lekin Tumhari Yaad Ab Tak Bhi Hamen Betaab Rakhti Hai



Chalo Ham Maan Lete Hain
Tumhen Hum Kho Chuke Lekin
Tumhari Yaad Ab Tak Bhi
Hamen Betaab Rakhti Hai

Hamaari Saans Ab Tak Bhi
Tmhaari Aas Rkhti Hai

Mgr Ab Ye Bhi Sunte Hain
Tumhaari Raah Roshan Hai

Tumhen Hai Mil Gaya Koi
Magar Afsos
Ham Jesa Agar Paao Kahin Tum To

Mujhe Do Lufz Likh Dena K
MANZIL MIL GAI MUJH KO

o dais say anay walay bata kiss haal mein hein yaran-e-watan awar-e-ghurbat ko bhi suna kis rang mein hein kinaan-e-watan wo bagh-e-watan firdaus-e-watan wo suroor-e-watan rehan-e-watan



o dais say anay walay bata
o dais say anay walay bata

kiss haal mein hein yaran-e-watan
awar-e-ghurbat ko bhi suna
kis rang mein hein kinaan-e-watan
wo bagh-e-watan firdaus-e-watan
wo suroor-e-watan rehan-e-watan

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi watan mein wesay he
sarmast nazaray hotay hein
kia ab bhi suhani raton ko
wo chand sitaray hotay hein
hum khel jo khela kartay thay
kia ab bhi so saray hotay hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

shadab shagufta pholon say
mamoor hein gulzar ab k nahi
bazar mein malan lati he
pholon k gundhay haar ab k nahi
aur shauq say totay pardtay hein
no umer khareedar ab k nahi

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi wahan wesi he jawan
aur mudh bhari ratein hoti hein
kia rat bhar ab bhi geeton ke
aur piyar ki batein hoti hein
wo husn k jado chaltay hein
wo ishq ki ghatein hoti hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab wahan panghat par
pinharian pani bharti hein
angrae ka naqsha ban ban kar
sab mathay pay gagar dharti hein
aur apnay ghar ko jatay hoay
hansti hoe chehlein karti hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi pahari ghaton mein
ghanghor ghatain gonjti hein
sahal k ghaneray pairon mein
barkha ki sadain gonjti hein
jheenger k taranay jagtay hein
moron ki sadain gonjti hien

o dias say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi wahan mailon mein wohi
barsat ka joban hota he
phelay hoay bard ki shakhon mein
jholon ka nasheman hota he
umday hoay badal hotay hein
chaya hua sawan hota he

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi wahan barsat k din
baghon mein baharain ati hein
maasom-o-haseen doshezain
barkha k taranay gati hien
aur titlion ki tarha say rangein
jhoolon par lehrati hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia pehli s he masoom abhi
wo madrasay ki shadab fiza
kuch bholay hoay din guzray hein
jis mein wo misal-e-khuwab-e-fiza
wo khel, wo hum sin, wo medan
wo khuwab gah-e-mehtab-e-fiza

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi kisi kay sinay mein
baqi he hamarai chaah bata ????
kia yad hamein bhi karta he ab
yaroon mein koi aaah bata ????
o dais say anay walay bata
LILLAH bata LILLAH bata

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi fajar dam charwahay
reward ko charanay jatay hein
aur sham dhundhlay sayon k hamrah
ghar ko atay hein !!!
aur apni raseeli bansrion mein
ishq k naghmay gatay hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

akhar mein ye hasar hay k bata
wo ghart-e-emaan kesi hei
bachpan mein afat dhati thee
wo aaft-e-dauran kesi he
hum donon thay jis parwanay
wo sham-e-shabistan kesi he

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

marjana tha jis naam bata
wo ghuncha dehan kis hal mein he
jis par thay fida tiflan-e-watan
wo jan-e-watan kis haal mein he
wo saror-e-chaman wo rashk-e-watan
wo semein badan kis hal mein he

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

ab nam-e-khuda ho gi wo jawan
mekay mein he ya susraal gae
gahr par he rahi ya ghar say gae
khush'hal rahi , khush hal gae


o dais say anay walay bata
o dais say anay walay bata

Mere Dhyaan Ki Dahleezein Teri Aahaton Ki Muntazir



میرے دھیان کی دہلیزیں
تیری آہٹوں کی منتظر

Mere Dhyaan Ki Dahleezein
Teri Aahaton Ki Muntazir


Agar tu Mil nahi sakta tou Kuch tadbeer aisi ho Meri ankhon se tujh ko Umar bhar dekha Kare koi



اگر تو مل نہیں سکتا تو کچھ تدبیر ایسی ہو
مری آنکھوں سے تجھ کو عمر بھر دیکھا کرے کوئی

Agar tu Mil nahi sakta tou Kuch tadbeer aisi ho
Meri ankhon se tujh ko Umar bhar dekha Kare koi


wahi karwan wahi raste wahi zindagi wahi marhale magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin




وہی کارواں، وہی راستے وہی زندگی وہی مرحلے
مگر اپنے اپنے مقام پر کبھی تم نہیں کبھی ہم نہیں



wahi karwan wahi raste wahi zindagi wahi marhale
magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin



Dil ke na sun ye tum ko faqeer kar dega saqee Ye jo udaas bethaa hai ye Nawab thaa kabhi






دل کی نہ سن یہ تم کو فقیر کر دیگا ساقی
یہ جو اداس بیٹھا ہے یہ نواب تھا کبھی

Dil ke na sun ye tum ko faqeer kar dega saqee
Ye jo udaas bethaa hai ye Nawab thaa kabhi



Ye tera rukh nahen sancha hai mere aankhon ka Ye mere shae hai Mujhe is pe piyar aane dey



یہ تیرا رُخ نہیں , سانچہ ہے میری آنکھوں کا
یہ میری شَے ہے , مجھے اس پہ پیار آنے دے

Ye tera rukh nahen sancha hai mere aankhon ka
Ye mere shae hai  Mujhe is pe piyar aane dey


Kabhi hum saath guzre in sajele raahguzaron se Khizan ke bhais mein girte hain ab pate chanaron ke Ye raahein yaad karte hain ye gulshan yaad karta hai



Kabhi hum saath guzre in sajele raahguzaron se
Khizan ke bhais mein girte hain ab pate chanaron ke
Ye raahein yaad karte hain ye gulshan yaad karta hai


Shehar k dukandaro Karobar e ulfat mein Sood kia ziyan kia hai Tum na jaan pao ge



شہر کے دوکاندارو کاروبارِ الفت میں
سود کیا زیاں کیا ہے
تم نہ جان پاؤ گے
دل کے دام کتنے ہیں خواب کتنے مہنگے ہیں
اور نقدِ جاں کیا ہے
تم نہ جان پاؤ گے
کوئی کیسے ملتا ہے پھول کیسے کھلتا ہے
آنکھ کیسے جھکتی ہے سانس کیسے رُکتی ہے
کیسے رہ نکلتی ہے کیسے بات چلتی ہے
شوق کی زباں کیا ہے
تم نہ جان پاؤ گے
وَصل کا سکوں کیا ہے ہجر کا جنوں کیا ہے
حُسن کا فسوں کیا ہے عشق کے دروں کیا ہے
تم مریضِ دانائی مصلحت کے شیدائی
راہِ گمراہاں کیا ہے
تم نہ جان پاؤ گے
زخم کیسے پھلتے ہیں داغ کیسے جلتے ہیں
درد کیسے ہوتا ہے کوئی کیسے روتا ہے
اشک کیا ہیں نالے کیا دشت کیا ہیں چھالے کیا
آہ کیا فغاں کیا ہے
تم نہ جان پاؤ گے
نا مُرادِ دل کیسے  صبح شام کرتے ہیں
کیسے زندہ رہتے ہیں اور کیسے مرتے ہیں
تم کو کب نظر آئی غمزدوں کی تنہائی
زیست بے امان کیا ہے
تم نہ جان پاؤگے
جانتا ہوں میں تم کو ذوقِ شاعری بھی ہے
شخصیت سجانے میں اِک یہ ماہری بھی ہے
پھر بھی حرف چُنتے ہو صرف لفظ سُنتے ہو
اِن کے درمیاں کیا ہے
تم نہ جان پاؤ گے

جاوید اختر

  Shehar k dukandaro
Karobar e ulfat mein
Sood kia ziyan kia hai
Tum na jaan pao ge

Koi kesy milta hai
Phool kesy khilty hain
Ankh kesy jhukti hai
Sans kesy rukti h
ai
 Kesy raah nikalti hai
Kesy baat chalti hai
Shoq ke zuban kia hai
Tum na jaan pao gy

Visal ka sakoon kia hai
Hijar ka janoon kia hai
Tum mareez e danai
Maslihat k shidai
Rah e gumraha kia hai
Tum na jaan pao gy

Zakham kesy phelty hain
Dagh kesy jalty hain
Dard kesy hota hai
Koi kesy roota hai
Ashak kia hain naaly kia
Dashat kia hain chally kia
Aah kia, fugah kia hai
Tum na jaan pao gy

Na-Murad dil kest
Subha sham karty hain
Kesy zinda rehty hain
Or kesy marty hain
Tum ko kab nazar aai
Ghamzadoo ke tanhai
Zeest be amman kia hai
Tum na jaan pao gy

Jannta hon main tum ko
Zouq e shairi bhe hai
Sakhsiat sajane main
Ik ye mahiri bhe hai
Phir bhe harf chunty ho
Sirf lafz sunty ho
Un k darmiyan kia
Tum na jaan pao ge

Javed Akhtar

Nazar Nazar Be-Qarar See Hai Nafs Nafs Mein Sharar Sa Hai Main Janta Hoon Keh Tum Na Aaogay Phir Bhi Kuch Intezaar Sa Hai



نظر نظر بیقرار سی ہے نفس نفس میں شرار سا ہے​
میں جا نتا ہوں کہ تم نہ آؤگے پھر بھی کچھ انتظار سا ہے​
​Nazar Nazar Be-Qarar See Hai Nafs Nafs Mein Sharar Sa Hai
Main Janta Hoon Keh Tum Na Aaogay Phir Bhi Kuch Intezaar Sa Hai


مرے عزیزو! میرے رفیقو! چلو کوئی داستان چھیڑو​
غم زمانہ کی بات چھوڑو یہ غم تو اب سازگار سا ہے​
Mere Azeezo ! Mere Rafeeqo ! Chalo Koi Dastaan Chedo
Gham e Zamana Ki Baat Chodo Ye Gham Tou Ab Saazgaar Sa Hai


وہی فسر دہ سا رنگ محفل وہی ترا ایک عام جلوہ​
مری نگاہوں میں بار سا تھا مری نگا ہوں میں بار سا ہے​
Wahi Afsurda Sa Rang Mehfil Wahi Tera Aik Aaam Jalwa
Meri Nigahon Mein Baar Sa Tha Meri Nigahon Mein Baar Sa Tha


کبھی تو آؤ ! کبھی تو بیٹھو! کبھی تو دیکھو! کبھی تو پوچھو​
تمہاری بستی میں ہم فقیروں کا حال کیوں سوگوار سا ہے​
Kabhi Tou Aao ! Kabhi Tou Baitho ! Kabhi Tou Dekho ! Kabhi Tou Poocho
Tumhari Basti Mein Hum Faqeeron Ka Haal Kyon Sogwaar Sa Hai

 ​
چلو کہ جشن بہار دیکھیں چلو کہ ظرف بہار جا نچیں​
چمن چمن روشنی ہوئی ہے کلی کلی پہ نکھار سا ہے​
Chalo Keh Jishan e Bahaar Dekhein Chalo Keh Zarf e Bahaar Janchain
Chaman Chaman Roshni Hoi Hai Kali Kali Pe Nikhaar Sa Hai

 ​
یہ زلف بر دوش کون آیا یہ کس کی آہٹ سے گل کھلے ہیں​
مہک رہی ہے فضائے ہستی تمام عالم بہار سا ہے
Ye Zulf Bar Dosh Kon Aaya Ye Kis Ki Aahat Se Gul Khilay Hain
Mehik Rahi Hai Fiza e Hasti Tamaam Aalam Bahaar Sa Hai


ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Koi Falsafa nahi Ishq ka, Jahaan Dil jhuke Wahein Sar jhuka Wahein Haath jod ke baith ja, Na Sawaal kar, Na Jawaab de



کوئی فلسفہ نہیں عشق کا, جہاں دل جھکے وہیں سر جھکا
وہیں ہاتھ جوڑ کے بیٹھ جا, نہ سوال کر, نہ جواب دے

Koi Falsafa nahi Ishq ka, Jahaan Dil jhuke Wahein Sar jhuka
Wahein Haath jod ke baith ja, Na Sawaal kar, Na Jawaab de


Tum Bin Jiya Jaaye Kaise Kaise Jiya Jaaye Tum Bin




Roshni Barh Gai Hai Soraj Ki Uss Ne Zulfein Samaitt Li Hongi







روشنی بڑھ گئی ہے سورج کی
اس نے زلفیں سمیٹ لی ہوں گی
Roshni Barh Gai Hai Soraj Ki
Uss Ne Zulfein Samaitt Li Hongi

Shukar Kia Hai In Paidon Ne Sabar Ki Aadat Dali Hai Iss Manzar Se Dekho Barish Hone Wali Hai





شکر کیا ہے ان پیڑوں نے صبر کی عادت ڈالی ہے
اس منظر سے دیکھو بارش ہونے والی ہے

سوچا یہ تھا وقت ملا تو ٹوٹی چیزیں جوڑیں گے
اب کونے میں ڈھیر لگا ہے باقی کمرا خالی ہے

بیٹھے بیٹھے پھینک دیا ہے آتش دان میں کیا کیا کچھ
موسم اتنا سرد نہیں تھا جتنی آگ جلا لی ہے

اپنی مرضی سے سب چیزیں گھومتی پھرتی رہتی ہیں
بے ترتیبی نے اس گھر میں اتنی جگہ بنا لی ہے

دیر سے قفل پڑا دروازہ اک دیوار ہی لگتا تھا
اس پر ایک کھلے دروازے کی تصویر لگا لی ہے

ہر حسرت پر ایک گرہ سی پڑ جاتی تھی سینے میں
رفتہ رفتہ سب نے مل کر دل سی شکل بنا لی ہے

اوپر سب کچھ جل جائے گا کون مدد کو آئے گا
جس منزل پر آگ لگی ہے سب سے نیچے والی ہے

اک کمرا سایوں سے بھرا ہے اک کمرا آوازوں سے
آنگن میں کچھ خواب پڑے ہیں ویسے یہ گھر خالی ہے

پیروں کو تو دشت بھی کم ہے سر کو دشت نوردی بھی
عادلؔ ہم سے چادر جتنی پھیل سکی پھیلا لی ہے



Bade Logon Se Milne Mein Hamesha Faasla Rakhna Jahan Darya Samandar Se Mila Darya Nahi Rehta





Reyazidaan Ussay Farz Kar Ke Dekhein Tou Reyazi Bhool Hi Jaein Woh Itna Dilkash Hai



رِیاضی دان اُسے فرض کر کے دیکھیں تو
رِیاضی بھول ہی جائیں ، وُہ اِتنا دِلکش ہے

کہے جو فرض کریں ایکس ، وائے سے ہے بڑا
سب ایکس جشن منائیں ، وُہ اِتنا دِلکش ہے

جذر بھی لے لیں اَگر دِلکشی کا دِلبر کی
جواب گن نہیں پائیں ، وُہ اِتنا دِلکش ہے

جو اُس کا مجنوں بنے ، اَرشمیدس اُس کو کہے
مجھے رِیاضی پڑھائیں ، وُہ اِتنا دِلکش ہے

صفر ، صفر ہے فقط اِس لیے کہ کر نہ سکا
شمار اُس کی اَدائیں ، وُہ اِتنا دِلکش ہے

کمالِ حُسن کو ہم دو سے ضرب دیتے مگر
عدد کہاں سے منگائیں ، وُہ اِتنا دِلکش ہے

رِیاضی میں جہاں ’’بے اِنتہا‘‘ بتانا ہو
دو آنکھیں اُس کی بنائیں ، وُہ اِتنا دِلکش ہے

Itani aasaani se milti nahin fun ki daulat Dhal gayi umar, tau gazalon pe jawaani aayi



इतनी आसानी से मिलती नहीं फन की दौलत
ढल गई उम्र, तो गजलों पे जवानी आई

इकबाल अशहर
 
Itani aasaani se milti nahin fun ki daulat
Dhal gayi umar, tau gazalon pe jawaani aayi

Iqbal Ashhar

ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA Abhi Maslehat Ka Muqam hai Abhi Qafalon Ka Qayam hai Abhi Dastras mein hai Zindagi



ABHI WAQT
HAI MUJHY
CHORR JA
Abhi Maslehat Ka Muqam hai
Abhi Qafalon Ka Qayam hai
Abhi Dastras mein hai Zindagi
Abhi
Chashm-e-Nam mein hai Roshni
Abhi Naqsh-e-Paa Ko Sabaat hai
Abhi Kuch Hi Dair Ki Baat hai
ABHI WAQT
HAI MUJHY
CHORR JA
Abhi Gard Rah Se Urri Nahi
Abhi Kirchiyon mein Baty Nahi
Abhi Har Nazara Haseen hai
Abhi Subh-e-Nuo Ka Yaqeen hai
Abhi Hum Kinaron Pe Hein Kharry
ABHI WAQT
HAI MUJHY
CHORR JA
Yeh Safar Nahi Azaab hai
Yahan Har Qadam Pe Saraab hai
Yahan Bad-Gumani Ka Raaj hai
Yahan Be-Wafai Rivaj hai
Abhi Hosh Khony K Din Nahi
Abhi Tery Rony K Din Nahi
ABHI WAQT
HAI MUJHY
CHORR JA
Abhi Sari Nagri Andher hai
Abhi Din Nikalny mein Dair hai
Abhi Behr-e-Ishq mein Na Utar
Abhi Sheher Sara hai Be-Khabar
ABHI WAQT HAI MUJHE CHORR JA

Mauj e Bahaar Me Kia Rakha Hai Gul Aur Khaar Me Kia Rakha Hai



موجِ بہار میں کیا رکھا ہے؟
گُل اور خار میں کیا رکھا ہے؟
جاتے ہو بازار کی جانب
پر بازار میں کیا رکھا ہے؟
گھر بنتا ہے گھر والوں سے
در دیوار میں کیا رکھا ہے؟
ماں سے بہتر کون یہ جانے؟
ماں کے پیار میں کیا رکھا ہے
جھکتے ہو دربار پہ جا کے
پر دربار میں کیا رکھا ہے
اب میں سب کچھ جان چکا ہوں
اب اِسرار میں کیا رکھا ہے؟
شہریار جمیل

Ab Dil Ka Safeena Kia Ubhre Toofaan Ki Hawaein Sakin Hain



اب دل کا سفینہ کیا ابھرے
طوفاں کی ہوائیں ساکن ہیں
اب بحر سے کشتی کیا کھیلے
موجوں میں کوئی گرداب نہیں

अब दिल का सफ़ीना क्या उभरे
तूफ़ाँ की हवाएँ साकिन हैं
अब बहर से कश्ती क्या खेले
मौजों में कोई गिर्दाब नहीं

Ab Dil Ka Safeena Kia Ubhre
Toofaan Ki Hawaein Sakin Hain
Ab Bahar Se Kashti Kia Khelay
Maujon Mein Koi Gardaab Nahi

 

Uss Shehar Mein Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye Ek Shakhs Kitabon Jaisa Tha Wo Shakhs Zubani Yaad Hua



Aisa na ho jab Khuda say apna hisaab loon tab ye patta chalay qayamat tamaam shud



ایسا نہ ہو جب خدا سے اپنا حساب لوں
تب یہ پتہ چلے قیامت تمام شد

Aisa na ho jab Khuda say apna hisaab loon
tab ye patta chalay qayamat tamaam shud

Aakhiri khwahish jo poochi waqt ne Pehli khwahish muskura kar reh gayi



Aakhiri khwahish jo poochi waqt ne
Pehli khwahish muskura kar reh gayi

Bana Rahe Ho Agar Todh Kar Mujhe Mere Khameer Me Weheshat Pe Haath Kam Rakhna




Thoda Sa Aks Chand Keh Paikar Mein Dal Dy Tu Aa Ke Jaan Raat Keh Manzar Mein Dal Dy



تھوڑا سا عکس چاند کہ پیکر میں ڈال دے
تو آ ک جان رات کہ منذر میں ڈال دے
اے کیف جاگتے پچھلا پھر ہوا
اب لاش جیسے جسم کو بستر میں ڈال دے

थोड़ा सा अक्स चाँद के पैकर में डाल दे
तू आ के जान रात के मंज़र में डाल दे
ऐ 'कैफ़' जागते तुझे पिछ्ला पहर हुआ
अब लाश जैसे जिस्म को बिस्तर में डाल दे

Thoda Sa Aks Chand Keh Paikar Mein Dal Dy
Tu Aa Ke Jaan Raat Keh Manzar Mein Dal Dy
Aey Kaif Jagtay Pechla Phir Hoa
Ab Laash Jaise Jisam Ko Bistar Mein Dal Dy

Itna na yaad Aaya karo ke raat bhar so na sakay Subah ko surkh aankhon ka sabab pochtay hain log



اتنا نہ یاد آیا کرو ک رات بھر سو نہ سکے
صبح کو سرخ آنکھوں کا سبب پوچھتے ہیں لوگ

Itna na yaad Aaya karo ke raat bhar so na sakay
Subah ko surkh aankhon ka sabab pochtay hain log


Kitabon Ki Tarha Bohat Se Alfaaz Hain Hum Mein Aur Kitabon ki Tarha Hi Hum Khamosh Rehte Hain



Kitabon Ki Tarha Bohat Se Alfaaz Hain Hum Mein
Aur Kitabon ki Tarha Hi Hum Khamosh Rehte Hain

Agar bazm-e-insaan mein aurat na hoti ! Khayaalon ki rangeen jannat na hoti !



Agar bazm-e-insaan mein aurat na hoti !
Khayaalon ki rangeen jannat na hoti !
Sitaaron ke dilkash fasaane na hote !
Bahaaron ki naazuk haqeekat na hoti !
Jabeenon pe noor-e-masarrat na khilta !
Nigaahon mein shaan-e-murawwat na hoti !
Ghataon ki aamaad ko saawan taraste !
Fizaaon mein behki baghaawat na hoti !
Fakiron ko irfaan-e-hasti na milti !
Ataa zaahidon ko ibaadat na hoti !
Musaafir sada manzilon pe bahakte !
Safeenon ko sahil ki qurbat na hoti !
Har ek phool ka rang feeka sa rehta !
Naseem-e-bahaaran mein nikhat na hoti !
Khudaayi ka insaaf khaamosh rehta !
Suna hai kisi ki shifa'at na hoti !!

अगर बज़्म-ए-इंसाँ में औरत ना होती !
ख़यालों की रंगीन जन्नत ना होती !
सितारों के दिलकश फ़साने ना होते !
बहारों की नाजुक हक़ीक़त ना होती !
जबीनों पे नूर-ए-मसरर्रत ना खिलता !
निगाहों में शान-ए-मुरव्वत ना होती !
घटाओं की आमाद को सावन तराशते !
फ़िज़ाओं में बेहकी बग़ावत ना होती !
फकीरों को इरफान-ए-हस्ती ना मिलती !
अता जाहीदो को इबादत ना होती !
मुसाफिर सदा मंज़िलों पे बहकते !
सफीनों को साहिल की क़ुरबत ना होती !
हर एक फूल का रंग फीका सा रहता !
नसीम-ए-बहारां में निखत ना होती !
खुदाई का इन्साफ खामोश रहता !
सुना है किसी की शिफ़ाअत ना होती !!


Husn Walo Ko Kabhi Qibla o Ka'aba Na Bana Ik Yahi Gham Mere Marne Ke Liye Kafi Hai Jaisa Tu Chahta Tha Mujh Ko Main Waisa Na Bana



Husn Walo Ko Kabhi Qibla o Ka'aba Na Bana
Ik Yahi Gham Mere Marne Ke Liye Kafi Hai
Jaisa Tu Chahta Tha Mujh Ko Main Waisa Na Bana
Wasi Shah

Na tadpane ki ijazat hai na fariyad ki hai Ghut ke mar jaaun ye marzi mere sayaad ki hai



Na tadpane ki ijazat hai na fariyad ki hai
Ghut ke mar jaaun ye marzi mere sayaad ki hai

Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai Apne hi ghar mein kisi dosre ghar ke hum hain



Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mein kisi dosre ghar ke hum hain


Nida Fazli

Umar bhar lekhte rahe phir bhi warq sada raha Na Jane Kiya lafz thay jo hum se tehreer na huay



عمر بھر لکھتے رہے پھر بھی ورق سادہ رہا
نہ جانے کیالفظ تھے جو ہم سے تحریر نہ ہوے

Umar bhar lekhte rahe phir bhi warq sada raha
Na Jane Kiya lafz thay jo hum se tehreer na huay


Sooraj hoon zindagi ki ramaq chhor jaaonga Main doob bhi gaya toh shafaq chor jaaonga



Sooraj hoon zindagi ki ramaq chhor jaaonga
Main doob bhi gaya toh shafaq chor jaaonga

Sunset from my window

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo