Ae Tagayur e Zamana Ye Ajeeb Dil Lagi Hai Na Waqar Dodti Hai Na Majal Dushmani Hai



Ae Tagayur e Zamana Ye Ajeeb Dil Lagi Hai
Na Waqar Dodti Hai Na Majal Dushmani Hai
Yahi Zulmatein Chunein Jo Tere Surkh Aanchalon Mein
Inhi Zulmaton Se Shayed Mere Ghar Mein Roshni Hai
Mere Saath Tum Bhi Chalna Mere Saath Tum Bhi Aana
Zara Gham Ke Raston Mein Badi Tez Tergi Hai
Ye Mushahida Nahi Hai Mere Dard Ki Sada Hai
Mere Dagh Dil Liye Hein Teri Bazm Jab Saji Hai
Gham e Zindagi Kahan Hai Abhi Wehshaton Se Fursat
Tere Naz Utha Hi Leingy Abhi Zindagi Padi Hai
Tere Khushk Gaisoun Mein Meri Aarzo Hai Penhan
Tere Shokh Bazoun Mein Meri Dastaan Rachi Hai
Jise Apna Yaar Kehna Usay Chodhna Bhanwar Mein
Ye Hadees e Dilbaraan Hai Ye Kamaal Dilbari Hai
Woh Guzar Gaya Hai SAGHAR Koi Qafla Chaman Se
Kahein Aag Jal Rahi Hai Kahein Aag So Gai Hai

Saghar Siddiqui

 

Ye Ajeeb Majra Hai Keh Baroz e Qurban Wahi Zabah Bhi Kare , Wahi Le Sawaab Ulta



مجھے کیوں نہ آوے ساقی نظر آفتاب الٹا
کہ پڑا ہے آج خُم میں قدحِ شراب الٹا
Mujhe Kion Na Aaway Saqi Nazar Aaftaab Ulta
Keh Pada Hai Aaj Khum Mein Qadh e Sharaab Ulta

عجب الٹے ملک کے ہیں اجی آپ بھی کہ تُم سے
کبھی بات کی جو سیدھی تو ملا جواب الٹا
Ajab Ultay Mulk Ke Hein Ajee Aap Bhi Keh Tum Se
Kabhi Baat Ki Jo Seedhi Tou Mila Jawaab Ulta

چلے تھے حرم کو رہ میں، ہوئے اک صنم کے عاشق
نہ ہوا ثواب حاصل، یہ ملا عذاب الٹا
Chalay Thay Haram Ko Reh Mein , Howay Ik Sanam Ke Aashiq
Na Hoa Sawaab Hasil , Yeh Mila Azaab Ulta

یہ شب گذشتہ دیکھا کہ وہ خفا سے کچھ ہیں گویا
کہیں حق کرے کہ ہووے یہ ہمارا خواب الٹا
Yeh Shab Guzeshta Daikha Keh Woh Khafa Se Kuch Hein Goya
Kahein Haq Kare Keh Howay Yeh Hamara Khuwaab Ulta

یہ عجیب ماجرا ہے کہ بروزِ عیدِ قرباں
وہی ذبح بھی کرے ہے, وہی لے ثواب الٹا
Ye Ajeeb Majra Hai Keh Baroz e Qurban
Wahi Zabah Bhi Kare , Wahi Le Sawaab Ulta

کھڑے چُپ ہو دیکھتے کیا, مرے دل اجڑ گئے کو
وہ گنہہ تو کہہ دو جس سے یہ وہ خراب الٹا
Kapday Chup Ho Daikhtay Kia , Mere Dil Ujad Gaye Ko
Woh Gunah Tou Keh Do Jis Se Ye Woh Kharab Ulta

غزل اور قافیوں میں نہ کہے سو کیونکے انشا
کہ ہوا نے خود بخود آ، ورقِ کتاب الٹا
Ghazal Aur Qafion Mein Na Kahe So Kionke INSHA
Keh Hawa Ne Khud Bakhud Aa , Warq Kitab Ulta

انشا اللہ خان انشا
Insha Allah Khan Insha


Neend Kiya Tooti Keh DIL Murjha Geya Urrh Gayien Khawaabon Ki Saari Titliyaan



نِیند کیا ٹُوٹی کہ دِل مُرجھا گیا
اُڑ گئیں خوابوں کی ساری تِتلیاں


Neend Kiya Tooti Keh DIL Murjha Geya
Urrh Gayien Khawaabon Ki Saari Titliyaan

 

Jhoot aur hirs ki dunia se pare rehte hain Chal mere gaon , jahan log khare rehte hain



جھوٹ اور حرص کی دنیا سے پرے رہتے ہیں
چل مِرے گاؤں، جہاں لوگ کھرے رہتے ہیں

Jhoot aur hirs ki dunia se pare rehte hain
Chal mere gaon , jahan log khare rehte hain


kahoon kis se qissa-e-dard-o-Gham Koi ham-nasheen hai na yaar hai



kahoon kis se qissa-e-dard-o-Gham
Koi ham-nasheen hai na yaar hai
Jo anees hai teri yaad hai
Jo shafeeq hai dil-e-zaar hai
Tu hazaar karta lagaawatein
Main kabhi na aati fareb mein
Mujhe pahle is ki khabar na thi
Tera do hi din ka ye pyaar tha


Har cheez nahin ek markaz (Center) par ek roz idhar ek roz udhar Dushman ko na dekho nafrat se shayad woh mohabbat kar baithe



Har cheez nahin ek markaz (Center) par ek roz idhar ek roz udhar
Dushman ko na dekho nafrat se shayad woh mohabbat kar baithe


Sar Jhuka Daite Hein Kamanon Ke Teer Chaltay Hein Jab Zubanon Ke



سر جھکا دیتے ہیں کمانوں کے
تیر چلتے ہیں جب زبانوں کے
Sar Jhuka Daite Hein Kamanon Ke
Teer Chaltay Hein Jab Zubanon Ke

مشترک غم زمیں ہمارا ہے
ہم ہیں قدموں پہ آسمانوں کے
Mushtarak Gham Zameen Humara Hai
Hum Hein Qadmon Peh Aasmanon Ke

ریت ساحل پہ جو بناتی ہے
ہم مکیں ہیں انہی مکانوں کے
Ret Sahil Peh Jo Banati Hai
Hum Makeen Hein Inhi Makanon Ke

کچھ تو ہم بھی خراب ہیں اور کچھ
لوگ کچے بہت ہیں کانوں کے
Kuch Tou Hum Bhi Kharab Hein Aur Kuch
Log Kachay Buhat Hein Kanon Ke

ہم تھے سمجھے خزاں بہار کے ہیں
کھیل سارے ہیں باغبانوں کے
Hum Thay Samjhe Khizan Bahar Ke Hein
Khail Sare Hein Baghbanon Ke

ہم کہ کردار بھی نہ بن پائے
آپ ، اپنی ہی داستانوں کے
Hum Keh Kirdar Bhi Na Ban Paaye
Aap , Apni Hi Dastanon Ke

اتباف ابرک
Atbaf Abrak


Mujhe Tum Shehron Ke Darmiyan Gumnam Lekh Daina Jahan Darya Mily Be-Aab Mera Nam Lekh Daina



Mujhe Tum Shehron Ke Darmiyan Gumnam Lekh Daina
Jahan Darya Mily Be-Aab Mera Nam Lekh Daina

Tum Apne Chand Tare Kehkeshan Chahe Jise Daina
Meri Aankhon Peh Apni Deed Ka Ik Shaam Lekh Daina

Woh Mousam Ja Chuka Jis Mein Parenday Chehchehatay Thay
Ab Un Paidon Ki Shakhon Par Sukoon Shaam Lekh Daina


Das WARIS Asi Ki Kariye?



Das WARIS Asi Ki Kariye?
Sada Koi Na Paway Mul
Asan Maa Pev De Ladaan Paly
Te Gaye Mitti Wich Rul
Das WARIS Asi Ki Kariye?
Saday Wich KAl
Lokaan De Dilaan Utay Zakham
Te Sada Zakhmaan De Wich Dil
Das WARIS Asi Ki Kariye?
Sada Koi Na Paway Mul
Sadey Munh Te Hasa Enj Sajday
Jeewein Qabraan Utey Phul

Sayed Waris Shah


Yeh Masjid Mandir Mai-Khane Koi Ye Mane Koi Woh Mane Koi Sab Janan Hein Tere Kashaney Ye Mane Koi Woh Mane



یہ مسجد مندر مے خانے کوئی یہ مانے کوئی وہ مانے
سب جاناں ہیں تیرے کاشانے کوئی یہ مانے کوئی وہ مانے
Yeh Masjid Mandir Mai-Khane Koi Ye Mane Koi Woh Mane Koi
Sab Janan Hein Tere Kashaney Ye Mane Koi Woh Mane

اک ہست کا تیرے قائل ہے انکار پہ کوئی مائل ہے
اصلیت لیکن تو جانے کوئی یہ مانے کوئی وہ مانے
Ik Past Ka Tere Qael Hai Inkar Peh Koi Mael Hai
Asleeyat Lekin Tu Jane Koi Ye Mane Koi Woh Mane

اک خلق میں شامل کرتا ہے اک سب سے اکیلا کہتا ہے
ہیں دونوں تیرے مستانے کوئی یہ مانے کوئی وہ مانے
Ik Khalq Mein Shamil Karta Hai Ik Sab Se Akela Kehta Hai
Hein Dono Tere Mastane Koi Ye Mane Koi Woh Mane

کہیں حسن میں جلوہ فرما ہے کہیں آتش عشق میں جلتا ہے
تو کیا ہے کوئی کیا جانے کوئی یہ مانے کوئی وہ مانے
Kahein Husn Mein Jalwah Farma Hai Kahein Aatish Ishq Mein Jalta Hai
Tu Kia Hai Koi Kia Jane Koi Ye Mane Koi Woh Mane

اک مست الست ہے دیوانہ اک دانا بینا فرزانہ
اک خم سے بھر دو پیمانے کوئی یہ مانے کوئی وہ مانے
 Ik Mast Alast Hai Deewana Ik Dana Peena Farzana
Ik Khum Se Bhar Do Paimane Koi Ye Mane Koi Woh Mane

یوں نام کو بلبل گل پر ہے اور شمع پہ مائل پروانہ
ہیں ایک ہی جلوے کے دیوانے کوئی یہ مانے کوئی وہ مانے
Yun Nam Ko Bulbul Gul Par Hai Aur Shama Peh Mael Parwana
Hein Aik Hi Jalway Ke Deewane Koi Ye Mane Koi Woh Mane

حیرت میں عالم سارا ہے کیا دل میں بھید چھپایا ہے
اک بات ہے سو ہیں افسانے کوئی یہ مانے کوئی وہ مانے
HAIRAT Mein Aalam Sara Hai Kia Dil Mein Bhaid Chupaya Hai
Ik Baat Hai So Hein Afsane Koi Ye Mane Koi Woh Mane

حیرت شاہ وارثی
Hairat Shah Warsi


Tumhare bas men agar ho Tu bhool jao mujhe Tumhen bhulane men shayad mujhe zamana lage



Tumhare bas men agar ho Tu bhool jao mujhe
Tumhen bhulane men shayad mujhe zamana lage


Qatil Ko Koi Qatal Ka Aadaab Sekhaye Dastar Ke Hote Hoe Sar Kaat Raha Hai



صیّاد تو امکان سفر کاٹ رہا ہے
اندر سے بھی کوئی مرے پر کاٹ رہا ہے
Sayyad Tou Imkan Safar Kaat Raha Hai
Andar Se Bhi Koi Mere Par Kaat Raha Hai

اے چادر منصب، ترا شوقِ گلِ تازہ
شاعر کا ترے دستِ ہُنر کاٹ رہا ہے
Ae Chadar Mansab , Tera Shouq e Gul e Taza
Shair Ka Tere Dast e Hunar Kaat Raha Hai

جس دن سے شمار اپنا پناہگیروں میں ٹھہرا
اُس دن سے تو لگتا ہے کہ گھر کاٹ رہا ہے
Jis Din Se Shumar Apna Panahgeeron Mein Thehra
Us Din Se Tou Lagta Hai Keh Ghar Kaat Raha Hai

کس شخص کا دل میں نے دُکھایا تھا، کہ اب تک
وہ میری دعاؤں کا اثر کاٹ رہا ہے
Kis Shakhs Ka Dil Main Ne Dukhaya Tha , Keh Ab Tak
Woh Meri Duaoun Ka Asar Kaat Raha Hai

قاتل کو کوئی قتل کے آداب سکھائے
دستار کے ہوتے ہوۓ سر کاٹ رہا ہے
Qatil Ko Koi Qatal Ka Aadaab Sekhaye
Dastar Ke Hote Hoe Sar Kaat Raha Hai

پروین شاکر
Parveen Shakir


Saath Raha Woh Chand Roz Muhabbat Karne Ke Liye Ba-Izzat Le Gaya Tha Ghar Se Be-Izzat Karne Ke Liye



ساتھ وہ میرے رہا چند روز محبّت کرنے کے لئے
با عزت لے گیا تھا گھر سے بے عزت کرنے کے لئے
Saath Raha Woh Chand Roz Muhabbat Karne Ke Liye
Ba-Izzat Le Gaya Tha Ghar Se Be-Izzat Karne Ke Liye

فرشتوں سا مزاج تھا اس شخص کا بھی
مُجھے ہی چُنا ہر بار نصیحت کرنے کے لئے
Fareshton Sa Mizaj Tha Us Shakhs Ka Bhi
Mujhe Hi Chuna Har Baar Naseehat Karne Ke Liye

موت بھی رہی حالات سے واقف میرے
بس وہ نہ آیا کبھی عیادت کرنے کے لیے
Mout Bhi Rahi Haalaat Se Waqif Mere
Bas Woh Na Aaya Kabhi Iyadat Karne Ke Liye

اب سوچتی ہوں تو  ہنسی آتی ہے اس کے الفاظ پر
کہ مَیں ضروری ہوں، اِک گھر کو جنت بنانے کے لئے
Ab Sochti Hon Tou Hansi Aati Hai Uske Alfaaz Par
Keh Main Zaroori Hon , Ik Ghar Ko Jannat Banane Ke Liye

ساتھ چھوڑنا اور دِل توڑنا الگ باتیں ہیں
خدا نے کب دی اجازت خیانت کرنے کے لئے
Saath Chadhna Aur Dil Todhna Alag Batein Hein
Khuda Ne Kab Di Ijazat Khayanat Karne Ke Liye

مجھے بھی لے ڈوبی یہ لالچ ثواب کی
کہ عشق بھی ضروری ہے عبادت کے لئے
Mujhe Bhi Le Doobi Yeh Lalach Sawaab Ki
Keh Ishq Bhi Zaroori Hai Ibadat Ke Liye

پروین شاکر
Parveen Shakir


Khosha Keh Bagh e Baharan Hai Zindagi Apni Kisi Ke Gham Se Farozaan Hai Zindagi Apni



خوشا کہ باغِ بہاراں ہے زندگی اپنی
کسی کے غم سے فروزاں ہے زندگی اپنی
Khosha Keh Bagh e Baharan Hai Zindagi Apni
Kisi Ke Gham Se Farozaan Hai Zindagi Apni

بہت دنوں سے پریشاں ہیں آپ کے گیسُو
بہت دنوں سے پریشاں ہے زندگی اپنی
Buhat Dinon Se Pareshan Hein Aake Gaisoo
Buhat Dinon Se Pareshan Hai Zindagi Apni
چھلک رہے ہیں کئی حسرتوں کے پیمانے
لہو سے دل کے چراغاں ہے زندگی اپنی
Chalak Rahe Hein Kai Hasraton Ke Paimane
Lahoo Se Dil Ke Charaghan Hai Zindagi Apni

غمِ حیات نے ڈالے ہیں ہاتھ بڑھ بڑھ کر
کہ بے وطن کا گریباں ہے زندگی اپنی
Gham e Hayat Ne Daly Hein Haath Barh Barh Kar
Keh Be-Watan Ka Gareban Hai Zindagi Apni

تِرا جہان ہے کیا ایک آئینہ خانہ
کہ جس میں ششدر و حیراں ہے زندگی اپنی
Tera Jahan Hai Kia Aik Aainah-Khana
Keh Jis Mein Shashdar o Hairan Hai Zindagi Apni

نجانے کون سا لمحہ چرا کے لے جائے
متاعِ گردشِ دوراں ہے زندگی اپنی
Najane Konsa Lamha Chura Ke Le Jaye
Mataa e Gardish e Daoran Hai Zindagi Apni

نہ کوئی پھول نہ ساغرؔ نہ ماہتاب نہ تُو
بجھا ہوا سا شبستاں ہے زندگی اپنی
Na Koi Phool Na SAGHAR Na Mahtaab Na Tu
Bujha Hoa Sa Shabistan Hai Zindaga Apni

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Hijr dono ko maar daaly Ga Dost furst Nikaal Milty hain



Hijr dono ko maar daaly Ga
Dost furst Nikaal Milty hain


Hum ne dekha tha faqat shauq e nazar ki khatir Yevna socha tha ke tum dil mein utar jao ge



ہم نے دیکھا تھا فقط شوق نظر کی خاطر
یہ نہ سوچا تھا کہ تم دل میں اتر جاؤ گے
Hum ne dekha tha faqat shauq e nazar ki khatir
Yevna socha tha ke  tum dil mein utar jao ge


Uska Andaz e Bayan Yaad Raha Aur Kuch Mujh Ko Kahan Yaad Raha



Uska Andaz e Bayan Yaad Raha

Aur Kuch Mujh Ko Kahan Yaad Raha

Ik Faqat Main Hi Nahi Yaad Usay

Woh Jise Sara Jahan Yaad Raha

Kia Rahe Usko Baharon Ki Qadar

Na Jise Guzra Khizan Yaad Raha

Main Samajhta Tha Haqeeqat Jisko

Hai Wahi Wehm o Gumaan Yaad Raha

Aik Khidki Hai Basi Yadoon Mein

Aik Aisa Tha Makan Yaad Raha

Jo Keh Mar Kar Hai Abhi Tak Zinda

Hum Ko Mumtaz Jawan Yaad Raha

Na AWAIS Uski Karo Minnat Tum

Na Jise Apna Bayan Yaad Raha

Awais Bhatti


Pehle Lagta Tha Tum Hi Dunya Ho Ab Yeh Lagta Hai Tum Bhi Dunya Ho



Mujhe Muhabbaton Se Kuch Mila Nahi Mujhe Tum Se Bhi Kuch Gila Nahi



Mujhe Muhabbaton Se Kuch Mila Nahi

Mujhe Tum Se Bhi Kuch Gila Nahi

Meri Zindagi Tou Bas Kuch Uljhan See Hai

Jise Kabhi Kisi Ne Suljhaya Nahi

MeriZaat Se Kisi Ko Koi Takleef Ho

Aisa Kabhi Main Ne Chaha Nahi

Har Aik Ne Mujh Ko Hi Dard Diya

Mera Tou Dard Kisi Ne Samjha Nahi

Kion Main Kisi Ko Ilzam Doon

Mera Humsafar Hi Mere Saath Chala Nahi


KHAMOSHI SE APNI MANZIL DEKHTA RAHA MAIN TO MEEL KA PATHAR THA AAGE NAHI BADHA



Rukta Bhi Nahi Theek Se , Chalta Bhi Nahi Hai Yeh Dil Keh Tere Ba'ad , Sanbhalta Bhi Nahi Hai

 

رُکتا بھی نہیں ٹھیک سے ، چلتا بھی نہیں ھے
یہ دل کہ تیرے بعد ، سنبھلتا بھی نہیں ھے

Rukta Bhi Nahi Theek Se , Chalta Bhi Nahi Hai

Yeh Dil Keh Tere Ba'ad , Sanbhalta Bhi Nahi Hai
اک عمر سے ھم اُس کی تمنا میں ھیں بے خواب
وہ چاند جو آنگن میں ، اُترتا بھی نہیں ھے

Ik Umar Se Hum Uski Tamanna Mein Hein Be-Khuwaab

Woh Chand Jo Aangan Mein , Utarta  Bhi Nahi Hai
پھر دل میں تیری یاد کے ، منظر ھیں فروزاں
ایسے میں کوئی ، دیکھنے والا بھی نہیں ھے

Phir Dil Mein Teri Ke ,Manzar Hein Firozaan

Aise Mein Koi , Daikhne Wala Bhi Bhi Nahi Hai
ھمراہ بھی خواھش سے ، نہیں رھتا ھمارے
اور بامِ رفاقت سے ، اُترتا بھی نہیں ھے

Humrah Bhi Khuwahish Se, Nahi Rehta Humare

Aur Baam e Rafaqat Se , Utarta Bhi Nahi Hai
اِس عمر کے صحرا سے ، تری یاد کا بادل
ٹلتا بھی نہیں ، اور برستا بھی نہیں ھے

Is Umar Ke Sahra Se , Teri Yaad Ka Badal

Talta Bhi Nahi , Aur Barasta Bhi Nahi Hai

نوشی گیلانی
Noshi Gailani

 

Ae Umar e Rawaan Aahista Chal Kuch Reshtay Ban Ke Toot Gaye



ائے عُمرے رواں آہستہ چل
کچھ رِشتے بن کے ٹوٹ گئے
Ae Umar e Rawaan Aahista Chal
Kuch Reshtay Ban Ke Toot Gaye

کچھ بنتے بنتے چُھوٹ گئے
ان ٹوٹے چھوٹے رِشتوں کے
Kuch Bante Bante Choot Gaye
In Toote Chote Reshton Ke

زخموں کو مِٹانا باقی ہے
اے عُمرے رواں آہستہ  چل
Zakhmon Ko Mitana Baqi Hein
Ae Umar e Rawaan Aahista Chal

کچھ فرض نِبھانا باقی ہے
کچھ قرض چُکانا باقی ہے
Kuch Farz Nibhana Baqi Hein
Kuch Qarz Chukana Baqi Hein

کچھ بکھری بکھری یادیں ھیں
کچھ کِرچِنا ٹوٹے خوابوں کی
Kuch Bikhri Bikhri Yaadein Hein
Kuch Kurachna Tootay Khuwabon Ko
ان یادوں کو اِن خوابوں کو
دِل مِیں دفنانا باقی ہے
In Yadoon Ko In Khuwabon Ko
Dil Mein Dafnana Baqi Hai

اے عُمرے رواں
آہستہ چل
Ae Umar e Rawaan
Aahista Chal


Khuda ke paas dene ke to hazaar tareeqe hain Maangne walay to dekh tujh mein kitne saleeqe hain



Khuda ke paas dene ke to hazaar tareeqe hain
Maangne walay to dekh tujh mein kitne saleeqe hain


Ye tere khat ye teri khushboo ye tere khwaab-o-khyaal Mataa-e-jaan hain tere qaul-o-qasm ki tarah



ये तेरे ख़त तेरी ख़ुश्बू ये तेरे ख़्वाब ओ ख़याल
मता ए जां हैं तेरे क़ौल-ओ-क़सम की तरह
गुज़िश्ता साल इन्हें मैं ने गिन के देखा था
किसी ग़रीब की जोड़ी हुई रक़म की तरह ।

 जॉन एलिया
یہ تیرے خط تیری خوشبو یہ تیری خواب و خیال
متاعِ جاں ہیں ترے قول و قسم کی طرح
گزشتہ سال انہیں میں نے گِن کے رکھا تھا
کسی غریب کی جوڑی ہوئی رقم کی طرح
جون ایلیا
Ye tere khat ye teri khushboo ye tere khwaab-o-khyaal
Mataa-e-jaan hain tere qaul-o-qasm ki tarah
Guzishta saal inhein main ne gin ke dekha tha
Kisi ghareeb ki jodi huyee raqam ki tarah

Jaun Elia


Ik shaadi ch chhota bacha koal Daddy de aayia



Ghorhi
A poem by Gurnam Singh Shergill
Ik shaadi ch chhota bacha
koal  Daddy de aayia
kehnda Daddy Dulhe nu hai
ghorhi te kyon charhaiya
Daddy in mummy wall takia
mucchan chon muska ke
kehnda toon aje hain chhota
khaid parey toon jaa ke
Dulhey laiyi hai antim mauka
Lai ke Ghorhi daa laahaa
daurh sakey taan daurhey jaldi
nahi taan umar daa faahaa


Phir koi taza sukhan dil mein jagah karta hai Jab bhi lagta hai keh likhne ko bacha kuch bhi nhin



Phir koi taza sukhan dil mein jagah karta hai
Jab bhi lagta hai keh likhne ko bacha kuch bhi nhin


Iss daur e naa muraad se yeh tajarbaa hua Deewaar guftugu ke liye behtareen hai



Iss daur e naa muraad se yeh tajarbaa hua
Deewaar guftugu ke liye behtareen hai


Layi hayat aaye, qaza lay chali chalay apni khushi say aaye na apni khushi chalay



Layi hayat aaye, qaza lay chali chalay
apni khushi say aaye na apni khushi chalay
Behtar to yehi hai na dunya say dil lagaye
par kia karein jo kaam na be dil lagi chalay
Kam hon gaye is bisat peh ham jaisay bad qumar
jo chaal ham chalay so nihayat buri chalay
Ho umr e khizar bhi to kahein gay ba-waqt e marg
ham kia rahay yahan abhi aaye abhi chalay
Dunya nay kis ka rah e fana mein dia hai saath
tum bhi chalay chalo yonhi jab tak chali chalay
Nazan na ho khud peh jo hona hai, woh hi ho
danish teri, na kuch meri danishwari chalay

Aadat use bhi ho gayi rone ki be-sabab Meera sa ho gaya mere ghum-khawar ka mizaaj



Aadat   use   bhi   ho   gayi   rone   ki   be-sabab
Meera sa ho gaya mere ghum-khawar ka mizaaj

HASRAT MOHANI


Tum to samjhe nahin Main ne phir khud ko samjha liya



Tum to samjhe nahin
Main ne phir khud ko samjha liya


Zindagi aik anjaan kitaab jaisi hai Agle safha par Kya likha hai kisi ko nahin Pata



Zindagi aik anjaan kitaab jaisi hai
Agle safha par Kya likha hai kisi ko nahin Pata


Tujh Ko Paas Wafa Zara Na Hoa Hum Se Phir Bhi Tera Gila Na Hoa



تجھ کو پاس وفا ذرا نہ ہوا
ہم سے پھر بھی ترا گلہ نہ ہوا
ایسے بگڑے کہ پھر جفا بھی نہ کی
 دشمنی کا بھی حق ادا نہ ہوا
کٹ گئی احتیاط عشق میں عمر
ہم سے اظہار مدعا نہ ہوا
مر مٹیں ہم تو مٹ گئے سب رنج
یہ بھی اچھا ہوا برا نہ ہوا
تم جفا کار تھے کرم نہ کیا
میں وفادار تھا خفا نہ ہوا
ہجر میں جانے مضطرب کو سکوں
آپ کی یاد کے سوا نہ ہوا
رہ گئی تیرے قصر عشق کی شرم
میں جو محتاج اغنیا نہ ہوا
حسرت موہانی


Kuch Qadar Tou Karte Mere Izhar Wafa Ki Shayed Ye Muhabbat Hi Nahi Aap Ke Nazdeek

 
 
 
کچھ قدر تو کرتے مرے اظہارِ وفا کی
شاید یہ محبت ہی نہیں آپ کے نزدیک
Kuch Qadar Tou Karte Mere Izhar Wafa Ki
Shayed Ye Muhabbat Hi Nahi Aap Ke Nazdeek
یوں غیر سے بیباک اشارے سرِ محفل
 کیا یہ میری ذلت ہی نہیں آپ کے نزدیک
 Yun Ghair Se Bebaak Ishare Sar e Mehfil
Kia Ye Meri Zillat Hi Nahi Aap Ke Nazdeek
حسرت موہانی
Hasrat Mohani


Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yaad Aatay Hein Ilahi Tark Ulfat Par Woh Kionkar Yaad Aatay Hein

 


 بھلاتا لاکھ ہوں لیکن برابر یاد آتے ہیں
الٰہی ترک الفت پر وہ کیونکر یاد آتے ہیں
نہ چھیڑ اے ہم نشیں کیفیت صہبا کے افسانے
شراب بے خودی کے مجھ کو ساغر یاد آتے ہیں
رہا کرتے ہیں قید ہوش میں اے وائے ناکامی
وہ دشت خود فراموشی کے چکر یاد آتے ہیں
نہیں آتی تو یاد ان کی مہینوں تک نہیں آتی
مگر جب یاد آتے ہیں تو اکثر یاد آتے ہیں
حقیقت کھل گئی حسرتؔ ترے ترک محبت کی
تجھے تو اب وہ پہلے سے بھی بڑھ کر یاد آتے ہیں
حسرت موہانی


Daikhna Bhi Tou Unhein Door Se Daikha Karna Shewah e Ishq Nahi Husn Ko Ruswa Karna



دیکھنا بھی تو انہیں دور سے دیکھا کرنا
شیوۂ عشق نہیں حسن کو رسوا کرنا
اک نظر بھی تری کافی تھی پئے راحت جاں
کچھ بھی دشوار نہ تھا مجھ کو شکیبا کرنا
ان کو یاں وعدے پہ آ لینے دے اے ابر بہار
جس قدر چاہنا پھر بعد میں برسا کرنا
شام ہو یا کہ سحر یاد انہیں کی رکھنی
دن ہو یا رات ہمیں ذکر انہیں کا کرنا
صوم زاہد کو مبارک رہے عابد کو صلوٰۃ
عاصیوں کو تری رحمت پہ بھروسا کرنا
عاشقو حسن جفاکار کا شکوہ ہے گناہ
تم خبردار خبردار نہ ایسا کرنا
کچھ سمجھ میں نہیں آتا کہ یہ کیا ہے حسرتؔ
ان سے مل کر بھی نہ اظہار تمنا کرنا
حسرتؔ موہانی

 

Dil Mein Kia Kia Hos Deed Barhai Na Gai Ro Ba Ro Unke Magar Aankh Uthai Na Gai



دل میں کیا کیا ہوس دید بڑھائی نہ گئی
روبرو ان کے مگر آنکھ اٹھائی نہ گئی
ہم رضا شیوہ ہیں تاویل ستم خود کر لیں
کیا ہوا ان سے اگر بات بنائی نہ گئی
یہ بھی آداب محبت نے گوارا نہ کیا
ان کی تصویر بھی آنکھوں سے لگائی نہ گئی
آہ وہ آنکھ جو ہر سمت رہی صاعقہ پاش
وہ جو مجھ سے کسی عنوان ملائی نہ گئی
ہم سے پوچھا نہ گیا نام و نشاں بھی ان کا
جستجو کی کوئی تمہید اٹھائی نہ گئی
دل کو تھا حوصلۂ عرض تمنا سو انہیں
سرگزشت شب ہجراں بھی سنائی نہ گئی
غم دوری نے کشاکش تو بہت کی لیکن
یاد ان کی دل حسرتؔ سے بھلائی نہ گئی


Jis par tamaam umar bahut naaz tha mujhe Mera woh ilm meri sifaarish na ban saka



Jis par tamaam umar bahut naaz tha mujhe
Mera woh ilm meri sifaarish na ban saka


Kia Haal Sunawaan Dil Da Koi Muhrim Raaz Nahi Milda


 

Kia Haal Sunawaan Dil Da

Koi Muhrim Raaz Nahi Milda

Ghulam Fareed


Sab Hifazat Kar Rahe Hein Mustaqil Deewaar Ki



Jo Hum Peh Guzre Thay Ranj Sare Woh Khud Peh Guzre Tou Log Samjhe



Be-Khudi Mein Chaid Dijiye Naghma Haaye Saaz e Dil Phir Unhi Moujon Peh Khud Hi Raqs Peeham Kijiye



بیخودی میں چھیڑ دیجے نغمہ ہائے سازِ دل
پھر اُنہی موجوں پہ خود ہی رقصِ پیہم کیجئے​
Be-Khudi Mein Chaid Dijiye Naghma Haaye Saaz e Dil
Phir Unhi Moujon Peh Khud Hi Raqs Peeham Kijiye

جگرمُرادآبادی
Jigar Muradabadi


Saza Ka Haal Sunaein Jaza Ki Baat Karein Khuda Mila Hon Jinhein Woh Khuda Ki Baat Karein



سزا کا حال سنائیں جزا کی بات کریں
 خدا ملا ہو جنہیں وہ خدا کی بات کریں
Saza Ka Haal Sunaein Jaza Ki Baat Karein
Khuda Mila Hon Jinhein Woh Khuda Ki Baat Karein

اُنہیں پتہ بھی چلے اور وہ خفا بھی نہ ہوں
 اِس احتیاط سے کیا مدعا کی بات کریں
Unhein Pata Bhi Chaly Aur Woh Khafa Bhi Na Hon
Is Ikhtiyat Se Kia Muda'a Ki Baat Karein

ہمارے عہد کی تہذیب میں قبا ہی نہیں
 اگر قبا ہو تو بند قبا کی بات کریں
Humare Ahd Ki Tahzeeb Mein Quba Hi Nahi
Agar Quba Ho Tou Band Quba Ki Baat Karein


Safar mein baad-E-mukhaalif faqat bahaana thha Ussey to yoon bhi kisi Aur samt jaana thha



سفر میں بادِ مخالف فقط بہانہ تھا
اُسے تو یوں بھی کسی اور سمت جانا تھا
نظر سے ہو گیا اوجھل وہ تب یہ ہوش آیا
صدائیں دینی تھیں اُس کو اُسے بلانا تھا
کیا تھا قلزمِ غم قید اُس ایک قطرے میں
وہ ایک اشک جو ہم کو نہیں بہانا تھا
ہے یہ بھی دَور کے نیندوں سے خواب روٹھے ہیں
کھلی نگاہ دے دیکھے تھے، اک زمانہ تھا
کسی کے ہجر میں جینے کی جراَتیں کی تھیں
ہمارے دل کا رویہ بھی جارہانہ تھا
رہی وفاَ کو کبھی جس کی رہبری پیاری
اُسی کس اپنا ہر اک نقشِ پا مٹانا تھا
ز ر وفاؔ
Safar mein baad-E-mukhaalif faqat bahaana thha
Ussey to yoon bhi kisi Aur samt jaana thha
Nazar se ho gaya oajhal Wo, tab ye hosh aaya
Sadaaein Deni thhin Uss ko, ussey bulaana thha
Kiya thha qulzum-E-gham qaid Uss ek qatre mein
Wo ek ashk, jo hamm ko nahi bahaana thha
Hai ye bhi daur ke neendon se khaab roothhe hain
Khuli nigaah se dekhe thai, ik zamaana thha
Tumhaare hijr mein jeene ki jurratein ki thhin
Hamaare Dil ka ravayya bhi jaarihaana thha
Rahi Wafaؔ ko Kabhi jiss ki rahbari pyaari
Ussi ko apna har ik naqsh-E-paa mitaane thha

Zay-Ray Wafa


Mujhe Aaj Ke Din Tak Intezar Nahi Karna Chahiye Tha Aik Dosre Se Ikta Jane Ke Bad



مجھے آج کے دن تک انتظار نہیں کرنا چاہئیے تھا
ایک دوسرے سے اکتا جانے کے بعد
علیحدہ ہو جانے کو
کسی خاص دن تک ملتوی نہیں کرنا چاہئیے
ہر خاص دن
معمول کے ان دنوں کی طرح شروع ہوتا ہے
جنہیں یاد رکھنے کا کوئی جواز
ہم مہیا نہیں کر سکتے
اور کسی دن کو دیر تک یاد رکھنے کے لیے
محبت کے ختم ہو جانے سے بہتر وجہ کیا ہو سکتی ہے
محبتیں اپنی ڈھلتی ہوئی عمر میں
بردبار ہو جاتی ہیں
وہ اپنے ٹوٹ جانے کو
کتابوں میں رکھے پھولوں کے مر جانے تک
ٹال سکتی ہیں
لیکن اس سے کچھ حاصل نہیں ہوتا
کیا کیا جائے کہ
ہمارے پاس ایک دوسرے کے لیے
کچھ نہیں بچا؟
یہ سوال اپنے آپ میں بے معنی ہے
ایک دوسرے کے لیے کچھ نہ بچے
تو کچھ نہیں کیا جا سکتا
ہماری جیبیں ٹوٹے ہوئے وعدوں سے بھر چکی ہیں
ہم ایک دوسرے کے سامنے خاموش بیٹھ کر
ان کے لیے وضاحتیں تلاش کرتے ہیں
یہاں تک کہ چائے کپوں میں ٹھنڈی ہو جاتی ہے
اور جھریوں سے بھری کوئی جھلی
اسے ڈھک دیتی ہے
اس کی سرد تلخی ہمیں حلق تک کڑوا کر سکتی ہے
اس لیے ہمیں اٹھ جانا چاہئیے
ہم اس کے کنارے بیٹھ کر
ایسی داستانوں  پر ہنستے رہے ہیں
جن میں بچھڑ کر مر جانے کے قصے درج تھے
لیکن انتظار کی مدت کو
ایک اوسط عمر سے زیادہ نہیں ہونا چاہئیے۔۔
سلمان حیدر


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo