Muhabbat cheez aesi hy kbhi hoti hy apno se kbhi hoti hy sapno se kbhi anjan rahon se



Muhabbat cheez aesi hy
kbhi hoti hy apno se
kbhi hoti hy sapno se
kbhi anjan rahon se
kbhi gumnaam naamo se
kbhi hoti hy phoolon se
kbhi bachpan k jhoolon se
kbhi bey ikhteyari me
kbhi apne usoolon se
Muhabbat ek sadaqat hy
Muhabbat ek ibadat hy
Muhabbat cheez aesi hy
dukhon me rol deti hy
dard anmol deti hy
hanste bste jeewan me
Zehr ye ghol deti hy
Muhabbat hy aziyet bhi
mgr phr bhi muhabbat hy

Ye Taluk bhi bohat khoob raha hai kuch din Tu meray naam se mansoob raha hai kuch din



Ye Taluk bhi bohat khoob raha hai kuch din
Tu meray naam se mansoob raha hai kuch din
Aankh ro ro ke teri rah taka krti thi
Dil teri yaad se maghloob raha hai kuch din
Teri tasbeeh bana kar tujhe socha karna
Mashghala ye mera marghoob raha hai kuch din
Shayad iss baat ka matlab main samajh na paon
Kion mera dil tujhe matloob raha hai kuch din
Barish sang se pehly ye zara soch tou lia hota
Tera MOHSIN , tera mahboob raha hai kuch

Koi romance na reha zindagi mein Koi fasana na reha zindagi mein



Ao ik kahani chor jaen..........
My latest 29 April 29, 2017
Koi romance na reha zindagi mein
Koi fasana na reha zindagi mein
Kaisa ye waqt agea hae dosto
Kea, yehi zindagi hae dosto
Wo baharein, wo mosam, wo nadya kinarey
Wo sab yaadein tumhari or hamari
Wo sab pal hamarey or tumharey
Wo koyal ke koonj
Wo chiryon ka chehchahana
Ab zindagi mein kahan
Ao in sab lamhon ko
In sab yaadon ko
Samaet lein, or phir, iss kahani ko
Lazawaal kahani bana dein
Hamari or tumhari kahani
Or zamaney mein apni kahani
Chor jaen, ik aisey kahani
Jo sab ko yaad rahey
Ao ik kahani chor jaen
Farquleet Mahmood

Bs kr Mian Muhammad Bakhshaa mor qalam da ghora Sari umar dukh nahe mukne varqa reh gaya thora



بس کر میاں محمد بخشا ، موڑ قلم دا گھوڑا
ساری عمر دُکھ نئیں مُکنے ، ورقہ رہ گیا تھوڑا۔

میاں محمد بخش

Bs kr Mian Muhammad Bakhshaa mor qlam da ghora

Sari umar dukh nahe mukne varqa reh gaya thora

Mian Muhammad Bakhsh

Uss Shaja Par Bahaar Kiya Aaye Jis Ki Shakhon Ko Tum Ne Kaat Diya



Uss Shaja Par Bahaar Kiya Aaye
Jis Ki Shakhon Ko Tum Ne Kaat Diya

Chaman Chaman Fareeb_E_ Rang O Bo Hai Aur Kuch Nahi Bas Ik Jamal-E-Khaam Chaar Sou Hai Aur Kuch Nahi



Chaman Chaman Fareeb_E_ Rang O Bo Hai Aur Kuch Nahi
Bas Ik Jamal-E-Khaam Chaar Sou Hai Aur Kuch Nahi

Qafas Mein Aashiyaan Ka Naam Sun Ke Mutmaen Na Ho
Yeh Baghban Ka Husn-E-Guftagu Hai Aur Kuch Nahi

Khumar Hai Kahan Ke Dil Ki Tashnagi Bujhaiye
Is Anjuman Mein Saya-E-Subu Hai Aur Kuch Nahi

Tumhen Gulon Ki Be Basi Mein Husn Ki Talaash Hai
Yeh Justojoo Baraye Justojoo Hai Aur Kuch Nahi

Khatak Rahi Hai Jo Abhi Zamir-E-Kaayenaat Mein
Luti Hui Bashar Ki Aabaroo Hai Aur Kuch Nahi

Qateel Shifai

Apni Dhun Mein Rehta Hon Main Bhi Tere Jaisa Hon



اپنی دھن میں رہتا ہوں
میں بھی تیرے جیسا ہوں

Apni Dhun Mein Rehta Hon
Main Bhi Tere Jaisa Hon

अपनी धुन में रहता हूँ
मैं भी तेरे जैसा हूँ

او پچھلی رت کے ساتھی
اب کے برس میں تنہا ہوں

O Pichli Raat Ke Saathi
Ab Ke Bars Main Tanha Hon

ओ पिछली रुत के साथी
अब के बरस मैं तन्हा हूँ

تیری گلی میں سارا دن
دکھ کے کنکر چنتا ہوں

Teri Gali Mein Saara Din
Dukh Ke Kankar Chunta Hon

तेरी गली में सारा दिन
दुख के कंकर चुनता हूँ

مجھ سے آنکھ ملائے کون
میں تیرا آئینہ ہوں

Mujh Se Aankh Milai Kon
Main Tera Aaina Hon

मुझ से आँख मिलाए कौन
मैं तेरा आईना हूँ

میرا دیا جلائے کون
میں ترا خالی کمرہ ہوں

Mera Diya Jalai Kon
Main Tera Khali Kamra Hon

मेरा दिया जलाए कौन
मैं तेरा ख़ाली कमरा हूँ

تیرے سوا مجھے پہنے کون
میں ترے تن کا کپڑا ہوں

Tere Siwa Mujhe Pehny Kon
Main Tere Tan Ka Kapda Hon

तेरे सिवा मुझे पहने कौन
मैं तेरे तन का कपड़ा हूँ

تو جیون کی بھری گلی
میں جنگل کا رستہ ہوں

Tuu Jeewan Ki Bhari Gali
Main Jungal Ka Rasta Hon

तू जीवन की भरी गली
मैं जंगल का रस्ता हूँ

آتی رت مجھے روئے گی
جاتی رت کا جھونکا ہوں

Aai Rut Mujhe Roye Gi
Jati Rut Ka Jhonka Hon

आती रुत मुझे रोएगी
जाती रुत का झोंका हूँ

اپنی لہر ہے اپنا روگ
دریا ہوں اور پیاسا ہوں

Apni Lehar Hai Apna Rog
Dariya Hon Aur Piyasa Hon

अपनी लहर है अपना रोग
दरिया हूँ और प्यासा हूँ

Nasir Kazmi


YAAD Phoolon Ki Pankhrrion Par Shabnam Ke Qatre Malha Motiyon Ki Jod Rahe The



***///***
نثری نظم"" یاد ""
***//***

پھولوں کی پنکھڑیوں پر
شبنم کے قطرے
مالھا موتیوں کی جوڑ رہے تھے
اور
ہوا کے مست جھونکے
اُنھی پھولوں کا مہکتا رس لئے
جب گلی گلی دوڑ رہے تھے
اس سمے
میں نے تمہیں بہت یاد کیا

//
**//**

شیخ اسلم آزاد
Nasri Nazam
YAAD
Phoolon Ki Pankhrrion Par
Shabnam Ke Qatre
Malha Motiyon Ki Jod Rahe The
Aur
Hawa Ke Mast Jhonkay
Unhi Phoolon Ka Mehkta Ras Liye
Jab Gali Gali Dod Rahe The
Us Samey
Main Ne Tumhein YAAD Kia
Sheikh Aslam Azad

jab shab kay shikasta zeenon se mehtab obharnay lagta hai Jab gham kay sard alao main umeedain bujhnay lagti hain



jab shab kay shikasta zeenon se mehtab obharnay lagta hai
Jab gham kay sard alao main umeedain bujhnay lagti hain
jab dil ke shoreeda samandar mein aawazen marne lagti hain
Jab mausam haath nahi aatay jab titli baat nahi karti
jab zinda rehna ik be-ma'ani kaam dekhai deta hai
jan aane wala har lamha dashnaam dekhai deta hai
jab yaad ke gehre san'natay mein chehre gum ho jate hain
jab dard se bujhal aankhon mein gardaab se padne lagtay hain
jab shammain gol ho jati hain 
jab khuwaab bikharne lagtay hain
USS WAQT AGAR TUM AA JAO...........!!!!

Aao baarish se tu poochain



Aao baarish se tu poochain
Kiya iss se bhi wada kar kay chorr gaya hai koi isko
Kiya isko bhi neend nahi aati barson se
Kia isko bhi phoolon se shikwa hai
Iske saath bhi khel hawaon ne khela hai
Dhuan dhuan sa iska chehra kion hai akhir?
Bheegi bheegi iski palkein kis ne kar dein?
Aao baarish se ye poochain

Ranj-o-alam ke dhol baja kar Chha'hat ke kashkol utha kar Dar dar phirna theek nahin hai Suno !! muhabbat bheer nahin hai



Ranj-o-alam ke dhol baja kar
Chha'hat ke kashkol utha kar
Dar dar phirna theek nahin hai
Suno !! muhabbat bheer nahin hai

Jab zara tez hava hoti hai kaisi sunsan faza hoti hai



A FLOWER WITHERS

Twas a day or two ago
or was it three
when the bright little purple flower
bloomed In all its glory
and the birds and the bees
and the butterflies
danced around it
as if in a trance
the sun shone white and bright
and brighter and warmer
and hotter
till the bright little purple flower
dwindled, collapsed and died
‘cause it could bear it no more
but not before
as if as a part of its divine duty
bequeathed a bunch of seeds
from its bosom to the hot air
blowing over its dying body
delivered into the arms of mother earth
some other place
some other land
and the bright little purple flower
would rise again like a phoenix
Circle of life

Pradeep Mathur

Jab zara tez hava hoti hai
kaisi sunsan faza hoti hai
ham ne dekhe hain vo sannaTe bhi
jab har ik saans sada hoti hai
munh-andhere kabhi uTh kar dekho
kya tar o taaza hava hoti hai
Gham ke be-nur guzargahon mein
ik kiran zauq-faza hoti hai
gulshan-e-fikr ki munh-band kali
shab-e-mahtab mein va hoti hai
jab nikalti hai nigar-e-shab-e-gul
munh pe shabnam ki rida hoti hai
hadsa hai ki khizan se pahle
bu-e-gul gul se juda hoti hai
ik naya daur janam leta hai
ek tahzib fana hoti hai

Nasir Kazmi

Tujhe yad hai meri koi baat koi aik baat Tu ne jo bhi mujh se kaha tha woh mujhe yaad hai



Tujhe yad hai meri koi baat koi aik baat
Tu ne jo bhi mujh se kaha tha woh mujhe yaad hai
Farzana Naz
(The young Poetess died yesterday after falling from a 12 feet high stage
 while participating in a Literature Festival in Islamabad.)

Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawaani Aai Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahani Aai


Image may contain: one or more people and close-up

Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawaani Aai
Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahani Aai

Aaj Phir Neend Ko Aankhon Se Bechhadtay Dekha
Aaj Phir Yaad Koi Chhot Purani Aai

Muddaton Baad Chala Un Pe Hamara Jaadu
Muddaton Baad Hamein Baat Banani Aai

Muddaton Baad Pasheman Hoa Dariya Hum Se
Muddaton Baad Hamein Piyaas Chhupani Aai

Muddaton Baad Khuli Wus'at-e-Sahra Hum Par
Muddaton Baad Hamein Khaak Udani Aai

Muddaton Baad Muyassar Hoa Maan Ka Anchal
Muddaton Baad Hamein Neend Suhani Aai

Itni Aasani Se Milti Nahi Fan Ki Daulat
Dhal Gai Umar Tou Ghazlon Pe Jawaani Aai

Ik Kahani Sabhi Ne Sunaye Magar , Chaand Khamosh Tha Uski Aawaaz Ka Muntazir Tha Magar , Chaand Khamosh Tha



اک کہانی سبھی نے سنائی مگر ، چاند خاموش تھا
اس کی آواز کا منتظر تھا مگر ، چاند خاموش تھا
کون تھا جس کی آہوں کے غم میں ہوا سرد تھی شہر کی
کس کی ویران آنکھوں کا لے کے اثر، چاند خاموش تھا
وہ جو سہتا رہا رت جگوں کی سزا چاند کی چاہ میں
مرگیا تو نوحہ کناں تھے شجر، چاند خاموش تھا
اس سے مل کے میں یوں خامشی اور آواز میں قید تھا
اک صدا تو مرے ساتھ تھی ہم سفر ، چاند خاموش تھا
کل کہیں پھر خدا کی زمیں پر کوئی سانحہ ہوگیا
میں نے کل رات جب بھی اٹھائی نظر ، چاند خاموش تھا

فرحت عباس شاہ

Ik Kahani Sabhi Ne Sunaye Magar , Chaand Khamosh Tha
Uski Aawaaz Ka Muntazir Tha Magar , Chaand Khamosh Tha
Kon Tha Jiski Aahon Ke Gham Mein Hawa Sard Thi Shehar Ki
Kis Ki Weeraan Aankhon Ka Le Ke Asa  Chaand Khamosh Tha
Wo Jo Sehta Raha Rutjagon Ki Saza Chaand Ki Chhah Mein
Mar Gaya Tou Noha-Kana'an Thay Shajar Chaand Khamosh Tha
Us Se Mil Ke Main Yun Khamshi Aur Aawaaz Mein Qaid Tha
Ik Sada Tou Mere Saath Thi Humsafar , Chaand Khamosh Tha
Kal Kahein Phir Khuda Ki Zameen Par Koi Sanha Ho Gaya
Main Ne Kal Raat Jab Bhi Uthaai Nazar , Chaand Khamosh Tha
 
Farhat Abbas Shah

Badi Tabdelian Laye Hain Apne Aap Mein Lekin Tumhein Bas Yaad Karne Ki Wo Aadat Ab Bhi Baaki Hai


Image may contain: text

Badi Tabdelian Laye Hain Apne Aap Mein Lekin
Tumhein Bas Yaad Karne Ki Wo Aadat Ab Bhi Baaki Hai

Chhala jata hon hansta khelta moj-e-hawadis se Agar aasani'yan hon zindagi dushwar ho ja'ai



Chhala jata hon hansta khelta moj-e-hawadis se
Agar aasani'yan hon zindagi dushwar ho ja'ai

Haath mere bhool baithe dastakein dene ka fann Band mujh par jab se uss ke ghar ka darwaaza hua



Haath mere bhool baithe dastakein dene ka fann
Band mujh par jab se uss ke ghar ka darwaaza hua

Kabhi Asha'ar Lekh Lekh Kar Tabia'at Hi Nahi Bharti Kabhi Bas Aik Misray Ki Musafat Maar Deti Hai



ﮐﺒﮭﯽ ﺍﺷﻌﺎﺭ لکھ لکھ ﮐﺮ ﻃﺒﯿﻌﺖ ﮨﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺑﮭﺮﺗﯽ
ﮐﺒﮭﯽ ﺑﺲ ﺍﯾﮏ ﻣﺼﺮﻋﮯ ﮐﯽ ﻣﺴﺎﻓﺖ ﻣﺎﺭ ﺩﯾﺘﯽ ﮨﮯ
Kabhi Asha'ar Lekh Lekh Kar Tabia'at Hi Nahi Bharti
Kabhi Bas Aik Misray Ki Musafat Maar Deti Hai

JIN KI ZULFON K AAP GHAAIL HAIN UN K APNAY BARAY MASAAIL HAIN



جن کی زلفوں کے آپ گھائل ہیں
ان کے اپنے بڑے مسائل ہیں
JIN KI ZULFON K AAP GHAAIL HAIN
UN K APNAY BARAY MASAAIL HAIN

Khaab lafzon mein dhal nahi sakty Kash ankhein parha kary koi



Khaab lafzon mein dhal nahi sakty
Kash ankhein parha kary koi

jis musawir ki nahi bikti koi bhi tasweer Teri tasweer bnaaye ga to chaa jaye ga



ﯾﺎﺩ ﺭﮐﮫ ، ﺧُﻮﺩ ﮐﻮ ﻣِﭩﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ
ﻋﺸﻖ ﻣﯿﮟ ﻋﺠﺰ ﻣِﻼﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ
.
ﺍﭼﮭﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﮯ ﭘُﺠﺎﺭﯼ ﮬﯿﮟ ﻣﺮﮮ ﺷﮩﺮ ﮐﮯ ﻟﻮﮒ
ﺗُﻮ ﻣﺮﮮ ﺷﮩﺮ ﻣﯿﮟ ﺁﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﮬﻢ ﻗﯿﺎﻣﺖ ﺑﮭﯽ ﺍُﭨﮭﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ ﺗﻮ ﮬﻮﮔﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﭽﮫ
ﺗُﻮ ﻓﻘﻂ ﺁﻧﮑﮫ ﺍُﭨﮭﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﭘﮭُﻮﻝ ﺗﻮ ﭘﮭُﻮﻝ ﮬﯿﮟ ، ﻭﮦ ﺷﺨﺺ ﺍﮔﺮ ﮐﺎﻧﭩﮯ ﺑﮭﯽ
ﺍﭘﻨﮯ ﺑﺎﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﺠﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﯾُﻮﮞ ﺗﻮ ﮬﺮ ﺭﻧﮓ ﮬﯽ ﺳﺠﺘﺎ ﮬﮯ ﺑﺮﺍﺑﺮ ﺗﺠﮫ ﭘﺮ
ﺳُﺮﺥ ﭘﻮﺷﺎﮎ ﻣﯿﮟ ﺁﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﭘﻨﮑﮭﮍﯼ ﮬﻮﻧﭧ ، ﻣﺪﮬﺮ ﻟﮩﺠﮧ ﺍﻭﺭ ﺁﻭﺍﺯ ﺍُﺩﺍﺱ
ﯾﺎﺭ ! ﺗُﻮ ﺷﻌﺮ ﺳُﻨﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﺟﺲ ﻣﺼﻮﺭ ﮐﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺑِﮑﺘﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ
ﺗﯿﺮﯼ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺑﻨﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

رحمان فارس

yad rakh , khud ko mitaye ga to chaa jaye ga
ishq main ijz milaye ga to chaa jaye ga
achi aankhon ke pujari hain mere shehar ke log
Tuu mere shehr main aaye ga to chaa jaye ga
hum qayamat bhi uthaaein gay to ho ga nahi kuch
Tuu faqat aankh uthaaye ga to chaa jaye ga
phool to phool hain , wo shakhs agar kante bhi
apne balon main sajaye ga to chaa jaye ga
yun to har rang hi sajtaa hai barabar tujh par
surkh pooshak main aaye ga to chaa jaye ga
pankhari hont , madhur lehja or awaz udaas
YARR ! Tuu sher sunaye ga to chaa jaye ga
jis musawir ki nahi bikti koi bhi tasweer
Teri tasweer bnaaye ga to chaa jaye ga

Rahman Faras

Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aas Mein MOHSIN Main Apne Ghar Se Kahein Bhi Nahi Gaya Barson



تمہارے ہاتھ کی دستک کی آس میں محسن

میں اپنے گھر سے کہیں بھی نہیں گیا برسوں

*Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aas Mein MOHSIN**
*Main Apne Ghar Se Kahein Bhi Nahi Gaya Barson**

Aagayi yaad sham dhaltay hi Bujh gia dil chiragh jaltay hi



آگئی یاد شام ڈھلتے ھی
بجھ گیا دِل چراغ جلتے ھی
کُھل گئے شہرِ غم کے دروازے
اِک ذرا سی ھوا کے چلتے ھی
کون تھا تُو کہ پھر نہ دیکھا تُجھے ؟؟
مِٹ گیا خواب آنکھ ملتے ھی
خوف آتا ھے اپنے ھی گھر سے
ماہِ شب تاب کے نکلتے ھی
تُو بھی جیسے بدل سا جاتا ھے
عکسِ دیوار کے بدلتے ھی
خون سا لگ گیا ھے ھاتھوں میں
چڑھ گیا زھر ، گل مسلتے ھی
منیر نیازی
ماہِ منیر سے انتخاب

Aagayi yaad sham dhaltay hi
Bujh gia dil chiragh jaltay hi
Khul gaye shaher-e-gham ke derwazay
Aik zara se hawa ke chaltay hi
Kon tha tu keh phir na daikha tujhay ?
Mit gaya khuwaab ankh maltay hi
Khoof aata hai apnay hi ghar se
Mah-e-shab-e-taab ke nikaltay hi
Tuu bhi jaisa badal sa jata hai
Aks deewar ke badaltay hi
Khoon sa lag gia hai hathon mein
Charh gia zahr , gul masaltay hi
Muneer Niazi

Jab Teri Yaad Ke Bazaar Se Lag Jate Hain Dar Ke Hum Bheerr Mein Deewaar Se Lag Jate Hain



ﺟﺐ ﺗﺮﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﮯ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ 
ﮈﺭ ﮐﮯ ﮨﻢ ﺑﮭﯿﮍ ﻣﯿﮟ ﺩﯾﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﭘﯿﮍ ﺳﮯ ﺟﺐ ﯾﺎﺩ ﮐﺎ ﭘﮭﻞ ﮔِﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﭘﮭﺮ ﺩَﺭﺩ ﮐﮯ ﺍﻧﺒﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺍﺱ ﺳﻔﺮ ﭘﺮ ﺟﻮ ﭼﻠﮯ ﮨﯿﮟ ﺗﻮ ﯾﮩﯽ ﺟﺎﻧﺎ ﮨﮯ
ﻋﺸﻖ ﻣﯿﮟ ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﺁﺯﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﻻﮐﮫ ﭼﺎﮨﺎ ﮨﮯ ﻣﮕﺮ ﮐﻢ ﻧﮧ ﮨﻮﺋﯽ ﻭﺣﺸﺖِ ﺩﻝ
ﺍِﺱ ﻟﯿﮯ ﺳﯿﻨﺌﮧ ﻏﻤﺨﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﮐﯿﻮﮞ ﻧﮧ ﮨﻢ ﺍﭘﻨﯽ ﻋﺪﺍﻭﺕ ﮐﻮ ﭘﺮﮐﮫ ﻟﯿﮟ ﺍﺏ ﮐﮯ
ﯾﻌﻨﯽ ﺩﺷﻤﻦ ﮐﮯ ﮔﻠﮯ ﭘﯿﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺟﺐ ﯾﻘﯿﮟ ﮨﻮ ﮐﮧ ﻣُﻘّﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﮯ ﻣﻨﺰﻝ
 ﺩﻭ ﻗﺪﻡ ﺭﺳﺘﮯ ﺑﮭﯽ ﺩﺷﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﮐﺎﺵ ﻣﺮﮨﻢ ﮨﻤﯿﮟ ﻣِﻞ ﺟﺎﺋﮯ ﮐﮩﯿﮟ ﺳﮯ ﺍُﻥ ﮐﺎ
ﺯﺧﻢ ﺟﻮ ﺍﭘﻨﻮﮞ ﮐﯽ ﮔﻔﺘﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺍُﺱ ﮐﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﮐﻮ ﺳﯿﻨﮯ ﺳﮯ ﻟﮕﺎ ﮐﺮ ﻣَﺸﻌﻞ 
 ﮨﻢ ﺗَﺨّﯿﻞ ﻣﯿﮟ ﮔﻠﮯ ﯾﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ 

ﻏﺰﺍﻟﮧ ﻣَﺸﻌﻞ
Jab Teri Yaad Ke Bazaar Se Lag Jate Hain
Dar Ke Hum Bheerr Mein Deewaar Se Lag Jate Hain

Hijar Ke Pairr Se Jab Yaad Ka Phal Girta Hai
Dil Mein Phir Dard Ke Anbaar Se Lag Jate Hain

Is Safar Mein Jo Chalay Hain Toh Yahi Jana Hai
Ishq Mein Hijar Ke Aazaar Se Lag Jate Hain

Laakh Chaha Hai Magar Kam Na Hoi Wehshat-e-Dil
Is Liye Seena-e-Ghamkhuwaar Se Lag Jate Hain

Kion Na Hum Apni Adawat Ko Parkh Lein Ab Ke
Ya'ani Dushman Ke Galey Piyaar Se Lag Jate Hain

Jab Yaqeen Ho Keh Muqaddar Mein Nahi Hai Manzil
Do Qadam Rastey Bhi Dushwaar Se Lag Jate Hain

Kaash Marham Hamain Mil Jae Kahein Se Un Ka
Zakham Jo Apnon Ki Guftaar Se Lag Jate Hain

Uski Tasweer Ko Seenay Se Laga Kar MASHA'AL
Hum Takhaul Mein Galey Yaar Ke Lag Jate Hain

Ghazala Masha'al

Main Waqt Ki Dahleez Pe Tehra Hoa Pal Hon Qayaam Hai Meri Shaan Keh Main Taj Mahal Hon



Main Waqt Ki Dahleez Pe Tehra Hoa Pal Hon
Qayaam Hai Meri Shaan Keh Main Taj Mahal Hon

Patton ki tarah mujh ko bakhairta tha zamana Ik shakhs ne yakja kiya aur aag laga di



Patton ki tarah mujh ko bakhairta tha zamana
Ik shakhs ne yakja kiya aur aag laga di

Nahi darta main kaanton se magar pholon se darta hon Chubhan de jain jo dil ko main un kaanton se darta hon



Nahi darta main kaanton se magar pholon se darta hon
Chubhan de jain jo dil ko main un kaanton se darta hon

Ana ka main nahi qaael,muhabbat hai mujhe sab se
Jo dil mein bughaz rakhtay hain,main un apnon se darta hon

Mujhe toh neend bhi achhi nahi lagti haqeeqat mein
Dekhaen khuwaab jo jhotay,main un neendon se darta hon

Mujhe ihsaas hai sab ka,main sab ke kaam aata hon
Magar jo keena rakhtay hain,main un reshton se dartas hon

Main banda hon ALLAH ka,aor ALLAH ka khouf hai mujh mein
Jo dartay hi nahi rab se,main un bandon se darta hon

Meri umar bhar ki musaftain mujhe aik pal na thaka sakein Teri ik nazar ki be-rukhi se main zara zara bikhar gaya



Meri umar bhar ki musaftain mujhe aik pal na thaka sakein
Teri ik nazar ki be-rukhi se main zara zara bikhar gaya

Maa'n ki tareef mukhtasar yoo'n hai Ye mohabbat hai mar nahi sakti



Maa'n ki tareef mukhtasar yoo'n hai
Ye mohabbat hai mar nahi sakti

Jeene waley qaza se darte hain Zehar pee kar dawaa se darte hain



Jeene waley qaza se darte hain
Zehar pee kar dawaa se darte hain

Azm-o-himmat ke baawajood SHAKIL
Ishq ki ibtidaa se darte hain

Shakil Badayuni

Wo rukh-e-rangee pe Anwar-e-muhabbat zard zard Wo Lab-e-nazukk par toofan-e-shrar mere liye



Wo rukh-e-rangee pe Anwar-e-muhabbat zard zard
Wo Lab-e-nazukk par toofan-e-shrar mere liye

Pakhpala Pa Tyaro Ke Qadamona Gdo Khu Noro Ta Bal Shawi Mashaalona Gdo



پخپلہ پہ تیارو کی قدمو نہ گدو
خو نورو تہ بل شوی مشالو نہ گدو

او مونگ تہ چی پہ تشہ خولہ سوک وخاندی
مونگ ورتہ د مینی نہ خپل زڑونہ گدو

Pakhpala Pa Tyaro Ke Qadamona Gdo
Khu Noro Ta Bal Shawi Mashaalona Gdo

Ao Mung Ta Che Pa Tasha Khula Sok Okhandi
Mung Warta Da Meeny Na Khpal Zrrona Gdo

Tere Chehre Ke Naqsh Aise Hain Aankh Uthata Hon Bhtak Jata Hon



تیرے چہرے کے نقش ایسے ہیں
آنکھ اٹھاتا ہوں بہٹک جاتا ہوں

Tere Chehre Ke Naqsh Aise Hain
Aankh Uthata Hon Bhtak Jata Hon

Ek patthar ki bhi taqdeer sanwar sakti hai Shart ye hai ki saleeqe se tarasha jaye



Ek patthar ki bhi taqdeer sanwar sakti hai
Shart ye hai ki saleeqe se tarasha jaye

Haan Zamane Ki Nahi Apni Tou Sun Sakta Tha Kaash Khud Ko Hi Kabhi Baith Ke Samjhata Main



ہاں زمانے کی نہیں اپنی تو سن سکتا تھا
کاش خود کو ہی کبھی بیٹھ کے سمجھا تا میں
Haan Zamane Ki Nahi Apni Tou Sun Sakta Tha
Kaash Khud Ko Hi Kabhi Baith Ke Samjhata Main

Naway Jargay,Nawey Aain,Naway Nizam Pakar Dy Qaam Mi Gharkegi Nor Mi Fikar Da De Qaam Pakaar Dy



Naway Jargay,Nawey Aain,Naway Nizam Pakar Dy
Qaam Mi Gharkegi Nor Mi Fikar Da De Qaam Pakaar Dy

Zarre Qissay Zarra Dodona Afsanay Pregdawai
Da Nawi Wakht Sara Da Tagg Yao Naway Gaam Pakaar Day

Butt-Parasti Mo Na Pakhuwa Wa Na Mo Nan Dastor Day
Be Da Buttano , Pukhtano La Os Na-Kaam Pakaar Day

Masharan Hagha Ba Tako Che Pa Maidaan Walar Vi
Da Takhtedunko , Yaredunko Masharano Na Amaan Pakaar Day

Farooq Da Hoti

Rahe Hain Naqsh Mere Chashm-O-Dil Par Yoon Teri Soorat Musawwir Ki Nazar Mein Jis Tarah Tasweer Phirti Hai



Rahe Hain Naqsh Mere Chashm-O-Dil Par Yoon Teri Soorat
Musawwir Ki Nazar Mein Jis Tarah Tasweer Phirti Hai

Ek patthar ki bhi taqdeer sanwar sakti hai Shart ye hai ki saleeqe se tarasha jaye


No automatic alt text available.

Ek patthar ki bhi taqdeer sanwar sakti hai
Shart ye hai ki saleeqe se tarasha jaye

Woh samundar hai to phir rooh ko shadaab kare Tishnagi kyon mujhe deta hai saraabon ki tarha



Woh samundar hai to phir rooh ko shadaab kare
Tishnagi kyon mujhe deta hai saraabon ki tarha
Hijr ki shab meri tanhai pe dastak degi
Teri khushboo mere khoye hue khuwaabon ki tarha
parveen shakir

"Yeh hadain na tor dena mere daire main rehna Mujhe apne dil main rakhna mere hafze main rehna



یہ حدیں نہ توڑ دینا ، میرے دائرے میں رہنا
مجھے اپنے دل میں رکھنا ، میرے حافظے میں رہنا
میرا بوجھ خود اٹھانا ، میرا کرب آپ سہنا
میرے زخم بانٹ لینا ، میرے رتجگے میں رہنا
میرے حکم خود سننا ، میری مہر خود لگانا
میرے مشورے میں ہونا ، میرے فیصلے میں رہنا
میرے منظروں میں بسنا ، میری گفتگو میں ہونا
میرے لمس میں سمانا ، میرے ذائقے میں رہنا
کبھی دھوپ کہ نگر میں میرا ساتھ چھوڑ جانا
کبھی میرا عکس بن کر میرے آئینے میں رہنا
کبھی منزلوں کی صورت میری دسترس سے باہر
کبھی سنگ میل بن کر میرے راستے میں رہنا
میرے ہاتھ کی لکیریں ترا نام بن کے چمکیں
میری خواہشوں کی خوشبو ، میرے زائچے میں رہنا

Romanized version for our members who cannot read the Urdu script

"Yeh hadain na tor dena mere daire main rehna
Mujhe apne dil main rakhna mere hafze main rehna
Mera bojh khud uthana mera kurb ap sehna
Mere zakhm bant lena mere ratjage main rehna
Mera hukam khud sunana meri mohar khud lagana
Mere mashware mein hona mere faislay main rehna
Meri manziron mein basna meri guftago mein hona
Mere lams main samana mere zaiqe main rehna
Meri hath ki lakeerain tera naam ban k chamke
Meri khwaishon ki khusboo mere zaiche main rehna

ik ta'aluq ko bikharnay se bachane ke liye mere din raat guzarte hain adakari main



ﺍﮎ ﺗﻌﻠﻖ ﮐﻮ ﺑﮑﮭﺮﻧﮯ ﺳﮯ ﺑﭽﺎﻧﮯ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ
ﻣﯿﺮﮮ ﺩﻥ ﺭﺍﺕ ﮔﺰﺭﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﺩﺍﮐﺎﺭﯼ ﻣﯿﮟ
ﺛﻨﺎﺀﺍﻟﻠﮧ ﻇﮩﯿﺮ


ik ta'aluq ko bikharnay se bachane ke liye
mere din raat guzarte hain adakari main
Sanaullah Zaheer

Ab'r Barsa, Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Kay...! Kitni Veeraan Teri Yaadon Ki Galli Hai Ab Kay



Ab'r Barsa, Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Kay...!
Kitni Veeraan Teri Yaadon Ki Galli Hai Ab Kay...!
Subah Ki Dhoop Utar Ayee Mere Baalon Mein...!
Shabb Dhali Hai Keh Meri Umr Dhali Hai Ab Kay...!
Kaya Kahoon Kitnay Bahaano'n Se Bhulaya Hai Ussay...!
Yeh Qayamat Barri Mushkil Se Talli Hai Ab Kay...!
Ya Meri Aankh Ke Kashkol Mein Aanso Chamka...!
Ya Andheray Mein Koi Shama' Jalli Hai Ab Kay...!
Sehan-E-Gulshan Ki Hawa Hai Keh Qaz'a Ki Dastak...!
Kitni Sehmi Hoi Ek Aik Kali Hai Ab Kay...!
Kis Ko Fursat Hai Dhu'waan Dekhnay Jaaye Mohsin...!
Jhonpri Shehar Se Kuch Door Jali Hai Ab Kay...!
Mohsin Naqvi

Kal Raat Bazm Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha Khushboo Se Uss ke Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha



Kal Raat Bazm Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Se Uss ke Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha

Daikha Ussay To Bol Parray Uss Ke Khad-o-Khaal
Poocha Ussay To Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha

Tunhaaiyon Ki Rutt Mein Bhi Lag'ta Tha Mut'mayen
Woh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha

Socha Ussay To Main Kae Rangon mein Kho Gaya
Aalam Tamaam Uss Ke Haseen Payr'han Saa Tha

Jo Shaakh Shaakh Thi woh Ussi Ke Laboon Si Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Ke Dehan Saa Tha

Woh Saadgi Pehan Ke Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ki Har Ik Ada Mein Ajab Bhol'pan Sa Tha

Aasaan Samajh Rahay Thay Ussay Shehar-e-Jaan Ke Log
Mushkil Tha Iss Qadar Keh Mere Apnay Fun Sa Tha

wo guftagoo thi uss ki ussi ke liye hi thi!
kehnay ko youn tu main bhi shareek-e-sukhan saa tha

taaray thay chandni mein keh tohmat ke daagh thay
Mohsin kal aasmaan bhi mere kafan sa tha

Hai Tera Gaal Maal Bose Ka Kion Na Keeje Sawaal Bose Ka



Hai Tera Gaal Maal Bose Ka
Kion Na Keeje Sawaal Bose Ka

Munh Lagate Hi Hont Par Tere
Pad Gaya Naqsh Laal Bose Ka

Zulf Kehti Hai Us Ke Mukhde Par
Ham Ne Maara Hai Jaal Bose Ka

Subah Rukhsaar Us Ke Neele Thy
Shab Jo Guzra Khayaal Bose Ka

Ankhiyaan Surkh Ho Gaeen Chat Se
Dekh Leeje Kamaal Bose Ka

Jaan Nikle Hai Aor Miyan De Daal
Aaj Wada Na Taal Bose Ka

Galiyaan Aap Shauq Se Deeje
Rafa Keeje Malaal Bose Ka

Hai Ye Taaza Shagufa Aur Suno
Phool Laya Nihaal Bose Ka

Aks Se Aaine Mein Kehta Hai
Khench Kar Infial Bose Ka

Barg-e-Gul Se Jo Cheez Nazuk Hai
Waan Kahan Ehtemaal Bose Ka

Dekh Insha Ne Kia Kiya Hai Qahr
Mutahammil Ye Gaal Bose Ka

Insha Khan Insha

Doston Ki Mehfilon Se Door Ham Hote Gae Jaise Jaise Silwaten Padti Gaeen Poshaak Par



Doston Ki Mehfilon Se Door Ham Hote Gae
Jaise Jaise Silwaten Padti Gaeen Poshaak Par

Makhmali Honton Pe Boson Ki Nami Thehri Hoi
Saans Uljhi Zulf Bikhri Silwaten Poshaak Par

Jaam Takrao! Waqt Nazuk Hai Rang Chhalkao! Waqt Nazuk Hai



Jaam Takrao! Waqt Nazuk Hai
Rang Chhalkao! Waqt Nazuk Hai

Hasraton Ki Haseen Qabron Par
Phool Barsao! Waqt Nazuk Hai

Ik Faraib Aor Zindagi Ke Liye
Haath Phailao! Waqt Nazuk Hai

Rang Udne Laga Hai Phoolon Ka
Ab Toh Ajao! Waqt Nazuk Hai

Tishnagi Tishnagi Are Tauba
Zulf Lehrao! Waqt Nazuk Hai

Bazm-e-Saghar Hai Gosh-Bar-Awaaz
Kuchh Toh Farmao! Waqt Nazuk Hai


Tu Guzar Gya Kisi Mauj Main Jisy Torr Kr Mery Kozah Gr



Tu Guzar Gya Kisi Mauj Main
Jisy Torr Kr Mery Kozah Gr
Mery Khaal-O-Khadd Nuqosh Thy
Ussi Chaak Pr Mery Kozah Gr
Tery Baad Koozah-Farosh Ne
Mujhy Taaqchy Main Saja Diya
Jahaan Toot Jaany Ka Khauf Tha
Mujhy Raat Bhr, Mery Kozah Gr
Teri Kaar-Gaah Ki Khamshi
Mujhy Na-Tamaam Na Chor De
Tu Dawaam Hoty Sukot Main
Koi Baat Kr Mery Kozah Gr
Kahin Yun Na Ho Tery Bad Main
Yunhi Khak Pr He Para Rahun
Mery Sony Naqsh-O-Nigar Main
Koi Rang Bhr, Mery Kozah Gr
Jo Zurof Khana Badosh Thy
Mujhy Kozah-Gaah Main Daikh Kr
Sabhi Hairaton Main Chaly Gaye
Mujhy Chor Kr, Meri Koozah Gr
Abhi Aag Se Meri Guftagu
Ko Tamaam Hony Main Waqt Hay
Main Hanooz Nam Hun Kahin Kahin
Zara Dair Kr, Mery Kozah Gr
Mujhy Shakl De K Durod Parh
Mery Saath Ism-E-Wujod Parh
Kisi Sub'h Awwaleen Waqt Main
Mujhy Naqsh Kr, Mery Kozah Gr

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo