Zulf,Phir Usmein Phool,Uff ALLAH Rukh,Rukh-e-Mahtaab Unka (Shahzad Qais)


Zulf,Phir Usmein Phool,Uff ALLAH
Rukh,Rukh-e-Mahtaab Unka
Hont,Barg-e-Gulaab Bheega Hoa
Jisam,Jaam-e-Sharaab Unka Hai
Haath Se Khol Di Hai Kachhi Kali
Kitna Roshan Jawaab Unka Hai
Aik Hi Waar,Wo Bhi Dil Pe Karo
Seedha Saadah Hisaab Unka Hai
Rukh Pe Ma'asomiat Ka Pehra Hai
Kaam Ye Kamyaab Unka Hai
Aqal To Meri Ik Bhi Sunti Nahi
Dil Bhi Khana-Kharaab Unka Hai
Wo Jo Phoolon Mein Chhup Ke Bethey Hain
Kitna Achha Hijaab Unka Hai
Ankabooton Ne "Wah Wah" Kaha
Itna Nazuk Naqaab Unka Hai
"Qais" Sab Se Haseen Shair Hai
Chunkey Wo "Intekhaab" Unka Hai
Shahzad Qais

زُلف ، پھر اُس میں پھول ، اُف اَللہ
رُخ ، رُخِ ماہتاب اُن کا ہے
ہونٹ ، برگِ گلاب بھیگا ہُوا
جسم ، جامِ شراب اُن کا ہے
ہاتھ سے کھول دی ہے کچی کلی
کتنا رَوشن جواب اُن کا ہے
ایک ہی وار ، وُہ بھی دِل پہ کرو
سیدھا سادہ حساب اُن کا ہے
رُخ پہ معصومیت کا پَہرا ہے
کام یہ کامیاب اُن کا ہے
عقل تو میری اِک بھی سنتی نہیں
دِل بھی خانہ خراب اُن کا ہے
وُہ جو پھولوں میں چھُپ کے بیٹھے ہیں
کتنا اَچھا حجاب اُن کا ہے
عنکبوتوں نے ’’واہ واہ‘‘ کہا
اِتنا نازُک نقاب اُن کا ہے
قیس سب سے حسین شاعر ہے
چونکہ وُہ ’’اِنتخاب‘‘ اُن کا ہے

Meri Aankhon Mein Aansoo Peghalta Raha,Chaand Jalta Raha Teri Yadon Ka Soraj Nikalta Raha,Chaand Jalta Raha

Poet:Wasi Shah

Meri Aankhon Mein Aansoo Peghalta Raha,Chaand Jalta Raha

Teri Yadon Ka Soraj Nikalta Raha,Chaand Jalta Raha

Koi Bistar Pe Shabnam Lapaitey Hoe Khuwab Dekha Kiye

Koi Yadon Mein Karwat Badalta Raha,Chaand Jalta Raha

Meri Aankhon Mein Campus Ki Sab Sa'atein Jagti Hain Abhi

Nihr Par Tu Mere Saath Chalta Raha, Chaand Jalta Raha

Main To Ye Janta Hon Keh Jis Shab Mujhe Chorrh Kar Tum Gaye

Aasmanon Se Shola Nikalta Raha,Chaand Jalta Raha

Raat Aayi To Kia Kia Kareshmey Hoe Tujh Ko Maloom Hai

Teri Yaadon Ka Soraj Ubalta Raha,Chaand Jalta Raha

 Raat Bhar Meri Palkon Ki Dahleez Par Khuwab Girtey Rahy

Dil Tarrapta Raha,Haath Malta Raha,Chaand Jalta Raha

Ye December Keh Jis Mein Karri Dhoop Bhi Meethi Lagney Lagey

Tum Nahi To December Sulagta Raha,Chaand Jalta Raha

Aaj Bhi Wo Taqadus Bhari Raat Mehki Hoi Hai "WASI"

Main Kisi Mein,Koi Mujh Mein Dhalta Raha, Chaand Jalta Raha


وصی شاہ
میری آنکھوں میں آنسو پگھلتا رہا، چاند جلتا رہا
تیری یادوں کا سورج نکلتا رہا، چاند جلتا رہا
کوئی بستر پہ شبنم لپیٹے ہوئے خواب دیکھا کیے
کوئی یادوں میں کروٹ بدلتا رہا، چاند جلتا رہا
میری آنکھوں میں کیمپس کی سب ساعتیں جاگتی ہیں ابھی
نہر پر تو مرے ساتھ چلتا رہا، چاند جلتا رہا
میں تو یہ جانتا ہوں کہ جس شب مجھے چھوڑ کر تم گئے
آسمانوں سے شعلہ نکلتا رہا ، چاند جلتا رہا
رات آئی تو کیا کیا کرشمے ہوئے تجھ کو معلوم ہے؟
تیری یادوں کا سورج اُبلتا رہا ، چاند جلتا رہا
رات بھر میری پلکوں کی دہلیز پر خواب گرتے رہے
دل تڑپتا رہا، ہاتھ ملتا رہا ، چاند جلتا رہا
یہ دسمبر کہ جس میں کڑی دھوپ بھی میٹھی لگنے لگے
تم نہیں تو دسمبر سلگتا رہا، چاند جلتا رہا
آج بھی وہ تقدس بھری رات مہکی ہوئی ہے وصی
میں کسی میں ، کوئی مجھ میں ڈھلتا رہا ، چاند جلتا رہا

Dil K Aqde Khol Rahi Hai Jogan Moti Rol Rahi Hai (Poet Abdul Hameed Addam)


شاعر عبدالحمید عدم
بک کلیات عدم صفحہ 1534
.
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
.
دل کے عقدے کھول رہی ہے
جوگن موتی رول رہی ہے
.
کون آیا ہے تنہائی میں؟
تنہائی بھی بول رہی ہے
.
کانٹے کی میزان پہ وحشت
پھولوں کا دھن تول رہی ہے
.
نینوں کو کچھ ہوش میں لاؤ
ساری دنیا ڈول رہی ہے
.
اف پھولوں کا ہنستا موسم
موسیقی پر تول رہی ہے
.
قریہ قریہ گونج رہا ہے
بستی بستی بول رہی ہے
.
ہاۓ عدم وہ آنکھ جو ہنس کر
شہد میں شبنم گھول رہی ہے
 
Poet Abdul Hameed Addam

Dil K Aqde Khol Rahi Hai
Jogan Moti Rol Rahi Hai
Kon Aaya Hai Tanhaai Mein
Tanhaai Bhi Bol Rahi Hai
Kaante Ki Meezaan Pe Wehshat
Phooloon Ka Dhan Tol Rahi Hai
Nainoon Ko Kuch Hosh Mein Laaow
Sari Dunya Dol Rahi Hai
Uff Phooloon Ka Hansta Mosam
Moseqi Par Tol Rahi Hai
Qariya Qariya Goonj Raha Hai
Basti Basti Bol Rahi Hai
Haaye ADDAM Wo Aankh Jo Hans Kar
Shehad Mein Shabnam Ghol Rahi Hai...............................*

Main Ne Muhlat Hi Na Di Usko Bicharh Jane Ki Zindagi Bhar Ussey Baton Mein Lagaye Rakha


Main Ne Muhlat Hi Na Di Usko Bicharh Jane Ki
Zindagi Bhar Ussey Baton Mein Lagaye Rakha

ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﻣﮩﻠﺖ ﮨﯽ ﻧﮧ ﺩﯼ ﺍﺱ ﮐﻮ ﺑﭽﮭﮍ ﺟﺎﻧﮯ ﮐﯽ
ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺑﮭﺮ ﺍﺳﮯ ﺑﺎﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻟﮕﺎﺋﮯ ﺭﮐﮭﺎ

Edhi Sohni Kurri,Utton Moti Moti Akh Rang Chitta Tak,Sukha Lak,Tikha Nak,Ethey Rakh



اِیڈهی سوہنی کُڑی، اُتوں موٹی موٹی اکھ،
رنگ چِٹا تک، سُکا لَک، تِکها نَک، اِیتهے رکھ

Edhi Sohni Kurri,Utton Moti Moti Akh
Rang Chitta Tak,Sukha Lak,Tikha Nak,Ethey Rakh...!

Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra Jale Chirag To Bujhne Laga Mera Chehra


Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra

Jale Chirag To Bujhne Laga Mera Chehra

Woh Tere Hijar Ke Din Woh Safer Sadiyon Ke

Tu Un Dinon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra

Judaiyon Ke Safar Mein Rahe Hain Saath Sada

Teri Talash, ZaMane, Hawa Mera Chehra

Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha

Khizaan Ke Chaand Ko Achaa Laga Mera Chehra

Kitaab Khol Raha Tha Woh Apne Maazi Ki

Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra

Sehar Ke Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhein

Safar Ki Gard Mein Lipta Hua Mera Chehra

Hawa Ka Akhri Bosa Tha Ya QayaMat Thi

Badan Ki Shaakh Se Phir Gir Pada Mera Chehra

Jise Bujha Ke Hawa Sogwar Phirti Hai

Woh ShaMa-E-ShaaM-E- Safar Thi Ke Mera Chehra

Yeh Log Kyon Mujhe Pehchante Nahin  Mohsin

Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera chehra


Kis umar me tum ham se aa ke milay ho sanam Jab hathun ki mehndi baalun me lag rahi hai


Kis umar me tum ham se aa ke milay ho sanam
Jab hathun ki mehndi baalun me lag rahi hai

Ajsaam K Zindano Se Nikal K Ye Laho Jab Jab Baha Firdos Ne Adam Ki Chah Ki (Razab Tabraiz)


Ajsaam K Zindano Se Nikal K Ye Laho
Jab Jab Baha Firdos Ne Adam Ki Chah Ki
(Razab Tabraiz)

اجسام کے زندانوں سے نکل کے یہ لہو
جب جب بہا فردوس نے آدم کی چاہ کی
(رزب تبریز)

MOhabbat Ka SabaQ Dy Kar Sitam Ejaad Kar Dalaa HaseenOn Nay JiSsy Chahaa USsy Barbaad Kar Dalaa


"+,,+"
MOhabbat Ka SabaQ
Dy Kar Sitam Ejaad
Kar Dalaa...>
"+,,+"
HaseenOn Nay JiSsy
Chahaa USsy Barbaad
Kar Dalaa...>

Shafaaf HO Gayin Sabhi Unchi Haweliya'n Ek JhOonparri Ki Chhat Na Rahi BaarishOon Ke Baad


"+,,+"
Shafaaf HO Gayin
Sabhi Unchi
Haweliya'n...>
"+,,+"
Ek JhOonparri Ki
Chhat Na Rahi
BaarishOon Ke
Baad...>

Waqt Ki Zarb Lagi Zawal Ho Ke Reh Gaye,Saal Bhar Nahi Dukhey Shawaal Ho Ke Reh Gaye (Razab Tabraiz)


وقت کی ضرب لگی
زوال ہو کے رہ گئے
سال بھر نہیں دکھے
شوال ہو کے رہ گئے
بھٹکتے رہے سدا سفر
میں سمت کے لیے
چلے جو ہم جنوب کو
شمال ہو کے رہ گئے
عمر بھر لگی رہیں
یوں ذات میں سیاہیاں
اپنے ہی نصیب پہ ہم
خال ہو کے رہ گئے
جناب ہی کے روبرو
جناب کو گزارتے
اپنے سارے حرف
حسب_حال ہو کے رہ گئے
سمٹ سکا نہ ان میں
کچھ حسن_بے بہا تیرا
َنيَّن کے دونوں دائرے
وشال ہو کے رہ گئے
ہو سکا نہ رونما بدن
میں کوئی موجزہ
ذوق کی چھری تلے
حلال ہو کے رہ گئے
شب ڈھلے دیوار پر
سایہ جب دکھا نہیں
ہم دئیے کی اوٹ میں
سوال ہو کے رہ گئے
خود کو کھوجتے ہوئے
روپ سارے بھر لیے
اصل مگر مِلا نہیں
نقّال ہو کے رہ گئے
دھیرے دھیرے دوستوں
سے سب کمال لے لیے
ہم تو گویا صاحب_کمال
ہو کے رہ گئے
آپ کو آسان ہیں گر
تو آپ ہی بتائیے
ہم تو اپنے آپ کو
محال ہو کے رہ گئے
رزب یہ سرسری نہیں
بڑے پتے کی بات ہے
عشق میں جو بچ گئے
نڈھال ہو کے رہ گئے
(رزب تبریز)

Maidan-E-Sukhan Mein Hunar Ki Kaat K Sabab Main Jab Bhi "AAR" Chalta Hon To Aksar "PAAR" Hota Hon (Razab Tabraiz)


Maidan-E-Sukhan Mein Hunar Ki Kaat K Sabab
Main Jab Bhi "AAR" Chalta Hon To Aksar "PAAR" Hota Hon
(Razab Tabraiz)

میدان_سخن میں ہنر __________ کی کاٹ کے سبب
میں جب بهی "آر" چلتا ہوں ____ تو اکثر "پار" ہوتا ہوں
(رزب تبریز)

Daraaz Qaamat Gulaab Chehraa Khumaar Aankhen Ujaal Rakhnaa Teri AadaOn Pay Mar Na Jaayein Khuda Ki Bandi Khayaal Rakhna


"+,,+"
Daraaz Qaamat
Gulaab Chehraa
Khumaar Aankhen
Ujaal Rakhnaa...>
"+,,+"
Teri AadaOn Pay
Mar Na Jaayein
Khuda Ki Bandi
Khayaal Rakhna...>

Kabhi Iss Tarah Mere Humsafar Sabhi Chahatein Mere Naam Kar


Kabhi Iss Tarah Mere Humsafar
Sabhi Chahatein Mere Naam Kar
Agar Ho Sakey To Kahein Kabhi
Mere Naam Bhi Koi Shaam Kar
Mere Dil Ke Saaye Mein Aa Kabhi
Mere Darrhkanon Mein Qiyam Kar
Ye Jo Mere Lafzon Ke Phool Hain
Tere Rastey Ki Ye Dhool Hain
Kabhi Inn Se Sun Meri Dastaan
Kabhi Inn Ke Saath Kalaam Kar

سبھی چاہتیں میرے نام کر
اگر ہو سکے تو کہیں کبھی
میرے نام بھی کوئی شام کر
میرے دل کے سائے میں آ کبھی
میری دھڑکنوں میں قیام کر
یہ جو میرے لفظوں کے پھول ہیں
تیرے راستے کی یہ دھول ہیں 
کبھی اِن سے سُن میری داستاں
کبھی اِن کے ساتھ کلام کر

Ishq se log mana karte hain Jaise kutch ikhtiyaar ho apna (Asar Lakhnavi)


In life, you have to take the pace that love goes. You don't force it. You just don't force love, you don't force falling in love, you don't force being in love - you just become. I don't know how to say that in English, but you just feel it.
  Juan Pablo Galavis
----------------------------------
Ishq se log mana karte hain
Jaise kutch ikhtiyaar ho apna
Asar Lakhnavi

ILAHI In Ke Aainey Ki Umar Ho Daraz Tezi Se Door Ja Rahey Hain Bachpaney Se Wo (Razab Tabraiz)


ILAHI In Ke Aainey Ki Umar Ho Daraz
Tezi Se Door Ja Rahey Hain Bachpaney Se Wo
(Razab Tabraiz)

الٰہی ان کے آئینے _ کی عمر ہو دراز

تیزی سے دور جا رہے ہیں _ بچپنے سے وہ
(رزب تبریز)

Is Jahan Main Do Mein Kam-o-Baish Ik Wabastgi Daseesakaar Hai (Razab Tabraiz)



اس جہان میں
دو میں کم و بیش
اک وابستگی
دسیسہ کار ہے

دست کار ہے
جہاں پہ آدمی
وہیں پہ زندگی
دسیسہ کار ہے..

عاشقوں سے ہیں
سکون کی دولتیں
ہزار ہا پرے
ہزاروں میل دور

حسن ہے جہاں
ذرا سا مہرباں
وہیں پہ عاشقی
دسیسہ کار ہے..

نظر کی جھیل میں
حسین صورتیں
کنول بنی رہیں
تو میل کیا کرے

کہ کائی کی جہاں
بنی ہو سبز تہ
وہیں پہ تازگی
دسیسہ کار ہے..

وصل کے مول کی
معاشیات میں
مزاجوں کے سبب
نقاہتیں رہیں

جہاں پہ شوخیاں
بغاوتیں کریں
وہیں پہ بےخودی
دسیسہ کار ہے..

اس زمین سے
پرے بھی ہیں کئ
پیار کے لیے
حسین پیروکار

جس منڈیر پر
دو بدن ملیں
وہیں پہ چاندنی
دسیسہ کار ہے..

اپنی باری کے
انتظار میں
زلف جب ڈسے
ہونٹ چپ رہیں

سیاہیاں جہاں
صلح کا نام لیں
وہیں پہ قرمزی
دسیسہ کار ہے..

فضول ہیں رزب
اداؤں سے یہاں
کسی بھی حال میں
کوئی بھی واسطہ

کہ دشمنی جہاں
وبال_جان ہے
وہیں پہ دوستی
دسیسہ کار ہے
(رزب تبریز)

"دسیسہ کار" (مطلبی، فریبی، سازشی

Qulqari-e-Chishm Ki Hain Masavi Zimadar Almaas Ki Har Qaash Pe Paaras Ki Tukrian (Razab Tabraiz)


Nakhun
Qulqari-e-Chishm Ki Hain Masavi Zimadar 
Almaas Ki Har Qaash Pe Paaras Ki Tukrian
(Razab Tabraiz)

!!!!! ناخن !!!!!
قلقارئ چشم کی
ہیں
مساوی ذمہ دار
الماس
کی ہر قاش پہ
پارس
کی ٹکڑیاں
(رزب تبریز)

Roop Ka Ghuroor Hai Keh Tooty Aaina



روپ کا غرور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ
آج پھر فتور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ

آئینے کی آرزو
"ہو خیر یار کی"
یار کو منظور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ

اناللہ پڑهتے ہوئے
آئینے کے وه
حلق سے اتنا دور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ

اک دعوت_نقاب پہ
نقاب کھینچ کر
اب آئینہ مجبور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ

تھکان_دوستی میں
دونوں بازو موڑتی
انگڑائی ایسی چور
ہے کہ ٹوٹے آئینہ

شوخیوں کی بھینٹ
ہوئی آئینے کی تاب
تاب کا دستور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ

ہنسی کی بات بات
میں نئی سیاستیں
مسکان کا منشور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ

آنکھ ہے کہ چاہتی
ہے دیکھتی رہے
ہاتھ میں انگور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ

پسینے کی قمیض سے
ملی بھگت کے بعد
بدن یوں شرابور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ

رزب
سے پوچھتی ہے
وہ سوالیہ نظر
میرا کیا قصور ہے
کہ ٹوٹے آئینہ
(رزب تبریز)


Nakhre Ka Bhao Shehr Mein Ab Aur Barhe Ga Do Aashiqon Ne Aik Mehboob Chun Lia Hai (Razab Tabraiz)


Nakhre Ka Bhao Shehr Mein Ab Aur Barhe Ga
Do Aashiqon Ne Aik Mehboob Chun Lia Hai
(Razab Tabraiz)

نخرے کا بهاؤ شہر میں _ اب اور بڑهے گا

دو عاشقوں نے _ ایک ہی محبوب چن لیا
(رزب تبریز)

So Baar Fasany Ka Markaz Haseen Tum Shareer Mein (Razab Tabraiz)


!!!!!!!!! مایا راس !!!!!!!!!
سو بار فسانے کا مرکز
حسین تم شریر میں
اس سندر منظر نامے میں
اک عکس تم تصویر میں ...
کچھ دود پرست کچھ غافل_شب
اپنی منزل سے داد طلب
ہیں ایک ڈگر کے دو راہی
لکیر تم فقیر میں ...
نہ سکھ رجنی نہ کوئی سجن
یہاں اپنے جیسی کون لگن
ہیں ایک مثل کے دو کارن
جواب تم نظیر میں ...
اک دوجے کے منظور_نظر
تو میری ادا میں تیرا سجن
ہیں سچے دو انمول رتن
گلال تم عبیر میں ...
اک دوجے کے اٹوٹ بدن
یہ جهول اپنی یہ اپنا چلن
ہے ایک سی اپنی طرز_فن
تعمیر تم جاگیر میں ...
اک پریم کتھا کے درپن میں
ہم ایک کوی کے دو چہرے
ہیں ایک کویتا کے پنّے
آغاز تم آخیر میں ...
ہیں ایک حقیقت کے ضامن
اک روپ رسا اک پریت پهبن
گزرے یوسف کے نندیا فن
خواب تم تعبیر میں
(رزب تبریز)

ISHQ ME YAAD NAHI ,KITNE MAH O SAAL HUYE SIYAAH LE KE CHALE THE,SAFED BAAL HUYE


ISHQ ME YAAD NAHI ,KITNE MAH O SAAL HUYE
SIYAAH LE KE CHALE THE,SAFED BAAL HUYE

TULOOEY FIKR JOSH MALIHABADI


TULOOEY FIKR

JOSH MALIHABADI .......( By-Suroor malihabadi )


ISS MUSADDAS MEIN 110 BaND HAIN,

YAHAN SIRF 36 BaND PEISH KAR RAHA HOON

jab chehraey ufaq se uthi surmaii naqaab

kaanpey nujoom, zard hua rooey maahtaab

khankey falak ke jaam, khuley surkhiyon ke baab

urney laga abeer, barasney lagi sharaab

rangon ki aab o taab churaaney lagi faza

aahestagi se hosh mein aaney lagi faza

naukhaastah fazaaon mein ek tarfa peish o pas

bajta hua nadi mein mulaaem nawa jaras

khulti hui zameen ki kamaani bahar nafas

shabnam ke aab o rang mein pichley pahar ka ras

gul chehra pattiyon pa nageeney jarey huey

goash e chaman mein oas ke bundey parey huey

suuey ufaq barhi jo thithakti hui ziya

doasheezaey faza ki masakney lagi qaba

aahestagi se mehre tunak zao ubhar chala

bajney laga khayaal mein soaney ka daaeira

barsa gulaal zehn pa, kundan khayaal par

naubat baji manaaraey zauq e khayaal par

barhney laga shikoah se phir kundani tabaq

rah rah ke karwatein si badalney lagi shafaq

khulney laga fazaaey khunak par nishaaney haq

gardoon, kitaab e zar ke ulatney laga waraq

moti girey zameen pa, shaakhein lachak gaiin

boasey liye saba ne to kalyaan chatak gaiin

phooti kiran, zameen ki ghutan duur ho gai

shabnam ki boond boond khum e noor ho gai

duniya tamaam jalwagahey tuur ho gai

har pankhari jawaan hui huur ho gai

taabish, naweid e sharah, paey sadr ho gai

goya jahaan mein subhey shabey qadr ho gai

thandi hawa dilon ko jagati hui chali

pichley paher ke geet sunaati hui chali

har khwabgaahey naaz mein gaati hui chali

mukhron pa kakulon ko hilaati hui chali

duudey charaagh e kushta ki zulfein bikhar gaiin

ghurfey hiley bhavon ki kamaanein utar gaiin

angraaiyaan jo aaiin to aankhein jhalak gaiin

rag rag mein walwalon ki kamaanein karak gaiin

rukhsaar par shabaab ki kalyaan chatak gaiin

jo choorian khamosh pari theen khanak gaiin

mobaaf mein aseer shabey taar ho gai

juura bandha to subho namudaar ho gai

maujey naseem, taan uraati hui chali

murghaaney khush nawa ko jagaati hui chali

patli kamar ka loach dikhaati hui chali

zarrein chara karey se bajaati hui chali

karwat faza pa lee chamaney roazgaar ne

gul hans parey, naqaab ulat di bahaar ne

thitki, muri, rawaana hui noor ki sipaah

damkey kalas, uthaai dar o baam ne nigaah

maathey pa aasmaan ke kaj ho gai kulaah

rakh li faza ne surkh shalukey mein qurs’e maah

sabzey ki rooh mast hui, jhoomney lagi

shabnam ke motiyon ko kiran choomney lagi

chalney lagin hawaaein, chahekney lagey tuyuur

rangin bulandiyo pa phunka walwalon ka suur

zarraat ki jabin se ubalney laga suruur

par pharpharaaey, jaag utha khaak ka ghuruur

jhonkon ne hauslon ko charhaya jo saan par

urney laga zameen ka tabaq aasmaan par

ubtan hawa ki mauj pa gulzaar ne mala

kangna kalaai mein jo bandha, khil gai faza

kunjon ko dhoop chaon ka joara ata hua

baddhi pari galey mein to gulzaar jhoom utha

utra gulab o qand, jamaad o nabaat par

sehra bandha jabeen’e uroosey hayaat par

surkhi barhi fazaaon pa, taabindagi ke saath

taabindagi, jamaal ki rakhshindagi ke saath

rakhshindagi, shamim ki baafindagi ke saath

baafindagi, rabaab o daf e zindagi ke saath

aur zindagi, tasawwurey mutlaq liye huey

anfaas mein kharoash e anal-haq liye huey

yuunhin faraaz e rooh pa ubhra ek aaftaab

deen ka nishaan, khirad ka alam, aagahi ka baab

haq saaz o haq nawaaz o haq aawaaz o haq ma’ab

maqsood e arsh, mooris e aflaak, Buturaab

irfaan e zindagi ka alam kholta hua

bAnd e qabaaey laoho qalam kholta hua

paida hua surood e azal salsabeel mein

utri shua’a, seenaey fikr e jameel mein

raushan huey charaagh dayaar e khaleel mein

junmbish hui dobara par e Jibraeel mein

channey lagi shua’a, tafakkur ke baab se

phooti kiran, jabeen e Risaalat ma’ab(SAW) se

nikhra adab, khayaal ko haasil hui zabaan

damki jabeen’e harf pa ma’ani ki kahkashaan

chalkeen sharaab’e naghmaey haq ki gulaabiyaan

daao deyet ne peish kiya taaj e zar fishaan

Yousuf barhey jamaal e feraawaan liye huey

paryaan dar aain, takht e Suleimaan liye huey

lafzon ki mauj’e rang mein ghaltaan huey gohar

lahjey ki aab e juu, mein chali kashtiye qamar

noak’e qalam se ilm ki, taaley hui sahar

aur phir sahar ki choot pari Zulfeqaar par

baalaaey Zulfeqaar, alam jgmaga utha

aur zau-fishaan alam pa qalam jagmaga utha

ghoomi kaleed e fazl, khula qufl e faiz e aam

naagaah aasmaan pa goonja, zameen ka naam

gardish mein aaey, naaraey Sall e Ala ke jaam

parhtey huey durood, barhey Ambiya(A.S.) tamaam

Kaab e ke gird eik kiran ghoomney lagi

rooh e Mohammed e Arabi(SAW) jhoomney lagi

haan shamm e zaat, khaimaey alfaaz mein jala

lailaaey haq ko mahmiley taqreer mein bitha

goash e bashar ko chashm e haqeeqat nigar bana

kaanon se loag deikh sakein jalwaey khuda

teir e bayaan pa ghulghula utthey durood ka

yuun peish kar suboot Khuda ke wujood ka

duniya ko tu bataaeiga yeh nuktaey jameel

yaani azal se eik tawaanaaiye jaleel

jis ki koi nazeer, na jiska koi adeel

iss kaargaahey waqt e gureizaan ki hai kafeel

azlaal o injezaab, na woh inke’aas hai

duniya se duur hai, na woh duniya ke paas hai

insaan ke mizaaj ki ussmein nahin hai boo

woh kuch nahin hai, kuch bhi nahin hai, siwaa e hoo

woh shaahey narm taba, na sultaan e tundkhoo

woh dil nawaaz dost, na himmat shikan adoo

woh paaey band e rasm e wafaa o jafa nahin

jazbaat jis pa toot parein, woh Khuda nahin

aabey makaan, imaam e zamaan, aaya e mubeen

kanzey uloom kashifey sar, kaabaey yaqeen

qaazi’e dahr, qiblaey dauraan, qiwaam e deen

manshaaey asr, maaniye kunn, meer’e aalameen

taabindagiye turraey tarfey kulaah e ilm

maulaaey jaan, rasool e tamaddun, ilaah e ilm

aawaaz e jaan-nawaaz,tarannum, jahan faroaz

teiwar, tamaam saaz, takallum, tamaam souz

daanish, mahey do- hafta, nazar, mehr e neem roaz

taqreer, fahem baaf, khamoshi, khayaal doaz

tujh se jo aashna hai, woh jauhar shinaas hai

teiri zabaan, zehney bashar ka libaas hai

jalwat mein baadshaah hai, khilwat mein too faqir

jangaah mein jawaan, hareem e khirad mein peer

dasht e wegha mein tabl, adab gaah mein sareer

maidaan mein hadeed, maqaalaat mein hareer

sau moajezon ka itr hai, teiri hayaat mein

azdaad kis qadar hain teri eik zaat mein

kaabey se aaftaab e imaamat ayaan hua

hallaal e mushkilaat e risaalat ayaan hua

meer e nizaam e shamsiye qudrat ayaan hua

daaraaey kaarobaar e mashiyat ayaan hua

khallaaqiyat ka zauq sar-afraaz ho gaya

ek daur’e ilm o fikr ka aaghaaz ho gaya

mehraab e tiragi jo hui raushni se shaq

salmaaey zindagi ne uthaaya rabaab e haq

khud se kitaab e ilm ke khulney lagey waraq

nikla hareem e harf se har maaniye adaq

daur e khizaan, chaman se, ba-farmaan e gul gaya

ek maktab e jadeed ka darwaaza khul gaya

salmaaey rozgaar ko, zarrin qaba mili

insaaniyat ko, daulat e sadd irteqa mili

hanstey huey qadar ke galey se qazaa mili

aaghosh mein Rasool ko apni dua mili

jaisey hi nisf noor mila, nisf noor se

apney ko kirdegaar ne deikha ghuroor se

mimbar par aaftaab’e takallum ayaan hua

mauj e maey ghadeer liye, khum ayaan hua

daryaaey marhamat mein talaatum ayaan hua

insaaf ke labon pa tabassum ayaan hua

daali nigaah fakhr se, duniya ne deen par

Quraan, aasmaan se utra zameen par

asraarey kaaeinaat, ulatney lag’e naqaab

taabeer ke hudood mein aaey, zamin ke khwaab

maan’a se ru-shanaas hua, harf e khaak o aab

aiwaaney roazgaar mein yuun aaey Buturaab

jaisey durood’e shab-namey taabinda phool par

goya nuzool e wahi, butooney Rasool par

ehsaasey indefa’a ko tabl o alam mila

qirtaas e be-sawaad ko zarrin qalam mila

zulfey tasawwuraat e uluhi ko kham mila

ALLAH ko suboot, Nabi ko hasham mila

faiz e sukhan se deen ki takmeel ho gai

ijmaal e zul-jalaal ki tafseel ho gai

taabaan huey uloom, durakhshaan huey uqool

raushan hua zameen e tadabbur ka arz o tool

ma’aquliyat ke sAr ko mila afsarey qubool

shaaesta zindagi ke murattab huey usool

jo barqey tuur’e fikr hai, woh noor mil gaya

duniyaaey be-nizaam ko, dastoor mil gaya

mehraab e haq mein rooh’e khitabat hui ayaan

jhoomin saron pa rushd o hidaayat ki badliyaan

utthi nigaah, kham huey abroo, khuli zabaan

daurey hawa pa teer, lachakney lagi kamaan

nikli jo munh se baat, dilon mein utar gai

zehney gureiz e pa ki sawaari thahar gai

nikhrey zameer, zehn ko haasil hua suroor

aiwaaney jaan ke taaq mein chamka, charaagh e toor

alfaaz e aasmaan ke munawwar huey qusoor

Quraan ke huroof mein daakhil hua shaoor

zauq e sukhan ko quuwat e eijaaz mil gai

takhayley kirdegaar ko aawaaz mil gai

bahrey salaam, lailaey arz o samaan uthi

deikha rukhey qubool, tarap kar dua uthi

chatkin fazaaein, neend se thandi hawa uthi

qibley se jhoomti hui kaali ghata uthi

kya rut ba- faizey qiblaey haajaat aa gai

saaqi! khuda ka shukr, ke barsaat aa gai

saaqi! datii hui hai kharaabaatiyon ki saff

phaila hua hai abr e goharbaar har taraff

boatal ka kaag khoal, utha kaif baaradaf

laa baadaey Madeena wa paimaanaey najaf

tatheer ki rida hai falak par tani hui

dey, daamaney rasool e Khuda(SAW) ki chani hui

meena ke sar pa deikh, wo minmbar ayaan hua

minmbar pa noor, saaqiye kausar ayaan hua

kaanpa araz, hawaaon pa jauhar ayaan hua

wo aaftaab e tal’atey Haider ayaan hua

parne laga faza pa woh partau Butool ka

urney laga falak pa wo daaman Rasool ka

le, woh najaf ki simt se aan e lagi sadaa

aey Josh e nukta sanj meri anjuman mein aa

aa, aur jhoom jhoom ke naghmaat e nau sunaa

saaqi! mera salaam e adab ley ke main chala

maulaaey kaaenaat, aur aawaaz de mujhey

aey Jibraeel! quuwatey parwaaz de mujhey


Ik gumaan e musarrat ka bhi pehlo nikly Kuch qareeny sy agar gham ko sajaaya jaey


Ik gumaan e musarrat ka bhi pehlo nikly ...
Kuch qareeny sy agar gham ko sajaaya jaey
When the going gets tough, the tough gets going
''there is an ease after every difficult "-Al-Quran
''When Allah wishes to do something better for a believer ,he afflicts him with trails ''Prophet Mohammad (p.b.u.h)
",Musalman tu wo hai jo iss baat py yaqeen rakhy k achy aur bury halaaat tu sab Allah ki taraf sy hain "-Al-Quran
Ranj sy khogar howa insaan tu mit jaata hai ranj
even the darkest nights ends at bright mornings
Difficult roads leads to beautiful destinations

Kia naya aa'ya hai saqi ko'ee ma'i kha'ne mein Aag bhar di hai kisi ne me're pa'i ma'ne mein


Kia naya aa'ya hai saqi ko'ee ma'i kha'ne mein
Aag bhar di hai kisi ne me're pa'i ma'ne mein

Ye Negah-e-Sharm Jhuki Jhuki,Ye Jabeen-e-Naaz Dhuaan Dhuaan Mere Bas Ki Ab Nahi Dastaan,Mera Kanpta Hai Ruvaan Ruvaan(Iqbal Azeem)


Ye Negah-e-Sharm Jhuki Jhuki,Ye Jabeen-e-Naaz Dhuaan Dhuaan
Mere Bas Ki Ab Nahi Dastaan,Mera Kanpta Hai Ruvaan Ruvaan
Ye Takhaulaat Ki Zindagi,Ye Tasawwaraat Ki Bandagi
Faqat Ik Faraib-e-Khayal Par,Meri Zindagi Hai Ravaan Davaan
Mere Dil Pe Naqsh Hain Aaj Tak,Wo Ba-Iteyat Nawazishein
Wo Ghuroor-O-Zabt A'ayan A'ayan,Wo Khuloos-E-Rabt Nihaan Nihaan
Na Safar Bashart-E-Maal Hai,Na Talab Baqaid-E-Sawaal Hai
Faqat Aik Sairi-E-Zauq Ko,Main Bhatak Raha Hon Kahaan Kahaan
Meri Khalwaton Ki Ye Jannatein Kai Baar Saj Ke Ujhar Gaien
Mujhe Baarha Ye Gumaan Hua,Keh Tum Aa Rahe Ho Kashaan Kashaan
Iqbal Azeem

یہ نگاہِ شرم جُھکی جُھکی، یہ جبینِ ناز دُھواں دُھواں
مِرے بس کی اب نہیں داستاں، مِرا کانپتا ہے رُواں رُواں
یہ تخیّلات کی زندگی، یہ تصوّرات کی بندگی
فقط اِک فریبِ خیال پر، مِری زندگی ہے رواں دواں
مِرے دل پہ نقش ہیں آج تک، وہ با احتیاط نوازشیں
وہ غرور و ضبط عیاں عیاں، وہ خلوصِ ربط نہاں نہاں
نہ سفر بشرطِ مآل ہے، نہ طلب بقیدِ سوال ہے
فقط ایک سیریِ ذوق کو، میں بھٹک رہا ہوں کہاں کہاں
مِری خلوتوں کی یہ جنّتیں کئی بار سج کے اُجڑ گئیں
مجھے بارہا یہ گمان ہوا، کہ تم آرہے ہو کشاں کشاں
اقبال عظیم

Kheench Ke Kalai BOosa-E-Lab JO Liyaa Itni Say Baat Pay Khafaa Bethy Hain HuzOor


"+,,+"
Kheench Ke Kalai
BOosa-E-Lab JO
Liyaa...>
"+,,+"
Itni Say Baat Pay
Khafaa Bethy Hain
HuzOor...>

Teri Soorat Se hai Aalam Main Bahaaron ko Sabaat.. Teri Aankhon k Siwa Dunya Main Rakha Kya Hai....!


Teri Soorat Se hai Aalam Main Bahaaron ko Sabaat..
Teri Aankhon k Siwa Dunya Main Rakha Kya Hai....!

Zindagi,Loog Jisay Marham-e-Gham Janty Hain Jis Tarhan Hum Ne Guzari Vo Hum Janty Hain


Zindagi,Loog Jisay Marham-e-Gham Janty Hain
Jis Tarhan Hum Ne Guzari Vo Hum Janty Hain
Dard Kuch Or Ata Kr Keh Tere Dard Nawaz
Ye Sakhawat Tere Mayaar Se Kam Janty Hain
Sar Bar'hana Chalay Aye Hain K Pather Barsain
Hum Tere Sheher Ka Aain-e-Karam Janty Hain
Shiddat-e-Gham Ka Ye Aalam Hai Shab-e-Hijar,K Hum
Har Sitaray ko Tera Deeda-e-Nam Janty Hain
Hum Pe Khulty Thy Kabhi Zabt-e-Janoon Ki Rutt Main
Harf-e-Shireen KO Bhi Ab Qatra-e-Sam Janty Hain.

Tum aaye ho na shab-E-intezaar guzrii hai Talaash men hai sehar baar baar guzrii hai


Tum aaye ho na shab-E-intezaar guzrii hai
Talaash men hai sehar baar baar guzrii hai
Junuun men jitni bhi guzri bakaar guzarii hai
Agar che dil pe kharaabii hazaar guzrii hai
Huii hai hazrat-E-naaseh se guftaguu jis shab
Wo shab zaruur sar-E-kuu-E-yaar guzrii hai
Woh baat saare fasaane men jiskaa zikr na thaa
Woh baat unko bahut naa-gavaar guzrii hai
Na gul khile hain, na un se mile, na mai pi hai
Ajeeb rang men ab ke bahaar guzrii hai
Chaman men Ghairat-E-gulchin pe jane kya guzri
Qafas se aaj sabaa be – Qaraar guzrii hai

Har qadam pe nakami, har qadam pe mehrumi Ghalban koi dushman dostun me shamil hai (Ameer Qazalbash)


Har qadam pe nakami, har qadam pe mehrumi
Ghalban koi dushman dostun me shamil hai
Ameer Qazalbash

Pal pal woh pal Jo tere sath kata woh pal Bin tere jaan le gya woh pal


Pal pal woh pal
Jo tere sath kata woh pal
Bin tere jaan le gya woh pal

Ret se phisalte pal Haath se nikalte pal Mujhse nahin sambhaale jaate Pal pal pighalate pal


Ret se phisalte pal
Haath se nikalte pal
Mujhse nahin sambhaale jaate
Pal pal pighalate pal

Wohi hai dharti, Falak wohi hai Yeh dil samunder, Bhanwer sey naina Yaqeen wohi hai, Gumaan wohi hai


Wohi hai dharti,
Falak wohi hai
Yeh dil samunder, Bhanwer sey naina
Yaqeen wohi hai, Gumaan wohi hai
Yeh chand or kehkashaan Wohi hai
Tumhari surat, Tumhari murat Tumhari baatein Wohi hain
Lekin ... Buhat dinon say Yuun lag raha hai
Sama'aton men utar kay  Suraj pighal raha hai
Tumhara Lehja Badal Raha Hai!!

Muddaten guzri teri yad bhi aayi na hamain Aur ham bhul gaye hun tujhe, esa bhi nahi (Firaq Gorakhpuri)


Muddaten guzri teri yad bhi aayi na hamain
Aur ham bhul gaye hun tujhe, esa bhi nahi
Firaq Gorakhpuri

deyar e gair main jab wasta pra apno sy to apny shehr k dushman b bry yad ay


deyar e gair main jab wasta pra apno sy
to apny shehr k dushman b bry yad ay

Pahunch gaye hai'n kayi raaz mere gairo'n ke paas Kar liya tha mashwara ik roz apno ke saath


Pahunch gaye hai'n kayi raaz mere gairo'n ke paas
Kar liya tha mashwara ik roz apno ke saath

BAHOT HASEEN SAHI GULON KI SOHBATAY MAGAR WO ZINDAGI HE JO KANTO KE DARMIYA GUZRE


BAHOT HASEEN SAHI GULON KI SOHBATAY MAGAR
WO ZINDAGI HE JO KANTO KE DARMIYA GUZRE

Ghar se ALLAH k Aaghaaz-e-Safar "Mera" tha Raaste band sabhii the,, wahan Dar "Mera" tha


Ghar se ALLAH k Aaghaaz-e-Safar "Mera" tha
Raaste band sabhii the,, wahan Dar "Mera" tha
3 din dekha hai patthar k Khudaao'n ne Mujhe
Maine unko nhii dekha,, ye hunar "Mera" tha...!!
Mohsin Naqvi

howy barbad mager phr b sudhar na paye hum phir wohi aqeeda wohi ishq wohi tum or sirf tum


howy barbad mager phr b sudhar na paye hum
phir wohi aqeeda wohi ishq
wohi tum
or sirf tum

Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa


Goya Andaaz-e-Taazeem Hai
Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa
Ham Ne Chehray Pe Sajaa
Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan
Jazeeron Jaisa
Us Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne
Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha
Shakhs Wo Peeron Jaisa
Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi
Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal
Aseeron Jaisa
Us Ko Ganwa Ke Hain
Khasaaray Ab Tak Mohsin
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath
Tha Heeron Jaisa.....!!

Ye JO NazrOon Say DIL KO Nidhaal Karty HO Karty TO Zullam HO Magar Kamaal Karty HO


Ye JO NazrOon Say
DIL KO Nidhaal Karty
HO...>
"+,,+"
Karty TO Zullam HO
Magar Kamaal Karty
HO...>

Majburi-e kamal-e muhbbt to dekhna Jeena nahi qabul, jiye ja raha hon me (Jigar Muradabadi)


Majburi-e kamal-e muhbbt to dekhna
Jeena nahi qabul, jiye ja raha hon me
Jigar Muradabadi

WAQT SE PEHALE yuun to har rishte ka yahi anjaam hota hai Phuul khilta hai Mehakta hai Bikhar jaata hai


WAQT SE PEHALE
yuun to har rishte ka yahi anjaam hota hai
Phuul khilta hai
Mehakta hai
Bikhar jaata hai
Tum se vaise to nahiin koee shikayat
lekin
shaakh ho sabz
to hassas fazaa hoti hai
har kali zakham ki surat hi judaa hoti hai
Tum ne
be.kaar hee mausam ko satayaa varnaa
Phuul jab khil ke Mehak jaata hai
khud.b.khud
shaakh se Gir jaata hai
Nida Fazli

Kaha Uss Ne Kaisi Hai Aab-O-Havaa Tere Shehr Ki ??? Kaha Mein Ne Tere Khayaal Ka Mausam Raaj Karta Hai


Kaha Uss Ne Kaisi Hai Aab-O-Havaa Tere Shehr Ki ???
Kaha Mein Ne Tere Khayaal Ka Mausam Raaj Karta Hai

کہا اُس نے، کیسی ہے آب و ہوا تیرے شہر کی
کہا میں نے، تیرے خیال کا موسم راج کرتا ہے

Roz Sehti Hain Jo Kothon Par Hos Ke Nashtar Hum Darendy Jo Na Hote To Wo Maaein Hotein

Roz Sehti Hain Jo Kothon Par Hos Ke Nashtar
Hum Darendy Jo Na Hote To Wo Maaein Hotein

The lust lancets which r borne on the bed,
if only we r not animals , they r our mother's

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega


Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega

Tasbeeh Parriin Makkaran Wali , Tu Darrhi Keeti Chttii Paraya Maal Evin Kha Da Ey Jeeveen Tarkaari Lagdi Meethi (Baba Bulleh Shah)


Tasbeeh Parriin Makkaran Wali , Tu Darrhi Keeti Chttii

Paraya Maal Evin Kha Da Ey Jeeveen Tarkaari Lagdi Meethi

Na Tu Mandir Maseeti Varria Na Qabar Andheri Dithi

Khabar Tad Aan Posi Jadaan Munah Tey Aasi Mitthi

Baba Bulleh Shah


HAMESHA US KI AANKHO ME DHANAK SE RANG HOTE THE YE US KI AAM HALAT THI, YE DIL KUCH AUR SAMJHA THA


HAMESHA US KI AANKHO ME DHANAK SE RANG HOTE THE

YE US KI AAM HALAT THI, YE DIL KUCH AUR SAMJHA THA


Logo Ki Nazar Mein To Kia Jisam Ka Soda Ghar Kitney Ayyam Se Faqey Hain Inhein Kon Bataye


 Ye Shair women international day ky moqy pr tehrer kya gya.ye har os larki/khaton ky naam hy jo Kisi majbori ky teht mardon ky shana bashana kam karti hy.lekin hum jab bhe onhy bus stop pr daikhty hyn to gandi nazr sy.jo bychari bysharm ankhon or hawas zada dill ka shikar Hoti hy.aise behnon ko hamari taraf sy salute
Logo Ki Nazar Mein To Kia Jisam Ka Soda
Ghar Kitney Ayyam Se Faqey Hain Inhein Kon Bataye


inn aankhoun nay kahaa'n dekha jo dil ko nazar aaya jo mann ko samajh aaya Syed Abulhasan Rizvi

inn aankhoun nay kahaa'n dekha 

jo dil ko nazar aaya jo mann ko samajh aaya  

Syed Abulhasan Rizvi


suna ho ga kisi se,dard ki ,ik hd bhi hoti ha milo hm se ,k hm aksar hi,uss k paar jaatay han


suna ho ga kisi se,dard ki ,ik hd bhi hoti ha

milo hm se ,k hm aksar hi,uss k paar jaatay han


Agar Gham Hud Se Barrh Jaayein Toh Aansu Aa Hi Jaate Hein Magar Hum Apni Aankhon Ko Kabhi Darya Nahin Kartey


Agar Gham Hud Se Barrh Jaayein Toh Aansu Aa Hi Jaate Hein
Magar Hum Apni Aankhon Ko Kabhi Darya Nahin Kartey
Khushi Ke Saare Mausam Dusro'n Mein Baant Detey Hein
Faqat Ek Dard Ki Daulat Hai Jo Baanta Nahin Kartey

اگر غم حد سے بڑھ جائیں تو آنسو آ ہی جاتے ہیں
مگر ہم اپنی آنکھوں کو کبھی دریا نہیں کرتے
خوشی کے سارے موسم دوسروں میں بانٹ دیتے ہیں
فقط ایک درد کی دولت ہے جو بانٹا نہیں کرتے

shayad mujhe nikal ke pachta rahe hon aap mehfil mein is khayal se phir aa gaya hon main

matlab muamlat ka,kuch paa gya hoon main

hans kar fareb e chashm e karam,kha gya hoon man

bas inteha hai choriye bas rehney dijiye

khud apne etemad se sharma gaya hon main

shayad mujhe nikal ke pachta rahe hon aap

mehfil mein is khayal se phir aa gaya hon main

nikla tha mekaday se ,k ab ghar chaloon ADAM 

ghabra k sooae mekada ,phir aa gya hoon man...................!


ﻣﻄﻠﺐ ﻣﻌﺎﻣﻼﺕ ﮐﺎ ، ﮐﭽﮫ ﭘﺎ ﮔﯿﺎ ﮨﻮﮞ
ﻣﯿﮟ
ﮨﻨﺲ ﮐﺮ ﻓﺮﯾﺐِ ﭼﺸﻢِ ﮐﺮﻡ ﮐﮭﺎ ﮔﯿﺎ ﮨﻮﮞ
ﻣﯿﮟ
ﺑﺲ ﺍﻧﺘﮩﺎ ﮨﮯ ﭼﮭﻮﮌﺋﯿﮯ ﺑﺲ ﺭﮨﻨﮯ
ﺩﯾﺠﺌﮯ
ﺧﻮﺩ ﺍﭘﻨﮯ ﺍﻋﺘﻤﺎﺩ ﺳﮯ ﺷﺮﻣﺎ ﮔﯿﺎ ﮨﻮﮞ
ﻣﯿﮟ
ﺷﺎﯾﺪ ﻣﺠﮭﮯ ﻧﮑﺎﻝ ﮐﮯ ﭘﭽﮭﺘﺎ ﺭﮨﮯ ﮨﻮﮞ
ﺁﭖ
ﻣﺤﻔﻞ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﺧﯿﺎﻝ ﺳﮯ ﭘﮭﺮ ﺁﮔﯿﺎ
ﮨﻮﮞﻤﯿﮟ
ﻧﮑﻼ ﺗﮭﺎ ﻣﯿﮑﺪﮮ ﺳﮯ ﮐﮧ ﺍﺏ ﮔﮭﺮ ﭼﻠﻮﮞ
ﻋﺪﻡ
ﮔﮭﺒﺮﺍ ﮐﮯ ﺳﻮﺋﮯ ﻣﯿﮑﺪﮦ ﭘﮭﺮ ﺁﮔﯿﺎ ﮨﻮﮞ
ﻣﯿﮟ

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila


Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila

Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila

Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat

Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor

Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila

Mein us Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka

Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila

Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein

Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila

Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya Mohsin

 Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila


Junoon Main Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha


Junoon Main Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha

Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha

Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha

Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha

Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye,,,, Mohsin
Sakoon Se So Na Saka,,,, Bhaiyon Se Darta Raha


Roz o shab ke mele main ghaflaton k mare hum


Roz o shab ke mele main

ghaflaton k mare hum

bas yahi samajhte hain

hum ne jis ko dafnaya

bas usi ko marna tha 

Anwer Masood


Khudi KHUDA tak pohnchy ka, Riyazi Pemaana ha Niyat-e-Khudi Drust Kro, gr KHUDA paana ha

"Take, its new "
Khudi KHUDA tak pohnchy ka, Riyazi Pemaana ha
Niyat-e-Khudi Drust Kro, gr KHUDA paana ha

Aa'eena Kia bata'aiga mujh se milao aankh Meri nazar kasauti hai husn-o-jamal ki


Aa'eena Kia bata'aiga mujh se milao aankh
Meri nazar kasauti hai husn-o-jamal ki

Wafa Ki Aarzu Karna Safar Ki Justuju Karna


Wafa Ki Aarzu Karna,
Safar Ki Justuju Karna,
Jo Tum Mayoos Ho Jao,
To Mujh Se Guftugu Karna,
Ye Aksar Ho Bhi Jata Hai,
K Koi Kho Bhi Jata Hai,
Muqaddar Ko Satao Ge,
To Phir Ye So Bhi Jata Hai,
Agar Tum Hosla Rakho,
Wafa Ka Silsila Rakho,
Jise Tum KHALIQ Kehte Ho,
Usi Se Raabta Rakho,
Main Ye Daaway Se Kehta Hoon,
Kabhi Nakaam Na Ho Ge,
Haqeeqi Ishq Ko Samjho,
Kabhi Badnaam Na Ho Ge...!!!
Wafa Ki Aarzu Karna
Safar Ki Justuju Karna

Tu mnn na mnn , tedi marzi aa Tede baaj guzara okhaa aa


Tu mnn na mnn , tedi marzi aa
Tede baaj guzara okhaa aa

توں من نہ من تیڈی مرضی ہے
۔
تیڈے باہجھ گزارہ اوکھا ہے

ADAM hmari jawani hmari Dolat thee Bri farakh'deli sa tabah ki Hum na


ADAM hmari jawani hmari Dolat thee
Bri farakh'deli sa tabah ki Hum na

عدم ھماری جوانی ھماری دولت تھی
بڑی فراخ دلی سے تباہ کی ھم نے

Hme'n phasaa kr faslo'n ki uljhan ma Zameen zrur kahee'n aasman sa milti ho gee


Hme'n phasaa kr faslo'n ki uljhan ma
Zameen zrur kahee'n aasman sa milti ho gee

ھمیں پھنسا کر یہاں  فاصلوں کی الجھن میں

زمین ضرور کہیں  آسماں سے ملتی ہو گی
 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo