Tum Bhi Kabhi Aao, Shehr-E-Dard Mein Chal K. Dekho Kaise Hum Ne Rakha, Rooh Ko Kuchal K.

 

Poet: Ayaz Khan 

 Type By 

 Ayaz Khan 

 

Tum Bhi Kabhi Aao, Shehr-E-Dard Mein Chal K.

Dekho Kaise Hum Ne Rakha, Rooh Ko Kuchal K.

Dasht Mein Baitha Hoon, Khaak-O-Khon Liye Sar Pe.

Tum Bhi Kabhi Aao,

Khaak-E-Ishq Tan Pe Dekho Mal K.

Yahan Zindagi Sakta Hai Aur Aankhon Se Laho Tapakta Hai.

Tum Bhi Kabhi Aao,

Zinda Lashon Mein Dekho Dhal K.

Yahan Aati Nahi Baharain, Khaizan Bhi Musalsal Hai.

Tum Bhi Kabhi Aao,

Mosam Dekho Badal Badal K.

Yahan Zindagi Shama Ki Tarha Jalte Howe Roti Hai.

AYAZ, Tum Bhi Kabhi Aao, Is Aag Mein Dekho Jal Jal K...........!

 

Bharosa Toot Jane Se Zara Pahle Bata Dena, Mujhe Tum Azmane Se Zara Pahle Bata Dena,

 

Poet Mohsin Naqvi

 

Bharosa Toot Jane Se Zara Pahle Bata Dena,

Mujhe Tum Azmane Se Zara Pahle Bata Dena,

Kisi Heele Bahane Se Zara Pahle Bata Dena,

K Mujh Ko Tum Bhoolane Se Zara Pahle Bata Dena,

Zameen Ki Rait Pe Tum Ne Mohabbat Se Likhi Thi Jo,

Wo Tahreerain Mitane Se Zara Pahle Bata Dena,

Mere Dil Bar K Is Dil Par Main Rakh Lon Zabt Ka Pathar,

Suno Daman Churane Se Zara Pahle Bata Dena,

Kisi Bhi Mor Pe Mohsin Bura Pao Agar Mujh Ko,

Zara Pahle Bata Dena.........!

 

Kaise Kahon K Apna Bana Lo Mujhe, Bahon Mein Apni Sama Lo Mujhe,

 

 Kaise Kahon K Apna Bana Lo Mujhe,

Bahon Mein Apni Sama Lo Mujhe,

Bin Tumhare Aik Pal Bhi Ab Kat-ta Nahi,

Tum Aa Kar Mujh Hi Se Chura Lo Mujhe,

Meri Sab Se Gehri Khawahish Ho Poori,

Tum Agar Pas Apne Bula Lo Mujhe,

Ye Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai,

Tumhara Hon Main To Sambhalo Mujhe,

Na Jane Phir Kaise Guzre Gi Zindagani,

Agar Apne Dil Se Kabhi Tum Nikalo Mujhe...........!

 

 

Hijar Ki Shab Mein Qaid Kare Ya Subha Visal Mein Rakhe,

 

 

Poetess Noshi Gilani

Hijar Ki Shab Mein Qaid Kare Ya Subha Visal Mein Rakhe,

Acha Mola ! Teri Marzi Too Jis Haal Mein Rakhe,

Khail Ye Kaisa Khail Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat,

Ek Pal Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe,

Main Ne Sari Khushboain Aanchal Se Bandh K Rakhein,

Shayad In Ka Zikar To Apne Kisi Sawaal Mein Rakhe,

Kisi Se Tere Aane Ki Sargoshi Ko,

Sunte Hi Main Ne Kitne Phool Chune,

Aur Apni Shaal Mein Rakhe,

Mushkil Ban Kar Toot Pari Hai Dil Par,

Ye Tanhai Ab Jane Ye Khawab Tak,

Is Ko Apne Jaal Mein Rakhe..........!

 

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai, Ye Dil K Tere Bad Sambhalta Bhi Nahi Hai,

 

 

Poetess Noshi Gilani

 

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai,

Ye Dil K Tere Bad Sambhalta Bhi Nahi Hai,

Ye Shehr Kisi Aina Kirdar Badan Par,

Ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai,

Ek Umar Se Hum Is Ki Tamanna Mein Hain Bekhawab,

Wo Chand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai,

Phir Dil Mein Teri Yad K Manzar Hain Firozaan,

Aise Mein Koi Dekhne Wala Bhi Nahi Hai,

Is Umar K Sehra Mein Teri Yad Ka Badal,

Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai,

Humra Bhi khawahish Se Nahi Rehta Humare,

Aur Baam-e-Rafaqat Se Utarta Bhi Nahi Hai..........!

 

Sabz Madham Roshani Mein SurKh Aanchal Ki Dhanak,

 

 Sabz Madham Roshani Mein

SurKh Aanchal Ki Dhanak,

Sard Kamare Mein Machalati,

Garm Sanson Ki Mehak,

Bazo'on K Sakhat Halke Mein,

Koi Nazuk Badan

SalvaTain Malaboos Par,

Aanchal Bhi Kuch Dhalaka Howa,

Garmi-E-RuKhsar Se Dhaki Hoi Thandi Hawa,

Naram Zulfon Se Mulaim Ungalion Ki Cheir Chaar,

Surkh Honthon Par Shararat K Kisi Lamhon Ka............!

 

 

Khayal-o-Khawab K Manzar Sajana Chahta Hai, Ye Dil Jeene Ka Ek Taza Bahana Chahta Hai,

 

 

Poetess Noshi Gilani

 

Khayal-o-Khawab K Manzar Sajana Chahta Hai,

Ye Dil Jeene Ka Ek Taza Bahana Chahta Hai,

Roshnio K Sare Manzar Jhoothe Lagte Hain,

Lekin Us Ki Aankh K Aanso Sache Lagte Hain,

Ek Chadar Sakhan Hi Bacha Kar Nikal Chalain,

Rasta Mile To Shehr Se Bahir Nikal Chalain,

Marqad-e-Ishq Pe Ab Aur Na Roya Jaye,

Rat Ka Pichla Pehr Hai Chalo Soya Jaye.........!

 

Ye Umar Bhar Ka Safar Aur Ye Raigani Teri, Kahan Gai Aaye Mere Dil Wo Khush Gumani Teri?

 

Poetess Noshi Gilani

 

Ye Umar Bhar Ka Safar Aur Ye Raigani Teri,

Kahan Gai Aaye Mere Dil Wo Khush Gumani Teri?

Yahan Pe Kon Andheron Mein Sath Chalta Hai?

Too Ab Bhi Sath Mere Hai Ye Meherbani Teri,

Tujhe Khabar Nahi Hum Dekh Kar Bahut Roye,

Nai Kitab Mein Tasweer Ek Purani Teri,

Abhi Se Aable Parne Lage Hain Paon Mein,

Abhi To Door Hai Manzil Safar Kahani Teri,

Bhulaye Baithe Hain Aur Apne Haal Mein Khush Hain,

Too Aa K Dekh K Kabhi Hum Ne Bat Mani Teri........!

 

Wo Dil Nawaz Hai Nazar Shanas Nahi, Mera Ilaj Mere Charagar K Pas Nahi,

 

Poet Nasir Kazmi

 

Wo Dil Nawaz Hai Nazar Shanas Nahi,

Mera Ilaj Mere Charagar K Pas Nahi,

Tarap Rahi Hain Zaban Par Kai Sawal Magar,

Mere Liye Koi Shayan-E-Iltamas Nahi,

Tere Ujalon Mein Bhi Dil Kaanp Uthta Hai,

Mere Mizaj Ko Asudagi Bhi Raas Nahi,

Kabhi Kabhi Jo Tere Qurb Mein Guzre Thay,

Ab Un Dino Ka Tasavar Bhi Mere Pas Nahi,

Guzar Rahi Hain Ajab Marhalon Se Deeda-O-Dil,

Sahar Ki Aas To Hai Zindagi Ki Aas Nahi,

Mujhe Ye Dar Hai K Teri Aarzo Na Mit Jaye,

Bahut Dino Se Tabiat Meri Udas Nahi.................!

 

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar K Mujhe, Guzar Gai Jars-e-Gul Udas Kar K Mujhe,

 

Poet Nasir Kazmi

 

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar K Mujhe,

Guzar Gai Jars-e-Gul Udas Kar K Mujhe,

Main So Raha Tha Kisi Yad K Shabistan Mein,

Jaga K Chor Gaye Qafile Shahar K Mujhe,

Main Ro Raha Tha Muqadar Ki Sakhat Rahon Mein,

Ura K Le Gia Jado Teri Nazar Ka Mujhe,

Main Teri Dard Ki Tugh Yanio Mein Doob Gia,

Pukarte Rahe Tare Ubhar Ubhar K Mujhe,

Tere Firaq Ki Ratain Kabhi Na Bhulain Gay,

Maze Mile Inhi Raton Mein Umar Bhar K Mujhe,

Yara Si Deir Theharne De Aaye Gham-E-Dunia,

Bula Raha Hai Koi Baam Se Utar K Mujhe,

Phir Aaj Aai Thi Ek Mouj-E-Hawa-E-Tarab,

Suna Gai Hai Fasane Idhar Udhar K Mujhe...........!

 

Mujhe Itna Pyar Na Do Baba, Kal Jitna Mujhe Naseeb Na Ho,

 

 

Poetess Noshi Gilani

 

Mujhe Itna Pyar Na Do Baba,

Kal Jitna Mujhe Naseeb Na Ho,

Ye Jo Maatha Chooma Karte Ho,

Kal Is Par Shikan Ajeeb Na Hon,

Main Jab Bhi Roti Hon Baba,

Tum Aanso Poncha Karte Ho,

Mujhe Itni Door Na Chor Aana,

Main Roun Aur Tum Qareeb Na Ho,

Mere Naz Uthate Ho Baba,

Mere Laad Uthate Ho Baba,

Meri Choti Choti Khawahish Par,

Tum Jan Lutate Ho Baba,

Kal Aisa Na Ho Ek Nagri Mein,

Main Tanha Tum Ko Yad Karon,

Aur Ro Ro Kar Faryad Karon,

Ay Allah Mere Baba Sa

Koi Pyar Jatane Wala Ho,

Mera Naz Uthane Wala Ho........!

 

Mohabbat Tum Se Hai Ye Manti Hon Main, Chahat Bas Tumhari Hai Ye Janti Hon Main,

 

Poetess Parveen Shakir

 

Mohabbat Tum Se Hai Ye Manti Hon Main,

Chahat Bas Tumhari Hai Ye Janti Hon Main,

Aao Apni Zaat K Us Pehlo Se Milaon Tumhain,

Main Kia Hon Aur Kon Hon Ye Bataon Tumhain,

Mein Apni Maaan Ki Tarbiyat Mein Dhalla Ek Sancha Hon,

Apne Baba Ki Umeedon Se Pur Aik Khaka Hon Main,

Apne Bhai Ki Ghairat Hon,

Ye Janti Hon Main Is Ghar Ki Izat Hon Ye Manti Hon Main,

To Phir Behak Jaon Phir Maiin Ye Mumkin Hi Nahi,

Rishte Aur Bhi To Hain Sirf Tum Hi To Nahi,

Mohbabbat Unhai Bhi Hai Sirf Tum Ko To Nahi.............

 

Too Kia Jane Pagli Koyol Kon Mujhe Tarpata Hai,

 

Poet Wasi Shah

 

Too Kia Jane Pagli Koyol Kon Mujhe Tarpata Hai,

Jagi Soi Aankhon Wala Dil Mein Utarta Jata Hai,

Kitne Komal Komal Chehre,

Meri Rah Mein Aaye Hain

Lekin Wo 1Sundar Chehra,

Sapno Mein Aa Jata Hai

Us Ka Dard Chupa Kar Dil Mein,

Ghazlain Likhta Rehta Hon

Har Mosam Ki Pehli Barish,

Us Ki Yad Dilati Hai Baad-e-Saba Ka Har Ek Jhonka,

Us Ki Yad Dilata Hai Too Kia Jane Pagli Koyal,

Kon Mujhe Tarpata Hai......!

 

Dunia Mein Hon Dunia Ka Talabgar Nahi Hon, Bazar Se Guzra Hon Kharidar Nahi Hon,

 

Poet Akbar Alabadi

 

Dunia Mein Hon Dunia Ka Talabgar Nahi Hon,

Bazar Se Guzra Hon Kharidar Nahi Hon,

Zinda Hon Magar Zeest Ki Lazat Nahi Baqi,

Har Chand K Hon Hosh Mein Hoshiyar Nahi Hon,

Is Khana-e-Hasti Se Guzar Jaon Ga Be Lose,

Saya Hon Faqat Naqsh-e-Deevar Nahi Hon,

Afasurda Hon Ibarat Se Dawa Ki Nahi Hajat,

Gham Ka Mujhe Ye Zauf Hai Beemar Nahi Hon,

Wo Gul Hon Khizan Ne Jis Se Barbad Kia Hai,

Uljhan Kisi Daman Se Main Wo Khaar Nahi Hon,

Ya Rab Mujhe Mahafooz Rakh Us Butt K Sitam Se,

Main Us Ki Inayat Ka Talabgar Nahi Hon,

Afasurdagi-o-Jor K Kuch Had Nahi

A K B A R

Kafir K Moqabil Mein Bhi Deen Daar Nahi Hon...........!

 

 

Phir Nazar Se Pila Dejiye, Hosh Mere Ura Dejiye,

 

*************

NICE GHAZAL

 

*************

 

Hort Tuching

 

 

Phir Nazar Se Pila Dejiye,

Hosh Mere Ura Dejiye,

Phir Nazar Se Pila Dejiye,

Choriye Dushmani Ki Ravish,

Ab Zara Muskara Dejiye,

Hosh Mere Ura Dejiye,

Phir Nazar Se Pila Dejiye,

Bat Afsana Ban Jaye Gi,

Is Qadar Mat Hava Dejiye,

Hosh Mere Ura Dejiye,

Phir Nazar Se Pila Dejiye,

Aaiye Khul K Milye Gale,

Sab Takluf Hata Dejiye,

Hosh Mere Ura Dejiye,

Phir Nazar Se Pila Dejiye,

Kab Se Mushtaq-e-Deedar Hon,

Ab To Jalwa Dekha Dejiye,

Hosh Mere Ura Dejiye,

Phir Nazar Se Pila Dejiye,

Phir Nazar Se Pila Dejiye,

Phir Nazar Se Pila Dejiye,

Phir Nazar Se Pila Dejiye................!

 

 

Dard Jab Bhi Ubhre Mere Seene Mein, Qarar Tujh Ko Na Aaye Jeene Mein,

 

Poet Wasi Shah

 

Dard Jab Bhi Ubhre Mere Seene Mein,

Qarar Tujh Ko Na Aaye Jeene Mein,

Gham Ka Pahaar Tujh Pe Toote Is Qadar,

Umar Kat Jaye Aanso Peene Mein,

Maut Mange Magar Tujhe Maut Na Mile,

Zindagi Bojh Lagne Lage Tujhe Jeene Mein,

Too Chaah Kar Bhi Kisi Ki Ho Na Sake,

Jaise Mashli Gai Pani Mein

Too Tarpe To Dard Aaisa Uthe,

Jaise Uthata Hai Aaj Mere Seene Mein,

Dard Jab Bhi Ubhre Mere Seene Mein,

Qarar Tujh Ko Na Aaye Jeene Mein.................!

 

Asar Us Ko Zara Nahi Hota, Ranj Rahat Fiza Nahi Hota,

 

Poet Momin Khan

 

Asar Us Ko Zara Nahi Hota,

Ranj Rahat Fiza Nahi Hota,

Tum Humare Kisi Tarah Na Howe,

Warna Dunia Mein Kia Nahi Hota,

Na Rasai Se Dam Ruk To Ruk,

Main Kisi Se Khafa Nahi Hota,

Tum Mere Pas Hote Ho Goya,

Jab Koi Doosra Nahi Hota,

Hal-e-Dil Yar Ko Likhon Kion Kar,

Hath Dil Se Juda Nahi Hota,

Kion Sunein Arz-E-Muztarib Aaye Momin,

Sanam Akhir Khuda Nahi Hota...................!

 

 

Safar-e ManziL-e Shab Yad Nhn.. Log Rukhsat Hue kab...?? Yad Nhn...

POET Nasir Kazmi

Safar-e ManziL-e Shab Yad Nhn..

Log Rukhsat Hue kab...?? Yad Nhn...

DiL Me Hr WaQt Chub-han Rehti Hy

Thi Tujhy kiski TaLab..? Yad Nhn..

BhooLtay Jatay Hain Mazi k Dayaar..

Yaad Aaiyen Bhi Tou Sab Yaad Nhn..

Aisa uLjha Hun Gham-e Duniya Me

Ek Bhe khuwab-e Tarab Yaad Nhn...

Ye HaQiQat Hy k Ehbaab ko Hum,

Yaad Hi kab Thy..? Jo Ab Yad Nhn..?

Rishta-e jaa'n Tha kabhi jinka KhayaaL..

Unki Soorat Bhi Tou Ab Yaad Nhn..

Yaad Hy Sair-e Charaghaa'n 'Nasir'

DiL K Bujhnay ka Sabab Yaad Nhn...

Kesi Bakhshish Ka Ye Samaan Hua Phirta Hai,

Kesi Bakhshish Ka Ye Samaan Hua Phirta Hai,

Shehar Saara Hi Preshan Hua Phirta Hai

Ek Barood Ki Jecket Or Naara e Takbeer,

Raasta Janat Ka yeh Aasan Hua Phirta Hai

Kaisa hai Eshq Tery Naam Pe Qurban Mager,

Teri Har Baat Se Anjaan Hua Phirta Hai

Shab Ko Shaitan Bhi Mangay Hay Pnahen Jis Sy,

Subh Ko Sahib e Eman Hua Phirta Hai

Janay Kab Kon Kisy Maar Dy "Kafir" Keh Ker,

Shehar Ka Shehar "Muslman" Hua Phirta Hai..

 

 

Aaye Husn-e-Beparwah Tujhe Shabnam Kahon Shola Kahon,

 

Poet Sagar Siddiuqi

 

Aaye Husn-e-Beparwah Tujhe Shabnam Kahon Shola Kahon,

Phoolon Mein Bhi Shokhi To Hai Kis Ko Magar Tujh Sa Kahon,

Gesu Urhe Mehki Fiza Jado Kare Aankhain Teri,

Soya Howa Manzar Kahon Ya Jagta Sapna Kahon,

Chanda Ki To Hai Chandni Lehron Ki To Hai Ragni,

Jan-e-Tamana Mein Tujhe Kia Kia Kahon Kia Na Kahon..................!

 

Tum Nahi Gham Nahi Sharab Nahi, Aisi Tanhai Ka Jawab Nahi,

 

Poet Saeed Ahmad

 

Tum Nahi Gham Nahi Sharab Nahi,

Aisi Tanhai Ka Jawab Nahi,

Gaahe Gaahe Isay Parha Kijaye,

Dil Se Behtar Koi Kitab Nahi,

Jane Kis Kis Ki Mout Aai Hai,

Aaj Rukh Pe Koi Naqab Nahi,

Wo Karam Unglion Pe Ginte Hain,

Zulm Ka Jin K Kuch Hisab Nahi,

Tum Nahi Gham Nahi Sharab Nahi,

Aisi Tanhai Ka Jawab Nahi.........!

 

 

Be Karan Tanhaion Ka Silsila Reh Jaye Ga, Tere Mere Darmian Bas Ek Khala Reh Jaye Ga,

 

Poet Nasir Kazmi

 

Be Karan Tanhaion Ka Silsila Reh Jaye Ga,

Tere Mere Darmian Bas Ek Khala Reh Jaye Ga,

Aks Beh Jain Gay Sare Dhoop K Sailab Mein,

Aur Koi Panion Mein Jhankta Reh Jaye Ga,

Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai,

Rasta Kat Bhi Gia To Fasla Reh Jaye Ga,

Log So Jain Gay Khamoshi Ki Chaadar Orrh Kar,

Chand Soone Aanganon Mein Jagta Reh Jaye Ga,

Jo Kabhi Us Ne Parhein Thein Mujh Se Nasir Mang Kar,

Naam Mera Un Kitabon Mein Likha Reh Jaye Ga...............!

 

Yad Aata Hai Roz-o-Shab Koi, Hum Se Rootha Hai Besabab Koi,

 

Poet Nasir Kazmi

 

Yad Aata Hai Roz-o-Shab Koi,

Hum Se Rootha Hai Besabab Koi,

Lab-e-Jo Chaon Mein Darakhton Ki,

Wo Mulaqat Thi Ajab Koi,

Jab Tujhe Pehli Bar Dekha Tha,

Wo Bhi Tha Mosam-e-Tarb Koi,

Kuch Khabar Le Kar Teri Mehfil Se,

Door Betha Hai Jan-e-Balab Koi,

Na Gham-e-Zindagi Na Dard-e-Firaq,

Dil Mein Youn Hi Si Hai Talab Koi,

Yad Aati Hai Door Ki Batain,

Pyar Se Dekhta Hai Jab Koi,

Chout Khai Hai Baar Haa Laikin,

Aaj To Dard Hai Ajab Koi,

Jin Ko Mitna Tha Mit Chuke,

N A S I R

Un Ko Ruswa Kare Na Ab Koi.............!

 

Teri Zulfon K Bikharne Ka Sabab Hai Koi,

 

Poet Nasir Kazmi

 

Teri Zulfon K Bikharne Ka Sabab Hai Koi,

Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi,

Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryani Se,

Pairhan Hai Ke Sulagti Hoi Shab Hai Koi,

Hosh Urane Lagi Phir Chand Ki Thandi Kirnain,

Teri Basti Mein Hon Ya Khawab-e-Tarb Hai Koi,

Geet Banti Hai Tere Shehr Ki Bharpoor Hawa,

Ajnabi Mein Hi Nahi Too Bhi Ajab Hai Koi,

Le Jati Hain Kisi Dehan Ki Lehrain,

N A S I R

Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi...............!

 

Dil Mein Ab Dard-e-Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahi,

 

Poet Ahmad Faraz

 

Dil Mein Ab Dard-e-Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Zindagi Meri Ibadat K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Mein Teri Bat Bargah-e-Naz Mein Kia Paish Karon,

Meri Jhooli Mein Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Aye Khuda Mujh Se Na Le Mere Gunahon Ka Hisab,

Mere Pas Ashk-e-Nidamat K Siwa Kuch Bhi Nahi,

Wo To Mit Kar Mujhe Mil Hi Gai Rahat Warna,

Zindagi Ranj-o-Museebat K Siwa Kuch Bhi Nahi................!

 

Ye Dehshat Ye Wehshat Ye Sham K Saye,

 

Poet Amjid Islam Amjid

 

Ye Dehshat Ye Wehshat Ye Sham K Saye,

Khuda Ye Waqt Teri Aankh Ko Na Dikh Laye,

Usi K Naam Se Lafzon Mein Chand Utre Hain,

Wo Ek Shakhs K Dekhon To Aankh Bhar Aaye,

Kali Se Main Ne Gul-e-Tar Jise Banaya Tha,

Rutain Badalti Hian Kaise Mujhe Hi Samjhaye,

Jo Be Charagh Gharon Ko Charagh Deta Hai,

Usay Kaho K Mere Shehr Ki Taraf Aaye,

Ye Iztarab-e-Musalsal Azaab Hai

A M J I D,

Mera Nahi To Kisi Aur Ka Ho Jaye..........!

 

Jab Mila Wo Khafa Mila Hum Ko,

 

Poet Ahmad Faraz

 

Bakht Kia Chand Sa Mila Hum Ko,

Ghair To Rehm Dil Nahi Hote,

Yar Bhi Kaj Ada Mila Hum Ko,

Chend Rangeen Tohmaton K Siwa,

Teri Chahat Se Kia Mila Hum Ko,

Hum Ne Ye Raah Chor Di Thi Magar,

Tera Darban Aa Mila Hum Ko,

Chara Sazon Ka Koi Jurm Nahi,

Dard Hi La dawa Mila Hum Ko,

Bakht Kia Chand Sa Mila Hum Ko,

Jab Mila Wo Khafa Mila Hum Ko................!

 

Aamdeed Tujhe Yad-e-Yar Bismillah...*


Aamdeed Tujhe Yad-e-Yar Bismillah...*

Mila Hai Tujh Se Hi Dil Ko Qarar Bismillah...*

Tumhari Khoj Mein Jo Bhi Mila Hai Dil Ko Qabool...*

Wo Barg-e-Gul Ho Ya Ho Nok-e-Khar Bismillah...*

Zah-3-Naseeb Gar Aa Hi Gaye Ho Ghar Mein Mere...*

To Aao Baitho Mere Shehryar Bismillah...*

Wo Bar Bar Mere Dil Ko Torne Aaye...*

Aur Ek Main Kion Kahon Bar Bar Bismillah..........................*

 

 

Hum Nagri Nagri Jate Hain, Aur Ghar Ghar Geet Gate Hain,

 

Poet Iqbal Azeem

 

Hum Galion Galion Angan Aangan Pyar K Deep Jalate Hain,

Hum Khushbo K Sodagar Hain,

Aur Soda Sacha Karte Hain,

Jo Gaakh Phoolon Jaisa Ho,

Hum Bin Daamon Bik Jate Hain,

Hum Shehr-e-Wafa K Logon Ka,

Tum Haal Bhala Kia Jano Gay,

Hum Dil Ko Chot Chupate Hain Aur Aanso Pee Jate Hain,

Jo Log Sharafat Wale Hain,

Wo Qadre Buzdil Hote Hain,

Dushman Se Nahi Darte Wo Magar,

Kam Zarfon Se Ghabrate Hain,

Hum Sache Hain Ye Kaise Kahein,

Sach Sab K Bas Ki Bat Nahi,

Jo Sachi Batain Karte Hain,

Wo Peghambar Kehlate Hain,

Iqbal To Adna Khadim Hai Arbab Ilm-o-Danish Ka,

Ye Aap Ka Husn-e-Sama'at Hai,

Jo Is Pe Karam Farmate Hain...................!

 

 

Mere Bachpan K Din Kitne Ache Thay Din,

 

Singer Farheeha Parvaiz

 

Mere Bachpan K Din Kitne Ache Thay Din,

Aaj Baithe Bithaye Kion Yad Aaye,

Mere Bichro Ko Mujh Se Mila De Koi,

Mera Bachpan Kisi Mol La De Koi

Mere Bachpan K Din Kitne Ache Thay Din,

Kitni Belouse Thi Apni Wo Wasooqi,

Kitni Masoom Thi Wo Hansi Wo Khushi,

Jhoomte Jate Hanste Hanaste Ek Dooje Pe Jan Lutate,

Kash Phir Wo Zamane Dekha De Koi,

Mera Bachpan Kisi Mol La De Koi,

Mere Bachpan K Din Kitne Ache Thay Din,

Wo Gurion Ki Shadi Wo Bachapan Ki Rail,

Wo Sab Mil K Ek Ghar Banane Ka Khail,

Kaise Suhane Din Thay Purane,

Ek Ek Khail Mein So(100) Astane,

Sab K Sab Wo Afsane Suna De Koi,

Mera Bachpan Kisi Mol La De Koi

Mere Bachpan K Din Kitne Ache Thay Din,

Aaj Baithe Bithaye Kion Yad Aaye,

Mere Bachpan K Din Kitne Ache Thay Din....................

 

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hon, Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hon,

 

Poetess Parveen Shakir

 

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hon,

Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hon,

Ye To Hai K Mera Weham Hai,

Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hon,

Jaise K Kabhi Na Tha Taaruf,

Youn Milte Howe Jhijak Rahi Hon,

Pehchan Main Teri Roshni Hon,

Aur Teri Palak Palak Rahi Hon,

Kia Chain Mila Hai Sar Jo Us K,

Shano Pe Rakhe Sisak Rahi Hon,

Pathar Pe Khili K Chasham Gul Mein,

Kante Ki Tarah Khatak Rahi Hon,

Jugno Kahein Thak K Gir Chuka Hai,

Jangal Mein Kahan Bhatak Rahi Hon,

Guria Meri Soch Ki Channi Kia,

Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hon,

Ek Umar Hoi Khud Se Larte,

Andar Se Tamam Thak Rahi Hon,

Rass Phir Se Joron Mein Ja Raha Hai,

Mein Shak Pe Kab Se Pak Rahi Hon,

Takhleeq-e-Jamal-e-Fun Ka Lamha,!

Kalyon Ki Tarah Chatakh Rahi Hon........................!

 

Teri Batain Hi Sunane Aaye, Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye,

 

Poet Ahmad Faraz

 

Teri Batain Hi Sunane Aaye,

Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye,

Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain,

Tere Aane K Zamane Aaye,

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise,

Hum Tujhe Haal Sunane Aaye,

Ishq Tanha Hai Sar-e Manzil-e-Gham,

Kon Ye Bojh Uthane Aaye ?

Ajnabi Dost Humain Dekh K Hum,

Kuch Tujhe Yad Dilane Aaye,

Dil Dharakta Hai Safar K Hangam,

Kash Phir Koi Bulane Aaye,

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai,

Shayad Ab Hosh Thikane Aaye,

Kia Kahein Phir Koi Basti Ujri,

Log Kion Jashan Manane Aaye?

So Raho Maut K Pehlo Mein,

F A R A Z

Neend Kis Waqt Na Jane Aaye..............!

 

Suna Hai K Barish Usay Bhi Pasand Hai,

 

Poet Sagar Siddiuqi

 

Suna Hai K Barish Usay Bhi Pasand Hai,

Wo Bhi Meri Tarha Barasti Bondon Ko,

Hathon Mein Sameit Leti Hai,

Suna Hai Phool Usay Bhi Pasand Hain,

Wo Bhi Meri Tarha Ghanton,

Pholon Se Batain Karti Rehti Hai,

Suna Hai K Chand Usay Bhi Aacha Lagta Hai,

Wo Bhi Meri Tarha Rat Rat Bhar Usay Takti Rehti Hai,

Suna Hai Tanhai Usay Bhi Bhati Hai,

Wo Bhi Meri Tarhan Par Wo Tanha Baith Kar Kis Ko Sochti Hai,

Sari Batain Sachi Hain Magar,

Ye Bhi Sach Hai Mein Jo Us K Bare Mein,

Har Bat Ki Khabar Rakhta Hon,

Ye Bhi Janta Hon K Us Ki

Sochon Ka Mehwar Main Nahi............!

 

Aap Agar Hum Ko Mil Gaye Hote,

 

Poet Abdul Hameed Adam 

 

Aap Agar Hum Ko Mil Gaye Hote,

Bagh Mein Phool Khil Gaye Hote,

Aap Ne Youn Hi Gharoor Kar Dekha,

Honth To Youn Bhi Sil Gaye Hote,

Kash Hum Aap Is Tarah Milte,

Jaise Do Waqt Mil Gaye Hote,

Hum Ko Ahl-E-Kheerd Mile Hi Nahi,

Warna Kuch Munfail Gaye Hote,

Us Ki Aankhain Hi Kaj Nazar Thein, ADAM

Dil K Parde To Hil Gaye Hote.....................!

 

Tere Dar Pe Wo Aa Hi Jate Hain,

 

Poet Abdul Hameed Adam

 

Tere Dar Pe Wo Aa Hi Jate Hain,

Jin Ko Peene Ki Aas Ho Saqi,

Aaj Itni Pila De Aankhon Se,

Khatm Rindon Ki Pyas Ho Saqi,

Halka Halka Saroor Hai Saqi Bat Koi Zaroor Hai Saqi,

Teri Aankhain Kisi Ko Kia Den Gi,

Apna Apna Saroor Hai Saqi,

Teri Aankhon Ko Kar Dia Sajada,

Mera Pehla Qasoor Hai Saqi,

Tere Rukh Pe Ye Pareshan Zulfain,

Ek Andhere Mein Noor Hai Saqi,

Teri Aankhain Kisi Ko Kia Den Gi,

Apna Apna Saroor Hai Saqi,

Peene Walon Ko Bhi Nahi Maloom,

Maikada Kitni Door Hai Saqi........................!

 

Shaahon Ka Shah Ishq Hai Sadar-e-Sadoor Ishq,

Shaahon Ka Shah Ishq Hai Sadar-e-Sadoor Ishq,

Darbar-e-Dil Mein Takht Nasheen Hai Hazoor Ishq,

Us Husn-e-Khush Ada Ki Tajali Mein Youn Laga,

MOOSA !

Ko Le Gia Hai Sar-e-Koh-e-Toor Ishq,

Is Bar Samna Tha SULEYMAN ! Ka Tujhe

*.. Bilqees !

Ab K Hona Tha Tujh Ko Zaroor Ishq,

Tere Dimagh Ka Bhi Zulaikha ! Yehi Khalal

Mansoor !

Tere Sar Ka Bhi Sara Fatoor Ishq,

Sehra Nawardion Mein Khapata Hai Qais! Ko,

Kache Gharre Pe Karta Hai Daria Aboor Ishq,

Farhaad !

Tere Hathon Ka Teesha Yehi To Hai,

Shiireen !

Tujhe Bhi Kar Gia Hai Choor Choor Ishq,

*.. Ranjhay !

Tera Bhi Jurm Faqat Kaar-e-Ishq Hai,

*.. Heer'ey !

Tera Bhi Sare Ka Sara Qasoor Ishq............!

 

 

Hum K Chehre Pe Na Laye Kabhi Weerani Ko,

 

Poet Saadullah Shah

 

Hum K Chehre Pe Na Laye Kabhi Weerani Ko,

Kia Ye Kafi Nahi Zalim Teri Hairani Ko,

Kaar-E-Farhad Se Ye Kam To Nahi Jo Hum Ne,

Aankh Se Dil Ki Taraf Mor Dia Pani Ko,

Sheesha-E-Shoq Pe Sang-E-Mulamat Na Gira,

Aks-E-Gul Rang Hi Kafi Hai Giraan Jani Ko,

Daman-E-Chashm Mein Taza Hai Na Jugno Koi,

Dekh Dost Meri Besaro Samani Ko,

Too Ruke Ya Na Ruke Faisla Tujh Pe Chora,

Dil Ne Dar Khol Diye Hain Teri Aasani Ko,

Haan Mujhe Khabat Hai Sodaa Hai Janoon Hai Shayad,

De Lo Jo Naam Bhi Chaho Meri Nadani Ko................!

 

 

Raton Ko Uth Uth Kar Jin K Liye Hum Rote Hain,

 

Best & Heart Tuching

 

Raton Ko Uth Uth Kar Jin K Liye Hum Rote Hain,

Wo Apne Makano Mein Aaram Se Sote Hain,

Raton Ko Uth Uth Kar Jin K Liye Hum Rote Hain,

Kuch Log Zamane Mein Aise Bhi To Hote Hai,

Mehfil Mein To Hanste Hain Tanhai Mein Rote Hain,

Deewano Ki Dunia Ka Aalam Hi Nirala Hai,

Hanste Hain To Hanste Hain Rote Hain To Rote Hain,

Kis Bat Ka Rona Hai? Kis Bat Pe Rote Hain?

Hum Sans K Baghon Mein Zakhamon Ko Pirote Hain,

Raton Ko Uth Uth Kar Jin K Liye Hum Rote Hain,

Wo Apne Shabistan Mein Aaram Se Sote Hain,

Wo Apne Shabistan Mein Aaram Se Sote Hain......................!

 

 

Kabhi Jo Yad Meri Sataye Aur Tum Ko Neend Na Aaye


Kabhi Jo Yad Meri Sataye Aur Tum Ko Neend Na Aaye

Takiye Par Sar Rakh Kar Aanso Na Bahana

Dil Ko Samjhana Aur So Jana

Kabhi Jo Batain Meri Rulain

Aur Chain Tum Ko Na Aaye

Kisi Ko Bhi Na Batatna Dil Ko Samjhana Aur So Jana,

Kabi Jo Toot k Yad Aaon

Aur Dard Tumhain Tarpaye,

Tasveer Meri Galay Say Lgana

Dil Ko Samjhana Aur So Jana

Jo Dhoondho Meray Jaisi Mohabbat Tum Is Jahan Mein,

Agar Mil Na Payay To Dua Mein Mang Lena Mujhay,

Rog Dil Ko Na Lagana Aur So Jana

Kabhi Jo Wo Sharat Yad Aaye

Aur Hansi Tum Ko Aaye

Pyar Say Muskara Dena

Dil Ko Samjhana Aur So Jana.................!

 

 

Aadatain Us Ki Thein Bas Mujh Ko Jalane Wali,

 

**************

TEXT KHAKI-G

**************

 

Aadatain Us Ki Thein Bas Mujh Ko Jalane Wali,

Bat Ki Hans K Magar Dil Ko Dukhane Wali,

Aaj Kal Wo Mujhe Kuch Badla Howa Lagta Hai,

Ho Gain Us Ki Nigahein Bhi Zamane Wali,

Hum Ne Ikhlas Ka Daman Nahi Chora Ab Tak,

Warna Us Ki To Mohabbat Hai Rulane Wali,

Main Ne Samjha Tha Guzar Jaye Ga Mosam Lekin,

Rutt-e-Barsat Bhi Nikli To Satane Wali,

Tumhare Waste Ab Koi Muntazir Nahi Hai,

Khud Se Batain Na Karo Dil Ko Behlane Wali..................!

 

 

Khoob Sorat Hai Wo Itna

 

Singer Kumar Sano


 



 Khoob Sorat Hai Wo Itna


Saha Nahi Jata,

Kaise Hum Khud Ko Rok

Lein Raha Nahi Jata,

Chand Mein Dagh Hai Ye Jante Hain Hum,

Lekin Rat Bhar Dekhe Bina

Us Ko Raha Nahi Jata,

Jo Mera Ho Nahi Paye Ga

Is Jahan Mein Kahein,

Rooh Ban Kar Milon Ga

Us Ko Aasman Mein Kahein,

Pyar Dharti Par Farishton Se Kia Nahi Jata,

Khoob Sorat Hai Wo Itna

Saha Nahi Jata..............!

 

Mera Dil Bhi Kitna Pagal Hai Ye Pyar To Tum Se Karta Hai,

 

Singar Kumar Sano 

 

Mera Dil Bhi Kitna Pagal Hai Ye Pyar To Tum Se Karta Hai,

Par Samne Jab Tum Aate Ho,

Kuch Bhi Kehne Se Darta Hai,

O Mere Sajan O Mere Sajan,

Mera Dil Bhi Kitna Pagal Hai Ye Pyar To Tum Se Karta Hai,

Kitna Is Ko Samjhata Hon Kitna Is Ko Bahlata Hon,

Nadan Hai Kuch Na Samjhta Hai Din Rat Ye Aahain Bharta Hai,

Mera Dil Bhi Kitna Pagal Hai Ye Pyar To Tum Se Karta Hai,

Har Pal Mujh Ko Tarpata Hai,

Mujhe Sari Rat Mujh Ko Jagata Hai,

Is Bat Ki Tum Ko Khabar Nahi Hai Sirf Tumhi Pe Marta Hai,

Mera Dil Bhi Kitna Pagal Hai Ye Pyar To Tum Se Karta Hai......................!

 

Hoi Aankh Num Aur Ye Muskaraya, To Sathi Koi Bhoola Yad Aaya,

 

============

BHOOLA SATHI

 

============

 

Hoi Aankh Num Aur Ye Muskaraya,

To Sathi Koi Bhoola Yad Aaya,

Mohabbat Ka Jab Bhi Kahein Zikar Aaya,

To Sathi Bhoola Yad Aaya,

Kia Yehi Pyar Karne Ka Anjam Hai,

Dil Lagane Ka Ye Kaisa Inam Hai,

Hansi Jis Ko Di Hai Usi Ne Rulaya,

To Sathi Koi Bhoola Yad Aaya,

Is Tarha Rasm-E-Ulfat Adaa Kijeye,

Dil Kisi Ka Na Toote Dua Kijeye,

Kabhi Rait Par Ghar Kisi Ne Banya,?

To Sathi Koi Bhoola Yad Aaya,

Rooth Jate Hain Ban K Muqadar Yahan,

Choot Jate Hain Hathon Se Sagar Yahan,

Kabhi Sard Shabnam Ne Koi Ghar Jalaya,

To Sathi Koi Bhoola Yad Aaya,

Hoi Aankh Num Aur Ye Muskaraya,

To Sathi Koi Bhoola Yad Aaya...............!

 

 

Dil Hijar K Dard Se Bojhal Hai,Ab Aan Milo To Behtar Hai,



Poet Ibn-E-Insha
Dil Hijar K Dard Se Bojhal Hai,
Ab Aan Milo To Behtar Hai,
Is Bat Se Hum Ko Kia Matlab,
Ye Kaise Ho Ye Kion Kar Ho,
Ek Bheek K Dono Qase Hain,
Ek Pyas K Dono Pyase Hain,
Hum Kehte Hain Tum Baadal Ho,
Hum Nadian Hain Tum Sagar Ho,
Ye Dil K Jalte Seene Mein Ek Dard Ka Phora Alhar Sa,
Na Gupt Rahe Na Phoot Bahe,
Koi Marham Ho Koi Nashtar Ho,
Hum Sajh Same Ki Chaya Hain,
Tum Charhti Rat K Chanderma,
Hum Jate Hain Tum Aate Ho,
Phir Mail Ki Sorat Kion kar Ho,
Ab Husn Ka Rutba Aali Hai,
Abb Husn Se Sehra Khali Hai,
Chal Basti Mein Banjara Ban,
Chal Nagri Mein Sudagar Ho,
Wo Ratain Chand K Sath Gain,
Wo Batain Rat K Sath Gain,
Ab Sukh K Sapne Dekhain Kia,
Jab Dukh Ka Soraj Sar Par Ho,
Ab Insha Ko Bulana Kia,
Ab Pyar K Deep Jalana Kia,
Jab Dhoop Aur Chaya Aik Se Hon,
Jab Din Aur Rat Barabar Ho........!

Sagar Se Lab Laga K Bahut Khush Hai Zindagi,


Poet Abdul Hameed Adam

 

Sagar Se Lab Laga K Bahut Khush Hai Zindagi,

Shan-E-Chaman Mein Aa K Bahut Khush Hai Zindagi,

Aa Jao Aur Bhi Zara Nazadeek Jan-E-Man,

Tum Ko Qareeb Pa K Bahut Khush Hai Zindagi,

Hota Koi Mahal Bhi To Kia Poochte Ho Phir,

Be Wajha Muskura K Bahut Khush Hai Zindagi,

Sahil Pe Bhi To Itni Shagufta Rawish Na Thi,

Toofan K Beech Aa K Bahut Khush Hai Zindagi,

Weeran Dil Hai Aur ADAM Zindagi Ka Raqs,

Jangal Mein Ghar Bana K Bahut Khush Hai Zindagi.................!

 

Jab Gardishon Mein Jam Thay,


Poet Abdul Hameed Adam

 

Jab Gardishon Mein Jam Thay,

Kitne Haseen Ayam Thay

Hum Hi Na Thay Rusawa Faqat,

Wo Aap Bhi Badnam Thay,

Kehte Hain Kuch Arsa Howa,

Kabe Mein Bhi Asanam Thay,

Anjam Ka Kia Sochte

Nawaqif-E-Anjam Thay,

Ahad-E-Jawani Mein ADAM,

Sab Log Gulandam Thay............!

 

Hans K Bola Karo Bulaya Karo,

 

Poet Abdul Hameed Adam

 

Hans K Bola Karo Bulaya Karo,

Aap Ka Ghar Hai Aaya Jaya Karo,

Muskarahat Hai Husn Ka Zaiwar,

Roop Barhata Hai Muskaraya Karo,

Had Se Barh Kar Haseen Lagate Ho,

Jhoothi Qasmain Zaroor Khaya Karo,

Hukam Karna Bhi Ek Sakhawat Hai,

Hum Ko Khidamat Koi Bataya Karo,

Bat Karna Bhi Badashahat Hai,

Bat Karna Na Bhool Jaya Karo,

Ta K Dunia K Dil Kashi Na Ghate,

Nit Naye Pairhan Mein Aaya Karo,

Kitne Sada Mizaj Ho Tum ADAM,

Us Gali Mein Bahut Na Jaya Karo...................!

 

Teri Mohabbat Mein Hum Muskurate Rahe Rat Bhar, Neendon Mein Bhi Tum Yad Aate Rahe Rat Bhar,



Poet Ibn-E-Insha
Teri Mohabbat Mein Hum Muskurate Rahe Rat Bhar,
Neendon Mein Bhi Tum Yad Aate Rahe Rat Bhar,
Palkon Par Teri Mulaqat Ki Meethi Yadain Sajti Rahi,
Khawabon Se Hum Daman Churate Rahe Rat Bhar,
Chupke Se Teri Aawaz Sargoshi Karti Rahi Kano Mein,
Le Kar Tera Naam Hum Sharmate Rahe Rat Bhar,
Mere Hathon Ne Tere Hathon Ki Garmi Mehsoos Ki,
Tujhe Apne Pehlo Mein Hum Pate Rahe Rat Bhar,
Jab Khushian Ho Aankhon Mein Phir Neend Kahan,
Karwat Badal Badal Kar Hum Jagte Rahe Rat Bhar.................!

Main Ne Monh Ko Kafan Mein Chupa Jab Lia, Tab Unhain Mujh Se Milne Ki Fursat Mili,



Poet Ibn-E-Insha
Main Ne Monh Ko Kafan Mein Chupa Jab Lia,
Tab Unhain Mujh Se Milne Ki Fursat Mili,
Haal-E-Dil Pochne Jab Wo Ghar Se Chale,
Raste Mein Unhain Meri Maiyat Mili,
Wo Jafa Kar K Bhi Qabil-E-Qadar Hai,
Mujh Ko Meri Wafa Ka Sila Ye Mila,
Jeete Jee Main To Rushwa Raha Umar Bhar,
Baad Marne K Bhi Mujh Ko Tohmat Mili,
Meri Maiyat Ko Deewane Ki Lash Hai,
Aisa Keh Kar Shehr Mein Ghumaya Gia,
Is Tarah Un Ko Shohrat Mili Khuda Ki Qasam,
Meri Rushwaion Ki Badolat Milli,
Ek Hi Shakh Par Saz-E-Do Gul Khile,
Chal Qismat Ki Lekin Zara Dekhiye,
Ek Gul Qabar Par Meri Sharminda Hai,
Aik Ko Un Ki Zulfon Mein Izat Mili.............!

Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha, Sar-e-Bazm Rat Ye Kia Howa,


================

ZABT PE NAZ THA
================

Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha,
Sar-e-Bazm Rat Ye Kia Howa,
Meri Aankh Kaise Chalak Gai,
Mujhe Ye Ranj Hi Ye Bura Howa,
Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jan Mila,
Wo Pukhta Kar K Jafa Mila,
Na Kisi Ki Zarb Ghalat Pari,
Na Kisi Ka Teer Khata Howa,
Mujhe Aap Kion Na Samjh Sake,
Ye Khud Apne Dil Hi Se Poochiye,
Meri Dastan-e-Hayat Ka To,
Wo Warq Warq Hai Khula Howa,
Mujhe Aik Gali Mein Para Howa,
Kis Bad Naseeb Ka Khat Mila,
Kahein Khoon-e-Dil Se Likha Howa Kahein Aanso'on Se Mita Howa,
Mujhe Humsafar Bhi Mila To Shikasta Haal Meri Tarha,
Koi Manzalon Ka Thaka Howa Kahein Raste Mein Loota Howa,
Humain Apne Ghar Se Chale Howe Sar-e-Umar Guzar Gai,
Na Kisi Ki Justojo Ka Sila Mila,
Na Safar Ka Hai Haq Ada Howa................!



Hum Khak Nasheen Khak Basar, Shehr Mein Tere Kar Lein Gay Isi Tarha Shehr Mein Tere,

 

Poet Sagar Siddiuqi

 

Hum Khak Nasheen Khak Basar,

Shehr Mein Tere Kar Lein Gay Isi Tarha Shehr Mein Tere,

Jab Tak Teri Galion Se Raha Hum Ko Ta'aulq,

Hum Raqs Rahe Shams-o-Qamar Shehr Mein Tere,

Kuch Log Tamanaon Ka Khoon Chehre Pe Mal Kar,

Uthte Rahe Kalion Ki Jawani K Janaze,

Jalte Rahe Phoolon K Nagar Shehr Mein Tere,

Palti Hai Taqadus K Libade Mein Haqarat,

Bahjte Hain Hawadas Hawads Gajar Shehr Mein Tere,

 Sagar

Ki Nigahon Mein Katakte Hain Abhi Tak..............!

 

Main Bahut Dino Se Udas Hon, Mujhe Koi Sham Udhar De Do,

 

 

Poet Sajid Aitbar

 

Main Bahut Dino Se Udas Hon,

Mujhe Koi Sham Udhar De Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do K Chamak Sakain Mere Khal-O-Khad,

Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mere Sare Zang Utar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Gharz Hai Koi Na Wasta,

Main Bikhar Gia Hon Samait Lo,

Main Bikhar Gia Hon Sanwar Do,

Meri Wehshaton Ko Barha Dia Hai Jodaion K Azab Ne,

Mere Dil Pe Hath Rakho Zara Meri Dharkano Ko Qaraar Do,

Tumhain Subho Kaisi Lagi,

Kaho Meri Khawahisho K Dair Ki,

Jo Bhali Lagi To Yehien Raho,

Ise Chahaton Se Nikhar Do,

Wahan Ghar Mein Kon Hai Muntazir K Ho Fikar Dair Sawair Ki,

Bari Mukhtasar Si Ye Rat Hai Isi Chandni Mein Guzar Do,

Koi Bat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Oot Mein,

Mujhe Raste Mein Yehien Kahein Kisi Kunj Gul Mein Utar Do............!

 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo