Saza Mili Hai Muhabbat Ko Intehaaoun Ki Hamare Beech Mein Ik Jang Thi Anaaoun Ki



سَزا ملی ہے محبّت کو انتہاؤں کی
ہمارے بیچ میں اک جَنگ تھی اَناؤں کی
Saza Mili Hai Muhabbat Ko Intehaaoun Ki
Hamare Beech Mein Ik Jang Thi Anaaoun Ki


میں اپنی ذات کے دوزخ  میں یوں ہی جلتا رہوں
یہی ہے مرضی میرے خود پسند خداؤں کی
Main Apni Zaat Ke Dozakh Mein Yun Jalta Rahoon
Yahi Hai Marzi Mere Khud Pasand Khudaoun Ki


دُکھوں کی دی گئیں مجھ کو ہزار تاویلیں
وجہہ کوئی نہ ملی ہجر کی سزاؤں کی
Dukhon Ki Di Gaein Mujh Ko Hazar Taweelein
Wajah Koi Na Mili Hijar Ki Sazaoun Ki


میں اُس مقام سے آگے نکل گیا ہوں بہت
کبھی تھی مُجھکو ضَرورت تیری دعاؤں کی
Main Us Muqaam Se Aagay Nikal Gaya Hoon Buhat
Kabhi Thi Mujh Ko Zarorat Teri Duaoun Ki


ہوۓ تھے کشمکشِ زیست سے ابھی فارغ
اُدھر طویل تھی فہرست اک خطاؤں کی
Hoe Thay Kashmakash e Zeest Se Abhi Farigh
Udhar Taweel Thi Farhest Ik Khataoun Ki


بچھڑ نہ جاؤں کہیں ابتلاء کے ساتھی سے
مجھے عزیز ہے زنجیر اپنے پاؤں کی
Bichad Na Jaoun Kahein Ibtila Ke Saathi Se
Mujhe Azeez Hai Zanjeer Apne Pavon Ki


میں ایک گنبدِ ہستی میں قید ہوں ارشد
سُنو تو گونج میری بے نوا صداؤں کی
Main Aik Gunbad e Hasti Mein Qaid Hoon Arshad
Suno To Goonj Meri Be-Nawa Sadaoun Ki


مرزا ارشد علی بیگ
آڈبان ، پینسلوانیا
فروری ٢٧، ٢٠٢١
Mirza Arshad Ali Baig


Bichad ke yaad nahi kitne maah o saal hoe Siyah le ke chaley thay sufaid baal hoe



Bichad ke yaad nahi kitne maah o saal hoe

Siyah le ke chaley thay sufaid baal hoe

Joun Eliya


Husn hi le doba tha faqat Yousaf ko Bhala paighambar bhi bazaron me bika karte hein





Tu Ne jo Dil Mein Dard Boya Tha Uski Tehni Pe Phool Aaye Hein



تو نے جو دل میں درد بویا تھا
اس کی ٹہنی پہ پھول آۓ ہیں
#Hijars
Tu Ne jo Dil Mein Dard Boya Tha
Uski Tehni Pe Phool Aaye Hein


Qabron mein nahi hum ko kitabon mein utaro Hum log muhabbat ki kahani mein mare hain



قبروں ميں نہيں ہم کو کتابوں ميں اُتارو
ہم لوگ محبت کى کہانى ميں مرے ہيں

Qabron mein nahi hum ko kitabon mein utaro
Hum log muhabbat ki kahani mein mare hain

 

Jhukti Nahi Har Shaakh Tujhe Dekh Ke Yunhi Har Phool Pe Wajib Hai Tujhe Dekh Ke Kham Ho



جُھکتی نہیں ہر شاخ تُجھے دیکھ کے یونہی
ہر پھول پہ واجب ہے تجھے دیکھ کے خم ہو

Jhukti Nahi Har Shaakh Tujhe Dekh Ke Yunhi
Har Phool Pe Wajib Hai Tujhe Dekh Ke Kham Ho


Sajaye Rakhtey Hein Chehre Pe Jo Hansi Ki Kiran Na Jane Rooh Mein Kitney Shigaaf Rakhtey Hein



سجائے رکھتے ہیں چہرے پہ جو ہنسی کی کرن
نہ جانے روح میں کتنے شگاف رکھتے ہیں


Sajaye Rakhtey Hein Chehre Pe Jo Hansi Ki Kiran
Na Jane Rooh Mein Kitney Shigaaf Rakhtey Hein


Phir Chidi Raat Baat Phoolon Ki Raat Hai Ya Baraat Phoolon Ki



پھر چھڑی رات بات پھولوں کی
رات  ہے یا  برات  پھولوں  کی
پھول کے ہار پھول کے گجرے
شام پھولوں کی رات پھولوں کی
آپ کا ساتھ ساتھ پھولوں کا
آپ کی بات بات پھولوں کی
نظریں ملتی ہیں جام ملتے ہیں
مل رہی ہے حیات پھولوں کی
کون دیتا ہے جان پھولوں پر
کون کرتا ہے بات پھولوں کی
وہ شرافت تو دل کے ساتھ گئی
لٹ  گئی  کائنات  پھولوں  کی
اب کسے ہے دماغ تہمت عشق
کون سنتا ہے بات پھولوں کی
میرے   دل  میں  سرور  صبح    بہار
تیری آنکھوں میں رات پھولوں کی
پھول کھلتے رہیں گے دنیا میں
روز نکلے گی بات پھولوں کی
یہ  مہکتی  ہوئی   غزل  علی
جیسے صحرا میں رات پھولوں کی


Usne Chehre Ko Theek Se Dekha Hi Nahi Paanch Jheelon Ke Barabar Tou Faqat Meri Aankhein Hein

 


 

 اُس نے چہرے کو ٹھیک سے دیکھا ہی نہیں
پانچ جھیلوں کے برابر تو فقط میری آنکھیں ہیں


Usne Chehre Ko Theek Se Dekha Hi Nahi
Paanch Jheelon Ke Barabar Tou Faqat Meri Aankhein Hein

 

Gaye Mousam Mein Jo Khiltey Thay Gulabon Ki Tarah Dil Pe Utrengy Wahi Khuwaab Azabon Ki Tarah



گئے موسم میں جو کھلتے تھے گلابوں کی طرح
دل پہ آتریں گے وہی خواب عزابوں کی طرح
راکھ کے ڈھیر پہ اب رات بسر کرنی ہے
جل چکے میرے خیمے میرے خوابوں کی طرح
سماعت دید کہ عارض ہیں گلابی اب تک
اولین لمحوں کے گلنار حجابوں کی طرح
کون جانے کہ نئے سال میں تو کس کو پڑھے
تیرا معیار بدلتا ہے نصابوں کی طرح
شوخ ہو جاتی ہے اب بھی تیری آنکھوں کی چمک
گاہے گاہے تیرے دلچسپ جوابوں کی طرح
ہجر کی شب میری تنہائی پہ دستک دے گی
تیری خوشبو میرےکھوئے ہوئے  خوابوں کی طرح


Zara Socho Ye Sari Dunya Khali Ho Bas Is Mein Aik Hi "TUM" Ho



ذرا سوچو
یہ ساری دُنیا خالی ہو
بس اِس میں ایک ہی "تم" ہو
نہ کوئی دیکھنے والا
نہ کوئی بولنے والا
نہ ہنسنا ہو نہ رونا ہو
کہ بے معنی سا جینا ہو
ذرا سوچو
کہ ایسے میں
کہاں تک جی سکو گے تم
اگر احساس ہو جائے
تو اِتنا بھی سمجھ لینا
کہ "تم" بن آج تک ہم بھی
اِسی دنیا میں رہتے ہیں


Zara Socho

Ye Sari Dunya Khali Ho

Bas Is Mein Aik Hi "TUM" Ho

Na Koi Dekhne Wala 

Na Koi Bolne Wala

Na Hansna Ho Na Rona Ho

Keh Be-Ma'ani Sa Jeena Ho

Zara Socho

Keh Aise Mein

Kahan Tak Jee Sakogy Tum

Agar Ihsas Ho Jaye

To Itna Bhi Samajh Laina

Keh "TUM" Bin Aaj Tak Hum Bhi

Isi Dunya Mein Rehte Hein


Main Chala Bhi Gaya Tou Mere Raston Par Meri Yaad Mein Koi Aansoo , Koi Roshni , Koi Khushbo Chidak Jaye Ga



میں چلا بھی گیا تو مرے راستوں پر مری یاد میں
کوئی آنسو، کوئی روشنی، کوئی خوشبو چھڑک جائے گا
عزم آنکھوں میں امکان کے جتنے منظر تھے سب بہہ گئے
نارسائی کا دکھ رہ گیا  ، وہ بھی اک دن ٹپک جائے گا
عزم بہزاد


Main Chala Bhi Gaya Tou Mere Raston Par Meri Yaad Mein

Koi Aansoo , Koi Roshni , Koi Khushbo Chidak Jaye Ga

Azam Aankhon Mein Imkaan Ke Jitney Manzar Thay Sab Beh Gaye

Na-Rasaai Ka Dukh Reh Gaya Woh Bhi Ik Din Tapak Jaye Ga

Azam Behzad


Shamma Talab Bujha Ke Bhi Jagay Tamaam Shab Hum Intezaar Ki Had Se Guzar Gaye



شمعِ طلب بجھا کے بھی جاگے تمام شب
ہم آج انتظار کی حد سے گزرے ہیں

Shamma Talab Bujha Ke Bhi Jagay Tamaam Shab
Hum Intezaar Ki Had Se Guzar Gaye


Yeh To Hai Uss Butt-e-Sifak Pe Marny Ke Liye Aik Dil Aur Ho Allah Se Darny Ke Liye



یہ تو ہے اس بتِ سفاک پہ مرنے کے لیے
ایک دل اور ہو اللہ سے ڈرنے کے لیے

Yeh To Hai Uss Butt-e-Sifak Pe Marny Ke Liye
Aik Dil Aur Ho Allah Se Darny Ke Liye

Daaghdehlvi


Aik izhaar muhabbat pe ye gusa ( Toba ) Jane bhi dijiye in batoon men rakha kya hai



Aik izhaar muhabbat pe ye gusa ( Toba )
Jane bhi dijiye in batoon men rakha kya hai
Ranj din raat ka dekha nahi jata akhtar
Nahen maloom keh is ashaq men hona kiya hai


Main Chahti Hoon Buhat Khush Dekhai Doon Lekin Main Kia Karon Meri Aankhen Dekhai Deti Hen



میں چاہتی  ہوں بہت خوش دکھائی دوں لیکن
میں کیا کروں میری آنکھیں دکھائی دیتی ہیں
 

Main Chahti Hoon Buhat Khush Dekhai Doon Lekin
Main Kia Karon Meri Aankhen Dekhai Deti Hen


Kehna tha bahut kuch Unsey Isliye khamosh ho gaye Chaliye Rehney Dijiye



Kehna tha bahut kuch Unsey
Isliye khamosh ho gaye
Chaliye Rehney Dijiye


I had to say a lot to him
That's why I became silent
Let it go


Lokaan Meno Aan Daraya Keh Raat Qabar Di Kali Par Main Suneya Othay Aana Us Nein Jindey Mondey Kamli Kali (P.B.U.H)



Lokaan Meno Aan Daraya Keh Raat Qabar Di Kali

Par Main Suneya Othay Aana Us Nein Jindey Mondey Kamli Kali 

(P.B.U.H)

Kalam Mian Muhammad Bakhsh


Main Wekhan Mera Yaar Na Wekhey Je Main Na Wekhan Tey O Wekhey



Main Wekhan Mera Yaar Na Wekhey

Je Main Na Wekhan Tey O Wekhey

Par Adey Bakht Kithon Liyawan

Mere Wekhan De Wich Wekhay

Mahi Tere Andar Rehnda

Tenon Ewain Pein Pulekhay

Yaar FAREEDA ! Bohe Yaar De Mariye

Panwen Wekhay Ya Na Wekhay


Chand bhi mere tarh husun shanasa nikla Us ke Dewar pe Hairan khara hai kab se



چاند بھی میری طرح حسن شناسا نکلا
اس کی دیوار پہ حیران کھڑا ہے کب سے


Chand bhi mere tarh husun shanasa nikla
Us ke Dewar pe Hairan khara hai kab se


Taskeen dil ke khatir tum bicharte waqt muskirate raho Oh jane wale door jate ho palat palat ke nazar milate raho



Taskeen dil ke khatir tum bicharte waqt muskirate raho
Oh jane wale door jate ho palat palat ke nazar milate raho


Hamari Sada Mizaji Mein Ikhteyat Na Thi Zara Sa Rang Chidakna Tha Hum Ubhar Jate



ہماری سادہ مزاجی میں احتیاط نہ تھی
ذرا سا رنگ چھڑکنا تھا ہم ابھر جاتے


ترے خیال کے ساحل سے ہم اٹھے ہی نہیں
یہاں پہ شام ہوئی ہی نہیں کہ گھر جاتے


Hamari Sada Mizaji Mein Ikhteyat Na Thi

Zara Sa Rang Chidakna Tha Hum Ubhar Jate

 

Tere Khayaal Ke Sahil Se Hum Uthay Hi Nahi

Yahan Pe Shaam Hoi Hi Nahi Keh Ghar Jate


kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai ki dil ke sath hi dekha hai Dubna shab ka



کبھی کبھی تو یہ وحشت بھی ہم پہ گزری ہے
کہ دل کے ساتھ ہی دیکھا ہے ڈوبنا شب کا

kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai

ki dil ke sath hi dekha hai Dubna shab ka

 

Sar e Raah Ik Hadsa Ho Gaya Achanak Tera Samna Ho Gaya



سر راہ اک حادثہ ہو گیا
اچانک ترا سامنا ہو گیا

خود اپنی بھی اب یاد آتی نہیں
تری یاد کا حق ادا ہو گیا

انہیں دیکھ کر دیکھتی رہ گئیں
خدا جانے آنکھوں کو کیا ہو گیا

 

Sar e Raah Ik Hadsa Ho Gaya

Achanak Tera Samna Ho Gaya

 

Khud Apni Bhi Yaad Aati Nahi

Teri Yaad Ka Haq Ada Ho Gaya

 

Unhein Dekh Kar Dekhti Reh Gaein

Khuda Jane Aankhon Ko Kia Ho Gaya


सर-ए-राह इक हादिसा हो गया
अचानक तेरा सामना हो गया

ख़ुद अपनी भी अब याद आती नहीं
तेरी याद का हक़ अदा हो गया

उन्हें देख कर देखती रह गईं
ख़ुदा जाने आँखों को क्या हो गया


An accident happened on the way
Suddenly I met you
I don't even remember myself anymore
The right of your memory has been paid.
She kept looking at them
God knows what happened to the eyes
Sir-e-Raah, one accident happened.
Suddenly I encountered you
I don't even remember myself anymore
The right of your memory has been paid
Kept looking at them
God knows what happened to the eyes


Unke Haathon Mein Jo Aaye Hongy Phool Pholay Na Samaaye Hongy



ان کے ھاتھوں میں جو آۓ ہوں گے
پھول پھولے نہ سماۓ ھوں گے


Unke Haathon Mein Jo Aaye Hongy

Phool Pholay Na Samaaye Hongy


Rang o Rounaq Se Nahi Banta Insan Dilfaraib Dil Khoobsorat Na Ho Tou Dilkashi Bekaar Hai



رنگ و رونق سے نہیں بنتا انسان دِلفریب
دِل خوبصورت نہ ھو تو دِلکشی بیکار ھے


Rang o Rounaq Se Nahi Banta Insan Dilfaraib

Dil Khoobsorat Na Ho Tou Dilkashi Bekaar Hai


Ik Roz Koi To Sochey Ga Farzanon Ki Iss Basti Mein



ﺍﮎ ﺭﻭﺯ ﮐﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺳﻮﭼﮯ ﮔﺎ


ﺍﮎ ﺭﻭﺯ ﮐﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺳﻮﭼﮯ ﮔﺎ
ﻓﺮﺯﺍﻧﻮﮞ ﮐﯽ ﺍﺱ ﺑﺴﺘﯽ ﻣﯿﮟ
ﺍﮎ ﺷﺨﺺ ﺗﮭﺎ ﭘﺎﮔﻞ ﭘﺎﮔﻞ ﺳﺎ
ﭘﺮ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﭨﮭﯿﮏ ﮨﯽ ﮐﮩﺘﺎ ﺗﮭﺎ
ﺑﺎﺭﺵ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﭘﺮ ﺷﻮﺭ ﻧﮧ ﺗﮭﺎ
ﺩﺭﯾﺎ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﭼﭗ ﺭﮨﺘﺎ ﺗﮭﺎ
ﺟﻦ ﺳﮯ ﺍﺳﮯ ﭘﯿﺎﺭ ﺑﻼ ﮐﺎ ﺗﮭﺎ
ﻃﻌﻨﮯ ﺑﮭﯽ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﮐﮯ ﺳﮩﺘﺎ ﺗﮭﺎ
ﺍﮎ ﺷﺨﺺ ﺗﮭﺎ ﭘﺎﮔﻞ ﭘﺎﮔﻞ ﺳﺎ
ﭘﺮ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﭨﮭﯿﮏ ﮨﯽ ﮐﮩﺘﺎ ﺗﮭﺎ
ﺍﮎ ﺭﻭﺯ ﮐﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺳﻮﭼﮯ ﮔﺎ
ﺩﻧﯿﺎ ﻧﮯ ﺍﺳﮯ ﮐﭽﮫ ﺑﮭﯽ ﻧﮧ ﺩﯾﺎ
ﭘﺮ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺟﮓ ﮐﻮ ﭘﯿﺎﺭ ﺩﯾﺎ
ﺟﺎﮞ ﺭﻭﺗﮯ ﺭﻭﺗﮯ ﮐﮭﻮ ﺑﯿﭩﮭﺎ
ﺩﻝ ﮨﻨﺘﮯ ﮨﻨﺴﺘﮯ ﮨﺎﺭ ﺩﯾﺎ
ﺟﻮ ﻧﻈﻢ ﻟﮑﮭﯽ ﺑﮭﺮﭘﻮﺭ ﻟﮑﮭﯽ
ﺟﻮ ﺷﻌﺮ ﺩﯾﺎ ﺷﮩﮑﺎﺭ ﺩﯾﺎ
ﮐﯿﻮﮞ ﺟﯿﺘﮯ ﺟﯽ ﺩﺭﮔﻮﺭ ﮨﻮﺍ
ﮐﺲ ﭼﺎﮦ ﭘﮧ ﺗﻦ ﻣﻦ ﻭﺍﺭ ﺩﯾﺎ
ﺗﮭﺎ ﺩﺷﻤﻦ ﮐﻮﻥ ﺑﭽﺎﺭﮮ ﮐﺎ
ﮐﺲ ﺭﻧﺞ ﻧﮯ ﺍﺱ ﮐﻮ ﻣﺎﺭ ﺩﯾﺎ
ﺍﮎ ﺭﻭﺯ ﮐﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺳﻮﭼﮯ ﮔﺎ
ﺍﻭﺭ ﭘﮩﺮﻭﮞ ﺑﯿﭩﮫ ﮐﺮ ﺭﻭﺋﮯ ﮔﺎ



Kabhi To Badly Ye Matami Rut Udasiyun Ki Meri Nigahon Mein Aik Sa Shehr e Khuwaab Kion Hai



کبھی تو بدلے یہ ماتمی رُت اُداسیوں کی
مری نگاہوں میں ایک سا شہرِ خواب کیوں ہے
Kabhi To Badly Ye Matami Rut Udasiyun Ki

Meri Nigahon Mein Aik Sa Shehr e Khuwaab Kion Hai


کبھی کبھی تیری بے نیازی سے خوف کھا کر
میں سوچتا ہوں کہ تو میرا انتخاب کیوں ہے
Kabhi Kabhi Teri Be-Niazi Se Khaof Kha Kar

Main Sochta Hoon Keh Tu Mera Intekhaab Kion Hai


ترس گئے میرے آئینے اس کے خال و خد کو
وہ آدمی ہے تو اس قدر لاجواب کیوں ہے
Tars Gaye Mere Aainay Uske Khaal o Khad Ko

Woh Aadmi Hai Tou Iss Qadar La-Jawaab Kion Hai


اُسے گنوا کر پھر اس کو پانے کا شوق کیسا
گناہ کر کے بھی انتظارِ ثواب کیوں ہے
Usay Ganwa Kar Phir Usko Paane Ka Shouq Kaisa

Gunah Kar Ke Bhi Intezaar Sawaab Kion Hai


اسے تو محسنؔ بلا کی نفرت تھی شاعروں سے
پھر اس کے ہاتھوں میں شاعری کی کتاب کیوں ہے
Usay Tou MOHSIN Bala Ki Nafrat Thi Shairon Se

Phir Uske Hathon Mein Shairi Ki Kitaab Kion Hai


محسن نقوی

Mohsin Naqvi


Raat Ke Khuwaab Sunayen Kis Ko Raat Ke Khuwaab Suhane Thay



رات کے خواب سنائیں کس کو رات کے خواب سہانے تھے
دھندلے دھندلے چہرے تھے پر سب جانے پہچانے تھے
ضدی وحشی الہڑ چنچل میٹھے لوگ رسیلے لوگ
ہونٹ ان کے غزلوں کے مصرعے آنکھوں میں افسانے تھے
وحشت کا عنوان ہماری ان میں سے جو نار بنی
دیکھیں گے تو لوگ کہیں گے انشاؔ جی دیوانے تھے
یہ لڑکی تو ان گلیوں میں روز ہی گھوما کرتی تھی
اس سے ان کو ملنا تھا تو اس کے لاکھ بہانے تھے
ہم کو ساری رات جگایا جلتے بجھتے تاروں نے
ہم کیوں ان کے در پر اترے کتنے اور ٹھکانے تھے
ابن انشاء

 



Iss Se Pehle Ki Dil Ke Haathon Majboor Ho Jayen Achcha He Ki Hum Ek Doosre Se Door Ho Jayen




Woh mujhe bhool gaya mujh ko barosa hi nahi Woh tou mera tha aik bar kaha tha us ney



Woh mujhe bhool gaya mujh ko barosa hi nahi
Woh tou mera tha aik bar kaha tha us ney


Hum pattey tu nahi jo shakh se gir jayege Tere jaane ke baad bhi hum yu hi nazar aayege



Hum pattey tu nahi jo shakh se gir jayege
Tere jaane ke baad bhi hum yu hi nazar aayege


We don't know who will fall down in doubt
Even after you leave I will be seen like this


Sau baar chaman mehka Sau baar bahaar aayi Duniya ki wahi raunak Dil ki wahi tanhaai



Sau baar chaman mehka Sau baar bahaar aayi
Duniya ki wahi raunak Dil ki wahi tanhaai

 

Woh misl e saba phirta tha is shahir mein jis men Hum rait pe likhe hue namoon ke tarah thay



وہ مثلِ صبا پھرتا تھا اُس شہر میں جس میں
ہم ریت پہ لکھے ہوئے ناموں کی طرح تھے


Woh misl e saba phirta tha is shahir mein jis men
Hum rait pe likhe hue namoon ke tarah thay


Log Dekhengy To Afsana Bana Dalengy Yun Mere Dil Mein Chaly Aao Keh Aahat Bhi Na Ho



لوگ دیکھیں گے تو افسانہ بنا ڈالیں گے
یوں میرے دل میں چلے آؤ کہ آہٹ بھی نہ ہو

Log Dekhengy To Afsana Bana Dalengy
Yun Mere Dil Mein Chaly Aao Keh Aahat Bhi Na Ho


Taskeen mohabbat ke faqat do hi tareeqey thy Ya dil na bana hota ya tum na bani hoti



Taskeen mohabbat ke faqat do hi tareeqey thy
Ya dil na bana hota ya tum na bani hoti



Jo Aag Lagai Thi Tum Ne Us Ko To Bujhaya Ashkon Ne



Harf harf rutt kar bhi agahi nahi milti Aag naam rakhnay se roshni nahi milti



Harf harf rutt kar bhi agahi nahi milti
Aag naam rakhnay se roshni nahi milti


Aadmi se insan tak aaogay to samjho ge
Kyun charagh ke neechay roshni nahi milti


Honton ki haansi dekhi magar andar nahin dekha Yaaron ne meray gham ka samandar nahin dekha



Honton ki haansi dekhi magar andar nahin dekha
Yaaron ne meray gham ka samandar nahin dekha


I have seen the smile on the lips but have not seen the darkness
Friends have not seen the ocean of my sorrows


Chain se sote hain parinde lachakti shakhon par Neend to aksar reshmi razaiyon mein nahin aati



Chain se sote hain parinde lachakti shakhon par

Neend to aksar reshmi razaiyon mein nahin aati

Kamal k Sharma


चैन से सोते हैं परिंदे लचकती शाख़ों पर 

नींद तो अक्सर रेशमी रज़ाइयों में नहीं आती

Kamal K Sharma


If you love someone who doesn't love you It means you are waiting for a ship at airport



Sekha Deti Hain Chalna, Thokren Bhi Raahgeeron Ko Koi Rasta Sada Dushwar Ho, Aisa Nahin Hota



Sekha Deti Hain Chalna, Thokren Bhi Raahgeeron Ko
Koi Rasta Sada Dushwar Ho, Aisa Nahin Hota
Kahin To Koi Hoga, Jisko Apni Bhi Zaroorat Ho
Har ek Bazi Mein Dil Ki Haar Ho, Aisa Nahin Hota
Jo Ho Ik Baar, Woh Har Baar Ho, Aisa Nahin Hota
Hamesha Ek Hi Se Pyar Ho, Aisa Nahin Hota

Stumble teaches the paths to walk
It doesn't happen if any road is always difficult
Somewhere there must be someone, who needs him too
It doesn't happen that there is a defeat of heart in every game
Whatever happens once, happens every time, it doesn't happen like this
Always love only one, it doesn't happen


Poochne Ki To Muhlat Hi Na Di Us Ne Woh Lehja Badalta Gaya Aur Hum Ajnabi Hote Gaye



Poochne Ki To Muhlat Hi Na Di Us Ne

Woh Lehja Badalta Gaya Aur Hum Ajnabi Hote Gaye


Jin Ko Soraj Meri Chokhat Se Mila Karta Tha Ab Khairaat Mein Dete Hein Ujalay Mujh Ko



جن کو سورج میری چوکھٹ سے ملا کرتا تھا
اب خیرات میں دیتے ہیں اجالے مجھ کو

Jin Ko Soraj Meri Chokhat Se Mila Karta Tha
Ab Khairaat Mein Dete Hein Ujalay Mujh Ko

 

Barhti Jati Dhund Hai Aur uske Peechay Shehar Hai Barhti Jati Dhund Hai Aur Uske Peechay Shaam Hai



بڑھتی جاتی دھند ہے اور اس کے پیچھے شہر ہے
بڑھتی جاتی دھند ہے اور اس کے پیچھے شام ہے
بڑھتی جاتی دھند میں بازار ہیں اور خواب ہے
بڑھتی جاتی دھند ہے اور اس میں بوئے آب ہے
بڑھتی جاتی دھند ہے اور شہر دلآرام ہے
دھندلے دھندلے لوگ ہیں اور باغ ہیں اور شام ہے
اور ان قیود کے اندر فریب ارض و سما
سیاہ شب کا سمندر
سفید دن کی ہوا​
 منیر نیازی

 مجموعے "سیاہ شب کا سمندر، سفید دن کی ہوا" سے منتخب  نظم 'دُھند ہے اور شہر ہے اور خواب ہے

Barhti Jati Dhund Hai Aur uske Peechay Shehar Hai
Barhti Jati Dhund Hai Aur Uske Peechay Shaam Hai
Barhti Jati Dhund Mein Bazar Hein Aur Khuwaab Hai
Barhti Jati Dhund Hai Aur Us Mein Boye Aab Hai
Barhti Jati Dhund Hai Aur Shehr e Dil-Aaraam Hai
Dhundlay Dhundlay Log Hein Aur Bagh Hein Aur Shaam Hai
Aur In Qayud Ke Andar Faraib Arz o Sama
Siyah Shab Ka Samandar
Sufaid Din Ki Hawa

Munir Niazi

 

Bakhsha Hai Ishq Ne Ye Husn e Sama'at Dil Ne Teri Aawaaz Suni Kaan Se Pehle



بَخشا ہے عجَب عِشّق نے یہ حُسّنِ سَماعت 

 ‏دِل نے تِیری آواز سُنی کان سے پِہلے

Bakhsha Hai Ishq Ne Ye Husn e Sama'at
Dil Ne Teri Aawaaz Suni Kaan Se Pehle


Wafa Kis Karen Jafa Kis Se Karen Koi Apna Hi Nahi To Gila Kis Se Karen



وفا کس سے کریں جفا کس سے کریں
کوئی اپنا ہی نہی تو گِلہ کس سے کریں
کوئی ویرانیِ دل میں جھانکتا ہی نہی
ہم محبتوں کی انتہا کس سے کریں

YAHAN AB HUM NAHI REHTAY
Wafa Kis Karen Jafa Kis Se Karen
Koi Apna Hi Nahi To Gila Kis Se Karen
Koi Weerani e Dil Mein Jhankta Hi Nahi
Hum Muhabbaton Ki Inteha Kis Se Karen

 

Ek Hi Haath Se Banaya Gaya Aap Ko Din Ko Raat Ko Hum Ko



ایک ہی ہاتھ سے بنایا گیا
آپ کو، دن کو، رات کو، ہم کو
#Hijars
Ek Hi Haath Se Banaya Gaya
Aap Ko Din Ko Raat Ko Hum Ko


Itne Hijabon Par To Ye Alam Hai Husn Ka Kia Hal Ho Jo Dekh Lein Parda Utha Ke Hum



اتنے حجابوں پر تو یہ عالم ہے حسن کا
کیا حال ہو جو دیکھ لیں پردہ اٹھا کے ہم
جگر مراد آبادی

Itne Hijabon Par To Ye Alam Hai Husn Ka

Kia Hal Ho Jo Dekh Lein Parda Utha Ke Hum

Jigar Muradabadi


Aankhoun Say laray Gaisoo-e-Kham'Daar Say Uljhay Yeh Hazrat-e-Dil Roz Hi Do Chaar Say Uljhay



آنکھوں سے لڑے گیسو ِخمدار سے اُلجھے
یہ حضرت دل روز ہی دوچار سے اُلجھے
داغ دہلوی

Aankhoun Say laray Gaisoo-e-Kham'Daar Say Uljhay
Yeh Hazrat-e-Dil Roz Hi Do Chaar Say Uljhay
DaaghDehlvi


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo