Thakaiday Sare Leh Waisun Nabi (P.B.U.H) Milsee Khuda Milsee



شاکر شجاع آبادی سے اینکر نے سوال کیا کہ زندگی میں اتنے دکھ دیکھے معذور بھی ہیں بول بھی ٹھیک سے نہیں سکتے غربت بھی کاٹی کیا اس کا غم ہے آپ کو ؟
تو شاکر شجاع آبادی بولے

ایتھاں جو بھوگ بھوگے ہِن
اُتھاں کوئی تاں جزا مِلسی
Ethaan Jo Bhog Bhogy Bin
Uthaan Koi Taan Jaza Milsee

تھکیڑے سارے لہہ ویسن
نبیؐ مِلسی خدا مِلسی
Thakaiday Sare Leh Waisun
Nabi (P.B.U.H) Milsee Khuda Milsee
Shakir Shuja Abadi


Siyasat ki nazar se dekhne mein kya bhalaayi hai? Haqeeqat ki nazar se dekhne mein kya buraayi hai ?



(30.10.2023)
सियासत की नज़र से देखने में क्या भलाई है?
हक़ीक़त की नज़र से देखने में क्या बुराई है ?

लता
سیاست کی نظر سے دیکھنے میں کیا بھلائی ہے ؟
حقیقت کی نظر سے دیکھنے میں کیا برائی ہے ؟
حیاؔ
Siyasat ki nazar se dekhne mein kya bhalaayi hai?
Haqeeqat ki nazar se dekhne mein kya buraayi hai ?

Haya


Kachhiyan Preetaan Da Dhagah Kachha Jaal Tut Gaye Te Nazuk Taraan Wale



Kachhiyan Preetaan Da Dhagah Kachha
Jaal Tut Gaye Te Nazuk Taraan Wale


Shammah Bujh Gai Yaro Akhlaq Wali
Saoday Khatam Ho Aj Piyaraan Wale


Aisee Chaal Zamane Di Badal Gai Ae
Jhooty Reh Gaye Qoul Iqraraan Wale


Bas Itni Muhabbat Reh Gai
DILSHAD Baqi
Sangi Chah Tambako , Naswaraan Wale


Us nu milna Rehna Sada Daman vichli



ਉਸ ਨੂੰ ਮਿਲਨਾ
ਰਹਿਣਾ ਸਦਾ ਦਾਮਨ ਵਿਚਲੀ
ਸਿਲਵਟ ਬਣ ਕੇ
ਉਸ ਦਾ ਦਿੱਤਾ ਦਰਦ ਸਿਹਾ
ਰੂਹ ਆਪਣੀ ਦਾ ਹਸ਼ਰ ਕਰ ਕੇ
ਕਿਉ ਸਹੀ ਤਸ਼ਦਤ
ਅਰਮਾਨਾ ਦਾ ਕਤਲ ਕਰਕੇ
ਅਹਿਸਾਸ ਮੁੱਕਣਾ ਨਹੀਂ
ਮਰਦੇ ਦਮ ਤੱਕ ਵੀ
ਬੜਾ ਨਯਾਬ ਸੀ
ਹਿਯਾਤ ਵਾਲਾ ਫੇਰਾ
ਕਿਉ ਮੁੱਕਾ ਦਿੱਤਾ
ਕਦੇ ਮੁਤਮਈ ਨਾ
ਹੋਣ ਵਾਲੀਆਂ ਦੀ
ਨਜ਼ਰ ਕਰ ਕੇ

ਜੋਤੀ
Us nu milna
Rehna Sada Daman vichli
Silvat ban ke
Us da dita dard siha
Rooh apni da hashar kar ke
Kyo  sahi tashadat
Armana da kaql kar ke
Ehsas mukna nahi
Marde dum tak vi
Bada Nayab si
Hayat wala phera
Kyo muka dita
Kade mutmayi na hon valiyan di
Nazar kar ke

Jyoti


Ik Darr Dunya Da ,Dooji Taang Sajna Di



jo aankh teri yad me pur nam na ho saki dekhey gi bhala hashr ka manzar wo kis trah



jo aankh teri yad me pur nam na ho saki
dekhey gi bhala hashr ka manzar wo kis trah


Wo sar phiri hawa thi sambhalna padha mujhey Main aakhri chiraagh tha jalna padha mujhey



وہ سر پھری ہوا تھی سنبھلنا پڑا مجھے
میں آکھری چراغ تھا جلنا پڑا مجھے

वो सर फिरी हवा थी सँभलना पड़ा मुझे
मैं आख़री चिराग़ था जलना पड़ा मुझे। 

Wo sar phiri hawa thi sambhalna padha mujhey
Main aakhri chiraagh tha jalna padha mujhey

 
محسوس کر رہا تھا اُسے اپنے آس پاس
اپنا خیال خود ہی بدلنا پڑا مجھے

महसूस कर रहा था उसे अपने आस पास
अपना ख़याल ख़ुद ही बदलना पड़ा मुझे।

 Mehsoos kar raha tha ussay apney aas paas
Apna khyaal khud hi badalna padha mujhey

 
کچھ دوُر تک تو جیسے کوئ میرے ساتھ تھا
پھر اپنے ساتھ آپ ہی چلنا پڑا مجھے

कुछ दूर तक तो जैसे कोई मेरे साथ था
फिर अपने साथ आप ही चलना पड़ा मुझे।

 Kuchh door tak tau jaisey koee merey saath tha
Phir apney saath aap hi chalna padha mujhey

 
امیر قزلباش
अमीर कज़लबाश
Amir Kazalbash


Main laakh kahuun aakaash huun , zameen hoon main Magar ussay tau khabar hai ke kuchh nahin hoon main




Main laakh kahuun aakaash huun , zameen hoon main
Magar ussay tau khabar hai ke kuchh nahin hoon main

मैं लाख कहूँ कि आकाश हूँ ज़मीं हूँ मै
मगर उसे तो ख़बर है कि कुछ नहीं हूँ मैं

Ajeeb log hain meri talaash mein mujh ko
Wahaan pe dhoondh rahey hain jahaan nahin  hoon main

अजीब लोग हैं मेरी तलाश में मुझ को
वहाँ पे ढूँढ रहे हैं जहाँ नहीं हूँ मैं

Woh zar'rey zar'rey mein maujood hai magar main bhi
Kahein Kahein hoon, kahaan hoon? Kahein nahin hoon main

वो ज़र्रे ज़र्रे में मौजूद है मगर मैं भी
कहीं कहीं कहीं हूँ, कहाँ हूं ? कहीं नहीं हूं मैं

Sitaaro aao meri raah mein bikhar jaao
Ye mera hukam hai, haalaan ke kuchh nahin hoon main

सितारो आओ मेरी राह में बिखर जाओ
ये मेरा हुक्म है हालाँकि कुछ नहीं हूँ मै

Ye boodhi qabrein tumhein kuchh nahein bataayengi
Mujhey talaash karo dosto yahein hoon main

ये बूढ़ी क़ब्रें तुम्हें कुछ नहीं बताएँगी
मुझे तलाश करो दोस्तों यहीं हूँ मैं।

Rahat Indori

राहत इंदौरी

 

Thak gay ho toh thakn chohr kay jah sakty ho Tum mujy waqiyatn chohr kay jah sakty ho



تھک گئے ہو تو تھکن چھوڑ کے جا سکتے ہو
تم مجھے واقعتاً  ،،  چھوڑ کے جا سکتے ہو
ھم  درختوں کو  کہاں آتا  ہے  ہجرت  کرنا
تم پرندے ہو  وطن چھوڑ کے  جا سکتے ہو
Thak gay ho toh thakn chohr kay jah sakty ho
Tum mujy waqiyatn chohr kay jah sakty ho
Hum darkhto ko kaha ata hay hejart karna
Tum parendy ho watn chohr lay ja sakty ho


Yaadon mein teri yaad thi Kya " Yaad " thi kuch yaad nahi



Yaadon mein teri yaad thi
Kya " Yaad " thi kuch yaad nahi
Tere yaad mein sab bhol Gaye
Kya bhol Gaye kuch yaad nahi
Bas " yaad "ho tum
Sirf yaad ho tum
Kyun yaad ho tum
Kuch yaad nahi


Je Teeno Vi , Dukh Bol Ke Dasiya Fer _____Tuun Kada Sajan Ein?



جے تینو وی، دکھ بول کے دسیا
فیر_____ توں کادا سجن ایں ؟
Je Teeno Vi , Dukh Bol Ke Dasiya
Fer _____Tuun Kada Sajan Ein?


Meri udaasiyon ka sabab ik hi nahin hai Duniya ke ranjo-Gam bhi dekhe nahin jaate





(28.10.2023)
मेरी उदासियों का सबब इक ही नहीं है
दुनिया के रंजो-ग़म भी  देखे नहीं जाते।

लता
میری اُداسیوں کا سبب اک ہی نہیں ہے
دنیا کے رنج و غم بھی  دیکھے نہیں جاتے
حیاؔ
Meri udaasiyon ka sabab ik hi nahin hai
Duniya ke ranjo-Gam bhi dekhe nahin jaate

Haya

 

Din Chup Gaya Soraj Ka Kahein Nam Nahi Hai O Wa'ada-Shikan! Ab Bhi Teri Shaam Nahi Hai



دن چھپ گیا سورج کا کہیں نام نہیں ہے
او وعدہ شکن! اب بھی تیری شام نہیں ہے
Din Chup Gaya Soraj Ka Kahein Nam Nahi Hai
O Wa'ada-Shikan! Ab Bhi Teri Shaam Nahi Hai

 
یہ جلوہ بہت خاص ہے کچھ عام نہیں ہے
کمزور نگاہوں کا یہاں کام نہیں ہے
Yrh Jalwah Buhat Khaas Hai Kuch Aam Nahi Hai
Kamzor Nigahon Ka Yahan Kam Nahi Hai

 
اپنا ہی لہو دے کے گلستاں کو نکھارا
اپنا ہی گلستاں میں کہیں نام نہیں ہے
Apna Hi Lahoo De Ke Gulistan Ko Nikhara
Apna Hi Gulistan Mein Kahein Nam Nahi Hai

 
کیوں کرتا ہوں ساقی کا کرم عام نہیں ہے
اپنے ہی مقدر میں کوئی جام نہیں ہے
Kion Karta Hon Saqi Ka Karam Aam Nahi Hai
Apne Hi Muqadar Mein Koi Jaam Nahi Hai

 
بیمار کا دم ٹوٹ چکا، اٹھ چکی میت
اب آپ کے جانے کا وہاں کام نہیں ہے
Beemar Ka Dum Toot Chuka , Uth Chuki Mayat
Ab Aap Ke Jane Ka Wahan Kam Nahi Hai

 
دیوانے تو سب ان کے ہیں مگر فرق ہے اتنا
بدنام ہے کوئی، کوئی بدنام نہیں ہے
Deewane Tou Sab Unke Hein Magar Farq Hai Itna
Bad-Nam Hai Koi , Koi Bad-Nam Nahi Hai

 
کیوں یاس سے محشر میں چھپے دیکھ رہے ہو
کہہ تو دیا تم پر کوئی الزام نہیں ہے
Kion Yaas Se Mahshar Mein Chupay Daikh Rahe Ho
Keh Tou Diya , Tum Par Koi Ilzam Nahi Hai

 
گردشِ افلاک سلامت ہے تو ان سے
گنواؤں نہ تارے تو قمر نام نہیں ہے
Gardish e Aflak Salamat Hai Tou Un Se
Ginwaoun Na Tare Tou
QAMAR Nam Nahi Hai

 
استاد قمر جلالوی
Ustad Qamar Jalalvi


Ishq ke kashf o karamat ka paband nahi Meri marzi, main kisi bat ka pabanad nahi



عشق کے کشف و کرامات کا پابند نہیں
میری مرضی، میں کسی بات کا پابند نہیں

Ishq ke kashf o karamat ka paband nahi
Meri marzi, main kisi bat ka pabanad nahi

 
تیرے کہنے پہ چلا آؤں، یہ امید نہ رکھ
میں ترے شوقِ ملاقات کا پابند نہیں

Tere kehne pe chala aoun, ye umeed na rakh
Main tere shauq e mulaqat ka paband nahi


Main Woh Dunya Hon Jahan Teri Kami Hai Saaein Meri Aankhon Mein Judaai Ki Nami Hai Saaein



میں وہ دنیا ہوں جہاں تیری کمی ہے سائیاں
میری آنکھوں میں جدائی کی نمی ہے سائیاں
Main Woh Dunya Hon Jahan Teri Kami Hai Saaein
Meri Aankhon Mein Judaai Ki Nami Hai Saaein

 
میرے زخموں کی دوا تیرے سوا کوئی نہیں
میری تنہائی میری جاں پہ بنی ہے سائیاں
Mere Zakhmon Ki Dawa Tere Siwah Koi Nahi
Meri Tanhaai Meri Jaan Peh Bani Hai Saaein

 
اپنے ٹوٹے ہوئے خوابوں کو سنبھالوں کیسے
خود کو دنیا کی نگاہوں سے چھپالوں کیسے
Apne Toote Hoe Khuwabon Ko Sanbhalon Kaise
Khud Ko Dunya Ki Nigahon Se Chupa Lon Kaise

 
اپنے ہاتھوں سے دیا دل کا بُجھا لوں کیسے
میری تنہائی میری جاں پہ بنی ہے سائیاں
Apne Haathon Se Diya Dil Ka Bujha Loon Kaise
Meri Tanhaai Meri Jaan Peh Bani Hai Saaein

 
میری ہستی کو ہرا کر دے خزاں ہوں مولا
دے مجھے میرا پتہ کوئی کہاں ہوں مولا
Mere Basti Ko Hara Kar Dy Khizan Hon Mola
Dy Mujhe Mera Pata Koi Kahan Hon Mola


اک بجھے گھر کے چراغوں کا دُھواں ہوں مولا
میری آواز میرے دل میں دبی ہے سائیاں
Ik Bujhe Ghar Ke Charaghon Ka Dhuwaan Ho Mola
Meri Aawaaz Mere Dil Mein Dabi Hai Saaein

 
میری آنکھوں میں جدائی کی نمی ہے سائیاں
میں وہ دنیا ہوں جہاں تیری کمی ہے سائیاں
Main Woh Dunya Hon Jahan Teri Kami Hai Saaein
Meri Aankhon Mein Judaai Ki Nami Hai Saaein

 
علی زریون
Ali Zaryun



Main or os ko bholon NASIR kaisi batein karte ho Surat tou phir surat hai woh naam bhi piyara lagta hai



Main or os ko bholon NASIR kaisi batein karte ho
Surat tou phir surat hai woh naam bhi piyara lagta hai


Mere Chote Se Ghar Yeh Kis Ki Nazar , Ae Khuda ! Lag Gai Kaisi Kaisi Duaoun Ke Hote Hoe Bad Dua Lag Gai



میرے چھوٹے سے گھر کو یہ کس کی نظر، اے خُدا! لگ گئی
کیسی کیسی دُعاؤں کے ہوتے ہُوئے بد دُعا لگ گئی
Mere Chote Se Ghar Yeh Kis Ki Nazar , Ae Khuda ! Lag Gai
Kaisi Kaisi Duaoun Ke Hote Hoe Bad Dua Lag Gai

 
ایک بازو بریدہ شکستہ بدن قوم کے باب میں
زندگی کا یقیں کس کو تھا ، بس یہ کہیے ، دوا لگ گئی
Aik Bazo Bareedah Shikasta Badan Qoum Ke Baab Mein
Zindagi Ka Yaqeen Kis Ko Tha , Bas Yeh Kahiye Dawa Lag Gai


جھُوٹ کے شہر میں آئینہ کیا لگا ، سنگ اُٹھائے ہُوئے
آئینہ ساز کی کھوج میں جیسے خلقِ خُدا لگ گئی
Jhoot Ke Shehar Mein Aaina Kia Laga Sang Uthaye Hoe
Aaina Saaz Ki Khoj Mein Jaise Khalq e Khuda Lag Gai

 
جنگلوں کے سفر میں تو آسیب سے بچ گئی تھی ، مگر
شہر والوں میں آتے ہی پیچھے یہ کیسی بلا لگ گئی
Janglon Ke Safar Mein Tou Aasaib Se Bach Gai Thi , Magar
Shehar Walon Mein Ate Hi Peechay Yeh Kaisi Bala Lag Gai

 
نیم تاریک تنہائی میں سُرخ پھُولوں کا بن کھِل اُٹھا
ہجر کی زرد دیوار پر تیری تصویر کیا لگ گئی
Neem Tareek Tanhaai Mein Surakh Phoolon Ka Ban Khil Utha
Hijar Ke Zard Deewar Par Teri Tasweer Kia Lag Gai

 
وہ جو پہلے گئے تھے ، ہمیں اُن کی فرقت ہی کچھ کم نہ تھی
جان! کیا تجھ کو بھی شہرِ نا مہرباں کی ہوا لگ گئی
Woh Jo Pehle Gaye Thay , Humain Un Ki Furqat Hi Kuch Kam Na Thi
Jaan ! Kia Tujh Ko Bhi Shehar e Na Mehruban Ki Hawa Lag Gai

 
دو قدم چل کے ہی چھاؤں کی آرزو سر اُٹھانے لگی
میرے دل کو بھی شاید ترے حوصلوں کی ادا لگ گئی
Do Qadam Chal Ke Hi Chhaoun Ki Aarzoo Sar Uthane Lagi
Mere Dil Ko Bhi Shayed Tere Hoslon Ki Ada Lag Gai

 
میز سے جانے والوں کی تصویر کب ہٹ سکی تھی مگر
درد بھی جب تھما ، آنکھ بھی جب ذرا لگ گئی
Maiz Se Jane Walo Ki Tasweer Kab Hat Saki Thi Magar
Dard Bhi Jab Thama , Aankh Bhi Jab Zara Lag Gai

Parveen Shakir

 

Che Na Husn Na Daolat Ao Na Shuhrat Shtah Bya De Waly Sok Pu Ma Bande Maen Shii



چې نه خسن نه دولت او نه شهرت شته
بيا دی ولې څوک په ما باندی ميئن شي
Che Na Husn Na Daolat Ao Na Shuhrat Shtah
Bya De Waly Sok Pu Ma Bande Maen Shii

 
ستا مـعيار ته رسـيدل به ورته ګــران وي
مانه روسته چې څوک تا باندی ميئن شي
Sta Ma'ayar Ta Rasedal Ba Warta Gran Vi
Mana Rostah Che Sok Ta Bande Maen Shii

 
ساګر جان
Sagar Jan Yousaf Khel Ashnaghar


Chaa Pu Faraib Okhuda Chaa Pu Dhoko Okhuda Che Haya Na Pejani Dunya Hagho Okhuda



چا پہ فریب اوخوڑہ
چا پہ دھوکو اوخوڑہ
چی حیا نہ پیجنی
دنیا ھغو اوخوڑہ

Chaa Pu Faraib Okhuda
Chaa Pu Dhoko Okhuda
Che Haya Na Pejani
Dunya Hagho Okhuda

چا پہ فریب اوخوڑہ
چا پہ دھوکو اوخوڑہ
چی حیا نہ پیجنی
دنیا ھغو اوخوڑہ

Chaa Pu Faraib Okhuda
Chaa Pu Dhoko Okhuda
Che Haya Na Pejani
Dunya Hagho Okhuda

Chaa Du Rorai Pu Nama Paradi Korona Loot Kru
Chaa Du Yaraai Pu Nama Paradi Maloona Koot Kru
Chaa Pu Chal Wal Okhuda Chaa Pu Nakhro Okhuda
Che Haya Na Pejani
Dunya Hagho Okhuda

Chaa Du Paiso Du Para Khpal Ghairatona Khars Kdru
De Zeeno Zeeno Pake Khpal Emanona Khars Kdru
Chaa Pu Shamlo Okhuda Chaa Pu Patko Okhuda
Chaa Pu Faraib Okhuda
Chaa Pu Dhoko Okhuda
Che Haya Na Pejani
Dunya Hagho Okhuda

Sok Faraibona Kavi Du Faqeerai Pu Jama
Paradi Jaibona Wahi Du Malagai Pu Jama
Chaa Pu Peerai Okhuda Chaa Pu Tasboo Okhuda
Che Shi Qurban Pu Meena Hagha Yaaran Charta Di
Wakht Dy Badal
LAIQA Os Sadiqaan Charta Di
Chaa Du Pokhto Pu Nama Chaa Pokhto Okhuda


Apne Seene Se Lagaye Hoe Umeed Ki Laash Mudaton Zeest Ko Nashad Kia Hai Main Ne



ﺍﭘﻨﮯ ﺳﯿﻨﮯ ﺳﮯ ﻟﮕﺎﺋﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺍﻣﯿﺪ ﮐﯽ ﻻﺵ
ﻣﺪﺗﻮﮞ ﺯﯾﺴﺖ ﮐﻮ ﻧﺎﺷﺎﺩ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ
Apne Seene Se Lagaye Hoe Umeed Ki Laash
Mudaton Zeest Ko Nashad Kia Hai Main Ne

 
ﺗﻮ ﻧﮯ ﺗﻮ ﺍﯾﮏ ﮨﯽ ﺻﺪﻣﮯ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ ﺗﮭﺎ ﺩﻭﭼﺎﺭ
ﺩﻝ ﮐﻮ ﮨﺮ ﻃﺮﺡ ﺳﮯﺑﺮﺑﺎﺩ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ
Tu Ne Tou Aik Hi Sadmay Se Kia Tha Dochaar
Dil Ko Har Tarah Se Barbad Kia Hai Main Ne

 
ﺟﺐ ﺑﮭﯽ ﺭﺍﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ‌ ﻧﻈﺮ ﺁﺋﮯ ﺣﺮﯾﺮﯼ ﻣﻠﺒﻮﺱ
ﺳﺮﺩ ﺁﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﺠﮭﮯ ﯾﺎﺩ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ
Jab Bhi Rahon Mein Nazar Aaye Hareeri Malboos
Sard Aahon Mein Tujhe Yaad Kia Hai Main Ne

 
ﺍﻭﺭ ﺍﺏ ﺟﺐ ﮐﮧ ﻣﺮﯼ ﺭﻭﺡ ﮐﯽ ﭘﮩﻨﺎﺋﯽ ﻣﯿﮟ
ﺍﯾﮏ ﺳﻨﺴﺎﻥ ﺳﯽ ﻣﻐﻤﻮﻡ ﮔﮭﭩﺎ ﭼﮭﺎﺋﯽ ﮨﮯ
Aur Ab Jab-Keh Meri Rooh Ki Pehnaai Mein
Aik Sunsaan See Maghmoom Ghata Chhaai Hai

 
ﺗﻮ ﺩﻣﮑﺘﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﻋﺎﺭﺽ ﮐﯽ ﺷﻌﺎﺋﯿﮟ ﻟﮯ ﮐﺮ
ﮔﻞ ﺷﺪﮦ ﺷﻤﻌﯿﮟ ﺟﻼﻧﮯ ﮐﻮ ﭼﻠﯽ ﺁﺋﯽ ﮨﮯ
Tu Damaktay Hoe Aariz Ki Shua-aein Le Kar
Gul-Shudah Shamaein Jalane Ko Chali Aai Hai

 
ﻣﯿﺮﯼ ﻣﺤﺒﻮﺏ، ﯾﮧ ﮨﻨﮕﺎﻣۂ ﺗﺠﺪﯾﺪ ﻭﻓﺎ
ﻣﯿﺮﯼ ﺍﻓﺴﺮﺩﮦ ﺟﻮﺍﻧﯽ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺭﺍﺱ ﻧﮩﯿﮟ
Meri Mahboob , Yeh Hangamah e Tajdeed Wafa
Meri Afsurdah Jawani Ke Liye Raas Nahi

 
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺟﻮ ﭘﮭﻮﻝ ﭼﻨﮯ ﺗﮭﮯ ﺗﺮﮮ ﻗﺪﻣﻮﮞ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ
ﺍﻥ ﮐﺎ ﺩﮬﻨﺪﻻ ﺳﺎ ﺗﺼﻮﺭ ﺑﮭﯽ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﻧﮩﯿﮟ
Main Ne Jo Phool Chuny Thay Tere Qadmon Ke Liye
Unka Dhundla Sa Tasawar Bhi Mere Paas Nahi

 
ﺍﯾﮏ ﯾﺦ ﺑﺴﺘﮧ ﺍُﺩﺍﺳﯽ ﮨﮯ ﺩﻝ ﻭﺟﺎﮞ ﭘﮧ ﻣﺤﯿﻂ
ﺍﺏ ﻣﺮﯼ ﺭﻭﺡ ﻣﯿﮟ ﺑﺎﻗﯽ ﮨﮯ ﻧﮧ ﺍﻣﯿﺪ ﻧﮧ ﺟﻮﺵ
Aik Yakh-Bastah Udasi Hai Dil o Jan Peh Muheet
Ab Meri Rooh Mein Baqi Hai Na Umeed Na Josh

 
ﺭﮦ ﮔﯿﺎ ﺩﺏ ﮐﮯ ﮔﺮﺍﮞ ﺑﺎﺭ ﺳﻼﺳﻞ ﮐﮯ ﺗﻠﮯ
ﻣﯿﺮﯼ ﺩﺭﻣﺎﻧﺪﮦ ﺟﻮﺍﻧﯽ ﮐﯽ ﺍﻣﻨﮕﻮﮞ ﮐﺎ ﺧﺮﻭﺵ
Reh Gaya Dab Ke Geran Bar Salasul Ke Talay
Meri Darmandah Jawani Ki Umangon Ka Kharosh

 
ﺭﯾﮓ ﺯﺍﺭﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﮕﻮﻟﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﻮﺍ ﮐﭽﮫ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ
ﺳﺎﯾۂ ﺍﺑﺮِ ﮔﺮﯾﺰﺍﮞ ﺳﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﮐﯿﺎ ﻟﯿﻨﺎ
Regzaron Mein Bagolon Ke Siwah Kuch Bhi Nahi
Saayah e Abar Gurezaan Se Mujhe Kia Laina

 
ﺑﺠﮫ ﭼﮑﮯ ﮨﯿﮟ ﻣﺮﮮ ﺳﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﮯ ﮐﻨﻮﻝ
ﺍﺏ ﺗﺮﮮ ﺣﺴﻦِ ﭘﺸﯿﻤﺎﮞ ﺳﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﮐﯿﺎ ﻟﯿﻨﺎ
Bajah Chuky Mere Seenay Mein Muhabbat Ke Kanwal
Ab Tere Husn Pasheman Se Mujhe Kia Laina

 
ﺗﯿﺮﮮ ﻋﺎﺭﺽ ﭘﮧ ﯾﮧ ﮈﮬﻠﮑﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺳﯿﻤﯿﮟ ﺁﻧﺴﻮ
ﻣﯿﺮﯼ ﺍﻓﺴﺮﺩﮔﺊ ﻏﻢ ﮐﺎ ﻣﺪﺍﻭﺍ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ
Tere Aariz Peh Yeh Dhalky Hoe Seemeen Aansoo
Meri Afsurdgi Gham Ka Madawa Tou Nahi

 
ﺗﯿﺮﯼ ﻣﺤﺒﻮﺏ ﻧﮕﺎﮨﻮﮞ ﮐﺎ ﭘﯿﺎﻡِ ﺗﺠﺪﯾﺪ
ﺍﮎ ﺗﻼﻓﯽ ﮨﯽ ﺳﮩﯽ ﻣﯿﺮﯼ ﺗﻤﻨﺎ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ
Teri Mahboob Nigahon Ka Piyam Tajdeed
Ik Talafi Hi Sahi Meri Tamanna Tou Nahi

 
ﺳﺎﺣﺮ ﻟﺪﻫﯿﺎﻧﻮی
Sahir Ludhianvi


Tasbeeh kehte hai faqat Mujhe nahi Thora khud ko bhee Phair



Tasbeeh kehte hai faqat Mujhe nahi
Thora khud ko bhee Phair


Main nahi chahta woh bulane se aaye Woh reh na paye aur bahane se aaye



Main nahi chahta woh bulane se aaye
Woh reh na paye aur bahane se aaye


Patakh rahi thi idhar se udhar hayat mujhe Main us ke hath mein aya hua tha, kia karta



پٹخ رہی تھی اِدھر سے اُدھر حیات مُجھے
مَیں اُس کے ہاتھ میں آیا ہُوا تھا، کیا کرتا
Patakh rahi thi idhar se udhar hayat mujhe
Main us ke hath mein aya hua tha, kia karta


Kahaaniyan to suna din kayi zamaane ko Bas apni daasta.n lekin suna nahin paayi ?



(26.10.2023)
  कहानियांँ तो सुना दीं कई ज़माने को
बस अपनी दास्तांँ लेकिन सुना नहीं पाई?

लता
کہانیاں تو سنا دیں کئی زمانے کو
بس اپنی داستاں لیکن سنا نہیں پائی؟

حیاؔ
Kahaaniyan to suna din kayi zamaane ko
Bas apni daasta.n lekin suna nahin paayi ?


Haya


Ho kahin bhi Jang, phaTta hai kaleja dekh kar KHoon hai insaaniyat ka,aye siyaasat Sharm kar!



(25.10.2023)

हो कहीं भी जंग,फटता है कलेजा देख कर
ख़ून है इंसानियत का,ऐ सियासत शर्म कर!

लता
ہو کہیں بھی جنگ، پھٹتا ہے کلیجہ دیکھ کر
خون ہے انسانیت کا،اے سیاست شرم کر

حیاؔ
Ho kahin bhi Jang, phaTta hai kaleja dekh kar
KHoon hai insaaniyat ka,aye siyaasat Sharm kar!
Haya


Ab tumhari yaad bhi aati nahin hai Aur tum aaoge,ye lagta nahin hai.



(24.19.2023)

अब तुम्हारी याद भी आती नहीं है
और तुम आओगे,ये लगता नहीं है।

 लता
اب تمہاری یاد بھی آتی نہیں ہے
اور تم آؤگے ،یے لگتا نہیں ہے

حیاؔ
Ab tumhari yaad bhi aati nahin hai
Aur tum aaoge,ye lagta nahin hai.


Haya


Aaj kuch kahna nahin hai Aaj KHamoshi kahegi



(23.10.2023)
आज कुछ कहना नहीं है
आज ख़ामोशी कहेगी ।

लता
آج کچھ کہنا نہیں ہے
آج خاموشی کہے گی

 حیاؔ
Aaj kuch kahna nahin hai
Aaj KHamoshi kahegi

Haya


Roz bura mujhko kahte ho Uff ! Kitni mehnat karte ho



(22.10.2023)
रोज़ बुरा मुझको कहते हो
उफ्फ! कितनी मेहनत करते हो
मैं मेहनत की क़द्रदान हूंँ
कितनी मेहनत कर सकते हो ?

 लता
روز بُرا مجھ کو کہتے ہو
اُف! کِتنی محنت کرتے ہو
میں محنت کی قدردان ہوں
کِتنی محنت کر سکتے ہو ؟

حیاؔ
Roz bura mujhko kahte ho
Uff ! Kitni mehnat karte ho
Main mehnat ki qadradaan hun
Kitni mehnt kar sakte ho ?

Haya


Sirf bindi hi to lagaayi hai Dil kisise nahin lagaaya hai



(21.10.2023)

सिर्फ़ बिंदी ही तो लगाई है
दिल किसीसे नहीं लगाया है
और अपने लिए लगाई है
मिरी मर्ज़ी है,आपको क्या है ?

 लता  

صرف بندی ہی تو لگائی ہے
دل کسی سے نہیں لگایا ہے
اور اپنے لیۓ لگائی ہے
مِری مرضی ہے،آپ کو کیا ہے؟

حیاؔ
Sirf bindi hi to lagaayi hai
Dil kisise nahin lagaaya hai
Aur apne liye lagaayi hai
Miri marzi hai,aapko kya hai ?

Haya


Wo gali wo shehar chhod aaye malaal reh gaya Zindgi ki sham hui na jaane ghar kahan reh gaya



वो गली वो शहर छोड़ आये मलाल रह गया

जिंदगी की शाम  हुई ना जाने घर कहाँ रह गया 

MS 

Wo gali wo shehar chhod aaye malaal reh gaya

Zindgi ki sham hui na jaane ghar kahan reh gaya 

MS


MUHABBAT LAAZMI HAI , MAANTA HOON MAGAR HAMZAAD, AB MAIN THAK GIYA HOON



MUHABBAT   LAAZMI  HAI ,  MAANTA   HOON
MAGAR HAMZAAD, AB MAIN THAK GIYA HOON


TUMHARA HIJAR, KAANDHAY PAR DHARA HAI
NA JAANAY KIS JAGAH MAIN, JAA RAHA HOON


MERAY   CHAARON   TARAF , IK   SHOR  SA  HAI
MAGAR PHIR BHI YAHAAN, TANHA KHARRA HOON


KOI TO HO , JO MERAY DARD BAANTAY
MUSALSAL HIJAR KA, MAARA HOWA HOON


MUHABBAT , HIJAR , NAFRAT , MIL GAYE  SAB
MAIN TAQREEBAN, MUKAMMAL HO GIYA HOON


Nazar Chura ke kaha bas yahi muqadar tha Bicherne wale ne mulba khuda peh daal dya



نظر چرا کے کہا بس یہی مقدر تھا
بچھڑنے والے نے ملبہ خدا پہ ڈال دیا
Nazar Chura ke kaha bas yahi muqadar tha
Bicherne wale ne mulba khuda peh daal dya


Aesa koi zindagi se wadah tu nhen tha Tere bena jene ka aeradh tu nhen tha



ایسا کوئی زندگی سے ٫ وعدہ تو نہیں تھا
تیرے بنا جینے کا , ارادہ تو نہیں تھا.
گلزار
Aesa koi zindagi se wadah tu nhen tha
Tere bena jene ka aeradh tu nhen tha

Gulzar


Aik hi shakhs se to matlab tha Aur wo shakhs matlabi nikla



Aik hi shakhs se to matlab tha
Aur  wo  shakhs  matlabi  nikla


Pori Padti Hai Kaaenaat Kahan Le Ke Jaoun Main Apni Zaat Kahan



پوری پڑتی ہے کائنات کہاں
لے کےجاؤں میں اپنی ذات کہاں
Pori Padti Hai Kaaenaat Kahan
Le Ke Jaoun Main Apni Zaat Kahan

पूरी पड़ती है कायनात कहाँ
लेके जाऊँ मैं अपनी ज़ात कहाँ

اپنی قسمت میں ان کا ساتھ کہاں
ہم کہاں اور ممکنات کہاں
Apni Qismat Mein Unka Saath Kahan
Hum Kahan Aur Mumkenaat Kahan

अपनी क़िस्मत में उनका साथ कहाँ
हम कहाँ और मुम्किनात कहाँ

آخری سانس تک اڑی ہی رہی
ٹالنے سے ٹلی حیات کہاں
Aakhiri Sans Tak Udi Hi Rahi
Talne Se Tali Hayat Kahan

आख़री साँस तक अड़ी ही रही
टालने से टली ह़यात कहाँ

دن اسی فکر میں گزرتا ہے
آج گزرے گی اپنی رات کہاں
Din Isi Fikar Mein Guzarta Hai
Aaj Guzre Gi Apni Raat Kahan

दिन इसी फ़िक्र में गुज़रता है
आज गुज़रेगी अपनी रात कहाँ

اب تو اخبار یہ بتاتے ہیں
ہونے والی ہے واردات کہاں
Ab Tou Akhbar Yeh Batate Hein
Hone Wali Wardaat Kahan

अब तो अख़्बार ये बताते हैं
होने वाली है वारदात कहाँ

رائیگاں ہی گئی خموشی بھی
اس نے سمجھی ہماری بات کہاں
Raegaan Hi Gai Khamoshi Bhi
Usne Samjhi Humari Baat Kahan

रायगाँ ही गई ख़मोशी भी
उसने समझी हमारी बात कहाँ

راجیش ریڈی
Rajesh Ready
राजेश रेड्डी


Dilo’n mein aag labo’n par gulaab rakhtay hain Sab apnay chehro’n peh dohri naqaab rakhtay hain



Dilo’n mein aag labo’n par gulaab rakhtay hain
Sab apnay chehro’n peh dohri naqaab rakhtay hain


Wahan Tak Tu Sath Chalo Jahan Tak Mumkin Ho Jahan Halaat Badal Jayen Wahan Tum Bhi Badal Jana



وہاں تک تو ساتھ چلو جہاں تک ممکن ہو
جہاں حالات بدل جائیں وہاں تم بھی بدل جانا
Wahan Tak Tu Sath Chalo Jahan Tak Mumkin Ho
Jahan  Halaat Badal Jayen Wahan Tum Bhi Badal Jana


Hamein ab kho ke kehta hai ' Mujhe tum yaad aate ho Kisi ka ho ke kehta hai ' mujhe tum yaad aate ho



Hamein ab kho ke kehta hai ' Mujhe tum yaad aate ho 

Kisi ka ho ke kehta hai ' mujhe tum yaad aate ho


Sumandar tha tou Zor o shor se lehrein bahata tha 

Ab qatra ho ke kehta hai mujhe tum yaad aate ho

 

Bayan Karte Jo Haal e Dil Tou Yun Muskura Daite

Ab Wahi Ro Ke Kehta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho


Na pooch us ki be-babasi ka aalam
MOHSIN 

Wo mujh ko kho ke kehta hai mujhe tum yaad aate ho


Dhalegi raat to phailega noor bhi is ka charagh apna sar-e-shaam jhilmilata hai



Dhalegi raat to phailega noor bhi is ka
charagh apna sar-e-shaam jhilmilata hai


Ye mana main kisi qabil nahin hoon in nigaahon mein Bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhey de do



ये माना मैं किसी काबिल नहीं हूँ इन निगाहों में
बुरा क्या है अगर ये दुःख ये हैरानी मुझे दे दो

Ye mana main kisi qabil nahin hoon in nigaahon mein

Bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhey de do

 
मैं देखूँ तो सही दुनिया तुम्हे कैसे सताती है
कोई दिन के लिये अपनी निगेहबानी मुझे दे दो


MaiN dekhon tau sahi duniya Tumhein kaise sataati hai

Koyee din ke liye apni nigehbaani mujhey de do

 साहिर लुधियानवी
Sahir Ludhianvi


Us Fiza Me B Jaltay Rahy Hm Kisi K liye Jahan Charag Trastay Thy Roshni k liye



Us Fiza Me B Jaltay Rahy Hm Kisi K liye
Jahan Charag Trastay Thy Roshni k liye


Yaad Rahy Ga Ye Dor-e-Hayat B Hm ko
K Trsay Thy Zindagi Me Zindagi K liye.


Kooche mein tere kaun sa jaadoo hai na jaane Jo laut ke aaya hai, dewana lage hai



Kooche mein tere kaun sa jaadoo hai na jaane
Jo laut ke aaya hai, dewana lage hai

Jaun Elia
कूचे में तेरे कौन सा जादू है न जाने
जो लौट के आया है वो दीवाना लगे है

जॉन एलिया


Tum apna makaan jab karo taqseem to yaaro Girti hui deewar ka saya mujhe dena



तुम अपना मकान जब करो तक्सीम तो यारो
गिरती हुई दीवार का साया मुझे देना।

मोहसिन नकवी
Tum apna makaan jab karo taqseem to yaaro
Girti hui deewar ka saya mujhe dena

MohsinNaqvi


Ye arz karta hoon gir kar khuloos waalon se Utha sako to uthaao ke main sharaabi hoon



Ye arz karta hoon gir kar khuloos waalon se
Utha sako to uthaao ke main sharaabi hoon


Tumhari aankh se bhar loon suroor aankhon mein
Nazar nazar se milaao ke main sharaabi hoon


Dil bhi jhuknaa chahiye, sajdey mei ,sar ke saath Dil kaheen , sar kaheen, ye bandagi acchi nahi



Dil bhi jhuknaa chahiye, sajdey mei ,sar ke saath
Dil kaheen , sar kaheen, ye bandagi acchi nahi


Woh jise aap samajh nahi sakte Uske aage ki daastaa'n hain hum



वो जिसे आप समझ नहीं सकते
उसके आगे की दास्तान हैं हम

Woh jise aap samajh nahi sakte
Uske aage ki daastaa'n hain hum


Tera har andaaz achcha hai Siwaye nazar andaaz karne ke



तेरा हर अंदाज़ अच्छा है
सिवाय नज़र अंदाज़ करने के

Tera har andaaz achcha hai
Siwaye nazar andaaz karne ke


The one you can't understand We are the story ahead of him



The one you can't understand
We are the story ahead of him
Those whom you cannot understand
We are the story of his front.


Death anniversary of Sahir Ludhianvi



Death anniversary of Sahir Ludhianvi
Abdul Hayee (8 March 1921 – 25 October 1980), popularly known by his pen name (takhallus)
Sahir Ludhianvi, was an Indian poet and film song lyricist who wrote primarily in Urdu in addition to Hindi. He is regarded one of the greatest and revolutionary film lyricist and poet of the 20th century India.
Sahir was different from his contemporaries in that he did not praise Khuda (God), Husn (beauty) or Jaam (wine). Instead, he wrote bitter yet sensitive lyrics about the declining values of society; the senselessness of war and politics; and the domination of consumerism over love. His love songs, tinged with sorrow, expressed his realisation that there were other, starker concepts more important than love.
Sahir might be called the "bard for the underdog". Close to his heart were the farmer crushed by debt, the soldier gone to fight someone else's war, the woman forced to sell her body, the youth frustrated by unemployment and the family living on the street for instance. Jawaharlal Nehru, Prime Minister of India said he was moved by Sahir's lyrics in Pyaasa Vijay, as he is passing through a red light area sings,
Ye kuche, ye nilaam ghar dilakashi ke, Ye lutate hue kaaravaa zindagi ke, Kahaan hai, kahaan hai muhafiz khudi ke, Jinhe naaz hai hind par vo kahaan hai
Sahir's poetry was influenced by noted Pakistani poet, Faiz Ahmed Faiz. Like Faiz, Sahir gave Urdu poetry an intellectual element that caught the imagination of the youth of the 1940s, 1950s and 1960s and reflected the feelings of the people of that period. He roused people from an independence-induced smugness. He would pick on the self-appointed custodian of religion, the self-serving politician, the exploitative capitalist, and the war-mongering super-powers. Sahir wrote with verve about the arrest of progressive writers in Pakistan; the launch of the satellite Sputnik and the discovery of Ghalib by a government lusting after minority votes. He wrote Kahat-e-Bangal (The Famine of Bengal) at 25 years of age. Subah-e-Navroz (Dawn of a New Day), mocks the way people celebrate while the poor exist in squalor. Of the Taj mahal, he wrote,
Mere mehboob kain aur mila kar mujhse,
Bazm-e-shahi mein garibon ka guzar kya manein.
Sabat jin rahon par hai satbat-e-shahike nishaan
Uspe ulfat bhari rahon ka guzar kya mane
His work influenced Indian cinema, in particular Hindi language films. Sahir won a Filmfare Award for Best Lyricist for Taj Mahal (1963). He won a second Filmfare Award for Best Lyricist for his work in Kabhie Kabhie (1976). He was awarded the Padma Shri in 1971. On 8 March 2013, the ninety-second anniversary of
Sahir's birth, a commemorative stamp was issued in his honor.


Mere Marne Ke Bad Meri Kahani Lekhna Kaise Barbad Hoi Meri Jawani Lekhna



Humien khabar hai keh hum hain chiragh akhir shab Humarey bad andhera nahi ujala hai



ہمیں خبر ہے کہ ہم ہیں چراغ آخر شب
ہمارے بعد اندھیرا نہیں اجالا ہے
Humien khabar hai keh hum hain chiragh akhir shab
Humarey bad andhera nahi ujala hai


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo