ada-e-ishq hon pori ana ke sath hon main hud apne sath hon yani khuda ke sath hon main



ada-e-ishq hon pori ana ke sath hon main
hud apne sath hon yani khuda ke sath hon main

mujawaran-e-hawas tang hain ki yon kaise
baghair sharm-o-haya bhi haya ke sath hon main

safar shuro to hone de apne sath mera
tu Khud kahega ye kaisi bala ke sath hon main

main chhu gaya to tera rang kaat dalunga
so apne aap se tujh ko bacha ke sath hon main

durud-bar-dil-e-wahshi salam-bar-tap-e-ishq
Khud apni hamd Khud apni sana ke sath hon main

yahi to farq hai mere aur un ke hal ke biich
shikayatein hain unhein aur raza ke sath hon main

main awwaleen ki izzat mein aakhireen ka nor
wo intiha hon ki har ibtida ke sath hon main

dikhai don bhi to kaise sunai don bhi to kyun
wara-e-naqsh-o-nawa hon fana ke sath hon main

ba-hukm-e-yar lawen qabz karne aati hai
bujha rahi hai? bujhae hawa ke sath hon main

ye sabireen-e-mohabbat ye kashifeen-e-junon
inhi ke sang inhin auliya ke sath hon main

kisi ke sath nahin hon magar jamal-e-ilaha
teri qism tere har mubtala ke sath hon main

zamane bhar ko pata hai main kis tariq pe hon
sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke sath hon main

munafiqeen-e-tasawwuf ki maut hon main "ALI"
har ek aseel har ek be-riya ke sath hon main

Ali Zaryoun

Lazim Nahi k Peghaam Nahi Aya To Tumhen Bhoool gaye hain Kuch Rishton ki Pehchan Dil kiya krty hain Alfaz Nahi



Lazim Nahi k Peghaam Nahi Aya To Tumhen Bhoool gaye hain

Kuch Rishton ki Pehchan Dil kiya krty hain Alfaz Nahi

Mujhe Arzoo-E-Sahar Rahi Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak



Mujhe Arzoo-E-Sahar Rahi
Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak
Na Bikhar Saka Na Simat Saka
Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak
Tha Bohat Azab Aur Akele Hum
Shab-E-Gham Bhi Meri Taweel Tar
Rahi Zindagi Bhi Saraab Aur
Rahi Aankh Tar Bari Dair Tak
Yahan Har Taraf Hai Ajab Samaan
Sabhi khud Pasand Sabhi Khud Numa
Dil-E-Beqarar Ko Na Mil Saka
Koi Chara Gar Bari Dair Tak
Mujhe Zindagi Hai Aziz Tar
Isi Waste Mere Hamsafar
Mujhe Qatra Qatra Pila Zeher
Jo Kare Asar Bari Dair Tak

Jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam Aseer hone ki azaad arzoo karte



Jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
Aseer hone ki azaad arzoo karte

Haidar Ali Atish

Mujhe Deemak Haroof Hai Aur Maraz Se Na-Balad Kuch Saada-Loh Samajhty Hain Magroor Hai RAZAB



Mujhe Deemak Haroof Hai Aur Maraz Se Na-Balad
Kuch Saada-Loh Samajhty Hain Magroor Hai RAZAB
Razab Tabraiz

Lehjon Ke Tagaur Ka Ik Anbaar Laga Hai Ab Daman-e-Chishm Ka Kia Kijiye Saahib



Lehjon Ke Tagaur Ka Ik Anbaar Laga Hai
Ab Daman-e-Chishm Ka Kia Kijiye Saahib
Razab Tabraiz

Wahi Aahatein Dar-o-Baam Par Wahi Rutjagon Ke Azaab Hain Wahi Adhbujhi Meri Neend Hai Wahi Adh Jaly Mere Khuwaab Hain



Wahi Aahatein Dar-o-Baam Par Wahi Rutjagon Ke Azaab Hain
Wahi Adhbujhi Meri Neend Hai Wahi Adh Jaly Mere Khuwaab Hain

Mere Saamny Ye Jo Khuwahishon Ki Hai Dhund Hadd-e-Nigaah Tak
Pare Uss Ke Jane Haqeeqatein Keh Haqeeqaton Ke Saraab Hain

Kabhi Chaha Khud Ko Samaitna Toh Bikhar Ke Aur Bhi Reh Gaya
Hain Jo Kirchee Kirchee Paday Hoe Mere Saamny Mere Khuwaab Hain

Bichhde hue yaaron ki sada Q nhii aati?? Ab roozan-e-zindaa'n se hawa Q nhii aati??



Bichhde hue yaaron ki sada Q nhii aati??
Ab roozan-e-zindaa'n se hawa Q nhii aati??
.
Tu ab bhi salaamat hai safar me to musaafir
Tere liye honton pe dua Q nhii aati??
.
Patthar ho to Q khauf-e-shab-e-gham se ho larzaan??
Insaan ho to jeene ki adaa Q nhii aati??
.
Ek ped k saaye se hawa poochh rahi hai
Ab dasht me makhlooq-e-KHUDA Q nhii aati??
.
Chehron pe wo sarson ki dhanak kya hui yaaron??
Hathon se wo khushbu-e-hina Q nhii aati??
.
Bastii k sabhi log salaamat hain to MOHSIN
Aawaaz koi apne siwa Q nhii aati??

Hazaron Aam Logon Mein Main Be-Had Aam Si Larki Buhat Hi Aam Sapnon Se Saji Aankhein Rahein Meri



ہزاروں عام لوگوں میں
میں بے حد عام سی لڑکی
بہت ہی عام سپنوں سے
سجی آنکھیں رہیں میری
میرا لہجہ میری باتیں
بہت ہی عام ہیں لیکن
میں جذبے پاک رکھتی ہوں
محبت خاص رکھتی ہوں
Hazaron Aam Logon Mein
Main Be-Had Aam Si Larki
Buhat Hi Aam Sapnon Se
Saji Aankhein Rahein Meri
Mera Lehja Meri Batein
Buhat Hi Aam Hain Lekin
Main Jazbe Paak Rakhti Hon
Muhabbat Khaas Rakhti Hon

Dar-e-qafas se parey jab sabaa guzarti hai Kise khabar k aseero'n pe kya guzarti hai



Dar-e-qafas se parey jab sabaa guzarti hai
Kise khabar k aseero'n pe kya guzarti hai
.
Ta'alluqaat kabhi is qadar na toote the
K teri yaad bhi dil se khafaa guzarti hai
.
Wo ab mile bhi to milta hai is tarah jaise
Bujhe charagh ko chhu kr hawaa guzarti hai
.
Faqeer kab k gaye jungalo'n ki simt magar
Galii se aaj bhi unki sadaa guzarti hai
.
Ye ahl-e-hijr ki basti hai ehtiyaat se chal
Museebato'n ki yahan intehaa guzarti hai
.
Bhanwar se bach to gayin kashtiya'n magar ab k
Dilo'n ki khair,, k mauj-e-balaa guzarti hai
.
Na poochh apni anaa ki baghawate'n MOHSIN
Dar-e-Qubool se bach kr Duaa guzarti ha

Jhalakti hai adaon se tapakti hai nigahon se mohabbat kaun kehta hai ke pahchani nahi jati



Jhalakti hai adaon se tapakti hai nigahon se
mohabbat kaun kehta hai ke pahchani nahi jati

झलकती है अदाओं से ,टपकती है निगाहों से
मोहब्बत ,कौन कहता है ,के पहचानी नहीं जाती

Jissy ho xaiqa-e-mout Us ishq ko baqa kaisi



Jissy ho xaiqa-e-mout

Us ishq ko baqa kaisi

Fana kaisi

Wafa kaisi
adda kaisi

Ryha kaisi

Saza kaisi

Gila kam goii ka mujh say baja hai Lekin ay jaan-e-sukhan



Gila kam goii ka mujh say baja hai

Lekin ay jaan-e-sukhan

Tu nay kabhi socha

Keh teri simat jab mein aankh bhar kay

Dekhti hoon to

Meri halki sunehri jild kay neechay

Achanak

Itnay dhairon nan'hay nan'hay say diye kyun jalnay lagtay hain???

Pooray Chaand Ka Jadu Pooch lo hawaa'on say ya nadi ki lehron say Khawahish'en machalti hain dil men dharkan'en ban kar




پورے چاند کا جادو

پوچھ لو ہواؤں سے
یا ندی کی لہروں سے
خواہشیں مچلتی ہیں دل میں دھڑکنیں بن کر
کورے تن کے سائے میں تتلیوں کا ڈیرا ہے
گنگناتے جذبوں کا بھی ادھر بسیرا ہے
نیلے نیلے ساحل پر چاندنی تھرکتی ہے
ناریل کے پیڑوں پر
ملگجے خیالوں کا حرف حرف رستا ہے
بوند بوند پانی کی کوئی گیت گاتی ہے
یاد کی حرارت سے تان ٹوٹ جاتی ہے
پاؤں کو اچانک جب لہریں چوم جاتی ہیں
زرد زرد رنگت پر
پنکھڑی گلابوں کی رنگ بھرنے لگتی ہے
اس سمے
جانے کون سا موسم ارد گرد ہوتا ہے
لال پھول مہندی کے
صندلی ہتھیلی پر خود ہی اگنے لگتے ہیں
کانچ کی طرح لیکن پھر وہ چبھنے لگتے ہیں
بہتے جھرنے کا چہرا
سرخ سرخ پھولوں کی نیلی رگ کو چھوتے ہی
گھاؤ بننے لگتا ہے
یہ حصار کیسا ہے؟
یہ دعائیں کس کی ہیں؟
کیا دیئے محبت کے۔۔۔۔ایک بار لو دے کر
پھر کبھی نہیں بجھتے؟
آج بھی اسی پل پر
ایک کھوئی کھوئی سی لڑکی انتظار میں بیٹھی
ماہ و سال کے موتی انکھڑیوں سے چنتی ہے
تتلیوں کے جھرمٹ سے بچ سکی اگر تو بھی
پورے چاند کا جادو
جان لے کے چھوڑے گا
سانس جب تک آتی ہے
یہ لہو نچوڑے گا
 
Pooray Chaand Ka Jadu

Pooch lo hawaa'on say ya nadi ki lehron say

Khawahish'en machalti hain dil men dharkan'en ban kar

Koray tan kay saaye men titliyon ka dera hai

Neelay neelay saahil par chaandni thirakti hai

Boond boond paani ki koi geet gaati hai

Yaad ki hararat say shaam jalnay lagti hai

Paa'on ko achanak jab lehrain choom jaati hain

Zard zard rangat par kesi rut utarti hai

Janay kon sa mosam ird gird hota hai

Sandali hatheli par surkh phool mehndi kay khud hi ugnay lagtay hain

Surkh surkh phoolon ki neeli rag ko chhuutay he ghaao kesa banta hai

Yeh hisaar kesa hai?

Yeh duaa'en kis ki hain?

Kaya diye muhabbat kay aik baar lau day kar.

Phir kabhi nhi bujhtay?

Aaj bhi usi pull par aik khoi khoi si larki intezaar men bethi

Maah-o-saal kay moti ankhriyon say chunti hai

Titliyon kay jhurmat say bach saki agr tu bhi

Pooray chaand ka jadu jaan lay kay chorray ga

Saans jab tak aati hai

Yeh lahu nichorray ga

Tadapta Hai,Sisakta Hai,Tarasta Hai Magar Dekho Ussay Keh Do Kisi Ke Hijar Mein Marta Nahi Koi



Tadapta Hai,Sisakta Hai,Tarasta Hai Magar Dekho
Ussay Keh Do Kisi Ke Hijar Mein Marta Nahi Koi

Sharbat-e-Nigah Bhi Akseer Cheez Hai Muskaan Tib-e-Husn Mein Wahid Dawa Nahi



Sharbat-e-Nigah Bhi Akseer Cheez Hai
Muskaan Tib-e-Husn Mein Wahid Dawa Nahi
Razab Tabraiz

Pehla Maila Kia Laga Badan Ke Dher Par Marzi Ki Chaadar Har Koi Charha Ke Le Gaya



Pehla Maila Kia Laga Badan Ke Dher Par
Marzi Ki Chaadar Har Koi Charha Ke Le Gaya
Boye Khoon Zakham Par Ijara Kar Gayi
Afsurda Mehik Ko Sabar Bhaga Ke Le Gaya
Razab Tabraiz

Dasht Mein Safar Thehra Phir Mere Safeenay Ka Main Ne Khuwaab Dekha Tha Barf Peghalnay Ka





Dasht Mein Safar Thehra Phir Mere Safeenay Ka
Main Ne Khuwaab Dekha Tha Barf Peghalnay Ka
Dhoop Ki Tamazat Thi,Moom Ke Makanon Par
Aur Tum Bhi Le Aai,Saaibaan Sheeshay Ka

Tanhaai Mein Wahi Laiti Hain Imtehaan Hoti Hain Ranjeshein Jo Door Paar Ki



Tanhaai Mein Wahi Laiti Hain Imtehaan
Hoti Hain Ranjeshein Jo Door Paar Ki
Razab Tabraiz

Qaid Mein Guzar Gayi Jo Umar Bade Kaam Ki Thi Par Main Kia Karti Keh Zanjeer Tere Naam Ki Thi



Qaid Mein Guzar Gayi Jo Umar Bade Kaam Ki Thi
Par Main Kia Karti Keh Zanjeer Tere Naam Ki Thi
Parveen Shakir

Boseeda puraane kisi saamaan mein rakh de Ya phir kisi toote hue guldaan mein rakh de



Boseeda puraane kisi saamaan mein rakh de
Ya phir kisi toote hue guldaan mein rakh de

Chaahat k charaaghon ko to jalna hai jalenge
Tu unko utha kr bhale toofaan mein rakh de

Qadmon mein tere masle hue phool nahi hain
Chaahat ki chitaa hain kisi shamshaan mein rakh de

Saansein na chuka payi hon qeemat jo wafa ki
Ab jism ki matti ko bhi taawaan mein rakh de
MOHSIN tere jazbaat yahan kon sunega
Be-rabtt khayalaat ko deewaan mein rakh de

Wo iss salike se diya jalati thi har padosi ke ghar me barabar noor jata tha



Wo iss salike se diya jalati thi
har padosi ke ghar me barabar noor jata tha

वो इस सलीके से घर में दिया जलाती थी
हर पडोसी के घर में बराबर नूर जाता था

Tere Deedaar Ko Aankhein Hain Tarasti Meri Dar Hai Keh Deed Ke Faqoon Se Na Mar Jaein Kahein



 تیرے دیدار کو آنکھیں ہیں ترستی میری

ڈر ہے کے دید کے فاقوں سے نہ مر جائیں کہیں

شیخ اسلم آزاد

Tere Deedaar Ko Aankhein Hain Tarasti Meri
Dar Hai Keh Deed Ke Faqoon Se Na Mar Jaein Kahein

Sheikh Aslam Azad

Aks kitnay utar gaye mujh main phir na janay ,kidhar gaye mujh main



Aks kitnay utar gaye mujh main
phir na janay ,kidhar gaye mujh main
main ne chaha tha,zakhm bhar jaaen
zakhm hi zakhm,bhar gaye mujh main
main wo pal tha,jo khaa gya sadyaan
sab zamaanay,guzar gaye mujh main
ye jo main hoon,zraa sa baaqi hoon
WO JO TUM THAY WO MAR GAYE MUJH MAIN

Ay Mere Mehboob Mujh Se Door Mat Reh



ترجمہ سندھئ شاعری

اے میرے محبوب
مجھ سے دور مت رہہ
میں کوجھا رہنے لگتا ہوں
کیوں کہ تو میرا آئینہ ہے
جس میں میں اپنے وجود کو
ایسے دیکھتا ہوں جیسا دیکھنا چاہتا ہوں
اے میرے محبوب
مجھ سے دور مت رہ

شیخ اسلم آزاد

Translation of Sindhi Poetry

Ay Mere Mehboob
Mujh Se Door Mat Reh
Main Kojha Rehne Lagta Hon
Kion Keh Tu Mera Aaina Hai
Jis Mein Main Apne Wajood Ko
Aise Dekhta Hon Jaisa Dekhna Chahta Hon
Ay Mere Mehboob 
Mujh Se Door Mat Reh

Sheikh Aslam Azad

Shikanjay Toot Gaye "Zakham" Badhawaas Hoe,Sitam Ki Had Hai Keh Ahl-e-Sitam Udaas Hoe



شِکنجے ٹُوٹ گئے ، ’’ زَخم ‘‘ بدحواس ہُوئے
سِتم کی حد ہے کہ اِہلِ سِتم اُداس ہُوئے

لہو کا ایسا سمندر بہایا دُشمن نے
سفینے زِندہ دِلوں کے بھی ، غرقِ یاس ہُوئے

حساب کیجیے ، کتنا سِتم ہُوا ہو گا
کفن دَریدہ بدن ، زِندگی کی آس ہُوئے

کچھ ایسا مارا ہے شب خون ، اِبنِ صحرا نے
سمندَروں کے سَبُو پیاس ، پیاس ، پیاس ہُوئے

نجانے شیر کے بچے ، اُٹھا لیے کِس نے
یہ مُوئے شَہر جو ، جنگل کے آس پاس ہُوئے

خُدا پناہ ! وُہ کڑوا خِطاب رات سُنا
کریلے نیم چڑھے ، باعثِ مِٹھاس ہُوئے

ہر ایک فیصلہ ، محفوظ کرنے والو سنو
جھکے ترازُو ، شَبِ ظلم کی اَساس ہُوئے

ہماری نسل بھی محرومِ اِنقلاب رہی
ہمارے شعر بھی کُتبوں کا اِقتباس ہُوئے

گلابی غُنچوں کا موسم اُداس کرتا ہے
کچھ ایسے دِن تھے ، جب اُس گل سے رُوشناس ہُوئے

ہر ایک شخص کا ، سمجھوتہ اَپنے حال سے ہے
خوشی سے سانس اُکھڑنا تھا ، غم جو راس ہُوئے

قبائے زَخمِ بَدن ، اَوڑھ کر ہم اُٹھے قیس
جو شاد کام تھے ، مِحشَر میں بے لباس ہُوئے
شہزادقیس کی کتاب انقلاب سے انتخاب

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain



Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain
Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain
Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain
Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain
Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Log Mere Naam Se Jal Jaatay hain

Kalaam Karta Tha Kaos-o-Kazah K Rangon Mein Wo Aik Khayaal Tha Aur Shairi Mein Rehta Tha



کلام کرتا تھا قوسُ و قزح کے رنگوں میں
وہ ایک خیال تھا اور شاعری میں رہتا تھا
Kalaam Karta Tha Kaos-o-Kazah K Rangon Mein
Wo Aik Khayaal Tha Aur Shairi Mein Rehta Tha

Kathan Safar hai Muhabbato'n ka, Saraab Rastay hain Soch lena Woh Chorr jaqtay hain Ek Qadam par jo saqth chaltay hain Soch lena



Kathan Safar hai Muhabbato'n ka, Saraab Rastay hain Soch lena
Woh Chorr jaqtay hain Ek Qadam par jo saqth chaltay hain Soch lena

Yeh Reet tum na nibah sako gay, na Sung Rehnay ki Baat karna
Keh Ishaq waalo'n ki Reh-guzar men Chanaab aatay hain Soch lena

Tumhen kaha tha keh Ban kay apna, Fareb deta hai yeh Zamana
Tumhen kaha tha keh Aasteeno'n men Saanp paltay hain Soch lena

Woh Basti jahaan pau hum-tum milay thay, mil kay Bicharr gaye thay
Wahaan pau ab bhi meri Wafa kay Chiraagh Jaltay hain Soch lena

ZRAA BHI PAAOON MAIN LARZISH NAHEEN HA MUJHAY ,KAANTON PE CHALNAA AA GYA NAA






ZRAA BHI PAAOON MAIN LARZISH NAHEEN HA
MUJHAY ,KAANTON PE CHALNAA AA GYA NAA


Though, I always longed to fly high, Fly through the mountainous valleys,







Ye never give’s up
BY FARQULEET MAHMOOD
23.2.17 My latest
Though, I always longed to fly high,
Fly through the mountainous valleys,
Far from the maddening crowds,
Ye took thy, wings but, what they did not take,
They wanted to take thy will to stand,
But, they never realized, I never give up,
Thy treads on the thorns of life,
But never succumbs to thorns of life.
Ye would never succumb to thorns of life,
Thy has got a will, thy has it all in myself,
The will power to stand up to this torture,
The torture of life is, if you succumb to it,
Ye never give’s up

Main Tab Se Inki Parwarish Ka Zimadar Hon Anghota Chosti Thein Jab Tumhari Mastiyan



Main Tab Se Inki Parwarish Ka Zimadar Hon
Anghota Chosti Thein Jab Tumhari Mastiyan
Razab Tabraiz

Waqfay Waqfay Se Bhara Jata Hai Dil Koi Ghoont Hai Sharaab Ka





Waqfay Waqfay Se Bhara Jata Hai
Dil Koi Ghoont Hai Sharaab Ka
Razab Tabraiz

Ankhon main bass ke, dil main samaa kar chale gaye Khawbeeda zindagi thi jaga kar chale gaye



آنکھوں میں بس کے دل میں سما کر چلے گئے
خوابیدہ زندگی تھی جگا کر چلے گئے

Ankhon main bass ke, dil main samaa kar chale gaye
Khawbeeda zindagi thi jaga kar chale gaye
Jigar Muradabadi

Tu Apni Sheesha Gari Ka Hunnar Zaya Na Kar Mein Tu Aaina Hoon,Mujhe Aadat Hai Tootne Ki



Tu Apni Sheesha Gari Ka Hunnar Zaya Na Kar

Mein Tu Aaina Hoon,Mujhe Aadat Hai Tootne Ki

Aawaaz De K Zindagi Har Baar Chup Gayi Hum Aise Saada Dil Thay Keh Har Baar Aa Gaye





Aawaaz De K Zindagi Har Baar Chup Gayi
Hum Aise Saada Dil Thay Keh Har Baar Aa Gaye
Ahmad Faraz

Agar Wo Aankhon Mein Mujasam Dekh Le Khud Ko Ussay Meri Muhabbat Se Bala Ka Ishq Ho Jai



Agar Wo Aankhon Mein Mujasam Dekh Le Khud Ko
Ussay Meri Muhabbat Se Bala Ka Ishq Ho Jai

Aakhir kis phool ki nishanee dete tujh ko tu judaa bhi aese mausam mei hua jab dharakhto ke bhi haath khaali thy



Aakhir kis phool ki nishanee dete tujh ko
tu judaa bhi aese mausam mei hua jab dharakhto ke bhi haath khaali thy

Sahil pe hon magar doob rahi hon Tufaan say larna seekh rahi hon



Sahil pe hon magar doob rahi hon
Tufaan say larna seekh rahi hon
Tanhayee ka aalam hai meray ird gerd
Khud Kalami ka hunr seekh rahi hon
Dil tootnay ki sada dour tak gayee
Apnay hi ansoon main doob rahi hon
Lahjon ka zahr mat deejye Mujh ko
Batoon ka talkh ghoont pii rahi hon
Salima muqader say kabhi gila nahi kartay
Wasa'at-e-dil ,samandar se seekh rahi hon
salima

Ajnabi Shehr K Ajnabi Rastay Meri Tanhai Par Muskratay Rahay



Ajnabi Shehr K Ajnabi Rastay
Meri Tanhai Par Muskratay Rahay

Main Bahut Dair Tak Yun Hi Chalta Raha
Tum Bahut Dair Tak Yaad Aatay Rahay

Zehr Milta Raha Zehr Peetay Rahay
Roz Martay Rahay Roz Jeetay Rahay

Zindagi Bhi Hamein Azmati Rahi
Hum Bhi Usay Azmatay Rahay

Zakham Jabbhi Koi Zehn-O-Dil Pe Laga
Zindagi Ki Tarf Ik Dareecha Khula

Hum Bhi Goiya Kisi Saz Kay Tar Hain
Chot Khatay Rahay Gungunatay Rahay

Kal Kuch Aisa Hua Main Bahut Thak Gia
Is Liay Suni Un-Suni Kar Gia

Kai Yadoon K Bhatkatay Huay Karwaan
Dil K Zakhmon Ka Dar Khatkhatay Rahay

Yeh mashghala hai kisi ka na-jane kia chahay Na fasloon ko mitaay, na faisala chahay



Yeh mashghala hai kisi ka na-jane kia chahay
Na fasloon ko mitaay, na faisala chahay

Meri bisaat hai kya main hon barg awara
Ura kay lay chalay mujh ko jahan hawa chahay

Hazaroon doobnay walay bacha liyay laikin
Usay main kaisay bachaoun jo doobna chahay

Jo apna chehra dikhata hai mehrubaan ban kar
Us aainay ki tarf kon dakhna chahay

PARINDA KHUSHK JHEELON SE YEHI AB KEH GYA AAKHIR MUJHAY MAJBOOR HIJRAT PAR,MERAY HAALAAT KARTAY HAIN



PARINDA KHUSHK JHEELON SE YEHI AB KEH GYA AAKHIR
MUJHAY MAJBOOR HIJRAT PAR,MERAY HAALAAT KARTAY HAIN

Kabhi chaand ban ke chamak gaye kabhi khaak ban ke bikhar gaye Ye meri zindagi ke chaar din issi kashamakash mein guzar gaye





Kabhi chaand ban ke chamak gaye kabhi khaak ban ke bikhar gaye
Ye meri zindagi ke chaar din issi kashamakash mein guzar gaye



Raat Darwazy Ki Dastak Pe Dehaan Na Dia Subah Pairon K Nishan Dekhe To Bohat Roye



Raat Darwazy Ki Dastak Pe Dehaan Na Dia
Subah Pairon K Nishan Dekhe To Bohat Roye

Zanjeer-e-Junoon Kuchh Aur Khanak Hum Raqs-e-Tamanna Dekhein Gey Duniya Ka Tamaasha Dekh Chuke, Ab Apna Tamaasha Dekhein Gey



Zanjeer-e-Junoon Kuchh Aur Khanak Hum Raqs-e-Tamanna Dekhein Gey
Duniya Ka Tamaasha Dekh Chuke, Ab Apna Tamaasha Dekhein Gey

Jo peeta hoon to udti hai sitaron se bhi kuchh aage Wagarna zindagi zere zameen maloom hoti hai



Jo peeta hoon to udti hai sitaron se bhi kuchh aage
Wagarna zindagi zere zameen maloom hoti hai

Na jane kaon thi jin se mili hai be-hijaabana
Hamein to har khushi parda-nasheen maloom hoti hai

Nikle to is tarah ke dikhayi nahin diye Doobe to der tak nazar aate rahenge ham



Nikle to is tarah ke dikhayi nahin diye
Doobe to der tak nazar aate rahenge ham
Ahmad Mushtaq

निकले तो इस तरह कि दिखाई नहीं दिये
डूबे तो देर तक नज़र आते रहेंगे हम
अहमद मुश्ताक़

Ay zabt dekh ishq ki unko khabhar na ho Dil mein hazaar dard uthe aankh tar na ho



Ay zabt dekh ishq ki unko khabhar na ho
Dil mein hazaar dard uthe aankh tar na ho

Muddat mein sham-e-wasal huyee hai mujhe naseeb
Do char saal tak to elahi sahar na ho

Ulfat ki kya ummeed woh aisa hai bewafa
Sohbat hazaar saal rahe kuchch asar na ho

Tool-e-shab-e-wisal ho misl-e-shab-e-firaq
Nikle Na aftaab elahi sahar na ho

Amir Minai

Dekh le bulbul-o-parwana ki be-taabi ko Hijr achha na haseenon ka wisal achha hai





Dekh le bulbul-o-parwana ki be-taabi ko
Hijr achha na haseenon ka wisal achha hai

Amir Minai


Yaad-e-Mazi Main Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye Is Se Behtar Hai Keh Har Baat Bhula Di Jaye



Yaad-e-Mazi Main Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye
Is Se Behtar Hai Keh Har Baat Bhula Di Jaye
Main Ne Apno Ke Rawayon Se Ye Mehsoos Kiya
Dil Ke Angan Mai Bhi Dewaar Utha Di Jaye
Main Ne Yaroon Ke Bhicharne Se Ye Seekha "MOHSIN"
Apne Dushman Ko Bhi Jeene Ke Dua Di Jaye

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo