Main Har Shaakh Dil Ki Naram Bechta Hon

 

 

Poet Atish Aheer

Typed 

*Red.Rose

 

Ba Soda-E-Fasal-e-Zakhm, Bechta Hon,

Main Har Shaakh Dil Ki Naram Bechta Hon,

Kai Baar Kirno Ki Seerhi Pe Charh Kar,

Main Apni Jabeen K Karam Bechta Hon,

Khizaon Se Pehle Mohabbat K Hathon,

Main Khushbo K Sare Bharam Bechta Hon,

Agar ! Bhook Mujh Par Ab Ashiq Hoi Hai,

To Pehle ! Main Apni Sharm Bechta Hon,

Bazar-E-Kufar! Sard Karne Ki Khatir,

Takkay Daamon Suche Harm, Bechta Hon,

Koi Rasm Uthti Hai Sada Dili Se,

Kisi Ko! Utha K Qasam, Bechta Hon,

Zaroorat K Hathon Ikathe Howay Hain,

Wo Chabuk Main Apne Waram Bechta Hon,

Koi Zulf Hai Jo Khareede Gi Is Ko,

Abhi Se Main Agla Janam Bechta Hon,

AFTAB Ko Na Mafi Mili Na Talafi,

Agar Main Ghazal Ya Nazam Bechta Hon...............!

 

 

Hijar Mein Khoob Rulate Ho Kahan Hote Ho? Lout Kar Kion Nahi Aate Ho Kahan Hote Ho?



Poet Ibn-E-Insha
Hijar Mein Khoob Rulate Ho Kahan Hote Ho?
Lout Kar Kion Nahi Aate Ho Kahan Hote Ho?
Mujh Se Bichre Ho To Mehboob-E-Nazar Ho Kis K?
Aaj Kal Kis Ko Manate Ho Kahan Hote Ho?
Shab Ki Tanhai Mein Aksar Ye Khayal Aata Hai,
Apne Dukh Kis Ko Sunate Ho Kahan Hote Ho?
Tanha Raton Mein Tumhain Kaise Bhula Sakte Hain,
Aag Si Dil Mein Lagate Ho Kahan Hote Ho?
Shehr K Log Bhi Aksar Ye Sawal Karte Hain,
INSHA
Ab Bahut Kam Nazar Aate Ho Kahan Hote Ho................?
Book
Chand Nagar

Phir Aa Rahi Eid Wo Dekho Chand Eid Ka (CHAND EID KA)

==============

Eid Collection

==============

Poet UMAR RAAHI

Phir Aa Rahi Eid Wo Dekho Chand Eid Ka,

Roti In Aankhon Ko Intzar Hy Tairi Deed Ka,

Aao K Mil Kar Baantein Khushiyan Eid Ki,

Eid Hy Paigham Deed Ka,

Wohi Ujrra Aur Veeran Ghar Hy Maira,

Muntzar Hy Jo Tairy Lotny Ki Naveed Ka,

Lott Aao Is Eid Py Gar Tum Jaana'N,

Mehak Uthy Phool Chaman-E-Khusheed Ka,

Ajj-Nabi Nahein Hum An-Jany Nahein,

By-Rukha Hy Kyoun Andaz Taira Guffat-O-Shuneed Ka,

Sun Kar Iltja RAAHI Ki Aa Bhi Jao,

Eid Hy Din Ahad-E-Wafa-O-Tehmeed Ka................!

Sharafat Soz Tasveeron Ki Uriani Nahi Jati

 

Poet Faiz Ahmad Faiz 

 

Sharafat Soz Tasveeron Ki Uriani Nahi Jati,

Adab Ki Aar Mein Targheeb-e-Roomani Nahi Jati,

Khuda Jane K Nasl-e-Nao Ka Kia Anjam Hona Hai?

Watan Se Fahash Naghmon Ki Farawani Nahi Jati,

Azaab Aaye To Us Mein Sainkron Ki Jan Jati Hai,

Nahi Jati To Shaitano Ki Shaitani Nahi Jati,

Kahein Basti Ki Basti

Boond Pani Ko Tarasti Hai,

Kahein Barish Barasti Hai To Tughyani Nahi Jati,

Jahan K Zarre Zarre Se Numaya Hai Jalaal US Ka,

Magar Hum Se Khuda Ki Zat Pehchani Nahi Jati,

Zamana Is Qadar Qail Howa Hai FAIZ Jhooton Ka,

Jo Sach Kehte Hain Un Ki Aik Bhi Maani Nahi Jati..............! 

 

Khushian Sari Bant Kar Dard Mila Kar Peo

 

=============

Mila Kar Pio

============= 

 

Poet UMAR RAAHI

Type BY

UMAR RAAHI 

 

Khushian Sari Bant Kar Dard Mila Kar Peo,

Agar Peena Hi Hy Sharab To Zehar-E-Judai Mila Kar Peo,

Aankhon K Ye Jhal'Kty Jaam Tham Na Jaein Kahein,

Us Sy Pahly Aao Aur Aankh Sy Aankh Mila Kar Peo,

Dard-E-Tanhai Azaab Sy Kamm Nahein,

Dard-E-Tanhai Ko Jaam-E-Ashak Mein Mila Kar Peo,

Rindo'n Ki Ye Mehfil Phir Kahan Mayyser Ho Saqi ?

Ay Mehfil-E-Rinda'n Jaam Sy Jaam Takra Kar Peo,

RAAHI Ye Dard Ki Dawa To Aab-E-Hayaat Hai,

Ba Ahtram Isy To Muskra Kar Pio.....!

 

Aaj Itna JAAM Pila De K AANKHAIN Band Ho Jain

 

Aaj Itna JAAM Pila De K AANKHAIN Band Ho Jain

"AY_SAQI"

Suna Hai AANKHEN

Band Ho Jayien To Dushman B MILNAY Chalay Aatay Hain.

 

Is Khaak ko Hidayat day Moula

 

!.....Iss Khaak ko Hidayat day Moula.....!


!.....Uss Khaak mein Milny sy Pehly.......!


(Aameen)

 

Teri Wafa K Taqaze Badal Gaye Warna

 

Teri Wafa K Taqaze Badal Gaey Warna,

Mujhey To Aaj Bhi Tum Se Azeez Koi Nahi.....!

 

Na Hota Dar Mohammad S.A.W.W Ka To Deewane Kahan Jate

 

Poet Saghar Saddiqui

======

NAAT

======

Typ By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Na Hota Dar Mohammad S.A.W.W Ka To Deewane Kahan Jate.

KHUDA Se Apne Dil Ki Baat Manwane Kahan Jate.

Jinhen Ishq-E- Mohammad s.w.s Ne Kia Idrak Se Bala.

Haqeeqat In Tamanaon Ki Samjhane Kahan Jate.

KHUDA Ka Shukr Hai Ye Hajr-E-Asood Tak Rasai Hai.

Jinhen Kabay Se Nasbat Hai Wo Butkhane Kahan Jate.

Agr Aati Na Khushbo-E-Madina Meri Aankhon Se.

Jao Marte Hain Na Jalte Hain Wo Parwane Kahan Jate.

Simat Aaye Meri Aankhon Mein Husan-E-Zindagi Ban Kar.

Sharab-E-Dar Se Makhmoor Nazrane Kahan Jate.

Chalo Acha Howa Hai Naat-E-SAGHAR Kam Aai Hai.

Ghulaman-E-Nabi s.w.s Mihshar Mein Paichane Kahan Jate.......!

Book Kuliat-e-Saghar


Page: 23

 

Tumhain Udas Sa Pata Hon Main Kai Din Se Na Jane Kon Se Sadme Utha Rahi Ho Tum

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Tumhain Udas Sa Pata Hon Main Kai Din Se,

Na Jane Kon Se Sadme Utha Rahi Ho Tum,

Wo Shokhian Wo Tabasum Wo Qehqahe Na Rahe,

Har Aik Cheez Ko Hasrat Se Dekhti Ho Tum,

Chupa Chupa K Khamooshi Mein Apni Bechaini,

Khud Apne Raz Ki Tash'heer Ban Gai Ho Tum,

Meri Umeed Agar Mit Gai To Mitne Do,

Umeed Kia Hai Bas Ek Pesh-O-Pasan Hai Kuch Bhi Nahi,

Meri Hayat Ki Ghamgeenion Ka Gham Na Karo,

Gham-E-Hayat Gham Yak Nafs Hai Kuch Bhi Nahi,

Tum Apne Husn Ki Ranaion Pe Reham Karo,

Wafa Fareib Hai Tool Hivas Hai Kuch Bhi Nahi,

Mujhe Tumahare Taghaful Se Kion Shikayat Ho?

Meri Fana Mere Ahsas Ka Taqaza Hai,

Main Janta Hon K Dunia Ka Khof Hai Tum Ko,

Mujhe Khabar Hai Ye Dunia Ajeeb Dunia Hai,

Yahan Hayat K Parde Mein Mout Palti Hai,

Shikast-E-Saz K Awaz Rooh-E-Naghma Hai,

Mujhe Tumhari Judai Ka Ko Ranj Nahi,

Mere Khayal Ki Dunia Mein Mere Pas Ho Tum,

Ye Tum Ne Theek Kaha Hai Tumhain Mila Na Karon,

Magar Mujhe Ye Bata Do K Kion Udas Ho Tum,

Khafa Na Hona Meri Jurat-E-Takhatub Par?

Tumhain Khabar Hai Meri Zindagi Ki Aas Ho Tum,

Mera To Kuch Bhi Nahi Hai Main Rad K Jee Lon Ga,

Magar Khuda K Liye Tum Aseer-E-Gham Na Raho,

Howa Hi Kia Jo Zamane Ne Tum Ko Cheen Lia,

Yahan Pe Kon Howa Hai Kisi Ka Socho To,

Mujhe Qasam Hai Meri Dukh Bhari Jawani Ki,

Main Khush Hon Meri Mohabbat K Phool Thukra Do,

Main Apni Rooh Ki Har Ek Khushi Mita Lon Ga,

Magar Tumhari Musarat Mita Nahi Sakta,

Main Khud Ko Mout K Hathon Soonp Sakta Hon,

Magar Ye Bar-E-Masaib Utha Nahi Sakta,

Tumhare Gham K Siwa Aur Bhi To Gham Hain Mujhe,

Nijab Jin Se Main Ek Lehza Pa Nahi Sakta,

Ye Onche Onche Makano Ki Deirhion K Tale,

Har Ek Gaam Pe Bhooke Bhikarion K Sada,

Gali Gali Mein Ye Bikte Howay Jawan Chehre,

Haseen Aankhon Mein Afsurdagi Si Chai Hoi,

Ye Jang Aur Ye Mere Watan K Shokh Jawaan,

Khareedi Jati Hain Uthti Jawanian Jin Ki,

Ye Bat Bat Pe Qanoon-O-Zabte Ki Girft,

Ye Zilatein Ye Ghulami Ye Dor-E-Majboori,

Udas Rah K Mere Dil Ko Aur Ranj Na Do.................!

 

Page 40 to 43 

 

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai Sahar Ludhianvi

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai,

K Zindagi Teri Zulfon Ki Naram Chaon Mein,

Guzarne Pati To Shadab Ho Bhi Sakti Thi,

Ye Tairgi Jo Meri Zeest Ka Muqadar Hai,

Teri Nazar Shoaon Mein Kho Bhi Sakti Thi,

Ajab Na Tha K Main Begana-E-Alam Ho Kar,

Tere Jamal Ki Ranaion Kho Rehta,

Tera Gudaz Badan Teri Neem Baz Aankhein,

Inhi Haseen Fasano Mein Mehv Ho Rehta,

Pukartien Mujhe Jab Talkhian Zamane Ki,

Tere Labon Se Halawat K Ghont Pee Leta,

Hayat Cheekhti Phirti Bar Hana Sar Aur Main,

Ghaneri Zulfon K Saye Mein Chup K Jee Leta Hon,

Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai,

K Too Nahi Tera Gham Teri Justajoo Bhi Nahi,

Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarha Zindagi Jaise,

Isay Kisi K Sahare Ki Aarzo Bhi Nahi,

Zamane Bhar K Dukhon Ko Laga Chuka Hon Galay,

Guzar Raha Hon Kuch Anjani Rah Guzaron Se,

Moheeb Saye Meri Simat Barhte Aate Hain,

Hayat-O-Mout K Pur Hol Khaar Zaron Se,

Na Koi Jada-E-Manzal Na Roshni Ka Suragh,

Bhatak Rahi Hai Khilaon Mein Zindagi Meri,

Inhi Khilaon Mein Rah Jaon Ga Kabhi Kho Kar,

Main Janta Hon Meri Hum Nafs Magar Youn Hi,

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai.....................!


Page 86 To 87 

 

Kayal-E-Yar Mein Hum Pur Bahar Rehte Hain

 

Poet Saghar Saddiqui

tYpe bY

*._Ayaz Khan_.* 

 

Kayal-E-Yar Mein Hum Pur Bahar Rehte Hain.

Khizaan K Din Bhi Humen Saaz-Gar Rehte Hain.

Chaman Mein Sirf Humara Hee Zikar Rehta Hai.

Barng-E-Lala Humi Daghdar Rehte Hain.

Ye Aur Baat K Tum Aaye Ho To Koi Nahi.

Warna Gham To Yahan Be Shumar Rehte Hain.

Jahan Guds Bhi Meri Nazar Se Guzara Hai.

Wahan Bhi Teri Nazar K Shikar Rehte Hain.

Basiraton Ko Nikhara Humi Ne Aye SAGHAR.

Tajalion Se Humi Humkinar Rehte Hain.......!

Book

Kuliat-e-Saghar

Page: 261

 

Ye bekhudi ye labon ki hansi mubarik ho

 

==========

Birth Day

========== 

 

[Salgirah mubarak ho] 

 

Ye bekhudi ye labon ki hansi mubarik ho,

Tujhe ye salgirah ki khushi mubarak ho,

Kabhi na aey koi gham qareeb tere,

Jahan mein sabse ache hon nasib tere,

Khuloos pyaar bhari dosty mubarak ho,

Tujhe ye salgirah ki khushi mubarak ho,

Khuda kare hon farishte sipah tere,

Bichaen phool log raah mein tere,

Ishq ke rang, sadaf ki chandni mubarak ho,

Tujhe ye salgirah ki khushi mubarak ho,

Sabhi ke hath uthe hein dua ke liye,

Muskuratein tujhe hasil hon sada ke liye,

Aey mere dost ye nai zindagi mubarak ho,

Tujhe ye salgirah ki khushi mubarak ho...!

 

Mera Lafaz Lafaz Dua Ye Dua Tere Liye

 

 +++++++++++

Birth Day

+++++++++++ 

 

Mera Lafaz Lafaz Dua Ye Dua Tere Liye,

Mairi Ghazlon Ka Bol Bol Sada Ye Sada Tairy Liye,

Rahy Sada Muskrahit Tairy Labbon Py,

RABB Sy Hy Iltja Ye Iltja Tairy Liye,

Koi Din Na Aaye Ly Kar Dukh Tairy Zindagi Mein,

Dil Sy Nikalti Hy Dua Ye Dua Tairy Liye,

Tujh Py Aany Wali Museebatein Samait Lon Daman Mein Apny,

Mairy Hissy Ki Khushiyan Ye Khushiyan Tairy Liye,

Mangta Hoon KHUDA Sy Jo Raat Mein Uthh Kar,

Wo Sub Duaein Dua Tairy Liye,

Raho Sada Phool K Jaisy Mehkti Tum,

RAAHI Ki Hy Ye Sada Sada Tairy Liye,

 

 

Chahat Ho khushhi Ho Tere Daman Mein Wafa

 

=+=+=+=+=+=+=

Birth Day

=+=+=+=+=+=+= 

 

Chahat Ho khushhi Ho,Tery Daman Me Wafa Ho..,

Mehki Howi Ik Shaam Teri Salgirah Ho,,

Is Din K Tasawwur Se Sanwar Jaain Nazary,

Is Din Tere Qadmon Me Bikhar Jaain Sitary,

Is Din Pe Meri Zeest Ka Her Lamha Fida Ho,

Mehki Howi Ik Shaam Teri Salgirah Ho,,

Purzor Hawa Me Diya Jalta Huwa Rakhy,

ALLAH Jahan Me Tujhe Hamesha Hansta Howa Rakhy,

Bojhal Na Kabhi Namm Teri Palko Ki Rida Ho,,

Mehki Howi Ik Shaam Teri Salgirah Ho..

Chahat K Dilon Se,Kabhi Jazbaat Na Kam Hoon,

Aisa Hi Agar Ho To Ye Din Raat Na Kam Hoon,

ALLAH Kary Umar Meri Tujh Ko Ataa Ho,

Mehki Howi Ik Shaam Teri SALGIRAH ho.

 

Aaj Tumhari Salgira Hai Dekho Hum Ko Yad hai Na

 

=*=*=*=*=*=*=*=

Birth Day

=*=*=*=*=*=*=*= 

 

Aaj Tumhari Salgira Hai Dekho Hum Ko Yaad hai Na,

Nargis Bela Motia lala juhi,

Chumpa Or Banafsha Har Koi Dekho Shaad hai Na,

Ajj Tumhari Salgirah Hai Dekho Hum Ko Yaad hai Na,

Roshan Roshan Manzir Saare,

Lambi Lariyan Phool Sitare Har Ik Rang Abad Hai Na,

Aaj Tumhari Salgirah Hai Dekho Hum Ko Yaad hai Na.....+

Happy Birthday.

 

Tumhari Salgirah Jab Se Mujh ko Yad Aai

 

************

Birth Day 

************

 

Tumhari Salgirah Jab Se Mujh ko Yaad Aai

Tabhi Se Soch Rahi Hon k Tumhen Kya Paish Karon?

Koi Sapna, Koi Wada, Koi Khushbu, Koi Phool

Ya Tumhen Dil Se Nikalti ye Dua Paish Karon

Tumhary Paaon Sada Manzilon ki Raah Chalen

Sarab ka Tumhari Raah Se Guzar Bhi Na Ho

Tumhary Haath Barhen, Kamyabi ko Chho Len

Kisi Nakami ka Tumhari han Zikr B Na Ho

Tumhari Aankhon Main Umeed k Taary Chamken

Mayosiyon Main koi Roz-o-Shab Basar Bhi Na Ho

Tujhe Urooj He Itna Mily Ay Jaan-e-Aziz!

K Tumhen Phir kisi Zawal ki Fikar Bhi Na Ho.

HAPPY BIRTHDAY.

 

KHUDA Kare Tere Gulshan Mein Jo Salgira Aai ho

 

===========

Birth Day

=========== 

 

KHUDA Kare TErE GUlLshan MEn Jo SaLgirha Aai h0

Tere Lab0n Par Wo Har Lamha MUskurai h0

KHUDA karE To Ek PaL Bi UdaS Na H0

UdaSi ka Saya bi Tere PaS Na h0

KHUDA KarE TEri KhuShiy0n k Ph0oL KhiL JaiN.

Wo JinSe MiLny Ka ArmaN hai TujhKo miL JaiN.

KHUDA karE TEra AaNGaN y0n hE MEhakta Rahy.

To "ChaNd" Ban kar faLak Par Sada Chamkta Rahy.

KHUDA KarE Tujhe SaLgirha Ras aa jaye.

To JiSko Chahy Wo khud Tere PaS aa jaye.

.

HapPy Birthday 2 U.

 

Phoolon ne Amrat Ka Jaam bheja Hai

 

==========

Birth Day

========== 

 

Phoolon ne Amrit Ka Jaam bheja Hai,

Sooraj Ne Gagan Se Salam Bheja Hai,

Mubarak Ho Ap Ko Naya Janam Din Aye Dost,

Tahe Dil Se Hum Ne Ye Paigaam Bheja Hai..........!

 

Us ki Salgirah K Moqe Par Us ne Davat Nama Likh Behja

 

==========

Birth Day

==========

 

Us ki Salgirah K Moqe Par

Us ne Davat Nama Likh Behja

Jab Pocha Mai Ne kion Behja

Tab Boli Yad Boht Tum Aate Ho

Jab Sakhiya Mujy Satati Hai

Jab Yadein Mujy Rolati Hy

Tab Yad Boht Tum Aty Ho

Aaj Hy Mri Salgira

Davat Nama Beja Hy

Us Ne Apni Salgira K Moqa Par

Davat Nama Beja Hy

Sath Ye B Likha Tha

Jab Ao To Dil Ko Smbl K Ana

Mri Salgira K Muqa Par

Meri Shadi Ka Bhi Moqa Hai

Usny Aj Apni Salgira Ka

Davat Nama Beja Hai..........!

 

Shor Hy Har Taraf Sahb Sahb Saqia! Saqia! Sharab! Sharab!/

 

Poet: KASHAFI MULTANI

 

Shor Hy Har Taraf Sahb Sahb Saqia! Saqia! Sharab! Sharab!/

Aab e Hewan Ko May Se Kia Nisbat*

Pani Pani Hy Aur  Sharaab! Sharaab!/

 

Rind Bakhshy Gaye Qayamat Main*

Shekh Kehta Raha Hisaab! Hisaab!/

 

Ek Wahi Mast Baakhabar Nikla*

Jis ko Kehte They Sab Kharab! Kharab!/

 

 Mujh Se Waja-Gunah Jab Pochi*

Sir Jhuka Ke Kaha  Shabaab! Shabaab!/


Jaam Girne Laga Tou Behka Shekh*

Thamna Thamna! Ketaab! Ketaab!/


Kab wo Aata Hy Saamne KASHAFI*

Jis Ki Har Ek Adaa Hijaab! Hijaab!......... 

 

**********NOMI**********

 

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milein

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milein,

Jis Tarha Sookhe Howay Phool Kitabon Mein Milein,

Dhoond Ujre Howay Logon Mein Wafa K Moti,

Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milein,

Gham-E-Dunia Bhi Gham-E-Yar Mein Shamil Kar Lo,

Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein,

Too Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa,

Dono Insaan Hain To Kion Hijabon Mein Milein?

Aaj Hum Dar Pe Khainche Gaye Jin Baton Par,

Kia Ajab Kal Wo Zamane Ko Nisabon Mein Milein,

Ab Na Wo Main Hon Na Too Hai Na Wo Mazi Hai,

FARAZ

Jaise Do Shakhs Tamana K Sarabon Mein Milein...

 

Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia

 

 

Poet Atish Aaheer 

 

Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia,

Mar Jain To Jeene Ki Dua Deti Hai Dunia,

Hum Kon Se Momin Thay Jo Ilzam Na Sehte,

Pathar Ko Bhagwan Bana Deti Hai Dunia,

Ye Zakhm Mohabbat Ka Hai Dikhana Na Kisi Ko,

La Ker Sar-E-Bazar Saja Deti Hai Dunia,

Qismat Par Karo Naaz Na Itna Bhi Faqeero,

Hathon Ki Lakeeron Ko Mita Deti Hai Dunia,

Marne K Liye Karti Hai Majboor To Lekin,

Jeene K Tareeqe Bhi Sikha Deti Hai Dunia,

Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia, 

 

 

Dard-E-Dil Jagata Hai Eid Ka Chaand Khoon K

===============

Eid Ka Chaand

===============

Type BY

UMER RAAHI

Dard-E-Dil Jagata Hai Eid Ka Chaand,

Khoon K Aansoo Rulata Hai Eid Ka Chaand,

Bhula Kar Jo Hain Khush Hum Ko,

Yaad Un Ki Dilata Hai Eid Ka Chaand,

Khushi Bant'Ta Hai Har Ik Ko,

Dard Mairy Daman Mein Chhorr Jata Hai Eid Ka Chaand,

Bikhra Apna Wajood Jo Samait Laita Hon,

Pall Bhar Mein Raiza Raiza Kar Jata Hai Eid Ka Chaand,

Mairy Dar-O-Deewar Hain Tanha Tanha,

Udaasi Ik Nayi Lata Hai In Py Eid Ka Chaand,

RAAHI Jab Hansna Chahta Maira Dil,

Ik Naya Dard Sonp Jata Hai Eid Ka Chaand.............!

Aab-E-Angoor Se Wazoo Kar Lo Dosto Baiat Saboo Kar Lo

 

Poet Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Aab-E-Angoor Se Wazoo Kar Lo,

Dosto Baiat Saboo Kar Lo,

Gur Bata Dain Ge Badshahi K,

Hum Faqeeron Se Guftagoo Ka Lo,

Un Se Milna Koi Mahal Nahi,

Un Se Milne Ki Aarzoo Kar Lo,

Do Qadam Raigaan Hoye To Kia,

Do Qadam Aur Justajoo Kar Lo,

Jashan Zaar-E-Hayat Mein SAGHAR,

Chaar Din Tum Bhi Haa-O-Hoo Kar Lo.......!


Book:

Kuliat -e-Shaghar

Page: 171

 

Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Bara Bar Se Utha

 

 

Poet Mustafa Zaidi 

 

Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Bara Bar Se Utha,

Aag Sehra Mein Lagi Aur Dhowan Ghar Se Utha,

Dard-e-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha,

Tabish-E-Husn Bhi Thi Aatish-E-Dunia Bhi Magar,

Shola Jis Ne Mujhe Phoonka Mere Andar Se Utha,

Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha,

kisi Mosam Ki Faqeeron Ko Zaroorat Na Rahi,

Aag Bhi Abar Bhi Toofan Bhi Saghar Se Utha,

Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha,

Chand Se Shikwa Ba Lab Hon K Sulaya Kion Tha,

Maye Ki Khursheed-E- Jahan Khawab Ki Thokar Se Utha,

Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha,

Aag Sehra Mein Lagi Aur Dhowan Ghar Se Utha,

Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha.............! 

 

 


Ek Too hi Na Bechain Tha Pyare Shab-E-Hijraan

 

 

Poet Shamsher Haidar

Type By

UMAR RAAHI 

 

Ek Too hi Na Bechain Tha Pyare Shab-E-Hijraan

Ginta Raha Main B Stare Shab-E-Hijraa'n

Chunti Rahi Pal'Kon Se Utre Huye Aansoo,

Sunti Rahi Noohe Hamare Shab-E-Hijraa'n

Ae Zeesat Ye Manzar B To Ik Baar Dikha De,

Hanste Huye Koi To Guzare Shab-E-Hijraa'n,

Aabad Barre Dard Hain Is Dashat Mein Laikin,

Dil Hai K Bas Ik Tujh Ko Pukare Shab-E-Hijraa'n,

Ab Aur Koi Dhond Raha Hai Jo Taira Sath,

Hum Log To Is Khel Mein Hare Shab-E-Hijraa'n,

Shamsher Ajb Raat Hai Kaate Nahein Kat'Ti,

Dukh Dard B Yaad Aate Hain Sare Shab-E-Hijraa'n....!

 

 

Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga Lyrics

 

Singer Noor Jahan 

 

Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga,

Dil Na Chahe Ga Magar Aag Pe Chalna Ho Ga,

Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga,

Shamma Ek Rat Jaga Karti Hain Lekin Mujh Ko,

Umar Bhar K Liye Chup Chap Pighalna Ho Ga,

Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga,

Cheen Li Pyar Ki Thandak To Zamane Ne Kaha,

Tujh Ko Ek Aag Se Gumnam Nikalna Ho Ga,

Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga,

Bandh Hain Mout Ki Rahein Bhi Haseeno K Liye,

Jane Is Qaid Se Ab Kaise Nikalna Ho Ga,

Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga,

Aasman Wala Phir Mera Khuda Hai To,

Mujhe Aapni Dunia K Teri Wadon Ko Badalna Ho Ga,

Dil Na Chahe Ga Magar Aag Pe Chalna Ho Ga,

Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga...............! 

 

Har Taraf Hai Aafaq Mein Rahmat Us Ki

 

 

Poet Dr Khawaja Abid Nizami 

 

Har Taraf Hai Aafaq Mein Rahmat Us Ki,

Zare Zare Mein Nazar Aati Hai Qudrat Us Ki,

Har Barai Hai Usi Zat-E-Ahad Ko Zaiba,

Izat Us Ki Hai Shikwa Us Ka Hai Azmat Us Ki,

Us K Hi Noor Se Roshan Hain Ye Mah-O-Anjum,

Lala-O-Gul Mein Hai Ye Nekahat-O-Rangat Us Ki,

Is Ki Qudrat Pe Hai Angasht Badnadaan Dunia,

Dorti Hai Rag-E-Gul Mein Bhi Hararat Us Ki,

Aik Insan Ko Kia Fakhar-E-Do Aalam Us Ne,

Nasal Aadam Pe Hai Kis Darja Anayat Us Ki,

Rifat Arsh Par Urta Hai Pharera Us Ka,

Wosat-E-Araz Pe Qaim Hai Hakoomat Us Ki,

Us Ki Rahmat Se Atta Ho Mujhe Aisi Tofeeq,

Dil Kash Andaz Mein Likhta Rahon Mudahat Us Ki,

Us K Mehboob-E-Mukaram Ka Hai Sadqa,

ABID

Hum Ko Hasil Hai Balaon Mein Hifazat Us Ki......................! 

 

 

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai Lyric

 

Poet Qateel Shifai 

 

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai,

Yehi Bahut Hai K Taza Hawa Chali To Hai,

Jo Apni Shaq Se Bahar Abhi Nahi Aai,

Nai Bahar Ki Zameen Wohi Kali To Hai

Dhowan To Jhoot Nahi Bolta Kabhi Yaro,

Humare Shaher Mein Basti Koi Jali To Hai,

Kisi K Ishq Mein Hum Jan Se Gaye Lekin,

Humare Naam Se Rasm-e-Wafa Chali To Hai,

Hazar Band Hon Dair-O-Haram K Darwaze,

Mere Liye Mere Mehboob Ki Gali To Hai........................! 

 

EID Pe Hum Apne Yar Ko Tarse DEEDAR Ko Us K Pyar Ko Tarse

=================

Eid Collection

=================

Poet Ayaz Khan

Type By

*._Ayaz Khan_.*

EID Pe Hum Apne Yar Ko Tarse,


DEEDAR Ko Us K Pyar Ko Tarse,


ZARD Mosam Mein Jaise Shajar Tarpe,


Ya Phir Chaman Bahar Ko Tarse,


JAISE Koi Phool Shakh Se Juda Hota Hai,


Ya Khizaan Mein Kalian Nikhar Ko Tarse.


YA Qaid Mein Koi Panchi Jangal Ko Yad Kare.


YA Dasht-O-Bayabaan Chanaar Ko Tarse.


YA Karwaan Se Koi Musafir Bhatak Jaye.


YA Phir Sehra Mein Piyasa Gulzaar Ko Tarse.


YA Sakht Garmi Mein Koi Piyasi Zameen.


SAWAN Ki Thandi Phowar Ko Tarse,


YA Phir Sahil Se Door Toofano Mein.


GHIRI Koi Naoo Kinaar Ko Tarse.


AYAZ Phir Eid Aai Hai Khushian Le Kar.


Hum Teri Muskan Tere Khumaar Ko Tarse................!

Is Nahi Ka Ko Ilaj Nahi

 

=>Is Nahi Ka Koi Ilaaj Nahi......**+"

 

       => Roz Kehtay Hain Ap Aj Nahi......**+"

 

**********NOMI********** 

 

Hamari Zindagi b Khushyon se labrez thi

 

Hamari Zindagi b Khushyon se labrez thi.

Ek Dil ka tootna tha k Sara manzar badal gaya.

 

Dil-E-Nadan Ye Majra Kia Hai Din Bhar Tere Rone Ka

 

 

=================

Dard Ki Dawa

=================

 

Poet UMAR RAAHI 

 

Dil-E-Nadan Ye Majra Kia Hai?

Din Bhar Tere Rone Ka Masla Kia Hai?

Rehta Hy Har Pall Baichan Kyoun ?

Tairi Baichaini Ka Bata Sabbab Kaya Hy ?

Karta Hy Kyoun Har Dam Aah-O-Faghaan ?

Har Pall Ki Ye Aah-O-Zaari Ye Dua Kaya Hy ?

Gham Hy Kis Ka ?

Rona Hy Ye Kaisa ?

Sajdon Mein Ye Saskna Ye Labb-E-Iltja Kaya Hy ?

RAAHI Koi Bichharr Gaya Ya Dil Hy Toota ?

Aakhir Tairy Dard Ki Bata Dawa Kaya Hai.............!

 

 

Bharka Rahe Hain Aag Lab-E-Naghma Gar Se Hum

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Bharka Rahe Hain Aag Lab-E-Naghma Gar Se Hum,

Khamosh Kia Rahein Gay Zamane K Dar Se Hum,

Kuch Aur Barh Gaye Jo Andhere To Kia Howa,

MaYoos To Nahi Hain Taloo-E-Sahar Se Hum,

Le De K Apne Pas Faqt Ek Nazar To Hai,

Kion Dekhein Zindagi Ko Kisi Nazar Se Hum,

Mana K Is Zameen Ko Gulzar Kar Sake,

Kuch Khaar Kam To Kar Gaye Guzre Jidhar Se Hum............!

Page 151 

 

Nafs K Looch Mein Ram Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Nafs K Looch Mein Ram Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai,

Hayat Saghar Sam Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai,

Teri Nigah Mere Gham Ki Pasdari Sahi,

Meri Nigah Mein Gham Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai,

Meri Nadeem...! Mohabbat Ki Rifaton Se Na Gir,

Buland Baam-E-Haram Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai,

Ye Ihtanab Hai Aks-E-Shaoor-E-Mahboobi,

Ye Ahtiat-E-Sitam Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai,

Idhar Bhi Aik Achti Nazar K Dunia Mein,

Faroogh-E-Mehfil-E-Jisam Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai,

Naye Jahan Basaye Hain Fikar-E-Aadam Ne,

Ab Is Zameen Pe Aram Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai,

Mere Shaoor Ko Aawara Kar Dia Jis Ne,

Wo Marg-E-Shadi-O-Gham Nahi Kuch Aur Bhi Hai.........!

Page 112 

 

Mosam Hai Nikle Shakhon Se Pate Haray Haray

 

 

Poet Meer Taqi Meer

Type By

*._Ayaz Khan_.*

Mosam Hai Nikle Shakhon Se Pate Haray Haray.

Pode Chaman Mein Phoolon Se Dekhe Bharay Bharay.

Aage Kisi K Kia Karein Dast-E-Tamah Daraz.

Wo Hath So Gaya Hai Sarhane Dharay Dharay.

Kia Mujhe Us K Rutba Aali Ko Ehl-E-Khak.

Pherte Hain Joon Sphehr Bahut Hum Daray Daray.

Marta Tha Mein To Baza Rakh Mujhe Marne Se Mujhe.

Ye Keh K Koi Aysa Kare Hai Aray Aray.

Gulshan Mein Aag Lag Rahi Thi Rang-E-Gul Se MEER.

Bulbl Pukari Dekh K Sahab Paray Paray......!

Book Deewan-e-Meer

Page 82

 

 

Kaghaz Ki Kashtiyan Theen Bahao Bhi Khoob Tha

 

 

Kaghaz Ki Kashtiyan Theen Bahao B Khoob Tha,

Mosam Ka Paniyon Sy Lagao B Khoob Tha,

Manzar Tery Khayal K Sab Toty Rahay,

Sochon Ka Waswason Sy Bachao B Khoob Tha,

Zaray Chamak Rahay Thay Falak Se Zamen Tak,

Sehra Main Chandni Ka Parao B Khoob Tha,

Bilkul Badal Gae Thay Taqazay B Adal K,

Munsif ka Aik Simt Jhukao B Khoob Tha,

Chahat K Lafz Saray Baghawat Main Dhal Gae,

Jalti Hui Anna Ka Allao B Khoob Tha,

Aansu B Kar Sakay Na Haqeqat Ko Be-Naqab,

Teri Taraf Se Aakhri Ghao Bhi Khoob Tha.

 

 

Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabhi Aaya Bhi Nahi

 

Poet Qateel Shifai

Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabhi Aaya Bhi Nahi,

>Kesa Badal Hai Jis Ka Koi Saya Bi Nahi_

>Be Rukhi Is Se Bari Aur Bhla Kia Ho Gi_

>Ik Mudat Se Hamain Us Ne Staya Bi Nahi_

>Roz Aata Hai Dar_E_Dil Pe Wo Dastak Dene_

>Aaj Tak Ham Ne Jise Pass Bulya Bi Nahi_

>Sun Liya Kese Khuda Jane Zamane Bhar Ne_

>Wo Fasana Jo Kabi Ham Ne Sunya Bi Nahi_

>Tum Tu Sayar Ho Qateel Aur Wo Aam Sa shakhs_

>Us Na Chaha Bi Tujhe Aur Jtaya Bi Nahi..........!

 

Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Ham

 

 

Poet Habib Jalib

Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Ham_

>Lekin Ye Kia K Shehr Tara Chor Jayen Ham_

>Mudat Hoyi Hai Koye Butan Ki Tarf Gaye_

>Awargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachyen Ham_

>Shayad Baqed_E_Zeesat Ye Sa'at Na Aa Sake_

>Tum Dastan_E_Shoq Suno Aur Sunain Ham_

>Be Noor Ho Chuki Hai Bahut Shehar Ki Faza_

>Tareek Raston Main Kahin Kho Na Jayen Ham_

>Us Ke Baghair Aaj Bahut Ji Udass Hai_

>Jalib Chalo Kahin Se Usay Dhond Layen Hum........!

 

 

Is Dard Ki Dunya Se Guzar Kun Nahe Jate.

 

 

Poet Habib Jalib

Is Dard Ki Dunya Se Guzar Kun Nahe Jate.

>Ye Log Bi Kia Log Hain Mar Kun Nahe Jate_

>Hai kon Zamane Main Mera Poohne Wala_

>Nadaan Hain Jo Kehte Hain K Gahr Kun Nahe Jate_

>Shouley Hain To Kun In Ko Bharakte Nahe Dehka_

>Hain Khak To Rahon Main Bikhar Kun Nahe Jate_

>Aansu Bhi Hain Aankhon Main Dua'in Bhi Hain Lab Par_

>Bigrey Hue Halaat Sanwar Kun Nahe Jate........!

 

 

Tum Aaye Ho Na Shab_E_Inezar Guzri Hai

 

Poet Faiz Ahmed Faiz 

 

Tum Aaye Ho Na Shab_E_Inezar Guzri Hai,

>Talash Main Hai Sahar Bar Bar Guzri Hai_

>Junoon Main Jitni Bi Guzri Bekaar Guzri Hai_

>Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai_

>Hui Hai Hazarat_E_Naaseh Se Guftagu Jis Shab_

>Wo Shab Zaroor Sar_E_kuu_E_Yaar Guzri Hai_

>Wo Baat Sare Fasany Main Jis Ka Zikar Na Tha_

>Wo Baat Un ko Bohat Na Gawar Guzri Hai_

>Na Gul Khile Hn Na Un Se Mile Na Mai Pii Hai_

>Ajiib Rang Main Ab K Bahar Guzri Hai_

>Chaman Main Gaarat_E_Gulachin Se Jane Kya Guzari_

>Qafas Se Aaj Sab Beqarar Guzri Hai.............!

 

Youn Saja Chand K Jhalka Tere Andaz Ka Rang

 

Poet_Faiz Ahmed Faiz 

 

Youn Saja Chand K Jhalka Tere Andaz Ka Rang_

>Yun Faza Mehaki K Badla Mere Hamraz Ka Rang_

>Saya_E_Chashm mein Heeran Rukh_E_Raushan Ka Jamaal_

>Surkhi_E_Lab Pe Paresan Tere Aawaz Ka Rang_

>Be piye Hon ki Agr Lutf Karo Aahkir_E_Shab_

>Shiiha_E_May Main Dahle Suhba K Aagaaz ka Rang_

>Chango_Nay Rang The Apny Lahu Ke Dam Say_

>Dil Ne lay Badle To Madham Hua Har Saaz ka Rang_

> Ik Sukhan Aur Ki Phir Rang_E_Takallum Tera_

>Harf_E_Sada Ko Anayat Kare Ejaaz ka Rang..........!

 

Tere Gum Ko Jan Ki Talash Thi Tere Jan Nisaar Chale Gaye,

 

Poet Faiz Ahmad Faiz 

 

Tere Gum Ko Jan Ki Talash Thi Tere Jan Nisaar Chale Gaye,

>Tere Raah Main Karte The Sar Talab Sar_E_Raah Guzar Chale Gaye_

>Tere Kaj Adaaii Se Har K Shab_E_ Inezaar Chali gae_

> Mere Zabt_E_Haal Se Ruth Kar Mere Gam Gusaar Chale Gye_

>Na Sawal_E_Vasl Na Arz_E_Gam Na Hikayaten Na Shikayaten_

>Tere Ahad Main Dil_E_Zaar K Sabhi Ikhtiyar Chale Gye_

>Ye Hamin The Jin K Libaas Par Sar_E_Raah Siyahi Lihki Gae_

>Yahi Daag The Jo Saja K Ham Sar_E_Bazm_E_Yaar Chale Gye_

>Na Raha Junoon_E_Rukh_E_Wafa Ye Rasan Ye Daar Karo Ge Kia_

>Jinhe Jurm_E_Ishq Pe Naz Tha Wo Gunah Gar Chale Gaye.....!

 

Ye Kis Khalish Ne Phir Dil Main Ashiyana Kia

 

Poet Faiz Ahmad Faiz 

 

Ye Kis Khalish Ne Phir Dil Main Ashiyana Kia_

>Phir Aaj Kis Ne Sukhan Ham Se Gayebana Kia_

>Gam_E_Jahan Ho,Rukh_E_Yaar ko k Dast_E_Uduu_

>Salook Jis Se Kia Ham Ne Aashiqana Kia_

>The Khaak_E_Raah bi Ham Log Qahar_E_Toofan Bi_

>Sahaa To Kia Na Sahaa Aur Kia to kia na kia_

>Khusha k Aaj Har Ik Muddaii K Lab Par Hai_

> wo Raaz Jis Ne Hamain Raand_E_Zamana Kia_

>Wo Hlilagar Jo Wafa juu Bi Hai Jafa kuu Bi_

>Kia Bi 'Faiz' To Kis But Se Dostana Kia.

 

Main Ne Jo Geet Tere Pyar Ki Khatir Likhe

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Main Ne Jo Geet Tere Pyar Ki Khatir Likhe,

Aaj In Geeton Ko Bazar Mein Le Aaya Hon,

Aaj Dukan Pe Neelaam Uthe Ga Un Ka,

Too Ne Jin Geeton Pe Rakhi Thi Mohabbat Ki Asas,

Aaj Chandi K Tarazo Mein Tule Gi Har Cheez,

Mere Afkaar Meri Shairi Mera Ihsas,

Jo Teri Zat Se Mansoob Thay Un Geeton Ko,

Muflisi Jins Banane Pe Utar Aai Hai,

Bhook Tere Rukh-E-Rangeen K Fasano K Ivaz,

Chand Asha-E-Zaroorat Ki Tamanai Hai,

Dekh Us Arsa Geh-E-Mohabbat-O-Sarmaya Mein,

Mere Naghme Bhi Mere Pas Nahi Reh Nahi Sakte,

Tere Jalwe Kisi Zardar Ki Meeras Sahi,

Tere Khake Bhi Mere Pas Nahi Reh Sakte,

Aaj Un Geeton Ko Bazar Mein Le Aaya Hon,

Main Ne Jo Geet Tere Pyar Ki Khatir Likhe.....................!

Page 85 

 

Main Rag-E-jaan ka Lahoo De k Be Pura karta

Main Rag-E-jaan ka Lahoo De k Be Pura karta...

Mere HaatHoOn Se AGar us ko kHaSaaray HoOtay......*

 

Ro'o Gay Bohat Hum Say Bichar Kar Maan Lo

 

Ro'o Gay Bohat Hum Say Bichar Kar Maan Lo,

..."AY DOST"...

"Ye Chahat K Sajde Hain Qaza Soch K Karna.......!

 

Tum Agar Mere Humsafar Hote

 

Tum Agar Mere Hum'Safar Hote.*'

Faasle Kitne Mukhtasar Hote.*'

 

Mujhe rula kr dil uska bhi roya ho ga

 

Mujhe rula kr dil uska bhi roya hoga

Chehra Aansuon Se Usne ß Dhoya Hoga

Agr Na Kiya Haasil Kuch Hum Ne Pyar Mein

Kch Na Kch To Usne ß Zaroor Khoya Hoga...!

 

Meri Manzil, Meri Hadd, Bus un Say un TaK

 

"Meri Manzil, Meri Hadd, Bus un Say un TaK.........!!!!

"FaKhar Yeh K wo Mere Hain, FiKar Yeh K AaKhir Kab taK..

 

Hanste rehna Tum Hazaron k Beech Mein

 

Hansty rehna Tum Hazaron k Bich Me

Jese Hota Hai Phool Baharon k Bich Me

Urooj pe Le jaye Tum ko Tumhara Naseeb

Jese Hota Ha CHAÑD

* * *********

**** (_, ****

* * ********

* *********

SITARON k Bich Men,

"AMEEN"

 

Na Aap YOUSAF Hain Na Main MISAR Ka Koi Taajir

Na Aap YOUSAF Hain Na Main MISAR Ka Koi Taajir,,,

Qeemat-E-Husn K daam Zara Kam Kijiaye.

 

Sang_e_Marmar Se Tarasha Khuda Ne Us Ke Husn_e_Kamal Ko

 

Sang_e_Marmar Se Tarasha Khuda Ne Us Ke Husn_e_Kamal Ko,,,

,

Baqi Jo Pathar Bacha Us Se Us ka Dil Bana Dia...............!

 

Kabhi Mily Fursat To Itna Lazmi Batana

 

Kabhi Mily Fursat To Itna Lazmi Batana,

Wo Kon Si Muhabat Hai Jo Hum Tumhein De Na Sake.

 

Adaabe-e-wafa b seekho Ishq ki baargah mein TUM

 

Adaabe-e-wafa b seekho

Ishq ki baar'gah mein TUM....

Faqat yun Dil lagane se

Dilon mein ghar nahi hota.....!

 

Bana Kar Chhor Detay Hain Wo Apni Zaat Ka Aadi

 

Bana Kar Chhor Detay Hain Wo Apni Zaat Ka Aadi,

Kuch Log Is Tarha Bhi Muhabbaton Ka Intqam Letay Hain..

 

Thori Thori Hi Sahi Mgr Batien To Kia Karo

 

Thori Thori Hi Sahi Mgr Batien To Kia Karo.

Chup rehty Ho To Aqalmand Aqalmand se lagte ho.....!

 

Tujh Se Chahta Hun Mohabbat Mohabbat K Badle

 

Tujh Se Chahta Hun Muhabbat, Muhabbat K Badle....!!

Main Nahi Chahta Tujh Pe Mera Koi Ehsaan Rahe.....!

 

Mohabbat Ke Baad Ek Sabaq To Zaroor Seekha Hai Hum Ne

 

Mohabbat Ke Baad Ek Sabaq To Zaroor Seekha Hai Hum Ne

"Mehfil Main Sab Se Zyada

Muskarane Wala Hi Tanha Hota Hai...!

 

Aankhain Kholte Hi Yad Aa Jate Ho

 

Aankhain Kholtay Hi Yaad Aa Jaatay Ho...>

"+,,+"

,,+"+,,

Tumhain To Bas Satanay Ka Bahana Chahiye...>

"+,,+"

 

Faqat Aik Ka Honay Mein Hi Husn-e-Bandagi Hai

 

Faqat Aik Ka Honay Mein Hi Husn-e-Bandagi Hai


GHALIB


jo Roz Qibla badalty hein woh Be-Deen hoty Hain...

 

Dia jab sham ki dehlez pe jalta hai

 

Dia jab sham ki dehlez pe jalta hai,

Jb raat ko chandni phoolon pr parti hy.

Us raat hum tera chehra talash krty hein,

Suno! Hum tumhe buht yaad krty hein.

 

Mujhe Is Tarha Apni Mohabat Main Masroof

 

"Mujhe Is Tarha Apni Mohabat Main Masroof Kar De Mere

"ALLAH"


Ke Mujhe Neend Tak Na Aye Toba Keye Baghair

( Ameen... )

 

Hairaan Hain Hum Is Mohabbat Ki Karamat Pe

 

Hairaan Hain Hum Is Mohabbat Ki Karamat Pe.

Dard Naa-qaabil-e-Bardasht Zindagi Phir Bhi Rawaan Dawaan......!

 

Ghorre Pe Beth Kar Ek Shehzada Aaye Ga (Long Poem)

 

==============

Dil Ka Raja

============== 

 

PoeT UMAR RAAHI 

 

Ghorre Pe Beth Kar Ik Shehzada Aaye Ga,

Jo Mujhy Dulhan Bana Kar Ly Jaye Ga,

Uthaye Ga Mairy Wo Naaz-O-Nakhary,

Apna Pyaar Wo Mujh Py Lutaye Ga,

Bhary Ga Jo Mujhy Apni Baahon Mein,

Seeny Py Wo Apny Mujhy Sulaye Ga,

Khaily Ga Wo Mairy Ang Ang Sy,

Jo Mairi Uljhi Zullfein Suljhaye Ga,

Wo Hoga Mairy Dil Ka Rajj-Kumar,

Mujhy Jo Apny Dil Ki Raani Banaye Ga,

Karon Gi Raaj Main Us K Dil Ki Sultnat Py,

Wo Shehzada Mujhy Mal'Ka Ka Taaj Pehnaye Ga,

Hukam Chaly Ga Jis Ki Raj'Dhani Mein Maira,

Mairy Naam Ka Jo Dil Mein Taaj Mehal Banaye Ga,

Mairy Sapnon Jo Raja Hy Dil Ka Shehzada Hy,

Ik Din To Wo Mujhy Fatah Kar Jaye Ga,

Daikhy Hain Jis Ki Chahat K Sapny Dil Ny,

Wo An-Jana Kab To Yahan Aaye Ga,

Mairi Nazar Hy Muntzar Us Ki Kab Sy,

Maira Intzar Ik Din To Rang Laye Ga,

Dil Mein Ik Umeed-O-Aas Hy,

Koi To Ye Poori Kar Jaye Ga,

Daikhti Hon Jis Ko Sapnon Mein,

Wo Sheh-Sawar Mujhy Utha Ly Jaye Ga,

Hy Wo Mullak-E-Adam Ka Shehzada,

Lainy Mujh Ko Baad-Shah Ban Kar Aaye Ga,

Pagal Bani Phirti Hon Jis K Payar Mein,

Wo Majnon Wo Rajhan Wo Farhad Hi Mujhy Dhond Paye Ga,

Hoga Wo Mairi Hi Talash Mein Hy Yaqeen Mujhy,

Bhatkta Huwa Kariya Kariya Pohnch Jaye Ga,

Wo Hy Mullak-E-Adam Ka Rajhan,

Heer Bana Kar Mujhy Ly Jaye Ga

Hy Wo Mullak-E-Adam Ka Farhad,

Shaireen Mujhy Wo Banaye Ga,

Kehty Hain Jisy Sehra Ka Majnon,

Wo Qais Ban Kar Mujhy Ly Jaye Ga,

Mairy Sapnon Ka Wo Raja Hy,

Jo Raani Banany Mujhy Aaye Ga,

Ek Din Wo Dulha Ban Kar Aaye Ga,

Mujhe Doli Mein Betha Kar Le Jaye Ga,

Bithaye Ga Pall'Kon Ki Chhaon Mein,

Har Muasam Mein Mujhy Wo Bhaye Ga,

Karon Gi Main Us K Toot Kar Mohabbat,

Wo Maira Ho Kar Reh Jaye Ga,

Chahat Mein Mairi Kho Kar Wo,

Ye Dunya Ye Zamana Bhool Jaye Ga,

Mujhy Jo Kabhi Kanta Bhi Chubha To,

Dard Mein Wo Mairy Tarrap Jaye Ga,

Basi Hogi Us Ki Saans Mein Mairi Chaahat,

Hawaon Mein Mairi Khushboo Paye Ga,

Wo Deewana Daikhy Ga Jo Phoolon Ko,

Patti Patti Mein Soorat Mairi Paye Ga,

Main Ban Kar Chaand Chamakon Gi,

Wo Ban Kar Chakor Mairy Gard Mandlaye Ga,

Mairy Dil Ki Zameen Hy Jo Sehra Jaisi,

Wo Badal Ban Kar Baras Jaye Ga,

Jal Thal Kar Dy Ga Mairy Dil K Sehra Ko,

Wo Badal Ban Kar Barasny Aaye Ga,

Mairy Badan Ki Banjar Zameen Py,

Haryali Hi Haryali Kar Jaye Ga,

Wo Mairy Dil Ka Raja Wo Maira Shehzada,

Kab To Kahein Sy Mairy Liye Aaye Ga,

Us K Aany Py Main Sajon Gi Sanwaron Gi,

Wo Mujhy Daikh K Muskraye Ga,

Zullfein Kali Ghata Jaisy Rakhon Gi Kholy,

In Zullaf Ka Wo Aseer Ban Kar Reh Jaye Ga,

Kajal Jo Laga Hoga Mairi Aankhon Mein,

Din Bhi Wo Kali Raat Sa Paye Ga,

Mairy Kaanon K Bundy Daikhy To,

Rukhsar Ko Choomty Huye Daikh Kar Jall Wo Jaye Ga,

Maira Naak Hy Jo Nathali Ko Tarsta Huwa,

Apny Naam Ki Nathali Wo Pehnaye Ga,

Mairy Honton Ko Wo Choom Choom Kar,

Payar Ka Surkh Rang Chhorr Jaye Ga,

Meri Choorion Ki Har Dhun,

Sun Kar Wo Be-Taab Ho Jaye Ga,

Jab Sur Bikhairy Gi Mairy Pair Ki Payel,

Wo Shehzada Mastana Ho Jaye Ga,

Main Daikhti Hon Sapny Jis K,

Wo Maira Hy Maira Hi Wo Kehlaye Ga,

Jis Ka Hy Mujhy Intzar Barason Sy,

Wo Raahi Wo Musafir Bhatkta Huwa Aaye Ga,

Rakhy Ga Wo Mujhy Jaan Sy Azeez,

Mairi Wo Jaan Hi To Kehlaye Ga,

Ulljhi Aur Bikhri Mairi Aawara Zullafein,

Wo Aa Kar Ik Din Inhein Suljhaye Ga,

Poojti Hon Jisy Mein Daivta Ki Tarah,

Wo Daivta Maira Daasi Mujhy Banaye Ga,

Hy Ye Sundar Mairi Kahani Ka Pahla Muarr,

Agla Muarr Logo Tumahein Rulaye Ga,

Kho Gaye Ho Mairi Jis Kahani Mein Tum,

Hosh Tumhary Doosra Muarr Urraye Ga,

Ek Bholi Bhali Larki K Ye Sapny Thay,

Jo Bachpan Sy Jawani Tak Apny Thy,

Rehti Thi Jo Sapnon K Sansar Mein,

Na Samjh Thi Is Zamany Makar Mein,

Daikhti Thi Jo Suhany Sapny,

Ho Na Saky Wo Us K Apny,

Har Sapna Us Ka Ik Din Toot Gaya,

Nazuk Sa Dil Tha Wo Bhi Toot Gaya,

Aaya Ik Shehzada Us K Liye,

Ly Gaya Bitha K Dolli Mein Apny Liye,

Ghar Us Ka Tha Injan Aurat Sy,

Kangal Tha Khud Bhi Mohabbat Ki Dolat Sy,

Sapny Us K Ik Ik Kar K Bikhrty Rahy,

Aankhon Sy Aansoo Barasty Rahy,

Janaza Dafnaya Apny Sapnon Ka,

Qabristan Bana Dil Jis K Sapnon Ka,

Wo Pagli Wo Deewani Dhoka Kha Gayi,

Dil Py Chot Ik Wo Apny Kha Gayi,

Har Sapna Huwa Us Ka Karchi Karchi,

Hath Kiye Zakhmi Dil Huwa Karchi Karchi,

Dil Ki Dunia Us K Ujar Gai,

Apne Sapno Se Wo Bichar Gai,

Wo Shehzada To Tha Laikan,

Insaniyat Ka Tha Ik Wo Dushman,

Zullam-O-Sitam Dhaye Be-Inteha,

Raani Ban K Rahi Wo Tanha,

Kis Sy Wo Faryad Kary ? Kahan Wo Dy Duhaai ?

Apnon K Hoty Huye Hui Wo Paraai,

Chaman-E-Dil Us Ka Veeran Huwa,

Qaid Khanaa Wo Makaan Huwa,

Wo Raani Ki Jaga Qaidi Huyi,

Hukam Chalany Ki Jaga Hukam Ki Bandi Hui,

Jo Zullafon Ka Daikha Tha Aseer,

Pehnai Us Ny Zullam Ki Zanjeer,

Na Wo Mal'Ka Bani Na Hui Raani,

Wo Bholi Ladki Ik Din Hui An-Jaani,

Wo Ghorry Py To Aaya Tha,

Sath Mein Ik Lashkar Bhi Laya Tha,

Ghar Maa Baap K Sy Jaty Na Roi,

Wo Sukh Sy Aaj Tak Na Soi,

Ab Wo Tanha Tanha Rehti Hy,

Ghut Ghut Kar Wo Roti Rehti Hy,

Aansoo Behaati Hy Khoon K,

Jo Waqat Yaad Dilaty Hain Sapnon K,

Karti Hy Shikwa Ye Naseeb Sy,

Din Dikhaye Hain Jis Ny Ye Ajeeb Sy,

Hussan Us Ka Murjha Gaya Hy,

Is Konpal Kali Ko Masla Gaya Hy,

Aankhon Mein Hy Jis K Aub Veerani,

Lutti Putti Hy Lagti Aub Maha-Raani,

Din Mairy Ye Gar Badal Jaein Na Karon Aub Nadani,

Mairy Shehzady Mujhy Samait Lo,

Apni Baanhein Mairy Gard Lapait Lo,

Ye Ik Nadan Ladki Ki Hy Kahani,

Aur Bhi Jany Kitni Karti Hy Ye Nadani,

Inahein Kon Samjhaye ? Sapny Toot Jaty Hain,

Dil Ko Ik Umer Ka Rog Ye Lagaty Hain,

Nikalo Sapnon K Is Sansar Sy,

Dukh Na Pao Nadani Mein Be-Kaar K,

Kahan Milta Kisi Ko Yahan Payar Hai ?

Hoss Parsat Ye Sara Sansar Hy,

Sanbhal Jao K Waqat Hy Hath Mein,

Khushi Baanto Apnon K Sath Mein,

Koi Ye Dil Ka Gulshan Na Jalaye,

Apny Masoom Dil Ko Khud Na Behlaye,

Koi Kary Na Sodai Youn Sapnon Ki,

Milti Nahein Ta'Abeer Jhooty Sapnon Ki,

Raahi Kaya Kaya Missalein Doun Main ?

Kis Kis Ki Kaya Kaya Kahani Likhon Main ?

Nahein Main Shayr Wais-O-Faraz,

Jo Karon Ye Kahani Main Daraz,

Lafazon Sy Khailna Aata Nahein,

Magar Dard Likhy Bina Reh Pata Nahein,

Kahani Aub Ye Samait'Ta Hon,

Aowraaq-E-Gham Ko RAAHI Lapait'Ta Hon............!

 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo