Kitaab Aankhein , Fasana Chehra , Ghazal Nigahein , Haseen Mukhda Radeef Rangat , Qawafi Zulfein , Hansi Safeena , Nageen Mukhda



کتاب آنکھیں، فسانہ چہرہ،  غزل نگاہیں، حسین مکھڑا
ردیف رنگت ،  قوافی زلفیں، ہنسی سفینہ، نگین مکھڑا

Kitaab Aankhein , Fasana Chehra , Ghazal Nigahein , Haseen Mukhda

Radeef Rangat , Qawafi Zulfein , Hansi Safeena , Nageen Mukhda


رباب  بندش،  بدن  قصیدہ،  گریز   جوبن،   بہار   فتنہ
شباب مصرعہ، جمال مطلع، قتال مقطع،   متین  مکھڑا

Rabab Bandish , Badan Qaseedah , Gurez Joban , Bahar Fitna

Shabaab Misra , Jamaal Matla , Qataal Maqta , Mateen Mukhda


کمال  لہجہ،  نفیس  باتیں،  وقار   فقرے،   بلند   آہنگ
سلگتی قربت، پگھلتا نخرہ، ادائیں  قاتل،  معین  مکھڑا

 Kamaal Lahja , Nafees Batein , Waqar Fiqre , Buland Aahang

Sulagti Qurbat , Pighalta Nakhra , Adaaein Qatil , Mueen Mukhda


فصیح  ابرو،  بلیغ  پلکیں،  ثقیل   جُوڑا، سلاسی زلفیں
ذقن لطیفی ،نظر رموزی، حسیں  رباعی،  فطین  مکھڑا

 Faseeh Aabro , Baleegh Palkein , Saqeel Joda , Salasi Zulfein

Zaqan Lateefi , Nazar Ramozi , Haseen Rubae , Fateen Mukhda


بیاں  شگفتہ،  خیال  سادہ،  مزاج  منطق،  سلیس  جملے
سراپا اُردو ، لطیف جسمی، وجود نظمی ، سبین مکھڑا

Bayan Shagufta , Khayal Sadah , Mizaj Mantaq , Salees Jumly

Sarapa Urdo , Lateef Jismi , Wujood Nazmi , Sabeen Mukhda


جمیل مکھڑا، نظیر مکھڑا، عقیق  مکھڑا،  عتیق  مکھڑا

نسیم مکھڑا، رفیق مکھڑا،  عظیم  مکھڑا،  مبین  مکھڑا

Jameel  Mukhda , Nazeer Mukhda , Aateeq Mukhda , Aateeq Mukhda

Naseem Mukhda , Rafeeq Mukhda , Azeem Mukhda , Mubeen Mukhda

آفتاب شاہ

Aaftab Shah

 

Mana Keh Sitam , Zulam Se Aazaad Nahi Tha Itna Tou Kabhi Shehar Yeh Barbad Nahi Tha



مانا کہ ستم، ظلم سے آزاد نہیں تھا
اتنا تو کبھی شہر یہ برباد نہیں تھا
اس دور کے کتبے پہ لکھا جائے گا اتنا
لوگوں کو یہاں روزِ جزا یاد نہیں تھا
دستار سجی جس کے بھی ، اس نے نہیں سوچا
پوچھے گا خدا اس سے ، خدا یاد نہیں تھا
ہنستے ہوئے دیکھا جسے ، دیوانہ وہ نکلا
ذی ہوش یہاں ایک بھی دل شاد نہیں تھا
ہائے وہ بھی کیا کل تھا کہ خوش باش تھی دنیا
سینوں میں فقط موم تھا فولاد نہیں تھا
آنکھیں بھی وہی، دل بھی وہی، میں بھی وہی ہوں
لیکن وہ جو منظر تھا ترے بعد نہیں تھا
امید ہمیں اس لئے بھی ہے کہ ابھی کل
صیاد یہاں صید تھا، صیاد نہیں تھا
لکھی تھی کبھی شہر کی رونق پہ غزل اک
مطلع بھی ہمیں وزن میں اب یاد نہیں تھا
اتباف ابرک


Rafu mein khas muharat na thi usay lekin Hamara seena e sad chak si lia us ne



رفو میں خاص مہارت نہ تھی اُسے لیکن
ہمارا سینۂ صد چاک سی لیا اُس نے
عبد اللہ ضریم

Rafu mein khas muharat na thi usay lekin
Hamara seena e sad chak si lia us ne

AbduLlah Zareem


Kabhi shikaston ke dukh uthaye to us se poochoon Wo meri manind toot jaye to us se poochoon



کبھی شکستوں کے دکھ اُٹھائے تو اُس سے پوچھوں
وہ میری مانند ٹوٹ جائے تو اُس سے پوچھوں
Kabhi shikaston ke dukh uthaye to us se poochoon
Wo meri manind toot jaye to us se poochoon


اُسے بھی کوئی ستارہ منزل سے دور کر دے
اُسے بھی رستہ نظر نہ آئے تو اُس سے پوچھوں
Usay bhi koi sitara manzil se door kar de
Usay bhi rasta nazar na aye to us se poochoon


سفر میں وہ بھی کسی کڑے امتحاں سے گزرے
اُسے بھی کوئی یوں آزمائے تو اُس سے پوچھوں
Safar mein wo bhi kisi kade imtihan se guzre
Usay bhi koi youn azmaye to us se poochoon


اُسے محبت میں کون سا دکھ دیا ہے میں نے
کبھی نظر سے نظر ملائے تو اُس سے پوچھوں
Usay muhabbat mein kaun sa dukh dia hai main ne
Kabhi nazar se nazar milaye to us se poochoon


میری طرح دن چڑھے تلک وہ بھی سوئے سالک
اُسے بھی شب بھر نہ نیند آئے تو اُس سے پوچھوں

Meri tarah din chadhe talak wo bhi soye Salik
Usay bhi shab bhar na neend aye to us se poochoon


سید ابرار سالک
Syed Abrar Salik


Hum ne rozanon ke samne khhulte huay manzar Isi umeed par chhode, tumhare sath dekhen ge



ہم نے روزنوں کے سامنے کھلتے ہوئے منظر
اسی امید پہ چھوڑے، تمہارے ساتھ دیکھیں گے
تجمل کاظمی

Hum ne rozanon ke samne khhulte huay manzar
Isi umeed par chhode, tumhare sath dekhen ge

Tajammul Kazmi


Us ne pa’on dhare ghhas ke farsh par Pa’on ka doodhiya pan sawa ho gaya Sabza pehle se ziyada haraa ho gaya



اس نے پاؤں دھرے گھاس کے فرش پر
پاؤں کا دودھیا پن سوا ہو گیا
سبزہ پہلے سے زیادہ ہرا ہو گیا
وحید احمد

Us ne pa’on dhare ghhas ke farsh par
Pa’on ka doodhiya pan sawa ho gaya
Sabza pehle se ziyada haraa ho gaya

Waheed Ahmed


Tere seene se laga hoon to khhula hai mujh par Sans lene mein bhi asani hua karti hai



تیرے سینے سے لگا ہوں تو کھلا ہے مجھ پر
سانس لینے میں بھی آسانی ہوا کرتی ہے
فرخ عدیل

Tere seene se laga hoon to khhula hai mujh par
Sans lene mein bhi asani hua karti hai

Farrukh Adeel


Tumhare waste duniya banaiy hai Us ne Hum aise loag to youn hi bana diye gaye hain



تمہارے واسطے دنیا بنائی ہے اس نے
ہم ایسے لوگ تو یوں ہی بنا دیے گئے ہیں
راشد علی مرکھیانی

Tumhare waste duniya banaiy hai Us ne
Hum aise loag to youn hi bana diye gaye hain

Rashid Ali Murkhiani


Kisi bhi simt jaiyeye ye dhiyan bat nahi raha Zameen tang ho gaiy, safar bhi kat nahi raha



کسی بھی سمت جائیے، یہ دھیان بٹ نہیں رہا
زمین تنگ ہو گئی سفر بھی کٹ نہیں رہا 

Kisi bhi simt jaiyeye ye dhiyan bat nahi raha
Zameen tang ho gaiy, safar bhi kat nahi raha

 
اٹھو عزیزو خاک سے، یہ کوششیں ہیں رائیگاں
میں آنکھ سے گرا ہوں نا تبھی سمٹ نہیں رہا

Utho azizo khak se, ye koshishen hain rayegan
Main ankh se gira hoon na tabhi simat nahi raha

 
تو ہی بتا اداس شخص، میں کیوں نہ اس کا غم کروں
تو رو رہا ہے سامنے مجھے لپٹ نہیں رہا 

Tu hi bata udas shakhs, main kyun na is ka gham karoon
Tu ro raha hai samne mujhe lipat nahi raha

 
کمیل کاظمی
Kumail Kazmi


Be intiha ho qurb magar is qadar na ho Hum jis pe mar rahe hain, usi ko khabar na ho



بے انتہا ہو قرب مگر اس قدر نہ ہو
ہم جس پہ مر رہے ہیں، اسی کو خبر نہ ہو
Be intiha ho qurb magar is qadar na ho
Hum jis pe mar rahe hain, usi ko khabar na ho

 
بس دو ہی صورتوں میں نگاہیں ہیں مطمئن
ان پر نظر رہے یا کسی پر نظر نہ ہو

Bas do hi sooraton mein nigahen hain mutma’in
Un par nazar rahe ya kisi par nazar na ho

 
امتؔ بجاج
Ameet Bajaj


Andar ki toot phoot mein toote hain lafz bhi Dauran e guftugu youn atakta nahi tha main



اندر کی ٹُوٹ پُھوٹ میں ٹُوٹے ہیں لفظ بھی
دورانِ گفتگو یوں اَٹکتا نہیں تھا میں

اِک عِطر ساز لَمس نے تکمیل کی میری
ورنہ کِھلا ہوا بھی مہکتا نہیں تھا میں
عمیر نجمؔی

Andar ki toot phoot mein toote hain lafz bhi
Dauran e guftugu youn atakta nahi tha main

Ek itr saz lams ne takmeel ki meri
Warna khhila hua bhi mehakta nahi tha main

Umair Najmi


Ye waqt hai kambakht bada acha maseeha Darta hoon, kisi roz tera zakhm na bhar de



یہ وقت ہے کمبخت بڑا اچھا مسیحا
ڈرتا ہوں، کسی روز ترا زخم نہ بھر دے
احمد فرہاد

Ye waqt hai kambakht bada acha maseeha
Darta hoon, kisi roz tera zakhm na bhar de

Ahmed Farhad


Khuda ke sath bada len den tha mera Phir aik roz tujhe mangne ki koshish ki



خدا کے ساتھ بڑا لین دین تھا میرا
پھر ایک روز تجھے مانگنے کی کوشش کی
کاظم حسین کاظم

Khuda ke sath bada len den tha mera
Phir aik roz tujhe mangne ki koshish ki

Kazim Hussain Kazim


Pyar karne ki sanad kaise tumhen jaari karoon Tum abhi theek se nafrat bhi nahi karte ho



پیار کرنے کی سند کیسے تمھیں جاری کروں
تم ابھی ٹھیک سے نفرت بھی نہیں کرتے ہو
علی زریون

Pyar karne ki sanad kaise tumhen jaari karoon
Tum abhi theek se nafrat bhi nahi karte ho

Ali Zaryoun


Zabt karta hoon to ghhut-ta hai qafas mein mera dam Aah karta hoon to sayyad khafa hota hai



ضبط کرتا ہوں تو گھٹتا ہے قفس میں مرا دم
آہ کرتا ہوں تو صیاد خفا ہوتا ہے
قمر جلالوی

Zabt karta hoon to ghhut-ta hai qafas mein mera dam
Aah karta hoon to sayyad khafa hota hai

Qamar Jalalvi


Hum ne honton pe tabassum ko saja kar dekha Yani zakhmon ko phir ek baar haraa kar dekha



ہم نے ہونٹوں پہ تبسم کو سجا کر دیکھا
یعنی زخموں کو پھر اک بار ہرا کر دیکھا
Hum ne honton pe tabassum ko saja kar dekha
Yani zakhmon ko phir ek baar haraa kar dekha


برف ہی برف نظر آتی ہے تا حد نظر
زندگی ہم نے تری کھوج میں جا کر دیکھا
Barf hi barf nazar ati hai ta had e nazar
Zindagi hum ne teri khhoj mein ja kar dekha

نسرین نقاش
Nasreen Naqqash


Sirf ankhon ke evaz khwab kahan bakhshe thay Us ne girvi mera ehsas bhi rakhhwaya tha



ﺻِﺮﻑ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﮯ ﻋِﻮﺽ ﺧﻮﺍﺏ ﮐﮩﺎﮞ ﺑﺨﺸﮯ ﺗﮭﮯ
ﺍُﺱ ﻧﮯ ﮔﺮﻭﯼ ﻣﺮﺍ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﺑﮭﯽ ﺭﮐﮭﻮﺍﯾﺎ ﺗﮭﺎ

Sirf ankhon ke evaz khwab kahan bakhshe thay
Us ne girvi mera ehsas bhi rakhhwaya tha


Phir us sitam naseeb ke palle mein kia raha Chhoda hai jis ko ap ne matlab nikaal ke



پھر اس ستم نصیب کے پلے میں کیا رہا
چھوڑا ہے جس کو آپ نے مطلب نکال کے

Phir us sitam naseeb ke palle mein kia raha
Chhoda hai jis ko ap ne matlab nikaal ke


Kambakht dil ko kyun hai lagawat unhi ke sath Un ko to shauq e naz o ada sab ke sath hai



کمبخت دل کو کیوں لگاوٹ ہے اُنہیں کے ساتھ
ان کو تو شوق ناز و ادا سب کے ساتھ ہے
اکبر اِلہ آبادی

Kambakht dil ko kyun hai lagawat unhi ke sath
Un ko to shauq e naz o ada sab ke sath hai

Akbar Ilah Abadi


Baton baton mein hi baton se nikal jayen ge Zindagi hum tere hathon se nikal jayen ge



باتوں باتوں میں ہی باتوں سے نکل جائیں گے
زندگی ہم تیرے ہاتھوں سے نکل جائیں گے

تم ہمیں دیکھنا بس ڈھونڈتے رہ جاؤ گے
ہم تیرے دن، تیری راتوں سے نکل جائیں گے
عرفان صادق

Baton baton mein hi baton se nikal jayen ge
Zindagi hum tere hathon se nikal jayen ge

Tum humen dekhna bas dhoondte reh jao ge
Hum tere din teri raton se nikal jayen ge

Irfan Sadiq


Shayed aa jayen kabhi chashm e khareedar mein hum Jan o dil beech mein bazar ke rakh dete hain



شاید آ جائیں کبھی چشم خریدار میں ہم
جان و دل بیچ میں بازار کے رکھ دیتے ہیں
احمد فرازؔ

Shayed aa jayen kabhi chashm e khareedar mein hum
Jan o dil beech mein bazar ke rakh dete hain

Ahmed Faraz


Yehi milne ka samai bhi hai bichhadne ka bhi Mujh ko lagta hai bohat apne se dar sham ke baad



یہی ملنے کا سمے بھی ہے بچھڑنے کا بھی
مجھ کو لگتا ہے بہت اپنے سے ڈر شام کے بعد
کرشن بہاری نور

Yehi milne ka samai bhi hai bichhadne ka bhi
Mujh ko lagta hai bohat apne se dar sham ke baad

Krishna Bihari Noor


Dekha hai zindagi ko kuch itne qareeb se Chehre tamam lagne lage hain ajeeb se



دیکھا ہے زندگی کو کچھ اتنے قریب سے
چہرے تمام لگنے لگے ہیں عجیب سے
ساحر لدھیانوی

Dekha hai zindagi ko kuch itne qareeb se
Chehre tamam lagne lage hain ajeeb se

Sahir Ludhianvi


Kahin duniya mein nahi is ka thikana ay Dagh Chhod kar mujh ko kahan jaye museebat meri



کہیں دنیا میں نہیں اِس کا ٹھکانہ اے داغؔ
چھوڑ کر مُجھ کو کہاں جائے مُصیبت میری
مرزا داغ ؔ ﺩہلوی

Kahin duniya mein nahi is ka thikana ay Dagh
Chhod kar mujh ko kahan jaye museebat meri

Mirza Dagh Dehlvi


Yar hum loag hain haari hui mannat ke chiragh Jo ke mehrab mein kone pe dhare rehte hain



‏یار ہم لوگ ہیں ہاری ہوئی منّت کے چراغ
جو کہ محراب میں کونے پہ دھرے رہتے ہیں

Yar hum loag hain haari hui mannat ke chiragh
Jo ke mehrab mein kone pe dhare rehte hain


Chaand bhi baitha hai khamosh, udasi odhe Aj rone ka bhi arman hai Khuda khair kare



چاند بھی بیٹھا ہے خاموش اداسی اوڑھے
آج رونے کا بھی ارماں ہے، خدا خیر کرے
Chaand bhi baitha hai khamosh, udasi odhe
Aj rone ka bhi arman hai Khuda khair kare


رات پھیلی ہے اور اس پر یہ ترے ہجر کا غم
لذت درد کا ساماں ہے خدا خیر کرے
Rat phaili hai aur us par ye tere hijr ka gham
Lazzat e dard ka darman hai, Khuda khair kare


Ab kia kahen ye sangdili hai ke behisi Dil hai ghamon ki zad pe magar ankh nam nahi



اب کیا کہیں، یہ سنگدلی هے کہ بے حسی
دل هے غموں کی زد پہ مگر آنکھ نم نہیں

Ab kia kahen ye sangdili hai ke behisi
Dil hai ghamon ki zad pe magar ankh nam nahi


Hain sadgi ke sath qayamat ki shokhiyan Milta nahi kisi se tumhari ada ka rang



ہیں سادگی کے ساتھ قیامت کی شوخیاں
ملتا نہیں کسی ســـــے تمہاری ادا کا رنگ
سید محمد کاظم حبیب کنتوری

Hain sadgi ke sath qayamat ki shokhiyan
Milta nahi kisi se tumhari ada ka rang

Syed Muhammad Kazim Habib Kanturi


Mujhe lagta tha, tum mujh se dam e akhir nibhao ge Magar ye wehm tha mera meri duniya khayali hai



مجھے لگتا تھا، تم مجھ سے دمِ آخر نبھاؤ گے
مگر یہ وہم تھا میرا مری دنیا خیالی ہے

Mujhe lagta tha, tum mujh se dam e akhir nibhao ge
Magar ye wehm tha mera meri duniya khayali hai


Jab ap thay, ankhen bhi labrez hi rehti theen In khushk thikanon mein ab koi nahi rehta



جب آپ تھے، آنکھیں بھی لبریز ہی رہتی تھیں
ان خشک ٹھکانوں میں اب کوئی نہیں رہتا
گلزار

Jab ap thay, ankhen bhi labrez hi rehti theen
In khushk thikanon mein ab koi nahi rehta

Gulzar


Tere utare huay din pehn ke ab bhi main Teri mehak mein kaiy din guzaar deta hoon



تیرے اُتارے ہوئے دن پہن کے اب بھی میں
تیری مہک میں کئی دن گُزار دیتا ہوں
گلزار

Tere utare huay din pehn ke ab bhi main
Teri mehak mein kaiy din guzaar deta hoon

Gulzar


Bohat giran thay agar motiyon mein tul jate Ye aur bat na tha koi hum sa sasta bhi



بہت گراں تھے اگر موتیوں میں تل جاتے
یہ اور بات نہ تھا کوئی ہم سا سستا بھی
جگرؔ مراد آبادی

Bohat giran thay agar motiyon mein tul jate
Ye aur bat na tha koi hum sa sasta bhi

Jigar Murad Abadi


Jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai Ankhon ne kabhi meel ka patthar nahi dekha



جس دن سے چلا ہوں، مری منزل پہ نظر ہے
آنکھوں نے کبھی میل کا پتھر نہیں دیکھا
بشیر بدر

Jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai
Ankhon ne kabhi meel ka patthar nahi dekha

Bashir Badar


Kaati hai hum ne zeest musalsal azab mein Hum ko baroz e hashr jahannum na bhejiyo



کاٹی ہے ہم نے زیست مسلسل عذاب میں
ہم کو بروزِ حشر جہنم نہ بھیجیو
داؤد سیدؔ

Kaati hai hum ne zeest musalsal azab mein
Hum ko baroz e hashr jahannum na bhejiyo

Daud Syed


Bas hath tera hath mein anay ki der thi Sab mehr o maah o arz o sama hum ne pa liye



بس ہاتھ تیرا ہاتھ میں آ نے کی دیر تھی
سب مہر و ماہ و ارض و سما ہم نے پا لیے

Bas hath tera hath mein anay ki der thi
Sab mehr o maah o arz o sama hum ne pa liye

محمد اسد اللہ
Muhammad Asadullah


Barha hathon se tere tootne ke bawujood Jab bhi hum tujh se mile, hanste huay paye gaye



بارہا ہاتھوں سے تیرے ٹوٹنے کے باوجود
جب بھی ہم تجھ سے ملے، ہنستے ہوئے پائے گئے

 Barha hathon se tere tootne ke bawujood
Jab bhi hum tujh se mile, hanste huay paye gaye 

 
فرخ عدیل
Farrukh Adeel


Khabbe pa'ase derd rehnda Rang chehre da Zerd rehnda



Khabbe pa'ase derd rehnda
Rang chehre da Zerd rehnda
Bas ker Ishqaa  muafi de dae
Kasme hun ' Ser derd rehnda


Ban sanwer kar raha karo Hasrat U ski pad jaye shayed aik nazar



بن سنور کر رہا کرو حسرتؔ
اس کی پڑ جائے شاید اک نظر
Ban sanwer kar raha karo
Hasrat
U ski pad jaye shayed aik nazar

اجیت سنگھ حسرت
Ajeet Singh Hasrat


Haye ye kehna kisi ka mujh se waqt e iztirab Marte hain tere siwa duniya mein mujh par aur bhi



ہائے یہ کہنا کسی کا مجـھ سے وقت اضــطراب
مرتے ہیں تیرے سوا دنیا میں مجــھ پر اور بھی
Haye ye kehna kisi ka mujh se waqt e iztirab
Marte hain tere siwa duniya mein mujh par aur bhi

منشی دیبی پرشادّ
Munshi Debi Prashad


Ye kis aalam mein hum ko naqsh karne ja rahe ho Abhi to hijr hai aur soag main lipte huay hain



یہ کِس عالم میں ہم کو نقش کرنے جارہے ہو
ابھی تو ہِجر ہے اور سوگ میں لِپٹے ہوئے ہیں
Ye kis aalam mein hum ko naqsh karne ja rahe ho
Abhi to hijr hai aur soag main lipte huay hain


جُدائی کا وہ منظر جاں بہ لَب تھا اس قدر کہ
ابھی تک آنکھ میں لمحے وہی ٹہرے ہوئے ہیں

Judaiy ka wo manzar jan ba lab tha is qadar ke
Abhi tak ankh mein lamhe wohi thehre huay hain


حِناکوثر
Hina Kauser


Muhabbat ke ishare dhoondte hain Sahare bhi sahare dhoondte hain



محبت کے اشارے ڈھونڈتے ہیں
سہارے بھی سہارے ڈھونڈتے ہیں
Muhabbat ke ishare dhoondte hain
Sahare bhi sahare dhoondte hain

 
ہم ایسے کینوس میں ہیں جہاں پر
نگاہوں کو نظارے ڈھونڈتے ہیں
Hum aise canvas mein hain jahan par
Nigahon ko nazare dhoondte hain

 
بتوں کو پوجنے والے بتوں میں
خدا کے استعارے ڈھونڈتے ہیں
Buton ko poojne wale buton mein
Khuda ke ista’are dhoondte hain

 
زمانے کا چلن ٹھکرائیں کیا جو
تعلق میں خسارے ڈھونڈتے ہیں
Zamane ka chalan thukrayen kia jo
Talluq mein khasare dhoondte hain

 
چراغوں کو بجھا کر ہم دھوئیں میں
ہوا کے گوشوارے ڈھونڈتے ہیں
Chiraghon ko bujha kar hum dhuwen mein
Hawa ke goshware dhoondte hain

 
گماں کو بدگمانی کہنے والے
گلابوں میں شرارے ڈھونڈتے ہیں
Guman ko bad gumani kehne wale
Gulabon mein sharare dhoondte hain

 
خلا میں ٹوٹ کر جو کھو گئے تھے
زمیں پر وہ ستارے ڈھونڈتے ہیں
Khalaa mein toot kar jo khho gaye thay
Zameen par wo sitare dhoondte hain

 
جنہیں کھویا تھا صحرا کے سفر میں
انہیں دریا کنارے ڈھونڈتے ہیں
Jinhen khhoya tha sehra ke safar mein
Unhen dariya kinare dhoondte hain

بھری تھیں جن میں ہم نے اپنی سانسیں
ہوا میں وہ غبارے ڈھونڈتے ہیں
Bhari theen jin mein hum ne apni sansen
Hawa mein wo ghubare dhoondte hain

 
پہنچ جاتے ہیں دانستہ وہیں ہم
جہاں دشمن ہمارے ڈھونڈتے ہیں

Pohnch jate hain danista wahin hum
Jahan dushman hamare dhoondte hai

 
اَمـؔـر رُوحانی

Amer Roohani


Un chamakti hui ankhon ki nami ka dukh hai Aur honton pes saji jhooti hansi ka dukh hai



اُن چمکتی ہوئی آنکھوں کی نمی کا دُکھ ہے
اور ہونٹوں پہ سجی جھوٹی ہنسی کا دُکھ ہے
Un chamakti hui ankhon ki nami ka dukh hai
Aur honton pes saji jhooti hansi ka dukh hai

کب کسی اور کے دُکھ پر ہمیں رونا آیا
ہم سمجھتے تھے کہ یہ اور کسی کا دُکھ ہے
Kab kisi aur ke dukh par humen rona aya
Hum samajhte thay ke ye aur kisi ka dukh hai

حِناکوثر
Hina Kauser


Dastan sun ke na shanasi ki Ankh khhulne lagi udasi ki



داستاں سن کے ناشناسی کی
آنکھ کھلنے لگی اداسی کی
Dastan sun ke na shanasi ki
Ankh khhulne lagi udasi ki

 
آج تہوار ہے محبت کا
بھینٹ ہے آج دیو داسی کی
Aj tehwar hai muhabbat ka
Bhent hai aj dev dasi ki

 
پتھروں نے اگل دیے چشمے
آنکھ جادو بھری تھی پیاسی کی
Pattharon ne ugal diye chashme
Ankh jadu bhari thi piyasi ki

 
بڑھ رہی ہے فلک سے آئے دن
اجنبیت زمیں کے باسی کی
Badh rahi hai falak se aye din
Ajnabiyet zameen ke baasi ki

 
اس کو دیکھا تو ہوش میں آئے
یہ بھی صورت ہے بدحواسی کی
Us ko dekhna to hosh mein aye
Ye bhi soorat hai bad hawasi ki

 
چل دیے ارتقا کے رستے پر
لے کے تہذیب بے لباسی کی
Chal diye irtiqa ke raste par
Le ke tehzeeb be libasi ki

 
مفلسی نے شباب چھین لیا
عمر لگنے لگی پچاسی کی
Muflisi ne shabab cheen lia
Umr lagne lagi pichasi ki

 
رازِ دل کیا بتائیں اس کو امـؔـر
جس نے ہر بات ہی سیاسی کی
Raz e dil kia batayen us ko
Amer
Jis ne har bat hi siyasi ki

 
امـؔـر رُوحانی
Amer Roohani


Janta hoon, akhir e shab raushni ho gi magar Ehtiatan rat sari jagta rehta hoon main



جانتا ہوں آخرِ شب روشنی ہو گی مگر
احتیاطاً رات ساری جاگتا رہتا ہوں میں
Janta hoon, akhir e shab raushni ho gi magar
Ehtiatan rat sari jagta rehta hoon main

آج تُجھ سے مانگنا ہے اپنے ہونے کا جواز
زندہ رہنے کی دُعا تو مانگتا رہتا ہوں میں
Aj tujh se mangna hai apne hone ka jawaz
Zinda rehne ki dua to mangta rehta hoon main

سید مبارک شاہ
Syed Mubarak Shah


Hath aa na saki pyar ki khairat aj tak Hum kasa e khuloos liye dar ba dar phire



‏ہاتھ آ نہ سکی پیار کی خیرات آج تک
ہم کاسۂ خلوص لیے دربدر پھرے
Hath aa na saki pyar ki khairat aj tak
Hum kasa e khuloos liye dar ba dar phire


Duniya ki nazar hai mere amaal ki janib Aur main Teri rehmat ki taraf dekh rahi hoon



دنیا کی نظر ہے مرے اعمال کی جانِب
اور میں تری رحمت کی طرف دیکھ رہی ہوں
Duniya ki nazar hai mere amaal ki janib
Aur main Teri rehmat ki taraf dekh rahi hoon


حِناکوثر
Hina Kauser


Eid ke din khamoshi odhe soch raha hoon kamre mein Tees baras ki doori par dil naam ka qasba kaisa tha



عید کے دن خاموشی اوڑھے سوچ رہا ہوں کمرے میں
تیس برس کی دوری پر دل نام کا قصبہ کیسا تھا
Eid ke din khamoshi odhe soch raha hoon kamre mein
Tees baras ki doori par dil naam ka qasba kaisa tha


اس آواز کی محرومی کو جھیل رہے ہیں، حیرت ہے
جس آواز کو سنتے سنتے ہم نے بولنا سیکھا تھا
Us awaz ki mehroomi ko jhel rahe hain hairat hai
Jis awaz ko sunte sunte hum ne bolna seekha tha


حماد نیازی
Hammad Niaz


Honton pe lafz ankh mein ansu thehr gaye Ek shab meri dua mere hathon mein reh gaiy



ہونٹوں پہ لفظ آنکھ میں آنسُو ٹھہر گئے
اِک شَب مری دُعا مرے ہاتھوں میں رہ گئی
Honton pe lafz ankh mein ansu thehr gaye
Ek shab meri dua mere hathon mein reh gaiy

حِناکوثر
Hina Kauser


Lamhat e musarrat hain tasavvur se gurezan Yad aye hain jab bhi gham o alaam hi aye



لمحاتِ مسرت ہیں تصور سےگریزاں
یاد آۓ ہیں جب بھی، غم و آلام ہی آۓ
Lamhat e musarrat hain tasavvur se gurezan
Yad aye hain jab bhi gham o alaam hi aye

ادا جعفری
Ada Jafferi


Hum se bezar sift logon ko Jald bhati nahi khushi koi



ہم سے بیزار صِفت لوگوں کو
جلد بھاتی نہیں خوشی کوئی
Hum se bezar sift logon ko
Jald bhati nahi khushi koi

معذرت، مُسکرا نہیں سکتے
چھین کر لے گیا ہنسی کوئی
Mazrat, muskura nahi sakte
Cheen kar le gaya hansi koi

حِناکوثر
Hina Kauser


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo