Bach Raha Tha Ek Parinda Daal Par Hansta Howa

Poetess Parveen Shakir 

 

Bach Raha Tha Ek Parinda Daal Par Hansta Howa,

Jaal Wo Phainke Hawa Ne Wo Bhi Par Basta Howa,

De K Mujh Ko Izn Gehre Panion Ki Seir Ka,

Khud Rawana Hai Wo Meri Rasian Kasta Howa,

Shehr Ki Rahguzar Par Barf Khaima Zan Hoi,

Band Agle Chand Tak Ab Dhoop Ka Rasta Howa,

Jo Hawa Aai Mere Chehre Pe Paon Rakh Gai,

Onchi Shakhon Ka Shagoofa Barg-E-Norasta Howa...............!

Page 43 

 

Har Aashna Main Kahan Khoo-E-Mehrmana Wo

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Har Aashna Main Kahan Khoo-E-Mehrmana Wo,

K Bewafa Magar Dost Tha Purana Wo,

Kahan Se Lain Ab Aankhain Usay K Rakhta Tha,

Adawaton Mein Bhi Andaz Maukhlisana Wo,

Jo Abar Tha To Usay Toot K Barasna Tha,

Ye Kia K Aag Laga Kar Howa Rawana Wo,

Pukarte Hain Mah-O-Saal Manzlon Ki Tarha,

Laga Hai To San-E-Hasti Ko TazYana Wo,

Humain Bhi Zulm Talbi Ka Nahi Raha Yara,

Tere Bhi Rang Nahi Gardish-E-Zamana Wo,

Ab Apni Khawahishein Kia Kia Usay Rulati Hain,

Ye Bat Hum Ne Kahi Thi Magar Na Mana Wo,

Yehi Kahein Gay K Bas Soorat Aashnai Thi,

Jo Ehad Toot Gia Yad Kia Dilana Wo,

Us Aik Shakal Mein Kia Kia Na Sortein Dekhein,

Nigar Tha Nazar Aaya Nigar Khana Wo,

FARAZ Khawab Si Dunia Dekhai Deti Hai,

Jo Log Jan-E-Jahan Thay Howay Fasana Wo...........!

Page 20,21 

 

Tum Ko Shohrat Ho Mubarik Humain Ruswa Na Karo

 

 

Poet Muneer Niazi

Tum Ko Shohrat Ho Mubarik Humain Ruswa Na Karo,

Khud Bhi Bik Jao Gay Ek Roz Ye Soda Na Karo,

Shoq Se Parda Karo Parda Hai Wajib Lekin,

Meri Qismat K Andheron Mien Izafa Na Karo,

Choom Lene Do Rukh-e-Yar Ko Jee Bhar K Humain,

Zindagi Pyar Hai Tum Pyar Se Humein Roka Na Karo,

Koshihain Karne Se Halaat Badal Jate Hain,

Khud Bigari Hoi Taqdeer Ka Shikwa Na Karo,

Tum Ko Shohrat Ho Mubarik Humain Ruswa Na Karo..............!

 

 

Ashq aankhon main chupate huwe thak jata hon

 

Poet Mohsin Naqvi

Ashq aankhon main chupate huwe thak jata hon,

Bojh paani ka uthate huwe thak jata hun,

Paaon rakhte hain jo mujh par unhain ehsaas nahin,

Main nishanaat mittate huwe thak jata hun,

Barf aisi ke pigalti nahin paani ban kar,

Payaas aisi ke bhujaate huwe thak jata hun,

Achi lagti nahin is darja shanasai,

Haath haathon main milate huwe thak jata hun,

Gham_gusaari bhi ajab kaar_e_muhabat hai k main,

Roone walon ko hansaate huwe thak jata hun

Itni qabrain na banao mere andar "Mohsin",

Main charaaghon ko jalaate huwe thak jata hun....

 

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia Hai

Ab Us Ki Marzi Wo Khizan Ko Bahar Likh De

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia Hai

Ab Us Ki Marzi Wo Khizan Ko Bahar Likh De,

Bahaar Ko Intazar Likh De,

Safar Ki Khawahish Wehmo K Azab Se Humkinar Likh De,

Wafa K Raston Pe Chalne Walon Ki,

Qismaton Mein Ghubar Likh De,

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia,

Hawa Ki Marzi K Wasl Mosam Mein,

HIJJAR Ko Hisa Daar Likh De,

Mohabbaton Mein Guzarne Wali Ruton Ko,

Na Paidar Likh De,

Shajar Ko Kam Saya Daar Likh De,

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia Hai,

Ab Us Ki Marzi K Wo Humare Diye Bajha Kar,

Shabon Ko Ba Akhtiar Kar K Sahar Ko Be Itbar Likh De,

Hawa Ko Likhna Sikhane Walo,

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia Hai...............!

Page 39,40 

 

Mehfil Mein Bar Bar Kisi Par Nazar Gai

Hum Ne Bachai Laakh Magar Phir Udhar Gai

 

 

Poet Aagha Bismil


Type By 

 

*.___HIJAR___.*



Mehfil Mein Bar Bar Kisi Par Nazar Gai


Hum Ne Bachai Laakh Magar Phir Udhar Gai,


Un Ki Nazar Mein Koi To Jaadu Zaroor Hai,


Jis Par Parri Usi K Jigar Tak Utar Gai,


Us Bewafa Ki Aankh Se Aanso Jhalak Parre,


Hasrat Bhari Nigah Barra Kaam Kar Gai,


Un K Jamal-E-Rukh Pe Un He Ka Jamal Tha,


Wo Chal Diye To Ronak-E-Sham-O-Sehar Gai,


Un Ko Khabar Karo K Hai Bismil Qareeb-E-Marg,


Wo Aain Gay Zaroor Jo Un Tak Khabar Gai..............!


Mazeed Poetry K Liye


Follow HIJJAR

Send 8002

 

 

Hum Ehl E Ishq Hain Mohabbat Zat Rakhte Hain

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Hum Ehl E Ishq Hain Mohabbat Zat Rakhte Hain,

Esi Mein Din Guzarta Hai Isi Mein Rat Karte Hain,

Parinda Aakhri Ye Keh Gia Khushk Jheelon Se,

Mujhe Majboor Hijrat Pe Mere Halat Karte Hain,

Nikal Aaye Hain Janib-E-Sahrato Dar Kaisa.

Chalo Kuch Din Rote Hain Chalo Barsat Karte Hain,

Suna Hai Chand Utra Hai Sunehri Jheel Pe,

MOHSIN

Kuch Deir Milte Hain Chalo Kuch Bat Karte Hain.............! 

 

Hum Thay Jin K Sahare

Wo Howay Na Humare Lyric

 

======

SONG

======

Hum Thay Jin K Sahare

Wo Howay Na Humare

Doobi Jab Dil Ki Naya,

Samne Thay Kinare,

Hum Thay Jin K Sahare,

Wo Howay Na Hamare,

Doobi Jab Dil Ki Naya,

Samne Thay Kinare,

Hum Thay Jin K Sahare,

Kia Mohabbat K Waade Kia Wafa K Irade,

Ret Ki Hain Deewarain,

Jo Bhi Chahe Gira De,

Jo Bhi Chahe Gira De,

Hum Thay Jin K Sahare,

Wo Howay Na Humare,

Hai Sabhi Kuch Jahan Mein,

Dosti Hai Wafa Hai Apni Ye Kam Naseebi,

Hum Ko Na Kuch Bhi Mila Hai,

Hum Ko Na Kuch Bhi Mila Hai,

Hum Thay Jin K Sahare,

Wo Howay Na Hamare,

Youn To Dunia Base Gi,

Tanhai Phir Bhi Dase Gi,

Jo Zindagi Mein Kami Thi,

Wo Kami To Rahe Gi,

Wo Kami Toh Rahe Gi,

Hum Thay Jin K Sahare,

Wo Howay Na Humare,

Doobi Jab Dil Ki Naya,

Saamne Thay Kinare.............!

 

Zamana Khud Bata De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Zamana Khud Bata De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta,

Sabhi Parde Utha De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta,

Wo Afsana Jise Tum Sarsari Si Dastaan Samjhe,

Tumhain Ek Din Rula De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta,

Wohi Jo Is Zamane Ka Maseeha Tum Ko Kehta Hai,

Yehi Qatil Bana De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta,

Dino K Aane Jane Mein Tumhari Hi Tarha Mujh Ko,

Zamana Bhi Bhula De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta,

Sunaya Hai Mujhe Jo Aaj Tum Ne Kal Yehi Qisa,

Tumhain Mosam Suna De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta,

Bahut Aabad Raston Se Guzarta Waqt Ka Daria,

Sabhi Naqshe Mita De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta.............!

Page 105 

 

Hijar Ki Bad Dua Na Ho Jana

Dekh Lena Saza Na Ho Jana

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Hijar Ki Bud Dua Na Ho Jana

Dekh Lena Saza Na Ho Jana

Mor To Beshumar Aain Gay,

Thak Na Jana Juda Na Ho Jana,

Ishq Ki Intaha Nahi Hoti,

Ishq Ki Intaha Na Ho Jana,

Aakhir-E-Shab Udas Chand K Sath,

Aik Bujhta Dia Na Ho Jana,

Be Irada Safar Pe Nikle Ho,

Raston Ki Hawa Na Ho Jana,

Zindagi Dard Se Ibarat Hai,

Zindagi Se Khafa Ho Na Jana,

EK Tumhai Ko Khuda Se Manga Hai,

Tum Kahein Bewafa Na Ho Jana................! 

 

Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai,

Ye Shehr-E-Yar Bhi Kia Kia Sazain Deta Hai,

Tamam Shehr Hai Maqtal Usi K Hathon Se,

Tamam Shehr Usi Ki Duain Deta Hai,

Kabhi To Hum Ko Bhi Bakhshe Wo Abar Ka Tukra,

Jo Aasman Ko Neeli Ridain Deta Hai,

Judaion K Zamane Se Phir Aa Gaye Shaid,

K Dil Abhi Se Kisi Ko Sadain Deta Hai.................!

Page 109 

 

Dolat-E-Dard Ko Dunia Se Chupa Kar Rakhna

Aankh Mein Boond Na Ho Dil Mein Samandar Rakhna

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Dolat-E-Dard Ko Dunia Se Chupa Kar Rakhna

Aankh Mein Boond Na Ho Dil Mein Samandar Rakhna

Kal Gaye Guzre Zamano Ka Khayal Aaye Ga,

Aaj Itna Bhi Na Raton Ko Munawar Rakhna,

Apni Aashufta Mizaji Pe Hansi Aati Hai,

Dushmani Sang Se Aur Kaanch Ka Paikar Rakhna,

Aas Kab Dil Ko Nahi Thi Tere Aa Jane Ki,

Par Na Aisi K Qadam Ghar Se Na Bahir Rakhna,

Zikar Us Ka Hi Sahi Bazm Mein Bethe Ho,

FARAZ

Dard Kaisa Hi Uthe Hath Na Dil Par Rakhna..............!

Page 99 

 

Fitrat Ne Bakhsha Mujhe Andesha-E-Chalak

Rakhti Hai Magar Taqat-E-Parwaz Meri Khaak

 

Poet Allama Iqbal

 

Fitrat Ne Bakhsha Mujhe Andesha-E-Chalak

Rakhti Hai Magar Taqat-E-Parwaz Meri Khaak,

Wo Khak K Jis Ka Junon Seqal-E-Adrak,

Wo Khak K Jibreel Ki Hai Jis Se Qaba Chak,

Wo Khak K Parwa-E-Nasheman Nahi Rakhti,

Chunti Nahi Pehne-E-Chaman Se Husn-O-Khashaak,

Es Khak Ko Allah Ne

Bakhshe Hein Wo Aansoo,

Karti Hai Chaman Jin

Ki Sitaroon Ko Araqnak................?

Book Name

Bal E Jibreel

Page No 59

 

Youn Hath Nahi Aata Wo Gohar-E-Yakdana

Yak Rangi-O-Aazadi-E-Himat-E-Mardaana

 

Poet Allama Iqbal 

 

Youn Hath Nahi Aata Wo Gohar-E-Yakdana

Yak Rangi-O-Aazadi-E-Himat-E-Mardaana

Ya Sanjar-O-Taghral

Ka Aain-E-Jahangeeri,

Ya Mard-E-Qalandar K

Andaaz-E-Malokaana,

Ya Hairat Faraabi Ya

Taab-O-Tab-E-Roomi,

Ya Fikar-E-Hakemana

Ya Jazb-E-Kaleemana

Ya Aqal Ki Robaahi

Ya ISHQ-E-Yadullahi,

Ya Heela-E-Afrangi

Ya Hamla-E-Tarkaana

Ya Shara-E-Musalmani

Ya Dair Ki Darbaani,

Ya Naara-E-Mastaana

Ka'aba Ho K Butkhana

Ameeri Mein Faqeeri

Mein Shahi Mein

Ghullaami Mein,

Kuch Kam Nahi Banta

Be Juraat-E-Randana,

Book Name

Bal E Jibreel

Page No 58

 

Sharab Cheez Hi Aisi Hai Na Chori Jaye

Ye Mere Yar K Jaisi Hai Na Chori Jaye Lyric

 

Singer Pankaj Udas 

 

Sharab Cheez Hi Aisi Hai Na Chori Jaye,

Ye Mere Yar K Jaisi Hai Na Chori Jaye,

Har Ek Shaye Ko Jahan Ko Badalte Dekha Hai,

Magar Ye Waise Ki Waisi Hai Na Chori Jaye,

Ye Mere Yar K Jaisi Hai Na Chori Jaye,

Sharab Cheez Hi Aisi Hai,

Kisi K Dam Se Pigalti Hai Ye Bojhal Ratein,

Magar Ye Pani K Jaisi Hai Na Chori Jaye,

Mere Yar K Jaisi Hai Na Chori Jaye,

Sharab Cheez Hi Aisi Hai Na Chori Jaye....................! 

 

Saya Bhi Sath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai Lyric

 

Singer Nusrat Fathe Ali Khan 

 

Saya Bhi Sath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai

Rona Chahon To Rona Chahon To,

Aansoo Na Aain Aisi Hai Tanhai,

Saya Bhi Sath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai,

Jo Aise Chor K Mehboob Jaye,

To Jeene Se Na Kion Dil Obh Jaye,

Saya Bhi Saath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai,

Paya Hum Ne Ye Bin Tere,

Ranj Ki Rahein Aur Gham K Andhere,

Wo Bhi To Hum Se Wo Bhi To Hum Se,

Kho Gaye Hai Aisi Hai Tanhai,

Saya Bhi Saath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai,

Yad Aate Hain Beete Zamane,

Jab Tum Aaye Thay Hum Ko Manane,

Ab To Dil Roothe Ab To Dil Roothe,

Dard Manaye Aisi Hai Tanhai,

Saya Bhi Saath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai,

Rona Chahon To Rona Chahon To,

Aansoo Na Aain Aisi Hai Tanhai,

Saya Bhi Sath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai............! 

 

Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai

Ye Shehr-E-Yar Bhi Kia Kia Sazain Deta Hai

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai

Ye Shehr-E-Yar Bhi Kia Kia Sazain Deta Hai

Tamam Shehr Hai Maqtal Usi K Hathon Se,

Tamam Shehr Usi Ki Duain Deta Hai,

Kabhi To Hum Ko Bhi Bakhshe Wo Abar Ka Tukra,

Jo Aasman Ko Neeli Ridain Deta Hai,

Judaion K Zamane Se Phir Aa Gaye Shaid,

K Dil Abhi Se Kisi Ko Sadain Deta Hai.................!

Page 109 

 

Wasal Mein Jhooti Tasali K Siwa Kia Ho Ga Bahut Acha

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Wasal Mein Jhooti Tasali K Siwa Kia Ho Ga

Bahut Acha Bahut Acha Bahut Acha Ho Ga,

Dil Afsurda Ka Jab Haal Bayan Un Se Kia,

Phool Komal K Kaha Hath Mein "Aisa Ho Ga,"

Niga Shoq Ki Khawahish Ko Samjh Lo Dil Mein,

Warna Do Char Ghari Bad Taqaza Ho Ga,

Tum Kisi K Na Howay Ho Na Kisi K Ho Gay,

Dil Kisi Ka Na Howa Hai Na Kisi Ka Ho Ga,

Khoobian DAGH Ki Jab Us Ne Suni Sun K Kaha,

Kia Gharz Hum Ko Wo Apne Liye Acha Ho Ga............!

Page 643 

 

Barish, Badal "Tum Aur Main


Barish, Badal "Tum Aur Main"
Khushboo, Mousum "Tum Aur Main"
Kaley Badal, Rimjhim Barish
Neela Anchal "Tum Aur Main"
Behti Nadiyan, Girta Pani
Ankhein, Aansu "Tum Aur Main"
Paas Kisi Drya Ke Koi
Bheega Jhonpar "Tum Aur Main"
Dur Kahin Koyal Ki Ku Ku
Gehra Jungle "Tum Aur Main"
Barkha Rimjhim Geet Sunaye
Jhurmat Daley "Tum Aur Main"
Dur Kahin Per Chota Sa Ek
Kach'cha Sa Ghar "Tum Aur Main"
Kandha Tera Aur Sir Mera
Pagal Si Chup "Tum Aur Main"...!

 

==============

Nomii Collection

============= 

 

 

Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain

Hum Aik Hain

Sanjhi Apni Khushian Ho Lyric

 

Singer Naiyara Noor 

 

Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain

Hum Aik Hain

Sanjhi Apni Khushian Ho,

Sanjhi Apni Khushian Aur Gham Aik Hain,

Hum Ek Hain,

Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain,

Hum Ek Hain,

Aik Chaman K Phool Hain Sare,

Aik Watan Aik Tare,

Ho Aik Watan K Tare,

Ek Samandar Mein Girte Hain Sab Dariaon K Dhare,

Juda Juda Hain Lehrein Par Hum Aik Hain,

Hum Aik Hain,

Ek Hi Kashti K Hain Musafir,

Ek Manzal K Raahi Ho,

Ek Manzal K Raahi,

Apni Aan Per Mitne Walae,

Hum Jan Baz Sipahi,

Hum Jan Baz Sipahi,

Band Muthi Ki Qowat Bahm Hum Aik Hain,

Hum Aik Hain,

Hum Aik Hain,

Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain,

Hum Aik Hain,

Pak Watan Ki Izat Hum Ko Apni Jan Se Pyari,

Ho Apni Jan Se Pyari,

Apni Shan Hai Is K Dam Se,

Ye Hai Shan Humari,

Yeh Hai Shan Hamari,

Apne Chaman Mein Phool Aur Shubnam,

Aik Hain Hum Aik Hain,

Sanjhi Apni Khushian Ho,

Sanjhi Apni Khushian Aur Gham Aik Hain,

Hum Aik Hain,

Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain,

Hum Aik Hain.............! 

 

Ataa Jise Tera Aks-E-Jamaal Hota Hai

Wo Phool Sare Gulistan Ka Laal Hota Hai

 

 

Poet Saghar Saddiqui

Type By 

*._Ayaz_Khan_.* 

 

Ataa Jise Tera Aks-E-Jamaal Hota Hai

Wo Phool Sare Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Talash Karti Hai SayeTumhare Aanchal K,

Chaman Mein Bad-E-Saba Ka Ye Haal Hota Hai,

Rah-E-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki,

Magar Ye Ehl-E-Nazar Ka Khayaal Hota Hai,

Ye Wardat Bhi Ab Dil Pe Roz Hoti Hai,

Musraton Mein Bhi Hum Ko Malaal Hota Hai,

Bahaar-E-Fitrat Sayaad Ki Kahani Hai,

K Is K Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai,

Ye Bikhre Bikhre Se Gesoo Thaki Thaki Aankhain,

K Jaise Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai,

Jawab De Na Sakain Jais Ka Do Jahaan SAGAGR,

Kaisi Ghareeb K Dil Ka Sawaal Hota Hai.......!

Book:

Kuliat e Saghar

Page: 282 to 283

 

Pareshaan Ho K Meri
Khaak

Aakhir DIL Na Ban
Jaaye

 

Poet Allama Iqbl 

 

Pareshaan Ho K Meri

Khaak

Aakhir DIL Na Ban

Jaaye

Jo Mushkil Hai Ya Rab,

Phir Wahi Mushkil Na

Ban Jaaya,

Na Kar Dein Mujh Ko

Majboor-E-Nawa,

Firdoos Mein Horein,

Mera Soaz-E-Duroon,

Phir Garmi Mehfil Na

Ban Jaaye,

Kabhi Chhorri Huwi

Manazil Bhi,

Yaad Aati Hai Rahi Ko,

Khatak C Hai Jo

Seene Mein,

Gham-E-Manzil Na

Ban Jaaye,

Banaaya ISHQ Ne,

Daria-E-Napedakiran

Mujh Ko,

Ye Meri

Khud Nigehdaari,

Mera Saahil Na Ban

Jaaye,

Kaheen Es

Aalam-E-Be Rang-O-

Boo Mein Bhi Talab

Meri,

Wahi Afsaana

Danbaala Mehmil Na

Ban Jaaye,

Urooj-E-Aadam-E-

Khaaki Se,

Anjam Sehme Jaate

Hein,

K Ye Toota Huwa

Taara,

Me-E-Kaamil Na Ban

Jaaye.............?

Book Name

Bal-E-Jibreel

Page No" 6

 

Shama Thandi Hai Parwane Zinda Hain,

 

 

Poet Ayaz Khan


Type By 

 

*._Ayaz_Khan_.*



Shama Thandi Hai Parwane Zinda Hain,


Dasht Mein Khak Uri Deewane Zinda Hain,


Milti Hai Aawaz-E-Ishq-E-Qalandarana Agar Dhondo.


Aaj Bhi Weerano Mein Aabad Mastane Zinda Hain,


Dunia Kab Thi Phele Aashna Dasht-E-Karbala Se,


Shaheedon K Lahoo Se Seraab Weerane Zinda Hain,


Howay Jo Paish Bargah-E-Ishq Mein Jan De Kar,


Ishq K Maare Un Parwano K Afsane Zinda Hain,


Israar-E-Mohabbat Janna Hai To Dhoondo Raz-E-Hasti,


Zaraye Khorsheed K Sooz-E-Ishq Dekhane Zinda Hain,


Mil Jain Agar Kahein Jabeen-E-Shoq K Jalwe AYAZ,


To Hum Aaj Bhi KhaaK-E-Hasti Metane Zinda Hain.........!

 

 

Happy 68th Independence Day

 

 

Happy 68th Independence Day

  &

Above 2 Lac Original Page view

 

 

 

 

 Ya ALLAH J.J  Mere PAKISTAN Ko Ta Qayamat Qaim o Daim Rakhna   Aameen

 

 

 

 

 ==============

Nomii Collection

==============

 

 

Zameen Par Paon Thay Qayam Aasman Mein Tha

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Zameen Par Paon Thay Qayam Aasman Mein Tha

Meri Tarha Se Wo Shakhs Bhi Imtihan Mein Tha,

Ye Roshni Thi K Us Ka Chehra Dhihan Mein Tha,

Satara Sa Ek Chargh Mere Makan Mein Tha,

K Chand Khud Aa K Aik Taare Ka Naam Pooche,

Hajoom-E-Siyar Gaan Ye Kis Guman Mein Tha,

Main Us Ki Aankhon Ko Dekhti Hon To Sochti Hon,

Nazar Ka Aisa Talsum Kis Dastan Mein Tha,

Main Us Ki Kashti Se Apna Aanchal Hata K Samjhi,

Safar Ka Bhi Hosla Badban Mein Tha,

Dua Kabhi Main Ne Mangi Thi Dono Waqt Milte,

Ye Zindagi Bhar Ka Jhatpta Kab Dhihan Mein Tha,

Judai Ka Faisla To Phir Bhi Humara Hota,

Ye Maan Bhi Lein Agar Koi Darmian Mein Tha............!

Page 210 211

 

Zameen Se Rah Gia Hai Door Aasman Kitna

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Zameen Se Rah Gia Hai Door Aasman Kitna,

Satara Apne Safar Mein Hai Khush Gumaan Kitna,

Parind Paikaan Badosh Parwaz Kar Raha Hai,

Raha Hai Us Ko Khayal-E-Siyaad Gaan Kitna,

Hawa Ka Rukh Dekh Kar Samandar Se Poochna Hai,

Uthain Ab Kashtion Pe Hum Baad Ban Kitna,

Bahar Mein Khushbo'on Ka Naam-O-Nasab Tha Jis Se,

Wohi Shajar Aaj Ho Gia Be Nishan Kitna,

Gire Agar Aaina To Ek Khas Zawiye Se,

Wagarna Har Akas Har Aks Ko Rahe Khud Pe Maan Kitna,

Bina Kisi Aas K Usi Tarha Jee Raha Hai,

Bicharne Walon Mein Tha Koi Sakhat Jan Kitna,

Wo Log Kia Chal Sakein Gay Jo Unglion Pe Sochain,

Safar Mein Hai Dhoop Kis Qadar Saiban Kitna..............!

Page 208,209 

 

Khizan Ki Rutt Mein Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gia

Ye Aaj Phir Singhar Ka Khayal Kaise Aa Gia

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Khizan Ki Rutt Mein Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gia

Ye Aaj Phir Singhar Ka Khayal Kaise Aa Gia

Hansi Ko Apni Sun K Aik Bar Main Bhi Chonk Uthi,

Ye Mujh Mein Dukh Chupane Ka Kamal Kaise Aa Gia,

Wo Rasm-E-Chara Sazi Janoo To Khatam Ho Chuki,

Ye Dil K Naam Harf-E-And Maal Kaise Aa Gia,

Abhi To Dhoop Rozan-E-Qafas Se Koson Door Thi,

Abhi Se Aftab Ko Zawal Kaise Aa Gia,

Judaion K Zakham To Suna K Bhar Chale Thay Phir,

Badan K Hath Nakhun-E-Wisaal Kaise Aa Gia,

Tamam Kainat Azal Se Aaino Ki Zadd Pe Thi,

Hajoom-E-Aks Mein Ye Bemisal Kaise Aa Gia..........!


Page 150,151

 

Dil Ko Kia Ho Gia Khuda Jane

Kion Hai Aisa Udas Kia Jane

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Dil Ko Kia Ho Gia Khuda Jane

Kion Hai Aisa Udas Kia Jane

Apne Gham Mein Bhi Us Ko Sarfa Hai,

Na Khula Jane Wo, Na Kha Jane,

Is Taja Hil Ka Kia Thikana Hai,

Jan Kar Jo Na Muda'a Jane,

Keh Dia Main Ne Raz-E-Dil Apna,

Us Ko Tum Jano Ye Khuda Jane,

Kia Gharz Kion Idhar Tawajo Ho,

Haal-E-Dil Aap Ki Balaa Jane,

Jante Jante Hi Jane Ga,

Mujh Mein Kia Hai Abhi Wo Kia Jane,

Kia Hum Is Bad Gumaan Se Bat Karein,

Jo Sateish Ko Bhi Gila Jane,

Tum Na Pao Gay Sada Dil Mujh Sa,

Jo Taghaful Ko Bhi HaYa Jane,

Hai Abas Jurm-E-Ishq Par Ilzam,

Jab Khata Waar Bhi Khata Jane,

Nahi Kotaah Daman-E-Umeed,

Aage Ab Dast Naar Saa Jane,

Jo Ho Acha Hazar Achon Ka,

Wa'az Is Butt Ko To Bura Jane,

Ki Meri Qadar Misal-E-Shah Dukan,

Kisi Nawab Ne Na Raja Jane,

Is Se Uthe Gi Museebat-E-Ishq,

Ibtada Ko Jo Intaha Jane,

DAGH Se Keh Do Ab Na Ghabraye,

Kaam Apna Bata Hawa Jane...............!

Page 539 

 

Tarash K Mere Bazo Uran Chor Gia

Hawa K Pas Bar Hna Kaman Chor Gia,

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Tarash K Mere Bazo Uran Chor Gia

Hawa K Pas Bar Hna Kaman Chor Gia,

Rafaqton Ka Meri Us Ko Dihan Kitna Tha,

Zameen Le Li Magar Aasman Chor Gia,

Ajeeb Shakhs Tha Barish Ka Rang Dekh K Bhi,

Khule Dareeche Pe Ek Phool Daan Chor Gia,

Jo Badlon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha,

Barhi Hai Dhoop To Be Saiban Chor Gia,

Nikal Gia Kahein An Dekhe Panio Ki Taraf,

Zameen K Naam Khula Bad Baan Chor Gia,

Aqab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se,

Jo Gir Gai To Youn Hi Neem Jan Chor Gia,

Na Jane Kon Sa Aseib Dil Mein Basta Hai,

K Jo Bhi Tehra Wo Aakhir Makan Chor Gia,

Aqb Mein Gehra Samandar Hai Samne Jangal,

Kis Intaha Pe Mera Mehrban Chor Gia............!

Page 25,26 

 

Us K Hathon Se Jo Khushbo-E-Hina Aati Hai

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Us K Hathon Se Jo Khushbo-E-Hina Aati Hai,

Aisa Lagta Hai K Janat Se Hawa Aati Hai,

Choomne Dar Ko Kis Dhaj Se Chala Hai Koi,

Aaj Kis Naaz Se Maqtal Mein Qaza Aati Hai,

Na Kabhi Koi Kare Tujh Se Tere Jaise Salook,

Hath Uthte Hi Yehi Lab Pe Dua Aati Hai,

Tere Gham Ko Ye Bar Hana Nahi Rehne Deti,

Meri Aankhon Pe Jo Ashkon Ki Rida Aati Hai,

Us K Chehre Ki Tamazat Bhi Hai Shamil Is Mein,

Aaj Tapti Hoi Sawan Ki Ghata Aati Hai,

Ghoomne Jab Bhi Tere Shehr Mein Jati Hai Wafa,

Bain Karti Hoi Wapas Wo Sada Aati Hai,

Hai Wohi Bat Har Ek Lab Pe Bahut Aam Yahan,

Hum Se Jo Kehte Howay Un Ko Haya Aati Hai...

 

Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam

Qasam Chahe Le Lo Lyric

 

Singer Latta & Kumaar Saano 

 

Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam

Qasam Chahe Le Lo

Qasam Chahe Le Lo,

Khuda Ki Qasam,

Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam,

Humari Ghazal Hai Tassawor Tumhara,

Tumhare Bina Ab Na Jeena Gawara,

Tumhain Youn Hi Chahain Gay,

Tumhain Youn Hi Chahain Gay Jab Tak Hai Dam,

Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam,

Sagar Ki Bahon Mein Mojain Hain Jitni,

Hum Ko Bhi Tum Se Mohabbat Hai Utni,

K Ye Beqarari Na Ab Ho Gi Kam,

Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam,

Qasam Chahe Le Lo,

Qasam Chahe Le Lo,

Khuda Ki Qasam...........! 

 

Tujhe Dekha To Ye Jana Sanam

Pyar Hota Hai Deewana Sanam Lyric

 

Singer Kumar Saano &

Latta 

 

Tujhe Dekha To Ye Jana Sanam

Pyar Hota Hai Deewana Sanam

Ab Yahan Se Kahan Jain Hum,

Teri Bahon Mein Mar Jain Hum,

Tujhe Dekha To Yeh Jaana Sanam,

Pyar Hota Hai Deewana Sanam,

Aankhain Meri Sapne Tere Dil Mera Yadain Teri,

Mera Hai Kia Sab Kuch Tera,

Jan Teri Saansein Teri,

Meri Aankhon Mein Aansoo Tere Aa Gaye,

Muskurane Lage Sare Gham,

Tujhe Dekha To Yeh Jana Sanam,

Pyar Hota Hai Deewana Sanam,

Ye Dil Kahein Lagta Nahi,

Kia Kahon? Main Kia Karon,

Too Samane Baithi Rahe,

Main Tujhe Dekha Karon,

Too Ne Aawaz Di Dekh Main Aa Gia,

Pyar Se Hai Bari Kia Qasam,

Tujhe Dekha To Ye Jana Sanam,

Pyar Hota Hai Deewana Sanam,

Ab Yahan Se Kahan Jain Hum,

Teri Baahon Mein Mar Jain Hum,

Tujhe Dekha To Ye Jana Sanam...............! 

 

Main Bhool Jaon Tumhain

Ab Yahi Munasib Hai

Magar Bhulana Bhi Chahon To

 

 

Poet Javaid Akhtar


Type bY 

 

UJRRA_DIL



Main Bhool Jaon Tumhain


Ab Yahi Munasib Hai


Mgar Bhulana Bhi Chahon To


Kis Tarah Bhoolon ?


Keh Tum To Phir Bhi Haqeeqat Ho,


Koi Khawab Nahi,


Yahan To Dil Ka,


Ye Aalam He Kaya Kahon,


Kam Bakhat,


Bhula Na Paya Wo Silsila,


Jo Tha Hi Nahi,


Wo Ik Khayal,


Jo Aawaz Tak Gaya Hi Nahi,


Wo Aik Baat,


Jo Main Keh Na Saka Tum Se,


Wo Aik Rabbat,


Jo Hum Mein Kabhi Raha Hi Nahi,


Mujhe Yaad He Wo Sub,


Jo Kabhi Hua Hi Nahi...............!

.

Page 65

 

 

Subha Dam Jab Bhi Dekha Hai Main Ne Kahein

 

 

Poet Zubair Rizvi


Type bY 

 

UJRRA_DIL



Subha Dam Jab Bhi Dekha Hai Main Ne Kahein,


Nanhe Bachon Ko,

Sachool Jate Huye,


Raqas Karte Huye,

Gungunate Huye,


Apne Baston Ko,

Gardan Mein Dale Huye,


Ungliyan Aik Ki,

Aik Pakrre Huye,


Subha Dum Jab Bhi,

Dekha He Main Ne Unahein,


Mamta Un Ki Raahon Mein Saya Kare,


Un K Qadmon Mein,

Khushboo Bichhaya Kare,


Devta Un K Hathon Ko Chooma Kare,


Man Hi Man Mein Un Ki,

Baton Pe Jhooma Kare,


Subha Dum Jab Bhi,

Dekha He Main Ne Unahein,


Mera Jee Chahta He,

Keh Main Dorr Kar,


Aik Nanhe Ki,

Ungli Pakrr Kar Kahon,


Mujh Ko Bhi Apne,

Sachool Lete Chalo,


Taa Ke Ye Tashna-E-Aarzoo-E-Zindagi,


Phir Se Aaghaz-E-Shoq-E-Safar Kar Sake..........!


Page 78

 

 

Lout K Aaye Gi Mohabbat Ki Sham Tum Ne Kaha Tha

 

Poetess Noshi Gilani

 

Lout K Aaye Gi Mohabbat Ki Sham Tum Ne Kaha Tha,

Ye Zindgi Hoi Tere Naam Tum Ne Kaha Tha,

Is Aas Pe Gir Jata Hon Main Aksar,

Main Lon Ga Tujhe Thaam Tum Ne Kaha Tha,

Teri Judai Aur Teri Yadon Ne Maar Dala Hai,

Meri Mohabbat Le Gi Intaqam Tum Ne Kaha Tha,

Har Zabaan Pe Hain Qisse Meri Deewangi K,

Itna Na CHAHO Mujhe Ho Jao Gay Badnam Tum Ne Kaha tha,

Jo Dil Pe Chot Khaye Aur Phir Bhi Muskuraye,

Mohabbat Usay Karti Hai Salam Tum Ne Kaha Tha..........! 

 

Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is K Lyric

 

Singer Mehdi Hasan 

 

Ye Watan Tumhara Hai

Tum Ho Pasban Is K

Ye Chaman Tumhara Hai

Tum Ho Naghma Khawan Is K

Is Chaman K Pholon Par Rang-O-Aab Tum Se hai,

Is Zameen Ka Har Zara Aftab Tum Se Hai,

Ye Fiza Tumhari Hai Behr-O-Bar Tumhare Hain,

Keh Kashan K Ye Jage Rahguzar Tumhare Hain,

Is Zameen Ki Matti Mein Khoon Hai Shaheedon Ka,

Arz-E-Pak Markaz Hai Qom Ki Umeedon Ka,

Nazm-O-Zabt Ko Apna Mer-E-Karwan Jano,

Waqt K Andheron Mein Apna Aap Pehchano,

Ye Zameen Muqadas Hai Maa K Pyar Ki Soorat,

Is Chaman Mein Tum Sab Ho Barg-O-Bar Ki Soorat,

Dekhna Gunwana Mat Dolat Yaqeen Lo,

Ye Watan Amanat Hai Aur Tum Ameen Logo,

Nafraton K Darwaze Khud Pe Band Hi Rakhna

Is Watan K Parcham Ko Sar Buland Hi Rakhna,

Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasbaan Is K...

 

Lakhno Mere Watan Mere Chaman Zar Watan

Tere Gehwara-E-Aaghosh Mein Ay Jaan-E-Bahar

 

 

Poet Jaan Nisar Akhtar


Type bY 

 

UJRRA_DIL



Lakhno Mere Watan Mere Chaman Zar Watan


Tere Gehwara-E-Aaghosh Mein

Ay Jaan-E-Bahar


Apni Dunia-E-Haseen,

Dafan Kiye Jata Hon,


Toone Jis Dil Ko Dharrkine Ki Ada Bakhshi Thi,


Aaj Wo Dil Bhi Yahi Dafan Kiye Jata Hon,


Dafan He Daikh Mera Ahd-E-Bahaaran Tujh Mein,


Dafan He Daikh Meri Rooh-E-Gulsitan Tujh Mein,


Mere Gul Posh Jawan Saal Umngon Ka Suhag,


Mere Shadab Tamana K Mehkate Khawab,


Meri Bedar Jawani K Firozan Maah-O-Saal,


Meri Shamon Ki Malahit Meri Subhon Ka Jamal,


Meri Mehfil Ka Fasana,

Meri khulwat Ka Fason,


Meri Deewangi Shoq Mera Naaz-E-Junoon,


Mere Marne Ka Saleeqa,

Mere Jeene Ka Sha'our,


Meri Namoos-E-Wafa Meri Mohabbat Ka Ghuroor,


Meri Nabzon Ka Tarnum,

Mere Naghamon Ki Pukar,


Mere Shairon Ki Sajawat Mere Geeton Ka Singhar,


Lakhno Apna Jahna Sonp Chala Hon Tujh Ko,


Apna Har Khawab-E-Jawan Sonp Chala Hon Tujh Ko,


Apna Sarmaya-E-Jaan Sonp Chala Hon Tujh Ko,


Lakhno Mere Watan,


Ye Mere Payar Ka Madfan Hi Nahi He Tanha,


Dafan Hain Is Mein Mohabbat K Khazane Kitne,


Aik Unwan Mein Muzmar Hain Fasane Kitne,


Ik Behan Apni Rafaqt Ki Qasam Khaye Huye,


Aik Maa Mar K Bhi Seene Mein Liye Maa Ka Gadaz,


Apne Bachon K Larrkpan Ko Kaleje Se lagaye,


Apne Khelte Huye Ma'Asoom Shagofon K Liye,


Band Aankhon Mein Bahaaron K Jawan Khawab Basaye,


Ye Mere Payar Ka Madfan Hi Nahi He Tanha,


Aik Sathi Bhi Teh Khak Yahan Soti He,


Arsa-E-Dehar Ki Be Raham Kasha Kash Ka Shikar,


Jaan De Kar Bhi Zamane Se Na Mane Huye Haar,


Apne Taiwar Mein Wahi Azam-E-Jawan Saal Liye,


Ye Mere Payar Ka Madfan Hi Nahi He Tanha,


Dekh Ik Shama Sar-E-Raah Guzar Jalte He,


Jagmgata He Agar Koi Nishan-E-Manzil,


Zindagi Aur Bhi Kuch Taiz Qadam Chalti He,


Lakhnon Mere Watan,


Dekh Is Khawab Geh-E-Naaz Pe Kal Muaj-E-Saba,


Le K No-Roz-E-Bahaaran Ki Khabr Aaye Gi,


Surkh Phoolon Ka Barha Naaz Se Goondhe Huye Haar,


Kal Isi Khak Pe Gul Rang Sahar Aaye Gi,


Kal Isi Khak K Zaron Mein Sama Jaye Ga Rang,


Kal Mere Payar Ki Tasveer Ubhar Aaye Gi,


Ay Meri Rooh-E-Chaman Khak-E-Lahd Se Teri,


Aaj Bhi Mujh Ko Tere Payar Ki Khushboo Aati He,


Zakham Seene K Mehkte Hain Teri Khushboo Se,


Wo Mehak He Keh Meri Sans Ghuti Jati He,


Mujh Se Kaya Baat Banaye Gi Zamane Ki Jafa,


Muat Khud Aankh Milate Huye Sharmati He,


Main Aur In Aankhon Se Dekhon Tujhe Paiwand-E-Zameen,


Is Qadar Zulam Nahi Haye Nahi Haye Nahi,


Koi Ay Kash Bujha De Meri Aankhon K Diye,


Chheen Le Mujh Se Koi Kash Nigahein Meri,


Ay Meri Shama-E-Wafa Ay Meri Manzil K Charagh,


Aaj Tareek Hui Jati Hain Raahein Meri,


Tujh Ko Rowon Bhi To Kaya Rowon ?


Keh In Aankhon Mein,


Ashak Pathar Ki Tarah Jam Se Gaye Hain Mere,


Zindagi Arsa Geh Jahad Muslsil Hi Sahi,


Aik Lamhe Ko Qadam Tham Se Gaye Hain Mere,


Phir Bhi Is Arsa Geh Jahd Muslsil Se Mujhe,


Koi Aawaz Pe Aawaz Diye Jata He,


Aaj Sota Tujhe Chorh K Jana Ho Ga,


Naaz Ye Bhi Gham-E-Doraan Ka Uthana Ho Ga,


Zindagi Dekh Mujhe Hukam-E-Safar Deti He,


Ik Dil Shola Bajan Sath Liye Jata Hon,


Har Qadam Toone Kabhi Azam Jawan Bakhsha Tha,


Main Wahi Azam-E-Jawan Sath Liye Jata Hon,


Choom Kar Aaj Teri Khak Lahd K Zare,


In Ginat Phool Mohabbat K Charhata Jaon,


Jane Is Simat Kabhi Mera Guzar Ho K Na Ho,


Aakhri Baar Gale Tujh Ko Lagata Jaon,


Lakhnon Mere Watan

Mere Chaman Zar Watan,


Dekh Is Khak Ko Aankhon Mein Basa Kar Rakhna,


Is Amanat Ko Kaleje Se Laga Kar Rakhna...........!


Page 29 33

 

 


Jisam Damkita
Zullf Ghaneri
Rangeen Lab
Aankhein Jado

 

 

Poet Javed Akhtar


Type bY 

 

UJRRA_DIL 

 


Jisam Damkita

Zullf Ghaneri

Rangeen Lab

Aankhein Jado


Sang Mar Mar,

Oda Badal,

Surkh Shafaq,

Heraan Aahoo,


Bhakshoo Dani,

Payasa Pani,

Darya Sagar,

Jal Gaagar,


Gulshan Khushbo,

Koyel Koo Koo,

Masti Daroo,

Main Aur Too,


Banbi Nangan,

Chhaya Aangan,

Ghunghroo Chan Chan,

Aasha Mann,


Aankhein Kajal,

Parbat Badal,

Wo Zulafein Aur Ye Bazoo,


Ratein Mehaki,

Sansein Dahaki,

Nazrein Bahki,

Rut Lahki,


Sapan Salona,

Praim Khilona,

Phool Bichona,

Wo Pahloo,


Tum Se Doori,

Ye Majboori,

Zakham He Kari, Bedari,


Tanha Ratein,

Sapne Katein,

Khud Se Batein,

Mairi Khooo...........!


Page 64

 

 

Tajali-E-Rukh-E- Roshan Ka Kia Thikana Tha

Idhar Naqab uthi Thi K Ghash Ka Aana Tha

 

1st Time In All Social Network Showing 

Poet Bedam Shah Warsi

Type By

*._Ayaz_Khan_.* 

 

Tajali-E-Rukh-E- Roshan Ka Kia Thikana Tha

Idhar Naqab uthi Thi K Ghash Ka Aana Tha

Nagah-E-Naaz K Teeron Ka Kai Thikana Tha.

Nazar Nazar Se Mili Thi K Dil Nishana Tha.

Khayal-O-Khawab Howe Wo Maze Jawani K.

Ajeeb Din Thay Ajab San Ajab Zamana Tha.

Bujhane Wale Bujate Kisi K Dil Ki Lagi.

Charag-E-Hasti Aashq Ka Kia Bujhana Tha.

Qaraar Ghar Mein Na Sehra Mein Cheen Se Bithe.

Humen To Maot Ka Paigham Dil Ka Aana Tha.

Suni Jo Meri Musibat Ki Dastaan To Kaha.

K Phir Kaho Ye Bare Lutf Ka Fasana Tha.

Bahaar Jate Hi Dunia Badal Gai BEDAM.

K Andleeb Ka Sehra Mein Aashiyana Tha.......!

Book Mashaf e Bedam

Page: 82

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo