Main lafz lafz ehsaas likhoon In lafzon ko tera naam likhoon



Main lafz lafz ehsaas likhoon
In lafzon ko tera naam likhoon

Kabhi tujh ko apni subah likhoon
Kabhi ek haseen shaam likhoon

Kabhi purnam sa ehsaas likhoon
Kabhi dilkhash si muskaan likhoon

I write words of feelings.
Write your name to these words
Sometimes I will write you my morning
Should I write a beautiful evening sometime
Sometimes write a full moon feeling.
Should I write a beautiful smile sometime


Hum Ko Thi "Gham" Se Kabhi Aaghii Kahan Tere Baghair Zindagi Hai Zindagi Kahan


Hum Ko Thi "Gham" Se Kabhi Aaghii Kahan

Tere Baghair Zindagi Hai Zindagi Kahan

 



Takra Gaya Wo Mujh Se Kitaben Liye Hoe Phir Mera Dil Aur Us Ki Kitaben Bikhar Gain




Sir Tey Topi Dhar Chaden Tey Hath Wich Pad Musalla Seenay Andar Pathar Tere Munah Tey ALLAH ALLAH



Sir Tey Topi Dhar Chaden

Tey Hath Wich Pad Musalla

Seenay Andar Pathar Tere

Munah Tey ALLAH ALLAH

Ahmad Shakeel Choataai


Aap Ko Chehre Se Bhi Bemaar Hona Chahiye Ishq Hai Tou Ishq Ka Izhaar Hona Chahiye



آپ کو چہرے سے بھی بیمار ہونا چاہئے
عشق ہے تو عشق کا اظہار ہونا چاہئے
آپ دریا ہیں تو پھر اس وقت ہم خطرے میں ہیں
آپ کشتی ہیں تو ہم کو پار ہونا چاہئے
ایرے غیرے لوگ بھی پڑھنے لگے ہیں ان دنوں
آپ کو عورت نہیں اخبار ہونا چاہئے
زندگی تو کب تلک در در پھرائے گی ہمیں
ٹوٹا پھوٹا ہی سہی گھر بار ہونا چاہئے
اپنی یادوں سے کہو اک دن کی چھٹی دے مجھے
عشق کے حصے میں بھی اتوار ہونا چاہئے
منور رانا


Kis ko ye fikar hai keh qabeelay ko kiya hova sab is pe larr rahay hain keh sardar kon hai



کس کو یہ فکر ہے  کہ  قبیلے کو کیا ہوا
سب اس پہ لڑ رہے ہیں کہ سردار کون ہے

Kis ko ye fikar hai keh qabeelay ko kiya hova
 sab is pe larr rahay hain  keh sardar kon hai
namaloom


Chupkey Se Jaise Koi Muqaddar Mein Aa Gaya Dastak Diye Baghair Mere Ghar Mein Aa Gaya


 

چپکے سے جیسے کوئی مقدّر میں آ گیا
دستک دئیے بغیر میرے گھر میں آ گیاَ
دیکھا جمالِ یار تو مبہوت ہو گیٔے
گویا وہی تصویر کے پیکر میں آ گیا
ساقی نے دل ملا دیا شاید شراب میں
اک قطرہ خون کا میرے ساغر میں آ گیا
زنجیریں توڑ دی ہیں سبھی بے بسی کی آج
سودا جنونِ عشق کا اب سر میں آ گیا
ارشد مِلا سکون دلِ بیقرار کو
جب بھی خیالِ دوست دلِ مضطر میں آ گیا
مرزا ارشد علی بیگ
آڈبان ، پینسلوانیا
نومبر ٣٠، ٢٠٢



Keya apni haqeqat keya hasti matti ka aek habab hain hum Do char ghari ka sapna hain do char ghari ka khuwab hain hum



Keya apni haqeqat keya hasti matti ka aek habab hain hum
Do char ghari ka sapna hain do char ghari ka khuwab hain hum


Woh jise neend kaha kerte hain sab Chaain ki neend Woh tere baad Kabhi aankh mien utri hi nahi



Woh jise neend kaha kerte hain sab Chaain ki neend
Woh tere baad Kabhi aankh mien utri hi nahi


Yeh qumqumay, yeh emaraat, yeh fizza Kya hai? Jo Tum nahi ho to iss shehar main dharaa kya hai



یہ  قمقمے،  یہ  عمارات،  یہ  فضا،  کیا  ہے؟
جو تم نہیں ہو تو اس شہر میں دھرا کیا ہے

Yeh qumqumay, yeh emaraat, yeh fizza Kya hai?
Jo Tum nahi ho to iss shehar main dharaa kya hai

 

Halaat ki ik zarb ne halat hi badal di Mujh se meri tasveer,zra bhi nahen milti



Halaat ki ik zarb ne halat hi badal di
Mujh se meri tasveer,zra bhi nahen milti


Aik peshaani hai Aur itnay Khudaon ka hujoom Sab bazidd hain inhen Ma'abood hi samjha jaaye



ایک پیشانی ہے اور اتنے خداؤں کا ہجوم
سب بضد ہیں انہیں معبود ہی سمجھا جائے

Aik peshaani hai Aur itnay Khudaon ka hujoom
Sab bazidd hain inhen Ma'abood hi samjha jaaye


Sakoot e sehra mein basnay waloo,zara rutoon ka mizaj samjho jo aaj ka din sakoon say guzra to kal ka mosam kharab hoga



سکوتِ صحرا میں بسنے والو، ذرا رتوں کا مزاج سمجھو
جو آج کا دن سکوں سے گذرا تو کل کا موسم خراب ہوگا

Sakoot e sehra mein basnay waloo,zara rutoon ka mizaj samjho
jo aaj ka din sakoon say guzra to kal ka mosam kharab hoga

Murtza barlas


Talkhiyon me dhal na jaye wasl ki uktahaten Thak gaye ho to chalo Phir se juda ho ke milen



Talkhiyon me dhal na jaye wasl ki uktahaten
Thak gaye ho to chalo Phir se juda ho ke milen

 

Sahar ki khushiyan mananay walo , sahar k teivar bata rahay hain abhi to itni ghutan barrahay gi k saans laina aazab hoga



سحر کی خوشیاں منانے والو،سحر کے تیور بتا رہے ہیں
ابھی تو اتنی گھٹن بڑھے گی کہ سانس لینا عذاب ہوگا 

Sahar ki khushiyan mananay walo , sahar k teivar bata rahay hain
abhi to itni ghutan barrahay gi k saans laina aazab hoga

Murtaza barlas


Muflasi ore kis ko kehtay hain doltoon ka hisab kartay ho



مفلسی اور کس کو کہتے ہیں
دولتوں  کا  حساب  کرتے  ہو
خار کی نوک  کو لہو  دے کر
انتظارِ    گلاب      کرتے   ہو
یہ نئی  احتیاط   دیکھی  ہے
آئنے   سے   حجاب  کرتے  ہو
کیا ضرورت ہے بحث کرنے کی
کیوں  کلیجہ  کباب  کرتے ہو
ہو  چکا  جو  حساب  ہونا تھا
اور  اب  کیا  حساب  کرتے ہو
کتنے  بے رحم  ہو عدمؔ تم بھی
ذکرِ   عہدِ   شباب   کرتے    ہو



Muflasi ore kis ko kehtay hain

doltoon   ka  hisab  kartay   ho

khar ki  nok ko  laho  day kar

intezar e  gulaab      kartay   ho 

ye   nai    ihtiyat    daikhi   hai 

aaienay   say   hijab  kartay  ho 

kiya zarorat hai bahas karnay ki

kiuon  kalija    kabab    kartay ho

ho  chuka  jo  hisaab   hona   tha

ore   ab   kiya  hisaab   kartay  ho

kitnay be-raham ho Adam tum bhi

zikr e  aihd e  shabab   kartay  ho 

Abdul Hameed Adam


Aye Dil e Beqarar Chup Ho Ja Ja Chuki Hai Bahaar Chup Ho Ja



اے دلِ بے قرار ، چُپ ھو جا
جا چکی ھے بہار ، چُپ ھو جا


اب نہ آئیں گے رُوٹھنے والے
دیدۂ اشک بار ، چُپ ھو جا


جا چکا کاروانِ لالہ و گل
اُڑ رھا ھے غبار ، چُپ ھو جا


چُھوٹ جاتی ھے پُھول سے خوشبُو
رُوٹھ جاتے ھیں یار ، چُپ ھو جا


ھم فقیروں کا اِس زمانے میں
کون ھے غم گسار ، چُپ ھو جا


حادثوں کی نہ آنکھ کھل جائے
حَسرتِ سوگوار ، چُپ ھو جا


گیت کی ضرب سے بھی ، اے ساغرؔ
ٹُوٹ جاتے ھیں تار ، چُپ ھو جا

ساغر صدیقی

Aye Dil e Beqarar Chup Ho Ja

Ja Chuki Hai Bahaar Chup Ho Ja

 

Ab Na Aaeingy Roothnay Wale

Deeda e Ashk Baar Chup Ho Ja

 

Ja Chuka Karwaan e Lala o Gul

Ud Raha Hai Ghubaar Chup Ho Ja

 

Choot Jati Hai Phool Se Khushbo

Rooth Jate Hein Yaar Chup Ho Ja

 

Hum Faqeeron Ka Iss Zamane Mein

Kon Hai Ghum-Gusaar Chup Ho Ja

 

Hadson Ki Na Aankh Khul Jaye

Hasrat e Sogwaar Chup Ho Ja

 

Geet Ki Zarb Se Bhi Aye SAGHAR

Toot Jate Hein Taar Chup Ho Ja

Saghar Siddiqui

 

Dasht e Khuwahish Mein Kahein Se Tou Sada Dy Koi Main Kahan Hoon Mujhe Itna Hi Bata Dy Koi



دشتِ خواہش میں کہیں سے تو صــدا دے کوئی
میں کہـــــاں ہوں مجھے اِتنا ہی بتــــا دے کوئی
دل میں جو کچھ ہے زباں تک نہ وہ آنے پـــائے
کاش ہونٹوں پہ مرے مُہر لــــــــــــگا دے کوئی
فصــــل ساری ہے تمنّــــــــاؤں کی یک جا میری
میرا کھلیــــــــــان نہ بے درد جـــــلا دے کوئی
میں بتــــــاؤں گا گئی رُت نے کیـــــا ہے کیا کیا
میرے چہرے سے جمی گرد ہٹـــــــا دے کوئی
موســــــــــمِ گل نہ سہی، بــــــــادِ نم آلود سہی
شــــــــــاخِ عریاں کو دلاســــہ تو دلا دے کوئی
ہے پس و پیش جو اپنـــــــــــــــــا یہ مقّدر ماجدؔ
آخری تیر بھی ترکش سے چـــــــــــلا دے کوئی
ماجد صدیقی


Mere Aasaan Se Lehjey Ki Mushkil Kon Samjhe Ga Issi Pathar Mein Hai Mojood Ik Dil Kon Samjhe Ga



مرے آسان سے لہجے کی مشکل کون سمجھے گا

اسی پتھر میں ہے موجود اک دل کون سمجھے گا


ہزاروں چاہنے والوں میں اس کےایک میں بھی ہوں

اجالوں میں بھلا جگنو کی جھلمل کون سمجھے گا

 

Mere Aasaan Se Lehjey Ki Mushkil Kon Samjhe Ga

Issi Pathar Mein Hai Mojood  Ik Dil Kon Samjhe Ga


Hazaron Chahney Walo Mein Usske Aik Main Bhi Hoon

Ujalon Mein Bhala Jugno Ki Jhilmil Kon Samjhe Ga

 

मेरे आसान से लहजे की मुश्किल कौन समझेगा
उसी पत्थर में है मौजूद इक दिल कौन समझेगा


हज़ारों चाहने वालों में उस के एक मैं भी हूँ
उजालों में भला जुगनू की झिलमिल कौन समझेगा


Saath woh raha chand roz mohabbat kerne k leye Ba izzat ke gaya tha beizzat kerne k Leye



Saath woh raha chand roz mohabbat kerne k leye
Ba izzat ke gaya tha beizzat kerne k Leye
Farishton sa mijaaz tha us shakhs ka bhi
Mujhe hi chuna her baar nasiyat kerne k leye
Maut bhi rahi waqif haalat se mere
Bas Woh na aaya Kabhi ayaadat kerne k leye
Ab sochti hoon to haansi aati hai us k alfaaz peh
K mein zaroori hoon ik qarb jannat kerne k leye
Saath chorrna, Dil torna alag baatein hain
Khuda ne kab di izajat khayanat kerne k leye
Mujhe bhi le doobi yeh aadat sawaab ki
K Ishq bhi zaroori hai ibadat kerne k leye


Tere baad musawer ne tasweer mein meri Hazar rang bhare magar udasi nahen gai



Tere baad musawer ne tasweer mein meri
Hazar rang bhare magar udasi nahen gai


Banhon Se Meri Woh Abhi Rukhsat Nahi Hoa Par Gum Hoon Intezar Mein Uske Abhi Se Main



Banhon Se Meri Woh Abhi Rukhsat Nahi Hoa

Par Gum Hoon Intezar Mein Uske Abhi Se Main

Joun Eliya


Har Haal Mein Hansnay Ka Hunar Paas Tha Jinke Woh Ronay Lagay Hein Tou Koi Baat Tou Hogi



Har Haal Mein Hansnay Ka Hunar Paas Tha Jinke

Woh Ronay Lagay Hein Tou Koi Baat Tou Hogi


Naseer Jin Se Tawaqa Thi Saath Deny Ki Tuly Hein Mujh Pe Wahi Unglian Uthany Ko



Naseer Jin Se Tawaqa Thi Saath Deny Ki

Tuly Hein Mujh Pe Wahi Unglian Uthany Ko


Waqat ke aage ki kahaani ho toh bataana Ye ghariyaan ye saanche toh mukar jaayenge



Waqat ke aage ki kahaani ho toh bataana
Ye ghariyaan ye saanche toh mukar jaayenge

Tell me if you have a story ahead of time
These watches, these truths will turn away


mukammal zindagi karne ki chahat kuchh nahin hoti jo lamha mil gaya ji lo riyazat kuchh nahin hoti



mukammal zindagi karne ki chahat kuchh nahin hoti
jo lamha mil gaya ji lo riyazat kuchh nahin hoti

 


Pathar ky jigar walon gham mein wo rawani hai Khud rah bana ly ga behta howa pani hai



Pathar ky jigar walon gham mein wo rawani hai
Khud rah bana ly ga behta howa pani hai


Jane Kis Raah Se Aa Jaye Woh Aane Wali Main Ne Har Simt Se Deewaar Gira Rakhi Hai



جانے کس رہ سے آ جائے  وہ آنے  والی
میں نے ہر سمت سے دیوار گرا رکھی ہے


Jane Kis Raah Se Aa Jaye Woh Aane Wali

Main Ne Har Simt Se Deewaar Gira Rakhi Hai


Phir yun hua ke Zakham nay Jageer Bana li Phir yun hua ke Dard mujhay Raas aa gya



Phir yun hua ke Zakham nay Jageer Bana li
Phir yun hua ke Dard mujhay Raas aa gya


Tujh se bichar k saans to chalti rahi magar Main khud ko zinda dekh k hairat se mar gayee



Tujh se bichar k saans to chalti rahi magar
Main khud ko zinda dekh k hairat se mar gayee


Mere Kamre Mein Udasi Hai Qayamat Ki Magar Aik Tasweer Purani See Hansa Karti Thi



میرے کمرے میں اداسی ہے قیامت کی
مگر
ایک تصویر پرانی سی
ہنسا کرتی ہے

मेरे कमरे में उदासी है क़यामत की
मगर
एक तस्वीर पुरानी सी
हँसा करती है


Mere Kamre Mein Udasi Hai Qayamat Ki

Magar

Aik Tasweer Purani See

Hansa Karti Thi


There is sadness in my room of the doomsday
But
A picture old c
Makes me laugh
Sadness in my room is of doom
But
One pic old c
Makes me laugh


Uss Ne Abhi Kaha Hi Tha Farz Kijiye Hum Ne Siah Rang Ke Kapre Pehin Liye



Uss Ne Abhi Kaha Hi Tha Farz Kijiye

Hum Ne Siah Rang Ke Kapre Pehin Liye


Ziddi Hon Magar Jo Tum Pukaro Tou Jaan Hazir Ana Mustarad Ghuroor Mismaar Raah Humwaar Sama'at Wajib Qadam Yaksaan Teri Janib



Ziddi Hon Magar Jo Tum Pukaro Tou Jaan Hazir Ana Mustarad Ghuroor Mismaar

Raah Humwaar Sama'at Wajib Qadam Yaksaan Teri Janib


Yun Kisi Banda e Abtar Ko Na Kahiye Kamtar Kia Ajab Hashar Ke Din Aap Se Behtar Nikly



Yun Kisi Banda e Abtar Ko Na Kahiye Kamtar

Kia Ajab Hashar Ke Din Aap Se Behtar Nikly


Hazar Baar Marna Chaha Nigahon Mein Doob Kar Hum Ne FARAZ Woh Nigahen Jhuka Laiti Hai Humein Marne Nahi Deti



Hazar Baar Marna Chaha Nigahon Mein Doob Kar Hum Ne FARAZ

Woh Nigahen Jhuka Laiti Hai Humein Marne Nahi Deti


Jaise Ho Aaftaab Chiraghon Ke Beech Mein Yun Hai Mera Rasool (P.B.U.H) Rasoolon Ke Darmiyaan



Jaise Ho Aaftaab Chiraghon Ke Beech Mein

Yun Hai Mera Rasool (P.B.U.H) Rasoolon Ke Darmiyaan


Maho e Tasbeeh To Sab Hein Magar Idraak Kahan? Zindagi Khud Hi "INAYAT" Hai Magar Hosh Nahi



ﻣﺤﻮِ ﺗﺴﺒﯿﺢ ﺗﻮ ﺳﺐ ﮨﯿﮟ مگر ﺍِﺩﺭﺍﮎ ﮐﮩﺎﮞ ؟
‎ﺯِﻧﺪﮔﯽ ﺧﻮﺩ ﮨﯽ "ﻋﺒﺎﺩﺕ" ﮨﮯ مگر ﮨﻮﺵ ﻧﮩﯿﮟ

 

Maho e Tasbeeh To Sab Hein Magar Idraak Kahan?

Zindagi Khud Hi "INAYAT" Hai Magar Hosh Nahi


Utra Nahi Hai Woh Dil Se Koshish Ke Bawajood Ik Shakhs Meri Zaat Pe Bhari Hai Iss Qadar



Utra Nahi Hai Woh Dil Se Koshish Ke Bawajood

Ik Shakhs Meri Zaat Pe Bhari Hai Iss Qadar


Tum Sans Ho Ba Silsila Ta Azal Tujhe Laitey Raheingy Jeetey Rahengy



Tum Sans Ho Ba Silsila Ta Azal

Tujhe Laitey Raheingy Jeetey Rahengy


Rok sakein na uskey door jaatey qadam Meri muhabbat wafayen aur deeda e pur nam



روک سکیں نہ اسکے دور جاتے قدم
میری محبت وفائیں اور دیدہِ پر نم
شافعہ افضل


Rok sakein na uskey door jaatey qadam
Meri muhabbat wafayen aur deeda e pur nam

Shafia Afzal


Meri Aaankhon main kho naa jaana kahin Meri Aankhon main Raastay hain bohaat



میری  آنکھوں میں کھو نہ جانا کہیں
میری آنکھوں میں راستے ہیں بہت
کیسے جیتو گے عشق کی بازی ۔۔۔
حسن والوں کے ضابطے ہیں بہت
تحریر تاشفین فاروقی

Meri Aaankhon main kho naa jaana kahin
Meri Aankhon main Raastay hain bohaat
Kese jeeto ge Ishq ki baaazi
Husn waalon ke zaabtay hain bohat

Written by Tashfeen Farooqi


Jawaab Detey Hoe Ik Sawaal Ka Dukh Hai Mere Naseeb Mein Yaro Kamal Ka Dukh Hai



جواب دیتے ھُوئے اک سوال کا دُکھ ھے
مِرے نصیب میں یارو کمال کا دُکھ ھے
جھجھک جھجھک کے مِرے گر رھے ہیں جو آنسو
سنو!  یہ اب کا نہیں یہ پچھلے سال کا  دُکھ ھے
امیرِ شہر کے ڈیرے پہ معصوم ناچنے والی
غریب لڑکی کے حسن و جمال کا  دُکھ ھے
گلے میں ھار سجائے منا رھے ہیں خوشی
جنہیں کلائی پہ بندھے رومال کا دُکھ ھے
شریک ھونا نہ ھونا الگ کہانی ھے
تمہارے ھاتھ میں مہندی کے تھال کا دُکھ ھے
سُپردِ خاک کئیے اپنے ھاتھ سے کئی لوگ
جو بھوک سے ھُوا اس انتقال کا دُکھ ھے


Firaq e Yaar Ki Barish Malal Ka Mousam Hamare Shehar Mein Utra Kamaal Ka Mousam



فراقِ یار کی بارش، ملال کا موسم
ہمارے شہر میں اترا کمال کا موسم
وہ اک دعا میری، جو نامراد لوٹ آئی
زباں سے روٹھ گیا پھر سوال کا موسم
بہت دنوں سے میرے نیم وا دریچوں میں
ٹھہر گیا ہے تمہارے خیال کا موسم
جو بے یقیں ہو بہاریں اجڑ بھی سکتی ہیں
تو آ کے دیکھ لے میرے زوال کا موسم
محبتیں بھی تیری دھوپ چھاؤں جیسی ہیں
کبھی یہ ہجر، کبھی یہ وصال کا موسم
کوئ ملا ہی نہیں جس کو سونپتے محسنؔ
ہم اپنے خواب کی خوشبو، خیال کا موسم
محسن نقوی

Qatil ko koi qatal ke aadaab sekhaye Dastaar ke hote hoe sar kaat raha hai



Qatil ko koi qatal ke aadaab sekhaye

Dastaar ke hote hoe sar kaat raha hai

Parveen Shakir


Ab kis say kahein ore kon sunay jo haal tumharay baad howa iss dil ki jheel si aankhoon mein ik khawaab buhat barbad howa



اب کس سے کہیں اور کون سنے  جو  حال  تمہارے بعد ہوا
اس دل کی جھیل سی آنکھوں میں اک خواب بہت برباد ہوا


یہ ہجر  ہوا  بھی  دشمن  ہے  اس  نام کے  سارے  رنگوں کی
وہ  نام  جو  میرے  ہونٹوں  پر  خوشبو  کی  طرح آباد  ہوا


اس شہر میں کتنے چہرے تھے کچھ یاد نہیں سب بھول گئے
اک  شخص  کتابوں  جیسا  تھا: وہ  شخص  زبانی  یاد ہوا


وہ  اپنے  گاؤں کی  گلیاں  تھیں دل جن میں ناچتا گاتا تھا
اب  اس  سے   فرق  نہیں    پڑتا   ناشاد   ہوا  یا شاد  ہوا


بے نام  ستائش  رہتی  تھی  ان گہری سانولی آنکھوں میں
ایسا  تو  کبھی  سوچا  بھی  نہ  تھا  کہ  دل کتنا بےداد ہوا
نوشی گیلانی
 

Ab kis say kahein ore kon sunay jo haal tumharay baad howa
iss dil ki jheel si aankhoon mein ik khawaab buhat barbad howa


yeh hijar hawa bhi dushman hai is nam kay sary rangoon ki
woh nam jo mairay honton par khushbo ki tarah aabad howa


is shahar mein kitnay chehry thay kuch yaad nahi sab bhool gaye
ik shakhs kitaboon jaisa tha woh shakhs zubani yaad raha


woh apnay gaoun ki galiyan thein dil jin mein nachta gata tha
ab is say farq nahi parrta nashad howa ya shad howa


benam sataish rehti thi in gehri sanwli aankhoon mein
aisa to kabhi socha bhi na tha keh dil kitna bedad howa

Noshi Gilani


Uss Ki Aankhon Se Ho Ke Aaya Hoon Gar Woh Barsen Tou Shehar Doobey Ga



اس کی آنکھوں سے ہو کے آیا ہوں
گر وہ برسیں تو شہر ڈوبے گا

Uss Ki Aankhon Se Ho Ke Aaya Hoon
Gar Woh Barsen Tou Shehar Doobey Ga

 

Muhabbat Yun Bhi Hoti Hai Hamesha Chup Raha Jaye



محبت یوں بھی ہوتی ہے
ہمیشہ چپ رہا جائے
کبھی کچھ نہ کہا جائے
حفاظت ایسے کی جائے
کہ جیسے راز ہو کوئی
کسی پرسوز سینے میں
کی جیسے ساز ہو کوئی
چھپایا یوں اسے جائے
جو دل میں سیپ کے موتی
کسی کی بیوفائی جو
دلوں میں خار ہے بوتی
کوئی کہہ دے اسے جا کر
یہ بھی اندازِ الفت ہے
طریقِ مہر چاہت ہے
یہ بھی رمزِ محبت ہے
کوئی کہہ دے اسے جا کر
محبت یوں بھی ہوتی ہے


Haal Mera Poocha Tha Aur Main Ne Tumhari Aik Muskan Ki KhatirDafan Kar Diye Thay Apne Tamam Dukh



حال میرا پوچھا تھا
اور میں نے
تمھاری ایک مسکان کی خاطر
دفن کر دیے تھے اپنے
تمام دکھ۔
اپنے دل کے کسی کونے میں
کہ تمھیں یاد تو ھوگا
میں نے ھر بار یہی کہا تھا 
میں ٹھیک ھوں


Ajeeb Log Thay Woh Titlian Banate Thay Samandaron Ke Liye Machlian Banate Thay



عجیب   لوگ   تھے  وہ   تتلیاں   بناتے   تھے
سمندروں   کے   لیے    مچھلیاں   بناتے   تھے
مرے    قبیلے   میں   تعلیم   کا  رواج   نہ  تھا
مرے    بزرگ    مگر    تختیاں    بناتے   تھے
وہی   بناتے   تھے  لوہے   کو   توڑ   کر   تالا
پھر  اُس   کے  بعد   وہی   چابیاں  بناتے   تھے
فضول  وقت  میں  وہ  سارے  شیشہ  گر  مل کر
سہاگنوں    کے    لیے    چوڑیاں   بناتے   تھے
ہمارے  گاؤں  میں  دو  چار   ہندو   درزی  تھے
نمازیوں    کے     لیے   ٹوپیاں    بناتے     تھے


Dil-e-Majboor Bhi Kya Shay Hai Ke Dar Se Apne Usne Sau Baar Uthaya To Main Sau Baar Aaya



دلِ مجبُور بھی کیا شے ہے، کہ در سے اپنے
اُس نے سَو بار اُٹھایا ، تو میں سَو بار آیا

Dil-e-Majboor Bhi Kya Shay Hai Ke Dar Se Apne
Usne Sau Baar Uthaya To Main Sau Baar Aaya

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo