Udas Shamain Ujar Raste Kabhi Bulain To Lout Aana

 

Poet Farhat Abbas shah

Udas Shamain Ujar Raste Kabhi Bulain To Lout Aana,

Kisi Ki Aankhon Mein Rat Jagon K Azab Aain To Lout Aana,

Abhi Nahi Wadion Naye Manzron Mein Reh Lo,

Magar Meri Jan Ye Sare Aik Aik Kar K,

Jab Tum Ko Chor Jain To Lout Aana,

Jo Sham Dhalte Hi Apni Apni,

Pana Gahon Ko Loutte Hain,

Agr Wo Panchi Kabhi Koi Dastan Sunain To Lout Aana,

Naye Zamano Ka Qarb Orhe Zaeef Lamhe Nidhal Yadain,

Tumhare Khawabon K Band Kamron Mein,

Lout Aain to Lout Aana

Main Roz,

Youn Hi Hawa Pe Likh Likh K Us Ki Janib Ye Bhejta Hon,

K Ache Mosam Agar Paharon Pe Muskrain To Lout Aana,

Agar Andheron Mein Chor Kar Tum Ko Bhool Jain,

Tumhare Sathi Aur Apni Khatir Hi,

Apne Apne Diye Jalain To Lout Aana,

Meri Wo Batain Jin Pe To Hansta Tha Khil Khila Kar,

Bicharne Wale Meri Wo Batain,

Kabhi Rulain To Lout Aana..........!

Book

Sham K Baad

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo