Dil Baithe Tujh Pe Haar Piya Kar Too Bhi Hum Se pyar Piya

 

Poet Zulfqar Haidar 

 

Dil Baithe Tujh Pe Haar Piya,

Kar Too Bhi Hum Se pyar Piya,

Ab Dard Ka Daman Kon Bane,

Hum Barson Se Bemar Piya,

Inalion Mein Kuch Bhool Gay Dil Roy Zaar-O-Zaar Piya,

Kion Chup Chup Gum Sum Rehte Ho,

Ye Pochain Hum Se Yar Piya,

Kuch Dil Bhi Bojhal Bojhal Hai,

Kuch Yadon K Ambar Piya,

Hum Tujh Se Hain Naraz Bahut Ye Bhool Gay Har Bar Piya,

Kis Hal Mein Ab Deewana, Aa Dekh Sar-e-Bazar Piya,

Ek Khawab Ajab sa Dekha Tha,

Hum Us Din Se Bezar Piya,

Ab Neend Bhi Hum Se Rooth Gai,

Phir Kaise Ho Deedaar Piya,

Ab Keh Dalo To Behter Hai Jo Karna Hai IQRAR Piya,

Dil Gham Se Phat Jay Ga Kar Dena Na Inkar Piya,

In Ashkon Ko In Aankhon Ki Na Rok Sake Deewar Piya,

Agar Raste Seedhe Sadhe Hain To Chalna Kion Dushwar Piya,

Han Jism To Apna Lout Aya

Par Bhatke Rooh Us Paar Piya..........!

 

 

Comments

  1. please don't use fake names of poets..the real poet of this poem is Muhammad Awais Malik and this poem was published in his book labon pey larzan baat.. u may see this link http://dilbaitheytujhpeyhaarpiya.blogspot.com/ his book is also available at (http://www.mediafire.com/?oi5yz85iprzl562

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay