Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim Rasm-E-Dunia Bhi Hai Moqa Bhi

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,

Rasm-e-Dunia Bhi Hai,

Moqa Bhi Hai,

Dastoor Bhi Hai,

Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare,

Husn Mastoor Bhi,

Majboor Bhi,

Maghroor Bhi Hai,

Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte,

Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte,

Ye Mana Tum Haseen Ho Aur,

Tumhain Haq Hai Shararat Ka,

Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte,

Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka,

Adaab Laazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte,

Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain,

Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte,

Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain,

Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karate,

Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka,

Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte,

Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi,

Mera Kehna Bhi Bura Nahi,

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim..............!

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai