Poet Ahmed Faraz
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhte Hain,
So Us K Shehr Mein Kuch Din Tehr K Dekhte Hain,
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Halon Se,
So Apne Aap Ko Barbad Kar K Dekhte Hain,
Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm-E-Naaz Us Ki,
So Hum Bhi Us Ki Gali Se Guzar K Dekhte Hain,
Suna Hai Us Ko Bhi Hai Sheir-O-ShairY Se Shaghaf,
So Hum Bhi Mojze Apne Hunar K Dekhte Hain,
Suna Hai Bole To Baton Se Phool Charte Hain,
Ye Bat Hai To Chalo Bat Kar K Dekhte Hain,
Suna Hai Rat UsaY Chand Takta Rehta Hai,
Satare Bam-E-Falak Se Utar K Dekhte Hain,
Suna Hai Din Ko UsaY Titliaan Satati Hain,
Suna Hai Rat Ko Jugno Ther K Dekhte Hain,
Suna Hai Hashar Hain Us Ki Ghazal Si Aankain,
Suna Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar K Dekhte Hain,
Suna Hai Rat Se Bar Kar Hain Kuklian Us Ki,
Suna Hai Shaam Ko Saye Guzar K Dekhte Hain,
Suna Hai Us Ki Siyah Chashmgi Qayamat Hai,
So Us Ko Surma Farosh Aah Bhar K Dekhte Hain,
Suna Hai Us K Labon Se Gulab Jalte Hain,
So Hum Bahar Pe Ilzam Dhar K Dekhte Hain,
Suna Hai Aaina Tamsal Hai Jabeen Us Ki,
Jo Sada Dil Hain UseY Ban Sanwar K Dekhte Hain,
Suna Hai Jab Se Humail Hain Us Ki Gardan Mein,
Mizaj Aur Hi Laal-O-Guhar K Dekhte Hain,
Suna Hai Chashm-E-Tasawor Se Dasht-E-Imkan Mein,
Falang Zawiye Us Ki Kamar K Dekhte Hain,
Suna Hai Us K Badan Ki Tarash Aisi Hai,
K Phool Apni Qabain Katar K Dekhte Hain,
Wo Saro Qaid Hai Magar Be Gul-E-Murad Nahi,
K Us Shajar Pe Shagoofe Samar K Dekhte Hain,
Bas Ek Nigah Se Louta Hai Qafla Dil Ka,
So Reh Rawan-E-
Tamanna Bhi Dar K Dekhte Hain,
Suna Hai Us K Shabistan Se Mutasil Hai Bahishat,
Makeen Udhar K Bhi Jalwe Idhar K Dekhte Hain,
Ruke To Gardishein Us Ka Tawaf Karti Hain,
Chale To Us Ko Zamane Thehr K Dekhte Hain,
Kise Naseeb K Be Perahan UsaY Dekhte Hain,
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewar Ghar K Dekhte Hain,
Kahanian Hi Sahi Sab Mubalghe Hi Shai,
Agar Wo Khawab Hai Tabeer Kar K Dekhte Hain,
Ab Us K Shehr Mein Thehrein K Kooch Kar Jain,
FARAZ
Aao Sitare Safar K Dekhte Hain.................!
Book Khawab Gul-E-Perishan Hai
Page 17 to 20
Comments
Post a Comment