Nahi Hoti Wahan Rehmat Khuda Ki,Na Ho Wuqa'at Jahan Sidaq-o-Safa Ki

شاعر: ابنِ مُنیب

نہیں ہوتی وہاں رحمت خدا کی

نہ ہو وُقعت جہاں صدق و صفا کی

ہوئے رشوت کے آگے سر نِگوں سب

مثالیں دے رہے تھے کربلا کی

دِکھائی محتسب نے وہ کرپشن 

مَرَض بڑھتا گیا جُوں جُوں دوا کی

تواضع، صبر، اور ایمانِ کامل

یہی سُنت رہی ہے انبیا (ع) کی

امانت ہے بڑی، سمجھو عزیزو

تمہارے گھر میں یہ 'بندی خدا کی

غرورِ ذات میں بھٹکا کئے ہم

بہت تاریک تھیں گلیاں اَنا کی

تڑَپ نا آشنا ہو تار؟ کیوں ہو

مریضِ عشق کو حاجت شفا کی؟

ہوئے نہ مائلِ عرضِ سُخَن ہم

مگر جب ابتدا کی، انتہا کی


 Poet:Ibn-e-Muneeb

Nahi Hoti Wahan Rehmat Khuda Ki,

Na Ho Wuqa'at Jahan Sidaq-o-Safa Ki,

Hoe Reshwat K Aage Sar Nigon Sab

Misaalein De Rahe Thay Karbala Ki

Dekhayi Mutasib Wo Corupption

Maraz Barhta Gaya Joun Joun Dawa Ki

Tawazo,Sabar Aur Emaan-e-Kamil

Yahi Sunnah Rahi Hai Anbiya (A.S) Ki

Amanat Hai Barri Samjho Azizo

Tumhare Ghar Mein Ye Bandi Khuda Ki

Ghuroor-e-Zaat Mein Bhatka Kiye Hum

Buhat Taareek Theen Galiyan Ana Ki

Tarap Na Aashna Ho Tar? Kion Ho

Mareez-e-Ishq Ko Hajat Shifa Ki

Howe Na Maa'il-e-Arz-e-Sukhan Hum

Magar Jab Ibteda Ki,Inteha Ki.......!



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo