Waise To Nahi Mera Muqadar Teri Aankhein Aati Hain Nazar Khuwaab Mein Aksar Teri Aankhein

ویسے تو نہیں میرا مقدر تری آنکھیں

آتی ہیں نظر خواب میں اکثر تری آنکھیں

یہ دیکھنے والے پہ ہے کیسے تجھے دیکھے

بینائ بھی ہیں اور ہیں منظر تری آنکھیں

ہم بال بنائیں کہ خدوخال سنواریں

آئینہء دیوار سے بہتر تری آنکھیں

ہر وقت ہی مقتل بنا رہتا ہے میرا دل

ہر وقت بنی رہتیں ہیں خنجر تری آنکھیں

طوفان سے ڈرتا ہے تو ساحل پہ اتر جا

سب حال بیاں کرتی ہیں مضطر تری آنکھیں

ہلچل سی مچادیتی ہے کچھ سوچتی نظریں

میں جھیل ہوں گہری تو ہیں پتھر تری آنکھیں

Aankhein

Waise To Nahi Mera Muqadar Teri Aankhein

Aati Hain Nazar Khuwaab Mein Aksar Teri Aankhein

Ye Dekhne Wale Pe Hai Kaise Tujhe Dekhe

Beenayi Bhi Hain Aur Hain Manzar Teri Aankhein

Hum Baal Banaen Keh Khud-o-Khaal Sanwaren

Aaeina-e-Dewaar Se Behtar Teri Aankhein

Har Waqt Hi Maqtal Bana Rehta Hai Mera Dil

Har Waqt Bani Rehtein Hain Khanjar Teri Aankhein

Toofan Se Darta Hai To Sahil Pe Utar Ja

Sab Haal Bayan Karti Hain Maztar Teri Aankhein

Halchal Si Macha Deti Hain Kuch Sochti Nazrein

Main Jheel Hon Gehri To Hain Pathar Teri Aankhein.....!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo