Safar Tanha Nahi Kartay Suno Aisa Nahi Kartay (Poet Mohsin Naqvi)



 Suno Aisa Nahi Kartay

Poet:Mosin Naqvi

Safar Tanha Nahi Kartay

Suno Aisa Nahi Kartay

Jise Shafaaf Rakhna Ho

Usay Maila Nahi Kartay

Teri Aankhein Ijazat Den

To Hum Kia Nahi Kartay

Buhat Ujrre Howe Ghar Ko

Buhat Socha Nahi Kartay

Safar Jis Ka Muqadar Ho

Usay Roka Nahi Kartay

Jo Mil Kar Khud Se Kho Jaye

Usay Ruswa Nahi Kartay

Ye Oonchay Parr Kaise Hain,Saaya Nahi Kartay

Kabhi Hansnay Se Dartay Hain

Kabhi Roya Nahi Kartay

Teri Aankhon Ko Parhtay Hain

Tujhe Daikha Nahi Kartay

Chalo!!!

Tum Raaz Ho Apna

Tujhe Afshaan Nahi Kartay

Sahar Se Pooch Lo MOHSIN

Hum Soya Nahi Kartay



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo