Sau Chaand Bhi Chamaken Ge To Kya Baat Bane Gi Tum Aaye To Is Raat Ki Auqaat Bane Gi

 Poet:Jan Nisar Akhtar

Sau Chaand Bhi Chamaken Ge To Kya Baat Bane Gi 

Tum Aaye To Is Raat Ki Auqaat Bane Gi 

Un Se Yahi Kah Aaye Ki Ham Ab Na Milen Ge

Aakhir Koi Taqreeb-E-Mulaaqaat Bane Gi 

Ye Ham Se Na Hoga Ki Kisi Ek Ko Chaahen  

Ai Ishq! Hamaari Na Tere Saath Bane Gi 

Hairat Kadaa-E-Husn Kahaan Hai Abhi Duniya

Kuchh Aur Nikhar Le To Tilismaat Bane Gi 

Ye Kya Ke Badhte Chalo Badhte Chalo Aage 

Jab Baith Ke Sochen Ge To Kuchh Baat Bane Gi...!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay