Tay Un Se Roz-E-Hashar Mulaqat Ho Gai Hum Jis Se Darte The Wohi Bat Ho Gai


شاعرہ نجمہ شاہین کھوسہ
بوک میں آنکھیں بند رکھتی ہوں
صفحہ 40

انتخاب اجڑا دل

طے ان سے روز ۓ حشر ملاقات ہو گئی
ہم جس سے ڈرتے تھے وہی بات ہو گئی

جب سے کسی سے ترک ۓ ملاقات ہو گئی
آنسو گرے کچھ ایسے کہ برسات ہو گئی

شاہین عشق میں یے کرامات ہو گئی
میں جیت چاہتی تھی مجھے مات ہو گئی

اہل ۓ جنوں کو جشن ۓ چراغاں سے کیا غرض
صحرا کی چاندنی میں بسر رات ہو گئی

دل کی خلش سے بارہا بیتاب ہو گۓ
آخر کو اشک ۓ خوں میری سوغات ہو گئی

 

Poetess Doctor Najma Shaheen Khosa

Tay Un Se Roz-E-Hashar Mulaqat Ho Gai

Hum Jis Se Darte The Wohi Bat Ho Gai

Jab Se Kisi Se Tarak-E-Mulaqat Ho Gai

Aansoo Gire Kuch Aise K Barsaat Ho Gai

Shaaheen Ishq Mein Ye Karmat Ho Gai

Main Jeet Chaahti Thi Mujhe Maat Ho Gai

Ehl-E-Janoon Ko Jashan-E-Charaghan Se Kaya Gharaz

Sehra Ki Chaandni Mein Basar Raat Ho Gai

Dil Ki Khalish Se Baarha Betaab Ho Gaye

Aakhir Ko Ashak-E-Khoon Meri Soghaat Ho Gai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo