Chaaragar Haar Gaya Ho Jaisay Ab To Marna Hi Dawa Ho Jaisay

Poetess:Parveen Shakir

Chaaragar Haar Gaya Ho Jaisay

Ab To Marna Hi Dawa Ho Jaisay

Mujh Se Bichrra Tha Woh Pehle Bhi Magar

Ab Ke Ye Zakham Naya Ho Jaisay

Mere Maathay Pe Tere Piyaar Ka Haath

Rooh Par Dast-e-Saba Ho Jaisay

Youn Buhat Hans Ke Mila Tha Lekin

Dil Hi Dil Mein Woh Khafa Ho Jaisay

Sar Chupaaen To Badan Khulta Hai

Zeest Muflis Ki Rida Ho Jaisay


پروین شاکر

چارہ گر، ہار گیا ہو جیسے
اب تو مرنا ہی دَوا ہو جیسے

مُجھ سے بچھڑا تھا وہ پہلے بھی مگر
اب کے یہ زخم نیا ہو جیسے

میرے ماتھے پہ ترے پیار کا ہاتھ
رُوح پر دست صبا ہو جیسے

یوں بہت ہنس کے ملا تھا لیکن
دل ہی دل میں وہ خفا ہو جیسے

سر چھپائیں تو بدن کھلتا ہے
زیست مفلس کی رِدا ہو جیسے

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo